manu@84
Well-Known Member
- 8,742
- 12,207
- 174
जो भी करना है, आपने करना है, डॉक्टर को दिखाओ या फिर खुद की डॉक्टरी करो, बस माताजी का ख्याल रखो। माता पिता हमारी बेशकीमती दौलत होते है, उन्हे रेत की तरह फिसलने मत देना 
pls.

भाई जी किसी अच्छे होम्योपैथिक डॉक्टर को दिखाइए, संभव हो तो कामदेव भाई जी वाले बताए इंस्टीट्यूट में दिखाइए, मुझे लगता है एलोपैथी में इलाज संभव नहीं है, पर होम्योपैथिक में।सही हो जाएगा।
जो भी करना है, आपने करना है, डॉक्टर को दिखाओ या फिर खुद की डॉक्टरी करो, बस माताजी का ख्याल रखो। माता पिता हमारी बेशकीमती दौलत होते है, उन्हे रेत की तरह फिसलने मत देनाpls.
मानू भाई, आप चाहे तो एक डॉक्टर जो फोन पर कंसल्टेशन दे सकते हैं, उनकी डिटेल दे सकता हूं, दवा भी पार्सल से आ जायेगी। मुझे बहुत बढ़िया लगते हैं वो, कई असाध्य रोग सही हुए हैं उनकी देखरेख में।Bhaai ji,
Maa ko kahin le kar jana sambhav nahin hai. Ek baar wo chalne-firne lagein to unhein homeopathy ya ayurvedic doctor ke pas le jaa kar poora check-up karaunga.
भाई डरा नही रहा हूँ... जो मुझसे भूल हो चुकी है बस वो किसी और से ना हो। डॉक्टर और खुद की डॉक्टरी और गूगल के ज्ञान से मेरी दौलत हाथों से फिसल गयी। रोना आ रहा है.... खैर छोड़ोBhaai,
Ek to main pahle hi anxiety mein mara jaa raha hun, upar se aap bhi jimmedaari ka bojh mujhe fir se gina kar ant mein jo kah rahe ho use likh kar or dara rahe ho!
Priy mitron,
Aap sabhi ko meri maa ke swasthy ke baare mein kuch bataein nahin pata hain, jinhein main aapke saath saajha karta hun, uske baad aage ke halaat ke baare mein batata hun.
Pichle saal holi ke baad se meri maa ke baayin jaangh mein teevr drd shuru hua tha. Jo log mujhe ek anokha bandhan ke smay se jaante hain unhein pata hai ki pichhle saal hm maa-beton ne kaise drd bhre dinon ko bhoga tha. Khair, ek orthopedic doctor ne bataya tha ki jo nas taangon mein jaati hai wo nas dane ke karan ye dard paida hota hai. Iski dwaai bhi chal rahi thi jis karan maa ghar mein bina mere sahaare ke chalti-firti thin. Parantu july mein jab se ye sab pareshaniyaan shuru huin tab se maa ne chalna-firna band kar diya tha jis karan unhein mera sahra le kar chalna-firna padta hai.
Ab hum maa-bete dusri manzil par rahte hain or is samay maa se 37 seedhiyaan utar kar kisi doctor ke paas jana namumkin hai! Yahi karan hai ki mujhe practo jaisi app ka sahara lena padta hai.
Ab aage ke haal sunata hun:
Aap sabhi ke comments padh kar or dermatologist ke kahne par maine maa ka blood test karwaya tha. Ek physician ne CBC, HbA1c, or sugar ke test likhe the jinhein maine krwa kar report doctor ko bhej di thi. Doctor ne report dekh kar kaha ki sugar to control mein hai, parantu hemoglobin 8 hai jo ki bahut kam hai. April mein maa ka hemoglobin 8.4 tha lekin ab wo 8 pahunch gyaya hai isi karan maa ko adhik kamjori rahti hai. Ab chunki maa ko khane ka man nahi nkarta isliye doctor ne unki bhookh badhaane ke liye dwaai likhi thi, saath hi main hemoglobin badhaane ke liye dwaai likhi tatha kuch multivitamins likh diye.
2 din bhi nahin beete the ki maa ka baayein jaangh wala dard achank se badh gaya isliye maine orthopedic doctor se consult kiya. Unhone dwaai likhi or filhaal unhein araam hai.
Aap sabki duwaaon or dwaaiyon ka asar ho raha hai or maa ki tabiyat mein thoda sudhaar hai. Parantu abhi bhi samsyaien hain jo dheere-dheere pareshaan kar rahi hain.
1. Do din pahle maa ke bayein pair ki aedi ke paas ek dana ubhar aaya tha jismein se kal thodi pas nikli jiska pata der se chala. Pindli se le kar neeche tak ka paaonv kuch kala ho chuka hai jo ki mere liye ek chinta ka vishay hai.
2. Maa ko jism mein kabhi-kabhi khujli hoti hai.
3. Daayein paonv mein ek do jagah aisi hain jahan skin mein kuch nishaan pad gaye hain jo chhune par rough se feel hote hain!
4. Pichhle teen dinon se maa ko moonh khraab-khraab lgta hai! Us smaya wo kuch namkeen khaa leti hain to theek ho jata hai.
5. Baayein paonv mein soojan badh rahi hai.
In abhi smsyaon ka hal hai doctor se baat karna, or doctor ne dwaai likh deni hai. Parantu meri maa ka kahana hai ki main pahle hi itni dwaai khaa rahi hun, ab or nahin khaaungi. Isliye main intezaar kar raha hun ki pahle unhein taaqat aa jaayein fir main unki in samsyaaon ka ek-ek kar ilaaj karwaaun.
Aap sabhi se vinti hai ki meri maa ke swasthy ke liye prarthna karte rahein.![]()
Aaap toh hamre guru nikleAunty ji jald sahi ho jaye gi hamari duaye un ke saath hai!
Aaap toh hamre guru nikle![]()
ये साइटिका या स्लिप डिस्क का प्रॉब्लम लग रहा है । और शरीर पर जो दाने उभर आए है वो फिजूल की दवाइयों का साइड इफेक्ट है।Priy mitron,