Manikarnika se mujhe toh sirf Jhaansi ki Raani hi yaad aayi..
Aap ka last update just abhi padha... kaafi saari information di gayi hai.. kaafi saare subjects ko touch kiya gaya hai... Aap ka in sab mei deep knowledge kaafi kabile tareef hai
Lekin aapne is "Season" ka end kaafi acha kiya hai. Finally, Komal aur Dayi Maa ko ek dusre ke saath sukoon bhara waqt mila.
Agle season ka besabri se intezaar rahega.
Manikaarnika jo ghat hai. Vo ghat ka nam agar me dharmik tarike se is forum par batau to sayad kisi ko achha na lage. Kyo ki forum sabhi dharmo ko saman hak deta hai. Aur dharam prachar jesa kuchh ho jaega. Me khud esa kuchh pramot nahi karna chahti.
Par name dharmik hai. Aur is yug ka nahi hai. Jab ki zansi ki rani hamare isi yug ki hai.
Par log sayad mere ward ek hi samazte honge. Mashan, samshan, aur maha samshan ye teeno alag alag ward hai. Kam kuch ek same hai.
Aap ne baki har jagah samshan ghat suna hoga. Ye jo manikarnika ghat hai. Ye shamshan nahi mashan hai.
Is topic ko likhne ka to mene socha hi nahi tha. Thoda bahot yaad hai. Agar likha to muje bhi kitab kholni padegi.