Azagar Dada
Active Member
- 911
- 4,070
- 123
Bahut khub likha h aapne ,aur mahadev ki agni to swayam agni ko hi jala de . Sabhi prashno ka sahi uttar diya aapneAapka andaja bilkul sahi hai Bro. Gurudev ne usi ke sambandh me dev and party ko bulaya hai apne pass. And rahi baat ghar per aakar hairan hone ki to is update me pata chal jayega sabhi ko ko unko akhir kisne hairan kar diya. And rahi bat adhira ke ant ki to. Yaar simple si Baat hai. Dev ke pass pancho ans the jinki shakti ka koi tod nahi hai. Ha agar usme ek bhi kam hota to adhira jarur dev per bhari padta lekin jab pancho ans mil gye to dev ke liye ye kaam bahut aasaan hogya.. or adhira bhi janta tha ki uska bachna ab muskil hai.or sabse imp. Baat vo ye ki sabhi jante hai ki TRINETRA se nikalne wali jwala kitni ghatak hoti hai. Fir bhale hi vo koi amar insan hi Kyu na ho. Us jwala se bacha sake aisa koi nahi is brahmand me. Or example ke liye kaamdev bala scane to sabhi ko yaad hi hoga jab mahadev ne unhe bhasm kar diya tha. Baki to sabki apni apni soch hai. Maine yahi sab bate dhyan me rakhkar is scane ko likha.
keep supporting........
Bahut behtreen update hai bhai jiUPDATE 86
Ham jaise hi apne ghar per pragat hue hamare samne vo dono khade hue the or hamari kismat kharab jo unki aankhe usi taraf thi jis taraf ham ek dum se pragat hue. Or ye seen dekhkar un dono ki aankhe to fati ki fati reh gyi.
Ji ha aap sahi samaj rahe hai. Ye chirag or lucky hi the. Jo hamare samne hi khade hue the. Or ye dekhkar ham sabhi ne apna matha peet liya.
Renu- ye yaha kaise
Main- sorry me batana bhul gya tha. Nahi maine bataya tha tumhe. Ki sham ko ye aane wale hai. Or ye baat me puri tarah bhul gya Verna apne kamre me aata seedha.
Aalia- bahut badiya bhulakkad hote ja rahe ho din ba din.ab inko batao sab ya mita do inke dimaag se ye sab.
Abhi ham dheere dheere bate hi kar rahe the or vo dono hame ek tak ghure ja rahe the.
Main- abe ghurna band karo. Ye batao kab aaye tum dono.
Chirag- vo chhod ye bata ki tu achanak se kaha se pragat hua. Ye kya tha.
Lucky- ha be ye sab kya tha. Tum charo kaha se pragat hue ho. Abhi yaha koi nahi tha or agle sec tum log aagye
Main- tum dono ko pakka yakeen hai ki jo tumne dekha vo sahi hai koi bhram nahi.
Chirag- abe me din me sapne nahi dekhta. Ab tu sach bata ki ye sab kya chakkar hai.
Main- theek hai shanti se batho or meri baat ko suno. Or mujhe ye vada karo ki is baat ko aone Tak ho rakhoge. Apne siva apni perchhai ko bhi nahi batana ye sabhi bate.
Lucky- dara kyu raha ho. Aisa kya baat hai jo kisi ko nahi batani hai.
Main- bahi Bata Raha hu. Lekin pehle vada karo.
Chirag- bas kya itna bhi yakeen nahi hai ham per.
Main- yakeen pura hai lekin check karna padta hai ki kahi hasi majak me kisi ke samne na bak dena.
Chirag- ha bhai ham majak me bhi iska jikr nahi karenge. Ab bata bhi kitna suspence bana rahe ho.
Main- theek hai suno.
Or uske baad sari kahani fir se repeat ki gyi un dono ke liye. Or unko suru se ek ek baat Maine batai or jab yakeen na hua to fir se thoda magic karke dikha diya. Or ye sab janne ke baad bakai me dono kafi exited ho gye. Unhe yakeen hogya ki me koi superhero ban gya hu. Bilkul kisi Hollywood ki filmo ki tarah.
Main- bas karo ab ye baat yahi bhul jau.
Chirag- sach kahu to tujh per mujhe pehle se hi shak tha ki teri sakhaiyat sadharan nahi hai. Jarur kuch hai jo me nahi janta tha. Or jab aaj tune bataya to mera shak ek dum sahi nikal gya. Or sach maan me ye jaankar bahut kush hu. Or ab bakai me main chain se raat ko so sakta hu. Kyuki mujhe yakeen hai ki tu hame kuch nahi hone dega.
Lucky- that's true. Badhai ho bhai. Or 2-2 shadiyo ke liye extra badhai or ab tujhe party deni hi oadegi. Vo bhi achhi bali. Bas me or kuch nahi sunna chahta.
Chirag- ye kahi na tune meri pasand wali baat. Sahi hai party to banti hai bro.
Main- jarur dunga lekin abhi nahi. Abhi hame kahi Jana hai. Tum log ho sake to yahi ruk jana hamare peeche agar kuch ho to sabhi ko safe rakhne ke liye. Ya fir sabhi ko apne sath le jao. Kyuki hame nahi pata hai hame loutne me kitna time lagega.
Chirag- koi baat nahi. Aunty aap sabhi chaliye hamare ghar
Lucky- nahi mere ghar chaliye aunty.
Dadu- kya sirf aunty ko hi lejana hai mujhe nahi.
Chirag- aapko to special tarike se le jaunga me.
Mom- beta ham kisi ko takleef nahi de sakte or baise bhi aise achanak se ghar chhod kar jana ajeeb lagega sabhi ko or ho sakta hai hamari bajah se tum sabhi per bhi koi musibat aajaye. Isliye ham yahi theek hai. Baki Jo hoga dekha jayega.
Mama- bilkul sahi kaha. Beta tum log bilkul bhi tension na lo. Ham handle kar lenge. Chahiye to tum log ghumne aasakte ho jab man kare.
Ye baat sabhi ko sahi lagi or mujhe bhi. Lekin ek dar bhi tha ki kahi koi musibat na aajaye. Isliye main ghar se bahar gya
Or apne dono hatho ko jodkar khada ho gya or baki sabhi mujhe dekhne lage.
Maine pancho tatvo ko milaya or apne hatho ko hawa me kar diya uper ki taraf or pancho tatvo se milkar ek shaktishali kavach ghar ke charo taraf banne laga or sath me lucky or chirag ke ghar per bhi or baki sabhi ghar ke logo ke uper bhi.jaise mom mami mama dadu chirag or lucky or baki sabhi per bhi. Or aam logo per filhaal koi sankat nahi tha asli sankat is waqt pariwar per tha isliye unhe surakshit karna jyada jaruri tha. Kuch hi der me sare kavach ban kar ready ho gye. Or kisi ko dikhe bhi nahi. Unhe laga oata nahi me kya kar raha hi hatho ko uper karke. Sivay ham pancho ke kisi ko kuch nahi dikh raha tha ye pakka tha.
Uske baad maine apni aankho ko khola or bapis se sabhi ke pass aagya.
Main- aap sabhi filhal surakshit hai. Koi bhi buri shakti andar nahi aasakti. Bas aap log saavdhan rehna.
Mom- ham dhyan rakhenge. Ab tum log jao gurudev intjaar kar rahe honge tum sabhi ka.
Main- theek kaha aapne.
Uske baad maine sabhi bado ka aasirvaad liya or ham pancho ne ek dusre ka hath pakda or agle hi pal sabko bye bolke ham baha se gayab ho gye.
Or gurudev ke aashram ki taraf badne lage.
Bahi dusri taraf shukracharya or medhavi apne sir ko peer rahe the ki itni aasani se unki sari yojna bifal kaise ho gyi.
Shukracharya- Maine tum per viswas karke galat kiya medhavi. Tumhari sari yojna dhari ko dhari reh gyi.
Medhavi- me apni galti maanta hu guruvar. Maine uske bare me jitna suna jitna dekha usi hisaab se yojna banai thi or vo safal bhi rahi kuch had tak. Lekin uske hath vo Bayu ans lag gya or pancho anso ki shaktiya ek hojane ke kaaran vo pitaji ko maarne me safal raha. Verna pitaji use bahi parast kar dete.
Shukracharya- ye baat sahi hai. Lekin ab ham kya kare. Kyuki ab divyastra sampann ho chuka hai or ab uska koi bhi chah kar bhi kuch nahi bigaad payega.
Medhavi- ye baat me janta hu. Lekin gurudev ab aap hi koi rasta nikalaliye usko parast karne ka. Ham or kai croro varsh pratiksha kar lenge divystra ke punha jaagne ka. Parantu aise haar nahi maan sakte hai.
Shukracharya- ab keval ek hi rasta bacha hai apni puri takat ke sath usper hamla karne ka. Or tumhe kaalkut to yaad hi hoga.
Medhavi- aapne kaalkut kaha kya abhi.
Shukracharya- ha maine usi ka naam liya hai. Ab nahi hamari aakhiri ummid hai.
Medhavi- kya usper iska koi prabhav padega. Aakhir vo mahadev ka ans hai.
Shukracharya- kaalkut ka prabhav to mahadev per bhi pada tha. Agar vo use apne gale me nahi rokte to samast sansaar ka vinash ho jata kyuki sara sansaar unhi ke andar samaya hua hai. Khas kar vishnu. Or unhe bhi bahut peeda Hui thi use grahan karne me. Fir ye matra unka ans hai. Mujhe bharosa hai ki isper bhi us kaalkut ka koi na koi khatarnaak prabhav jarur padega Jo hamare hit me hoga. Or agar usper na bhi pada tab bhi uske pariwar jo uski kamjori hai unper to padega hi or unper to bahut prabhav padega
Medhavi- aapka kathan uchit hai gurudev. Parantu ye hame kaha se mil sakta hai.
Shukracharya- hame kahi jane ki jarurat nahi hai. Ye mere pass pehle se hai. Jab kuch bunde prithvi per giri thi uski jise sapo or baki ke jeevo ne grahan kar liya tha. Tab unhi sab me main bhi ek tha. Us samay me bhi ek sarp ke rup me use grahan kar raha tha. Or maine use apne pass surakshit rakha hai kisi khas mouke ke liye. Or lagta hai ki aaj vo mouka aagya hai
Ye sunkar medhavi to bilkul shok reh gya. Use is baat ka bilkul bhi andaja nahi tha ki gurudev ke pass kaalkut bhi hai.
Medhavi- aapke pass ye tha or hame kabhi usko jaankari hi mili.
Shukracharya- kyuki maine ise raaj hi rakha hua hai. Is baat ko keval mahadev hi jante hai. Or kisi ko iski jaankari bilkul bhi nahi hai.
Medhavi- fir to hame bilkul bhi samsya nahi honi chahiye us dev ko jhukane ke liye. Me apne samasta sathiyo ko yaha bulata hu. Dev per hamla karne ke liye.
Shukracharya- ye jante hue bhi ki vo tumhe pal bhar me parast kar sakta hai.
Medhavi- to kya hua gurudev me yudh me apne pran gabayunga. Or aaj nahi to kal hame ye karna hi padega.usse mukabla. To fir aaj kyu nahi.
Shukracharya- josh hona achhi baat hai. Lekin jara socho agar tum samast asur prajati ko baha le jaoge to sabhi apne prano se hath dho baithenge. Or asur prajati ka vinash ho jayega jo me kisi bhi keemat per nahi hone de sakta.
Medhavi- to fir kya karna chahte hai aap.
Shukracharya- mujhe kuch samay do sochne ke liye.e jald hi iska hal tumhe bataunga.
Medhavi- jaisa aap kahe guruvar.
Uske baad inki meeting yahi khatm ho gyi. Or dono apne apne jagh bapis lout gye.
Bahi dev and party gurudev ke aasharam pahuch chuki thi.
Jaha gurudev ne unhe badiya snan karne ko kaha or aone batra bhi badalne ko kaha. Jaisa pichhli baar karwaya tha. Or sabhi ne baisa hi kiya or us din gurudev ne keval vishram karne ko kaha. Or kal baki ki jaankari dene ko kaha. Jise sunkar baki sabhi bahi ghumne firne lage.
Bahi shukracharya apne aashram me sabhi bato per vichar kar rahe the or soch rahe the ki kya kiya jaye. Kaise dev ko roka jaye. Halaki ek upaay unke pass tha. Lekin vo ise sabse aakhiri me aajamana chahte the. Usse pehle agar unhe koi or tarika mil jata hai to vo use pehle aajamana chahte the. Aise hi ghumte firte unhe ek upaay sujha or unhone Uska sankalp nahi le liya. Or use subah brahm muhurt me aajamana ka socha. Ye idea dev ke liye tha lekin vo ek yagya karne ja rahe the. Jo agar safal hua to yakeenan dev ka koi na koi tod unhe mil Jane wala tha. Or is yagya ka sujhav unke pass tha lekin unhe asuro per bharosha tha ki sayad vo kisi ek ans ko to hasil kar hi sakte hai. Lekin jab aisa nahi hua to unhone ye abhi karne ka faisla liya.
Ab dekhte hai kya hota hai is yagya me or kya ye safal ho pata hai bhi ya nahi.
To be countinue……………….