UPDATE 87
Next day ham sabhi pratah kaal me uthe snan bagera Kiya or ready hoke ashram ke bahar yagya bedi ke pass pahuch gye. Jaha gurudev hamara intjaar kar rahe the.
Gurudev- vats tumne sabhi anso ko prapt kar liya or iske liye me bahut kush hu. Lekin ye sirf aadha kaam hai. Baki ka aadha ab suru hoga. Tumhare pass ab brhamand ka sabse shaktishali astra hai. Tum ise vinash or nirmaan dono karya aasani se kar sakte ho. Or me prarthna karunga ki aisi isthiti kabhi na aaye jab tumhe vinash karna pade. Ye samast brahamand apne aap me santulit hai. Agar isse jara si bhi chhed chhad ki jayegi to samast lokon me pralay ke aasar banne lagenge. Isliye mera ye sujhav hai ki is brahamand se koi bhi chhed chhad kabhi mat karna jaisa hai vaise hi chalne dena. Ye divyastra tumhe aseemit shaktiya pradaan karega. Lekin jab tum un shaktiyo ka sahi istemal karoge tab tum ek yodha kehlaoge. Or jaisa maine abhi tak dekha hai tumne bakhubi iska istemaal kiya hai. Jise dekhkar me chinta mukt hu. Mujhe purna viswas hai ki tum mujhe nirash nahi karoge.
Main- me vachan deta hi gurudev. Aisa pal kabhi nahi aayega jab Aapko mujhse nirash hona pade. Or kabhi agar aisa samay aa bhi gya to vo mera antim samay hoga. Kyuki aapko agar nirash kar diya to mere jeevan ka koi mahetva nahi reh jayega.
Gurudev- mujhe tumse aisi hi apeksha hai vats. To. Ab ham is divystra ko ek rup dene ja rahe hai. Jiske liye hame yagya karna hoga usme aahuti dalni hogi. Or aahuti hogi in anso ki. Samajh rahe ho na meri baat.
Main- aap bas kehte jaiye gurudev.
Gurudev- theek hai. Baitho apna aasan grahan karo.
Uske baad ham pancho apni apni jagho per baith gye or gurudev aoni jagah per. Unhone mantrocharan suru kiya or yagyakund me agni jalai. Or dher sare mantro ka ucharan kiya. Ek ke baad ek aahutiya dali. Or karib 2 ghante ke baad unhone prithvi devi ke naam ki aahuti dali. Or uske baad mujhse prithvians ko bahar nikaal kar is yagya kund me dalne ko kaha.
To maine apne hatho ko joda apni aankhe band ki prithvi ans ka aabahan Kiya or aisa karte hi vo mere sarir se bahar nikal kar meri hatheli me aagye or maine unhe yagya kund me visarjit kar diya. Or fir ek ke baad ek maine panchon anso ko yagya kund me daal diya jaisa gurudev ne kaha. Or uske baad gurudev ne or mantro ka uchharan kiya or fir ek antim aahuti yagya kund me dali. Or jaise hi aakhiri ahuti kund me gyi. Uske baad kund se il tez prakash Charo dishao me failne laga or ham sabhi apne hatho ko jod kar use dekhte rahe. Or thodi hi der me us prakash ke sath ek bahut hi Divya or alokik astra yani ki bahi divystra us kund se bahar nikalne laga. Jiski chamak hi bata rahi thi ki ye kitna divya or shaktishali hai. Pancho anso ke naam per panch madi lagi hui thi usme.
Jise dekhkar aankho me chamak aajaye.
Ham sabhi bahut kush the ise dekhkar.
Gurudev- vats apne hatho ko aage karo or is divyastra ko grahan karo.
Maine gurudev ki aawaj sunkar apne hatho ko aage Kiya or aisa karte hi divyastra turant hi mere hatho me aagya. Or mere hatho me aate hi charo taraf ek tez roshni fir se fail gyi. Roshni itni tez thi ki na hi mujhe koi dekh pa raha tha or na hi me kisi ko dekh pa raha tha. Or thodi hi der me vo roshni bapis se usi divyastra me sama gyi. Or jab bakio ne mujhe dekha to ekdum hairan reh gye sabhi.
Renu- Bhai achhe lag rahe ho.
Main- kyu pehle kya bekaar lagta tha.
Prachi- jara apne aap ko dekho to sahi.
Or ye sunkar Maine khud ko dekha to main hairan tha. Kyuki mere sarir per ek yodha jaise vastra aagye the. Sarir per ek bahut hi bajandaar kavach jisne gardan se leke mere pairo tak mujhe dhak liya tha puri tarah se. Sirf mera chehra pura bahar nikla hua tha. Baki ka sarir ab kavach ke andar tha. Lekin kya design thi kavach ki bakai me. Ise feel karke ek bahut hi adbhut or romanchak anubhav ho raha tha mujhe.
Main- gurudev ye kavach ye kaha se aaya
Gurudev- vats ye kavach tumhe is divyastra ne pradaan Kiya hai. Ye kavach avedh hai. Ise keval teen astro ko chhod kar or koi sa ASTRA nahi bhed sakta. Or jante ho vo konse hai.
Main- nahi gurudev.
Gurudev- SUDARSHAN CHAKRA, BRAHMASTRA, OR MAHADEV KA TRISHUL.
Inke aalwa is kavach ko koi astra nahi bhed sakta.
Main- ye bahut hi Kamaal ka hai. Parantu gurudev ise me utaru kaise. Ghar or clg me to aise nahi ja sakta na.
Ye sunkar gurudev ke sath baki sabhi hasne lage.
Gurudev- vats ise utarne ki jarurat nahi padegi. Tum bas man me sochana or ye gayab ho jayega. Chaho to ek baar prayas karke dekh lo.
Maine gurudev ki baat maani or apni aankho ko band karke divystra se prarthana ki ye kavach gayab ho jaye or jab me kahi tab aaye. Or aisa kehte hi mere vo vastra bapis aagye Jo maine pehle pehne hue the or vo kavach gayab ho gya.
Main- ye to bakai me kamaal hai.
Gurudev- ye to kuch bhi nahi hai vats. Ab tum ek prakaar se ajar ho gye ho. Tumhe parast karne ke liye swayam tridev ko hi aana padega. Jo ki aachi baat hai. Bas apne jeevan ko safal banao or in shaktiyo ka sahi disha me prayog karo.
Main- me apni jaan laga dunga gurudev.
Gurudev- to ab ek or kaam baki hai.
Main- kya gurudev.
Gurudev- tumhare sathiyo me shakti ka bibhajan.
Main- ye kaise hoga gurudev.
Gurudev- aap sabhi ek sath divystra ko pakad le apne dahine hath se. Or fir ek sath apne apne anso ke naam lena. Yaad rahe ek sath. Jaise dev tum prithvi, allia aakash, Prachi Bayu, Renu agni or Surbhi tum jal. Bas fir dekhna kya hota hai.
Hamne baisa hi kiya or sabhi ne apne dahine hath se divystra ko pakad liya. Or uske baad hamne apni aankho ko band kiya or fir maine count kiya.
Main- sabhi 3 bolne per apne apne ans ka naam lenge theek hai.
Sabhi theek hai.
Main- to ready 1,2,3 go.
Or hamne ek sath apne apne anso ke naam liye.
Or uske baad fir se charo taraf roshni fail gyi. Or thodi hi der me gayab ho gyi. Or jab roshni gayab Hui to mere sath bakio ke sarir per bhi ab kavach aachuke the. Or unke hatho me ek ek hathiyaar bhi the.
Jaise ki.
Mere hatho me bahi divystra tha.
Aalia ke hatho me uski chhadi Jo pehle se thi lekin ab vo pehle se jyada shaktishali ho gyi thi. Or pehle uske sarir per safed kapde rehte the jo pariyo ki nishani hoti hai. Lekin ab uske sarir per ek majbut kavach tha jisme vo kisi warrior se kam nahi lag rahi thi. Balki ye kehna galat hoga ki sari ladkiya warrior queen lag rahi thi. Or bahut hi dangerous bhi.
Prachi Renu or Surbhi ke haatho me ek ek chamchamati talvar jiska size bhi Kamaal ka tha or dikhne me bhi shandaar thi. Ye astra inko shaktiyo ke prateek the jinme usi ans se judi hui shaktiya thi.jo mantra gurudev ne inhe pehle diye the jis bajah se ye shaktiya jaag jati thi. Lekin ab inhe us mantra ki jarurat nahi thi. Ab ye inke andr hamesha ke liye rahegi. Or jab bhi inhe uski jarurat hogi ye isi besh me dubara aajayegi meri tarah.
Yahi sari jaankari gurudev ne fir in sabhi ko di.
Jise sunkar baki sabhi kush ho gyi.
Uske baad gurudev ne hamare shakti parikshan karwaye bahut sare. Hamne ek ek karke apni bahut si shaktiyo ke parikshan kiye. Or sham tak yahi sab chalta raha.
Bahi Indradev is sab se kush the or dusri taraf jo ho raha usse pareshan.
Indradev- gurudev ye shukracharya kiske liye yagya kar rahe or iska kya parinam hoga.
Guru Brahaspati- indra shukracharya mahadev ko prasann karne ke liye yagya kar rahe hai. Or agar ye yagya safal hogya to mahadev unhe manchaha vardaan dene ko vivash vo jayenge. Or tu. Jante ho ki vo kya mangenge.
Ye sunke Indra ke sath baki sare devta bhi paresan ho gye. Unhe samaj me nahi aaraha tha ki ab is yagya ko kaise khandit kiya jaye.
Indradev- gurudev is yagya me vighna kaise dala jaye. Taki ye kabhi safal na ho paye.
Guru Brihaspati- indra tum jante ho ki shukracharya jab chahe tab mahadev ko prasann kar sakte hai. Unhe tapasya karne ki jarurat nahi padti hai. Or yahi vo abhi kar rahe hai. Or is yagya ko rokna na mumkin hai. Or mera sujhav hai ki jo ho raha hai use hone do.
Indradev- ye aap kaisi baat kar rahe hai gurudev. Iska parinaam jante hue bhi. Agar mahadev ko shukracharya ne arnav se yudh karne bhej diya to kya ho sakta hai ye ham soch bhi nahi sakte hai. Isliye hame ise rokna ho hoga.
Guru Brihaspati- indra tum ise rokne ka prayas kar sakte ho. Lekin iska parinaam me janta hu isliye tumhe kuch bhi karne se rok raha hu. Tum apni samast shakti ka prayog karke bhi unke karib nahi pahuch paoge.kyuki unhone apne charo taraf ek ghera bana liya taki unke yagya me koi bhi vighna na pahucha paye.
Indradev- to kya ise rokne ka koi tarika nahi hai.
Guru Brihaspati- mere hisaab se to nahi. Ha agar brahmadev or vishnu bhagwan koi upaay tumhe bata de to alag baat hai. Isliye seeghra hi unke pass jao.
Indradev- aapka sujhav uttam hai. Me abhi jata hu.
Ye kehke indradev turant hi sabse pehle Vaikunth chale gye. Kyuki unhe yakeen tha ki sayad vishnu bhagwan koi na koi rasta unhe jarur batayenge.
Indradev ne unhe pranaam Kiya or apni samasya bhi batai.
VISHNUJI- indra tumhara vyakul hona puri tarah se jayaz hai parantu ham ise rokne ke liye kuch nahi kar sakte hai. Kyuki tumhe sayad gyat nahi hai. Parantu shukracharya ke pass vardan hai ko vo jab chahe mahadev ka aavahan kar sakte hai. Or agar is douraan unhen koi rokne ka prayas karega to vo usi agni me jal kar bhasm ho jayega. Bhale hi vo amar hi Kyu na ho. Or dev guru brihaspati ne tumhe sahi sujhav diya hai ki jo ho raha hai use hone do. Mahadev sab achha hi karenge. Tum un per viswas rakho.
Indradev- prabhu mujhe un per purna viswas hai parantu shukracharya per nahi. Agar unhone dev ka ant karne ka koi upay mahadev se mang liya fir kya hoga. Abhi tak ki sari mehnat per pani fir jayega.
VISHNUJI- ham iske parinamon se achhi tarah se parichit hai indra. Parantu ye jo ho raha hai yahi niyati ka vidhan hai. Or uske hisaab se arnav ko apne ek aakhiri pariksha me abbal hona hai. Kyuki filhaal aranav ka koi tod nahi hai. Or agar aise me asur usse yudh karenge to nishchit hi unki haar hogi jo sahi nahi hai. Yudh barabari se hona chahiye. Yahi siddhant sadiyon se chala aaraha hai.
Indradev- parantu prabhu aap bhi ye jante hai ki asur kabhi bhi is neeti ka istemaal nahi karte hai. Unko vardaan mil jaye fir vo nirdoshon or masumo per atyachar karna prarambh kar dete hai vo nahi dekhte ki samne wale per unke saman hi shaktiya hai ya nahi. Fir jab unper ye sankat aaya to ham Kyu aisa kar rahe hai.
VISHNUJI- Kyuki indra agar ham bhi unki tarah hi sari neetiyo ka niradar karne lage to hamme or unme fark kaise rahega. Aap jo baat kar rahe hai vo asur pravriti ko darsa raha hai. Aap bhule nahi ki aap ek Devta hai.asur nahi. Or asur jo bhi karte hai vo unki pravriti hai. Or vo Uska paalan karte hai. Fir ham kaise apni pravriti ko chhod sakte hai.
Ye sunkar indradev ik dum se khamosh reh gye. Kyuki vishnu bhagwan ki bato me sachhai thi. Parantu arnav se lagab unhe ye baat na manne per vivash kar raha tha. Jise prabhu ne achhe se bhap liya.or fir vo bole.
VISHNUJI- indra tumhari chinta ka ek upaay hai. Or agar isme safal rahe to me khud jake unka yagya vifal karunga.
Ye sunkar indradev ko aisa laga jaise sukhe registaan me unhe thanda seetal jal mil gya ho.
Indradev- kya upaay prabhu.
VISHNUJI- indra tum arnav ke pass jao or use ye sari paristhiti batao or agar vo kahe ki ha shukracharya ka ye yagya bifal kardo to me aisa karunga. Use ye batana ki shukracharya uski mrityu ke liye mahadev ko prasann mar rahe hai usko shaktiyo ka tod dhundne ke liye. Or agar vo maan jaye to mujhse kehna me turant hi unka yagya bifal kar dunga.
Ye sunke indradev ke chehre per ek jeet wali muskaan aagyi. Kyuki unhe pura viswas tha ki arnav jarur kahega yagya bifal karne ke liye.
Or yahi aasha leke or prabhu ko pranaam karke vo baha se chale gye seedhe gurudev persuram ji ke aashram ki taraf
Ab dekhte hai dev kya faisla karta hai is yagya ko leke……
To be countinue………………..