• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy दिव्यास्त्र.[The power of five elements](action,advanture,fantasy,magic,thriller) ( Completed )

Hunterrrr69

Well-Known Member
2,016
4,802
159
UPDATE-10









isi tarah ek hafta nikal chuka tha. Or is ek hafte me karib 30 log us jungle me gayab ho chuke the. Jinme kuch police wale bhi shamil the. Or baki baha se gujarne wale kuch aam log. Or me roj baha jane ka tay karta hu. Lekin ain waqt per koi na koi mujhe rok leta hai. Pora dehradun ab is road se gujarne me darne lage the. Koi bhi yaha se nahi gujarna chahata tha. Bahi police ki bhi rato ki neend or din ka chain dono hi ud chuke the. Roj media me police or sarkar ki thu thu ho rahi thi. Or vo kuchh kar bhi nahi pa rahe the. Meri baichaini badti ja rahi thi.mujhe kisi bhi tarah us jungle me jana tha. Or pata lagana tha ki akhir ye sab kon kar raha hai or Kyu. Isliye maine decide kiya ki aaj raat fir se baha jane ki kosis karunga. Ye sochkar me clg se ghar chala gaya. Sham ko dinner kiya or apne room me ghus gya or bahar jane ka plan sochne laga.







Bahi dusri taraf indradev ab tension me aane lage the. Kyuki unhe roj hi dev ko baha Jane se rokna pad raha tha.



Lekin ye kyu rok rahe the dev ko baha Jane se. Aisa kya tha us jungle me jiske liye indradev dar rahe the.




Indradev seedhe brahma ji ke pass gye.




Indradev- brahmadev arnav ko rokna muskil hota ja raha hai. Vo roj koi na koi rasta dhundta hi rehta hai baha Jane ka. Aisa kab tak chalega.




Brahma- indradev isme arnav ki koi galti nahi hai. Darashal ye sab uske vicharo ki bajah se ho raha hai. Uske man me dusro ke prati Jo pyar or apne pan ke vichar aate hai vo hi use us jungle me jane ko keh rahe hai. Vo soch raha hai ki. Vo sayad ye sab rok sakta hai or baki logo ko bacha sakta hai. Or ab vo samay aagya hai jab use hame us jungle me jane Dena hoga.





Indradev- lekin brahmadev aap to jante hi hai ki baha per kya hai. Kahi arnav ki jaan ko koi khatra na ho..




Brahma- ham ye jante hai indra dev. ki aapko arnav ki kafi chinta hai Lekin ab paristhiti badalne lagi hai. Or ab hamne tay kiya hai ki arnav ko ab sabke samne aajana chahiye. Or ye jimmedari me aapko sopta hu indradev. Jab tak arnav ki sari shaktiya jagrit nahi ho jati. Jisme ab jyada samay sesh nahi hai. Tab tak aap uski raksha karenge. Chhip kar. Use margdarshit karenge. Taki vo bhatke nahi.





Indradev- me samaj gya brahmadev. Darashal me bhi kuchh dino se yahi soch raha tha ki arnav ko apni shaktiyo ka parikshan karna chahiye. Verna kahi aisa na ho jab samay aay to use pata hi na ho ki vo kya kar sakta hai or kya nahi.




Brahma- aapne sahi kaha indradev. Or ye karya Aapko hi karna hoga. Use sahi marg dikhana hoga.




Indradev- me aisa hi karunga brahmadev. Kisi ko Kano kaan bhanak bhi nahi lagegi or me arnav ki raksha bhi karta rahunga or use margdarshit bhi karta rahuga.
Ab aagya dijiye prabhu.




Brahma- kalyan mastu.



Ye sunkar indradev seedhe swarg aagye. Or ab live dekhne lage ki Arnav akhir kar kya raha hai.



Bahi raat me 12 baje me apne kamre se bahar nikla or chupchap neeche aagya. Jaha Maine Charo taraf achhe se dekha. jab mujhe koi nahi dikha to me seedha darwaje ki taraf chala gya or aaram se darwaje ko khola or bahar aagya. Or darwaja baisa hi bahar se laga diya. Taki hawa me darwaja aawaj na kare. Uske baad me paidal hi apne loun ko paar karte hue apne ghar ki boundry wall Tak pahuch gya.baha Maine Charo taraf dekha jab mujhe guards nahi dikhe to main jhat se deewar per Chad gya. Or agle hi pal dusri taraf kood gya. Or baha se maine doud laga di usi jagah ki taraf jaha us din vo accident hua tha.


Me doud lagata hua kab baha pahuch gya mujhe pata hi nahi chala. Maine baha pahuch kar Charo taraf dekha. Sabhi taraf ghor andhera chaya hua tha. Halki si chand ki roshni aa rahi thi bas. Maine apne mobile ki torch jalai or neeche jungle me utar gya. Or me torch ka sahar lekar aage badne laga. Charo taraf se kide makodo ki aawaje aarahi thi. Or baki mere kadmo ki aahat aarahi thi. Or kuch bhi sunai nahi de raha tha. Me Charo taraf torch kar ke dekh raha tha or aage bad raha tha. Ye jungle kafi bada tha. Or isko pora dekhne me mujhe kam se kam 3-7 din bhi lag sakte the. Isliye maine ye tay kiya ki. 4 baje tak jungle me dekhunga kuch mila to theek verna jaha tak pahucha bahi SE bapis ho jaunga.


Ye sab mere dimag me chal raha tha. Tabhi mujhe ek baat yaad aai.



Main- news me dikhaya tha ki road se 100 meter door kuch police walo ke mobile mile the or uske aage unke kapde ke tukde Jo jhadiyo me fase hue the.


To me andaja lagate hue aage bada or dekhne laga ki jhadiyo me kaha per kapde mile honge or kaha per mobile. Me kafi andar aagya tha lekin abhi tak na to mujhe kuch surag mila tha or na hi kuch or. Me pareshan hone laga tha. Ki aise kaam nahi chalne wala. Itna bada jungle hai me kaise yaha saboot dhundunga. Koi insan ke bhi hone ke koi sanket nahi mile hai abhi tak.




Main- sayad sab sahi keh rahe the. Koi aadamkhor Janwar hi hai is jungle me. Jisne sabko kha liya hoga. To usko pakadne ka mujhe ek rasta sujha.




Maine apne pass rakhe ek chaku se apne hath per ek chhota sa kat laga diya. Mujhe malum tha ki jaanwaro ki sughne ki sakti bahut tez hoti hai. Or jab unhen taze khoon ki khushbu aayegi to doude chale aayenge vo yaha per.


Isliye maine apni kuchh khoon ki bundon ko niche giraya or jhat se hath per rumaal bandh liya. Or jaldi jaldi bahi per moujood ek ped per chad gya or uske patto me chhip gya. Or apne mobile ko silent kar liya or uski torch ko bhi bhuja liya. Ab bas mujhe is Jaanwar ka intjaar tha.
Me karib 20 min. Tak is ped per baitha raha lekin koi bhi Jaanwar aane ke mujhe sanket nahi mile. Jisse me ek baar fir se niraas ho gya. Or Maine socha ki ab aage Jane se koi fayeda nahi hai. Or 4 bhi bajne wale hai to ab ghar bapis chal Lena chahiye. Ye sochkar me neeche utarne hi wala tha ki mujhe jhadiyo ke hilne ki aawaj aane lagi. Or me choukanna ho gya sayad vo jaanwar yaha aagya tha. Meri najar un jhadiyo per hi bani hui thi.me dekhna chah raha tha ki akhir ye hai konsa jaanwar.



Ki tabhi jhadiya ka hilna band ho gya. Or achanak se hi pata nahi kaise 3-4 log us jagah per pahuch gye. Jaha mera khoon gira hua tha.




P1- yahi se khusbu aayi thi. Lekin ab nahi aarahi hai. Kaha gyi vo khushbu




P2- lagta hai vo aage chala gya hai.




P3- lekin khushbu to aati.



P4- sayad usne apne khoon ka behna rook diya hoga. Isliye ab khusbu nahi aarahi hai.




P1- lekin yaha aaya kon hai. Apni mout ke pass



P4- sayad koi raahgeer hoga. Jise yaha ke bare me pata nahi hoga. Verna is sehar ke logo ne to is raste ka upyog karna hi band kar diya hai.




P2- sahi kaha tumne. Isiliye kai dino se hame koi naya sikaar nahi mila hai. Or is chakkar me mera to dimaag hi ghumne laga hai. Lagta hai hame ab nai jagah Jana hoga. Jaha ham sikaar kar sake.




Ye sab bate mere dimaag ke uper se ja rahi thi. Mujhe kuch bhi samaj me nahi aaraha tha ki akhir ye kis prakar ke log hai jo logo ka sikaar kar rahe hai.



Me abhi soch hi raha tha ki mujhe neeche se kuch aawaj aai.




P1- ruko mujhe kuch aabas ho raha hai.



Ye kehke usne charo taraf apni naak ko ghumana suru kar diya. Jaise vo hawa me kuch sungh raha ho.




P1- mujhe kisi insan ki khushbu aarahi hai. Or khoon ki bhi.




P2- ha mujhe bhi.




Ye sunte hi maine apna hath dekha to paya ki jo rumaal maine hath per bandha tha. Vo us jagah per pora khoon se bheeg gya tha. Or usme se khoon neeche girne bhi laga tha. Sayad ek do boond neeche gir bhi gyi hongi



Abhi me soch hi raha tha ki achanak se mere bagal se aawaj aai.




P1- ohh to tu yaha chhipa hua hai.



Ye sunte hi maine uski taraf dekha to vo bilkul mere bagal me pahuch gya tha. Or me kuch karta usse pehle hi usne mujhe neeche ki taraf dhakka de diya. Or me dhadaam se neeche ja gira. Jaha vo teeno pehle se hi moujood the. Or mere peeche se vo choutha bhi neeche kood gya. Lekin vo aaram se neeche pahuch gya.




Me jhat se khada hua.



Main- kon ho tum log




P1- ham vo hai jo aaj tera dinner karenge.




Main- what



P2- ye kya bola isne.




P3- English me bola hai. Kya.



P2- are wah ye to angrezi jhadta hai.



P1- ye sab chhod or bache ready hoja.




Main- ek min. Ruko jara.



P4- ab kya hua.




Main- mujhe maarna hi hai to maar do lekin ye to batao ki akhir tum log ho kon or ye logo ko mar Kyu rahe ho.




P4- chal tu bhi kya yaad rakhega. Teri antim ikchha ham jarur pori karenge. Chalo bhaiyo use apna asli chehra dikha do.




Ye kehke un Charo ne achanak se ek bahut hi khatarnak sa roop le liya. Unke ye bade bade dant. Neeche keval ek kapda lagaya hua tha. Baki pore nange hi the ye log. Or Inka aakar bhi kafi bad gya tha. Pehle ye meri hi hight ke the. Lekin ab har koi kam se kam 10 foot ka ho gya tha.or inke hath to itne mote the ki hulk bhi Sharma jaye. Ek tarah se ye hulk ka hi koi danav version lag rahe the. Inke aage ke daant kafi nukile or lumbe the like vampire. Lekin ye un jaise nahi dikh rahe the. Jaise ham aksar filmo me dekhte hai.




Me abhi in Charo ko gour se dekh hi raha tha. Or soch raha tha ki ye konsa udta hua teer maine khud per le liya. Lekin ab le liya to le liya. Itni aasani se to inka khana nahi banne wala tha me. Achhi khasi mehant karaunga inse me.




Ye sochkar maine ek disha me bhagna suru kar diya.



Or mujhe yu bhagta dekhkar vo Charo hasne lage or bole ki kaha Tak bhagega bache. Aaj teri mout tay hai.




Or ye kehke vo bhi mere peeche peeche bhagne lage. Lekin vo apne asli rup me nahi bhage balki unhone apna bahi manav Bala rup fir se le liya. Taki bhagne me aasani ho. Ye sab Maine thoda peeche jhak kar dekha.

Or Maine dekha ki jaise hi unhone bhagna suru kiya. Vo log lagbhag 100 ki speed me bhag rahe the. Matlab ki chutki me mujhe ye log pakad lenge.


Ab dekhna ye tha ki kya hota hai mera……









To be countinue……………...
Are gajb ye SB shukracharya ke shishya honge Jo USS Agni astra pr njr rkhne ke liye Aaye honge
 
Top