Maaf karna bhai kaafi samay se aapki iss kahani par Revo nahi de paaya...
Filhaal Kahani chal rahi hai Vishwa ke ateet ke ird gird... Wo ateet jiske kaaranvash ek begunaah insaan aaj jail ki salaakhon ke peeche hai... Saath hi dekhne ko mil rahi hai back story Vikram, Pinaak, Bhairav & Veer ki bhi... Bahut bada ilzaam lagaya gaya tha Vishwa par... Aur kahin se bhi ye baat hazam nahi hoti ke ek navyuvak jisne abhi abhi jawaani ki dehleez ko laangha hai wo itni badi maatra mein rupayon ka gaban kar jaaye... Haalanki ye sab Bhairav ki hi chala hai par baaki ke log – Media, Aam Janta, ya fir Advocate Pratibha Ji hi kyon naa hon sabhi ko yahi lagta hai ke Vishwa guilty hai...
Vaidaihi ek Maa, ek badi – behen ka kirdaar bakhubi nibhaa rahi hai... Lage ki uski izzat ke saath huye khilwaad ka badla lene ke liye hi Vishwa ne Kshetrapal saamrajya mein aawaz uthaayi thi par uski bad kismati ke aaj wo khud ko begunaah saabit karne ke liye bhi itni mashakkat kar raha hai... Par ye kya, Advocate Jayant ke saath huyi baat cheet se saaf hai ke Vishwa kaafi samay tak Kshetrapaal parivaar ke yahaan kaam karta tha??? Kya wo nahi jaanta tha ke un logon ne Vadaihi ke saath kya kya kiya hai??? Aur idhar Nandini urf Roop ne bhi Shubhra ke saamne ek ladke ka zikr kiya tha jo usse bachpan mein padhaya karta tha... Shayad wo Vishwa hi tha??? Jo jo khoobiyan Nandini ko apne Sapnon ke Raajkumar mein chahiye wo sabhi hain Vishwa mein...
Idhar Dekhne ko mila ke kaise Kshetrapal parivaar ne Rajgadh se baahar apni taakat failaana shuru kiya... Vikram kaafi tezz dimaag waala lagta hai... Aur jiss ladki ke saath uski itni dafa mulaakat huyi wo Shubhra hi lagti hai... Par uske behaviour mein bahut changes dekhne ko mile... Kahaan ye flashback waali chulbuli aur hansmukh Shubhra aur kahaan present time ki gumsum si rehne waali Shubhra...
Jayant Saahab ka kirdaar bahut pasand aaya mujhe... Anubhav naam ki chidiya kya hoti hai unhone saaf saaf dikha diya... Pratibha aur Tapas ka bhi unhe izzat se bulaana saaf karta hai ke wo kis darje ke Vakeel hain... Par vakaalat ke gyaan se zyada zaroori laga unka gyaan jo unhone jeevan ke oopar diya... Sachmein Zindagi se bada shikshak koyi nahi hota... Jo bhi ho, Vishwa begunaah naa bhi saabit ho par meri taraf se Jayant Babu ko full izzat...
Bahut hi khubsurat kahani likh rahe hain bhai aap... Thriller stories kaafi kam ginti mein hain XF par aur unmein se kuchh sabse behatreen kahaniyon mein abhi se aapki kahani shumaar ho chuki hai... Jiss bareeki se aapne har scene ko likha hai wo kaabil e tareef hai... Dialogues hon ya bhaasha, ya fir kirdaaron ki bhumika sab kuchh behadh shaandar raha... Kahin se nahi lagta ke aapki ye pehli kahani hai...
Excellent Updates Bhai & Waiting For Next...