is kahani me sandhya galat hote hue bhi galat nahi ha..
galat tab hoti.. jab woh apne bete se pure mann se nafrat karti.. jabki aisa nahi ha..
sandhya ek achhi maa aur pyar karne wali maa ha. par woh ek aurat bhi ha..
ek aisi aurat jiski kuchh desire bhi hua karti ha.. yahan aisa chakravyuh bhi dikhaya gaya ha. jahan koi bhi mard ho ya aurat halat ke shikanje me phass jaya karta ha.
agar saamne wala koi mahir khiladi ho toh baazi bhi wahi jeetta ha. ek aurat sandhya jaise vicharon wali bhi ho sakti ha. ye bhi is story me dikhaya gaya ha.
yahan raman ko ek mahir khiladi ke roop me dikhaya gaya ha.. ab tak wahi baazi bhi jeetta hua dikhai pad rha ha.. abhay ek umar age wala bachha ha. aur kam umri me kisi bhi bachhe ke andar ke vicharon me hulchal machai ja sakti ha..
koi bhi maa ho, woh apne bete ko maarti hi ha.. jab bar bar aisa hota ha toh bachha maa se door rehne me hi khud ki bhalai samjhta ha. ya khud ko sudharne ki koshish karta ha.. par yahan aisa koi moka hi nahi banne dia ja raha tha.
khiladi jo bohut manjhe hue han...
sandhya aur abhay ke sath bade plan ke sath khel khela gaya ha.. abhay bachha hote huye bhi zaheen tha.. par jahan maa aur baap ke pyar aur chritr ki baat aati ha. wahan se sochon ki dhara bhi badalne lagti ha.. agar koi shabdo ka sahi use kare toh baat wahan tak ja pohnchti ha. jahan tak ke baare me koi soch bhi nahi sakta...
konsi maa aisi ha jo apne bete ko nahi maarti.. konsi aurat aisi ha, jo vidhwa bhi ho. uske andar arman bhi mare na hon aur woh apni life bhi man marzi se jeena chahti ho toh woh khud ko rok paaye. pati mar jaaye toh zaruri nahi hota keh sare arman bhi pati ke sath hi mar jaayen.. aise samay par us toot chuki aurat ko sahare ki zarurat hua karti ha.. usay jaisa bhi sahara mile.. woh us sahare ko pa kar jeene lagti ha. ye alag baat ha, saamne wala mann ke kuchh aur hi soche hue ho..
kehte han aurat apni orr uthi nigah ko foran hi bhanp jaya karti ha.. agar ye baat sahi bhi maan li jaaye toh fir aurten ye kyun bol jaya karti han..
main toh soch bhi nahi sakti thi, woh mujhe dhoka dega. mere sharir ke sath khel kar mujhe beech manjdhar me chhod kar chala jaayega..
aaj bhi sandhya jaisi hazazaron lakhon ladkiyan aurten aise hi halaton se guzar rahi hann... fir toh woh sab bhi galat hui..
agar sandhya galat ha.. toh raman fir toh sahi hua..... raman shikari ha toh sandhya shikaar..
shuru me hi dikha dia gaya tha.. raman ne kaise pyar bhare andaz me sandhya ko apna bana liya tha. jaisa shatir woh ha... sandhya galat hote bhi galat nahi ha.
woh kehte han naa......
pyar se toh tum chahe meri jaan bhi le lo.....
hero heroine bole toh chalta ha. ek sandhya aise mukam par aa kar phansi toh galat ho gayi..
sandhya ka sar sach saamne aane tak usay galt matt samjhiye.. abhi toh paheli ko bhi solve hona ha.. uske baad hi sahi pata chalega..
sandhya sach me galat thi ya halat hi aisa ho gaye the.. ye uske saamne halat ko pesh hi aise kiya gaya tha....
sandhya badal kar reh gayi.....
sandhya kyun badal gayi....????