Notebook
Active Member
- 1,511
- 3,033
- 143
" Ek Mukammal Mohabbat "
Har kisi ko kabhi na kabhi kisi na kisi se mohabbat jaroor hoti hai lekin har mohabbat mukammal ho aisa jaroori nahi hota hai lekin doston kabhi kabhi mohabbat ka mukammal na hona hi uska mukammal hona hota hai .
Kuchh aisi hi meri mohabbat bhi thi . Mai Arman Khan Vellon ka Shakespeare us wakt engineering ke 1st semester me tha jab uska deedar hua . Jab maine use pahli baar dekha to meri duniya ruk si gayi thi . Wo class ki first bench par akeli aur khamosh baithi thi . Na jane kyu koi uske sath nahi baitha tha . Aisa nahi tha ki wo badsurat ya khatarnaak dikhti thi balki wo to koyale ki khan ka eklauta heera thi . Wo sach me itni haseen thi ki aag ko bhi use dekh kar jalan hone lage . Uski neelmani jaisi chamakdaar aankhein aur chehre par faili bala ki khamoshi ek sukoon deti thi .
Uska pahnawa aur outer appearance use kisi Ambani ki aulaad sabit kar rahe the jo cheekh cheekh kar kah rahe the ki door raho mujhse . Tum is kabil bhi nahi ki mere khwab dekh sako . Lekin doston wo Ishq hi kya jisme ego na hurt ho . Maine apne baju me baithe ek drum jaise ladke se poonchha ,
" wo ladki Akeli kyu baithi hai ? "
" kyu ki wo Ajeeb hai . "
" Ajeeb matlab ? "
" khud dekh lena waise meri salaah ye hai ki door hi rahna usase . "
Wo Drum jaisa ladka mujhe muft ki warning dekar apne vishal chehre ko fer kar baith gaya lekin mujhe yakeen ho gaya tha ki yahi All India Radio mera best friend banega . Usase maine aur bhi maloomaat haasil ki us ladki ke baare me . Wo drum mujhse pahle aaya tha college me aur mai thoda late kyu ki mera admission thoda late hua tha . Wo kya hai na ki mai last counselling ki bachi khuchi seat ka malik bana tha isliye kisi se khas rabta nahi kar saka tha .
Ishq me insan jahil ho jata hai . Mere sath bhi yahi hua . Maine us ladke ki baat nahi mani aur kabhi chori chori to kabhi kisi bahane se us ladki ko tadne me laga raha jabki wo mujhse poori tarah anjan thi .
Use ghoorna mera roj ka kaam ho gaya tha . Mai jaan boojh kar sabse peechhe ki bench par is tareeke se baithta ki wo mujhe dikhti rahe . Mera haal kuchh is tarah ho gaya tha ki ,
" Is duniya ke shor me jab
Tum sa koi mil jata hai ,
Baatein ho ya na ho
Dil jaroor bahal jata hai "
Abb mai roj college jane laga tha . Ammi hairani se poonchh bhi leti thi ki aisa kaun sa karishma ho gaya hai ki mera man padhai me lagne laga hai . Mai ammi se mashroofiyat ka bahana kar ke khisak gaya wahan se par mujhe pata tha ki unki tajurbekaar aankhon se mera ye naya rang bach nahi paya hai aur apni chhoti bahan Ashana se to maine khud hi uske bare me sab bata diya tha . Kitna hasi thi wo .
Waise mashroof to mai ho gaya tha . Uski galiyon ke fere lagane me bhale uski colony ka guard danda lekar daudata tha . Sham ke time uski coaching ke samne ka tea stall mera fix adda hota tha . Wo mujhe kabhi notice bhi nahi karti thi par uski ek ek ada meri aankhon se nahi bachti thi .
Ek din lecture ke beech me hi uske peechhe baitne wali ladki ne us par fabti kasi ,
" kitni ajeeb hai na , egoist kahi ki , baap ke paise ka gurur hai , "
Sath baithi ladkiyon ne uski haan me haan milai par wo kuchh boli nahi balki lecture ke beech me hi uth kar bahar chali gayi aur apne ajeeb hone par ek aur mohar laga gayi . mai bhi bina kuchh soche samjhe uske peechhe nikal gaya is baat se bekhabar ki mai Khurana sir ko meri lene ka solid plot de raha tha .
Frankly speaking mechanical engineering ke char salon me waise bhi jane kinte Khurana aane wale the meri life ko jhand karne to unse dar kar mai apni pahli ashiqi ko thode hi sharm sar karne wala tha .
Wo teji se chalti huyi college ke garden ki ghas par baith gayi . Mai hamfta hua use door se hi dekh raha tha . Usne shayad hi mujhe notice kiya ho lekin meri aakhon ne itne door se hi uski aankhon ke moti ko uske gaalon par fisal kar dam todte notice kar liya tha . Mai use tab tak dekhta raha jab tak ki wo second lecture ke liye class me nahi chali gayi . Mai bhi seene ko chauda kiye ja kar apne kone me virajmaan ho gaya .
Last bench me baithne ka ek fayeda hua tha ki mai writer ban gaya tha . Us par Poetry likhne laga tha . Kabhi uski aankhon ki tarif to kabhi uski julfon ki tarif likhte Ek mahina kaise paar ho gaya pata hi nahi chala .
Student Union election sir par aa chuke the . Mujhe bhi jana pada kyu ki mera drum bhi khada tha election me . Parche par likhe dhamakedar slogans mere hote the . Ek din parche chipkate time samne wali party se panga ho gaya . Laat ghoose chalne lage . Wo bhi beed se dekh rahi thi . Ijjat ka sawal tha . Khoob mara maine aur usase bhi jyada maar khai . Haath toot gaya aur ek aankh fuse ho gayi par doston maine cheekhna to door uff tak nahi kiya kyu ki wo dekh rahi thi .
Jab laad faand ke ghar pahunchaya gaya to abba hujur ne baaton ka wo jahar ugla ki ek baar ko to mujhe check karna pada ki kya sach me kaan se khoon to nahi nikal raha hai lekin ammi ke sparsh ne chot aur abba ki baaton dono ke dard ko khatm kar diya tha . Ammi hamesha mere aur abba ke beech aa jati thi . Doston Abba aur mera rishta un unche pahadon jaisa tha jo door se to bahut khoobsurat najar aate hai par kareeb jane par unme darare najar aati hain aur Ammi us barish ki tarah thi jo apne sath sukoon aur thandak lati hai .
Ammi ne rote huye apne sir ki kasam de dali ki next 7 days college nahi jana hai . Doston dil fatt gaya tha ammi ki kasam se . yun laga ki sabse bada dard to ammi ne hi de dala lekin uski udti julfon se kahi jyada mujhe ammi ki num aankhon se pyaar tha . Uske Gucci perfume ki khushbu se jyada ammi ke aanchal se aati mamta ki khushbu se pyaar tha to mai ho gaya ammi ke kasam me kaid . Na don beet rahe the na raat kat rahi thi .
7 din baad jab college pahuncha to drum aur baki doston ne khule dil se swagat kiya mera yani vellon ke Shakespeare ka kyu ke Drum dar kar ne naam bhale wapas le liya tha par hamari dosti fevicol ka majboot jod ban chuki thi . Par wo nahi aayi thi . Poore din uska intejar karta raha par wo nahi aayi . Maine drum se poonchha par wo bhi kuchh nahi janta tha uske baare me . Sham ko coching gaya par wahan bhi nahi aayi thi wo . Mera dil baitha ja raha tha . Kaise raat kati mai hi janta hoon . Doosre din mai college jaldi pahuch gaya aur class ki hi ek ladki se uske baare me poonchha jisase wo kabhi kabhi baat karti thi .
" Hi Noor "
" Hello "
" mai Arman "
" sabhi jante hain aap ko "
Noor ne muskura kar kaha to mujhe yaad aaya ki bc mai isase poonchhun kya mai to apni muhobbat ka naam hi nahi janta hoon . Ya khuda , aaj pata chal gaya pyaar sirf andha hi nahi balki jahil bhi hota hai . mujhe apni muhobbat ka naam tak nahi pata tha . Khair kaise bhi kar ke maine poonchh hi liya ,
" wo tumhari seat ke aage jo gori si , badi badi aanhon aur bhoore balon wali khoobsurat si ladki baithti hai na , wo kyu nahi aa rahi ? Sab theek to hai na ? "
itna poonchhna tha ki Noor ne mujhe yun muh bana kar dekha jaise maine use karele ka joons pila diya ho . Wo mujhe khatarnak aankhon se ghoorti huyi wahan se chali gayi . Kya kusoor tha mera , sirf itna ki apni mohabbat ki khoobsurti ka bakhan karte samay ye bool gaya ki " ek ladki ke samne doosri ladki ki tareef swasthya ke liye hanikarak hoti hai ."
Mai hatash pareshan college ke garden me usi jagah ja baitha jahan wo baitha karti thi . Mere dimag me bhoochal macha hua tha ye janane ke liye ki wo kyu nahi aai . Mai apni soch me gum tha ki tabhi ek pahchani si khushbu mere ird gird fail gayi . Najar utha kar dekha to mere samne bilkul paas me wo khadi thi . Uska haseen chehra chand to julfe kali ghatayein lag rahi thi .
" kaise ho ? "
Uski khanakdar awaaj kaano me padi to dil tham liya maine .
Doston pahli baar mujhe ammi ke alawa kisi aur ne meri khairiyat poonchhi thi wo bhi formality me nahi . Mere dil ki khushi kab meri aankhon se chhalak uthi mujhe pata bhi nahi chala . Meri paneeli aankhon ko dekh uska raushan chehra udas ho gaya aur wo boli,
" mai baad me aaun ? "
" are nahi please baitho ."
Hamne pahli baar words exchange kiye . Meri dhadkane itni tej ho gayi ki mujhe dar lagne laga ki mere dhadkano ki awaaj kahi wo na sun le .
" tumhari aankhein geeli hain. "
Wo apni khusbudar gulabi chhoti si rumal meri ore badhate huye muskurayi .
" haan wo bas aise hi . "
Meri baat sun wo yun hasi jaise sab samjh gayi ho .
" Noor ne bataya tum mujhe poonchh rahe the ? "
H..haan.
Ya khuda itni jaldi usne ise bata bhi diya aur ye aa bhi gayi matlab aag dono taraf hai barabar lagi huyi .
" tumhara dard theek hai abb ? "
" aaj poori rahat mil gayi hai . "
Na jane ksise nikal gaya mere muh se par wo bhi muskura di shayad sab samjh rahi thi par ladkiyon ki wo jaanboojh kar anjaan banne ki adadt uff khuda bachaye katl bhi kar jati hain aur hall bhi poonchhti hain .
Thodi der ke liye ham dono ke beech khamoshi pasar gayi . Door se use taktaki laga kar dekhne wala mai uske samne aate hi bilkul jadd ho gaya tha .
" Mera naam Artika hai . "
" mai Arman hoon . "
Wo muskura di to meri ladkhadati himmat ko thodi himmat aayi .
" tum kyu nahi aayi thi kal ? "
" tum bhi to 7 dino se nahi aa rahe the ? " Usne apni zulfon ko ungliyon se kaan ke peechhe karte huye kaha .
Uski baat sun Mera dil kiya ki mai abhi uth kar nachne lagu lekin wo dar kar bhag jati isliye khud ko samhal liya .
" Dr ne bed rest bola to ammi ne seriously le liya ."
Meri baat sun wo khilkhila padi . Doston yun laga mano mere kaanon me sitar baj uthe ho . Jaise filmo me hota hai bilkul waise hi sara back ground pouse ho gaya sirf ham dono hi normal the . Muskurate , sharmate bas fark itna tha ki ham filmo ki tarah acting nahi kar rahe the .
" Coffee to peeti hongi na aap, yahan canteen me bahut achchhi coffee milti hai ?"
Maine himmat kar ke poonchha .
" tappari ki chai kabhi nahi pi maine . peene chale ?"
Ya khuda usne mujhe bahar chalne ke liye kaha matlab wo mere sath ghoomna chahti thi . Mai mare khushi ke kuchh bol bhi nahi paya sirf gawaron jaise battisi nikal kar rah gaya .
Bina ijhaar - ikraar ke hi ishq ka silsila chal pada . Class me Uske baju wali seat abb meri thi . Drum ki to wo bhabhi ban chuki thi . Canteen me ek plate me dono samose khate par chatni sari uski hoti use pasand thi na . Ghar me RO water se bani coffee pine wali wo mere sath ghoom ghoom kar golgappe khati .
Mall , pvr , shopping use kuchh bhi nahi pasand tha . Wo mere sath jheel ke kinare jati , door tak paidal chalti rahti . Park me bachon wale jhoole par baithti . Kulfi dilane ki jidd karti . Ghanto bina thake behisab baatein karti par achanak hi khamosh ho jati aur uske chehre par utar aata syah dard jo mujhe dara deta tha .
Ek din Usne jaise mere man ki baat padh li thi .
" Mai ajeeb hoon na . "
" Aise kyu bol rahi ho ? "
" sab to yahi bolte hain. "
" ajeeb nahi ho par tum alag ho . Tum shayad wo shant dariya ho jiske seene me bala ki halchal dabi huyi hai . Tum shayad wo dua ho jo bechain dilon ke rahat ke liye padhi gayi ho . "
Maine uske un anjan se jakhmo par apne alfaajon ka marham laga diya .
Khair mere pyaar ki khumari uss
Din thoda to kam huyi thi jab maine first semester exams ki notice dekhi .
" are exam bhi honge kya ? "
Mere sawal par poori class has padi thi par sach kahun to I was damn serious kyu ki college me ek padhai chhod sab kuchh kar liya tha maine .
Abb Wo mere liye bhi notes banati . Mujhe important chapters samjhati aur mai use dekhta rahta . Wo naraj bhi hoti thi lekin mai mana leta tha . First paper hi khurana ke subject ka tha jise dekh kar meri fat gayi kyu ki ye sare questions to mai dekh hi pahli baar raha tha .
Khurana sir mere samne baithe huye the . Unko class se koi matlab nahi tha . Unka to target mai tha . 2 hr nikal gaye aur meri sheet kori . Aaj sari class meri dushman thi jo yun sheet par sheet le rahe the jaise hod lagi ho . Wo bhi sir jhukaye likhe ja rahi thi . Sirf mai free tha . Saikdon ubasiyan aur jane kitne tarane gunguna chuka tha .
Tabhi wo uthi aur Khurana sir ke paas jakar boli ki uski pen band ho gayi . Khurana ne meri side dikha kar kaha " wo sahab formality ke liye aaye hain le lo unki pen " . wo aayi aur palak jhapkte hi uski aur meri sheet changed .( roll number alphabetical order me tha to wo mere just peechhe baithi thi ) Mai awaak tha par wo normal . Usne mera paper bhi solve kiya .
Par har paper me to aisa ho nahi sakta tha . Sirf ek do paper me pass tha mai baki me Back lag gayi par uske highest marks . Maine fail hone ke baad bhi uske top karne ki khushi manai to usne mujhse wada le liya ki aisa dobara nahi hona chahiye kyu ki hame kuchh ban kar ghar waalon ko bhi to face karna hai . Uske bina kahe mai samjh gaya ki wo hamari shadi ki baat kar rahi hai .
Ham dono par ek dooje ka rang bahut hi gahra chadha tha . Mai holi me rang khelne laga tha to wo eid me sewaiya banane lagi thi . Ham dono sath me diwali ke diye jalate aur ramjan me iftari bhi sath hoti thi . Maine uske liye dargaah me puja ki to usne mere liye mandir me namaaj padh dali . Mai uski mehndi me apna naam khojta to wo meri poetry me apna wajood .
Wo mujhse sirf apni baat karti aur mai usase duniya jahan ki . Mai jab apne ghar walon ki baatein karta to wo gaur se sunti par apne ghar waalon ka jikar kabhi nahi karti thi aur mera unconditional love uske jazbaaton ka samman karta tha .
Yun hi jhoomte ghoomte 4 saal beet gaye . Engineering complete ho chuki thi aur asali jaddojaht shuru ho gayi thi . Job hunting karne me ham dono hi jute the . Chahte the ki Jaipur se kahi bahar ek sath job lag jati to nikal jate yahan se lekin Sab kuchh hamari soch ke jitna asaan nahi hota hai .
Doston Mujhe samaj ki sabse buri baat ye lagti hai ki jaise hi ladki apna college poora karti hai sabhi haath dho kar uski shadi ke peechhe pad jate hain . Artika ke ghar me bhi same halat paida ho gaye . Mujhe yaad hai wo kitna chidhti thi ye baatein batate huye .
Ek din kadake ki thand me ham jheel ke kinare mile . Gunguni dhoop me uska saath bada pyara lag raha tha lekin wo khamosh aur udas thi . Roj ki tarah chahak nahi rahi thi .
" kya hua itni pareshan kyu ho ? "
" Arman mujhe bahut dar lag raha hai. "
" Kaisa dar ? "
" kal papa mummy se kah rahe the ki unhone mera rishta apne dost ke bete ke sath karne ka faisla kar liya hai . "
Mai sach me ghabara gaya tha Doston kyu ki Artika se shadi ke liye to koi gadha hi mana kar sakta tha .
" tumne to mujhe dara diya Artika "
" mai dara nahi rahi hoon tumko . Jante ho kyu mai apni family ki baat kabhi nahi karti tumse ? "
" Kyu "
" kyu ki mere papa bahut gusse wale hain . Unke liye unka paisa aur , jhoothi shan unki aulaad se bhi jyada ahamiyat rakhti hai . Unke liye pyaar ki koi ahmiyat nahi hai . Mujhe dar hai ki hamare bare me janne ke baad kahi wo ham dono ke sath .... unhone bhaiya ko ghar se nikal diya kyu ki unhune apni marji se ladki pasand ki thi jab ki ladki same cast ki thi . Un dono ka kusoor sirf itna tha ki ladki gareeb thi . Par ham dono ka to majhab hi alag hai . "
Bolte bolte chup ho gayi thi wo .
" majhab aur dharm ke thekedar hain kya wo ? "
Mujhe gussa aane lagi thi .
" nahi par Majhab aur dharm ke thekedaron ke sath utha baithna hai . Wo apne dost ke bete se meri shadi isliye fix kar rahe hain kyu ki unka dost unka partner bhi hai . "
Wo khoi si bolti ja rahi thi .
"Are ham adult hain . Educated hain . pyaar karte hain ek doosre se . Koi nahi jaan tumhare papa ko bhi dekh lenge . "
Us pal shayad kuchh aur bhi mangta to mil jata . Hamare samne ek 6 fit ka saand gusse me apne natune fula kar khada tha . Ye Artika ke chacha the jo apne bhai ke doosre tareeke wale kaam yani kale dhandhe samhalte the . Jab tak ham dono unke aane ke sadme se ubar pate unhone Artika ke gaalon par apni poori takat se jhapad raseed kar diya . Wo aisa giri jameen par ki uth hi nahi payi . Mai Artika ko samhalne dauda hi tha ki mere sir par peechhe se kisi bujdil ne war kar diya . Mai bhi gir gaya . Khoob tudai huyi meri . Haath , pair aur sir sab toot foot gaya tha .
Jab hosh aaya to ICU me tha . Ammi ro ro kar apni jaan dene par tuli huyi thi . Aisa nahi tha ki ammi ko meri gair majhabhi mohabbat sweekar thi par Mere hosh me aate hi duaon ki barish kar di unhone par abbu mujhse bahut naraj the . Unhone meri marnasann awstha me hi mujhe kosna shuru kar diya .
Abba ne mujhe khandan ke naam par cancer , kodh jane kin kin upadhiyon se nawaja . Un sab ko mere aur Artika ke bare me sab pata chal chuka tha . Khoob khari khote suna rahe the ya yun kahein ki Abba mere liye samaj ke majhabi thekedaron ki cheekhti huyi awaaj ban chuke the .
Maine khamoshi se samaj ki wo karkash awaaj sun li thi par mere andar jo jazbat the na unhone samaj ki wo bhaddi awaj suni aur na hi uski bandisho ko manne ke liye taiyar hua . Mai hospital ke bistar par khamosh pada tha par mera man cheekh cheekh kar kah raha tha ki " abba mai aap ka hi beta hoon naa ? Kyu mere sath sautela vyohar kar rahe hain ."
Doston khamoshi ki cheekh ki awaaj hoti to bahut unchi hai par use koi sun nahi sakta hai . Mera dam ghut raha tha wahan par mai asahay tha . Mera sharir mera sath dene ki halat me nahi tha lekin Artika ki fikar meri jaan lene par tuli hui thi par mai lachar tha .
Mai kya karu ? Kaise jaun us tak ? Wo kis haal me hogi ? Mere andar sawaalon ki jang chhidi huyi thi mere dimag se . Mujhe bilkul samjh nahi aa raha tha ki apno se kaise jang ladi jati hai aur bina unko haraye kaise jeeta jata hai . Mera hospital ke bed par lete rahna mushkil ho raha tha par mai majboor tha . Ek diljale Aashiq ki tarah apni yaadon par khach karne ke liye wakt khojta pada hua tha .
10 din baad jab discharge mila to kisi ki parwah kiye bina toote haath , pair aur sooje thopde ke sath mai Drum ki car par lad kar Artika ke ghar ja pahuncha .
Doobte suraj ki haar aur failte andhere ki jeet ka ehsas mujhe Artika ke dulhan jaise saje ghar ko dekh kar ho gaya tha . Himmat kar ke maine uske ghar se nikalte ek shakhs se poonchha .
" ghar kyu saja hai bhai ? "
" Kal Artika madam ki shadi thi "
Usne mujhe upar se neeche tak dekha aur chala gaya .
Yun laga mano mere kano me kisi ne pighla hua sheesha udel diya ho . Drum mujhe samhalne laga lekin jane jakhmo ki wajah se aayi kamjori thi ya Artika ki judai ka gam mai apne hosho hawas kho kar sadak par dher ho gaya . Drum mujhe mere ghar laya .
Jab mai hosh me aaya to Mere abba ne koi gussa nahi kiya mujh par shayad Drum ne un logon ko sabkuchh bata diya tha .
Badi lambi syah raat thi . Mere sapno ke moti bikhar chuke the jinko pirona abb asambhaw tha . Meri rooh ki cheekhein mere ammi abbu ko sunayi nahi pad rahi thi . Meri chhoti bahan ki siskiyan mere kaano ke parde faad rahi thi . Wo janti thi ki mai andar hi andar mar raha hoon . Meri aatma samaj ki darindgi ko sah nahi paa rahi thi .
Mai marna chahta tha lekin mar bhi nahi sakta tha kyu ki mai to thahra aashiq mar jaunga par mere ghar wale mere baad baar baar marenge . Sari raat meri room ki chhat par charmarata pankha aur paas pada ammi ka dupatta mujhe lalkaar rahe the lekin bahan ki masoom laal aankhein mujh par najar rakhe huye thi jaise wo janti thi ki mera kaal usi ki wajah se mere kamre me nahi ghus paa raha tha .
" hamare ishq ka safar aasan nahi tha par ise mukammal karne ke liye ham dono ki jarurat thi . Manta hoon ishq ka usool hai ki wo jaan ka jurmana leta hai isi liye maar dala apne andar ke arman ko maine aur apne khwabon ki raakh ko apne kaleje me samete mai pariwar ke sath jaipur chhod kar hamesha ke liye mumbai chala gaya ."
Taliyon ki gadgadahat ke sath Jaipur ke 5 star hotal ka hall goonj utha . Saikadon cameras ki chamkati flashlights samne baithe 35 varshiya sajeele naujwan ke roub ko badha rahi thi lekin uski aankhon ke khali pan ko nahi pakad pa rahi thi . Ye naujawan hajaron jawan dilon ki dhadkan famous novelist Arman khan the jinke pahle hi Novel ki jordar success ne use aaftaab par bitha diya .
Media ka tanta laga hua tha . Sawalon ki bauchhar ho rahi thi jo Novel se jyada uski niji jeewan me jhankne ki koshish thi.
" Arman sir kya ye Novel aap ki real story par based hai ? "
Jaan boojh kar jakhmo par namak dalne ki koshish shuru ho gayi .
" ji haan "
" sir aap ne us bewafa ladki ko sunaya kyu nahi ?
" wo bewafa nahi thi balki usase bewfayi karwai gayi thi . Usase mohabbat ka katl karwa kar apne khokhli pratishtha ka jashn manaya gaya tha ."
Arman ke dil me Artika ki mohabbat jas ki tas saanse lerahi thi , use majhabi fande apne jaal me nahi kas paye the .
" Drum ki kabhi yaad nahi aayi Arman ? "
Bheed ko cheerti ek awaaj Arman ke kano me padi . Ye awaj Drum ki thi . Arman bhagta hua Drum ke paas pahuncha . Drum shayad is mulakat ko media ka hissa nahi banana chahta tha isliye Arman ko lekar bahar nikal gaya bahar Noor khadi thi . Un dono ko dekh Arman ro pada . Yun to dard ke saye me jeena seekh liya tha usne lekin purane jakhmo ke Rajdaaron ko dekh toot gaya Arman . Teeno khob roye gale lag kar . Drum ne Arman ke aansu ponchhe ,
" Kaisa hai Arman ? "
" jinda hoon , ammi abbu naaj karte hain mujh par . Achchhi Job bhi hai . Kul mila kar khush hoon . "
" Maine poonchha kaisa hai tu "
Drum ne Arman ke kandhon ko jhinjhodte huye poonchha .
" kaisa ho sakta hoon uske bina . Jinda lash hoon mai . Apne ishq ki rakh hoon mai . 10 saal ho gaye par uski judai ka jakhm sookha nahi balki nasoor ban gaya hai . "
Arman apne aansuon ko rok nahi pa raha tha .
" Nikah kar liya ? "
" nahi aur na hi kabhi karoonga . Mai sirf uska hoon aur rahoonga ."
" ok chal tujhe kisi se milwana hai ? "
" kisase ? "
" Are chal to sahi "
Drum aur Noor Arman ko shahar ke doosre chhor par sthit ek mental Asylum me le gaye .
" yahan kaun hai Drum ? "
" Anarkali hai jise uske pariwar waalon ne Jinda yahan ki deewaron me chunwa diya hai . "
" k...kya bakwas kar raha hai ? "
Noor ne apni hand bag se ek pass nikala aur security aur doctor ko dikha kar aage badh gayi . Drum aur Arman khamosh uske peechhe chal diye . Arman ke seene me hahakar macha hua tha. Noor ek kamre ke samne ruk gayi . Arman teji se chalta hua us room me gus gaya .
Chhota sa khali room tha jiske ek kone me khidki ke paas ek bed rakha tha jis par ek aurat lambe baalon ko bikhere baithi huyi thi jo Khidki se bahar dekh rahi thi jaise kisi ki raah dekh rahi ho .
Kamre ki deewaron par na jane kya kya likha tha par ek line padh kar Arman teji se uss aurat ki ore bhaga .
" mai ajeeb nahi hoon balki sabse alag hoon . "
Ye Artika thi . Arman ki Artika . Sharir kankal ban chuka tha . Neelmani aankhein khokhli ho chuki thi . Sharir se badbu aa rahi thi . chehare par bala ki khamoshi thi . wahi khamoshi jo 10 saal pahle kabhi kabhi Arman ko pareshan kiya karti thi .
" Artika meri jaan ye kya ho gaya tumko . "
Arman baar baar uske sookhe kate fate honth aur chehre ko choomta hua dahade maar kar ro pada . Kafi der rota raha par Artika bhaw shunya si bahar dekhti rahi . Abb tak usne Arman ko ek najar dekha bhi nahi tha . Badi mushkil se Drum Arman ko room se bahar lekar aaya .
" Kya hua hai ise ?"
Arman ne rundhe gale se kaha .
" tumhare hospital jane ke baad iske papa ne ise bahut peeta . Iska khana aur pani tak band kar diya unhone aur jabran shadi karwane lage to mandap me hi isne chhuri se apne haath ki nas kaat li . Bahut gahra ghaw tha . Artika ka rishta toot gaya to iske papa ne bhi isase rishta tod liya yahan tak ki hospital bhi nahi le gaye . Padosi lekar gaye Asptal par tab tak Khoon bahut bah chuka tha . Badi mushkil se jaan bachi iski . Hospital se poori tarah theek bhi nahi huyi thi ki wahan se bhag kar tumhare ghar pahunchi . Par tum log hamesha ke liye jaipur chhod kar ja chuke the . Ye sadma bardasht nahi kar payi aur pagal ho gayi . Gharwale 10 saal pahle yahan chhod kar chale gaye aur aaj tak laut kar dekhne bhi nahi aaye . Sirf mai aur Drum aate hain isase milne . Jab tumhare yahan ki visit ka pata chala to socha tumko milwa dain . "
Noor sisak sisak kar bolti rahi aur Arman sunta raha . Bahut kathin samay tha uske liye . Artika use 10 saal baad is haal me mili thi jabki wo sochta tha ki Artika apni duniya me ram gayi hogi . Use koi bahut pyar karne wala mil gaya hoga jo uska hakdar hoga .
Lekin Majhabi keedon ne jis ishq ko deemak ki tarah chat dala tha wo aaj phir se saanse le raha tha . Aaj Arman wapas apni Artika ko pa chuka tha aur rokne wala koi nahi tha .
Arman Drum ke sath mental Asylum ke office ki ore chal pada aur Noor aansu ponchhti huyi Artika ko taiyar karne chal di . Aaj tamacha jad diya tha Arman - Artika ki mohabbat ne majhab ki aag par rotiya senkne walon ke muh par . ek baar fir ye sabit ho gaya ki Mohabbat ka koi majhab nahi hota hai .
Note - Arman Artika ki mohabbat ki dastan poori tarah kalpnik hai . Iska kisi bhi vyakti , samaj ya varg vishesh ki kisi ghatna se koi talluk nahi hai . Kahani ko likhte samay poora dhyan rakha gaya hai ki ye kisi bhi dharm sampraday ki bhawnaon ko thes na pahunchaye lekin agar kisi ki bhawnaon ko thes pahunchti hai to mujhe khed hai .

Last edited by a moderator: