my review for Ehsaas
by mohit98075
kahani achi hai, plot interesting hai magar mere khayaal se kyunke 6000 words limit mili hai likhne ke liye to iss kahani bahut ziada majedaar aur dilschasp banaya jaa sakta tha.
dekha jaaye to sirf yehi hua ke ek maa apni beti ke saath alag rehne lagti hai aur kissi dusre aadmi ke saath nayi zindagi shuru karna chahti hai par wo aadmi usski beti neha par dore daalta hai to keise bhi karke wapas apne pati ke paas chali jaati hai ek haadse ke badaulat.
iss mein aur bahot kuch likha jaa sakta tha bahot kuch. Amit aur Anu ke beech aur serious scenes create ho sakte the Neha ko lekar. Anu aur usske ex husband ke beech bhi important scene neha ko lekar ho sakte the maa baap ke beech, neha ki maansik stithi aur Amit se darr aur khauf ko lekar teenon ke beech ek bahut acha scene likha jaa sakta tha.
mohit bhai se cc thread par iss baat ke bare mein meri baat hui thi ke wo achi tarah se proof reading karne ke baad hi kahani ko post karen kyunke unnke running stories par ek update mein kum se kum 20/30 misspelling main ne dikhaaye hein unnko, iss liye ek contest mein kahani post karte waqt bahot ziada saavdhaan hona padta hai ke mispelling ke sath kahani ko nah post karen..... magar mujhe ascharya hua ke iss kahani ne bhi seikron weise misspellings hein, jo mujhe bahot naapassand hota hai padhna.
agar main unn misspelling lo dikhaane laga to shaayd zidatti ho jaegi phir bhi agar Mohit bhai chaahe to ussko pm se dikha sakta hoon. phir bhi ek word dikhana chahunga: log khate hai, prem ki umar to bus jawani me.....
are bhai khate hein matlab they are eating khana khana, khate hein..... ab socho main wohi khaane wale word samajh kar padh raha tha ke khate hein to kia kehna chahta hai lekhak? kia khate hein yahan to khaane ka kuch bayaan nahin kiya gaya hai..... bahot time laga mujhe samajhne mein ke wo word assal mein kahte hein hona chahiye tha..... khuda na khaasta agar kabhi main judge hua to eise words ke liye bahot points kaate jaaenge....pata nahin abhi jo juries hein eise words ke liye points kum karte hein ya nahin eise 7 ya 8 ya shayad 10 words hein iss kahani mein!!
baaki in general mujhko plot aur kahani passand aaye magar isska treatment poor tha mere hisaab se.
All the best Mohit bhai.