AMULYA TOHFA By Milin2010
Drak truth ke theme par likhi gayi ye story, aaj ke samaj ka aaena hai jo aane wale vhawisya ko dikhata hai. Halanki, hum ek aise vishay par likhi gayi kahani par baat kar rahe hain jiske bhaw aap ko samjh aa gaye to best hai warna kahani ka 1 para padhna bhi muskil ho jata hai. Sab se pahle main dhanywad kahna chahunga lekhak mahoday ko jinhone is vishay ka chunaw kiya...
1) Writing skill:- Halanki main Milan urf milu ko lambe samay se janta hun, unki writing skill behad achi hai. Si-fi genera ke wo ek janemane writer hai. Lekin yadi baat kare is story ki, to inka writing skill average se bhi niche tha. Pata nahi kyon, milu bhai ne itni achi kahani likhne ke bawjoood editing, sentence arrangment aur spelling mistakes yahan tak ke charecters ke nam ke chunaw par bhi dhyan nahi diya... Kayi sare nam itne milte julte the ki thoda confusion create kar rahe the...
2) storyline:- storyline ke bare me sirf itna hi ki dil jit liya. Kahani ke surwat me hi un visham paristiyhiyon ke bare me bataya gaya hai, jise yadi aaj nahi control kiya gaya to future kya hone wala hai. Storyline ka strong hona sirf is bat se pata chalta hai ki, bhale hi writer sahab editing part me alsiya gaye ho.... Spelling mistake aur sentence aarangment me bahut gadbadi ki ho, lekin kabhi bhi aap is story ko chhod kar ja nahi sakte... Wo alag baat hai ki aap ki ruchi kabhi na rahi ho gambhir vishay padhne ki tab kuch nahi kiya ja sakta ...
Positive point:- strong storyline, clear massages, and complete focused story...
Weak points:- Writing errors, Spelling mistakes, confusing character names and finally aalsi writer (aalsi writer wala Mera personal point hai milu ke liye)
Points:- 7.5 out of 10 (2 for subject, 5 for storyline, 1.5 for presentation, -1 for editing and spelling mistakes)