• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

★☆★ Xforum | Ultimate Story Contest 2020 ~ Reviews Thread ★☆★

Status
Not open for further replies.

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,281
304
Story =RESPECT- THE CRUEL TRUTH
Writer = Baban


kahani ke jariye angel bahot badi sikh deke gayi hain.. angel joh bhi karti hai usse itni kama le taki do waqt ki roti se pait ki bhukh mita sake aur apne pariwar ko bhi paal sake.. lekin joh woh karti samaaj ke log ushe grina bhari nazaron se dekhti hai par woh bhul jate hai unme se kuch log naam bade aur darshan chhote jaise bhi hote hai... angel jaisi ladki chehre pe joh muskurahat leke jindagi jiti hai uske piche ki dukh dard kya kisi ne mahsoos ki hai... kin hataaton mein majoor hoke yeh kaam karti hai is baat ko shayad kabhi kisi ne mahsoos ki ho ..aur angel ki khudari toh dekho bina kaam ke mile paiso ko woh chu ti bhi nahi.. Kahani ki jariye yeh ek karara jawab diya hai un logo ke liye joh khane daant alag aur dikhane ke alag kism ke hote hai... writer sahab ne ishi baat ko dikhane ki koshish ki hain jishme puri tarike se saksham rahe... haan bas kuch jagah ho pe ek do spelling mistakes thi par koi baat nahi..
Kahani kaafi arthpurn aur dilchasp thi...
Baban ji Brilliant story line with awesome writing skill :applause: :applause:
 
  • Like
Reactions: Baban and Rahul

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,281
304
Story =कहानी
रंगीन रातों का हसीन सफर

Writer = Mr Sexy Webee
Kahani ke pramukh kirdaar visnu jism ki bhukh ke chalte sare rishte tod diya .. baad mein hawas ki khel ko business ka roop diya jisme kahani ke baki ke kirdaar bhi shamil huye... aur ishi khel ke chalte visnu ko amir banne ka rasta mil gaya... and they live happily ever after.. kahani madhyam se yahin dikhane ki koshish ki writer sahab jisme kamyab rahe...
Mr Sexy Webee ji Brilliant story line with awesome writing skill.. :applause: :applause:
 
  • Like
Reactions: Rahul

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,281
304
Story =Mere Humsafar (Aawara)
Writer = Fighter

sachha pyar kise kahte hai ushi ke adhar pe yeh kahani hai... alia pehle dur bhagti thi prince se...awara tha par sachha aashiq aur deewana.. prince pehle se ant uski har kadam par suraksha karta raha alia ki ...alia ko ish baat ki malumat nahi thi par ushe sana ne saari baat batake ehsaas karavaya ki prince mein sach mein jivan sathi banne ke liye joh khubiya honi chahiye woh sabhi hai... aur phir alia ne khud pratakchya roop se dekh liya ki kaise uski samman ke liye prince jakhmi hote huye bhi ravi jaise logo se bhid gaya.... kahani ki ant sukhad rahin dono ek ho gaye... humsafar ban gaye...
Bahot achhi aur dilachasp kahani thi...
Fighter ji Brilliant update with awesome writing skill :applause: :applause:
 
  • Like
Reactions: Fighter and Rahul

Damha

𝓚𝓷𝓾𝓬𝓴𝓵𝓮𝓱𝓮𝓪𝓭 𝓝𝓲𝓷𝓳𝓪
Staff member
Sectional Moderator
18,928
21,943
229
Story:- RESPECT- THE CRUEL TRUTH


Writer:- Baban


Review:-
to story shuru hoti hai ek bhai sahib se jin ka naam hai vivek jo ke Documentary Film banate hai aur kafi mashoor bhi hai Aur un ko Award bhi mil chuke hai Chalo sab se pehle bhai ke liye clapping ho jaye


:applause::applause::applause::applause::applause::applause::applause::applause::applause:


To ek din bhai sahib apni tanhayio me baithe huwe the ke un ke andar ek chull huwi Aur unho ne socha kuch naya Karta hu Kiu na Ek call girl per Documentary Film bana lu Ye sochte he bhayia abhi khud ko daad de he rahe the ke unho ne Itna acha idea socha ke tabhi bhai sahib ko yaad aya Ke bhai sahib to Jalebi ki tarha sidhe hai Un ko to apni shirt per kikhe 69 ka matlab bhi pichle mahine pata chala hai


Ab bhai sahib soch me per gaye Call Girl ka arrange kaise kare Tabhi bhai ko apne ek kameene dost ki yaad ayi jo mohale me aise badnam tha jaise internet ki duniya me Johnny bhai


Lo ji bhai sahib ne kaha baat ban gayi bhai sahib ne jaldi se phone uthaya aur call girl ko call karne ke bajaye Call ki Arnav bhayia ji ko Aur us ke saamne Apni puri baat rakh di


Arnav bhai sahib Call girl ki tango se zada khul ker bole Ye to koi problem he nahi hai jani Tu bata kis din bhejo tere paas Bhai sahib ne Sunday ka time dia kiu ke wo bilkul free ho ker un se milna chahte the Aur bhai sahib bole Sunday ki meeting yes karwa


Bhai sahib ki baat sun ker Arnav sahib apne 32 daant nikal ke hans diye jis ko daikh ker hamare bhayia ji ghabra gye Arnav sahib bole Jani tu kon se Trump se milne ja raha hai jo meeting yes karwao Tera to bus kaam yes ho ga Arnav sahib ne bataya Larki angel hai lekin kaam us ke sheetano wale hai


Wahan se free ho ker bhai sahib ghar aage aur sunday ka intezar karne lage kiu ke bhai sahib documentary ke saath koi aur movie bhi banane ke mood me bhi the Chalo akhir Sunday aya aur bhai sahib Bhindi bazar ke 150 wale perfume laga ker pohanch gye Apne flat per kiu ke Aisi movies ghar per to banane se rahe Wo daddy kut dete hai na

Acha to bhai sahib apne flat per gaye jab larki ayi aur bhai sahib ne use daikha to bhai sahib ka Documentary film banane ka plan cancel ho gya aur sidhi dusri Film banane ka plan ban gaya Lekin jab larki ne paiso ki demand ki to bhai sahib samajh gye wo wali film banane ke liye ye wali film banani pare gi kiu ke paisa to yanhi se aye ga na


Bhai sahib apni bachpan ki Adat se majboor Un madam se izat se baat karna lage Jab larki ne ye daikha to us ke white lion se bhi safaid daant nikal aye khair larki baithi Aur apna interview Dene lagi bhai sahib bhi lage Apne sawal pochne interview me larki ne bhai sahib ke sharafat ki itni tareef ker di ke ab bhai sahib ko wo wali film bante nahi dikh rahi thi Bhai sahib ne Bedili se baki ka interview lia Aur Un ko jane ka keh dia

Larki ne bhai sahib se pani ki farmaish ki Bhai sahib ne socha pilana to koi aur pani tha chal nal ka pani he pila deta hu Bhai sahib ne paani la ker dia Ajr wo larki chale gayi tabhi bhai sahib ki nazar saamne rakhe lifafe per gayi bhai sahib ko yaad aya ye to paiso ka lifafa hai bhai sahib ne socha kya jab main pani lene gaya to angel ne wo lifafa.........


Yahan per kahani ko stop iss liye laga kiu ke yahan per angel wapis aa gayi thi Aur apna lifafa le ker nikal gayi thi because there is not real ending it's just the place where you stop the Story


Ye to ho gya hamara mazak ab ate hai Serious review per bhayia ji ap ki story bohat achi thi Iss kahani me duniya me ho rahi kayi galat cheezo ka zikr huwa hai Kaise ek larki ko halat kya se kya bana dete hai lekin mera manna hai bhayia ji ke zindagi hamesha 2 raaste deti hai ek sahi aur ek galat.

Galat raasta Asan zaroor hota hai Aur sahi raasta mushkil hota hai but its just you ke kya tum Sahi raaste per chal sako gye Ab ap kahe gye ke ek larki ke liye Bohat mushkil hota hai survive karna Har taraf hawas hai han mai ye baat manta hu lekin meri life ka ek personal experience hai


Main ne Ek Aurat ko daikha hai jis ke pati ki death ho gayi Us ne salai karhai ker ke Apni beti ko teacher bana ker us ki ache ghar shadi karte daikha hai us ke bete ko Ek electric shop khole daikha hai Wo duniya se chali gayi Saath me kuch nahi le ker Gayi lekin us ke jaane ke baad Ek cheez thi jo wo sab se keemti peeche chor ker gayi thi Wo thi izaat aj bhi jab us ki beti kisi ko apni maa ka batati hai to us ka sar fakhar se upar hota hai


Main ye nahi kehta ke Angel ko duniya me izaat se jeene ka haq nahi hai Us ko bhi utna haq jitna ap ko hai mujh ko hai Lekin us ka chuna gaya raasta galat tha jaise ke ap ne dikhaya Aur hum ne parha kaise thori C izzat milte he Angel ke saamne paiso ki wo qadar nahi rahi Us ke liy ye he bohat tha ke kisi ne us se izzat se baat ki Agar yehi izzat aur support use pehle milte to aj angel wo na hoti jo wo hai


Otherwise Ap ki story bohat achi thi Ek Ek alfaz mere dil ko laga hai Best of Luck for contest
:applause::applause::applause::applause::applause::applause::applause::applause::applause:
 
  • Like
Reactions: Baban and Rahul

Damha

𝓚𝓷𝓾𝓬𝓴𝓵𝓮𝓱𝓮𝓪𝓭 𝓝𝓲𝓷𝓳𝓪
Staff member
Sectional Moderator
18,928
21,943
229
Story:- चोरी चोरी चुपके चुपके
(वासना में डूबी एक औरत की कहानी)


Writer:- manikmittalme07


Review:-
Ye ek Adult story hai Main zada adult nahi parta mujhe adultery ya incest story itni zada pasand nahi hai Iss liye iss per zada detail se review to de nahi saku ga Lekin ap ki story ka narration aur flow acha tha Iss me ek larki Rachna jis ki jawani se le ker dhalti jawani tak ka safar dikhaya gaya hai Kis tarha insaan Apni hawas ko puri karne ka raasta dhoond leta hai iss ko writer sahib ne bohat ache se likha hai My best wishes for you Best of luck for contest
 
  • Like
Reactions: Rahul

Damha

𝓚𝓷𝓾𝓬𝓴𝓵𝓮𝓱𝓮𝓪𝓭 𝓝𝓲𝓷𝓳𝓪
Staff member
Sectional Moderator
18,928
21,943
229
Story:- Anokha bandhan


Writer:- Rahul


Review:-
Sach me apne kahani ke title ko puri tarha justify kia hai Aur he sabit ker dia hai Ke gang of waseypur ka wo dailouge ap ke liye he Tha “ ye kya bawaseer bana diye ho” Shayad kuch log iss story ko sirf ye samjhe ke writer ne likhne ke liye likh di hai lekin ye story aise he nahi likhi gayi Iss story ko likhne ke peeche jo gehrai hai wo kuch log he samjh sakte hai Badla lene se Acha maaf karna hota hai Badle se kisi ka faida nahi hota hume sirf apne banane wale per yaqeen rakhna chahiye ke Saamne wale ko us ke karmo ki saza mil ker rahe gi really great story bus thori detail se likhte to acha hota lekin phir bhi sahi tha Best of luck for contest
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,281
304
Story = Kanch Ka Gharonda…… (Vayang)
Writer = nain11ster


Kahani ko padhne ki baad...aate hai ush baat pe jise writer sahab ne zikra kiya hain kahani mein bhoutik aur boudhik vikas pe... Kyun na sidhi tarike se nazariya batayai jaye... zamane ke sath chalna chahiye... sach hai ji... Chitra aur ojas jaise log bhi zamane ki sath hi chalte hai.. yeh bhi thik hai... lekin inke soch social se nahin balki social sites se vikas hoti hain... Ya yeh kahu social sites ke un chijo se jish se yeh gyan mile ki 'hum hi hum hain baki sab chai kam pani hai "... Kamal ki soch hoti hai inki aur sath hi buddhi, gyan, jankari ki vikas ki... ek example, mother's day par apne mom gift de ya na de lekin mother's day ko lekar kuch na kuch achhi wali post jarur karenge social sites pe , uspar wahan kitne likes mile kitno ne comments kiye, kisi dusre ki post ko zyada likes comments toh nahin mile ishi baat pe inki soch atki rahti hain.. Kyunki inki boudhik vikas toh inhi sites se aise jankariya hasil karte huye hai.... ab inlogo ne aise hi bina jankari aur gyan ke hi ek samajik samashya ko leke ek post kar diya jisko dekh ke writer sahab bhi us vishay pe vichar bimarsh karne ya pratikriya dene gaye ush social site pe... par jawab ke roop mein wohi mila ek hi dialogue bole toh "hum, hum hai baki sab chai kam pani hai"... ya phir kisi dusre vishay ko laad kar bolti bandh kar dete hain... aur isme inka sath dete hai woh log joh Aankh kan naak muh sab bandh karke inko follow karte hai...kyunki unke paas sathik jawab hi nahi hai writer sahab ko dene ke liye.. isliye baad mein abuse pe Utar aate hain... kyun ki haarna inlogo ko pasand nahi.. yeh toh rahi Internet jariye chalte kuch social sites pe any time rahne wale kuch logo ki baaton.. ab aate real life mein joh kand hua ojas ke sath... ab kya kahu.. ojas jaise log har roj haarte hai.. yahan tak ki yeh baat iske ird gird ghum rahe samche bhi jante hain lekin dikhate yeh hai ki Sikandar wohi hai jo kabhi nahi haarta .. kya kare inka jep kharch bhi toh ojas jaise ke badoulat hi chalta hai...ab aise mein koi iske jaise ko haar k shaadi chakha de toh ladai toh pakkam pakki hi hai.. ab koi suljhe huye ya samajhdaar log aise logo se inki baaton se dur hi rahte hai...
anubhav....bure bhi hote aur achhe bhi... aur isse jankariya, gyan, soch ki vikas mein bahot hi aham madad milte hai... Aur kisi chij ke upor dusro ki anubhav ko janke bhi ush chij bade mein gyan hasil kar sakte aur jab aap khud ush chij ko pratyaksh roop se vyavahar karke bura hai ya achha, uske joh anubhav hai,, dusro samne mat ya vichar rahenge woh unique roop mein aayenge unlogo ke liye joh ush chij ka vyavahar karna chahta hai.. .. waise akshar kuch anubhavon se hum bansit rahte hain... Jab tak pratyaksh roop sw jaan nahi lete tab tak hum un vishvas nahi karte.. writer sahab bhi shayad aise alag duniya mein ji rahe log aur unke be sir per ke vichar bimarsh walo se milnki anubhavon se bansit the ... aur jab mil liye toh yeh kahani bani... aur hum readers ko yeh janne ka mauka mila ki unka kya rai hain Chitra aur ojas jaise soch rakhne wale tatha unko aankh mud anusaran karne walo ke liye.... so... mul vishay par sthayi vichar vimarsh wohin karte hai joh iski jankari rakhte hai ya janne ko ichhuk hote hai, joh reality mein zyada vishvas rakhte hain, jinka bhodhik aur bhiutik vikas reality ko dekhke huwa hai.... na ki Chitra aur ojas ya phir dono ko follow karne wale logo se jiko mul vishay par sathik vichar karne ke liye koi jawab hi nahi hai unke paas..... aur yeh bina vaastavikata jane gyan batana aur har haal apni fati huyi ego ko bajaye rakhana mahaz ek kanch Ka Gharonda hai.. tutne mein der nahin lagegi.. writer sahab Chitra aur ojas aur inke anusaran karne walo ki soch ko udharan deke jish baat sabit karna chahte the tatha ek sandesh bhi dena chahte the aaj ke generation ko usme woh kamyab rahe.
So nain11ster ji Brilliant story with awesome writing skill :applause: :applause:
Btw writer sahab ne chitra ojas jaise logo ki soch aur unko anukaran karne walo ki parkhacche uda diye is kahani ki jariye aur joh inlogo jaise soch rakhte hon unka soch badal jaye... :adore:
 
  • Like
  • Wow
Reactions: zopion and Rahul

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,281
304
Story = HORROR HOSPITAL
writer = Damha

Rubina Kaise maa hai is kahani suruwat mein pata chal jaye joh apne bete Ahmad se zyada apna mobile pyara ho karti hai ....
apne bachho je zyada apne friends ko importance dena... sach mein kya yeh bhi nahi socha ki un masoomo ke dil pe kya gujregi .... aur rahi inke dosto baat toh kya kahne... example ke liye soniya ko hi dekh lijiye joh santan ko bojh manti... even apne pyare dosto ke bachho pe hath uthane se bhi nahi katrate, woh bhi unke maa baap samne hi... aur maa baap bhi aise hai ki koi shabd nahin hai varnan karne ki liye .. maa baap woh joh apne bachho pe agar ek aanch bhi jaye toh puri duniya ko aag laga de aur ek yeh Rubina aur iqbal jaise log ulta apne hi beti par hi ilzaam lagaye ki galti usiki thi... Khud ke santan se badhkar kuch nahi.. Jigar ke tukde hote.. unke liye maa baap kya kuch nahi kar jate ish baat ehsaas tab hua jab apne bachho ko khone wale the hamesha ke liye... lekin ain waqt par Amina bua ki balidaan ki wajah se Amis, ayesha aur ahamd jinda hai aur aaj unhe apne maa baap ka khoya hua pyaar bhi mil gaya... aur yeh sirf aur sirf amina bua ke kaaran... jisne teeno bachho ko maa baap dono ka hi pyaar diya... hanshi khushi dukh dard har ek pal mein sath diya ant tak.. aur aakhir mein joh tyag aur balidaan diya teeno bachho ke liye khud ki jaan dekar.... usko ek salam.. Bahot si kahaniya aur kahani ke kirdaar aaye aur gaye.. par kuch kirdaar dil ko chu jate hai aur woh favorite characters mein ek Amina bua bhi ban gayi hai...
Kisi apne ki khone ka dar ho tab unki ahmiyat ka pata chalta hai.. aur kaise amina bua ne jivan ki antim Sano tak kaise teeno bachho ke liye jiti rahin aur unke khatir hi jaan bhi kurbaan kar di inhi mahattvapoorn baaton ko kahani ke madhyam se writer sahab samjhane ki koshish ki jishme puri tarike se kamyab huye hain.....
Damha ji Brilliant story line with awesome writing skill.. :applause: :applause:
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Rahul

Damha

𝓚𝓷𝓾𝓬𝓴𝓵𝓮𝓱𝓮𝓪𝓭 𝓝𝓲𝓷𝓳𝓪
Staff member
Sectional Moderator
18,928
21,943
229
Story:- Deja vu


Writer:- Niks77kill


Review:-
Story ke start hote he pehla Words “aaahhh” Story khatam hote he last Word “aaahhh” Yani jithe di khoti Authe aan khaloti Main ye nahi kahu ga mujhe title a ha laga to aa gaya kiu ke mujhe title samajh he nahi Aya aur sach kahu to story bhi kuch khaas samajh naji ayi Story larki yukti ke gird ghoomti hai Jis ko shayad koi bimari hai jis wajha se us ko scene repeat me dikhte hai Shayd sachai me kuch huwa he na ho Matlab Shayad us ka pati mara ho aur shayd nahi Ya ho sakta hai uss ne subha news main kanhi earth quick ka suna ho Aur us ko apne pati ke affair ka pata chala ho jis wajha se ye ho raha ho ye kahani mujhe ek safiad panne jaisi lagi jis me jo bhi rang bar do wo usi me dhal jata hai Writer sahib Readers ko end tak apne saath jore rakhne me kamyaab rahe Aur sach kahu to mujhe bhi story bohat interesting lagi Best of Luck for contest
 
  • Like
Reactions: Rahul and Naina

Damha

𝓚𝓷𝓾𝓬𝓴𝓵𝓮𝓱𝓮𝓪𝓭 𝓝𝓲𝓷𝓳𝓪
Staff member
Sectional Moderator
18,928
21,943
229
Story:- Wasle yaar ke din


Writer:- Prince Sahil


Review:-
Narrate bohat ache se kia gaya hai Ek pyari si conversation Jo lock down ki wajha se dur Do premiyo ke beech me huwi jis me dikhaya gaya hai ke lockdown se pehle hum apni life k busy schedule ki wajha se apno se kitna dur ho gaye the Log kehte hai hum lockdown me kare to kya kare ap ne us ka jawab iss story zariye dia hai hum lockdown main apne pyaaro ke saath time spend kare Jo hum se dur hai un ki kheriyat puche Aur apne gharo me safe rahe Prince Sahil bhai mujhe ap ki kahani pasand ayi best of luck for Contest
 
  • Like
Reactions: Rahul
Status
Not open for further replies.
Top