aka3829
Prime
- 3,369
- 12,321
- 159
Bahut hi umda kahani likhi he bhai. Suru me jab padha to ek thriller lagi. Aisa laga ki jaise koi jasusi upanyash padh rahe ho. Fir jab agla scene aaya to sab kuch badla hua tha aisa lag raha tha ki koi pariwarik film ya daily shop ka episod ho. Lekin kafi emotional tha jab tha rony Mumbai nahi aata. Jab rony mumbai aaya to aisa laga ki sayad ye koi don banega ya fir us repoter ki ma ya bahan se milega aur usaki maut ka badla lega. Lekin story ne fir u turn mara aur rony ko naukri mil gayi aur bhiya aur bhabhi mumbai bhi aa gaye. Mene fir apna dimag lagaya aur socha ki ab malhotra aur bhai ke beech kuch hoga aur rony badla lega. Lekin fir lekhan ki lekhani ke mujhe bataya ki beta tu reader he to reader hi reh writer banane ki koshish na kar. Aur is baar jab padhna suru kiya to rony khndar me dar ke mare kaap raha tha. To mukhe isame horror ka tadka laga lekin fir me galat sabit hua aur wo to kavita ki atma nikali. Me fir confused ho gya aur story suru se padhni suru kari lekin ye naam kahi nahi dikha. Fir jab aage padhna start kiya tab pata chala ki ye to wo reporter he jise pighalte hue shishe ke container me daal diya tha malhotra ne." Papa ki Ghadi "
Mayanagri Mumbai...
Raat ke 10 baje Glass Factory...
Ek bade se hall mai 3 aadmi hath me sharab liye kisi behad hi sangeen visay par baat kar rahe hai... Chaliye dekhte hai kya baaten ho rahi hai....
Aadmi 1.... Duggal sahab aapne jo bola humne kiya jitna paisa Chahiye tha humne aapko usse jayada paisa diya.... Aapne kaam poora karne wada kiya tha lekin ab aap peeche hat rahe aisa nahi hoga duggal sahab kaam toh aapko karna hi padega...
Duggal... Baat ko samjhne ki koshish karo Malhotra... Tumne kaha truck me Aam hai fir wanha drugs kya kar rahe the... Agar galti se agar police jo bhanak lag jaati tab kya hota tum bata sakte ho... Meri Company Band ho jati jail hoti woh alag... Kuch paiso ke liye mai itna bada jua nahi khel sakta tum kisi or ko dekh lo iss kaam ke liye.... jitne bhi paise tumne diye the is check mai hai lo or chalte bano.... ( Malhotra ki taraf check badhate hue poore gusse me )
Malhotra.... Hosh mai toh hain aap duggal sahab... Aapko pta hai mujhe Na sunne ki aadat nahi ek baar or soch lijiye aap biwi bacche waale samjhdaar aadmi ho... Kahi aapka ek galat faisla aapko mehnga na pad jaye....
Duggal.... tum mujhe dhamka rahe ho...
Malhotra... Abhi khan duggal sahab magar aapne majboor kiya toh jaroor.... Aap samjhdaar hai kalko aapki biwi yoga class se wapas nahi aayi yaa aapka beta school se aaya hi nahi tab aap kya krenge...
Duggal... Kameene... (Or badh Mathotra ko kheench ke ek thappad maar deta hai.... ) Aaj ke baad agar tune mere gharwaalon ke baare mai galat ki sochi bhi toh mai bhool jaunga ki tu kabhi mera dost tha....
Or uth kar chalne lagta hai Malhotra ka poora chehra gusse se laal ho jaata ha wo apne pass baithe aadmi 3 ko kuch ishara karta hai tabhi... Dhayyyynnnn karke goli Duggal ki peeth ko paar kar jaati hai or saamne khidki me dhanss jaati hai....
Tak tak tak tak... Jooton ki awaaj se dono ka dhyaan uss taraf gya... yeh awaaj khidki ke dusri taraf se aa rahi thi...
Malhotra.... Rana jaakr dekho kon hai.... ( Apne sath khade aadmi se kehta hai )
Rana teji se khidki ki taraf bhaagta hai magar wanha koi nahi tha... Jo koi bhi wanha tha bhaag chuka Rana bhi uski peeche peeche bhagne lagta hai... Bhaagte bhaagte woh gate tak phunch jata magar use koi dikhai nahi deta wapis lout hi raha tha tabhi use kuch halchal dikhai padti jo ki bade se container ke peeche ho rahi thi... woh bade hi dheeme kadmo se container ki taraf badhta hai... Or uss shaks ke peeche jaakr khada ho jata hai.... Uss shaks ko jab saamne koi hulchal nhi dikhti or woh uthne ko hota hai tabhi rana use peeche se pakad leta hai....
Aaahhhh aahhhh chodo mujhe aahhhhh....
Rana..... Ae Ladki Kon hai tu or yha kya kar rahi hai..... ( Apne samne khadi ladki ko peeche se dabochte hue. )
Abhi woh kuch or bolta usse pehle Malhotra unke pass aa jata hai or apne saamne khadi ladki ko dekh ek baar chonk jaate hai fir gusse mai aa ek thappad ladki ke gaal par jad dete hain...
Malhotra.... 2 kondi ki Reporter tum yaha bhi phunch gai... tum apni harkaton se baaz nhi aaogi pichle baar bhaag nikli thi aacha hai iss baar tum khud apni maut ke pass aa gai... Mai tumhe aise maut dunga ki fir kabhi koi meri jasoosi karne se pehle 100 baar sochega....
Ladki.... Chod do mujhe maine kuch nahi kiya...
Malhotra... Yeh saali aise nahi baandh kar daal do ise container mai... Aaj ise pata chalega Malhotra se panga lene ka kya anzaam hota hai....
Ladki..... Nahi nahiiiiiii..... Chod do mujhe maine kuch nahi kiya nahiii..... Chodo aaah maaaa..... ( Dard se chillate hue magar wanha uski pukaar sunne waala koi nahi tha... )
Rana use baalon se pakad container tak le jaata or uske hath pair bandh andar fenk deta hai.... Chat patati ladkhadati har kosish kar chuki thi chutne ki magar saari fail ho gyi thak haar kar woh container ke andar hi behosh ho gai wohi dusri taraf Malhotra Rana ko Duggal ki body bhi andar fekne ko kehta hai... Rana fauran Duggal ki body utha container ke andar daal deta hai... Fir shuru hota hai maut ka woh khel jo koi kamjoor dil ka aadmi shayad hi bardast kar paaye.... Container ko upar se band kar woh apne pass majood laal colour ka leaver khinch deta hai.... Jiske sath hi pipe mai moujood pigla hua kaanch container mai girne lagta hai... Bhut der tak container se dard naa cheenkkhe sunaai padti hai par waqt ke sath dheere dheere sab kuch tham jata hai..... Reh jata hai bas ek gehra sannata....
Surat , Gujarat
Subah 9 baje....
Bhabhi mera naasta..... Bhabhi jaldi karo mujhe late ho rha hai mera interview hai..... ( Sheeshe ke saamne khada apne banate hue )
( Inse milye yeh hai Rony humari story ke Hero... Har tarah ki aawaragardi karna doston ke sath ghumna nayi nayi bandi patana chupke chupke cigarette peene yehi hai inki zindagi.... Padhai ke naam par digree hai inke pass but kisi kaam ki nahi... Bachpan mai hi maa baap guzar gaye tab se bhai bhabhi hi iski duniya hai or yeh unki... )
Aaa rahi hoon devar ji jara sabar rakhiye itni hai jaldi toh mere liye devrani kyun nahi le aate...
( Yeh hai sunita bhabhi matlav humare hero magar kabhi bhi inhone Rony ko apne bete se kam nahi samjha.... 2 baar jamjoori ki wajah se baccha gir chuka hai or iss baar bhi yeh 5 months pregnant hai... Andar se bhut dukhi hain magar apne bete ke saamne humsha hass kar baat karti hai jisse woh pareshaan na ho jaye... )
Sunita meri chai khan hai... Mai dukaan ke liye late ho raha hoon jaldi karo...
( Yeh hai Ravi bade bhaiyaaaa choti si umar mai jab maa baap chal base toh poori jimmedari inke kandho par aa chuki thi jise inhone bakhoobi nibhaya bade bhai hone ke naate apne chote bhai ko kabhi kisi cheez ki kami nahi hone di.... 2 baar apne bacche ko kho dene se inka swabhaav bhi thoda kathor ho gya hasna toh jaise bhool hi chuke hai... )
Toh chaliye dekhte hai kya chal raha hai yaha....
Dono bhai khaane ke Table par baithe intjaar kar rahe hain... Jha ek taraf Ravi newspaper padh raha wohi apna Rony jooton ki lace bandh kar Ready ho raha hai....
Ravi... Toh aaj kiss company mai interview dene jaa rahe ho mahashay....
Rony.... Raj Group of companies aapne toh naam suna hi hoga humare sheher ki sabse badi company hai... ( Ek hi baar mai apni baat bhai ke samne rakhte hue )
Ravi... Uss company ko kon nahi jaanta aacha mujhe tumse kuch jaruri baat karni thi shaam ko dukaan par aa jana or haan best of luck... ( Chote bhai ke kandhe par hath rakh khane ka tiffin liye chal diye dukaan )
Rony bhi jaldi se nasta khatam kar bhabhi je pair Chu chal deta hai interview dene.... Sunita bhi Rony ko dher saare aashirwaad de vida karti fir mayoos ho kar ghar ka kaam karne lagti hai jaisi uski roj ki Dincharya thi.... Wohi apna Rony kahi bhaag raha hai aayiye aapko le chalte hai...
Roko buss roko...
Pause...
Rony ke sath yeh aksar hota rehta hai... Jiss bus se use interview dene jana woh itni bhari hui hai ki usme chadhna bhi muskill hai.. Rony bhut der tak jando jegad karte hue kisi tarah bus ke gate tak phunchta hai ki itne mai buss chal deti hai....
Resume...
Rony... Are bhai koi bus roko , mera interview hai please bus roko...
Lekin bus nahi ruki agli bus 1 ghante baad thi woh ek baar fir apne interview ke liye late ho chuka jaha ab jane ka koi fayda nahi tha... 1 saal se Rony kisi na kisi tarah apne bhai ki madat karna chahta hai paise kamana chahta hai magar iss maamle mai humesha uske hath nirasha hi lagi.... thakk harkar woh paas mai bane foothpath par hi baith jata or jeb se ek cigarette nikal fukne lagta hai.... or apni beete hui Zindagi ke baare mai soch aaj uska mood bhut jayada kharab tha baithe baithe woh na jaane kitni hi cigarette pee gya....
Baithe baithe shaam ho gai magar Rony kisi or hi Duniya me kho chuka tha... Woh jaanta tha ghar ke haalat bhai ka dard magar woh ek baar fir use kam karne mai asafal saabit ho chuka tha uska dhyaan phone ki ghanti se tutta hai jab woh dekhta hai kisi ka call aa raha phone utha kuch der baat kar chal deta kaha chaliye aapko le chalta hoon....
Harry ka Ghar....
Bas kar Rony kitni peeyega teko chadh gai hai.... Faltu mai bhabhi ko pareshaan karega...
Rony... Aaj mat rok Harry aaj mera mood bhut kharab hai... Saala aaj fir interview miss ho gya... ( Peg khinch cigarette ka kash lete hue )
Harry... Bas kar yaar apne din hi kharab chal rahe hai.... Or kitni peeyega dekh bhabhi ka call aa raha hai... shiv tu kuch bol na yaar ise dekh kaise pee rha hai...
Rony... Aaj kuch mat bol yaar 5 saal se ek hi sapna hai mera apne bhai bhabhi ke liye kuch karun.. bachpan se lekar ab tak woh mujhe sambhalte aa rahe hai... Aaj jab mai iss kaabil ho gya hoon ki unke liye kuch kar sakta hoon magar bhagwaan ko bhi yeh manjoor nahi mere dost dekh hass raha woh mujhe iss haal me dekh... Dekh upar dekh... ( Ek or peg khinch cigarette peete hue )
Shiv... Tu iss wajah se pee raha hai ki tera interview chooth gya tereko kya lagta hai tujhe yeh Naukri mill jaati... Hosh me aa mere bhai tujhe chadh gai hai... Apni jaisi percentage waale logon ko woh guard bna kar rakhte hai... Hakikat ki Zindagi me aa mere dost sambhal khudko...
Rony... Mai taiyaar hoon mai gaurd tak banne ko taiyaar hoon par mujhe naukri Chahiye.... tu kuch bhi kar mujhe har hall me naukri Chahiye...
Shiv... Are woh sab toh maine aise majak mai bol diya tha... mere pass thodi koi naukri ka pedh laga jo jadaya or tujhe de diya.... Ek minute ek kaam ho sakta hai...
Rony... Kya jaldi bol...
Shiv.... Chintu yaad hai tujhe teli gali waala kal mujhe market mai mila tha suna hai uski naurki lagg gai hai Bade seher mai Mumbai... Mujhe bhi apne sath jaane ko bol raha tha magar maine mana kar diya tu bol toh tere liye baat karun...
Rony... Magar Bhabhi iss time mai kaise unhe chod kar jaa sakta tujhe toh sab pta hai na...
Harry.... Shiv sahi keh raha hai Rony bade seher hai paise bhi aache milenge jisse tu apna sapna poora kar sakta hai.... Ek baar soch kar dekh Rony kya pata wohi teri Destiny ho....
Rony... Theek hai mai taiyaar hoon tu usse baat kar pakka kar le mai kal hi Mumbai ke liye nikal jaata hoon... ( Sochta hua ek or peg gatak kar )
Shiv... Yeh hui na baat chal mai usse baat karta hoon tu ghar jaa apna saman pack kar... Bhabhi ka bhi bhut der se phone aaye jaa rahe hai woh bhi pareshaan hongi...
Rony... Theek hai bhaiyon kal milte hai fir.... ( Aankho mai chamak liye hath ki cigarette fenk kar ghar ko chal deta hai... )
Raat 12 baje....
Rony ghar pahunch hall aapne room me jaa hi raha hota hai ki tabhi...
Rony aa gye tum kha the itne der se aao baitho mai khana garam kar deti hoon...
Rony... Nahi bhabhi bhookh nahi hai mai Harry ke ghar kha kar aaya hoon... ( Nazren chura apne kamre ki taraf jaate hue )
Bhabhi... Chup chap baithte ho yaa bulaun tumhare bhaiyaa ko....
Rony... Sach mai bhabhi mujhe bhookh nahi hai...
Bhabhi... Khao mere kasam... ( Mujhe kuch na bolte dekh ) aao baitho mai tumhe apne hath se khilati hoon...
Rony... Nahi nahi bhabhi mai kha lunga...
Bhabhi... Baithte ho yaa bulaun tumhare bhaiyaa ko...
Rony chup chap Table par baith jata hai or Sunita bhi ek maa ki tarah apne hath se use khana khilati hai... Khana khane ke baad Rony chup chap bina kuch bole apne kamre mai chala or kuch sochte hue uski aankhon mai aanson jinhe woh ponch kar aane waale kal ka intjaar kar so jata hai....
Agli subah 10 baje....
Rony rony utho kitni der so ge...
Rony... Sone do na Bhabhi aaj Sunday hai.... ( Neend mai angdai lete hue )
Bhabhi... Uth bhi jao din par din gadhe hote jaa rahe ho... Subh ke 10 baj rahe hai...
Rony... Kkyaaa 10 baj aapne mujhe pehle kyun nahi bataya... Aaah... ( Fat se khada hokar sir pakdte hue )
Bhabhi... Kya hua sab theek toh hai... ( Chintit pareshaan hote hue )
Rony... Haan bas thoda sir dukh raha aap aapni jadui coffee bana do na tab tak mai fresh hokar aata hoon
Bhabhi... Abhi laayi...
Uske baad Rony fresh hokar coffee peene ke baad apne bhai ki dukaan chal deta hai... Toh chaliye hum bhi chalte hai... Jha Rony bhai ke gale lag unka shukriya ada kar raha hai kyuki unhone use Mumbai jaane ki permission de di thi...
Ravi... Kal raat tum kaha the..
Rony... Woo wo bhaiyaaaa Harry ke ghar tha usko kuch kaam tha isliye late ho gya....
Ravi... Sunita ne mujhe sab bata diya tu kya gul khila kar aaya tha... Rony ae Rony tu kyun itni fikar karta jab tak tera bhai hai sab sambhal lega.... Kabhi apne aap ko akela mat samjhna mere bhai mai har waqt tere sath hoon... Humari chinta mat karna tu jana or acche se mera naam roshan karna mera aashirwaad humesha tere sath hai...
Rony bhai ki baat sun fir se emotional ho jata hai or Ravi ko bahon me bhar leta hai... Ravi bhi bhi Rony ko samjha bhujha kar ghar bhej deta hai yeh kehke ki use samaan pack karna Chahiye woh shaam tak aayega... Rony bhi bade bhai ki baat maan ghar aa jata hai or apna saman pack karne lagta hai....
Surat , Railway station...
Shaam ke 7 baje....
Rony apne bhai bhabhi or doston ke sath apni train ka intjaar karta hai jo kuch hi der mai aane waali hai... Or uske bhai bhabhi use acche se sahi galat or apna khayal rakhne ke liye samjha rahe hai Tabhi Ravi apne hath se ghadi utaar Rony ko pehna deta hai....
Ravi... Baba ki aakhiri nishaani hai jab jab mai udaas hota yeh bhut vishwaas or shakti deti thi ab tumhari baari hai mere bhai... Apna khayal rakhna...
Rony... Lekin bhaiyaaaa mai kaise...
Bhabhi.... Rony Rakh lo tumhare bhaiyaa pyaar se de rahe hai... Or haan jate hi roj phone karna.... ( Bolte bolte unki aankho me ek jhalak aansun ki dikh hi yeh ek maa ka pyaar hi toh hai )
Itne mai Rony ki Train aa jati hai ek baar sab ke gale lag vida le chal deta apne naye safar ki taraf Mayanagri Mumbai Sapno ka seher jaha har koi apna sapna lekar aata hai or kitne ke poora hote hai yeh woh hi jaane... Kher Rony train mai baith chal deta hai uski aankhon me bhi sapne the or hath mai apne pita ji ki Ghadi jise woh ek baar pyaar se choom kar bahar ki taraf dekhne lagta hai... Pehli baar woh apne ghar se door jaa raha uski aankhe bhi kuch nam si thi....
Mumbai , Mareen Drive...
Raat ke 1 baje...
Aaj Rony ko Mumbai aaye poora ek maheena ho chuka hai magar naukri uske hath nahi lagi... Jin sapno ko liye woh Mumbai aaya tha woh usse koso door the ab toh kismat se bhi uska wishwaas uth chuka ek hath me cigarette or dusre hath me bear liye woh apne bhai bhabhi ke baare mai soch raha tha or apni kismat ko kos bhi raha tha... tabhi uski nazar apne Pitaji ki ghadi par padti jise woh ek baar jee bhar dekh fir bear ka ghoont bhar apne khayalon mai kho jata hai.... Samundar ki lehre khula vatavaran man moh leta hai magar woh Rony ko muskilon se bahar toh nahi nikal sakta... Or Rony usi patti par sir tika aankhen band kar leta...
Dekhte hi dekhti kab subh ho gai pata hi nahi chala.... uski neend ek choti si bacchi ke jagane se khulti jo usse khane ke liye kuch paise maang rahi thi jo usse khaane ke liye kuch paise maang rahi Rony apni jeb mai hath daalta hai toh use wanha sirf 10 rs ka note milta hai woh use choti si bacchi ko de deta hai... Bacchi bhi note paakar khush hoti hui Rony ko thank you bhaiyaa bol chal deti hai... Ab Rony ke pass ghar jaane tak ke liye paise nahi the ek angdai le woh khud ko theek karta hai or paidal hi room ki taraf chal deta hai....
Ghar phunch kar Chintu usse raat ke baare mai puchta hai magar woh kuch nahi batata or fresh hone chala jata hai... Fresh ho kar woh bahar hall me aakar baithta hai tabhi chintu usse paas aata hai...
Chintu... Rony yaar kaisi haalat bana rakhi hai tune bhabhi ka roj mujhe phone aata tu baat kyun nahi kar raha unse pata hai woh tere liye kitna pareshaan hai... Bhai sabke bure din aate tu chinta kyun karta hai sab theek ho jayega...
Rony.... Bas kar yaar Kab se yehi sunta aa raha hoon sab theek ho jayega sab theek ho jayega kab haan kab... kitni hi companies me apply kiya har jagah kaam dhundne ki koshish magar har jagah sirf sifarish kaam aa jati hai or woh bhadwe meri jagah kisi or ko le lete hai... ( Rony apne andar kr dard ko apne dost ke sath share kar raha tha )
Chintu... Fikar mat kar mere bhai maine maqsood bhai ( chintu ka boss ) se tere baare mai baat ki thi or tere liye ek acchi khabar hai...
Rony... Kya jaldi bata kya kaha unhone...
Chintu... Unhone ka unki nazar me ek naukri hai woh wanha tujhe lagwa sakte hai magar...
Rony... Magar kya...
Chintu... Magar tere pass bike honi Chahiye....
Rony... Tu pagal ho gya hai ab bike kaha se laaun tu toh jaanta hai yaar jo bhi paise mai ghar se laya tha sab khatam ho chuke fir bike....
Chintu... Yehi ek rasta hai Rony ek baar tu ghar ho aa bhai bhabhi se baat karke dekh shayad woh teri madat kar de.... Or maqsood bhai bol rahe the iss kaam mai bhut paisa hai... Tu apne saare sapne poore kar sakta hai jo tune dekhe hai... Tu aaram se iss baare mai sochna mai shaam ko milta hoon agar teri haan ho toh aaj hi ghar ke liye nikal jaa woh saara kharch mai dekh lunga....
Itna bol wo Rony ko soch mai chod ghar se bahar nikal jata or Rony bhi uski baaton ko din bhar sochta or last me ek baar woh ghar jaane ki baat par apna man bana lete hai....
Surat Gujarat...
Subah 9 baje Rony ka Ghar....
Aaj Ghar me kaafi chehal pehal hai Rony jo ghar ki khushi hai aaj ek maheena baad ghar waapas aaya hai... Sunita apne devar kam bete ke liye uska pasandeeda nasta taiyaar kar rahi Ravi bhi Rony se uska haalchal or Mumbai ke baare mai pooch raha.... Rony ko dekh use pata chal chuka hai ki woh khush nahi hai isliye uska man behlane ke liye idhar udhar ki baaten kar raha hai...
Sabhi log nashte ki table par baith apna apna nasta kar rahe hain wahi sunita Rony ko apne haathon se khila rahi hai tabhi Rony apne bhaiyaa ko chintu ki kahi baat bolta jise sun Ravi thoda pareshaan sa nazar aata hai aaj tak Rony ne kabhi usse befijul ke liye paise nahi maange the magar woh Rony ki madat kaise kare iss waqt jab sunita pregnant hai Woh iss baar uska ilaaj bade hospital me karana chahta hai iske liye usne kuch paise jama bhi kar rakhe magar Rony ki baat sun woh soch mai pad gya himmat juta woh Rony ko kuch bolta tabhi peeche se sunita use ishara kar apne magalsutra ki taraf batati hai jise dekh ek baar toh Ravi ki bhi aankhen bhar aati magar saamne Rony ko dekh usne apne jazbaat andar daba kar....
Ravi... Theek hai shaam ko aate waqt lekar aata hoon...
Rony ko toh jaise apne kaano par wishwaas hi nahi ho raha woh khush ho aage badh bhai ko gale laga leta hai.. Ravi bhi apne bhai ki peeth par hath fer ek baar Sunita ko dekh apne kamre ki taraf chal deta Rony bhi khush hote hue apna nasta khatam kar bhar nikal jata hai apne doston ke pass....
Shaam 6 baje....
Rony apna bag pack kar ghar se nikalne ko hi hota hai ki Ravi use jeb kharch or bike ke liye paise thama deta hai... Or use aache se istmaal karne ki hidayat bhi deta hai... Rony apne bhai bhabhi ke pair chuu unse vida le ghar se nikal jata hai iss baat uske chahre par kuch kar dikhane ka junoon tha...
Mayanagri Mumbai....
Raat ke 9 baje...
Bhaiyaaaa yeh address khan padega...
Aage jaakar left le wohi outer mai tum sidha phunch jaoge.....
Ji aapka bhut bhut shukriya....
Aaj Rony ko Mumbai aaye poora 3 maheena gujar chuke the maqsood bhai ki madat se Rony Pizza Delivery boy ka kaam mil chuka jisse woh bhut khush tha usne apne liye kuch paise bhi jama kar liye the jinse woh apne sapne poora kar sakta tha... Hath mai apne Pita ki ghadi ko ek nazar dekh peeche apne pizza ka order liye jaa raha tha tabhi woh Ek khandar si badboo maarti jagah mai andar ghuss jaata hai ek baar darwaje ki taraf dekh Address match kar pizza ke box liye aage badh jata hai... Andar phunch woh awaaz lagata hai magar wanha koi nahi... Tabhi use apne peeche kuch halchal dikhai padti hai magar wanha koi nahi tha... Tabhi ek baar fir use apne peeche kise ke khade hone ka ehsaas hota hai woh jaise hi palta hai fir se wanha koi dar se uski halat kharab ho jati hai uske maathe par paseena aane lagta hai hath thartarane lagte hai tabhi peeche se ek aadmi apni jeens ki chain band karta hua uski taraf aata hai...
Heyyy pizza boy....
Aadmi ki awaaj sun Rony ki fat ka chaar ho jaati hai woh jaldi se use pizza dekar apna paseena pochta hua bahar nikal jata hai... Or teji se bike bhagane lag jata hai ki tabhi fir se use wanha ka nazara dikhai deta hai sath hi use kuch sunai bhi de raha tha jaise koi use pukaar raha ho... Woh jaldi se wanha se nikal apna kaam khatam karta hai or ghar phunch uss jagah ke baare mai sochne lagta... Chaaro taraf adhera bade bade container uske dimaag me aate hi ek baar fir uska chehra paseene se bheeg jata hai... Uska dhyaan jab tutta jab use ehsaas hota ki uska phone baj raha hai woh apne phone ki taraf dekhta hai jaha uske bhai ki call aa rahi thi... Apna paseena ponch sab cheezon ko darkinaar kar woh phone ko uthata hai...
Rony... Hello....
Ravi... Hello Rony mai kab se tumhe phone laga raha hoon tum utha kyun nahi rahe sab theek toh hai na...
Rony... Haan bhaiyaaaa sab theek hai woh thoda aankh lag gai kaho kaise yaad kiya aapne itni raat ko....
Ravi... Tumhare liye ek good news hai jald hi tum chacha banne waala ho doc ne delivery date agle hafte ki di hai or hum hum kal hi wanha aa rhe hai iss baar hum tumhari bhabhi ko bade hospital me bharti karwaynge....
Rony... Kyaaa... Aap sach keh rahe hai jaldi aaiye bhaiyaaaa ab mujhe intjaar nahi ho rha aapko dekhe kitna time ho gya... ( Khushi se uchalte hue )
Ravi... Haan haan kyun nahi tum jaldi se apna address send karo hum kal subh wanhi phunch jate hai...
Rony... Aap kyun takleef lete aap batao kon si train se aa rahe ho mai aa jaata hoon na aapko lene...
Ravi... Are nahi nahi tum humari fikar mat karo hum phunch jayenge tumhari bhabhi tumhe surprise dena chahti hai unse chupkar tujhe yeh baat bta raha hoon uska man rakh le...
Rony... Aacha theek hai bhaiyaaaa mai abhi what's app krta hoon...
Uske baad kuch idhar udhar ki baat kar gud ni8 bol phone rakh deta hai Rony jo ab tak ghatna se pareshaan tha use bhool phone rakh so jata hai...
Agli subh...
Bhaiyaaaa Bhabhi ghar phunch jate or Rony se uska haal chaal puchte wohi bhabhi har maa ka wohi dailog usse kehti hai " tu kitna dubla ho gya hai khana samay par nahi khata kya " Rony bhi muskurata hua bhabhi ki baat ka jawaab deta fir bhut der tak sabme baatain hoti rehti aaj Rony ne chutti le rakhi thi kaam se qyuki woh bhi apni bhabhi ke sath hospital jana chahta tha....
Shaam ka samay...
Government Hospital...
Rony apne bhai bhabhi ke sath hospital me dakhil hota hai or doctor se check up karwata hai doctor bhi unhe admit hone ki salah deti hai or kuch medicines likh admit card bana kar bill jama karne ke liye parchi deti hain Jise Ravi le Bahar bill counter par chala jaata hai...
Ravi... Kitna bill hua...
Accountant ji... 47,600 rs delivery tak ka amount ek sath dena hoga...
Bill dekh Ravi ek baar soch me pad jata hai or apne purse mai hath dalne ko hota hai ki tabhi Rony peeche se aa kar apna card accountant ko pakda deta hai... Jise dekh Ravi ko hairaani hoti hai woh Rony ka mana karta hai magar Rony apni kasam de unhe rok deta hai... Ravi ek baar Rony ke kandhe par hath rakh muskura kar use dekhte hai fir andar chale jate hai sunita ko admit karwane.... Saara kaam khatam karte karte raat ho chuki thi Ravi Rony ko ghar jaane ke liye bolta magar woh inkaar kar jipar ek nazar Ravi gusse se use dekhta hai... Rony dar ke maare bahar chal deta hai or Ravi hasta hua sunita ko dekh raha... Rony ek baar palat kar apne bhai ko hasta dekh khush ho jata hai aaj kai saalon Rony ne iss chehre par khushi dekhi thi..
Khushi se jhumta hua woh hospital se bahar nikalta hai or apni start kar chal deta hai apne ghar ki...
Rony... Pitaji aaj agar aap hote toh aapko bhi mujhpar garv hota haan Pitaji aaj barson baad maine bhaiyaaaa ko khush hote dekha.... Aaj mai bhut khush hoon...
Apni hath par bandhi ghadi se baat karta hua woh aage badta jaa raha tha ki tabhi samne se ek truck ladkhdata hua teji se uski taraf badh raha tha magar Rony kisi or hi Duniya me kho chuka tha... Use toh kisi baat ka khayal nahi ass pass kya ho raha hai dekhte hi dekhte truck uske behad kareeb phunch chuka tha tabhi uske hath me jor se jhatka lagta hai or woh road ke dusri taraf bike liye gir jata hai... or truck uske pass se hokar aage diwaar se ghuss jata hai... Har taraf afra tafri mach jati bheed jama ho jati magar Rony toh jaise sunn padd chuka tha usne maut ko jo itne kareeb se dekha tha... Kisi ka dhyaan Rony ki taraf nahi tha... Rony abhi hui ghatna ke baare mai soch hi raha tha ki tabhi...
Tumhe jayada chot toh nahi lagi na....
Rony palat kar apne aas pass dekhta hai magar use koi dikhai nahi deta... Uske chehre par paseena aane lagta hai...
Rony... Kkkon ho ttummm.... Orrr meeera naaam kaise jaante hoooo... ( Dar ke mare kap kapate hue )
Awaaj... Tumhe mujhe darne ki koi jarurat nahi hai Rony mai tumhe kuch nahi karungi....
Rony... Kkkon ho ttummm.. samne aaao...
Awaaj... Pehle darna band karo or apne hath ki taraf dekho...
Rony darta darta apne hath ki taraf dekhta toh yeh awaaj uski ghadi mai se aa rahi hoti hai... Ek baar nazar utha jab woh ghadi ko dekhta hai toh uski aankhen phati ki phati rah jati hai woh jaldi se ghadi ko apne hath se nikal door kar deta hai...
Rony... Kkkon ho tummm dekhooo meree pass mat aana door raho mujhse...
Awaaj... Rony ek baar meri baat toh suno maine hi abhi tumhari jaan bachai thi mai tumhe koi nukshaan nahi phunchaungi quki tum ek acche insaan ho...
Tabhi Rony ka dhyaan haal hi me hui ghatna par jata hai... Use yaad aata hai ki kaise woh bekhabar ho kar bike chala raha kaise uske hath me jhatka laga or bime disbalance ho neeche gir gai.... Yehi sab soch woh himmat batorta hua ghadi ke pass jata hai... Ghadi me ek akrati ladki ka shape le hui thi...
Rony... Kon ho tum or kya chahti ho mujhse....
Awaaj... Mai tumse kuch nahi chahti Rony tum ek acche insaan ho... Rahi baat meri mera naam Kavita hai mai DM news ke liye kaam karti thi... na jaane kitni saalon tak maine desh ki sewa ke liye mujrimon ke against sting operation kar saboot ikktha kar uhne saza dilwati aa rahi thi... Tabhi mujhe kahi se Malhotra ke baare me pata chala woh har tarah ka gair kanooni dhandha karta hai na jate kitne hi khoon usne kiye magar aaj tak uske khilaaf koi saboot nahi mila ab sara darobdaar mujhpar tha ek din mujhe khabar mili ki Malhotra ki Duggal jo ki Mumbai ka Transport king hai kisi khaas kaam se meeting mai wanha phunchi ( fir usne jo bhi wanha khidki se dekha woh Rony ko bataya ) iss sabka saboot mai apne phone mai kaid kar bhaag hi rahi thi ki...
Fir uske sath kya hua yeh bta kar kuch der woh shant Rony ki bhi aankhen nam ho gai uski dard bhari kahani sun koi itna dard kaise seh sakta hai yeh soch woh aasun bahane laga... Bhale hi woh Kavita ko pehli baar mill raha magar aaj uski wajah se hi woh zinda hai....
Kavita... Rony tum ro kyun rahe ho... Aasun poncho apne...
Rony... Aapne itna dard kaise saha mujhse yeh sab bardast nahi ho raha aapne meri jaan bachai hai bataeye mai aapke liye kya kar sakta hoon...
Kavita... Kuch nahi kar sakte jao chup chap ghar bhabhi ki delivery hai...
Rony... Nahi tum batao mai kya karun tumhare liye tum kuch keh rahi thi tumne unki baaten record ki tumne sab kuch bataya magar woh camera kaha hai uska jikar tumne nahi kiya...
Kavita... Woo woo darasal..
Rony... Haan haan bolo...
Kavita... Jab woh mere peeche pada tha toh camera maine wanhi container ke neeche chupa diya tha...
Itna bol woh shant ho gai Rony bhi kuch sochta hua khada ho jata hai or apne hath mai wapas ghadi bandh chal deta... Kavita khamosh Rony ki harkat dekh rahi thi samjhne ki koshish kar rahi thi ki woh kya kar raha hai....
Rony bina kuch bole bike ko bhagata hua factory ke bahar bike rokta hai jaise hi kavita yeh dekhti woh Rony ko mana karti rehti hai magar Rony bina uski baat sune chupke se andar ghuss jata hai.... Andar ek dum ghupp andhera tha woh apne mobile ki flashlight on kar har taraf nazar daudata hai... Ek taraf side mai use bhut saare containers dikhai dete hai woh dheere dheere bina koi harkat kiye un tak phunchta hai or har taraf camera ko dhundne lagta hai... Tabhi uske hath se ek drum gir jata hai.... Woh wanhi ek container ke peeche chup jata hai... Ki uski hath kisi cheez se woh use khinch kar dekhta gai toh yeh kya yeh toh woh khush ho khada ho bahar jaane lagta hai ki...
Dhmmmmm
Ek rod uski sir par or woh behosh ho jata hai... kuch der baad jab uski aankh khulti hai toh khud ko rassiyon mai kaid pata hai or uske saamne do log khade gusse mai use ghoor rahe hote hai... Tabhi unme se ek bolta hai...
Malhotra... Kya baat hai pizza boy toh tu uss reporter ke liye marne chala aaya aacha hai bhut din ho gye the kisi ko maare... Rana bandh kar daal do ise bhi container mai jara ise bhi toh pata chale apni dost ka dard...
Rony... Ek baar khol sale bujdil ladki par war karta hai mai tujhe chodunga nahi khol mete hath...
Rony Gusse me dono ko ghoorta chhatpatata rehta hai magar woh dono use haste hue dekh rahe the tabhi Rana use pakad kar container mai faikne hi waala hota hai ki... Ek bada sa shesha udta hua Rana ke sir ko katta hua samne diwaar se jaa takrata hai... Rana dhaammm se neeche gir jata hai Malhotra Rony ko hairan nazron se dekh fir Rana ko dekh raha tha...
Malhotra... Konnnn ho tummm or yeh kaise kiya...
Badi jaldi bhool gya Malhotra peeche dekh mai yaha hoon...
Yeh awaaj kaanch ke toote hue tukde mai se aa jab woh pass jaakar dekhta hai toh seeshe mai Kavita ko dekh hairat se uski aankhen khul or gala sukh jata hai...
Tu saale suspence mai hi mar...
Or toota hua sheesha udta hua Malhotra ke gale mai ghuss jata or woh dhaammm se neeche gir jata hai... Tabhi ek sheesha udkar aata hai or Rony ki Rassiyon ko kaat deta hai...
Kavita... Ab shayad tum meri baat maan hospital jana Chahoge...
Yeh awaaj Rony ke hath mai bandhi ghadi se aa rahi thi... Rony jab wanha dekhta hai toh kavita muskura kar gusse mai usse keh rahi thi... Rony bhi ladkhdata hua hass kar factory se bahar aata hai or apni bike start kar chal deta tabhi uska phone bajta woh utha kar dekhta hai bhaiyaaaa ka call aa raha hai woh bhi subh ko 5 baje woh kavita ko dekhta hai woh wanha nahi thi Rony call uthata hai toh use pata chalta hai ki bhabhi ko aachanak pain shuru ho gye hai baccha kabhi bhi ho sakta hai... Rony fat se gadhi ki speed badha hospital ki taraf chal deta hai...
Hospital phunch woh pehle apni malham patti karata hai fir bhai ke pass jata jo usse sir ki paati dekh karan puchta hai jise Rony chota sa accident bata baat taal deta hai.... Ravi bhi baad puchne ka soch yaha wanha tehlne lagte hai tabhi oT ka gate khulta hai or nurse bacche ko hath me liye bahar nikalti hai...
Nurse... Mubarak ho aapko ek pari jaisi ladki hui hai...
Ravi or Rony yeh sunkar khushi se uchalne lagte hai... Rony khushi se nachne lagta hai wohi Ravi jeb se paise nikal nauchawar kar nurse ko dete hai Nurse bhi dono ko dekh haste hue bacchi ko Ravi ke hath me de deti hai... Bacchi ek tak aankhen kholen Ravi or Rony ko dekh rahi thi...
Ravi... Ale le meri paari gudiya raani kitni sudar kitni cute hai... yeh dekho tumhare chachu dekho dekho...
Bacchi bhi Rony ko dekh khush ho jaati hai... Rony bhi hath badha use goad me le leta hai...
Rony... Gudiya raani... Yeh naam kuch purana nahi ho gya bhaiyaaaa...
Ravi... Toh tu hi kuchh naam rakh de...
Rony... ( Ek baar bhai ko fir bacchi ko fir apni hath ki ghadi ko dekh bolta hai ) Kavita.....
The End....
Wah bhia ek hi story me kayi cheje dikga di. Thriller, family drama ke jariye emotional kar diya, aur last me halka sa horro bhi daal diya.
Bahut achhi story likhi he.