_ABHAY_Smarty_
Ne dis jamais que je t'aime
- 5,450
- 7,234
- 189
Thank you so So much nainu sir for such a beautiful and lovely review.....Papa ki Ghadi by abhay smarty
Title padh kar mujhe aisa laga jaise koi bhawnatmak kahani hogi jisme "Papa ki ghadi" se judi kai khatti mithi Yaden hongi... Khair badte hain review par...
1) writing skill :- Aap ki writing skill achi hai, story ka timeline aur time frame acha kar lete hain. Main spelling mistake par vises dhyan nahi deta lekin kuch words jaise ... कहां .. jise aap "Khan" likhte hai wo bahut hi ajib feel karwata hai... Sahi shabd hai.. "kahan".. usi prakar "jahan" ko aap ne "jha" kar diya padhe waqt aisa lag raha tha jaise kisi naam ka title padh raha hun... Khan, jha.. ispar thoda kaam karne ki jaroorat hai.
2) Storyline :- Kahani shuru hoti hai ek old filmy scene se jahan kuch baton ko le kar aapsi matbhed hota hai aur gunda paksh kisi ko goli mar deta hai... Sare samwad aur pura scene aisa lag raha tha jaise kisi picture se utha kar likh diya gaya ho... Koi creativity nahi dikhi..
Uske aage jo kahani ka dusra paksh hai hero side .. uski kahani aage badhate hain aur... Yahan mujhe pata nahi kyon aisa lag raha tha ki main koi short story nahi apitu words ko pura karne ke liye ek detailes story padh raha hun...
Mujhe to itne detail me story lag rahi thi jaise ki kahin ab ye bhi na jaye ki Rony bathroom gaya.. fir bathroom se nikla... Itne detail me har kam ko dikhana ek short story me kahin se justify nahi hota... Upar se charecterization jab hua to hero ko manchala aur aashiq mizaz kaha gaya.. jabki aage story me jimmedar aur ghar ke liye kuch karne wala dikhaya gaya... Sath me ye bhi ki ladka 5 sal se apne bade bhai ki madad karne ki kosis kar raha hai... Khair mujhe in dono baton me koi link na laga ki ek jimmedar awara .. laundiya patamewala kaise ban gaya...
Fir mumbai ka scene aur murder ki jagah par pizza delivery wo bhi andhere me... Ye scene to hazam hi nahi hua... Is se acha to phyco killer with comedy story likh dete to acha hota... waise shuru me to rape jaisa koi scene na tha fir wo apni jio kahe band kar raha tha...
Upar se ye kahan tak justify hai ki ek safe jagah jahan us kavita ka murder ho raha tha wahan us ladke ko chhod diya jata hai aur fir baad me sadak par humla karwaya jata hai...
Confusion hai bhai sahab .. kyonki main murder kar raha hota to pizza ka dilivary bahar leta aur use bahar se bahar hi bhej deta ... Aur nahi .. mujh me murder karne ka fitur sawar hota to main murder ki jagah par dilivery leta free me pizza khata aur dono ko ek sath conteiner ke ander mar dalta... Wait nahi karta ki pahle ladki maregi fir khyal ayega ladke ne dekh liya to use bhi marna hai...
So overall complete weak story line jime koi mehnat nahi ki gayi thi..
Positive points:- salute the writer attitude ... Matlab aap ki lekhni me dum to hai boss... Bilkul sahi dhang se likhi gayi line... Time frame karna.. kahani ko rochak banane ki prayas achi thi jaise ki pahla ek hard scene uske bad storyline aur timeline dono change.. jo kahin na kahin aage padhne ko vivas karte hain … fir mumbai ka samnya jivan.. aur fir na chah kar bhi ek crime me fas jana.. wakai achi kosis thi
Negative points :- too weak story line.. over explaned scenes, old hindi movie dialogue.. injustice title name, injustice with limited words.. lack of visualization .. aur anth me aap ki story me itne twist the ki yadi aap jaldbaji na karte aur story ke upar kaam karte to ye ek epic thrill story hoti…
Points... 6 out of 10 (3 for your writing skill, 1 for your hard work for writing, 2 for your storyline)
* Mujhe manf kijiyga yadi aap ko bura laga ho to.. aksar tarif ke piche hum apni kamiyon ko nahi sun'na chahte hain ... Aur yadi koi kami bata de to wo insan bura ho jata hai.... Lekin maine yahan wahi likha jo majne padha .. aur main ek honest reader hun.. likha gaya ek shabd nahi chhorta .. pura pdhta hun
Story ko aapne jiss nazariye se dekha yeh mere ideol writer hi kar sakte hai... Kya krun mai rahul or paridhi ki story toh nahi dikha sakta... ???
Rahi baat story ki toh pichle story mai sabko kuch na kuch confission reh gai thi kuch points story mai words ki kami ke karan me samjha nahi paya isliye ise maine har tarah ki poori koshish ki ke kisi ko koi quirries na reh jaaye..... Jo shayad kuch jayada hi ho gya... Ha ha ha...
Isme bura kya maana mujhe isse bhut kuch seekhne ko milega jo next time mere kaam aayega... Or rahi baat kuch mistakes ki woh jaldi me ho gya jo ki fix ho jayega...
At the ty so much for love and support... And keeo inspired me...