Kahani- - ek alhad si ladki apni jawani mein kadam rakhte hi pritam naam ke ladke se pyar kar baithi.. dono ke bich nazdikiya aur gahri huyi lekin pritam flirty type ka ladka tha, jise ek hi ladki se jude rahne se ya wafa karne se aitraz tha.. kamvasna ke chalte kayi ladkiyon ke sath sambandh bhi banane ki koshish ki... is bich kisi ladki sang aapattijanak avastha mein usko dekh liya tha naina ne bhi... tab to usne kuch na boli.. lekin shayad us baat leke jo gussa tha usko mann hi mann dabake baithi thi... lekin ek aisa bhi waqt aaya jab pritam aur naina jab chumban mein lipt the to naina ko wo baat yaad aa gayi jab us ladki ke sath pritam ko apattijanak avastha mein dekh li thi.. ab gussa to futna hi tha isliye pritam dhakka de diya.. pritam gambhir roop se jakhmi bhi hua.. . uske baad unke rishte mein jaise ek karwahat si aa gayi ho... haalaki naina ne apni taraf se pur jor koshish ki is riste ko bachane ke liye... khud aage aake maafi bhi maangi... par pritam tas se mas na hua aur ek dukhad ant ke sath dono alag ho gaye..
kahani ne karwat badli ab naina wo wali naina nahi rahi shayad... shayad wo bhi jawani ki aag mein jalne lagi.. iske chalte ushne ek raah chun li.. gigolo ke jariye jism mein uth rahi aag sant karne ke liye..
par afsos jisko paise deke bhare mein jishm ki aag bujhane bulaya wo pritam nikla.... jism ki aag to bujh gayi par uske baad ushe lagne laga ki pritam hi wajah uski is haalat ke liye.. ushi ne usko ganda kiya ... wohi dusri taraf ushe yeh bhi lage ki nahi actually jo chaah thi uski ugra sambhog ko leke wohi ichha puri ki hai pritam ne.. mann aur jameer ki jung mein mann ki jeet huyi aur naina ne berahami se bade hi khaufnaak tarike se pritam ko maar diya... aur ant mein shareer aur aatma ko usake sath aatm-samarpan ke liye, svayam ke liye, hamesha ke liye aatmasamarpan kar liya...
ab aate hai sameeksha par - - galti kiski thi.. ye tay kar pana thodi muskil hai par.. meri nazar mein galti dono ki hi thi... Agar pritam pyaar wafadar rahta to uske sath ant mein jo hua us baat ki nauvat hi nahi aati... wohi dusri taraf naina... thik hai school time par pritam ne galti ki, mana ki bina pehchaan bataye uske sath ugro sambhog mein lipt hua... lekin iske badle bina uchit soch vichar ke hi jaan se hi maar dena ye to sarasar nainsafi huyi... kyunki is point pe agar readers ke point of view se dekhe to naina ne khood bhara deke ek gigolo ko bulati hai aur khwahish bhi jatati hai ki ushe ugra sambhog chahiye..yahin pe usne galti kar di.. jiske sath us karya mein lipt hone jaa rahi thi, kam se kam ye to jaan leti ki wo koun hai.. uski pehchaan kya hai . pritam shayad bas uske mann ki ichha puri Karne ke liye ushi tarah se sambhog mein lipt hua... jiske liye ushe paise mile.... yahan pe do baatein chupi reh gayi... ek kya pritam badla lene ke chakkar mein ye sab kiya ya sachme sirf paise ke liye ye kaam karta tha..... ant mein yahi kahu ki jo bhi hua bahot dukhad raha... haan daant fatkad ya jalil karke ghar se nikal deti ya phir dusre tarike badla bhi le sakti thi.. lekin agar aise galti mein khud bhi lipt ho to..ekdum se jaan se hi maar dena.. is baat thodi atpati si hai.. ... ..
Jaise koi thos wajah ya aatmsuraksha ki baat na aaye to.... waise dusre options bhi the pritam ke hath per baandh ke puch leti ki akhir bina pehchaan mein aaye ye kyun kiya... kis wajah se usne naina sang ye sab kya... maana ki us samay uski manshik stithi thik na thi par itna to malum hona chahiye ki pritam koi ajnabee nahi tha ... ab kya kare mask nikalane ke baad apni hosh-o-hawas kho baithi aur parinam bhayanakar... dono ke liye hi...
aapki pasandida kirdaar koun aur kyun?
of course naina... isme do ray nahi... bas agar apni kamvasna se zyada sathik sujh bujh ke sath vichar karke se kabam badhati to uske sath aisi ghatana kabhi na ghat ti...
kya kirdaar aapko vastavik lage..?
Haan kuch mamlo mein... bas yeh ant ki kuch baatein atpati si lagi...
kahani ko leke koi anuman ya koi sandesh hai kahani mein pathakon ke liye..?
Koi bhi faisla karne pehle ek baari soch vichar kar lijiye.... aur koi chij ya insaan dekh parakh ke hi vishvas kijiye... kyunki janab ye kalyug hai...
Kuch vishesh prakar ke drisya - udaharan ke liye dukhad drisya, tanav purn drisya...?
sabse dukhad aur tanav purn drishya jo ant mein naina ne shareer aur aatma ko usake sath aatm-samarpan ke liye, svayam ke liye, hamesha ke liye aatmasamarpan kar liya...
... actually pehle hi pehchaan ho jaati to is baat ki nauvat nahi aati... par afsos honi ko koun taal sakta hai...
Kahani ka koi pasandida bhag.. romance, suspense, thrill ect aur kyun?
bura na maaniyo jhuth na balu par naina ne jab apne purv premik ko jaan se hi maar diya... actually
mohit98075 ji.. is drishya ko aur vistar roop ek explanation ke sath dikhate to maza hi kuch aur hota
![BIg Grin :D :D](/uploads/smilies/icon10.gif)
Actually mujhe brutality se bharpur thriller, suspense aur murder mystery wali stories zyada pasand hai... waise jis tarike se suruwat mein romance se leke phir kahani ki madhya mein bichhadne ki tragedy phir ant jo thodi bahot revenge wali murder situation , thrill aur suspense paida kiya kahani mein writer sahab ne wo kabile tarif hai.. bas ant mein jo bhi hua wo thoda aur vistar likhte to.. Khair koi na...
Kya aapko ye kahani hanshaya ya rulaya..?
sidhi si baat hai kahani aur kahani mein chupi sandesh sampurn roop se manoranjan ke sath sath ek acchi sikh bhi de gayi hai....
kya kahani ne ant tak jure rahne ke liye majboor kiya?
Ji bilkul.... naye readers se yahi request hai ki is kahani ko jarur padhe... kahani aapko suruwat se leke ant tak boring hone nahi degi...
Kuch mann ki baatein kahani ko leke - waise pyar wafa bewafa badle ko lekar bahot si story read ki hai par ye story thodi hat ke hai.... khas kar galti wali drisya ko leke... galti dono ki thi lekin kahani ki dusri pehlu pe jo anjane mein bina pehchaan kiye hi galti ho gayi... us situation ko pesh karne ka andaz kuch hatke tha writer sahab ka..
ant mein writer sahab ke liye kuch shabd....
mohit98075 saheb ki kahani matlab meri nazar mein writing jagat mein master stroke... jo facts kahani mein hone chahiye jo agle pichle pehlu se connected ho, un sabhi ko mohit saheb ullekh karte hai... . na kam, na zyada, bilkul perfect tarike se...
usse bhi badi baat, readers ka manoranjan ho is baat ko leke kash khayal rakhte hai.... aur unki har ek kahani aisi ki jaise subhah ki khilti dhoop ho... barish ki pehli bunde ho...
ek reader ko isse zyada kya chahiye..
aur mohit ji Aapne kahani ke jariye hi kahani ke naam ko sarthak kar diya hai...
jis udasya se kahani ko humare samaks pesh kiye as a reader main yahi bolu ki aap us udasya ko leke kamyab rahe..
Brilliant story line with awesome writing skills
mohit98075 sahab