• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

★☆★ Xforum | Ultimate Story Contest 2021 ~ Reviews Thread ★☆★

Moon Light

Prime
29,847
28,081
304
Adirshi
Roshni Ek Tantrik hi thi... isme koi confusion nahi...
Tantra Mantra ki duniya me esaa aksar hota rahta hai jnha har cheej ki kimat hoti hai... Awdesh ka cancer thik hua aur keemat....
wo to jante hi hai... Gudiya :love:

nain11ster
Driver ka naam awdesh tha shayad aap miss kr gaye...
Roshni kya karti hai kyu karti hai kisliye karti hai... inbsb cheejo me se awdesh ko jyada mtlb nhi tha qki use bs apni bahan ki fikr thi...

Aur kahani Awdesh pr based thi... to Roshni ek side actress ko roll adaa ki jo ki utnaa hi thik lgaa...

Short Story hai... aage kaa aap khud imagine kriye kya ho sakta tha kya hoga :p:
aur fir mujhe btana jarur :love:
 
HalfbludPrince

मैं बादल हूं आवारा
12,542
88,074
259
यादे अब भी है......

शॉर्ट स्टोरी हमेशा किसी कविता की तरह ही होती है, एक फ्लो जो समा बाँध दे, बेसिक कहानी जिसमें हीरो हीरोइन और एक खलनायक और मजबूरियाँ, प्रेम कहानिया बस यूँ ही शरू शुरू हो जाती है, एक छोटा सा लम्हा एक झलक बस एक छोटा सा एहसास दिल मे यूँ उतर जाता है अमित और शीतल का मिलना, नजदीक आना और फिर वहीं मजबूरियाँ ठीक है पर शीतल का ये कहना की मैं तुम्हारे काबिल नहीं,

क्या ही हो जाएगा यार जो किसी और के साथ सोयी हुई ल़डकि को कोई और अपना ले, अखिर कब ये ज़ंजीर टूट पाएगी, चरित्र इतना महत्तवपूर्ण क्यों है
 
nain11ster

Prime
23,612
80,681
259
Adirshi
Roshni Ek Tantrik hi thi... isme koi confusion nahi...
Tantra Mantra ki duniya me esaa aksar hota rahta hai jnha har cheej ki kimat hoti hai... Awdesh ka cancer thik hua aur keemat....
wo to jante hi hai... Gudiya :love:

nain11ster
Driver ka naam awdesh tha shayad aap miss kr gaye...
Roshni kya karti hai kyu karti hai kisliye karti hai... inbsb cheejo me se awdesh ko jyada mtlb nhi tha qki use bs apni bahan ki fikr thi...

Aur kahani Awdesh pr based thi... to Roshni ek side actress ko roll adaa ki jo ki utnaa hi thik lgaa...

Short Story hai... aage kaa aap khud imagine kriye kya ho sakta tha kya hoga :p:
aur fir mujhe btana jarur :love:
Ji ek poorak hota hai... Arthat ... Villan majboot hota hai tabhi superhero ke paower ka matlab hota hai.... Dost ganjeri kahin ganja funk raha hota hai ... Tabhi apne dost ko khinch'kar le jata hain... .

Dekhiye maine pahle bata diya hai ki kahani awdhesh par focus hai... Lekin bina raushni ke bhay dikhaye awdhesh kaise bhaybhit ho jata... Aap bataeye...

Ab imazine jitna kiya tha utna to likh hi diya... Alag se ek post imaginnation ki daal deta hun :D... Lekin ju miss to explore roshni ... Aur ye sachai nahi badlegi... Side charcters aur villans hi to hero ko perfect banate hain :dazed:.... Baki aap ki ikchha .. ismile plzzz :)
 
HalfbludPrince

मैं बादल हूं आवारा
12,542
88,074
259
अपहरण by HalfbludPrince

:ecs: Fauji bhaiya aaye hain aur apne lekhni ke pitare se kya laye... Kya laye... Apharan...

Main yadi short story likhne ki baat karun to... :bow: :bow: :bow:.. isme koi 2 rai nahi ki HBD ne jitni mehanat short story likhne ke kala me ki hai wah apne aap me adbhut hai... Kyonki bhai sahab ki short story main bahut samay se pdah raha hun...

Apharan ke liye ek hi baat kahna chahunga.... A perfect example of short story... Iss se behtarin example mujhe nahi lagta ki iss cotest me ho sakta hai ..

Apharan ek sadhi hui si kahani hai jahan par na kam athva jyada ki ummid ki ja sakti hai... Ek lay me apharan hone se lekar nausikhye ke khud hi apne jaal me fasne ki kahi aur ankahi puri kahani bayan hai...

Sabhi kirdar bilkul apne lay me aur kahani ke anuroop hi kaam hota raha hai... Itne chhote se kahani me bhi kya khubsoorti se hint chhoda gaya tha jab wo naukrani ghar ki safai ke liye pahunchi thi... Kamal tha...

Main to lekhni aur iss majboot kahani se kafi prabhavit hua hun... Sath me post story climax bhi dikhaya ..... Achha laga wo bhi...

A perfect short story superbly written with full of hint... Jinhone ankahe pahlu nahi padha fir unhe story ko 2 baar ya 3 baar padhna chahiye... Fir chahe ek dost ko plot karna ho as a class teacher .... Ya fir Megha ki dosti batana ho jo ki Megha se to katai hi nahi ki gayi thi...

Ya fir sath rahkar bhi salu police investigation to dekh rahi thi lekin phone nahi karwana ki police ke pass kyon gaye... Kyonki unhe to bank me daka dalna tha... Bus ye bank daka ka point story ke majboot lekhni me thoda sa sendh lagata hai... Bank chori ek aham point tha jahan isse explain karna chahiye tha ... Kyonki 20cr ka gaman ... Wo bhi bina kisi jankari ke... Yahan chuk ho gayi...

Overall superbly written a perfect short story.. jiske ankahe pahlu ko revoo karne baithun fir to story 10k words me pahunch jaye...

Best of luck for the contest
इसी लिए मैं कहता हूं कि एक लेखक को पाठक होना चाहिए, बैंक चोरी एक महत्तवपूर्ण तथ्य होना चाहिए था परंतु यदि उस सीन मे चोरी होते दिखाता तो अजीब लगता क्योंकि प्रैक्टिकल बताना थोड़ा मुश्किल होता है और कहानी पर बेमतलब शब्दों का बोझ पड़ता,
कुछ चीजों को मैं पाठकों के लिए छोड़ देता हूं, अच्छा लगता है उनके दिमाग से खेलना 🤣
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,301
304
Story ~ Locket
Writer ~ Moon Light

kahani - - Avadhesh jo ek texi driver tha , apni garibi aur lachari ko lekar is kadar majboor tha ki makan ka kiraya tak har mahine chukta nahi kar pata tha.. upor ne chhoti bahan aur sabse badi pareshani ki baat wo ek badi bimari se grast tha, jiske ilaz ke liye bahot paiso jarurat thi... ishi bich uski mulaakat huyi ek rahasyamay ladki se, jisne uski dukhbhari kahani sun ushe ek offer deti hai jiske mutabik Avadhesh ki lailaz bimari ko thik kar degi wo aur degi dhero paise bhi... lekin iske badle wohi karna hoga ushe jo wo bolegi... wo maan to gaya lekin jaise hi ushe pata chala ki kaam kya karna hai to wo turant us ladki ghar se bhag khada hua... lekin ye garibi aur majboori... ushe lachar kar diya wo kaam karne jo wo katayi karna nahi chahta tha.. upor se bahan ko lekar chinta... usne na chahte huye bhi wo kaam karne laga.. aur kaam tha lasho ko thikane lagane ki... aur wo lashe unki jinhe bahot behrahmi se us ladki yani ki roushni ne bali chadhayi thi... shayad kisi tantrik shadhna hetu... ishi bich Avadhesh sang rati kriya bhi ki usne ye kehke ki ushki bimari ka ilaz bhi yahi hai..aur chonkne wali baat yeh ki wo thik bhi ho gaya.. . Khair kuch waqt bita ab Avadhesh ko yeh sab thik nahi lagne laga uske liye, ye gunah aur nahi karna chahta tha... wo to roushni ne ushe akhiri baar uske dwara bali chadhayi gayi kisi insaan ki lash ko thikane lagane ko kaha... wo thikane lagane gaya ushi jagah jahan sabhi lasho ko thikane lagata tha.... lekin yahi pe ek bhayanak aur khaufnaak dil dehla dene wala mod tha... wo lash kishi aur nahi balki uski gudiya yaani ki uski chhoti bahan ki lash thi ..... uska to jaise ushi samay sab kuch ujar gaya ye pata lagte hi... jaise uske liye sab kuch khatam...
aate hai sameeksha par - - - kaise kiski majburi aur bebasi aur ushi majboori aur bebachi ka faida uthati hai ek ladki aur kaise is chalte ant mein ek begunah ne apni maut iski kimat chukayi ... ishi par adharit hai yeh kahani...
ab yahan pe kuch pehlu, kuch mudde aur kuch mod aur kuch baatein aise bhi hai agar in par gaur karta Avadhesh to shayad aaj shayad uski bahan jinda hoti.... lekhika ne bhi in baaton ko ek raaz ki tarah hi shadbo ke aar mein rakhne ki sochi... jaise raushni unhi logo ka ya phir unke sage sambandhiyo ka shikar karti jo majboor aur lachar hote the... aur sabse aham baat bali chadhne ya shikar banne wale logo pata hi nahi hota tha ki kab us raushni ki bune huye jaal mein jaa fanshe.... gaur talab baat yeh bhi ki raushni swarth ke khatir us waqt unlogo ke liye madad ko hath aage badhati jab unlogo ke liye paristhitiya ek taraf kuwa aur ek khai jaisi hoti... jaise Avadhesh ke sath ki usne... actually usne uski jaan bachane ki Kimat uski bahan ki jaan leke ki, na ki lashe thikane lagane ke badle mein....yahin pe gaur karne wali ek aur aham baat yeh hai ki shayad raushni ne isliye madad ki kyunki shayad ushe shayad ek bachhi jarurat thi tantrik shadhna mein bali chadhane ke hetu.. ab jis paristhiti mein ye dono bhai bahan the isse aachha shikar aur kaha milti ushe...
Khair......
pasandida kirdaar aur kyun?

Avadhesh ki gudiya..... zyada bhumika to na thi lekin lekhika ne jis tarah se uski masoomiyat aur shaadgi ko dikhane ko koshish ki hai wo dil ko chu jaaye..

kya kahani aur kirdaar aapko vastavik lage?

... waise kayi martaba news ya akhbaro aise khabar aate hai ki andhvishvas ke chalte koi bhent chadh gaya...
to us hisab se thodi bahot vastavik to lage.... lekin meri nazar mein baaki aisi baatein aur andhvishvas bas mann ka baham hai aur kuch nahi....
to mere liye ye kahani bhi matra ek kalpanik kahani bhar hai... haan agar kahani ki rukh is tarah ki hoti ki wo raushni aur wo doctor milke insaani body parts ko bechte the... aur iske liye garib aur lachar logo ko apne jaal mein fanshate the.. jaise maybe unhe kisi kam umar ki ladki chahiye ho isliye Avadhesh ko jaal mein fanshaya ho... ab wo baad mein police ke paas bhi kis muh se report karne jaaye, kyunki jo paap un logo ne kiya, sath mein wo bhi bhagidaar tha us paap mein....
agar aisi story line hoti to vastavik lage kahani aur kirdaar bhi..

kahani padhke koi anuman ya koi sandesh chupi hai kahani mein..?

Bas Itni si baat ya phir sandesh chupi hai shayad... ki raushni jaise kayi log hote hai samaj mein.. baat sirf jadu fuk tanrtik ki hi nahi hai... baat yeh hai ki apne matlab ke liye kayi nich mansikta ke log kiski bhi bali chadha de kisiko bhi fansha de ya lut lete hai ya shoshan kar lete hai.. khas kar garib, lachar aur majboor log ko.. isliye paristhitiya jaise bhi ho par aise logo se dur hi rahe to behtar hai.. khud ke liye bhi aur apno ke liye bhi... shayad lekhika yehi darshane ki koshish ki hai...

kahani ka sabse pasandida bhag aur kyun?

jo chupi huyi baatein hai kahani mein wohi pasandida hai....

Kuch vishesh prakar ke drishya likhe gaye the... udaharan ke liye koi rahasyamay, dukhad ya tanavpurn drishya?

kahani hi rahasyamay hai.. isme koi do ray nahi hai . kyunki kahani hi rahasyamay ghatanao se bhari pari hai har ek pehlu ke sath..... aur rahi baat sabse dukhad aur tanavpurn drishya ki to sabse dukhad aur tanavpurn drishya ek to tab jab gudiya bol rahi thi malkin khana nahi de rahi hai....dil mein ek huq si uthe ye padh ke is pankti mein chupe us dard ko mehsoos kar , ek bhai ki majboori aur lachari ko mehsoos kar... us masoom ki bhukh ko mehsoos kar..
aur dusri tab jab ye baat samne aayi ki Avadhesh ki majboori aur us majboori ko faida uthane wali raushni ke chalte us masoom ki bali chadh gayi ... gudiya ab is duniya mein na rahi..

Kahani mein koi hasane ya rulane wale drishya?

well rulane wala drishya to kayi hai khas kar ant mein jab pata chale ki gudiya nahi rahi ab....
lekin is kahani hanshi aaye ek aisi situation bhi create huyi thi.... jab ek kabhi na thik hone wali bimari ko ilaaj kiya mahaz sex kar ke hi...

Kya kahani ne ant tak jure rahne ke liye majboor kiya...?

Ji shat pratishat.... naye readers se yahi request se yehin request hai ki ek baar jarur padhe kahani ko... kaafi dilchasp ke sath sath thrill aur suspense se bharpur hai aur sath sikh bhi de jaaye ye kahani...

kahani ko leke kuch mann ki baatein - - sach balu bura na maaniyo kahani ke end mein jo hua wo mujhe katayi pasand nahi..... asal mein end mein Avadhesh babla lene ke liye us kamini raushni paas pahunch ushe jaan se hi maar daalta...
ending aisa ki burayi ka ant ho aur achhai ki jeet ho... jaise Avadhesh badla lene jata uske paas aur us raushni ko jaan se maar deta... par har baar aisa nahi hota...
aur ye bhi ek sach hai ki agar yeh badla lene wali situation add karti lekhika tab shayad itni dilchasp ya arthpurn na hoti shayad yeh kahani...

ant mein kuch shabd lekhika ke liye - - kahani suruwat se leke ant tak suspense aur thrill banaye rakhne mein kayam rahi lekhika....Avadhesh Khud bure sangat mein fansh ke bura kaam karta raha lekin buri nazar se bachane ke apni bahan ko locket jarur pehna diya.. well.. buri nazar bacha to nahi paya lekin itna jarur yaad dila diya ushe ki chaahe haalat kuch bhi ho chaahe majboor aur lachari hi kyun na lekin bure kaam ka ant bura hi hota hai.... aur jo kimat chukani padti hai wo soch se bhi pare hai.. kahani ke jariye kahani ke naam sarthak kar di hai lekhika ne... . dusri aham baat jis tarike se ghatit ghatanao ko ek lay mein ant tak le gayi aur ant mein jo hairangi se bhare situation create karke jis tarike sabse badi suspense se parda hatya unhone wo sach mein apne apme bemisaal hai...

aise hi aage bhi likhte rahiye aur readers ka manoranjan karte rahiye

Brilliant story line with awesome writing skills :applause: :applause:
 
Itna to Swati ne bhi nahi likha,
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,301
304
Story ~ वह कोण थी
Writer ~ The_Punisher

Kahani - - kahani aise ladke jisne ek ladki se dilo jaan se chaha par kabhi dil ki baat juban pe na la paya.. wohi dusri taraf haalat aise the ki uski ladki ne majoori ke chalte kisi aur shaadi kar li... ladke ka dil tuta aur aise hi waqt aage badha.. karib chaar saal baad fir se us ladki mulaakat huyi... aur haalat aise bane ki dono ko haweli mein rukna pada wohi pe ladke ko pata chala ki ladki usse dil hi dil mein chahti thi... ab jazbaat kahe ya pyar ya phir mausom ka maar dono tan mann se ek ho gaye... lekin subhah kuch aur hi sandeaha leke aaya.... jo kaafi dardnaak aur khaufnaak tha shayad yani ki us ladki matlab pichli raat hi maut ho chuki hai

ab aate hai sameeksha par - - waise kahani dilchasp hi thi lekin kuch kami reh gayi kuch jagah...
emotions, tragedy aur romance ki kami..
aur rahi baat thrill aur suspense ki wo to tabhi khatam ho gayi jab pehle poster aur phir haweli ko ullekh kiya gaya kahani mein... in baaton pe zyada dhyan dena chahiye tha...
ant mein lage ki ya to hero ko bhram hua ki raat ko woh us ladki se mila tha phir haweli aake wo sab kiya ya phir lage ki shayad us ladki ki ruh apni adhuri khwahish puri Karne ke liye ladke paas laut aayi thi... Khair...
Baaki ek aham baat yeh ki samay rahte dil ki baat bol dena chahiye.... kya pata kal ko mauka bhi na mile... jise bolne ke intezaar kar rahe the wo bohat dur chale gaye ho.. itna dur ki wapas laut ke kabhi na aaye.. ye ek plus point hai is kahani ki dusri sabse dilchasp lagi writer ne kahani ka zyada nahi khincha.. ek chonka dene wala mod ke sath kahani ka ant kiya.. waise is akashmat huye situation ki jarurat bhi thi ant mein...
Khair....
shayad writer sahab ki yeh pehli kahani hai.. aur unhone apni kimti samay deke jis tarike se story ko pesh ki hai wo saraahaneeya hai....

aise hi likhte rahiye aur readers ka manoranjan karte rahiye..

Brilliant update with awesome writing skills The_Punisher saheb :applause: :applause:
 
Ankitarani

Param satyagyani...
2,959
12,558
144
DOCOMO I LOVE YOU by Ankitarani

Tukke me mil gayi thi aisi kahani, ya tapasya kiya kisi dubbed movie ko dekhne ke baad gahnton, jo finally ye nikal kar aayi...

Really it was fabulous... :applause: :applause:

A complete perfect story... But not short story haan... 7000 words ke short story nahi hote... What to say ... U have judiciously use your every word count and deserve a standing :clap2:..

Ek sampoorn kahani jisme aap sab kuch apne najron ke samne hote dekhte hain... Kahin kisi ke emotion aur feeling se koi chhed chhad nahi... Koi jabardasti wala marmik drishya dikhane ki kosis nahi kiya gaya ki, yadi koi vaykti kisi jaanvar se nafrat karta hai to wah kurur aur atyachari hai... Kabhi yah dikhane ki kosis nahi ki gayi ki patni se kiya hua wada thik se nahi nibha pa raha hai to wah dhokebaaj hai...

This is one of the perfect point which always count... When u honest with your each and every charecter... When u think practically ... And the result would became like... "Docomo I love u"... We love u too docomo....

Hasya vyang ... Me likhi gayi yah kahani apne sabhi drishtikon se poorn hai... Fir wo Amul ke shoorwati jeevan se le'kar, aakhri daur me hriday pariwartan tak ho... ya fir ek kaam kaji aadmi ka apni mari hui patni se kiya gaya wada nibhana ho... Bavjood iske ki wah kutton se shuru se nafrat karte aaya tha.... Fir Us ankahe pyar ko bhi paribhashit kar dena, jiski chahton ke karan Amul ne na to dusri shaadi ki aur naa hi Docomo ko bahar nikala...

Aakhir me,..... chhota kintu santulit kirdar docomo ka vyavhar dikhana, jo kabhi badla hi nahi... Upar se wo murgi ke bacche bhi kafi pyare the. Bach gaya wo chuja, mohalle me sarif kutte the, warna kutton ke bhojan to ban hi jata...

Plot suerb .... Haan lekin kahani ka major part, Amul ka Docomo ban'na aur docomo ka insan ban'na... inspired hai movie se ... main ise nigative nahi manta, kyonki har kahani kahin na kahin se inspired hoti hai... Lekin aap ke ideas aur kahani likhne ki kala ne char chand kaga diye...

Comedy .. emotions, storyline, pratyaksh aur 1 apratayksh kirdaron ke bich panapti ek mithi si kahani, jiski jitni tarif ki jaye kam hai...

Jitna disappointed aapki dusri story ne kia tha ... Uske thik viprit iss kahani ne na sirf Dil jita balki ek alag hi chaap chhodi hai... contest me aapne to alag hi level set kar diya hai...

Best of luck for contest...
Thanks nain11ster ji...ap jaise bde writer (special kursi wale) itni tareef kte to story safal hi smjho...
Is kahani me bhi babut kuch missing h...bahut kucu delet krna pda...jaise likhi wese hi ye post ki hoti ...to baat hi kuch or hoti...
Usme amul ke kutta banne ke bad....uske 7din kaise kte...usme har din ki ghatna thi...or un 7dino me...ek janvr ke har drd...har emotions ko smjhaya hua tha...jo is kahani main part tha...ji ha...agr wo sb rhta to bahut hi achhi rahti...jb maine khud apni story ko as a reader pdha...to isme sbse bdi kmi yhi lgi ki..kutte ke imotions ko...jo story ka main character hai.,jyaada nhi dikhaya gya....yha jada focus amul pr diya gya...jbki shayad dono pr equal rahna tha...

Yah writer ne jaada comedy ko ahmiyt dene ki koshish ki...jbki shayad jada emotions pr focus krna tha....

Wo jo amul ne intirvew me kaha tha...ki workers pr dhyan do...
Uska bahut jada impect pdna tha story pr...jo ki mene wo kissa pura hi delet kr diya...words limit...
Actually mene hmesha long story hi likhi hai...
Short likhi hi nhi thi aaj tk...islie itni galtiya hui...

Easa kisi movie me hua...ye mujh nhi pta...
Baban sir ki...dosti the binding se mere mn me ye idea aaya tha...
Unhone janvro ke imotions ko apne njriye se btaya...thoda bahut us kaalu ke njriye se..
Bs mene socha ki agr insan hi ye sb feel kre...to kaisa ho..
Islie ye kutte ka amul bnna amul ka docomo bnna aadd kiya..
Ye kahte hue m bilkul nhi hichkichaungi ki mene baban sir ki kahani ko pdhkr hi ye vichar bnaya.....

Fir bhi apne har us pahlu ko smjha jo smjhana chahti thi...thanks for you review nain ji...
 
Last edited:
Top