kahani - - Avadhesh jo ek texi driver tha , apni garibi aur lachari ko lekar is kadar majboor tha ki makan ka kiraya tak har mahine chukta nahi kar pata tha.. upor ne chhoti bahan aur sabse badi pareshani ki baat wo ek badi bimari se grast tha, jiske ilaz ke liye bahot paiso jarurat thi... ishi bich uski mulaakat huyi ek rahasyamay ladki se, jisne uski dukhbhari kahani sun ushe ek offer deti hai jiske mutabik Avadhesh ki lailaz bimari ko thik kar degi wo aur degi dhero paise bhi... lekin iske badle wohi karna hoga ushe jo wo bolegi... wo maan to gaya lekin jaise hi ushe pata chala ki kaam kya karna hai to wo turant us ladki ghar se bhag khada hua... lekin ye garibi aur majboori... ushe lachar kar diya wo kaam karne jo wo katayi karna nahi chahta tha.. upor se bahan ko lekar chinta... usne na chahte huye bhi wo kaam karne laga.. aur kaam tha lasho ko thikane lagane ki... aur wo lashe unki jinhe bahot behrahmi se us ladki yani ki roushni ne bali chadhayi thi... shayad kisi tantrik shadhna hetu... ishi bich Avadhesh sang rati kriya bhi ki usne ye kehke ki ushki bimari ka ilaz bhi yahi hai..aur chonkne wali baat yeh ki wo thik bhi ho gaya.. . Khair kuch waqt bita ab Avadhesh ko yeh sab thik nahi lagne laga uske liye, ye gunah aur nahi karna chahta tha... wo to roushni ne ushe akhiri baar uske dwara bali chadhayi gayi kisi insaan ki lash ko thikane lagane ko kaha... wo thikane lagane gaya ushi jagah jahan sabhi lasho ko thikane lagata tha.... lekin yahi pe ek bhayanak aur khaufnaak dil dehla dene wala mod tha... wo lash kishi aur nahi balki uski gudiya yaani ki uski chhoti bahan ki lash thi ..... uska to jaise ushi samay sab kuch ujar gaya ye pata lagte hi... jaise uske liye sab kuch khatam...
aate hai sameeksha par - - - kaise kiski majburi aur bebasi aur ushi majboori aur bebachi ka faida uthati hai ek ladki aur kaise is chalte ant mein ek begunah ne apni maut iski kimat chukayi ... ishi par adharit hai yeh kahani...
ab yahan pe kuch pehlu, kuch mudde aur kuch mod aur kuch baatein aise bhi hai agar in par gaur karta Avadhesh to shayad aaj shayad uski bahan jinda hoti.... lekhika ne bhi in baaton ko ek raaz ki tarah hi shadbo ke aar mein rakhne ki sochi... jaise raushni unhi logo ka ya phir unke sage sambandhiyo ka shikar karti jo majboor aur lachar hote the... aur sabse aham baat bali chadhne ya shikar banne wale logo pata hi nahi hota tha ki kab us raushni ki bune huye jaal mein jaa fanshe.... gaur talab baat yeh bhi ki raushni swarth ke khatir us waqt unlogo ke liye madad ko hath aage badhati jab unlogo ke liye paristhitiya ek taraf kuwa aur ek khai jaisi hoti... jaise Avadhesh ke sath ki usne... actually usne uski jaan bachane ki Kimat uski bahan ki jaan leke ki, na ki lashe thikane lagane ke badle mein....yahin pe gaur karne wali ek aur aham baat yeh hai ki shayad raushni ne isliye madad ki kyunki shayad ushe shayad ek bachhi jarurat thi tantrik shadhna mein bali chadhane ke hetu.. ab jis paristhiti mein ye dono bhai bahan the isse aachha shikar aur kaha milti ushe...
Khair......
pasandida kirdaar aur kyun?
Avadhesh ki gudiya..... zyada bhumika to na thi lekin lekhika ne jis tarah se uski masoomiyat aur shaadgi ko dikhane ko koshish ki hai wo dil ko chu jaaye..
kya kahani aur kirdaar aapko vastavik lage?
... waise kayi martaba news ya akhbaro aise khabar aate hai ki andhvishvas ke chalte koi bhent chadh gaya...
to us hisab se thodi bahot vastavik to lage.... lekin meri nazar mein baaki aisi baatein aur andhvishvas bas mann ka baham hai aur kuch nahi....
to mere liye ye kahani bhi matra ek kalpanik kahani bhar hai... haan agar kahani ki rukh is tarah ki hoti ki wo raushni aur wo doctor milke insaani body parts ko bechte the... aur iske liye garib aur lachar logo ko apne jaal mein fanshate the.. jaise maybe unhe kisi kam umar ki ladki chahiye ho isliye Avadhesh ko jaal mein fanshaya ho... ab wo baad mein police ke paas bhi kis muh se report karne jaaye, kyunki jo paap un logo ne kiya, sath mein wo bhi bhagidaar tha us paap mein....
agar aisi story line hoti to vastavik lage kahani aur kirdaar bhi..
kahani padhke koi anuman ya koi sandesh chupi hai kahani mein..?
Bas Itni si baat ya phir sandesh chupi hai shayad... ki raushni jaise kayi log hote hai samaj mein.. baat sirf jadu fuk tanrtik ki hi nahi hai... baat yeh hai ki apne matlab ke liye kayi nich mansikta ke log kiski bhi bali chadha de kisiko bhi fansha de ya lut lete hai ya shoshan kar lete hai.. khas kar garib, lachar aur majboor log ko.. isliye paristhitiya jaise bhi ho par aise logo se dur hi rahe to behtar hai.. khud ke liye bhi aur apno ke liye bhi... shayad lekhika yehi darshane ki koshish ki hai...
kahani ka sabse pasandida bhag aur kyun?
jo chupi huyi baatein hai kahani mein wohi pasandida hai....
Kuch vishesh prakar ke drishya likhe gaye the... udaharan ke liye koi rahasyamay, dukhad ya tanavpurn drishya?
kahani hi rahasyamay hai.. isme koi do ray nahi hai . kyunki kahani hi rahasyamay ghatanao se bhari pari hai har ek pehlu ke sath..... aur rahi baat sabse dukhad aur tanavpurn drishya ki to sabse dukhad aur tanavpurn drishya ek to tab jab gudiya bol rahi thi malkin khana nahi de rahi hai....dil mein ek huq si uthe ye padh ke is pankti mein chupe us dard ko mehsoos kar , ek bhai ki majboori aur lachari ko mehsoos kar... us masoom ki bhukh ko mehsoos kar..
aur dusri tab jab ye baat samne aayi ki Avadhesh ki majboori aur us majboori ko faida uthane wali raushni ke chalte us masoom ki bali chadh gayi ... gudiya ab is duniya mein na rahi..
Kahani mein koi hasane ya rulane wale drishya?
well rulane wala drishya to kayi hai khas kar ant mein jab pata chale ki gudiya nahi rahi ab....
lekin is kahani hanshi aaye ek aisi situation bhi create huyi thi.... jab ek kabhi na thik hone wali bimari ko ilaaj kiya mahaz sex kar ke hi...
Kya kahani ne ant tak jure rahne ke liye majboor kiya...?
Ji shat pratishat.... naye readers se yahi request se yehin request hai ki ek baar jarur padhe kahani ko... kaafi dilchasp ke sath sath thrill aur suspense se bharpur hai aur sath sikh bhi de jaaye ye kahani...
kahani ko leke kuch mann ki baatein - - sach balu bura na maaniyo kahani ke end mein jo hua wo mujhe katayi pasand nahi..... asal mein end mein Avadhesh babla lene ke liye us kamini raushni paas pahunch ushe jaan se hi maar daalta...
ending aisa ki burayi ka ant ho aur achhai ki jeet ho... jaise Avadhesh badla lene jata uske paas aur us raushni ko jaan se maar deta... par har baar aisa nahi hota...
aur ye bhi ek sach hai ki agar yeh badla lene wali situation add karti lekhika tab shayad itni dilchasp ya arthpurn na hoti shayad yeh kahani...
ant mein kuch shabd lekhika ke liye - - kahani suruwat se leke ant tak suspense aur thrill banaye rakhne mein kayam rahi lekhika....Avadhesh Khud bure sangat mein fansh ke bura kaam karta raha lekin buri nazar se bachane ke apni bahan ko locket jarur pehna diya.. well.. buri nazar bacha to nahi paya lekin itna jarur yaad dila diya ushe ki chaahe haalat kuch bhi ho chaahe majboor aur lachari hi kyun na lekin bure kaam ka ant bura hi hota hai.... aur jo kimat chukani padti hai wo soch se bhi pare hai.. kahani ke jariye kahani ke naam sarthak kar di hai lekhika ne... . dusri aham baat jis tarike se ghatit ghatanao ko ek lay mein ant tak le gayi aur ant mein jo hairangi se bhare situation create karke jis tarike sabse badi suspense se parda hatya unhone wo sach mein apne apme bemisaal hai...
aise hi aage bhi likhte rahiye aur readers ka manoranjan karte rahiye
Brilliant story line with awesome writing skills