Qaatil
Embrace The Magic Within
- 2,217
- 13,471
- 159
Yaar Naina ji, ye kya kar diya, jitna me Story ko meaning nahi de paya, us se zyada to aapke review ne use meaning de di.... Jese ek karigar ke haath lakdi ka badsurat tukda de do to bhi wo us lakdi ko tarash kar ek khubsurti deta he, wahi aapne kar diya, jo baate me khud na likh saka, wo sab aapne Review me likha diya, or sach kahu to is story likhne ke waqt me kafi depressed tha, jis se me apna 100% bilkul nahi de paya, mujhe to lagg raha tha ke mere paas kafi waqt tha, aram se use shape de kar post kar du, or fir laga ke shayad mene apna mazak udva liya he ise post kar ke... Lekin me readers se kahunga ke aap story bina padhe sidha Naina ji ka review padh le, aap ko ye review story se bhi zyada pasand ayega...
Kahani - - disha aur rishi in dono ki mulaakat huyi disha ke cushion ki shaadi mein.. waise dono ke pariwar ek dusre ko jaante the pehle se hi... rishi disha ki shadgi aur khubsurati dekh dil de baitha... lekin jab pata Chala ki disha kisi aur ki hone jaa rahi hai to ushe kidnapped kar uske sath jabardasti shaadi kar li ... wohi dusri taraf jab apne ghar gayi disha tab ushe malum hua ek bahot hi karvi baat.. ek sach... ki uska hone wala pati anuj ushe aur is shaadi ke rishte ko tukura diya hai.. ab wo bhi kya karti isliye baaki ki jindagi rishi sang bitane lagi... ishi bich kayi mod aaye khaskar jab rishi ko pata chala ki wo baap banne wala hai.. jiske chalte rishi ek dum se sudhar gaya.. apni biwi disha ka khayal rakhne laga... disha bhi apne pati ke is parivartan dekh wo bhi ushe chahne lagi dil se...Khair.. rishi beete waqt ko bhoolane aur apne bache ko insab se door rakhne ke liye disha sang dusre shahar mein rehne laga... waqt beeta do bachho aur disha sang khushi khushi jivan beetane wale rishi ke samne phir se uska beeta waqt aaya... aur jiski kimat jaan deke chukani padi ... uski maut ke baad disha ne uski yaadon aur uski nishani ke roop mein jo do bachhe the uske sahare baaki ki jindagi bitane lagi ...
aate hai sameeksha par - - panch arthpurn pehlu aur baatein .. ek... chaahe insaan kitna bhi bura kyun na ho, chaahe kitna bhi gira hua kyun na ho lekin pyaar mein itni takat hoti hai ki bure se bura insaan ko achhayi aur sachhai ki raah par chalne ko majboor kar de .... aur usse bhi badi takat, wo hai santan ke liye moh... log to jaan de dete santan ke liye yahan par to bas baat achhe banne ki thi...
Jaise disha ka pyaar aur hone wale bachhe ki wajah se rishi badal gaya sampurn roop se...
dusri.. wohi dusri taraf kayi log aise bhi hote hai jo sirf tamasha dekhte hai, jo madad ke liye aage nahi aate balki kiska dard dekh maje lete hai aur sath hi mazak bhi udate hai... jaise disha ke aas pados mein rehne wale log.... inko yeh matlab nahi ki jaake madad kar de disha ke mata pita ko... lekin haan is baat se jarur matlab hai ki kaise disha aur uski family ka mazak udaya jaaye aur badnami ki jaaye..
teesri... achhe waqt ke sath sath bure waqt mein bhi aapke sath khada rahe jo insaan kadam se kadam milake, sankat ke waqt aapki aurr madad ke liye hath badhaye .. wohi sach mein aapka apna hai... baaki log jaise matlabi aur swarthi hi hote hai... jinhe hum kabhi achhe waqt mein pehchaan nahi paate aur yahin karvi sachhai bhi hai... is kahani mein disha bhi is baat ko bhali bhanti samajh gayi jab anuj ne ushe thukda diya... mana ki kisi ne shaadi kar li usse, lekin wo jabardasti wali shaadi thi jisme disha ki marji na thi.. chaliye maan lu ki ushe accept nahi kar sakte lekin ek baari haal chaal puchne tak nahi aaya... isse yahi sabit hota hai ki jo pyar wo karta tha disha se wo mahaz ek dikhava ke atirikt aur kuch nahi...
chuathi... beeta atit kabhi na kabhi samne aa hi jaata hai aur sath hi karmo ki saza isi duniya mein bhugat ke jana hota hai..... Agar aapne achha kiya to achha phal mile aur bura to uska phal bhi bura hi hota hai.. jaise rishi ke sath ant mein hua... joh kiya sut samet lautna bhi para apni jaan deke... ichhaye adhuri reh gayi, sath kayi Khwaab aur khwahishe jo apni biwi aur apne bachho sang dekha aur buna tha usne.....
aur panchvi.. jindagi mein kabhi haar na maane, chaahe paristhitiya kaisi bhi ho.... jaise disha... rishi ke marne baad wo haar na maani na hi dusri shaadi ki... balki apne pati ke kuch mithi yaadon aur apne bachho sang puri jindagi beeta di...
ant mein ek aham baat,,, pyaar ishq aur mohabbat agar sachha ho to isse badi taakat aur koi nahi...
aur sabse badi baat jism mar jata lekin pyaar nahi, wo to amar hota hai, aur is baat ko rishi aur khas taur pe disha ne sabit kar di...
inhi muddo, baaton aur pehlu par adharit hai yeh kahani aur aise hi kuch achhe sikh bhi de gayi ye kahani..
pasandida kirdaar aur kyun?
disha.... kabhi haar maanne wali, chaahe waqt kitna bhi bura chal kyun na raha ho... parithitiyo mukabla karna jaanti thi... itna sab kuch ho jaane ke baad bhi kabhi nahi tuti aur tuti bhi to phir se uth khadi huyi hamesha..
story ka pasandida bhag aur kyun?
sab rishi apne kiye par pachta raha tha aur phir iske chalte burayi ka daman chhod, sachhai aur achhai ke raah pe chal para..
Kuch vishesh prakar ke drishya likhe gaye the... udaharan ke liye koi dukhad ya tanavpurn drishya?
kahani mein kayi pehlu aur mod hote hai aur drishya bhi.. un mein se kuch sukhad aur dukhad bhi hote hai... is kahani mein sabse dukhad aur tanavpurn drishya jab rishi ne disha ke sath jabardasti shaadi kar uska rape kar diya...
Kya kahani ne ant tak jure rahne ke liye majboor kiya...?
shat pratishat.... naye readers se yahi request se yehin request hai ki ek baar jarur padhe kahani ko... pyaar mein kitni taakat hai uska ehsaas dila de aur sath hi sath kuch achhe sikh bhi de jaaye...
ek sawaal - - baaki sabhi baatein, pehlu aur mod all perfect.. bas ek sawaal hai writer sahab ke liye.. yeh manav to rishi ka chota bhai hai na.. to uski biwi kahe rishi ko devar ji kehke sambodhit kar rahi thi.. rishi to jheth ji huye na...??
ant mein kuch shabd writer sahab ke liye - - Writer sahab ne jis udasya se yahi kahani likhke humare samaks pesh kiye the usme wo kamyab rahe... aur jo apna kimti samay deke itni meaningful kahani prastut ki hai hum readers ke liye wo sach mein kabile tarif hai..
Aise hi aage bhi likhte rahiye aur readers ka manoranjan karte rahiye...
Brilliant story line with awesome writing skills Qaatil sahab
Hanji me isme thoda confused ho gaya tha again galati ke liye haath jodkar maafi mangta hu...ek sawaal - - baaki sabhi baatein, pehlu aur mod all perfect.. bas ek sawaal hai writer sahab ke liye.. yeh manav to rishi ka chota bhai hai na.. to uski biwi kahe rishi ko devar ji kehke sambodhit kar rahi thi.. rishi to jheth ji huye na...??
Again itna behtarin Review dene ke liye or is Heero ki khan (USC) me meri patthar si namulya kahani ko dhunkar tarashne ke liye shukriya