THE REVENGE (BADLA) manikmittalme07
Haalaton se jhoojhti single mother ki single beti ki kahani, jisne apni jindgi me lagatar utar ke baad, chadav hi chadhav dekha tha.... Apne chhoti si jindgi me usne bahri duniya, logon ke bhukhi najar aur har wo yatnayen dekhi jo jhel sakti thi...
24 varshiya bala Sheena ki kahani ko wakai aapne lajawab dikhaya hai... Isme koi 2 rai nahi... Kahani ko khubsoorti ke sath aapne likha bhi hai lekin main baat shuru karna chahunga ek myth se...
Agar koi intteligent hai... To duniya ki koi takat usse job lene se nahi rok sakti... MBA kiye huye aise kayi bandon ki kahani main abhi bata sakta hun jisne CEO ke post tak ko nahi join kiya... Apna khud ka kaam shuru kiya wo bhi 10k se...
To kayi aise MBA walon ke bhi udharahan hai jo MBA ke baad FMCG me sabun bechte najar aaye.... Fark sirf ek hi tha talent...
Maine bahut baar dekha hai... Kisi ko naukri na milne ki wajah sifarish bata di jati hai... Kab tak bollywood ke iss myth me jite rahenge... Ek sinple si baat hai iss duniya me.... Koi 1 rupya salary deta hai to wo sifarish par chehra dekhne ke liye nahi balki 1 rupya isliye deta hai taki wo employee company ko 10 rupya kama kar de...
Baharhaal... Badla ka concept mujhe pasand aaya... Ek concreat aur team effort tha... Lekin kya wakai iss plan se kisi ko barbaad kiya ja sakta hai... Jab iss par vichar karte hain to kuch sandesh sa paida hota hai.... Contract paper me orignal bond aur company estd ke paper sanlagn hote hain... HR ke sath sath har company ki ek legal bench hoti hai... Dono parties ke IT return aur kayi sare dastavej lagte hain ... Deal ke baad poora paerwork hota hai...
Revenge ka tarika achha tha aur aise logon ko sabak sikhana bhi chahiye kintu iss plan se kuchh nahi hona hai..... Sir jahan paise aur karar ki baat aati hai na... Chhota sa chhota vayapari bhi satark ho jata hai...
Badla lene ki soch sahi thi par jis ground par seena ne badla liya teesre din sabhi jail me hote.... Iss se achha to kannonan badla le lete on legal back ground .... Ladki MBA ki thi to pratidaprdha se badla leti...
Maa ko majboor kiya tha ghar chhodne ke liye... Usse apne maa ke kadmon me le aati.... Ek galti ko counter karne ke liye kya dusri galti jaroori hai... Kya shenu ko chor banana jaroori tha... Jo ladki intelligent aur talented thi... Uska badla aisa nahi hona chahiye the...
Fir bhi kahani kafi rochak thi ... Team work ka aapne achha udharan pesh kiya... Pahle zindgi me 2 log hi khas the Sneha ke ... Kusum aur vivek... Planning ke waqt 1 best friend ruchi ko uski jindgi me lane ka shukriya....
Best of luck for your contest.... Ek dhamakedar paun me girane wali kahani par jaroor vichar karen ye meri fav kahani hoti hai