nice update ..murari kaka ke yaha jitna bhi kaam kiya vaibhav ne wo sahi tha ,aur waha ke logo ne taarif ki vaibhav ki ye unka badappan hai ..
aksar koi shadi ya kisi ke maut ki ho to waha pe rishtedar ya gaon ke ladke sab sambhal lete hai ..
dada thakur ne kaha ki vaibhav ko mani shankar ne ghar pe bulaya hai aur uska samman karne wale hai .
vaibhav ke sawal bhi sahi the aur dada thakur ka jawab bhi ,,waha jakar hi pata chalega ki kyu sahukar apne rishte sahi karna chahte hai thakuro se yaa unki koi chaal bhi hai isme ..
sabse pyar se baat karke hi pata lagana hoga ki kaun kya soch raha hai ..