KEKIUS MAXIMUS
Supreme
- 15,610
- 32,144
- 259
majedar update ..ek behetareen game khela armaan neUpdate-88
"thoda sa Calcium carbonate lana to..."hostel ke ek ladke ki taraf maine ishara kiya jiske jawab me wo apna sar khujane laga....
"abey chuna la thoda sa ullu "
.
Ek to main waise bhi itne din baad khel raha tha upar se aas-pass jama ho chuki bhayankar bheed ne bhi pressure daal diya tha aur upar se mera dushman Gautam mujhpar comment kiye ja raha tha aur har baar uske comment ke baad uski taraf ke players aur unke die hard fans mujh par haste hue nazar aate....
"tera har shot brick hoga...jiska basket hone ka door-door tak koyi chance nahi hota..."Gautam bola..
"tujhe bhavishyavani hui kya ki mera har shot brick hoga,ek baar set ho jane de phhir to main DDG laga kar maar lunga tum sabki..."
"wo to waqt hee batayega..."
.
Referee bane mining branch ke ek Sir ne game dobara shuru karne ka ishara kiya...
"you are right,wo to waqt hee batayega..."
.
Main chahe Gautam se kitni bhi ladayi kar loon ya phhir main use kitni bhi galiya doon par main ek chiz kabhi nahi badal sakta ki wo basketball ka ek manjha hua khiladi hai...use basketball ke har taraf khelna aata hai...matlab ki wo basketball pass karne ke sath-sath khud ring me basketball ghusa sakta hai...uske andar us din maine rebounder aur defender skill bhi dekhi...itni quality basketball ke ground me ek hee player ke pass hona bahut badi baat hoti hai...Gautam apna game bahut chalaki se khelta tha,dribble karte waqt wo samne wali team ko buri tarah se chauka deta tha..us din kuchh pal ke liye mujhe aisa bhi lagne laga ,jaise ki main Gautam ke samne nausikhiya hoon...usne kayi baar mere hath se basketball apne hath me le li thi...wo bhi badi aasani se
.
"what a shot ! "jab Gautam ne court ke beech-o-beech se bole to half court se basketball ko ring me daal diya to mujhe ye kahna hee pada...
kisi khel me aap ek chiz nahi badal sakte aur wo ye ki ek shandar khiladi ka samman karna...us match ke dauran main Gautam ke playing skills se khasa prabhavit hua tha aur us 1 point bonus lene wale shot ko dekhkar mere muh se uske liye tarif ke shabd apne aap hee nikal gaye...
.
lekin ab bari meri thi ,ab tak main do baar foul ho chuka tha aur sath me beete din bhi yaad aa rahe the...Gautam ke pass bhale hee kuchh achchhi techniques thi lekin DDG formula to mere hee pass tha...
.
"main is college ka best player hoon aur abhi to aadha ghanta baki hai,tu dekhte ja main tera kya haal karta...thodi hee der me tujhse 5 foul karwa kar match khatm hone pahle hee tujhe match se bahar karwa dunga..."Gautam apne daant chabate hue bola...
"insan ko kabhi apni aukat nahi bhoolni chahiye ,tu aaj tak district level se aage nahi gaya hoga aur main yaha SGFI khel kar baitha hoon,mere khayal se tujhe to SGFI ka full form tak nahi pata hoga ,chal main hee bata deta hoon SGFI ka matlab hota hai...School Games Federation of India....aur ek baat tu match me khud achchha khelega ,it is possible...lekin tu mujhe achchha khelne se rok lega it is not possible..."
.
Main janta tha ki Gautam ek solid player hai lekin uski baat ka jawab dena hee tha...basketball court ke andar na sahi baato me hee thok do,maine aage kaha......
"tujh jaise ko to main bench player ke roop me bhi select nahi karta..."
"taiyar ho ja ab tu..."gusse se tilmilate hue usne kaha aur apne sathi players ke pass jakar discussion karne laga...
idhar humare match me break hua tha to wahi college ki bhi chhutti ho chuki thi aur lagbhag sabhi students basketball ground me aakar apni-apni pasandeeda team ko support kar rahe the...aur usi dauran ground se thodi door me mujhe Arun aur Naveen aate hue dikhe...
"kya score hai be Arman..."
"26-46"
"kya hum log twenty points se lead kar rahe hai
"
"aaja ab tu bhi bacha kucha bheja kha le...lawde unke 46 points hai aur humare 26 "
"lekin tu to khud ko national player bata raha tha..."
"college ke bekar atmosphere ki vajah se mujhe jung lag chuka hai..."
"to ja...hila ke aa ,ekdum relax hokar match khelne ka...aur jab apun kisi tension me rah le hota hai to yahich karta hai..."bolte hue Arun ne Naveen ka hath pakad liya"kidhar kat re le ho unkil..."
"ye jo city wale seniors hai na wo aksar mere kaam aate rahte hai isliye main unki taraf ja raha hoon..."
"matlab tu humari team ko support na karke Gautam ki team ko support karega..."
"umm...haan"
"main to bhool gaya tha ki tu unka chela hai..."Naveen ka hath chhodkar dhamki dete hue Arun bola"chal kat le idhar se aur yadi galti se bhi idhar dobara dikha to murder ho jayega..."
.
Match phhir se shuru hua....ek bahut purani theory hai ki Everything is fair in Love and war....war to Gautam se thi aur sath me Esha se love bhi tha,isiliye maine basketball court ke bahar Gautam ki bejjati ki thi,jisase wo game ke dauran sirf mujh tak hee simat kar rah jaye ,matlab ki wo sirf mujhe dhyan me rakh kar khele....
.
ye samne wali team ko harane ka behtareen formula hai SGFI tak ke mere safar me kayi baar maine is formula ko ekdum fit baithte dekha hai, simply yadi kahe to main Gautam ko is kadar bhadkana chahta tha ki wo meri puri team se nazar hata kar sirf mujhe rokne ki koshish kare...lekin iski koyi guarantee nahi thu ki aisa hee hoga....kya pata wo bhadak kar aur tezi ke sath khelkar humara khel hee bigad de...
ab sirf 20 minutes hee bache the,jab meri soch mujh par hee bhari pad gayi,Gautam ekdum gusse ke sath khelte hue 2 baar basket kar chuka tha....
"tum charo me se MVP player kaun hai..."maine apne sathi khiladiyo se puchha...
"MVP matlab..."
"MVP matlab Most Valuble Player... "
"i think main in charo me sabse achchha khelta hoon..."ek senior ne apna hath khada kiya,jiska name Amar tha...
"unki team se center par ek chutiya khada hai,aap waha jakar usko cover karna,Gautam ko main sambhal lunga..."
maine basketball hath me li aur dribble karte hue aage badha aur jaisa ki mujhe ummid thi,Gautam mera way block karne aaya aur maine turant ball center par khade Amar ko pass ki aur unhone turant ball jhapat kar backboard ki taraf feka aur ek shandaar bank shot !!!
is shot ne hume josh me la diya tha, kyunki mere is plan ke kamyab hone ka matlab tha ki main apne DDG formula ko aage use kar sakta tha....iske baad do aur bank shot Amar Sir ne mara...matlab ki ball backboards se takra kar ring ke andar chali gayi aur score 32-50 par jakar atak gaya....
"ab tum sab milkar ek kaam karna...tum log bas basketball mujhe pass kar dena...."lambi-lambi saans bharte hue maine kaha...
.
Main apni har soch me kamyab nahi ho sakta tha aur apne sathi khiladiyo par pura bharosa bhi nahi kar sakta tha aur bina pure bharose ki main DDG rule bhi apply nahi kar sakta tha...lekin mujhe ye match jeetana tha...humare is tarah se achanak form me lautane ke karan hostel walo me ummid ki kiran jagi aur wo kaleja phhad kar chillane lage...aur Arun apne sathi laundo ke sath milkar mera name chilla raha tha bole to...ground me is waqt Arman..naam gunj raha tha.....
college ki lagbhag sabhi maal city walo ki taraf thi aur abhi shuru hue hostel ke laundo ki hud-dangi se wo sab chup ho gayi thi aur gaal fulakar kabhi meri taraf dekhti to kabhi hostel ke laundo ki taraf.....
.
kyunki mujhe ye match jeetna tha isliye maine half-court se hee basket karne ka socha lekin main darr bhi raha tha kyunki half-court se basket karne ki meri practice chhut chuki thi aur isi uljhan me ek ne mere kahe anusar ball mujhe pass ki aur maine half-court se basket karne ka apna mood change kiya aur aage badhte hue ek jump-shot mara jisase ball direct ring ke aar-paar ho gayi....
.
game ab palat raha tha ,is beech Gautam ki team ne bhi basket kiya aur wo waqt aaya jab DDG rule mujhe lagana hee pada, Referee ne ishare se bataya ki ab sirf 5 minutes hee bache hai aur score us samay 40-52 tha....
"mujhe bonus point lena hee hoga,lekin itne din ke gap ke baad i am not sure ki main long distance se basketball ko ring ke aar-paar kar dunga,...khair koyi rasta bhi to nahi hai, now time to use DDG application..."
.
Court ke weak side me jidhar basketball nahi jati udhar maine Amar Sir ko lagaya jaise kuch der pahle unhe center par lagaya tha aur apne team ke shooter ko hidayat di thi ki uska kaam furti se samne wali team ke backboard ke pass pahuchna hai,kyunki yadi Amar Sir se basket karne me koyi chook ho jati hai to shooter basketball jhapat kar ring me daal de...
.
mere hath me grip banne lagi thi aur jiska nateeja ye hua ki Gautam aur uski puri team mere samne nausikhiya lagne lagi thi...maine ball weak side me khade senior ko pass ki kyunki DDG formula ka first step lagu ho chuka tha...maine jaise hee weak side me khade Amar Sir ko ball pass ki unhone direct basket karke 2 points hume dila diye....
.
Is baar 2 points milne ke baad to hostel ke kuchh launde khushi se nachne lage aur kuchh ladkiyo ko chidhane lagi...to kuch ek do ladki ko gali bhi dene lage Gautam ka gusse se bura haal tha kyunki uski dribbling ko main badi aasani se tod deta tha...isi beech maine Esha ko dekhkar aankh bhi mari
gusse se tamtamaya hua Gautam basketball ko lekar humari side badha lekin is baar bhi maine uske hath se ball ko lekar basketball court ke weak side me khade Amar Sir ko ball pass aur unhone ball ko ring ki taraf uchhala lekin ball backboard se takra kar neeche girne wali thi ki humare team ke shooter ne jise maine waha pahuchne ke liye kaha tha usne jump maarkar ek jump shot thok diya
Iske baad to hostel ke ladko ne tabahi macha di,ground ke pass rakkhi hui chairs ko zameen me audha lita diya ,kuchh ne apni khushi vyakt karne ke liye ground ke bass lage paudho ko tod dala....sale jaanwar kahi ke
.
DDG ka first step kamyab raha tha aur sath me Gautam ki team bhi samajh gayi thi ki hum kya kar rahe hai aur yadi mere hisab se dekha jaye to main yahi chahta tha ki wo humara khel jaan jaye...kyunki jab tak first step fail nahi hota ,DDG formula ka second step use nahi kar sakte...
Gautam aur uski team ne socha ki main ek baar phhir se basketball Amar Sir ko pass karunga lekin wo galat the...main to Gautam ko bas apne raste se hatana chahta tha aur jab Gautam weak side me khade Amar Sir ko cover kar raha tha to main dribbling karte hue ball ko seedhe ring me daal diya aur ek aur behtareen bank shot aur result 2 points humare khate me
.
Abki baar Gautam weak side se hatkar mere samne aa gaya tha aur Amar ko cover karne ke liye usne do mustando ko laga diya tha, time bahut kam tha aur unke points humse jyada the..isliye unki team ab defensive game khel rahi thi aur ab waqt DDG formula ka third step apply karne ka tha...Mere is DDG formula(D-dhada, D-dhad, G-goal )bole to dhada-dhad-goal niyam ke first two step kamyab hue the aur third step main ab use karne wale tha...
.
Gautam ke hath se basketball apne hath me lena ab mere liye koyi badi baat nahi thi aur abki baar maine jaise hee basketball Gautam ke hath se cheeni to weak side par khade unke dono player active ho gaye aur Gautam mere samne aa gaya...un pancho chutiyo ko ye nahi maloom tha ki Third step me bonus point liya jata hai yani ki ball mere hath me aane ke baad main ek kadam na to aage badhata aur na hee peechhe..bas jaha tha wahi se ring me ball ghusani thi...aur maine aisa kiya bhi, maine half court se ring ko nishana banaya aur ball basket kar di...aur isi basket ke sath hume 3 points mile ab score aakar 49-52 par pahuch chuka tha....
"now time to use fourth step of dhada-dhad-goal formula..."maine khud se kaha,lekin usi samay...thik usi samay referee ne game over kar diya bole to time khatm.......
.
aur isi ke sath main apna sar pakad kar wahi baith gaya, mujhe bas kuch aur seconds chahiye the...lekin time khatm ho chuka tha....is waqt dono teams ke supporters shant the...Gautam ki team bhale hee jeet gayi ho lekin unki halat aisi nahi thi ki wo jeet ka jashn mana sake aur hum jeeta-jitaya match haar gaye...us waqt mujhe bahut bura laga ,kyunki ye mere sath lagatar dusari baar hua tha ,mera DDG formula lagatar time ki kami ki vajah se fail hua tha , yani ki SGFI me bhi hum aise hee hare the aur aaj ka match harne ke baad main thik usi tarah sar pakad kar ground me baitha tha jaise ki SGFI me match harne ke baad baitha tha....
.
thodi der tak main aise hee baitha raha, Gautam ke team ke players waha se ja chuke the lekin mere team ke players mujhe gher kar baithe the...ek buri yaad ka taza hona seedhe left side me asar karta hai....lekin jab aapke pass Arun jaisa khas dost ho to waqt ko badalne me der nahi lagti....
"sher log roya nahi karte..."
"main ro nahi raha...bas kuchh buri yaad taza ho gayi..."
"aaja mutth maar ke aate hai..."
Jawab me maine Arun ko gusse se ghura to usne mujhe cigarette ki do packets free me dene ka ishara kiya...
"sath me ek botal daru bhi chahiye "khada hote hue maine kaha...
"daru to meri taraf se..."Amar Sir beech me bole"wo bhi bharpet..."
_____________________


par last me time ke kami ke chalte 1 point se haar gaye hostel wale
