DARK WOLFKING
Supreme
- 15,579
- 32,039
- 259
nice update ..vibha bhi college chhodkar chali gayi aur armaan usko last time milne bhi nahi gaya .Update-180
Quote:
"tu Kahi Esha ko to phone nahi kar raha,....wo dekh uske mobile ka screen har thodi der baad lapp-lupp, lapp-lupp ho raha hai...."
.
" kya bola be..."
"samne dekh to...."
"ek second...."maine call disconnect karke phhir se us unknown number par ghanti mari aur Esha ke screen ki light mere mobile se jate hue ring ke sath ,lapp-lupp hona shuru ho gayi....iske baad maine back to back 2-3 call kiye aur jo natiza mere samne aaya use dekhkar main chakkar bhi kha gaya aur bahut khush bhi hua...
main chakkar kyun kha gaya, ye to sabhi jante hai aur main bahut khush kyun hua, mere khayal se ye bhi batane ki jaroorat nahi hai ,lekin jaisa ki ladkiyo par mera bharosha naam-matra ka bhi nahi tha ,isliye mere shaq ki ungali sabse pahle Divya ke taraf gayi.....
"jaroor ye us baboochad R.Divya ki karamat hogi...warna meri Eshu janeman aisa kaise karegi... ,Divya...sali ,dayan...lekin yadi ye kaam Divya ka na hua to....phhir ? "
"beta ,jaroor kuchh lafda hone wala hai...main to shuru se hee kahta tha ki ye ladki kuchh thik nahi...pahle to tune meri baat nahi mani, ab bhugat..."
"tu ye bol to aise raha hai ,jaise tu bada samajhta hai ladkiyo ko...tabhi Divya ne gand dikha di..."
"are ho jata hai kabhi-kabhi...it's okay baby....aur waise bhi maine kam se kam Divya ka doodh to dabaya tune kya dabaya...."
"maine....maine...."sochte hue maine kaha"main aisa -waisa ladka nahi hoon..."
"mera lund hai tu...ab bhi maan ja, warna tu ek din aisa thukega, aisa thukega ki phhir dobara kabhi thukne ke layak nahi rahega...."
"janeman yahi to tum jaise chhote aadmi aur mujh jaise bade aadmi me fark hai ki tum khatro se ghabrate ho aur main khatro se khelta hoon..."
"tum dono ab shant ho jao,warna yahi par juta marunga...lawde ke balo...jab dekho laundiyo ki tarah ek-dusare se bhidte rahte ho..."mujhe aur Arun ko ek-ek ghusa jamakar Saurabh ne shant karaya....
.
Jabse mujhe pata chala tha ki savere-savere mere mobile par call Esha ke hath me pakde mobile se aaya tha tabhi se main us call ke aane ki vajah ko lekar apni theory bana raha tha...jisme ek theory ye bhi shamil thi ki 'Esha ko mujhse pyar ho gaya hai.... '
Waise to mere bahut sare anuman the lekin sahi kaun sa anuman tha iska jawab sirf Esha de sakti thi...lekin auditorium me sabke samne usase is baare me baat karna mujhe kuchh jancha nahi isliye main waha se apne dosto ke sath bahar aaya aur waise bhi ab to anchoring ki practice me sath hee rahna hai ,isliye main jaldbazi kyun karu......
.
humare recess yani lunch ka pura time Principal sir aur Chhatrapal ji kha gaye the aur idhar hum log bina kuchh khaye-piye wapas class me pahuche....humare class me kuchh log aise the jo apne ghar se tiffin late the ,jinme ladke-ladkiya dono shamil the....ab canteen jane ka time nahi tha aur next class badi important bhi thi ,isliye maine unhi kuchh logo par hamla karne ka socha,jo rojana apne sath apna lunch box late the...lekin yaha bhi ek dikkat thi ,wo ye ki laundo ki tiffin humare class me aate tak saaf ho chuki thi ,isliye maine ladkiyo par apna jaal feka...
ladkiya sach me badi bholi hoti hai,unse maine do-char achchhi baate kya kar li, unhone mujhe apna tiffin de diya, ye sochkar ki Arman se unki dosti ho gayi hai .lekin unhe ye pata nahi ki kal se main phhir unhe batti dene lagunga.....
.
har hafte humari spoken english jaise hee ek, do ghante ki class laga karti thi, jiska title tha'Value Education...' last week VE ke class ke time main ghar me baitha rotiya tod raha tha isliye aaj ki VE ki class meri first class thi...
VE ke teacher Chhatrapal Ji the aur laundo ne bataya tha ki VE ki class wo ekdum friendly mood me lete hai....bole to Chhatrapal Singh humare liye ek teacher cum friend the.
.
"yar mujhe aisa kyun lag raha hai ki Chhatrapal Gurudev ne hume kuchh homework diya tha..."apna sar par jor dalte hue Arun bola...
"home work nahi hostel work bol..."
"haan...wahi samajh...."ek baar phhir apne dimag par jor dalte hue Arun ne kaha"mere khayal se koyi 2-3 topic diya tha unhone aur kaha tha ki next class me presentation dena hai..."
"tab to aaj mast bejjati hogi...maine to book khol kar bhi nahi dekha...."Saurabh thoda ghabrate hue bola aur gate ki taraf apni najar daudayi ki Chhatrapal sir aaye ya nahi....
"dar mat...koyi aisa ghisa-pita topic hee milega...kuchh bhi bak dena..."apni baanhe uthate hue main taav me kaha aur isi ke sath Chhatrapal ji ne class me entry mari....
.
"maine kal kuchh topic diya tha...sorry mera matlab last class me maine kuchh topic diya tha , jispar sabko ek-ek karke yaha samne aakar presentation dena hai aur jo-jo first ,second, third aayega...use meri taraf se special prize milega....to shuru karte hai...."puri class ki taraf ek baar dekhkar unhone apni ungali Sulabh par atkayi aur bole"Sulabh aa jao aur iske baad Saurabh tum taiyar rahna..."
.
Sulabh ne ekdum bhadakte hue full english me presentation diya aur wapas lautate waqt ek sher bhi maar diya aur yaha sala mujhe yahi samajh nahi aaya ki topic kya tha
Sulabh ke presentation ke baad Saurabh samne gaya lekin bina kuchh bole...jaise gaya tha,waise hee wapas aa gaya aur yahi kuchh haal Arun ka bhi hua aur ab agli baari meri thi.....
"shuru ho jao...5 minute hai tumhare paas...."Chhatrapal ne meri taraf dekhkar mujhe apna presentation shuru karne ke liye kaha....
"kis topic par presentation dena hai sir..."
"kis topic par presentation de sakte ho..."unhone puchha...
"koyi sa bhi topic de do..."jabarjast confidence ke sath maine kaha...
" 'Ethics in business are just a passing fad ?'...is par shuru ho jao..."
.
"ye kaisa bhayankar topic hai jiska ek word bhi familiar nahi lagta...sale ne pura confidence hee down kar diya..."class me chal rahe fan ki taraf dekhte hue maine bahut socha, english ke words ko tod-marod kar kuchh samajhna chaha lekin mera dimag har baar out of syllabus chilla raha tha...
"sir koyi dusara topic nahi mil sakta kya..."raham bhari aankho se main Chhatrapal ki taraf dekha....
"koyi baat nahi...dusara topic choose kar lo..."
"dusara topic boliye..."
" 'Capitalism is very flawed system but the others are much worse ?'....is par shuru ho jao..."
.
Presentation ka dusara topic sunkar abki mera haal pahle se bhi badtar ho gaya kyunki Chhatrapal Singh dwara pura topic bolne se pahle hee mere 1400 gm ke dimag ne 'Out of syllabus' ki bell baja di aur maine turant na me apni gardan hilayi....
"kya hua ,teesara topic chahiye..."
"yes sir..."
"phhir ye lo teesara topic
'Should the public sector be privatized ' "
"sir, darasal baat ye hai ki main last week ki class me absent tha..."teesere topic ko sunkar maine turant kaha"next class me pakka "
"very good...aise karoge anchoring..."
"aapke topics hee kuchh jyada khatarnak the...mujhe laga ki koyi general sa topic milega...warna main prepared hokar aata..."
"tumhe kya laga ki main yaha facebook vs. Twitter...advantage and disadvantage of facebook....jaise behad hee bakwas topic pe discussion karwaunga...bade bhai, it's value eduction which is related to our economics....is subject ko dhyan se padh lo beta, zindagi sudhar jayegi...chalo jao "
.
Chhatrapal Ji ke shabdo ke teer se ghayal hua main apni jagah par pahucha aur udas hokar baith gaya, lekin jaise-jaise karyakram aage badhta gaya waha mere jaise 10-12 ladke aur nikal gaye...isliye class ke khatm hote tak Chhatrapal singh ke shabd roopi baado ke zakhm bhar gaye aur main khushi-khushi chhutti hone ke baad bahar nikla.....
.
"yar ye autonomous ka matlab to abhi tak pata nahi chala....."college se nikalte waqt Saurabh ne notice board me nazar marte hue kaha aur wahi rook kar Autonomous ka matlab dekhne laga...
" Autonomous ka matlab ab exam ke paper humare hee college me banenge, answer sheet bhi yahi check hogi humare baklund teacher ke hatho...ab chal..."Saurabh ka collar pakad kar maine use kheechte hue kaha"tu ek kaam kar Saurabh...Arun ko lekar chup chap hostel nikal...main teri bhabhi se baat karke aata hoon...."
"to jana , Arun se kyun dar raha hai..."
"abey wo ek number ka jhatu hai,yadi maine use ye baat batayi to bolega ki wo bhi mere sath jayega...isliye usko lekar tum jao, hum thodi der me aao...."
.
Saurabh ekdum gau tha aur aise mauko par wo mere bahut kaam aata tha...us din Saurabh,Arun ko bahla-fuslakar mere bina hostel le gaya...lekin mujhe maloom hai ki Arun ne kam se kam char baar to jaroor puchha hoga ki 'Arman kaha marwa raha hai'
Kya yaraana hai humara
.
Saurabh ko Arun ke sath bhejkar main seedhe parking me pahucha, jaha is waqt bahut bheed thi . Us bheed me mere class ke kayi launde the aur unhi me se maine ek ka mobile lekar Esha ke aane ka intezaar karne laga....
Esha parking place me akele aayi kyunki Divya ke driver ne use parking se bahar hee pick up kar liya tha aur yahi mere liye Esha se baat karne ka ek sunahara mauka tha....Esha ko car ki taraf badhte dekh maine ek baar phhir us unknown number ko apne dost ke mobile se dial kiya...
"hello...kaun..."car se thodi door rook kar Esha ne apne driver ko 5 minute rukne ka ishara kiya aur mujhe boli"who are you..."
"kabhi socha nahi tha ki aap jaisi ijjatdar ladki mujhe savere-savere call karke pareshan karegi..."
"aap kaun..."
"aaj subah hee ki baat hai...yaddasht achchhi ho to flashback me jakar yaad karo ki aaj subah kise phone kiya tha..."
"Arman..."ghabrate hue Esha parking ki bheed me idhar-udhar dekhne lagi aur tabhich maine hawa me apna hath uthkar uska dhyan apni taraf kheencha.....
________________________
aur ye esha ke phone se kisne call kiya tha aur kyu ..