Update-231
.
Mujhe bahar nikalne ke liye ek MLA ,ek sansad aur ek high court ka lawyer ne apni-apni power ka istemal kiya....MLA ko mere bhai ne dhoondha ,lawyer ko hostel walo ne aur Sansad to hostel me rahne wale ek launde ka baap tha....waise bhi suicide note me kisi ka bhi naam likh dene se wo apradhi sabit nahi hota ,lekin kuchh din dikkato ka samna jaroor karna padta hai.
Lock up se nikalkar mujhe seedhe ghar le jaya gaya aur jab tak exam shuru nahi hua tab tak main ghar me hee apna ilaaz karwata raha....mera mobile chheen liya gaya, ghar se bahar kahi bhi mere aane-jane par ban laga diya gaya, yaha tak ki mere kisi dost ko bhi mujhse milne nahi diya gaya aur jab mere final exam shuru hone me do din baki the ,tab Pandey ji ladki...jo ki meri future bhabhi thi..wo mujhse milne aayi aur us din meri life me ek aur twist ne pravesh kiya....jo ye tha ki Pandey ji ki do beti thi aur jisne bachpan se mera jeena haram kar rakha tha wo Pandey ji ki chhoti beti thi aur uski badi bahan se mere bhai ki shadi ho rahi thi.....
"kamaal hai , aaj tak mujhe yahi pata tha ki Pandey ji ke bagiche me sirf ek phool hai...lekin yaha to do phool nikle..."
Pandey ji ki badi beti bhi hai aur usase Vipin bhaiya ki shadi hone wali hai ,ye jaankar mujhe rahat mili aur main thoda-bahut sukoon lekar wapas college ke liye ravana hua.....
"abki baar kuchh galat nahi hona chahiye Arman....ye baat tu yaad rakh le, warna pure college ke samne marte-marte ghar launga...."Railway station me bade bhaiya ne shabd roopi teer chalaya aur mujhe wapas college ke liye ravana kiya......
.
Mera man ab ye faltu ki mar-dhad ,dialogue bazi se khap chuka tha aur finally main wo ban raha tha ,jo ki mujhe first year me hee ban jana chahiye tha...us din college aate waqt train me bahut maal mili ,lekin apun ne kisi ki taraf dhyan tak nahi diya...main bas shant apni seat par pure raste baitha raha aur khidki ke bahar jhakte hue Esha ke bare me sochate raha...
main soch raha tha ki wo mujhe dekhkar pahle to ekdum se khush hogi ,phhir thoda sa ignore maregi ,mujhse ladegi...aur aakhir me i love you bol degi...ab Esha hee mere paas ek aisi achchhi yaad thi ,jise lekar main apne college se jana chahta tha ,lekin mujhe kya maloom tha ki Esha ke roop me ek aur bomb mera intezaar kar raha tha jo mujhpar bas footane hee wala tha....
Hostel me mujhe wapas dekh kar mere khas dosto ke aalawa baki sab khush hue , sabne haal chal puchha aur Aradhna ko galiya baki....pura din mere room me juloos umadta raha aur first year se lekar final year tak ke ladke mujhse milne aaye....siway mere khas dosto ke. Wo log to tab room me bhi nahi rahte the,jab main room me hota...bas beech-beech me apna koyi samaan lene aate aur chale jate...raat ko bhi wo kisi dusare ke room me hee sote the...na to unhone koyi pahal ki aur apne ko to pahal karne ki aadat hee nahi thi.Mere khati dosto me se sirf ek Rajshri Pandey hee tha jo mujhse mila tha aur Arun-Saurabh ke room chhodane ke baad wo mere hee room me rahne laga tha.....
Hostel pahuchkar dil kiya ki Esha ko call kar loon lekin phhir socha ki kal to exam hai aur exam dene to college aayegi hee isliye usase seedhe college mil liya jayega.isliye dusare din jab main 8th Semester ka pahla exam dene college pahucha to notice board me sabse pahle ye dekha ki CS-final year wale kis class me baithe hai aur phhir apni class dekha...
Exam hall se bahar nikalte hee main A-18 ki taraf bhaga ,jo Esha ki class thi aur class ke gate se andar nazar dali....Esha baithi hui thi.Main taqriban aadha ghante tak waha class ke bahar khada rahkar Esha ka intezaar karta raha aur jab wo bahar aayi to main uski taraf badha...
"hi...kaisi hai..."
"Gautam aaya hua hai ,isliye please tum na to mujhse baat karna aur na hee mere peechhe aana...."
"marunga sale ko, yadi tere aur mere beech me aaya to..."tez aawaz me main bola, lekin phhir Railway station me bade bhaiya ki naseehat yaad aate hee main dheema pada aur bola"mera matlab tha ,main abhi jata hoon aur tere peechhe nahi aaunga...."
Us din ke baad Esha mujhse face to face nahi milti thi aur jab main uske number par call karta tab uska number hamesha switch off ka gaan karte hue milta ,isliye maine mazbooran ek din Avadhesh Ko hostel bulaya aur usase puchha ki itne dino me aisa kya ho gaya ,jo Esha na to mujhse mil rahi hai aur na hee baat kar rahi hai....
"kuchh khas pata nahi ,par kuchh dino pahle sunne me aaya tha ki Divya aur Esha ke beech patch up ho gaya hai...."
"hmmm...."
"yo bro...Esha and Divya are back to being friends..."
"bas yahi bacha tha ab sunne ko... "
"aur to aur ,Gautam use har exam ke din College chhodne aur lene aata hai....kuchh to ye bhi bolte hai dono ki engagement bhi Esha ke 8th semester khatm hone ke baad ho jayegi...."
"gazab...chal thik hai, tu ja...bye..."
"bye...."
.
BC ,wo sab kya ho raha tha...mujhe kuchh samajh nahi aa raha tha , isliye maine decide kiya ki next paper ke din jab Esha college aayegi tab main usase zaroor baat karunga...phhir chahe waha Divya ka bhai khada ho ya phhir mera bhai.waise bhi lawda aakhiri teen din hee bache hai College me aur yadi ab nahi puchha to zindagi bhar nahi puchh paunga......
Itne dino me har din Esha ki class ke bahar khade hokar intezaar karte hue maine Esha ki timing observe kar li thi...jiske according,wo exam time ke thik 5 minute pahle class ke andar ghusti aur phhir pure teen ghante baad hee bahar nikalti thi. Lekin phhir bhi apun ko risk nahi mangta tha...isliye main us din bhi aadhe ghante pahle exam hall se nikla aur Esha ke exam hall ke bahar khada uska intezaar karne laga....
Esha apne timing ke anusar hee bahar nikli aur bahar mujhe dekhte hee usne wahi kaha,jo wo pichhale kayi dino se mujhse kahti aa rahi thi....lekin is baar main nahi mana aur uske shortcut markar usase pahle parking par pahuch gaya.....Parking me mujhe dekhkar pahle to Esha chauki aur ek baar phhir usne wahi line dohrayi...
"Gautam ,yahi hai...isliye tum na to mujhse baat karo aur na hee mere peechhe aao..."
"Gautam ki maa ki.......jai, chutiya samajh rakha hai kya...jo itne din se ghuma rahi hai,abhi ghuma kar ek hath dunga to sari battisi nikal aayegi...."
"mujhe tumse koyi baat nahi karni..."
"wah beta, jab man kiya tab kud kar aa gayi aur jab man kiya to chali gayi....bhool mat ki main wahi Arman hoon ,jo....."
"jo is college ka sabse bada chutiya hai...."meri aawaz ko kat-te hue ek teesari aawaz aayi aur jab nigahe us aawaz ki taraf gayi to Gautam ke darshan hue.....
"tu...nikal le beta, pichhali baar ki mar bhool gaya kya..."
"nahi bhoola ,isiliye to itne din se Esha ke sath College aa raha hoon ,isi mauke ke intezaar me ki kab tu aaj wali harqat kare aur main tujh par apni bhadas nikal saku...."
"tu...mujhpar bhadas nikalega."jabarpeli haste hue main bola"chal be ,tujh jaise hazar bhi aa jaye to mera kuchh nahi ukhad nahi sakte...aur mera mood kahi ghoom gaya to yahi par lita-lita kar marunga,isliye thodi der ke liye chal foot le..."
"le nahi jata yaha se ,bol kya karega...."mere paas aate hue Gautam bola...
"Gautam...tum isase lad kyun rahe ho.ise sach batao aur is kahani ko yahi khatm karo.."Gautam ka hath pakad kar Esha boli...
"meri tarah shayad ise bhi pata hai ki yadi tu mujhse bhida to durgati teri hee honi hai ,isiliye isne tujhe rok liya...."phhir Esha ki taraf dekh kar main bola"yadi tune aise hath pakad kar mujhe bure kam karne se rokne ki koshish ki hoti to kasam se main aaj wo nahi hota ,jo main hoon...khair koyi baat nahi ,jo hua uska gam tum jaise chhote aur neech log manate hai ,main to yugpurush hoon...mujhe isase kya matlab ki kal kya hua aur kal kya hoga....isliye ab apna muh fado aur bakna chalu karo.5 minute ka time hai tum dono ke paas, wo sab kuchh yad karne ke liye jo tum kahne wale ho..."
.
Gautam mujhe kuchh der shanti se dekhkar apne dimag ki batti jalata raha aur main wahi khada Esha ko dekh kar soch raha tha ki jaane ye log ab kaun sa dhamaka karne wale hai....kyunki ab main itna saksham nahi tha ki koyi dhamaka sah saku...aur is ladki ko parakhne me main kaise dhokha kha gaya...isne kabhi to aisa kuchh kiya hee nahi jisase ispar mujhe kabhi koyi shaq ho....sala dil toot gaya yar, in aakhiri ke dino me.dil to karta hai ki main bhi suicide kar loon ,lekin nahi main to yugpurush hoon aur yadi maine suicide kar liya to mere jo itne sare fan hai ,unka kya hoga,....
"Arman , kya tumne kabhi socha ki jab ground par Gautam ke gunde tumhe mar kar chale gaye the to tumhe hospital kisne pahuchaya tha...."mujhe bahut der se apni taraf dekhta hua pakar Esha uncomfortable mahsoos karne lagi aur tab wo boli....
"kisi ne 108 ko call kar diya hoga...."
"ekdum sahi jawab par call kisne kiya tha ,kya ye maloom hai..."
"dekh abhi mera dimag chadha hua hai, isliye jyada shanpatti mat jhad aur seedhe-seedhe bol ki kahna kya chahti hai...."
"108 ko call Esha ne kiya tha..."Esha ke kuchh bolne se pahle Gautam mere aur Esha ke beech khada hote hue bola"aur bas wahi se teri barbadi ki neev rakhi gayi...tujhe to Esha ke pair chhukar use thanks kahna chahiye ki usne teri jaan bacha li..."
"wo bhi kar lenge,pahle aage to bak...aur aainda kabhi aise achanak mere samne khade mat hona ,warna achanak hee samne wale ke chehre par mukke marne ki bahut kharab aadadt hai mujhe..."
"Arman...bas teri isi aadat ki vazah se humne wo sab kuchh kiya ...."
"mukke khane ke liye ? Abey jhandu tu ek bar bolkar to dekhta ,1000-2000 mukke to main free me de deta main tujhe...."
"tune third semester ke us khooni ant ke baad mujhe bahut shant-shant dekha hoga...hai na. Tune us waqt sochta tha ki meri tujhse fat gayi hai aur main tujhse darta hoon, par mere lallu lal aisa kuchh bhi nahi tha...actually ek din jab main aur mere dad ek sath baithkar tere bare me soch rahe the tabhi mujhe khayal aaya ki yadi tujhe harana hai to kyun na us field me haraya jaye, jaha tu kabhi powerful hai....yani ki dimagi khel aur usi din se maine tere dimag ke sath khelna shuru kar diya tha....tere city walo ke sath har chhote-bade jhagde sirf mere dimag ki upaj thi ,taki tujhe Police ki nazar me laya ja sake...main tujhe aur teri shaksiyat ko thik tarah se bhanp gaya tha ,isliye jo main sochta tu wahi karta aur phhir apne isi plan me maine Esha ko shamil kiya ya phhir ye kahe ki Esha khud shamil hui ye kahte hue ki'wo lallu ,lattoo hai mujhpar..do line yadi pyar se bhi baat kar li to saans lena tak bhool jayega...' aur yahi mera bonus sabit hua...waise to maine kabhi dhyan nahi diya tha ki tu ,Esha par fida hai...par jab flashback me jakar maine sab kuchh yaad kiya tab mera kaam aasan ho gaya aur yaha se mere is mission ki bagdor Esha ke hath me aa gayi....Seventh Semester tak humne tere dimag ke sath khela ,tujhe parkha ki tu kis situation me kaisi harqate karta hai aur phhir jab tujhe puri tarah jaan liya to hum sabne milkar aage ka programme set kiya....waise to tere sath pichhale kuchh dino jo hua,wo main bahut pahle bhi kara sakta tha ,lekin 8th semester ke aakhiri din subh muhurat ki tarah the...jisme tu ek to behad hee kadwi yaad lekar jata aur dusara tujhe sambhalne ka koyi mauka nahi milne wala tha.first year se lekar final year tak tune kayi kahawate kahi hongi par ek famous kahawat hai ki'yadi waqt kharab ho to oot par baithe insaan ko bhi kutta kat leta hai' aur yadi tere sath hua....Aradhna ka tere life me aana humare liye bonus tha... Hume maloom tha ki jab Esha tujhe propose karegi to tu uske proposal ko accept hee karega aur uske baad Aradhna ko laat markar apni zindagi se bahar kar dega aur ek ladki ko jab kisi se sachcha pyar ho jaye to wo itni asani se use nahi chhodti....isiliye Esha ne Aradhna se teri setting karwayi taki yadi hum fail ho jaye tab bhi Aradhna kuchh na kuchh bawal khada karegi hee....lekin wo suicide kar legi ,iska andaza kisi ko nahi tha....ab aate hai un dino ki taraf jaha ye sab hua.
City aur hostel ka farewell ek sath karakar tu us din ye soch raha tha ki jeet teri hui ,par haqiqat thik ulti thi...hum to chahte hee the ki pure college ka farewell ek sath ho aur tu usme anchoring kare....kyunki hume tujhe Collector ke ladke se jo milwana tha.darasal baat ye hai ki Collector ke ladke se meri bahut lambi shart thi ki wo farewell ke din sabke samne waise gande comments de sakta hai ki nahi....shuru me to usne mana kar diya par phhir maine uska mazak udana chalu kar diya ki wo, Arman se dar gaya hai,isiliye challege accept nahi kar raha...abki bar usne challenge accept kar liya aur phhir farewell ke din teri ,usase nok-jhok hui....jiske baad maine use aur bhadkaya...sath hee tere pure dushmano ko bhi maine hee ye kahkar hawa me baitha diya ki'ab tu tumhare sath Collector ka ladka hai, akele me bula kar mar do...koyi police case bhi nahi hoga...."....un becharo ko to is baat ki hawa tak nahi hai ki wo sab mere dost nahi ,mere plan ka sirf ek hissa the. Well intially mera jo plan tha uske according, tu ground me buri tarah mar khata aur apne final exam nahi de pata....lekin phhir maine socha ki ise kyun na thoda aur khatarnak banaya jaye. Isliye main tere hostel ke andar aise bando ki talaash karne laga ,jo tujhse khunnas khaye hue ho aur mujhe pata tha ki tere ghamand aur tere bure bartav ke karan aise ek nahi kayi ladke mil jayenge...jo tujhe marna chahte ho...aur wahi mujhe Kaliya aur uske room partners mil gaye....us din jab tujhe ground me pelne ka plan tha to uske ek din pahle Kaliya ke room partner dwara Arun ko in sabki khabar dena ,ye us ladke ne mere kahne par hee kiya tha...actually mere plan ke according us din mar tu nahi balki mere khud ke dost khane wale the, jisme Collector ka ladka bhi shamil tha.waise yadi tu chahta to Collector ke ladke ko chhodkar in sabse bach sakta tha ,lekin tune aisa nahi kiya aur thik aisa hee maine socha tha.....iske baad ki kahani to tujhse better koyi nahi jaan sakta aur phhir Aradhna ka case....ufff, kitna sukoon mil raha hai mujhe .aur tu aise din dekh sake isiliye Esha ne us din 108 ko call karke tere jaan bachayi ,warna tu to usi din nipat gaya hota....kaisa laga mera game..."
Gautam ke itne lambe plan ko sunkar mera sar ghoomane laga kyunki wakayi me uska plan successful hua tha aur meri har taraf se band baj chuki thi...mujhe kuchh sujh hee nahi raha tha ki ab kya bolu.isliye maine ek baar Esha ko dekha ,aankho hee aankho me bye kaha aur parking se hostel ki taraf chal diya.......
"Sidar ke bare me nahi janna chahega ki ,uske sath kya hua..."haste hue Gautam bola"uski maut kaise hui ,ye bhi nahi janna chahega kya..."
"Sidar ke mamle me to chup hee rah tu ,warna zinda ,zameen me gad dunga...main shant hoon iska matlab ye nahi ki kuchh karunga nahi.isliye chup-chap yaha se nikal ja aur yahi dua karna ki zindagi me kabhi mujhse mulaqat na ho..."
"isi...teri isi aadat ne teri mari hai...waise ek bar phhir puchh raha hoon
Kya tu ye janna nahi chahega ki Sidar ke sath kya hua..."
"kya hua be Sidar ke sath....strike me danga hua tha...ye mujhe maloom hai"
"dange karwaye bhi ja sakte hai Arman sir.waise ye sab karwane ka humara koyi mood nahi tha ,lekin tere coma me jane ke baad wo kuchh jyada hee ungali kar raha tha...warna tu hee soch ki strike me chaku, talwar lekar kaun aata hai...."
"teri maa ki choot...tu gaya kaam se..."Gautam ki taraf daudte hue maine uski gardan pakdi aur peechhe khadi car me uska sar de mara.
"yadi pure shahar ki aaulad na hokar sirf ek baap ki aaulad hai to ruk yahi..."bolkar main parking me se daudte hue door aaya aur ek bada sa patthar uthane laga....lekin BC patthar itna bada tha ki mujhse utha hee nahi, isliye main wapas Gautam ki taraf bhaga ki kahi wo bhag na jaye aur tabhich mera sixth sense ,jo itne dino se band pada tha ,usne kaam karna shuru kar diya.....
"ek minute....kahi Gautam ye to nahi chahta ki main isase ladayi karu...yadi main isase abhi ladta hoon to maa kasam ise iske dosto ke paas pahucha dunga aur phhir mujhpar ek police case banega aur abki bar to meri aur bhi durgati hogi kyunki S.P. to muh fade mera intezaar hee kar raha hai ki kab main wapas aaun....isiliye...isichliye jab maine sab kuchh sunne ke baad bhi kuchh nahi kiya to lawde ne Sidar ka topic chhed diya, taki main ise maru aur jail chala jaun....wah beta, once again nice plan....lekin ab nahi...."
"le mar...marna...dam hai to mar..."
"jis chiz me mujhe maharath hasil hai ,usme tu ek baar jeet gaya ,iska matlab ye nahi ki har baar jeetega...ja tujhe aur tere baap ko maaf kiya, tum bhi kya yaad rakhoge ki kis insaan se pala pada tha..."
"tu khud ko bahut unique samajhta hai...abey tujh jaise daru peekar ,hostel ke dam par ladayi-jhagda karne wale har college me kaudiyo ke dam par milte hai.tu meri jeb me rakha sirf ek patakha hai, jise jeb se nikal kar main kahi bhi fod sakta hoon...."
"beshak main ek patakha hoon lekin main footunga wahi ,jaha main chahta hoon....aur tu apne kis jeet ki baat kar raha hai, jaha tere kayi dost buri tarah mar kha gaye ? ,jaha kuchh ne apni jaan gawa di ?
Aur itna sab hone ke bawzood tu mujhse mar kha raha hai,wo bhi khushi se....sharam kar kuchh. Yun meri tarah dialogue delivery ya mere foot-step follow karne se tu Arman nahi ban sakta....kyunki Original to main hoon ,tu to sirf mera ek copy cut hai...tune do saal laga diye mujhe harane me ,abey mand-buddhi .
,tune ye nahi socha ki mere paas puri zindagi padi hai in sabka badla lene ke liye aur tu khud soch jab tu sirf meri tarah sochkar mera itna nuksaan kar sakta hai to jab main khud tere bare me sochunga to tera kitna nuksaan karunga....tera plan ekdum perfect tha ,lekin tab tak hee jab tak ke tune mujhe apne plan ke bare me bataya nahi tha...."
"dam hai to mar... Le marna"
"abey tumhari itni aaukat kaha ki mere hath se mar kha jao...tum jaiso ko mara nahi jata,unke muh me sirf thuka jata hai "Gautam ke muh par thukte hue maine kaha...lekin mera nishana thik nahi laga aur Gautam bach gaya....tab main bola"sala, tu to mere thook ke bhi kabil nahi....badbye, teri to main ab kah ke lunga..."
"Arman...main tumhari dimagi halat samajh sakti hoon..."Esha beech me boli...
"jab main kisi se baat kar raha hoon to interfere kabhi mat karna....tu...yakin nahi hota tu is gande aadmi ke sath iske gande plan me shamil hui.tu to pure ek semester 'Arman...i love you....Arman i love you' bolti rahi Esha...mera dimag mujhe kahta ki tu jhoothi hai,lekin main nahi mana...i really love you,Esha...lekin iska matlab ye nahi ki main wo sab bhool jaunga jo tune kiya....tujhe tadpa dunga main mere paas aane ke liye...itna mazboor kar dunga ki paglo ki tarah mujhe dhoondegi aur tab main tere samne aakar tujhe reject karunga."
"Arman...mujhe tumhare liye sach me bura lag raha hai ,isliye sabki bhalayi isi me hai ki tum ab apni zindagi me aage badho aur is kahani ko yahi khatm karo...."
"wah ,apni bari aayi to zindagi me aage badho...huh, us waqt tum log zindagi me aage kyun nahi badhe ,jab ye sab kaha..."Goggle lagate hue main bola"aur ye kahani yahi khatm nahi hogi ,main iska sequal banaunga aur hero main hee rahunga...usme tum sabke har paap ka payi-payi hisab chukaya jayega....Goodbye, hate you"
Parking se hostel ki taraf jate hue mujhe kuchh yaad aaya ,isliye main parking se thodi door me hee ruk kar chillaya...
"sun be Gautam chutiye, tujhe teri girl friend ne bataya hai ki nahi mujhe nahi maloom par ek shandar, jaandar aur dhamakedar dushman hone ke karan mera farz banta hai ki main tujhe bata doo ki farewell ke din maine teri girl friend ko bahut der tak kiss kiya tha....yakin na aaye to puchh liyo..."
Ye sunte hee Gautam ki gand fati aur wo Esha ki taraf dekhne laga....
"dekha beta ,ye hai Arman ka jalwa...tum dono yaha aaye the mujhe ullo sabit karne...par ullo sabit khud ho gaye,isliye ab ek kaam aur karna ki ullo ki tarah aaj raat bhar jagna.waise bhi ab jo maine bolne wala hoon,use sunkar tujhe aaj raat neend nahi aayegi aur wo ye hai ki' farewell ke din Esha ne mujhe sex karne ke liye kaha tha...wo bhi ek baar nahi balki teen-char bar, wo to meri hee niyat achchhi thi,warna....chalo jao be, tum bhi kya yaad rakhoge ki kis mahan vyakti se pala pada tha....badbye"
Ye un dono se meri aakhiri mulaqat thi aur phhir final exams khatm karke main thik akela waise hee college se nikla ,jaise college me aaya tha.....