• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ABHI - THE WARRIOR 2 (Completed)

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,994
173
Update - 22

Ab Abhi k saamne prashna tha k kaise woh iss pahadi se bina kissi k nazar mein aaye iss pahadi se neeche jungle mein pahunchta hai ........

Abhi uss pahadi k shikhar par kinare chalta hua neeche jaane ka raasta kojne lagta hai .....khojte hue usse .....aage ...ek jagah pahadi do bhago mein banti hui nazar aati hai ....jiski darar pahadi k aadhe bhag tak usse pahuncha sakti hai .....

Abhi uss darar k kinare Chataano ka sahara lete hue utar jaata hai ....choti choti bahar ko nikli nukili chattane aur aur dararo ka sahara lete hue woh niche utarne laga ....aur latakte hue ...kai jagah se phisalte hue ...woh nice ki aur aane lagta hai .....pahadi k madhya bhag mein jaha tak yeh darar jaati thi ...waha ek jal ka srot tha jiska jal waha ek jal kund banata hua ek jharne ke roop mein niche tak jaata tha ....jal k nami ke kaarn waha kai aur fislan bhi bahut adhik thi ....
aur issi fislan k kaaran Abhi uss kund mein gir gaya .... Abhi ne kund k jal k aas paas kuch bele aur zhadiya nazar aayi usne unki ek rassi banayi aur uske sahare se uss zharne k jal mein chupte hue aadhe doori tak pahunch gaya .....jharne k jal unchayi se girne k kaaran waha niche ek bada sa kund ban gaya tha .....jo abhi bhi 100 ft k kareeb niche tha Abhi ne rassi ka antim sira choda aur jharne k jal k saath niche kund mein pahunch gaya ......

Abhi kund k jal se bahar zhankkar dekhne laga ....toh usse kund k paas hi .....ek daiya
( d1 )dikhayi diya ....jo apne shikar kiye hue kissi jeev ka anand utha raha tha ......

Abhi bina aawaj k jal se bahar nikla aur apni talwar lekar chupke se ......aage bada ...woh ..apne khane mein magan tha ....Abhi uss daitya k abhut nazdeek pahunch gaya ...woh cahta toh usko ek hi zhatke mein maar sakta tha .....parantu yodha wahi jo apne shatru ko lalkar kar samapt kare ......

Abhi talwar lekar ek chalang lagakar uss daiya k saamne pahuncha .....achanak apne saamne kisi ko dekhkar woh daitya ek baar toh chaunk gaya ......parantu jab uski nazar Abhi par padi toh

D1 - Kaun ho tum jo iss prakar mere bhojan mein vighna dalne aagaye .....Chalo accha hi hai ....inn pashuo ko khakar ukta gaya tha ...ab tumahara naram naram maass khakar aanand aayega .......aur usne paas hi pada lakdi k ek bade se tukde ka mudgar Abhi ki taraf fhenka .....woh Abhi se takrata isase pahele Abhi ne uss bade se mudgar ko tham liya aur usse ussi daitya par de maara ....

Daitya Abhi par vaar karke khada ho raha tha ..k uska hi mudgar usse jor se laga aur woh piche gir pada .....

D1 - tumahara itna sahas tuch manav ..muzhpar prahar kare ....iska dand milega tumhe ...bhayanak mrityu k roop mein ....

Abhi - muzhe tuch kahe wale murkh daitya ......dand toh aaj milega tum sabko .....tumahare kukrityo ka.... ...

woh daitya tab tak sambhal chuka tha ........usne paas hi pada ek bada sa patter Abhi k taraf phenka ....aur ..tezi se uski or dauda .......Abhi bhi apni jagah se hat gaya ....aur ....aag ka ek gola banakar usski taraf vaar kiya ...woh aag ka gola uss daitya ...se takrakar bikher gaya .....tab tak woh bhi Abhi tak pahunch gaya ...aur apne haath prahar Abhi k sar par kiya ...jisse Abhi ne block kiya ...aur ....uchalkar ek jordar kick se uske seene par prahar kiya ...jisase woh ..wahi paas k ek ped se takraya .......toh ussne uss ped ko ukadka woh Abhi ki taraf poori takat se phenka woh ped poori tezi k saath Abhi ki taraf badh raha tha ....Abhi bhi talwar lekar hawa ..mein kalabaajiya khata hua uchla aur apne taraf aate hue uss ped par ek pair rakhkar ....uss daitya tak pahuncha . aur talwar ka bhapur vaar ..uske garden par kiya ...woh daitya kuch samaz paata usase pahle ..hi uska sar uske dhad se alag ho gaya tha .....

uss daitya k samapt hone par Abhi jungle ki or badh gaya ...woh jungle se khadan ki disha mein aage badh gaya .......jungle ekdum shant lag raha tha .....charo taraf phaili khamoshi aane wale khatre ka sanket de rahi thi .....Abhi bhi poori satarkta k saath aage badh raha tha ......

tabhi Abhi ka pair sukhe paato k niche chipe hue fande ...par padta hai ...pair padte hi woh fanda kas jaata hai ....aur ...badi tezi se uss fande mein faskar ghasitta hua ......apne aapko ek ped se ulta latka hua paata hai ....

Abhi uss fande ko kholne knliye pair ki taraf zhukta hi hai k ek teer sansanta hua ..uske niche se guzar jaata hai ....Abhi yadi pair ki taraf na zhuka hota ...toh teer Abhi k sar mein ghus chuka hota ....Khatra bhanpkar .....Abhi ne apni talwar se tezi se uss fande ko kaat diya ...aur jamin par aagaya .....usne charo taraf dekha toh waha koi nahi tha .....Abhi kuch sochta k zhadiyo ki taraf se kuch teer Abhi ki taraf badte hai jisse Abhi ..apni talwar se tezi se kaat deta hai ......

Jaise hi Abhi unn teero ko kaatta hai ...usspar charo taraf xhadiyo k piche se jaise teero ki baarish hone lagti hai ....Abhibapne talwar ko lekar ek chakra ki bhanti gol ghumkar talwar ghumate hue usnn saare teero ko kaatne lagta hai ....thodi hi der mein ...teer chalne band hojaate hai ...shayad unke teer khatam ho gaye the ......

Abhi - kaun hai jo yaha chupkar vaar kar raha hai ......saamne kyu nahi aata ...sahas hai toh saamne aao .......

Abhi ki aawaj sunkar zhadiyo mein se ek bauna nikalkar Abhi k samne khada ho jaata hai ....

Bauna - ek toh humare kshetra mein bina anumati k pravesh karte ho ..aur hume sahas ka paath padhate ho ....

Abhi - toh thik hai ...shriman ji ab aumati de do ...kya mein aapke kshetra se hokar aage jaa sakta hu .......

Bauna - dhrishtata karke aumati maang rahe ho ab tumhe anumati nahi mrityu milegi mrityu ....waise bhai kai dino se humne manav maas nahi khaya ....

Abhi - yeh bhi kya baat hui pahele woh daitya ab tum ...jo bhi saamne aata hai muzhe khane ki hi baat karta hai .....kya atithiyo ka swagat aise hi karte ho ...

Abhi usase baat kar hi raha tha k do baune pedo par latakti hui bele k sahare zhulte hue tezi se aaye aur Abhi ki pith par jordar prahar kiya ....jisase Abhi aage girte girte bacha ......abhi ne dekha woh do baune kalabaajiya khate hue ..Abhi k samne datkar khade ho gaye ......unmein se ek ...

humare sardar se aise bolne ki himmat karte ho ....ab dekho ....tumahara kya haal hota hai ....usne ajeeb si aawaj nikali ....toh zhadiyo mein se 100 k karib aur baune ....bahar nikalkar aaye ..
aur ek saath Abhi par humla kar diya .....Abhi unn bauno ko koi hanni nahi pahunchana chahta tha ...issliye sirf unke vaar ko rok raha tha ....aur bich bich mein unko uthakar dur phenk raha tha .

unn bauno k humle Abhi par tez ho gaye the ....koi Abhi k kandhe par sawar hogaya koi laat ghuso se prahar karne laga ......Abhi ne socha yeh aise nahi maanenge kyu ki laato k bhut baato se nahi maante ....

Abhi ne tezi se gol ghumte hue vayuchakra ka nirman kiya ......woh saare baune uss vaayu chakra mein gol gol ghumte hue udne lage ......Abhi ne uss chakra ko rok diya ....aur woh baune niche jamin par gir gaye ....

vaayu mein gol gol ghumne k kaaran unke sar chakrane lage ......aur niche girne se chotil bhi ho gaye the ....
abhi woh sambhalkar aur kuch kar paate ....k Abhi ne apne manipurak chakra ki sakaratmak urja ko pragat karke .....ek prakash mein badalkar unn sab bauno par vaar kiya ......jisase unke sharir ko toh haani nahi pahunchi ..parantu unki saari nakaratmak urja samapt ho gayi aur woh sab apne mool swabhav mein aagaye ......

yeh baune yaha k kabile k niwasi the ..jo swabhav se saral aur prakriti se prem karne wale the ...Darmen ne apni kaali shaktiyo k prabhav se ...unmein nakaratmak urja bharkar apna gulam bana diya tha ....jo ab Abhi k kaaran apne mool swabhav mein aagaye the ...

unn sabko aisa laga jaise woh chir nidra se jaage ho ....Ab jab unke sardar ki nazar Abhi par padi toh usne shanti se Abhi ka parichay poocha aur yaha aane ka kaaran poocha ....toh Abhi ne unhe poori baat batayi .....

Sardar - hmm ab hime yaad aaraha hai .....k kuch varsho pahele ....iss jungle k bahar ....se kuch log bhagte hue humare kabile tak pahunche unhe dekhkar aisa lag raha tha jaise woh kissi se apni jaan bachakar bhag rahe hai ...toh humne unhe sharan di ...

unko dhundte hue ajeeb se vastra pahne kuch sainik himare kabile tak pahunche himne unka saamna kiya jismein humare bahut se log maare gaye .....phir hume bhi badi banakar le jaaya gaya ...uske baad kya hua hume nahi pata ....

Hum sab bhi aapke saath iss yudh mein bhag lenge ....

Abhi - yeh aapki acchayi hai ....mein aap logo k pran sankat mein nahi dal sakta .....

Sardar - mrityu toh ek din aani hi hai ...parantu kissi aache kaam ko karte hue mrityu aabhi jaaye toh isase behtar kya ho sakta hai ...kyu saathiyo ....

sab ek swar se - haa ...haa....him sab aapke saath hai ......

Abhi - thik hai yadi aap meri sahyata hi karna chahte ho toh toh yudh mein nahi kissi aur tarah se kar sakte ho ....

Sardar - woh kiss tarah .....

Abhi - unn khadano mein bahut se log bandi bane hue hai unn saare logo ko surakshit nikalne k liye kissi gupt marg ka pata karo ...aur mera sanket paate hi unn sabko waha se nikalne mein meri sahayta karo ....

sardar - jaha tak muzhe khabar hai jungle ki daayi or ki pahadi se hokar koi gupt marg khadan tak jaata tha ......Hosakta hai woh abhi bhi khula ho ....aap bhi humare saath hi chaliye ....yadi woh marg khula hoga toh aap aasani se uss khadan tak pahunch sakte hai ....

Abhi - nahi mera iss prakar waha jaana waha k bandi banaye logo k hit mein nahi hai .....jab mein bahar se humla karunga toh sabka dhyan meri taraf hi rahega ......jisase tum unn bandhako ko bina kissi vighna k uss raaste se bahar laa sakte ho ....

Sardar - thik hai jaisa aao kahe .......hum apna poora praytna karenge waha tak pahunchne ki ...

Abhi unko poori yojna batakar aage badta hai ......woh poori satarkta se aage badhne lagta hai ....Khadan bahut nikat thi ......jungle apne antim chor par tha ....

Abhi ne apna kadam aage hi badhaya tha ...ek bada sa urja ka gola badi tezi se Abhi ki chati mein takraya ....jiske prabhav se ...Abhi piche ki or gir gaya ...abhi woh sambhalta ...k saamne se ek aawaj aayi .....

Awaaj - Sawdhan ...Chale jaao yaha se aage badhne ka prayatna bhi mat karna nahi toh maare jasoge .....wapas laut jaao .....Abhi ne awasj ko disha mein dekha toh waha koi nahi tha ...

Abhi sambhalkar phir khada hua ...aur apna kadam aage badaya ....iss baar woh poori tarah satark tha .....

aawaj - maine kaha na chale jaao parantu tum nahi maane ....ab apni mrityu k liye tayar ho jaao ...phir ek shakti ka gola hawa mein pragat hokar Abhi ki taraf badha ....

Abhi ne apni urja k prahar se uss gole ko wahi rok diya ....

Abhi - tum jo koi bhi ho .....muzhe mriyu dene ki baat karte ho aur bhay k kaaran chupkar vaar karte ho ....
tabhi iss baar do taraf se Abhi par vaar hota ..hai ...Abhi ek vaar ko apni urja se rokta hai ....aur dusre vaar se tezi se apna sthan badalkar bach jaata hai ....

Abhi vaar ki disha mein agni ki urja se prahar karta ..hai ....parantu uska woh vaar bekar kaata hai .......tabhi saamne hawa mein anek astra pragat ho jaate hain aur Abhi ki taraf teevra gati se badhne lagte hai ......Abhi apni talwar ko ghumata hua unnsab astro ko apne tak pahunchne se pahele hi kaat deta hai .....

saamne tha adrishya shatru jo abhi par niranter apni urja se vaar kar raha tha ...aur Abhi bhi poori furti se unn vaaro ka saamna kar raha tha ...parantu kai vaar Abhi ko lage ....jisase Abhi k seene ki jalan aur pida phir suru ho gayi .....

Abji apni uss pida ko niyantrit karne ka prayatna karne laga .....tabhi hawa ka ek tez jhaunka Abhi k taraf badha ...aur Abhi piche ki taraf gir pada ..usse aise laga ki kissi ne uske seene par jordar takkar maari ho ......

ek toh seene ka dard aur yeh vaar ....Abhi badi mushkil se sambhalkar khada hua ....k tabhi Nebhru ki di hui anguthi phir chamak uthi aur Abhi ka saar dard saari pida pal bhar mein samapt ho gayi ....Abhi phir nayi sfurti k saath ....unn adrishya shaktiyo ka saamna karne k liye tayyar ho gaya .....

Abhi k liye itna hi ....
Agla update kal ....
Abhi ush pahadi ke shikher par pahunch kar aage ki aur badhta hai aur D1 ko mout ki neend sula kar jungal ke raste aage badhta hai v Bono se takrav hota hai Abhi unki nakaratmak urja khatam karke apne sath mila leta hai.
Abhi ka jungal se niklte hi do adrishye shaktiyo se yudh shuru ho jata hai.
Bahut hi ujjwal kirno si parakshit karti hui dhara ki aur badh rahi ek aur shrinkhla bahut hi uttam shilly ki hai.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,994
173
Bahut bahut dhnyawad bhai aapki atulniya shaili mein samarpit samiksha k liye
:thanks:
:thanks:
:thanks:


aise hi saath banaye rakhe ...??

Update 22 posted....
Shukriya mitr.
 
Top