• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ABHI - THE WARRIOR 2 (Completed)

u.sir.name

Hate girls, except the one reading this.
6,840
9,768
189
Update - 21

Nebhru - Hum apne pitashri Samrat Arsalan ko usski sena k saamne laayenge ......kyuki ek Pitashri hi the jinki shakti se Darmen ko bhay lagta tha ....

Abhi - yeh aap kya kah rahe ho .....Pitashri....kaha hai woh kya unka pata chal chuka ..hai .....

Nebhru - Nahi .....

Abhi - toh phir aap kaise kah rahe ho k pitashri ko unka saamne laaoge kaise .....

Nebhru - pitashri k roop mein tum jaaoge unke saamne ....tum bikul Pitashri k jaise hi dikhte ho bas thodi kasar hai woh mein poori kar kar dunga .. ......tumhe dekhkar unhe aisa hi lagega k swayam maharaja Arsalan unke saamne hai ......

Darmen yadi dhundega bhi toh usse himlawar k roop mein pitashri hi dikhenge ......aur iss kaaran woh tumahari khoj bhi nahi karega .....

Abhi - wah bhai wah kya yojna banayi hai ......iss tarah toh Darmen pitashri ki khoj mein ulzha rahega aur hum apna karya .....karte bina uski nazar mein aaye karte rahenge ....

Raatri ka samay bita ....Nebhru k Arsalan k haav bhav bolne ka tarika ...chal dhal sab Abhi ko samzha diya .....

Subah suryaday k saath hi ....Nebhru ne Abhi ko Arsalan ka roop de diya ........
Abhi ab poori tarah Arsalan hi lag raha tha ......uske vastra chal dhal hubahub Arsalan k jaisi hi thi .....

Nebhru Abhi ko lekar ......Abhi ko lekar teleport hoka ek pahadi k paas pahuncha ......

Nebhru - ab iske aage ka raasta tumhe hi tay karna hai ...mein iske aage tumhare saath nahi jaa sakta ...( aur ek anghuthi drte hue ) yeh lo isase tumahara muzhse sampark bana rahega ....meri shubhkaamnaye tumahare saath hai ......

Abhi aage badhkar apne guru apne bade bhai k pair chuta hai ....toh Nebru usse gale laga leta hai ....

Nebhru se vida lekar Abhi chal padta hai apne safar par ....

yeh pahadi ghani zhadiyo se dhaki hui thi jo kai prakar k hinsak pashuo aur jeevo se bhari padi thi ....Abhi apni talwar se zhadiyo k bich se raasta banata hua aage badh raha tha ......kuvh hi dur chalne k baad usse zhadiyo mein kuch sarsarahat ki aawaje aane lagi ......Abhi poori satarkta k saath aage badne laga ......

abhi woh apna kadam aage badhata k daayi or se ...ek ..kiisi jeev ne Abhi par chalang laga di ....aur poori satarkta k kaaran Abhi ka ek haath uss jeev k jabde par pada jisase aage jaakar gira ..Abhi ne dekha woh ek bhediya tha .......

woh bhediya girkar phir sambhal gaya ....aur apni garden uthakar aawaaj karne laga ....woooo........uski aawaj sunkar lagbhag 20 bhediye waha zhadiyo se nikalkar saamne aagaye ...jo Abhi ki taraf dekhkar gurane lage ......aur Abhi k charo taraf ghera banane lage .......

tabhi do bhediyo ne do taraf se Abhi par chalang lagayi ...aur Abhi apne jagah se hat gaya .....jisase woh dono aapas mein takrakar jamin par gir pade ....
tab tak unn bhediyo ne Abhi ko charo taraf se gher liya tha .....aur ek ek karke unn bhediyo ne Abhi par humla tez kar diya ....
Abhi apne laat aur ghuso se unka saamna kar raha tha ......kissi k pair pakadkar ghumakar jamin par patak deta ......toh kissi ka apne muuke se jabda tod deya ......

Abhi saamne se bhediyo ka mukabla kar raha tha ....tabhi ..piche sse kuch bhediyo ne usske pith par vaar kiya .....ek bhediye ne Abhi ki baaju ko apne jabde mein jakad liya ......lekin uske paine daant Abhi ko kuch nuksan nahi pahuncha paaye ......

Abhi ne socha k bas ab bahut ho gaya ....inhe maare bina aage nahi bad sakta ....toh usne apni talwar .....pragat ki aur badi tezi se uss bhediye ki gardan dhad se alag kar di ... jisne Abhi ki baaju jakdi hui thi .....

Abhi ne ab teevra gathi se apni talwar ghumana aarambh kiya ......jo bhi bhediya usspar chalang lagata woh tukdo mein bant jaata ......waha ki zhadiya bhediyo k rakt se rakt ranjit ho gayi .......kuch hi der mein woh saare bhediye mare pade the .......

unn bhediyo ka rakt dekhkar phir Abhi ko aise lagne laga k koi uske bhiter se bahar aana chahta hai ...usse phir pida aur jalan hone lagi ....toh Abhi ne thodi der wahi baithkar apne aapko niyantrit kiya ....aur aage badha ....

pida aur jalan k kaaran usse thakan si ho rahi ......tabhi ek taraf se aarahi sungandh ne uska dhyan apni or aakarshit kiya .....Abhi ne dekha thodi hi dur par neele phoolo se lade hue ghane vriksho ka samuh hai ...woh man ko mohne wali sugandh ussi disha se aarahi thi ........

Abhi ne thodi der wahi unn vriksho k niche vishram karke aage safar karne ka vichar kiya ...woh sugandh jaise usse apni taraf aakarshit kar rahi thi .... Abhi unn vriksho ki taraf khincha chala gaya ....Abhi unn vriksho k paas jaakar unko gaur se dekhne laga ......

unn vriksho ko sugandh aur tez ho gayi ....aur Abhi uss sugandh k vashibhut hone laga .....uss sugandh k prabhav ne usse jadvat bana diya .....jaise koi murti ho ...unke sammohan mein woh unn vriksho k paas jungli jeevo k haddiyo k dher ko bhi na dekh saka ......

Abhi jis vriksh k aage khada tha ....k tabhi uss vriksh se do majboot tahniya nikalkar Abhi ki or badi ......abhi woh Abhi ko jakad paati ...k paass k ped se nikalti tahniyo ne unnko jakad liya aur apni ek tahni Abhi ki or badha di ....

Woh the shaitani vriksh jinhe aaj hum monster plant k naam se jaante hai ....jo Abhi ka shikar karne k liye aapas mein hi lad rahe the ....aur Abhi sugand k vashibhut hokar waha kissi murti ki tarah khada tha ......

tabhi jaise unn vriksho mein aapas mein sahmati hui aur unki khinchataani band hui aur woh saari shakhaye ..... Abhi ki taraf badhi Aur Abhi ko jakad liya ....
kissi ne sar ...kisse.ne ..haath ..toh ..kissi ne pair ......itna kuch hone par bhi usse koi hosh nahi tha ....
Abhi toh sugandh k sammohan mein bandh chuka tha ...issiliye usse hosh hi nahi tha ....kisdi bhi pal woh shakhaye uske sharir k tukde kar sakte the ....

tabhi Nebhru ki di hui anguthi chamak uthi ...uss anguthi k prabhav se Abhi ka sammohan tuta aur usse hosh aaya ....

Abhi ne dekha unn vriksho ki shakhao ne Abhi ko jakad rakha hai ....woh Abhi ko apni taraf khinchne lagi ...unn vriksho ki majboot pakad se Abhi apne aap ko nahi chuda paaraha tha .....kyuki uske haath pair aur sar sab jakde hue the ....

woh tahniya Abhi ko apni apni or khinch rahi thi ..jisase uske ....
sharir k ang pratyang unn tahniyo k disha mein khinche chale jaa rahe the .......
Abhi ko apne pran bachane k liye kuch na kuch shighrata se karna tha ....nahi toh kissi bhi samay uske ang uske sharir se alag ho jaate....

unn tahniyo dwara khinche jaane k kaaran ho rahi pida ko sahte hue ...Abhi ne apna dhyan Manipur chakra ...par kendrit kiya ...aur apne sharir se agni pragat karne laga ...

Abhi k sharir se aag ki lapte nikalne lagi jisase unn tahniyo mein aag lag gayi ......Aur Abhi unke bandhan se mukt ho gaya ....
dekhte hi dekhte ..woh saare vriksha uss aag k ghere mein aagaye aur jalkar rakh ho gaye .....
Abhi ne jal tatva k prayog se uss aag ko aas paas jungle mein failne nahi diya ......

Abhi ab waha se aage badha .....thodi dur ...chalkar hari ghas par letkar apne aapko niyantrit karne laga ......pahele seene ki pida aur ab unn tahniyo ka uske sharir ko jakadkar khincha jaana .....
Abhi ang pratyang dard kar raha tha .....thodi der ......aankh bandkar k letkar apne bhiter ki urja ko phir se ekatrit karke ...nayi umang k saath khada hua aur apne manzil ki or badhne laga ......

.Pahadi ki choti nazdik hi thi......Abhi poori satarkta k saath aage badh raha tha ....ped aur zhadiya picche choot gaye the ......pahadi k shikhar tak hariyali ka namo nishan tak nahi tha ....sukhi pathrili ..
chadhai .....Abhi shikhar k bahut hi nazdeek pahunch gaya tha .......aag ki tarah zhulasti hui doop se wo pathrili jamin bhi garam hokar maano aag ugal rahi thi

Abhi apne lakshya ki or badta chala jaaraha tha .....k ... tabhi ek bada aag ka gola ....uske saamne aa gira .....Abhi ne uss disha ki or dekha ....toh pahadi k shikahar par ek badi si chattan par khada ek ajeeb sa vishalkaye jeev nazar aaya ....

woh vishalkay jeev lagbhag 4...5...haathi k barabar tha ....Lambi kantili punch ......pair k mukable bahut chote haath ....aur vishal aag ugalta hua jabda .....laal badi aankhien .......woh jeev kuch kuch T-rex jaisa tha .......

Abhi usse dekh hi raha tha k usne ek aur aag ka gola ugla .....Jo Abhi par girta uske pahele usne jal tatva k prayog se uss gole ko shant kar diya .......

Apne kiye gaye vaar ko asafal hota dekhkar woh jeev uss chattan se kuda aur poori tezi se Abji ki taraf bada ....Abhi ne piche pahadi ko dekha ....aur socha k iss jeev ka saamna karne ki bajaye yadi woh hat jaata hai ....toh woh jeev aniyantrit hokar niche gir jaayega .....

Abhi ne uss jeev ki taraf dekha jo teji se ussi or aaraha tha .....uss jeev ne ek chalang Abhi par lagayi ....Aur Abhi utni hi tezi se apni jagah se hat gaya ......lekin woh jeev bhi kuch kam nahi tha ...pahadi se niche girne k bajaye usne apne nukile panje dharti mein gadakar apne aapko niyantrit kar liya .......

Vishalkaye sharir k saath saath adbhut ...furti aur santulan Abhi bas dekhta rahgaya ......

Abhi usse dekh hi raha tha ...k uss jeev ne....apni lambi kantili punch ka bharpur vaar usne Abhi par kar diya ...prahar itna shaktishali tha ...k Abhi ludakta hua ...niche ki taraf girne hi wala tha ...k ek chattan ka sahara lekar usne apne aapko sambhala aur ek chalang lagakar ...uss jeev k saamne kaha ho gaya .....

ab woh jeev phir aage bada toh ...Abhi apni talwar lekar uske pith par chalang lagakar chad gaya .....aur apni talwar se uski pith par vaar karne laga ...lekon aascharya .talwar k vaar se uss jeev ki pith par ek kharoch tak nahi aayi ...uss jeev ne zhatak kar Abhi ko apni pith se niche gira diya ..

dono mein ab ghamadan chid gaya Jaha woh jeev Abhi par apne panjo .....nukile jabde aur kantili punch se lagatar vaar kar raha tha .....wahi Abhi bhi ab apni urja k ghatak prahar usspar kar raha .....

Abhi ki sfurti aur tezi k kaaran ab uss jeev ka ek bhi vaar Abhi ko chu bhi nahi paaya tha .......wahi Abhi k ghatak urja k prahar se uss jeev ko thodi bahut chote aayi thi ...jiskaaran uska krodh aur badh gaya tha .....

Ab eoh lagatar Abhi par aag ugalne laga .....Abhi ..ab tak apni urja k chote mote vaar se hi uska saamna kar raha tha ........Shundak k kahe anusar usse pata tha k kayi mayavi daitya aage marg mein tainat hai ......yadi ....woh apni prachand urja k prayog....karega toh yaha ki urja ka aabhas unhe ho jaayega aur woh satark ho jaayenge .......

Abhi unhe satark nahi karna chahta tha .......usne dhtan diya k yeh jeev chipkali ki prajati ka hai ....tab usse iske ant ka raasta mila ....Abhi ...ne .....jal tatva aur vayu tatva ko milakar ek shit lahar ka nirman kiya aur uss jeev ki or choda .....

Shit lahar k barfile prahar se uss jeev ka rakt jamne laga ...aur woh nishkriya hokar niche girp pada .....dhalan hone k kaaran ......ludakta hua pahadi se niche gir gaya ..aur samapt ho gaya ...

badi se badi dikhayi dene wali musibato ka haal humare paas hi hota hai ...bas jarurat hai shant man se usse samazne ki ......

Uss jeev k samapt hone k baad Abhi pahad k choti par pahuncha ........waha ek badi si chattan k piche chipkar niche ka nazara dekhne laga .....

pahadi kissi ki badi si deewar ki tarah piche se bikul sapat thi ......jisse bina kissi rassi k sahare k utarna sambhav nahi dikh raha tha ....yadi woh kissi tarah prayatna bhi karta hai toh dur se hi dekha jaa sakta hai ......bina kissi k nazar mein aaya ....waha se niche utarna sambhav nahi tha ...

Abhi ne dekha ....k pahadi k niche ek ghana Jungle hai ......jaha jungle khatam hota hai uske aage ki jagah aur gahrai mein hai ....waha se dhul aur dhue k gubaar uthte hue saaf nazar aarahe the ......

Ab Abhi k saamne prashna tha k kaise woh iss pahadi se bina kissi k nazar mein aaye hue aage badhta hai ....

Abhi k liye itna hi .....

Agla update raat ko .....
Behatareen update brother.....
aaj ka Update kahani ko aage bdhane wale Updates mein se ek hai...par jo mehtavpurn baat aaj k Update ki woh yeh hai ki....abhi apne pita Arsalan jaisa dikhta hai....aur isi baat ka phayda woh darmen k khilaf uthaenge...jis se abhi ki pehchan ek trh se gupt rahegi.....
keep writing....
keep posting......
:rock1: :rock1: :rock1: :rock1:
 
Naik

Well-Known Member
20,769
76,342
258
update - 18

tum mere chote bhai ho Abhi .....humare mata pita ek hi hai ....

Abhi Ko Nebhru ko baaton se ek zhatka sa laga tha ...pahele toh jungle mein pata lagna k woh karma ka putra nahi hai aur ab yeh ...

Nebhru ki baaton se usse bahut kuch samaz toh aagaya tha ....parantu abhi bhi bahut kuch woh samaz nahi paa raha tha ....

Abhi - yadi aap sach mein mere bhai ho toh ab tak kaha tha ...pata hote hue bhi kyu nahi aaye ....aur jab aaye bhi toh aise muh chupakar ....

Nebhru - Darmen se tumahari suraksha k liye .....tumse dur rahna jaruri tha ...

Abhi - Suraksha ...aakhir kaun hai yeh Darmen ...aur humari isase kya shatruta hai ......

Nebhru - abhi tum inn sab baaton se dur hi raho ...yahi tumahare liye yogya hai ......

Abhi - thik hai parantu itna toh bata do k humare mata pita kaun hai ......aur iss samay kaha hai ..

Nebhru - Humare pita Arsalan aur maa Dhara ...Arin grah k janak the ......abhi woh kaha hai ..nahi pata .....unki khoj jaari hai ..bas itna samaz lo woh jaha bhi hai surakshit hai ......

Abhi ko apne asli mata pita ka naam pata chal gaya ......

Nebhru ki baaton se Abhi itna toh jaan gaya tha .....Yeh jo saamne NP hai uska bhai hai ......

Nebhru ne aage badhkar Abhi ko gale lagaya ....itne varsho ki pratiksha k baad apne bhai k gale lagkar Nebhru ki aankhien chalak aayi ......

itne varsho k baad achanak koi aakar kahe k mein tera bhai hu gale lag toh koi kaise uspar vishwas kare kaise pyar aur aadar kare ...Abhi ki bhi yahi awastha thi ...

Abhi - ab toh apne chehre par se yeh kapda hata do ...jara mein bhi apne bhai ko dekhu ..

Nebhru ne apna nakab khol diya .....ab khus bhai .....lekin abhi yeh nakab kuch dino k liye aur rahega ..itna kahkar Nebhru dubara nakab pahen leta hai ..

Abhi - aapne un nirapradh gaonwalo ko kyu bandi banaya hai ......ab toh aap unhe mukt kar do ....

Nebhru - woh mein tumhe nahi bata sakta hu ....aur jaha woh log hai waha se unhe laana ab sambhav nahi .....isiliye tum unhe bhul jaao ......

Abhi - kyu nahi laa sakte ....maine dekha hai aapki shaktiyo ko aap chahe toh unhe laa sakte hai ..

Nebhru - haa parantu meri kuch vivashta hai ....nahi laa sakta ...aur tum bhi iss sab se dur raho aur apne prashikshan par dhyan do .....

Abhi - theek hai ......aap Rahane dijiye ab main Swayam hi unn Sab Ka Pata Lagaunga ....aur jab tak aap Burai Ka Sath Nahin Chhod te tab tak main aapse Prashikshan bhi Nahin Lunga.....ab mein aapse tabhi milunga jab aap burai ka raasta chodoge ...main nahi chata k koi mere bhai mere guru ko bura kahe ...........Itna Kahe kar abhi vahan Se Chala jaata hai ...

itna aasan bhi nahi tha ...Abhi k liye ....Sacchayi ko sweekar karna ....uske liye yeh bahut bada zhatka tha .......uske mata pita uske asli nahi the .......uske guru burai ka saath de rahe hai ......usse apna Bhai kahne wala Nebhru ......na jaane kitne logo ki hatya ka jimmedar tha .....

Nebhru - yeh theek Nahin hua manduk is Samay Abhi ko Satya Ka Pata Chalna uske liye Khatra Ban sakta hai ....

Manduk - parantu abhi Ham Kya kar sakte hain use Rokna Sambhav Nahin

Nebhru - humein use per Apne Drishti banae rakhne Hogi......

Nebhru Abhi ke asali roop se Anjan tha usse pata nahin tha ke Abhi ke bhitar Athha shaktiyan kaid hai .....Jo Nebhru ke Urja dwara nirmit suraksha kavach Ke Karan Abhi ke bhitar se pragat nahi ho paa rahi hai ...

Abhi vahan se nikal kar Nadi ke kinare Ussi Jagah Gaya Jahan woh aksar aata tha thodi der Baithe Hue Jal ko Dekhte hue usne Apne man mein chal rahe hain bhavnaon ke tufan ko Shant Kiya aur kis Prakar unlogo Tak pahuncha Jaaye is bare mein sochne Laga

kuch der waha baithne k baad .... Abhi vaha nikalne hi wala tha k usse vahan Sonu Aati Hui Dikhai Deti hai .... Abhi ko waha dekhkar ...Sonu.... apne aap uski Taraf khichi Chali aati hai ...Abhi is Samay apni pareshanio Mein Uljha hua tha isiliye vah Sonu ka Samna nahin karna chahta tha

Abhi - Sonu iss samay muzhe kisi jaruri karya se jaana hai .....aur mudkar jaane laga .....Sonu Abhi ki aankhien aur haw bhav dekhkar samaz jaati hai k baat kuch aur hai ....isiliye usne Abhi ka haath pakda ....

Sonu - mein jaanti hu k baat kuch aur hai ....aap muzhse baat nahi karna chahte ...... isiliye Aise ja rahe ho......Apna ghar pita aur bhai sab kych khone k baad aap mile toh laga ......k nahi mein akeli nahi hu ...aur bhi koi hai mera apna ......parantu ab tum muzhse baat hi nahi karna chahte ho .....

Abhi - Aisi Baat Nahin Hai Sonu main abhi apni Kuchh samasya Mein Uljha Hua hun

Sonu - Kahin yah samasya Tu Nahin Hai kya aap Mere Pita aur Baki Gaon Walon ke bare mein Nahin Pata Laga Pa rahe ho ....aur issi Karan aap mujhse baat nahin kar rahe ho to theek hai main aapko aapke Vachan se Mukt Karti hun parantu main aapko Aise Nahin dekh sakti

Abji - Dekho Sonu Tum Jaisa Soch rahi ho Vaisa Kuchh Bhi Nahin Hai aur Tumhen kya lagta hai ke Tumhare Is Tarah Vachan Wapas Lene se main Piche hat Jaunga...

Meri pareshani ka Karan Kuchh Aur Hai..... kya tum nahi janti k Mere hriday mein Tumhara Kya sthan hai ........
( phir uski thuddi uthakar Chehra Upar karte hue )....Jara Meri Aankhon Mein Dekho ....ismein tumhe apne liye kya Bhav Najar Aata Hai .......( Sonu Najar Utha Kar abhi ke Aankhon Mein Dekhti Hai vahan use apne liye Pyar Hi Pyar Dikhai deta hai ) Abhi Apna Dukh aur apni pareshani Apne dil mein hi Chhupa kar Apne Hath se Uske Aankhon Mein Aaye hue Aansuon Ko puchta Hai aur Gale Laga leta hai Sonu ko bhi abhi Ki Bahon Mein Aakar Ek Sukoon Sa Milta Hai thodi der aise hi Rahte hai ....

Abhi - Sonu Ab Mujhe Jana Hoga bahut jald Mein Apni Manzil Tak pahunch Ne Wala Hoon.. Tum Pratiksha karna...... Itna kah kar Abhi Sonu ke mathei Ko chumta Hai aur vahan se nikal jata hai vahan se nikal kar Abhi wapas Gurukul jata hai ....Nebhru Kisi kam se waha se Ja chuka tha aur Baba ji vahan aapane Kutiya Mein Akele Baithe hue the abhi Ko Aata vah dekh kar

Manduk - yah Tumne Achcha nahin kiya Putra apne Prashikshan ke liye Mana Karke ........
Tum Nahin Jante ke Tumhen is Prashikshan ki kitni avashyakta hai ....aur unke k siwa aur koi nahi hai jo tumhe tayar kar sake

Abhi - main Jaanta hun parantu aap hi Soch kar Dekhen ke Mujhmein per kya Beeti Hogi Jab Mujhe saari bato ka pata chala.....aapne shayad nahi dekha ..unnke dwara phailayi gayi tabahi ko ...maine dekha hai ...kitne niraprad logo ki hatya ....gaon k logo par atyachar ......gaon k sabhi yuvak yuvatiyo ko le jaana aur jisne virodh kiya ...usin zhaunk diya ...maine dekha hai unn logo ko ....

ek hasta khelta gaon pal bhar mein nasth kar diya ......abhi bhi mere aankhon k aage woh bhayanak drishya aur kaano mein unn gaon walo ko chokhe gunj rahi hai ....aur unn sabke jimmedar vyakti jo k mera hi bhai hai kaise sweekar kar lu ....

Jab Darmen ...Zecro ...Neilster ...Nebhru aadi sab pritvi aaye toh unhone saat maha dwipo mein apne apne liye jagah chun li ......ab unhe waha shashan karne k liye .aur apna rajya sthapit karne k liye .....bahut se logo ki awashyakta thi .....toh unhone logo ko bandi banakar apna gulam banana shuru kar diya ....

uss yug ka manav unka saamna karne mein asamartha tha ......uhone rajya nirman k liye ...dhatuvo ki khadano mein ...bahut se gulamo ki jarurat thi ......aur saath mein apni prajaati aage badane k liye aur apni vasna ki poorti k liye unhone yuvatiyo ko aur kanyao ka apaharan karna bhi shuru kar diya ......

Nebhru bhi Darmen ki tarah Eblis ka upasak ban gaya tha ......aur Eblis ko prasanna karne k liye usse yeh sab karna pad raha tha ......woh buri tarah fas gaya tha ...

Darmen ne sab k rajyo ka niyantran apne haath mein rakha tha .....ek tarah se sab bhai uske gulam the ......Uske kai guptachar aur mayavi datya ...gupt roop se unn 6 bhaiyo k banaye hue rajyo par drishti banae hue the ......isiliye Nebhru chahkar bhi Darmen k virudh kuch nahi kar sakta tha .....

Sonu k gaon k sabhi log ek swarn ki khadan mein pahunchaye gaye ....sone ki khadan hone k kaaran ......Darman k vishesh sainik iss jagah ki suraksha kar rahe the .......Darmen Neilster k saath milkar ....swarn kano dwara kisi yantra ka nirman kar raha tha ...jiske liye usse shudh swaran kan ki aawashyakta thi ...issiliye ...har sone ki khadano par uske mayavi daitya aur sainik vishesh roop se tainat the .......

Yaha Abhi Manduk baba se baat karke apne ghar chala aata hai ......apne kaksha mein baithkar aage ka marg khojne ka prayatna karta hai ....parantu ashant mann kissi samasya ka haal kaise nikal sakta hai .....

thodi der pranayam k dwara mann ko niyantrit karta hai ...aur ...dhyan mein baith jaata hai .....
Mooladhar chakra mein dhyan karne se uske saare antardwand samapt ho jaate hai ...aur antarman mein ek nayi sfurti ka sanchar hota hai ......

Kuch der dhyan k baad ab Abhi ko apna marg spasht nazar asne laga ....

Abhi saari sthitiyo ka awlokan karta hai toh uska fhyan Shundi ki taraf jaata hai ......Shundi ki asadharan yogyata aur uske rahan sahan ka tarika ...sab kuch uss samay k manavo se bahut alag tha .....

Abhi ne apne netra band karke apni aur shundi ki pratham bhent ka awalokan kiya tho .... usse Shundi ka Abhi ko dekhne k baad aankhon mein aayi chamak ....uska woh aadar bhav .....tab Abhi ka dhyan Shundi k haath k uss nishan ki taraf gaya .....jo phal aur sharbat dete samay Abhi ne dekhe the .....woh nishan kuch kuch waisa hi tha jaisa unn sainiko k vastro par Abhi ne dekhe the jo gaon walo ko bandi banakar le gaye the ....

Abhi ki aankhon mein chamak aagayi ...usse apne lakshya tak pahunchne k liye Shundi k roop mein marg mil gaya tha .....

Abhi Karma aur Neeru ko gaon k nirman karya ka bhar usse saunpne k liye manata hai .....Woh batata hai k usne gaon walo ko unke punarvasan ka vachan diya hai ....isliye usse hi iss karya ko karna chahiye ....Abhi k bahut manane k baad Karma aur Neeru mann gaye unhe laga ab beta bada ho gaya hai ...issiliye ab woh apni jimmedari khud uthana chahta hai ....dono uske guno aur shaktiyo se parichit the .......

Abhi apne mitra Vikas aur Vilas ko lekar ....uss gaon ki or nikal pada ......

Vikas aur Vilas pahli baar nagar se bahar aaye the ....Abhi aage aage aur woh dono piche piche ...
dono abhi k piche piche jungle ka aanand uthate hue chal rahe the .....k tabhi Vikas ka vastra kisdi zhadi mein atak gaya ...toh usse chudane k liye zhuka toh uska dhyan piche ki or gaya waha usse kaale kapdo mein ek saaya nazar aaya ...toh woh dar gaya ....Vilas ne dekha Vikas ko taraf dekha ...toh paaya woh aankhien faade hue kisi disha mein dekh raha hai ....
tab tak Nebhru badi tezi se chup gaya tha ......parantu uski ek jhalak .....Vilas dekh ko dikh jaati hai ...aur woh dar se bhagta hua ....bhoot bhoot chollate hue Abhi ki pith par chad gaya tba.....

Abhi - kya hua kaha hai bhoot .......

Tab ,Vilas ne piche ishara kiya ..Toh Abhi k chehre par halki si muskurahat aagayi ...woh samaz gaya k yeh aur koi nahi ....Uska Bhaii kam Guru Nebhru...hai...jo usspar apni nazar banaye hue hai ....

Abhi - koi bhoot vaigere nahi hai chup cjap chalo .....koyi chota sa janwar hoga ...

Kuch der k baad woh gaon pahunch ...jaate hai ...ussdin toh raat k andhere mein Abhi ne dekha tha ...aur aaj din mein waha k nirman karyao dekhkar Abhi ..Vikas ...aur Vilas ...mantramugdha hue gaon ko dekh rahe the ...

Abhi waha mukhiya ji se mila jo waha k majduro aur karigaro ki dekhrekh kar rahe the ... Vikas aur Vilas ko unki sahyata k liye chodkar Abhi Shundi k shivir ki or badh gaya .....,..

Shundi uss vishal Bawan nirman k kaam mein laga hua tha ....Abhi ko Atte hue dekhkar ....Shundi bade aadar se usse apne shivir le aata hai ....

Shundi - kahiye Rajkumar mein aapki kya sewa kar sakta hu .........

Abhi - Aap kyu sewa karenge ...sewa toh yaha k logo ko aapki karni chahiye .....aapki yeh adbhut kala ..yeh vastra ....chehre ki yeh chamak ...sab kuch adbhut ....

asie hi Abhi Shundi ki prashansa par prashansa karne laga ....apni itni prashansa aur woh bhi Abhi k dwara jismein usse Arsalan ka roop dikhayi deta hai ....Shundi Abhi dwara ki hui prashansa k weg mein bahta chala jaata hai ....

Abhi - muzhe toh lagta hai ....aap koi sadharan manav nahi ho koi devta ho jo ....logo ki sahyata karne prithvi par aaye ho .......waise kitne din ho gaye aspko prithvi par aaye hue

Shundi - yahi koi ek varsh .....hogaye Arin se aaye ...

Jaise hi Shundi ko ahsas hua k uske muh se kya nikal gaya .......

Shundi - aap yahi ruko mein Abhi aaya .....aur shivir se bahar nikalne lagta hai....
toh Abhi daudkar Shundi ko piche se pakad leta hai ......

Abhi - kaha jaa rahe ho mama Shundi .......ruko toh .....aur pakadkar wapas usse uske aasan par bitha deta hai .....

Abhi - hmm toh ab yeh batao k aapko yaha bhejne wala kaun hai ......aur aapne jab pahli baar jab muzhe dekha tha toh chanke kyu ......yaha se apaharan kiye hue logo k baare mein aap kya jaante ho .....sab kuch ...mein janana chahta hu .....

Shundi - Nahi mein nahi bata sakta .....yadi maine aapko kuch bhi bataya toh woh muzhe maar denge ......mein vivash hu ...rajkumar ....

Abhi - mein tumahari raksha ka vachan deta hu .....batao ..tumhe uski shapath hai jisse tum bhagwan maante ho ......

Shundi - humare bhagwan toh ek hi the Arin grah k samrat Arsalan ....jab maine tumhe dekha toh chakit isiliye rah gaya kyu ki aap mein aur Arsalan mein bahut samantaye hai ...ek pal k liye aise laga jaise mere bhagwan hi mere saamne khade ho ......Mein unhi ki kala shakti dwara utpanna waha ka shilpkar hu ........mein unke vishwas paatro mein se ek tba ......

unke jaane k baad mein unke viswasniya logo ki hatya ki jaane lagi toh muzhe apne pran bachane k liye ....unka dasatva sweekar karna pada .....

Jab Nebhru ko pata laga k jis gaon ko Darmen k sainiko ne nasht kiya ....waha k logo ko aapne aashraya diya ....aur aapne unhe gaon k navnirman ka vachan bhi diya hai ..toh unhone muzhe yaha bhej diya ......

Abhi - toh kya gaon ko nasht karne wale sainik Nebhru k nahi the ....

Shundi - Nahi woh sena Darmen dwara hi sanchalit hoti hai ......aur ussi k aadesh par saara karya karti hai .......

Shundi ki baatein sunkar Abhi ko pata chal gaya ....k uska bhai Nebhru bura nahi nahi .....

Nebhru ka apradh yahi hai k woh maun rahkar ....sab kuch hone de raha hai ......na jaane uski aisi kya vivashta thi .....jo na chahte hue bhi woh Darmen ka saath deraha tha ...

Abhi k liye itna hi .....

Agla update jald hi ......
Bahot shaandaar lajawab update dost
 
Naik

Well-Known Member
20,769
76,342
258
Update - 19

Shundi ki baatein sunkar Abhi ko pata chal gaya ....k uska bhai Nebhru bura nahi nahi .....
Nebhru ka apradh yahi hai k woh maun rahkar ....sab kuch hone de raha hai ......na jaane uski aisi kya vivashta thi .....jo na chahte hue bhi woh Darmen ka saath deraha tha .......

Abhi - kya tum jaante jo k iss samay ..yaha k log kaha bandi banaye hue hai ...

Shundi - kshama kare mein aapko nahi bata paaunga .......

Abhi - iska arth hai k aap jaante ho ...

Shundi - haa ...muzhe pata hai ....

Abhi - toh kaha hai woh jagah ...muzhe batao ....

Shundi - main nahi bata paaunga ....woh jagah dharti par nark k saman hai ....waha pravesh karne ka arth hai ....mrityu k mukh mein pravesh karna ....aur mein chahta k aapke saath kuch bura ho...

Abhi - dekho aap bhaybit hona chod do ......apne saamne anyay hota hua dekhar bhi uska pratikar na karna ....mrityu k saman hi hai .....aur mirityu toh ek na ek din aani hi hai ....iss tarah karmhin hone se toh accha hai ....k ..mrityu ki aankhon mein aankhien dalkar uska saamna kiya jaaye ....
yadi aap apne bhagwan ka jara sa bhi aadar karte ho toh aapko unki hi shapath hai ...k ..aap muzhe waha pahunchne ka maarg bataye ......

Aap apne bhay ko apne mann se nikal de ...aur ek baat ka humesha smaran rakhe .k burai kitni bhi balwati kuy na ho ....usse acchayi k saamne ek na ek din haarna hi padta hai .......

Shundi - Aap bhi bilkul apne pita ki tarah hi baatein karte ho ..... ek baar jo than liya so than liya ....thik hai ...toh suniye ....yaha lagbhag 100 kos dur ...charo taraf se pahadiyo se ghira ek bhayankar jungle hai ......aur uske bicho bich hai .....hai ...ek khadan jaha bahut se khanijo ki bhamaar hai parantu sabse jyada jo dhatu waha paaya jaata hai woh hai swarn ...jiski Neilster dwara banye ja rahe Darmen k liye vishesh yantra k liye awashyakta hai .....issiliye Darmen ne apne mayavi daitya aur Vishesh sena waha tainat ki hui hai ......

aur unhi pahadiyo k paar Nebhru ne apna rajya sthapit kiya hai ......

Jagah jagah se logo ko waha laaya jaata hai ......jo purush hai unhe gulam banakar ...khadano mein aur nagar k nirman karya mein lagaya jaata hai ......jo jo kanyaye aur mahilaye hai ....unhe waha ki sena ....bhog aur apne vansh vriddhi k liye waha ki sena uar adhikari ...upayog karte hai ......
Abhi waha pahuncne ka marg aur saari jankari Shundi se leta hai ......
aur shundi bhi woh saari baatein Abhi ko bata deta hai jo usse pata thi ....

Shundi se saari baatein pata karke Abhi shivir se bahar aajata hai .......

Abhi ek baar gaon jiska ab ek nagar k roop mein nirman ho raha tha waha k nirman karya ka nirikshan karta hai .....Abhi apne safar par nikalna chahta tha ...parantu abhi suryasta nikat tha ....issiliye usne apna safar kal pratha karne ka nishchay kiya ....

Abhi -( Vikas aur Vilas se ) mitro muzhe yaha se kal pratha kuch dino k liye kissi vishesh kaam k liye jana pad raha hai .....ab tum dono ko yaha ka kaam sambhalna hai .....

Vikas - parantu mitra aisa kya kaam aan pada hai jo tum hume nahi bata sakte ho ........

Abhi - abhi mein tumhe iss baare mein kuch nahi bata sakta ......mera jaana bahut awashyak hai .

Vilas - Thik hai toh hum bhi tumahare saath hi chalenge ...hum tumhe aise akele nahi jaane denge ...hum nagar se saath aaye the ....toh aage bhi saath hi chalenge .....

Abhi - samazne ka prayatna karo mitra ......yadi tum mere saath chaloge toh yaha ka kaam kaun sambhalega ...pitashri bhi kuch din nagar k kaamo mein vyast hone k kaaran yaha nahi aasakte ..

Vikas - yadi tab tak nagar se koi aaya aur tumahare barre mein pucha toh hum kya batayenge .....

Abhi ko Vikas ki baat jachi ....usne Mukhiya ji se baat ki aur unhe apne safar k baare mein bataya ..k nagar se koi bhi aaye aur puche unhe batana k mein nirman karya ki saamgri lene kahi gaya hu ......

pahele toh mukhiya ji nahi mann rahe the parantu .....Abhi k bahut samzhane par woh mann gaye ....Abhi ne Vikas aur Vilas ko unka kaam samzhata hai .....

Raatri k samay Abhi ek baar phir Shundi se milta hai ...aur waha tak pahunchne k saare marg ko apne mann mein bitha leta hai ....

Pratiksha ki woh raat samapt ho jaati hai .......aur Abhi k jeevan mein ek naye adhyay k saath ...surya ki pahli kiran prasfutit hoti hai ....Abhi apne nitya karm niptakar .....apni yaatra par aage badhta hai .....

Chalte chalte dopahar ka samay ho gaya tha ...Surya jaise aag ugal raha tha ...bishan garmi se bachne k liye Abhi ne kai baar jal tatva ka prayog kiya ......

Parantu Jal tatva bhi koi kaam nahi aaraha tha ...kyu ki Abhi jo bhi jal pragat karta woh ubalne lag jaata tha ......aaj ki garmi Abhi ko kuch alag hi lag rahi thi .....agrmi k kaaran Abhi ka bura haal tha ......Abhi ne prithvi tatva ka prayog karke jamin mein ek bada sa gadha banaya aur jal tatva k aawahan se usse swach jal se bhar diya ......

Abhi ne jaise hi uss jal tak haath badaya ....toh woh jal bhi ubalne laga ....aur dekhte hi dekhte pal bhar mein gayab ho gaya .......

Abhi k chehre par ek muskurahat si aagayi ....woh samaz gaya k yeh Nebhru ka hi kaam hai ......
Abhi man hi mann ( jitni bhi rukawate dalni ho daal lo bhai parantu ab mein nahi rukne wala ) ....Abhi apne bhiter jal tatva ki urja ko sakriya kar deta hai ...jisase ab usski pyas aur garmi fur ho jaati hai .....

Chalte chalte Abhi ko dur se ek gaon nazar aaya ......Subah se lagatar chalte hue Abhi thak gaya tha ...toh usne kuch der iss gaon mein vishram karne ka socha ....

Abhi jab gaon k nikat pahuncha ...toh ek bahut badbudar hawa ka zhonka aaya .....Abhi ne dekha k woh saara gaon ujad chuka hai ....kai jagah sadi gali laashe padi hai ......ghas phus k kai ghar tahas nahas ho gaye hai .....

gaon ka aise bhayank drishya dekhkar ek baar toh Abhi bhi kaanp gaya .........sadi hui laasho se aarahi badbu ...Abhi ko waha khade hone nahi de rahi thi .......gaon ki aisi haalt dekhkar .....Abhi ki aankhon mein krodh utar aaya ....k ...kaise nirmamta .....se ek poore k poore gaon ko hi samapt kar diya gaya ......usne dridh nischay kar liya k woh bhi unn logo ko aisi hi buri maut dega ...jinhone yeh sab kiya hai .....

Uss ujde hue gaon mein kahi toh koi jeevan miljaaye issi aasha k saath main aage badta gaya .....lekin shayad yaha laasho k sewa aur kuch nahi tha ......

tabhi meri nazar ek kutiya par padi jiske dwar par kuch ajeeb se chihna bane hue the ......uska dwar band tha ....maine jaise hi uss kutiya ki taraf kadam badaya ....toh ek sainik ki laash waha padi thi ...jisne kaale kapde pahne hue the ...aur uski chatti mein ek bada sa khanjar ghusa hua tha ....uss sainik ki laash dekhkar mein i samaz gaya k yeh Darmen k kissi sainik ki laash hai ....

maine kutiya ka dwar par haath rakha toh woh khulta chala gaya .......waha ...ek budha vyaki ...pada apno antim saanse le raha tha ......

main aage bada aur usse hosh laane k liye jal ki kuch bunde uske chehre par daali ....aur aawaj dene laga ......

uss budhe vyakti ne halki si aankhien kholi .....aur meri taraf dekha .....

woh kuch bolna chah raha tha lekin kanth sukhne ki wajah se ...bol nahi paa raha tha .....toh maine usse thoda jal pilaya ......
usne ek or ishara kiya ....jab maine dekha toh waha ek choti si dibiya thi ......toh main uss dibiya ko uske paas le aaya ......usne apne kaanpte haatho se dibiya kholi aur usmein se ek chamakta mani nikalkar meri taraf badhate hue .....kuch tute fute shabdo mein bola ....

Budha - Me....ri...sh...kti....woh..khanjar....be...ta....

Muzhe kuch samaz nahi aaraha tha k woh kya kah raha hai ....main kya kaur kaise isse thik karu kuch samaz nahi aaraha tha .......tabhi uss baba ne mera haath pakad liya ...aur .....woh mani mere haath mein pakda diya .......aur kuch bolte hue unhone antim saans li .....

unke aakhri shabd the Har Har mahadev .....aur unka sir ek taraf ludak gaya ....ek aakhri shaksha jo iss gaon mein jeevit mila tha usne bhi mere haatho mein dum tod diya .....mein vikshipt jaisa usse pukarne laga ....shayad woh uth jaaye ...mere aankhon se ashru dhara bahne lagi ...tabhi mere piche se aawaj aayi .....woh ab nahi uthega .....

Bolne wala tha Nebhru jo Abhi k pche piche uspar nazar banaye hue tha ....

Nebhru - shant ho jaao mere bhai woh mar chuka hai .....

Abhi - lekin kyu...... yeh vinash kisliye .....in nirapradh logo ko maarkar kisiko kya prapt ho sakta hai ...
jara dekho iss gaon ko ......aap jiska saath de rahe ho kya kiya hai usne ......jitna apradhi woh hai utne hi aap ho ...itni shaktiya hote hue bhi aapne kabhi uska pratikar nahi kiya ......kyu aapko mrityu ka bhay tha ....kya fayda aise jeevan ka ....jo kewal mukdarshak bankar apne saamne hote hue atyacharo ko dekhte rahe .......

Nebhru - tum kuch hadtak thik kah rahe ho bhai ....mein shaktiya prapt karne k chakkar mein andha ho gaya tha ......apne jeewan ki raksha ne muzhe kaali shaktiyo ka upasak bana diya ....leki jab maine ...Apne mata Pita aur tumhe khoya ....aur Pita dwara sthapit 7 graho ...k durdasha dekhi toh muzhe apna jeevan bhar lagne laga ...

mein uss Darmen ko samapat kar dena chahta tha ...parantu jaanta tha k mein uska saamna nahi kar sakta ......maine ladte hue marne ka bhi socha ...parantu main apne pita dwara sthapit unn saatho garho ko phir pahele jaise dekhna chahta tha ....Darmen ko marte hue dekhna chahta tha ....

Pitashri ....maa aur tumhe dekhna chahta tha ......aur issi kaaran mein mar bhi nahi saka ...mere bhai ....itne varsho tak pratiksha .....aur tumahri khoj karta raha ....tum nahi jaante mere bhai mein kaise pal pal marte hue unnke bich rah raha hu ...

itna kahkar Nebhru ro pada ...varsho se dabi hui bhavnaye aaj uske aankhon k jariye bahar aarahi thi .....Abhi ne aage badhkar Nebhru ko gale lagaye ......Usse apne bhai k varsho ki tapasya aur pida ka anubhav hua ....aaj Abhi ne saache hriday se Nebhru ko apna bhai sweekar kiya tha ......

uske mann mein jo bhi mail ya narajgi Nebhru k liye thi woh dur ho gayi ....
thodi der dono bhai aise hi milte hai ....phir Nebhru abhi k maathe ko chumta hai ......aur alag ho jaata hai ....

Nebhru - yeh sab baatein baad mein bhi karenge .....Abhi k haath mein dekhte hue ...yeh tumahare haatho mein kya hai ....

Abhi ne woh mani Nebhru ko dikhaya ....toh uske uss mani ko apne haath mein lekar aankh band karke kuch mantra budbudane laga ...

Nebhru - yeh koi sadharan mani nahi hai ....yeh iss baba ko saare jiwan ki tapasya ka fal hai ....isse dete hue tumhe inhone kya kaha tha ......

Abhi ne sab bataya ......

Nebhru - khanjar kaisa khanjar .....

Abhi - shayad mein jaanta hu .....Abhi kutiya k bahar aakar uss sainik ki laash se khanjar nikalta hai .....muzhe lagta hai yadi woh khanjar hai ...parantu iss mani ka aur khanjar ka kya sambandh ..
Nebhru - woh dekho iss khanjar mein ek khali jagah hai lo yeh mani issmein lagakar dekho .....

Abhi ne woh mani uss khanjar mein lagaya .....toh woh khanjar chamakne laga .....Tez hawaye chalne lagi ...aur aakash se ek bijli aakar uss khanjar mein sama gayi .......woh khanjar chamakne laga ......aur phir prakash roop mein badalkar Abhi mein sama gaya ....
jiske kaaran Abhi k sharir mein thode zhatke lage ....phir sab shant ho gaya ....

Abhi - yeh sab kya tha .....

Nebru - yeh uss baba dwara poore jeevan k tap dwara banaya hua maarak astra hai .....jo ab tumhe prapt ho gaya hai ....aage tumhe iski bahut aawashyakta padegi .....

Abhi - parantu unhone isse muzhe kyu diya ....

Nebhru - ab yeh toh muzhe nahi pata ....ho sakta hai ..woh tumahare dwara ...unn logo ko dand dena chahte ho ....jinhone iss gaon ko ujad diya ....

inn sab baaton mein sham ka samay ho gaya tha ....Abhi aur Nebhru ne milkar unn Baba ka aur gaon mein padi laasho ka antim sanskar kiya ......

aur raat ussi baba ki kutiya mein bitane ka nirnay kiya ....

Saara din cahlte chalte Abhi ko bhukh bhi lagi thi ......lekin gaon mein itna kuch dekhne k baad uski iccha nahi thi ....

Nebhru ne apne jaadoo se bhojan pragat kiya ......aur Abhi ko diya ....Nebru k bahut aagrah karne par dono bhaiyo ne saath mein bhojan kiya .....

Abhi toh so gaya ...Aur Nebhru ....waha se teleport hokar apne mahal pahincha ....

Abhi k liye itna hi ......
Agla update jald hi .......
Bahot shaandaar update dost
 
Naik

Well-Known Member
20,769
76,342
258
Update - 20

Bhojan k baad Abhi toh so gaya ....
din bhar ki thhakan k kaaran usse letate hi gahri nind aagayi

Nebru apne mahal mein apni anupasthiti nahi dikhana chahta tha issiliye woh bhi ....waha se teleport hokar apne mahal pahunch ......gaya. ....

Subah brahmamuhurat mein Abhi ki need khuli ......Woh kutiya se bahar aaya ...iss tute fute ujde hue gaon mein woh akela tha ......charo taraf marghat jaise khamoshi faili hui thi ......

Abhi ne apne nitya karm kiye aur Safar ki shuruwat karne se purva apni urja ko ekatrit karne k liye Dhyan mein baitha .......

Aaj dhyan mein Abhi ko apne bhiter uss Khanjar ki maarak urja bhi nazar aayi ....woh dhyan mein aur gahra utarta chala gaya ...toh usse apne bhiter se kissi ki aawaj aayi ....

Muzhe bahar nikalo mitra .....mein ab bahar aana chahta hu ...

Abhi - kaun ho tum aur mere bhiter kya kar rahe ho ......

Aawaj - mein aapki hi Shaktiyo ka ek ansh hu ....mein bhiter jakada hua hu ...bahar nikalo mitra ...
uske baad woh aawaj band ho gayi .....

uske baad Abhi ne uss aawaj ko kai baar pukara parantu koi uttar nahi mila ......thodi der k paschyat Abhi dhayn se utha ......

Suryoday ho raha tha ....Abhi ne thodi der Nebhru ki pratiksha ki ....usse aasha thi ki uska bhai ...iss yatra mein uski sahyata k liye uske saath hoga ....

Jab Nebhru nahi aaya toh Abhi ne ek Nazar uss gaon par dali aur Nikal pada .....gaon k antim chor par ek jungle tha ....Abhi waha tak pahuncha hi tha k Nebhru marg mein uske aage khada ho gaya ......

Nebhru - Kaha jaa rahe ho .....

Abhi - yeh kaisa prashna hai .....
jaise aapko pata hi na ho .....
main unn sab ko mukt karane jaa raha hu ....jo jite ji narak ki yatna bhog rahe hai ....

Nebhru - aur tum kya sochte ho kar paaoge unhe mukt....Tum abhi sahi dhag se apni shaktiyo ka prayog karna nahi sikhe ho ...astra vidya ....ka gyan nahi hai ....
apna prashikshan adhura chod diya ....toh kis balbute par tum unhe mukt karane chale .....
iss tarah tum apna toh jeevan sankat mein dal hi rahe ho ...aur saath..hi saath ...unn logo ka bhi jinhe bachane jaa rahe ho .....
yadi yeh itna saral hota toh tum kya sochte ho mein aise chup chap baithta ......

Abhi - Toh kya karu mein .....itna kuch dekhne aur sunane k baad mein shant nahi baith sakta ....

Nebhru - Toh kaun tumhe shant rahne ko kah raha hai ......pahele apna prashikshan poora karo ...

Abhi - parantu ismein toh bahut samay lagega .....

Nebhru - tumne do din mein kuch samay k dhyan mein apne do chakra jagrit kar liye .....ab yeh tum par hai k tum kitna samay dete ho ....aur meri di hui shaktipat diksha bhi tumhe apna prashikshan shigra poorn karne mein sahayak hogi ....

Nebhru ko baatein Abhi ko sahi lagi....issiliye woh prashikshan k liye tayar ho gaya.......

Nebhru ne issi gaon mein Abhi k prashikshan ka nirnay liya .....aur Abhi ka prashik shan shuru kiya .....

sarva pratham Abhi k chakro ko jaagrit karne ki kadi ko aage badhate hue ...usne nabhi k thik piche ..angi tatva ka mool srot Manipurak chakra mein dhyan ki vidhi aur bij mantr bataya .....

Nebhru k bataye anusar ...Abhi padmasan mein baithkar ... Manipurak chakra k bij matra ka maansik ucharan karte hue Chakra k jagah dhyan karne laga .....

kafi der dhyan karne k paschyat ...Abhi ko chakra ka roop spasht hone laga aur bij mantra ki dhvani sunayi dene lagi .....

manipur chakra 10 pankhudiyo wale kamal dal k saman hai ...jo hamare sharir k 10 pran ka sthan hai ....iske sakriya hone se ...vyakti mein....nakaratmak urja ...ko nast karke sakaratmak urja mein parivartit karne ki kshamta aajaati hai ....
aur saath hi saath prachand agni ko pragat karne ki aur kissi bhi agni se surakshit rahne ki shakti bhi aajaati hai ......

Manipurak chakra k jagrit hone k kaaran ab Abhi mein yeh shaktiya jagrit ho gayi thi ......
Abhi ko iss chakra jagrit karte hue 8 ghante ho gaye the .....

Chakra ka dhyan samapt hote hi Abhi k seene mein kuch jalan si hone lagi thi ......usse aisa lag raha tha k jaise kuch toh hai jo uska seena faadkar bahar aana chahta hai ....

Thodi der k baad woh jalan shant hui ....Abhi ne aankhe kholi Uss samay Nebhru Abhi k dhyan mein baithne k baad apne mahal chala gaya tha .....

seene mein ho rahi pida aur jalan toh shant ho gayi thi ....
parantu uske wajah se usse thakan ka ahsas ho raha tha issiliye woh wahi aankhien band karke let gaya .....usse phir apne bhiter se aawaj aarahi ...thi......jaise usse koi bhiter se pukar raha ho ....bahar aane k liye chatpata raha ho .

Nebhru k pukarne se uski aankhien khuli .....

Nebhru - iss prakar kaise chalega ...tum toh kewal dhyan karne se hi thak gaye ....abhi toh shastra vidya ka bhi prashikshan baaki hai .......

Abhi Nebru ki baatien bas chup chap sun leta hai .....dopahar ka samay ho gaya ...tha ...Bhojan k baad Nebhru ne shastra vidya ka prashikshan aarambh kiya .....

Abhi ko talwar dete hue - Shastra vidya mein nipun hone k liye yodha ko apne shashtra se aise ekakar hona hota hai jaise woh shastra nahi uske sharir ka hi ek ang ho ......

Jaise iss samay tumahare haath mein yeh talwar hai .....tumhe isse sabse pahele apne mann aur indriyo k saath jodne hoga tabhi tum issmein nipunta prapt kar saktein .ho ...

Astra vidya bhi dyan ki tarah hi hai ismein apne man ko poori tarah ekagra karna ....dekho aise ...phir Nebhru ne apni talwar pragat ki .....Aur Abhi ko bataya k kiss tarah astro se ekakar hoka prayog kiya jaata hai ......

Shuru shuru mein thodi pareshani aayi parantu yeh saari kalaye Abhi k bhiter hi chupi hui thi issiliye woh jaldi sikhta chala gaya .......

uske sikhne ki tezi dekhkar Nebhru bhi aaschatya chakit ho gaya ......
Abhi 24 mein se 18 ghante dhyan aur astra vidya k abhyas mein lagane laga ....

5 din k atha parishram k kaaran Abhi Anahat aur Vishuddhi chakra aur unki urjao ko bhi jaagrit kar chuka tha .....

Inn 5 dino mein usne Astra vidya .....aur har prakar se ladne ki vidya mein nipunta prapt kar li thi ...jaise yeh vidyaye uske bhiter hi niwas kar rahi thi ...jo Nebhru k sahyog se pragat ho gayi .....

Aise hi paancve din Abhi ki pariksha lete hue Nebhru aur Abhi talwar lekar aamne saamne the ....

Nebhru ne badi tezi se Abhi par var kiye jisse Abhi ne bijli ki si furti apne jagah se hat gaya .....
Nebhru ne apni poori samarthya se prahar karna shuru kiya ....parantu uska ek vaar bhi Abhi ko chu bhi nahi paaya ......Nebhru ki talwar divya thi aur Abhi ki sadharan ......ab Abhi ne apni talwar laybadh tarike se ghumana shuru kiya .....woh sadharan talwar ab Abhi ki urja se jud chuki thi ....aur usase tarange nikal rahi thi ......

Abhi talwar k saath ek chakra ki tarah ghumta hua ....Nebhru ki or badha ....Nebhru ne apni talwar se rokne ka prayatna kiya ...lekin pal bhar mein Abhi ki talwar Nebhru k gale par thi ....jab Nebhru ne apni talwar ki taraf dekha toh woh tut chuki thi ....

yeh sab itni tezi se hua tha k Nebhru ko kuch samaz hi nahi aaya ......aaj usse apne bhai se haarne par itni khushi hui k usne aage badkar Abhi ko gale laga liya .......

Nebhru - Shabaas mere bhai ....tumne aaj astro mein voh maharat hasil kar li k pal bhar mein muzhe bhi hara diya ....ab tum apne safar par jaane k liye yogya ho .....

Abhi - yeh sab aapke hi kaaran sambhav hua hai bhai ....nahi toh mein toh aise hi bina soche samzhe jaa raha tha ......

abhi ne dekha Nebhru ki aankhon mein aasoo the ....

Abhi - kya baat hai bahi aapki aankho mein aansoo ...

Nebhru - Kuch nahi bhai woh tumhe aaj iss tarah talwar chalate hue dekhkar pitashri ki yaad aagayi ....

Abhi nebhru kuch aur kah hi raha tha k Abhi k seene mein phir jalan aur asahniya pida ka anubhav hone laga .....in 5 dino mein kai baar Abhi k saath aisa hua tha ....parantu yss samay Nebhru waha nahi tha ......

Abhi dard k kaaran niche girkar tadapne laga .....Nebhru apne bhai ko iss tarah tadapte hue bechain hone laga .....usne apni yrja se Abhi ki pida ko kam karne ka prayatna kiya ....parantu asafal raha ...thodi hi der mein Abhi thik ho gaya ...aur lambi lambi saansen lene laga ....

Nebhru - kya hua tha bhai ...kya ho raha tha tumhe .......

Tab Abhi ne Manipurak chakra k jaagrit hone k baad shuru hui pida k baare mein bataya ......

Nebhru - Aisa toh bilkul nahi hona chahiye ......chakro mein dhyan k kaaran toh urja aur kshamta ka vikas hota hai ...phir yeh pida .....

Nebru abhi ki naadi ka parkshan karta hai parantu usse Abhi ki pida ka koi kaaran nazar nahi aata .......

Nebhru - tum abhi swastha nahi ho mere vichar se hab tak tumahare iss rog ka pata nahi chal jaata ......tab tak tumahara jaana thik nahi hai ....

Abhi - Nahi mein ab bahi ruk sakta mera ..pahele hi itna vilamb ho gaya hai .....ab aur nahi ......

Nebhru - parantu yadi ladte samay tumhari aisi dasha hui toh woh tumahare liye ghatak siddh ho sakti hai ....

Abhi - kuch nahi hoga muzhe .....aap chinta na kare mein sambhal lunga ......aur waise bhi aap toh rahoge hi aur muzhe poorna vishwas hai k aap muzhe kuch nahi hone doge .......

Nebhru - mein pragat roop mein tumahare saath nahi chal sakta .. ......parantu meri nazar tumpar hogi ......

ek baat aur hai tumahare iss prakar waha jaane se ...Darmen ko pata chal jaayega k uska koi naya shatru janm le chuka hai ......aur woh tumahari khoj mein apni poori shakti laga..dega ...

Abhi - toh kya hua .......

Nebhru - tum Darmen ki shaktiyo ko nahi jaantein ..abhi bhi tum uska saamna nahi kar sakte .....woh tumahari khoj mein kahi tumahre apno tak na pahunch jaaye ...

Abhi - toh hum kya kare .....

Nebhru - Hum apne pitashri Samrat Arsalan ko usski sena k saamne laayenge ......kyuki ek Pitashri hi the jinki shakti se Darmen ko bhay lagta tha ....

Abhi k liye itna hi ....
Agla update kal .......

Top