• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ABHI - THE WARRIOR 2 (Completed)

Naik

Well-Known Member
20,769
76,342
258
Update - 22

Ab Abhi k saamne prashna tha k kaise woh iss pahadi se bina kissi k nazar mein aaye iss pahadi se neeche jungle mein pahunchta hai ........

Abhi uss pahadi k shikhar par kinare chalta hua neeche jaane ka raasta kojne lagta hai .....khojte hue usse .....aage ...ek jagah pahadi do bhago mein banti hui nazar aati hai ....jiski darar pahadi k aadhe bhag tak usse pahuncha sakti hai .....

Abhi uss darar k kinare Chataano ka sahara lete hue utar jaata hai ....choti choti bahar ko nikli nukili chattane aur aur dararo ka sahara lete hue woh niche utarne laga ....aur latakte hue ...kai jagah se phisalte hue ...woh nice ki aur aane lagta hai .....pahadi k madhya bhag mein jaha tak yeh darar jaati thi ...waha ek jal ka srot tha jiska jal waha ek jal kund banata hua ek jharne ke roop mein niche tak jaata tha ....jal k nami ke kaarn waha kai aur fislan bhi bahut adhik thi ....
aur issi fislan k kaaran Abhi uss kund mein gir gaya .... Abhi ne kund k jal k aas paas kuch bele aur zhadiya nazar aayi usne unki ek rassi banayi aur uske sahare se uss zharne k jal mein chupte hue aadhe doori tak pahunch gaya .....jharne k jal unchayi se girne k kaaran waha niche ek bada sa kund ban gaya tha .....jo abhi bhi 100 ft k kareeb niche tha Abhi ne rassi ka antim sira choda aur jharne k jal k saath niche kund mein pahunch gaya ......

Abhi kund k jal se bahar zhankkar dekhne laga ....toh usse kund k paas hi .....ek daiya
( d1 )dikhayi diya ....jo apne shikar kiye hue kissi jeev ka anand utha raha tha ......

Abhi bina aawaj k jal se bahar nikla aur apni talwar lekar chupke se ......aage bada ...woh ..apne khane mein magan tha ....Abhi uss daitya k abhut nazdeek pahunch gaya ...woh cahta toh usko ek hi zhatke mein maar sakta tha .....parantu yodha wahi jo apne shatru ko lalkar kar samapt kare ......

Abhi talwar lekar ek chalang lagakar uss daiya k saamne pahuncha .....achanak apne saamne kisi ko dekhkar woh daitya ek baar toh chaunk gaya ......parantu jab uski nazar Abhi par padi toh

D1 - Kaun ho tum jo iss prakar mere bhojan mein vighna dalne aagaye .....Chalo accha hi hai ....inn pashuo ko khakar ukta gaya tha ...ab tumahara naram naram maass khakar aanand aayega .......aur usne paas hi pada lakdi k ek bade se tukde ka mudgar Abhi ki taraf fhenka .....woh Abhi se takrata isase pahele Abhi ne uss bade se mudgar ko tham liya aur usse ussi daitya par de maara ....

Daitya Abhi par vaar karke khada ho raha tha ..k uska hi mudgar usse jor se laga aur woh piche gir pada .....

D1 - tumahara itna sahas tuch manav ..muzhpar prahar kare ....iska dand milega tumhe ...bhayanak mrityu k roop mein ....

Abhi - muzhe tuch kahe wale murkh daitya ......dand toh aaj milega tum sabko .....tumahare kukrityo ka.... ...

woh daitya tab tak sambhal chuka tha ........usne paas hi pada ek bada sa patter Abhi k taraf phenka ....aur ..tezi se uski or dauda .......Abhi bhi apni jagah se hat gaya ....aur ....aag ka ek gola banakar usski taraf vaar kiya ...woh aag ka gola uss daitya ...se takrakar bikher gaya .....tab tak woh bhi Abhi tak pahunch gaya ...aur apne haath prahar Abhi k sar par kiya ...jisse Abhi ne block kiya ...aur ....uchalkar ek jordar kick se uske seene par prahar kiya ...jisase woh ..wahi paas k ek ped se takraya .......toh ussne uss ped ko ukadka woh Abhi ki taraf poori takat se phenka woh ped poori tezi k saath Abhi ki taraf badh raha tha ....Abhi bhi talwar lekar hawa ..mein kalabaajiya khata hua uchla aur apne taraf aate hue uss ped par ek pair rakhkar ....uss daitya tak pahuncha . aur talwar ka bhapur vaar ..uske garden par kiya ...woh daitya kuch samaz paata usase pahle ..hi uska sar uske dhad se alag ho gaya tha .....

uss daitya k samapt hone par Abhi jungle ki or badh gaya ...woh jungle se khadan ki disha mein aage badh gaya .......jungle ekdum shant lag raha tha .....charo taraf phaili khamoshi aane wale khatre ka sanket de rahi thi .....Abhi bhi poori satarkta k saath aage badh raha tha ......

tabhi Abhi ka pair sukhe paato k niche chipe hue fande ...par padta hai ...pair padte hi woh fanda kas jaata hai ....aur ...badi tezi se uss fande mein faskar ghasitta hua ......apne aapko ek ped se ulta latka hua paata hai ....

Abhi uss fande ko kholne knliye pair ki taraf zhukta hi hai k ek teer sansanta hua ..uske niche se guzar jaata hai ....Abhi yadi pair ki taraf na zhuka hota ...toh teer Abhi k sar mein ghus chuka hota ....Khatra bhanpkar .....Abhi ne apni talwar se tezi se uss fande ko kaat diya ...aur jamin par aagaya .....usne charo taraf dekha toh waha koi nahi tha .....Abhi kuch sochta k zhadiyo ki taraf se kuch teer Abhi ki taraf badte hai jisse Abhi ..apni talwar se tezi se kaat deta hai ......

Jaise hi Abhi unn teero ko kaatta hai ...usspar charo taraf xhadiyo k piche se jaise teero ki baarish hone lagti hai ....Abhibapne talwar ko lekar ek chakra ki bhanti gol ghumkar talwar ghumate hue usnn saare teero ko kaatne lagta hai ....thodi hi der mein ...teer chalne band hojaate hai ...shayad unke teer khatam ho gaye the ......

Abhi - kaun hai jo yaha chupkar vaar kar raha hai ......saamne kyu nahi aata ...sahas hai toh saamne aao .......

Abhi ki aawaj sunkar zhadiyo mein se ek bauna nikalkar Abhi k samne khada ho jaata hai ....

Bauna - ek toh humare kshetra mein bina anumati k pravesh karte ho ..aur hume sahas ka paath padhate ho ....

Abhi - toh thik hai ...shriman ji ab aumati de do ...kya mein aapke kshetra se hokar aage jaa sakta hu .......

Bauna - dhrishtata karke aumati maang rahe ho ab tumhe anumati nahi mrityu milegi mrityu ....waise bhai kai dino se humne manav maas nahi khaya ....

Abhi - yeh bhi kya baat hui pahele woh daitya ab tum ...jo bhi saamne aata hai muzhe khane ki hi baat karta hai .....kya atithiyo ka swagat aise hi karte ho ...

Abhi usase baat kar hi raha tha k do baune pedo par latakti hui bele k sahare zhulte hue tezi se aaye aur Abhi ki pith par jordar prahar kiya ....jisase Abhi aage girte girte bacha ......abhi ne dekha woh do baune kalabaajiya khate hue ..Abhi k samne datkar khade ho gaye ......unmein se ek ...

humare sardar se aise bolne ki himmat karte ho ....ab dekho ....tumahara kya haal hota hai ....usne ajeeb si aawaj nikali ....toh zhadiyo mein se 100 k karib aur baune ....bahar nikalkar aaye ..
aur ek saath Abhi par humla kar diya .....Abhi unn bauno ko koi hanni nahi pahunchana chahta tha ...issliye sirf unke vaar ko rok raha tha ....aur bich bich mein unko uthakar dur phenk raha tha .

unn bauno k humle Abhi par tez ho gaye the ....koi Abhi k kandhe par sawar hogaya koi laat ghuso se prahar karne laga ......Abhi ne socha yeh aise nahi maanenge kyu ki laato k bhut baato se nahi maante ....

Abhi ne tezi se gol ghumte hue vayuchakra ka nirman kiya ......woh saare baune uss vaayu chakra mein gol gol ghumte hue udne lage ......Abhi ne uss chakra ko rok diya ....aur woh baune niche jamin par gir gaye ....

vaayu mein gol gol ghumne k kaaran unke sar chakrane lage ......aur niche girne se chotil bhi ho gaye the ....
abhi woh sambhalkar aur kuch kar paate ....k Abhi ne apne manipurak chakra ki sakaratmak urja ko pragat karke .....ek prakash mein badalkar unn sab bauno par vaar kiya ......jisase unke sharir ko toh haani nahi pahunchi ..parantu unki saari nakaratmak urja samapt ho gayi aur woh sab apne mool swabhav mein aagaye ......

yeh baune yaha k kabile k niwasi the ..jo swabhav se saral aur prakriti se prem karne wale the ...Darmen ne apni kaali shaktiyo k prabhav se ...unmein nakaratmak urja bharkar apna gulam bana diya tha ....jo ab Abhi k kaaran apne mool swabhav mein aagaye the ...

unn sabko aisa laga jaise woh chir nidra se jaage ho ....Ab jab unke sardar ki nazar Abhi par padi toh usne shanti se Abhi ka parichay poocha aur yaha aane ka kaaran poocha ....toh Abhi ne unhe poori baat batayi .....

Sardar - hmm ab hime yaad aaraha hai .....k kuch varsho pahele ....iss jungle k bahar ....se kuch log bhagte hue humare kabile tak pahunche unhe dekhkar aisa lag raha tha jaise woh kissi se apni jaan bachakar bhag rahe hai ...toh humne unhe sharan di ...

unko dhundte hue ajeeb se vastra pahne kuch sainik himare kabile tak pahunche himne unka saamna kiya jismein humare bahut se log maare gaye .....phir hume bhi badi banakar le jaaya gaya ...uske baad kya hua hume nahi pata ....

Hum sab bhi aapke saath iss yudh mein bhag lenge ....

Abhi - yeh aapki acchayi hai ....mein aap logo k pran sankat mein nahi dal sakta .....

Sardar - mrityu toh ek din aani hi hai ...parantu kissi aache kaam ko karte hue mrityu aabhi jaaye toh isase behtar kya ho sakta hai ...kyu saathiyo ....

sab ek swar se - haa ...haa....him sab aapke saath hai ......

Abhi - thik hai yadi aap meri sahyata hi karna chahte ho toh toh yudh mein nahi kissi aur tarah se kar sakte ho ....

Sardar - woh kiss tarah .....

Abhi - unn khadano mein bahut se log bandi bane hue hai unn saare logo ko surakshit nikalne k liye kissi gupt marg ka pata karo ...aur mera sanket paate hi unn sabko waha se nikalne mein meri sahayta karo ....

sardar - jaha tak muzhe khabar hai jungle ki daayi or ki pahadi se hokar koi gupt marg khadan tak jaata tha ......Hosakta hai woh abhi bhi khula ho ....aap bhi humare saath hi chaliye ....yadi woh marg khula hoga toh aap aasani se uss khadan tak pahunch sakte hai ....

Abhi - nahi mera iss prakar waha jaana waha k bandi banaye logo k hit mein nahi hai .....jab mein bahar se humla karunga toh sabka dhyan meri taraf hi rahega ......jisase tum unn bandhako ko bina kissi vighna k uss raaste se bahar laa sakte ho ....

Sardar - thik hai jaisa aao kahe .......hum apna poora praytna karenge waha tak pahunchne ki ...

Abhi unko poori yojna batakar aage badta hai ......woh poori satarkta se aage badhne lagta hai ....Khadan bahut nikat thi ......jungle apne antim chor par tha ....

Abhi ne apna kadam aage hi badhaya tha ...ek bada sa urja ka gola badi tezi se Abhi ki chati mein takraya ....jiske prabhav se ...Abhi piche ki or gir gaya ...abhi woh sambhalta ...k saamne se ek aawaj aayi .....

Awaaj - Sawdhan ...Chale jaao yaha se aage badhne ka prayatna bhi mat karna nahi toh maare jasoge .....wapas laut jaao .....Abhi ne awasj ko disha mein dekha toh waha koi nahi tha ...

Abhi sambhalkar phir khada hua ...aur apna kadam aage badaya ....iss baar woh poori tarah satark tha .....

aawaj - maine kaha na chale jaao parantu tum nahi maane ....ab apni mrityu k liye tayar ho jaao ...phir ek shakti ka gola hawa mein pragat hokar Abhi ki taraf badha ....

Abhi ne apni urja k prahar se uss gole ko wahi rok diya ....

Abhi - tum jo koi bhi ho .....muzhe mriyu dene ki baat karte ho aur bhay k kaaran chupkar vaar karte ho ....
tabhi iss baar do taraf se Abhi par vaar hota ..hai ...Abhi ek vaar ko apni urja se rokta hai ....aur dusre vaar se tezi se apna sthan badalkar bach jaata hai ....

Abhi vaar ki disha mein agni ki urja se prahar karta ..hai ....parantu uska woh vaar bekar kaata hai .......tabhi saamne hawa mein anek astra pragat ho jaate hain aur Abhi ki taraf teevra gati se badhne lagte hai ......Abhi apni talwar ko ghumata hua unnsab astro ko apne tak pahunchne se pahele hi kaat deta hai .....

saamne tha adrishya shatru jo abhi par niranter apni urja se vaar kar raha tha ...aur Abhi bhi poori furti se unn vaaro ka saamna kar raha tha ...parantu kai vaar Abhi ko lage ....jisase Abhi k seene ki jalan aur pida phir suru ho gayi .....

Abji apni uss pida ko niyantrit karne ka prayatna karne laga .....tabhi hawa ka ek tez jhaunka Abhi k taraf badha ...aur Abhi piche ki taraf gir pada ..usse aise laga ki kissi ne uske seene par jordar takkar maari ho ......

ek toh seene ka dard aur yeh vaar ....Abhi badi mushkil se sambhalkar khada hua ....k tabhi Nebhru ki di hui anguthi phir chamak uthi aur Abhi ka saar dard saari pida pal bhar mein samapt ho gayi ....Abhi phir nayi sfurti k saath ....unn adrishya shaktiyo ka saamna karne k liye tayyar ho gaya .....

Abhi k liye itna hi ....
Agla update kal ....
Shaandaar lajawab update dost
 

Naik

Well-Known Member
20,769
76,342
258
Update - 23

ek toh seene ka dard aur yeh vaar ....Abhi badi mushkil se sambhalkar khada hua ....k tabhi Nebhru ki di hui anguthi phir chamak uthi aur Abhi ka sar ki saari pida pal bhar mein samapt ho gayi ....Abhi phir nayi sfurti k saath ....unn adrishya shaktiyo ka saamna karne k liye tayyar ho gaya .....

ek baar phir hawa ka ek zhaunka Abhi ki taraf badha ....jisse usne mehsus kar liya .....isske pahle k woh mayavi adrisya asur Abhi par vaar karta ...Abhi ..ne uski hriday ki gati aur swas ko mehsus karke apni talwar ka satik war kiya .....jo uss asur k hriday k paar ho gaya .....ek dardnaak cheekh k saath woh asur dharashayi ho gaya....mrityu k saath uska adrisya roop bhi chala gaya ....

Abhi ne ek nazar usspar dali ....aur apni indriyo ko poori tarah jaagrit karke aage badhne laga ....har choti se aawaj par dhyan deta hua poori satarkta se woh aage badh raha tha ....k tabhi ek khadag ...tezi se uski gardan ki taraf badha ....jisse usne mehsus kiya aur niche zhuk gaya .....jaise hi woh uss vaar se bacha ....tabhi alag alag disha se do shool uski taraf badhe ......Abhi ne tezi se talwar ghumayi ....aur ek shool ...ko kaat diya parantu ...dusra shool.....uske ..baaju par halka sa jakham dete hue nikal gaya ......

Abhi ab tak samaz chuka tha jab tak yeh asur pragat nahi hote ...tab tak unka saamna karna kathin hai ....ab tak k sangharsh poorna safar mein aadhe se jayad din bit gaya tha ......

Abhi ne ab jal tatva ka prayog karke apne charo tarf jal barsaaya .....gile hone k kaaran Abhi ko ab unn asuro ki aakritiya nazar aane lagi ...thi ...usse apni taraf badi tezi se aati hui do aakritiya nazar aai .....toh usne bhi apni ...talwar sambhali aur badi tezi se ghumata hua aage badne laga ...do aur asur Abhi ki talwar k bhent chad gaye..

ab aur asur baaki the unhone Abhi ko charo taraf se gher liya aur ek nischit duri banakar apna shtan badal badlkar ......uspar vaar karne lage .......jisase Abhi ko unki sahi disha ka bhan nahi ho raha tha ......Abhi ne ab ....dhul bhari aandhi chalana shuru kiya ....jisase un adrshya asuro par mitti ek ki ek parat si chad gayi ......aur woh pragat hogaye ......

jab tak woh asur apne upar ki mitti hatate ....tab tak Abhi ne budhe baba dwar doya hua maarak khanjar ....pragat kiya .....woh khanjar bijli ki bhanti chamak raha tha .....Abhi ne unn charo asuro sthiti ka dhyan karta hue uss khajar ko choda ....aur woh khanjar .....bijli ki si gati se unn charo k hriday ko bhedta hua ...wapas Abhi k haath mein aagaya ....unn charo ko cherkhne ka bhi awsar nahi mila ....khanjer k lagte hi ....woh pal bhar mein raakh mein badal ..gaye ......

Abhi ne aaj pahli baar uss khanjar ki maarak urja ka prabhav dekha tha .....Nebhru dwara usse iss khanjer ki kshamta k baare mein pata toh chal gaya tha ...paratu aaj dekha pahli baar tha ....

unn adrishya asuro ki baadha paar karke woh aage bada ......Abhi jungle paar kar chuka tha ......bas kuch chotii zhadiya bachi hui thi .....uske baad ek khula maidan ...aur amidan k ant mein khadan ....

Abhi ne zhadiyo mein chupkar dekha ......k maidan k atim chor jaha se khadan shuru hoti hai ....waha ......Sainiko ki ek tukdi ...tainat thi jo poori satarkta se pahra de rahi thi ......

Shundak se usse pata chala tha k lagbhag 1000 ki saknhya mein Darmen k sainik uss khadan mein tainat hai .......wahi ek aur unki sainik chavni bani hui thi ....jismein shayad uss sena ..k kissi adhikari k rahne ki vyastha thi .....

Suryasta hone hi wala tha ....Abhi zhadiyo k picche se waha tainat sainiko ka nirikshan karne laga .....

Yaha woh baune logo ne khadan tak jaane wale ...gupt marg ko dhund liya tha ....jo ek surang k roop mein tha ....kai varsho se uska prayog na hone k kaaran .....woh aage se band ho gaya tha ...

unn bauno ne uss tezi se waha ki khudayi ka kaam shuru kar diya ......

Yaha Abhi andhera hone ki pratiksha kar raha tha ......

surya paschim disha mein asth hone laga .....Aur poorna chandrama ka uday hua ....aaksh ek dum saaf tha ......Ab chandrama ka dudhiya prakaash charo or phail gaya tha ......

Khadan mei tainat sainiko ko kissi shatru k humle ki lesh maatra bhi aashanka nahi thi .....issiliye sab nischint the ......

Ab samay aagaya tha Abhi ka Arsalan k roop mein waha pravesh karne ka ......Arsalan k roop mein pravesh karne ki Nebhtu ne jo yojna banayi thi ussi k anusar Abhi ne Nebhru ki anghuthi ko aakash ki or uchala ....poorna chandrama k prakaash k saath sanyog hote hi ...uss anguthi mein chupi hui maaya pragat ho gayi ......

achanak aakash mein bhayankar bijliya kadakne lagi .....Aakash mein bhayankar kaale megh garjana karne lage ....achanak hue masum k badlv k kaaran ..jo sainik shivir mein baithe the woh sabhi bahar aaye .....

Aakash mein bhayankar kaale megh aur chamakti hui bijliya ....aur unki hriday ko kampit karne wali aawaje .....waha tainat sainiko k mann mein bhay utpanna kar rahe the ....tabhi unhone dekha ....k aakash se ek jagah bhayankar visfot k saath bijli giri aur waha ek prakash dwar pragat ho gaya .....unhone dekha k koi uss prakash dwar se bahar nikal raha ..hai ....jiske haath mein bijli ko si chamakti hui talwar hai ......

Visfot ki aawaj se sab sainiko ka dhyan uss disha mein gaya .....khadan k bhiter jo sainik the woh bhi uss visfot ki aawaj se aakarsht hokar uss taraf jaane lage ....

unmein se kuch sainik aur waha ki sena ka senapati ....Arsalan ko pehchante the ....

achanak itne varsho k baad Arsalan ko apne saamne dekhkar ..woh Chaunk gaye ....Senapati k muh se nikal hi gaya .....Arsalan .....Jeevit hai .....

Abhi - kyu aascharya hua muzhe jeevit dekhkar ....tumahre maalik Darmen k paas woh shakti nahi hai k jo Arsalan ko haani pahuncha sake .......tum logo ne mera saath chodkar ...mere saath vishwasghat kiya .......iska dand tum sab ko bhugatna hoga ....

ek baar toh woh senapati achanak apne saamne Arsalan ko dekhkar dar gaya tha ....parantu Darmen k 1000 mayavi astro se susajjit sainiko aur gupt roop se chupe hue daityo ka dhyan aate hi uska hosla badh gaya ......

Senapati - Maharaja Arsalan toh aap jeevit ho ....accha laga aapko dekhkar ....ab mein aapko bandi banakar .....Samrat Darmen ko upahar k roop mein bhent karunga .....
( sainiko ki taraf ishara karte hue .) aakramannn

Senapati ka aadesh milte hi sena ko woh tukdi Abhi ki or bade tezi se badi .....Abhi ne apni talwar lahrayi ....aur agni ki urja se ek bade se aag k gole ka nirman kiya aur uss sena par prahar kiya .....

jaha woh aag ka gola gira .....kai sainik uss aag ki chaoet mein aagye aur swaha ho gaye ......Abhi ne lagatar aag k gole barsaye .....aag se bachne k liye ..sena mein bhagdad mach gayi thi....

Apni sena ko aise titar biter hote hue dekhkar Senapati ne Sena ki suraksha ...k liye kaali shaktiyo ki ek diwar si bana di Abhi k agni golo k vaar uss adrishya kaali urja se bani hui deewar se takrakr bikharne lage .....

.Abhi ne ek k baad ek ..jal..vaayu ...aur prithvi tava ka prayog kiya ...parantu koi bhi vaar unn sainiko tak nahi pahunch raha tha ....tab woh sainik bhi ab tak sambhal chuke the ....

yaha ka shor sunkar khadan k baaki sainik bhi ussi disha mein apne shastra sambhalkar jaa rahe the ......

Yaha unn bauno ne bhi surang ka raasta poori tarah khol diya tha ......aur Vifot ka sanket milte hi ..woh uss khadan mein gupt rup se pravesh kar gaye ....Saare sanik ...khadan se bahar jaa chuke the ....kewal kuch hi gulamo k kaidkhane ki paheredari kar rahe the ...

yaha do bandigrih the ek mein bediyo se bandhe hue ....purushvarg ....aur dusre mein ardha nagna awastha mein kanya aur mahilaaye ....

sabke sahrir par jagah jagah choto k nishan the .......kam maatra mein bhojan aur jal ...milne k kaaran ...woh bhaut kamjor ho gaye the ......itni kamjori mein bhi unhe aapne prano ki raksha k liye ...kaam karna padta tha .....aur nahi kar paata tha ....usse sabke saamne .....sab k saane jinda jala diya jaata tha ......

Kanyaye aur mahilaye inn saniko k bhog ka sadhan thi ....unke shari par bhi jagah jagah daanto se bane hue ghav the ....jo ....sambhog k liye mana karti .....sabke saamne uske sharir k tukde kiye jaate the ....

kul milakar yeh jagah unn bandiyo k liye jite jee kissi narak se kam nahi thi .....

woh baune waha faile hue andhre aur apne vhote kad ka sahara lete hue ....bandigrih dund rahe the ....k ...dur se chamti hui mashal k orakash mein unhe aahir bandigrah mil hi gaya .....

kuch gine chune hi sainik waha oahra de rahe the .......unn bano ki sankhya 100 k karib thi ....unhone ne achanak unnsainiko par humla bola ....isase pahele woh sainik kuch samazte ..tab tak unka kaam tamam ho gaya tha ......

Unn bauno ne waha ka taala toda aur ....bandiyo ko mukt kiya .........waha unhe pata chala k aur bhi aise bandigrah hai ....yaha lagbhag 2000 log bandi hai .....

unn bauno k saath ab woh log bhi aage badhe aur ek ek karke sabhi bandigraho se unko mukt kiya .......

Yaha Abhi ka ghamasan Sainiko k saath chal raha tha ....

saare sainiko k ek jagah ekatrit hone se jaise Abhi k uppar mayavi astro ki barsat hone lagi ......Abhi ka ek bhi prahaar uss kaali shkti se bani hui deewar ko bhedkar unn tak nahi pahunch raha tha ........

Abhi ne panchtatva ki urja se ek dhal banayi aur apne upper hone wale vaar ko rokne laga ....aur saath hi saath uss kaali shakti ki deewar ko bhedne ka upay bhi sochne laga ......

tabhi Abhi ne apni or tezi se aarahe mayavi shool par dhal se jordar prahar kiya ...jisase uski disha badli aur woh wapas uss urja ki deewar ko paar karta hua sena ki taraf gir pada ...

Abhi samaz gaya k usse kya karne chahiye .......Abhi ne ek chakravat ka nirman kiya ...jo badi tezi se aarahe Darmen ki sena k astro ko apne bhiter sametne laga ...

ab Abhi ne uss chakravat ki gati viparit kar di .....jiske kaaran woh saare astra ......Kaali urja ki deewar ko bhedkar unn sainiko ka ant karne lage .....

vatavaran un sainiko ki cheeko se gunj utha ....aur ek hi vaar mein 100 k lagbhag sainik maare gaye .....senapati ne apni sena ki yeh dasha dekhkar .....usne apna bhayankar astra jo ek advance atomic laser wepon tha .....jo woh Arin se apne saath laaya tha ...

uski laser bim se Abhi par vaar kiya .....Abhi ne usase bachne k liye apni dhal aage ki parantu woh laser beam uss dhal ko bhedti hui Abhi k seene se takrai .....

uss beam ka prahar serne par hote hi ...Abhi ko phir seene ki jalan aur pida hone lagi ....Abhi ne apne jabde bhinch liye ...Aur apne maarak khanjar ko ......uss senapati ki taraf vaar kiya ...woh khanjar uss senapati ka seena chirkar wapas Abhi k haatho mein aagaya ....

Abhi ne apni pida ko sahte hue ...ek bada sa agni ka gola banaya ......aur unn sainoko par vaar kiya .....

Bahut se sainik ab uss aag mein swaha ho gaye .......

Darmen k sainiko ne ab Arin grah k aadhunik vigyan k dwara nirmit ....lesar gun se Abhi par prahar karne lage Abhi unn lesar ki ultra voilet kirno ko rokne ka prayas karne laga ......parantu woh kirne lagatar Abhi k sharir par padne lagi ......
Abhi ka dard ab apne charam par tha ....

tabhi ....ek aur laser kiran Abhi k seene par padi ......jisase Abhi ki jordar cheekh nikli ....aur saath hi ek laal prakash Abhi k seene se bahar nikala ...aur ek laal mani k roop mein parivartiti hokar ....jamin par girgaya ....woh mano ab khandit ho gaya tha ....

Yeh laal mani wahi suraksha kawach tha jo Nebhru ne diya tha .....

Abhi jamin par pada tha ......Sainik usse mara hua samazkar aage badhne lage ....

Abhi k liye itna hi ...

Agla update kal......
Bahot zaberdast shaandaar lajawab update dost
 

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,545
143
Update - 24

Abhi jamin par pada tha ......Sainik usse mara hua samazkar aage badhne lage .........
woh saare sainik thodi dur par ruk gaye ....unmein se ek aage Abhi ko dekhne k liye aage badha .Tabhi ek prakash Abhi k bhiter se pragat hua aur gunji uss sainik ki dardnak cheekh......

Achanak yeh kya hua ....sainiko ko kuch samaz nahi aaraha tha ...unhone dhyan se dekha toh p
waha tha Abhi ki sangharak shaktiyo ka ansh KAAL ka panja uss sainik k seene mein woh sanik chikh raha tha aur uski ceekhe sukar KAAL ki aankhon mein ajeeb si krurta ......k tabhi Kaal ne ek zhatke se use seeme ka haat nikala .......toh haath men tha uss sainik ka kaleja .....khoona se sane haath mein halka dhadahta hua dil ....jisase bahta taza khun dekhkar kaal ki aankhon mein alag hi krur chamak aagayi thi ....Kaal ne uss dil ko apne jabde mein chabakar nigal lya ....woh sainik niche ..yeh sab itne jaldi hua k baaki sainiko ko pata hi nahi chala k vaha kya ho raha hai
aur jab samaz aaya toh unki ruh kaanp gayi ....Kaal iss samay Sher manav k roop mein tha ......usne khoon se sane jabde par lahe khoon ko saaf karne jeebh nikalikar pheri aag ugalti aankhon se unn sainiko par ek nazar daali aur ek nazar Abhi par .....aur jor se dahada .....
Sainik darte hue aage badhe k tabhi Kaal Lapakkar sainik k paas pahunch apne jabde mein uska sar pakdkar ukhad diya baki bache hue sainiko ki or dekhta aur chaba gaya ....abhi bhi 500 k lag bhag Sainik khadan mein bache hue the ......

Kaal ek baar unn sainiko ki taraf dekhkar aur dahada .......Kaal hu mein ...Mahakaal ka ansh tumahari maut hu main ....
aur ab sabse aage sainik ko pakadkar Kaal ne uske seene mein dono haath dalkar bichse faad deta hai ....dono haath pakde hue uss sanik k fate hue sharir ko ek aur zhtkar dekar bich se chirkar fhenk diya....apne saamne itne bhayankar drishya dekhkar unn sainiko ki himmat nahi ho rahi thi k kaal k paas mein bhi gatke .......Kall aage badh raha tha aur badh rahi thi unn sainiko ki cheekhe ......kissi ka sar alag ..kissi k tukde pade tga ...koi bich se chira hai ..,.

Yaha Abhi kp bhi hosh aagaya ....usse apne bhiter shaktiyo ka bhandar nazar aaya jo usne pahele kabhi nahi Dekha tha ....Abhi bhi apna kjkhanjar lekar ....Darmen k sainiko par tut pada ......

Yaha Abhi Maarak khanjar ko gumate hue aage badh raha tha jo jisase bhi lagta woh rakh mein badal jaata ....Darmen k siniko mein hah hahkar mach gaya .......

Khadan mein ho raha shor jungle mein bhi fail raha tha ..,...Abhi ne toh jungle k ek hisse k daityo ka hi saamna kiya tha .....woh daitya bhi khadan ki aur badhe ......

Baune yaha bandiyo ko mukt karane k liye surang tak le hi jaa rahe the ......K tabhi unke saamne ...ek daitya khada ho gaya ....usne ek haath se aage khade baune ki gardan pakadkar uthadiya....uss bhayankar Daitya ko apne saamne ..dekhkar ..woh baune ekdum dar gaye ....Sardar ka bum ghutne laga .....tabhi ek khanjar aaya aur uss daitya ki garden k paar ho gaya ...

aur woh niche gir pada ....Bauno ne dekha waha Abhi tha ....

Abhi - jaldi se inn sabko yaha se nikalo .....Aur ussi jagah meri pratiksha karo ......

Abhi unn bauno se baat hi kar raha tha ....k tabhi bandiyo mein saamne khade yuvak ne ek or dekhte hue Abhi par chalang lagayi .....aur ek shool badi tezi ...se ..unke saamne jamin mein ghus gaya .......

ek baar toh Abhi samzha nha k iss yuvak ne ekdum se kyu chalang lagayi ......parantu ja b usse samaz aaya .....toh uusne shool ki disha mein dehka toh waha ek aur daitya tha .......Abhi ne uss yuvak ko sahara dekar khada kiya ......aur unko jaldi se nikalne ka ishara kiya ......
aur uss daitya par ....apne khanjer se vaar kiya .....jisase woh vahu dher ho gaya ......

yaha kaal ...sainiko k chithde uda raha tha ...unka khoon pi raha tha ......dil nikalkar chaba raha tha .......jo bhi uske haath mein aajata ...usko buri tarah chirkar ....chote chote chithdo mein badalkar wahi phenkdeta .....jaise koi chota baccha kafaz k tukde kake bikher dete ho ....

itni bhayanak tarike se sainiko ko marte hue dekhkar ...woh sainik idhar udhar chupne lage .......lekin kaal ki nazar se kaun bach sakta tha ...aaj varsho baad jaga tha woh uski rakt ki pipasa abhi shant nahi hui thi ....usse chahiye tha aur rakt ......

aur Abhi yaha Jungle ki taraf se aarahe daiyo ka saamna kar raha tha .....aur unhe apne khanjar se maut k ghat utaar raha tha ........

Yaha Darmen ...ne Egypt k registhan mein apna samrajya failaya hua tha ........usne waha k saare logo ko gulam banaya tha ......waha ki sunder sunder striyo ko ....nagn awastha mein ....apne mahal mein rakhta tha .......aur unse bhog karke apni vansh vridhi karta ....

uske sainik bhi kai stiro se jabarduti sambandh banakar apne nasal aage badhane mein lage hue tha ...

Waha usne apne aapko devta ghoshit kar diya tha .......Issi Mahal mein usne Neil ki madat se ek atyaaadhunik lab aur ek control room banaya tha .....iss lab mein woh Neil ki sahyata se Samya yaatra yanra ...yani Time machine ka nirman karne mein laga tha .....

Darmen ne bhi itne varsho mein apna parivaar banaya tha jiske baare mein baad mein pata chalega ......

Darmen iss samay ..Neil k saath ..uss samay apni lab mein tha ......

Darmen - aur kitna samay lagega isse tayar hone mein ......itne varsho mein bhi tum isse bana nahi paaye ....sach kahu toh Arsalan ka vigyan k gayn k aage tumahara gyan kuch bhi nahi hai .....

Neil - issbaar humara yeh prayog Safal hoga Maha mahim .....bas kuch din aur .....parantu iske banane k baad hime bahut adhik maatra mein urja ki aawashyakta hogi ....

Darmen - uski chinta tum mat karo .....apne prayog par dhyan do ....yadi iss baar bhi asafal rake ..toh apni toh tum jaante ho ....kya hoga .....( Neil ki taraf ghurta hua )

Neil ko saaf saaf Darmen ki aankhon mein apni mrityu dihkayi drne lagi ...aaj kitne dino baad usne apne pita Arsalan ka naam suna tha .......
Neil Arsalan k baare mein sochne laga ...k wakai uske pita k vigyan k aage uska vigyan kuch bhi nahi ....kaash aaj uske pita hote ...itna sochte hi uski aankhien laal ho gayi.....nahii.....Arslan mera shatru hai ....aur Darmen mera maalik......aur usne saamne khade hue Darmen ko pranam kiya ......

yahi tha Darmen ka jaadoo jiske vash mein ..Arsalan k bete the ...yadi kabhi bhule se unke maan mein apne pita k prati koi khayal bhi aata ....toh uska jaadoo phir sakriya ho jaata aur unke mann se woh bhav nikal jaata .....

Neil ko iss taràh pranam karte hue dekhkar Darmen kutilta se muskuraya ....

Lab k bahar khade prahari se kisdi ki bahas ho rahi thi ......woh tha control room ka sainik ....

C - jaldi karo mere sandesha Mahamahim tak pahunchao ....

L - nahi ...woh kissi vishesh karya mein lage hue hai .....unhone ...kissi ko bhi vighna daalne k lite mana kiya hai .........

C - yeh suchna bahut mahatva poorna hai ....yeh suchna ...Maharaj Arsalan k baare mein hai .....unhe shigra hi sanchalan kaksh mein aana cahiye ...

Lab k rakshak Arsalan ka naam sunkar ....chaunk gaya ...usse mamle ki gambhirta nazar aayi .....

L - thik hai jaao .....tum khud Mahamahim ko sandesh do .....

Control room ka sainik ...lab mein pravesh kar jaata hai ......aur Waha Darmen ko dekhkar ....

C- Mahamahim ki jai ho ......

Darmen apne aur bhi project k baare Neil se baatien kar raha tha ...iss tarah kissi ka bich mein aakar tokna uss accha nahi laga ....usne ..turant apni talwar use uss sainik ka sar dhad se utar diya .......aur khoon ka fawara phoota ....

Usse Lab k praharedar par krodh aaya k kaise koi yaha pravesh kar gaya ....Darmen chillakar usse pukarta hai ....

Darmen ki aawaj sunkar woh bhi kannpta hua ....uske saamne pahunchta tha .....jab usse sar kata woh sainik dikhta hai ...toh uska gala sukhne lagta hai ...ab usse apni bhiaut nazar aane lagti hai .....

Darmen - tumhe kissliye lab k pahre par bithaya hai ...yeh kaise andar aagaya .....lagta ab tum bhi isse dand k yogya ho .....

L - kshama kare ....Mahamahim ...kshama kare ....woh muzhse bhul ho gayi ....woh isne Arsalan ka naam liya tha toh maine bhej diya ...ab kabhi aisa nahi hoga ....

Arsalan ka naam sunte hi Darmen chank gaya ....kya kaha Arsalan .....poori baat batao .......kya kah raha tha ...yeh Arsalan k baare mein ....

L - usne bas Arsalan ka naam liya tha aur aapko shighra control room mein aane k liye kah raha tha ....

uski baaton se Darmen ko kuch aashanka hone lagi ......Aur woh ..turant lab ki or chal padta hai ..Aur piche piche Neil bhi ...

Yeh cintrol room Darmen ne apne har mahatvapooran sthan se connect kar rakha tha ....
wha pahunchkar ...

Darmen - kya hua kahi koi gadbadi....aur yeh Arsalan ...kya baat hai ....

Sainik - mahamahin kuch der pahele Nebhru k kshetra mein sthit Swarna khadan se kissi sanik ka sandesh tha ......humne usse record kita hai .......
hum apni screens ko waha se jodna chah rahe hai parntu kar nahi paa rahe .....

Darmen - uss sndesh ko sunta ..hai ...

sandesh - Yaha Maharja Arsalan ne humla kar diya hai ......humahe pran sankat mein hai ....sabkuch nasht ho raha hai ......Tabhi uss sainik ki cheekh sunayi deti hai aur woh sandesh band .....Woh kaal ki bhent chad gaya tha ...

Yaha kaal se darkar chpe hue saoniko ko dhund ..dhundkar maut de raha tha ....aise hi dundta hua ek chote se kaksh k andar se kuch aawaj aayi .....usne darwaja ukhadkar phenk diya ....andar ek sainik waha k chote se control room se sandesh de raha tha .....Tabhi kaal ne piche se uski garden pakadkar utha kiya ....aur usse kissi ganne k i tarah chil diya ......uski saari aantadiya bahar aagyi thi ....kshat vikshat uske shav ko phenkar .....usne uss control room ko tod diya .....

yaha Araslan dwara Swarn khadan par humle ka sunkar ....Darmen .... waha . ....ka drshiya dekhne k liye waha ki screen ko connect karne laga .....

yaha Yaha lagbhag saare sainik jo lagbhag 1000 ki sankya mein the ......aur karib 10 daitya jo jungle se khadan mein hone wale shor ko sunkar aaye the ...maare jaa chuke the ....bas kuch gine chune sainik ..Kaal ke bhay se chupe hue the .....

Bandiyo ko waha se nikala jaa chuka tha ....

Charo taraf sainiko k laash k tukde aur khoon bihkhra pada tha ......

Kaal aur Abhi poori tarah se unn sainiko k rakt se bhig gaye tha ....kaal toh jaise unke rakt se nahaya tha ......

Abhi ko dekhkar kaal Abhi k saamne ghutno k bal baith jaata hai .....Abhi bhi uske sar par haath pherta hua ....

Abhi - toh aakhir tum mukt ho hi gaye .....ab toh ..prasanna ho na ......milgayi tripti..

Kaal - kaal kabhi tript nahi hota mere maalik .....aaj mitne varsho baad mukt hokar bahut accha lag raha hai ......

Abhi - tumhe pahele bhi kaha hai hai hum dono ek hi hai ..muzhe maalik nahi ...mitra kaha karo....( Abhi kaal ko uthakar gale laga leta hai )

Tabhi Abhi k paas hi vifot hota hai ....Abhi ka dhyan uss or jaata hai toh Waha Nebhru Darmen k waha tainat sabse bhyankar aakhri Daitya k saath khada tha .....

Nebru ne waha lage camera ab tak Darmen k conrol room se connected hone se rok raka tha ....
parantu woh ab Arsalan ko Darmen k saamne laana chahta tha issiliye ab usne connect hone diya ....

aur yaha Darmen ki Lab k control room k screen par khadan ka woh drisya chal pada ...jismein ...Nebhru aur ..woh bhayankar daitya ...Abhi k saamne tha ....uss ..... drishya ...par nazar padte hi .....Darmen ko apni aankhon par vishwas nahi ho raha tha ....

saamne screen par usse Arsalan dikh raha tha waise hi vesh bhusha waisa hi haav bhav .....

Usse vishwas nahi ho raha tha k itne bade dhamke k se Arsalan kaise bach gaya ......yadi woh bach gaya tha toh itne varsho se kaha tha .....

parantu saamne jo dikh raha tha usse bhi eoh jhutla nahi sakta tha .......

Saamne Nebhru aur woh daitya ..Abhi k saamne khade the .....Aue Nebhru ne hi Abhi k paas vifot kiya tha jisse Darmen apne control room mein baitha dekh raha tha ....

Abhi k liye itna hi ....
Agla update raat ko ....

 

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,545
143
Nice update bhai abhi ki jo shakti us lal mani ki surksha kavach se bandhi hui thi wo aazad ho gai he ab abhi ki sabhi shakti usko mil gai dekhate he aage kya hota he waiting for next update
Thanku soo much bhai aapke shandar support & fantastic Review k liye
:thanks: :thanks::thanks:

aise hi saath banaye rakhe..??

Update 24 posted...
 

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,545
143
Abhi ush pahadi ke shikher par pahunch kar aage ki aur badhta hai aur D1 ko mout ki neend sula kar jungal ke raste aage badhta hai v Bono se takrav hota hai Abhi unki nakaratmak urja khatam karke apne sath mila leta hai.
Abhi ka jungal se niklte hi do adrishye shaktiyo se yudh shuru ho jata hai.
Bahut hi ujjwal kirno si parakshit karti hui dhara ki aur badh rahi ek aur shrinkhla bahut hi uttam shilly ki hai.
Bahut bahut dhnyawad Nevil bhai aapki samikshayo ki shrinkhala mein ek aur moti samarpit karne k liye

:thanks: :thanks::thanks:

aise hi saath banaye rakhe..??

Update 24 posted...
 

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,545
143
Zabardast action asli maza toh ab aayega jab kaal un sainikon ke samaksh hoga ?
Dekhte hain ab aage kya kya hona hai
Thanku soo much bhai for your Fantastic support & comment..
:thanks: :thanks::thanks:

haa bhai ab Kaal ki entry hogi ..kahani mein .....

aise hi saath banaye rakhe..??

Update 24 posted...
 

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,545
143
Abhi Arsalan ban kar Darmen ke senapati ko mritue deta hai v bahut saare sainiko ko khatam kar deta hai parntu Arin grah ki aadhunik vighyan se nirmit lejer gun dwara ush per jo humle ho rahe the ushe vah rokne me ashhay mahsush karta hai aur ek lejer beem ushke hridey me takra jaati hai jahan per Nebhru ka rakshakawach laal mani ke rupe me tha jo khandit ho jata hai aur Abhi behosh ho jata hai.
Bahut sunder veer rash se sarober ek aur shrinkhla le ke aaye hai Abhi bhai Yudhbhumi se.
Anant aabhar Nevil bhai aapke iss sneh aur sunder shabdo se saji hui samiksha k liye ..

:thanks: :thanks::thanks:

aise hi saath banaye rakhe..??

Update 24 posted...
 

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,545
143
Top