• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ABHI -- THE WARRIOR (Completed)

Aapko Kahani kese lag rahi hai...

  • very Good

    Votes: 46 92.0%
  • good

    Votes: 6 12.0%
  • not soo good

    Votes: 2 4.0%

  • Total voters
    50
  • Poll closed .

abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,596
143
Zaberdust update bhai
Nice update bhai
Nice update
Superb Update Bro...
Waiting For Next
Last wala update acha tha
Mast update h Bhai
Maza aa gya
Amazing update
Sabhi dosto ka ...pyar aur saath k liye ..bahut bahut dhnyawad...??????

aise bhaiyo saath banaye rakhe

new update - 13 posted...

waiting for your comments & reviews..
 
Vickey1211

Well-Known Member
7,541
16,040
188
Update - 13

abhi tak aapne dekha......kaal ka jnam......aur Abhi k do roop
ab ....aage.....

old Roopnagar mein din mein khub utsav chala aur raat ko ek shandar party .......aaj Abhi k sabhi rishtedar aaye hue the ....raat mein roshni se jagmagata hua mahl aur bhi shandar lag raha tha

Abhi ne apna birthday cake kaata aur shuru hui party......ab shuru hua gifts ka silsila jo Abhi ko bahut pasand aaya ...... lekin abhi ko kisi chij ka intezar tha....... Tabhi Ritu ko dekhkar , Abhi bahut khush hua ......

Abhi - Didu kaha gayi thi aap mein aapko hi dhund raha tha........

Ritu - Kahi nahi betu bas tere liye kuch surprise tha woh hi lene gayi thi
itna kahkar di ne abhi ko ek gift diya

Abhi se raha nahi gaya ussne turrant usse khol kar dekha.... toh ussme ek gold ka mouth organ beshkimati daimonds se jada hua usse dekhkar Abhi bahut khuh hua ......arre didu aapne ne muzhe sabse accha gift diya hai ....wao yeh kitna khubsurat hai

Ritu - accha mere betu ko gift pasand aaya toh ab hum sab ko bajakar bhi suna do

sab baccha party Abhi ko gher kar baith gayi Chacha ki do ladkiya
Payal aur Shreya, .....massi ki dono ladkia Monika Aur Lovely...........
badi bua ki Pari ,avya abhi bahut chotti thi apni maa ko godi mein

Abhi yani meine tabhi dekha Chotti si gudiya ekdum cute doll jaisi pari muzhe tak pahunchne ki koshish kar rahi hai .....alle mujhe jaane do na.....muzhe bhi bhai ko gift dena hai..tabhi usske haath ka gulab baccho ki bhid mein gir gaya ....aur uske chehra udaas ho gaya....

Ritu - kya hua abhi sunao na koi dhun

toh mein didu ko pari ki aur dekhne ko ishare se batata hu.....

Mein -- Pari kya hua meri Gudiya ...

Pari - Dekho na bhai ...yeh chhaale bacche gande hai.... mela lose gila diya ...aul muje aapke paas aane bhi nahi de lahe hai.....

Mein - sb ko side karte hue pari ko apne paas le aata hu....Aise kisi ko gande nahi bolte shona...

Accha rose toh ab gir gaya ab muzhe kya gift dogi shona

meri baat sunkar Pari kuch sochne lagi ....phir meri godi mein chadkar mere galoo par kiss kar diya

aur baith gayi meri godi mein.....

mein - wah mera shona baccha yeh gift toh bahut accha hai ...

meri baat sunkar pari bas mere taraf dekhkar muskura rahi thi..

phir meine mouth Organ bajanna shuru kiya aur kho gaya sangeet mein

mera dhyan sabki taaliyo se tuta ...aise enjoy karte karte party khatam ho gayi ....

Papa ko Shahar jaana pada kisi jaruri kaam se toh woh Ritu di ko saath le gaye....di jana nahi chahti thi lekin school ki wajah se unko janna pada..

Ab mein aur mom Rah gaye Dada dadi k saath mahal mei , yaha mere bahut se dost banne.....yaha ki hariyali , kal kal karti nadi .panchiyo ki awaaje sabhi kuch muzhe bahut accha lagta tha

ab dekhte hai humare Abhi ka dusra roop kya kar raha hai..

Jaise hi Mahaguru muzhe apne saath apne aashram laaye ...waha aashram k bahar ki mere jitna ki koi baccha mere saamne ghutno par baith gaya
.....
Aapka ka swagat hai mere maalik..

usse pahchankar mmaine usse uthakar gale se lagaya.....
A1- mitra tum mere hi shaktiyo k ansh ho ...aur yeh muzhe maalik bulana accha nahi lagta tum muxhe bhai hi bulao.

Rakesh - jaisi aapki iccha bhai

A1 - yeh hui na baat , mere yr

phir Mahaguru ne aacharya somdutta ko mere rahene ki vyastha karne ko kaha

ek kutiya mein meri vyastha kar di gayi
ab meine waha ka najara dekha toh yeh jagah ekdum ekaant mein himalaya ki pahadiyon par sthit thi ... charoo aur unche unche parvat....aur ek bahut badi zheel...jismein paani paas k hi jharne se aata hai ....

wahi paas mein ek maidan jaha kuch vidyarthi shastra kala ka abhyas kar rahe the, zheel k paas hi ek vishal bargad ka ped hai jaha vedo aur upanishido ki shiksha di jaati hai

wahi kuch duri par baag baagicha jaha aashram k liye fal aur sabjiya ugaye jaate hai aur thodi dur par ek Gaushala....jaha bahut se gaumataye rakhi hui thi

aashram ko dekhte dekhte ek baat samaj aagayi thi ki yaha ka saara kaam yaha k vidyaarthi hi karte hai,

yeh aashram Himalaya ki ek ghatti par sthit hai, Mahaguru ki shakti se koi bhi bahar ka vyakti iss aashram ko dekh nahi sakta ...

Ghumte ghumte muzhe sham ho gayi

aur pahuch gaya mein apni kutiya mein , ......mein prithvi lok mein janam lene se pahelewale apne swaroop aur usski shaktiyo ko jaanta tha .....isiliye muzhe lagne laga Mahaguru muzhe vyarth yaha le aaye mein toh aapni saari shaktiya jaanta hu....aur muzhe kuch sikhne ki bhi jarurat nahi hai...
aise hi mera samay barbad hoga...

yeh ahankar hi vyakti ki vikas ka baadhak hota hai, mein apni smritiyon k chalte yeh bhul chuka tha ki iss samay mein manav sharir mein hu

aur iss sharir ki kuch simaaye hoti hai jab tak isski shaktiyo ko jaagrit na kiya jaaye

( jaise mobile kitna bhi mehanga aur stylish ho lekin bina charge kiye bekar hi rahta hai)

aur isse jaagrit kiya jaata hai kathin parishram aur abhyas se

tabhi Rakesh kuch fal lekar mere paas aaya..... yeh fal Gurudev ne aapke liye bheje hai ......aur kaha hai aaj aaram karlo ...kal se Shiksha aarambha karenge.....itna kahkr woh jaane laga ..toh maine usse haath pakdkar apne paas bithaya ......arre kaha jaa raha hai yr ....thodi der jara apne dost k paas nahi baithega.......

Rakesh - mein......kaise....aaap k paaas baith saaakta hu

uska aise haklaate bolte hue dekhkar muzhe hasee aagayi...mein bola arre arre kya hua aise ghabra kyu raha hai ..

phir humne saath milkar fal khaaye ab raat ho rahi thi Rakesh muzhe kutiya mein chod kar chala gaya, ab muzhe nind aane lagi toh meine dekha sone k liye sukhi ghass ka k gadda sa banaya tha aur uske upar ek patli si chadar,

raat ka samay aur Himalaya toh aap samaj hi sakte honge ki thand kaisi hogi
thand lagne lagi toh mein bahar nikalkar tahlne laga , khulle aakash mein chamakte taaro ko dekhte dhekte jaa raha tha ki achanak kisi se takra gaya ... tabhi ek surili par gusse se bhari aawaj aayi .....

awaaj - uff.....yeh kaun andha ...bewakuf...langoor ki dum.......akdu ...gadha ....nalayak ..hai

apne liye pahli baar itne aise naamo ko kisi k muh se sunkar muzhe ajeeb sa laga aur saath mein hasee bhi aayi

jab maine saamne dekha toh niche jamin par mere dhake se giri hui ek ladki ko dekha , jiske baal bikhare hue the gusse mein gaal aur laal ho gaye the ...badi badi aankhein ...jinko dekhkar jaane mein kaha kho gaya
ki muzhe dhyan hi nahi raha ki uske muh se mere liye kaisi kaisi upmaye nikal rahi hai.....

tabhi ussnne paas pade ek kankad ko meri tarf phenka jisse mein wapas laut aaya

ladki - ek toh muzhe girate ho aur upar se ghur ghur kar dekhte ho
aur uthate bhi nahi ...batameez kahi k

mein usse uthane k liye apna haath aage kiya , jaise hi ussne mera haath pakda jaane kyu muzhe aisa laga jaise yeh mera hi ek ang hai

tabhi ladki ne apna haath chudaya aur jaane lagi

mein - arre apna naam toh bata do

ladki - mein langoor ko apna naam nahi batati ithna kahkar eoh andhere mein gum ho gayi

itne mein aashram ke hi kisi shsha k haato guruji ne ek kambal bheja jisse lekar chal diya apni kutiya mein sone..

un do aankhon ko sochte sochte jo aaj takarai so gaya gahri nind mein..

abhi k liye itna hi...
agla update jald hi.....
Nice update h Bhai
Maza aa gya
 
abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,596
143
Awesome update
Ye dual personality h
Keep posting
Aapke comment aur review k liye bahut bahut shukriya bhai
????
bahut si personality hero ki..aage story mein pragat hongi bhai ...

aise hi saath banaye rakhe

new update - 13 posted....
 
Last edited:

Shurya dev

Member
313
964
108

Bahut hi achha post kiya hai
 
Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,061
188
Awesome update bhai
 
abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,596
143
Update - 14

ab tak aapne dekha....Abhi ka dusra roop A1 ..Mahaguru k aashram pahuchta hai .........
Rakesh se mulakat ......
aur kisi ladki se takrana......
ab aage

Subah 5 baje shankhdhvani se meri nind khuli..... maine dekha Abhi toh bahar andhera hai....mein aur sone laga tabhi
aashram ka kothari Haridas

( kothari matlab woh jiske under mein aashram ka storekeeper) mere samne khada hai

Haridas - uth jaao yeh koi raaj mahal nahi hai .....jaha der tak soote hai.....yeh lo tumahare liye vastra isse pehankar tarayar hokar jaldi se devalaya pahucho...

muzhe uske bolne ka tarika jara bhi accha nahi laga ....lekin kya ..kare

A1 mein - thik hai pahele yeh toh batado yaha bathroom kaha hai aur fresh hone kaha jaau

kothari - yaha koi batroom waigera nahi hai ....yeh lo lota ...aur woh raha jungle shoch k liye.......aur woh raha sarovaar snan k liye

marta kya na karta toh le liya lota ...aur langota ....aur chal diya ...kila ..fahteh... karne

(aap toh samaz hi gaye honge
arre bhai hum sabhi ko bhi roz savere woh kila fateh karna padta hai??)

fresh hokar aashram mein bane hue devalaya ( mandir )
mein pahuch gaya..... jaha par
Maa Bhagwati ki sher par savari kiye hue ek vishal pratima hai

surya dev abhi nikalne hi wale the aur unki lalima aakash mein failne lagi thi ,
Surya k pahli kiran jaise hi mandir k shikhar par padi usska svarn shikhar aur paas hi dharmdhwaja (flag) dono chamakne lage jab tak mein devalaya pahuncha tab tak subah ki aarti samapt ho gayi thi ...aur sab mandir k bahar nikal rahe the

abhi mein andar jaa hi rha tha toh fir mein takraya ....fir wohi do aankhien aur beshumar gaaliyan abhi der ho rahi thi isiliye usse wahi chodkar chal diya mein bhitar

Waha jaakar Mahaguru ko pranam kiya

Gurudev k saath waha ek aacharaya khade the

Mahaguru - Putra aaj tumhe aane mein der ho gayi ....kal se dhyan rahe subah mandir k khulne se pahle tumhe aana hoga, .... aur innse milo yeh hai Aacharya Pawan iss aashram mein inn se jyada gatisil (speed) aur koi nahi ..
yeh prithvi k kisi bhi kone mein palak zhapkte hi pahunch sakte hai

tumatare shiksha ki shuruwat innhi se hogi , yeh tumhe yog ...dhyan.. aur gati ki shiksha denge

mein - Parantu Mahaguru aap mere vastavik roop ko jaantein hain ....muzhe kisi se sikhne aur abhyas ki kya jarurat hai...

Mahaguru - puatra yeh tumahara ahankaar bol raha hai ....tum bhul gaye ho k iss samay tum Divya Shari mein nahi manav sharir mein ho

mein - Nahi yeh mera ahankar nahi hai Gurudev yeh hi satya hai

Mahaguru - thik hai ek pariksha ho jaaye jo yaadi tum jit gaye toh tumhe tumahari shaktiya mil jaayegi ....aur yadi haar gaye toh yaha ka har ek niyam aur aadesh ka tumhe paalan karna hoga jab tak tumahari shiksha puri nahi ho jaati

ab hum pahuch gaye ek khule maidan mein ..
mahaguru - putra tumhe bas aacharya Pawan (A.P)se daund ne mein spardha karni hogi dekhte hai dono mein se kaun iss maidan ka chakkar pahale pura karta hai

Mahaguru ne A.P aur muzhe Race shuru karne ka ishara kiya
hum dono taayar the uss maidaan ka ghera kareeb kareeb 5 km ka hoga

A.P toh jaise mere saath khel rahe the
jaise hi daud shuru hui mein apni jaan laga ka daud paha ...ek toh chote chte pair aur yeh balak ka komal sharir .

..thodi hi dur jaakar mere hosle past ho gaye meine aur jor lagane ki koshish ki lekin sab vyarth maine aacharya pawan ki aur mudke dekha toh uhone abhi daud shuru hi hai ki thi abhi kareeb 1 km hi hua tha ki mein gir pada saare badan par dhul mitti aa gayi bade mushkil se dubara khada hua lekin ab mein daud nahi saka
tabhi A.P apne jagah se hile aur tabhi muzhe aise laga ki koi muzhe aise laga jaise kisi ne muzhe utha liye ho

aur jab maine saamne dekha toh apne aapko Mahaguru k aage paaya

Mahaguru - aise chakit na ho putra tumhe waha se yah A.P hi laaye hai inn k paas pawan ki shakti hai yeh hawa ki gati se kahi bhi jaa aur aasakte hai

muzhe apni galti ka ahsas ho gaya tha
mein apne ghutne par baithkar kshama maangne laga

mein - muzhe kshama karein gurudev dev Ahankar mein bhul gaya tha ki yaha tridevo ko bhi Janam lene k baad Guru ki awashyakta padti hai ...muzh se bahut badi bhul ho gayi...

Mahaguru - yeh sab tumahari pruva smritiyon k kaaran hua hai , ab jab tak tum 5 tatva ki urja ko vash mein nahi ka lete tumhe kuch yaad nahi rahega ..
tumhe sirf itna hi pata rahega ki tumahara naam Abhi hai aur tum yaha k kewal ek sadharan shishya ho..

itna kahkar Mahaguru ne mare sir par haath rakha jisse muzhe ek zhatka sa laga aur phir mein behosh ho gaya

jab meri aankh khuli toh meine dekga ki koi muzhe aawaj de raha hai
jab maine aankhien kholi toh dekha saamne ek aashram ka hi ek yuvak haath mein thali lekar muzhe aawaj de raha tha...
yuvak(Chandrakant)-- arre idhar udhar kya dekh rahe ho ..mein kab se utha rha hu tumhein , yeh lo
Bhandari ji (Head cook) ne tumahare liye khana bheja hai...
waise tumhe hua kya hai ...kal maine gurudev k saath jab tum aaye the tab toh thik the......

mein apne dimaag par jor deta hu toh muzhe kuch yaad nahi aata ki mein kaun hu sirf naam yaad tha

mein - aao baitho mitr muzhe pata nahi kuch sir mein dard sa ho raha hai
shayad bhuk k wajah se aisa ho raha hai.

Chandrakant,(C.T) bhojan ki thali rakhkar mere saamne baith gaya

mein - toh mitra shuru kare bhojan

C.T - tumne muzhe mitra kaha hai dhyan rahe tum hi pahle mitr ho aashram mein ..kya sach mein muzhe mitra banaoge

mein - haa mitra aaj se hum pakke mitra hue ...chalo issi baat par saath mein khana khate hai...

C.T - nahi mitra mera bhojan ho gaya , abhi mein chalta hu , haa......bhojan karke sarowar k nikat bargad k ped jaha vedo ka adhyaan hota hai ..
pahunch jaana waha Maha guru ne tumhe bulaya hai...

itna kahka woh chala gaya...
main bhi tut pada khanne par aisa lag raha tha jaane kab se mein bhuka tha
khanna satvik tha lekin tha bqhut swadisht ...
kahte hai na ..Hunger is the best sauce

bhojan karke pahuch gaya mein C.T ki batayi jagah par Jaha mahaguru ne muzhe Aacharya Pawan se milwaya.
unhe saath hui pahli mulakat aur saari baatein mein bhul chuka tha

A.P muzhe ek maidan mein le gaye

putra aaj se tumahari shiksha shuru hoti hai... abhi toh tum iss maidan k
3 chakkar lagao baaki ki shiksha kal subah 4 baje se aarambh karenge

maine A.P k charan chukar unka aashirwad liya phir uss bahut bade maidan ko dekha ... aur shuru ka di daud .....

3 round poore karte karte sham ho gayi aur mein thak kar ekdum chur ho gaya aur wahi ek ped k niche letkar thoda aaram kiya ... socha naha lu toh thoda fresh feel hoga ,

toh chal pada mein sarovar ki taraf aur dubki lagayi...na jaane uss sheetal jal mein kya jaadu tha dubki lagate hi saari thakan chali gayi ab muzhe bahut halka mehsus ho raha tha....

Naha kar mein wahi sarover k kinare baithkar waha ki sunderta dekh raha tha aur apne baare mwin soch raha tha...ki kaun hu mein ...sirf naam k alawa muzhe kuch yaad kyu nahi..

ki tabhi mere kandhe par kisi ne haath rakha ..maine mudkar dekha toh mere hi umar ka ek sundar ladka tha jissko dekhkar na jaane kyu muzhe apnapan mehsus ho raha tha..
(yeh ladka Rakesh tha Mahaguru k kaaran ABHI ab usse bhi bhul gaya tha)
Rakesh - mitra kyu itne udas bauthe ho apne saare vichar tyag do apna dyan sirf yaha kendrit karo

mein - tumne muzhe mitra kaha kya tum muzhe jaante ho. toh muzhe mere baare mein baatao....

Rakesh - Haa jaanta hu....mein aapka mitr hu ...abhi bas itna hi ....baaki baatien samay aane par aapko pata chalegi thoda dhyarya rakhiye....

jab usne muzhe mitr kaha toh muzhe ek apnapan mehsus hua, aur phir maine usse gale laga liya,

Rakesh - ek kaam karo mitr aap man ko shant karke Om ka dhyan karo aapka man shaant ho jayega..

phir jaise jaise Rakesh muzhe batata gay waise mein dhyan mein baith gaya.....dheere dheere muzhe apne bhitar ek green colour ki light dikhne lagi aur mein uss light mein kho gaya

tabhi ek surli aawaj ne muzhe dhyan se bahar kiya...

aawaj ... arre arre dekho toh mein tho issko langur samz rahi thi yeh toh kaawa nikla dekho toh kaise ud raha hai.....
jab mere dyan niche gaya toh dekha mein jameen se koi 5 ft uper utha tha,
jisse dekh mein dar gaya aur mein jamin par aakar gira......tabhi ek badi hi khikilati hui hassee gunji....

abhi ki liye itna hi .......
agla update aaj raat ko .......
 
abhi1008

Well-Known Member
2,116
10,596
143
Top