- 2,116
- 10,596
- 143
Thanks bro.......Nice update bhai
keep reading
Thanks bro.......Nice update bhai
Awesome Update....Update -- 3
ab tak aapne dekha hero ka opretion ho gaya hai ........ aur R.V.S , Naina aur Rakesh teeno Ritu k paas baithe hai.... ab aage.....
Achanak Ritu chikhte hue uthi ... Nahi ... Abhi ko chod do usse kuch mat karo ... aur idhar udhar dekhkar jor jor se rone lagi .. abhi beti ka aisa haal dekhkar dono mata pita k aanko mein aaso aa gaye
Naina ne aage badkar gale laga liya aur pyar se sir par haath pherte hue boli
Naina -- Beti chup ho jaao kuch nahi hoga hamare Abhi ko , shaant ho jaa beta hamahra pyar aur vishwas Abhi ko kuch nahi hone dega
maa aisi hi hoti hai ek taraf toh bete ki haalat dekhkar dil ghabra raha hai aur dusri tarf apne dil ka dard chupa kar beti ke dukh ko kam kar rahi hai
R.V.S -- Ritu k sir par pyar se haath pherte hue ---
Beta Ritu chup ho meri Gudiya , dekh tu toh meri pyari beti hai aise himmat haaregi toh kaise chalega, Doc se meri baat ho gayi hai beta , Kal tak abhi ko hosh aajayega
R.V.S ka mann saari baatein ritu se puchne ka mann ka raha tha lekin beti ki aisi haalat dekhkar puch na paaya
Aur Rakesh jaane kaha khoya hua tha kya soch raha tha
ph k ring ki aawaj sunkar Rakesh ka dhyan uss tarf gaya, toh dekha Rana sahab ka ph par call aarahi thi, call dekhkkar R.V.S bahar aaye aur call pick karke bolne lage aur yaha Rakesh ne bhi apni shravan shakti uss aur laga di
R.V.S -- Haa bolo IG kya khabar hai
IG -- Rana sahab humne pata kar liya hai , jaha yeh ghatna hui waha ki cctv footage se kuch jaankaari haasil hui
R.V.S -- Kaun the woh log
IG --- Sir hamlawar k muh dhake hue the , lekin unki gaadi ka number mil gaya hai,
R.V.S -- Kiski hai woh gaadi pata kiya
IG - Sir gaadi toh MLA Raghav ki hai , lekin unhone uski chori hone ki complaint 4 din pahele ki thi
sir lagta hai yeh hamla preplanned tha koi gahri saazish lagti hai, jald hi apradhi aapke saamne hoga
call khatam hote hi woh wapas room mein aaye ,Rakesh kuch sochte hue bola -- Uncle muzhe kuch bahut jaaruri kaam hai , agar aapki izzazat ho toh ho aau
R.V.S -- arre beta issme puchne wali kaunsi baat hai ,tu bhi kal se yahi hai
Rakesh -- Thik hai uncle , mein jaldi hi aajaaunga , aur uncle aap logo ne kal se kuch khaaya nahi hai , yadi aap muzhe apna beta maate hai toh toh Aunty aur Ritu di ko kuch khila dijiye aur aap bhi kuch kha lijiye
itna kahkar Woh bahar chala gaya
Ritu -- Papa muzhe Abhi ko dekhna hai muzhe waha le chaliye
R.V.S -- nahi beta hum abhi uss room mein nahi jaa sakte ,
Ritu -- nahi papa muzhe dekhna hai mere bhai ko , bahar se hi dekh lungi
R.V.S -- Thik hai beta lekin tumhe kasam hai abhi ki k uske baad tumhe kuch khakar aaram kana hoga, nahi toh abhi jab hosh mein aayega aur tumhe iss haal mein dekhega toh usspar kya bitegi
naina tum nurse ko saath lekar Ritu ko le jaao mein canteen se hokar aata hu
ab tak Rana ne yeh baat bahar nahi jaane di lekin na jaane kaise media ko baat pata chal gayi, Jaise Rana saahab caanteen ki aur jaane lage waha lage tv par yeh news chalne lagi
Desh k top business man Rana Vikram Singh k bete par jaanlewa humla ....
Aur hospital k bahar media walo gadiyo ki jatar badti jaa rahi
jis Baat ka dar tha wahi hua ab saare rishtedaro k call pe call aane lage, R.V.S yn sabko jawab dete dete pareshan hogaya toh ph silent mode par kar diya
inn sabko ko yahi chodkar dekhte hai hero ka haal
Ek safed prakash se paripurna manav aakriti kisi aisi jagah jaa rahi thi jaha chaaro taraf divyata ka vatavaran tha
woh manav aakrti yani k Rana Abhinav Singh matlab hamara hero Abhi
ab abhi ko mein likhunga
aaj muzhe aisa mehsus ho raha hai ki jaise mein iss mukt hu na koi bhav hai na koi takleef , lag raha hai jaise asim aanand aur shakti ka srot mein hu ,
ek tarf hospital mein rakha mera sharir aur taraf mein sab kuch dekh raha hu lekin koi bhav nahi najaane yeh kaisi stithi hai badh chala hu mein na jaane kaha
chaaro taraf kamal k pushpo ki sugandh aur jab meine chaaro aur dekha toh ek vishal saagar jsika jal dudh jaisa hai tab aur bhi ashcharya hua ki mein toh waha hospital mein tha toh yaha kaise , kaha hu
kaise mein paani par khada hu kuch samaz nahi aa raha tha.
tabhi waha ek aawaj gunji itne pareshan kyu ho putra aao miane hi tumhe yaha bulaya hai
jab maine dekha toh saamne ek bada se safed kamal pushp pragat hua aur uspar baithe hue safed prkash se bhar pur ek divya vibhuti
meine ja unka darshan kiya toh dekha unke 4 sir the aur char haath safed divya vastra tab muzhe dhyan aaya k yeh chavi toh Brahma ji ki hai mein yaha kaise kahi yeh sapna toh nahi yaa maar toh nahi gaya tabhi unki aawaj aayi
Brahma ji -- Sahi pehchana putra iss samay tum Brahmalok mein ho aur abhi tum mrityu ko prapt nahi hue ho putra,
mein -- Pranam parampita aapko shat shat naman . Hey shristikarta mera shari toh prithivi par hai toh phir mein yaha kaise mere aaprado ko kshama karna prabhu aapse prashn puch raha hu
Brahma ji - Putra jo dharti par hai woh tumahara haad maas ka bana hua sthool sharir hai aur yaha jo hai woh sukshma sharir hai jo keval urja se bana hai .......
agla Update jald hi
Your welcome bro to my threadCongratulations for new story... Nice update bhai
Shukriya dost saath banne rahne k liyeBahut hi majedar kahani hai bhai
Agle update ka intzar hai bhai
Bahut bahut dhnyawad bhaiAwesome Update....
with Brilliant writing Skill....
Waiting For More...
[/QUO