• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Abhishaap(love+fantasy)

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
158
Update 16

subah ke 7 baj rahe the,kartik or vicky ne ghar ko lock kiya or nikal pare college ke taraf,college jyada dur to nahi tha,lakin taxi ya koi bhi 4 whealer se jane me lagbhag 30 se 45 min lag hi jate,lakin dono paidal hi nikal gaye,....iska ek kaaran ye bhi tha ki dono ghar se kuch khakar nikle nahi the,isiliye dono ne soncha ki raste me kanhi par kuch nasta kar lenge......

vaise bhi Vicky ke papa ne jo car bhijwai thi driver ke sath,jisse ye dono mumbai aaye the...us car ko vicky ne pata nahi kya sonchkar wapas bhijwa diya........

Paidal isiliye bhi chal rahe the is samay ki koi kami nahi thi,10 baje se college ki office khulne wali thi,....paidal chalne ka ye bhi fayda ho raha tha ki thora mora mumbai darshan bhi kar rahe the,ya vicky ke language me kahe to mumbai ko apna darshan karwa rahe the,

kartik's POV,

ham dono bahut der tak isi tarah paidal chalte rahe,par kuch hi der baad jab is papi pet ne apna rutba dikhaya,to majburan hame ek restaurant ki taraf apne kadam badhane pare,....or wanha pahuch kuch der me jab hamne apne papi pet ko puja archna karne ke baad saant kiya to phir se nikal pare aage ki or..

Raste mein jab bhi koi bada Building ya kuch bhi achha dekhne layak chijen aati to har baar mere vicky babu mujhe is tarah uska vivaran karte jisse mein sochne per majbur ho jata,

"tu sach me engineer banne ka hi sonch raha hai na ? harkato se to ek perfect guide lagta hai"

Main Jab yah Sawal Vicky Se Kiya, To usne darshnik ke jaise Apne Chehre per banavati Bhav late Hue jawab Diya,

"Kartik Babu,abhi aap naye hain is khel me Jab Kisi kile(fort) par Fateh pani Hoti Hai To sabse pahle Hamen us kile ke har minar ki ekadam satik jankari rakhni chahiye"

khair vicky google map apne mobile par on kiye,apne guide banne ke sapne ko sakaar karne ke raste badhta raha,or mai uski pakau bato par pakta raha,hadd to tab ho gayi jab usne ek building ki or ishara karte hue gambhirta se kaha,

"dekh kartik tujhe pata nahi hoga lakin mai bata de raha hu,ye hai hospital or isme marijo ka ilaaj hota hai"

maine uske ishara ka picha karte hue us or dekha to us building par bare bare akcharo me likha tha 'city hospital',phir maine jab uski baato par gaour kiya to mera dimag ghum gaya,...lakin tabtak der ho chuki thi,wo ek kamine jaisi hasi haste hue aage badhne laga,or mai "sale ruk tu" bolte hue uske piche bhagne laga,

aise hi chahalkadmi karte hue ham college ki or jane lage,bas ab antar itna tha ki ham apne pairo ko ab dard nahi de rahe the,matlb ab ham dono taxi me the,....mai taxi ke andar se hi,tezi se piche chutati bari bari buildings,race lagati gadiya,or jindgi jhelte log ko dekhe jaa raha tha,...

mai janta tha ki mujhe bhi kuch salo me inhi sab ke bich hona hai,mujhe bhi jindgi se ladai larni hai,bahut kuch naya sikhna hai....par mujhe pata nahi ye sab mai kaise handle karunga,mujhe pata hai isi jindgi ki ladai me naye log milenge, par samajikta or naye logo se kaise baat kiya jata hai,isme mai zero hu,iska karan yahi hai ki pichle kuch saalo se meri jindgi bas do logo ke ird dird ghumti rahi hai,...

ek to mere papa, agar unke bare me mai ye kanhu ki wo mujhse bhi zero hai is subject me to galat nagi hoga,.....or dusra hai Vicky,pata nahi ye kis janm ka ahsaan chuka raha hai,mujhe aisa lagta hai ki mujhse dosti karne ke wajah se abtak ise to mere wajah se koi fayda nahi hua hoga,...lakin ho sakta hai ye fayde wali baat mai galat sonch raha hu,kyoki maine ek kitabe padhi thi ki sacchi dosti usi ko kahte hai jisme fayde or nuksaan ki baat nahi hoti,....

khair kitabo se yaaad aaya ki agar maine kuch samajikta kanhi se sikhi bhi hai to usme vicky or kitabo ka bahut bara hanth hai,....janha vicky mujhe apne jaise hazirjawab banane ki har kosish karta rahta hai,to dusri or meri kitabe,diary or meri kalam,yahi to hai jinhone mujhe kalpna karne ki anokhi sakti diya,jiske balbute mai ghar ke andar se hi bahar ki duniya ko imagine kar ke jita hu......

khair pata nahi ye kitabi gyaan meri aage kaam ayengi bhi ya nahi....

yahi sab sonchte hue,or thori mori vicky se baate karte hue,ham college tak pahunch hi gaye,taxi se utar kar vicky kisi ko call karne laga,
idhar maine apni nazar upar utha ke college ke bare se gate par dali,wanha bare bare akshro me
'M.M.C.H' likha hua tha...

wanha jyada bhir nahi thi iska kaaran ye ho sakta hai ki college to band tha,bas official works ke liye office khula hua tha...

thori hi der me hi vicky ke koi dur ke bhaiya the jo yanhi college ke office me kaam karte hai,wo aagaye,darshal vicky ne taxi se utarte hi inhe hi call lagaya tha,

khair inke wajah se hi hamara kaam jaldi ho gaya,...sari formality puri karne ke baad vicky ke bhaiya ne hame unke ghar par aaj raat ke dinner ke liye invite kiya...ab Vicky to na nahi kah sakta tha,lakin use mere bare me acche se pata tha ki mai to wanha jane se raha,use pata hai ki mujhe anjaan logo se milna julne me bahut problem hoti hai,or koi samay hota to wo mujhe jaroor gyaan deta,lakin abhi wo apne bhaiya ke samne ye sab nahi karna chahta tha,isiwajah se wo thora asmanjas me par gaya,lakin phir kuch sonchkar usne kaha,

Vicky,

"kartik, tujhe to uncle ko station se pick karne jana hai na,tu to hamare sath chalega nahi"usne mujhse ishara karte hue kaha,

mai samajh gaya wo kya kahna chah raha hai,isitarah koi bahan banate hue maine bhi vicky ke bhaiya ko samjha bujha diya ki phir kabhi aaunga vicky ke sath.....

ab saam 6:30 baj rahe the or mai ek park me akele baitha mobile use kar raha tha,vicky ko to uske bhaiya jidd kar ke use apne hi sath le gaye,wo mujhe aise chor ke jana to nahi chahta tha par maine hi use jana ko bol diya,mai nahi chahta tha ki mere wajah se wo apne relatives sab se dur rahe,wanha se to mai pahle ghar hi jane ka soncha tha,or taxi pakar ke nikal bhi gaya tha,par ghar se najduk hi mujhe ek park dikh gaya,isiliye mai yanhi par ruk gaya,

khair jab andhera ho gaya to maine time dekha to 7:30 baj rahe the,mai khara hokar chal para ghar ki or,
raste me hi ek sunsaan gali se gujarne laga apni hi sonch me dube hue,lakin mai apni sonch me jyada der tak duba nahi rah saka,

meri tantrana bhang hui samne se aati ek larki ke wajah se, vaise to main faltu Mein ladkiyon ke Taraf Najar Utha Kar Bhi Nahin dekhta,lakin is bar dekhna para,wajah uski harkate thi,chehra to mai andhere ke wajah se nahi dekh pa raha tha,..

uski harkato se aisa lag raha tha jaise wo kisi baat se ghabrai hui ho,
tezi se mere samne se gujar gayi,lakin baar baar palat kat piche dekh rahi thi,jaise uska koi picha kar raha ho,

tez kadmo se chalte hue wo mujhse dur chali gayi,maine bhi piche palat kar nahi dekha or aage badhta raha,abhi mai do char kadam aage badha hi tha ki achanak andhere me se do log(25-30 age) nikle or us larki ke piche chor jaise chupte hue jane lage,mujhe bas usme se ek ki baat hi sunai di,

"sali ne bahut tarpaya hai,aaj to chorenge nahi"

ye kahte hue wo aage badh gaye,ab mere kadam ruk gaye the,mujhe itna to pata chal gaya ki kuch to galat hai,

mai is udherbun me tha ki kya mujhe us larki ke piche jana chahiye,mera dimag ye kah raha tha ki na jaau nahi to mai bhi koi problem me phas sakta hu,asal me mujhe pata tha ki ye Nayan dwara likha hua koi story nahi hai,jisme mai hero banke kisi larki ko bacha lunga,waise bhi papa ne mujge bar bar yahi kaha tha yanha mai bina baat ka koi jhanjhat na mol lu,...

par pata nahi koi aisi sakti thi,ya kahu ki mere andar ki koi awaaj bar bar ye kah rahi thi ki larki musibat me hai tumhe uski madad karni chahiye,kuch chan sonchne ke baad maine faisala liya or chal diya us or jidhar wo larki gayi thi.........

To be continued................
Bhai jaldi se koi naya update dal do kafi time ho chuka hain...
 
Karan_25

New Member
13
35
13
Update 17

Ab tak,

Vikram ke sarir par ek tez bizli aakar girti hai........rajkumari or maharaaj dono ye sab dekh kar chounk jate hai..........!

ab aage,

bijli itni zor se aakar giri thi wanha ka vatavaran hill sa gaya,or kuch second ke liye sabkuch ujala ujala sa ho gaya,...lakin jaise hi safedi chati Rajkumari ritika or maharaaj dono ka muh khula ka khula rah gaya....

manjar hi aisa tha,vikram abhi aankhe band kiye jas ka tas khara tha,lakin uske pur sarir me bizli dour rahi thi,joi koi bhi apne aankho se dekh sakta tha,wanhi hawao ke tez jhoke ke wajah se mask bhi hat gaya,...

usne dhire se apni aankhe kholi,uski aankho me bhi bizli hi chamak rahi thi,kuch hi chano me uske chehre par ek rahasyamayi muskaan aayi or usne Nisachar ki or dekhte hue kaha,

Vikram,

"tumne sahi kaha dekhte hai kiske liye accha nahi hoga"

uske ye bolne ke sath hi ek or bizli chamki lekin ye bizli aasmaan me nahi chamki thi,ye bizli to vikram ke body me chamki or agle hi pal jab tak koi kuch samjh pata,

"tadaaakkk..."

ke awaaj ke sath hi Vikram ke ghutne ka jordaar war Nisachar ke sir par laga,isi ke sath nisachar apni kale dhua se bhari body ke sath urta hua dur jaa gira....

vikram ne itni tez gati se ye war kiya ki koi kuch samjh hi nahi paya,Nisachar bhi gati se maat kha gaya or uska parinaam use is roop me chukana para,

lakin Nisachar jitni tezi se niche gira,usse kanhi jyada tezi se wo phir se wapas khara hogaya,lakin Vikram yanhi rukne wala nahi tha,use acche se pata tha Nisachar ke takat ke visay me,wo janta tha ki Nisachar se larne ke liye use puri takat se larna parega,isiliye usne apni sabse powerful hathiyaar ka upyog kiya or wo hai bizli ki gati(speed)....

isi speed ke sath usne phir se urte hue apne pairo se ek jordaar kick Nisachar ki chati par kar diya,...Nisachar phir speed se maat kha gaya or ek per se ja takraya,

Rajkumari or maharaaj, dono hairani se ye ladai dekh rahe the,darashal unhe jyada kuch dikh hi nahi raha tha,unhe to bas Nisachar bar bar pero(trees) se takrata dikh raha tha,wanhi Vikram jab jab war kar ke rukta tha tabhi wo kisi ko dikh pa raha tha,kyoki jab bhi attack karne ke liye dorta to tez speed ke wajah se inhe bas bizli hi najar aa rahi thi.....

wanhi jab Nisachar do teen or prahaar(attack) khakar jamin par aakar gira to uska dimag bhanna gaya or wo gusse me aakar phir se khara ho gaya,usne vikram ki or najar dourai or kaha,

"ab bas"

idhar Vikram phir se bizli ki gati(speed) se dourta hua aa raha tha,lakin is bar Nisachar ne Vikram ke head ka anumaan kar ke apni lambi laal talwaar apni hatho se pakar ke ek tez tez waar kar diya,

lakin is bar bhi Vikram apne speed ke wajah se niche jhuk kar bach gay or apne hath ka ek jordaar waar uske hath par kar diya jisse usne apne talwaar ko pakar rakha tha,iska parinaam ye hua ki wo talwaar nisachar ke hatho se chitak kar bagal me hi ek per(tree) me ghus gaya,

vikram ne phir se gati ka fayda uthate hue lagataar mukke ki barish Nisachar ke khopri par karta raha,Nisachar har bar mukke ke waar se bachne ki kosish kar raha tha,lakin vikram buzli ki speed me lagataar mukke barsaye ja raha tha,

par kuch second ke andar, jaise hi vikram ne ek or mukka marne ke liye apne hath badhaya,isbar uske mutthi ko Nisachar ne bich me hi apne hatho se pakar liya,

Vikram ne hairaani se uske chehre ki or jaise hi dekha,uske najar sidhe jaakar Nisachar ki aankho se takrayi,jo ki ab laal tahkaar roshni me chamak rahi thi,

Vikram us laal chamak me khota chala gaya,or uska dhyaan apni saktiyo se bhi tut gaya,uske sarir me jo bizli dour rahi thi wo bhi khatam ho gayi,aasmaan me bhi bjzliyo ka chamakna band ho gaya,

abhi koi kuch samjhta ki is baar ek ghumta hia mukka vikram ke jabre par laga,or wo uchalta hua dur jaa gira,Nisachar ke is khatarnaak mukke me itna prabhav tha ki Vikram ke dimag ne kaam karna par band kar diya,or muh se lagatar khoon bahne laga,usne khare hone ki bahut kosish ke par har baar uska sarir uska sath chor de raha tha jiske wajah se phir se wo gir jaa rha tha

tabhi nisachar ne ek darawni hasi haste hue kaha,

"haaa...aahhhaaaaahaaa....bacche tumne apne zindgi me jitne din guzare hai,utne to maine yug bitaye hai andhkaar me"

ye bolte hue hi wo Vikram ki or badhne laga,

abhi wo ek do kadam hi aage badha tha ki rajkumari ritika ki awaaj gunj gayi,

R.ritika,

"Nisachar,ek kadam bhi aage mat badhana aage warna mai tumhara astitva mita dungi mai"

ritika apne hatho me ek safed roshni ka gola liye vikram ke aage aakar khara ho gayi,vahi vikram me ab itni takat nahi bachi thi ki ab wo phir se uthne ki kosish kare,

Nisachar(haste hue),

"maine pahle hi bola rajkumari,aapke hatho se ladai jhagra sobha nahi deta,or rahi baat mere astitva ki to wo khud mit gaye jo mujhe mitane chale the,or iska udahran aapko pata hi hai"

Rajkari ko ye sunte hi or gussa agaya,or usne wo safed gola ko nisachar ki or phek diya,wo gola nisachar tak pahuchta usse pahle hi nosachar ne apne hath aage kiya or agle hi paluski wo laal talwaar jo ek per me gari hui thi wo wanha se gayab hokar nisachar ke hatho me aagya,

phir nisachar ne apni talwaar ki nok ko apni or aate us prakash punj ke jaise gole ke tarf kar diya,

or agle hi pal us laal talwaar se ek tez laal rang ki kiran nikli or sidha us gole se jaakar takrayi,or agle hi pal ek tez dhamake ke sath hi wo gola phat gaya,lakin wo laal kiran abhi bhi nahi ruki or aage badhti gayi,

or jabtak ki rajkumari kuch samjh pati wo uske sarir ke aar-paar ho gayi,or ek tez cheekh ke sath wo bhi behosh ho gayi,

pahle apne beta or ab apni beti ke aisi halat par maharaaj bahut ghabra gaye or wo tezi se dourte hue rajkumari ke taraf aane lagae,

lakin abhi wo or aage badhte ki tabhi wahi tez laal kiran nisachar ke talwaar se nikli or maharaaj se ja takrayi,or unka bhi wahi haal hua jo abhi kuch der lahle unke dono baccho ka hua tha,wo bhi behosh hokar jamin par jaa gire,

Nisachar(haste hue),

"haaahaah....mujhe nahi pata tha ki ye log itne kamzor niklenge,khair pakar lo or utha ke le chalo"

Nisachar ke ye bolte hi aasmaan me phir se kaale dhuen ghumne lage,or agle hi pal wo 8 parts me badal kar jamin par aakar alag alag jagah aakritiyo kar rup lena suru kar diya...kuch hi chano me wo aatho bhi apne pure roop me aachuke the,wo sab bhi ekdam nisachar ke tarah hi dikh rahe the,lakin antar yahi tha ki unka chehra nahi dikh raha tha,aisa lag raha tha ki jaise kaale kapre se apna chehra un aatho ne dhak rakha tha,un sabhi ke hanth me bhi ek laal rang ki chamakti talwaar thi,

Nisachar ke aadesh anusaar wo aatho rajkumari,vikram or maharaaj ko pakarne ke liye us or badhne lage,

abhi wo sabhi thora aage badhe hi the ki Devguru ki awaaj sabhi ke kaano me gunj gayi.............!

To be continued.....................
Owsm update writer sahab,
to ab dekhte hai nisachar vs devguru me kya hota hai,.....:asw1:
 
Nayan

Member
181
636
109

Achchha update tha bhai magar kafi suspens chhode hain ek fight to complete karni chahiye thi aapako it's not fair
 
Top