UPDATE-29
Recap-
Pichhale update me dosto aap logo ne padha hoga kaise karma aur sabhi log aakharee padav me pahochte hai aur kaise karma aur knowledge book ka aamana saamana hota hai .
Ab aage---
Knowledge book-thik hai main tumhe mujhe pane ka rasta bata deti hu.mujhe pana hai to mere adhure prashn (question) ko pura karna hoga aur uska uttar (answer) dena hoga.aur sirf itna hi nahi jab tak mere prashn (question) ka uttar (answer) nahi de dete tab tak mere rakshak se ladte rahna hoga.haa agar tab tak zinda rahe to aur mere adhure prashan ko pura nahi kiya ya kisi tarah pura kar bhi liya to uska uttar bhi ek dum sahi hi hona chahiye q ki galat uttar tum ko hamesa hamesa k liye mujh me kaid kr dega.ab to tum sab kuchh samajh gaye na.haa agar koee aakhri ichchha ho mujhe bata do q ki ab tum yaha se pichhe nahi hat sakte ho.
Main-haa haa haa (jor jor se haste huve) mujhe koee nahi maar sakta hai.bhala mare huve ko koee maar sakta hai.ha aur rahi baat aakhri ichchha ki to mera koee aisi ichchha nahi hai.lekin mujhe kuchh aur jaanana hai tuhmare bare me.
Knowledge book-itna ghamand achchhi baat nahi hai shadow.mujhe malum hai tumhe philal k liye koee nahi maar sakta iska matlab ye nahi hai ki tumhe kaid nahi kiya ja sakta hai.tum sayad abhi mere bare me kuchh bhi nahi jante ho nahi to aisi baat nahi karte.mujhe aaj tak na jane kitne logo ne pane ki kosis kiya lekin aaj tak koee bhi mujhe paa nahi saka.dekhti hu tum kya kar lete ho.aur puch lo tum bhi apne jeevan k kuchh antim prashano ko.
Main-dekhte hai kisko ghamand hai ye to kuchh hi samay me pata chal jaye ga.abhi to tum sirf mere prashano ka javab hi de do .mujhe jaanana hai ki tum vastav me kaun ho tuhme har koee q nahi pa sakta hai.
Knowledge book-main ek maaya bi kitab hu jiske pass lagbhag har duniya k raaz aur hare k jadu ka tod aur hare k cheej ko hasil karne ka tarika hai. lekin main abhi puri nahi hu mera ek aur bhag hai jiske bare me kisi ko nahi pata hai yaha tak ki mujhe bhi sirf apne dusre bhaag ki thoda bahot hi jaankari hai. Aur Jab tak mera dusre bhaag mujhe se nahi mil jata tab tak main apurn hu.mujhe bahot se duniya k jadugaro ne mil kar kar banaya tha.aur unhi logo ne hi mera 2 bhag kar diya taki koee bhi mera galat istamaal na kar sake.aur sath hi mujhe tak sirf vahi pahoch sakta hai jo ek shadow ho ab ye maat puchna ki sirf shadow hi mujhe tak q pahoch sakte hai is bare me philal mujhe kuchh bhi gyat nahi hai bus mujhe itna hi bataya gaya tha mere maliko dwara ki tum tak sirf shadow hi pahoch sakte hai q ye nahi bataya mujhe.
Main-thik hai ab apna prashan pucho mere pass jada samay nahi hai.
{dosto mahaamantree ne bhi minta ko aur teharma k rajkumar ko bhi yahi bataya tha ki. us patra (letter) me bhi yahi likh tha.us kitab ko ek parachhaee (shadow) hi chhu sakta hai aur agar koee bhi insaan agar maaya bi kitaab k pass agar jane ki kosis kiya to vo kaid ya mritu hona hi hai uska. Q ki unlogo ko abhi tak karma k bare me pata nahi tha ki vo shadow baan gaya hai .isiliye vo teeno itna nischint the ki unki jeet hono pakki hai. }
Knowledge book-bato phir Khajaana lutaaya jaye badhta jaye? Is prashan ko pura karo aur usko uttar do.jab tak uttar nahi dete tak tab mera rakshak swagat kare ga tumhara.
Main-prashan sun kar sochne laga aisa kaun sa khajaana hai jisko lutane se badhte jaye ga.abhi main knowledge book ko kuchh bolta tak tab rakshak mujh pe hamla karna suru kar diya tha.vo rakshak ek kale dhoova k rup me tha sirf aur to aur na hi koee uska aakaar na hi sarir sirf hath me ek kali talvaar jisase mujhpe vo lagatar hamla karte jar raha tha.ab mujhe do kaam ek sath karna tha ek ladai dusra mujhe prashn ko pura karna tha aur uska uttar bhi sachi dena tha.main us rakshak se lagataar ladte ja raha tha aur sath me uske uttar ka ko khooj raha tha.jaise jaise samay bite ja raha tha us rakshak k vaar lagatar aur takatvaar hote ja rahe the.jiske karan main soch bhi nahi pa raha tha.lekin
Main-bhi lagatar us pe hamla karte ja raha tha apni black shadow sword lekin usko kuchh bhi nahi ho raha tha.ulta vo samay k sath aur jada sakti Sali hote ja raha tha.ab rakshak mere liye ek pareshani bante ja raha tha.q ki mujhe pata tha vo mujhe maar to nahi sakta hai lekin jaise hi main kamjoor huva vo mujhe jarur kaid karne ka soche ga.aur main bhi usko maar nahi sakta hu.q ki vi to ek maaya hai aur ye khel tab tak chalte rahe ga jab tab main kaid ya us maaya bi kitaab ke prashano ka uttar nahi de deta hu.aur yehi sab kuchh mere dimak me chal raha tha.phir maine apni chaal chali apni maaya .
Maine-bhi apni anek rup kar diya taki kuchh samay mujhe mil sake main abhi us kitaab ko dekh raha tha aur vo kitaab chamak raha thi. jaise kah rahi ho jaldi tumhara kaam khatam hone vala hai.lekin mujhe us kitaab ko dekh kar mujhe uttar aur prashn dono ka jaavab mil gaya tha.ab mujhe bus us kitaab k pass pahochna tha.
Ab tak rakshak ne mere sabhi rupko ka kahatama kar diya tha. Aur main bhi us kitaab k pass pahoch gaya tha aur apna hath ek baar phir se us ke pahale panne pe rakh diya jisase rakshak mere pass aate hi gayab ho gaya .
Knowledge book-batao prashan aur uttar sahi raha to tum mere malik baan jao ge nahi to tum bhi mujhe hi kaid ho jao ge hamesa hamesa k liye.
Main-theek hai to suno phir.Aisa kaun sa khajaana hai jise jitna jyaada lutaaya jay ,wah utna hi jyaada bhadata jata hai? Answer- Gyaan ka khajaana. Jaise hi maine ye uttar usko diya phir kya dekhte hi dekhte vo knowledge book mujhe sama jata hai.aur dhire dhire sab kuchh samanya hone laga main bhi usi ka fayad utha kar husna ko apne rup me aane ka hukum deta hu aur main apne karma k rup me sab k sath ja k baith jata hu.jaise hi main ye sab kuchh karta hu.tab tak sab kuchh samaanya ho chukka tha.aur
Jaise hi sab kuchh samanya hota hai.to kuchh logo ko chere par chinta ki lakire nazar aane lagti hai.in sab me teharma k raaja,raajkumar aur mahaamantree the jaise hi sab kuchh samanya hota hai pratiyogita k maidan par sirf 4 log nazar aa rahe the yuddh karte huve.sabhi darshak us khel ka anad le rahe the kisi ko mere rahne na rahne se koee farak nahi pad raha tha.aur nahi mere sathiyo ko bhi.sabhi apne yuddh me lage the.sirf teen log ki nazjre kuchh dhood rahi rahi lekin unko vo mil hi nahi rahi thi.
Dosto vo teeno teharma k raaja,raajkumar aur mahaamantree ye teeno us maaya bi kitaab ko dhund rahe the q ki kuchh der pahle tak vo kitaab thi .lekin ab nahi hai hai.isliye teeno apne hi soch ne gum the.in teeno ko philal aise hi chhod dete hai aur dekhte hai prtiyogita k maidan me kya hal hai .ab to sirf 3 hi log bache huve the lekin un sab ki halat har bitate samay k sath bigadti huvi lag rahi thi.tabhi ek aur dhamake k sath ek yoddha is khel ki bali chad jata hai.ab sirf yumina aur ruchi hi bachi hai.
to be continued ..