Kya Faida....
Agar
Yahan Asayeb (Bhoot) Hai To Mera Kya Bigadhta Hai....
Agar
Yeh Humare Castle Mein Phail Jaye....Tab Bhi Mera Koi Nuqsaan Nahi Hoga....Main Kahin Chala Jaunga....!
Magar....Main To Ab Jaunga Andar....!
Main Aap Ko Nahi Rok Sakhta....Aqeel Ne Kaha....
Aur
Wahan Se Jane Ke Liye Aage Badh Gaya....!
Lekin....Imran Uska Baazu Pakadhta Hua Bola....Aakhir Aap Ne Ek Beek Apna Iraada Kyun Mutavi (Cancel) Kar Diya....Oohh....Yeh Dekhiye....Aap Ki Nabz Bhi Thik Chal Rahi Hai....
Yani
Aap Khauffzada Nahi....!
Suniye Janab....Kal Kisi Yahan Koi Haadsa Pesh Aa Jaye To Aap Hi Tamaam Se Kahte Phirenge....Ke Aqeel Ne Darwaaza Khola Tha....!
Oohh....Aisi Surat Mein Bhala Yeh Kaise Meri Zubaan Se Niklega Jab Ke Main Bhi Aap Ke Saath Hu....!
Nahi....Mujhe Khwaamkhaa Kya Padhi Hai....!
Achi Baat Hai....Dost....
Lekin
Main Tum Se Yahan Tak Aane Ka Maqsad Maalum Kiye Baghair Nahi Rahunga....Aakhir....Tum Ne Programme Hi Kyun Banaya Tha....Jab Ke Castle Ka Har Fardh Andhere Mein Idhar Aate Hue Kaanpta Hai....!
Agar....Main Wajah Na Batau....To Mere Kya Bigdhega....!
Yeh To Mustaqbil (Future) Hi Batayega....Imran Ne Laparwaahi Se Kaha....
Aur
Uske Jawaab Ka Intezar Kiye Baghair Aage Badh Gaya....!
______________________________________________________________________________
Imran Ke Liye Yeh Koi Mushkil Kaam Nahi Tha Ke Wo Cigar Case Mein Bichchoo Rakhne Wale Ka Pata Laga Leta....
Lekin
Sawaal Tha Maqsad Ka....Is Jurm Ka Maqsad Abhi Tak Uski Samajh Mein Nahi Aa Sakha Tha....Baaz Waqt To Wo Sonchne Par Majboor Ho Jata Ke Yeh Sab Kuch Mahez Mazaaq Tha....Kisi Ne Sardar Daraab Ke Saath Ek Khataraan Qism Ka Mazaaq Kiya Tha....Ho Sakhta Hai....Kabhi Kisi Ko Uska Koi Mazaaq Nagawaar Guzra Ho....
Kyun Ke
Sardar Daraab Ke Mazaaq Khattai Ghair Umeed Taur Par Zaaher Hua Karte The....!
Khud Imran Ko Bhi Ek Baar Iska Talq (Kadhva) Tajurba Ho Chuka Tha....
Yani
Ladkiyon Ke College Mein Ghair Umeed Taur Par Taqreer Karna....Yaqeenan Wo Imran Ke Liye Tashveesh Kun (Chinta-Janak) Lamha Tha....Jab Sardar Daraab Ne Achanak Taqreer Ke Liye Uska Naam Elaan Kiya Tha....Ho Sakhta Hai....Kabhi Kisi Ne Uske Kisi Mazaaq Par Isse Bhi Zyada Badhawaasi Mehsoos Ki Ho....
Aur
Usi Waqt Tai Kiya Ke Wo Bhi Sardar Daraab Ke Inteqaam Liye Baghair Na Rahega....!
Imran Ne Sardar Daraab Ko Bhi Apne Is Khayal Se Aagha Kiya....
Lekin
Sardar Daraab Ise Mahez Ek Mazaaq Tasleem (Sweekar) Karne Tayyaar Nahi Tha....!
Aksar Imran Ka Dil Chahta Ke Is Budhe Ko Chath Mein Ulta Latka Kar Usse Puche Ke Use Kiss Par Shak Hai....Usne Sajjaad Ke Bichchoo Ka Qissa Bhi Sunaya Tha....
Lekin
Sardar Daraab Ka Jawaab Tha....Mumkeen Hai Kisi Ne Uske Bichchoo Chura Kar Cigar Case Mein Rakhe Ho....!
Yahi....Khud Sajjaad Ke Imaan Par Aisa Nahi Ho Sakhta....Imran Ne Pucha
Hargiz Nahi....Main Kabhi Tasleem Nahi Kar Sakhta....!
Fir Aap Yeh Tasleem Ki Jiye Ke Wo Bichchoo Maine Rakhe The....Imran Jhalla Kar Bola
Is Par Sardar Daraab Khamosh Hi Raha....
Fir
Imran Ne Ahni Darwaaze Ka Tazkara Chedhte Hue Aqeel Ki Harkath Ke Mutaleekh (Sambhandit) Bataya....!