• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance AMAR - KALPANA ( Depth of love )

Kirti.s

Member
404
1,361
123
Chapter 1 - Something unforgettable

Update 1


Year 2040 ,
At Delhi in college canteen



"Kya Soch Raha hai Aryan? " ye Ronny tha Jisne Aryan ko Kisi Soch Mai dube hue Dekh ke ye sawal Kiya .


"Soch Raha Hu ki ye humara college Mai last year hai toh kyu na Kuch Aisa Kiya jaye ki logo ko saalo tak Yaad rahe " Aryan ne Apne khayalo se bahar aate hue jawab diya .


" Toh Kisi celebrity ko bula le , tere papa ki toh Achi Jaan pehchan hai celebrities se " Ronny ne aise hi jawab diya kyuki use jyada interest nahi tha is Annual function Mai .


"Kya Karne ki Soch Raha hai Aryan , college Mai pehle hi kafi log bohat Kuch Kar rahe hai , like song , dance , comedy act aur bhi bohat Kuch , aur Maine toh suna hai is Baar ek group 7 ajubo par Kisi type Ka play Kar rahe hai , interesting haina ? " ye baat Annie ne Kahi , ye thi is BFF group ki tisri aur akhri member.


Aryan , Annie aur Ronny ye teeno best friend the college ke pehle months se , teeno Delhi se the toh dosti easily ho Gayi aur fir jaldi hi best friends ban Gaye .

Aur is waqt ye log college ke canteen Mai baithe hue aane wale annual function par discuss Kar rahe the cold drinks Ka Maza lete hue .


"Tumhe pata hai sabse bada ajuba kya hai is duniya Mai "Love" pyar se jyada ajeeb Kuch nhi hota , log love Mai haste bhi Hain rote bhi hai , ladte - jhagate hai fir ek ho jate hai , door hoke bhi Apne lover ko paas feel karte hain " Aryan ne apni coldrink pite hue jawab diya .


"Jaag Gaya tere andar Ka writer " Ronny ne Aryan ki chutki lete hue kaha .


" Kuch love story aisi hoti hai jise ek writer Ke liye bhi sabdo Mai dhaal paana bohat muskil hota hai " Aryan ko writing ka bohat shok tha aur wo future Mai writer ban-na Chahta tha , par is waqt wo thoda gambhir tha Kuch sochte hue .


" Kehna kya chahte hai Aryan ?" Annie ne bhi thoda sanjida hote hue pucha.


"Is Baar college ke annual function Mai hum ek love theme par play karenge".


"Like Romeo - Juliet? , Aaj kal log bore ho jate hai love story Dekh ke aur tu love theme par play karega , Ande tamatar khane hai kya". Ronny ne baat ko hawa mai unhi udate hue hasne laga.


"Ronny Tu chup Kar 2 minute ke liye jara, aur Aryan ye bata ki tune socha kya hai is love story ke baare Mai". Annie ne Aryan ko gambhir hote hue Dekh Ronny ko chup Karaya aur apni baat rakhi.


"Kyuki ye ek aisi love story hai jise sabdo Mai utar paana mere liye bohat muskil hai ". Thoda nirash hote hue Aryan ne jawab diya.


Aryan ki Kahi is baat par Annie ke sath-sath Ronny ko bhi shock laga, dono jante the ki Aryan ek bohat Acha writer hai , uska har cheez ko dekhne Ka ek alag najariya hai ,har cheez ki bohat gehrai se samjhta hai wo is Umar Mai bhi aur bohat hi khubsurt tarike se likhta tha , aur uski Kahi ye baat dono ko hazam nhi ho rahi thi.


"Ek minute, agar Tu bhi is love story ko nhi likh samjh sakta toh hume kon samjhayega ? Ronny ne confuse aur shock hote hue pucha.


"Kal Sunday hai toh mere Ghar par Milo subah after breakfast, chalo Mai nikalta Hu". Ye bol ke Aryan jaane laga .


"Are ruk, ye toh bata-ta ja ki Aisa kya hai is love story Mai Jo tere liye bhi likhna muskil hai ? Aryan ko jate Dekh Annie ne Kaha.


"Ye ek aisi love story hai Jo sach bhi hai aur kalpana bhi ". Ruk ke Aryan ne jawab diya aur phir Nikal Gaya .

Aur jaate - jaate chhod Gaya Annie aur Ronny ke liye ek sawal ki aisi kon si love story hai Jo sach bhi hai aur kalpana bhi .
Congrats for new story sir ji
First update was awesome. aryan ka character kafi lga rich family se belong krta h shayad lekin us mein ghamand zara bhi nhi hai baki toh story jaise jaise age badhegi pta chal jayega
 
Top