• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance AMAR - KALPANA ( Depth of love )

Kirti.s

Member
404
1,361
123
Update 2

At Aryan's house

"Good morning uncle , good morning aunty" ek three seater sofe par Aryan ke dad mom aur bich Mai Aryan baithe hue the , aur inke dono taraf Annie aur Ronny baithe the single seater sofe par Aryan ke Ghar mai. Kal ke kahe anusaar Ronny aur Annie aaj Sunday ko Aryan ke Ghar par Aaye hue the , aur samne Aryan ke mom dad ko baithe Dekha toh greetings karte hue baithe gaye ye dono .


"Haan to Aryan ab koi subh mahurat ka wait Kar Raha hai kya , jaldi se aur Jaise bhi tujhe pata hai wo love story suna " thodi der chup rehne ke baad Ronny apni curiosity rok Nahi paya aur usne puch hi liya jiske liye wo log Aaye the.


Kal se hi Annie aur Ronny dono bohat exited the is love story ke baare mai janne ke liye , dono Raat bhar yahi sochte rahe ki Aisa kya is story mai jo Aryan jaise deep thoughts rakhne wale writer ke liye bhi likhna muskil hai , Kuch toh khas hai isme , Jaise taise din bita , raat gujari aur ab Ronny ki sahan sakti jawab de gayi aur usne puch hi liya.


"Actually ye story mai nhi mare dad sunayenge" Aryan ne Apne dad ki taraf dekhte hue Kaha .


Kal saam ko hi Aryan ne Apne dad se baat Kar li thi annual function ke baare aur request ki is love story ko Apne friends ke sath share Karne ki . Aryan ke dad usse bohat jyada pyar karte the aur usme apna bachapan dekhte the , reason ye tha ki wo Apne bachpan ko Kabhi jee hi Nahi paye unhe pata hi nhi tha ki bachapan kitna khubsurt hota hai, unhone Kabhi Kisi cheez ke liye Aryan ko manaa nhi Kiya tha, toh Apne Bache ki is request ko wo bhala Kaise manaa Kar sakte the.


"Ok bachho ab mere bete ne request ki toh mujhe use Pura to Karna hi hai , Aryan ke dad ne Aryan ke baalo ko sehlate hue Kaha .


"Lekin usss pehle ek baat batao …" isse pehle ki Aryan ke dad aage Kuch bolte usse pehle Ronny jhatke se khada hua aur unke pair pakad liye .


"Bas uncle ab aur suspense create mat Karo aur jaldi suru Karo is love story ko , ye Dekho meri heartbeat kitni badhi hui hai " Ronny ki is harkat se sab ek dam chounk gaye aur fir sab ek sath hasne lage .


"Are Mai toh ye keh raha tha ki story First person sunoge ya 3rd person " , Aryan ke dad ne Ronny ko uthate hue Kaha .


"Aap bas suru Kar do uncle " Ronny ne apni seat par baithate hue Kaha .


"Theek hai but story suru Karne se pehle ek baat dhyan se suno " Aryan ke dad ne fir bolna suru Kiya , aur Ronny ne apna sir pit liya .


"Story ko samajhna hai toh dhyan se sun aur bich Mai mat boliyo Kuch " ye baat Aryan ne Kahi jab Ronny ko apna sir pit-te hue Dekha .


"Agar do Dil Milne ke liye bane hai , toh chahe Kitna bhi lamba intezaar kyu na ho ,chahe kitni bhi lambi doori kyu na ho , wo koi mayne nahi rakhte , humne bhale hi tay Kar liya ho , hum apni zindgi kiske sath bitayenge, lekin asal Mai hum apni zindgi jiske sath bitane wale hai , uska faisla koi taqdeer nhi Karti , ye hota hai Pure Love Jise log Magic Bolte hai and this is something unforgettable" ye bolne ke baad Aryan ke dad ne story suna-ni suru ki .
very nice update sir ji
toh main story ab start hogi.ronnie toh excited hua ja rha hai story sunne ke liye ab us se ek pal ki deri bhi sahan nhi hoti.ronnie ke sath sath hm bhi kafi excited hai story jaanne ke liye zara hm bhi jaane aisi is love story mein kya khaas baat hai jise aryan bhi apne shabdo mein bayaan nhi kr paya ab toh jldi se next update de dijiye.
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Chapter 2
VASCULAR COGNITIVE IMPAIRMENT


Update 3

Year 2015
21 September




Delhi ke Manipal hospital Mai ek 21-22 saal ka ladka ek special ward Mai pada hua tha, head par pat-tiyan bandhi hui thi ,face par oxygen mask laga hua tha ,right hand par NS (Normal saline) ki dripping lagi hui thi. Hath aur pair par Halke choto ke nishan Jo lagbhag thik ho chuke the .


Paas Mai ek lady ek chair par baithi hui thi Jo ki lagbhag 45-46 Saal ki hogi aur sath hi ek nurse Jo Apne regular kaam Kar rahi thi .


Achanak hi ladke ki body Mai Halki -halki halchal hone lagi , Jise Dekh ke lady ne nurse ko awaj di, nurse ne aake check Kiya toh paya ki ladka hosh Mai aane laga hai jise dekh ke wo doctor ko bulane chali gayi .


Idhar us lady ke aankho se aansu girne lage use ladke ko hosh Mai aata Dekh ke.


Kuch pa lene se jyada khusi tab hoti hai jab hum Kuch khoya hua pa Lete hai aur is waqt us lady ke chahre par Kuch aise hi bhav the aur ye sayad khusi ke aansu the .


Dheere-dheere us ladke ne apni aankhe kholi . Pure room ko dekhne ke baad use Apne left side par wo lady dikhai di. Lady apni khusi se Kuch bol hi Nahi pa rahi thi but ladka sirf use hi dekhe ja Raha tha .


Takriban 5-6 minutes ke baad doctor Aaye . Reports check ki aur fir ladke ke samne chair par baith Gaye.


"Kaisa feel Kar rahe ho Amar ?" Doctor ne ladke ke face ki taraf dekhte hue sawal Kiya.


Ladke ne doctor ki taraf Dekha but Kuch Bola nahi bas doctor ke chehre ko dekhne laga bilkul sapaat face se jisme koi expression Nahi tha , Dekh ke koi nhi bata Sakta tha ki wo ladka Yani Amar kya Soch Raha hai .


"Inhe pehchante ho ?" Lady ki taraf ishara karte hue doctor ne Amar se puchha aur sath hi Apne notepad par Kuch note Karne lage .


Amar ne fir lady ki taraf Dekha but is Baar bhi Kuch nhi Kaha.


"Tumhe pata hai ye chote Kaise lagi tumhe?" Doctor ne fir ek Baar puchha but is Baar unhone Amar ke hath par lagi chot par Halke se apna left hand firaya jisme unhone glove pehna tha .


"Ahh" dard se Amar ki Halke se ah nikli , aur wo doctor ko ghurne laga .


Doctor ne fir Kuch note Kiya aur chair se uth ke lady ke paas Gaya .

"Priya ji aap jara mere cabin Mai aaiye." Doctor ne lady se Kaha aur nurse ko ishara Kiya ki Amar Ka dhyan rakh.


Kuch der Amar ko dekhne ke baad wo lady Apne aansu pochte hue doctor ke sath Uske cabin mai chali jati hai .



"Dekho Priya ji Mai ghuma fira ke bilkul bhi baat Nahi karunga, Amar yani apka beta physically bilkul normal hai but mentally Nahi." Doctor ne use lady ko samjhane ki kosis ki jiska naam Priya tha .


"Matlab doctor?" Priya ne thoda hairani se pucha .


"Is baat Ka mujhe andesha hua tha jab maine Amar Ki MRI report dekhi toh, but abhi sayad Apne bhi notice Kiya hoga jab Mai usse baat Kar Raha tha, jab Mai Kuch bolta toh wo meri taraf dekhta, Kuch ishara karta toh us taraf dekhta hai like jab tumhari taraf ishara Kiya toh usne tumhari taraf dekha, aur jab uski chot par hath fera to use dard mehsus hua jiski wajah se uski ah nikali, matlab dekhne Mai koi problem Nahi hai , easily sun Sakta hai , aur voice bhi bilkul thik hai, lekin use Kuch samjh Nahi aa raha ki kya kare Kaise react kare, reason hai jab accident hua toh head par chot lagne se Amar ke brain ke major blood vessels block ho chuke hai,or in sab baato ke baad ab confirm ho gaya hai ki uski memory chali gayi hai." Doctor ne pure details ke sath Priya ko samjhane ki kosis ki.


Apne Bache ki haalat ke baare Mai sunke Priya ki aakho Mai Jo khusi ke aansu aaye the wo ek baar fir gum Mai badal gaye .

Priya waise toh bohat samjhdaar aur sahasi aurat thi but baat jab Apne bache par Aaye toh ek maa ki saari samjhdaari kamjor pad jati hai , saara sahas tut jata hai aur is waqt Priya ke sath bhi yahi ho Raha tha, lekin fir bhi usne Apne aap ko abhi tak sambhal rakha tha .


Tabhi cabin Ka gate khula aur three piece suit Mai ek bohat Achi personality Ka vyakti andar aaya Jo ki lagbhag 46-47 Saal Ka tha , jise dekhte hi Priya daud padi uski taraf aur gale lag Kar rone lagi, Jo sabar Ka bhandh ab tak banaye rakha tha priya ne wo ab tut Gaya tha aur jis vyakti ke gale se lag Kar wo ro rahi thi wo the Priya ke husband aur Amar ke dad Vikram Singh Rathor .


"Han Raj tune phone Kiya ki Amar ko hosh aa Gaya hai , Kaisa hai wo aur Priya ro kyu rahi hai?". Priya ko saant karaane ke baad chair par baithate hue Vikram ne Doctor se puchha jiska naam Raj tha.

Raj aur vikram college time se ache dost the ,jahan Raj India ke top neurosurgery Mai se ek tha wahin vikram ek Jana mana businessman tha .

Jab nurse ne Raj ko btaya ki Amar ko hosh aa raha hai toh usne vikram ko call Kar diya hospital aane ke liye .


"Amar ko aaj pure 6 din baad hosh aaya hai" doctor ne bolna suru Kiya….


" Ye toh Achi baat hai na , fir Priya aise kyu ro rahi hai? " Raj ki baat bich Mai kat-te hue vikram ne apni asmanjata jatayi.


"Ha Amar Ka hosh Mai aana Achi hai baat hai , lekin Yaar , wo... , wo... , He have lost his memory ". Thoda jhijhakte hue Raj ne vikram ko bata hi Diya.


"What do you mean by he have lost his memory?" Actual Mai is shock se Vikram ko samjh hi Nahi aaya ki wo react Kaise kare.


"Dekh Apne aap ko sambhal, filhal wo thik hai ". Raj ne tassali dete hue Kaha .


"Yaar Tu toh top neurosurgeon Mai se ek hai, koi toh treatment Hoga iska, aur filhal se kya matlab hai tera?" Apne aapko sambhalne ke baad vikram ne puchha . Bohat sharp mind tha Vikram Ka, turant usne Raj ki baat pakad li thi.


"Han Mai isi baat par aa Raha tha, ek treatment hai iska, lekin meri Salah maan to use na hi Karwa toh jyada acha hai".


"Aisa kyu, Aisa kya ho jayega?"


"Treatment se uski memory toh wapas aa jayegi but Uske baad wo 5 se 10 saal hi aur life jee payega".


Ye ek aur shock tha priya aur vikram ke liye , treatment Mila bhi toh Kaisa .


"Yaar lekin Maine suna hai aise case mai bhi log apni Puri life jeete hai , I mean treatment ke baad bhi?" Vikram ne ek akhiri ummid bhari najro se ye baat puchhi .


"Ha , bilkul Aisa hota hai , log treatment ke baad bhi khusi-khusi apni Puri life jeete Hain,lekin memory lose ke alag-alag kaaran hote hain aur unke alag-alag treatment hote hain aur Amar ka accident hone se jo disease hua hai usme yahi treatment hai ya fir Bina treatment ke wo apni Puri life jee Sakta hai but uski memory Kabhi wapas nhi aayegi, ye bohat hi rare case hai, Puri duniya Mai sirf 25-26 case hi Hain aise". Raj ne Puri detail dete hue Kaha .


"Kya naam hai is disease Ka?" Thodi der ki khamosi ke baad vikram ne puchha, sayad Kuch search ki Soch Raha tha wo.



"VASCULAR COGNITIVE IMPAIRMENT"
 

Rahul

Kingkong
60,514
70,677
354
wonderfull update bhaiya ji
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Kya khub likh rahe hai aap..... fabulous..
Brilliant update Immo ji..... Great going... :applause::applause::applause::applause:
Sukriya Naina ji , Naya update post Kar Diya , padhiye or update Ka aanand lijiye
 
  • Like
Reactions: Naina and Aakash.

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
I also love love stories. Now the story has to be heard, so quickly post the next update of the story. Today's update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next. Thank You...:heart::heart::heart:
Yup, kahani suru ho chuki hai, padhiye aur aanand lijiye ,
Sukriya for you wonderful review :hug:
 
  • Like
Reactions: Naina and Aakash.

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Aap ne toh surprise kr diya yha toh hm soch rhe the ki aryan main character hoga lekin woh side character nikla acha hua aap ne phle hi bta diya
It's just a beginning ,story full of surprises hai . Update post Kar Diya hai . Padhiye aur aanand lijiye.
 
  • Like
Reactions: Aakash.

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
बहुत खूब इमोर्टल भाई,,,,,

मैं दोनो अपडेट पढ़ चुका हूॅ और यकीन मानिये मुझे बेहद खुशी हुई कि आपने कहानी को बहुत ही खूबसूरती से शुरू किया है। किसी भी चीज़ का विस्तार से किया गया वर्णन एक अलग ही प्रभाव डालता है। इस कहानी में हम सभी को वही मार्मिक प्रभाव देखने को और महसूस करने को मिलेगा।

जैसा कि पहले अपडेट में आर्यन ने साफ तौर पर कहा था कि ये एक ऐसी लव स्टोरी है जिसे शब्दों में ढालना बेहद मुश्किल है तो इससे ज़ाहिर है कि इसमें ऐसे नपे तुले शब्दों का प्रयोग होगा जिसके हर ज़र्रे में हृदय को चाक़ कर देने की क्षमता होगी। इसमे कोई शक़ नहीं कि इस कहानी में आर्यन की जगह एक लेखक के रूप में आप हैं। इस लिए इसमें वो सब कुछ डालना आपके लिए अनिवार्य होगा जो आर्यन की बातों को सार्थक कर सके।

ख़ैर, अभी तो शुरुआत है। शुरुआत में भी कोई कमी नज़र नहीं आई अभी और मेरी उम्मीद आख़िर तक भी यही रहेगी। आर्यन के सभी दोस्त उसके घर आ चुके हैं और अब आर्यन के पिता अपने तरीके से इस कहानी का आग़ाज़ करने वाले हैं।

इसके आगे क्या कैसे होगा ये देखने के लिए आपके अपडेट्स का इन्तज़ार रहेगा।
Kosis yahi rahegi meri ki apko wo Kuch padhne ko mile jiski Apne kalpana ki hai .
Bohat bohat sukriya Apke is bahumulya partikirya ke liye :hug:
Update post Kar Diya hai . Padh ke aanand lijiye.
 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
very nice update sir ji
toh main story ab start hogi.ronnie toh excited hua ja rha hai story sunne ke liye ab us se ek pal ki deri bhi sahan nhi hoti.ronnie ke sath sath hm bhi kafi excited hai story jaanne ke liye zara hm bhi jaane aisi is love story mein kya khaas baat hai jise aryan bhi apne shabdo mein bayaan nhi kr paya ab toh jldi se next update de dijiye.
Ye love story full of surprises hai . Har mod par ek Naya surprise milega .
Sukriya Apke bahumulya review ke liye .
Update posted padhiye aur aanand lijiye.
 
  • Like
Reactions: Aakash.
Top