• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Anjaan Rahen ~ A Passionate Love (Completed)

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 26


Bechara Amit, ander se chidh kar to aag babula ho gaya aur sare logon par chillata hua wahan se chala gaya. Kuch der, khud me sahi galat ka sochta raha phir anth me faisla kiya wo sab sach sach bata dega.
Usne soch bhi liya ki phone karoon phir dushre mann khyal sa aaya ki "yaar itni mehnat se Nainu ne plannig kiya hai, wada bhi kiya ki kuch bhi galat nahi karega, kya karoon, karoon ki na karoon baat"
Haan ... Naa .... Sochte sochte anth me Amit ne sab sach batane ka faisla kar liya. Room me jahan wo phone charge par rakha tha wahan se phone lene gaya, par ye kya phone ki jagah slip tha ... Ek sandesh Nainu ka .....
"Jab tu bhid me baitha tha aur log uksa rahe the, tabhi tera mobile gayab kar diya. Duffer ab jyada sochna mat, yadi tu nahi soch raha to good, aur yadi tu soch bhi raha hai, ki sab sach bara dun, to bhi good"
"Tu chaha kar bhi nahi kar sakta kyonki tera phone mere pass hai, aur bed par ek ladka baitha hai, jo aaj ke party tak tumhare sath rahega. Kya kahta hai .. Dekha jyada picture dekhne ka fayda ... Ab tum aaram karo bas"
Amit to farfara gaya.. Nainu ko koste huye ... "Kamina kahin ka, kisi ko nahi chhorta, yadi tumne kuch ulta kiya to main tumhra wo haal karoonga ki dekhna"
"Kya badbada rahe ho Amit bhai, Nainu ko galiyan" ... Amit ke room me nigrani rakh rahe ladke ne haste huye puchha.
Amit..... Chup kar chamche, yadi aaj kuch ulta hua to sabko ulta tang kar pichhwade me danda ghuser dunga.
Ladka... Pagal hai tu Amit, yadi kuch hua to tu bhi hath saaf kar lena.
Amit chidh kar daura usse marne aur wo ladka bachta raha. Aalam ye tha ki poora din Amit ke sath chher-chhar hoti rahi, aur wo itn achidh gaya ki ek baar to suside tak ki kosis kar dali.
Par aaj hostel se Nainu kahan gayab tha, ye kisi ko samjh me nahi aa raha tha. Din dhalne ko aaya tha, na to Gaurav najar aaya na Nainu. Sabko aasanka hone lagi ki jaroor kuch khichdi pak rahi hai, jiski khusboo to log mehsus kar rahe the par khana nasib ho ki nahi ho.
Khair saam dhali, aur waqt bhi aa gaya. Party ke arregement ki koi padesani he nahi thi, kyonki engeenring padhne wale kuch local ladkey time pass ke liye the aur partiyon ke kiye to unke pass paisa he paisa tha.
Hotel sayaji ke ek hall me party aur stage ki booking ki gayi. Stage ka pura kaam aur back door se stage tak lane a arrengement sab Adil ka tha. Jo jante the unke liye planning aur bakiyon ke liye sirf party thi, jise wo enjoy karne aaye the.
Stage par music dj laga tha, ladkey-ladkiyon ke nachne ke liye, aur jise jo perform karna hai wo kare koi padesani nahi thi.
8pm baje se sabne aana shuru kar diya, Amit ko bhi aana para, lekin usse bas ye chinta thi ki kahin kuch galat na ho, aur wo bas najar dene aaya tha.
Sare ladkey ladkiyan pahunch rahe the, Ankit aur Saily ko 8.30pm ka samay diya gay tha, aur tay samay par bina koi reminder ke wo dono pahunche.
Kya reaction tha ladkon ka Saily ko dekh kar, silver clour ki single dress jo deep neck ki thi back bhi kaphi khula aur niche bhuntno se thoda upar. Sare ladkon ka muh khula ka khula rah gaya. Kuch to ye sochne lage ki itni khubsoorat hasina ne unki bejjati kyon nahi ki.
Saily aur Ankit, Amit se mile .. Amit khincha sa chehra lekar mano jabarsti ki hasi hans raha ho, thik waise he dono ka sawagat kiya. Amit kahin bhawnao me bah kar koi raaj na khol de isliye ladkey pahle se uske aas pass maujood the.
Amit ... Saily se .... Kaphi sunder dikh rahi hain aap.
Saily (hasti huyi) .... Sirf sunder, jaeye Amit ji aap to bejjati kar rahe hain, is motu se puchho kaisi dikh rahi hun.
Ankit dhime swar me kahte huye ... Ab yahan to na kaho plz, bhari mehfil me meri bajjat to na karwao.
Amit... Ha ha ha, arre kahan darne lage, sab doston ki party hai aur yahan ke nik name iss se kahin jyada funny hai, so chill.
Ankit ... Amit bhaiiii ! Huh ! Ye mera nik name nahi.
Khadey baat he kar rahe the ki stage se aanouncement shuru ho gayi.....
"Hello friends, sare dost log idhar dhyan de. Kavita ka naya najrana ab humare Amit ke netritw me unke kuch sathi pesh karenge agle kuch he der me. Party ka agaz kuch aaj sayrana andaz me ho jaye".
Logon ke chillane ki awaz ....... Jaldi shuru kiya jaye, woooo hoooo, woooooo , yeeeeee,
Amit ne sari baton par viram dete huye kaha ... Hmmm ! Jaeye aakhir wo ghari aa hi gayi. Best of luck (apne liye mat sochna ye to mere liye tha)
Itna kah kar back door ki ore chala gaya, jahan ke gate par Adil khada tha. Adil ne dono ko receive kiya aur Amit ko chalta kar diya. Amit ki dhadkane badh gayi thi ye soch soch kar ki ab iss ladki ke sath kya hoga.
Jitne bhi unke sathi khade the sab se pooch liya ki Carzyboy aur Nainu kahan hai, par kisi ko pata nahi tha. Aaj din se dono nahi dikhe. Ye khabar sun kar to amit ke psine nikal aaye.
Amit bhag kar hall me aaya, aur apni kosis jari rakhte huye jor se chillaya ..... "Programme shuru kiya jaye". Amit ki hooting sun kar dusre ladkey ladkiyan bhi chhilane lage. Idhar itni tej awaz sunkar, aur apne iss warm welcome ko dekh Amit aur Saily dono stage entry gate ke pass khadey khush ho rahe the.
Light off pure haal ki, log chillane lage, halki dhimi light pure hall me jali, ek spot light stage ke entry gate par. Taliyon ki gargarahat aur logon ka chillana shuru.
Ab bari thi Saily aur Ankit ke stage par aane ki, jaise hi pahla kadam chale Saily aur Ankit ki dono jor se chhinke. Aisa laga dono ko jaise koi sprey kar raha ho, sayad stage decoration me ho aisa sochte dono aage badh gaye.
____________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 27

Do deice thi aur apne paper samete dono apni jagah pakar liye. Par jab se aaye the dono stage par sab unko dekh kar hans rahe the. Khoob jor jor se paglon ki tarah.
Amit ne jab dono ko dekha to apna sir pit liya aur teji se stage ki ore badha .. Par stage tak pahunchna uska mumkin na ho saka kyonki ladkon ne usse pakar kar kone me chup chap baithe rahne ki hidayat diya.
Andhere stage se phir ek announcement ki gunj huyi .... Shanti mitron, ab aap inke kavita ka luft utaeye.
Pahli baar iss hall me party organiser yani ki Nainu ki awaz gunji, aur iss awaz ko sun ne ke baad hall me shanti chha gayi.
Ankit aur Saily ne thodi rahat ki sans li warna dono nervous he ho gaye the, ki ab wo apni kavita kaise padhe. Spotlight ab focus huyi Saily par aur shanti se iss haal me dhime dhine hasne ki awaz saaf suni ja sakti thi....
Saily...... Aap sab shhrotagan ka sawgat hai iss saam me. Main Shrylin .....
Itna he boli thi ki, tez si awaz me ek comment aayi ... "Aur Shrylin ne apna muh kala karwa liya".
Ye awaz Gaurav ki thi aur ye comment Gaurav ne kiya. Gaurav ke iss comment ke baad to jaise hasne ki kilkariyan shuru ho gayi ho uss hall me.
Har koi hans raha tha. Achanak se hall ke charo ore lage parde par Ankit aur Saily live aane lage. Unka hasna wakai dono ke apman ki hansi he thi. Kyonki stage entry ki jo chhink thi wo unke chehre par kala sparay kiya gaya tha, aur log usse dekh-dekh hans rahe the.
Jab saily ne apna khud ka aisa chehra dekhi to roti hui stage se bhag gayi, jate jate bhi log kah rahe the... Muh kala kara kar bhagi Saily. Amit bechara, uski to izzat he chali gayi kyonki aakhir iss pure kand me sabse aham role to ussi ka tha.
Ankit aur Saily ke jate he light on ho gayi, dj ki beat par dance hona shuru ho gaya. Sharab ki botlen khul gayi aur party shuru.
Gaurav.... Nainu mere bhai dil khush ho gaya aaj ... Yaehhh le pi mere bhai. Dil ko sukoon mila hai.
Nainu.... Kyon nahi Crazy boy ... Milao hath aur uthao jaam ...
Sab jhoom rahe the nach gaa rahe the. Party karte karte 11 baj gaye the, dhire dhire sare log jane lage. Phir bhi party apne sabab par thi aur jinki bejjati Saily ne ki, wo sabse jyada nach ga rahe the aur logon ko incourage kar rahe the.
Takriban 11.15pm par Saily ke dost aur unke ikattha kayi ladke pahunche party ki jagah par, apne dost ke bejjati ka badla lene ke liye.
Achanak se he 20/21 ladkey ghuse aur sab ke sab tod-fod ke mood me the. Par unhe kya pata tha yahan ki taiyari us se jyada pukhti hai. Jaise he sare ladkey ghuse unke pichhe engeenring college ke karib 30 student aur party hall ke takriban 15 ladke, aur sabke hath me kuch na kuch.
Aalam ye ho gaya ki jo bahar se mar karne aaye the ladkey, wo bich me fase the aur charo ore se usse engeneering college ke student ghere the. Aur jinka dab-daba jayada hota hai unki boli bhi jyada. Mahol to poora garam tha, par jo maar karne aaye the wo asahay ho gaye aur jo mar khane wali party thi wo bhari par gayi.
Bich bachao me iss baar apne pakshon ko shant kar side kiya Nainu aur Gaurav ne, udhar Amit ne Vivek ko pakra aur samjhane laga "inse mar karne ka koi matlab nahi, abhi itne hai ek phone call gaya to kuch der me pura hostel hoga".
Halaat ko sayad Vivek to samjh gaya par Ankit ke gusse ne nahi samjha. Ankit & friends jaan chuke the ki unke sath aisa kyon hua, isliye Ankit sidha gaya aur Gaurav ki collor pakra aur hath marne ke position me kiya hi tha...
Thhar ..... Ek tamacha poore jor ka para Ankit ke gal par. Tej wo thappar itna tha ki ungliyon ke nishan ubhar kar aaye.
Nainu..... Bas, chup us din bhi the chup aaj bhi hain. Harkat kuch aisi mat karna ki afsos ho ki inhe chhera he kyon.
Ankit ko thappr parte he Vivek bhi taish me aa gaya, par jo unke sath wale the badlte mahol aur waqt ko dekhte huye nikal liye. Maar kabhi bhi ho sakti thi, aur phaltu ke dusron ke jhamele me kyon pare, bas ye sochte huye aadhe se jyada nikal gaye the.
Koi wahan kuch nahi kar sakta tha... Vivek jaise gusse se jal raha ho....
Gaurav.... Shant ho jao sab .. Aur sab pichhe hato, in dono ko bithao kursi par ab hum jarra inhe aaiena dikhate hain.
Gaurav ki tej chinkh ne jaise sabko shant kar diya ho, banki bache ladkon ko uss jagah ko chhorne ke aadesh mil gaye aur naa chahte huye bhi unko ana para. Do kursiyan haal ke bich me uske samne Nainu aur Gaurav ki kursiyan aur ek distance par banki dost, sharab ki glass niche rakhe aur haton ki plate me tandoor murge liye iss wartalaap ka luft uthane lage.
Gaurav.....
"Kyon be, tum sab apne aap ko samjhte kya ho. Yaad hai wo cinema hall. Kya galti thi jarra bata hume. Bol naa.....
Ek to pahli baat hum hooting nahi karte, nahi karte matlab nahi karte aur dushri baat cinema hall me hooting nahi karenge to kya bhajann mandli me hooting karenge kutte.
Salon jab bold seen tum ladkey-ladkiyan ek sath dekhte ho, 100 logon ke bich me tab odd nahi lagta, tab tum sanskari ho gaye aur maa baap ke agyakari, aur ussi bold scene par jab koi hooting kar de, to haramjade tum to so called hi-society ke log unki aukaat aur sanskaar puchhne lagte ho.
Pata chala bhade sabha ki bejjati kya hoti hai. Kaisa lagta hai jab koi tumhari izzat utare uss kaam ke liye jo kaam tumne kiya he na ho.
Aur tujhe collor padkney ka bahut suak hai kyon. Uatar gayi sari herogiri. Soch abhi humne kuch nahi kiya, tumhare jaise hum bhi uss din apne apmaan ka badla lene aate to tumlogon ka kya hota.
Baat aayi ho samjh me to thik warna aa jana apne sage sambandhi ko lekar, hum roj saubah Vijaynagar cahurahe par mil jayenge, aur haan sayad har roj hum itne shant na ho ....
Chal Nainu ..... Party over !!!!!!!!!!!!!!!!
________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 28


Dwewh aur badla do man ki aisi awasthayen hain, ki jabtak isse santust na ki jaye insaan jalte rahta hai. Kitna sukoon aur kitna rahat iss samay Gaurav aur Nainu mehsus kar rahe the ye to dono ko hi pata tha.
Subah inki puri mandali jama thi Vijaynagar cahurahe par, jab samne se Saily chal kar uss chay ki tapri me aayi, sath he sath uske sabhi dost bhi aaye the.
Usndin bhi Nainu aur Gaurav ko jab pahli baar Saily ne awaz di to dono uske roop ko dekh kar aawak rah gaye the, par pahli mulakkat he aisi gujri ki phir roop chhor badle ke pichhe par gaya.
Halanki kal me aur aaj me Saily ke lubhawan roop me koi anter nahi tha, par badla jo tha wo sirf dekhne ka najriya, aur jab najriya badlte hain to dilon ke soorat-e-hall bhi badal jate hain.
Nainu thoda muskura kar dekh raha tha kyonki badle ke baad Saily ke reaction ka intzar kar raha tha, wahin Gaurav kuch jyada he muskurakar dekh raha tha, ab bechara crazyboy ka haal jo dil ka tha wo to wahi jane, par muskura jaroor dil se raha tha.
Sabhi ladke khare the, aur sabko aisa laga ki koi cold war ki isthiti paida hone wali hai, par wahan jo hua wo soch ke viprit thi....
Saily.... Main manphi chahti hun, us din Vivek ne bhi mujhe toka tha, ki aise bhadi mehfil me kisi ko nahi bolna chahiye. Infact, wo bolna nahi tha ek bahut he galat harkat thi, ki maine aap ki bejjati ki. Kal jo aap logon ne kiya usne mujhe ehsaas karaya ki gusse me main kitni galat thi.
Gaurav .... Koi baat nahi miss .. Ab sab barabar hai. Waise aap ne sorry bol diya to hum bhi kal ke liye sorry kahte hain, (Ankit ki ore ishara karte huye) aur tum bhai... Dil par mat lena koi bhi baat.
Saily.... Lagta hai aap ke dost ab bhi naraj hain, isliye kuch bol nahi rahe.
Nainu ...... Na na madam ... Koi gila koi sikwa nahi. Iss baat ko pichhe chhor diya jaye to mere khyal se behtar hoga.
"To milaeye hath, main Shrylin hun, aur dost mujhe Saily kahte hai" .... "Main Nain, aur dost mujhe kuch bhi kahe sab pyara lagta hai" .... "Hi main Gautrav"
Picche se ladko ke comments aana shuru huye ... Arre miss, Gaurav naam kabhi isse se dhund'na nahi, kyonki isse sab crazyboy bulate hain.
Tej aandhi ki uthal-puthal ke baad jaise sab shant huye ho, udhar ke sare mitr mandli Gaurav aur Nainu se manphi mange aur apne kiye ki sharmindgi jahir kiye. Par iss ghatna baad aage kuch gustakhi honi baki thi, ek pyari gustakhi.
Gaurav aur Nainu ko Saily ki ore se nimantran mila dinner ka, Nainu kam magar Gaurav kaphi excited tha iss dinner ke liye, jab sam ko taiyar hua nikalne ke liye to aakhir Nainu bina bole rah nahi paya....
"Kyon crazyboy, lagta hai shadi me ja rahe ho, baat kya hai babu itna ban than ke"
Gaurav.... Hurrr, ye mera normal dressing hai, tere tarah kabari nahi, ki kuch bhi pahan kar kahin bhi chale gaye.
Nainu..... Chal chal, mujhe na dress ke bare me gyan nahi de, main jo bhi pahnta hun wo brand ban jata hai.
Raat 8 baje, Saily aur Ankit, resturent me dono ka intzar kar rahe the, jab dono pahunche. Nainu apni chair par bait'te huye, "hum late to nahi huye"
Ankit thoda aage jhuk kar .... Bhai par hum kaun, aap akele he baitho ho.
Ek najar apne side me dal check kiya, abhi to gate tak sath tha, aur jab isthiti ka jayja liya to sir par hath rakh kar muskurane laga....
Saily ke chahre par jaise ajib si miuskaan aayi ho, aur wo gaurav ko dekh kar muskura rahi thi, Gaurav abhi bhi gate ke pass khada bas bagule ki najar se apni Saily machhli ko dekh raha tha.
Gate par khada hokar yun gurna kaphi embarrassing tha. Nainu, Gaurav ke pass pahunchkar uske sir par marta usse hosh me jald wapas laya, aur jab Gaurav ko samjh me aaya ki wo kya kar raha tha to idhar udhar gardan ghuma kar dekhne laga.
Nainu..... Carzyboy public place me aise koi ghurta hai kya ?
Gaurav.... Main, main ... Mai to restra ki saf safai dekh raha tha, aakhir khana aur sehat ki baat hai.
Nainu.... Haan wo to samjh me aa raha hai tu kaun si sehat bana raha tha. Chal ab, aur usse ghurna band kar.
Gaurav jab table par aaya to Ankit aur Saily dono hans rahe the, sath me Nainu ko bhi hasi aa gayi, Gaurav chhota sa muh banaye chupchap baith gaya par rah-rah kar najar bas Saily ke husn par he tiki huyi thi.
Saily.... Crazyboy kaphi jach rahe ho aap iss dress me.
Gaurav sir jhukaye chor najron se Saily ko dekh raha tha aur achanak se jab Saily ke muh se apni tarif suni to chehra utha kar poori najron se dekhte huye .....
Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Koi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi Hai
Ae Banane Wale Lagta Jaise
Koi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai
Uske Zulafo Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Jaise Din Dhalte Hi Chhayi Andhyari Hai
Ho Chali Hai Pawan Bhi Pagal
Uski Zulaf Lehar-Lehat Leharaayi Hai
Aankhein Uski Ya Mehkashi K Pyaale
Dekhkar Hi Hum Pe Khumari Si Chhayi Hai
Honth Kahu Ya Phoolo Ki Paankhein
Jiski Khushboo Ne Hamari Saaso Ko Mehkayi Hai
Abar Kahu Uske Gaalo Ko Main
Dhoodh Se Jaise Wo Nahayi Hai
Chand Kahu Fir Bhi Kam Hoga
Aasma K Nakshtro Mein Wo Hi Jag-Magayi Hai
Uske Husn Ki Tarif Mein Kya Kahiye
Koi Sehzadi Zamee Par Utar Aayi Hai
Ae Banane Wale Lagta Jaise
Koi Sangmarmar Ki Murat Tune Banayi Hai
Bewak ada se Gaurav ke sabdon me nikale Saily ke roop varnan, sunkar sabki aankhen phati raha gayi aur muh khula. Jab apni kavita puri kar di Gayrav ne to sabko iss tarah se ghurte dekh .... "Kya hua sabko, aise kyon dekh rahe ho"
Sab bas haste huye taliyan bajane lage ... Ek pyari si muskaan Gairav ke chehre par aa gayi, aur thoda sa sarmata hua apni jagah par baith gaya.
Saily.... Wowwwwww Crazyboy aap poetry bhi karte ho ...
Gaurav ..... Nahi ye kisi ki kahi kavitayen thi, jo aap ko dekh kar na jane kaise khud-w-khud bahar aa gayi. Waise har khubsurat chij ka haq hai, ki uski tarif ho.
Saily.... Hmmm ! Intresting Cazyboy, waise aap aise he baat karte ho ya koi special occassion hai.
Nainu..... Bas yun samjhiye kadardan hai ji, aur aap ke roop par fida ho gaya.
Saily.... Time to go doston, lagta hai kuch der aur rahi to ek anar aur do bimar ho jayenge, chal motu.
Itna kah dono wahan se nikal gaye, Gaurav table par hath arraye aur uspar apna chehra tikaye, thandi sasen bharte.... "Yaarrr ! Kya bala ki khubsurat hai"
Nainu... Oyeee Majnu ! Aur kharnaak bhi hai, jyada khyali pulaw na paka, yadi uska pahle se koi bf hua to.
Gaurav.... To meri jaan tu kis marj ki dawa hai, aakhir ilaz to tumhe he karna hai mere bhai.
Nainu.... Achha, aur kahin main he uska bf rahun to....
Gaurav.... To tujhe raste se hata dunga, kaun si bari deal hai. Waise bhi to kahta hai, "apno ke liye jaan le bhi sakta hun aur de bhi"
Nainu.... Tauba tauba, ye ladka bhi na. Tu itni seriously leta hai meri baton ko. Thik bhai .... Le lena jaan, sun mazak baut ho gaya ab seriously kahta hun, dekh ye ladki ka chakkar chhor aur padhai me dhyan laga. Waise bhi tere 3 paper back hai, is baar gadbad hua to tera baap tujhe jo karega hai so karega he, lekin mujhe bhi mujhe nahi chhorega. Sun raha ki nahi ......
Gaurav.... Yaar, samester to baad me bhi nikal lunga par ladki gayi to baad me kahan se launga......"mainu ishaq da lagiya rog, mainu bachne di nayyo ummid"
"Had ho gayi hai, ye chhora to bawra ho gaya hai, chal oye majnu, abhi to kuch din pahle aag lagti thi iske bare me soch kar, mujhe kya pata tha .. Baad me bhi aag lagne wali hai isse soch kar. Bhagwan bachaye isse, ye to gaya kaam se"
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 29


Hostel pahunchne ke baad to jaise raat bhari ho gayi ho, aur Gaurav ki aankhon se nind koso dur ho. Guarv bas khuli aankhon se upar chhat ko dekte huye.....
"Hayyy ! Kya muskaan thi, ufff ye kya komal nirmal honth, aur hasne ki wo adaa ... Main to lut gaya. Ahhh ! Aaj tak kisi ka carzyboy bolna achha nahi laga, aur aaj lagta hai kaash mera orignal naam he crazyboy hota. Pata nahi mere bapu ko kyon na ye naam sujha. Jaanu tum kab iss dil ki dhakan bani pata he nahi chala, ab to lagta hai ye jiana marna tere sang".
Gaurav ke dil ke armano ne aisi aanhhh bhari ki raat uski puri karwaten badal-badal gujri. Khyalon ka daman itna gahra tha ki nind ka sath chhut gaya, aur jab din me class attend karne gaya to nini rani ne basera dal liya. Kyonki ring, piston aur engine sun'na waise he boring tha upar se raat bhar ka jaga.
Faculty ne bhi kya khub punish kiya, Gaurab ko apne jagah par kahdey hokar attend karne ke aadesh mile, aur sath me mila extra assignment. Bechara, aaj raat chhat ko dekhte apni hussn-e-mallika ko yaad bhi nahi kar sakta tha.
Idar Ankit aur Saily wapas laut'te waqt college se apni jab bahas kar rahe the to Ankit ki charchaon me bas Gaurav he tha, aur wo Saily ko chherte huye ...
"Kyon jungli, lagta hai tere bf ki talaash khatam ho gayi."
Saily....... Jyada bola to tere baap ko teri aur Archna ki kahani bata dungi. Mote tu kya soch kar bola ye.
Ankit ..... Arre sochna kya hai, tu bhi pagal aur wo tera naya poet dost, uska to naam he crazyboy hai. Dono pagal, kundli to bhagwan ne he upar se bana kar bheji hai.
Saily.... Chup kar jyada ulta bola to, muh tod dungi.
Sam ke 7.30pm ke karib Nainu, Gaurav ko sath lene pahuncha uske kamre, dono sam ke iss waqt sath ghuma karte the, par aaj Gaurav ne assignment pura karne ki duhayi dekar ghumna tal diya.
Raat bhar ka jaga hua aur uske baad padhai karna kaphi mukil kaam tha, Gaurav na to so pa raha tha uar na he assignment puri kar pa raha tha, 8pm bajte-bajte Gaurav ne ghari ka alaram 1am baje ka set kiya aur finally sone ki taiyari me lag gaya.
Abhi bistar par leta he tha ki Gaurav ke mobile ki ghanti baji, char galiyan deta phone ko liya hath me, aur display par naam dekh kar teji ke utkar baith gaya aur do baar aanken mijte phir se dekha dispay......
Display bhi sahi tha aur naam bhi, magar kuch jo nahi sahi tha wo tha wo Gaurav ke dil ka aalam. Jiski ummid uske jahan me bhi nahi thi wahi ho raha tha, Saily ka phone.... Gaurav phone pick karte huye ....
"Main kya sapna dekh raha hun, ya aap wahi khubsurat mohtarma hain, jiska naam Shrylin hai"
Saily.... He he he he, ji bilkul mr. Carzyboy.
Gaurav.... Ummid se pare hai aap ka call, mere khayalon ke bhi kabhi aisa nahi tha ki aap ka call aane wala hai.
Saily.... Thik hai, main call disconnect kar rahi hun.
Gaurav... Kya koi bhul ho gayi, jo aap naraj ho gayi.
Saily.... Nahi aisi koi baat nahi, lekin jab se call pick kiye hain, ek he sawal par baat kiye ja rahe hai, ki call kaise aa gaya. Matter ye nahi ki call kaise aaya matter ye hai ki call kyon aaya, aur aap hai ki mukhya mudde ko chhor kar galat mudde uthaye hai.
Gaurav.... Oopsss ! Duffer he hun main. Sooo sorry miss. Btaeye banda aap ki kya khidmat kare.
Saily.... Treasure Island (shopping mall) aayi thi, aur mera bag uthane wala koi nahi. Feeling lonliness, socha kyon na crazyboy ko yaad kar liya jaye.
Gaurav.... Woo hooo ! Bilkul sahi number dial ki hain aap. At your service miss. Abhi aayaaa....
Saily hasti hui phone rakhi aur akeli mall ke gate par fulki ka aanand lene lagi. Bahar khadi aate jate couples ko dekh rahi thi aur kuch khoyi thi. Pichhe se aisa laga jaise uske gardan par koi funk raha ho. Saily palti ... Aur Gaurav ko dekh kar muskurati hui ...
"Thanks, thoda akeli feel rahi thi. Sorry yadi aap ko distrub kiya ho to"
Gaurav..... Mere hote huye aap akeli feel kaise kar sakti hain, bura to tab lagta jab aap ye khud ko akeli feel karti. Mere hote huye khabrdar jo kabhi akeli feel kiya to.
Na jane Gaurav ki baat sun kar kya hua Saily ko, jaise laga ki issi tarah ki baton ki najane kab se talaash thi. Koi ho uska bhi, jo uski care kare. Usse pata nahi kya hua Gaurav ki iss ek baat se. Aankhon me do bund aansu aa gaye aur sine se lag gayi Gaurav ke.
Gaurav ko to na jane kya hua, uske liye ye adbhut chhan tha, sayad dil ke haal ne itni bhi siddat nahi dikhayi thi ki chand mulakaton me uski husn ki mallika uske sine se lag jaye. Jaise koi chamtkaar ho raha ho ya phir kuch chahten Saily ki bhi thi.
Gaurav kho sa gaya iss pal me, par kuch he der me ehsaas hua ki wo dono kisi public place par hai, aur log unhe dekh rahe hain, kandhe ko sahlate huye ek khumari bhare swar me Gaurav ne Saily ko vastvikata se awgat karaya.
Khamosh Saily alag huyi, palken upar kar ke ek bar Gaurav ko dekhi, air najren jhukate huye shanti ke bhaw se sirf sorry bol kar dono khamosh ek dushre ko dekhte rahe.
Gaurav.... Arrree, hum yahan bahar khambe ki tarah kyon khadey hain.
Saily..... Matlab...
Gaurav... Matlab ye miss ki mujhe laga aap kuch shopping karegi, aur main bag utha kar aap ke pichhe-pichhe chalunga, par aap hain ki bahar khadi hain.
Saily pyari si ek muskan apne chehre par bikherti huyi.... Oo, bhul he gayi, chalen shopping par.
Dono ne 10pm baje tak shopping kiya. Gaurav ki baton par pure samay Saily hasti he rahi, aur pure shopping ke dauran Saily ko entertain karta raha Gaurav.
Saily ko uske ghar ke pass chhor kar Gaurav wapas hostel jane ke liye nikla, do kadam aage jakar ek baar pichhe mur kar dekha, Saily apne darwaje par khadi usse he jate dekh rahi thi.
Gaurav jab ye dekha ki Saily ab bhi darwaje par khadi usse he jate dekh rahi hai, to usne apne balon par hath ferte chehre par ek cute sa expression diya, aur hath hila kar bye bolte phir mur gaya.
Kuch dur fir aage gaya, aur fir ek baar pichhe mura. Dono he muskura rahe the ek dushre ko dekh kar, aur dono ke dil ke haal ka andaj-e-bayan usnki pyari si muskaan kar rahi thi.
Haal kya jane dilon ka, jo ishaq ki kasak paida ho gayi iss dil me. Ab to kisi ke na hone par bhi Gaurav muskurate chala ja raha tha. Jab jab yaad karta ki Saily uske sine se lipti royi thi, ander ke bhaw aise umarte ki sadak par he khada nachne lagta.
Aaj to gaurav ke liye sara jahan jhoom raha tha, aur masti me nachta Gaurav hostel pahuncha.
_____________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 30


Gaurav ka ye pahle pyar ka ehsaas, uske ander ek alag he romanch dal raha tha. Saily ke khyalon me he duba bas masti me chala ja raha tha..... Ajab si dhun me tha, aur khud me muskurata, geet gungunata hostel pahuncha.
Khyalon me he dooba raha wo Saily ke, apne kamre me pahuch kar bhi. Biti raat bhar ka jaga tha, sam ko haalat aisi na thi ki wo jag sake, aur zazba ye bhi kamaal tha jabse wo Saily se mil aaya tha, phir aaj raat aankhon me kaat raha tha. Raat ke 12 baje honge jab uske mobile par Saily ka msg aaya... "Jaag rahe hain kya"
Gaurav ne jab msg padha to phone uthakar chum liya, aur jitni jaldi type kar sakta tha kiya.... Hmmm, nind nahi aa rahi.
Saily sms .... Aap fb par hai kya
Gaurav reply .... Haan, account hai par online nahi aa paunga. Dabba mobile
Saily sms.... Koi baat nahi, kya kar rahe the
Gaurav reply ..... Kya kar sakta hun aap bataeye
Saily..... Raat ko waise aap jag kar, kar bhi kya sakte hain
Msg padh kar Gaurav haste huye....... Arree, Raat me main wahi kar raha tha jo India ke almost sabhi youth karte hain...
Saily .... kya
Gaurav.... Padhai aur kya, par ye shoking expression,
Saily.... Hehe, mujhe laga apni gf ke khayalon me khoye honge, lol
Gaurav.... Haan, kuch aisa he tha, par 50% sirf meri tarapf se, uske dil ka haal pata nahi.
Saily.... Sayad uska bhi 50% ho, par aap ne puchhne ki kosis nahi kiye ho.
Gaurav...... Kasam se koi blood pressure ki reading le to abhi 1200/900 ho, aur dharkane 72/min ke badle infinite count se dharak rahe ho.
Saily.... Aisa kyon bhala
Gaurav.... Kuch kuch hota hai Saily tum nahi samjhogi
Saily..... Kisi ko samjhne ke liye mulakaton ki nahi ehsaason ki jaroorat hoti hai, tum nahi samjhoge crazyboy ..... . Kal milti hun
Gaurav.... Good night
Ye umr, aur love at first sight, aur aag dono taraf barabar. Gaurav phone ko chumte huye sine se lagaye khoya he raha. Khwab ek pyara sa jise khuli aankhon se dekhte, kab Gaurav nind ki aagosh me gaya pata he nahi chala.
Subah jab Saily taiyar huyi, to aaj bilkul alag he dikh rahi thi. Haan ! Tha to paridhan roj ke he jaisa par aaj uske upar jo make-up kiya tha us se irade saaf jazir ho rahe the ki, kisi ko apne roop se ghayal karne nikli hai.
Yahi hota hai aksar jab pyar hota hai, aaine ke pass ghanto baitn ladkiya khud ko niharte ye sochti hain, aaj iss roop ko wo pasand to karenge na. Par unhe kya pata wo sawarti ek ke liye hain aur ghayal pura jahan hota hai.
Ankit jab college le jane ke liye Saily ke yahan pahuncha to usse dekh kar dekhta he rah gaya.
Saily.... Kya hua motu, aise kyon react kar raha hai jaise pahli baar dekha hai.
Ankit.... Saily, tu pagal ho gayi hai kya, ja muh dho kar aa.
Saily bilul chaukte huye .... Kya hua chehre par kuch laga hai kya ?
Ankit thode gusse me jhunjhlakar bolte huye .... Kyon tu aaina nahi dekhti kya ? Kya hum koi party me ja rahe hain, ya shadi me jo aise make-up kar ke nikli hai.
Saily muskurati huyi.... Hehe, khubsurat dikh rahi hun na.
Ankit.... Tu pagal dikh rahi hai, aise taiyar hokar kya koi college jata hai ?
Ankit ka kahna apni jagah bilkul sahi tha, Saily ka iss tarah se taiyar hokar nikalna usse achha nahi lag raha tha, par Saily ne kaphi gussa jahir kiya uski phaltu ki mentality par aur muh chadhate bas itna kah di ... Tujhe chalna hai to chal warna mujhe college ka rasta dekha hai.
Ankit bhi bina kuch bole chup-chap usse lekar college ke raste chal para. Ankit ko jid kar ke Saily vijaynagar chaurahe par ruki, aur badi he bewak adaa se wo chay ki tapri me gayi......
Ek to roop lubhawan upar se ye rijhane ka make-up, aisa lag raha tha jaise aaj chay ki tapri me do char ladkon ka katal ho jaye. Muskurati wo ek najar sabko dekhi, aur Gaurav ko wahan na dekh kar khila sa chehra murjha gaya.
Idhar chay ki tapri me sare ladkey Saily ko he dekh rahe the, dekh kya rahe the aaye minute bhar bhi nahi hua hoga Saily ko aur sabne na jane kaise-kaise khaw bhi dekh liye the.
Nainu apne chay ka glass table par rakhte huye... Kya hua Saily, kya baat hai, bilkul katal ke irade se aaj.
Saily..... Hehe, Nainu ye taunt tha ya compliment.
Nainu.... Ab jo samjhiye madam. Waise yahan kisi khas wajah se aayi hain kya ?
Saily ko na jane kyon, par Nainu ki baten taunt he lag rahi thi, aur jab aisa laga to chidi si awaz me khne lagi..... Kuch nahi Nainu, crazyboy aaj nahi aaya kya ?
Nainu.... Kya baat hai Saily, Gaurav ko dhund rahi ho, bas chand mulakaton me he baat kya hai, wo bhi aise make-up ke sath. Uspar bijli girane ka irada to nahi.
Na jane kya hua Saily ko, iss tarah se baat sunkar bilkul jaise chidh gayi ho .... Mind your own business Nainu, tum hote kaun ho iss tarah se mujhe kahne wale.
Nainu.... Oops ! Lagta hai bhadak gayi miss, so sorry main to aise he puchh raha tha.
Saily.... Main sab samjhti hun kaise puchh rahe the. Saddu si soch hai na tumhari, to khyalaat gande he honge na.
Nainu.... Suno Saily, jo muh me aaya bak rahi ho, itna bhi nadan nahi jo main ishare nahi samjhta. Door he raho mujhse to behtar hoga. Aur ek baat yaad rakhna Gaurav mera dost hai, aur main jo kahunga wo wahi karega.
Saily chidhti huyi uss chay ki tapri se nikli, gussa jaise ander ka bahar tak fut raha ho, College bhi nahi gayi aur gusse me lal hokar wapas ghar laut aayi.
4pm baje ke karib Gaurav ne Saily ko call kiya, aur puchhne laga college se wapas aayi ki nahi. Saily ne anmane dhang se sirf itna kahi aaj ghar par kaam tha isliye college nahi ja saki.
Aaj ki baton me Gaurav ko wo hulchal machane wali Saily nahi mili, balki ek shant aur khamosh apne swabhaw ke viprit wali Saily dikhi. Usse jab ye ehsaas hua ki Saily kuch padesan si dikh rahi hai tab usne milne ki jid kiya.
Saily na na karti aakhir raji huyi aur dono mile. Gaurav ne jab Saily ko dekha to aawak rah gaya. Jaise dil me bechaini si ho gayi ho, uska chehra bilkul utra hua aur aankhen aisi lag rahi thi jaise baith kar kitni der royi ho.
Gaurav jaise he uske pass pahuncha, Saily ka hath tham kar badi bechani se puchhne laga ki "kya hua Saily, aur tum ro kyon rahi thi?
Saily bina koi jawab diye bas us se lipat kar rone lagi. Bahut puchha Gaurav ne lekin Saily sirf itna kahi..... "Ghar me dant diya mujhe, isliye rona aa raha hai. Sorry maine aap ki sam bigad di. Ab please mujhe jane dijiye".
Itna kah kar Saily chali gayi. Yun to chay ki tapri par utni bhi serious baten nahi hui thi, par kabhi-kabhi chhoti-chhoti baten bhi bara dard de jati hai, aur sayad yahi wajah ho ki Saily bas un baton ko yaad kar college bhi nahi gayi aur rona bhi aa raha ho.
Gaurav bahut aawaz lagata raha lekin Saily ne koi respond nahi ki. Jaise koi teer chubho raha ho Gaurav ke sine me, aur sine se uthti dard ki lahar pure badan me daur rahi ho.
Do din ki he to mulkaat thi, aur ye kaisa jadu tha Saily ka, ya uske pyar ka, ki dilon dimag par Saily he hawi thi. Drad ka bhanwar jaise sine me uth raha ho Gaurav ke, aur ussi dard me mayus hostel wapas aakar let gaya.
______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 31


Do din ki he to mulkaat thi, aur ye kaisa jadu tha Saily ka, ya uske pyar ka, ki dilon dimag par Saily he hawi thi. Drad ka bhanwar jaise sine me uth raha ho Gaurav ke, aur ussi dard me mayus hostel wapas aakar let gaya.
Aaj phir se Nainu sam ke ke time Gaurav ko lene aaya, par Gaurav ki haalat dekh kar, wo uske pass baith gaya....
Nainu.... Kya hua tujhe, teri tabiyat to thik hai na ?
Gaurav..... Kuch nahi yaar bas yun he, main aaj sath nahi chal paunga, tu chala ja ghumne.
Nainu..... Gaurav main kal se dekh raha hun tujhe aise, aakhir baat kya hai, kahin tu Saily ke chakkar me to nahi para.
Gaurav thoda ascharya se dekhte huye.... Chakkar se kya matlab Nainu, tu jara khul kar batayega ?
Nainu.... Khul kar kya batana, bas itna jaan le ki tu jaisa sochta hai waisi bilkul baat nahi hai, wo bas ... Bas tumhe apna time pass samjhti hai.
Phir Nainu ne subah hui sari ghatnao ko bata diya. Gaurav bahut dhyan se sun raha tha. Jab Nainu ne apni puri baat samapt kiya to Gaurav ko lagne laga kahin na kahin Saily subah ki baat ko dil se lagaye baithi hai, aur jab ye khyal aaya, usse Nainu kisi jala hua insaan ki sakal me nazar aaya jo uska pyar basta nahi dekhna chahta.
Gaurav... Nainu tumne thik nahi kiya, tumhe uss par chillana nahi chahiye tha.
Nainu.... Wah dost, tumhe meri he galti najar aayi. Usne tere kan bhar diye aur tum bhi ussi ki boli bolne lage.
Gaurav..... Nainu pata hai tumhari problem kya hai, tumhe lagta hai ki tum jo sochte ho aur karte ho wo sab sahi hai. Par dost har baat apni rai kayam na karo. Aur rahi baat Saily ki, yadi tumhe lagta hai ki usne mujhe kuch kahi hai tumhare bare me, to tum galat ho. Ek baar bhi uske zuban par na to tumhara aur na he subah ki ghatna ka koi varnan tha.
"Yahi anter hai tum dono me, tumhe Saily me ab bhi wo badtamij ladki najar aati hai. Jabki bura to humne bhi uske sath kiya, par uske dil me pichhli baton ki koi dharna nahi. Sorry baad me baat karta hun, abhi thoda kaam se jana hai".
Gaurav ki jankari me subah ki baat aate he wo bhi Nainu par thode gusse me nikla, par jaise-jaise aage badta raha Nainu aur apni purani baaten yaad aati gayi, galatfehmi ka mamla jyada najar aaya aur thoda sa afsos karta hua wo apni soch me aage badta raha.
Pahunch gaya phir ek baar Treasure Island, jahan kal ke huye wakye ne dil me hulchal macha di, wahin Saily ka rona dekh kar aaj dil me kasak si uthi thi. Gaurav mobile nikalta hua Saily ko call karne laga ....
Saily .... Haan Gaurav ji boliye
Saily ke juban se Gaurav sun kar jaise koi teer chubha ho, ajib he feeling hai jab pyar karne wale ki bhasa me koi badlaw ho, khaskar wo badlaw aap ko ehsaas karta ho ki aap ki chahat aap se dur ja rahi hai.
Gaurav khud ko sambhalta hua..... Saily aaj main akela hun ussi jagah jahan kal tum thi, kya tum mujhe shopping karwa dogi.
Saily.... Sorry Gaurav, main sayad aa na paun, tabiyat thik nahi lag rahi.
Gaurav.... Saily plz na.......
Saily.... Baat to samjhiye, aaj thodi upset hun. Kal ka promise.
Gaurav mayus mann se "thik hai" kahta hua phone rakh diya. Halaat ko sochte huye usne thoda space dene ka he faisla kiya. Khud me thoda uljha thoda khali sa mehsus karte huye hostel pahuncha.
Aaj to jaise bhukh pyas he mit gayi ho, bina khaye bistar par leta raha. Raat me jab tak jaga raha tabtak Saily ke msg aane ka intzar karta raha ...
Aaj coustomer care ko Gaurav khub galiyan de raha tha kyonki jab bhi customer care ke msg aaye Gaurav ka dil joron se dharkne lagta .. "Kahin ye mag Saily ka to nahi". Aur cutomer care ka number dekh kar .. Dil se 3/4 galiyan dekar phone rakh deta.
Subah Gaurav ki nind khuli aur subah-subah wo pahuncha vijanagr chauraha. Chay wale ko ascharya bhi hua .. Kyonki Gaurav subah ke 4.30am baje pahunch gaya tha. Khair, 8/10 cup chay pita Gaurav kisi tarah 6.30am baje tak ka samay kata, phir uske sare dost bhi pahunche uss chay tapri par.
Gaurav ka thoda sa time pass hone laga. Gaurav sab se baat kar raha tha par Nainu ko bikul ignore kar raha tha. Aisa nahi tha ki baat nahi kar raha tha, par utna he jitna puchha gaya ho.
Samay bit'te-bit'te Ankit bhi college ke liye jata najar aaya par uske sayj Saily nahi thi. Gaurav ko laga sayad akeli jayegi isliye wo wahin rah takte intzar karne laga. Ek-ek karke uske sare dost chale gaye par Gaurav ruka raha.
Subah se din aur din se sam hone wali thi. Gaurav ke liye har par jaise sadiyon intzar me kat raha ho. Wahin bita diya pura din, phir jab usse laga ki sayad Saily aaj nahi aayi hogi,to chintaon me duba utha aur aahiste kadmo se chal para.
Bas soch me duba chala ja raha tha, tabhi Ankit ki bike Gaurav ke samne ruki.....
Ankit..... Gaurav bhai, kahan khoye huye ho...
Gaurav ne ek baar Ankit ko dekha .. "Kuch nahi hostal ja raha hun" .. Kahte huye aage badh gaya.
Ankit phir toka usse .... Gaurav bhai ulte raste par ho, hostel to aap ka uss taraf hai.
Lekin Ankit ki baton ka koi bhi asar nahi tha Gaurav par, wo bas apni chintaon me duba chala ja raha tha.
Ankit bas mann me sochta.. "Isse kya hua" ... Aur chal para apne raste. Jab laut kar aaya Ankit apne ghar, to Saily bhi wahin baithi thi, aur uske parent se baat kar rahi thi. Ankit bhi mahfil me samil ho gaya".
Baton ke dauran Ankit haste huye Gaurav ki bhi haalat bayan kar diya ye kahte huye .... "Humara ek dost pagal ho gaya"
Saily chaukti huyi puchhni lagi .... Kaun, kyon
Ankit... Kyon ka to pata nahi Saily, par crazyboy ko dekh kar laga jaise mansik santulan kho diya ho. Kah raha tha hostel ja raha hun aur ja ulti disa me raha tha. Ha ha ha ha.....
Bhauh chadhati Saily, Ankit ko ghurne lagi, mano aisa kah rahi ho ... "Chup ho ja nahi to khoon kar dungi" ..... Saily kaam ka bahana kar ke wahan se nikli, aur bina koi deri kiye Vijanagar road par chal di.
Saily ne jaisa socha tha thik waisa he nikla. Gaurav ek ek kadam, har 5 sec par jaise rakh raha ho, chijtaon aur chetnao me duba bas khoya chala ja raha tha. Saily dur se he dekhi, scooty ko bilkul uske samne break lagayi aur rasta rok kar Gaurav ko gusse me dekhne lagi.
________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 32

Saily ne jaisa socha tha thik waisa he nikla. Gaurav ek ek kadam, har 5 sec par jaise rakh raha ho, chintan aur chetnao me duba bas khoya chala ja raha tha. Saily dur se he dekhi, scooty ko bilkul uske samne break lagayi aur rasta rok kar Gaurav ko gusse me dekhne lagi.
"Baitho chup-chap".......
Saily ko dekhte jaise thoda sukoon sa mehsus kiya ho Gaurav ne, bina kuch bole wo scooty par baith gaya. Saily bhi bina kuch bole chal pari. Takriban 10min ke baad gari Indian coffee house ke pass ruki aur dono ne apni jagah le li ek table par.
Gaurav, Saily ke samne chup-chap baitha raha, aur Saily bhi baith kar bas Gaurav ko he dekh rahi thi.....
"Ab kuch kahoge, ya yun he baithe rahe" ... Saily thodi chidh'ti huye bolne lagi.
Gaurav.... Main kya kahun, tum batao tum kaisi ho ?
Guraati hue Saily bol pari...... Annnhhh ! Mujhe se he puchh lo main kaisi hun, Mr. Crazyboy jao pahle washroom, aaene me chehra dekhna aur ho sake to muh dhokar aana.
Gaurav ne sawaliya najron se Saily ko dekha, ki aakhir wo kahna kya chah rahi hai, Saily ne bhi prati-uttar me kahne usse jor se bol pari .... Ab jao bhi ! Mera muh kya tak rahe ho ?
Gaurav cup-chap uthkar washroom gaya, ab to dil thoda shant tha, to apni soorat bhi dekhi ek baar aaine me ..... "Yakk, ye kaun hai, Chhi... Itna bkwas look" .. Gaurav ne chehre par pani mara, balon par halka pani dal kar usse thoda set kiya .... "Now look better crazyboy" ... Muskurata khud se kahta hua wapas chal diya.
Aakar sidha samne baith'te huye puchh ne laga..... "Now it's fine"
Saily..... Haan, pahle se thik hai. Ab jarra ye bataoge ki ye sab chal kya raha hai ?
Gaurav.... Kya sab, thodi detaile please, samjha nahi.
Saily..... Kya detaile crazyboy, jaan kar bhi anjaan na bano. Ye paglon ki tarah din bhar sadak ki khak kyon chhan rahe the aur khud ka aisa haal kyon banaye rakha hai ?
Gaurav....... Kuch nahi, bas aise he. Tum kal kyon ro rahi thi ?
Saily aanken gurrate huye ...... Pahle main puchhi isliye mere sawalon ka jawab do, sawal ka jabwab sawal se mat do.
Gaurav.... Jawab issi baat se judi hai, isliye sawal kiya.
Gaurav ki baat se Saily chidhti huyi..... rahne do mujhe koi baat he nahi karni iss par ab, subah se kuch khaye ki nahi, sach batana, jhoot bola to khun kar dungi tumhara.
Gaurav.... Arre hans kar ek najar idhar pyar se dekh lo mar to waise he jayenge, tum khun kar ke jail kyon jana chahti ho.
Saily.... Mazak sujh raha hai tumhe, crazyboy please, iss waqt main mazak ke mood me bilkul nahi hun, tum kisi bhi baat ka sidhe-sidhe kyon nahi jabwab dete....
Gaurav.....
Soorat-e-haal wo sab malum kiye, anjaane se baithe
Wo sawalon me khud ki khwaish ka, jawab dhun'ti huyi
Hum besabre ki unhe dekh bas, dil ki awaz sunate hain
Aur wo hain ki, jhooti narajgi se ander he ander muskurate hain
Mulayja farmaeyega hujoor ...
Jab se dekhi teri soorat, khud ka hosh kahan raha bakin
Hum to dekh aap ki is soorat, khud ko bhul jate hain
Teri soorat aisi ki dekhte, koi baat samjh nahi aati
Bas phir dil se jo awaz nikali, wahi suna jate hain
Saily kya react karti thodi si muskurai, Gaurav ke balon par hath feri, aur kahne lagi .... "Pagal kahin ke, sach me tumhe log crazyboy kyon kahte hain mujhe samjh me aa raha hai".
Dono hasne lage, wahan phir thoda sa alpaahar liya, aur wapas se scooty par baith urr liye dono.
Gaurav..... Itni tej kyon chala rahi ho, dhime chalao, aur hum ja kahan rahe hain
Saily.... Kya ?
Gaurav..... Arreee madam scooty to dhime karo, tab to awaz sunayi degi.
Saily scooty rokti huyi ... Kya hai, kyon chilla rahe pichhe se.
Gaurav dono hath jorte .... Devi ji kripa kar aap apni wahan ki gati dhime rakhiye, mere hriday-patal par dar ki ajib si kampan hoti hai.
Saily.... Please, kavi sammelan wali bhasa me bolna band karo crazyboy, nahi to agli baar bole to sir phod dungi, ab baitho chupchap, no awaz ab ek bhi, jo bhi kahna-sun'na hai wo pahunch kar.
Gaurav.... Lekin hum ja kahan rahe hain ?
Sailiy.... Siiiiiii, ek dum silent, aur baitho chup-chap.
Gaurav bechara shanti se baith gaya. Iss baar jab scooty strat hui to pahle se jyada tej thi. Itna dar gaya Gaurav ki pichhe ka guard ko majbooti se thame bas "hey Bhagwan, hey Bhagwan" kar raha tha.
Dono ek park me pahunche, sam dhal rahi thi, aur park ki sunheri raushni jal rahi thi. Gaurav aur Saily ek kone ki bench par jakar baithe.
Gaurav.... Mera heart-beat ab bhi badha hua hai, ladki hokar itni tej scooty kyon chalati ho ?
Saily... Kya tej drive karna ladkon ka he trademark hai. Priyanka ki cheli hun, Why should only boys have fun.
Saily itna bolkar jor se hasne lagi, aur Gaurav uski iss adaa par ek baar phir jaise ghayal ho gaya. Bas ek tak uska hasna he dekh raha tha.
Saily.... Hmmm ! So mr. carazyboy bahut hasi mazak ho gayi, ab aap kya batayenge apne iss khubsurat huliye ka raaj. Aakhir hua kya tha jo subah se bhukhe pyase bhatak rahe the sadkon par.
Gaurav... Lekin tumhe kaise pata subah se main bhatak raha tha ?
Saily.... Mujhe Ankit ne sab bataya, ab bologe bhi......
Saily gurrati huyi uss se puchhne lagi, Gaurav thoda sanjida hote huye apne ander ho rahe haal ko bayan karne laga .....
___________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 33

Saily gurrati huyi uss se puchhne lagi, Gaurav thoda sanjida hote huye apne ander ho rahe haal ko bayan karne laga .....
Gaurav.... Ab jane do na, abhi to happy hun na, ab kya biti baten yaad karna.
Saily.... Batate ho ya main jaun, kab se dekh rahi hun, bas mere sawal ko tal kar idhar udhar ki baten kar rahe ho.
Gaurav mann me kahta hua..... "Yaar, maine apna dil rakh diya iske samne, par jiddi ladki, isse to bas meri bebasi ki kahani me intrest hai, bata de crazyboy, nahi to ruth kar bhag gayi to phir aaj jagna par sakta hai"
Gaurav, phir bolna shutu kiya..........
"Saily, jab tum kal padesan si mere pass ro rahi thi, to mujhe ander se dard ho raha tha, pata nahi kya ho gaya mujhe par tumhe udas dekh kuch bhi achha nahi lag raha tha. Main room par aa kar bas leta tha".
"Saam me Nainu aaya, aur is tarah se lete hone ka karan puchhne laga, maine baat ko taal diya, tab usne sidhe sabdon me kaha, ki yee sab tumhari wajah se ho raha hai".
"Maine karan pichha to usne phir kal ke subah ki ghatna batayi, wo jaise he bataya mujhe lag gaya ki tum Nainu ki baton ko dil se lagayi ho, aur issi wajah se udas bhi ho. Jhooth nahi kahunga lekin iss baat ke liye maine Nainu se narjgi bhi jatayi, ki usse tum par chillana nahi chahiye tha".
"Main uske taraf se manfi mangta hun. Kal subah wali ghata ka bhi jimmedar sayad main he hun, kyonki do dino se main Nainu ke sath kahin nahi ja raha aur to aur yadi kal subah main wahan hota to itni baten bhi nahi hoti".
"Hum dono ek dusre se kaphi jude hain, aur sach to ye hai ki do teen dino se mujhe wo khoya-khoya dekh kar, usse laga main uss ae dur ja raha hun aur phir tumhe in sab ka karan mante huye, jo uske mann me aaya wo kah diya. Mujh se bahut pyar karta hai na, aur uska haq pahla hai, par sayad maine he uss se alag ho rah hun"
"Aur haan subah maine Nainu ko saza bhi de diya, wo ab dobara nahi kuch kahega tumhe, subah main bas tum dono ka cold-war khatam karna chah raha tha isliye wahan gaya tha, par jab tum nahi aayi to mujhe laga ab bhi baat ko sayad dil se lagayi ho... Aur main .........
Saily bade gaur se sun rahi thi Gaurav ko, bas jo Saily ko samjh me aaya wo uske liye kaphi tha. Thoda uljha tha dost ko lekar, aur dono ko chahta tha isliye dono se sayad dur nahi jana chahta tha. Par do baten clear thi... Ek wo Saily ko chahta tha aur dusri ki Nainu sirf dost nahi uss se badh kar tha.
Saily.... Pagal, do logon ke bich to jhagre hote rahte hain, tumhara sulah karna bhi jayaj hai ye bhi manti hun, par aise bhikariyon ki tarah bhukhe pyase din bhar ghumne se kya solution milega. Jaldi batao ye pagalpan kya soch kar kiye ....
"Saily tum isse pagalpan kahti ho par ye mere dil ko sukun de raha tha. Main tumhe rota dekh bardast nahi kar paya".
"Kya tumhe pata hai, jab bhi main tumhe dekhta hun, ye yahaan, middle of heart ek ajib sa flow paida hota hai. Ye kya hai pata nahi, par jab bhi tum pass hoti ho kuch-kuch hota hai".
"Har samay bas tumhara he chehra aankhon ke samne hota hai, main samjha nahi pa raha ab bhi ki actually ander se kya hota hai, bas itna kahna chahunga tum jab sath hoti ho to sab happy-happy ho jata hai, mera mann jhumne ko karne lagta hai, nachne ko karne lagta hai. Tumhe bahon me bharne ka dil karta hai".
Itna bolne me magan tha crazyboy, ki jo dil me aaya bol diya. Saily chakit najron se dekhti bas uske muh se nikla .... "Kyaaaa"
Gaurav ko jab dhyan aaya to badi pyari mukaan dete muh se dhime nikal gaya "arreee", kya jawab deta wo, isliye chup rahne me he apni bhlai samjha, aur shant hokar baitha raha...
Saily...... Flirtin hunnn ! Mujhe pata rahe ho mr crazyboy, aakhir tum jante he kitna ho mujhe, main jaisi dikhti hun waisi bilkul nahi, pahle mere sath kuch samay to bita lo... Khatnaak hun main.
Gaurav..... Madam, kayi salon ki mulakkat nahi, pyar ki bas ek najar chahiye dil me utarne ke liye. Rahi baat tumhe jan'ne ki, to dil jise chahta hai usse apna bana leta hai, isme official jaan pahchahn ki kya jaroorat. Aur rahi baat aap ke khrnak hone ki to i feel really awesome ... Jab tum kharnak sa roop dikhaogi.
Saily.... Achha seriously batao, kitne din huye mile aur kitni mulakaaten hui hain ?
Gaurav.... Ruko jodne do.... Ummmmm, 1,2, 3, 4, 5 .... Haan panch baar mile hain, aur phone call msg include kar do to 8 baar.
Saily.... Bravo, aap ko to auditor hona chahiye. Shant raho, aur ye batao, ki kya itne mulakaton me kisi ka bharosa kiya ja sakta hai ?
Gaurav ke pass koi jawab nahi tha, wo bas iss sawal ka jabaw dhundne ki kosis kar raha tha, practically "nahi" jawab tha, aur dil ander se chinkh-chinkh kar kah raha tha, "kyon nahi viswas kiya ja sakta, haan bilkul, tum soch bhia nahi sakti ki main tum par kitna viswas karta hun"
Gaurv ko shant dekh Saily ek baar phir bol pari.... "Achha bahut hui idhar udhar ki baten, main direct point par aati hun ... Kya tum mujhe chahte ho, kya tum mujh se pyar karte ho" ?
Gaurav kuch der bas shant raha, Saily ki baton ko sochta raha aur thoda space lene ke baad kahne laga ....
Yadi issi ko chahat kahte hain to .... Haaannnn ! Yadi issi ko pyar kahte hain to .... Haannnn ! ... .. I am in love .. Aur dil ke mamle me dimag nahi nipta'te, phir kya hua jo main tumhare bare me nahi janta, ya tum se mulakaaten nahi hui, par ek atoot viswas mujhe pahli mulakkat se thi"
"Aur mera kya" ..... Itna kah kar Saily bikul shant ho gayi. Itni shant baithi thi ki Gaurav ke dil me ek dard paida karne ke liye kaphi tha, usse laga "kahin apne bare me he to kewal nahi soch liya..... Saily ka khyal kyon nahi raha,..... kya koi aur hai uski jindgi me........ main koi jabrdasti to nahi kar raha"....
Pal me aaye mann me itne sare sawalon ne Gaurav ko bilkul hilaa diya, usse phir Saily dur najar aane lagi. Ajib hayyy re ishq, bolne se jyada shant rahna dil me dard ka ehsaas kara jata hai.....
Gaurav.... I am sorry Saily, par kya karoon jab bhi tumhe dekhta hun khud par kabu nahi rahta. Yadi tumhe main pasand nahi to koi baat nahi, main wada karta hun ki tumhe kabhi padesan nahi karunga .... Bas jaisa tumne puchha main bhi ek baar jan'na chahta hun...... Kya tumhare dil me bhi mere liye feelings hai ?
Dil ki dharkno ko sun'na tha "haan", mann kah raha tha kahin "naa" na kahe. Kah to diya Gaurav ki dur ho jayega, par dur hokar rahega kaise ... Mann aisa vichlit hua ki pis kar rah gaya haa-naa me.
Saily bhi shant, bilkul maun thi, chehre par bina koi bhaw ke, jis se Gaurav aur duwidha me chala ja raha tha ... Har pal bit'ta, aur har pal me jaise Gaurav ki ghutan badh'ti ja rahi ho........
____________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 34

Saily bhi shant, bilkul maun thi, chehre par bina koi bhaw ke, jis se Gaurav aur duwidha me chala ja raha tha ... Har pal bit'ta, aur har pal me jaise Gaurav ki ghutan badh'ti ja rahi ho........
Gaurav ke dil ki dhadkan jaise dhak-dhak kar rahi ho, aur najren bas Saily par tiki jawab ke intzar me. Saily shant bilkul najren jamin par garaye baithi thi.
Gaurav se aakhir bechaini bardast nahi hui, aur bojhil se awaz me kahne laga .... "Thik hai Saily, tumhari chuppi ne sab kah diya. Tumhe padesan kiya uske liye manph kar dena".
Itna kahne ke baad Gaurav pichhe mura aur do kadam chala he hoga ki pichhe se Saily ki awaz aayi ... "Suno, sath to liye chalo buddhu"
Garurav royasi aankhon se jab mur kar Saily ko dekha, to wo muskurati huyi khadi thi. Phir kuch kahne ki jaroorat nahi pari, Gaurav teji se uske pass pahuncha aur jor se gale lagate huye .. "Tumhari chuppi jaan nikalne wali thi, main tum se duri bardsat nahi kar sakta"
Saily .... Main bhi mr. crazyboy, tumhe kya laga jo mujhe chhor kar ja rahe the.
Gaurav... Kuch nahi my love, I love youuuuu, I love you sooo much.
Salily..... Ho gaya baba bassss, hum public place par hain, ab chhoro bhi.
Gaurav.... Nai nai, abhi to pakra hun, abhi to achha lag raha. Aahh ! Kitni sukoon hai. Please kuch der.
Saily muskurati huyi yun he Gaurav se lipti rahi, kuch der baad dono alag huye ek dusre se, aur dono love birds urrne ko ready the.
Lekin urrne se pahle ek ko bukhar chadhne laga tha, Gaurav ne scooty aur Saily ko dekh kar sir pit liya. Gaurav baith to gaya pichhe, par minnate bhi karne laga.. "Saily please, dhire drive karna".
Lekin sunta kaun hai, Saily ki speed utni he badh'ti jati jitna Gaurav pichhe se awaz deta. Gaurav ka muh to dar se sukh gaya tha aur Saily jor-jor se hans rahi thi....
Gaurav jor se chillate huye ... Saily scooty dihime karo, nahi to main kud jaunga.
Saily ne dono break ek sath lagaya, itni tej break lagi ki Gaurav pura lad gaya Saily ke upar, Saily gari rok kar utarti huyi baras pari .....
"Kya hai chilla kyon rahe ho, main distrub ho rahi hun, accident bhi ho sakta hai"
Gaurav.... Par tum itni tej kyon chala rahi ho, dhime bhi to chala sakti ho.
Saily... Mujhe lag raha hai main akeli baithi hun, isliye aise chala rahi hun.
Gaurav.... Kya main samjha nahi.
Saily .... Aannnhhhh ! Kuch nahi baith jao, samjh jate pahle to park me mujh se sawal he kyon karte.
Saily chidh'ti huyi baithi scooty par, aur Gaurav iss baar muskurata baitha, scooty speed pakrte gayi, aur Gaurav bilkul shant baitha tha. Achanak se saily ke kamar charo ore Gaurav ki bahen lipti mehsus hone lagi, Saily ke chehre par pyari si muskaan aa gayi.
Uske kandhe par apna chehra Gaurav tikate huye..... To maine, madam ko nahi pakar ke guard ko pakra isliye park me mujhe aap saza de rahi thi.
Iss baar kuch kahne ki jaroorat nahi thi, Saily ne khud gari ki speed dhimi kar di, dhimi bhi nahi kah sakte, cycle se thodi he jyada hogi .. 15/20 ke speed me. Saily apna chehra thoda ryt ghumati Gaurav ke galon ko chumti huyi .... "Yess, scooty par pahle tumne mujhe sataya tha, isliye park me meri bari thi".
Gaurav.... O' madam main to nahi samjh paya tha, aur tum ne jaan bujh kar kiya, ye to cheating hai.
Saily..... To saza de do koi bhi pyari si crazyboby, main bilkul bura nahi manugi.
Gaurav ek baar Saily ke gaal ko chumte huye ... Hmmm ! De diya saza. Itni saza thik hai aaj ke liye.
Saily.... Hayyy ! Aisi saza mile to, hum to roj khatta karne ko taiyar hain.
Gaurav..... Achha, aisi baat hai, ek kaam karta hun, kuch saza advance khate me jama kar deta hun, tum baad me khatta karti rahna.
"Muuuu .... Dhammm" .....
Gaurav ryt kandhe se khud ko left par laya tha, aur kan ke bagal se ek kiss ki position banayi tha, sanson ke garam hawa jab takrayi kano aur galon par tab Saily ki aankhen halki band huyi .... Aur... Aur .. Scooty foothpath par lage ek thele me jakar ghus gayi.
Speed kam thi, par itni speed bhi kaphi thi ki wo thela aur uspar ka saman ko nuksan pahuncha sake. Thele se takra kar scooty unbalance huyi, aur Saily bhi giri scooty ke sath.....
Chat-fulki ki thela thi, sara saman uss garib jamin par bikhar gaya, kanch ki ek box thi wo bhi tooy gayi, thelawala daura-daura aaya ..... Saily abhi niche he pari thi ... Aur thelewqle ka chillana suru...
"Aankhen nahi hai kya pagal ladki, itna bada sadak nahi najar aaya jo mera nuksaan kar di, iske paise kaun bhadega"
Bechare ka nuksan ho gaya tha, usse bhi Saily ke girne ka khyal nahi tha, idhar Saily chot ke dard ke karan uske aankhon se aanshu nikal aaye the, uspar se wo thele wale ne chillna shuru.
Saily gusse se to pagal ho gayi... Gusse me lal aankhen kiye wo uthi. Accident dekh kar wahan log bhi jama ho gaye. Ek bujugr ne Saily ki banh pakar ke kahne laga, "tum thik ho, to suno".....
Bechara itna he bola hoga, ki Saily apni baahn jhatki, gurrate huye us thele wale par baras pari ....
"Kitna nuksan hua, bata mujhe. Ye footpath kya raiyati hai tum logon ki, jo yahan thela lagate ho. Jaan-bujh kar takkar mari kya. Galti se hui na. Paise bol ... Paise bol abhi"......
Baap re itna gussa ... Itni jor ki chinkh... Sabke muh khule rah gaye, sab jaise chakit ho gaye hon. Aas-pass jo sadkon par log the wo gariyan rok kar bas ussi ore dekhne lage the.
Thele wale ne jaldi se ₹2000 liye, aur wahan se chalta bana. Girne ki wajah se chot Saily ko bhi aayi thi, side me baith kar wo apne chhile hathon ko dekhne lagi. Dekhte dekhte achanak he yaad aaya ..... Gaurav kahan hai .......
Charo ore najar daurayi, scooty side me khadi lagi thi, par girne ke baad se to Gaurav kahin dikha he nahi...........
_____________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 35


Charo ore najar daurayi, scooty side me khadi lagi thi, par girne ke baad se to Gaurav kahin dikha he nahi...........
Gaurav ko nahi dekh kar Saily kaphi hairan rah gayi, girne ke baad se khyal he nahi raha Gaurav ka, aur jab khayal aaya to Gaurav nahi tha.
Kuch der idhar udhar dekhi, phir sir par hath rakh kar baith gayi. Saily ek to khud ke dard se padesan thi upar se Gaurav ka iss tarah se gayab hona. Tabhi wo budha aadmi phir aaya aur Saily ke kandhe par hath rakh kar...
"Beti tum apne sathi ko dhund rahi ho na"
Saily "haa" me gardan hila kar usse jawab di. Phir wo budha bola, "beta wo nale me gir gaya tha, aur sir par kaphi chot aayi thi, tum yahan jhagra karne me lagi thi, to hum sab usse abulence me hospital bhej diya"
Saily ek baar phir gusse me aati hui kahne lagi ... "Kya, usse itni chot aayi, aap bata nahi sakte the, abhi kahan hai" ?
Buddha..... Wo to energency me admit hoga govt. hospital me, waise beta maine batana chaha tha, par tumhe ladne ki jyada jaldi thi isliye tum suni nahi.
Saily.... Ohhh ! Sorry baba, thanks jo bhi aap sab ne kiya, chalti hun main.
Buddha..... Suno beta, waise jo tum dono aise sadkon par kar rahe the wo galat tha, iska bhi khyal rakhna. Sadak par aise khulle me ....
Saily bina kuch bole bas kha jane wali najron se uss buddhe ko dekhti hui wahan se chali gayi. Ankit ko call kar ke sare halaat batayi, sath me ye bhi ki wo drive nahi kar payegi, hath aur paun me chot lagi hai. Ankit ne sabse pahle Nainu ko sara information diya baad me nikal gaya Saily ko lene.
Saily ko leta Ankit sabse pahle pass me jo bhi hospital mila usne gaya. Raste me first-aid lene ke baad Saily kaphi relief mehsus kar rahi thi, wahin se phir hospital chali gayi Gaurav ko dekhne. Ward ke bahar student ka hujum laga hua tha, uske hostel ke kaphi ladkey the wahan par.
Saily ander gayi, Nainu pahle se wahan tha, thoda chinta me tha apni dost ka halaat dekhte huye, Nainu ne shant bhaw se Saily ko dekha aur phir uthkar wahan se chala gaya.
Saily Gaurav ko dekh kar seham gayi, kyonki chot kaphi aayi thi, wahin ruki rahi doctor se sari halaat malum ki, par ghabraya dil sayad uska, aur wo Gaurav ke pass se uthna he nahi chah rahi thi.
Ankit kisi tarah usse samjha kar wahan se le gaya. Jate-jate Nainu bahar he mil gaya, Saily dhire se hath jorti "sorry" kah kar chali gayi.
Do dino tak Saily hospital aati rahi milne, do din baad discharge ho gaya Gaurav, phir Saily ke liye majboori ho gayi na mil pana, kyonki wo baar baar hostel nahi ja sakti thi, phir bhi din me ek baar to kam se kam jati he thi, aur uske baad mobile service walon ki free local call ka fayda uthate the.
Gaurav ko recover hote-hote 15 din lag gaye, par Gaurav khush tha kyonki bure waqt me do logon ne uska sath nahi chhora tha... Saily aur Naunu ne.
Waise Gaurav bhi ab kuch jyada bechain tha, kyonki hayy re kismat, love purposal ke baad mile bhi nahi the thik se ki ye accident. Gaurav bahut jid karta bahar jane ki, ghumne ki, par uski ek na suni jati aur bechara mann maar kar kamre me he rahta tha.
15 din baad bhi puri tarah recover nahi hua tha, paidal chalna mana tha jyada par thoda bahut tahal sakta tha. Saily roj Gaurav ko lene aati, dono phir scooty se nikalte ek long drive par. Kabhi-kabhi Gaurav Saily ko bol bhi deta ... "Iss baar upar ki ticket mat katwa dena"
Saily bas chup-chap sunti, par jabtak scooty par hoti apni najren bilkul sadak par he jamaye rakti thi.
Chhoti-Chooti mulakaton me lambi baten hua karti thi, dono aapas me baith kar ghanto time bitaya karte the. Dono apne se jude logon se bas manpfi mangte yahi kate ... "Samjha karo yaar ... Hai ye humara pahla-pahla pyar"
Saily aur Gaurav dono ek dushre ke sath kaphi khush the, aur romance ka maja har pal uthate the. Khair ye accident ke baat ka dushra mahina tha jab Gaurav kr mid term exams hone wale the.
Engeneering student, aur har higher education kar rahe student ka sir dard yahi hota ki unke exam har 6 mahine par hote the. Ek exam diye nahi ki dusra sir par hota tha, uspar se to kaiyon ke paper back.
Nainu ne kuch notes Gaurav ko padhne ke liye diye the, aur wo notes usse urgently chahiye the, kyonki kisi student se excahnge karne the paper.
Par Gaurav subah 10am baje se gayab tha, kai baar Nainu aaya dekhne ki kahan hain Gaurav, par sam ke 4pm baj gaye the aur Gaurav ka ab bhi koi pata nahi tha. Nainu pure gusse me Gaurav ko call lagate huye...
Gaurav... Haan bhai
Nainu.... Kahan hai Gaurav abhi.
Gaurav..... Main wo ek ladkey ke pass aaya tha notes lene, ek ghante me pahunchunga.
Nainu.... Thik hai jaldi aao.
Gusse me phone rakha Nainu ne, aur nikal gaya teji se, jahan ye dono roj park me baith'te the. Jab Nainu pahuncha to Gaurv, Saily ki gode me leta tha aur Saily, Gaurav ke balon me hath fira rahi thi.
Nainu.... To ye tu ek ladkey ke ghar se aa raha hai, aur ek ghanta time tumhe aur lagega.
Gaurav hadbada kar utha, Nainu ke haw-bhaw se usse lag gaya ki wo kaphi gusse me hai.....
Gaurav.... Lekin tu itne tension me kyon hai, baat kya ho gayi wo to batao.
Nainu.... Baat kya hogi, aap madam ke gode me late kar exam ki taiyari karo, main he bewkuff hun jo pahaltu ki baton me apna samay gawata hun.
Nainu ne aapas ke matter me Saily ko ek baar phir le aaya, halanki Saily bhi wahin thi, par wo dono doston ke bich me na bolne ka faisla kiye thi.
Gaurav.... Nainu dekh tu over-react kar raha hai, kahan ki baten kahan kar raha hai.
Nainu.... Tu kuch bhi kar mujhe uss se kya, hostel aana to mere notes pahuncha dena bas.
Gairav..... Thik hai hostel aakar he baat karta hun.
Nainu wahan se chala gaya, Gaurav ko achha nahi laga Saily ke samne Nainu ne uss se is tarah ki baten kiya. Koi bhi baat thi wo hostel me kar leta, par yahaan usse aisa nahi karna chahiye tha,
Saily, Gaurav ke kandhe par hath rakh'ti hui .... Kya hua crazyboy, tum kya sochne lag gaye.
Gaurav.... Kuch nahi, pata nahi isse kya ho gaya hai, aisa laga jaise wo kisi aur baat ki khunnas nikal raha ho. Pahle bhi aisa kai baar ho chuka hai, par aaj tak isne aise baat nahi kiya.
Saily.... Main janti hun, wo mujhe dekh kar aisa tum ko suna kar gaya.
Gaurav... Ufff ho ! Ab tum please kahin ka tar kahin mat jorro.
Saily..... Achha Gaurav maan lo, Nainu ne kaha ki ya to tum mere sath raho ya Saily ke sath phir kya karoge ?
Gaurav..... Ajib ho tum aur upri manzil khali hai, jo chij hoga he nahi wo main kaise maan lun.
Saily.... Nahi Gaiurav, mujhe Nainu ka bartaw achha nahi lagta, wo mere bare me pata nahi kya sochta hai. Tum dono khush raho, main he side ho jati hun, mujh se tumhari bejjati dekhi nahi jati.
Gaurav, Saily ko gale lagate huye ... Pagal ho gayi ho kya ? Tum kya kya bol rahi ho tumhe bhi pata nahi. Pahle kahti ho, Nainu kahega .. Hum dono me se kisi ek ko chuno, phir kahti ho main he side ho jati hun. Tuhara dimag to sahi hai na. Jo baten nahi hui unpar charcha kyon kar rahi ho. Aur aisa kabhi hoga bhi nahi.
Saily gusse me bilkul.... Achha maan lo aisa hua to, Nainu par tumko viswas hai na, par uske rawaiyye ko dekhte huye kisi din main he bol dungi to kya jawab hoga tumhara ?
Gaurav, Saily ko chhorte huye khada ho gaya aur udas mann se kahne laga.... Phir main tum dono se dur chala jaunga, na main rahunga na tum dono ka amna samna hoga, par main kisi ko nahi chhor sakta. Main ja raha hun kal milta hun.
Gaurav chala gaya aur Saily wahin bait kar usse jate dekhti rahi aur bas itna sochti rahi ....... Gaurav, sayad tumhe mujh par pura yakin nahi hua, sayad isliye tum ab bhi mere baton pat sawal utha rahe ho ... Lekin main wo viswas aane tak intzar karungi...
_________________________
 
Top