• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Anjaan Rahen ~ A Passionate Love (Completed)

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 36

Gaurav chala gaya aur Saily wahin baith kar usse jate dekhti rahi aur bas itna sochti rahi ....... Gaurav, sayad tumhe mujh par pura yakin nahi hua, sayad isliye tum ab bhi mere baton pat sawal utha rahe ho ... Lekin main wo viswas aane tak intzar karungi...
Hostal jab pahuncha Gaurav to sidha notes uthaya aur Nainu ke kamre me jakar usse de diya. Nainu ne notes dekha aur chup-chap apna kaam karne laga. Gaurav thodi der khara raha aur intzar karta raha ki Nainu kuch bolega, par Nainu ne koi bhi dhyan nahi diya bas apna kaam karta raha.
Gaurav ne chidhe se bhaw me Nianu se sidha puchha ... "Aakhir tumhe Saily se kya padesani hai"
Nainu bhi parti-uttar me sirf itna kaha ki .... "Tumhe nahi lagta ki tum dono kaphi jaldi close ho gaye, aakhir in baton par tum gaur kyon nahi karte"
Gaurav.... Tu sidha-sidha kyon nahi kahta ki tumhe Saily ke sath mera milna pasand nahi. Dil he dil me tum usse chahte ho, mera jaldi ikraar karne se tumhare raste band ho gaye.
Nainu hasta hua.... Thanks crazyboy, mujhe womeniser batane ke liye, aur kuch dil me hai to wo bhi kah do, aaj main sab sun'ne ke mood me hun.
Gaurav... Maine aisa nahi kaha Nainu, meri baton ka galat matlab nikal rahe ho.
Nainu.... Ho gaya, ab jao padhai karo exam hai, aur mujhe bhi padhne do, pleaseee.
Gaurav chup-chap chala aaya. Jab dimag shant hua to usse afsos ho raha tha ki gusse me usne bahut kuch suna diya. Idhar Nainu bas yahi soch raha tha, "ab wo kya kare kyon Gaurav ko itna nahi samajh me aa raha ki wo ladki uske sath bas khel rahi hai".
Takriban do ghante bitne ke baad Nainu ne socha hatao, jab baat Gaurav par aayegi to main sambhal lunga, par abhi pakka ye duffer uljha hoga, main he back foot par aata hun aur inke matter se khud ko alag karta hun.
Nainu chala Gaurav ke kamre jahan wo light band kar ke para tha apne bistar me. Nainu room ki light on karte huye.....
"Leta kyon hai aise, tumhe to kaha tha na exam hai padho jakar"
Gaurav.... Mann nahi kitab chhune ka, light band kar de. Main raat ko uth kar padh lunga.
Nainu..... Pakka padh lega na, ya kahe to main utha dun aakar.
Gaurav.... Nahi pakka uth jaunga, chahe to aakar check kar lena.
Nainu.... Hmmm ! Chal so ja kuch ho to bata dena.
Nainu itna bol kar, light band karta chala gaya. Gaurav kuch der joojhta raha apni soch me, phir khud he Nainu ke kamre me gaya, Nainu apni padhayi me laga tha, Gaurav aakar uske pass baith gaya.
Nainu..... Tu to kah raha tha so raha hun, phir jag kyon raha hai ?
Gaurav kuch nahi bola, kuch der shant raha phir achanak se Nainu ke gale lag gaya. Nainu kuch der bahen failaye raha phir dono hath samet kar gale lga liya. Thodi der baad dono alag huye ....
Gaurav..... Sorry yaar, main gusse me khuch jyada he bol gaya.
Nainu..... Jane de crazyboy, kuch over-react main bhi kar raha tha, par chalta hai ye sab.
Gaurav..... Nainu sach sach bata bhai, aakhir kya padesani hai Saily se. Dekh bhai tu jabtak kuch kahega nahi mujhe pata kaise chalega ?
Nainu..... Kuch nahi Gaurav, bas main jab usse dekhta hun to lagta hai ki uska pyar tumhare liye dikhawa hai. Mujhe achha nahi lagta, sab banawti dikta hai.
Gaurav haste huye .... Bhai tu bhi naa kya kya soch leta hai. Wo sach me bahut pyari hai, aur tum dono jab se mile ho jhagre he ho, kabhi aaram se dost ki tarah milo wo tumh bhi achhi lagegi.
Nainu.... Hmmm ! Thik hai, khair ab milna-milana to exam baad he hoga, aur tu bhi thoda kam mil-jul, exam ke ke baad pura waqt hoga tumhare pass.
Gaurav.... Thik hai Nainu, ab mission only exam, waise bhi carrier na raha to chhokri bhi chhor kar chali jayegi.
Nainu.... Ye ki na pate wali baat, to baith aaj ek chepter end he kar lete hain.
Gaurav.... Kal se karte hain na, aaj ab rahne de bhai.
Nainu..... Thik hai ja aaj rest le lena, lekin kal se merathan daur lagani hai, yaad rakhna.
Dono ka milaap hone ke baad phir Gaurav wahan se chala gaya. Ajib hoti hai dosti ka rista bhi, yadi dost sache hon to baat kitni he badi kyon na ho par ek chhoti si pahal sare gile-sikwe dur kar deti hai.
Ek bade toofan ke baad jaise sab shant ho gaya ho, waisi he shanti Gaurav mehsus kar raha tha. Man shant hua to yaad aaya in sab me to saam ke baad se Saily se baat bhi na hui thi. Gaurav Saily ko SmS kiya ... "Heyyy ! My love, Kaisi hai"
Sms dene ke 10 min baad ek reply msg aaya..... "Right now I am busy, Kal baat karti hun"
Gaurav haste huye, SmS reply kiya .... Yadi tum aise he 10min aur busy rahi to main tumhare room me aakar dekhunga, wakai busy ho ki nahi.
Saily ka koi respond nahi aaya iss msg ke baad bhi. Takriban aadhe ghante intzar kiya Saily ke reply msg ka, par jab nahi aaya msg to haar kar phir ek sms kiya ..... "Baby, I am not joking. Main sach me aa raha hun, in-fact main nikal gaya hun"
Iss baar saily ka turant reply aaya ..... "Mujhe laga pahunch gaye hoge, main to apne kamre me tumhe dhund rahi hun. Best of luck ... I am waiting
Gaurav apne aap se he baat karte .... "Isse mazak lag raha hai kya, ruk tujhe abhi batata hun"
Gaurav ab nikal gaya hostel se, apni likhe msg ko proof karne. Usse bas dikhana tha ki wo sach me aisa kar bhi sakta hai. Par bechara Gaurav, dikhane ke chakkar me khud he phans gaya.
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 37


Gaurav ab nikal gaya hostel se, apni likhe msg ko proof karne. Usse bas dikhana tha ki wo sach me aisa kar bhi sakta hai. Par bechara Gaurav, dikhane ke chakkar me khud he phans gaya.
Raat ke 12 se upar ho rahe the. Hostel ke bahar sannata chhaya tha, aur gate par gurad jhapkiyan lete nigrani kar raha tha. Niche jaise he pahuncha tha waise he hanthon se lag kar ek phul ka gamla niche gir gaya, awaz tej thi. Gurad gate se chillaya, "kaun hai, kaun hai wahan"
Gaurav bhaga apne kamre me, aur jaisa socha tha, warden ne aakar sare room check kiya. Ek baar phir niche aaya bahut he sawdhani se, hostel ke bayin ore ke boundry se laga ek per tha. Uss per ke sahare boundry par chadha aur bade aaram se dusri taraph utra.
Pass ke stand me inki bike khadi rahti hai, ₹50 ka ek note dekar wahan ke staff ko bol diya kisi ko pata nahi chalna chahiye ki wo raat ko yahan aaya tha. Wahan se lekar pahuncha wo Saily ke ghar.
Par jab aaj dhyan diya to Saily ke ghar ki boundry 8 fit ki thi aur upar kanton ke tar ki fencing thi. Ab kya kare bechara, ghar ke charo ore ki deewaron ko muayna karne laga. Ghar ki sari light band thi, yani sab so raha tha.
Ek mann hua Gaurav ka ki chalo chala jaye, kya hoga kal thoda mazak he udayegi na. Phir agle he pal khyal aaya ki, jab itni dur aa gaya hun to ek baar chal kar dekh he liya jaye.
Doobte ko tinke ka sahara, ashok ka per laga tha ghar ke dayen side ki deewar se, Gaurav ussi ke sahare to chadha par ab uss ore kaise jaye. Kuch der unchayi ko dekhta raha, phir aao dekha na tau aur kud gaya uss paar.
Dhamm ki tej awaz hui, ghar ke ander ka koi sadsya to nahi jaga par bahar so rahe do doggi jag chuke the, aur bhaunkte huye bilkul bijli ki teji se daur laga diya Gaurav ki ore.
Kutte ki awaz sun kar aur apni ore he aate jaan kar, wo bhi bhaga teji me, kuch na sujha, koi aisi jagah bhi nahi thi jahan par wo khud ko surakhit kare. Daurte daurte bike, bike se car aur car se phir ek chhhaja pakar kar uske upar chadh gaya.
Kutte car ke upar chadh kar lagatar bhaunk rahe the. Aawzen ghar tak gayi thi, kutte pahle bhaukne ke awaz se he, Saily samajh gayi thi ki bahar kya ho raha hai, usse lag he raha tha ki Gaurav sayad yahan aane ki bewkuffi na kar jaye.
Saily teji se apne kamre se bahar aayi. Hall ki light on hote he samne se Saily ke mom-dad bhi apne kamre se bahar aate dikhayi diye.
Mom.... Ye kutte kyon bhaunk rahe hain.
Dad.... Lagta hai koi chor ghus aaya hai, ruko police ko call karta hun.
Saily..... Nahi papa, wo mujhe nind nahi aa rahi thi, to main remote wali plane urra rahi thi, aur usse he dekh kar dono bhaunk rahe hain.
Saily ke mom-dad gurraye huye, Saily ko dantne lage aur apne kamre me chale aaye. Unke jane ke baad Saily ki badhi dhakan ko thoda rahat mili. Teji se wo pahunchi, kutte ab bhi bhaunk rahe the.
Saily ke aate he dono uske paun ke pass daur kar aaye, kuu-kuu kar ke sunghne lage aur wapas phir se apni jagah pakar kar bhukne lage. Saily ne dono ko bulaya, shant ki aur usse uski jagah par bandh di.
Gaurav ab bhi chhaje par sukure baitha tha. Haalat kharab lag rahi thi uski. Dar ke marre dhadkane bhi badhi thi, aur kanp raha tha bechara.
Saily.... Crazyboy pagalpan utar gaya ho to, tum bhi utar aao niche.
Gaurav dhire se utra, Saily ke pass pahunch kar, apna sir niche kar ke sirf "sorry" kah kar shant ho gaya.
Saily.... Ye sab karne ki kya jaroorat thi tumhe, btaoge. Iss se kya proof kar rahe the ki tum bahut bahadur ho.
Gaurav.... Mujhe laga tumhe bhi dekhna tha ki main aa sakta hun ki nahi. Isliye chala aaya. Itni mehnat ki hostel se yahan tak aane me aur tum ho ki dant raho ho.
Baat karte huye gaurav ki najren cleaves par chali gayi, aur kuch pal ke liye najren wahin ruk gayi. Saily ko jab ye feel hua to apne night dress ki ne ki bundy ko samet'ti huyi ...... "Besharam kahin ke, najren upar karo. Sab ladke ek jaise hote ho"
Gaurav.... Saily ek baat kahun, tum iss dress me tum kaphi hot lag rahi ho, aur waise bhi raat he beshram hoti hai isme mera kya kasoor.
Itna bolte he Gaurav ne Saily ko bahon me le liya. Saily ne pyar bhara virodh dikhati uske bahon me gayi. Balon ki laton ko mathe se hata'te uske hothon ko chum liya. Honth chumte huye Gaurav ke hath saily ke pith par phir rahe the, aur pith se firte firte uske hip tak ja pahunche, aur apne haton se usse ek baar halka press kar diya.
Saily dhakke deti Gaurav ko khud se dur ki aur aankhen dikhate Gaurav ko.... Kuch jyada he aaj beshram ho rahe ho crazyboy, chalo dur hato, bahut mehntana wasool kar liye. Ab jao yahan se.
Gaurav mayus bhari nigahon se ..... Sachi chala jaun
Saily.... Jate ho ya main apne doggi ko bulaun.
Gaurv.... Na na, rahne do kuch der pahle jo hua wo kaphi tha, par gate to khol do, idhar se chadhne ka koi rasta bhi nahi, aur upar kantedar taron ki fencing hai.
Saily ne saaf mana kar di, "nahiiiiii jaise aaye the waise jaoooo. Ab jaldi jao nahi to mom-dad bahar aa jayenge, hall ki light jali hui he hai"
Gaurav, Saily ko nisthur aur zalim kahta phir ussi chhaje par chadh gaya, kisi tarah se jaise taise boundry kuda, aur bike lekar hostel wapas aa gaya. Room me pahuncha to usse bas Saily he Saily dikh rahi thi. Aur aaj jo uske ghar ke lawn me hua usse soch-soch muskura raha tha.
Kuch der baad he Saily ka ek msg aaya.... "Nind nahi aa rahi, so gaye kya"
Gaurav..... Khyalon me jiski tum ho wo bhala so kaise sakta hai.
Saily.... Rahne do mujhe na samjhao ki kin khyalon se jage ho.
Gaurav..... Achha ji, aur jarra batayengi kin khayalon se jaga hun ab tak.
Saily.... Mujhe nahi iss par baat karni, tumne ab tak smarthone kyon nahi liya. Isme msg aane ka intzar karna parta hai.
Gaurav.... Phir se wahi baat, intzar nahi kar sakti to call karta hun na.
Saily.... Ghar me mom-dad hain aur main raat me baat karun. Ek kaam karti hun baat he nahi karti. Bye
Gaurav ne kayi msg kiye par koi jabaw nahi aaya. Aakhri msg kiya, "ok baba karta hun kuch upay. Gn so jao ab.
Gaurav msg karne ke baad kuch der jaga raha, koi msg nahi aaya, intzar karte karte so gaya, subah jab jaga tab mobile par Saily ka sms tha...
"Saam 6 baje, treasure island, without fail"
Gaurav msg padh kar "ok" ka reply kiya aur apni padhai par concentrate kiya. Saam ke 6 baje dono mile shoping mall ke pass. Gaurav samjh gaya Saily raat ki baat se thodi khpha hai..........
Gaurav pyar se puchhta hua.... Kaisi ho baby.
Saily.... Main pahle he kahi thi, jabtak smart phone nahi tabtak koi baat nahi.
Gaurav.... Ajib si demand hai Saily, pyar me to log kabutron se khat bheja karte hain, "maine pyar kiya" movie nahi dekhi kya ?
Saily.... Mujhe kuch nahi sun'na jis samay ki jo facility available thi log usse use karte the. Mujhe raat me baat karte nahi banta, abhi kharid rahe ho ki nahi.
Gaurav.... Bhadkti kyon ho. Chalo apni pasand ka koi chhose kar lo.
Saily khush hoti uske gale lag gayi, dono chal diye naya mobile kharidne, budget ko dekhte huye Saily ne ₹12000 ka ek phone select ki, Gaurav usse kharidt'te huye kahne laga .... Ek-ek paisa ghar ke aaye paise se bchaya tha, lutwa di iss ladki ne, ab to khush ho na tum.
Saily.... Ji haan bahut khush.
Gaurav.... Main waise to leta he phone lekin exam baad, abhi lene se koi fayda bhi nahi, kyonki main aaj se exam ki taiyariyon me busy ho jaunga.
Saily.... Koi baat nahi, aadhe ghante bas roj padhai se bore hokar, utna to time hoga he.
Gaurav.... Arre tum samjhi nahi, main aur Nainu combind study karenge.
Saily.... Achha to ye baat hai, ab tum uske sath rahoge to mujh se baat nahi karoge. Fine mr. Gaurav main samjh gayi.
Gaurav sir pit'te huye .... Kabhi to akal se kaam lo, ye se kya soch leti ho.
Saily.... Haan haan, ab to main he galat soch'ti hun. Dono mil gaye to mujhe he side kar do.
Gaurav.... Shant ho jao jarra, puri baat to samajh liya karo.
Saily... Kaho, main sun rahi hun.
Gaurav.... Tum jaisa soch rahi ho waisa kuch bhi nahi hai, hum to bas sath study karenge, aur padhai ke bich me usse akela chhor kar kaise main chat me lag jaun. Samjha karo baba, problem Nainu ko lekar nahi hai, problem bich me chat ki hai.
Saily.... Jyada safai mat do. Main bhi padhti hun. Har student bich me aadhe ghante ka break leta hai. Yadi Nainu se koi problem nahi to wo time mera hua, nahi to main sahi soch rahi hun.
Gaurav apne dono hath jorta hua..... Thik hai baba le lena tum ek ghanta roj raat ko, aadhe ghante se kya hota hai, main online aane se aadha ghanta pahle tumhe msg kar dunga. Ab to hans do my heart beat, aise gussa ho jati ho to lagta hai sanson ka chalna he band ho gaya.
Saily muskurati hui kahne lagi ... That's my crazyboy, ab chalo bhi bhukh lagi hai joron ki.
Dono pizza, buger ka luft utha'te huye alag ho gaye. Saily ne aakhir apni jid puri karwa he li, aur Gaurav khud ke lutne ke baad bhi kaphi khush tha, kyonki Saily jo khush thi.
___________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 38

Dono pizza, buger ka luft utha'te huye alag ho gaye. Saily ne aakhir apni jid puri karwa he li, aur Gaurav khud ke lutne ke baad bhi kaphi khush tha, kyonki Saily jo khush thi.
Waqt ka manjar aur pyar ka karwan thamta kahan hai, bhale chahe pyar ki raah me koi imtihaan he kyon na aaye. Raat ko exam taiyari karte-katre bich ka break Gaurav liye toofani hota tha.
Aalam ye tha ki chalte huye ek msg reply ho raha hai to khate samay bhi, jab bhi waqt mile, jitna bhi waqt mile bas Nainu ki najron se chhipte msg ka aadan-paradan chal raha tha. Dono premi pyar ka luft msg ke aadan-pradan se utha rahe the.
Exams se kuch raat pahle ki baat hogi, jab Gaurav ka pet kharab ho gaya aur wo apne washroom me gaya hua tha. Mobile ke screen ki light jali, Nainu ne mobile utaya aur notification dekh kar Nainu msg padhne laga..... "Kaisa hai baby aur khadus Nainu kahan hai"
Nainu ne reply kiya .... "Fine, aaj khadus so gaya hai"
Saily.... Kyon, ab kya exam ka bhut nahi hai uske sir par ?
Nainu..... Pata nahi, thaka tha sayad.
Saily..... Wo to waise bhi thakela tha
Nainu.... Kya kar ri ho abhi ?
Saily..... Umaaaaahhh ! Apne jaan ko kissi, return kissi do ab chalo
Nainu.... Wooooo, ae chhori ye main he hun khadus, thakela, iss Gaurav ki to main aaj khabar leta hun.
Saily.... What ?
Nainu.... Ji haan
Saily..... Nainu, gande insaan. Kisi dusre ka msg padhte sharam nahi aati, aur upar se reply bhi karte ho.
Nainu.... Achha, wo koi dusra nahi mera dost hai. Waise bhi duffer tum ho itne din baat karne ke baad bhi tumhe fark samajh me nahi aaya.
Saily.... How dare you to call me duffer. Mujhe kya sapna aaya tha ki uss taraph se kaun reply kar raha hai.
Nainu.... Baal re itni english, maim main to govt. school me padha hun. Waise duffer wali he to baat hai, writing style bhi nahi samajh me aayi kya ?
Saily..... Ab char line to likhe the wo bhi formal usme kya samjhti.
Nainu..... Ok I am sorry. Ab khush
Saily..... Wowwwwwwww ! Nainu ne sorry kaha. Waise me too sorry.
Nainu.... Ab tum kyon sorry boli.
Saily..... Maine bhi to khadus aur thkela kahi tha. Waise ek baat kahun.....
Nainu.... Kya ?
Saily..... Kya hum ek nayi surwat kar sakte hain, apne bich ke cold war ko khatam kar ke....
Nainu..... Achha, humare bich cold war bhi tha, mujhe to nahi lagta.
Saily..... Achha, to phir tum itne chidhte kyon the mujh se, aur mujh par bar-bar ilzam lagana....
Nainu..... Maine kab ilzam lagaya aur kaisa ilzaam lagaya ? Kya aaj Ilzaam movie dekh rahi ho ?
Saily..... Very funny ! Kya tumne nahi kaha tha Gaurav ko "itni jaldi wo ladki khud tumhe purpose ki hai, wo bas timepass kar rahi hai tumhare sath. Tumse pyar nahi karti"
Nainu khud me kahta hua... "Crazyboy, phata dhol meri sari baten usko bata diya" ... Phir reply diya.... No, maine kabhi aisa nahi kaha, wo Gaurav ki mangharant kahani thi. Sayad tum se kuch favour chahiye hoga. Main to bas pahli mulakaat ke liye chidha tha.
Saily.... Nahi tum jhoot bol rahe ho Nainu, Gaurav ko kahani banani nahi aati. Kahani to tum bana rahe ho.
Nainu.... Achha, itni jaldi itna bharosa......
Saily.... Yesss, mujhe pura yakin hai uski baton par.
Nainu.... Aur kaun-kaun si baton par yakin hai uske....
Saily.... Bahut sari baten hain usme, batane baithi to raat kam par jayegi. Ruko-ruko.....
Nainu.... Kya hua Gaurav ke bare me kuch yaad aa gaya kya ?
Saily... Too smart Nainu, topic se bhatkao nahi, tumne mujh par ilzam lagaya tha aur mere bare me apne ander galat dharna kayam kar chuke ho, iss bare me baat ho rahi thi.
Nainu.... Oops ! Mujhe laga tumhare pass dimag nahi hai, par dimag bhi hai
Saily.... Very funny, ab sidhe-sidhe batoge jo main puchh rahi thi ?
Nainu... Haan main aisa sochta tha. Par ab ek fresh start. deal done par ek shart par....
Saily.... Kya ?
Nainu..... Gaurav ko roj pappi deti ho, mujhe kam se kam jhappi he de diya karna
Saily.... Chhi, gande Nainu. Tumhari soch he gandi hai mujhe pakka yakin ho gaya. Dekhna ye puri chat main Gaurav ko dikha dungi.
Nainu.... Dikha dena, mujhe kya fark parta hai. Jhappi ka purposal accept ho to baat karo...
Saily..... Mazak band karo plz, kya hum ek fresh start nahi kar sakte ?
Nainu.... Ohk baba, par ek shart hai kaha to tha tumhe abhi
Saily..... Annnhhh ! Tum nahi sudhroge
Nainu.... Pahle bigarne to do. Waise dekho biti baton ko maine kab ka bhula diya hai. Tum dono ek dushre ke sath khush ho, banki mujhe koi problem nahi. Maine uss din ke baad se koi charcha bhi nahi kiya.
Saily.... Thanks a lot.
Nainu.... Ab so jao, aur haan humare exam ke chand he din bache hain to kya tum plz ab Gaurav ko ek aakhri msg kar dogi. Exam baad baat karne aur milne ki.
Saily.... Par Gaurav hai kahan ?
Nainu.... Wo washroom ki sair par hai, julab lag gaye hain
Saily.... Exam ka itna pressure aa gaya
Nainu... Ab wo to Gaurav he bata sakta hai
Saily.... Thik hai main ja rahi hun sone. Suno main tumhare msg delete kar rahi hun, mann ho to wahan tum bhi kar dena. Nahi to Gaurav ko lagega tumhare kahne par main usse mana kar rahi hun.
Nainu.... Ohhh hooo ! Matlab ab tum dikhana chahti ho tumhe uski kitni fikar hai aur pura credit khud le jana chahti ho.
Saily.... Bechare uss sidhe ko crazyboy ka naam de diya, warna pura pagal to tum ho. Byeee gn main chali sone.
Nainu.... Gn, jao so jao. Aaj sapne me he mil lena. Lekin sirf milna.
Phir koi msg nahi aaya. Aaj ke hui chat ke baad Nanu ne bhi apne vicharon par punar-vichar karte huye Saily ke liye apne mann ke vikaron (galat bhawna) ko khatam kar diya. Nainu sari baat-chit ko delete kar ke mobile ko apni jagah rakh diya aur padhai karne laga.
Takriban iss chat ke aadhe ghante baad Gaurav aaya bhagta hua, gate par khada hokar ander ka mahol dekhne laga, Nainu padh raha tha aur uska mobile bister par rakha tha.
Nainu.... Kya hua, kahan rah gaya tha ?
Gaurav.... Meri tabiyat thik nahi thi, isliye kab aankh lagi pata he nahi chala.
Nainu.... Thik hai jao aaj rest kar lo. Dawa liya ki nahi ?
Gaurav ne "haan" bolta apna mobile uthaya aur aaram se gate se bahar nikal kar jaldi me msg check karne laga. Mobile par koi msg na dekh kar rahat ka sans liya aur apne kamre me jakar Saily ko msg karne laga.
Bahut sare msg kiye par koi respond nahi aaya. Gaurav ko chinta hone lagi, ki aakhir hua kya hai ? Roj msg aate the aaj nahi aaya, aakhir baat kya ho gayi ?
Anth me Gaurav ne call laga diya. Do ring hote he Saily ne phone pick-up ki......
Gaurav... Tum thik to ho love, aaj koi msg nahi ki ?
Saily.... Main msg isliye nahi ki, kyonki exam me ab kuch he din bache hain, taiyari karo. Aur padesan hone ki jaroorat nahi hai main achhi hun.
Gaurav.... Par ye to padhai se break-time hai na
Saily.... Mere crazyboy, break-time nahi. Ab padh kar rest kijiye aur achhe se exam ki taiyari, jab bardast na ho to call kar lena. Aaj se exam tak no msg, no call sirf exam ki taiyari. Haan bas 2min ki baat itna he. Samjhe
Gaurav... Haan samjh gaya.
Saily.... To phone rakho achhe baby ki tarah aur so jao.
Gaurav ne bhi gn bol kar so gaya. Exams ki taiyariyon me Gaurav ke din kaise bit rahe the chating aur milna lagbhag band. Saily bhi idhar apne doston aur idhar udhar ke kaam me busy ho gayi. Ab to bas dono ko exam khatam hone ka intzar tha.
_____________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 39

Gaurav bhi gn bol kar so gaya. Exams ki taiyariyon me Gaurav ke din kaise bit rahe the chating aur milna lagbhag band. Saily bhi idhar apne doston aur idhar udhar ke kaam me busy ho gayi. Ab to bas dono ko exam khatam hone ka intzar tha.
Exam bhi aakhir khatam he ho gaya. Chutti manane ka din tha, mastiyon ka din tha sbhi ladkey apne ghar nikal gaye siwaye kuch ladkon ke. Of-course unme se dono, Nainu aur Gaurav bhi tha.
Exam hall se nikalte he Gaurav ne sabse pahle Saily ko call kiya aur uss se apne haal-e-dil bayan karne laga. Saily bhi apni soorat-e-haal bayan karne lagi. Dono itna baat me khoye the ki Gaurav bhul he gaya ki exam hall se niklne ke baad Nainu bhi sath me hai.
Takriban aadhe ghante ki baat ke baad Nainu ne aakhir tok he diya. Gaurav apni baat-chit ko khatam karta hua, Nainu se sorry kaha aur dono hostel ki ore chal diye. Nainu apne kaam se nikal gaya aur Gaurav lag gaya msg karne me.
Dno ki baten lagatar chalti rahi, raat bhar dono dube rahe apni baton me. Pyar ka daur thame nahi thama aur baat chit ka silsila lagataar jari raha.
Dono agle din subah ke 11 baje he mile, milte he Gaurav ne Saily ko apne bahon me bhar liya aur khud se chipkate huye...
"Tum se na mil pana kisi saza se kam nahi tha Saily"
Saily bhi Gaurav se chipki.... "I too miss u a lot mere carzyboy"
Gaurav Saily ki bahen pakad kar uski aankhon me jhanka. Saily ki palken kabhi nichi to kabhi upar hoti, ek haya ki lali honthon par chhor rahi thi, aur ek pyari si muskaan ke sath Gaurav ko dekh rahi thi.
Ek lambe samay ke baad do premiyon ka milan tha, dono ek dushre ki aankhon me doob gaye, dhire-dhire honth aage badh chale aur pyar ke pahle chumban ka ehsaas karne lage. Kiss karte huye dono ek dushre ke badan par hath fer aapas me hone ka anubhaw kar rahe the.
Pyar ka ye pal kaphi der tak chala, dono ki aankhen ab to jaise nashe me aa gayi ho, tabhi Saily ne Gaurav ko khud se dur ki aur dhimi si awaz me kahi....
"Ab hato bhi, mujhe kuch kuch ho raha hai"
Gaurav muskurate huye kahne laga.... "Mujhe bhi Saily", itna bolte huye ek baar phir usne Saily ko apne gale laga liya.
Dono resturent me baith kar din ka lunch le rahe the tabhi Saily, Nainu ke bare me puchh ne lagi ...... Gaurav, Nainu kahan hai, ghar gaya kya chuttiyon me ?
Gaurav.... Nahi, nahi gaya hai, yahin hai.
Saily.... Kyon, exam to khatam ho gaye phir bhi.
Gaurav.... Usse kuch kaam tha isliye nahi gaya.
Saily.... Aur tum
Gaurav.... Mujhe, mujhe pyar ho gaya isliye nahi gaya.
Saily.... Phir to mujhe bhi kaam hai aur mujhe jana chahiye.
Gaurav apna chhota sa muh banate.... Par achanak se ho kya gaya ?
Saily.... Tumhara dost akela hai, aur tumhe uska khayal bhi nahi ?
Gaurav.... He he he, uska khayal, wo one piece available hai, uss ki chinta karne ki jatoorat nahi, wo akela bhi khush rah leta hai.
Saily.... Aisa kyon hai. Uski koi GF nahi hai kya ab tak ?
Gaurav.... Wo aisa he hai. Nahi ab tak nahi hai koi gf. Uske liye uska kaam aur dost aur uske dimag ke phaltu ke karnaame.
Saily.... Chalo thik hai, ab hum chale kya, mujhe ghar bhi jana hai.
Gaurav... Par itni jaldi ghar kyon ?
Saily.... Had hai crazyboy, saam ko milungi na, ab please jane do.
Dono lunch khatam kar ke wahan se nikle, pata nahi Gaurav ki baat sun'ne ke baad Saily ko kya hua, Gaurav ke jate he Saily ne Nainu ko call lagaya...
Nainu.... Hello, kaun bol rahe hai ?
Saily.... Bol rahe nahi, bol rahi hun.
Nainu.... Kaun, pahchana nahi main.
Saily.... Ussi jaan pahchan ke liye to phone ki hai, Saily bol rahi hun fatafat Hotel Sayaji ke pass chale aao.
Nainu.... Ji nahi, main abhi kaam kar raha hun abhi nahi aa sakta
Saily.... Bhaw khana band karo aur jaldi se chale aao, nahi to mujh se bura koi nahi hoga
Nainu.... Kyon mujh se apne pyar ka izhaar karogi jo judai bardast nahi kar pa rahi.
Saily.... Mazak chhoro aur jaldi se chale aao.
Nainu ne socha chalo chal kar mil aaya jaye, par usse kya sujha usne Gaurav ko bhi call laga diya. Saily se milne ke baad abhi wo hostel pahuncha bhi nahi tha, lekin bina kuch bole ki kahan jana hai chup-chap Nainu ke sath chalne ke liye raji ho gaya.
Dono raste me he honge tabhi Gaurav ke mobile par Saily ka msg aaya .... Nainu se aaj dosti kar rahi hun ... Humare bich ki sari problem aaj baith kar solve kar lenge. Bas uss se mil kar ghar nikal jaungi, apna khayal rakhna.
Gaurav ne bas ek smile bheja aur chup-chap Nainu ke sath nikal gaya. Teeno mile hi-hello bhi hui, par Gaurav aur Saily aise act kar rahe the jaise abhi he mile ho. Nainu ko hansi aa gayi aur jor-jor se hasne laga.
Saily ... Kya hua aise kyon hans rahe ho.
Nainu.... Nahi kuch ajib dekh kar hansi aa gayi
Gaurav... Kya ajib dekha ?
Nainu.... Yahi ki kuch ghante pahle dono ek dushre ki bahon me the aur abhi aise acting kar rahe ho jaise abhi-abhi mile.
Saily apni aankhen badi karti Gaurav ko dikhane lagi, Gaurav bhi jor se hansta hua kahne laga ... Meri koi galti nahi hai sab tumhare msg ka kiya dhara hai. Jab main msg dekh raha tha tabhi isne pakad liya aur majbooran mujhe batana para.
Saily.... Very funny, ab dekhna main tumhara kya karti hun, waise maine kewal Nainu ko bulaya tha, tum kosis bhi mat karna mujh se baat karne ki.
Nainu.... Woooo woooo ! Ab jane bhi do Saily, waise bhi yahan ladai khatam karne aayi ho na to phir se ab shuru na karo.
Saily.... Nope Nainu, isse milne ka batana tha isne na jane kya kya bataya, i hate him. Gandi mentality, ye bhi unhi me se hai jo ladkiyon se milne ke baad apne doston me uske bare me na jane kya kya batata hai.
Gaurav.... Maine bas milne ka he bataya tha, sachi, tumhari kasam
Saily.... Abhi main tum se koi baat karne ke mood me nahi hun, so plz ab apna muh band rakho, tum se main baad me niptungi.
Nainu.... Arre arre isne aisa kuch bhi nahi kaha, ye sach bol raha hai
Saily.... Achhi dosti hai Nainu, tum to issi ka paksh loge na, waise mujhe bas itna kahna tha ki plz biti baton ko bhula do, hum sab ek family ki tarah rah sakte hain.
Nainu.... Family he to hain, thik hai ab se koi sawal jabaw nahi hoga, ab to gussa khatam kar do. Aur kya hum aise he sadak par baten kare ya kahin baith kar.
Gaurav.... Haan chalo kahin baith kar aaram se sari baton par charcha karte hain.
Saily.... Sorry ghar se phone aaya tha, main ja rahi hun Nainu, apne dost ko bolna mujhe koi msg ya call na kare.
Itna kahti badi gusse me Saily wahan se nikal gayi. Saily ke jate he Gaurav ka rona shuru ho gaya....
"Kaminey, mil gayi kaleje ko thandak, karwa diya humara jhagra"
Nainu.... Chill maar, thoda sa manana he padega na mana lena, gana gate huye filmi style me ya phir shayri sunate huye.
Gaurav.... Ab bhi mazak sujh raha hai, tujhe kya jaroorat thi apne mann se kuch bhi bolne ki. Teri baton ka kaisa matlab nikal kar gayi pata bhi hai tujhe
Nainu.... Sach me, par mujhe to nahi pata. Chal tu he un baton ki gahrayi bata de
Gaurav.... Bhad me jao, main bhi chala. Ab tum se baat tabhi hogi jab ye tumhara kiya dhara saaf hoga. Good Bye
Lo Saily, Gaurav se gussa hokar nikali aur Gaurav, Nainu se. Akela khada Nainu bas sochne laga ..... Ye to trikoniya warta bana kar chale gaye, lagta hai crazyboy kuch jyada he serious ho gaya kuch karna padega, nahi to kha-m-kha main picture me aa jaunga. Ohhh ! Aa kya jaunga aa he gaya hun.
Gaurav ne uss din Saily ko kayi msg kiye lekin koi respond nahi, call lagaya to pata chala mobile bhi switch-off hai. Gaurav ki haalat rone jaise ho gayi, Gaurav ne Nainu ko ek msg kiya...
"Aag laga kar khush ho gaya bhai, main ja raha hun hostel se, ab jabtak Saily se baat nahi hogi tabtak lautunga nahi"
Gaurav ka msg dekh kar Nainu ne turant call lagaya par Gaurav ka koi respond nahi tha, Nainu ne lagatar contact karne ki kosis ki par jabaw me ek he msg aaya.... Abhi main baat nahi kar sakta, plz pahle humare bich ka jhagra settle karo.
Bura phansa bechara, Nainu ne ek senty sa msg dal diya.... Wah dost jab main naraj tha tab to tumne Saily ko nahi kaha hoga ki tumhare wajah se hum doston me jhagra hua pahle usse settle karo, kyonki aisa bolte to ladki hath se chali jati. Main kahin nahi jaunga isliye mujh garib par he julm kar lo.
Iss mag ko Gaurav ne single reply diya..... Mujhe senty mat kar, nahi to main sahar chhor kar chala jaunga.
Naraj premika ki tarap me tarpa crazyboy, aur Nainu bana unke jhagre ka karan, darmiyaan issq ke phansa tha Nainu aur bechara sach me phans kar he rah gaya.
________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 40


Par ab ek fresh start. deal done par ek shart par....
Saily.... Kya ?
Nainu..... Gaurav ko roj pappi deti ho, mujhe kam se kam jhappi he de diya karna
Saily.... Chhi, gande Nainu. Tumhari soch he gandi hai mujhe pakka yakin ho gaya. Dekhna ye puri chat main Gaurav ko dikha dungi.
Nainu.... Dikha dena, mujhe kya fark parta hai. Jhappi ka purposal accept ho to baat karo...
Iss msg ko dikhane ke baad Saily, apne mobile ki kuch recordings bhi suna di sab ko jo abhi-abhi purposal ke dauran kahi gayi baten thu.... Wo bhi kewal against Nainu ke he tha.
Bahut he shandaar dhang se Saily ne apne maksad ko anjaam diya tha. Uske dil me Gaurav ke liye kuch feelings ho ki nahi ho, lekin party wali raat ke liye jo nafrat Nainu ke liye thi wo uske badle ke roop me yahi tha... Dono doston ko alag karna.
Kamre me Saily bas recording sun'ne gayi thi, jahan kahin bhi laga ki ye nahi hona chahiye usse edit kar di, jab editing ho gaya to badi bechani se Gaurav ko bulayi aur door bell bajte he, usne apne pados me rah rahe Ankit ko ek msg send kar di.... Ghar aao jaldi musibat me hun.... Aur sara drama shuru ho gaya tha.
Planning to pahle ye tha ki Nainu ko phasna aur Gaurav ko alag karna hai, baad me Nainu ko bejjat kar ke dil tod dena. Par Nainu ka rujhaan kabhi Saily par tha he nahi, isliye sab ulta karna para.
Gaurav jab sath me tha tab surwaat me he Saily ne dono ki dosti par attack ki, par tab inke riste kaphi majboot the aur wahan har baar Saily ko he muh ki khani padi. Isliye anth me Saily ne apni chhal ulti ki, pahle gaurav ke parti apni parwah dikhana shuru ki.
Usse jyada se jyada apne pass aur Nainu se dur, sath me wo Nainu ke liye achha he bolti, jabki ulta Nainu he kai baar gussa dikhaya tha Gaurav ko Saily ke sath hone par.
Aam baat chit ke dauran huye mazak ko ek aise sazjis ke tahat pesh ki, ki ghut kar rah gaya Nainu. Kal bhi din me Nainu se milne ka matlab he itna tha ki, koi casual talk me usse kuch aur baten mil jaye Nainu ke khilaph istmaal karne me, kyonki nafrat ki aag usse bardast nahi ho rahi thi, aur wo jald se jald Nainu ko sabak sikhana chahti thi.
Par sayad kismat Saily ke sath he thi, randon ye jhagra aur Nainu ka Saily se contact karna, phir uske ghar aana.... Sab ussi ke favour me tha. Usse jyada mehanat bhi nahi karni pari.
Jab Ankit ke mom dad ne sawal uthaya ki kyon wo iss ladkey ko ab tak bardast karti aa rahi hai, aur aisa tha to isse ghar me kyon ghusne di ... Iss baat par badi safai se Saily kah gayi....
"Main, Gaurav se alag nahi rah sakti, main mar jaungi iske bina, aur bas issi baat ke liye bardast kar rahi thi. Mujhe apne pyar par bhi gussa aa raha hai, ki usne Iss kamine ka pura msg dekha apne mobile me phir bhi isne isse kuch nahi kaha, ye to gair tha Gaurav tum to mere apne, tumhe kyon nahi samjh me aayi meri baat, aur rahi baat isse ghar me aane dene ki, to girgirata kahne laga bas main yahan manphi mangne aaya hun, apne kiye ki .... Manph kar do chala jaunga".
Jab msg ki raat yaad aayi ki kaise Saily ne Gaurav ko uss raat ke baad msg nahi ki, tab dimag ne simple sa do calculation bitha liya..... Ek ki Nainu ki wajah se wo wapas kabhi msg nahi ki, aur dusri ye ki usne exam time isliye nahi charcha ki kyonki iss se padhai me badha hogi, jo Saily kabhi nahi chahti.
Gaurav gusse se aankhen laal pili karta hua... Saily ko apna mobile dekar bas itna kaha.... "Iss kamine ne msg puri delete kar di, nahi to main khabar usi din le leta, tum rona mat, iske kiye ki saza isse main dunga".
Itna kah kar Gaurav, Nainu ke pass gaya... Collor pakar kar khinch kar do thappad diye, dhakka deta kahne laga.... Ander se itna kala hoga mujhe pata nahi tha, aaj ke baad shakal nahi dikhana apni, nahi to jaan se maar dunga.
Sara mamla Nainu ke aankhon ke samne chalta raha, par usne na to apne defend me kuch kaha aur na he safai dene ki kosis kiya, wo janta tha ki kuch sunane ki gunjayish nahi yahan par, bas do bund aanshu tab nikal aaye jab dost dur ho gaya.
Chupchap Nainu wahan se chala gaya, phir na to hostel me dikha aur na he college me, uska koi pata he nahi tha. Ye ek ladki ka badla tha jisne than li thi ki usse kisi tarah apna badla lena hai aur wo le bhi li.
In sab mamlo me lekin ek bhul ho gayi Saily se ki usse Gaurav ke bare me sabko batana para aur sath me ye bhi ki wo "mar jayegi uske bina"
Isliye Gaurav ussi ke sath he raha. Saily ke badle ki udan jitni unchi thi utni he uski chahat ne bhi udan bhara. Ussi saal aayi Priyanka Chopra ki "faishon" movie ne uske dimag par glamour world ka aisa bhut sawar kiya ki wo faishion desiner ban'ne ka faisla ki.
Aaj Gaurav aur Saily dono sath me Delhi ke liye nikal, dono faishon desiner ban'ne kyonki jo Saily ki chahat thi wahi Gaurav ki bhi......
________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 41

Naraj premika ki tarap me tarpa crazyboy, aur Nainu bana unke jhagre ka karan, darmiyaan ishq ke phansa tha Nainu aur bechara sach me phans kar he rah gaya.
Nainu ko ab un dono ka jhagra settele karna tha. Agle din Nainu, Saily se contact kiya. Nainu ka call pick-up kiya Saily ne... "Haan Nainu"
Nainu.... Sorry Saily, kal wakai Gaurav ne mujhe bas itna kaha tha ki "tum aur wo bas mile the aur sath lunch kiye"
Saily.... Ha ha ha, main janti hun. Main to bas apne crazyboy ko padesan kar rahi thi. Kahan hai wo.
Nainu..... Kal raat se hostel nahi aaya kahta hai, mamla settle karo tabhi main tumse baat karooga. To kya tum please uss se baat kar logi.
Saily..... Ek shart par
Nainu.... Ab ye kya hai, tum to jaan bujh kar uss se naraj ho, phir mujh par ye kaisi shart
Saily.... Aise he, mera mann. Ab man'na hai to mano nahi to tum jano aur Gaurav. Baki main Gaurav se naraj hun to usse settle karne do.
Nainu... Ohk to wahi settle karega. Byeee
Saily... Arree suno to Nainuuuu
Lekin tabtak call cut ho chuki thi. Nainu, Saily ki narajgi ka karan jaan chuka tha isliye usne Gaurav ko call kar ke sirf itna kaha "wo naraj nahi hai baat kar lo".
Gaurav ko call lagane ke 10 min baad he uska wapas se call Nainu ke mobile par aaya aur bade chidhe sabdon me kaha .... Jhoota kahin ka, wo to mera call pick-up he nahi kar rahi hai. Bas ek msg dal di, jyada padesan kiya to mobile switch off kar dungi.
Nainu.... Kaisa aashiq hai re, ja apni mashuka ko khud mana le, aise ruthne manane me main kya help karoon
Gaurav.... Mana leta, par aag tumne lagayi hai, aur tum he bujhaoge aur koi option nahi tumhare pass.
Itna bol kar Gaurav ne bhi call disconnect kar diya. Bura phansa bechara Nainu. Do premiyon ke jhagre me garib bechara pis gaya. Ek ore Saily jo jaan bujh kar naraj thi, to Gaurav ko step lena chahiye tha, to dusri taraph Gaurav tha jo kisi roundu ki tarah ek he rat lagaye tha ki iss mamle ko Nainu settle kare.
Marta kya na karta, Nainu ne Saily ko call lagakar sidha kaha.... Bata dijiye madam aap ki sharten kya hain ?
Saily.... Aise nahi pahle mujh se milo, aamne samne shart bataungi.
Saily ke mom-dad nahi the isliye Saily ne usse apne ghar par he bula liya. Nainu jab uske ghar pahuncha to bas sidha shart ke bare me puchhne laga. Ek achhi host ki tarah Saily ne usse bithaya aur jabardsti uss se chay, nasta puchhne lagi. Thoda khan-pan aur swagat karne ke baad, chay ki chuskiyan leti Saily, Nainu se kahne lagi......"Tumhari koi gf ab tak kyon nahi"
Nainu.... Pata nahi, jab hona hoga ho jayegi, main nahi sochta iss bare me.
Saily.... Aise kaise koi ladki samne se aakar tumhe purpose kar degi, uske liye to tumhe he pahal karni hogi.
Nainu.... Tum mujhe yahan in sab ke liye bulayi ho, mera jaan chhoro dono pagal aur apni baat kaho
Saily.... Kitna khadus ho, shart yahi hai tumhe ek ladki ko purpose karoge tabhi main manugi.
Nainu..... Kya ? Ye ho kya raha hai, kahan ki baten kahan kar rahi ho, mujhe to kal se kuch samjh me nahi aa raha. Kal bhi mujhe milne bulayi, aur chhoti si baat par naraj ho gayi. Aaj bhi mujhe bulayi ho aur ye phaltu ke kaam kah rahi ho karne. Chijen bahut he random aur samjh se pare hai mere.
Saily..... Tumhara dimag kuch normal kyon nahi soch sakta. Suno puri baat, kal Gaurav ne kaha ki tumhari koi Gf nahi hai, to maine socha kyon na tumhari bhi ek Gf ho taki tum udhar busy ho jao aur Gaurav mujhe samay de. Kal jab usne kaha ki wo tumhe akela chhor aaya hai, tab mujhe laga ki kabhi-kabhi jo tum uspar mere liye naraj hote ho wo jayaj hai. Aur rahi baat meri narajgi ki to main bas chahti thi wo aaj pura din tumhare sath rahe.
Nainu.... Oh my god ! Itti chhote brain me itna jyada khayal. Hato main akela he thik hun, tumko Gaurav mubarak. Main alag ho jaun uske liye tum chahti ho ki main kisi ladki ka chakkar katun. Jao ab kabhi nahi aaunga tum dono ke bich. Par mujh se ye sab nahi hoga.
Saily.... Huhhh ! Jab bhi sochoge ulta he sochoge. Plz ab hum dost hai na, aur dost ki baat nahi manoge. Plz plz plz
Nainu.... Jiddi ladki, par main sadak par jakar kisi ko bhi purpose kar dun kya. Thik hai maan liya tumhari baat yadi koi ladki mili to main purpose bhi kar dunga aur milwa bhi dunga. Ab khush, ab to baat kar lo Gaurav se pata nahi khana bhi khaya ya nahi ab tak.
Saily.... Msg de deti hun, usse bhi yahin bula leti hun, par ek baat, jab ladki milegi tab ki tab usse purpose kar lena .... Abhi plz ek demo
Nainu.... Ajib ho tum bhi, mujh se nahi hoga ye.
Saily.... Kabhi to ek baat par haan bol diya karo, plz ek demo. Dekho main kitna girgira rahi hun.
Nainu.... Thik hai, par hasna mat. Aur tum dushri ore ghum jao.
Saily, Nainu ki iss baat par bas apni dono aankh dikhayi aur hanthon se ishara ki demo dikhane ki. Nainu ne pahle apne sine par hanth rakha, aankhen mundi kuch der, aur aankhen khol kar kahne laga..... "Main tumhe bahut pyar karta hun, kya tum meri gf banogi"
Saily.... Ek thappad lagega. Ye kya tarika hai ?
Nainu.... Kyon kya hua, isliye main kahta tha mujh se nahi hoga.
Saily..... Aur isliye main kahti thi ki demo do, kahin aise bol diye uske samne to.
Nainu.... Ji nahi aisa nahi hoga, kyonki main jab usse dekhunga to usse dekh kar mujhe feel hona chahiye ki haan ye wahi ladki hai. Janti ho Saily, sabd koi mayne nahi rakhte, yadi pyar hota hai to najren he kaphi hai izhar ke liye, phir unhe sabdon ki jaroorat nahi hoti.
Saily.... Bravooo, plz ab aankh mund kar yahi feel kar ke bolo, plzzzz
Nainu taiyar ho gaya apne dushre demo ke liye.... Ek baar phir aankhen munda aur izhar karne laga....
"Jab se tumhe dekha hai, ab khud ka hosh bhi nahi raha. Lagta hai zindgi yahin tum me bas gayi ho. Jab bhi tum pass hoti ho, dhadkane yun bekabu ho jati hain ki jaise inpar ab mera koi jor nahi. Sach kahun to tumhare sath jindgi bitane ka irada hai, kya tumhe bhi aisa lagta hai"
Saily.... Hmmm ! Ye achha tha, par mujhe kuch thoda filmy sa laga, ho sakta hai abhi feel nahi kar pa rahe.
Nainu.... Kitni rude ho, dil chir kar samne rakh diya aur kahti ho banawti tha. Huhh ! Pagal ladke ki pagal ladki.
Saily.... Achha baitho kuch der main thoda kaam nipta kar aayi.
Main..... Baithna kya hai, main ja raha hun, ho to gaya jitna kahi utna kar to diya.
Saily.... Arre Crazyboy ko bhi bulaya hai na, aati hun nipta lun thoda kaam.
Saily tabtak apne room me he rahi jabtak ki uska doorbell nahi baja, door bell bajte he Saily daur kar gate pahunchi, uske aankhon me aanshu the, aur najron ke samne Gaurav.
Gaurav ne Saily ko rota dekha to bechain ho gaya, gate se ek kadam ander aaya, ek najar Nainu ko dekha aur Saily se puchhne laga "kya hua"
Saily, Gaurav ki awaz sunte he usse khinch kar ek tamacha lagayi aur chillati hyi kahne lagi .... Nikal jao tum dono mere ghar se.
Nainu ne jab Saily ko aisa karte dekha to jor-jor se hasne laga aur kahne laga... Acting me tumhara bhi koi jabaw nahi. Bechara crazyboy, bewajah pit gaya.
Saily.... Kutteee, tu ab bhi baitha hai yahan, nikal jao mere ghar se nahi to police bulwa dungi.
Girte aanshu aur iss tarah se chillana Gaurav ka to dimag he thanak gaya, abhi ye sab ho he raha tha ki itne me Ankit aur uske mummy papa bhi chale aaye. Ab us samay ki haalat dekh kar sab Saily se puchhne lage ki aakhir hua kya hai.....
Saily ne jabaw dene ke badle sabko kaha ki ye dekhiye .... Usne bite mahine exam ke dauran apni aur Nainu ke bich hui uss chat ko kuch modify kar ke kuch yun dikha di....
Saily.... Kaisa hai baby aur khadus Nainu kahan hai
Nainu..... Fine, aaj khadus so gaya hai
Saily.... Kyon, ab kya exam ka bhut nahi hai uske sir par ?
Nainu..... Pata nahi, thaka tha sayad.
Saily..... Wo to waise bhi thakela tha
Nainu.... Kya kar ri ho abhi ?
Saily..... Umaaaaahhh ! Apne jaan ko kissi, return kissi do ab chalo
Nainu.... Wooooo, ae chhori ye main he hun khadus, thakela, iss Gaurav ki to main aaj khabar leta hun.
Saily.... What ?
Nainu.... Ji haan
Saily..... Nainu, gande insaan. Kisi dusre ka msg padhte sharam nahi aati, aur upar se reply bhi karte ho.
Saily..... Kya hum ek nayi surwat kar sakte hain, apne bich ke cold war ko khatam kar ke....
Nainu..... Achha, humare bich cold war bhi tha, mujhe to nahi lagta.
Saily..... Achha, to phir tum itne chidhte kyon the mujh se, aur mujh par bar-bar ilzam lagana....
Nainu..... Maine kab ilzam lagaya aur kaisa ilzaam lagaya ? Kya aaj Ilzaam movie dekh rahi ho ?
Saily..... Very funny ! Kya tumne nahi kaha tha Gaurav ko "itni jaldi wo ladki khud tumhe purpose ki hai, wo bas timepass kar rahi hai tumhare sath. Tumse pyar nahi karti"
Nainu...... No, maine kabhi aisa nahi kaha, wo Gaurav ki mangharant kahani thi. Sayad tum se kuch favour chahiye hoga. Main to bas pahli mulakaat ke liye chidha tha.
Saily.... Nahi tum jhoot bol rahe ho Nainu, Gaurav ko kahani banani nahi aati. Kahani to tum bana rahe ho.
Nainu.... Achha, itni jaldi itna bharosa......
Saily.... Yesss, mujhe pura yakin hai uski baton par.
Nainu.... Oops ! Mujhe laga tumhare pass dimag nahi hai, par dimag bhi hai
Saily.... Very funny, ab sidhe-sidhe batoge jo main puchh rahi thi ?
Nainu... Haan main aisa sochta tha.
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 42

Dil hai chhota sa, chhoti si asha
Masti bhare mann ki bholi si asha
Chaand taaron ko chhoone ki asha
Aasmaanon mein udne ki asha
Dil hai chhota sa, chhoti si asha....
Mahek jaaoon main aaj to aise
Phool bagiya mein maheke hai jaise
Baadalon ki main odhoon chunariya
Jhoom jaaoon main banke baawariya
Apni choti mein baandh loon duniya
Dil hai chhota sa, chhoti si asha
Masti bhare mann ki bholi si asha
Chaand taaron ko chhoone ki asha
Aasmaanon mein udne ki asha
Dil hai chhota sa, chhoti si asha
Masti bhare mann ki bholi si asha
Swarg si dharti khil rahi jaise
Mera mann bhi to khil raha aise
Koyal ki tarah gaane ka armaan
Machli ki tarah mach loon yeh armaan
Jawaani hai laayi rangeen sapna
Dil hai chhota sa, chhoti si asha
Masti bhare mann ki bholi si asha
Chaand taaron ko chhoone ki asha
Aasmaanon mein udne ki asha
Dil hai chhota sa, chhoti si asha
Masti bhare mann ki bholi si asha
Fairy tales, fairy land jaisi he kahani thi, chhoti chhoti chijon me badi badi khusiyan dhunti Riti. Pariwar me pali-badhi har middle class family ki aagyakari suputri, ghar ka kaam, padhai, aur ghar ke diye sanskaar. In sab se badkar uski apni ek chahat "koi sapno ka rajkumar aayega aur usse dulhan bana kar le jayega"
Jindgi har pal kuch naya sikhti aur sikhati hai, aur sikhne ki chahat apar thi Riti me. Roop jitna sunder tha, swabhaw utna he chanchal, par ghar ke mile mahol ke karan sirf un se he baten karti thi, jinko janti thi.
Kabhi bahut jyada utar chadhao nahi dekhi apni jindgi me, siway iske ki jab koi unchi awaz me baat kar de to aankhon se ganga-jamuna nikal aate the. Himalya ki gode me basa Himachal Pradesh ke Sirmaur jile se thi.
Nahan, Sirmaur ke heart ,me he pure pariwar ka rahna hota tha. Sangit se kaphi lagaw tha aur Mohit Chauhan ki fan kyonki wo bhi ussi sahar se hain.
Nahan me kisi baat ki kami nahi thi, padhne me hamesa aage thi, par kahte hai na koi perfect nahi hota, aisi he kahani thi Riti ki.... ek to koi ro kar kuch kahe to dil jaldi pighal jata tha, aur dusri jo aamuman 60% ladkiyon me ye khamiyan payi jati hain .... Kanjus.
Khair jindgi bilkil sidhi chal rahi thi, do bhaieyon ki eklauti ladli, hamesa do saheliyan.... Ladli aur Priya ke sath wo apna har dina pyar se gujar rahi thi.
Lekin ye jiwan hai, aur kahin na kahin, kabhi na kabhi kuch aisa ho jata hai, jiska paraspar achha ya bura prabhaw ta-umr rahta hai.
Kahte hain college life jindgi ke sabse hasin dino me gine jante hain. Kaam-kaam aur jiwan ki vyast'ta me phasne ke baad log apne moj-masti se bitaye inhi dino ki kalpna karte hain, par ek sachai aur bhi hai, ue waqt me huye sitam pure jiwan par ek alag he chaap chhorte hain.
College ke second year ki ye baat thi, jab chhoti-chhoti ghatnayen fan failaye ek vikral rup lene ke liye taiyar thi, aur in sab se bekhabar Riti apni dost Ladli aur Priya ke sath apne college ke annual day ke function ki taiyari me lagi thi......
Priya..... Ahhh ! Ghante bhar se baithe baithe kamar akad gayi, tum dono ab bhi baithe ho, chhoro isse aur chalo, kal kar lena.
Ladli..... Kamchor, ek to pura din kaam karegi nahi, aur royegi jyada, upar se tujhe baithne me bhi thakan ho rahi hai.
Priya..... Haan bilkul thakan hogi he, yahan sabse jyada kaam main he karti hun, ab jyada bol mat.
Ladli.... Tu aur kaam, rahne de, rahne de, abhi mahine din pahle ki he baat hai jyada din bhi nahi huye uss kahani ko ?
Riti..... Ladli kaun si kahani re, mujhe to tum kuch batati he nahi.
Ladli.... Tujhe nahi pata kya ?
Priya.... Koi kahani nahi hai Riti, ye bas fenk rahi hai.
Ladli... Achha main fenk rahi hun, to chup baith thodi der abhi pata chal jayega.
Priya.... Koi kahani hogi to na, jhooti kahin ki.
Riti.... Chup karo dono, aur yadi yun he jhagra karna hai to nikal jao yahan se, mujhe function ki taiyari karni hai. Ladli ab bolegi bhi baat kya thi.
Ladli... Kuch nahi Riti, uncle-aunty teen din ke liye bahar gaye the, baki kamon ke liye to naukar the, par khana banane ki jimmedari Priya ki he thi, par ek he din kichen ka kaam karne ke baad bimar pad gayi, aur majbooran unhe apna kaam bich me he chhor kar aana para.
Riti.... Heee heee hee hee, sach me .... Kamchor Priya
Priya.... Bas bhi karo tum sab, wo to matr ek sanyong tha, usse mere kaam se jod di. Pagal kahin ki.
Riti aur Ladli lagatar Priya ki khinchai karte rahe, tabhi ek ladka un teeno ke pass pahuncha, teeno uss ladke ko dekh kar shant ho gayi, mahol kuch aisa bana ki teeno usse he dekh rahi thi, aur wo sir jhukaye chupchap khada tha.
Ladli.... Aap kaun hai aur kyon aaye ho.
Ladka..... Ji main Rajeev hun, Prof. Aacharya ne bheja hai, aap ki help ke liye.
Riti.... Sir ne mujhe kuch nahi kaha iss bare me, aur kaha bhi hota to humara kaam lagbhag khatam ho gaya hai, koi jaroorat hogi to main bata dungi.
Rajeev...... Ji thik hai, koi help chahiye hoga to bata dijiyega.
Itna kahne ke baad wo ladka wahan se chala gaya, kuch der baat karne ke baad teeno bhi college se apne ghar ki ore chal di.
Roj ki tarah Riti apni mom ke sath market nikli, halki-fulki kharidari aue ek walk ke liye. Sabji ke ek dukan par jab dono maa-beti kharidari kar rahi thi, pichhe se ek ladke ki awaz aayi.... "Hello maim, how are you"
Riti's mom.... Kaun ho beta tum.
Rajeev.... Ji aunty main, maim ka junior hun aur inke he college me padhta hun.
Riti.... Rajeev aap aise sadkon par nahi toka kijiye, mujhe achha nahi lagta. Ok bye, ab hum chalte hain.
Dono wahan se thode aage nikalne ke baad Riti ki mom kahne lagi.... "Kaun tha ye, lagta hai yahan naya aaya hai kya"
Riti.... Pata nahi mom, aaj mila tha college me, Aachrya sir ne usse humare help ke liye bheje the.
Mom.... Kahin tumhara pichha to nahi kar raha tha. Dur rahna...
Riti aankhen dikhati .... Mommm ! Tum bhi na, wo college me mila tha, ab kya koi market me mil jaye to pichha he kar raha tha kya ? Kuch bhi sochne lagti ho. Waise bhi Achrya sir ne help ke liye kaha tha, to ab wo kuch soch kar he kahenge na.
Mom.... Achha thik hai beta, chal ab ghar chalte hain.
Riti.... Nahi, pahle Sumit bhaiya ke dukan chalte hain, phir ghar chalte hain.
Mom wahan jana to nahi chahti thi par Riti ki jid, jana he para.
Sumit.... Namste aunty, kaisi hai Riti.
Riti.... Achhi hun bhaiya, Mohit sir ka koi song aaya kya ?
Sumit.... Arre tumhe pata nahi, Mohit abhi Nahan me he hai.
Riti.... Sachi... Kab, kahan par hain wo. Mujhe bhi milna hai.
Riti ka expression dekh dono, Sumit aur Riti ki mom, dono jor-jor se hasne lage, unhe hasta dekh Riti ka chhota sa muh ho gaya aur wo samjh chuki thi ki Sumit usse chher raha tha.
Bas itni si he baat thi, aur Riti wahin rona shuru.... "Kya milta hai rula kar, jab dekho tab ek he baat lekar chherte rahte ho, jao main kisi se ab baat nahi karti"
Kaphi samjhane ke baad shant huyi, jate-jate pata nahi mom ko kya sujha aur usne Sumit ko ye kah di ..... "ki koi ladka Riti ka pichha kar raha tha". Riti apni mom par aankhe gurrati, phir se "bas ek sanyog" bata kar sabko shant kar di.
Par kisi ke dil me kya hai ye kaun janta tha, aur aane wala waqt kitna bhayawan tha ya matr ek sanyog.......
_______________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 43

Par kisi ke dil me kya hai ye kaun janta tha, aur aane wala waqt kitna bhayawan tha ya matr ek sanyog.......
Agle din college me teeno saheliyan lag gayi annual day function ki taiyari mai. Riti & friends ke pass stage hosting ka kaam tha, Riti ke pass sare logon ko co-ordinate kar ke unko stage par bhejne ki timing manage karna tha, wahin Priya aur Ladli anchoring karni thi.
Teen din baad ye function organise hona tha aur in teeno ka kaam lagbhag samapt tha. Aaj bhi teeno college ke baad sabhi participant se mil rahi thi aur sab manage kar rahi thi.
Sab function hall ke stage par baithe the, aur Riti sab ke perfomence ki numbring aur timing ko match kar rahi thi, vichar vimarsh kaphi gahrai se chal raha tha itne me wahan par kal wala wo ladka stage par chala aaya.
Achanak se usse dekh kar, Riti aur uske dost hairan rah gaye, aur uski harkaten bhi kaphi ajib thi. Wo teji se hall me aaya tha aur sidha Riti ke pass jakar khada ho gaya.
Wahan jitne bhi student the, sabko laga ki Riti ka koi relative hai, jo yahan aaya hai. Ab mahol kuch aisa tha ki Rajeev, Riti ke pass sir jhukaye khada tha, Riti kaphi hairani se usse dekh rahi thi, aur college ke baki student chup unhe he dekh rahe the.
Riti.... Tum phir aa gaye, boli thi na ki koi help hogi to main tumhe yaad kar lungi.
Rajeev.... Lekin maim, mujhe laga kahin aap ko meri help ki jaroorat hogi aur aap ke pass mera number nahi hoga, aur contact na hone se aap mujhe dhundengi kahan, isliye aa gaya.
Riti ko uske haw-bhaw kuch thik nahi lage, par wo koi tamasa nahi chahti thi, isliye .. "Thanks" kah kar usse apna number dene ke liye boli. Jab wo apna number de diya tab phir Riti uss se kahi ..... "Thik hai ab hai aap ka number mere pass, koi kaam hoga to call kar lungi. j
Rajeev khusi se apna number likh kar Riti ko de to diya par wahan se gaya nahi, iss par Riti chidh gayi, aur chidhti huye kahne lagi ... Kahi to jao, ab yahan murti ki tarah kyon khadey ho.
Rajeev... Maim, aapne to apna number diya he nahi.
Ab kya kare Riti, jitna baat ko talne ki kosis kar rahi thi, Rajeev utna he pichhe para tha. SChinta se bhara Riti ka chehra saaf dekha ja sakta tha. Rajeev ab bhi wahin par chup-chap khada tha, aur sabhi student ab samjhne ki kosis kar rahe the, "ki ye kaun hai, aur yahan ho kya raha hai".
Riti..... Koi Acharya sir ko bukyega.
Wahan baithe student me se ek ne puchh diya..... Kya hua, aur ye ladka kaun hai.
Idhar Acharya sir ka naam sunkar wo ladka wahan se jane laga. Tab Riti ne "kal ke help" wali baat bata di sabko. Thode he der me Aacharya sir bhi chale aaye the aur puchhne par pata chala, unhone kisi ko nahi bheja.
Achrya sir ne sbko uss ladkey ko dhund kar lane ko kahe, lekin pure college me uska koi namo-nishan nahi tha. Riti ko uss ladkey dwara ki gayi himkat par bada he gussa aa raha tha.
College khatam hone ke baad, apni saheliyon ke sath wo ghar nikal gayi. Saam ko apne routein ke hisab se jab taiyar ho rahi thi, tabhi uske mobile par ek anjaana call aaya.
Riti call pick karti.... Hello, kaun hai
Dusri ore se koi jabaw nahi.
Riti.... Helloooo
Dusri ore se phir koi awaz nahi.
Issi tarah 4/5 baar hello ki hogi, par koi jabaw nahi aaya. Itne me mom bhi chali aayi, aur puchhne lagi "Kaun hai beta"
Riti.... Pata nahi maa, udhar se koi bol he nahi rahe, lagta hai network problem hai.
Itna kah kar dono wahan se bajar nikal gaye, market kiya aur wapas apne ghar par. Raat ko Riti apni padhai me lagi thi, tabhi uske mobile par ek ke baad 3 msg lagataar aaye.
Pahla msg.....
Ek khaw si aankhon me basi ho
Jab se dekha deewane huye hain
Rah gayi aashiqi apni bejubaan
Ek najar karam hum par bhi karo
Dushra msg.....
Bahut pyari awaz hai .... Ji karta hai pura din sunta he rahoon, par ye kya tum kewal hello, hello he karti rahi.
Teesra msg.....
Tum bahut khubsoorat ho tum se milne ko dil karta hai, please ek baar milna mujh se.
Sare msg chek karte karte Riti ke chehre par chinta ki sikan saaf najar aa rahi thi, usse samjh me nahi aa raha tha kya kare .... Usne wo teeno msg Priya ko send kar di... Thodi der baad Priya ka call aaya... "Riti, ye kaise msg bheje hain"
Riti..... Priya, ye msg mere pass abhi abhi aaye hain, pata nahi kaun bhej raha hai.
Priya.... Ohh ! Ye baat hai, par ye to achhi khabar hai darling, lagta hai tere sapno ka rajkumar msg kar raha hai, kab milwa rahi hai.
Riti.... Tu pagal hai kya, yahan mujhe kuch samjh me nahi aa raha aur tumhe mazak sujh raha hai.
Priya.... Arre pasand hai to haan kar nahi to ignore kar, ladkiyon ko aise msg aate rahte hain.
Riti.... Hmmm ! Ye bhi thik hai, ignore karna he sahi rahega. Waise main kya soch rahi thi bhaiya ko bata dun, taki uski achhi khabar le.
Priya.... Pagal hai kya, isme bhai ko bich me lane ki kya jaroorat hai.
Riti.... Thik hai, main number change kar leti hun kal. Na rahega number aur na he mujhe wo tang karega.
Iss ek chhote se solution ke baad Riti padhai kar ke so gayi. Agle din subah bhi kayi msg aaye the, Riti bina dekhe sab ko delete kar di, aur college jate waqt us sim ko discard kar ke nayi sim le li.
Par in sab se hone kya wala tha, kyonki ye kisi ladke ki aam fantasy nahi thi, Riti ke pichhe to koi phyco para hua tha, aur ye koi aur nahi wahi ladka Rajeev tha. Din bhar jab usse koi contact nahi hua Riti se, tab wo college over hone ke time par bahar uske raste me intzar kar raha tha.
Teeno saheliyan bas do din baad ke function ke bare me baat kar rahi thi, tabhi achanak se Rajeev unke samne khada ho gaya, aur sidha Riti se puchhne laga... "Aap ne apna number band kyon rakha hai, itna try kiya par har baar switch off he sun ne ko mila"
___________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 44


Riti to uske haw-bhaw dekh sahmi khadi thi, jabaw kya de wo to bahut dur ki baat thi. Priya ne morcha sambhalte usse jabaw dene lagi, par ek wo tha kuch bhi sun ne ko taiyar nahi, wo to bas apni he rag allapt raha aur kahta raha.... Plz aap sab meri baat sun ne ki kosis karo.
Koi natija nahi nikla, uss se baat karna he vyarth tha, anth me teeno usse wahin chhor chali gayi. Aalm ye tha ki ab wo Riti ko har jagah milne ki kosis karta, kabhi ghar ke bahar najar aata, kabhi college jane ke raste par to kabhi market me chupke se.
Iss baat ko bite 20 din se upar ho gaye the, abhi tak iske bare me sirf teen logon ko he pata tha, aur jitna Riti usse ignore karne ki kosis karti wo utna he pichhe para tha.
Anth me teeno saheliyon ne faisla kiya ki Riti ko ek baar us se akele mil kar usse samjhana chahiye. Teeno me sahmati to ban gayi, par ander se Riti kaphi dari hui thi.
Riti apne sath ho rahe padesaniyon ke bare main soch kar bechari gumsum baithi thi, uska chhota bhai Sonu uske pass bait'te huye sidha puchhne laga "kya baat hai, itni udas kyon baithi ho". Pahle to wo Sonu ko talti rahi, phir anth me usne wo sab bata di, jo bhi uske sath pichhle kayi dino se ho raha tha.
Sonu ek samjhdar ladka tha, usne baat ki gahrayi ko samjh te huye bas itna kaha.... Thik hai uss se mil lo aur baat kar ke problem solve kar lo.
Riti ko kuch samjh me nahi aaya ki "kya karna chahiye, aur kya nahi". Apne bhai ke baat par hami bharti usne milne ka faisla kar liya,
Agle din college se wo akeli lauti, aur wo bas apne raste chalti chali gayi. Dimag me kayi khayal aa rahe the, aur kya hoga bas issi ki chinta sata rahi thi. Ander jaise ek ghutan si ho rahi ho.
Apne jhoojhte khayalon me wo bas chali he ja rahi thi, aur jaisa ki ummid kiya ja raha tha, Riti ko akela dekh Rajeev bilkul uske samne aa gaya. Aaya aur bas chup-chap khada raha...
Riti.... Tum kyon padesan kar rahe ho, tumhari wajah se main thik se ji nahi pa rahi hun.
Rajeev... Aur main thik se mar nahi pa raha. Tum mujhe dekhti tak nahi, aur ye zindgi bina tumhare kuch bhi nahi.
Riti.... Dekho ye jabardasti hai, mujhe abhi padhai karni hai, apna carrier banana hai, aur shadi ka decision mere family ka hai, phir kyon tum mera pichha karte ho.
Rajeev... Tumhe carrier banana hai banao, main intzar kar lunga, shadi ka decision aap ki family ka hai wo bhi chlega, par ek baat rah gayi ... In sab me jo ek ladka hoga wo main he hun.
Riti.... Aap samjhte kyon nahi, mujhe chidh ho rahi hai, aap kyon mera pichha kar rahe hain. Bhul jaeye mujhe aur apne kaam me dhyan dijiye.
Rajeev... Aasan nahi hai Riti, maine jab se tumhe dekha hai, thik se so nahi paya aur aap mujhe bhul jane ke liye kahti hain.
Koi fark nahi parne wala tha Rajeev ko, ye kaisa pyar tha jo pagalpan ki seema paar kar chuka tha, aur usse apne priyasi ki padesaniyon ka jarra bhi andaja nahi tha. Jab kisi bhi baat ka koi asar nahi hua to Riti wahan se apne kadam aage badha di.
Par Rajeev ne aisa hone nahi diya, wo teji se uske aage aakar uska hath pakad liya aur apni jid par arr gaya.... "Kah do ki tum bhi mujhe chahti ho, plzzz kah do na. Dekho ek baar kah dogi to main phir tumhare pichhe kabhi nahi aaunga. Kaho na plzzz. Tum kuch kahti kyon nahi, tum ro kyon rahi ho"
Bahut kosis ki, par Riti sahmi si bas uski baten sun kar sisak rahi thi, dimag jaise sunn par gaya ho, aur hath paun kanp rahe the. Idhar jab Riti ne koi jabaw nahi diya to gusse me akar wo apna sir ek per par khud he patkne laga.
Sir itna jor takraya ki khun ki dhara sir se hoti hui pure chehre par aane lagi, aur is khun ko dekh Riti ko chakkar aa gaya. Uske baad kya hua usse yaad nahi par jab aankh khuli to wo apne ghar me thi.
Riti ko aisa laga jaise abhi bhi wo ladka uske aas pass he hai, wo baith kar badi ajib najron se charo ore dekh rahi rahi thi, tabhi uske chhote bhai ne uske kandhe par hath rakha, Riti ko aisa laga jaise wahi hai. Dar kar wo bilkul pichhe khisak gayi, aur khud ko samet li.
Thodi he der me pura pariwar uske sath tha. Sabhi logon ne Riti ko hausla diya, aur kahne lage .. Wo ab nahi aayega, usse police ke hawale kar diya.
Par sachai kya thi ye uska bhai Sonu he janta tha. Police station se jo uski history ki khabar nikali gayi, us se pata chala ki wo ek pagal tha jiski dimagi haalat kuch thik nahi thi.
Kuch din bite honge, Uss ghatna ki yaden Riti ke jehan me dhundhli si hone lagi thi, life bhi normal ho gaya tha, lekin yadi koi pagal hai to uss pagal se pichha kaise chhute.
Ek raat puri family jab khane ke table par thi, tabhi wo ladka sidha uss ghar me Riti-Riti kahta hua ghusa. Aaj to sach me kisi pagal ki tarah he lag raha tha, bal bikhre chehre par dadhi aur gande phate kapdey, jo us din pahna tha, sayad jail se chhutne ke baad sidha yahin aa raha tha.
Usse dekh kar Riti ek baar phir saham gayi, uske kano me bas uske ghar walon ke chillane ki awaz, uss ladke ke mar khane ki awaz aa rahi thi. Jo bhi unki family se ban para wo uss samy Rajeev ke sath kiye. Mara-pita aur report darj karwa diya.
Par in sab ka koi asar nahi hua. Usse jitna dabaya gaya wo utna he khul kar samne aaya. Haalat Riti ki badtar hoti ja rahi thi. Aaye din kabhi wo college me pahunch jata, to kabhi ghar par. Na police ka koi dar, na mar ki koi parwah, jaise ander than liya ho ki "kuch bhi ho jaye Riti ko main pa kar rahunga".
Jisne jindgi me koi dukh na dekhe ho, wo jindgi ke sabse bade dar ka samna kar rahi thi. Ab to jaise hasna bhul gayi ho. Achanak yadi koi aahat bhi hoti to Riti dar kar chilla deti, aur roti apni kamre me chali jati.
Jindgi din-prtidib bad se badtar hoti ja rahi thi. Ghar ki ladli ka aisa haal dekh kar ghar ke logon ne bhi hasna chhor diya. Wo sab bhi kya kar sakte the, na to uss pagal ko mar ka dar tha aur na he kisi baton ka asar.
Anth me yahi faisla hua ki Riti ko Nahan se dur bhej diya jaye, aur Riti apne college ke dusre year me he Delhi apni massi ke pass shift ho gayi. Ghar walon ke alawa baki sabhi logon ko yahi pata tha ki Riti, Pune me hai, apne chacha ke pass.
Us sahar se to dur ho gayi Riti, par dil se dar nahi dur hua. Kisi se baat nahi kar pati thi, bas sara din apne kamre me pari rahna, yahi kaam tha.
Dhire-dhire uski massi ne visawas dilana shuru kar diya ki yahan ab koi dar nahi. Usse wahan bhi wahi family support mila jo usse apne ghar me mila tha, Riti ko normal hote-hote takriban 3 mahine lag gaye.
Iss bich uske second year ka exam bhi ho gaya tha, lekin uska ek saal barbaad ho gaya. Apni mauseri bahan Kavya ne usse phir alag-alag activity me lagayi. Usse bahar le jana, ghumana aur ye ehssas karna ki jindgi me padesaniyon ka samna kiya jata hai darra nahi jata.
Ab Riti ka jyadatar samay Kavya ke sath gujrta, wo uske bootiq center me uski help karti aur sara din wahin rahti. Yun to ab uske jehan me college ke naam par purana dard ujagar ho jata tha, Par Kavya ki jid ki wajah se Riti ne faishon desining karne ke liye haami bhar di.
Riti Delhi me thi, usne apni mehnat se entrance pass kar li aur Indian Institute Of Faishion Desining me uska admission ho gaya. Riti apne massi ke yahan se he college karna chahti thi, par akele rahne aur duniya ko apne najriye se samjhne ke tarj par Kavya ne usse hostel me rahne ka suggest ki.
Kavya ki sari baat Riti ne maan li, par ye iklauti aisi ladki thi, jiski koi chahat nahi thi, Delhi aana aur faishion desing kabhi uska sapna nahi tha par kismat ne sayad kuch aur he soch rakha tha aur Riti delhi me thi.
_________________________
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
UPDATE 45

Jaise kisi sayar ne ek khubsurat gajal likhi ho, Indu bilkul ussi sayar ki kalpnao jaisi thi. Jaise kisi ne khubsurti ka udharn ki kalpna ki ho to Indu ka chehra he najar aaye. Khubsoorti, jiske kayal koi bhi ho jaye aur jiske liye hans kar log qatal ho jaye.
Iski jindgi ne aaj tak koi utar-chadhaw nahi dekha. Nagpur ki ek atyant khubsoorat bala thi, jo uppar middle class se belong karti thi. Family orthodox thi isliye sadgi se rahna aur family restrictions ko man na iska bas itna he kaam tha.
Pahnawa bilkul Bhartiya ladkiyon ki paridhan ki tarah tha, Salwar kurta. Kisi ladke se baat na karna aur kisi ko najar utha kar bhi nahi dekhna. Par dekhne wale jab isse ek jhalak dekhte to unka khun current ki tarah daurne lagta tha.
Iske deewano ki kami nahi thi, bina Indu ki jankari ke kitne he ladkey aapas me lad gaye ho sirf iss baat ke liye ki uske raste ki pahredari sirf main karunga, aur yadi koi dusra usse patane ki kosis kiya to gaya.
Indu ke liye aise maar karne walon ki kami nahi thi. Kaiyon ne himmat kar ke usse purpose bhi kiya par wo sabki baat ansuni kar ke chali jati thi.
Saaf suthri chhawi aisi ki kayi manchalon ki pitayi uske jan ne walon ne kar di thi aur kayi police ke hawale chale gaye. Uske aashikon me Rohit sabse bada aashiq tha. Yun kah le, to deewana tha uska, aur uska bas ek he lakshya, kisi tarah Indu uske bahon me aa jaye.
Bahar ki life se lekar ghar ke logon ka pura bio-deta Rohit ke pass tha. Usse pane ki kosis me uske bhai se bhi dosti kiya, par koi fayda nahi. Kayi baar uske ghar ja chuka tha, par ghar me ek jhalak tak nahi mili, yadi koi anjaan aata to wo apne kamre tak se bahar nahi nikalti thi.
Ab haal-e-dil Rohit ka kaun samjhe ki wo kyon Indu ke ghar jata hai. Koi bhi chaal, koi bhi paintra usse kamyab nahi kar pa rahi thi. Par usse kya pata tha ki iss sadgi ka sach kuch aur he hai, aur jab parde ke pichhe ki sachai samne aayegi to Rohit ke pawon tale jamin khisak jayegi.
Sunday ke din kisi tarah ki koi ummid he nahi hoti ki Indu apne ghar se bahar aaye. Lekin isse kismat kahe ya Rohit ka bad luck. Sunday Rohit hotel Le Merdian, Nagpur me ek kamra book karwa kar uski lobby me ek ladki ka intzar kar raha tha.
Din ke karib 11 baj rahe honge, tabhi uss hotel muh bandhe ek ladki ne entry ki sur sidha first floor ki ore chal di. Chal dhal se Rohit ko shaq hua ki ye Indu he hai, aur wo uske pichhe gaya. Room no. 1106 ke pass wo ladki thoda ruki, left-right dekhi, aur us kamre me ghus gayi.
Uss ladki ke ander jate he Rohit bhi room 1106 ke pass gaya, aur key hole se ander jhakne laga. Kuch najar nahi aa raha tha. Hotel ke uss kamre me koi nahi tha. Thodi der taka-jhanki kari, fir socha sayad ye uska waham ho sakta hai.
Jaise he Rohit ne mann banaya ki ab usse apni bulayi ladki par dhyan dena chahiye, waise he uski dhdkane bahar aa gayi. Najron ne jo dekha wo viswas se pare tha, aur jis ladki ke sapne wo tanha raton me dekhta wo nangi kisi ki bahon me thi, jise wo aadmi sayad batroom se la raha tha aur la kar bistar pa patak diya.
Rohit ka khoon jaise khaul utha ho... Na jane kitni fielding kiya tha, par yahan match ka main player koi aur. Aage jo uss kamre me ho raha tha wo Rohit ke bardast se pare tha, lekin kar bhi kya sakta tha.
Usse kuch nahi sujha aur room ka darwaja jor-jor se khat-khatane laga. Khat-khatane ke baad jab ander jhanka, to dekha Indu apne kapre smet kar batroom ki ore ja rahi thi, aur uss aadmi ne lower pahan kar darwaja khola.
Ander aate he Rohit aag babula hokar Indu-Indu chillane laga. Iss se pahle wo aadmi kuch samjh pata aur koi action le pata, Indu batroom se bahar aayi. Badan chadar se dhaka tha, aur aankhen bilkul gusse me laal.
Indu.... Kya hai, kyon gala phad rahe ho.
Rohit ne pahli baar uski baat suni thi ... Aur sun kar bilkul dang rah gaya. Wo aadmi Indu ko kuch kahne he wala tha uss se pahle he Indu bol pari ... Suniye Sinha sir aap ko ghabrane ki koi jaroorat nahi hai, aur suno tum .... Tum yahan khadey kya dekh rahe ho, kya pura show live dekhna hai, niklo yahan se, aur niche intzar karo, main jarra kaam nipta kar tum se baat karungi.
Rohit bilkul gusse me pagal hota.... Tu samjhti kya hai apne aap ko, main abhi police ko call karta hun, aur tab ye akad usse dikhana. Tumhe to main barbaad kar dunga. Sala din raat paglon ki tarah pichhe para raha main, aur tum yahan .... Ruk tujhe to main sabak sikha kar rahunga.
Indu.... Tujh se jo ban pare wo kar lena, par ek baat tay hai phansega tu, aur meri image apni jagah par rahegi, ab puchh kaise....
Rohit bas gusse se hunkar bharte sawaliya najron se dekhta raha ... Tab Indu ne uski baat clear kar di .... Mujhe bas police se itna kahna hoga, tum mere bhai ke dost ho aur main yahan kaam se aayi thi tab mujhe tum yahan jabardasti le aaye aur mere sath jabardasti kar rahe the, tab Sinha ji ne aakar mujhe bacha liya. Gadhe ho .. Lagta hai filme nahi dekhte. Ab bhagta hai ya main khud he police bula dun.
Rohit jaise paglon ki tarah karne lag gaya ho. Usse to yakin he nahi ho raha tha ki ek nihayat he sarif dikhne wali ladki aisa karegi aur itne confidence se usse kahegi bhi. Waqt ulta tha, aur Rohit in sab mamlon ki najakat samjhta tha, isliye usne jane me he apni bhalai samjhi.
Lobby me takriban 3 ghante intzar ke baad Indu niche aayi, Rohit ko ishara ki, aur uske sath bahar chal di. Dono baithe car me ....
Rohit.... Ye sab kya tha, aur tum aise...
Indu... To tum kya meri aarti utarne wale the ya tum bhi mujh se wahi sab chahte the jo abhi main kar ke aayi.
Indu ke dwara ye ek aur jhatka tha Rohit ko. Itni tej-tarrar bhi ho sakti hai iss baat ki kabhi kalpana bhi Rohit ne nahi kiya tha.
Rohit.... Tum aisa kaise kah sakti ho, aakhir janti he kya ho mere bare me.
Indu... Tum ek third class aawra ho, jo yahan ke Fg mall ke owner Suresh Naktode ka ladka hai. Ab tak mere liye kaiyon ko maar chuke ho, aur tumhare bistar tak main kaise pahunchu iss baat ke khaw dekhte rahte ho.
Rohit... Nahi main aisa nahi hun
Indu.... Chal be, ye saraft ka path unko padhana jo ali bag se aaye hain. Indu hun main Indu. Mere aage pichhe dono aankhen hain.
Rohit..... Hmmm ! Tu to bahut chalu nikli, main kha-m-kha itna padesan ho raha tha tere liye. Pahle pata hota tu aisi hai to ab tak maze lut chuka hota.
Indu.... Dobara aise baat ki na to kahan gayab karwa dungi tujhe pata bhi nahi chalega. Tum kya mujhe call girl samjh raha hai. Wo upar jo aadmi tha na wo central ministry se tha, main na aati bich me to aaj he gayab ho jata.
Rohit.... Pagal ho raha hun main tumhe sun kar, tum ho kya aakhir, aur ye sab kyon karti ho.
Indu... Tujhe mere bare me jyada jan ne ki jaroorat nahi hai, aur ye sab main apne maze aur apna kaam aasani se ho jaye isliye karti hun.
Rohit ab shant hokar usse upar se niche tak dekhne laga ... Aur sochne laga .. Itni bold to mini-skirt wali bhi nahi hogi. Pata nahi ye chij kya hai, isse dimag se deal karna hoga. Ab jab jaan he gaya hun to kyon na ye mere bhi bistar garam kar de.
Indu.... Mere sath sex ke bare me soch raha hai harmkhor.
Rohit... Aaa, bbbb, woooo.. Nahi to, main bas soch raha tha ki kitna kuch raaj hai jo duniya nahi janti hai tumhare bare me.
Indu.... Main kya celebrity hun, jiske bra ka size bhi news banta hai. Duniya nahi janti aur tum batane bhi gaya to iss duniya ko koi intrest nahi. Mujhe to aisa ban'na hai jiski ek kahani ke liye, paper, media sab aankh garaye rahe. Mujhe bas page three ka star ban'na hai.
Rohit..... Achha to ye baat hai, isliye abhi se practice kar rahi thi.
Indu.... Tu pagal hai, jyada na soch mere bare me nahi to mental hospital me admit ho jayega. Rahi baat practice ki to wo to main na jane kitne salon se karti aa rahi hun, kaam ka kaam aur maze ke maze ho jate hain. Waise tere liye mujhe hamdardi hai, mere kuch kaam hai wo kar de to tere sapne bhi pure ho jayenge.
Rohit apni aankhen phad puchhne laga .... Kyaaaaaa ????
Indu.... Uss admi ko dekha na, usne mere admission ka kaam kar diya hai Faishion desining ke top college me, tujhe bas 2 kaam karna hai. Ek to ye ki mere ghar walon ko raji karna mujhe Delhi bhej de padhne, aur dusri ki delhi me ek scooty ka bandobast.
Rohit..... Scooty kya main to car ka intzam bhi kar dun Delhi me, par ye tumhare ghar se permission lene ki baat samjh me nahi aayi.
Indu.... Car dega to kya uska petrole tera baap bharwayega, scooty he thik hai, waise bhi two wheeler jam me nahi phansti. Aur ghar ki baat par shock kyon hai, wo mere ghar wale hain, sab purane khayalaton wale. Meri padhai ke baad meri shadi karwa denge aur puchhenge bhi nahi. Halanki yadi aisa hota to main ghar chhor kar chali jati, par abhi ke samsya me ghar chhor kar bhi nahi ja sakti, isliye unko raji kar de, aur phir......
Rohit.... Par kaise...
Indu.... Tum pahle aise ladkey ho jise mera bhai ghar tak laya, ab bhai ko pata kar tumhara kaam to nahi bana, par iss art se mere ghar walon ko pata lo, sayad tumhara kaam bhi ho jaye.
Rohit ke akal se parda hata, usse samjh me aa gaya kya karna hai, aur jit me mili thi Indu ka sath. Rohit lag gaya apne kaam me.
 
Top