kahani kaafi uljhano se bhari hain... pehle update mein jo ladka dard mein rota hain wo kaun tha... kisne usse chhor diya bina jawab diye uske pyar ko thukra diya... jaise koi wajood hi na tha uska,,, berukhi ka karan toh bata ke jaati... taaki galti bhi samajh aati... kya uss ladki kee koi majboori thee ya wo bewafa nikli...
***
doosra adhyay se aaye naye kirdar Baldev pariwar ke roop mein... pita, mata aur putra.. shanakya ya shaan,, kahani ka nayak samjhe.. kahir abhi tak toh kahani issi ke ird gird ghum rahi hain... lekin phir wahee baat uljhane baaki hain wo rota ladka kaun tha... shaan ke pariwar ek ameer khandan.. pita rayees hain,, chahta hain beta unke kaamo mein haath bataye na kee game developer jaise chhote kaam kare... akhir galati kya hian uss kaam mein,, thora wakt toh dena chahiye...
***
pita nahin samajhte apne bete ko... lekin jis tarah se unhone darshaya kee uske bina wo apna bhojan nahin karte,, akhir itna prem aur phir aisi berukhi,,, khair maa hain jo dost bhi hain aur guardian bhi... fikra hain bete kee toh thori jasoosi kar leti hain... lekin aaj ke jamane mein bachho ko privacy bhi chahiye,, jo jahir hain ek dayre mein jaroori bhi hain... lekin iss privacy ne in maa bete kee beech mein doori badha dee hain... jo batcheet har chhote bare uljhano pe hoti theee aaj wo simat ke hi hello,, good morning and good night tak hi rah gayee hai...
***
ek lauta beta hain maa ko wo kami khalti hain jab wo uske pass baith ke apni har baate share kiya karta tha... phir aayee bramhastra maa ke aansoon jo ek maa se pyar karne wala beta katai nahin dekh shakta hain... wo doori bas chand aansoo hi door thee.. phir se laut aaye ussi gali... maa chahti hain usse baate karna uski baate sunna,, kuchh apni sunana... akhir pati ke baad ek wahee toh insan hain iss ghar mein.. aur oopar se itne kareeb hote the kabhi...
***
kahir ek aur nayee kirdar ne entry marri .. ek police wala aur ek breakfail waali aurat jisne jaan bujh ke ya phir sharab ke nashe mein pata nahin par thok dala,,, bechare pathhar ko,,, ab wo bhala shikayat bhi nahin kar shakta hain... khair marne se toh bach gayee nahin toh behoshi ke aalam mein hi yamraj ke darbar mein neend khulti... khair rahul miya ain mauke pe pahunch ke bacha liye... ab yeh rahul kya wahee kirdar hain jo kisi kee yaad mein sadak pe rote hue phone tor raha tha... dekhte hain yeh saare kirdar kaise ulajhte hain aapas mein...
****