Mega Update 5 – Arjun: The Mystery Devghar
(Reacp : Darwaza Mat Kholna! – The Terror Continues)
"DARBAAZA MAT KHOLNA, BETA!!"
Rajeswari Devi ki cheekhti awaaz ab bhi kaanon mein goonj rahi thi. Arjun sitti-pitti gum ho gayi. Maa itni ghabrahat mein kyun hai?
Kamra thoda andhera ho chuka tha, sirf ek mombatti ki dhak-dhak karti roshni bach rahi thi. Arjun ne ghabrakar pucha,
"Maa! Kya ho raha hai!!??"
Lekin Rajeswari Devi bas ek hi cheez keh rahi thi, "Darwaza mat kholo… nahi toh sab barbaad ho jayega!"........
Bahaar hawa ek ajeeb si bhayanak seeti bajane lagi thi. Jaise koi chhupkar dheere se hans raha ho…..
Arjun ne dheere se darwaza ki taraf dekha. Koi uspar hath rakh raha tha—
thap....-thap.....-thap.................!!
Lekin andar se sirf ek sannaata tha.
Rajeswari ne ek patla dhaaga uthaya aur darwaze ke paas rakh diya. Uske chehre par chhati hui ghabrahat ab bhi barkarar thi.
Arjun ne dheere se kaha, "Maa, yeh sab kya hai?"
Lekin uske kehne se pehle hi ek aur awaaz aayi
"HISSSSSSS…"
Jaise koi zameen ke neeche se fufkar raha ho… jaise ek saanp lekin insaan ki tarah kuch bolne ki koshish kar raha ho.
Arjun ki ridhayein tez ho gayi. Usne dekha, maa ne aankh bandh karke mantr bolne shuru kar diye.
…
Tabhi Bahar se aur awaj tez hone lagi thi . "Arjun.... Arjunnnn.,....
Kisi ki awaaz use bula rahi thi, jaise koi use apne paas bulana chahta ho… jaise koi bahut dino se uska intezaar kar raha ho!
Tabhi ek aur awaaz aayi
"Mat chhoona us darwaze ko, beta!!!"
Arjun ne dekha ki Dadaji—Bhadranath—tez kadam uthate hue andar aaye. Unka chehra gusse se bhar gaya tha. "Rajeswari, tumne ise ab tak nahi bataya?!"
Rajeswari Devi chup rahi, par unki aankhon me dukh tha.
Arjun ek second ke liye ruk gaya. Kya chhupa rahe hai ye log?
............Dadaji ne kaha, "Agar ye darwaza khul gaya, toh sirf ek jaan nahi jayegi, ek pura Yug jal jayega!"...
Arjun ab aur nahi rukh sakta tha. Usne zor se kaha, "Mujhe sach batao! Yeh sab kya hai?"
Rajeswari Devi ne dheere se aankh uthayi, aur bas ek hi baat boli—
"Wapas aagaya hai…"
Arjun ne poocha, "Kaun?"
Aur tabhi… ek tez awaz aayi!
"THAAAD!"
Darwaze par zor se kisi ne haath maara. Ek bhayanak chhaya darwaze ke neeche se dikh rahi thi!
Arjun ne aage badhne ki koshish ki, lekin Bhadranath ne uska haath pakad liya. "Agar tune darwaza khola, toh tujhe sirf maut nahi milegi, tujhe apni aatma bhi bechni padegi!"
Aur tabhi ek aur awaaz aayi—
Arjuuun… Darwaza khol do, beta… Main tumhari maa hoon…"
Arjun ka dil ek pal ke
liye ruk gaya. Maa? Lekin Maa toh yahaan hai?!
Phir bahaar kaun tha…?
Aur AGR maa bahar hai to mai jinke sath andar hu wo kon... Arjun ki dhadkan ekdum sunn pad gayi thi ye sun ke
To be Continued..........
Guy's
Please like aur comment jarur kijiyega agar
aapko pasand aaye ,isse muje kahani likhne me aur support milega
Jitne bhi silent Readers hai please unse request ki agar aapko story aur updates pasand aaya hai to like aur comment jarur kijiyega...