• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Arjun - The Devgadh Mystery

RED Ashoka

New Member
86
203
34
STATUS : Update 9 posted.. guys

Info: Note

Guys agr aapko story pasand aayi h to jarur batayen aur
Kyoki aapke support ki bahut jarurat hai..
Aur maine ye notice kiya h ki utna support nahi
Mil raha hai...

INDEX
Update 1Update 2Update 3Update 4
Update 5Update 6Update 7Update 8
Update 9Update 10Update 11Update 12
Update 13Update 14Update 15Update 16

click to Read here ---Family introduction

More updates will be added as the story progresses

.
 
Last edited:

RED Ashoka

New Member
86
203
34
Ab yeh kia locha h maa tow Ander h tow yeh baher kon h Jo khud ko Arjun ki maa Bata Rahi h
Kia Arjun ki asli maa nahi h iss Dunia me ya fir bahaer sirf ek chalawa h Jo Arjun ko kisi tarah baher bulana chahti h
Or dada ji kia Keh rehe ki Arjun ko abhi kuch bataya nahi kia
Baherhal dekhte h aage kia hota h
Zabardast shaandar update
Suspense suspense suspense suspense bro...
 
RED Ashoka

New Member
86
203
34
Ab kia chakker h Arjun ke baap ki maut ek aag thi yeh kia tha samajh nahi aaya
Or dada ke mutabik agaer Arjun ko Sach jaan na h tow purani mandir jao tow kia waha saare sawalo ke jawab
Hmm .... bilkul
mil jayege or bhala sawalo ke jawab kon dega bhala
Ye to aapane wale updates me pata chalega

Ab yeh kon si atma h Jo Arjun rok Rahi h
Ek atma h Jo bula Rahi or doosri atma rok Rahi h
Hmm.. enjoy the thriller bro
Dekhte h ab Arjun kia kerta h
Badhiya shaandar update
Thank you bro
Aapke sabhi doubt aane wale upadte me thode clear honge and kuch naya bhi pata chalega
Bus aise hi support banaye rakho
Just wait for upcoming updates...
And again thank you 👍
 
Sandeep singh nirwan

Jindgi na milegi dobara....
10,821
69,227
259
Update 6 : Andheri Raat ka Rahasya

(Recap : Arjuuun… Darwaza khol do, beta… Main tumhari maa hoon…"
Arjun ka dil ek pal ke liye ruk gaya. Maa? Lekin Maa toh yahaan hai?!

Phir bahaar kaun tha

ha…?)

Rajeshwari mantra bolti rahi aur phir bahar se awaj aana bhi band ho gayi lekin mantr Bolte Bolte achanak thakan se behosh ho gayi

Aur andar wahi khauf aur sannata tha

Ab aage

Arjun ke mann me hazaaron sawaal ghoom rahe the. Maa abhi bhi behosh thi. Bahar kaun tha? Aur agar woh asli maa nahi thi, toh kya woh kisi atma ka dhoka tha?

Dadaji, Bhadra nath, ek kone me chupchaap baith kar mala japa rahe the. Unke chehre par chinta ki gheri lakeeren saf dikh rahi thi. Arjun ne dheere se poocha—

"Dadaji… Yeh sab kya ho raha hai?"

Bhadra nath ne apni aankhen kholi. Unka chehra thanda par ek ajeeb si gehrayi liye hue tha.

"Beta… Har sawal ka jawab milna zaroori nahi hota. Jo cheezein dikh rahi hain, unse zyada jo nahi dikh rahi, wahi asli dar hota hai."

Arjun ghabra gaya. Yeh shabdon ka jaal uske mann me aur bhi zyada bechaini bhar raha tha.

"Par dadaji, agar yeh sab kuch sach hai, toh mujhe bataiye. Sach kya hai? Maa kyun aise react kar rahi thi?"

Bhadranath ne ek gehri saans li. Fir dheere se bole—

"
Tere baap ki maut ek aag thi. Ab woh aag tujhe bula rahi hai."

Arjun ka sharir ek pal ke liye sun ho gaya. Yeh kya keh rahe hain dadaji? Usne sun rakha tha ki uske pita ek bimari se mare the. Lekin yahaan koi aur hi kahani chal rahi thi!

"Dadaji, mujhe sach bataiye!" Arjun cheekh pada.

Bhadranath ne ek pal ke liye uski aankhon me dekha. Fir bola—

"Agar sach janna hai, toh tujhe purane mandir ke paas jaana hoga. Wahan tujhe tujhe tere jawab milenge."

Arjun ke dil me ajeeb si ghabrahat thi. Purana mandir… Woh mandir jo Devghar ke sabse dare hue kone me tha!

Andheri Raat:

Raat aur bhi gehri hoti ja rahi thi. Shanti Devi ab thodi behtar lag rahi thi, par abhi bhi unki aankhon me dar tha.

Arjun apne kamre me aaya, lekin uska dimaag shant nahi ho raha tha. Mandir jaana chahiye ya nahi?Aur ye dadaji kis raj ki baat kr rhe hai ,ye sab kya ho raha hai......

Tabhi, usse mehsoos hua jaise koi uske paas khada hai. Thandi hawa ka ek jhoka… Aur ek ajeeb mehak!
d56bad4e-4c20-4fb3-9035-187b040167f6

Uske dil ki dhadkane tez ho gayi. Dheere se usne peeche dekha. Ek saya… Ek aurat ka saya!

Usne dheere se kaha, “Arjun…”

Arjun ka dil ek pal ke liye ruk gaya. Woh awaz madhur thi, lekin usme ek ajeeb si kashish thi.

Ek thanda haath uske gale ke paas aaya… Uski saansein tez ho gayi. Yeh kaun hai? Yeh koi sapna hai ya haqeeqat?

"Tumhe bula rahi hai… Wahan mat jao…" Us awaaz me ek ajeeb si vyakulta thi.

Arjun ka dimaag sun ho gaya. Yeh kaun thi? Ya fir koi aur shakti jo usse rok rahi thi?

Next Update Me:

Kya Arjun purane mandir jayega?
Aur yeh ajnabi sparsh kiska tha?
Agle update me milega jawab!

Guy's
Please like aur comment jarur kijiyega agar👍👍 aapko pasand aaye ,isse muje kahani likhne me aur support milega
Jitne bhi silent Readers hai please unse request ki agar aapko story aur updates pasand aaya hai to like aur comment jarur kijiyega...
Arjun ki halat patli ho gayi maa ko andar bahar dekh kar aur upar se dadaji ki baate bechare ki halat aur buri kar rahe h...ye toh confirm h devgarh ke purane mandir filhal jane se raaz khulne se jayda ulaj jayenge...ya toh arjun jo jaanna chahta h uski jhalak milegi ya fir aur musibat mai pad jayega...
Suspence toh bahut creat ho gaya h ..update shandaar raha...readers ko padhne par majbur karne ke liye aur next update ka wait karne par majboor kar dega👏👏👏👏👏👏👏👏
 
RED Ashoka

New Member
86
203
34
Very Thank you bro 👍
Arjun ki halat patli ho gayi maa ko andar bahar dekh kar aur upar se dadaji ki baate bechare ki halat aur buri kar rahe h.
Bilkul....use to shock pe shock lage hai
..ye toh confirm h devgarh ke purane mandir filhal jane se raaz khulne se jayda ulaj jayenge.
Hmm .. baat me dam hai
..ya toh arjun jo jaanna chahta h uski jhalak milegi ya fir aur musibat mai pad jayega...
Aage updates me pata chalega ye to
Suspence toh bahut creat ho gaya h ..update shandaar raha...readers ko padhne par majbur karne ke liye aur next update ka wait karne par majboor kar dega👏👏👏👏👏👏👏👏
Again Thanks bro ,
Aapka review dene ke liye .. acha laga ki aapko pasand aaya
Next update jald hi aayega
 
Last edited:

RED Ashoka

New Member
86
203
34
Update 7: Gaon ka safar

Subah ka suraj abhi thoda hi ugha tha ki haveli ke aangan mein ek ajeeb si sannata tha. Arjun aangan mein aaya, toh dekha ki Dadaji (Bhadranath) tulsi pujan kar rahe the, aur Shanti Devi unke paas khadi thi—par unka chehra thoda utre hua tha.

SAVE-20250207-141233
Arjun ne ma ke kareeb jaakar pucha,"Maa, kal raat... woh sab kya tha? Tum itni ghabrahat me kyun thi?

Rajeshwari devi ne thoda jhijhak ke kaha,"Beta, kabhi kabhi... raaton mein purani yaadein aa jati hain. Sab kuch theek hai."

Dadaji ne ek gehri nazar Arjun par dali aur bola,"Beta, kuch cheezein jitni jaldi bhool jao, utna achha hota hai."

Par Arjun ke mann mein yeh baat aur gehri baith gayi. Kya ye koi purana raaz jo hawaon mein ghoom raha tha?

Aaj Arjun ne socha ki gaon ke andar ghoomkar thodi purani yaadein taaza karega. Bahut saal baad aaya tha yahaan, par jaise hi bazaar ki taraf kadam badhaya, uske andar ek ajeeb sa ahsaas jaaga.

Gaon ke log usse dekh rahe the—kuch shanka bhari nazar se, toh kuch bechaini se.

Ek budhiya jo sadak ke kinare beedi bech rahi thi, usne Arjun ko dekha aur dheere se bola,"Beta, tumhe yahaan nahi aana chahiye tha..."

Arjun ne chokkar kaha,"Kyu? Yeh toh mera hi gaon hai!"

Budhiya ne sirf ek baat boli,"Yeh wahi gaon hai jo tha, par ab waisa nahi raha..."

Uski baatein adhoori thi, jaise koi ankahee kahani ka ek tukda.
Jab Arjun wapas lautne laga,

" toh mandir ke paas ek ladki khadi thi."
Uske baal hawaa mein ud rahe the,
aur uski aankhein seedha Arjun par tikki thi—gehri, samajhne layak nahi... jaise kisi raaz ko chhupa rahi ho.

Jaise hi Arjun uske kareeb aaya, us ladki ne dheere se kaha,"Tum Devghar ke ho na?"

Arjun ne haan mein sir hila diya.

Ladki ne ek pal ke liye chup rehkar kaha,"Fir bhi tum zinda ho?"

Arjun ka dil ek pal ke liye tez dhadak gaya. Yeh kaisi baat thi? Yeh ladki kaun thi? Aur iske kehne ka matlab kya tha?

Andhera Badhta Ja Ra tha-----

Arjun abhi bhi us ladki ki baat ko lekar uljhan mein tha,

ki achanak mandir ke peeche se hawa ka ek teekha jhonka aaya.
Ghantiyaan zor se bajne lagi.

SAVE-20250207-142057
Us ladki ki aankhon mein ek alag si chamak thi. Usne dheere se Arjun ki taraf kadam badhaye aur bola,

"Tumhe sach nahi pata... par sach jald hi khud tumhare samne aayega...

Arjun ke mann mein ab sirf ek sawaal ghoom raha tha—yeh ladki kaun hai? Kya yeh kisi bade raaz ki shuruaat hai?

Jaise hi Arjun peeche mudne laga, ek door se aati aawaaz ne use rok diya…
"Arjuuun.... mat jaa..."

Arjun ne tez se peechhe dekha—par wahan koi nahi tha!

Suspense Continue ........

Yeh ladki kaun thi? Kya yeh Devghar ke bhootaha raaz ka hissa hai?
Gaon wale Arjun ke lautne se itne bechain kyun hai?
Aur sabse badi baat—jo awaaz Arjun ne suni, woh kiski thi?

To be continued....

Guy's

Please like aur comment jarur kijiyega agar👍👍 aapko pasand aaye ,isse muje kahani likhne me aur support milega
Jitne bhi silent Readers hai please unse request ki agar aapko story aur updates pasand aaya hai to like aur comment jarur kijiyega...
 
Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
42,080
37,277
304

Nice update
kya saare gaon wale mare hue hai, aatmaon ke gaaon mein ye kya ?
 
  • Like
Reactions: RED Ashoka

RED Ashoka

New Member
86
203
34
Nice update
Thank you
kya saare gaon wale mare hue hai, aatmaon ke gaaon mein ye kya ?
........ Lgta to aisa hi hai.
shayad unhone kuch aisa dekha ho ya wo aisa jante ho .. ya aur kuch... jaisa aapne kaha....
kya pata.....!🤷.. aage pata chlega .. enjoy the suspense....
 
Last edited:

Ashish120

RIP
Staff member
Sectional Moderator
22,330
19,785
229
Superb update bhai
 
  • Like
Reactions: RED Ashoka
Top