• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Arjun - The Devgadh Mystery

End me kya hoga

  • Arjun devghar ke shrap ko khatam karega

    Votes: 0 0.0%
  • apne pita ki tarah hi ek raaz ban jayega

    Votes: 0 0.0%
  • Shraap khatam kr sab kuch kho dega

    Votes: 0 0.0%
  • Dusri dimension me chala jayega

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    0

RED Ashoka

New Member
91
229
34
Last edited:

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
42,087
37,285
304
Nice thought... Dekhte hai aage kya hoga

Haa.. yahi to mystery hai jo use janni hai ..wo jitna koshish karta hai ... Raaz aur suspense utna hi badhta jata hai..


Bilkul..wo bhi ek hai ya alag alag...pata nahi

Sure bro ..mai bilkul try krunga..bada update dene ka... Aage ke update jyada words ke saath honge ... Abhi to bus starting phase chal raha..

Par utna support hi nahi mil raha... jisse mai inspire hou... Apne readers ko jitna ho sake utna best dene ka..😔
Koi ni phir bhi mai bilkul best aur update bada dene ke try krunga...
Bus support thoda support ho.......

Shyad logo ki meri ye story pasand nahi aa rahi ho utni.......
Sach bataun to iss wale genre mein support karne wale kam hi log hai.....par jo bhi milenge wo acche se support karenge....
update regular dene se thode time mein log aa jaate hai....
Horror genre mein jyada stories nahi hai par jo bhi hai wo kammal kammal ki stories hai yaha pe....
check karna agar kabhi time mile to harshit1890 ek aur writer hai jinka naam nahi aa raha abhi pata nahi kyun....
Nadi ka Rasasya karke story ka naam hai
 

RED Ashoka

New Member
91
229
34
Sach bataun to iss wale genre mein support karne wale kam hi log hai.....par jo bhi milenge wo acche se support karenge....
update regular dene se thode time mein log aa jaate hai....
Horror genre mein jyada stories nahi hai par jo bhi hai wo kammal kammal ki stories hai yaha pe....
check karna agar kabhi time mile to harshit1890 ek aur writer hai jinka naam nahi aa raha abhi pata nahi kyun....
Nadi ka Rasasya karke story ka naam hai
Bilkul bro ... ye to sach kaha.. yaha horror story ko utne log pasand nahi krte .... Pata nahi kyu....
Par sabki apni choice h...we can't do in it....

Agar ek baar wo pdhke feel kare to ye ek alag maza and different vide deta h.....
Lekin ye baat to sach h ki is forum pe sabse kam views wali koi genre hai to horror hai....

... Yaha log jyadatar incest wagera ya sex type jyada pasand krte hai(jo ki kafi achhi bhi Hoti hai). ....na ki utna horror and suspense......

But phir bhi mai apni puri koshish karunga....ki log story pasand kare aur horror genre ko bhi importance de....

Waise sach kahu ,log sex stories pasand krte.....jo ki achhi baat hai...........
par shyad unhe ye nhi pata ki horror sex ka level hi alag hota h ... - According to me ..... Wo mahul ek alag vide deta h....

Agr kuch galat likha ho ya kisi ko bura laga ho to dil se sorry.....🙏🙏 Just sharing my thoughts....
 
Last edited:

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
42,087
37,285
304
Bilkul bro ... ye to sach kaha.. yaha horror story ko utne log pasand nahi krte .... Pata nahi kyu....
Par sabki apni choice h...we can't do in it....

Agar ek baar wo pdhke feel kare to ye ek alag maza and different vide deta h.....
Lekin ye baat to sach h ki is forum pe sabse kam views wali koi genre hai to horror hai....

... Yaha log jyadatar incest wagera ya sex type jyada pasand krte hai(jo ki kafi achhi bhi Hoti hai). ....na ki utna horror and suspense......

But phir bhi mai apni puri koshish karunga....ki log story pasand kare aur horror genre ko bhi importance de....

Waise sach kahu ,log sex stories pasand krte.....jo ki achhi baat hai...........
par shyad unhe ye nhi pata ki horror sex ka level hi alag hota h ... - According to me ..... Wo mahul ek alag vide deta h....

Agr kuch galat likha ho ya kisi ko bura laga ho to dil se sorry.....🙏🙏 Just sharing my thoughts....
arre wahi to.....jo mazza horror sex mein hai wo alag hi hai...
par ab jaisi jiski soch...
aap likho.....regular rahne pe khud se log aa jaate hai....

bura kya :lol: sahi baat bol rahe ho....
 

Sandeep singh nirwan

Jindgi na milegi dobara....
10,856
69,402
259
Update 7: Gaon ka safar


Subah ka suraj abhi thoda hi ugha tha ki haveli ke aangan mein ek ajeeb si sannata tha. Arjun aangan mein aaya, toh dekha ki Dadaji (Bhadranath) tulsi pujan kar rahe the, aur Shanti Devi unke paas khadi thi—par unka chehra thoda utre hua tha.


SAVE-20250207-141233
Arjun ne ma ke kareeb jaakar pucha,"Maa, kal raat... woh sab kya tha? Tum itni ghabrahat me kyun thi?

Rajeshwari devi ne thoda jhijhak ke kaha,"Beta, kabhi kabhi... raaton mein purani yaadein aa jati hain. Sab kuch theek hai."


Dadaji ne ek gehri nazar Arjun par dali aur bola,"Beta, kuch cheezein jitni jaldi bhool jao, utna achha hota hai."

Par Arjun ke mann mein yeh baat aur gehri baith gayi. Kya ye koi purana raaz jo hawaon mein ghoom raha tha?

Aaj Arjun ne socha ki gaon ke andar ghoomkar thodi purani yaadein taaza karega. Bahut saal baad aaya tha yahaan, par jaise hi bazaar ki taraf kadam badhaya, uske andar ek ajeeb sa ahsaas jaaga.

Gaon ke log usse dekh rahe the—kuch shanka bhari nazar se, toh kuch bechaini se.


Ek budhiya jo sadak ke kinare beedi bech rahi thi, usne Arjun ko dekha aur dheere se bola,"Beta, tumhe yahaan nahi aana chahiye tha..."

Arjun ne chokkar kaha,"Kyu? Yeh toh mera hi gaon hai!"

Budhiya ne sirf ek baat boli,"Yeh wahi gaon hai jo tha, par ab waisa nahi raha..."

Uski baatein adhoori thi, jaise koi ankahee kahani ka ek tukda.
Jab Arjun wapas lautne laga,

" toh mandir ke paas ek ladki khadi thi."
Uske baal hawaa mein ud rahe the,
aur uski aankhein seedha Arjun par tikki thi—gehri, samajhne layak nahi... jaise kisi raaz ko chhupa rahi ho.

Jaise hi Arjun uske kareeb aaya, us ladki ne dheere se kaha,"Tum Devghar ke ho na?"

Arjun ne haan mein sir hila diya.


Ladki ne ek pal ke liye chup rehkar kaha,"Fir bhi tum zinda ho?"


Arjun ka dil ek pal ke liye tez dhadak gaya. Yeh kaisi baat thi? Yeh ladki kaun thi? Aur iske kehne ka matlab kya tha?

Andhera Badhta Ja Ra tha-----

Arjun abhi bhi us ladki ki baat ko lekar uljhan mein tha,

ki achanak mandir ke peeche se hawa ka ek teekha jhonka aaya.
Ghantiyaan zor se bajne lagi.


SAVE-20250207-142057
Us ladki ki aankhon mein ek alag si chamak thi. Usne dheere se Arjun ki taraf kadam badhaye aur bola,

"Tumhe sach nahi pata... par sach jald hi khud tumhare samne aayega...

Arjun ke mann mein ab sirf ek sawaal ghoom raha tha—yeh ladki kaun hai? Kya yeh kisi bade raaz ki shuruaat hai?

Jaise hi Arjun peeche mudne laga, ek door se aati aawaaz ne use rok diya…
"Arjuuun.... mat jaa..."

Arjun ne tez se peechhe dekha—par wahan koi nahi tha!

Suspense Continue ........

Yeh ladki kaun thi? Kya yeh Devghar ke bhootaha raaz ka hissa hai?
Gaon wale Arjun ke lautne se itne bechain kyun hai?
Aur sabse badi baat—jo awaaz Arjun ne suni, woh kiski thi?

To be continued....



Guy's

Please like aur comment jarur kijiyega agar👍👍 aapko pasand aaye ,isse muje kahani likhne me aur support milega
Jitne bhi silent Readers hai please unse request ki agar aapko story aur updates pasand aaya hai to like aur comment jarur kijiyega...
Ladki ne ye kah toh aur confuse kar diya ki tum phir jinda kyo ho matlab devgargh mai sab mare huve h aur agar ha toh subhe dikhayi kaise de rahe h ...bahut raaz h jo samne ane baaki h..again full of suspence thriller update ...
 
  • Like
Reactions: RED Ashoka

Sandeep singh nirwan

Jindgi na milegi dobara....
10,856
69,402
259
Update 8 – Raat Ki Baithak Aur Andheri Chaon


(Recap: Jaise hi Arjun peeche mudne laga, ek door se aati aawaaz ne use rok diya…
"Arjuuun.... mat jaa...)
"

Aage


Arjun uske peeche jaana chahta tha, par uske pair jism mein jakad gaye. Kya woh ladki jaanti hai ki is gaon mein kya chal raha hai?

Shaam hone lagi thi, aur Arjun wapas ghar ki taraf badh gaya. Raste mein usne dekha ki gaon ke kuch log usse door door ja rahe the.

Ek budhiya jo pehle bhi usse dekh chuki thi, usne dheere se kaha, "Beta, kuch cheezein waapas laane se achha hai unhe bhool jaana..."

Arjun uski baat samajhne ki koshish kar raha tha, lekin tab tak woh budhiya andhere mein kho chuki thi.


Raat ho chuki thi. Ghar ke aangan mein poora parivaar jama tha. Aaj bhojan ke liye baingan ka bharta, roti, aur kadhi bani thi. Shanti Devi, Bhadranath, Arjun ki dadi, Arjun ki chachi, aur chhoti behen sabhi ek saath baithe the.

Dadi ne Arjun ki taraf dekha, "Beta, tu wapas aaya toh mann ko sukoon mila... Par yeh bata, tu wahan sheher mein kaise jee raha tha?"

Arjun muskuraya, "Dadi, sheher ki zindagi alag hai. Par sach kahoon toh yahaan ki mitti ki khushbu wahan nahi milti."

Shanti Devi chup thi, lekin unke chehre par ek ajeeb si fikr thi. Jaise woh kuch chhupa rahi ho. Bhadranath ne ghaur se Arjun ki taraf dekha, "Aaj din mein kaha gaya tha tu?"

Arjun ne bina kisi jhijhak ke kaha, "Mandir gaya tha, wahan ek ajeeb ladki mili. Usne mujhse poocha ki main zinda kaise hoon."

Yeh sunte hi ek pal ke liye sab chup ho gaye. Dadi ka haath kaanp gaya. Shanti Devi ne turant baat badalne ki koshish ki, "Bas, khaane par dhyaan do."

Par Bhadranath ki aankhein aur gehri ho gayi thi.


Raat ka bhojan khatam ho chuka tha. Arjun apne kamre mein jaane laga, tabhi uski chachi use dekh kar muskurai. "Arjun, tu aaj bahut thaka lag raha hai..." Unka lehza ek dum narm tha.

Arjun sirf muskuraya, "Haan chachi, thoda thak gaya hoon."

Chachi thoda aur paas aayi, "Bas aise hi apna khayal rakhna... Gaon ki hawa ajeeb hai."

Unke haath ka sparsh ek dum garam tha. Jisse Arjun ko aram mehsus hua, wo bolna chahata tha puchna chahata tha,par usne apne jazbaat par qaboo rakha aur bas muskurakar apne kamre ki taraf badh gaya.

Lekin jaise hi woh kamre ki taraf gaya, uske kaan mein ek halki si awaaz aayi, "Wapas aa gaya tu..."

Arjun ne palat kar dekha—darwaze ke
baahar koi tha, andhere mein chhupa hua.


cbc94100-3409-4ec2-aeac-dca52bafb700
ARJUN ne palatkar gaur gaur se dekha to achaank se parchhai gayab ho gyi
Use kuch ajeeb mehsus hua ...wo darjwaje par jana chahta tha par neend ke aagosh ne use gher liya ..

To be continued ....

Guy's

Please like aur comment jarur kijiyega agar aapko pasand aaye ,isse muje kahani likhne me aur support milega
Jab tak kuch raaz samne nahi ate h koyi idea nahi laga sakta h par ye toh saaf h ki past mai arjun ke papa ke sath juda huva khofnaak raaz h jisai koyi dubara samne nahi lana chahta h ...aur ye awaje yaa toh arjun ko protect karna chahti h ya phir usai kuch batana chahti h....update thoda aur bada ho sake toh kar do padhne mai aur behtar lagega ....
 
  • Like
Reactions: RED Ashoka

RED Ashoka

New Member
91
229
34
Ladki ne ye kah toh aur confuse kar diya ki tum phir jinda kyo ho matlab devgargh mai sab mare huve h aur agar ha toh subhe dikhayi kaise de rahe h ...bahut raaz h jo samne ane baaki h..again full of suspence thriller update ...
Bilkul bro raaz to bahut hai ..aur unhi raaz se mystery...aur mystery se suspense.... suspense se thriller...Ab dekhte hai ki arjun in raaz ko kaise suljhayega ya phir khud hi ulajh jhayega

And thank you very much bro for support
 

RED Ashoka

New Member
91
229
34
Jab tak kuch raaz samne nahi ate h koyi idea nahi laga sakta h par ye toh saaf h ki past mai arjun ke papa ke sath juda huva khofnaak raaz h jisai koyi dubara samne nahi lana chahta h ...aur ye awaje yaa toh arjun ko protect karna chahti h ya phir usai kuch batana chahti h....update thoda aur bada ho sake toh kar do padhne mai aur behtar lagega ....
Hmm wo to to phle apne pita ki maut ko ek bimari accidental samjhta tha.... aur jab use pata chala ki uski pita ki maut ek aag hai ya phir .......
Jarur bro. Aage ke update mai bada krne ki puri koshish kr rha hu ....
And again thank you bro
 

RED Ashoka

New Member
91
229
34
Note : Hello guys ... pichle update me galti se Shanti Devi likh diya .. Rajeswari Devi ki jagh..uske liye behad mafi mangta hu ... Post karte wakt mujhe dhyan nahi raha..
Darasal story ki shuruaat me maine maa ka naam Shanti Devi hi socha tha ... Par phir bad me change karke Rajeswari kar diya.. jo ki maine Family introduction me mention kar rakha h.. ki kahi agar shanti Devi likh du galti se Rajeswari Devi ki jagah ...... To dono ek hi hai

Aur galti ki lye mafi chahata hu ...aap chaho to main pichle update me Shanti Devi ko replace karke Rajeswari Devi edit kr dunga ya phir continue kre next update me Rajeswari Devi ke saath ya phir as Shanti Devi continue kare...
Kripya apna mat de...🙏
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Mana6262

RED Ashoka

New Member
91
229
34
Update 9 –

(Reacp:ARJUN ne palatkar gaur gaur se dekha to achanak se parchhai gayab ho gyi

Use kuch ajeeb mehsus hua ...wo darwaje par jana chahta tha par neend ke aagosh ne use gher liya ..)


Bhayanak Raat ke Baad

Subah ki pehli roshni jhaad-pattiyon ke beech se guzar rahi thi. Bahar se panchhiyo ki chahchahahat ki awaje gunj rahi thi..

Arjun ne dheere se apni aankhein kholi. Raat ki ghatna ab bhi uske zehen mein chal rahi thi.

"Woh awaaz… kaun thi woh?" Arjun ne socha.

Raat bhar woh bed par karwat badalta raha tha. Uska mann ab bhi bechain tha. Ek ajeeb si thakan uske shareer mein thi, jaise kisi ne uska saara urja choos li ho.

Tabhi darwaaze par dastak hui.

"Arjun beta, uth gaya kya?" Dadi ki awaaz aayi.

"Haan dadi, abhi aaya!" Arjun ne jaldi se uttar diya.

Woh utha, chehra dhoya, aur andar ke hall ki taraf chala gaya.

Haveli ke dining hall mein sab nashta kar rahe the. Shanti Devi ek taraf bethi thi, aur dadi doosri taraf. Unke beech mein Arjun ka chhota bhai Manav(Shyamlal ka beta)apni plate se khel raha tha.


e3c68aad-5a5e-439f-9660-8bc33352a5ea

Dadi: "Beta, kal raat ko theek se soya tha na?"

Arjun ne ek pal ke liye socha. Kya woh bataaye jo usne dekha? Par phir usne bas sir hila diya. "Haan dadi, theek se soya."


Shanti Devi ne ek pal ke liye Arjun ko dekha, jaise kuch mehsoos kar rahi ho. "Tum kuch pareshaan lag rahe ho, sab theek hai?"


Arjun ne thoda jhijhak kar kaha, "Bas thoda ajeeb lag raha hai… shaayad naye mahaul ki wajah se."

Dadi ne ek gehri saans bhari, "Iss gaon ka mahaul waise bhi sabko ajeeb lagta hai." Unka yeh kehna hi tha ki mahaul ek dum sann ho gaya.


Arjun ne dekha, Shanti Devi ne dadi ki taraf ek ajeeb nazar se dekha, jaise kuch kehna chah rahi ho par keh nahi sakti.

Usse mehsoos hua jaise iss ghar mein sabhi kuch chhupa rahe ho


Nashta ke baad Arjun gaon ke andar ghoomne nikal pada. Raaste mein use kai gaon waale mile


Kuch log usse alag nazar se dekh rahe the, jaise woh koi anjaan cheez ho.

Kuch log apne kam me lage hue the …kuch log Ghar k bahar baith baate kr rhe the ..aurte matkiya la rahi thi…


Ghumte hue use Apne bachpan ke dost ravi ka ghar dikha ...... darasal ravi jab arjun aaya tha to us wakt kaam se bahar Gaya hua tha .....


Bahar uski maa hatho me gobar leke unke uple Bana Rahi thi ..... To Arjun ne unse abhi baat karna sahi nahi samjha...aur wo waha se chal Diya.....


Aur aise hi wo thoda aage chalta hua ja rha tha ....usi wakt...


Ek budhiya uske paas aayi aur dheere se boli, "Tum wapas chale jao… yeh jagah tumhare liye nahi hai."


Arjun chok gaya. "Aap kya keh rahi hain?"

Lekin budhiya bina jawab diye chali gayi

Ek ajeeb sa dar Arjun ke andar uthne laga. Kya sach mein yeh jagah uske liye nahi thi? Ya yeh bas ek aur afwah thi?

Jab Arjun ek chhote talab ke paas aaya, tabhi



usne dekha ek ladki jal bhar rahi thi. Uske gehne dhoop mein chamak rahe the.

572a05b4-e560-4514-9d40-13ec6f7ef2a9

Ladki ne Arjun ki taraf dekha… ek teekhi, par jaan-pehchaan jaisi nazar.

Arjun ke dil ki dhadkan ek pal ke liye ruk gayi


"Kya yeh wahi ladki hai jo kal …"


Par jaane se pehle ladki ne sirf ek cheez bol

"Tumhe sach jaan’na hai, Arjun.."

Arjun ne hosh sambhalte hue poocha, "Kaunsa sach?"

Ladki muskurai, "Jald hi pata chal jaayega…" Aur phir woh paani le

kar chali gayi.

Arjun wahin khada raha, mann mein ek naye raaz ki goonj lekar
..............
Update Posted guys

padhiye aur likes and review karna na bhoole...
Aage ke update thode bde honge....
 

RED Ashoka

New Member
91
229
34
Update 10 ----------- Ant ki shuruaat...

(Recap : Arjun…” ek halki, kampakti hui awaz aayi, jaise koi uske kaan ke bilkul kareeb ho.


Arjun ne saans andar kheench li aur ek kadam peeche hata. Lekin jaise hi usne aankhein jhapkayi, wo parchayi wahin se gayab ho gayi )


Raat ke sannate mein Arjun ka mann ab bhi uss ladki ki baaton mein atka tha. “Jald hi pata chal jaayega…” yeh shabd baar-baar dimaag mein goonj rahe the. Kaun thi woh ladki? Usko mere aur mere parivaar ke baare mein itna sab kuch kaise pata?

Arjun raat ko jab ghar wapas aaya,

Jaise hi Arjun haveli ke andar aaya, uski nazar ma ke kamre ki taraf gayi. Darwaza thoda sa khula tha aur andar se mombatti ki halke noor ki roshni aa rahi thi.

tab tak dinner table par sab log jama ho chuke the. Chirag ki halke prakash mein purani deewarein ek ajeeb si kahani suna rahi thi.

Dadi ne Arjun ko dekhte hi muskurane ki koshish ki, "Beta, aaj bahut der laga di?"

Arjun ne thoda hichkichahat ke saath kaha, "Haan dadi, bas yunhi thoda ghoom raha tha… kuch purani jagahon ko dekhne ka mann kiya."

Shanti Devi, jo table ke ek kone par shaant baithi thi, Arjun ko dekh rahi thi. Unki nazron mein ek ajeeb si gehraayi thi, jaise woh kuch kehna chahti ho par rok rahi ho.

Chachi ne ek pyala Arjun ke samne rakhte hue muskurakar kaha, "Bahut der tak ghoomoge toh bhook toh lagegi hi. Lo, yeh garam daal chawal kha lo."

Arjun ne ek pal ke liye chachi ki taraf dekha. Unke chehre par ek naram muskurahat thi, jo ek ajeeb si apnapan ka ehsaas kara rahi thi.

Parivaar ke beech ek halka sa bhari hua mahaul tha, jaise sabko pata ho ki kuch chal raha hai, par koi keh nahi raha.

Jaise hi Arjun ne pehla niwala liya, uske mann mein woh raat ki aawaz ghoonj gayi—

"Chhupa sakte ho sachai ko?"

Uske haath ek pal ke liye thame, par fir usne apne chehre par ek samanya muskurahat laa di, jaise sab kuch thik ho.

Woh seedha apne kamre mein gaya. Palang par girte hi aaj ka pura din dimaag mein flashback ki tarah chalne laga. Gaon ki hawa, logon ki anokhi baatein, chachi ki muskurahat… Aur sabse zyada, woh rahasyaatmak ladki.

Uska khayal aate hi Arjun ne ankhein band kar li.

Subah ki Pehli Kiran

Suraj ki pehli kiran jab kamre ki khidki se andar aayi, tabhi Arjun ki neend tooti. Uthte hi usne dekha ki ma uske paas baithi hain, uska maathe par haath rakha hua hai.

“Maa, aap kab aayi?” Arjun ne dheere se poocha.

“Raat ko jab tum aaye toh… Thake hue lag rahe the.” Maa ke shabd pyaar bhare the, par unki aankhon mein ek ajeeb si chinta thi.

“Bas… thoda zyada sochne laga tha,” Arjun ne chupane ki koshish ki.

Shanti Devi ne uske sir par haath firaaya. “Beta, kabhi-kabhi har sawaal ka jawab dhundhne ki zaroorat nahi hoti. Jo cheezein likhi hoti hain, woh apni jagah samay par khud saamne aa jaati hain.”

Arjun unke shabdon ka matlab samajhne ki koshish kar hi raha tha ki tabhi unki dadi ka awaaz aaya.

“Arjun beta, nashta tayaar hai! Aaja!”

Woh turant uth gaya.



Haveli ke aangan mein aaj bhi pura parivaar ek saath tha. Dadi, maa, chacha, chachi aur kuch naukar-chakar bhi. Arjun baith gaya aur chachi ne uske aage garam garam puri aur aloo ki sabzi rakhi.

“Beta, raat ko theek se neend aayi?” dadi ne poocha.

“Ji dadi, bas thoda thakan thi,” Arjun ne muskurakar kaha.

Chachi ne dheere se muskuraya, “Thakan ya kisi ke baare mein zyada sochna?”

Arjun thoda jhijhak gaya, par chachi ki nazar jaise sab kuch dekh rahi thi. Woh ab uske samne baithi thi, apni chudi se khelti hui.

“Pata nahi chachi… bas kuch ajeeb lag raha hai yahaan aane ke baad,” Arjun ne kaha.

Chachi ne ek pal ke liye use dekha, phir dheere se boli, “Sab kuch samay ke saath samajh aa jayega… bas apni aankhein aur dil khula rakhna.”

Maa ne chachi ki taraf ek gehri nazar daali, jaise kuch kehna chahti ho par rokh rahi ho. Arjun ne yeh dekha par kuch kaha nahi.

Nashta khatam hote hi Arjun haveli ke aangan mein akela khada tha. Tabhi ek naukar bhaagte hue aaya.

“Babuji! Mandir ke paas kuch ajeeb ho raha hai… Log dar gaye hain!”

Arjun ne ek pal ke liye socha… Mandir ke paas? Kya ab koi naya raaz khulne wala tha?

Mandir ke Paas ka Ajeeb Manzar

Arjun jaise hi mandir ke paas pahucha, usne dekha ki kuch gaon wale ek jagah ikatthe ho gaye hain. Sab ki aankhon mein daraavt thi.

Ek budhiya kaanp rahi thi, “Kal raat… maine usse dekha! Wahi bhootni wapas aa gayi hai!”

Arjun ne usse pakda, “Kaun bhootni?”

Budhiya ne kampte haathon se ek taraf ishara kiya. Arjun ne dekha… ek ped ke neeche maati par gehri lakeer bani thi, jaise koi apni ungliyon se kheench raha ho.


a5c9fcf0-c23b-42ee-b963-d7c16f7031ef

Tabhi ek hawa ka jhonka chala, aur Arjun ko ek awaaz sunayi di—“Arjun… tujhe jaana hoga…”

Woh pal bhar ke liye sun ho gaya. Yeh awaaz usi ladki ki thi jo kal mili thi!

Lekin… woh yahaan kaise?


(…To be continued…)
 
Top