Update 8 – Raat Ki Baithak Aur Andheri Chaon
(Recap: Jaise hi Arjun peeche mudne laga, ek door se aati aawaaz ne use rok diya…
"Arjuuun.... mat jaa...)
"
Aage
Arjun uske peeche jaana chahta tha, par uske pair jism mein jakad gaye. Kya woh ladki jaanti hai ki is gaon mein kya chal raha hai?
Shaam hone lagi thi, aur Arjun wapas ghar ki taraf badh gaya. Raste mein usne dekha ki gaon ke kuch log usse door door ja rahe the.
Ek budhiya jo pehle bhi usse dekh chuki thi, usne dheere se kaha, "Beta, kuch cheezein waapas laane se achha hai unhe bhool jaana..."
Arjun uski baat samajhne ki koshish kar raha tha, lekin tab tak woh budhiya andhere mein kho chuki thi.
Raat ho chuki thi. Ghar ke aangan mein poora parivaar jama tha. Aaj bhojan ke liye baingan ka bharta, roti, aur kadhi bani thi. Shanti Devi, Bhadranath, Arjun ki dadi, Arjun ki chachi, aur chhoti behen sabhi ek saath baithe the.
Dadi ne Arjun ki taraf dekha, "Beta, tu wapas aaya toh mann ko sukoon mila... Par yeh bata, tu wahan sheher mein kaise jee raha tha?"
Arjun muskuraya, "Dadi, sheher ki zindagi alag hai. Par sach kahoon toh yahaan ki mitti ki khushbu wahan nahi milti."
Shanti Devi chup thi, lekin unke chehre par ek ajeeb si fikr thi. Jaise woh kuch chhupa rahi ho. Bhadranath ne ghaur se Arjun ki taraf dekha, "Aaj din mein kaha gaya tha tu?"
Arjun ne bina kisi jhijhak ke kaha, "Mandir gaya tha, wahan ek ajeeb ladki mili. Usne mujhse poocha ki main zinda kaise hoon."
Yeh sunte hi ek pal ke liye sab chup ho gaye. Dadi ka haath kaanp gaya. Shanti Devi ne turant baat badalne ki koshish ki, "Bas, khaane par dhyaan do."
Par Bhadranath ki aankhein aur gehri ho gayi thi.
Raat ka bhojan khatam ho chuka tha. Arjun apne kamre mein jaane laga, tabhi uski chachi use dekh kar muskurai. "Arjun, tu aaj bahut thaka lag raha hai..." Unka lehza ek dum narm tha.
Arjun sirf muskuraya, "Haan chachi, thoda thak gaya hoon."
Chachi thoda aur paas aayi, "Bas aise hi apna khayal rakhna... Gaon ki hawa ajeeb hai."
Unke haath ka sparsh ek dum garam tha. Jisse Arjun ko aram mehsus hua, wo bolna chahata tha puchna chahata tha,par usne apne jazbaat par qaboo rakha aur bas muskurakar apne kamre ki taraf badh gaya.
Lekin jaise hi woh kamre ki taraf gaya, uske kaan mein ek halki si awaaz aayi, "Wapas aa gaya tu..."
Arjun ne palat kar dekha—darwaze ke
baahar koi tha, andhere mein chhupa hua.
ARJUN ne palatkar gaur gaur se dekha to achaank se parchhai gayab ho gyi
Use kuch ajeeb mehsus hua ...wo darjwaje par jana chahta tha par neend ke aagosh ne use gher liya ..
To be continued ....
Guy's
Please like aur comment jarur kijiyega agar aapko pasand aaye ,isse muje kahani likhne me aur support milega
kya ye ho sakta hai ki Arjun pahle mar chukka ho......aur uske pita usko jinda karne ke chakkar mein marr gaye....
sense bahut kam hai iska par possible to lag raha hai......bachpan se hi Saher mein rah raha tha ye Arjun jab wapas aaya hai to ghar walo ka to theek hai par bahar wale puchte hai
jinda kaise ho....log dur se hi nikal jaa rahe hai.....
parchaiyan aati rahti hai iske pass....
possible.
Thoda update bada dene ka try karo waise itna bhi theek hai par try kar sakte ho to karo