• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller ATMAKAMI . . . . . . ability or disorder?

DARK WOLFKING

Supreme
15,582
32,045
259
Chapter-25: Lascivious

Update 86

“kya ye ek date hai…?”jab Rathi ke yaha ki servent mere saamne plate rakhne lagi toh maine VR se puchha aur muskura diya… lekin Rathi mam apna muh band karke meri aankho se aankhe milakar kuch der tak mujhe dekhti rahi… gusse se toh nahi lekin pyar se bhi nahi… bole toh neutral… normally, jaise ek anjaan manushya, dusare anjaan manushya ko anjaane me dekhta hai
“tumne date kaha…? Age difference dekhi hai..”
“10 to 12 years…? I can shorten it. You know, time is my toy”
“yes, I know you play with time…you can extend it, stop it or compress it… main sun chuki hoon…par seriously tumne date kaha…?”
“mujhe aisa laga ki ye ek date hai… actually mere andar se aawaz aayi, jise maine bahar transfer kar diya…”
“transfer karne se pahle dekh liya karo ki aas-paas kaun hai…”pahle ki tarah neutrally dekhte hue Rathi mam boli aur soup ka pyala uthaya…. Ek to log soup kyun peete hai, mujhe samajh nahi aata… sala full time barbadi… time ki kadra hee nahi hai logo ko.
Vandana Rathi ke yaha kaam karne wali servent ne jo ki adhed umra ki mahila thi unhone meri plate me do parathe aur do-teen type ke pata nahi kya-kya rang-birange liquid rakha phhir jab maine use taste kiya toh maloom chala ki BC ye to sabji aur chatni hai… Parathe dekhkar maine ek baar Vandana Rathi ko dekha…wo fork se parathe ko cheed-fad ke kha rahi thi… Rathi mam ko dekhkar mujhe khayal aaya ki mujhe bhi aisich fork se khana chahiye aur maine aisa kiya bhi… lekin ek parathe ka kaleja cheerkar khane ke baad mera munda thanka aur maine dono fork ko wahi table par rakhkar apna coat utara aur shirt ki baah upar karke parathe ko pakda aur beech se cheerkar do tukde kiye. Un do tukdo me se maine ek tukda uthaya aur waha jitney bhi prakar ke liquid, semi-solid the sabko thoda-thoda parathe ke us tukde me dalkar apna muh fada aur pura ka pura ek baar me gapp kar gaya….
Mere is tarah se khane ko dekh Vandana Rathi ne soup peena band kar diya aur thodi narazagi se mujhe dekhti rahi, shayad wo is waqt soch rahi thi ki usne bhi kise dinner ke liye invite kiya hai… mera khana dekh kar uska khana band ho gaya lekin maine apna concentration nahi bigada aur bina baat kiye samne lagi kuch paintings ko dekhkar lagatar khata raha aur jab waha table par rakhe aakhiri parathe ka aakhiri aadha tukda maine muh me dala toh Vandana Rathi boli…
“aur…”
Jiske jawab me maine kuch nahi kaha kyunki mera muh pura packed tha aur jab mera muh thoda khali hua toh maine kaha “ab nahi… ab chawal-dal khaunga papad ke sath… dahi me mix karke”
Jise sunkar Vandana Rathi mujhe aise dekhne lagi jaise maine us-se chawal-daal nahi balki uski gand mang li lo… bole toh full aashcharya-chakit…
“aap kyun nahi kha rahi…”pura paratha khatm karne ke baad maine puchha
“tumhe dekhkar hee mera pet bhar gaya…”
“mera ek dost hai… Arun. usi ne mujhe is tarah khana sikhaya tha, bolta tha ki aise khane se khana pet me nahi dil me jaata hai… jis-se dil swasth rahta hai… main toh bolta hoon aap bhi aise hee khaya karo… kaha ye chammach-chhuri ke chakkar me apne dil ko kharab kar rahi ho…”
“tum college me hostel me rahte the na…?”
“haan…aapko kaise pata…”
“khane ke tarike se pata chal gaya aur ye jo tumhari dil wali philosophy hai na wo sab jhooth hai… tumlog sabse jaldi sabse jyada kha sako isliye tumlog aise khate ho…”
“gazab… aapne toh ek baar me pakad liya....mera jhooth”
Table me jis pateele me chawal laya gaya tha usko uthakar maine aadha apni plate me udela aur phhir Vandana Rathi ko aur pateele me rakhe baki chawal ko dekhkar compare kiya ki wo itna kha payegi ya nahi… Nahi kha payegi, isliye maine pateele se thoda chawal aur apni plate me udel liya aur phhir se samne deewar me tangi paintings ko dekhkar khel shuru kar diya…. main khana khate hue kafi der tak deewar me lagi un paintings ko dekhta raha, mujhe un paintings me se ek jaani-pahchani lag rahi thi….
“abhi yaad aaya…”khana khate hue maine jor se kaha
“kya yaad aaya…”
“yahi ki ye ye painting maine kaha dekhi hai…”
“tum painting exhibition me bhi jate ho…?”shocked hokar Rathi boli…
“nahi… par jab main school me tha tab maine ye painting news paper me dekhi thi… ye painting 29 desho me first aayi thi… par yadi gaur karo toh kuch hai nahi isme… painter ne alag-alag paint me brush dala hoga aur phhir randomly tarike se brush ko drawing sheet me jaise mann aaya waise marta gaya… is-se achchhi painting toh mere college ka Rajshri Pandey karta hai wo bhi muh se…”
“muh se… seriously”haste hue Vandana mam ne pyar se mera name pukara “Arman…”
Lekin maine use koyi tawajjo nahi di aur khana khane me busy raha…. Mera ek siddhant hai ki khana khate aur mutth marte waqt ek dum shant rahna chahiye tabhi inme maza aata hai….
“Arman….”
“you like my name....? Actually I like it too, but sometimes I feel like this is not my name….. I feel like everything in this world is a lie … I feel like I’m not here… you’re not here… we never met each other… I don’t know but sometimes it seems like all is in my mind.. I’m living someone’s else life… I was on the way to find myself but………I lost the way… now tell me where am I now ?”
“in E-5, River View Colony, Nagpur… very poetic words. that is a poem, right…….? You’re not here, I’m not here…. We never met each other…. Good poem.”
“just abhi banaya… aapko dekhkar. Waise aap yaha akele rahti hai…? ya koyi aur bhi…”
“aur ye tum kyun puch rahe ho…”
“apne aas-pados walo ko janna chahiye… warna kal aapne koyi kand kar diya toh police ki help kar saku… main ek jimmedar bhartiya hoon”
“haan… main akele rahti hoon…”
“phhir kal raat ko wo jo andhere me tha wo kaun tha… zaroor Vandana Rathi ka aashiq raha hoga….”khana khatm karke hath dhote samay maine mann me socha…
“mujhe pata hai tum kya soch rahe ho…”main hath dho hee raha tha ki Vandana mam bol uthi “tum kal raat jo mere sath tha, uske baare me puchh rahe ho…”
“mam, let’s play truth and dare…”
“why…”
“kyunki mujhe aisa lagta hai ki ladkiyo me na toh sach bolne ki himmat hoti hai aur na hee kuch karne ki daring…”Vandana Rathi ki maid ko waha se jate hue dekh main bhari khush hua aur Rathi ko bhadkane laga…..
“maine tumhare bare me ek chiz notice ki hai… tum ek misogynist ho… do you even know what misogynist means…?”
“a person who dislikes, despises, or is strongly prejudiced against women.”
“correct…”smile marte hue VR boli aur apne dress ko kandhe ke paas lage mechanism se thoda dheela karke mujhse pani ka jug manga…..
nice update ..apna resignation diya wo bhi blank me 🤣🤣..ki rathi mam assume kare .
aur ab dinner bhi kar liya mam ke saath ..waise khane ke baare me sahi kaha ho ki jald baaji me khana wahi khate hai ..
 
  • Haha
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,582
32,045
259
kahani bahut hi intersting hai 😍..arman apne past me jaata hai par wo real me bas dimag ka khel hai 🤔🤔..naa hi wo past me jata hai na kahi aur bas uske dimag me sab baate fit hai wo usko visual dikhati hai 🤔🤔..

bas ek procedure hai jiske chalte wo past me jata hai aur kuch waqt baad return aata hai jaise wo fan ka ghumna ,,,par abhi kis wajah se wo past me jata hai ye pata nahi ..
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,995
42,934
354
ye kahani complete to hai na ki puri padhne ko mile ..maine ek comment padha jisme likha hai ki kuch updates nahi hai isme ..
agar aisa hai to wo updates bhi add kar dijiye ..
Wahi Dekh Raha Hu , aap padh ke Maza lo , agar Kuch missing hua toh bta dunga ,
Story complete hai but pdf Mai , uska link bhi de dunga.
 

Yug Purush

सादा जीवन, तुच्छ विचार
Staff member
Moderator
24,533
22,524
229
ye kahani complete to hai na ki puri padhne ko mile ..maine ek comment padha jisme likha hai ki kuch updates nahi hai isme ..
agar aisa hai to wo updates bhi add kar dijiye ..
Jaha tak is thread me hai padho , fir pdf deta hu
 
  • Like
Reactions: DARK WOLFKING

DARK WOLFKING

Supreme
15,582
32,045
259
Update 87

Vandana Rathi kafi der tak mujhe dekhkar muskurati rahi mera matlab mujhe aisa laga… aur jab mujhe aisa laga tab maine kaha…
“mera dost kahta tha ki jab koyi aurat ya ladki hadd se jyada muskuraye toh uspar yakin nahi karna chahiye…”
“see, I was right. you’re a misogynist…”
“50 %”
“fifty percent ?”
“Because I don’t hate women only, I hate the entire human race…. You should call me a misanthrope instead of misogynist… I hate everyone”
“you know, you don’t know how pathetic or wretched you really are.”
“everyone has their own style. You have yours, I have mine”
“why do you hate everyone ?”
“you really want to know ?”
“hmm…”chair par thoda tedha hokar baith-te hue Rathi mam ne puchha, jis-se unka jo without kapde wala part tha wo thik mere saamne ho gaya aur main Rathi ke us hisse ko lagatar ghoor kar dekhta laga… kafi der tak dekhta raha… Shri Arman ko kiska dar….
“why you hate everyone…”
“why I hate everyone…”apne khade lund ko pant me adjust karte hue main bola
“hmm… I would like to hear your another… powerful…strong misconception”
Jawab me maine apna dahina hath pant ki jeb ke andar dala aur Rathi ke boobs ka jo hissa side se dikh raha tha use dekhkar apna lund sahlate hue kaha “ I hate everyone because they all are fake… they don’t live in reality. they fuck each other for money, power…….revenge”
“Astonishingly, All the three qualities you just mentioned belong to you… you’re fake, you don’t live in reality… you have created your own world and here you’re struggling for money, power or maybe some kind of revenge. Who knows”
“Exactly and that’s why I hate myself too”
“again a strong reply, kaha se copy karte ho ye sab… kya tumne koyi anti-social group join kiya hua hai…”
“nahi…”maine kaha aur itni der se jo meri aankhe Vandana mam ki chuchiyo par tiki hui thi, unhe continue VR ki chuchiyo par tikaye rahte hue maine ek shabd me jawab diya…
table ke karan Vandana Rathi abhi tak dekh nahi payi thi ki main pant ki jeb me hath dalkar uske samne apna lund sahla raha hoon aur mere hath ki movement bhi itni slow thi ki VR ko iski bhanak tak nahi lagi…. Maine toh ye aise hee shuru kiya tha…lekin jab aise hee lund sahlate-sahlate thoda aur samay beeta toh mujhe samajh aaya ki… main toh Vandana Rathi ko dekhkar mutth maar raha hoon.
Vandana Randi choot zaroor marwati thi par wo chutiya nahi thi. mera matlab, usne zaroor meri aankho ko notice kiya hoga… kam se kam ek baar toh kiya hee hoga…. lekin wo bolti bhi toh kya ? aur karti bhi toh kya…. jaisa ki maine pahle bhi kaha hai ki ladkiyo me na toh sach bolne ki himmat hoti hai aur na hee kuch karne ki daring… halaki kabhi-kabhar aisa ho jata hai ki kuch ladkiya thodi-bahut himmat dikhakar sadak par chhedkhani karne wale laundo ko sandel se marne lagti hai… ek-do video maine whatsapp aur youtube par dekhe hai…. par… par aisa isliye nahi hota kyunki un ladkiyo me himmat hoti hai balki isliye hota hai kyunki wo ladke, ladke nahi hizde hote hai… burchatte sale. mujhe koyi ladki sandel se marna toh door bas sandel dikha de, madarchod aisa jor se laat gand me marunga na… ki gand andar ghus kar choot ke raaste se bahar feka jayegi….. lawda… lund aur choot ke muqable me jeet hamesha lund ki hogi.
Toh R.Rathi ne mujhe kuch nahi kaha aur is beech uski dress me uske bade-bade tight boobs dekhkar mere hath ki raftaar bhi thodi tez hui par itni tez nahi ki Vandana Rathi jaan jaye ki main use dekhkar mutth mar raha hoon…. Maine apne hath ki raftaar thoda aur tez kar di…
“tell me something about yourself… something I don’t know… something you want to tell me…”apne seene se mera concentration bigadne ke liye Vandana mam ne mujh par sawal daga… unki koshish thi ki main apna dhyan unke boobs se kisi tarah hata loon….
“I’m like the free falling objects from the space and it depends on other people’s gravity that how much can they attract me but unfortunately…… everyone fails to do so….”
“do you regret anything in life ?….Arman … Armaan… Armaaaaan”thoda tez se Vandana mam boli…lekin maine unko ignore karke apne hath ki movement bahut tez kar di, itni tez ki mere is kand ki khabar Vandana Rathi ko bhi lag gayi thi aur shayad isiliye usne mera naam itni jor se pukara tha.
“Arman…Armaaan…”
maine is baar bhi Vandana Rathi ko ignore kiya aur apne hath ki gati aur tez kar di…
“Arman , ….stop…”
“no..now I can’t… soooo sooorry…”
“what the…. hell are you…. Are you out of your mind…”
“fuck….yeeeeesss”apna sar upar karke maine kaha aur phhir kaam khatm……….
Jiske baaaaad mujhe realize hua ki maine ye kya kar diya hai… jis thali me khana khaya, usi me mutth maar diya ? waise toh main guility feel nahi karta aur na hee is samay kar raha tha… lekin phhir bhi chehre par wo expression lakar bola…
“I’m sorry.. mam, pata nahi… ye kaise… mera khud pe control nahi raha… sorry”
“get out…”glass me rakha pani mere chehre me fek kar Rathi mam boli…
Jiske baad main waha se utha… waise bhi ab main waha ruk-kar karta bhi kya… ? jo hona tha wo toh ho chuka tha… waise bhi Shri Arman ko sirf ladkiyo ki choot se matlab hai na ki unke chutiyape se…. maine table par se do napkin uthayi… ek se apna chehre ka pani pochha aur dusare napkin se apna wo wala hath aur waha se jaane ke liye khada hua…
Main dining table se uthkar bahar jaane laga ki tabhi mere dimag me Vandana Rathi ka wo ekmatra sawal ghooma… jiska jawab main nahi de paya tha
“do you regret anything in life ”
Main peechhe muda aur bola… lekin phhir main aage muda aur baal-vaal banakar role se peechhe muda…
“mam, i don’t regret my past rather than I believe in changing it by my strong imagination…. And you know my imagination power… good night.”
.
NH-6 me ho rahi lagatar vardato ne jisme se kuch vardato ko maine anjaam diya tha, un vardato ne police ka dhyan kafi hadd tak apni taraf aakarsit kar liya tha… NH-6 me main akela nahi tha jo raat ko ye sab karta tha… waha aur bhi bahut se chor, lootere the…. Abhi maine kal ke newspapaer me hee padha tha ki NH-6 me choro ne ek car me mauzood sabhi logo ko loota aur phhir gala ret kar unki hatya kar di… uske baad us kand ke neeche mera wala kand tha… jisme ek bike wale ko lootne ka jikra tha… Police ki patrolling ab itni badh gayi thi ki ab river view colony me bhi aadhi raat ko patrolling karte hue police kabhi bhi aa dhamakti thi aur NH-6 ke toh kya kahne ? waha toh jagah-jagah Police wale khade rahte. Aise me mera colony se aadhi raat ko bahar nikalna hee kafi khatre se bhara hua tha, kyunki yadi main kaise bhi karke, himmat jutakar itni jordar thand me bahar jaane ka sochu toh mujhe gate par hee police jeep ke milne ka khatra tha aur maan lo ki main kaise bhi karke ek flat se dusare flat koodkar girte-padte colony se bahar bhi nikal jata hoon toh phhir NH-6 me jagah-jagah gasht mar rahe thulle mujhe dhar lenge… matlab meri next loot me kafi problems aane wali thi, isliye maine ise step by step solve karne kasocha aur andhere me chhat me baitha police jeep ko jate hue chup-chap bina kisi aawaz ke chup-chap dekhta raha aur jab police jeeb waha se gayi toh main neeche aaya lekin colony ke main gate me mujhe phhir se police jeeb khadi dikhayi di… police wale, jeep se utarkar colony ke guard se kuch baat-chit kar rahe the… maine turant apna raasta badla aur River View Colony ki badi si boundary kood kar bahar aaya…
______________________________
nice update ..baithe baithe muth maar li arman ne 😅😅..mujhe laga rathi mam ko chodne ka koi plan banayega .
ab kahi aisa na ho ki pakda jaaye aur murder ke charges bhi lag jaaye arman par ...
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,582
32,045
259
Chapter-26: Fallen

Update 88

Colony se bahar aakar main road ke bajay maine ek dusari kachchi gali pakdi jo ubad-khabad thi… upar se pata nahi itni raat me kaun sa jeev kaha se aa jaye. Mujhe bas itna pata tha ki idhar se ek shortcut hai jo paas me hee bane Central University ke peechhe se hote hue NH-6 me bahut aage milta hai…. maine apna khud ka naam liya aur apna naam lekar us raste ki oor mobile ka flash jalate hue aage badha kyunki aaj kisi ko colony ke aas-paas rok kar lootne me bahut jyada risk tha…
“bhag madarchod”jab ek gaddhe me mera pair fasa aur main neeche zameen par lot gaya toh jor se cheekha… “ab bina flash jalaye aage badhunga, dekhta hu lawda kaun kya karta hai… daiyya-maiyya ek kar dunga sabki…”
Bolkar maine apne mobile ka flash band kiya aur mobile jeb me dalkar apne imagination power ka istemaal karke aage badhne laga…. phhir thodi door aage jane ke baad maine apne jacket se goggle nikala aur goggle pahankar aage badhne laga…
“ye lawda, yaha zameen toh upar hee uthe ja rahi hai bahut der se… kahi bhoole se bhi niche gira toh….? Ghor bezzati hogi… isliye ye zameen mujhe giraye, uske pahle main khud hee gir jata hoon… kya bolta hai 2.0 ? knock…knock…. Two point O… abey kaha hai… lagta hai Rathi ko dekhkar mutth marne se naraz ho gaya… inhe kya maloom meri mahanta ke baare me. wo toh pahle se koyi planning nahi thi warna Rathi ko lund dikha ke mutth marta, behanchod… randi, bhosdiwali… mujhe kahti hai ki main us princy ko sorry bolu… Madarchod…. rod garam karke aar-paar kar dunga… bas Daddu wala matter ek baar salat jaye… ready…”
“kisliye…”
“isliye…”bolkar main peechhe muda aur apni puri taqat se neeche ki taraf andhere me daudne laga….
“maza aa gaya behanchod, zinda bacha toh ek aur baar karunga...
wwooooooo…”bike ki aawaz muh se nikalte hue main neeche full speed se dauda aur kayi jhadiyo se takrate hue, apne kapde aur sharir ko chhilte hue main aage badhta raha… aur tab tak main aise hee muh se bike ki aawaz nikal kar daudta raha, jab tak mera mann kiya yani ki bahut baar. Main zameen ke us uthe hue bhag se daudkar neeche aata aur phhir apni imagination power ka istemaal karke wapas waha jata aur phhir se neeche ki taraf daudta… aisa maine kayi baar kiya aur har baar race chalu karne ke pahle main Sonam ki maa ko yaad karta tha… jis-se mere andar energy level full high ho jati thi…. Aur jab ye sab karke main thak gaya yani ki jab main bore ho gaya toh maine mobile ka flash jalaya aur NH-6 ki oor dobara badhne laga
main NH-6 me aaya par phhir highway se neeche utarkar thodi doori rakh-kar andha-dhundh aage badhta raha… taki yadi police patrolling me udhar se gujre bhi toh mujhe direct na dekh paye aur mujhe waha aas-paas kahi chhipne ka samay mil jaye. NH-6 se kafi doori banakar NH-6 ke parallel main kabhi daudta aur jab daudkar thak jata toh hafte-hafte chalne lagta… iske baad main phhir se daudne lagta… aisa maine taqriban do-dhayi ghante tak kiya hoga, jiske karan colony kafi peechhe chhot chuki thi aur sath me wo area bhi jaha police gasht mar rahi thi….
.
Meri NH-6 me loot-maar karne ki simple aur sober trick thi ki logo par main waha hamla karta tha jaha se main asani se gayab ho jaun isliye meri abhi tak ki sabhi loot Colony ke aas-paas hee hui thi… lekin main aaj aisa nahi kar sakta tha kyunki us jagah ke aas-paas aaj police thi jiske karan itni raat me mujhe itna door aana pada tha. ab main highway ke kinare nahi balki highway par hee chal raha tha, jiski do vazah thi pahli ye ki yaha koyi street lights nahi thi aur dusari ye ki ab main itna door aa gaya tha ki idhar shayad hee police aati… highway par aane ke baad maine bag se nikalkar torch jalaya aur usi ki roshni me aage badhne laga… main ab bhi thakne tak bhagta aur jab thak kar choor ho jata toh hafte hue chalne lagta… waha se kayi trucks guzre , kayi car bhi gayi lekin maine kisi ko nahi roka aur unhe aise hee jaane diya…
Main highway par aage badhta gaya… mere saamne se kayi gadiya gayi, lekin maine kisi ko kuch nahi kiya… mera mood ab colony se itne door aakar change hone laga tha aur phhir ek jagah aakar main rook gaya… mere mann me actually ek sawal aaya tha… jiske jawab paane ke liye main apne dimag par jor dal raha tha…. sawal ye tha ki “yadi bhagwan ne insano ko banaya toh aakhir kyun banaya… banaya kyun…? 2.0, any answer…”
“mujhe kya pata lawda… maje lene ke liye banaya hoga”
“phhir bhi soch ke toh dekh…”torch ki roshani me zameen se ek patthar uthakar maine kaha aur puri taqat se sath ek taraf fek diya….
“bataya toh ki…bhagwan ne insano ko maje lene ke liye banaya… for entertaining purpose…”
“toh humlog ko bhagwan ko entertain karna hai… hai na…”ek dusara patthar uthate hue maine kaha aur use bhi pahle wale patthar ke path me feka…
“aur nahi toh kya… koyi aur reason ho toh bata…”
“thik hai phhir…”
itne me mujhe police ki siren sunayi di wo bhi samne se… mujhe samajh nahi aaya ki ye kaise mumkin hai… ek toh police ko idhar aana nahi chahiye tha aur yadi aana bhi tha toh peechhe se aana chahiye tha… jidhar se main aaya tha. lekin ye toh saamne se aa rahi hai… ye chutiye itni door tak gasht mar rahe hai…
maine samne ek ped dekha aur uske peechhe chipkar samne se aa rahi siren ko sun-ne laga…
“ambulance hai be”
“aisa kya…”
“chal loot phhir..”
“nahi, Arman itna neeche nahi gir sakta ki ek ambulance ko loote, bechare waise bhi tension me honge….”
“toh ?”
“abey koyi patient hoga, critical condition hogi uski… uske gharwale tension me honge…”
“toh…?”
“yadi wo critical condition wala patient sahi samay me hospital nahi pahucha toh… mar jayega..”
“mera sawal ab bhi wahi hai…. toh ?”
“toh phhir…….. chal…”
Maine turant apne hath me pakde hue patthar ko apne mathe me 2-3 baar mara aur jab mere mathe se khoon nikalne laga toh khoon ko pure chehre me phailakar beech sadak par aaya aur ghutno ke beech baithkar apne dono hath hawa me hilate hue madad magne laga…..
Ambulance dan-dana ke mere paas aayi aur mujhse thodi hee door me ruki, jiske baad samne jo aadmi baithe the wo turant driver ke sath mere paas aaye….
“kya hua.... ye kisne kiya…”meri taraf jhuk-kar ambulance ke driver ne jor se puchha, itni jor se ki mera kaan jhanjhana utha…
“tere baap ne…madarchod”bolkar maine apne peechhe rakha hua patthar uthaya aur jisne mere kaan ke paas chillaya tha uske sar me puri taqat se mara….
“sala, Shri Arman se sawal karta hai…”
Iske baad maine katta nikala aur dusare wale ko jo ki mujhe marne hee badh raha tha use dikha-kar use wahi roka aur peechhe kiya….
“ambulance ke pichhwade me kaun-kaun hai…”apne chehre par roomal badhte hue maine puchha…
nice update ..pehle bhagne ki practice ki jungle me aur ab ambulance ko hi loot raha hai ..
 
  • Love
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,582
32,045
259
Update 90

“maaaadhar…. … Aaj lagta hai, marunga… kitni thand hai be ”
“bhosdike teen baar gand galwa chuka hai ab dahine pair me vazan mat dena, bakchod…”
“kaun sa daya, kaun sa baya… mujhe toh lag bhi nahi raha ki mere paas pair bhi hai”
Nadi me mujhe itni jordar thandi lag rahi thi ki mere daant aapas me takrane lage the… mera sharir sikudne laga tha, main saans bhi leta toh pura badan kaanp uth-ta lekin main kar bhi kya sakta tha… maine wapas khud ke andar himmat jutayi aur andhere me hee patthar ki taraf anuman lagate hue badha… mera pura sharir itni jor se kaanp raha tha ki jaise koyi mujhe pakad ke hila raha ho… par teen baar nadi me girne ke karan ek chiz jo mere bheje me ghusi thi wo ye ki dahine hath aur dahine pair me load nahi dena hai… isi baat ko dhyan me rakh kar nadi ke pani ko thatholte-thatholte main aage badhte hue chattan ke paas pahucha aur seene ke bal patthar par ghisat-ghisat kar upar chadha…
Main chattan me toh chadh gaya tha lekin meri problem ab bhi kam nahi hui thi, jisme sabse badi dikkat ye thi ki mujhe puri raat yahi gujarni thi, upar se mere pure kapde bheeg chuke the… mera dahina hath thoda bend ho gaya tha aur jab maine use seedha karne ki koshish ki toh seedha tak nahi kar paya… chattan ke upar baith-kar maine apne aap ko sameta aur kaanpte hue, daant kat-katate hue bas baitha raha… maine bahut koshish ki sone ki, taaki ye raat kat jaye… lekin itni thand me neend kaha aane wali thi… maine kayi ghante wahi chattan par gujare aur phhir jab kayi ghanto ke baad waha aas-paas halki-fulki roshni hui toh maine apni nazar ghumayi mujhe sab kuch dhundhla-dhundhla sa dikha… ek toh itni thand me waisi hee sharir me jaan nahi thi upar se ab kuch saaf-saaf dikhayi bhi nahi de raha tha aur dum toh itna bhi nahi tha ki hil bhi saku... mere kapde kuch toh sukhe the lekin kayi hisse ab bhi gile the… maine thodi der tak intezaar kiya ki mujhe thodi der me saaf-saaf dikhna shuru ho jayega, lekin aisa nahi hua… maine kayi baar apni aankhe switch-off karke switch-on ki, lekin nateeza wahi raha… isliye maine apni aankhe phhir se band ki aur kanpte hue apne daant kat-katate wahi nadi ke beech me chattan ke upar baitha raha… aur tab mere mann me ek sawal aaya ki yadi earth par gravity ki value 10 meter per second square ki jagah yadi 50 meter per second square hoti toh kya hota….?
“tera pura sharir zameen ki gand me ghus jata, na toh tu khada ho pata aur na hee tera khada ho pata…”
“chup be, aisi situation me sexy baatein mat kar…”
phhir thodi der baad dhoop nikli jiski garmi se mujhe thoda aaram mila… Main kayi ghanto tak wahi chattan ke upar baithkar dhoop sekta raha aur jab laga ki ab kuch kar sakta toh aas-paas dekha... ab mujhe kuch saaf-saaf dikh raha tha
main jis chattan ke upar baitha tha waha se mushqil se dus kadam ki doori par wo dhalan thi jaha se main kal raat neeche gira tha… maine dhalan ko dekha usme chadhna utna mushqil kaam nahi tha… phhir meri nazar dhalan me pade mere bag me padi aur sath me wahi pade us aadmi ke bag me jise lekar kal raat main bhaga tha….
“main nahi mara, yani wo budhau bhi nahi mara hoga…. mujhe samajh nahi aata ki log itne laparwah kyun hai, unhe kuch toh plan `bana kar rakhna chahiye ki yadi unme koyi hamla karega toh wo kya karenge… ek toh khud laparwah rahte hai aur phhir bolenge ki mujhe loot liya, mujhe chod diya… jaisa ki main pahle bhi kayi baar kah chuka hoon ki chutiya banana buri baat nahi hai, chutiya banna buri baat hai…. anyway, I survived… ”
Jis taraf maine jaane ka socha tha uske viparit yadi main jata toh wo mere liye jyada aasan tha, kyunki udhar plan surface tha par Upar dhalan me apne dono bags ko dekh-kar maine khayi me chadhne ka nirnay liya aur dheere-dheere karke langadate-langadate apne dahine pair par jyada vazan na dekar maine nadi paar ki aur phhir dhalan me chadhne laga… kayi jagah mujhe aisa laga jaise ki main wapas niche nadi me girunga lekin har baar kisi chiz ko pakad kar bachta gaya aur finally waha paas aaya jaha mera bag tha…. maine dusare wale bag ko bhi ghaseeta aur wahi dhalan me ek bade se patthar ki tek lekar baith gaya
“kal raat maja aaya ? ”hafte hue 2.0 ne puchha, par wo kyun hanf raha tha… mehnat toh maine ki thi ?
“is bag me tala laga hua hai… katta bhi pata nahi kaha gir gaya…”
“maine tere bag me kal raat chaku rakha tha, dekh toh..”hafte hue 2.0 ne jawab diya
“thik kiya…”
Maine apne bag se chaku nikala aur us aadmi ke bag ko chaku se fadne laga… chaku utna tez nahi tha, isliye mujhe bag fadne me time lag raha tha… dahina hath ab bhi tedha hee tha isliye bag fadne ka kaam main baye hath se dheere-dheere kar raha tha… yadi koyi chattan ke peechhe se mujhe is waqt hilte hue dekhe toh wo yahi samjhega ki main mutth mar raha hoon, kyunki maine bag apni jaangho ke upar rakha hua tha aur baye hath me chaku pakad kar hila raha tha…
“behan…..” jab bag kat-te hue chaku mere hee hath me ghus gaya toh chaku ko door fek-kar maine kaha “dono hath gaye…”
“kya kismet hai lawda… ek toh waise bhi… ”baye hath se hee bag ko upar uthakar daant se fadte hue maine socha… aur bag ka kafi hissa daant se fad diya
Utsukta me maine bag ko turant neeche patka aur dekhne laga ki uske andar kya hai…. Bag me shuru me toh kuch kapde the, jinhe maine nikal kar wahi rakha aur phhir dekha ki un kapdo ke neeche ek laal chunri me notes ki kayi gaddiya lipti hui thi upar se laal chunri me ek taabiz bandha hua tha…
“wo budhiya koyi chudail toh nahi thi Sali… kahi lene ke dene na pad jaye…”
“bhag lawda…”tabeej nikalkar neeche zameen me rakhte hue maine kaha
“abey jadu-tona ka matter ho sakta hai… chhod ye sab…”
“bhag lawda…”khada hokar us tabeej me moot-te hue maine kaha “ALL hail Lord Arman”
maine pure rupaye apne bag me bhare aur phhir waha se uthkar aage badha ek sawal ke sath ki “bhagwan ne hume kyun banaya…”
.
Waha se wapas aane ke liye mujhe kafi mashaqqat karni padi… wo pura ilaaka jaha main chal raha tha… wo sab khet the… beech-beech me kuch ghar bhi padte lekin kisi ne meri koyi madad nahi ki… yaha tak ki ek se jab apna chehra dhone ke liye maine pani maga toh usne kaha ki uske yaha pani nahi hai aur ye sab dekhkar mujhe bahut khushi hui… yadi us samay mere paas mera katta hota toh sale ko jaan se maar deta. Phhir maine ek dukan se pani khareeda apne chehre par dala aur thodi der susta kar phhir se highway ki taraf badh gaya…. mera dahina hath pura chud chuka tha, dahina pair bhi bas sath de raha tha… sar ke toh lawde lage hue the aur puri body me mere har badhte kadam ke sath pata nahi kaha-kaha dard ho raha tha… main toh balki is samay tazzub me tha ki kal raat main survive kaise kar gaya… ek toh itne upar se neeche gira, phhir puri raat nadi ke beech me geele kapdo me guzari… kitna achchha hota yadi nadi ke beech-o-beech chattan me baithe-baithe mar gaya hota toh… par kyunki main zinda tha isliye mujhe wapas river view colony jaane ke liye paidal chalna pad raha tha… paidal chalte-chalte main ek gaanv me pahucha jaha se ek truck me baithkar wapas river view colony pahucha…. Maine apna bag room me feka aur us clinic me pahucha jaha Vivek kaam karta tha….
Remember Vivek ? jo, Varun aur Sonam ke party me… jis din maine David ko pela tha us din bro…yo bro kar-karke mera aand kha raha tha. beshak wo Varun ka dost tha lekin is samay wo mere liye kisi bhagwan se kam nahi tha… kyunki yadi main kahi aur jata toh mujhe dar tha ki koyi police wagerah ko inform na kare… upar se is pure Nagpur me ab mere sath aisa koyi shaks nahi tha jo mere liye bahar se goli-dawayi lakar mujhe dega… langda-langda kar chalte hue aadhe ghante me main clinic me pahucha… Vivek medical store chalata tha aur uske bade bhaiya clinic chalate the, jo ki ab mera ilaaz karne wale the wo bhi bina kisi ko bataye….
nice update ..haath ki waat lag gayi hai 😁..aur thande pani me bhi bach gaya 😅..
shayad vivek varun ko bata de chot ke baare me 🤔.
 
  • Love
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,582
32,045
259
Chapter-27: The Last Ride

Update 91

Main Vivek ki clinic me pahucha, wo is samay roti sabji kha raha tha. mujhe waha apni clinic me dekh Vivek khush hua aur mujhe bhi khane me shamil hone ka nyota dekar tiffin meri taraf aage badhaya…
“bhag lavda...”
“kya hua bro…”
Yadi mera is samay Vivek se kaam nahi hota toh agla number main usi ka lagata par main gusse se daant peeskar muskurate hue bola
“kuch nahi bro…”
“yo bro…”
“ how are you bro…”
“fine bro…”
“lund lega bro… I mean… mujhe pahchana bro…”
“Arman bro… Varun bro ke bro…”
“yo bro…”
“ye aapko kya hua bro…”
“tu mujhe sach me apna bro… manta hai na…”
“yes bro…”
“chal phhir ,side me aa…”
Vivek ko side me lejakar maine use ek kahani sunayi ki raat me mujhe ek gadi wale ne thok diya tha… phhir use samjhaya ki jyada ho-halla karne ki zaroorat nahi hai… bas wo apne bhai ko kisi tarah mana kar mera ilaaz karwa de….
“yo bro…”meri puri baat sunkar usne kaha
“thank you… bro…”
“love you bro…”
“love you too… bro…”
.
Vivek ke medical store se uske bade bhaiya ki clinic attached thi aur uske upar do room aur the, jo pahle band rahte the par ab waha red cross ka nishan laga tha… mere khyal se Vivek aur uska bhai upar ke room me do-char bed dalkar apna dhandha badha rahe the… Vivek ke bhaiya ne mujhe unhi room me shift kiya aur kayi jagah mere sharir me kaat-pit ki aur phhir mujhe shakt hidayat dete hue 6-7 prakar ki tablets thama di… upar se unhone roj subah-sham injection lagwane ko kaha…. Mere dahine hath me unhone elastic bandage bandha aur dahine hath me ek kapda baandh kar mere gardan me wo kapda baandh diya aur bole ki… main jyada apne dahine hath ko na hilau-dulau… jisme maine haan me sar hila diya. Aur bhi kayi chize Vivek ke bhaiya ne mere body me jagah-jagah bandhi… jaise meri kamar me , mere chehre me , mere pair me…. thigh me… matlab main har jagah se toota hua tha…. kahi wo kal raat wala budhau mar toh nahi gaya ?
.
Maine kayi din Vivek ki clinic me kaate , mera mobile nadi me bheegkar kharab ho chuka tha aur itne din clinic me main din akela hee patient tha, waha mere baad koyi aur admit nahi hua…. Par beech me ek maal aayi thi, ek ladke ke sath… kafi gand-fati me thi wo… maine socha ki shayad is ladki ko bawasir ho gaya hai aur ab ye yahi admit hogi yani ki raat me baye hath se mutth marne ka full jugaad… lekin wo usi din thodi hee der me hee chali gayi… jiske baad vivek ne mujhe bataya ki wo ladki bachchha girwane aayi thi…
“bachcha girwane…? Sali randi… kutiya nahi toh. Zaroor kutte se chodwayi rahi hogi… achchha hua use sochkar ek baar bhi mutth nahi mara…”
“kya kar sakte hai bro…”
“kitna lete ho bachcha girane ka…”
“dus hazar…..bro..”
“wah launde, matlab full kamayi…. Ek baat bata, andar se kya nikalta hai…. pure liquid rahta hai ya kuch aur”
“time pe depend karta hai”
“aur fekte kaha ho use…”
“humlog nahi fekte… humlog… humlog kyun fekenge ? humlog material ko ek polythene me bharkar , jo bachcha girwane aaye hote hai…unhi ko de dete hai… ab ye unki jimmedari hai ki wo kaha fekte hai…”
.
Is tarah maine Vivek ka aur Vivek ne mera…hum dono ne kayi dino tak ek-dusare ka aand khaya… maine us-se aur bhi kayi baate puchhi jaise ki jab ladkiya menstrual cycle me hoti hai toh unki gand kyun fat jati hai ? mc ka symptoms kya hai….? log condoms kaise magte hai, josh wali sabse achchhi goli kaun si hai… kya ladkiya bhi condoms, Viagra lene aati hai…. is tarah ke kayi atpate sawal main Vivek se puchhta tha... par in sabhi sawalo se upar jo ek sawal tha wo ye ki…
“why god created us…”
Mere NH-6 me last kaand ke aath din baad jab main chalne ke kaabil hua aur mere sar ke take toot gaye toh maine clinic se jaane ka socha aur Vivek ko ye baat batayi….
“main big bro.. se puch ke aata hoon…”
“main puch nahi raha, bata raha hoon….pata nahi Sharda Enterprises walo ne nikal toh nahi diya… upar se Daddu ko bhi advance me paisa pahuchana hai…”
“thik hai… main puchh ke aata hoon”
nice update ..vivek ke bhai se ilaaj kara raha hai apna .aur vivek ke saath yo bro yo bro khel raha hai 🤣🤣..vivek se bahut si jaankari bhi mil rahi hai arman ko .
kaam se nikal diya ya nahi dekhte hai 🤔..
 
  • Love
Reactions: The Immortal

DARK WOLFKING

Supreme
15,582
32,045
259
Update 94

Khair, wo saand mujhe bahut der tak maarta raha, usne mujhe saamne ek ladki ki desk me jhukaya aur marta raha… marta toh main bhi usko..lekin usne mujhe aise pakad rakha tha ki main apni jagah se hil bhi nahi pa raha tha…. phhir mar khate hue meri nazar mere saamne baithi ladki ke hath pe gayi.. uske hath me ek pen tha aur pen dekhte hee maine apni puri taqat laga di sirf apna hath chhudane ke liye… ki kisi tarah se mere hath me ye pen aa jaye. Lekin aisa nahi hua, mera hath nahi chhoota aur wo saand mujhe non-stop marta raha… pata nahi us BC ko kya khunnas thi mujhse, jabki main toh aaj dusari baar hee uska class attend kar raha tha…
“bahut hoshiyar samajhta hai apne aap ko…huh… le…..le…”mere sar ke baal pakadkar mera sar ghumate hue usne aakhiri mukka meri peeth me mara aur phhir mujhe chhod diya…
“ja…jakar baith, apni jagah me… bahut charbi chadh gayi hai tum logo ko”
Aur main ab tak isi soch me tha ki…hua kya.. isne mujhe itni buri tarah kyun peeta, ye jaante hue bhi ki main is school ke trustee ka beta hoon… upar se jab mera pure school me itna name chalta ho. matlab maine apne school ke aakhiri din ke liye ye toh nahi socha tha… par sach toh yahi tha, sach toh yahi tha ki us saand ne mujhe meri hee class me ek ladki ke bench par jhuka-kar meri thulayi ki thi….
Puri class mujhe dekh rahi thi aur main us ladki ke pen ko… maine apna sar thodi der ke liye dabaya aur phhir sar ke baal banakar, angadayi lekar us ladki ke hath se pen kheecha aur kursi me virajman apne class teacher ke shoulder me puri taqat se pen ghusaya… pen toh sirf thoda sa ghusa lekin use dard itna hua ki wo turant apna shoulder pakad kar chair se neeche gir gaya…. usne kabhi socha bhi nahi hoga ki main bhi uspar hamla kar sakta hoon, wo bhi itni jaldi…. Mujhe marne ke baad toh wo waise bhi thaka tha, upar se shoulder me ek baar ghus chuke pen ka dard…
“tu mujhe mar raha hai, apne teacher ko…”
“bad people need to be punished by worse people”ek aur baar pen uske shoulder me ghusakar maine kaha… mera nishana utna achchha toh nahi tha ki pahle wale zakhm me hee pen ghuse… par dard toh usko is baar bhi hua tha. aur phhir maine teesari baar pen ghusaya….
Itne me class ke kafi ladke mujhe rokne aaye, ladkiya awwww karne lagi… kuch toh rone bhi lagi…
“kyun be saand…”apna juta nikal kar neeche gire hue teacher ke sar ka bal usi tarah pakda jis tarah usne mera pakda tha aur uske gaal par back to back jute se marte hue maine kaha “suna hai teri biwi ko bachcha nahi hota, mere paas bhej de… ho jayega..”
Jis tarah mujhe mere class teacher ne mara tha, us tarah maine bhi apne class teacher ko mara… class bhi wahi thi aur classmates bhi… so meri jo izzat pure class me utri thi use maine wapas pahan liya… nahi…? Mujhe toh yahi lagta hai… baki background scene me teachers ne mujhe jamkar sunaya… lekin jab maine puri baat batayi aur gawahi me puri class ko saamne khada kar diya toh us teacher ko turant school se nikal diya gaya , is farman ke sath ki wo ab is sanstha ke kisi bhi school me teacher nahi ban payega aur ek baar phhir is kaam me mere aur Varun ke papa sath the….
Lunch tak me ye pura mamla salat gaya aur school me us pure din shayad yahi baat chali ki kaise Arman naam ke yugpurush ne ek rakshas ka sanhar kar diya… bas usi din se maine khud ko Yugpursh ki upadhi se nawaza…
aaj Amarnath sir do class back to back le rahe the… ek lunch ke pahle aur ek lunch ke baad….
Amarnath sir ne board ke ek sire se lekar dusare sire tak ek line kheechi aur usi line ke parallel line kheechne me itne vyast ho gaye the ki board me line kheechte-kheechte wo deewar me line kheechne lage aur phhir deewar me line kheechte-kheechte class ke bahar hee chale gaye…. lawda, kya kamal the Amarnath Shukla bhi…
Amarnath sir ke is stunt par puri class hasne lagi ,lekin gate ke saamne baithi do ladkiya kuch jyada hee khii-khii kar rahi thi… jis par Shukla ji ko bahut ghusa aaya aur unhone jakar un dono ki choti jod di aur bole…
“kya khhii-khhii laga rakhi hai…tum logo ko jo itni shiddat se padhata hai usi ka mazak udati ho, abhi pel dunga toh akal thikane aa jayegi…bakchod kahi ki…”
Ye unhone kaha… mujhe pata hai ye believable nahi , par ye unhone kaha bhi aur humne suna bhi…
Lunch ke baad wali class me unhone padhate waqt khidki se bahar khadi meri bike dekhi aur class ke taraf apna rookh karke puchha…
“ye gadi kiski hai…”
maine hath uthaya…..
“ye gadi nahi…gada hai… ekdum padwa… kitni heavy hai. hum ye gada dekh kar hee samajh gaye the ki Arman aaya hoga… koyi baat nahi, baitho… toh class, LINE ka ek aur question main tum sabko padhaunga… par ek chiz yad rakhna, chahe Physics padho, Math padho ya biology… yadi kisi question me diagram hai toh pahle theory padhkar, description padhkar diagram yaad karo aur jab diagram yaad ho jaye toh exam me diagram ki help se theory likh do…. Matlab study time theory ki madad se diagram banao aur exam me diagram ki madad se theory…. Chize aasan nahi hoti, par unhe aasan banaya ja sakta hai. Aaj ki class yahi khatm hoti hai……. bye”
.
Mere school me aise kayi teacher the, jo ki antique piece the jaise Amarnath Shukla, Bulla, wo Saand… sale ek se badhkar ek… full comedian. Khair jab maine decide kar liya tha ki main is school me agle saal se nahi padhunga toh main us din apne class me sabko dekh raha tha… mujhe koyi gam nahi tha, school chhodne ka balki main toh khush tha agle saal se main gharwalo se door aaram se rahunga…
Apne school ke aakhiri din, aakhiri class me maine Shweta ko I love you bolne ka plan banaya tha… thodi fat bhi rahi thi ki yadi usne mujhe reject kar diya toh meri izzat ke toh lavde lag jayenge wo bhi aakhiri moment me… phhir is school me aane wale kya bolenge ki Yugurush Arman , jisne sabkuch kiya… wo ek ladki tak nahi pata paya, is tarah toh meri gatha aadhoori rah jayegi… kahi log mujhe gay na samjhe… isliye jo bhi ho mujhe Shweta ko propose karna hee padega… waisi bhi thodi-bahut line toh deti hee hai..
Maine apni copy se do page fadkar ek me dil banaya aur ek me gulaab aur Shweta ki taraf jaane ka socha…
“baap re, kitna halla karte ho tum log…”tabhi wild card entry marte hue ek lady teacher boli “ek toh kuch din baad exam hone wala hai tum logo ka… usme bhi itna halla…”
“ye behan ki lawdi kaun hai be…”maine Varun se puchha…
“jhat barabar laundo ko padhati hai…”
“nursery walo ko…?”
“hao…”
“toh phhir ye yaha kya kar rahi hai… iski maa ko chodu, ye baith kyun rahi hai… aise me kaise hoga”
“mujhe kya pata…”
“aise me main Shweta ko propose kaise karunga…”
“tu Shweta ko propose karne wala hai…?”
“haan…ye dekh maine dil bhi banaya hai aur red rose bhi…”
“yeeee… aur red rose… sale kariya pen se rose bana kar bolta hai red rose…”
“neeche dekh p.s. karke likha hai…. p.s.red rose”
“aur ye dil hai… mana ki tere paas dil nahi hai, par tujhe toh dil banana bhi nahi aata”
“lavde, actual dil aise hee rahta hai… jis shape me tum log banate ho na… wo thoda galat shape hai… mujhe dikhawa pasand nahi… samjha…”
“ja bhai..tu ja.. ye kala dil aur ye kala gulab lekar…”
“haan to jaunga, teri tarah fattu nahi hoon… log misaal dete hai mere naam ki”
Main apni jagah se khada hua aur beech class me, jab wo jhat barabar laundo ko padhane wali madam class me thi tabhich maine unse permission mangi aur Shweta ke peechhe wale khali bench me jakar baitha… is beech wo wildcard lekar entry marne wali madam ne ek taraf se sabka name, unke baap ka name puchhna chalu kar diya…. nagdi, Sali….
______________________________
majedar update .teacher se maar khane ke baad usko bhi waise hi maara maja aa gaya 🤣🤣🤣...
 
Top