DARK WOLFKING
Supreme
- 15,583
- 32,047
- 259
nice update ..ye jo past me arman dekhta hai ye pehle ho chuka hai ya bas arman ki imagination hai ?? agar uska baap itna maarta hai to shayad pyar nahi karta arman se .aur varun se itni nafrat kisliye abhi to wo bachche hai,, to har baar varun se dur rehne ke liye kehna samajh nahi aaya aur varun me aisi kya galat aadat hai ? ..Update 61
Maine apni aankh ek baar band karke ahiste se apni aankho ko sahlaya aur phhir apni aankhe kholi….
“ab saaf dikhayi de raha hai…lekin ye kya…. koyi mujhe bat se marne wala hai… iski toh… ”bolkar maine apni aankhe band kar li… lekin jab kuch der tak mujhe kuch ahsaas nahi hua toh maine apni aankhe dobara kholi…
“what the… fuck. Pahle Vandana Rathi ka flat , phhir ghar ke paas wala ground aur ab turant hee ek jhatke me main apne school ke basketball court me ? itni jaldi-jaldi scene kaise change ho raha hai…lagta hai past ka recap mode activate ho gaya hai…”
.
Main is samay apne school ke basketball court ke paas akele baitha hua tha aur thodi der tak main wahi baithakar apne aaju-baju dekhne laga ki koyi yaha bhi toh mujhe marne nahi aa raha hai aur jab thodi der tak waha koyi nahi aaya toh main waha se khada hua aur school ke main gate ki taraf chal pada….Mera irada abhi filhal school se bahar nikalne ka tha…lekin maine jaise hee school ke main gate se bahar jaane ke liye apna pair uthaya mera pair hawa me hee rook gaya…meri puri body jaise jam ho gaya ta… main apne sharir ka koyi bhi ang nahi hila pa raha tha…yaha tak ki apni ek ungali bhi nahi mujhe aisa laga jaise bhagwan ne mujhe statue bol diya ho aur us dauran jab mera pair hawa me atka hua tha tab…aasman ka rang bahut tezi se badalne laga…school ki deeware achanak se chhoti-badi ho rahi thi…waha school ke paas jitney bhi ghar ya dukane thi…sabme koyi na koyi changes ho hee rahe the…kisi ka color change hota toh kisi ka shape. sadak, school…waha bane ghar aur dukane sab kuch meri aankho ke saamne tezi se badal rahe the aur phhir eka-ek hawa me latka hua mera pair zameen me aaya par ab main school me nahi tha…ab main apne ghar me khada tha….
Chaukte hue main apne ghar ki deewaro ko dekhne laga ki kahi ye bhi badal rahi hai ya nahi… aur jab unme koyi parivartan nahi hua toh maine baki mahol pe dhyan diya…jis-se mujhe pata chala ki mere mummy-papa ke sath mera bhai saamne sofe par baitha hua hai aur main kisi mujrim ki bhaati unke saamne khada tha…jis-se mujhe ahsaas hua ki zaroor maine aaj ke date pe koyi kaand kiya hoga jiski peshi ghar par chal rahi hai… maine apne sar par apna hath firaya toh paya ki mere sar me patti bandhi hui hai… yani ki meri zaroor kisi se ladayi hui hogi… yaad aaya, wo ground me us ladke dwara mujhpar bat se hamla…..
“jawab dega… ya yun hee muh band kiye khada rahega….”Vipin bhaiya ne mujhse kaha…
“jawab kya dena hai…hum log match khel rahe the aapke dosto se. aur jab wo harne lage toh gaddari karne lage… jispar Varun ne aapke dosto ko gaddar kah diya aur aapke wo sand jaise dost Varun ko marne lage…aur beech-bachav me mujhe ye chot lag gayi…”
“tujhe hazar baar kaha hai ki Varun ke sath mat ghooma kar…lekin tu…”sofe se uthkar mere papa ne mujhe ek tamacha jad diya….
“teri maa ka…”mann hee mann me maine kaha aur chup-chap sah liya…
“ye aise hee sudhrega papa… kuch log iski tarah laat khane wale hee hote hai jine apne family ki izzat ki koyi parvah nahi hoti…”Vipin bhaiya ne kaha….
“Arman… tu kyun aisa karta hai… abhi pichhale hafte hee tere sar me chot lagi thi aur aaj phhir tune….”bolte-bolte meri maa ruk gayi… kyunki is dauran mere papa ne mere gaal par ek aur tamacha pel diya tha…
“teri maa ki maa ka…”dusara tamacha khane ke baad maine kaha…..lekin mann me
“dekh beta… Varun acha ladka nahi hai…uske sath mat ghooma kar… tu humari baat maan kyun nahi leta… teri sab ladayi uski vazah se hoti hai”
“mom… aapko pata hai, main pichhale kayi dino se soch raha tha ki Aisi kya vazah ho sakti hai… jiske karan aap sab Varun se itna nafrat karte ho… mera matlab Varun , Vipin bhaiya ke un sabhi langoor dosto se laakh guna acha hai…jinke sath baithkar Vipin bhaiya Government school ke peechhe cigarette peete hai… kabhi Vipin bhaiya ke dosto par gaur kiya hai…? unke dost bus stand me ladkiyo ko chhedte hai…unse gali khate hai aur gali khane ke baad daant dikha kar haste hai…atleast Varun aisa toh nahi karta. Papa aapko pata hai ki nahi par Varun bhaiya ki ek girlfriend hai… jiska name toh abhi mujhe yaad nahi par main aapko baad me bataunga… in dono ko maine apne hee ghar me kiss karte hue dekha hai… isliye mujhse nazar hatao aur apne idol bete ki fikra karo…”
“Vipin tu ye sab karta hai… aise logo ke sath ghoomta hai… “Vipin bhaiya ko jordar hadkate hue papa ne kaha aur main intezaar karne laga ki abhi…bas abhi jaise mujhe do thappad pade waisich papa Vipin bhaiya ke bhi gaal laal kar denge…. Lekin unhone Vipin bhaiya ko kuch nahi kiya… even thik dhang se fatkar tak nahi lagayi….
“mujhe do diya hai…bhaiya ko kam se kam ek toh banta hai papa”
“tu bilkul chup rah aur Vipendra ye sab karta hai, iska matlab ye nahi ki tu bhi ye sab karega….samjha…aaj ke baad yadi tu mujhe Varun ke sath dikha toh soch lena Arman…puri 206 haddiya tod dunga teri”
“darasal, main ab puri tarah samajha ki aap sab Varun se itna nafrat kyun karte ho…ab mujhe iska reason samajh me aaya hai…aap log Varun se nafrat karte ho kyunki uski family humse jyada paisewali hai… uske dad ki pahuch aapse jyada hai aur school ke har function me aapse pahle Varun ke papa ka samman kiya jata hai… isiliye aap sab Varun se nafrat karte hai…nahi ye sahi word nahi rahega…nafrat nahi…nafrat nahi….jalna…ye word perfect rahega…. Aap sab Varun se jalte ho kyunki unki family humari family se jyada powerful hai… common dad, grow up”
“teri himmat kaise hui dad ki insult karne ki…”Vipin bhaiya apni jagah se uthe aur mujhe marne ke liye apna hath utha liya…
“last time tujhe school me bola tha na be… ki yadi tune ab aage se mujhpar kabhi hath bhi uthaya toh MAA KASAM zinda gaad dunga…. Remember…theoretically samajh nahi aaya lagta hai, practically samjhana padega”Vipin bhaiya ka hath pakad kar unhe peechhe dhakka dete hue maine kaha
aur mere aisa karte hee mere papa ne meri jo thukayi start ki wo bahut der tak chali aur usi thukayi ke dauran ek scene aisa aaya jisme mujhe marte hue mere papa achanak rook gaye… bole toh same wahich situation jo kuch der pahle school ke main gate se nikalte waqt thi…ek baar phhir se mere charo taraf ke drishya bahut tezi se badalne laga…aur abki baar mera sar bhi ghoomne laga… mujhe aisa laga ki mujhe chakkar aa rahe hai aur jab ye changing khatm hui toh main wapas apne school ke basketball court me tha…. Lekin abki baar waha main akela nahi tha…waha koyi match chal raha tha aur main, Varun ke sath waha court ke bahar baitha us match ka anand le raha tha….
“tera sar kaisa hai, kafi chot lagi hai tujhe aur lawde tu has kyun raha hai… waise thanks…tu beech me nahi aata toh jo zakhm abhi tere body par hai wo mere body pe hote”
“sirf sar wala hota, baaki face wala bapu ne diya tha…kal sham ko…”
“tere baap ne tujhe itne bure tarike se mara…?”chauk kar mere chehre ke nishan ko dekhte hue Varun ne kaha “Arman, tu apne baap par case kar de… main apne baap se baat karu…?”
“yes…basket… apni team ab haar jayegi… yes…woooh… salo ne mujhe ye bolkar team me nahi liya tha ki main cricket me dhyan doon…ab lawda le le, school wale…. District level me hee sale bahar ho jayenge…”
“tune jawab nahi diya , tu bole toh apne baap se tere baap ke baare me baat karu…”
“kis baare me… yessss…. Opponent team ne phhir se basket kiya…”
“wahi tere baap ke upar police case ke baare me…”
“the more pain we feel, stronger we become… par main kabhi-kabhi sochta hoon ki…. yar, zindagi kitni simple hoti yadi hum family ke chutiyape me nahi padte toh…. tujhe kya lagta hai kaun jeetega…aaj ka match”
“tu kab se itna interest lene laga basketball me… jaha tak main tujhe jaanta hoon uske hisab se toh tu…..”
“if you think you know, you don’t know me at all…”Varun apni baat puri kar pata uske beech me hee maine kaha “dekh beta… ye cricket-vricket toh koyi bhi khel leta hai… lekin yadi ladkiyo ko impress karna hai toh basketball type ka game khelna shuru kar de… jis-se Reema toh kya uski badi bahan Seema bhi tujhse pat jayegi…”baithe-baithe ecliars chocolate khate hue maine Varun se kaha…. “is game me bahut rola hai, zara dekh kaise wo tujhse bhi badsurat launda basketball khelte hue smart lag raha hai…”
“bol toh sale aise raha hai… jaise khud bahut bada shurma ho is khel ka aur pachaso ladkiya pata rakhi ho… ”
“toh shurma ban jaunga…main jab bhi is game ko dekhta hoon toh , aisa lagta hai jaise main isi ke liye bana hoon… padhai toh main befaltu kar raha hoon… matlab mere andar se mujhe ahsaas hota hai ki main bahut achchha basketball khel sakta hoon… seriously , mujhe iske sapne bhi aate hai… jisme main toofan ki tarah basketball khelta hoon…ab pata nahi wo main hee rahta hoon ya koyi aur…. aur tu yakin nahi karega ki maine kabhi TV par is game ka ek match nahi dekha ,kabhi is game ki rulebook nahi padhi….lekin mujhe iske pure niyam maloom hai…ye game mere andar default app ki tarah hai….”
“aur wo kaise…”
“abhi bataya toh ki main sapne me ye game khelta hoon…bas wahi se… ab mera tujhse ek sawal hai….Varun kya tujhe basketball court hilta hua dikhayi de raha hai…”
“nahi toh…”
“chal phhir…… milte hai…..kuch din baad ya phhir…… kuch mahine baad ”khada hokar Varun se hath milate hue maine kaha “good byyyyee aur…….. Sonam ki maa ka bhosda…”
Maine Varun se itna kaha aur meri aankh apne aap ek pal ke liye band hui aur phhir dusare hee pal turant meri aankh khuli….as expected main Vandana Rathi ke gardan me gira pada tha…..
______________________________