DARK WOLFKING
Supreme
- 15,583
- 32,047
- 259
nice update ...ab job karne ki soch raha hai isliye gate ka form bhara aur apna time table ka calculation bhi kar liya ..aur sabse badi baat nh6 pe chori karna ..Update 45
“waise gate se yaad aaya ki gate ka form bharna shuru ho gaya hoga…toh bhar du ?”
“bhar de…”
“pakka… padhte waqt disturb toh nahi karega na…”
“version 2.0’s promise”
“pakka na…”
“ab kya lawda sperm se likh kar du…”
“ok, done phhir….”
.
Maine gate ka form bhara aur gate ka form bharne ke baad zameen par let kar cigarette peete hue gate ki preparation ka plan banana laga…
“ek din me chaubis ghante…jisme se char ghante sone ke liye…dus ghante padhai ke liye…do ghante cigarette aur daru peene ke liye…10+4+2= 16…phhir bhi 8 ghante bach rahe hai…chalo isme se do ghante NH-6 me loot ke liye nikal deta hoon….phhir bhi 6 ghante seedhe-seedhe khali hai…ok…16 ghante gate ki preparation…char ghante sone ke liye aur…do ghante NH-6 me dhamaka karne ke liye aur baki bache do ghante cigarette aur daru peene ke liye…16+4+2+2= 24 hours…L.H.S. = R.H.S. , hence proved….lekin aaj se nahi…abhi toh bahut taiyari karni hai….”
.
Yahi sochate hue main zameen par letkar bina kash khiche cigarette jalata raha aur phhir pura dum lagakar ek kash khicha.cigarette ke us ek dumdar kash ke dauran meri nazar ceiling fan par gayi….fan bahut tez chal raha tha aur jis direction me pankha ghoom raha tha(clockwise) meri aankh bhi usi direction me ghoomne lagi…shuru-shuru me toh mere aankh ke ghoomne ki speed bahut slow thi…lekin samay ke sath mere aankh ki bhi ghoomne ki speed badhti gayi….maine ye sab aise hee time pass ke liye shuru kiya tha lekin ab ye rook nahi raha tha…meri aankh itni tez rotate karne lagi thi mera sar chakrane laga tha…aur phhir ek samay aisa aaya jab meri aankh ki rotational speed fan ke rotational speed ko match kar gayi….jiska pata mujhe tab chala jab fan dheere-dheere slow hokar rook gaya tha…lekin ye haqiqat me nahi hua tha….haqiqat me toh fan ab bhi ghoom raha tha…jiski hawa main mahsoos kar sakta tha…actually ho ye raha tha ki mere aankh ki rotational speed fan ki speed ke equal ho gayi thi…yani ki fan aur mere aankh ke beech relative motion zero ho chukka tha…isliye mere room ka ceiling fan mujhe rooka hua dikh raha tha…jabki actual me wo bahut tez speed ke sath ghoom raha tha aur meri aankh bhi.
Main kab tak aise hee zameen par pada raha mujhe nahi maloom par bahar jab kisi ne mera name pukara toh main mano hosh me aaya aur apni aankh mijte hue bahar gaya…..
“Varun tu… ?”
“kyun be…aaj coaching nahi jana kya…”
“lawda,phhir se past me never mind…pankhe ki maa ki choot….”
“kya bol raha hai be…chal jaldi…warna janta hai na ki physics wala teacher kaise insult karta hai…”
“tu do minute rook, main do minute me aaya…”
Varun ko rukne ke liye kahkar main andar gaya aur apne bag se sara samaan zameen me fek-kar sirf ek rough copy bag me dalkar bahar aa gaya. maine Physics ki book bhi nahi li thi kyunki jo Physics main tution me padhne wala tha ,wo sab mujhe pata tha balki us-se kuch jyada hee matlba bahut jyada. You know its apun’s language….maine apne gharwalo ko aawaz di…lekin meri aawaz sunkar koyi nahi aaya jis-se maine ek aur baar aawaz di par nateeza wahi raha…yani ki is baar bhi kisi ne koyi response nahi diya…jisase mujhe shaq hua ki kahi kisi ne silently mere ghar walo ko tapka toh nahi diya…isliye maine pura ghar chhan mara …..
“kamal hai ,mere ghar me mere aalwa koyi nahi hai…”bahar aate hue main Varun se bola “tujhe pata hai kya Varun ki mere gharwale kaha gaye hai…”
“mujhe kaise pata hoga…”apna kandha uchkate hue Varun ne jor se jawab diya….
“toh chillata kahe hai be…”ek mukka markar maine Varun se kaha…
“waise tune mujhe kal school me bataya tha ki tu ,kal apne family ke sath kisi Pandey ji ke yaha jayega…lagta hai tere gharwale tujhe chhodkar chale gaye… main toh ye bhool hee gaya tha, warna tere ghar thode aata.lekin achchha hee hua ki aa gaya”
“ho sakta hai…main toh so raha tha…ya phhir ye bhi ho sakta hai ki maine hee jaane ke liye mana kar diya ho…waise aaj taarikh kaun si hai…”
“28”
“full form me bata be..”
“28th November 2009…”
“November….mahina chal raha hai ? ”
“haan toh isme itna khush kyun ho raha hai….”
“chal bata ki 2011 me world cup kaun jeetega…”
“India…”Varun ne jawab diya….
Aur Varun ka jawab sunte hee main road par khushi se nachne laga…yesss…yani ki yun hardum past me aana meri koyi bimari nahi hai…balki ek ability hai…main past events ko change kar sakta hoon…past me jakar apna messege de sakta hoon…jiske according sab kuch real me change ho sakta hai…toh kya is tarah main apne college ki story badal sakta hoon ? bilkul badal sakta hoon…? Main councilling ke dauran us college ka option hee nahi dalunga…jisme main padh chuka hoon…is tarah main apna future safe kar lunga…yay… main mahan, mera sab kuch mahan…
“itna naach kyun raha hai…”mujhe bakchod ki tarah sadak par kudate-fadte dekh Varun ne pucha…
“tu nahi samjhega…tu ye bata ki 2015 me india world cup jeetegi ya nahi…”
“mujhe kya pata…wo toh tu kal school me ek ladke se 2011 world cup kaun jeetega is topic me ladayi kar raha tha…tera kahna tha ki India aur us ladke ka kahna tha ki Australia…aur tu ab mujhse na lade isliye maine India kah diya….”
“lavde ke baal…”apne emotion ko control karke maine Varun ke pichhwade me ek laat meri aur badle me apne pichhwade me ek laat bhi khayi aur phhir apna pichhwada sahlate hue bola…
“main khamkha kya-kya sochne laga tha…lekin tune mere sare armano par muh se mutth mar diya…”
“muh se mutth…?”bolkar Varun apna muh alag-alag shape me banana laga… “yuck”
“ab ye kya kar raha hai…”
“muh se mutth maar raha hoon…”
“bakchod sale…acha ye bata…tution me kaun sa topic chal raha hai…”
“laws of motion…”
“mujhse sab banta hai…”
.
Kya maine kabhi apne school ke physics teacher ke bare me bataya hai ? mujhe thik dhang se yaad nahi…isliye yadi bataya bhi ho toh ,dobara bata deta hoon…humare school ke Physics teacher ka name Amarnath Shukla tha…aur sala ek number ka chodu…bakchod…lanth aadmi tha…aap zindagi me ek baar kisi ladki ko samajh sakte ho lekin Amarnath ko samajh pana….koyi chance hee nahi….humne uska name pyar se Amaru rakha hua tha…jo ki use bhi pata tha…lekin wo ise enjoy karta tha…uski ek khas property thi ki wo standard temperature aur atmospheric pressure me kisi ke bhi samne, kisi ko bhi… kuch bhi bol deta tha ,phhir chahe wo uske students ho ya phhir uska beta…ya phhir uski biwi. Uski biwi tana-tan maal thi aur ghar me aane wale har mard ko vaasna ki nazar dekhti thi…ya phhir nahi dekhti thi…main is bare me confirm nahi hoon…lekin Amaru ka launda bahut pahuchi hui chiz tha…ghar me jaha wo gand-fati me rahta wahi bahar full ayyashi pelta tha…mujhe ab bhi yaad hai Amaru ke bete ka ek kissa jisme usne apne se 6 saal badi ladki ko bus-stand me khullam khulla propose mara tha…wo bhi apne liye nahi balki apni colony me rahne wale apne jaise hee ek launde ke liye… us din humari toh gand hee fat gayi thi aur hum soch me pad gaye the ki BC Amaru ne kis angle se apni biwi ko chodkar ise paida kiya hai.anyway….
Amaru ko Physics ke bare me knowledge toh bahut tha lekin uske ajeeb bartaav ke karan uski class science ki class kam…comedy classes jyada lagti thi…aur bas yahi se mujhe physics me interest aaya…dusare shabdo me kahu toh Amaru mera inspiration tha aur yadi ise teesare sabdo me kahu toh Amaru hee wo shaks tha jis-se maine seekha tha ki Physics aur bakchodi ko mixup kaise karna hai.
Hum paanch launde Amaru ke yaha physics padhne jaya karte the…par waha padhayi kam bakchodi jyada hoti thi…abhi Shukla ji ne first law of motion padhaya hee tha ki unhe bhookh lagne lagi….aur unhone apni biwi ko khana lane ke liye kaha….
“tum log bhi khaoge kya…”
“nahi sir…”Varun ne jawab diya…
“dekho agla topic hai force yani ki bal…jab tum kisi bhi chiz ko dhakka dete ho aur wo gati karne lagti hai toh usme bal ki ek matra kaam karti hai…jise hum F=ma se nikalte hai…lekin yadi bal lagane se wo chiz ya vastu gati nahi karti toh….”
“sir, wo bal nikalne ka derivation aapne nahi bataya…”smart banne ki koshish karte hue Varun ne ek sawal daga…
“ajeeb aadmi ho yar, tum toh Physics ki maiyya chod de rahe ho.beech me disturb kyun kar rahe ho..bakchod-vakchod ho ka…Arman, maro sale ko…”
Amarnath sir ne aisa kaha…jo ki unka chir-parichit andaaz tha aur phhir maine bhi apne chir-parichit andaaz me ghuma ke ek mukka Varun ki peeth me jama diya…
______________________________
par ye arman ki aankhe fan ki speed se kaise match kar rahi hai ?? ..
ab amru sir ko bhi physics padhayega kya arman ..
aur lagta hai shayad zakhmi hone par angelina se mulakat ho kyunki wo doctor to ban hi gayi hogi ..