AB TAK AAPNE PADHA KI GASTON AUR DORIAN NE RAAZ KE PET ME VADIN NAAM KA ASTRA GHUSSA DIYA JISSE RAAZ KI HAALAT BIGATI CHALI GAYI AUR AAKHIR ME USNE APNI AANKHEN BAND KAR LI...
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(UNFOLD THE RAAZ)
MEGA UPDATE-35
PLANET-ELYSIAN
PLACE-FORBIDEEN FOREST
YE TUMHARA ANTH NAHI HAI RAAZ....
YE US SAMAY KA ANTH HAI JISNE TUMHE MAAMULI HONE KA DARJA DIYA THA...
YE US GHADI KA ANTH HAI JISKI BISAAT ME AB TAK TUM SIRF EK MOHRE THE...
YE US AAKHRI LAMHE KA ANTH HAI JAB TUM IS KAHANI KI MAHAZ EK KAMZOR KADI THE....
PAR AB WAQT, SAMAY,GHADI, LAMHA TUMHARE KHWAHISHON KE GULAAM HONGE....
KAAM SE HOTA HAI NAAM,
PAR AB TUM WO BANOGE,
JISKA NAAM SUNTE HI SAARE
KAAM HONGE.....
ek awaaz jo kisi bhavishyawaani ki tarah gunjte hue FORBIDDEN FOREST ke andar se aa rahi thi aur in saari baaton ke beech ussi FORBIDDEN FOREST ke andar se ek roshni nikal aage badhti chali jaa rahi thi....
aage badhte badhte wo roshni us FOREST ke shield ke paas aakar ek second ke liye ruki aur fir aage badh gayi...
par ye kya????wo roshni us SHIELD
ke beech me se aise baahar ki taraf nikal gayi maano wahan shield thi hi nahi....
FORBIDDEN FOREST ke andar se chali wo roshni shield ko cross karte hue seedhe RAAZ ki disha me chal padi...
RAAZ....jisne kuch der pehle hi apni aakhri hichki li thi...
jo mari hui si haalat me pada hua tha FORBIDDEN FOREST se kuch door ek maidan jaisi jagah par aur uske left side me ussi haalat me pade hue the asli ACCHUTA aur SLUNDER....
aage badhti hui wo roshni sidhe jaakar ruki RAAZ ke thik upar....
par RAAZ ke upar pahunchne ke baad bhi us roshni ne RAAZ ko chhua nahi,bas wahin steady hokar rooki rahi maano kuch hone ka wait kar rahi ho....
aur tabhi........
pure ELYSIAN planet se ek adrishya ray khudko sameththe hue aane lagi aur dekhte hi dekhte wo ray ek urja ka gola ban thik us roshni ke upar aakar ruki...
uske aisa karte hi wo roshni ek taraf ho gayi maano us ray ko raasta de rahi ho...
thik ussi waqt....
RAAZ ke sir ke upari bhaag me bhi us ray jaisi hi ek roshni ubhri aur aisa hote hi RAAZ ki body hawa me uthne lagi....
wahin RAAZ ki body ke upar uththe hi wo ray bhi neeche aane lagi aur kuch der baad.....
wo saari ray RAAZ ke brain me sama gayi....
aur aisa hote hi.....
RAAZ matlab mujhe meri aankhen band hone ke baad pure ELYSIAN me kya kya hua tha,wo pata chal gaya....
mujhe mara samajh GASTON aur DORIAN ka apne astra ko jo unhone mere pet me ghusaya tha,usse wapas kheench yahan se jaana, SWEEP-STAKE competition me ho rahi gati vidhi, ALFREEN ka jisne mujhe aaghat pahunchaya tha,uska MORALS ko cheer karna sab dikhne laga tha...
waise meri ankhen abhi bhi band thi....chetna meri abhi tak louti nahi thi par ek sapne ki tarah ye saari chizen,ya fir ye kahun ye saare tathya mere CONSCIOUS brain ke zariye mujhe dikhne lage....
khair,jaise hi wo ray mere andar samayi,us roshni ne jo ab tak rooki hui thi, apne daayre ko failaya aur dekhte hi dekhte mai aur mere saath saath ACCHUTA aur SLUNDER bhi us roshni ke ghere me aa gaye aur aisa hote hi meri hi tarah un dono ke bodies bhi hawa me uth gaye aur fir hum teeno hi hawa me lehrate hue us roshni ke saath FORBIDDEN FOREST ki tarar badh chale...
meri body sabse aage thi... FORBIDDEN FOREST ke entrance me pahunch mera sharir rook gaya....
rookne ke baad hawa me lehrata mera sharir dheere dheere sidha hua aur aisa hote hi mere pure sharir se ek nayi urja baahar nikal us SHIELD par padi aur tab.....
FORBIDDEN FOREST ka wo impenetrable SHIELD ek tez gadgadahat ke saath gayab ho gaya....
us SHIELD ke gayab hone ke agle nano seconds ke andar mera, ACCHUTA aur SLUNDER ka sharir us roshni ne FOREST ke andar kheench liya aur aisa hone ke theek baad....
ek naya SHIELD us entrance me ban chuka tha...ye wo shield nahi tha jo ab tak FORBIDDEN FOREST ke charon taraf ghira hua tha par haan,strong ye us SHIELD jitna hi tha ya fir shayad usse bhi zyada....
khair, FORBIDDEN FOREST ke andar kheenchate hue hamara sharir waise hi hawa me float hota hua aage badhne laga....
aur fir ek jagah pahunchkar......
hum teeno ka sharir neeche zamin me utar gaya....
jahan hum behosh pade the,wahan se kuch door ek choti si chattan thi aur ussi chattan ke upar ek choti par behad shaktishali urja se bhari roshni chamak rahi thi...
ye wahi urja thi jo kuch der pehle mere baare me baat kar rahi thi aur isne hi hum teeno ke sharir ko roshni ke maadhyam se yahan tak laaya tha...
sthir mudra me kuch der tak wo urja thehari rahi maano mujhe dekh rahi ho par fir....
RAAZ........
mera naam pukara us urja ne jo sidhe mere dimag me gunj si uthi aur aisa hote hi dheere dheere meri aankhen khul gayi.....
PLACE-SWEEP-STAKE
SAMVESTATE
SHRINK TOGETHER
WICKEDS ki human chain formation me jo SAVENT sabse aage tha,usne is spell ko uccharit kiya tha jiske baad uski puri team ka aakar ek chiti ki size ka ho gaya aur aisa hote hi WICKEDS ne apni human chain tod di....
human chain ke toothte hi wo sabhi tezi se us aag ke diwal ki taraf badhne lage par aisa hone ke baad bhi unme se kisi ne bhi khudko rokne ki koshish nahi ki....
wo 10 SAVENTS tezi se us aag ke diwal ki taraf kheenchane lage aur jaise hi wo aag unhe jalane ko hui toh.....
arre ye kya????
wo 10 ke 10 SAVENTS toh us aag ke diwal ke aar paar ho gaye aur wo bhi bina us aag ki chapet me aaye hue.....
par kaise???
wo aise ki kuch der pehle tak human chain ka formation liye WICKEDS ke aabse aage khade SAVENT ki nazar badi baariki si us aag ke diwal ka nirikshan kar rahi thi...
lagatar dhyan purvak dekhne par usne dekha ki jahan wo puri diwal aag ke peeli lapton se bani hai wahin us diwal ke right side par ek aisi jagah bhi hai jahan aag ka wo peelapan baaki jagahon se halka alag hai...
diwal ke baaki ka pura area jaisa aag dikhta hai,waisa hi dikh raha tha par wo area jahan us SAVENT ki nazar thami thi,halka diamond jaisa shine kar raha tha...
wo area behad chota tha par apni alag chamak ki wajah se dhyan dene par dikh raha tha aur usse dekhte hi is SAVENT ko samajh aa gaya ki yahi hai is task ka ZUNYATA bhaag matlab UNREAL part...
bas fir kya tha,sacchayi jaanane par apne mind ko apne sabhi sathiyon ke mind se jod usne sabko ye baat batayi aur fir un sabhi ne khudke chain ko us ZUNYATA waali jagah ke sidh me kiya ..
aisa hote hi saamne waale SAVENT ne sabke liye shrinking spell ko uccharit kiya aur fir jo hua,wo sabke saamne tha....
jaise hi WICKEDS ke SAVENTS us diwal ke dusri taraf pahunche,
TASK COMPLETED....
WINNER WICKEDS.....
ground ke upar se competition ko dekhti MABBA ne bohot proudly is baat ko kaha tha wahin unke baaju me khadi VIOLET WHIZZ MORALS ke haar se sad thi...
MABBA ke announcement karte hi ground ke dusri taraf apne task se jujhte MORALS ke saamne bani paani ki diwal gayab ho gayi.....
MORALS ki team ko bhi pata tha ki pehla task wo haar chuke hain jiski wajah se unke sir neeche ho gaye the....
jahan aadha stadium jo ki WICKEDS ke samarthakon se bhara tha,apne team ki jeet ko dekh Khushi se ucchal pade wahin baaki ka stadium jo MORALS ko support kar raha tha,wo bhi apni team ki tarah udaas ho gaye....
SHITTTT.......
ek saath nikla tha ye shabd OPHILIA,NOX aur OMMIN ke mooh se....
ye teeno bhi MORALS ke samarthak the aur apni team ko haarta dekh sad ho gaye the...
MABBA-NEXT TASK STARTS IN 30 MINUTES....
MABBA ki awaaz pure STADIUM me gunj uthi jiska matlab tha ki aaj ke first halt,first break ka waqt ho gaya hai....
sabhi darshak apne apne stand me bane food & beverages stalls ki taraf badh gaye...
OPHILIA, NOX aur OMMIN bhi apni seat se uthne hi waale the ki....
DHANNNNNN......DHANNNNNN..........
jhunjhuni si padi in teeno aur in teeno ke saath ground ke beech khadi VIOLET WHIZZ ke kaano me jisse sun in chaaron ki hi aakhen badi ho gayi aur chaaron ke mooh se ek saath nikla....
WARNING BELL......
VIOLET WHIZZ- MABBA, mujhe jaana hoga....meri jagah kisi aur ko ARBITER rakh lena....
VIOLET ki baat sun MABBA hairan hui par isse pehle wo VIOLET se kuch puchti, VIOLET gayab ho chuki thi....
gayab hokar VIOLET sidhe apne sah WHIZZES aur WHIZZDERS ke saamne prakat hui....
VIOLET ko yun achanak apne saamne dekhne ke baad bhi wo teeno bilkul hairan nahi hue...
ALARM BELL....ye reason kaafi tha un sabke ek saath aane ka....
OPHILIA-VIOLET...kuch samajh me nahi aa raha hai... ALARM BELL baja par kyun baja,iski khabar hume nahi ho paa rahi hai....
NOX- alarm bell ke bajne ka kaaran hai kisi SAVENT par anhoni ka ghatna par kis SAVENT ke saath kya hua hai???iski jaankari alarm bell ne humtak nahi pahunchayi hai!!!
OMMIN-aur yahi samajh nahi aa raha hai ki ye kaise possible hai???alarm bell ka kaam hi yahi hai ki jo bhi anhoni ghati ho,uske baare me puri jaankari us SAVENT ke PHASE WHIZZES aur WHIZZDERS ko de...
fir is adhuri baat ka kya matlab ho sakta hai..???
VIOLET-yahi ki kisine ALARM BELL ke important interference ko rok diya hai....
VIOLET WHIZZ jo in teeno ki baat ko sunte hue ek disha me dekh rahi thi,usne ye baat kahi par unki baat kisi ke samajhme nahi aayi...
OMMIN-important interference ko rok diya hai,matlab????
OMMIN ke sawal par VIOLET ne kuch kaha nahi bas jahan wo dekh rahi thi,us taraf apni finger point kar di...
ye finger point hui thi RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER ke stand ki taraf jahan is waqt sirf BROWNY hi moujud tha,baaki teeno gayab the....
VIOLET WHIZZ ke finger pointing disha ki taraf dekhte hi...
OPHILIA-arre,ye RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER kahan chale gaye...???ek minute,kahin tum....
VIOLET-haan,jo ho raha hai,usme kahin naa kahin ACCHUTA aur SLUNDER ka haath zaroor hai....
OPHILIA ki adhuri baat ko VIOLET WHIZZ ne pura kiya....
OMMIN-aisa zaroori toh nahi..ho sakta hai wo teeno kahin paas me hi ho...
VIOLET-dekhte hain....
apni baat bol VIOLET WHIZZ apne saath baaki teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ko lekar gayab ho gayi...
BROWNY chupchaap apne stand par khada tha ki tabhi uske saamne ek roshni si prakat hui aur fir us roshni se baahar nikle uske PHASE ke chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS jinhe yun achanak apne saamne dekh BROWNY behad shocked ho gaya....
VIOLET-baaki teeno SAVENT kahan hain BROWNY...????
VIOLET WHIZZ ke sawal ko sun pehle toh BROWNY hadbadaya par fir....
BROWNY-WHIZZ,wo teeno toh kaafi der se yahan nahi hain...
VIOLET-kitni der se gayab hai teeno???
BROWNY-kaafi der ho chuka hai WHIZZ...infact competition ke shuru hote hi RAAZ yahan se nikal gaya tha aur uske kuch hi der baad ACCHUTA aur SLUNDER bhi chale gaye the..
jaane ke baad abhi tak un teeno me se koi ek baar bhi nahi louta hai....
VIOLET-thik hai...
apni baat bol chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS stand se baahar aa gaye....
OMMIN-competition ke start se hi gayab hain ye teeno.. par competition ko shuru hue toh kaafi ghante beet chuke hain....
itni der se kahan hain ye teeno..???kahin hostel...
VIOLET-nahi.. hostel toh kya,wo teeno pure CHOSENS me kahin nahi hain...
pura CHOSENS SENSE SHIELD se ghira hua hai.. yahan har SAVENT ko track kiya jaa sakta hai....
par teeno us shield ke daayre me nahi hain...
NOX-toh ab kya karen???kahan dhunde un teeno ko and most importantly,kaise pata karen ki alarm bell kyun baja tha...????
VIOLET-do nahi,hamare saamne sirf ek hi problem hai...in teen missing SAVENTS ko dhundna..mujhe pura yakin hai ki ALARM BELL ke bajna in teeno se hi juda hua hai...
ab tak baaki teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ko bhi VIOLET WHIZZ ke itne dino tak ACCHUTA aur SLUNDER par kiya shak ab sahi lagne laga tha...
aur uske upar RAAZ..jo apne aap me hi ek anokha piece tha,uska yun gayab hona aur wo bhi un do suspects ke saath,unke dilon me kisi anhoni ke hone ki ashanka de raha tha..
OPHILIA-ye matter bohot bada hai VIOLET..aur hume jald se jald isse solve karma hoga....
VIOLET-iska ek hi tarika hai..hume in teen SAVENTS ki khoj CHOSENS se baahar pure ELYSIAN me karni hogi aur wo bhi turant....
OMMIN-par VIOLET... ELYSIAN ka skheshtra phal 20000 thousand kilometers ka hai...
kya tumhari search ray ki urja itni badi jagah ko cover kar paayegi..!!!!
VIOLET-nahi...mai hi kya, CHOSENS me is waqt kisi bhi PHASE ke kisi bhi WHIZZES aur WHIZZDERS ka soul itna AMPLIFIED nahi hai jo ye kar sake siway ek ke....
SAB-MARILIZA.......
chaaron ke mooh se ye naam ek aaath nikla aur aisa hote hi VIOLET WHIZZ ne apni aankhen band ki aur....
VIOLET-hume aapki zaroorat hai WHIZZ MARILIZA....hamari madad kijiye.....
apne dimag ke tarango se ye message bheja VIOLET ne...
wahin kuch purane respected X SAVENTS jo ki MORALS the,unke saath baithi MARILIZA ke kaano me ye awaaz gunji jiske baad wahan se uth stand se baahar aate aate hi wo gayab ho gayi aur unke gayab hote hi wo chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS bhi gayab ho sidhe pahunche MARILIZA WHIZZ ke office me jahan unse kuch seconds pehle hi MARILIZA WHIZZ bhi pahunch chuki thi..
MARILIZA WHIZZ ko greet karne ke baad VIOLET ne unhe problem ke baare me bataya aur saath hi ACCHUTA aur SLUNDER ke baare me jo unka shak tha,usse bhi diaclose kiya jisse sun...
MARILIZA-ye toh sach me ek gambhir samasya hai...waise jab aapko un do SAVENTS ke upar shak tha,toh aapne mujhe yaa fir jab SOVEREIGN'S yahan moujud the,unhe pehle hi kyun nahi bata diya...????
VIOLET-kyunki jo negetive but strong vibes mujhe un dono se aaye the,wo bohot kam samay ke liye the...
isse pehle ki mai us vibe ko capture karkar aapse ya SOVEREIGN'S se uski jaanch karwaun,wo vibe aur uski energy gayab ho chuki thi....
isiliye batane ka koi faayda nahi tha par maine un dono par har tarah se nazar banaye rakhi thi taaki agar wo vibe mujhe dobara sense ho,toh koi action le sakun par aisa kabhi hua hi nahi....
MARILIZA-hmm...RAAZ..... ACHHUTA,SLUNDER.....
baari baari se MARILIZA WHIZZ ne in teen SAVENTS ka naam liya aur unke aisa karte hi dusre kone me bane shelf jiske upar PHASE 1 likha hua tha,usme se teen files jo halki chamak rahi thi,udte hue MARILIZA ke saamne aakar rook gayi jisse MARILIZA ne pakad liya...
jaisa ki piche update me GASTON ne RAAZ ko bataya tha ki brambhaand ke har jeev me ek aura hota hai,ye file jo is waqt MARILIZA ke haath me thi,wo aur kuch nahi balki RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER ka aura thi jo aise hi kisi situation me use karne ke liye unke yahan admission hote hi apne aap unke PHASE ke liye bane shelf me ek file ka roop banakar rakh di gayi thi.
un teeno files ko pakad MARILIZA ne unhe apne saamne table par rakh diya...
OMMIN-WHIZZ,kya aisa nahi ho sakta ki pehle jo kuch bhi in kuch ghanto me ghata hai,uske baare me pata kiya jaaye jisse asal baat jaanane me madad mile...
MARILIZA-aap bhul rahe hain OMMIN ki is waqt aap PHASE 3 me khade hain...
jo rules PHASE 1 par laagu hote hain,wo PHASE 2 aur 3 me nahi hote....
PHASE 1 me SAVENTS ke beech hui choti se choti ghatna ki suchna us PHASE ke chaaron taraf lage SUCHNA KAWACH se mil sakti hai par wo KAWACH aage ke dono PHASES me nahi lagti ya fir ye kahun nahi lagayi jaa sakti aur iski wajah toh aapko maalum hi hai...
OMMIN-jee....
VIOLET-is situation ko sirf MARILIZA WHIZZ ki search ray se hi handle kiya jaa sakta hai...
MARILIZA-uski bhi zaroorat nahi hai....
apni baat bol MARILIZA ne un teen files se thoda upar hawa me haath rakha aur....
PARYESANA AVAMATI
SEARCH YOUR ORIGIN
SPELL ke uccharit hote hi MARILIZA ke haath se ek ray nikal un teen files par padi aur aisa hone ke agle hi pal...
wo teen files aankhon ke liye gayab ho gayi....
kehne ka matlab hai ki wo teeno hi files invisible mode me jaisa ki ek normal aura hota hai,aakar us office se baahar nikal ek disha me badh gayi...
wahin MARILIZA ki aankhen band thi...
reason....
jo ray unke haath se nikli thi,wo unki divya drishti ka ek chota sa ansh tha jo un teen AURA se jud unke saath saath aage badh raha tha aur wahin MARILIZA apni aakhen band kiye un teeno AURA ko dekh rahi thi...
wo teeno AURA tezi se ek disha me aage badhti hui jaa rahi thi aur dekhte hi dekhte wo teeno AURA ek jagah par aakar rook gayi....
aur jab aisa hua...
MARILIZA ki aankhen jhat se khul gayi...is waqt unki aankhon me hairani saaf dikh rahi thi jo unke saamne khade chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS se naa chhup paayi aur...
VIOLET-kya hua WHIZZ MARILIZA....???kuch bohot galat hua hai kya????
MARILIZA-galat ka toh pata nahi kintu alag aur ajeeb zaroor hai...
MARILIZA ki baat ka matlab chaaron me se koi bhi samajh nahi paaya par isse pehle ki koi unse is baare me puchta...
MARILIZA WHIZZ ke sharir se ek roshni nikli jisne un chaaron ko bhi gher liya aur aisa hone ke agle hi pal wo paanchon gayab ho chuke the....
gayab ho wo paanchon ek nayi jagah pahunchen ya fir ye kahun ki wahan pahunchne jahan is waqt RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER ke AURA pahunchkar rook gaye the...
gayab hokar nayi jagah pahunchna chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ke liye aam baat thi par is nayi jagah par pahunchte hi wo chaaron behad hairan ho gaye aur un chaaron ke mooh se ek saath nikla
FORBIDDEN FOREST.....
PLACE-INSIDE FORBIDDEN FOREST
WOOGER.........
WOOGER-aapne mujhe pehchaan liya!!!!jabki mai toh abhi us roop me bhi nahi hun....
aankh khulte par mai khada hua... ALFREEN ke ray se ho rahi jakdan ab mujhe bilkul bhi mehsoos ho rahi thi...
khade ho jab maine saamne dekha
toh khud se thodi door par rakhe ek chattan ke upar behad tez chamakti urja dekhi...
is urja se mujhe wahi feeling aa rahi thi jo WOOGER se milkar hui thi aur isiliye maine uska naam pukara tha.....
MAI-mai mehsoos kar sakta hun tumhe...aur ab jab hum dobara mil hi gaye hain toh tumse mera pehla sawal bhi yahi hai,kyun???kyun itni achi tarah mehsoos kar paata hin mai tumhe...
tum jab baat karte ho,toh aisa kyun lagta hai jaise tum.nahi balki mai hi baat kar raha hun...
tumse mujhe tum waali nahi,mai waali feeling aati hai.. kyun???
mer sawalon par kuch der wo urja yunhi chamakti rahi aur fir...
WOOGER-kyunki mai aapka hi ek atirikt hissa hun...an extra piece from the whole of you that was created because of your HARD WORK.....
MAI-WHOLE OF ME????HARD WORK????
mai samjha nahi...
WOOGER-shuruat se shuru karen...jab aapki yahan CHOSENS me ek nayi zindagi ki shuruat hone waali thi...
MAI-us nayi zindagi ka toh tumne shuru hone se pehle hi anth kar diya tha....
yahan kuch bhi karne se,kisi bhi class me actively part lene se,yahan tak ki kisi se positively baat tak karne se mana kiya tha tumne...
ek hi kaam ki chiz thi mere paas,mera conscious brain,uska bhi 90 pratishat bhaag tumne mujhse alag kar diya tha...
ji haan doston,ye WOOGER hi tha jiski wajah se RAAZ ne kabhi koi class seriously attend nahi ki....
wo scene toh yaad hi hoga aap sab ko jab RAAZ aur WOOGER pehli baar aamne saamne hue the...
(update 14)
us waqt jab WOOGER RAAZ ko ghoor ghoor kar dekh raha tha aur jab FLORIN ne ye dekha toh unhe laga ki shayad WOOGER RAAZ ko nuksaan pahuchane waala hai aur unhone mujhe awaaz di thi...
us waqt WOOGER sirf RAAZ ko ghoor nahi raha tha balki uski aankhon ke through RAAZ mind se connect hokar usse baat kar raha tha....
us raat WOOGER ke hi kehne ya fir ye kahun ki plan ki wajah se CHOSENS me RAAZ ne naa kabhi class ko seriously liya aur naahi kisi se kabhi bhi positively baat nahi ki...
waise baat waali baat itni important hai nahi kyunki RAAZ ko waise bhi kisise baat karna pasand nahi hai...
khair,
RAAZ ke paas bhale hi subconsious brain nahi hai par uska conscious brain itna zyada strong hai ki first PHASE ke sabhi SAVENTS,apni wo khubiyan jo wo apne subconscious brain ko trigger karkar kar sakte hain,usse kahin zyada chizen RAAZ bas apne conscious brain ko use me laa kar kar sakta hai...
par HOEA FORST me WOOGER ne RAAZ ke brain me ek extract ray chhoda tha jiski wajah se RAAZ jaise hi CHOSENS me kadam rakhne ko hua,uske conscious brain ka 90 pratishat bhaag uske brain se nikal gaya....
kya kuch kar sakta hai RAAZ ka conscious brain, aur kyun WOOGER ne usse extract kiya,aayiye khud WOOGER se hi jaan lete hain...
WOOGER-maine aapse kuch bhi karne ke liye KAHA nahi tha,bas request kiya tha...
aur mujhe is baat ki behad khushi hai ki aapne mere request ka maan rakha....
MAI-par sawal toh ab bhi wahin hai...itna sab aakhir kyun???
WOOGER-kuch ke jawab toh aapko ab tak mil hi chuke honge...
aapke brain extraction ki wajah se aapke consious brain ka bada bhaag pure CHOSENS me faile gaya jiski wajah se pure CHOSENS me kaun kab kya kar raha tha,wo sab aapke bache hue 10 percent brain ko dikh jaata tha...
aapko yaad hoga doston ki jab bhi ACCHUTA aur SLUNDER RAAZ ke room me aate the toh RAAZ ki aankhen hamesha band hi paate the,us waqt RAAZ wahi saare scenes ko dekh sab kuch samajhta rehta tha...
aur abhi bhi kuch der pehle jab RAAZ FORBIDDEN FOREST ke baahar behosh pada tha aur pure CHOSENS se ek ray nikal uske dimag me samayi thi,wo ray aur kuch nahi balki RAAZ ka 90 percent conscious brain hi tha...
WOOGER-aapke conscious brain ke paas ho rahe situation ko tackle karne aur hone waale situations ko samajh usse apne man mutabik anjaam tak pahunchane ki capability hai aur isiliye jab aap kisi ke bhi saamne jaate the,toh aapko kaise react karna hai,wo CHOSENS me faila aapka consious brain aapko bata deta tha...
(ALFREEN,MAHI WHIZZES,WHIZZDERS sabhi apni marzi se nahi balki RAAZ ke consious brain ke mutabik react karte aa rahe the)
WOOGER-apke conscious brain ki future prediction capability ka is baat se hi andaza lagaya jaa sakta hai ki sahi samay par aap yahan pahunch gaye hain...
WOOGER ke is baat ko sun itne der me pehli baar maine har taraf nazar ghumayi aur tab mujhe pata chala ki mai kisi alag hi jagah par hun...
bahar shaam dhalne laga tha par yahan jahan mai tha,wahan toh already andhera ho chuka tha..
ye toh WOOGER ki urja thi jiski wajah se aas paas ujala faila hua tha...
har taraf dekh jaise hi meri nazar mere theek piche gayi toh mujhe ACCHUTA aur SLUNDER neeche pade hue dikhayi diye...
unhe dekh mujhe wo scene yaad aa gaya jab GASTON aur DORIAN ne in dono ko mere baaju me fekh diya tha...
aur saath hi uske baad kya kya hua tha,wo sab mujhe dikhne laga par saare drishyon ko dekhne ke liye mujhe concentrate nahi karna padh raha tha jiska ek hi matlab tha ki mere brain ka wo 90 percent bhaag jo CHOSENS me faila hua tha,wo wapas mujhme sama chuka hai....
MAI-in dono ko yahan laane ki koi khaas wajah....???
WOOGER-nahi..bas kyunki ye aapke saath hi behosh pade the, isiliye inhe bhi mai yahan le aaya..
agar aap kahen toh mai inhe wapas wahin fekh deta hun jahan se inhe laaya tha...
MAI-wo sab baad me...pehle mere sawalon ke jawab do....mere conscious brain ko mujhse alag kiya hi kyun tumne...???
jo tum chaah rahe the,wo toh mere brain mere paas hone ke baad bhi kiya jaa sakta tha...
WOOGER- nahi kiya jaa sakta tha....agar yahan CHOSENS me aapka brain aapke paas rehta,toh aap jeevit nahi bachte...
MAI-aur aisa kyun????
WOOGER-iska jawab aapko apne aap pata chal jaayega...
MAI-hmm...WHOLE OF ME????HARD WORK????aisa kyun kaha tha tumne...???
kyunki jahan tak hard work ka sawal hai toh wo toh maine earth me kiya nahi aur CHOSENS me tumne hi karne nahi diya aur rahi baat tumhare extra piece hone ki FROM THE WHOLE OF ME toh jitne piece kisi ke existence ke liye zaroori hote hain,mere paas toh uski bhi shortage hai fir tum mere extra piece kahan se ho gaye....????
(ji haan doston, RAAZ ko apne missing organs ke baate me pata hai...)
WOOGER-BRAIN,BODY,BLOOD aur SOUL....
khudme inhi ki shortage ki baat kar rahe hain aap???
MAI-haan....
WOOGER-ye pura nahi aadha sach hai....
MAI-toh baaki ka aadha sach kya hai...???
WOOGER-ek aisa sach jisse aapka ye adhura sach jhooth me badal jaayega....
MAI-mai samjha nahi....
WOOGER-sab samajh jaayenge...samajhne ka waqt bhi aa chuka hai..waqt aa chuka hai RAAZ ke unfold hone ka....waqt aa chuka hai aapko RAAZ ka matlab jaanane ka....
aur us matlab ko maayne dene ka....
MAI-RAAZ ka matlab jaanana!!! RAAZ toh bas naam hai mera....
WOOGER-nahi......RAAZ ko naam maan liya gaya hai....asal me RAAZ koi naam hai hi nahi....
MAI- RAAZ naam nahi hai...???toh kya hai RAAZ....?????
WOOGER- RAAZ ek shabd nahi balki chaar alag alag akshar ka ek samuh hai..
aapki bhasha me kahen toh RAAZ ek ACRONYM hai..... ek PARIVARNI hai...
R....A......A.....Z......
jisse manushyon (FLORIN, MARIA)ne jod kar ek word aur ek naam bana diya hai.....RAAZ.....
MAI-acronym!!!!kya banta hai is acronym se...aur mera kya rishta hai is naam se.....???
WOOGER- R...A...A...Z....
R ka matlab RENAISS.....
A stands for ANGIS......
A se banta hai ANNJAYA.....
Z se bana hai ZEAL......
RENAISS,ANGIS,ANNJAYA,ZEAL...
TOGETHER they become U, RAAZ.....
RAAZ ke pure initials bata akhir me chillate hue naam liya WOOGER ne mera jiske baad....
KADKADKADKAD.............
pure FORBIDDEN FOREST me bijli si kadak gayi.....par sabse kamal ki baat ye thi ki ye bijli aasman se nahi balki yahi FOREST ke andar se
janmi thi....
par mera saara dhyan is waqt WOOGER ki kahi gayi baaton par tha....
mere dimag me WOOGER ke kahe gaye chaaron naam gunj rahe the.....
kyunki ab mera pura conscious brain mere paas tha, isiliye meri sochne ki shakti bhi behad tez ho gayi thi...
koi normal insaan toh kya koi talanted SAVENT bhi mere conscious brain ke sochne ki speed ko match nahi kar sakta tha...
ye chaaron shabd mere dimag me gunj rahe aur tabhi.....
MAI-RENAISS...ye shabd RENAISSANCE MAN se liya gaya hai....
Renaissance man....jiska matlab hota hai man with a brilliant and rare BRAIN.......
BRAIN.......RENAISS matlab BRAIN......
WOOGER ko dekhte hue maine ye baat kahi jo ab halka tez chamakne laga tha maano aisa kar mere sahi hone ka sanket de raha tha..
MAI-ANGIS toh ek indian ancient language ka word hai jiska matlab hota hai ANG matlab BODY......
ANNJAYA bhi ek ancient language ka word hai jiska matlab hota hai ocean of.................BLOOD...................
ZEAL....zeal ke toh kayi matlab hain par according to bible ZEAL is a property of spiritual SOUL.......
yaani RENAISS,ANGIS,ANNJAYA,ZEAL ka matlab hai BRAIN,BODY,BLOOD and SOUL.....
mera naam asal mere missing organs hain....!!!!!
KADDDKADDDDDD.......
ek paheli si thi ye jisse maine crack kar liya tha aur aisa hote hi ek baar firse pura FORBIDDEN FOREST ek tez gadgadahat se naha utha...
(doston,ye saare naam maine apne man se nahi diye hain..ye sab words wakayi kis naa kisi tarah se brain,body blood aur soul ke synonyms hain....)
ek baar us ho rahi gadgadahat ke taraf dekh mai wapas WOOGER ki taraf palta aur....
MAI-in chaaron ka matlab toh BRAIN,BODY,BLOOD,SOUL hai....
jo cheezen jo parts,mere paas nahi hain,unhi se bana hai mera naam......!!!!!
WOOGER-RENAISS,ANGIS,ANNJAYA,ZEAL..ye chaaron sirf shabd nahi hain....
MAI-toh fir kya hain ye...????aur mera inse kya lena dena....!!!!
WOOGER-lena dena hai RAAZ..bohot gehra lena dena hai.....
aapke astitv ka shroth hain ye chaaron naam....
aapke sampuranta naamak taale ki chaabi hai ye chaaron naam...
in chaar aksharon me hi bate ho aap...aapke jeeven aur uske uddeshya ko purn karte hai ye chaaron naam...
KYUNKI AAPKI YE ZINDAGI PEHLI NAHI BALKI PAANCHWI HAI....
aur ye chaar naam un PLANETS ke hain jinme aapke pehle chaar jeeven beete hain...
ya fir ye kahun ki wo chaar jeeven hi aapke is paanchve jeeven ke aadhar bhi hain,aur kaaran bhi...
chaar PLANETS....chaar naam jinke initials se banta hai....RAAZ.....
yahi hai aapki sacchayi...yahi hai aapki sampuranta ka saar aur yahi hai wo manzil jisse nirdharit hogi aapki niyati.....
yahi hai kahani ka wo adhyaya jo sabse chhupa hua tha aur ab jab ye sach sabke saamne hai toh ab....
waqt aa gaya hai is sach ko grahan karne ka...
waqt aa gaya hai khudse ladkar khudse jeetne ka...
waqt aa gaya apne naam ko uski jagah par jaakar UNFOLD karne ka...
toh kya taiyar hain aap khudko pura karne ke liye....???un chaar PLANETS me jaakar jo apna hai,usse haasil karne ke liye...
pata nahi kyun,par WOOGER ki baat sun ek ajeeb si tapish uthi mere andar maano mera rom rom apne astive ko pura karne ke liye mujhse guhaar laga raha ho....
aur isiliye....
MAI-isse zyada taiyar mai kabhi nahi hua....
SSSSASSS......OOOBBBBB......
mere bolne bhar ki der thi...mere saamne khade urja roopi WOOGER ke beech se ek ray nikal mujhpar padi jiske agle hi pal mai kheenchata hua sa us urja ki taraf badh chala aur jaise hi maine us urja ko chua.....
hum dono hi gayab ho chuke the....
aur finally wo waqt aa chuka tha...
khudke baare me kaafi kuch toh jaan chuka tha mai par ab waqt tha khudse khudko milane ka...
waqt....time......
TO UNFOLD THE RAAZ......
AAJ KE LIYE ITNA HI......
AAPKA APNA V.....J......