• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DORIAN GASTON AUR DONO PRIMES KI SHAKTI KO KHUD ME SAMET FORBIDDEN FOREST KE LIYE NIKAL JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF ANGIS KI DHAARDHAAR SUFACE SE TAKRAKAR RAAZ A SIR AUR DHADH ALAG HO JAATA HAI.


AB AAGE:-



(CHAPTER-1)


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-42



PLANET-ELYSIAN


PLACE-FORBIDDEN FOREST




KARMATYAM KAWACHAM

BREAK THE SHIELD



aankh band kar apni, GASTON,aur dono PRIMES ki shakti ko ek kar uski urja ko apne haathon me laa usse FORBIDDEN FOREST ki taraf kar DORIAN ne is SPELL ko uccharit kiya jiske agle hi pal...


BOOMMMMM....

KADKADKADKAD......


DORIAN ke haathon se ek behad shaktishali ray nikal FORBIDDEN FOREST ke saamne lage shield se takrayi jiske baad hua ek bohot bada visphot....

ye visphot itna tagda tha ki isse nikalne waali urja ek second me hi pure ELYSIAN me faile gayi....

jisse ek saath teen chizen hui...


pehli... pura ELYSIAN planet hil gaya....


dusri...ye urja CHOSENS ke sabhi exits me lage NIYANTRAK aur ELYSIAN planet ke chaaron taraf lage REVEAL SHIELD se takrayi jisse behad zor se bijli ke garajne ki awaaz hui aur issi awaaz ke saath REVEAL SHIELD aur NIYANTRAK,dono hi kamzor padh gaye...


teesri... DORIAN jisne abhi spell bola tha,us urja ke takraane se wo bhi kayi 100 feets piche hawa me udte hue gira...

itna hi nahi,uska pura sharir bhi jagah jagah se phat gaya aur har fati jagah se khoon risne laga....

neeche zamin par gire hue DORIAN ka pura sharir dard ke maare kaamp raha tha...

itna dard toh usse apne SOUL ke AMPLIFICATION process me bhi feel nahi hota tha jitna abhi ho raha tha...


filhal ELYSIAN me RAAT ka samay tha....par is kaali andheri raat me bhi DORIAN ki aankhon me beintihan dard ki dori ko saaf dekha jaa sakta tha...

par DORIAN ko is dard ki parwah nahi thi... kyunki usse maalum tha ki uski body jaldi hi heal ho jaayegi aur aisa hone bhi paga tha..

par uski aankhon ki putliyan me dard ke saath saath curiousity bhi saaf sikh rahi thi...

aur ussi jigyasa ko apni aakhon ne samete wo saamne FORBIDDEN FOREST ke SHIELD ki taraf dekh raha tha jahan is waqt uske spell ki wajah se dhuan faila hua tha aur dheere dheere chhat raha tha....

DORIAN ko puri ummid thi ki itni adhik shaktishaali spell aur urja ke takrane se shield zaroor toot gayi hogi...

par ye ummid us dhuen ke chhatthe hi toot gayi kyunki dhuan chhatne par DORIAN ne dekha ki shield ab bhi jyon ki tyon hai....

uspar us spell aur uski urja se ratti bhar bhi fark nahi aaya hai...

jin aankhon me kuch samay pehle tak jigyasa naach rahi thi,unme ab hairani dikhne lagi thi...

DORIAN ko ummid thi ki bhale hi un chaaron ki sammilit shakti se nikli urja se puri SHIELD naa tute,par kamsekam wo kamzor toh ho hi jaayegi jisse kuch aur prayason se toda jaa sakega par yahan toh aisa kuch bhi nahi hua tha...

uske upar uski khudki lagi padi thi wo alag.....

yahi sab sochte hue DORIAN neeche gira hua tha par tabhi....

DORIAN ko kuch mehsoos hua...ek ray..ek search urja jo uski hi taraf aa rahi thi aur ye feel hote hi DORIAN ne apni nazaren chaaron taraf ghumayi aur aisa karte waqt usne dekha ki uske right ki taraf kuch door ek badi si chattan hai aur ye dekhte hi....

DORIAN khud ek urja me badal uski taraf ud chala...chattan ke paas pahunch DORIAN jo is waqt ek urja ke roop me tha,usne khudko ek urja roopi shawl ki tarah us chattan par lapet liya...

itna hi nahi,dekhte hi dekhte wo urja jo ki DORIAN hi thi,usne khudko us chattan ke halke halke daraaron ke andar shrink karna shuru kar diya aur fir kuch hi palon me wo urja roopi DORIAN us chattan ke andar sama chuka tha...

chattan ke andar samane ke baad DORIAN ne apni life ray bhi band kar di taaki usse aur uski shakti ko mehoos ya detect nahi kiya jaa sake.....

ab wo chattan aur DORIAN ek ho chuke the... DORIAN ka pehla plan toh fail ho chuka tha aur ab baari thi plan 2 ki jisme usse karna tha intezar....

intezar uske saamne dikh rahe FORBIDDEN FOREST me kuch aisa hone ka jisse uske saamne lagi SHIELD toot sake aur wo haasil kar sake ESPRIT CRYSTAL....


chaliye,ab DORIAN ko uske intezar ke saath chhodte hain aur dekhte hain ki aakhir us search ray ka kya kissa hai jiski wajah se DORIAN ko bhaagna pada...



PLACE-CHOSENS



YE KAMPAN KAISI...????AUR MUJHE AISA KYUN FEEL HO RAHA HAI JAISE NIYANTRAK AUR REVEAL SHIELD KAMZOR PADH GAYE HAIN....


apne bed se ek jhatke me uththi hui WHIZZ MARILIZA ne ye baat kahi thi....

DORIAN ki urja ke FORBIDDEN FOREST ke SHIELD se takrane par pura ELYSIAN planet zaroor hila tha par us vibration ki strength itni zyada nahi thi ki aadhi raat ke waqt is planet ke baashindon ki neend me khalal daal sake...

NIYANTRAK, REVEAL SHIELD aur usse pehle se lage protect SHIELD ki wajah se un vibrations ka asar naam maatra hi raha tha aur saath hi urja aur shield ke collision se jo dhamaka hua tha,aur jo kadkadane ki awaaz nikli thi,usse bhi in saare shields ne CHOSENS aur uske daayre me aane waale saare ABODES,hostels,aur baaki ki jagahon par asar dikhane ae rok diya tha....

par WHIZZ MARILIZA,jinhone REVEAL SHIELD aur NIYANTRAK ko khud lagaya tha, unhone un saari ghatnaon ko sense kar liya tha...

unhe NIYANTRAK aur REVEAL SHIELD ke kamzor hone ko baat bhi pata chal gayi thi aur isiliye....


ZUMABHAVAM

SEARCH


apne dono haathon ko apne dil ke upar rakh WHIZZ MARILIZA ne is behad hi strong search spell ko uccharit kiya...

spell uccharit hote hi unke sharir se ek urja nikal tezi se aage badhi aur dekhte hi dekhte kuch hi der me us urja ne CHOSENS ke saath saath pure ELYSIAN ko search kar daala...

aankhen band kar search ray ke through pure ELYSIAN ko dekhne ke baad WHIZZ MARILIZA hairan ho gayi kyunki unhe kuch bhi galat nahi dikha tha....

kuch der tak sochne ke baad bhi jab wo kisi nishkarsh par nahi pahunch paayi toh unhone apne dimag ko jhatka...

filhal unka sabse important kaam tha REVEAL SHIELD aur NIYANTRAK ko wapas theek karna aur isiliye....

unhone aankh band kar 2 naam pukare jiske agle hi second unke saamne do log prakat hue...

ye do log PHASE 3 ke WHIZZ aur WHIZZDER the jinhone REVEAL SHIELD aur NIYANTRAK lagane me WHIZZ MARILIZA ki madad ki thi...


(inka naam,intro next chapter me hoga)


jo hua uske baare me discuss kar WHIZZ MARILIZA un dono WHIZZ aur WHIZZDER ke saath upar hawa me jahan REVEAL SHIELD laga tha,uth gayi aur fir teeno ne pehle us SHIELD ko aur uske baad NIYANTRAK ko pehle jaisa kar diya...

apna kaam khatm kar WHIZZ MARILIZA ne un dono WHIZZ aur WHIZZDER ko kuch kaam bataya aur fir wo teeno gayab ho gaye....




3 MONTHS LATER:-




MAHI,IT SEEMS LIKE YOU ARE MEANT TO BREAK RECORDS.....

TUMNE AAJ APNE SOUL KO 5 PERCENT TAK AMPLIFY KAR LIYA HAI.....


behad khushi se VIOLET WHIZZ ne ye baat MAHI ke kandhe ko thapthapate hue kahi thi...

sirf VIOLET WHIZZ hi nahi, OMMIN, NOX aur yahan tak ki OPHILIA jo ki dusre class me thi, wo yahan aa MAHI ki is uplabdhi ko dekh behad khush aur gourvankik mehsoos kar rahe the...

wahin MAHI bhi apni is uplabdhi par behad khush thi...


MAHI-thanks WHIZZ...par ye sab toh aap sabhi ke guidence ki wajah se hi ho paaya hai...

OMMIN-guidence hum puri class ko dete hain MAHI,par jitna zyada excell tumne kiya,ye kitni badi baat hai,iska filhal tumhe andaza nahi hai...

CHOSENS ke itihaas me tumse pehle sirf 2 hi SAVENTS apne first PHASE me apne SOUL ko 5 percent tak AMPLIFY kar paaye the par itna karne ke liye bhi unhe lagbhag pura ka pura first PHASE ka waqt laga tha wahin tumne apne first PHASE k
pure hone se kaafi pehle hi ye achievement haasil kar li hai...

and that's what we call extraordinary....


WHIZZDER OMMIN ki baat sun sabhi SAVENTS behad hairan ho gaye,aur hona bhi chahiye.....

MAHI ne jo achieve kiya hai,wo wakayi hairan kar dene waali baat thi...

pichle 3 mahino me jahan baaki SAVENTS 1 percent AMPLIFICATION par the, ALFREEN VALDIS aur ALFREEN 2 percent AMPLIFICATION par the,wahin MAHI in sabse doguna se bhi zyada aage badh chuki thi aur jaisi uske sikhne ki raftaar thi,sabko lag raha tha ki bohot jald wo baaki sabhi se itni aage nikal jaane waali thi ki shayad hi koi uske nazdik bhi pahunch paata....

jahan sabhi SAVENTS ye sab soch rahe the,MABEL aur ALFREEN MAHI ke paas khade hokar usse congratulate kar rahe the wahin VIOLET WHIZZ jo ki MAHI ke haav bhaav joki har waqt ki tarah abhi bhi behad maasum the,unko dhyan se dekh rahi thi, unhone...


VIOLET-MAHI....idhar aana....


VIOLET WHIZZ ne MAHI ko awaaz di jispar wo unke paas chali gayi aur....



MAHI-yes WHIZZ....

VIOLET-bohot jald tumhara ye PHASE khatm ho jaayega aur tum PHASE 2 me chali jaaogi.

a place with a completely different ball game...kuch bhi ho jaaye, situations kaisi bhi aayen,kosish karna ki tum jo ab ho,wahi raho....

MAHI-mai samjhi nahi WHIZZ...???

VIOLET-abhi samajhne ka waqt bhi nahi aaya hai... PHASE 2 pahuncho,
samajh jaaogi...

aur jab wo waqt aayega aur tum meri baaton ka matlab samjhogi to meri bas ye baat yaad rakhna ki.....

JUST DON'T CHANGE YOUR ATTITUDE,& NOTHING WILL CHANGE YOU....




PLANET-ANGIS



PLACE-THE LONSDALEITE SURFACE




AB YE SAB KYA HAI...???MERA DHADH EK TARAF PADA HUA HAI,PAR MERI AANKHEN AB BHI KHULI HUI HAIN.SIRF SIR KE SAHARE KAISE ZINDA HUN MAI....???

AUR TOH AUR DO HISSON ME BATA HUA HUN MAI FIR BHI MUJHE DARD NAHI HO RAHA HAI....


do hisso me katne ke baad mai ek baar firse kaafi waqt tak behosh raha tha aur ab jab maine apni aankhen kholi toh khudko in ajeebo gareeb vismit bhare haalaton me paaya....

in sab chizon ke baare me mai soch hi raha tha ki...


WOOGER- RENAISS me aapne apne mastishk ko jo pura kiya tha,ussiki wajah se aapki aankhen khuli hui hai aur aapke sir ke sahare aap zinda bhi hain..

kyunki bina dhadh ke sirf aapka mastishk bhi apne aap me ek living being hai...

MAI-aur mera ye dhadh jo kat chuka hai..kya iski bhumika yahin khatm ho gayi...???kya ab iska koi mahatv koi importance nahi...!!!!???

WOOGER-jo aapka hissa ho,uski bhumika kaise khatm ho sakti hai.....!!!!

har sakht chiz uske narm bhaag ke bina adhuri hoti hai jaise ki ek naariyal....

aapka ye sharir jo kat kar gira hua hai,ye us pyaale ki tarah hai jisme paani bhara jaata hai....

ye PLANET aapke sharir ka wo sakht, mazboot aur unbreakable part hai jo aapke is kate hue dhadh ke upar hi lag sakta hai....

MAI-toh fir isne isse kaat kyun diya..???

WOOGER-ye aapka nazariya hai...par agar is planet ke DRISHTIKON se kahen toh isne aapke dhadh ko kaata nahi hai, balki isse aapke sir se alag kiya hai....

ye sharir iska bhaag hai toh fir ye kaise isse kisi aur se juda hua dekh sakta hai....???

MAI-GAZAB......par ye planet waali body ho yaa fir ye saamne padi hui body,dono hai toh mere hi...

WOOGER-toh saabit kijiye.. jaisa aapne RENAISS me kiya tha....

MAI-par RENAISS me toh maine apne brain ko brain AMPLIFICATION process ke through haasil kiya tha aur jab same pattern maine yahan try kiya, BODY AMPLIFICATION ka,toh mere sir aur dhadh alag ho gaye....

WOOGER-hamare beech hui baaton me aapke sawal ka jawab chhupa hua hai...???dhoondiye usse....


is baat ke baad maine WOOGER ko feel nahi kiya jiska matlab tha ki ab naahi wo aaspaas hai aur naahi wo aur kuch bolega....

waise bhi ab baat karne ke liye kuch bacha toh tha bhi nai aur isiliye maine apni aakhen band ki aur on ho gaya mera rewind mode.....

rewind karte hue mai WOOGER ki kahi har baat ko yaad karne laga aur aisa karte karte achanak....

meri aankhen khul gayi aur mere mooh se nikla....


MAI-DRISHTIKON.......yahi toh hai wo shabd,wo fark aur yahi hai mera jawab....

maine jo solution nikala,wo mera nazariya hai,mera DRISHTIKON hai par yahan solution mere DRISHTIKON se nahi,balki is PLANET ke DRISHTIKON se honi hai...

badhiya.....par kaise...????


ye bol maine ek baar firse apni aakhen band kar li par agle hi pal...

MAI-ek second...


flash second se bhi kam samay me mere brain me ek baat ghum gayi thi aur....


MAI-DRISHTIKON,haan....

PAR HAR WO NAZARIYA JO MUJHSE ALAG HAI,WO GALAT HAI....

aur khaaskar wo nazariya zyada galat tab ban jaata hai jab wo mujhse hokar bhi mere faisle se bagawat karta hai...


ye baat bol maine apne kate hue dhadh ko dekha....


toh jis baat ne mujhe click kiya tha,ye woh baat thi jo kuch der pehle WOOGER ki awaaz ne mujhse
kahi thi...

us awaaz ne mujhse ye kaha tha ki is planet ne mere dhadh ko kaata nahi hai,balki isse mujhse,mere sir se alag kiya hai..

aur wo isiliye kyunki is planet ke hisaab se ye dhadh uski property hai,meri nahi...

matlab according to this planet,ye mere hi dhadh ko mujhse hi bachana chahta hai...


waah beta,matlab jisne paida kiya hai,ussiko baap maanane se inkaar kar raha hai ye..

khair,ab is planet ki soch,iska nazariya hi mera solution bhi tha...

kaise,aayiye khud dekh lijiye...


maine apni aaakhen ek baar firse band ki aur apne CEREBRATION process ko pause kar apne pure brain me jhaanka....

kyunki ab mera CONSCIOUS aur SUBCONSCIOUS brain ek ho chuke the,isiliye aage aur peeche waala maamla bhi khatm gaya tha...

mere apne andar jhaankte hi mera brain tezi se chamakne laga maano mujhse puch raha ho ki mai kya chahta hun aur aisa hone par...


NIRBHINNATI PARIZEZITA

DESTROY REMAINS


apne dhadh ke chitr ko apne mastishk me utar COMMAND MODE ke tahat ek bohot hi powerful spell ko apne dimag me uccharit kiya maine jiske baad....

mere sir ke centre se ek ray nikal mere dhadh se takrayi aur aisa hoti hi...


KADKADKADKAD....


pura planet tez gadgadahat se gunj utha....ek baar firse pura PLANET vibrate hone laga.... saath hi yahan faili invisible baamp ne ek baar firse khudko yahan ke surface ka roop diya aur aage badhte hue mere kate hue dhadh ko gherne lagi taaki mere brain se nikalne waali urja se usse bacha sake....

par yahan mere paas ek plus point tha aur wo ye ki mera BRAIN mere paas hone ki wajah se ab complete tha aur isiliye uski shakti bohot zyada thi wahin yahan ka non distructable hexagonic diamond surface apne maalik ko naa apnaane ki wajah se mere brain ke mukaable kamzor tha aur issi wajah se is planet ka wo AURA jisne mere dhadh ko bachane ke liye khud ko kawach banaya hua tha,usme darar aane lagi...

aur is baat ko is PLANET ne mehsoos kar liya aur isiliye agle hi pal...


BOOM.....BOOMMM.....BOOMMM...


yahan ke surface se bade bade chattan ke size ke tukde nikal mere sir se takraane lage par is baat ko mere brain ne sense kar liya tha aur isiliye mere pure sir ke chaaron taraf ek urja fail chuki thi jo ki mere sir ki kawach thi...

wo chattan numa surface ussi kawach se takra rahi thi...aur kyunki wo chattan,wo surface mera hi hissa thi,isiliye unke kawach me takraane ke baawjud mera pura sir hil jaa raha tha..

mujhe aisa lag raha tha maano mera sir fat jaayega par aisa lagne ke agle hi pal mera sir khudko heal bhi kar le raha tha..

ye waqt mere patience ka test thi jisse mai lagatar jhelte chale jaa raha tha..

wahin in sabse alag mere sir ke beech se nikalti ray lagatar us kawach numa AURA se takrate hue usse kamzor karti chali jaa rahi thi aur jab is planet ne,yahan ke surface ne is baat ko sense kiya ki kuch hi palon me uska bana kawach toot jaayega toh uske andar se ek naya AURA nikla aur us AURA ne human aakruti leni shuru kar di aur jab uska wo form pura hua toh.....


SURFACE-ROOK JAAIYIYE...MAI HAAR MAANTA HUN....


pura PLANET us aakruti ki awaaz se gunj utha..uski awaaz mere kaano se hote hue mere brain ke andar tak gunj uthi jiske baad maine apni ray wapas kheench li aur aisa hone ke baad maine apni aankhen khol di...

aankh khulte hi maine dekha ki mera saamne sir jhukaye is PLANET ka AURA khada tha...

MAI-sir kyun jhuka hai tumhara...???

tumhari sakhti kamzor pad gayi isiliye yaa fir akad kamzor padh gayi isiliye....

SURFACE-aapke mujhpar kadam rakhte hi mai samajh gaya tha ki mera wajud pura hone waala hai...

par jo bhi hua,wo hona bhi zaroori tha...jo taklif aapko hui,jo dimagi mehnat aapne ki,ye aapko aapke astitv ki mahatvpoornata yaad dilayegi....

MAI-yaadasht meri kabhi kamzor nahi thi....tab bhi nahi jab mera brain adhura tha...

chiz apni ho yaa parayi,agar important hai toh mujhe yaad rehti hi hai....

isiliye gyan baatna chhod aur bas itna bata ki aage kya...???

SURFACE-kya aap mujhe apnaate hain...???

MAI-haan....


mere aisa bolte hi wo AURA wapas neeche SURFACE me sama gayi aur aisa hone ke agle hi pal...

pura PLANET tez roshni se naha gaya aur...

DDDDDD..DDDDDD...DDDDD....

roshni se nahaye is planet ne ek ajeeb awaaz ke saath khudko sametna shuru kiya...

wahin mera wo dhadh jo saamne zamin par gira hua tha,wo hawa me uth gaya aur wapas mere paas aakar mere sir se judne laga...

mere gale ke bhaag ke upar ek roshni chamki aur aisa hone ke agle hi pal mera wo dhadh mujhse jud chuka tha...

dhadh ke judte hi jab maine saamne dekha toh paaya ki ab tak is pure planet ke surface ne khudko fold kar liya tha.....

jis surface se ye pura planet covered tha,wo hat chuki thi aur ab ek baar firse mere saamne ek dead planet tha....

wahin fold hone ke baad ab mere saamne koi surface nahi tha balki ek tez chamakti hui roshni thi jo zamin se upar rooki hui thi..

ek pal yunhi rookne ke baad wo roshni aage badhi aur sidhe mere paas aakar rook gayi....

mere saamne kuch seconds rookne ke baad wo roshni ek jhatke me aage badhi aur......


ek baar firse meri aankhen band ho gayi thi...sir se pair tak mai itni tez roshni se ghir gaya tha ki aisa lag raha tha maano 100 surya ne mujhe khudme lapet liya hai...

meri aankhen toh band thi par mai apne sharir me ho raha badlaav saaf mehsoos kar paa raha tha...

mai feel kar raha tha ki meri height badh rahi thi,mera jism chouda ho raha tha aur saath hi mujhe mere sharir ki beintihan sakhti bhi mehoos hone lagi thi...

dekhte hi dekhte kuch hi der me mere sharir me ho raha parivartan pura hua....

mera wo sharir jo mere prithvi par aane se hi mujhse alag ho gaya tha,aaj mujhe wo mil chuka tha....

mere sharir ke puri tarah mujhse judte hi wo roshni jo ab tak chamak rahi thi, dheere dheere gayab ho gayi aur aisa hote hi jab maine apne haathon ko dekha toh paaya ki ab wo pehle ki tarah saawle nahi the...

wo kaafi fair lag rahe the..mai khudko pehle ke mukaable kaafi uncha bhi mehsoos kar raha tha....

khudko puri tarah dekhne ki iccha liye maine apni aakhen band ki aur....


AADHESHAM....

SWAMDEHA KAROTI....

REFLECT ME.....


COMMAND MODE ke antargat maine khudko dekhne ki iccha zahir ki jiske baad is SPELL ke through mujhse hubahu meri hi ek transparent chavi nikal mere saamne aakar khadi ho gayi....

6 feet se thodi zyadi height,gehri kaali aankhen,jitni kaali aakhen,utna hi gora aur aakarshak chehra aur sharir...

sharir, jo kisi faulad se bhi zyada sakht lag raha tha...is planet me aate waqt mere sharir par jo kapde the,wo mujhe kaafi dheele aate the par ab aisa nahi tha...

wo INSTITUTION ki dheeli dhaali shirt ab mere sharir par puri kas gayi thi..aisa lag raha tha jaise agar maine halki si bhi zor aazmaaish ki toh wo fat jaayegi...

wahin neeche jo pant thi,uske waistline par ilastic material lage hone ki wajah se wo bhaag strech ho gaya tha par uske neeche se pant chota aur tight ho chuka tha...

khudko ek nazar dekhne ke baad maine apni pratibimbh par haath firaya jisse wo gayab ho gaya....

yahan ka mera kaam khatm ho chuka tha... aaj mai 50% tak pura ho chuka tha..aur ab mujhe apne agle padhav ke liye nikalna tha aur isiliye...

maine apni aakhen band ki aur fir mere labh hile...


ANNJAYA......







AAJ KE LIYE ITNA HI....







AAPKA APNA V....J......
Very nice Update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DORIAN FORBIDDEN FOREST KE AAGE LAGI SHIELD KO TODNE ME NAAKAMIYAB HOTA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ ANGIS ME APNI BODY KO HAASIL KAR CHUKA HAI...


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-43



PLANET-ELYSIAN


PLACE-GARDEN




YAAR,YE MOM DAD KO YAHAN AATE HI HO KYA JAATA HAI...???HAR DIN SHAAM KO YAHAN AATE HAIN AUR YAHAN AATE HI DONO SAD HO JAATE HAIN.....


FLORIN aur MARIA ko dekhti hui ALFREEN ne ye baat MAHI se kahi thi....

shaam ka waqt hai.... ALFREEN aur MAHI ke ABODES ke aage ek bohot bada garden tha jahan aksar ye sab jaaya karte hain...

par pichle kuch waqt se FLORIN aur MARIA is garden ke bench par chup chaap baithe ek bade se ped ki taraf dekhte rehte the...

aur aisa karte waqt un dono ke hi aankhon me ek udaasi tairti rehti thi...

par jab bhi ALFREEN ya MAHI unke saamne aate the toh wo dono apne chehre ki udaasi ko turant chhupa lete the par unki ye udaasi naa toh ALFREEN se chuppi reh paayi aur naahi MAHI se...

abhi bhi FLORIN aur MARIA waise hi udaasi se bhare ussi bench par baithe hue the jisse dekh ALFREEN ne ye baat kahi thi....


MAHI-kyun,tujhe pata nahi hai uncle aur aunty ki udaasi ki wajah..???

ALFREEN-pata hai aur yahi baat toh sabse annoying hai..i mean why the hell are they thinking so much about that RAAZ???

theek hai wo unke hi orphanage me bada hua hai aur uske yun gayab ho jaane se unhe taklif hui thi par yaar ab is baat ko acha khaasa waqt beet chuka hai.

then why are they not yet over it...???

MAHI-agar mai achanak gayab ho jaaun toh kya kuch waqt ke baad tu mujhe bhul jaayegi....????

ALFREEN-are you out of your mind MAHI.....???ye kya behuda sawal kar rahi hai tu...???

MAHI-it's a simple question.. just answer it...

ALFREEN-pehli baat toh mai tujhe kahin gayab hone hi nahi dungi...aur dusri baat ki mai tujhe kuch din kya kabhi bhi nahi bhul sakti...u are my bestie,my sister...

MAHI-exactly..and that's the point..jaise mai tere liye important hun,thik waise hi RAAZ uncle aur aunty ke liye important hai...

isiliye bhale hi kitna bhi waqt kyun naa guzar jaaye,wo dono usse nahi bhula paayenge...

but pata hai sabse sad part uncle aunty ki udaasi nahi kuch aur hai...???

ALFREEN-kuch aur...???kya???

MAHI-tu pehle ye bata ki jab bhi uncle aur aunty abhi ki tarah udaas rehte hain aur tu unke saamne jaati hai toh wo kya karte hain...???

ALFREEN-wo apni sadness chhupa lete hain...

MAHI-jaise tu unke expressions se unki man ko baat samajh jaati hai toh kya thik waise hi wo bhi tere man ki baat nahi samajhte honge...

ALFREEN-mai samjhi nahi...

MAHI-unhe bhi tere expressions se,tere vatraav se ye baat pata hai ki you dont like RAAZ....

aur isiliye hi wo dono apni udaasi tujhse chhupate hain...aur yahi unki main sadness hai...

teri RAAZ ke liye negetive feelings ki wajah se wo dono apni feelings tere saamne open nahi kar paate.....


MAHI ki baat sun ALFREEN ko jhatka bhi laga aur bura bhi..sach hi toh kaha tha MAHI ne....

ye sach tha ki wo RAAZ se nafrat karti thi aur aisa karne ke liye uske paas ek valid reason bhi tha....

ek ladki jiski sabse badi shakti uski intuition power hi rahi hai..wo intuition jo kayi baar sahi sabit ho chuki hai,uska usse RAAZ ke liye alert karna yunhi toh nahi ho sakta tha..

uske upar usse ek hi sapne ka 2 baar aana wo bhi ek hi sequence me,ye bhi koi ittifaq nahi ho sakta tha...

in sab reasons ke baad naaraz hona,nafrat karna laazmi hi tha but having said that,apne emotions ko kisi aur par toh thopa nahi jaa sakta tha aur in a way ALFREEN ne ye apne parents ke saath kiya tha...

uski RAAZ ke liye naapasandi itni visual thi,itni clear thi ki uske mom dad ke nazaron se chhup naa saki aur issi wajah se kayi baar jab uske mom dad RAAZ ke baare me usse puchna chah rahe the,wo nahi puch paate the...

aur aaj bhi uski issi naapasandi ki wajah se unhe apne emotions apni hi beti se chhupane pad rahe the...

ye sab soch ALFREEN khudme kaafi sharminda feel karne lagi aur turant apne mom dad ki taraf badh gayi...

wahin MAHI bhi kuch sochte hue ALFREEN ke saath ho li...


ALFREEN-mom pops..... sorry....


apne mom dad ke saamne pahunch ALFREEN ne ye baat kahi jisse sun wo dono thode hairan hue aur isiliye...

MARIA-sorry kisliye baccha...???

ALFREEN-mujhe pata hai ki aap dono ab bhi RAAZ ke gayab hone se sad hain par mere usse dislike karne ki wajah se kuch keh nahi paate...

i am really sorry for being so insensitive....


aakhon me halki si nami ke saath kahi ye baat ALFREEN ne jiske baad FLORIN aur MARIA ne usse kheench kar apne beech baitha liya

aur tabhi.....

FLORIN aur MARIA ke ALFREEN ko chhute hi ek invisible force ray un teeno ke sharir ke baahari satah par aakar vibrate karne lagi...


FLORIN-AL,we know that you have a golden heart...hum jaante hain ki tum kabhi kisika bura nahi chah sakti aur isiliye hi hume is baat ka bhi andaza hai ki RAAZ ke liye tumhari negetivity ke peeche zaroor koi aur reason hai..

aisa reason jisse tumne hume bataya nahi hai and don't worry..hum khudse puchenge bhi nahi...

kyunko jo bhi reason hai,hume pata hai ki tum usse handle kar logi...but we are really proud ki tumhare apne reasons hone ke baad bhi tumne humari feelings par bhi dhyan diya...

ALFREEN-proud aapko mujhpar nahi, MAHI par hona chahiye..ussine mere mind ko clear kiya...


ALFREEN ki baat sun jab MARIA aur FLORIN ne MAHI ki taraf dekha ki wo bhi ALFREEN ki hi tarah aankhon me nami aur chehre par muskan liye MARIA ke saamne hi khadi thi...

MARIA thoda aur side ki taaraf hui aur apna haath badha MAHI ko bhi beech me baitha liya


aur tabhi.....

SOOBH....


jaise hi MARIA ne MAHI ko beech me bithaya toh un chaaron ke bodies interconnect ho gaye aur aisa hote hi...

MARIA, FLORIN aur ALFREEN ke sharir ke baahari satah par rooki hui invisible force ray ek jhatke me unse alag hui aur sidhe ek disha ki taraf badh gayi....

wahin beech mai baiththe hi MAHI ne un emotional talks ki disha ko ghumana ke liye...


MAHI-waise uncle,aunty aap dono saamne us ped ki taraf kyun dekhte rehte hain...???


unse kuch door saamne jo ped tha,jiski taraf MARIA aur FLORIN yahan baithkar hamesha dekhte rehte the,usse point karte hue MAHI ne apni baat kahi jispar..


MARIA-actually saamne jo ye ped hai,issiki tarah ka ek ped hamare orphanage ke saamne bhi tha jiske ek daal par RAAZ har din baitha rehta tha...

MAHI-har din....par kyun..???


MAHI ki baat par MARIA ne FLORIN ki taraf dekha maano puch rahi ho ki WOOGER ki baat baccho ke saamne karna thik hoga yaa nahi....

kyun ELYSIAN pahunchne se pehle RAAZ ne ye bataya tha ki usse us ped ke aage bane jheel ke paas WOOGER feel hota tha..

FLORIN bhi MARIA ki aankhon me ubhra sawal samajh gaye aur isiliye....


FLORIN-bas aise hi..usne khud toh kuch bataya nahi par us ped se thodi aage ki taraf ek jheel thi aur shayad RAAZ ko wo dekhna acha lagta tha....


iske baad RAAZ se related MAHI ne FLORIN aur MARIA se kuch aur baatein puchi jiska unhone jawab diya...

unhone RAAZ se related ek do kisse bhi ALFREEN aur MAHI ko bataye jisse sun dono thodi hairan hui..

yahan MARIA aur FLORIN RAAZ se judi purani yaadein taaza kar rahe the aur wahan....

FLORIN, MARIA aur ALFREEN ke body se nikal wo invisible force ray tezi se aage badhti hui ek disha me jaane lagi...

arre,ye kya!!!ye ray toh FORBIDDEN FOREST ki taraf jaa rahi thi...

tezi se FORBIDDEN FOREST ki taraf badhti hui wo ray kuch hi palon me us FOREST ke saamne pahunch chuki thi...

par wahan pahunchne ke baad bhi wo ray rooki nahi balki aage badhti chali gayi aur....

ek chamatkar si ghatna ghati...


aage badhti hui us ray ne FOREST ke saamne lagi sheild ko yun bheda maano wahan koi shield thi hi nahi...

bina kisi vyavadhan ke wo ray us SHIELD ko paar karte hue FORBIDDEN FOREST ek andar samati chali gayi....




PLANET-ANNJAYA


PLACE-THE RED OCEAN




YE MERA KHUN HAI YAA PURE UNIVERSE KE LOGON KA...!!!!

ISKA TOH END BHI NAHI DIKH RAHA HAI...PACIFIC, ATLANTIC AUR INDIAN OCEAN KE MIXTURE SE BHI ZYADA LAG RAHA HAI YE TOH....


ANNJAYA...wo planet jahan mujhe mere sharir ke adhurepan ka teesra bhaag milna tha..mera BLOOD....

is waqt mai aasman me khada is pure planet ko dekh raha tha...

is planet me koi zamin nahi thi....jahan tak meri nazar jaa rahi thi,wahan tak mujhe anthhin RED WATER jo ki mera blood tha,wo dikh raha tha...

ek pura PLANET jo ki OCEAN OF BLOOD se bhara hua tha...aur yahi sab dekh maine ye baatein kahin thi...


MAI-ye smell apne saath kaisi force create kar rahi hai...???


jaisa ki maine bataya ki kaafi der se mai yaha upar aasman me khada ye sab dekh raha tha..

aur har thodi der me mere naak me ek ajeeb si mehek feel hoti thi aur jab bhi mujhe wo smell aati thi,toh saath hi mujhe ek strong push feel hota tha aur issi wajah se maine khud se ye sawal kiya aur mere aisa karne ke agle hi pal mere dimag ne hi mujhe jawab bhi de diya tha....

daras ye smell mere hi blood ki thi jo uske AURA se,jo yahan ke atmosphere me ghumti rehti thi,usse aa rahi thi....

aur jab bhi wo AURA mujhe chhute hue guzarti thi,tab mujhe wo strong push feel hota tha....

par kyunki mujhe in sabse koi khatra nahi tha isiliye maine apna dimag is topic se hataya aur lagaya main baat par...


MAI-shuruat kahan se ki jaaye..???ANGIS me toh BODY AMPLIFICATION waala tarika kaam nahi aaya tha...

jaise wahan ek alag logic tha,ho sakta hai ki yahan bhi kuch aisa hi ho....

par kya????

chalo,pehle basics se hi shuru karte hain...


ab mujhe apna blood AMPLIFICATION ka process shuru karna tha par RENAISS aur ANGIS ke mukable apne AMPLIFICATION process ko yahan shuru karna kaafi mushkil tha..

aur wo isiliye kyunki mai filhal hawa me tha...aur mai hawa me isiliye sthir khada ho paa raha tha kyunki abhi tak mai bas situation ka jaayaza le raha tha..

jaise hi mai yahan apna AMPLIFICATION shuru karta,toh mera ye hawa me hold toot jaata aur mai sidhe neeche ocean me girta...

waise toh mai kaafi ucchaiyon par tha aur issi wajah se niche ocean tak pahunchne me mujhe thoda waqt lagta par girna toh tay hi tha..

aur sabse badi problem ye thi ki blood ke thickness ki wajah se us ocean me ek inch bhi jhaanka nahi jaa sakta tha..

kehne ka matlab ye hai ki mujhe pata nahi hai ki us blood se bhare ocean ke andar mere liye kaisi chunouti ho sakti hai...???

par itne saare if's aur but ke beech ek baat toh clear thi aur wo ye ki filhal AMPLIFICATION process ko shuru karne ke alawa mere paas aur koi option hi nahi tha aur isiliye....

maine khade khade hi apni aankhen band kar li jiske agle hi pal mera CEREBRATION process pause ho chuka tha aur aisa hote hi...

mai tezi se niche girne laga....hawa ko cheerte hue mera sharir neeche mere hi OCEAN OF BLOOD ki taraf badhta chala jaa raha tha...

wahin mera chitt bilkul shaant tha...mai apne dimag se hote hue apne andar jhaank raha tha...par yahan ek samasya thi aur wo ye ki mujhe jis bhi part ko AMPLIFY karna hota tha,mera wo bhaag toh mere andar nahi balki mere baahar moujud hota tha..

par ab jo tha so tha aur isiliye....


AURAVA VIBHUTIEN

AURA EXPANSION


mere niche bhare hue OCEAN OF BLOOD ki chavi ko yaad kar maine BLOOD AMPLIFICATION me bole jaana waala spell uccharit kiya aur mere aisa karte hi......


SOOBH.....SOOBHHH.....SOOBHHH.....


us OCEAN OF BLOOD se ek ke baad ek teen bade bade TORNADO ne janm liya...

khoon se bhare teen bade chakrawat...itne bade ki ek baar me ek pura shahar tak nigal jaayen...

yahan mera sharir neeche gir raha tha aur wahan wo teeno tornado bade hote chale jaa rahe the aur fir.....

CHHCHHHCHHH......


mera sharir ek tornado se takra gaya aur aisa hote hi us tornado me ek ajeeb si awaaz honi shuru ho gayi..

aisa lag taha tha maano wo tornado mujhe apne andar sametkar meri chatni banane ki koshish kar raha ho...

aur shayad wo aisa karne me kaamiyab ho bhi jaata agar mujhe apna asli sharir nahi mila hota....

mere is naye sharir ki wajah se wo tornado mujhe upari taur par toh koi nuksaan nahi pahuncha paaya par AURAVA VIBHUTIEN waale spell ki wajah se aur us tornado ke asli swaroop jo ki mera BLOOD tha, uski wajah se mujhe apne andar behad tez jhatke lag rahe the...

aur kyunki ab mai us tornado ke andar tha jiska matlab tha ki mai apne blood se direct contact me tha, toh is wajah se us spell ka asar aur zyada ho gaya tha..

mujhe mere pure anduri sharir,aur usse hote hue pure brain ke har nerve me jhatke padne lage...

mera brain aur meri body, dono hi mujhe relieve karne ki puri kosish kar rahe the par in sabme ek sach ye bhi tha ki blood brain aur body se zyada pure hota hai..

isse bana AURA bhi BRAIN aur BODY ke AURA se zyada strong hota hai aur issi wajah se meri taklif bhi ab tak mile taklifon se zyada thi...

aur zakhm me namak waali baat ye thi ki wo tornado mujhe apne saath saath behad tezi se gol gol ghuma raha tha..

ek toh tez jhatke,uske upar se ye free circulations...in sabki wajah se mujhpar reh rehkar behoshi chhati chali jaa rahi thi par mera BRAIN mujhe hosh me rakhne ki puri koshish kar raha tha......

jis tornado ke andar mai fasa tha,kuch der mujhe usme fasaye rakhne ke baad wo mujhe dusre tornado me fekh deta tha aur fir yahi wo dusra tornado bhi karta tha...

saalon ne mujhe ball bana diya tha aur catch catch khel rahe the...

kaafi der tak ye sab chalta raha par jab wo teeno tornados mere senses ko nahi mita paaya toh....

mai is waqt third tornado ke andar tha..par is baar kuch der tak khudme ghumane ke baad usne mujhe paas nahi kiya balki mujhe ek jhatka diya jiski wajah se mai usse nikalta hua upar hawa me uththa chala gaya aur jab aisa hua toh...

wo teeno tornado ek dusre ke paas aane lage aur dekhte hi dekhte wo ek ho gaye aur aisa hone ke baad....

teeno tornado ke ek hone ki wajah se us ek tornado ki shakti aur badh gayi thi par is baar usne kuch aur karne ki sochi...

yahan mera sharir ek unchayi par pahunch kar niche aane laga aur wahan us tornado ne apne sabse ucche bhaag ko dhaardhaar kar diya theek waisa hi jaisa ANGIS ke surface ne kiya tha...

bas fark sirf itna tha ki wahan wo jagah mere body se bani thi aur yahan mere blood se...

mera sharir tezi se neeche aaya aur...

TANNNN.....


jaise hi mera peeth ka middle part us blood se bane sharp point se takraya,toh is awaaz ke saath mera body wahin rook gaya...

ab bhala ek LONSDALEITE jaisi strong body ko yunhi toh nail nahi kiya jaa sakta tha aur isiliye mujhe aur mere body ko us pointed DHAARDHAAR ubhri hui jagah se koi fark nahi pada aur jab us tornado ne is baat ko sense kiya toh agle agle hi pal...

jis pointed jagah par mera sharir tika hua tha,us jagah ne khud ko expand karna shuru kiya aur dekhte hi dekhte wo nukili jagah ek bade se flat aur solid surface me badal gayi..

ye surface us tornado ke aadhe bhaag se bana tha...wahin aisa hote hi us tornado ka baaki ka aadha bhaag jo ki neeche tha,wo side se hota hua upar uthne laga aur dekhte hi dekhte wo bhaag bhi solid state me badalta hua ek mote aur bade se surface ka roop lete hue mujhse kuch 100 metre upar hawa me jaakar rook gaya...

lagatar lage jhatkon ki wajah se meri aankhen aadhi hi khuli thi aur un adhkhuli aakhon se maine dekha ki mere upar ka asman us red surface se jaise dhak sa gaya hai...

us surface ne ek gigantic mountain jitna area cover kar liya tha...

kuch seconds tak yunhi rooke rehne ke baad achanak.....

wo SURFACE tezi se neeche matlab meri taraf aane laga.... aur ye dekh meri aadhi khuli aankhen ek jhatke me puri khul gayi...

wo surface sidhe mujhpar hi girne waala tha aur ye dekh mai turant uthne ko hua par ye kya...???

jis surface par mai leta pada tha,mujhe uththe dekh usne mujhe baandh liya...

waise toh mere asli body ke mere paas hone ki wajah se kisi bhi tarah ke bandhan ko mai asaani se tod sakta tha par yahan baat alag thi aur wo isiliye kyunki jaise hi mujhe us surface ne jo ki mera hi blood thi, baandha toh uske aisa karte hi ek baar firse mere andar jhatke lagne lage aur is baar wo jhatke aur tez the...

aisa lag raha tha maano mera BLOOD mujhe baandhe rakhne ke liye apni puri shakti laga raha tha..

yahan mai lag rahe jhatkon se khudko normal rakhne aur khudko chhudaane ke liye apne body aur sir ko left right jhatak raha tha aur wahan mere upar waala surface mere sir tak pahunch chuka tha aur is baat ko sense kar jaise hi maine upar dekha toh...


BOOM.......


dono surface aapas me takrakar toot chuke the aur saath hi unke beech pis kar najaane kaisi haalat me niche girte chala jaa raha tha mai....



aksar ladhayi me,yudh me KHOON nikalta hai....

par yahan toh mere hi KHOON ne mera dum nikal diya tha.....







AAJ KE LIYE ITNA HI....







AAPKA APNA V...J....
Very Nice Update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
Very
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ALFREEN, FLORIN AUR MARIA KE BODIES SE EK INVISIBLE RAY NIKAL FORBIDDEN FOREST KE ANDAR CHALI JAATI HAI WAHIN ANNJAYA PLANET ME EK BAAR FIRSE RAAZ BEHOSH HO CHUKA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-44



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS




2 MONTHS LATER:-




PRATIBANDHANA

BIND THE POWERS



ek saath puri class ke is spell ko uccharit karne ke kuch der baad hi MAHI, MABEL, ALFREEN aur VALDIS ko chhod sabhi SAVENTS ki aankhen wapas khul chuki thi...

aur aankh khulte hi un sabhi SAVENTS ki nazar pichle 2 mahino ko tarah MAHI par aakar rook gayi thi....

reason...

behad hi gehri paused CEREBRATION me doobe ye chaaron SAVENTS apne SOUL ke AMPLIFICATION ko badhane ki kosish me lage hue the....

par is process ka asar in chaaron ke liye ab same nahi raha tha.

jahan MABEL, ALFREEN aur VALDIS ko apne SOUL ko AMPLIFY karne ke liye bas us asahaniya dard ki chunouti ko sehna tha jo unhe is process ke dauran hota tha wahin MAHI ki chunouti ka sthar ek level aur badh chuka tha...

aapko yaad hoga ko VOILET WHIZZ ne MAHI ko bataya tha ki 5 percent soul AMPLIFICATION ke baad time addition toh band ho jaata hai par pain ke saath saath kuch aur bhi hai jisse SAVENT ko handle karna padhta hai..

aur is waqt MAHI ussi extra challenge ko jo ki wakayi behad mushkil tha,handle kar rahi thi aur us challenge se hone waale prabhav ko hi wo saare SAVENTS jinki aankhen khul chuki thi,dekh rahe the....

is waqt MAHI ka pura sharir vibrate kar raha tha..itna hi nahi,uske sharir ke aage chaaron taraf har thodi der me kuch naa kuch naya banta chala jaa raha tha...

ab aisa kya ban raha hai and most importantly kyun ban raha hai,aayiye jaan lete hai par usse pehle ye jaan lijiye ki 5 percent AMPLIFICATION ke baad ek SAVENT ke saath AMPLIFICATION process ke dauran aakhir hota kya hai...???

aap logon ne aksar ye baat suni hogi ki kabhi kisike dil ke saath nahi khelna chahiye...

par dil se khela khel jitna bhi ghaatak kyun naa ho,agar buddhi sthir rahe toh dil har zakhm ko jhel hi leta hai aur isiliye is khel se upar bhi ek khel hai,ek zakhm hai,ek asar hai jo bohot zyada important hai aur wo ye ki kabhi kisiki AATMA ke saath,uske SOUL ke saath nahi khelna chahiye...

kyunki aisa karne ka natija soch se pare ho sakta hai....

par 5 percent SOUL AMPLIFICATION waale SAVENT ke saath yahi khel khela jaata hai...aur sabse badi aur ajeeb baat,ye khel khud us SAVENT ka SOUL uske saath khelta hai....

5 percent soul amplified SAVENT jab apne SOUL ko aur AMPLIFY karne ki koshish karta hai,tab usse ek hi waqt par is process me hone waale aseemit dard ke saath saath ek bhaavnatmak jung bhi ladni padti hai...

wo jung jiski roop rekha khud uska SOUL uske khilaf taiyar karta hai....

jaise ki is waqt MAHI jiski CEREBRATION process band hai,uske antarman me is waqt uski earth ki life ki kuch jhalkiyan chal rahe hai par ek alag andaz me...


wo grizzly bear toh yaad hi hoga aap sabko jisse kuch students ko bachane ke liye MAHI ne maara tha....

apne SOUL ke AMPLIFICATION ko shuru karne ke baad MAHI ke SOUL ne sabse pehle uske saamne ussi jhalki ko paida kiya tha jisme MAHI ne us grizzly bear ko maara tha...

par ek alag andaz me..aur wo aise ki us jhalki me MAHI ko sirf wo bear marte hue hi nahi dikha tha,balki MAHI ne marte hue us bear ke dard ko,uski tadap ko bhi mehsoos kiya tha...

jaisa ki har jeevit praani me SOUL hoti hai,toh MAHI ne us grizzly bear ke soul tak ko uske marne ke baad uske jism se nikal hawa me gayab hote dekha tha...

aur aisa karte waqt MAHI ka sharir jo ko us jhalki ki wajah se hi vibrate ho raha tha,uske chaaron taraf laal rang ka dhuan,jo ki us grizzly bear ke khun kaa pratik tha,ghira hua tha...

us grizzly bear ki tadap ko MAHI apne andar tak mehsoos kar paa rahi thi aur issi wajah se uske andar ek alag hi taklif ne janm le liya tha...

par in 2 mahino se is kriya ko lagatar dohraane ki wajah se MAHI pehle ke mukalble thodi sayammit thi warna shuruat ke wo kuch din jab MAHI ne apne SOUL ke 6 percent AMPLIFICATION ko shuru kiya tha,us waqt uske SOUL dwara dikhayi jhalkiyon ki wajah se wo din bhar depressed rehti thi...

par VIOLET aur baaki WHIZZ aur WHIZZDERS ke samjhane aur housla dene ke baad MAHI ne khud ko thik aur mentally strong banana shuru kar diya tha...


khair, pehli jhalki ko MAHI ne bina apne CEREBRATION process ko wapas shuru hone diye safalta purvak dekh liya jiske baad...

aaj ki dusri jhalki MAHI ke SOUL ne uske saamne prakat ki par ye jhalki thodi alag thi..

aur wo isiliye kyunki is jhalki me MAHI thi hi nahi par haan,ye jhalki bhi ussi TONGASS NATIONAL FOREST ki thi jahan MAHI rehti thi...

is jhalki me ek tendua ek mote se rabbit ke piche uska shikar karne ke liye doud raha tha...

par kamal ki baat ye thi ki MAHI us rabbit ki ghabrahat ko,uski uttejana ko,uske dar ko feel kar paa rahi thi...

usse aisa lag raha tha maano wo tendua us rabbit ke nahi balki uske piche bhaag raha hai aur wo apni jaan bachane ke liye zigzag hote hue bhaag rahi hai aur tabhi....

us tenduye ne us rabbit ko daboch lliya aur aisa hote hi....

MAHI ko apne gardan par tezdhaar daanth ke gadne ka ehsaas hua aur aisa hoti hi gardan se hote hue uske pure sharir me ek dard ki ek tivr leher doud gayi...

wahin baahar is waqt MAHI ke gale me ek ajeeb si thirkan hui jiske baad uske chaaron taraf bane ek gaadhe safed dhuen ka ghera chhatne laga....ye dhuan rabit ka body colour tha jo dheere dheere kam hota jaa raha tha...

SOUL ke AMPLIFICATION me waise bhi bohot dard hota hai, uske upar ek naya dard bardaasht ke baahar ki baat thi aur tabhi....


AHHHH.....AHHHH.....AHHHHH....


ek tez karaah ke saath CEREBRATION process shuru ho gaya par MAHI ka nahi,balki MABEL, ALFREEN aur VALDIS ka..

teeno ki hi aankhen khul chuki thi jiske turant baad un teeno ki bhi nazar baaki SAVENTS ki tarah sidhe MAHI ki taraf hi ghumi jo abhi bhi apne CEREBRATION process ko kisi tarah paused rakhe hue thi....

us rabbit ki ghabrahat,uske dar aur aakhir me uske marne par hue additional dard ko jhelne ke baad bhi jab MAHI ka CEREBRATION process band hi raha toh MAHI ke saamne ek nayi jhalki prakat hui...

is jhalki me bhi MAHI nahi thi aur ye jhalki bhi MAHI ke forest ka hi tha jisme ek nar cheeta ek maada cheetah ki smell ko sunghta hua ek disha me badhta chala jaa raha tha...

wo kuch door hi aage badha hoga ki tabhi usse apne saamne ek king cobra dikha...

is king cobra ko dekh wo cheetah agressive ho gaya aur uski taraf jhapta..

par king cobra behad satark tha...isse pehle ki uske sharir ke kisi ang par wo cheetah apne daanth gadata,usne us cheeteh ko das liya...

behad zehrila hota hai ek king cobra ka zeher aur isiliye uske dasne ke kuch pal baad hi us zeher ka asar cheeteh par dikhne laga...

us cheeteh ke mooh se halki halki jhaag nikalne lagi thi wahin jis waqt king cobra ne us cheeteh ko dasa tha,us waqt MAHI ko aisa laga jaise us king cobra ne usse dasa hai aur uske asar bhi MAHI ko mehoos hone lage the...

paused CEREBRATION me hone ke bawjud MAHI ko apna dimag ek andhere me jaata hua dikh raha tha wahin MAHI ke honthon ke side se ek halka sa jhaag dikhne laga jisse dekh sabhi SAVENTS dar se gaye the....

ALFREEN turant MAHI ke paas jaane ko hui par tabhi...


VIOLET-no ALFREEN...baitho apni jagah par...


VIOLET WHIZZ ki baat sun ALFREEN kuch kehne ko hui par VIOLET WHIZZ ne haath upar kar usse chup rehne ke liye bola...

VIOLET WHIZZ ke ishare ke baad bebas si hote hue ALFREEN MAHI ki taraf dekhne lagi jiske chaaron taraf is waqt ek kaala ghera bana hua tha...

ye kaala ghera wo zeher tha jiske asar ko MAHI mehsoos kar rahi thi...

vish ke asar se tadapte hue bhi jab MAHI ne apne CEREBRATION process ko paused hi rakha toh....

MAHI ke dil waale area ke upar ek tez prakash hua jisse pura CLASS dhak sa gaya...

sabhi SAVENTS ki aankhen band ho chuki thi...kuch der baad jab wo prakash khatm hua toh sabhi SAVENTS ne apni aankhen kholi aur jab sabki nazar MAHI par gayi toh sab khush ho gaye...

reason...

MAHI ki aankhen khul chuki thi..wo kaala dhuan nadarad tha aur wo jhaag jo uske honthon ke side se nikal raha tha,wo bhi gayab ho chuka tha...


MAHI ki aankh khule dekh ALFREEN uske paas jaane hi waali thi ki tabhi...


VIOLET-congrats MAHI....just in the first PHASE,you become the very first SAVENT to AMPLIFY 6 percent of your SOUL...





PLANET-ANNJAYA


PLACE-THE FROZEN OCEAN




AB YE KYA HAI...?????


aankhen band kiye hue hi maine apni ye baat kahi thi...

reason...

kaafi der tak behosh rehne ke baad abhi abhi mai wapas sense me louta tha...

par sense me aane aur aankh kholne ke beech jo ek nano second ka gap hota hai,utni der me mere brain me naa sirf behsosh hone se pehle ghati saari ghatna guzar gayi,balki usne ye bhi predict kar liya tha ki mai tab tak hi aaram se hun,jab tak meri aankhen nahi khulti ya fir jab tak mai koi moovement nahi karta..

mere aisa karte hi mere saamne fir koi naa koi chunouti khadi ho jaane waali thi...

mujhe ye bhi andaza ho gaya tha ki ye chunoutiyan kabhi khtam nahi hone waali thi jiska matlab tha ki inke hote mai aage bhi kabhi nahi badh sakta tha..

aur iska matlab ye tha ki mujhe jo bhi karna hai,us gap me karna hai jisme mujhe kisi bhi chunouti ka saamna nahi karna padh raha ho...

aur jis state me mai abhi tha,yahi wahi waqt tah,wo gap thi jisme mujhe react karna tha...

in saari baaton ke mere dimag me ghumte hi maine apni aankhen band hi rakhi..

aur sirf mehsoos kiya.maine mehsoos kiya ki mai kisi sakht chiz ke upar leta hua tha..

pehle mujhe laga ki shayad mai ussi surface par leta hun jahan behosh hone se pehle tha par fir mujhe yaad aaya ki behosh hone se pehle maine jo aakhri cheez dekhi thi wo ye thi ki wo surface uske dusre hisse se takrate hi toot gaya tha....

toh ab sawal ye tha ki mai aakhir leta kis solid cheez par tha???

aur jaise hi ye sawal mere dimag me gunja uske agle hi pal mujhe apne sawal ke answer ko jaanane ka tarika mil gaya...

ye sahi tha..jabse mujhe mera pura brain mila tha,tabse har solution mujhe mere sochte hi mil jaata tha...

khair, solution ka link is baat se tha ki lete hue bhi mujhe wo smell aa rahi thi jo is PLANET ki yaa fir ye kahun ki mere blood ki thi jo uska AURA apne me samete ghumta tha...

aur mere blood ki hi tarah mere brain aur mere body ka bhi AURA tha..

mujhe wo baat yaad aayi jo classes ke waqt shuru me hi bata di gayi thi ki brain,body aur blood interconnected hote hain jiska matlab tha ki unke AURA bhi interconnected honge....

aur solution ye tha ki ab bas mujhe inhi teen chizon ko jodna tha..mere aise karte hi mujhe aage kya karna hai,iska pata chal jaana tha...

ye khayal dimag me aate hi maine lete lete hi apni CEREBRATION process ko pause kiya aur


DVIJA KAPILOPA

INTERCONNECT THE AURA


mere dwara uccharit is spell ke agle hi pal mere brain aur body dono ka har hissa tezi se chamakne laga....

wahin kuch seconds lage,par jaise hi is PLANET ne,iske AURA ne is baat ko samjha ki mai kuch karne waala hun toh usne turant mere saamne ek nayi chunouti laane ko koshish ki...

sirf koshish..aur wo isiliye kyunki isse pehle ki ye PLANET ya iska AURA kuch karti,mere spell ne apna kaam kar diya tha...

mere brain aur body se nikalne waali roshni jo ki mera AURA thi,usne is PLANET ke hawa me ghumte hue AURA ke saath khud ko mila liya...

aur jaise hi hua....

KATKATKATKATAT....

mujhe ye pata chal gaya tha ki mai kispar leta hun..darasal mere behosh hokar niche girte hi is PLANET ke ocean ne khudko FREEZE kar liya tha...

aur isiliye mai is waqt us ocean ke frozen state ke upar leta hua tha par ye state ab kuch hi palon ka mehmaan tha..

aur wo isiliye kyunki teeno AURA ke judte hi is ocean ka frozen state tadakne aur pighalne laga..

tadakne ki awaaz ke saath dekhte hi dekhte pure OCEAN me daraare banane lagi aur fir.....

CHAPAAK......

jis surface me mai leta tha,wo toot gayi aur uske agle hi pal mai niche us khoon bhare ocean me gir gaya....

mera kaam ho chuka tha aur isiliye girte hi maine apni aakhen khol li...

laal rang...bas yahi dikh raha tha mujhe apne aankhon ke aage...


is laal rang ke andhere ko apni aankhon ke putiyon me utarta hua mai khud is ocean ke gehrayiyon me utarta chala jaa raha tha....

yahan tak pahunchne ka idea successful raha tha aur ab baari thi aage ke baare me sochne ki par mai aisa kar paata ki tabhi...

mujhe aisa laga maano koi mera gala daba raha hai...

ye koi aur koi nahi balki wo khun tha jiske andar me tha...

mere aaspaas ke khoon ne khud ko sakht kar mere gale ke ird gird fanda banana shuru kiya taaki mera gala ghota jaa sake...

apni saansein roke ab mujhe is nayi problem ko bhi solve karna tha par mai ye bhi jaanta tha ki mere aage khade hue har ek problem ka solution bhi ek hi hai aur wo hai apne blood ko haasil karna aur isiliye maine aage ke baare me sochna shuru kiya aur tabhi mere dimag me kuch lines gunj si gayi...


BLOOD AMPLIFICATION karna hamesha ke liye khud ke upar ek natural shield build karne jaisa hai par is shield ki strength usse banane waale par depend karti hai....


BLOOD AMPLIFICATION ki pehli class me NOX ke dwara boli gayi ye baatein mere dimag me gunji thi jiske baad mujhe aage kya karna hai,ye pata chal chuka tha...

daras mai jinhe ab tak chunoutiyan samajh raha tha,wo asal me mere blood ki shield thi par apne maalik ke naa hone ki wajah se unstable ho gayi thi aur isiliye ek ke baad ek mere aage chunoutiyan banane lagi thi...

aur jaisa ki NOX ne kaha tha ki is shield ki strength isse banane waale par depend karti hai..

ab is jagah ko maine toh banaya nahi tha par ye bani toh mere liye hi thi..iska matlab tha ki ye meri property hai jo tab hi control me aayegi jab meri brain aur body ki sangathith shakti isse zyada hogi...

aur ye khayal aate hi maine apne brain aur body ke AURA jo ki is waqt yahan ke blood ke AURA se judi hui thi,usse yaad kiya aur mere aisa karte hi wo dono bhi is red ocean me samate hue mere andar apni apni jagah par sthaapit ho gaye...

aur tabhi....


STATHADINA SHATIYEM

RELEASE POWER


BOOM.......


aankhen band kar maine is spell ko bola jiske baad mere brain aur body ki shakti ek jhatke me baahar nikal pure planet me bichi is ocean me samati chali gayi aur aisa hote hi jo fanda mere gale me fasa sa lag raha tha,wo chhut gaya...

wahin dhamake ke asar se ek pal ke liye is rakht se bhare samandar me bhi roshni faili jiske baad mujhse lipta blood ek pal ke liye mujhse alag hua...

sirf mere paas ka hi nahi balki jis jagah se hote hue mai dheere dheere neeche jaa raha tha, us puri jagah ka khoon dono taraf se ek second ke liye alag hua aur aisa hote hi mujhe apne se bohot neeche is PLANET ki asli zamin dikhi aur meri aankhen choti hoti hui chali gayi...

reason...us zamin se laga hua maine kuch dekha tha..aur wo kuch maine pehle bhi kabhi dekha hua tha..

wo bhi ek baar nahi kayi baar...aur jab maine us kuch ke baare me socha toh jaisa ki hota aaya hai,ek second se bhi kam time me mujhe mera jawab mil gaya tha...

aur saath hi mujhe apne blood ko haasil karne ka tarika bhi mil gaya tha...

darasal jo chiz jo kuch maine dekha tha,wo thi PLATELETS...BLOOD PLATELETS....

andruni sharir ka wo hissa,wo bhaag jisse blood clott hota hai...

aur ye baat clear hote hi mujhe ye bhi samajh me aa gaya ki is planet par khun faila hua kyun hai..???

darasal PLATELETS ka kaam hota hai behte hue khun ko us kate hue bhaag ke paas pahunchkar rokna...

par kyunki is khoon ka koi maalik nahi hai, isiliye iske PLATELETS kahin jaa hi nahi sakte...unke paas wo adhaar nahi hai jiski wajah se ye kaam karte hain...

par ab toh hain...aur yahi toh tha solution...mujhe un PLATELETS ko unka adhaar dena tha yaani mujhe dena tha...

is soch ke mere dimah me gunjte hi maine apni body ko us disha ki taraf zor se push kiya jahan wo platelets thi aur mere aisa karte hi...


ZOOM......


ek teer ki tarah khoon ko cheerte hue meri body aage badhti chali gayi aur dekhte hi dekhte mai is PLANET ke tal se halka upar aakar rook gaya...

ab mujhe do chizen karni thi aur wo bhi ek saath..

pehli...mujhe ek baar firse jahan mai khada tha,uske aaspaas ka view clear karna tha aur dusra,apne body ke kisi bhi bhaag par halka cut karna tha...

ab ek LONSDALEITE hexagon diamond jaise sakth sharir me cut toh nearly impossible tha par ye impossible dusron ke liye tha..

mera brain,meri body mere gulaam the..unhe wahi karna hoga ho mai chahunga aur isiliye...

pehle maine ek baar firse apne brain aur body ke power ko release kiya par sirf aage ki taraf....


mere aise karte hi mere aage ka pura blood thodi door feka gaya...

par fir wo blood wapas meri taraf aane laga..waqt kam tha mere paas aur isiliye...


KHANDITA....

CUT.....


apne haath ko chhu maine is spell ko uccharit kiya jiske agle hi pal mere haath me ek gehra cut van gaya.....

aisa hote hi maineapna haath piche kar diya jahan ke hisse ka blood ab bhi wahin tha..

haath us blood ke dariya me ghusate hi mere us gehre cut me khoon bhar gaya...

ab tak mere saamne ke hisse waala blood ka area mere kaafi paas aa chuka tha.. kuch hi seconds me mai wapas us khoon ke dariye me doob jaane waala tha aur isiliye maine turant neech jhukte hue mere us cut waale haath ko wahan ke tal ke upar biche PLATELETS se chhua diya aur aisa hote hi.....


SWOOSH...........

maano apni saans kheenchi ho PLATELETS ne kuch aisi awaaz aayi us pure tal waale area se aur fir agle hi pal....

mujhe aisa laga maano koi behad shaktishaali force kheenchata hua neeche jahan mai tha,wahan aa raha hai....

aur jab maine neeche ki taraf dekha toh paaya ki mera andaza galat nahi tha...

darasal un PLATELETS me se tez roshni nikal rahi thi aur us roshni ke beech is pure planet me biche us khoon ke ocean ko wo PLATELETS khudme sokhte chale jaa rahe the...

pura PLANET bana hi tha us khoon se par dekhte hi dekhte kuch hi minute me wo pura blood un PLATELETS me sama gaya...

aisa hone ke baad RENAISS aur ANGIS ki hi tarah ANNJAYA PLANET bhi apne asli roop me aa chuka tha...

ek laal sakth dead planet jispar ab bhi mere khoon ke itne saalon tak hone ki wajah se halki halki nami bani hui thi par wo bhi tezi se sookhti chali jaa rahi thi...

mai chaaron taraf dekh hi raha tha ki tabhi....


AAPKO JO BHI DARD HUA,USKE LIYE...

MAI-maaf kar dijiye....


mere saamne mera hi blood ek laal aakruti ka roop liye khada mujhse maafi maange ko hua par maine uski baat ko pehle pura kiya aur uske baad...


MAI-maafi bhi tab maango jab mai tumhe uski ijaazat dun...


meri baat sun jab wo aakruti chup hi rahi toh....


MAI-mai tumhe apnata hun....


mere aisa kehte hi wo laal aakruti ek laal gole me parivartit ho gayi aur fir aage badhti hui wo mere us haath par jahan cut tha,usme se hoti hui mere andar sama gayi....

aisa hote hi mujhe mere andar ek behad tez pravah mehsoos hua...

mere pure sharir ke upar ek natural shield jo ki mere blood ki den thi,ban gayi...

wahin wo cut jo ab tak gehre gadhe hone ke baad bhi sukha hua tha, uske andar ab khun tha jo baahar aane ko hua par aisa hota,usse pehle hi wo cut,wo ghaav bhar chuka tha...

issike saath mera ye teesra padhav bhi pura hua...aur ab bacha tha mera aakhri par sabse mahatvpurn bhaag...

mera SOUL....


zara sochiye..jab MAHI ko uske already present SOUL ko AMPLIFY karne ke liye kya kya dekhna pada, kya kuch sehna pada,toh fir mai RAAZ jiske ird gird ye puri kahani hai, usse apne SOUL ko haasil karne ke liye, SOUL ke saath us chiz ko haasil karne ke liye jisko paane ki chaah liye VIKRAM ne khudke saath pure PLANET me base logon ki jaan gawa di thi, kaisi pariskha deni hogi...

par naa toh mujhe VIKRAM se koi matlab tha,aur naahi un karodon logon se koi hamdardi jo us CHIZ ke bhet chadhe the...

mujhe bas us CHIZ se matlab tha..usse haasil kar bas apni jeet se matlab tha...

kyunki yahi mera sach hai...



wo sach jo meri soch ko KAWACH DETA HAI....

ye RAAZ wo RAAZ hai,jisse jaan kar naa maanane waale ki ye RAAZ jaan LE LETA HAI....








AAJ KE LIYE ITNA HI....








AAPKA APNA V...J.....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI APNE SOUL KO EK BAAR FIRSE AMPLIFY KARNE ME KAAMIYAB HO JAATI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ APNE BLOOD KO BHI HAASIL KAR LETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-45



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE CHOSENS





YE ABHI KYA HUA THA MERE SAATH....???? MUJHE AISA KYUN LAGA JAISE KUCH THA YAHAN....

AUR WO BHI BOHOT POWERFUL...

MUJHE AISA KYUN LAGA JAISE KISI NE MERE DIMAG ME PRAVESH KARNE KI KOSHISH KI THI....

MUJHE ITNA NEGETIVE,ITNA GHUTAN KYUN FEEL HO RAHA HAI....


lambi lambi saans leti hui MAHI,chehre par bechaini liye idhar udhar yun dekh rahi thi maano kisi ko talash kar rahi ho...


midnight ka waqt hai.... MAHI jo kuch der pehle gehri neend me thi,usse achanak aisa feel hua maano koi uske pure sharir ko scan kar raha hai...

par kyunki MAHI neend me thi,toh uske dimag ne is ehsaas ko sirf sapne ka ek bhaag samjha....

par tabhi....

MAHI ke brain ko aisa laga jaise koi usme ghusne ki koshish kar raha hai...

maano koi messege hai jo wo uske through MAHI ko dena chahta ho...

itna hi nahi,jaise hi us KOI ne MAHI ke brain me ghusne ki kohish ki toh soyi hui MAHI ko khudme ek ajeeb si ghutan mehsoos hui...

usse aisa laga jaise kisi ne uske astitv ko,uski personality ko,uske ATTITUDE ko change karne ki koshish ki ho...

aur is ajeeb ehsaas ke feel hote hi MAHI ki aankhen khul gayi....

feel hue chizon ko yaad kar ye saare sawal khud se hi puch rahi thi MAHI....

par in saare chizon me sabse ajeeb baat ye thi ki MAHI ki aankh khulte hi baaki saari feelings jo usse feel ho rahi thi,wo toh gayab ho gayi thi par jaate jaate bhi ek aisa ehsaas tha jo ab bhi usse halka sa chipka hua tha...

wahi ehsaas jisse ye puri kahani hai aur jisse MAHI ke andar badalne ki koshish abhi abhi hui thi...

ATTITUDE CHANGE.....

MAHI ko ab bhi thoda thoda aisa feel ho raha tha maano uska chizon ko dekhne ka nazariya, situations ko handle karne ke tarike ko koi change karne ki koshish kar raha ho....


MAHI-par ye kaise mumkin hai...!!!!!


khudse hi is sawal ko pucha MAHI ne aur uske aisa karne ke agle hi pal uske dimag me VIOLET WHIZZ ki kahi gayi baat gunj si uthi...


JUST DONT CHANGE YOUR ATTITUDE AND NOTHING WILL CHANGE YOU....


VIOLET WHIZZ ke ye shabd gunj se uthe MAHI ke dimag me jiske baad MAHI ke dimag me uske ab tak ke jeeven ke saare important drishya dikhne lage....

uska har faisla,uske har shabd jo kisi situation ke final moments ko define karte the,wo sab usse jaise live dikhne lage the..

itna hi nahi, MAHI ne ye bhi feel kiya ki dikhne waala har scene apne mukaam par aakar MAHI se jaise puch raha tha ki kya aapka liya decision sahi tha,aur is sawal ke baad jab MAHI ka brain apne liye faislon par swikriti dikhata tha toh aisa hote hi scene change ho jaata tha....

kaafi der tak ye sab hota raha aur fir ek dum se sab kuch shaant ho gaya...

sirf scenes hi dikhne band nahi hue the,balki uske saath saath jo ATTITUDE CHANGE waali feeling bhi MAHI ke andar rooki hui thi,wo bhi khatm ho chuki thi...


MAHI-kya us din VIOLET WHIZZ issi situation ke baare me baat kar rahi thi...!!!???

par unhone toh woh baatein PHASE 2 ke liye kahi thi jisme abhi kaafi waqt bacha hai...

fir tha kya ye sab...????

kaafi der tak MAHI apne dimag ke ghode ko daudate hue is 2 plus 2 equals 5 waale naye theory ke baare me sochti rahi par jab kaafi der baad bhi wo kisi natije par pahunch nahi paayi toh apne dimag ko jhatak wo wapas so gayi...






PLANET-ZEAL-THE SOUL


PLACE-ABOVE THE AURA





SHURUAT YAHIN SI HUI THI,
ANJAAM BHI YAHIN SE HOGA...

BADNAAM BHI YAHI SE HUE THE,
DOBARA NAAM BHI YAHIN SE HOGA...



ZEAL PLANET ke atmosphere se ek meter upar khade hokar maine neeche dekhte hue is baat ko kaha tha....

kyunki yahi wo jagah thi jahan se maine drishyam dekhte hue apne safar ki shuruat ki thi...

yahi wo jagah thi jahan mujhse pehle VIKRAM ne us CHIZ ko haasil karne ki koshish me apne saath saath yahan base har bande ki jaan gawa di thi....

aur yahi wo jagah thi jahan ab mai us badnaami ko mitate hue is jagah ke upar ek naya naam likhne waala tha...

RAAZ......


khair,mere thik neeche se shuru hoti thi ZEAL ki wo khatarnaak saltanat jahan har taraf wahi gehra dhuan faila hua tha aur isiliye hi mai is planet ke us dhuen ke daayre ke just upar khada tha kyunki bina is dhuen ke AURA ka intezam kiye mai aage nahi badh sakta tha...


MAI-dushman hadh se zyada taakatwar bhi ho toh khud ke pure wajud ke bharose usse lada jaa sakta hai,ek perfect planning aur ran neeti ke tehet usse haraya jaa sakta hai par agar ladayi khudke hi wajud ko pura karne ki ho toh fir bharosa aur ran neeti,dono bhi aadhe adhure hi bante hain....


RENAISS, ANGIS aur ANNJAYA me mera har pehla prayas, koshish naakamiyab hui thi par wo naakiamiyabi mai yahan afford nahi kar sakta tha kyunki baat yahan mere SOUL ki thi....

wo SOUL jiski shakti brain body aur blood ki joint shakti se bhi zyada hoti hai...

aur wo AURA jo mere pairon ke neeche se hota hua is pure PLANET me faila hua tha,mai usse bin chhue bhi mehsoos kar paa raha tha...

mai mehsoos kar raha tha ki beintihan shakti thi us AURA me...

itni shakti ki mera poora brain aur LONSDALEITE hexagon diamond jitna shaktishaali sharir bhi us AURA ki shakti ko jhelne ke kaabil nahi tha...

jahan kisi bhi natije par pahunchne ke liye mere dimag ko 1 second se bhi kam samay lagta tha,wahin mere is naye challenge se nipatne ke liye mere brain ko saare guna bhaag ke ganit ko lagate hue kaafi samay ho chuka tha...

aur aakhir me mere dimag ne mujhe bas itna bataya ki is aane waali chunouti ka solution sirf tabhi mil sakta hai jab iski taakat ko aur isse milne waale challanges ko ek baar parkha jaaye..

par ab is choti si yukti ko kaam me laane ke liye bhi ek yukti sochni thi aur wo isiliye kyunki agar is AURA ki taakat ko aur isse milne waale challange ko parakhna tha,toh uske liye sabse pehle usse apni existence dikhani thi aur agar mai ye directly karta toh iske pure pure chances the ki meri existence aakhri baar hi exist kar paati...

mujhe yahin nipat jaana tha...

mai ye sab soch hi raha tha ki tabhi mere dimag me ek yukti,ek idea koundhi aur isiliye...

maine apni shirt ki pocket me apni ungli fasayi aur....

CHRRRRR.....

ek jhatke ke mere shirt ka woh hissa fath chuka tha...

kapde ke us fate bhaag ko pakde maine ek baar fir aage ke baare me socha aur...

maine us kapde ke bhaag ko neeche chhod diya...

tezi se lehrata hua wo kapde ka hissa niche ki taraf gaya aur.....

usne us dhuen numa AURA ko chhu liya aur aisa hote hi.....

second ke sauwe hisse ke andar hi wo kapde ka hissa jal gaya....

mai is scene ko dekh hi raha tha ki tabhi...

jis point par wo kapda jala tha,thik ussi point par maine kuch nikalta hua sa mehsoos kiya....

aur tabhi....

SWOOBBBBB.....


us point se ek teer ki shakal liye us hisse ka AURA upar utha aur meri taraf badha...

uske aisa karte hi maine turant apni body ek taraf kar di jisse wo teer mere just baju se hota hua upar chala gaya...

ye sab behad jaldi hua tha par fir bhi jab wo teer mere side se nikal raha tab maine us teer ki energy mehsoos ki thi jisse feel kar mujhe behad hairani hui aur wo isiliye kyunki us teer ki energy itni zyadi thi ki agar uska nishana niche ki taraf hota toh wo teer ek pure planet ko cheerti hui dusri taraf nikal jaati..

ye toh acha hua ki mai bade dhyan se us point ko dekh raha tha jisse mere kapde ne chhua tha aur isiliye hi uske baad hue hamle se khud ko bacha paaya kyunki agar galti se bhi AURA se bana hua wo teer mujhe chhu bhi jaata toh fir pata nahi kya hota....

successfully side hatne ki wajah se maine socha ki mai bach gaya par tabhi...

BOOMM......

mujhe thodi upar ek tez dhamaka hua jisse sun jab maine upar dekha toh...


MAI-lag gayi....


lambi saans chhodte hue maine ye baat kahi...

reason...


jis teer ke bina mujhe chhue upar ki taraf nikalne ki baat par mai relax ho raha tha wo teer upar uththa hua ek point par jaakar fath gaya aur aisa hote hi...

dhamake se hua dhuan...waisa hi dhuan jaise mere pairon ke neeche pure PLANET me bicha hua tha...

par ye upar waala dhuan bas kuch seconds ke liye hi tha...

kyunki kuch der baad us dhuen ne apna roop badla aur is baar usne ek bohot hi bade chaadar ka roop le liya...

itne bade chaadar ka jisse pura aasman hi dhak chuka tha...

is naye roop ko dhar wo dhuan,wo AURA neeche aane laga...speed us chaadar ki zyada nahi thi par kyunki hatne ya bachne ka koi rasta mere paas tha nahi isiliye ab mujhe is jagah ki AURA se bhidna hi tha aur isiliye maine khudko taiyar kar liya...

par tabhi....

mere dimag me ek naye vichar ne janm liya....

maine socha ki chaadar hi kyun...aakhir is AURA ne yahi roop kyun liya...ye sawal mere dinag me ghumte hi mujhe iska jawab bhi mil gaya aur wo ye tha ki is chaadar ka maksad mujhe direct haani pahunchana nahi tha balki mujhe ek machli ki taraf fasakar neeche dhakelte hue yahan ki asli AURA ko touch karana tha...

kyunki isse pata tha ki wo mujhe nuksaan toh pahuncha sakti hai par mera khatma karne ki shakti usme nahi balki mere neeche biche AURA me hai...

jaise hi is chadar numa AURA ki planning mere dimag me gunji toh iska ek temporary jawab bhi mere dimag me aa gaya jo tha ek famous quote ki attack is the best defence...

mujhe filhal jitna zyada waqt mil jaaye,utna acha tha aur iske liye is chadar ke mujhe lapetne se pehle mujhe isse takrana tha aur isiliye...

maine apne sharir ko puri takat se upar ki taraf jhakta diya aur mere aisa karte hi...

SOOBHHH...


mera sharir bhi behad tezi se ek teer ki hi tarah tezi se upar ki taraf utha aur agle hi pal....

mai us chadar se takra chuka tha aur jab aisa hua tab maine ek saath do chizen mehsoos ki....

pehli ye ki bhale hi wo chaadar dhuen ki bani hui thi,par uski parat lachili thi aur saath hi itni strong bhi ki jisse dhakka toh diya jaa sakta hai par us bhedte hue uske paar nikalna impossible hai....

aur dusri chiz mehsoos ki thi mere sharir ne...actually sharir ke andruni bhaag ne...

chadar se takrate hi maine aisa feel kiya jaise mere body ke andar behata khun mere body se chipak gaya hai aur aisa kar mere anduri sharir ka bohot sa hissa khaali ho gaya hai aur un khaali husson me maine ek behad tez jakdan mehsoos ki..

mujhe aisa lagne laga maano mujhe kisine andar se jakad liya hai...

mera sharir pura tan kar akad sa gaya tha aur ussi position me mai us chadar se chipka hua neeche ki taraf girne laga...

in sab negetive chizon me mere liye bas ek achi chiz hui thi aur wo ye ki us chadar ke mujhse chipakne ki wajah se mai bhi uske saath dheere dheere neeche ki taraf aa raha tha jiska matlab tha ki mere paas thoda extra time tha is situation ko handle karne ke liye...

par mujhe situation ko sirf handle hi nahi karna tha balki is PLANET ke pure AURA ko yaa toh khatm karna tha ya apne control me laana tha...

behad tez jakadan ke beech mera diamg tezi se daud raha tha....har beetathe second me mere dimag me hazar se zyada idea aa bhi rahe the aur unme dum naa hone ki wajah se wo sab cancel bhi hote chale jaa rahe the....

daudte daudte mere dimag ka dhyan mere body ki jakdan ki taraf gaya aur tabhi...

meri aankhen khul gayi.....

solution mujhe mil chuka tha aur wo solution is waqt mere body ke andar daud raha tha..

mera BLOOD.....

the purest creation of universe...

aur yahi wajah thi ki mera pura body jakda hua tha par mera blood is body se chipak jaane ke baawjud bhi lagatar mere dhamniyon me bina kisi rookawat ke beh raha tha...

is PLANET ka AURA mera tha par fir bhi ye mujhe khatm karna chah raha tha aur wo isiliye kyunki is waqt mai human form me tha..

the most corrupted form of life... wo form jisse yahan ka AURA bardasht nahi kar sakta tha par wahin ussi form ke andar behte khun ko is AURA ne mehsoos kar liya tha..

sirf mehsoos kiya tha..isne ye nahi pehchaanana tha ki ye khoon bhi issi body ka hissa hai aur ye body us AURA aur uske maalik matlab SOUL kaa bhi maalik hai...

aur yahi tha solution.. AURA ne jisse mehsoos kiya tha,mujhe usse uski pehchaan karani thi...matlab mere blood se aur iska sirf ek hi tarika tha...

aur wo ye ki isse pehle ki mera body neeche faile AURA ko chhue,mere BLOOD ko us AURA aur is planet ke zamin ki satah ko chhuna tha...

sharir ke jakde hone ki wajah se mai hil toh paa raha tha nahi aur isiliye maine apni aankhen band kar apne CEREBRATION process ko pause kiya...

aisa kar maine apne brain ko apne body se joda aur ek baar firse ussi spell ko uccharit kiya jiska istemaal maine ANNJAYA me kiya tha....

KHANDITA...

CUT.....


apne pair ke anguthe ko dhyan me rakh maine is spell ko uccharit kiya jiske baad mere anguthe ke bhaag me ek cut pad gaya aur aisa hote hi usse khoon ko kuch katre nikal neeche ki taraf tapak gaye...

khoon ke tapakte hi mai us kati jagah ko seal karne ke liye spell bolne ko hua par tabhi...

mera wo cut apne aap bhar gaya aur aisa hote mujhe pata chal gaya ki mera socha solution sahi hai..

reason..

jaise hi mere pair ke anguthe se khoon nikla toh mere sir ko dhaka us AURA ne mere khoon ko mehsoos kiya jiske baad uske nikalne waali jagah ko usne khud hi heal kar diya...

wahin jo khoon ki bunde already tapak chuki thi,wo tezi se niche ki taraf girne lagi aur dekhte hi dekhte us AURA numa dhuen me gayab ho gayi...

wahin iske agle hi second mera neeche girta hua sharir bhi us AURA ki chapet me aa gaya....

maine khudko is waqt ke liye taiyar kiya hua tha...

jaise hi mai us AURA ki chapet me aaya...meri jakdan 1000 guna aur badh gayi...

mujhe aisa lagne laga maano wo dhuan mujhe squash kar dena chahta ho...

mera pura sharir dabne laga....beintehan dard ke beech mai aankh band kiye apne sharir ki jakdan ko sehne laga...

waise toh is AURA me itni shakti thi ki iske sparsh waale second me hi mujhe ye pichka kar maar dene ki capability rakhta tha par kyunki mujhse ek second pehle mera blood isse hokar niche ki taraf gaya tha isiliye iski shakti mujhpar dheere dheere dabaw bana rahi thi...

wahin in ssabse alag mera blood us dhuen numa AURA ke beech se hota hua neeche ki taraf girta chala gaya aur fir....

mere blood ne is ZEAL PLANET ke satah ko chhua aur aisa hote hi....

ek saath do chizen hui...


pehli ye ki mere sharir ki jakdan kam hone lagi...

dusri ye ki is pure PLANET ke AURA ne khudko sametna shuru kar diya...


aur jaise hi tezi se neeche girte hue mera sharir ne is planet ki satah ko chhua toh....

meri jakdan puri tarah se khatm ho chuki thi aur wo dhuan,wo AURA jo is pure planet par faila hua tha, usne bhi khudko puri tarah se sameth liya tha aur ab wo AURA ek football jitne chote se dhuen ki shakal me mere saamne khadi thi...

mujhe pata tha ki baat wahi shuru karegi aur hua bhi aisa....


AURA-ZEAL ME SWAGAT HAI AAPKA RAAZ...


is awaaz ko sun mai man hi man halka chownka tha aur wo isiliye kyunki mai is awaaz ko jaanta tha...


MAI-WOOGER....tum ho yahan ke AURA..tumne mujhe jakda hua tha....

WOOGER-nahi..mai yahan ka AURA nahi hun...yahan ke AURA ko sametne ke baad usse contain karna zaroori tha aur mai bas wahi kar raha hun....

kyunki iski shakti sirf aapse yaa aapke hisse se hi control ho sakti hai...

MAI-aage kya karna hai...????

WOOGER-piche dekhiye...


WOOGER ke aisa bolte hi mai palta aur dekha ki meri sidh me hi mujhse kuch door par ek nahi balki do do roshni ke gole line me lage chamak rahe the.....

par meri nazar aur mera dhyan un do roshni ke golon par sirf ek pal ke liye hi tik paaya kyunki maine un do roshniyan se thoda piche ek aur roshni ka gola dekha par dekhne se zyada mai us roshni ko mehsoos kar paa raha tha..

mujhe aisa lag raha tha jaise wo roshni ka gola mujhse juda hua hai.....

mai us roshni ke gole ko ek tak dekh hi raha tha ki tabhi....


WOOGER-jis roshni ke gole par aapki nazar tiki hai wo roshni ka gola hi aapka SOUL hai....


aage badh un do roshniyon ke baaju me khada dhuen numa WOOGER ne is baat ko kaha jispar..


MAI-aur ye do gole kaise...???

WOOGER-ye do roshni ke gole aapke wo do chunoutiyan hain jinhe paar karne ke baad hi aap apne SOUL ko paa sakte hain..

MAI- chunouti kya hai...???

WOOGER- ye do gole asal me do logon ke jeeven ke,unke karm path ke chune hue kuch aise pal hain jinhe aapko jeena hai...

sirf jeena hi nahi hai balki un palon me jo paristithi aapke saamne aayegi,yaa fir utpann hogi,usse aapko apne hisab se sanchalit karna hai...

aur wahi sanchalan aapki chunouti hai... aapka sanchalan, apke faisle,yahi tay karenge ki jis kaarya ko uske anjaam tak pahunchane ke liye aapki utpatti hui hai,aap uske yogya hain yaa nahi...

agar aap uttirn hue,toh apka SOUL aapka hua.....


MAI-thik hai....waise ye do log hain kaun jinke jeeven aur karmpath ke pal mujhe jeene hain...

WOOGER-ASMODEUS AUR VIKRAM.......








AAJ KE LIYE ITNA HI......







AAPKA APNA V.....J......
Very nice Update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI KE DIMAG ME KOI GHUSNE KO KOSHISH KARTA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KO ZEAL ME DO NAYI CHUNOUTIYAN MILTI HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-46



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS





KYA HUA MAHI...???TU ITNI KHOYI KHOYI KYUN LAG RAHI HAI....????


subah ka waqt hai..INSTITUTION jaa rahe hain MAHI aur ALFREEN...

jahan ALFREEN lagatar kisi naa kisi topic par kuch naa kuch bole jaa rahi thi wahin MAHI kuch puchne par bas hun,hmm,is tarah ke jawab hi de rahi thi woh bhi kabhi kabhi...

zyadatar toh wo bas saamne dekhte hue khudme khoyi hui aage badh rahi thi aur issi baat ko notice kar ALFREEN ne MAHI ke kandhe ko hilate hue ye sawal kiya tha jispar MAHI jaise kisi tandra se jaaagi aur...


MAHI-haan,kya hua???


ek dum se hosh me aate hue MAHI ne ye sawal kiya jispar...???


ALFREEN-tu bata ki tujhe kya hua hai...??mai kitni der se dekh rahi hun ki kahin khoyi hui si hai...???

MAHI-aisi toh koi baat nahi hai...??mai toh teri baatein hi sun rahi thi...

ALFREEN- MAHI,tu SAVENT bhale hi best haj par jhooth bolne ke maamle me tu worst hai...

isiliye bina baaton ko ghumaye chupchaap bata ki problem kya hai???

MAHI-chupchaap rahungi toh baat kaise karungi....????


ALFREEN ki baat sun mazak me MAHI ne ye kaha jispar...


ALFREEN-very funny..par funny hone ke aur bhi mouke milenge, isiliye filhal tu bas itna bata ki what's fishing..???

kis khayal me khoyi hui thi tu...??? what's disturbing you..???


MAHI ko maalum tha ki ALFREEN maanane waali toh thi nahi isiliye ek lambi saans chhod usne ALFREEN ko kal raat uske saath kya hua tha wo bata diya jisse sun ALFREEN bhi hairan ho gayi....


ALFREEN-you know agar aisa kuch hamare saath yahan aane se pehle hua hota toh mai bas isse ek brain illusion maanti..

ek dream dissorder jo kisike bhi saath ho sakta hai but this place is fucking insane...

yahan anything is possible...aur isiliye mujhe lagta hai ki hume tere kal raat aayi feelings ke base ko dhundna chahiye...

MAHI-aur ye hum karenge kaise.???

ALFREEN-sabse pehle toh hume is baat ke baare me VIOLET WHIZZ ko batana chahiye..i think wo hume proper guide karengi....

MAHI-ye khayal kar raat hi mere mind me aaya tha par somehow i feel ki isse koi faayda nahi hoga..

kyunki jo bhi hua,wo bas ek khayal tha jo mere dimag me aaya aur fir chala gaya...


WHIZZ ko batane ka faada tab hota jab wo situation unki aankhon ke saamne occour ho taaki wo usse sahi se samajh paayen...

ALFREEN-Yhmm..ye bhi hai...

MAHI-and you know what, actually mai WHIZZ ki help lena chahti hi nahi hun...

i want to face every problem all by myself...

mujhe khud apne problems ko handle bhi karna hai,unhe tackle bhi karna hai aur unhe harana bhi hai....


full confidence se kahi thi ye baa MAHI ne jisse dekh...


ALFREEN-wo toh thik hai MAHI par agar koi problem hamare bas ke baahar ki baat ho toh aise situation me help toh leni hi padti hai naa...

MAHI-agar situation,problem hadh se baahar ki hai toh sabse pehle hume usse apni hadh ke andar karna hai yaa fir apni hadh ko badhana hai...

aur issike liye hi toh hum hain yahan..is INSTITUTION me...to achieve the impossible...

ALFREEN-teri aaj ki baatein aisi hain jaise tu kisi competition me participate karne waali hai aur uske liye khud ko motivate kar rahi hai...


ALFREEN ki baat sun MAHI muskurayi aur...


MAHI-pata nahi yaar par kal mere 6 percent SOUL AMPLIFICATION ke baad ek alag hi energy doud rahi hai mere andar..

aur kal raat jab wo weird feeling mere brain ko ghere hue thi,tab bhi mujhe aisa laga jaise wo feeling mujhe challenge kar rahi hai aur fir jab us feeling ne mere brain ko chhoda toh aisa laga maano mai usse jeet gayi hun..

aur jab aisa hua toh mai bata nahi sakti ki mujhe kitna acha feel hua.....

ALFREEN-jab tujhe kal raat hue haadse ki koi chinta nahi hai toh fir thodi der pehle itni gehri soch me kyun khoyi hui thi tu...???

MAHI-arre mai toh bas kal ke pure wakiye ko analyze kar rahi thi..

soch rahi thi ki agar aisa kuch kabhi aur firse hua toh mujhe us situation ko kaise handle karna chahiye...???

ALFREEN-waah re teri soch.....maana tu hum sabse abhi aage hai par abhi hamara first PHASE khatm nahi hua hai..

toh agar sochna hi hai naa,toh apne next SOUL percentage ke AMPLIFICATION ke baare me soch...

aur usse bhi pehle ye soch ki hum aaj ki class ke liye late ho chuke hain..


ALFREEN ki baat sun MAHI ko bhi realize hua ki baaton baaton me wo dono late ho chuke hain..

aur ye realize karte hi shuru hua dono ka blame game jo karte hue wo dono CHOSEN'S ki taraf badh gaye....




PLANET-SEAL- THE SOUL


PLACE-THE DEAD SURFACE





KYA AAP JAANANA CHAHENGE KI YE DO NAAM KINKE HAIN...???INKE SWAMI ASAL ME HAIN KAUN...???


VIKRAM aur ASMODEUS..wo do naam jinke life ke palon ko mujhe jeena tha aur un palon ko apne hisaab se mould karna tha,unke baare me pucha mujhse WOOGER ne jispar....


MAI-kya un dono ke baare me jaankar mujhe unke life ke palon ko jeene me kuch madad milegi...???

WOOGER-nahi...

MAI-toh kyun jaanu mai un dono ke baare me..???

WOOGER-jinke zindagi ke palon ko aapko jeena hai,kya unke baare me jaanane ki jigyasa nahi hai aapko..???

MAI-zindagi unki toh jigyasa meri kyun...??mujhe sirf unhi cheezon ki jigyasa rehti hai jisme mera faayda rehta hai...

isiliye ye faaltu ki baat chhodo aur mudde par aakar ye batao ki what's the catch...???is chunouti ka wo kaun sa hissa hai jo tumne abhi tak mujhe nahi bataya..???

WOOGER-bohot ache...mujhe bas aapki doordarshita dekhni thi..dekhna tha ki jo saamne hai usse toh aap dekh hi rahe hain,par jo chhupa hua hai,uspar aapka dhyan hai yaa nahi...

MAI-mudde par aa WOOGER.....


thodi kadak awaaz me maine ye baat kahi thi jisse sun us dhuen me jisse WOOGER ki awaaz aa rahi thi,usme halchal hui maano usse mere bolne ke tarike ko sun dar laga ho aur isiliye....


WOOGER-is chunouti ka asli pench,sabse badi rookawat hai EHSAAS....

ye wo bhaag jo aapki chunouti ko behad kathin banayega....

aur wo isiliye kyunki inme se jo bhi gola aapke andar samayega,aapka astitv us gole ke maalik ke adhin ho jaayega....

kehne ka matlab ye hai ki gole ke aapke andar samate hi aap aap nahi rahenge balki wo ho jaayenge jinki urja se ye gole bane hain...

aur aise me aapko jis bhi pal ko jeene hai aur saath me apne hisaab se sanchalit bhi karna hai,us pal me aap aap rahenge hi nahi....

aap wo ho jaayenge jinke wo pal honge..aapke brain,aapke body aur aapke blood par us kirdaar ka raaj hoga jisne originally wo pal jiye the..

yahan tak ki aapka wo bhaag jo filhaal aapke paas nahi hai,aapka SOUL,us bhaag me bhi us kirdaar ka ek temporary SOUL fit ho jaayega jisse aapki bhaavna bhi uske hisaab se chalegi....

aap puri tarah se us kirdaar ke ATTITUDE me DHAK jaayenge....

aur aapko ussi condition me us kirdaar ke palon ko yaa fir ye kahun ki kisi ek khaas pal ko apne hisaab se mould karna hai...

ab wo pal kya hai aur usse kaise mould karna hai,yahi aapki asli chunouti hai.....


ye chunouti kam suicide zyada lag rahi thi..jab mai mai hi nahi rahunga toh sanchalit kya ghanta karunga....

uske upar mere SOUL ka bhaag jo filhal khaali hai,uspar bhi kisi aur ka kabza hone waala tha...

aise negetive waqt par jahan haath aur pair baandhe nahi gaye hain balki kaat diye gaye hain,mujhe tairna tha...

par aage badhne ke alawa option nahi tha mere paas.. actually tha,par mujhe koi option chahiye hi nahi tha..

aur wo isiliye kyunki maine aaj tak kisi competition me bhaag nahi liya tha,kisi race me douda nahi tha par sirf isiliye kyunki mujhe koi competition,koi race apne standard ke barabar ka laga nahi tha par aaj jo chunouti mere saamne thi,wo thi mere takkar ki..

ek aisi chunouti jo mere INSTINCTS ko, mere confidence ko yahan tak ke mere existence tak ko challange kar rahi thi...

and i,like it....

MUJHE YE ACHA LAGA.....

aur isiliye...


MAI-shuru karen....????

WOOGER-aap bataiye,kisse..????

MAI-ASMODEUS


mere is naam ko chunte hi us naam ka gola tezi se meri taraf badha aur agle hi pal....


AHHHHH...AHHHH...AHHHH....AHHHH...AHHH.......AHHHHH...AHHHHHH.....

kaale andhere bramhand ke madhya float sa karta hua niche gir raha tha mai...

ASMODEUS....

PARMESHWAR PUTR....THE CREATURE OF JUDGEMENT....

par ab ye designation meri nahi thi....

kyunki abhi abhi is bramhaand ke raichaita,par usse pehle mere father GOD ne mujhe mere hi ghar HEAVEN se baahar fekh diya tha...

aur kaaran....

us gande,ghinoune,maamuli keede ki haisiyat rakhne waale manushya jaati ke liye...

ankhon me beintehaan krodh,tadap,bebasi liye HEAVEN ke darwaze se hota hua is kaale universe ke beech girta chala raha tha mai aur mere saath mere wo saath humsaaye jinhone har waqt,hat lamhe me mera saath diya tha...

mere SEVEN OPOSTLES...

jo karah bhari awaaz abhi abhi nikli thi,wo un saathon ki hi thi....

reason....

GODS THUNDER....wo jhatka jisse GOD ne mujhe aur mujhe support karne waale mere in SEVEN OPOSTLES ke upar chhoda tha...

ye koi maamuli thunder nahi tha...is thunder ke mujhe aur mere OPOSTLES ko lagte hi hamari designations humse chhin chuki thi...

naa mai ab CREATURE OF JUDGEMENT raha tha aur naahi mere OPOSTLES ANGELS....

is waqt mera dard aur mera ghussa itna zyada tha ki mujhe us THUNDER ke mere IMMORTAL sharir ko lagne ke baad jo taklif uthi,usse mai apne jabde bheeche zabt kar gaya par jaise hi us thunder ne mere SEVEN OPOSTLES ko chhua,toh unke mooh se cheekh nikal gayi.....

itna hi nahi,un sabke senses bhi kho gaye aur wo saathon behosh ho chuke the..

wahin mai us sharirik, maansik aur roohani dard ko jhelte hue kuch aur der tak shunya ko ghurta raha aur fir..


MAI-FATHER.....ek taraf tha mai...wo shakti jisse aapne apni urja se banaya,apni shakti se seencha aur apne saamrajya me bada kiya aur dusri taraf thi wo maanav jaati...

ek aisi prajati jisse banane ke liye aapki sirf ek soch hi kaafi thi...

ek taraf aapke hi kano se bana aapka IMMORTAL putr aur dusri taraf wo MORTAL manushya jinke astitv ke hone naa hone se koi fark nahi padta....

chunaaw kitna asaan tha..kitna saral...kitne ek paksh....

par aapne kya kiya,apne putr ki jagah manushya jaati ko chuna.... roshni ki jagah andhere ko chuna...

mai jaanta hun ki har pitah ko apne putr se ummiden hoti hain par ek putr ki bhi toh apne pitah se kuch aashayen hoti hain...

manushya jaati ki najane kitni hi galtiyan,apraadh aapne maine dekhe...

unke vinash ke mere har tark ko aap bas itna kehkar taalte gaye ki punya ke panapne ke liye paap ka hona bhi zaroori hai...

purnatah nirarthak vachan....

par koi baat nahi father....jo hua,acha hi hua...ye acha hi hai ki ab mai CREATURE OF JUDGEMENT nahi hun...

kyunki ab mai aapke aadhin nahi hun.... mujhe kuch bhi karne ke liye ab aapke ijaazat ko zaroorat nahi hai....

isiliye ab apni pyari maanav jaati ke sangrakshan hetu kawach bicha lijiye...

kyunki ab unpar waar ASMODEUS khulkar karega....

haan,shart ke mutaabik sidhe sidhe toh us jaati ka samuh naash mai nahi kar sakta par koi baat nahi...

hun toh aap hi ka putra..har sawal ka jawab,har pareshani ka hal nikal hi lunga...

aur sirf utna hi waqt hai aapke priya manushya jaati ke paas.....


behad zoron se chillate hue maine ye saari baatein kahi thi...mai jaanta tha ki bhale hi FATHER ne mujhe cast out kar diya hai par unki nazar har waqt mujhpar hai...

mujhe ye bhi pata tha ki meri soch aur mere faisle se wo achi taraf waakif hain aur zaroor uska hal bhi unhone nikal liya hoga par mai apne faisle par adig tha...

ye sab sochte hue kaafi der ho chuka tha.. mere saathon OPOSTLES bhi ab tak behosh the aur kyunki unhe GODS THUNDER ka jhatka laga tha, isiliye wo tab tak hosh me aane waale bhi nahi the,jab tak mai unki chetna nahi loutatha...

is waqt mere krodh aur meri bebasi ke beech ek aur chiz ho rahi thi jo mere liye thodi aascharyajanak thi aur wo ye ki GOD'S THUNDER se jo dard mujhe hua tha,wo ab tak kaayam tha...

aur ye koi sadharan baat nahi thi kyunki kitna bhi bada prahar mujhe ASMODEUS ko zyada der tak dard de nahi sakta tha...

par fir mujhe laga ki shayad CREATURE OF JUDGEMENT ki meri upadhi ke chhin jaane ki wajah se mere self heal ka koi ansh kamzor padh gaya hai aur isiliye hi mujhe dard ho raha hai aur isiliye...


KAMURADHAWE

SELF HEAL


apne chaati ke madhya haath rakh maine is spell ko bola jiske baad mujhe ek halka sa jhatka laga par fir dheere dheere mera dard jaata raha...

dard ke jaaneke baad meri nazar ek disha me ghumi jahan ek tairta hua kaafi bada sa asteroid ghum raha tha...

us jagah ko dekhte hi mere sharir se 7 kirane nikal mere saathon OPOSTLES ko jaakar lagi aur aisa hote hi mai aur mere 7 OPOSTLES gayab hokar sidhe us asteroid par prakat hue....

asteroid par pair rakhte hi mere sharir se ek baar firse saath kirane nikli aur jaakar sidhe OPOSTLES se takrayi jiske kuch hi der baad un sabko hosh aa gaya...

hosh me aate hi kuch seconds lage un sabko pura maamla samajhne me par fir jab unhe yaad aaya ki unhe heaven se cast out kar diya gaya hai aur ab wo angels nahi rahe toh unhe bohot bura lagne laga...

un sabke sir jhuke hue the aur wo saathon chup the...mere OPOSTLES kabhi bhi mere saamne khudse baat nahi karte the...

unke mookh tabhi khulte the jab mai unse kuch puchta ya fir aadesh deta tha..

aur filhal mujhe un sabki manosthithi ke baare me pata tha isiliye....


MAI-agar tum saathon chaaho toh mujhe chhod kar jaa sakte ho....mujhe bura nahi lagega...


meri baat ko sun un sabke jhuke hue sir ek jhatke me upar uthe aur....


OPOSTLES-aap hamare aaradhya hai...aapke bina hamara astitv hi nahi hai...

ASMODEUS-ek baar firse soch lo..kyunki abtak tum sab Angels the...

mere saath saath GOD bhi tumhare taraf the par ab aisa nahi hoga...

ab wo mere saath nahi mere saamne khade honge ek pratidwandi ki tarah..

aise me tum sabka ye immortal state bhi khatre me padh sakta hai....

OPOSTLES-hum taiyar hain....aap aadesh karen ki hume kya karna hai???

MAI-hmm.... HEAVEN se cast out karne ke baad meri shakti ka ek hissa jo CREATURE OF JUDGEMENT ki upadhi ki wajah se mujhe mila tha,wo ab chhin chuka hai aur isiliye sabse pehle mujhe apni shakti me izafa karna hai...

shakti ke us rikht sthaaan ko bharna hai.....aur isiliye mai chahta hun ki tum sab bramhaand ke har power source ki talash karo...

aisi shaktiyan dhundo jo mere dhaaran karne ke yogya ho...


USKI KOI ZAROOAT NAHI HAI....AGAR TUM CHAAHO TOH BRAMHAAND ME BASI SHAKTI KA SABSE BADA SHROTH TUMHE ABHI YAHIN MIL JAAYEGA....


mere aadesh par OPOSTLES kuch kehte,usse pehle hi mere piche se ye awaaz aayi jisse sun mai palta aur dekha ki mere saamne ek badi si kaali dhuen ki chaadar thi...

ek aisi chaadar jisse beintihan shakti ka sanchar ho raha tha...

mai jaanta tha ki ye kya hai aur isiliye...


MAI-BLACK ENERGY......


bramhaand ka wo kaala sach jisse naa chahte hue khud bramhaand ne banaya tha yaa fir ye kahun ki mere shatruon ne, manushyon ne....

maamuli se manushya jinki utpatti ke baad unke dwara kiye gaye paap se panpi ek aisi shakti jo waqt ke saath behad shaktishali ho chuki hai...

mere baad wo dusri aisi chiz jisse god khatm nahi kar sakte kyunki aisa karne ke liye unhe apni priya manushya jaati ki bhi kurbaani deni hogi....


wahi BLACK ENERGY jiska koi form nahi,mere saamne khadi thi....

wahin us black energy ko dekh mere saathon OPOSTLES bhi kaafi hairan ho gaye the aur saath hi wo ye baat samajh gaye the ki abhi utpann hui paristithi me BLACK ENERGY ka mere saamne prakat hona kisi anhoni ke hone ka sanket hai aur isiliye un saath OPOSTLES me se ek kuch bolne ko hua par maine usse feel kar liya tha aur isiliye maine apna haath upar kiya jiske baad wo OPOSTLE chup hi reh gaya..


(ATTITUDE PART ONE KE LAST UPDATE ME BLACK ENERGY KE AANE SE OPOSTLES KI NAAPASANDAGI KE BAARE ME BATAYA GAYA HAI)


MAI-kuch keh rahe the tum....???

BLACK ENERGY-ASMODEUS, GOD'S SON ko baatein samajhne ke liye un baaton ko sunana kabse zaroori ho gaya...

tum achi tarah jaante ho ki mai kya keh raha hun aur meri baaton ke fal se tum kya kuch haasil kar sakte ho..

tumhe tumhare apne hi pitah ne bedakhal kar diya hai....tumhari shakti ka ek bada hissa filhal tumhare paas nahi hai...

tum kamzor ho.. tumhe shakti ki zaroorat hai...par ek sach bhi hai ki bhale hi tum kitne hi shaktiyon ko prapt kyun naa kar lo,kintu tumhari shakti ka jo bhaag GOD ne tumse chhin liya hai,us shakti ke barabar ki shakti tum khudse haasil nahi kar sakte...

par meri madad se naa sirf tum us shakti ke barabar shakti prapt kar sakoge,balki pehle se kayi guna zyada shaktishaali bhi ban jaaoge...

itne shaktishaali ki fir tum jo chaho,kar sakoge...

MAI-sawal ye hai ki tum meri madad karna kyun chahte ho...??

kyunki mai toh manushya jaati ka anth chahta hun...wahi manushya jaati jinki wajah se tumme shakti aayi hai...tumhara ye adhura astitv bana hai...

aur agar maine aisa kar diya,toh inke saath saath tum bhi khatm ho jaaoge...

BLACK ENERGY-khatm toh mai waise bhi kisi naa kisi din ho hi jaaunga aur wo isiliye kyunki mera apna koi sampurn astitv nahi hai....

mai immortal bhi manushya jaati ke sahare hi hun...

agar manushya jaati khatm nahi bhi hui toh mujhe yakin hai GOD kisi naa kisi tarah mere astitv ko mitane ka tarika khoj hi lenge...

aur isiliye hi mujhe hamesha se kisi aise ki talash rahi hai jo naa sirf itna shaktishaali ho ki mujhe apna sake,balki wo IMMORTAL bhi ho...

aur tum me ye dono goon hain....agar tum mujhe apna lete ho toh mujhe ek sthayi astitv mil jaayega aur tumhe apaar shakti....


BLACK ENERGY ki baat sun maine uski baat ke baare me sochna shuru kiya wahin is waqt OPOSTLES ke man ki baat bhi mujhe sunayi de rahi thi jo ki BLACK ENERGY ke khilaaf thi...

par kuch der pehke mere apne father se mujhe jo dard mila tha wo itna zyada tha ki OPOSTLES ki soch filhal mere liye matter nahi karti thi....

wahin mujhe sochta dekh....


BLACK ENERGY-jis saude me har taraf se faayda ho uske baare me zyada socha nahi karte....

bina vilamb kiye mujhe apna lo..mera dhaaran karte hi tumhari shakti ka wo bhaag jo filhal khaali ho gaya hai,wo wapas bhar jaayega..

itna hi nahi, mujhe apnaate hi mai tumhe is bramhaand me chhupe aisi shakti ke baare me bataunga jiske baare me tum khud se kabhi nahi jaan paaoge...

aur ek baar tumne us shakti ko haasil kar liya toh tum pehle se bhi zyada shaktishaali ho jaaoge...

(black energy warriors world ke odridge mountain me chhupi shakti ke baare me baat kar raha hai...zyada jaanane ke liye part 1 ka wo part fir se padh len)


MAI-thik hai....mai tumhe dhaaran karne ke liye taiyar hun...

BLACK ENERGY-atti uttam...toh fir apne shairir aur apni aatma ko jodkar kaho ki..

MAI ASMODEUS APNE SHARIR AUR APNI AATMA KI HI TARAH BLACK ENERGY KO BHI APNA ATOOT ANG MAANTE HUE USSE APNATA HUN....

MAI-MAI ASMODEUS APNE SHARIR AUR APNI AATMA KI HI TARAH....

EK SECOND......


bolte bolte mai achanak rook gaya yaa fir ye kahun ki maine ASMODEUS ko aage bolne se rok diya...

mai matlab RAAZ....

jee haan doston....mai RAAZ jo kuch der pehle tak ASMODEUS ke rang me kuch aisa rang gaya tha ki mai bhul hi gaya tha ki mai ASMODEUS nahi RAAZ hun...

aur shayad mai is pure scene me,pal me ASMODEUS hi bana rehta par anjaane me hi sahi par ASMODEUS ne us parat ko khol diya jisme mai chhup gaya tha...

nahi samjhe,samjhata hun par uske liye thoda piche chalte hain...

aapko yaad hoga ki GODS THUNDER lagne ki wajah se THE SEVEN OPOSTLES ko dard hua tha aur wahi dard ASMODEUS ko bhi hua tha..

darasal wo dard ASMODEUS ko nahi balki uske andar chuppe mere astitv ko hua tha..

wo astitv jo us gole ke jo ASMODEUS ke jeeven ka pal tha,mujhme samate hi vilupt ho gaya tha par us jhakte ke lagte hi mera astitv ASMODEUS ke andar jaag gaya..

itna hi nahi,us GOD'S THUNDER ke lagne se mujhe hadh se zyada taklif bhi mehsoos hone lagi...

aisi taklif jiski wajah se mujhe yaad hi nahi raha ki mai filhal ek scene ka hissa hun...

par ek sach ye bhi tha ki filhal meri taklif ASMODEUS ki taklif thi aur isiliye jab usne us taklif se nijaat paane ke liye spell bola toh uske saath saath mujhe bhi dard se chhutkara mil gaya..

aur aisa hote hi meri buddhi jo ab tak ASMODEUS ke adhin thi,uspar thoda thoda hi sahi par mera control aane laga...

aur jab aisa hua toh maine apne chitt ko shant kar khudke dimag ke un bhaagon ko jo ab bhi ASMODEUS ke control me thi,unhe apni control me laane ko koshish karne laga...

is beech aage ka scene chalta raha...par fir jab BLACK ENERGY ASMODEUS ke saamne prakat hui aur usse khudko apnaane ke liye convince karne lagi tab mai badi dhyan se uski baat sun raha tha..

aur kyunki mai aur ASMODEUS filhal ek hi the isiliye apne pitah ke faisle ki wajah se uske dil me lagatar uth raha dard aur saath hi SEVEN OPOSTLES ke dimag ki soch jo ki BLACK ENERGY ke khilaaf thi, usse bhi mai mehsoos kar raha tha...

par aakhir me jab ASMODEUS ke raazi hone par BLACK ENERGY se usse ek specific sentence ko dohraane ke liye bola aur ASMODEUS ne bhi usse repeat karna shuru kiya toh maine ASMODEUS par control lete hue usse chup kara diya....


ab baari thi is ASMODEUS ke khamosh hone ki kyunki BLACK ENERGY ke saath deal bhale hi usne shuru ki thi par isse khatm mujhe karna tha aur isiliye...


MAI-mai tumhe aur tumhari shakiyon ko apne hith ke liye apnata hun....


BLACK ENERGY ko baat ko repeat naa karte hue maine apne hisaab se baat ki jispar.....


BLACK ENERGY-aise nahi..tumhe ye kehna ki MAI ASMODEUS APNE...

MAI-wo sun chuka hun mai....par wo baatein mai kahunga nahi....jo maine kaha hai,wahi sahi hai...


BLACK ENERGY ki baat ko kaat maine apni baat kahi jisse sun BLACK ENERGY chownka par fir baat ko sambhalne ke liye..


BLACK ENERGY-par jo maine kaha hai,usse dohrane se hi tumhe mera pura laabh mil sakta hai...

MAI-laabh toh milega par mujhe nahi tumhe...

BLACK ENERGY-mai samjha nahi...

MAI-itne nasamajh toh nahi ho sakte tum...khair samjhata hun...

meri body aur meri aatma,inki utpatti se hi meri utpatti hui thi...kehne ka matlab hai ki ye dono hi mera atoot hissa hain...

par tum nahi ho..aur jo tum mujhse bulwana chahte ho usse tum bhi in dono ki tarah hi mujhse jud jaaoge..

ek tarah se mai tumme badal jaaunga...mere body aur soul ke saath milkar tum mere swami ban jaaoge..

aur ye mai hone nahi de sakta..tum mere saathi ho sakte hi,mere maalik nahi...

agar tumhe mera sharir chahiye,toh tum isme....

EK KIRAYDAAR KI TARAH REH SAKTE HO,PAR ISS KHARID NAHI SAKTE....


CHAANNNN......


akhri line bolte hi ek jhatka sa laga mere dimag ko aur fir....


back to ground zero....

maine dekha ki mai wapas ZEAL me tha....

meri chunoutiyon waale dono golon me se ek gola gayab ho chuka tha aur ab mere saamne sirf ek gola tha...

mera dimag ghum raha tha aur issi wajah se maine kuch palon ke liye apni aakhen band ki aur fir jab mujhe kuch thik laga toh...

maine apni aakhen kholi aur mere aisa karte hi mere kaano me WOOGER ki awaaz gunj gayi....

WOOGER-pehli chunouti puri hui...ab baari hai dusri chunouti ki..


taiyar ho jaayiye apne agle safar ke liye jisme aap honge....VIKRAM......







AAJ KE LIYE ITNA HI....







AAPKA APNA V...J......
Very Nice Update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI ALFREEN KO EK RAAT PEHLE USSE FEEL HUE EK AJEEB EHSAAS KE BAARE ME BATATI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ NE APNI PEHLI CHUNOUTI PURI KAR LI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




MEGA UPDATE-47



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSEN'S





3 MONTHS LATER



KYA HAAL HAI LOOSERS...????


ALFREEN aur MABEL jo ki ek dusre se baat kar rahi thi,unke piche se ye awaaz aayi jispar jab unhone palat kar dekha toh dono hi thoda chownk gayi....

reason....

unke saamne ANWIR aur MORANA khade muskura rahe the...

subah ka waqt hai...classes shuru hone me thoda sa waqt hai but sabhi SAVENTS class me aa chuke hain aur apne apne groups bana kar khade hain..

filhal MABEL aur ALFREEN ke saath MAHI nahi thi aur wo isiliye kyunki kuch SAVENTS jinhe apne SOUL ke AMPLIFICATION me kuch zyada hi dikkat aa rahi hai,wo sab MAHI se apne SOUL ko AMPLIFY karne ke ideas le rahe the aur MAHI bhi badi khushi aur man se un sabhi SAVENTS ko unke will power ko aur strong karne ke tips bata rahi thi...

aur issi beech hui entry MORANA aur ANWIR ki jinhe dekh sirf MABEL aur ALFREEN hi nahi balki MAHI aur uske saath khade sabhi SAVENTS bhi chownk gaye the....

MABEL aur ALFREEN ki hi tarah MAHI ne bhi un dono me ke mooh se looser shabd suna tha aur wo jaanti thi ki ye word un dono ne MABEL aur ALFREEN ke liye bola hai par filhal wo shaant hi rahi....

par un dono ko dekh ALFREEN ka acha khaasa mood bigad gaya aur unke taunt ko sun uska dimag bhi ghum gaya aur isiliye...


ALFREEN-yaar MABEL ek baat bata..looser hona zyada galat hai yaa fir bhikari hona...

MABEL-mere hisaab se bhikari hona...

ALFREEN-haina..chalo fir,hum looser hi thik hain..kamsekam in dono ki tarah bhikari toh nahi hain jo baar baar apne ghar matlab apne PHASE ko chhodkar hamare PHASE me aakar kuch naa kuch mangte rehte hain...


jahan ALFREEN ki baat sun us class me moujud PHASE 1 ke sabhi
SAVENTS has diye wahin MORANA aur ANWIR ko ghussa aa gaya aur...


MORANA-apni zuban ko apni aukaad ke hadh me rakh kar mooh khola kar ladki....hum jinhe tu bhikari keh rahi hai,wo PHASE 2 ke best SAVENTS hain...

wo SAVENTS jinke saamne teri koi haisiyat nahi...

ALFREEN-haan wo toh dikh raha hai....tabhi baar baar apni sadi hui shakal liye is PHASE me ghusse chale aate ho...

ANWIR-sirf isiliye kyunki filhal tu first PHASE me hai,teri zubaan hamare saamne chal rahi hai...

par koi baat nahi..sirf 3 mahino ki hi baat hai..uske baad teri azaadi ka,tere bolne ka yahan tak ki tere sir uthane ka waqt khatm....

kyunki PHASE 2 me sabhi SAVENTS, WHIZZES aur WHIZZDERS ke saamne teri akad nichod di jaayegi aur koi kuch nahi kar paayega....

MAHI-self obsession ki hadh ho yaar tum dono...ek free advice deti hun,tum dono bola kam aur kiya zyada karo...

warna tumme aur ek kutte me kya fark reh jaayega....


MAHI jo ab tak chup chaap saari baaton ko sun rahi thi, ANWIR ki aakhri baat sun usne apni chuppi todte hue baat ko aage badhaya jisse sun ek baar firse ANWIR aur MORANA ka dimag ghuma..

wo dono fir kuch kehne hi waale the ki tabhi....


VIOLET-GOOD MORNING SAVENTS...


un dono ke piche se VIOLET WHIZZ ki awaaz aayi jo NOX aur OMMIN ke saath class me enter kar rahi thi...

wahin VIOLET WHIZZ ki awaaz ko sun MORANA aur ANWIR ne apne aap ko control kiya aur WHIZZ ki taraf mud gaye aur baaki sabhi SAVENTS ke saath un donko ne bhi VIOLET WHIZZ aur dono WHIZZDERS ko wish kiya...


VIOLET-arre MORANA, ANWIR..tum dono morning me hi aa gaye..mujhe laga tha ki class ke baad aaoge...

ANWIR-actually WHIZZ, pichli khch classes itni hectic rahi hain ki aaj hum dono ne hi class se off liya hai aur aapko toh pata hi hai ki hum hamare PHASE ke best SAVENTS hain aur hume off lene se koi rokta nahi....


pure ghamand se ANWIR ne apni baat kahi aur is baat ko karte waqt uski gardan ghumte hue ALFREEN aur MAHI par tiki rahi...

wahin ANWIR ki baat sun VIOLET WHIZZ toh bas muskurayi par NOX ko ANWIR ki baat achi nahi lagi aur isiliye...


NOX-toh apne PHASE ke best SAVENT...ek baat batao ki apne is off time me tum yahan kyun aaye....???

VIOLET-ye dono MAHI ke SOUL AMPLIFICATION ke process ko dekhne aaye hain...


ANWIR kuch jawab de,usse pehle hi VIOLET WHIZZ ne apni baat kahi jisse sun MAHI pehle toh shock hui par fir usse maajra samajh me aa gaya aur isiliye wo muskura di...

toh jo MAHI ne samjha aur jo asal me kaaran tha jiski wajah se ANWIR aur MORANA yahan the wo ye tha ki MAHI ne jo karnama kiya tha,6 percent SOUL AMPLIFICATION ka wo bhi first PHASE me hokar,wo pehle kabhi bhi nahi hua tha aur isiliye ye baat pure CHOSENS me fail gayi thi..

ANWIR aur MORANA bhi is khabar se acchute nahi the..waise toh is khabar ko sun unhe bilkul bhi acha nahi laga par fir unhone socha ki bhale hi ye baat unke liye negetive thi par saath hi important bhi thi..

wo jaanana chahte the ki MAHI kis tarah pain aur emotions ke bahav ke beech khud ko shaant rakhti hui apne SOUL ko lagatar itna zyada AMPLIFY karne me kaamiyab ho rahi hai..???

wo aana toh bohot pehle se chahte the par khud ke PHASE ke task se ho rahe vyastata ke kaaran dono aa nahi paa rahe the but aaj finally dono yahan the....

par yahan aate hi MAHI, ALFREEN aur MABEL ko dekh dono apni aadat se majbur bully karne se baaz nahi aaye par aisa karna unhe khud par hi bhaari padh gaya.....

khar,jaise hi VIOLET WHIZZ ne un dono ke yahan aane ka kaaran bataya toh...


NOX-arre par PHASE 2 ke best SAVENT ko bhala PHASE 1 ki MAHI se kya kaam ho sakta hai...???

OMMIN-bilkul ho sakta hai.. kyunki ye dono sirf is saal ke liye PHASE 2 ke best SAVENTS hain....

par MAHI PHASE 1 me sirf is saal ki hi nahi balki CHOSENS ke itihaas ke 25 thousand years ki best SAVENT hai..

aur aise SAVENT ke paas kaun nahi aana chahega...???


OMMIN ki baat sun MORANA aur ANWIR ko andar hi andar behad ghussa aaya par dono ke chehre shaant hi rahe..


ANWIR-WHIZZDER OMMIN, WHIZZDER NOX...sikhna toh hume har kisi se hi chahiye naa...

aur ye baat issi PHASE me aur issi class me aap dono ne hi humse kahi thi...

ab dekhiye naa, sirf 2 PHASE me aur usme bhi hamara second PHASE abhi khatm hua nahi hai,itne kam waqt me hum dono hi 8 percent SOUL AMPLIFICATION ke dhaarak ban chuke hain...

MORANA-aur shayad itna hi percent aap pure life me AMPLIFY kar paaye hain, haina WHIZZDER OMMIN aur WHIZZDER NOX....


ek khilli udane waali smile ke saath MORANA ne is baat ko kaha jisse sun ANWIR toh muskura diya par OMMIN aur NOX,dono ko behad bura laga...

waise bura toh MAHI, ALFREEN aur MABEL ko bhi laga tha..

ALFREEN toh kuch bolne waali bhi thi par MAHI ne ishare se usse chup rehne ko kaha...

wahin apni baat ko aage badhate hue...


MORANA-aur waise bhi is class me agar MAHI ko alag kar den,toh hum pure confidence se keh sakte hain ki aur koi bhi hum dono ke takkar ka nahi hai...

first PHASE me hum dono ne hi 4 percent tak apne SOUL ko kar liya tha jo i am sure ki is class me MAHI ke alawa ye karnama aur koi karne me capable nahi hai....

VIOLET-tum galat ho MORANA... MAHI ke baaju me jo do ladkiyan khadi hain, MABEL aur ALFREEN,in dono ne hi abhi tak apne SOUL ko 3 percent tak AMPLIFY kar liya hai..

ye dono tum dono se bas 1 percent hi piche hain and i am sure ki is PHASE ke khatm hone se pehle hi ye dono tumhari barabari kar lenge....


VIOLET WHIZZ ki baat sun MORANA aur ANWIR chownke...unhe is baat ki bilkul bhi ummid nahi thi ki MABEL aur ALFREEN itne aage badh chuke honge...


aur jaisa ki VIOLET WHIZZ ne kaha ki is PHASE ke khatm hone se pehle hi ye dono apne SOUL ko 4 percent tak AMPLIFY kar lenge,jiska matlab tha ki ALFREEN aur MABEL un dono ke barabar ho jaayenge aur ye baat dono ko hazam nahi ho paa rahi thi...

isiliye ANWIR ka dimag tezi se doudne laga aur fir usse kuch click hua.


ANWIR-haan,ye ho sakta hai WHIZZ ki ye dono is PHASE ke khatm hote hote tak 4 percent tak pahunch jaayen par fir bhi ye dono humse piche hi rahengi aur wo isiliye kyunki humne apne SOUL ka 4 th percent first PHASE ke khatm hone se 3 mahine pehle kar liya tha matlab abhi jo waqt hai,is time tak hamara SOUL 4 percent AMPLIFY ho chuka tha..

par ye dono toh abhi 3 percent par hain matlab ye humse piche hain aur humesha piche hi rahenge...


ALFREEN-ye waqt abhi khatm nahi hua hai aur jab tak ye hoga,hum apne SOUL ko 4 percent tak AMPLIFY kar chuke honge...


MORANA aur ANWIR ko ghurte hue ALFREEN ne ye baat kahi jispar...


MORANA-really..??par kaise karogi tum ye...???kyunki aaj hi wo din hai,wo waqt hai jab humne apne soul ko 4 percent tak AMPLIFY kiya tha..

jiska matlab hai ki tumhe bhi aaj hi ye achievement haasil karma hoga...

ALFREEN-aisa hi hoga..hum aaj hi ye kar ke dikhayenge...

ANWIR-aur agar naa kar paaye toh...!!!


MAHI jaanti thi ki MORANA aur ANWIR ALFREEN ko bhadka rahe hain,aur isiliye wo kuch bolne ko hui par tabhi..


ALFREEN-toh tum jo bolo,mai wo maan lungi.....and that's my promise....

MABEL-my nahi our.... that's our promise...agar hum unsuccessful hue toh tum dono jo bolo hum dono wo maan lenge...


MAHI ke interfere karne se pehle hi ALFREEN aur MABEL ne promise kar diya tha jiska matlab tha ki ab MAHI kuch bhi kar nahi sakti thi...

wahin in saari baaton ko sun VIOLET, NOX aur OMMIN bhi thode pareshan ho gaye the kyunki ek toh wo jaante the ki SOUL ko asaani se AMPLIFY nahi kiya jaa sakta aur saath hi unhe ye bhi maalum tha ki agar MABEL aur ALFREEN unsuccessful rahe toh MORANA aur ANWIR zaroor un dono se kuch ulta sidha demand karenge....

par in sabhi pareshaniyon ke beech wo teeno ye bhi jaante the ki MABEL aur ALFREEN ko agar wo bacha bhi len toh wo sirf abhi ke kiye hoga..

par aisa karne se next PHASE me unke problems aur badhengi..saath hi wo teeno soch rahe the ki next PHASE ka ek halka sa swaad MABEL aur ALFREEN ko abhi hi chakh lena chahiye kyunki us PHASE me jo hota hai,jo zindagi jee jaati hai,wo chunouti, ghamand,sangharsh and most importantly shakti pradarshan ke beech hi jee jaati hai....

kamzoron ke liye wo PHASE hell se kam nahi...aur yahi sab sochte hue wo teeno chup hi rahe...

wahin ALFREEN aur MABEL ke promise karte hi....


ANWIR-thik hai fir...toh agar tum dono aaj ki class me apne soul ko ek baar firse AMPLIFY karne me kaamiyab hue toh hum maan lenge ke tum dono humare equals ho,humse kam nahi ho par agar aisa nahi hua toh....

MORANA-3 percent AMPLIFICATION me ho tum dono..iska matlab hai ki tum dono hi next PHASE me STELLARS group ka hissa ban chuke ho...

toh hum ye chahte hain ki agar tum dono aaj fail hui toh next PHASE me STELLARS group me nahi balki WEAKLINGS group me enter karogi...


MORANA ki baat sun sabhi SAVENTS including WHIZZ aur WHIZZDERS hairan ho gaye..

wahin MAHI ek baar firse kuch bolne ko hui par tabhi...


MABEL/ALFREEN-HUME MANZOOR HAI....







PLANET-ZEAL-THE SOUL



PLACE-THE RED SURFACE





TOH DER KIS BAAT KI....???SHURU KAREN!!!



meri agli aur aakhri chunouti ka waqt aa chuka tha aur isiliye ye baat maine WOOGER se kahi jispar....


WOOGER-ek baat hai jo aapko is chunouti ke shuru hone se pehle jaanani zaroori hai...

ye chunouti aapki pichli chunouti se thodi alag hone waali hai....

kaise,iske baare me aapko aapki chunouti ke douran pata chal jaayega...

bas ek hi chiz hogi aapke paas..aapka focus..usse mat khone mat dijiyega....


WOOGER ki baat sunane ke baad bhi mai chup hi raha aur isiliye...

wo dusri roshni ka gola tezi se aage badha aur agle hi pal....


SCENE-2


YE KAISI JAGAH HAI....HAR TARAF SIRF ROSHNI...AUR IS ROSHNI SE ITNI ZYADA URJA KYUN NIKAL RAHI HAI...

BUT MOST IMPORTANTLY,MAI YAHAN KYA KAR RAHA HUN....

MUJHE TOH KUCH PAL PEHLE US ROSHNI NE CHHUA THA,USKE BAAD KYA HUA...???


us beintahan roshni ke samandar ke beech fasa mai ye sab apne aap se bol hi raha tha ki tabhi mujhe laga jhatka...


reason...



SAMAY SACHALAKON...ISHWAR NE AAP SABKI PRARTHANA SUN LI...AAP SABKE DUKH AUR TAKLIF KI GHADI SAMAPT HUI...AAKHEN KHOLIYE....


ek tez awaaz gunj uthi mere kaano me par jhatka mujhe us awaaz ko sunkar nahi laga tha....

jhatka mujhe is baat par laga ki jaise hi is awaaz se aankhen kholne ki baat kahi,toh mere saamne dikh raha tez prakash ek dum se gayab ho gaya aur aisa hone par maine dekha ki mai kisi badi si jagah par khada hun...

mere saamne bohot se log khade hain par filhal wo human form me nahi balki SHADOW FORM me hain..

aur mere aaju baaju kul chaar log khade the jinme ek ladki thi aur teen ladke...

ab ye sab ho kya raha tha,iska toh mujhe koi idea tha nahi..mai bas apne dimag ko douda kar situation ko samajhne ki koshish kar hi raha tha ki tabhi...


AHHH,AHHHH,AHHHH.....


mere saamne khade un spirit form ke logon ke mooh se dard bhari karah nikal gayi jisse sun...


MAI-ab saala inhe kya ho raha hai...??aur ye inke pair ke niche aag kyun jal uthi???

ye sawal maine man me nahi,balki apni mooh se bola tha par aisa karte hi mujhe ek naya shock laga aur wo isiliye kyunki bhale hi maine in baaton ko apne mooh se bola tha par ye baatein bahar nikli hi nahi balki mere andar hi gunj uthi...

par jaise hi maine ye sawal kiya,toh uske agle hi pal mere brain me is scene ka data jaise store hone laga..

aur is scene ka hi nahi,balki is scene se ghata pehle ka scene aur is scene ke baad jo hone waala tha,wo scene bhi mere dimag me clearly ghum gaya...

saath hi jo filhal mai tha,uska naam aur saath hi mere aaju baaki jo paanch log khade the,wo kaun the aur is character ke saath jo fihal kai tha,VIKRAM,use unsab ka rishta bhi mujhe pata chal chuka tha..

aur aisa hote hi mujhe aadhi baat aur half situation bhi samajh me aa gayi...

toh chaliye, jitna mai samjha tha,utna aap bhi samajh lijiye par usse pehle....


(WRITER'S NOTE-RAAZ ko toh scene samajh me aa gaya..ummid hai ki aap sabko bhi samajh aa gaya hoga...

ye scene hai SHADOW WORLD ka jahan ASMODEUS ne YELUPTUS planet me basne waale SAMAY SANCHALAKON ko kaid karke rakha hua tha...

detail me dobara yaad karne ke liye update 110 padh len..)


back to the story:-


toh jo aadhi baat mujhe samajh me aayi thi,wo ye thi ki bhale hi mai abhi is VIKRAM ke sharir me tha,ya fir ye kahun ki filhal mai hi VIKRAM tha,par tab bhi mai apne hisaab se chizen nahi kar sakta tha...

mere har sawal ke mere dimag me uththe hi mujhe uska jawab mil jaayega jo ki mujhe is sharir ke maalik ka brain dega...

aur isiliye hi WOOGER ne kaha tha ki meri ye chunouti meri pehli chunouti se alag hone waali hai..

kyunki us chunouti me toh mera wajud hi gayab ho gaya tha par jab mujhe mere hone ka ehsas hua tab maine ASMODEUS ke body par apna control le liya but yahan toh maamla hi ulta hai...

yahan mera astitv shuru se hi mere paas hai par fir bhi mai is scene me is VIKRAM ke jiske pal mujhe jeene hain,uske aadhin hun...

and this is bloody scary for me...

kyunki yahi toh wo chiz thi,aadhinta,samarpan,kisi aur ke chaaye me jeena yaa saans lena jisse mujhe sakht nafrat hai..

yahi bas ek aisa condition hai jisme mera dimag sthir nahi reh sakta...i bloody hate to be someone,live like that someone and most importantly, depend upon that someone or anyone dammit...

is aadhe sach ko jaankar mera dimag hi ghum gaya....mera uddeshya,mera target,sab bhulne laga tha mai...

mujhe bas kisi tarah is human choge ko,jisse mujhe zabardasti pehna diya gaya tha,utaarna tha par saala ye bhi hone se raha...

ek ajeeb mental state me fasa mai bas chupchaap honth sile saamne chal rahe scene ko dekh raha tha jisme bas chutiyaapa ho raha tha..

akhand chutiyaapa...arre,kare koi bhare koi....fase saale ye nikamme the,par nikalna is saale VIKRAM ko padega..

arre kyun bhai...dusri ke fadde me padhna kaayko... marne de,tadapne de saalon ko..

mera matlab is VIKRAM ke baaju me ek bandi khadi thi,jiske baare me mujhe pata chala tha ki ye iski maal hai..

abbe lekar ghum isse.enjoy kar...chota sa lounda dikh raha hai shakal se par saale ki chul badon waali hai..

sabki madad karenge ye....aur us madad me apni mahanta mujhe bhi dikhayenge...

ek aise bande ko jo is scene ke actual date ke najaane kitne decades ke baad paida hua hai...

par ab kar bhi kya sakte hain...apne aap me badbadata hua mai bhi sabki tarah scene ko dekhne me lag gaya jahan is waqt dialogue dialogue khela jaa raha tha...


MAI-najaane kitni sadiyon tak aapne pure bramhaand ke samay chakra ko sahi tarike se ghumane ka daayitv nibhaya hai..

aur aaj bhi aap jis aag se tap rahe hain,wo bhi ussi samay chakra ki nirantarta ko banaye rakhne ke liye sah rahe hain...

aap sab ne pehle hi bina kisi galti ke itne varshon tak saza bhugti hai....

mujhe aapko bachane ke liye pehle hi aa jaana chahiye tha par mai aisa kar nahi paaya...mere aage jhuk kar mujhe aur sharminda nahi kijiye....


un SAMAY SANCHALAKON ke jhukne ki wajah se ye gratefulness bhare shabd nikle the VIKRAM ke mooh se jisse sun mera dimag aur ghumne laga...


abbe jhuk rahe hain toh jhukne de....har kriya par pratikriya dena zaroori hai kya...????


maine apne CEREBRATION process ko pause kar khudko is scene se nikalne ki koshish ki par naa toh mera CEREBRATION process ruka aur naahi mai kahin jaa paaya...

mai samajh gaya tha ki chupchaap is scene ko dekhne ke alawa mai aur kuch nahi kar sakta....

par sawal tha kyun...????is ajeeb si situation ka mai hissa aakhir hun hi kyun..????

mere dimag ye khayal,ye sawal utha aur aisa hote hi....


BAS EK HI CHIZ HOGI AAPKE PAAS..AAPKA FOCUS..USSE MAT KHONE MAT DIJIYEGA....


yahan aane se pehle WOOGER ke dwara kahe gaye ye aakhri shabd mere dimag me gunj uthe aur tab...


MAI-FOCUS.....toh isiliye WOOGER ne wo sab kaha tha...


sirf ek hi chiz hogi mere paas yahan...mera focus... WOOGER ko ye achi tarah pata tha ki aisi situations mujhe pasand nahi hai..

aise haalaton par mujhe behad ghussa aata hai aur isiliye usne mujhe focus karne ko kaha...

par sawal tha ki kis chiz par focus...???

aur is sawal ke mere dimah me aate hi mere dimag me ek aur vichar aaya...

aur wo vichar related tha is scene se,is scene se pehle hue scene se aur is scene ke baad jo hone waala tha,us scene se...

aur wo vichar tha INTERCONNECTION....

in sabhi scenes ke beech ka interconnection.....

yahan aane ke baad mere brain ke paas jo bhi ho raha hai,us situation aur uske kaaran ke baare me bata diya tha jispar maine abhi tak dhyan nahi diya tha par ab jab ye interconnection waala thought mere dimag me ghuma toh....

maine sthithi ko samajhna shuru kiya...


SHADOW WORLD....jahan par ki is waqt mai hun aur ye scene chal raha hai....

par is jagah ka main base hai YELUPTUS.... YELUPTUS ke phase log jinhe SAMAY SANCHALAK kaha jaata hai,ye VIKRAM unhe bachane ke liye yahan aaya hai....

saath hi iske ek dost RONIT ki bandi bhi yahin par hai...usse bhi ye bachayega...

wo bandi jiske SOUL ko yahan rakha gaya hai par uski body YELUPTUS me hai...

toh VIKRAM in samay SANCHALAKON ko aur us ANJALI ko wahan YELUPTUS lekar jaayega...

is beech usse ek banda (ASMODEUS)rokne ke liye jaal pehle hi bicha chuka hai par is VIKRAM ke paas uska bhi kaat hai...

jitne scenes aur unme chuppi baatein mere brain me feed hui thi,un sab scenes ke baare me mera dimag sochne laga tha....

aur jab ye bichaye hue jaal ko kaatne ke baare me maine socha toh ek aur baat mujhe click hui par tabhi maine saamne dekha jahan filhal scene badla hua tha...

filhal mere saamne wahi chutiyaapa ho raha tha jisse mujhe sakht chidh thi...

wo RONIT aur ANJALI ek dusre se chipke ro rahe the...

ajeeb hote hai ye insaan,par inke aankhon se nikalne waale aansu toh saale inse bhi zyada ajeeb hote hain....

khushi me bhi tap tap...
aur gam me bhi tap tap....

ye sab dekh mera FOCUS ek baar firse dagmagane laga tha...

kisi tarah khud ko shaant rakh maine badhte hue scene ko dekha jisme is waqt VIKRAM sabko us ANJALI ke baare me bata raha tha jisse sun....


MAI-yahan aane se pehle hi VIKRAM ko yahan hone waali ghatnaon ke baare me pehle se pata tha...


ye SAMAY SANCHALAK toh yahan pehle se fase the,par ANJALI baad me aayi...

toh iska matlab is ANJALI ke liye hi VIKRAM ne ye sab plan kiya tha...???


khudse maine is sawal ko pucha tha jiske baad jo jawab mujhe mila, usse sun mujhe behad hairani hui...

darasal mere sawal ka jawab ye tha ki ANJALI ke chakkar me VIKRAM ne in SAMAY SANCHALAKON ko nahi bachaya tha balki SAMAY SANCHALAKON ko bachane ke liye hi ANJALI ek bate ki tarah yahan fasayi gayi thi...

ANJALI ke rooh ka yahan fasna,fir SAMAY SANCHALAKON aur usse bachana,uske liye jo jaal is planet ke baahar bichaya gaya hai,usse todna,in sab chizon ki planning is VIKRAM ne pehle hi kar li thi...

GAZAB.....

zindagi me pehli baar mai kisise impressed hua tha...itni doordarshita,itni gehri soch aur har soch ko sach karne ki itni perfect timing ke hisaab se ki gayi planning....

ye banda haarta bhi tab tha jab wo haar uski permanent jeet ke liye zaroori ho.... brilliant...

aisi soch,maine pehle naa kabhi suni thi aur naa dekhi thi...

aur is bande ke ganit ko samajhne ke baad WOOGER ki kahi gayi us baat ka matlab bhi clear ho gaya tha jisme usne kaha tha ki ye chunouti meri pehli ki chunouti se alag hai...

mai us alag shabd ka matlab samajh gaya tha...darasal mujhe in chal rahe scenes me VIKRAM ke dwara kiye gaye kisi loop hole ko nahi dhundna hai aur wo isiliye kyunki is bande ka jiski doordarshita itni adhik ho,uske faislon me koi loop hole ho hi nahi sakta....

no chance....mujhe bas chal rahe scenes me kuch aisa dhoodna hai jisse meri kahani aage badh sake...

mujhe koi faayda ho...aur ye thi pate ki baat .

kyunki baat jab mere faayde ki ho toh mai kuch bhi kar sakta hun..kuch bhi......

aur isiliye bilkul shaant dimag se maine ek baar firse ho chuke scenes,chal rahe scenes aur aage hone waale scenes ke baare me sochne laga...

itna toh mai samajh chuka tha ki mere hisse me bas ye 5 hi scenes hain..

jinme se do khatm ho chuke the.. ANJALI ke saath VIKRAM and party wapas SAMAY SANCHALAKON ke paas jaa rahe the jo ki third scene tha...

fourth tha sabko yahan se lekar YELUPTUS jaana aur paanchva scene....

jahan VIKRAM in SAMAY SANCHALAKON ke haath me unki khoyi hui chiz,wo PARIVARTAK....

ek second....

paanchva scene...wo PARIVARTAK....


in saare scenes ke hone ka maine reason..in SAMAY SANCHALAKON ke yahan fasne ka main reason...

PARIVARTAK...

jaise hi maine us cheez ka naam liya...ek ke baad ek 2 chizen hui...


pehli...mere dimag me us chiz ki saari qualities ghoom gayi...

jisse jaan pata nahi kyun par mujhe aisa laga ki ye chiz mere kaam ki hai...


dusri...jaise hi mujhe ye laga ki wo PARIVARTAK mere kaam ka hai toh...

scene achanak se badal gaya..aur ab jo scene mere saamne tha, usse dekh mera doubt clear ho chuka tha..

mai jaan gaya tha ki maine jo socha hai,woh sahi hai aur ussi soch ko sach karna hi meri chunouti hai...

toh baat ye hai ki filhal mai YELUPTUS me tha....the last scene...aur mere saamne wahi scene chal raha tha jab VIKRAM SAMAY SANCHALAKON ko unki amanat wo PARIVARTAK dene waala tha...


MAI-maine pehle bhi kaha tha ki ye sab karne ki koi zaroorat nahi....aur haan,ye rakhiye...


SAMAY SANCHALAK jo abhi VIKRAM ke samman me jhuke hue the,isiliye VIKRAM ne ye baat kahi aur aisa kehne ke baad usne apna haath aage kar diya jisme is waqt PARIVARTAK tha...


uske aisa karte hi ek SAMAY SANCHALAK jo VIKRAM ke paas khada tha,usne PARIVARTAK ko lene ke liye haath aage badhaya par tabhi...


MAI-meri ek choti si shart hai...


haath ko band karte hue maine ye baat kahi....


MAINE....VIKRAM nahi, RAAZ....


ji haan doston,jaise hi is chunouti ka,is PARIVARTAK ka ganit mere samajh me aaya toh uske agle hi pal mera lock khul gaya jiski wajah se mai aur VIKRAM ab ek ho gaye the..

jiska matlab tha ki ab bhale hi sabke saamne VIKRAM tha, par bol mai raha tha...

wahin mere moothi band kar lene aur shart waali baat sunkar sabhi SAMAY SANCHALAK thode hairan hue par phir...


SAMAY SANCHALAK-hamari zindagi aapki rini hai...aapko humse kisi bhi shart ko rakhne ki aawashyakta nahi hai..

aap bas aadesh karen...

MAI-is PARIVARTAK ki wo urja jisse ye kaam karti hai,bhavishya me agar mujhse jude kisi shaksh ko uski zaroorat pade,toh aap usse wo de denge....

SAMAY SANCHALAK-jaisi aapki iccha...


SAMAY SANCHALAKON ke haan kehte hi maine apni band moothi khol di jiske baad us SAMAY SANCHALAK ne mere hatheli se us PARIVARTAK ko le liya aur aisa hote hi....


CHANNNN.....


jo pichli baar hua tha,wo ek baar fir hua...

ek jhatka sa laga mere dimag ko aur fir back to ground zero....

mai wapas ZEAL me tha par filhal mai kuch bhi dekhne ko haalat me nahi tha aur wo isiliye kyunki filhal mere sir pichle baar ke mukable 10 times zyada tezi se ghoom raha tha...

mujhe kuch zyada hi chakkar aa rahe the aur isiliye hi mai aakhen band kiye neeche zamin par baitha raha....

kuch time tak aisa hi raha par fir dheere dheere mai normal hone laga aur jab puri tarah control me aane ke baad maine saamne dekha toh halka hadbada gaya...

reason.....

mere just chehre ke saamne wo gola tha..mera SOUL jo lagatar hawa me rotate ho raha tha...

WOOGER gayab tha par fir bhi mai usse mehsoos kar paa raha tha...

us gole me....

kuch der tak us chamakte hue gole ki taraf dekhte rehne ke baad....


MAI-MAI TUMHE APNATA HUN...

KADKADKADKAD.........


bura bramhaand jaise ek akeli bijli ke kadkadane se kaamp gaya tha...

har planet ke mausam ka rookh jaise badal sa gaya..dead aur living...dono hi catagories me aane waale planets halke halke shake kar gaye the...

aur ye sab hua kyunki meri ijazat milne par wo gola aage badha aur mujhme sama gaya....aisa hote hi meri aankhen band ho gayi...

par mai mehsoos kar raha tha..zindagi me pehli baar mai feel kar raha tha..

apne sharir, apne khoon,apni dhamniyon ke andar ke khaali jagah ko bharta hua, mai mehsoos kar raha tha....

mujhe aisa mehsoos ho raha tha maano saalon ke banzar tapte hue zamin par kisine ek saath hazaron laakhon litres paani chhod diya ho...

wo sukoon jisse ab tak mehroom tha mai,wo jagah banati chali jaa rahi thi mere andar...

ye saare changes the internal..par in internal changes ke saath saath kuch external changes bhi hui thi mujhme..

aur wo ye ki jaise hi meri SOUL mujhme samayi aur meri aankhen band hui toh uske agle hi pal mera sharir hawa me uthne laga...

dekhte ho dekhte mere sharir ke upar ka kapda bhi change hone laga...

sabse pehle mere sharir ke chaaron taraf ek White AURA ne ghera banaya aur fir wo AURA mere sharir ke andar sama gayi...

aisa hote hi mere sharir par lenin ka ek white robe aa gaya...uske baad us robe ke theek upar white AURA ki hi tarah ek Black AURA ne ghera banaya aur fir wo AURA mere white robe se hote hui mere sharir ke andar sama gayi..

par aisa karne ke dauran jab us black aura ne mere white robe ko chhua toh us robe ka colour light grey ho gaya jo ki white aur black ke mixture se banta hai....

aisa hone je baad dheere dheere mera sharir neeche aane laga aur fir jaise hi maine neeche zamin ko chhua toh...

meei aankhen khul gayi....

gehri kaali aankhen jinke side ke white layers kuch zyada hi white lag rahe the...

khair,jaise hi meri aankhen khuli toh ek aur cheez hui jo aaj se pehle tak kabhi nahi hui thi....

aur wo thi mere chehre par aayi smile....

ek aisi smile jisse agar koi dekhe toh khush ho jaaye par agar us smile ka matlab woh samajh len toh khade khade hi mar jaaye...

waise mere chehre par muskurahat bewajah nahi aayi thi..ye aayi thi saamne ke drishya ko dekh kar....

kyunki mere saamne is waqt ZEAL ka wahi CAVE tha jo ki mere yahan is planet ka aakhri padhav bhi tha.....

wo cave jiske andar rakhi thi wo chiz jisse paane ke chakkar me ek living planet dead planet me badal gaya tha....

jisse haasil karne ki chaah liye hue hi VIKRAM ki aatma is duniya se kooch kar gayi thi...

wo chiz jisse maine ab tak toh dekha nahi hai par wo hai meri..

aur jab maine ye kaha hai ki wo hai meri toh iska matlab hai ki wo hai meri...

khwahish meri us chiz ko paane ki isiliye nahi hai kyunki usse mere liye rakha gaya hai...

balki wo chiz meri isiliye honi chahiye kyunki uspar ek pure planet ka khoon chadha hai...

aur har wo chiz jisse jaan ka souda ho,wo meri milkiyat hai...mera possession hai...

kadam aage badhaye maine aur mere aisa karte hi us cave ke dwar par lage kawach ne ek second ke liye roka mujhe jaise meri ability ko check kar rahe hon...

par mere sharir ke layers ko chhune ke baad wo kawach,wo SHIELD hath gaye...

jaise ijazat de di hon mujhe andar jaane ki par mai aage nahi badha..

wahin khada raha...

reason....

ijazat nahi di thi maine us shield ko mujhe chhune ki,mujhe check karne ki...

mai saamne tha uske..usse mujhe mehsoos karte hi hat jaana chahiye tha par usne aisa kiya nahi...

aur ye MUJHE ACCHA NAHI LAGA...

meri aankhon ki putliyon ne us pure cave ke saamne ke hisse ko ghura aur unke aisa karte hi meri aankhon se ek tez beam nikal us gufe par padi aur aisa hoti hi...

BOOM........

ek behad tez dhamaka hua jisse har taraf dhuan dhuan ho gaya par jab kuch der baad dhuan halka sa chatta aur nazara thoda clear hua toh....

mere saamne ab koi gufa nahi thi...

wo GUFA jisme kisi shaktishali cheez ko rakha gaya tha,wo puri gufa baarik kankad me badal chuki thi...

meri nazar saamne hi tiki thi jahan kuch door par abhi bhi gehra dhuan tha par wo bhi dheere dheere chhat raha tha..

wo jagah us gufe ka aakhri chhor tha jahan wo CHIZ thi jisse mujhe lena tha...

mai us chiz ki shakti ko,usse uth rahe vibrations ko bohot ache mehsoos kar raha tha...

par filhal us dhuen ki wajah se maine us chiz ko ab tak dekha nahi tha..

par ye bas kuch seconds ki hi baat thi...aur wo seconds bhi aakhirkaar beet gaye....

dhuan chhatthe chhatthe chhat hi gaya aur jab aisa hua toh zindagi me dusri baar mere chehre par smile aa gayi...

reason....

meri yahan hone ki wajah,meri milkiyat,mera prized possession meri aankhon ke saamne chamak raha tha..


beintihan shakti sa labalab bhara hua LORD OF ANGEL KA........



..............SWORD.................









AAJ KE LIYE ITNA HI......








AAPKA APNA V...J.....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MABEL AUR ALFREEN ANWIR AUR MORANA KE CHALLENGE KO ACCEPT KARTE WAHIN DUSRI TARAF RAAZ NE APNE SOUL KO HAASIL KAR LIYA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-48



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS




TOH DER KIS BAAT KI....SHURU KARO....

MABEL aur ALFREEN ke challenge ko accept karte hi MORANA ne ye baat kahi jispar...


VIOLET-thik hai fir..kyunki MABEL aur ALFREEN ne ek bohot bada faisla liya hai,dono ne hi apni achieve ki hui prize, STELLARS group ko daaw par lagaya hai toh isiliye aaj class nahi hogi...

sirf ye self proclaimed challenge hoga jisse MABEL aur ALFREEN pura karengi....


VIOLET WHIZZ ki baat par baaki ke WHIZZDERS ne bhi sahamati jatayi..

wahin NOX ne jo kuch bhi yahan ho raha tha,uski jaakari OPHILIA WHIZZ ko bhi apne mind ke through de di thi aur isiliye wo bhi is class me aa gayi thi...

aur unke saath aaya tha BRAWNY.....


MAHI-tum dono bhi naa..un dono ne tum dono ko uksaya aur tum dono unke jaal me fas bhi gaye...


dheere se MAHI ne ye baat MABEL aur ALFREEN se kahi jisse sun...


ALFREEN-baat hamare self respect ki thi MAHI...hum kaise back off kar lete???

MAHI-galat..baat tumne apne self-respect par khud hi le li...

STELLARS me jagah tum dono ko yunhi nahi mili thi,wo jagah tum dono ne earn ki thi...

earn tumne apne talent se kiya,aur aaj us achievement ko yunhi loose kar rahi ho...

ALFREEN-kya tujhe humpar bharosa nahi hai MAHI..tujhe nahi lagta ki hum is challenge me jeet sakte hain...


ALFREEN ki baat par has padi MAHI aur...


MAHI-are you even listening to yourself...baat yahan challenge ki hai hi nahi...

baat hai khudko saamne waale se behtar dikhane ki...

par ye angle bhi galat nahi hai..galat hai wo tarika,wo mahoul jisme tum dono ne faisla liya..

tum dono agar saamne se un dono ko takkar dete, challenge karte toh mujhe behad khushi hoti par tum dono unke provocation ke shikar bane ho..

aur ye sahi nahi hai...


MAHI ki baat to the point thi aur issi wajah se ALFREEN aur MABEL ka sir neeche ho gaya jisse dekh...


ANWIR-arre ye kya dekh rahe hain hum.... challenge shuru hone se pehle hi tum dono ne apne sir jhuka liye...

MORANA-acha hi hai naa..kamsekam dono ko apni asli jagah ke baare me toh pata chal gaya...


MAHI ki baatein ANWIR aur MORANA ne suni nahi thi...un dono ne bas MABEL aur ALFREEN ke sir ko neeche jhuka dekhkar ye assume kar liya jaise un dono ne pehle se hi haar maan li ha aur isiliye un dono ye baat kahi...

wahin unki baat sun MABEL aur ALFREEN ke jhuke sir ek jhatke me upar ho gaye...dono ko behad ghussa aaya aur isiliye wo kuch kehne hi waali thi par un dono ke beech khadi MAHI ko un dono se bhi zyada ghussa aa chuka tha aur isiliye isse pehle ki MABEL ya ALFREEN kuch kehte...


MAHI-jagah tum dono apni bhul gaye ho LOOSERS.....

jagah bhule toh bhule,par ye mat bhoolo ki ALFREEN aur MABEL ke beech MAHI khadi hai...

wo MAHI jiske saamne khade hone ki bhi tumhari haisiyat nahi...

wo MAHI jiske achievement se hairan pareshan ho uske procedures ko dekh sikhne ke liye tum dono loosers apne PHASE se yahan aaye ho...

ek challenge tumne in dono ko diya hai,ussi me khush raho aur chup raho....

kyunki agar koi challenge agar maine tumhe de diya toh naa toh tum usse bhaag paaoge aur naahi usse pura karne ki aukaad hai tum dono ki...


behad ghusse se ANWIR aur MORANA ko ghurte hue kahi thi ye baat MAHI ne jisse sun jahan ek taraf ANWIR aur MORANA bilkul chup ho chuke the wahin WHIZZES aur WHIZZDERS kaafi hairan..

aur wo isiliye kyunki un sabne kabhi bhi MAHI ko aise behave karte hue,is tarah ki language me baat karte hui and most importantly,saamne waale ko chota dikhate hue nahi dekha tha but at the same time wo sab MAHI ke kahe shabdon ko sun kar bohot khush bhi the...

kyunki ye toh woh jaante the ki MAHI galat nahi bol rahi and most importantly,jinse usne ye baatein kahi thi,wo aisa hi behaviour deserve karte the...

waise MAHI ki baat ko sun kar sabse zyada khush hue the MABEL aur ALFREEN...

jab MAHI ne kaha ki un dono ke beech khadi hai MAHI toh unhe aisa laga jaise MAHI ek shield ki tarah unke aage hai jiske rehte un dono ka koi kuch nahi bigad sakta....

wahin apni baat keh MAHI wapas MABEL aur ALFREEN ki taraf palti jo is waqt usse hi dekhkar muskura rahe the...


MAHI-maine koi joke maara jo tum dono has rahe ho....???


dono ko ghurte hue MAHI ne ye kaha jiske baad dono ne kuch kaha nahi bas aage badh wo dono MAHI ke gale lag gayi..

aur un dono ke aisa karte hi MAHI ke andar jo ghussa abhi bhi baaki tha,wo khatm ho gaya..

dono ko khudse alag kar...


MAHI-meri baat dhyan se suno...abhi jab tum dono apne SOUL ko AMPLIFY karne ke liye baithogi,toh usse pehle yahan jo bhi hua,in dono ne jo tum dono ko challenge kiya,unki kadwi baatein,un sab baaton ko apne dimag se nikalogi aur uske baad hi aaage badhogi...

kyunki SOUL ko AMPLIFY karne ka sabse acha tarika hota hai khudke har emotion ko,har saansaarik bandhan ko khudse alag karkar practice karna...

naa moh,naa maaya,naa khwahish naa koi dabaaw aur naahi ki dard....bas khud ko khudme jhaankte hue khojne ki koshish...

jo dard hoga,wo temporary hai,is baat ko apne brain,body aur blood ke har hisse ko samjhao, unhe yakin dilao...

successful hui toh SOUL AMPLIFY ho jayega....

got it......

MABEL aur ALFREEN,jo ki bohot dhyan se sun rahe the MAHI ko,uski baat puri hote hi un dono ne haan me apna sir hilaya...


MAHI-toh fir shuru karo...aur haan,mai yahin rahungi, tum dono ke beech...


MAHI ki baat sunte hi MABEL aur ALFREEN jahan khadi thi, ussi jagah par baith gayi..

baiththe hi dono ne apni ankhen band ki par aisa karne ke baad bhi unhe apne CEREBRATION ko band karne ki koshish nahi ki..

jaisa ki MAHI ne un dono se bola tha, dono ne hi sabse pehle apne apne dimag ko shaant karna shuru kiya.

aur jab unka dimag,unka man har bhaavna se alag hua tab jaakar undono ne apne CEREBRATION process ko pause kiya...

PRATIBHAVANITA spell ke saath pehle apne brain,body aur blood ko hold me rakhne ke baad un dono ne aankhen kholi aur uske agle hi pal ek baar firse unke CEREBRATION process band ho chuke the...

aur fir aayi baari main spell ki... PRATIBANDHANA....

iss spell ke bolte hi jo hota hai,wo hona shuru hua...

is spell ke asar se MABEL aur ALFREEN ke brain,body aur blood unke soul ke saath jud gaye aur aisa hone par hua wo khinchaav jisse uthne waala dard sharirik bhi hota hai aur maansik bhi...

jabde ko bheenche apne apne CEREBRATION process ko paused rakhe hue dono lagi rahi apne target ko pura karne me..

wahin is waqt puri class including WHIZZES aur WHIZZDERS jaise saans roke MABEL aur ALFREEN ki taraf dekh rahi thi...

ummid aur sankoch ke beech fase sabhi taktaki lagaye in dono ki taraf dekh rahe the...

par in sabse alag dusri taraf the ANWIR aur MORANA jo ye ummid lagaye khade hue the ki ALFREEN aur MABEL ka CEREBRATION jald hi shuru ho jaaye taaki dono apne challenge me haar jaayen...

MABEL aur ALFREEN ke beech apne ghutno ke bal baithi MAHI ki nazar jab ANWIR aur MORANA par padi toh usse unke chehre par unke dil ke bhaav saaf dikhne lage jisse dekh usse behad ghussa aaya...

uska man kiya ki wo abhi uthe aur un dono ke mooh tod de...

bohot mushkil se MAHI khudko kaabu kar rahi thi...

wahin MABEL aur ALFREEN jinke CEREBRATION process ab tak band the,unki taklif hadh se zyada badhne lagi thi..

unke sharir ke andar uthne waala pain un dono ke liye unbearable hone laga tha aur isiliye....

unke band aankhon ki putliyon me halki si harkat hui aur ye harkat ANWIR aur MORANA ki aankhon se jo ki bade dhyan se in dono ki har activity ko dekh rahi thi,chhup nahi paayi..

aur jaise hi un dono ne aisa hote hue dekha toh unke chehre par ek vijayi muskaan tair gayi..

dono ko hi pata chal chuka tha ki ab ALFREEN aur MABEL haarne waali hain..kisi bhi waqt unka CEREBRATION process shuru ho jayega aur wo dono apni aankhen khol lengi...

aur aisa hone bhi laga....pain ko sehte sehte ek aisa point bhi aaya jab ALFREEN aur MABEL ne give up kar hi diya aur aisa hote hi dono apni aakhen kholne lagi par tabhi....


TADADDD....


MAHI ne niche floor par ek behad powerful jhatka mehsoos kiya....


(ye wahi waqt tha jab RAAZ ko uski soul mili jisse har living aur non living planet halke halke shake kar gaye the...)

ye shake behad alag kism ka tha..isse har planet ka internal bhaag hi effect hua tha jiski wajah se kisi bhi living planet me rehne waale planet ko kuch mehsoos nahi hua par MAHI ne is jhatke ko iske lagne se ek second pehle hi mehsoos kar liya tha aur isiliye....


MAHI ka haath MABEL aur ALFREEN ke kandhon pa chala gaya..

MAHI ne dono ke kandhon ko thaam liya tha aur coincidentally ye wahi waqt tha jab wo dono apni aankhen khol rahe the....

par us lagne waale jhatke ki wajah se MAHI ke body me ek alag hi sensation paida hua aur wo sensation uske haathon se hota hua MABEL aur ALFREEN ke kandhon par pada aur fir wahin se unke pure sharir me fail gaya aur jab aisa hua toh...

ek saath teen chizen hui..


pehli...MABEL aur ALFREEN ki khulne waali aankhen ek baar firse band ho gayi..


dusra...aankhon ke band hone ke agle hi pal unka SOUL bhi automatically 4 percent par pahunch gaya jiski wajah se SOUL AMPLIFY hone par jo roshni nikalti thi,woh roshni puri class me fail gayi...


tisri...MAHI ko jo sensation feel hua tha,uska sirf ek bhaag hi MABEL aur ALFREEN ke sharir me gaya tha jabki uska dusre bhaag ne khudko ek invisible ray me badal liya aur MAHI ke sidh ki taraf tezi se badh chali..

is sidh me khadi thi OPHILIA WHIZZ...ye invisible ray is planet ke magnetic field ke force se bana tha aur isiliye ye itna powerful tha ki jis kisiko bhi ye chhuta,wo raakh ban jaata aur filhal OPHILIA WHIZZ ka pair is ray ke radar me thi..

tezi se aage badhta hua wo ray OPHILIA WHIZZ ke pairon ko chhune hi waala tha par tabhi...

OPHILIA WHIZZ ke baaju me khade BRAWNY ke SUBCONSCIOUS brain me najaane kahan se khatre ki ghanti baji jiske baad uske haath automatically thoda left sarke aur OPHILIA WHIZZ ke pairon ke saamne rook gaye maano us jagah ko guard kar rahe hon...

ye wahi waqt tha jab wo ray OPHILIA WHIZZ ke pairon ko touch kar unka churra banane waale the par BRAWNY ke aisa karne se ab wo rays sidhe jaakar BRAWNY ke haath se takraye jisse....

BRAWNY ke haath se hote hue uske poore sharir ko ek tez jhatka laga jiski wajah se uski puri body kaamp gayi...

ye wahi waqt tha jab MABEL aur ALFREEN ke SOUL ke AMPLIFY hone ki wajah se puri class roshni se jagmaga uthi thi aur issi wajah se kisi ko kuch bhi nahi dikh raha tha...

kuch der tak BRAWNY ka sharir waise hi vibrate hote raha par fir wo normal ho gaya..

aur tabhi puri roshni wapas MABEL aur ALFREEN ke sharir me chali gayi jiski wajah se unki aankhen khul gayi...


VIOLET-congrats MABEL and ALFREEN..you guyz did it...tum dono ne hi apne SOUL ko 4 percent tak AMPLIFY kar liya hai...


behad khushi ke saath WHIZZ ne is baat ko kaha jiske baad sabhi ne ALFREEN aur MABEL ko gher sa liya..


wahin MAHI jo in dono ke baaju me thi aur kuch der pehle hue sensation ke baare me soch rahi thi,jab usne WHIZZ ki baat suni toh usse laga ki ye sab shayad MABEL aur ALFREEN ki SOUL ke AMPLIFICATION hone ka side effect tha aur isiliye usne apne dimag ko jhatka aur MABEL aur ALFREEN ko gale se laga liya..

yahan sabhi khush ho rahe the par in sabke beech paanch aise log the jiski manosthithi insab se behad alag thi...


pehle do the khud MABEL aur ALFREEN...jinhe khud hi success par yakin nahi ho raha tha..

sabhi unhe congrats keh rahe the..unki best friend MAHI unke gale lagi hui thi par wo dono ye soch rahe the ki un dono ne toh haar maan kar apni aakhen khol di thi toh fir kaise un dono ki aankhen dobara band hui aur agle hi pal unke soul bhi AMPLIFY ho gaye...???

koi bhi baat sense nahi bana raha tha par baat aakhir me yahin aakar rook rahi thi ki un dono ka task, challange pura hua aur isiliye hi dono ne apne dimag jhatke aur is celebration ka hissa ban gayi...


teesre aur chowthe the ANWIR aur MORANA...jinhe abhi tak vishwas nahi hua tha ki aakhir jo hua,wo hua kaise...???

un dono ne toh clearly MABEL aur ALFREEN ke band aankhon ke beech unke putliyon ko hilta hua dekha tha....

fir aise me wo dono successful hui toh hui kaise...???par bottom line toh yahi tha ki MABEL aur ALFREEN ne apna challenge successfully complete kiya tha air issi wajah se un dono ke mooh sil se gaye the...

aur paanchva aur sabse alag soch me ghira hua tha BRAWNY..jo kabhi apne sharir ko toh kabhi apne ys haath ko dekhta jisme kuch der pehle zabardast sensations hue the..

wo apne shatir ko lagatar chhu chhu kar dekh raha tha par jab kuch der baad usse sab kuch okay laga toh usne bhi apna dimag jhatka aur sabke saath mil MABEL aur ALFREEN ko badhayi dene laga....

us bechare ko toh ye bhi nahi pata tha ki anjaane me usne kya kaarnama kiya hai...


jin invisible rays ke chunne bhar se koi bhi chiz raakh ho sakti thi,wahin us ray ke direct impact padne ke baad bhi uske haath ko aur sharir ko kuch bhi nahi hua tha...

ye kiya yha BRAWNY ne..wo SAVENT jisne apne SOUL tak ko ab tak trigger nahi kar paaya tha..jo PHASE 2 me WEAKLINGS catagory me jaane waala tha..

aaj usne galti se wo kar diya jo wk STELLAR catagory ka banda bhi nahi kar paata...

ab aisa kyun,ab ye toh aage hi pata chalega...


khair,in badhayi ke silsilon ke thodi der baad ALFREEN, MABEL aur MAHI ki nazar padi ANWIR aur MORANA par jinke mooh abhi aise lag rahe the jaise kisi ne unki bina permission ke le li ho...

MAHI toh apni jagah par khadi rahi par MABEL aur ALFREEN aage badhi..aage badh wo dono thik ANWIR aur MORANA ke saamne khadi hui,unki aanhon me dekha aur...


MABEL-kehna toh bohot kuch chahte hain tum dono se..

ALFREEN-par tum dono ki ye luti hui shakal dekhkar filhaal sirf itna hi kahenge ki...

MABEL/ALFREEN-FUCK OFF....


thodi zor se bol diya the aakhri words dono ne jisse WHIZZES aur WHIZZDERS ne bhi suna par usse sun wo bhi has diye aur jiske baad ek baar MABEL, ALFREEN aur unke piche khadi MAHI ko dekh ANWIR aur MORANA chupchaap class se bahar nikal gaye..

unke jaate hi sabhi SAVENTS ek baar firse MABEL aur ALFREEN ko badhayi dene lage aur wo dono bhi sabko behad khushi se thanks kehne lage the is baat se anjaan ki unki is jeet ka asli shray uska tha jo filhal unki class me aur unki zindagi me bhi kahin nahi tha...

RAAZ........





PLANET-ZEAL



PLACE-CAVE





BAAHAR AAO WOOGER....


mere awaaz dete hi mere seene ke beech ek tez prakash hua aur aisa hone ke agle hi pal mere us bhaag se mera atirikth ang,mera WOOGER,chhalang maarta hua bahaar aa gaya...

baahar aate hi wo mere aage jhuk kar baith gaya tha jispar...


MAI-utho....


mere bolte hi wo uth gaya par uski aankhen ab bhi neeche thi....


MAI-tumhe abse mere andar rehne ki zaroorat nahi hai...tum jahan chaahe,wahan ghum sakte ho...

mujhe jab bhi zarooat padegi toh mai tumhe bula lunga....

WOOGER-jaisi aapki iccha LORD....

MAI-is sword ke baare me kya jaante ho...???iski kahani kya hai..???


ye sawal maine isiliye pucha tha kyunki is pure gufa ko mitane ke baad bhi maine apne kadam aage nahi badhaye the...

reason....

saamne zamin par gadi talwar ko dekh mere man me ek ajeeb si bechani ho rahi thi..

wahin bechaini jo exam se pehle ek student ki hoti hai..

mujhe lag raha tha jaise is talwar ka RAAZ kuch aisa hai jisse is kahani ke ehem RAAZ khul jaayenge...

is sword ki aad me chuppa hua hai wo kaaran jiski wajah se ye sab ho raha tha..

aur ye saari feelings maauli nahi thi aur isiliye hi maine WOOGER ko baahar bulaya tha...

ek aur kaaran bhi tha,par wo baad me...

mere sawal ko sunane ke baad......


WOOGER-mujhe bas itna pata hai ki iski kahani aapki utpatti se judi hai...

aur jab aap isse sparsh karenge toh is kahani ka sabse mahatvpurn bhaag aur aapka uddeshya,dono aapko pata chal jaayega....

MAI-tum jaa sakte ho....


mere aisa kehte hi WOOGER gayab ho gaya.....

WOOGER ke gayab hote hi maine apne kadam aage badhaye aur mere aisa karte hi us sword me kampan shuru ho gayi...

ek aur jagah thi jahan same kampan ho rahi thi par wo bhi baad me....

ho rahe kampan se behad tez vibrations nikal rahe the jinse mujhe aage badhne me problem ho rahi thi yaa fir ye kahun ki wo vibrations,us talwar se nikalne waali tarang ek rookawat paida kar rahi thi par aage toh mujhe badhna hi tha aur isiliye dheere dheere hi sahi mai aage badhne laga...

dheere dheere aage badhta hua mai aakhir us SWORD ka paas pahunch hi gaya...

mere us SWORD ke paas aate hi uske vibrations tez ho gaye par ab unka effect ulta tha...

jahan kuch der pehle mujhe ek rookawat mehsoos ho rahi thi wahin ab mujhe ek kheenchav mehsoos ho raha tha..

mujhe aisa lag raha tha jaise wo SWORD mere sparsh ki talabgaar hai...

kuch seconds us SWORD ko dekhte rehne ke baad maine apne dono haath aage badhaye aur us SWORD ke silver mooth ko pakad liya.

aur tabhi.....

ek current sa doud gaya meri puri dhamniyon me.. ek dead planet me tha mai par fir bhi mere sir ke upar aasmaan me kaale adal chhaane lage...

behad tez bijliyan kadkane lagi un baadalon ke takraane se..pura PLANET andhakar me jaise doob sa gaya....

aur in sabke beech meri aankhen band hoti chali gayi aur aisa hote hi mere saamne ka drishya badal gaya..

meri band aankhon ke paraton ke upar ek naya drishya tha..

bramhaand ke beech ek andheri jagah ka drishya..

aur us andheri jagah ko aur syaah kaala kar raha tha ek kaali chaadar odha hua saaya jiski bhaavnayon ko mai apne andar tak mehsoos kar raha tha..

wo ghusse me tha,taklif me tha,par in sabhi negetive bhaavnaaon ke beech wo ek ajeeb tarah se khush bhi tha...

scene samajh aaya doston..

ye wahi scene hai jisse ATTITUDE part-1 khatm hua tha...

aur ye wahi scene hai jisse is kahani ke sabse pehle aur sabse mahatvpurn paatr ki utpatti hui thi...


VIDEOUS.....








AAJ KE LIYE ITNA HI....








AAPKA APNA V...J....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ALFREEN AUR MABEL ANWIR AUR MORANA KE DIYE HUE CHALLENGE KO PURA KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ SWORD KE HANDLE KO PAKAD LETA HAI JISKE BAAD USSE EK SCENE DIKHNE LAGTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




MEGA UPDATE-49



PLANET-EYLSIAN


PLACE-CHOSENS



1 MONTH LATER:-





PRATIBANDHANA



is spell ke prabhaav me aate hi sabhi SAVENTS ko jo taklif hoti hai,wo hone lagi par phir bhi sabhi puri dedication ke saath lage rahe...

pichle mahine aaj ke hi din ALFREEN aur MABEL ne ko kiya tha,uska prabhaav is class ke lagbhag sabhi SAVENTS par pada tha aur shayad yahi kaaran tha ki 4 SAVENTS ko chhod baaki sabhi ne apne SOUL ko 1 percent tak aakhir AMPLIFY kar diya tha...

wahin VALDIS filhal 3 percent par tha, MABEL aur ALFREEN 4 par jo unhone pichle month hi haasil kar liya tha aur in sabse aage thi MAHI..

jo abhi 6 percent par thi aur 7 percent AMPLIFICATION ke bhi baar baar behad kareeb pahuch rahi thi..

bas kuch minutes ka control hi tha jo filhal MAHI nahi kar paa rahi thi par aaj usne tay kar liya tha ki un kuch minutes ke faasle ko wo kisi bhi tarah fill kar kar hi rahegi..

chaliye jab tak inka CEREBRATION process paused hai,tab tak mai aapko inke NEXT PHASE ke teeno catagories ki qualification strength ke baare me vata dun...

toh ganit kuch aisa hai ki STELLARS group me shaamil hone ke liye ek SAVENT ka kamsekam 2 percent apne SOUL ke amplify karna zaroori hai...

wahin GROOMERS catagory me 1 percent AMPLIFICATION yaa fir apne SOUL ko AMPLIFICATION process ke liye trigger karne waale SAVENT aate hain....

aur last catagory jisse WEAKLINGS kaha jaata hai,inme un SAVENTS ko entry milti hai yaa fir ye kahun ki SAVENTS ko feka jaata hai jo first PHASE me apne SOUL process ko AMPLIFY karne ke liye trigger tak nahi kar paayen hain...

toh ye hain teeno catagories aur unme qualify karne ke liye hone waale AMPLIFICATION...

aur in qualification ke hissab se baaki sabhi SAVENTS yaa toh STELLARS ya fir GROOMERS ki catagory me already qualify kar chuke hain siwaye ek ke...

aur issi wajah se....



INSIDE NEXT CLASSROOM:-


common BRAWNY...you can di it son...bas apne focus aur focus karo...

tum bohot jaldi haar maan le rahe ho....dont give up so soon...

apne will power ko strong karo,apni sehensheelta ke daayre ko badhao taaki tumhara soul bhi AMPLIFICATION ke liye trigger ho jaaye..

common,you can do it...


lagatar BRAWNY ka housla badha rahi thi WHIZZ OPHILIA wahin is waqt unki kahi baaton ko dimag me feed kar BRAWNY laga hua tha apne CEREBRATION process ko pause me rakh apne SOUL ko trigger karne me par fir kuch der baad wahi hua,jo aaj tak hota aaya hai....

dard ki atyadhikta ka sahan naa kar paane ki wajah se uska CEREBRATION process firse shuru ho gaya jiski wajah se uski aankhen khul gayi...


OPHILIA-aise kaam nahi chalega BRAWNY.... sirf 2 mahine hi bache hain tumhare first PHASE ko khatm hone ke liye..

tumhare sabhi PHASEMATES ne apne apne soul ko trigger bhi kar liya hai aur unke AMPLIFICATION percentage bhi shuru ho chuke hain..

par tumne abhi tak apne soul ko trigger bhi nahi kiya hai...agar aisa hi chalta raha toh tumhe next PHASE me WEAKLINGS catagory me jaana hoga and trust me...

jis sharirik dard ko tum filhal jhel nahi paa rahe ho,us PHASE me
isse kayi guna zyada tumhe maansik dard sehna hoga...

aur tum uske liye kuch kar bhi nahi paaoge... isiliye jitna bhi waqt bacha hai,usme kamsekam apne SOUL ko toh trigger kar hi lo taaki kamsekam tum GROOMERS catagory ke laayak ho jaao....


WHIZZ OPHILIA ki baat sir neeche kar chupchaap BRAWNY sunta raha...

aur bhala wo kar bhi kya sakta tha....inte waqt se wo koshish kar raha tha..

aur aisa karne ke dauran jis dard se usse guzarna padta tha, usne uski body ko toh koi nuksaan nahi pahunchaya,par uske confidence level ki jo pehle se hi kam thi,uski dhajjiya ud chuki thi..

aur shayad yahi reason tha ki ab wo WHIZZ ki baaton ko ek kaan se aunkar dusre se nikal deta tha..

usne next PHASE me khudko pehle hi as a WEAKLING dekhna shuru kar diya tha...

is class me tha BRAWNY,jo apne soul ko AMPLIFY karna toh door, trigger tak nahi par paaya tha aur wahin dusri class me....


ek ke baad ek kul chaar baar puri class roshni se naha gayi..

reason...

pehle VALDIS,fir, MABEL,uske baad ALFREEN ar aakhir me MAHI ne ek baar firse apne apne soul ko AMPLIFY kar liya tha....

aur jaise hi aakhri roshni kam hui aur nazara normal hua toh...

puri class taaliyon ki gadgadahat se gunj uthi...

is clapping me VIOLET, OMMIN aur NOX bhi shaamil the aur saath hi behad khush bhi the...

reason...

shayad CHOSENS ke 25 thousand saal ke itihaas me ye batch best batch tha aur wo isiliye kyunki is PHASE me ek saath 4,4 SAVENTS ne apne soul ko itna zyada AMPLIFY kiya tha...

ab aise batch ke WHIZZ aur WHIZZDERS hona gaurav ki baat toh thi hi..


VIOLET-VALDIS... congrats..aaj tumne apne SOUL ko 4 percent tak AMPLIFY kar liya hai and we are very proud of that...

VALDIS-thank you WHIZZ...

NOX-MABEL, ALFREEN.... congrats to the both of you..aaj tumne apne SOUL ko 5 percent AMPLIFY kar liya hai and thats a big,big achievement...

OMMIN-pure CHOSENS ke history me you both have become only the fourth and fifth SAVENT to achieve this milestone...
and by achieving that,you have made us very proud....

MABEL/ALFREEN-thank you WHIZZDERS....

VIOLET-and last but definitely not the least, actually the best..MAHI...

ab kya kahen tumhare baare me...tum pehli aisi SAVENT ho jisne hume pure PHASE me lagatar hairan kiya hai...

aaj tumne apne SOUL ko 7 percent tak AMPLIFY kar liya hai aur ye batane ki zaroorat toh hai nahi ki you are the very first to do it....

aur iske liye agar hum ye kahen ki we are proud of you toh ye ek understatement hoga....

isiliye bas itna kahenge ki are waiting ki tum hame aur surprise karo...

MAHI-thank you WHIZZ and yes,i will try my level best...

VIOLET-aur issike saath aaj ko class yahin khatm hoti hai...


taarif ke pool bandhne ke baad VIOLET WHIZZ NOX aur OMMIN ke saath class se nikal gayi wahin unke jaate hi sabhi SAVENTS ne wk baar firse MAHI, ALFREEN, MABEL aur VALDIS lo gher liya aur unhe congrats karne lage..




THE ORIGIN,THE FLASHBACK BEGINS:-


PLACE-THE DARK UNIVERSE





AAJ PAANCH HAZAR SAALON SE MAI BINA KISI ROOP KE GHUM RAHA HUN AUR YE SAB SIRF USKE KAARAN....


(ATTITUDE,PART-1,LAST UPDATE,LAST PARAGRAPH WITH LINES THAT WERE MISSING IN THAT PART)


wo kaali chaadar jo ki asal me BLACK ENERGY thi,wo filhal ek nirjeev satellite ke upar ghoom rahi thi....

uske movements ki thirkan se uski bechaini aur ghussa saaf jhalak raha tha...

aur ussi ghusse ke saath wo apne aap se baatein kar rahi thi ki....aur fir usne apne ghusse ka kaaran bataya ye fir ya kehna zyada sahi hoga ki us ghusse ke neev ka naam lekar cheekh pada...


BLACK ENERGY-VIKRAM...wo dhurth VIKRAM....


vikram ye tune acha nahi kiya mere saath......aur ASMODEUS,tu.......maine tujhe devils king ke naam se nawaza..

tujhe behisaab shaktiyan di aur tune mujhe hi dhoka diya....aur wo bhi us GOD ke liye.........

jisne tujhe tere hi ghar se nikal diya tha....jisne tere ohde ke saath teri shakti ka sabse bada bhaag bhi tujhse chhin liya tha...

tune us matlab parast ke liye mujhe thukraya,mujhe dhoka diya tune....


ye bolte waqt ek tez thirkan hui us BLACK ENERGY ke beech jaise wo khud par control kho raha ho par fir wo thirkan dheere dheere kam hone lagi maano BLACK ENERGY khudko kaabu me kar rahi ho...

aur fir jab wo ENERGY puri tarah shaant hui toh....


BLACK ENERGY-par koi baat nahi.haar jeet toh lagi rehti hai...beeta kal tumhara tha,aane waala kal mera hoga......

mere saath shadyantra karte waqt tum dono bhaiyon ko pata bhi nahi chala ki tum dono ki shakti se kaun si nayi musibat janm le rahi hai.....

ISLA me tumhara wo jhutta dwand, PARALLEL WORLD me mujhse chhuttkara paane se pehle tumhara wo mithya se bhara shakti pradarshan...

wo saari ladhayi bhale hi jhutti thi,par us yudh me nikalne waali tum dono se energy bilkul asli thi...

aur wo shakti kitni ghaatak thi,iska tum dono ko hi andaza nahi raha...

us waqt ASMODEUS me MAI tha,aur VIKRAM me khud GOD....

ek taraf BLACK ENERGY aur dusri taraf GOD...THE MAKER OF WHITE ENERGY....

wo do shaktiyan jinme samaya hua hai ye pura bramhaand aur tum ne inhi do shaktiyon ki dhaar ko,unke pravah ko yunhi khule me chhod diya...

hahahahaha...

itne vidwan hokar koi itna murkh kaise ho sakta hai....

tum dono ne socha ki PARMESHWAR PUTR ka dwand hai,toh parinaam bhi dono ke beech hi hoga kintu tum dono hi saamanya vigyaan bhul gaye..

jab do tez dhaar pathar aapas me ragdate hai toh unke beech teesri chiz baahar nikalti hai...

agni...wo agni jisme ek pure grah ko jhulsa dene ki shakti hoti hai..

wo agni jo bhale hi maatra me kam ho par fir bhi uisse suraj ke taap se bhi fark nahi padta...

tum dono ne ussi agni ko utpann bhi kar diya aur usse khule me chhod usse hawa bhi de di...

tum dono bhale hi sarvshaktimaan ho,ek surya ki tarah ho par jo urja tum dono se nikli hai,wo aisi agni hai jisse koi surya mita nahi sakta ulta wo us agni ke taap ko aur badhayega...

us anant shakti ke shroth par tum dono ki nazar pade,usse pehle hi maine usse khudme samet liya tha....

itne varsho tak uske taap ko,uski urja ko is anant bramhaand me sambhalkar rakha maine sirf aaj ke din ki pratiksha me...

kyunki aaj us shakti ne aur uske andar ki anant urja ne khudko sayyamit kar liya hai...

aur isiliye uske janm ka samay ho gaya hai....

ab dekhna,tum dono ki hi shakti ko mai uska astitv dunga....aisa pehli baar hoga jab pitah koi aur hoga par janm daata koi aur........


ye bol BLACK ENERGY ki ray jo ki uski nirman shakti thi,wo aage badhi aur uske saamne rakhi ek bohot prakashwaan urja par wo ray padi aur jaise hi ye hua,kaale aur safed urja ke mishran se ek aakar banane laga...

kuch hi samay me us urja ne ek manushya ka aakar dhaaran karna shuru kiya aur dekhte hi dekhte us urja ne ek INSAANI ROOP le liya....

ek behad hi khubsoorat insaani roop....par filhal uski aankhen band thi....

kaale aur safed labade ke mishran se bane robe ke andar dhaka ek gora maanav sa dikhne waala prani jiski filhal saansein kaafi zoron se chal rahi maano wo bohot lambi race daudkar aaya ho...

aur chale bhi kyun naa,aakhri pehli baar wo saans jo le raha tha....

wahin apni rachna ko behad dhyan aur garv se dekh raha tha BLACK ENERGY....


BLACK ENERGY-hmm....adhbhudhhhhh....shakal toh apne dono pitah par hi gayi hai tumhari...

aadhi VIKRAM par aur aadhi ASMODEUS par.....

jab surat pitaon par gayi hai toh naam bhi unpar hi hona chahiye,haina????

par kya????

VIKRAM.......ASMODEUS....

VI...........................DEUS....


arre waah,itni jaldi naam bhi mil gaya.....


tera naam hoga ''VIDEUS''........

ek aisa naam jo badal dega puri kahani aur saath hi badal jaayega sabka

ATTITUDE..............


jaise hi BLACK ENERGY ne VIDEOUS kaha,toh uske agle hi pal us praani jiska ab naam VIDEOUS tha,uski aankhen khul gayi...

halki bhuri aankhen jinme ek aisa kheenchav tha jo kisi PLANET ke gurutwakarshan force se bhi zyada strong tha...

aur unhi halki bhuri aankhon se wo ek tak apne saamne ghum rahe BLACK ENERGY ko dekh raha tha..

uske chehre par koi expressions nahi the..chamakti aankhon ki putliyon se wo bas saamne BLACK energy ko dekh raha tha...

aur jab kaafi der tak wo chup hi raha toh..


BLACK ENERGY-swagat hai tumhara VI....

VIDEOUS-SHHHSHHHHHHHHH...


apne ek ungli ko apne honthon par lagakar black energy se chup rehne ko kaha VIDEOUS ne....


uske SHHH se nikalne waali hawa me itni taakat thi ki jaise hi us hawa ne aage badhte hue BLACK ENERGY ko chhua,toh BLACK ENERGY ki wo chaadar halki piche ki taraf ud si gayi....

wahin VIDEOUS ke dwara khudko chup karaye jaane se BLACK ENERGY thodi hairan bhi ho gayi thi...

par usne kuch kaha nahi,wo chup hi rahi par tabhi pehli baar hile VIDEOUS ke honth aur....


VIDEOUS-jitna bolna tha,mere jaagne se pehle bol chuke ho tum..ab aur koi baat nahi...

mujhe wahi awaaz sunana pasand hai,jinme dard ho,tadap ho, taklif ho....

aur tumhara dard,tumhari tadap, tumhari taklif toh ussi din khatm ho gayi thi jis din tumne mujhe paa liya tha...


ye sab bol VIDEOUS ne ek baar apni gardan chaaron taraf ghumayi maano pure universe ko wahin khade khade dekh raha ho aur baat bhi wahi thi..

VIDEOUS ki nazar jis jis disha ki taraf ghumi,us disha ki anant doori tak ka drishya dekh paa raha tha VIDEOUS...

sab taraf nazar ghumane ke baad uski nazar wapas BLACK ENERGY par aakar rooki aur.....


VIDEOUS-waise main khush hun tumse...kaaran jaante ho meri khushi kaa.???

BLACK ENERGY-maine tumhe itne waqt tak sambhal kar rakha, isiliye....

VIDEOUS-galat jawab...naam tumne mera bada acha rakha hai, isiliye...

VIDEOUS.....VIKRAM aur ASMODEUS,mere dono pitah ke naam ko ek kar bana naam, VIDEOUS....


VIKRAM, ASMODEUS...jab VIDEOUS ne ye do naam liye toh uski aankhon me ek chamak thi maano wo un dono naamo ko badi izzat de raha ho jisse mehsoos kar BLACK ENERGY ko bura laga aur isiliye...


BLACK ENERGY-jin do naamo ka zikr tumne kiya hai,unhise badla lene ke liye hi maine tumhe itne varshon tak sambhal kar rakha hai aur aaj tumhe ye roop diya hai..

VIDEOUS-jawab thoda sa galat hai tumhara..tumne mujhe isiliye ye roop diya hai kyunki jin naamo ka zikr maine kiya,unse ladhne aur jeetne ke tum yogya nahi ho...

sahi kaha naa..!!!!


fadfadahat si hui VIDEOUS ke jawab ko sunkar BLACK ENERGY ki chaadar me jisse dekh

VIDEOUS-hahahahahaaaaaa....


bohot zoron se hasa VIDEOUS par fir ek dum se chup hokar usne BLACK ENERGY ko dekha aur...


VIDEOUS-khel aarambh kare...mujhe behad talab ho rahi hai apne dono pitah se milne ki....


VIDEOUS ne apni baat kehte kehte hi apne dono haath faila diye the jiski baad wo Black energy ki chaadar ek baar zor se fadfadayi aur fir agle hi pal....

wo tezi se aage badhi aur VIDEOUS ko chaaron taraf se khudme lapet liya...

lapetne ke baad wo chaadar tezi se VIDEOUS ke chaaron taraf ghumne lagi aur dekhte hi dekhte wo kaali chaadar khudko sokhta hue VIDEOUS ke sharir me vilin ho gayi...

aur jab aisa hua toh VIDEOUS jo ki 6 feet ka tha, uski height kuch inch aur zyada ho gayi..uska rang aur gora ho gaya aur uski bhuri aankhon ke side layers halke kaale ho gaye...

par ye saare changes internal the par wahin jab BLACK ENERGY VIDEOUS ke andar samayi toh...pura bramhaand halka halka shake kar gaya..

bramhaand ke ek behad hi andhere bhaag me tha is waqt VIDEOUS par
black ENERGY ke usme samate hi uske andar ki white energy halki chhatpatayi aur aisa hone par VIDEOUS se hota hua ek behad tez prakash har taraf fail gaya...

is tez prakash me itni shakti thi ki iske daayre ke beech aaye kayi saare dead planets puri tarah toot kar bikhar gaye...

par fir VIDEOUS ne apne andar ke black energy aur white energy ke beech par ek saath control paana shuru kiya aur aisa hote hi wo universe ka shake aur us white urja ka chhatpatana band hota chala gaya...

par jo reactions already ho chuke yhe,unka toh kuch kiya jaa sakta tha nahi yaa fir ye kahun ki VIDEOUS aisa chahta hi nahi tha aur shayad isiliye...


KADKADKADKAD.....

KADKADKADKAD.....

KADKADKADKAD......


VIDEOUS ke saamne ek ke baad ek teen baar zoron se bijli kadki aur us bijli ke beech se baahar aaye teen log yaa fir ye kahun ki teen ANGELS....


MOKALSAR.....

SHAILA.....

AKSHAANT......


aur un dono ke prakat hote hi VIDEOUS ki aankhen khul gayi...


VIDEOUS-CHERUBIM ANGELS.....


AKSHAANT, SHAILA aur MOKALSAR ki urja ko mehsoos karte hi VIDEOUS ko unki rank ka andaza ho gaya tha...


AKSHAANT-tumhare andar se beintehan negetive vibes nikal rahi hai...kaun ho tum...???

kyun tumhare shakti se is bramhaand par asar hua tha....???


VIDEOUS-negetive vibes...???dobara mehsoos karo...


VIDEOUS ki baat ko sun AKSHAANT, SHAILA aur MOKALSAR teeno chownke...

reason..

jo negetive vibes unhe VIDEOUS se feel ho rahi thi,wo vibe gayab ho chuki thi...


SHAILA-ye kaise sambhav hai..??iski nakaratmak urja achanak kahan vilupt ho gayi...???

MOKALSAR-iska jawab toh yahi dega...

parichay do apna....

VIDEOUS-tum teeno iske laayak nahi ho.aur waise bhi,jinhe pata hona chahiye,unhe mere baare me ab tak pata chal hi gaya hoga...

SHAILA-kisse pata chal gaya hoga...???

VIDEOUS-mere dono pitah ko..???

MOKALSAR-tumhare do pitah hain..!!!kaun hain wo..???

VIDEOUS-aapke dono LORDS...VIKRAM, ASMODEUS....


yahan VIDEOUS ka mooh band hua aur wahan SHAILA, MOKALSAR aur AKSHAANT ke mooh khul gaye....


SHAILA-tum jaante bhi ho ki tum kya bol rahe ho...???

VIDEOUS-kya tum jaanti ho ki tum aur ye dono abhi tak kaise mere saamne sir uthakar baat kar paa rahe ho....??

sirf VIKRAM aur ASMODEUS ki wajah se...un dono ne tum teeno ko ek samman yogya pad diya hai jisme tum teeno ke hisaab se beintahan taakat hai..

mai bas tumhari is galat fehmi ko todna nahi chahta...

isiliye jaao aur mere dono pitah se kaho ki VIDEOUS unka intezar kar raha hai....


VIDEOUS ki baaton me un teeno ne apne liye tuch hone ko bhaavna ko mehsoos kar liya tha jiske baad un teeno ko hi behad krodh aa gaya aur isiliye...


SHAILA-baaton ka waqt khatm hua bacche...ab tumhe tumhari uddandata ka dand milega...


ye bol SHAILA ne VIDEOUS ko jakadne aur sabak sikhane ke liye ek bijli se bane rope ka awahan kiya jisse wo VIDEOUS ko baandh bhi sake aur us rope se usse jhatke bhi lag sake...

SHAILA ke awahan karte hi uske haathon ke upar ek tez bijli chamki aur aisa hote hi SHAILA ne us bijli ke rope ko VIDEOUS ki taraf kar diya aur tabhi...

AHHHH....

ek tez cheekh nikli SHAILA ke mooh se..

reason....

us bijli se bana rope aage toh badha par aadhe raste se hi usne apna raasta badla aur wapas ghumte hue SHAILA ki taraf mood gaya aur aisa hone ke agle hi pal us rope ne SHAILA ko hi jakad liya tha..

itna hi nahi,us bijli ke rope ki shakti bhi SHAILA dwara utpaan kiye gaye power se kayi guna zyada thi jiski wajah se SHAILA ki haalat kuch hi seconds me kharab hone lagi thi..

wahin SHAILA ke baju me khade AKSHAANT aur MOKALSAR ki toh hairani ek alag hi level par chali gayi thi..

reason..

un dono ko ye toh pata chal hi gaya tha ki SHAILA ke prahar ko VIDEOUS ne hi moda hai par ye karne ke liye VIDEOUS ko naa toh koi spell bolna pada yaa fir man me kuch sochna pada tha..

uske sharir ne apne aap khatre ko sense kar us khatre ko usse create karne waale ke upar mod diya tha aur ye bohot hi badi baat thi kyunki aisa karte hue unhone sirf do logon
ko dekha tha..

VIKRAM aur ASMODEUS...

wo ye soch hi rahe the ki...


VIDEOUS-jinka naam tumhare andar gunja hai,mai baat sirf unse hi karunga...

isiliye tum teeno jaa sakte ho...


VIDEOUS ke aisa bolte hi SHAILA ko lapeta hua wo bijli ka rope gayab ho gaya jiske baad wo neeche baith gayi.

jahan AKSHAANT ne usse sahara dekar uthaya wahin MOKALSAR ne do man hi man do naam pukare jiske baad...


KADKADKADKAD....

KADKADKADKAD......


ek ke baad ek do baar bijliyan kadki aur fir un bijliyon ke beech se nikle DEFENDER....PROTECTOR.OF THE UNIVERSE...

aur BEELZEBUB.....THE HEIR OF WHITE ENERGY.....


prakat hone ke saath hi un dono ko yahan jo kuch bhi hua tha,wo pata chal gaya jiske baad wo dono bhi


kaafi hairan ho gaye....

wahin BEELZEBUB ko dekh VIDEOUS ke chehre par ek muskaan aa gayi....


BEELZEBUB-is baat se fark nahi padta ki tumhara satya kya hai???tumne ek ANGEL ko taklif pahunchayi hai aur iske liye tumhe dand milega...

VIDEOUS-ye kya tarika hua apne BHAI se milne ka..???


ye bol VIDEOUS BEELZEBUB ki taraf badha jisse dekh...


BEELZEBUB-apni jagah par khade raho ladke...agar aur aage badhe toh mrityu ko prapt kar jaaoge..


BEELZEBUB ki baat ko sunane ke baad bhi muskurate hue aage badhta chala gaya VIDEOUS jiske baad BEELZEBUB ne ek force ray uspar chhod diya..

is force ray me itni taakat thi ki ek mountain ko bhi beech se tod de...

wo force ray tezi se aage badhta hua VIDEOUS ke paas pahuncha aur...

wahin rook gaya.....aur aisa hote dekh BEELZEBUB ne ek ke baad ek kayi waar kiya VIDEOUS ki direction ki taraf par sabka wahi haal hua jo us force ray ka hua tha...

wahin DEFENDER bas ektak VIDEOUS ko dekhe jaa rahe the...

VIDEOUS chalta hua BEELZEBUB ke saamne jaakar khada ho gaya aur...


VIDEOUS-gale milo mujhse mere BHAI....


VIDEOUS ke aisa bolte hi jitne bhi waar BEELZEBUB ne kiye the,unke rays BEELZEBUB ke dono haathon par pade jiske baad BEELZEBUB apne aap aage badha aur VIDEOUS ke gale lag gaya...

usne bohot koshish ki khudko alag karne ki par wo kaamiyab nahi ho paaya..

kuch der tak gale lagne ke baad VIDEOUS BEELZEBUB se alag hua...

aisa hone ke bad BEELZEBUB ke haath toh neeche ho gaye par uski body waisi hi akdi hui thi jiski wajah se wo hil bhi nahi paa raha tha...

wahin jaise hi VIDEOUS BEELZEBUB se alag hua toh...


DEFENDER-sach batao,kaun ho tum...???


ye bolte hue DEFENDER ne apne ek haath se VIDEOUS ka kandha pakad liya aur wahan dabaw banane laga...

VIDEOUS-tumhe mujhe mujhse bina puche chhuna nahi chahiye tha...


VIDEOUS ke aisa bolte hi ek ajeeb baat hui..toh hua ye ki jo pressure DEFENDER VIDEOUS ke kandhe par bana rahe the,ab wahi pressure unhe apne kandhe par mehsoos hone laga aur wo bhi dogune force ke saath..

unhone apne haath ko VIDEOUS ke kandhe se hatane ki koshish ki par wo aisa kar nahi sake..

unhe aisa laga jaise unke haath uske kandhe par chipak gaye hain...

dekhte hi dekhte dard ki adhikta ki wajah se DEFENDER apne ghutno par aa gaye aur aisa hote dekh...

SHAILA, AKSHAANT aur MOKALSAR, teeno hi VIDEOUS ki taraf badhe par tabhi...

BOOM.....


jahan un teeno ke pair the,uske neeche tez dhamake hue jiski wajah se wo teeno udte hue piche ki taraf jaakar gire...

girte hi un teeno ne uthne ki koshish ki par tabhi,zamin ke andar se black energy ke bane ropes nikle aur unhone un teeno ko jakad liya..

itna hi nahi,black energy ke direct impact ki wajah se un teeno ko chetna bhi jaane lagi par tabhi....


KADKADKADKAD...

KADKADKADKAD....


firse do baar bijli kadki aur un bijliyon ke beech se prakat hue RONIT aur ANJALI.....


prakat hote hi ANJALI ke haath se ek energy beam nikli aur sidhe DEFENDER ke haath aur VIDEOUS ke kandhe par jaakar lagi jisse VIDEOUS ko kuch hua toh nahi par DEFENDER ka haath zaroor uske kandhe se detach ho gaya...

wahin RONIT ke aankhon se teen rays nikal un black energy se bane ropes par padi jinhone AKSHAANT, SHAILA aur MOKALSAR ko jakda hua tha aur aisa hote hi wo ropes gayab ho gayi...

RONIT aur ANJALI ke us jagah par kadam rakhte hi VIDEOUS ko unke ohde ke baare me pata chal gaya tha aur isiliye...


VIDEOUS-SEREPHIM ANGELS....acha laga aap dono ko dekh kar....ummid hai ki aapko bhi apne best friend ke bete se milkar khushi hui hogi...


VIDEOUS ki baat sun RONIT aur ANJALI man hi man chownke par unhone apne chehre se apni hairani zaahir nahi hone di...


RONIT-khushi tab hoti agar tum jaayaz hote...najayaz chizon se milkar khushi mehsoos nahi hoti...

VIDEOUS-ye nahi kehna chahiye tha aapko...dil par lag gayi aapki baat....

khair, ek taklif aapne mujhe di hai,toh ab ek taklif mai aapko dunga...


VIDEOUS ke aisa kehte hi uske kapdon se saanp ki shakal liye kayi saare layers RONIT aur ANJALI ki taraf aage badh chale...

wahin ANJALI jisse pehle se hi aisa kuch hone ka andesha tha, uske haath me bhi ek chote size ka BULLWHIP chamak utha...

(ek kism ka chabuk)

ye BULL WHIP usse VIKRAM ne gift ki thi aur isme uski shakti ke kuch ansh moujud the....

un layers ke paas aate hi ANJALI ne apne BULL WHIP ko zor se lehraya aur uske aisa karti hi BULL WHIP se energy waves nikle..

ye waves itne strong the ki jaise hi inhone VIDEOUS ke layers ko chhua,toh wo layers piche hatne lage...

aisa hote dekh ANJALI ne aur zor se apne BULL WHIP ko ghumana shuru kiya..aisa hone par uske beech se tez kirane nikal VIDEOUS ki taraf badhi..ye kirane ek pure suraj ki urja se bhi zyada taakatwar thi...

par jaise hi wo kirane VIDEOUS ke kareeb pahunchi toh VIDEOUS ne apni ek ungli tezi se gol gol ghumana shuru kiya..

aur uske aisa karte hi uske ungliyon ke beech se bhi waves nikli par inki shakti ANJALI ke BULL WHIP se paida hui wave se zyada thi..

un waves ke beech ek hole paida hua jiske andar ANJALI ke chhodi hui kirane samakar gayab ho gayi..

apne itne ghaatak prahar ko yunhi waste jaata dekh ANJALI hairan hui par uske agle hi pal usne apne BULL WHIP ko ek baar zor se lehraya aur chhod diya...

ek neeli rang ki tarang jo ki asal me ek bohot hi deadly poison tha,wo us tarang me banana shuru ho gaya tha..

us poiaon ki khubi ye thi ki wo environment ke hisaab se failkar apne aap hi apne target ki body me ghus jaata tha...

ANJALI ke us tarang ko banate hi ek aur cheez hui... aur wo ye ki RONIT ko ab tak shaant hi khada tha,uske haath me ek BLUNT STAVE aa gaya...

(ek kism ka staff jo RONIT ko ASMODEUS ne gift kiya tha)

is staff me ek galaxy jitni urja thi... ANJALI ke tarangon ke beech RONIT ne apne BLUNT STAVE ko ghussa diya jiske baad un tarangon me jo vish tha,uski power 10 times aur badh gayi....

saath hi unke flow ka speed bhi badh gaya tha..ab wo poison lightning speed ke saath travel kar sakte the...

apne STAVE ko us tarang me ghussa RONIT ne ek jhatka diya jiske baad un tarangon ke beech se nikalta poison chaaron taraf se VIDEOUS ko gherta hua uski taraf badha..

wahin aisa hote dekh VIDEOUS apni jagah par tezi se ghum gaya jisse uske sharir se bhi behad shaktishali tarang nikle aur un tarangon ne paas aa rahe poison ke asar ko khatm karna shuru kar diya aur kuch der baad jab VIDEOUS ne ghumna band kiya,toh wo saara poison khatm ho chuka tha...

par in sabke beech VIDEOUS ANJALI aur RONIT se behad prabhavit hua aur isiliye ghumna rookte hi..


VIDEOUS-impressive...maine toh socha tha ki aap dono ki aatma ko nigal jaaunga par aap mere ummidon se zyada kaabil nikle...

jaaiye,maine aap dono ko jeeven daan diya....


haath ko jhatakte hue VIDEOUS ne ye baat kahi jispar ghusse se bhar ANJALI apne BULL WHIP ki puri Shakti ka istemal VIDEOUS par karne hi waali thi ki par tabhi...

VIDEOUS ne is baat ko sense kar liya tha aur isiliye uske mookh se pehli baar ek spell nikla...


SOUMEVIZATA DUTIYE SHAKITIYEM....

SEIZE WITH BOTH THE POWERS.....


VIDEOUS ke spell ke bolte hi uske sharir se ek moti kaali ray nikal ANJALI aur RONIT ki taraf badh chali..

kyunki ye ray kaali thi,matlab black energy ki thi, isiliye RONIT aur ANJALI thode relaxed the kyunki wo dono hi SERAPHIM ANGELS the jinpar black energy kaam nahi karti thi par jaise hi wo ray un dono ke kareeb pahunchi tab un dono ko laga jhatka..

reason...

kyunki ray ke paas aate hi un dono ko hi us ray ke andar chuppe WHITE ENERGY ke kan bhi sense ho gaye jisse feel kar dono ka dimag thanka par ab thodi der ho chuki thi kyunki isse pehle ki dono react karen,un rays ne apni speed ko double kar un dono ko jakad liya tha...

aur aisa hote hi un dono k shashtr unke andar chale gaye...

par jakde jaate hi apni shakti ko release kar un dono ne chhutne ki koshish ki...

par jab wo kaamiyab nahi hue toh unhone apni shakti ka daayra badhana aarambh kiya jisse dekh VIDEOUS ke chehre par muskaan aa gayi...

reason..

kyunki wo jaanta tha ki jo RONIT aur ANJALI kar rahe hain,usse wo dono azaad toh ho jayenge,par is chakkar me wo is universe ka acha khaas band baja denge aur is universe ke karta dharta LORD OF ANGELS aur THE CREATURE OF JUDGEMENT aisa kaise hone de sakte the jiska matlab tha ki jis ghadi ka usse intazar tha,wo aane waali thi...

aur hua bhi waisa hi jaisa VIDEOUS soch raha tha...

khudko chhudaane ke liye dono ne apni shaktiyon ka ek bohot bada bhaag release kar diya tha jiski wajah se aas paas ke kayi light years ki doori par bane Planets, astroids barbaad ho gaye...

ye toh acha tha ki is waqt wo jahan the, wahan se 1000 light years tak koi living planet nahi tha par ab dheere dheere un dono ki access shakti ke release hone ki wajah se ye doori bhi bohot jald khatm ho jaane waali thi...

wahin in sabse alag BEELZEBUB toh bas bina hile dule ye sab hote dekhne ke siwaye kuch kar sakta tha nahi, DEFENDER bhale hi VIDEOUS ke grip se aazad ho chuke the,par uska asar ab bhi unpar tha aur isiliye hi wo zamin par gire lambi lambi saansen le rahe the..

zamin par sirf DEFENDER hi nahi balki AKSHAANT, SHAILA aur MOKALSAR bhi pade hue the jinke ANGEL forms black energy ke rays ki chapet me aane ki wajah se bohot kamzor ho gaye the aur issi wajah se wo teeno bhi is waqt khud ko thik kar rahe the..

aur in sab baaton ke pare ANJALI aur RONIT apne aap ko 50 percent tak chhudane me kaamiyab bhi ho gaye the aur isiliye baaki ke 50 percent ko kaam me laane ke liye un dono ne apni bachi shakti ko release karne ki sochi bina is baat par dhyan diye ki unke aisa karte hi unke power ki chapet me kuch living planets bhi aa jaayenge...

apne aap ko shaant kar apni puri shakti ko release karne ke liye dono spell bolne hi waale the ki tabhi.....


BOHOT HUA......


ek zordar awaaz se pura mahoul gunj utha jisse sunte hi ek taraf ANJALI aur RONIT azaad ho gaye, dusri taraf DEFENDER ka dard jaata raha aur BEELZEBUB ki body bhi release ho gayi,teesri taraf AKSHAANT, SHAILA aur MOKALSAR ki thakan bhi puri tarah gayab ho gayi aur wo apne pairon par khade ho gaye par in sabse alag chowthi taraf tha hamara VIDEOUS jiske chehre par ek vijayi muskaan tair rahi thi..

ussi muskaan ko liye wo piche palta aur pehli baar usne dekha apne hone ke do sabse mahatvpurn kaaran ko...apne dono pitah ko....


VIKRAM aur ASMODEUS.....








AAJ KE LIYE ITNA HI....








AAPKA APNA V...J....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI, ALFREEN, MABEL AUR VALDIS APNE APNE SOUL KO EK BAAR FIRSE AMPLIFY KARNE ME KAAMIYAB HO JAATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VIDEOUS KE SAAMNE VIKRAM AUR ASMODEUS PRAKAT HOTE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




MEGA UPDATE-50



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS




LAST DAY OF PHASE 1:-




BRILLIANT WORD AB CHOTA LAGTA HAI TUMHARE TALENT KE SAAMNE MAHI....


behad khushi se ye baat kahi thi VIOLET WHIZZ ne...

reason..

aaj first PHASE ke aakhri din MAHI ne ek baar firse apne SOUL ko amplify kiya tha aur ab wo 8 percent SOUL AMPLIFICATION ki holder thi..

VIOLET WHIZZ ke baad baaki teeno WHIZZ aur WHIZZDER ne bhi MAHI ko congratulate kiya aur unke baad sabhi SAVENTS ne...


VIOLET-waqt ho gaya hai SAVENTS...aap sab counciling hall me pahunchiye....


VIOLET WHIZZ ki baat sun sabhi SAVENTS hall ki taraf nikal gaye...

reason...

khud dekh lijiye....


GOOD MORNING EVERY BODY...


first PHASE ke counciling hall ke andar ghuste hue chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne saamne dekhte hue wahan moujud sabhiko wish kiya....

sabhiko....is waqt us hall me sofas lage hue the,jinke ek bhaag me DISCHOLARS aur unke saath unke parents bhi baithe hue the wahin dusri taraf baithe the HOSTLERS jo ki as told orphans the...

kehne ka matlab hai ki filhal abhi yahan first PHASE SAVENTS aur unke parents aaye hue the..

reason...

ye bhi khud dekh lijiye...


VIOLET-aap sabhi parents ka shukriya ki aap sab humare bulane par aa yahan aaye hain...

aapka zyada waqt na lete hue mai point par aati hun....

darasal aaj aapke bacchon ke FIRST PHASE ka aakhri din hai..iske baad classes 1 mahine ke liye off ho jaate hain...

aur is ek month ke baad shuru hoga aapke bacchon ka second PHASE..

ye baat toh aapke bachhon ne aap sabko bata di hogi ki next PHASE me pahunchne ke liye unhe paas nahi hona padta...

aur wo isiliye kyunki koi exam ka procedure yahan follow nahi kiya jaata balki aapke bacchon ke is PHASE ke performance ke base par hi unhe next PHASE me catagories ke hisaab se baanta jaata hai..

aapko ye bhi pata hoga ki next PHASE teen catagories me banta hua hai aur ussike baare me baat karne ke liye humne aap sabko yahan bulaya hai...

OPHILIA-darasal baat ye hai ki is PHASE ke khatm hote hi aap sab abhi tak jin ABODES me reh rahe the,aapke bachhon ke second PHASE ke dauran wo ABODES aapka ghar nahi honge..

wahan next month se jo first PHASE me new SAVENTS honge,wo SAVENTS apne family ke saath rahenge...


OPHILIA WHIZZ ki baat sun sabhi parents chownke aur....


FLORIN-toh fir hum sa kahan rahenge...???

NOX-hum issi baat par aa rahe hain...

darasal aapke bacchon ka jo is PHASE ka performance raha hai,uska asar next PHASE me sirf unpar hi nahi balki aap sab par bhi hoga...

kehne ka matlab ye hai ki har catagory ki ek life style hai aur jis bhi catagory me aapke ward honge,aap sabko bhi us catagory ke hisaab se hi life style jeena hoga...


NOX ki baat ka matlab parents thik se samjhe nahi the,aur unke chehre par unki confusion saaf dikh rahi thi aur isiliye...


OMMIN-second PHASE...sabse pehle aap is PHASE ke baare me jaan lijiye...

actually second aur third PHASE interconnected hain...

aap sab jab SWEEP-STAKE COMPETITION ko dekhne gaye the,tab aap sabne PHASE 2 aur 3 ko cross kiya tha par jis raaste se hote hue aap sab us STADIUM me pahunchne the,wo raasta PHASE 2 ki boundry ke baahar ka tha..

aur us boundry ke andar ka nazara aisa hai jaisa aapne socha bhi nahi hoga..

darasal PHASE 2 aur 3 apne apne aap me ek puri duniya hai jiska daayra ek bade sheher jaisa hai..

aur wahan ki life bhi aap sabke Planets ke shehron jaisi hi hai..

aap sab jin Planets se aaye hain,wahan ke sheher me teen kism ke log hote hain.. rich, middle class and poor...

PHASE 2 bhi aisa hi kuch hai.. STELLARS matlab rich, GROOMERS matlab middle class aur WEAKLINGS matlab poor...

bas inke asar aur prabhav kuch zyada hain...

PHASE 2 me sirf padhayi nahi hoti balki aapke planets ki hi tarah wahan bhi clubbing, shopping aur alag alag tarah ki social activities hoti hai aur STELLARS in saari activities ko bina kisi rok tok ke enjoy karte hain..

us PHASE me STELLARS aur unke parents ki ek alag respect hoti hai..

is PHASE ki tarah us PHASE me bhi STELLAR SAVENTS aur unke parents ek bade se ABODE me hi rahenge aur saath hi har luxurious belonging par unka hak hoga...

wahin GROOMERS SAVENTS aur unke parents middle class zindagi jeete hain..

chizen unhe us PHASE me bhi allot hoti hain par wo allotment limited hota hai...

unpar restrictions hote hain...wo free hokar us PHASE me har jagah nahi ja sakte aur naahi class ke baahar kisi STELLAR SAVENT se behes kar sakte hain...

aisa karne par punishment ke taur par unse unke mile hakh par katouti hoti hai..

aur agar aisa nahi bhi hua,tab bhi ek GROOMER ko STELLARS ki taraf se problem ho sakti hai..

second PHASE me GROOMERS aur unke parents ko ek normal size ka ghar allot hota hai jisme saari normal stuff hi hote hain jaisa ki ek middle class ghar me paaya jaata hai...

and lastly aate hain WEAKLINGS jo ki poor catagory me gine jaate hain..

is catagory me aane waale SAVENT aur unke parents ki life bohot zyada tough hoti hai..

jahan ek taraf GROOMERS aur STELLARS ke ghar me first PHASE hi ki tarah cheezen automatically aa jaati hai wahin ek WEAKLING ke ghar me har kaam manually karna padta hai...

infact WEAKLING SAVENT aur uske parent ko koi ghar nahi balki ek chota sa quarter allot kiya jaata hai jahan electricity bhi nahi hoti...

us PHASE me ek WEAKLING SAVENT ke parents ke paas koi adhikar nahi hote...unhe koi suvidha nahi milti aur aur naahi wo us PHASE ke kisi bhi social activity me bhaag le sakte hain aur naahi us jagah ke influencial jagahon par jaa sakte hain....


OMMIN WHIZZDER ki baat sun sabhi parents aur SAVENTS ke mooh khul chuke the.. aisa bhi kuch kahin ho sakta hai,ye unhone kabhi nahi socha tha aur isiliye...


MARIA-ye ek institution hai.. bhale hi advanced hai,aloukik hai par hai toh sikhne ka ek mandir...

aur har teaching institution me sabse important aur must hota hai unity....

jo wahan ke teachers,experts wahan padhne waale bacchon ko sikhate hain..

aur aapne itni important chiz ko hi rectify kar diya hai...

VIOLET-hum aapke jasbaat samajhte hain.. par ek baat aap logon ko bhi samajhni zaroori hai aur wo ye ki kisi bhi institution aur CHOSENS me zamin aaamaan ka fark hai..

ye apne aap me ek single master piece hai..aisa dusra kahin nahi hai..

aur naahi kahin aur ek saath ek hi chhat ke andar GOD GIFTED bacche padhte hain..

jin catagories ke baare me humne aap ko bataya hai,uske rules humne tay nahi kiye hai par haan,kisi waqt hum sab bhi us daur se guzar chuke hain..

its tough out there par yahi yahan chalne waale prograame ka route hai...

aur wo route,wo niyam aajse 25 thousand years pehle jab ye institution bana aur iska first batch yahan aaya,tabhi tay kar diya gaya tha aur har batch ka SAVENT aur uske parents is daur se guzar chuke hain...


VIOLET WHIZZ ki baat sunane ke baad kisi ke bhi paas bolne ke liye kuch nahi bacha tha..

waise toh wahan moujud har SAVENT aur SAVENTS ko mom dad personally safe hi the kyunki hat SAVENT yaa toh STELLARS me chun liya gaya tha yaa fir GROOMERS me siway ek ke....

aur is waqt us ek ki aur uske parents ki haalat aur kharab thi...

BRAWNY aur uske parents kyunki ek unhi ka baccha tha jo filhal WEAKLING tha jiska matlab tha ki ab unhe bhi uske saath PHASE 2 ke struggle ko jhelna tha...

wahin BRAWNY ko apne mom dad ke liye bohot bura lag raha tha..

aur wo isiliye kyunki unke suffer karne ka main kaaran woh khud tha..

kyunki usne khudko proove nahi kiya tha, isiliye hi uske parents itne bure din dekhne waale the..

wo ye sab sochkar aur sad ho gaya tha par wo nahi jaanta tha ki abhi toh usse sirf bura lag raha hai,par ab aage jo baat batayi jaayegi, usse uski fatne bhi waali hai....


OPHILIA-ek baat aur...abhi tak jitni baatein batayi gayi ye institution ke baahar ki baatein hain...

par sabse important baat ya fir ye kahen ki change second PHASE me institution ke andar hoga...

aur wo aise ki second aur third PHASE me sirf ek hi rule hai aur wo ye hai ki THERE IS NO RULE...

wahan kisi bhi chiz ki paabandi nahi hai..kuch bhi sahi yaa galat nahi hai.. agar kuch important hai,legal hai toh wo hai power...

is PHASE me SAVENT ki har activity par nazar rakhne ke liye censors lage hain par us PHASE me aisa kuch nahi hai..

aap logon ne apni apni apni duniya me suna hoga ki bully karna galat hota hai...

par second aur third PHASE me aisa kuch nahi hai...baat agar jaan jaane tak nahi pahunchi,toh koi bhi SAVENT kisi bhi SAVENT ke saath kuch bhi kar sakta hai aur iski koi punishment bhi nahi hai...


(yahi wajah thi ki MARILIZA ya kisi aur ko RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER ke baare me pata nahi chala kyunki everything is legel in that zone)


OMMIN-ek tarah se ye keh sakte hain ki second PHASE me jungle raaj chalta hai aur isiliye hi us PHASE me sab groups me ghumte hain aur har group chaahta hai ki uske group me sabse powerful SAVENTS rahe taaki us group ka dabdaba bana rahe...

(ab samjhe kyun ANWIR aur MORANA MAHI ko apne group me shaamil karma chahte the..)


NOX-jaisa ki kuch der pehle bataya gaya tha ki PHASE 2 aur 3 interconnected hain isiliye PHASE 2 me PHASE 3 ko achi khaasi dakhal hoti hai...

aur waise bhi un dono PHASE ka daayra juda hua hai, isiliye institution me aur baahar in dono PHASE ke SAVENTS ane saamne hote hi rehte hain...

(isiliye ALFREEN, MABEL aur MAHI ko ANWIR aur MORANA ne dhamki di thi...)


is naye khulase se BRAWNY hi kya sabki hi haalat kharab ho gayi thi..

ab bhai bhale hi koi banda kitna hi hunar mand yaa takatwar kyun naa ho par agar kisi jagah par jungle raj hai toh iska matlab hai ki kabhi bhi,kahin bhi kisi ki bhi lag sakti hai..

zaroorat hai toh bas ek proper plan ki jisme taakatwar se taakatwar banda fas bhi sakta hai aur uski har taraf se fath bhi sakti hai...


NOX-hum jaante hain ki hamari baaton ko sun aap parents ko aur aap SAVENTS ko next PHASE ke liye dar lag raha hai aur isiliye aap sabke paas ek extra option hai...


NOX ki baat sun sabke chehre unpar aakar tik gaye the...


NOX-option ye hai ki agar aap chahen toh apne bachhon ko lekar yahan se wapas apne Planets jaa sakte hain..

hostlers,aap ye faisla apne liye le sakte hain par agar aisa hua toh fir aapke bachhon ka wo extra ordinary dimag jiski wajah se wo yahan pahunche hain,unse le liya jaayega...

kehne ka matlab hai ki wo sab bhi unke planets ke baaki logon ko tarah normal ho jayenge...


khoon ka swad chakhne ke baad koi carnivorous jeev bina usse dobara chakhe yaa fir ye kahun ki lagatar chakkhe reh nahi sakta aur waisa hi kuch yahan ke SAVENTS ke saath tha...

itni adhbhudh chizen un sabne experience kar li thi ki uske beena jeena shayad un sabke liye ab possible nahi tha aur isiliye hi sabne apne apne parents ko convince kiya ki wo yahin rahenge..

wahin BRAWNY jo ek WEAKLING banane waala tha,uske baad bhi wo apni duniya me nahi jaana chahta tha aur isiliye hi usne bhi apne mom dad ko yahan rehne ke liye convince kar liya...

dusri taraf hostlers jo ki orphans the,unhe toh kisise puchne yaa kisiko manane ki zaroorat thi nahi aur isiliye wo sab bhi yahin rehne ke liye maan gaye....

sabne apna ek mat faisla WHIZZES aur WHIZZDERS ko bataya jisse sun...


VIOLET- alright then..enjoy your holidays...jab aapke shifts ka waqt aayega toh aapko inform kar diya jaayega...


ye bol WHIZZES aur WHIZZDERS hall se nikal gaye aur unke piche piche ek ke baad ek saare parents aur SAVENTS bhi apne apne destinations ki taraf chal pade....





THE FLASHBACK CONTINUOUS



PLACE-THE DARK UNIVERSE




JO KARTE AAYE HAI SAMAST PAAPIYON KA DAMAN....

DONO SARVSHAKTIMAAN KO VIDEOUS KA NAMAN....



apne dono haathon ko jodte hue VIDEOUS ne ASMODEUS aur VIKRAM ko naman kiya jispar un dono ne kuch der tak VIDEOUS ko dekha aur fir...


VIKRAM-chahte kya ho VIDEOUS...???YUDH...!!!!

VIDEOUS-VIDIOUS...bhale hi ye naam mera hai,bhale hi ye naam aap dono ke naamon ko jod kar bana hai par aap dono ke mooh se ye naam sun mujhe acha nahi laga...

VIDEOUS ki jagah putr kehte toh dil khush jo jaata mera..???

ASMODEUS-dil...!!!!hum tumhe aar paar dekh sakte hai VIDEOUS..dil sirf naam ka hi hai tumhare paas...

aur rahi baat tumhare humare mookh se khudke liye putr sunane ki toh putr ansh se nahi vyaktivt se bana jaata hai...

aur tumhare paas wo vyaktivt nahi hai jisse tum hamare kya,kisi ke bhi putr kehlaane ke laayak bano...

VIDEOUS-vyaktiv bhale hi naa ho par laayak toh mai hun..itna laayak ki wo dono GOD'S SON jinse kuch nahi chhupta,wo bhi mere dimag ko padhne me asamarth hain...

sahi kaha naa FATHER ....


VIKRAM ko dekhte hue kahi ye baat VIDEOUS ne jispar...


VIKRAM-ek sawal pucha tha maine tumse..???kya tum yudh chahte ho...???

VIDEOUS-kya faayda yudh kaa..???jeet toh sakta nahi mai aap dono se...???mrityu nischit hai meri...

par......haan,mai yudh hi chahta hun...


apni baat bolte bolte hi VIDEOUS ke sharir me vibrations hone lagi...

ye koi maamuli vibrations nahi thi...

in vibrations se paida hone wale tarang itne ghaatak the ki ek second me wo tarang karodon kilometers ki doori tay kar sakte the..

itna hi nahi,har cheez jo is tarang ki chapet me aayegi,wo nasht ho jaayegi...

itne deadly vibrations ko release kar jab VIDEOUS ne apne saamne dekha toh paaya ki uske dono FATHERS defence ke liye bina kuch kiye chup chaap khade hain aur iska kaarna bhi usse agle half a second me pata chal gaya.

aur wo isiliye kyunki uske chhode tarang kahin gaye hi nahi balki ek saamanya doori par pahunchte hi absorb ho gaye..

aur ye absorb hue the us SHIELD se jisse VIKRAM ne tab chaaron taraf laga diya tha jab ASMODEUS VIDEOUS se baat kar raha tha..

us SHIELD ki wajah se VIDEOUS ke tarang kahin gaye toh nahi par uske asar ko absorb karte karte wo SHIELD toot gayi aur aisa hote dekh VIKRAM aur ASMODEUS ko VIDEOUS ke urja ki shakti ka andaza ho gaya..

akhir wo urja thi bhi un dono ki hi...


VIDEOUS-behatarin FATHER....hairat ki baat nahi hai ki kyun aapki door drishti ka koi saani nahi raha hai,ab tak....


dheere se rook kar aakhri me abtak kaha VIDEOUS ne maano VIKRAM se keh raha ho ki ab uski takkar ka koi aa gaya hai..


wahin VIDEOUS ki baat sun muskura diya VIKRAM aur...


VIKRAM-tumhe pata hai naa ki jis urja se tum yudh kar rahe ho,wo hum dono bhaiyon ki hai..

aur ye hume nuksaan nahi pahuncha sakti..toh agar tumhe hume koi nuksaan pahunchana hai toh apne andar chuppe BLACK energy ka istemaal karna hoga....

VIDEOUS-itni bhi kya jaldi hai BLACK ENERGY se ladhne ki..pehle apni urjaon ke waar ko toh sambhal
lijiye...


VIDEOUS ne apni baat puri bhi nahi ki thi tabhi uske sharir se ek ke baad ek saath roop nikle aur wo saathon roop DEFENDER, BEELZEBUB,RONIT, ANJALI,SHAILA, AKSHAANT aur MOKALSAR ki taraf badhe wahin asli VIDEOUS ne meri aur ASMODEUS ki urja se do gurutwakarshan balls banaye aur hamari taraf chhod diye...

in balls ki sabse khaas baat ye thi ki ye sirf apne target ko khudme kheenchte nahi the,balki apne target ki saamne chal rahe scenes ko bhi alag alag tarah se uske saamne reflect karte the taaki unki aankhen bhramit hokar ek hi waqt par alag alag chiz dekhe aur alag alag tarah ke un khatron ko mehsoos kare jo asal me the hi nahi aur issi ka faayda uthakar wo balls apne target ko kaid kar len..

ek aala darje ka behatrin jaadu....

aur ye sab dekh VIKRAM aur ASMODEUS bhi muskura diye...

ab wo dono bhramit toh hone se rahe par un gigentic magnetic balls ki urja ko jo hamari hi thi,obsorb karne me thoda waqt lag jaana tha aur is dauran aage kya chal raha hai,wo dono ye naa dekh sakte aur naahi sense kar sakte the..

par kyunki is waqt VIDEOUS ne apne saath clones saathon angels par chhode the, isiliye unhe us taraf bhi dhyan rakhna tha aur isiliye...

ASMODEUS ne apne sharir se kuch urja baahar nikali aur same chiz VIKRAM ne bhi ki...

in urjaon ki khubi ye thi ki ye apne jaise kisi bhi shakti ko uske prabhav ke saath khudme mila leti thi....

aur wahi hua,kuch hi seconds me un dono ki urja ne un magnetic balls ki urja ko sokh liya jiske baad wo balls gayab ho gaye aur aisa hone par jab VIKRAM aur ASMODEUS ki nazar saamne gayi toh unhone dekha ki VIDEOUS ke saathon roopon ne RONIT aur ANJALI ko chhod baaki paanchon ki urja ko kaafi hadh tak khatm kar diya hai aur agar aisa hi kuch der tak aur chala toh wo paanchon kaafi mushkil me padh sakte hain wahin RONIT aur ANJALI waise toh VIDEOUS ke dono roopon se kaafi achi tarah ladh rahe the par isse unki kaafi urja lagatar baahar nikalkar original VIDEOUS me samati chali jaa rahi thi jo ki un dono ke liye aage chalkar ghaatak ho sakta tha...

aur isiliye VIKRAM aur ASMODEUS ne turant apne haath aage kiye jiske baad unke haathon se do urja ke gole nikal aage badhe aur jaise hi un golon ne un saathon VIDEOUS ke roopon ko chhua toh wo roop gayab ho gaye yaa fir ye kahun ki unka anth ho gaya....

par tabhi....


VIKRAM-ASMODEUS.....jaldi karo...


chillate hue VIKRAM ne ye baat kahi jiske turant baad ASMODEUS aage badha aur agle hi pal...

VIKRAM aur ASMODEUS ek ho gaye....

aur ek hote hi dono ka wo bhaag jisme ASMODEUS tha,usne apni aur VIKRAM ki urja ko ek kar apna haath aage kar diya toh wahin dusra hissa jo khud VIKRAM tha,usne apne SWORD ka awahan kiya aur uske aisa karte hi uske ek haath me uski SWORD aa gayi....

par ye sab kyun.??aaiye pehle jaan lete hain...

toh baat ye thi ki un magnetic balls ke gayab hote hi VIKRAM aur ASMODEUS ki nazar jab saamne padi toh unhone dekha ki VIDEOUS gayab ho chuka hai par fir jab unhone un saath nakli VIDEOUS par apni rays chhodi aur wo gayab hue toh VIKRAM aur ASMODEUS ko saara khel samajh me aa gaya...

darasal jab ASMODEUS aur VIKRAM ne VIDEOUS ki magnetic force waali balls ko obsorb kiya aur saamne dekha toh paaya ki asli VIDEOUS gayab tha...

sirf gayab hi nahi,un dono ko uski urja ka koi kan,uske andar moujud BLACK ENERGY ka AURA, kuch bhi mehsoos nahi hua jiska sirf ek hi matlab nikalta tha ki VIDEOUS chakma dekar bhaag chuka tha..

aur fir jab VIKRAM aur ASMODEUS ki urja ray ne un saathon dummy VIDEOUS ko chhua toh uske agle hi pal asli VIDEOUS ki urja aur BLACK ENERGY ko un dono ne dobara mehsoos kiya aur aisa hote hi unhe do baatein pata chali...


pehli...asli VIDEOUS ne un saathon dummy VIDEOUS ke andar apne jeeven kan daal diye the aur saath hi un saathon ke sharir se connect karte hue apne andar chuppe BLACK energy ke AURA ko release kar diya tha..

aur jaise hi VIKRAM aur ASMODEUS ke urja ne un saathon ko chhua toh ye illusion bhi gayab ho gaya...

dusri baat jo ki behad khatarnaak thi aur jisko jaankar hi VIKRAM ne cheekhte hue apne bhai ka naam pukar usse khud ko jod liya tha wo ye tha ki is pure period me VIDEOUS ek jagah par baitha hua apne urja aur BLACK ENERGY ke mishran ko pure universe me bhej raha tha...

aur ye behad hi ghaatak baat thi kyunki agar aisa ho jaaye toh fir har jeevit praani VIDEOUS ke hisaab se hi kaam karta..

har living being VIDEOUS ka puppet ban jaata....

aur isiliye ab VIKRAM aur ASMODEUS ke paas VIDEOUS ke astitv ko mitane ke alawa aur koi chaara nahi tha par kyunki VIDEOUS un dono ke sammilit shakti se bana tha, isiliye hi dono is waqt ek hokar waar kar rahe the...

jahan ek taraf ASMODEUS ke dwara chhodi gayi urja sidhe VIDEOUS ki samast urja ke upar padi wahin uske agle hi pal VIKRAM ke haath se uski takwar chutti aur...


KHAACHHH.....

AHHHH......


VIDEOUS ko seene ko beech se cheerti hui wo talwar uske peeth me jaakar fas gayi....

wahin VIDEOUS jo ab tak invisible tha,is dohare waar ki wajah se ab wo visible ho gaya...

behad tez dard ki jhalak thi uske chehre par aur aankhen ab tak band thi...

chalte hue VIKRAM aur ASMODEUS uske paas pahunche par tabhi....

VIDEOUS ne apni aakhen khol di aur aisa hote hi uske chehre par dard ke saath saath ek chamak bhi aa gayi jisse dekh...


VIKRAM-RIVADAANESUNA...

HOLD THE POWERS..


achanak situation itni kathin ho gayi thi jiski wajah se LORD OF ANGEL ko bhi spell uccharit karna pada jisse sun RONIT, ANJALI samet sabhi shocked ho gaye...

wahin VIKRAM ke dwara bole gaye spell ki wajah se VIDEOUS ke sharir se eject hoti uski urja wahin rook gayi...

uska wo astitv jo khatm hone hi waala tha,wo bhi theher sa gaya aur aisa hote hi...

HAHAHAHAHA....


dard aur khushi ki mili jhuli asar ke beech has diya VIDEOUS jisse sun saathon angels aur hairan reh gaye...


RONIT-kya hua V..J...???tumne apne waar ke asar ko rok kyun diya...???

VIDEOUS-arre arre,bura lag raha hai...chalo,mai hi tumhari iccha puri kar deta hun...


ye bol VIDEOUS khud apni pranshakti tyaagne ko hua par tabhi...


VIKRAM-chahte kya ho VIDEOUS...???


VIKRAM ki baat sun sabhi angels aur hairan ho gaye jispar...???


ANJALI-V.J..ho kya raha hai..???

ASMODEUS-VIDEOUS ne apni puri urja ko jo ki hum dono se hai, BLACK ENERGY ke saath milakar is bramhaand ke har living PLANET ki magnetic field ke saath jod diya hai...

ab agar VIDEOUS ka astitv mita toh har living PLANET ka magnetic field unstable ho jaayega jiska matlab hai...


SAB-MANUSHYA JAATI KA ANTH....









AAJ KE LIYE ITNA HI.......








AAPKA APNA V...J....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF CHAARON WHIZZES AUR WHIZZDERS SAVENTS AUR PARENTS KO NEXT PHASE KE BAARE ME JAANKARI DETE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VIDEOUS NE APNI CHAAL CHAL DI HAI.


AB AAGE:-


CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




MEGA UPDATE-51




PLACE-THE DARK UNIVERSE



FLASHBACK CONTINUOUS.....






MANUSHYA JAATI KA ANTH...



saathon angels ke mooh se ek saath ye shabd nikle jisse sun...


VIDEOUS-HAHAHAHAHAHA.....

bilkul sahi..aur ab aisa hokar hi rahega....jis BRAMHAAND me VIDEOUS nahi,us bramhaand ke hone naa hone ka kya mol...???

VIKRAM-apne betuke tark apne paas rakho VIDEOUS...agar tumhe aisa karna hi hota toh tum ab tak ye kar chuke hote....

tum aur tumhare zariye tumhare andar chhupi BLACK ENERGY bas mujhe aur ASMODEUS ko chota dikhana chahte ho..

hume harana chahte ho...jab tak tum dono ye nahi kar lete,tum is bramhaand ko koi nuksaan nahi pahunchaoge...

VIDEOUS-adbhudh FATHER.. adbhudh..bina mere mastishk ko padhe bhi aap mere aur mere andar chuppe BLACK ENERGY ki chahat,khawahish ke baare me jaante hain...

isiliye hi toh mujhe garv hai ki mai aapka putr hun...

ASMODEUS-mudde ki baat karo VIDEOUS...chahate kya ho tum..???

VIDEOUS-wahi jo FATHER ne kaha...mai aap dono ko harana chahta hun......


jaise BLACK ENERGY ke aapke andar hone ke baad bhi aapne ek khel racha,aur us khel me jagah jagah apne bhai ke liye hints chodde taaki wo aapko BLACK ENERGY se azaad kara sake,aur fir unhone us asmabhav dikhne waale kaarya ko bhi sambhav kar hi diya..

aur aisa kar aapne apni sammilit buddhi ko pure bramhaand me shreshth saabit kiya,thik waise hi,

ab mai ye saabit karna chahta hun ki BRAMHAAND me sarvshresta aap dono nahi,mai hun....

aur jaise hi ye mai saabit karunga,aap dono ka varchasv, aapka rutba aur sabse mahatvpurn,aapka maan samman,sab apne aap niche gir jaayega...

aur yahi mera aur mere andar vaas kar rahe BLACK ENERGY ka maksad hai...


VIDEOUS ki baat sun saathon angels aur khaas kar RONIT aur ANJALI ka dimag ghum gaya..

kyunki VIKRAM unke liye LORD OF ANGELS baad me tha par sabse pehle wo unka dost tha..unka sabse pyara dost jiske liye wo haste haste apni jaan de sakte the..

sadiyan beet chuki thi unhe apne maanav sharir ko chhode,saari bhaavnaaye waqt ke saath kartavyon ke marg par neeche dab gayi par VIKRAM ke liye unka pyar,unka samman ab bhi utna hi tha yaa fir ye kahun ki ab wo samman aur badh chuka tha aur isiliye VIDEOUS ki baat khatm hote hi wo dono kuch kehne ko hue par VIKRAM ne unhe man hi man shaant kara diya....

wahin apni baat ko aage badhata hua...


VIDEOUS-par mujhe pata hai ki sidhe tour par ye mumkin nahi hai...aur isiliye.....

agar aap dono apne pyare bramhaand ko bachana chahte hain toh aisa hone dene ke liye meri kuch shartein hain...

ASMODEUS-bolte jaao,hum sun rahe hain...

VIDEOUS-meri pehli shart...

mai ek khel rachunga..us khel ka har niyam mere hisaab se hoga aur aap dono ko mere khel me mere niyamo ke hisaab se chalkar mujhe harana hoga...

manzoor hai...???

ASMODEUS/VIKRAM-manzoor hai...

VIDEOUS-aapke(ASMODEUS) BLACK ENERGY ko tyagne ki wajah se bramhand me BLACK ENERGY ko failane waale sabhi DEVIL'S bhi khatm ho gaye...

wo samuh ab fir banega par ek alag andaz me....

sabse pehle aap dono sabhi angels ko white energy ki shakti ko balance me rakhne ke unke daayitv se unhe azaad karenge...


VIDEOUS ki baat sun saathon ANGELS chownke aur kuch kehne ko hue par VIKRAM ne ek baar phir man hi man un sab ko shaant rehne ko kaha...

wahin apni baat ko aage badhate hue....


VIDEOUS-toh khel kuch yun hoga ki aap dono ek institution banwayenge..

ek educational institution jahan bramhaand ke har living PLANET me paida hone waale sabse aala dimag ke bacche padhenge...

in baccho ki rachna aap yaa aapke pitah apne hisaab se kar sakte hain....

uske baad.....


(writers note-fir VIDEOUS ne us school me kis tarah se magic ko padhaya jaayega ,uske PHASES aur unme use hone waale niyamon ke baare me bataya....

wahi niyam jo last update me aap padh chuke hain aur baaki ke niyam aur cheezen aap sab baad me padhenge...)


VIDEOUS-us institution ka mool uddeshya hoga bramhaand me BLACK ENERGY aur WHITE ENERGY ke us balance ko kaayam rakhna jo filhal aapke paksh me jhuka hua hai....

RONIT-par jis roop rekha ko tumne taiyar kiya hai,us hisaab se toh iska paksh tumhari taraf jhuk jaayega...

VIDEOUS-maine ye bhi kaha tha ki khel ke niyam mai tay karunga aur aapko mere hisaab se usse khelna hoga aur mujhe harana hoga...


VIDEOUS ki baat ke baad kisike paas bolne ke liye kuch nahi tha...


VIDEOUS-is institution par aap kaam kabse shuru karte hain,ye mai aap par chhodta hun...

par jab bhi ye kaam shuru ho,toh iske saare bhaag mere hisaab se hi hone chahiye...

koi bhi mamuli sa parivartan bhi hamari sandhi ko tod dega....

manzoor hai....???


ASMODEUS/VIKRAM-manzoor hai....


haan bol VIKRAM ne apni talwar ko nikalne ke liye haath aage kiya par tabhi...


VIDEOUS-arre ye kya kar rahe hain aap..???ya fir ye kahun ki ye kyun kar rahe hain aap...???


muskurate hue VIKRAM ko dekhte hue VIDEOUS ne ye baat kahi jispar...


VIKRAM-kuch aur bhi chahte ho tum...???


jahan VIKRAM ki baat sun VIDEOUS ki muskurahat aur gehri ho gayi wahin baaki saathon ANGELS ko kuch samajh me nahi aaya aur isiliye....


VIDEOUS-maine sharte kaha tha,shart nahi...

aap kab se baarik shabdon me chuppe arth ko samajhne me asamarth hone lage....

khair, mujhe pata hai ki aap apni talwar ko chunne ki koshish kyun rahe the...???par aisa hoga nahi aur yahi meri dusri shart bhi hai aur is talwar ne jo mujhe haani pahunchayi hai,uska dand bhi...

RONIT-kaisi haani..???zinda toh ho tum...???aur VIKRAM toh apne talwar ko tumhare sharir se nikal tumhe dard se nijaat hi dila raha hai isme tumhara ahit hi kya hai..???


HAHAHAHAHA.....


RONIT ki baat sun VIDEOUS pehle zoron se hasa aur fir...


VIDEOUS-itne sadiyon se mere FATHER ke dost rah chuke ho tum,toh thodi dhurtatha toh tumme bhi aana laazmi hi hain....

puri nahi toh kamsekam aadhi baat toh pata hi hogi tumhe...jis pal ye SWORD mere andar ghussa tha,us pal tak sirf meri aadhi urja hi BLACK ENERGY ke saath milkar pure BRAMHAAND me faili thi par jaise hi mere sharir par is SWORD ka sparsh hua,tab isne meri aadhi urja ko khud me sokh liya...

aur ab jaise hi FATHER is SWORD ko nikalenge,toh ye apne saath saath meri wo aadhi urja jiske sayammit hone me hi itna waqt laga tha, nikal lega aur yahan tak ki usme mili BLACK ENERGY ko bhi khudme kheench kar kaid kar lega jiske baad tumhare pitah jaisa chahenge,waisa us BLACK ENERGY ko maanana hoga aur in sab ke madhya mera astitv khatm ho jaayega....


VIDEOUS ki saari baat sach thi jiske baad kisike bhi paas kuch kehne ko tha nahi aur isiliye...


VIDEOUS-par jaante ho sabse mahatvpurn baat kya hai...???

jaise hi FATHER is SWORD ko chhuenge,unhe mere khel ka jiske baare me maine kuch shan pehle bataya tha, uska wo bhaag jo sirf mai jaanta hun,wo pata chal jaayega..

aur aisa mai kaise hone de sakta hun....???

us chuppe hue bhaag ke baare me pata toh inhe chalega hi par sirf tab jab mai chahunga....


aur issi baat ke aadhar par mera dusra shart ye hai ki ab se ye SWORD aapki nahi hai....aapko isse abhi issi waqt azaad karna hoga....


VIDEOUS ke shart ko sunkar ek baar firse saathon ANGELS behad hairan hue...

aur hona bhi laazmi tha..sirf isiliye nahi kyunki VIDEOUS ne VIKRAM ko uski SWORD ko mukt karne ke liye kaha tha balki isiliye kyunki aisa karne ke baad bhi VIDEOUS khud us talwar ka maalik nahi ban sakta tha aur wo isiliye kyunki wo us talwar ke liye deserving nahi tha....

par unhe kahan maalum tha ki VIDEOUS ka plan kuch aisa hai jaisa wo sab kabhi nahi soch sakte the...

khair, VIDEOUS ki shart sun VIKRAM ne apni aankhen band ki aur uske agle hi pal...


AHHHH.....


ek baar firse VIDEOUS ki cheekh se pura mahoul gunj utha....

reason..

aakhen band kar VIKRAM ne khudse SWORD ko detach kiya aur aisa hoti VIKRAM ki wo urja,uska wo AURA jo uski SWORD se hamesha connected rehta tha,wo usse nikalkar VIKRAM me sama gayi aur aisa hote waqt us SWORD me tezi se vibrations paida hue jinke force se VIDEOUS ko bohot zyada taklif hui aur uske mooh se cheekh nikal gayi par cheekhne ke baad ek baar firse uske chehre par vijayi muskaan tair gayi kyunki jo usne chaha,aur jis maksad ke liye aisa chaha,wo ho chuka tha...


VIKRAM-aur kuch.....

VIDEOUS- ek aakhri shart baaki hai...darasal meri aadhi urja saare living PLANETS me chali gayi hai aur aadhi is SWORD me...

waise toh urja kabhi khatm nahi hoti par jin do chizon me (planets, sword) me meri urja kharch hui hai,uske baad meri puri Shakti ke wapas mere paas aane me waqt lagega..

bohot waqt....


DEFENDER-isiliye tumne kaha tha ki institution par kaam karne ka waqt tum hum par chhodte ho...


DEFENDER ki baat sun muskuraya VIDEOUS aur...


VIDEOUS-zahir si baat hai..meri har baat me faayda toh mai sabse pehle apna hi dekhunga naa...

par mere fayde me mere FATHERS ka bhi kam faayda nahi hai..

kyunki ye jo waqt hai,mujhe maalum ki is beech ye dono mujhse chhuttkara paane ka,mujhe samapt karne ka koi na koi tarika toh dhundenge hi..

kyun FATHER'S....


VIKRAM aur ASMODEUS ko taraf dekh VIDEOUS ne ye baat kahi par dono filhal shaant hi rahe isiliye...


VIDEOUS-aur kyunki aap dono meri har shart puri kar rahe hain,toh aap dono ko itni chhut toh mujhe deni hi chahiye....

isiliye aapko jo plan karna hai kijiye par usse pehle meri teesri shart puri kijiye....

waise meri agli shart aapke planning se judi hui hai...

nahi samjhe,samjhata hun...toh meri teesri shart ye hai ki...

is SWORD se kuch waqt pehle tak judi aapki wo urja,wo AURA jo ab aapke paas hai,us urja aur AURA ki shakti se aap mere liye ek BANISHMENT banayenge...




ek aisi chaardiwari jike andar mai rahunga aur jisme koi bhi ghus naa sakeka.....aap dono bhi nahi....

us BANISHMENT me mai apni do bhaago me vibhajit urja ko wapas khudme sametunga...

aur jis din mai puri tarah aisa karne me kaaimiyab ho jaaunga,us din ye talwar mujhse alag hogi aur...


ASMODEUS-tab bhi tum us BANISHMENT se bahar nahi jaa sakoge...

aur wo isiliye kyunki tumhari urja humse hai aur agar hum koi aisa BANISHMENT banayenge,jisme hum bhi nahi ghus sakte toh fir usse tum bhi khudse baahar nahi nikal paaoge...

kyunki jaisa ki tumne kaha ki tumhe wo BANISHMENT us urja aur AURA ki shakti se chahiye jisse ye SWORD mujhse judi hui thi,toh aise me wo SWORD toh us BANISHMENT se baahar aa jayegi par tum usse sirf tab hi nikal paaoge jab us SWORD ka koi dhaarak banega...

kyunki jis kisiko bhi SWORD apna dhaarak chunegi,tumhari BANISHMENT jis urja se banegi, wo urja bhi us dhaarak ke andar chali jaayegi aur aisa hone par hi tumhara BANISHMENT khatm hoga....


ASMODEUS ki baat aun VIDEOUS kuch kehne ko hua par tabhi...


VIKRAM-isiliye hi isne kaha tha ki humari jo counter planning hogi,wo iske third shart se judi hogi....

kyunki isse pata hai ki hum sidhe ispar waar nahi karenge..iske khel ko kaatne ke liye hum iska pratidwandi taiyar karenge aur wahi pratidwandi hi SWORD ko uthane laayak hoga aur jab aisa hoga toh ye bhi azaad ho jaayega..

aur yahi iska asli khel hai..humare taiyar kiye gaye pratidwandi ko harakar humse jeetna...



VIDEOUS-ab ye hui naa mere FATHER wali baat..sach me FATHER,kitna kuch sikha hai maine aapse aur ummid hai ki aage bhi sikhunga...

VIKRAM-jaisa BANISHMENT tum chahte ho,wo yahan nahi ban sakti.. uske liye sirf PECULIAR SPACE hi sahi hoga...


(WRITERS NOTE-kuch yaad aaya doston.. PECULIAR SPACE...VIPERIOUS BANISHMENT...5TH UPDTATE ME IS JAGAH KE BAAREME BATAYA GAYA HAIN JAHAN KOI UPARANDHATI ATTIPRASAGGAYATE UPARANDHATI ATTIPRASAGGAYATE aur CINTAYATI AZRITA
CINTAYATI AZRITA naam ke do spell lagatar bole jaa raha tha..

ye KOI VIDEOUS hi tha jiske pehle spell ka matlab tha COMPLETE CONNECTION aur uske dusre spell ka matlab tha REFINING POWERS jisse wo apne Shakti aur AURA ko lagatar nikharte rehta tha..)



BACK TO STORY:-



VIDEOUS-thik hai..wahi sahi....yahi hai meri aakhri shart...isse pura kijiye aur lag jaayiye meri chunouti ke kaat ko taiyar karne me....

waqt ki kaminahi hogi...naa aapke paas aur nahi mere paas....



VIDEOUS ki baat puri hote hi VIKRAM ki aankhen ek baar firse band ho gayi aur aisa hone ke agle hi pal uske sharir se ek roshni nikli jisne wahan moujud sabhi ko apne ghere me le liya aur fir...

wo sabhi gayab ho chuke the..gayab hone ke agle hi pal wo sab pahunche us jagah par jiska zikr VIKRAM ne kuch der pehle kiya tha..

wo jagah jo ab se kaafi samay tak VIDEOUS ka ghar hone waala tha....

PECULIAR SPACE....

bramhaand ka wo hissa jo universe ka bhag hokar bhi nahi tha.. ek cursed jagah thi ye space jahan is waqt wo sabhi khade the...

wahin jaise hi sab is jagah par pahunche toh un sabke saamne ek BANISHMENT CELL pehle hi taiyar ho chuka tha jisse dekh...


VIDEOUS-meri vidayi ki itni bhi kya jaldi thi FATHER ki humare yahan aane se pehle hi meri bandish ka intazam kar chuke the aap...??

VIKRAM-apni haisiyat se zyada waqt le chuke ho tum hamara VIDEOUS... isiliye ye bewajah ke tarkon par samay barbaad kiye bina apne naye ghar me pravesh karo...

VIDEOUS-meri haisiyat...!!iski ek jhalak toh aap meri utpatti hote hi dekh chuke hain,dusri bohot jald dekhenge aur teesri aur aakhri baar meri haisiyat aap dono ke aur pure bramhaand ke saamne us din ke bad se lagatar aayegi jis din mai is BANISHMENT ae baahar niklunga..



ye bolte bolte VIDEOUS aage badha aur is BANISHMENT ke andar bina kisi vyavadhan ke pahunch gaya aur ye hua us SWORD ki wajah se jo is waqt uske sharir me dhasa hua tha...

jaisa ki VIKRAM ne kaha tha,ki us SWORD ko us BANISHMENT ae guzarne me koi takleef nahi hogi aur wahi hua...

wahin BANISHMENT ke andar pahunch VIDEOUS palta aur filhal ke liye apne dono pitah se kahe usne apne kuch aakhri shabd....


VIDEOUS-ye sword jo filhal mere andar hai,ek naa ek din mujhe chhodkar bahar niklega aur uske baad jis din bhi isse iska dharak mila,ye uske haath me aaya toh mai yahan se azaad ho jaunga..

aur us din se shuru hogi spraddha..uske aur mere beech...agar wo jeeta toh aap dono jeete par agar mai jeeta toh aap dono sab kuch haar jaayenge...


isiliye itni hi darkhwasth hai aapse ki jo bhi competition aap mere saamne rakhen,wo wakayi meri takkar ka ho...

VIKRAM/ASMODEUS-aisa hi hoga.....


ye baat bolte hi VIKRAM, ASMODEUS aur saathon angels gayab ho gaye jiske baad


VIDEOUS-par ye aap logon ke liye aasan bhi nahi hoga...

hahahahahahaha....


zoron se hasa VIDEOUS aur fir....



ZAMENTATOSTARI SHAKTIYEM

OBSERVE THE POWER...


SWORD se apni urja ko sokhne ke liye lagatar kayi hazar saalon tak is spell ka uccharan kiya VIDEOUS ne...

aur fir wo pal bhi aaya jab uski urja ka wo pura bhaag jo SWORD me chala gaya tha, usse usne wapas kheench liya aur aisa hote hi...

wo SWORD VIDEOUS ke sharir se aur us BANISHMENT se nikal baahar chali gayi aur sidhe jaakar rooki ZEAL PLANET par...

wahin jaise hi SWORD VIDEOUS ke sharir se bahar nikli toh ek pal ke liye wo chup raha aur fir....



UPARANDHATI ATTIPRASAGGAYATE

UPARANDHATI ATTIPRASAGGAYATE


CINTAYATI AZRITA

CINTAYATI AZRITA


ye do spell uccharit hone lage VIDEOUS ke mooh se jiske baad uski aankhen band ho gayi...

wahan uski aankhen aur scene band hua aur yahan...

meri aankhen khul gayi....

SWORD ke handle ko pakda mai usse dekh hi raha tha ki tabhi...

ek current sa douda us SWORD me jiske baad meri aankhen ek baar firse band ho gayi aur is baar meri band aankhon se saamne tha ek naya FLASHBACK jisme mujhe dikha VIKRAM....

ZEAL ka VIKRAM.....

mai dekh raha tha ki kaise VIKRAM ne apni aur ASMODEUS k urja ke mishran se banaya ZEAL waale VIKRAM ko par fir mere saamne ek baar firse wahi scene chalne laga jab us VIKRAM ne is SWORD ko chhua aur aisa hone ke baad uske saamne ek situation aayi jispar usse ek faisla lena tha aur jab usne wo faisla liya toh uske agle hi pal uske saath pura Planet hi nestonaabut ho gaya...

yahi tha apni haisiyat dikhane ka wo dusra mouka jiske baare me VIDEOUS ne VIKRAM aur ASMODEUS se kaha tha...

khair,is flashback ko dekhte waqt hi mere andar mere SOUL ne bhi mujhe ek naya scene dikhaya...

ek naya FLASHBACK back yaa fir ye kahun ki mere liye sabse important flashback....

kyunki ye flashback meri utpatti ka tha...kaise mere chaaron organs ko chaar dead PLANETS par bichaya gaya..

par most importantly,aisa kyun karna pada,ye bhi mujhe pata chal gaya...

in sabke beech ek nayi cheez ho rahi thi aur wo ye ki bhale hi mujhe mera brain,body, blood aur SOUL mil chuke the par fir bhi ab tak mai andar se khaali khaali hi mehsoos karta raha tha par jaise jaise meri utpatti ka kaaran mere ankhon ke saamne aa raha tha,mere chaaron bhaagon ko unke maayne milte jaa rahe the.

meri soch,us soch ka sach aur sabse important,mere hone ki wajah ko jaise mera mind,meri body,mera blood aur mera soul khudme bharte chale jaa rahe the..

aur jaise hi mujhe meri utpatti ka tarika aur kaaran clear hua toh mai bhi jaise pura ho gaya....

bijli si doudi mere haathon me aur aisa hote hi...

meri band aankhon ke saamne ek drishya aa gaya...yaa fir ye kahun ki VIKRAM ki hi tarah mere saamne bhi ek practical sawal tha jisse clear karne ke baad hi mujhe ye SWORD milti aur agar mai aisa nahi kar paata,toh VIKRAM ki hi tarah,mera marna bhi fixed tha..

khair, jaisa ki maine bataya ki ye ek practical scene tha jiska matlab hai ki mai khud is scene ka hissa tha...

DRISHYAM:-


is waqt mai ek sunsaan viran si jagah par khada tha...mere aage wo cave waali SWORD rakhi hui thi jisse mai dekh hi raha tha ki tabhi...


KAISE HO RAAZ...!!!!!


mere saamne se ye awaaz aayi jispar jab maine saamne dekha toh
mujhse thodi door khada tha VIDEOUS ka pratibimbh jo mujhe dekh muskura raha tha...

par mai bas usse ek tak dekhe jaa raha tha aur tabhi...


VIDEOUS-SWORD chahiye....le lo..bas ek chota sa kaam karo aur ye SWORD tumhari hai...

isse lo aur inhe maar do...


VIDEOUS ke aisa kehte hi mere saamne kuch chote se bacche aa gaye jo mujhe hi dekh rahe the...

par khaas baat ye thi ki ye bacche mere wo fellowmates the jo mere saath mere hostel me raha karte the..

ye bacche unke baalya kaal ka roop the....


VIDEOUS-inhe maar do aur ye SWORD tumhara....


VIDEOUS jo ki mujhe maalum tha ki bas ek fake resemblance se zyada kuch nahi hai aur jisse sirf is test ke liye rakha gaya hai,uski bat sun maine zamin me gadi SWORD uthayi aur aage badha...

un chand bacchon ke paas pahunch maine apni talwar uthayi hi thi ki..


VIDEOUS-ek baat batana reh gaya...tumhe lag raha hoga ki kyunki ye ek illusion hai,toh isiliye in bacchon ko jo ki ek mithya hi hai,maarna kaun si galat baat hogi par aisa hai nahi...

jab tum in bacchon ko maar rahe hoge,tab us waqt tumhare brain,body, blood aur SOUL..in chaaron ka tumhare is kaarya me swikriti dena zaroori hai...

kehne ka matlab hai ki inhe maarte waqt tumhe aur tumhare har ang ko inhe sach me maarne ki khawahish honi chahiye...

aisa hone par hi ye SWORD is baat par yakin karegi ki tumhare liye iski ehmiyat kisi bekasoor ki jaan se bhi zyada zaroori hai..

aur issi yakin ke adhar par hi tumhe ye SWORD mil sakta hai...

ek line me kahun toh....



MOUT BHALE HI NAKLI HO PAR MAARNE KE JASBAAT ASLI HONE CHAHIYE...


VIDEOUS ke pratibimbh ki baat sunane ke baad ek pal ke liye mai rooka,apni aankhen band ki aur khudke andar jhaanka maano khudse hi jawab maang raha hun aur fir agle hi pal...


SOOOOOBBBBB....


meri aakhen khuli par usse pehle hi meri SWORD chal chuki thi jiske baad mere saamne line me baithe sabhi bacchon ke sir unke dhad se alag ho chuke the....

wahin jab aisa hua toh....

mere DRISHYAM me ek tez roshni fail gayi jiske agle hi pal meri aankhen jo drishyam dekhne ki wajah se band thi,khul gayi aur...

ek jhatke me SWORD ya fir ye kahun ki MERI SWORD mere haath me thi aur aisa hote hi mere lab hile...


MAI-

dhoop nikli hai,par fir bhi
baadal CHAA GAYA HAI...

khouf faili hui hai,
mere naam ka jo HAWA GAYA HAI....

tujhe competition chahiye tha,
dekh mai tere saamne hun....

VIDEOUS ko mitane aakhir,
RAAZ AA GAYA HAI.....




THIK USSI WAQT...




PECULIAR SPACE


PLACE-VIPERIOUS BANISHMENT




BOOM.............



ek tez dhamaka hua us BANISHMENT me jiske baad wo pura BANISHMENT gayab ho gaya...

beech universe me hone ke baawajud bhi us puri jagah me dhuan dhuan ho chuka tha par wo dhuan bohot tezi se chhat bhi gaya yaa fir ye kahun ki gayab ho gaya aur jab aisa hua toh....

paalthi maare aankh band kiye baithe VIDEOUS ki aankh khul gayi...

chehre par ek behtarin muskurat liye uske lab hile aur...

VIDEOUS-


jo ek dhaage ko dusre se baandhe,
mai wo SUTR HUN....

mai tera mitr,mai hi tera shatru,
par sarvpratham, mai tera PUTR hun....



jisse peekar pyas bujhe nahi aur
badhe,MAI WO PAANI HUN...

mai kahani ka koi paatr nahi,
balki khud PURI KAHANI HUN...



buddhi ki shuruat jahan se hui,
mai wo GENIUS HUN...

mai hi ALPHA,mai hi OMEGA
MAI.........VIDEOUS HUN.........








AAJ KE LIYE ITNA HI....







AAPKA APNA V...J.....













Very nice update bhai
 
Top