AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM APNE BOOK KI POWER KO PAA LETA HAI...
AB AAGE:-
CHAPTER-2
( CURSE OF THE SWEET POISON )
MEGA UPDATE- 74
PART-2
PLANET- EARTH
PLACE- COLLEGE CANTEEN...
yaar aaj V.J college kyun nahi aaya???
RONIT- usse kuch kaam tha,toh wo ussi ko nipta raha hai???
AVANTIKA- kaisa kaam????
RONIT- wait karo,pata chal jaayega......
SHANAYA- V.J ka kuch kaam hai aur tum dono uske saath nahi ho,strange!!!!
ANJALI- isme ajeeb kya hai,hum har kaam ek saath thodi naa karte hain.....
AVANTIKA- haan wo bhi hai...waise ek baat batao,tum dono ne abhi tak kya kya kiya hai???
RONIT/ANJALI- matlab!!!!!
AVANTIKA- arre matlab,couple banane ke baad,tum dono ne kya kya ROMANTIC kiya hai..i mean,candle light dinner,long drives ya aisa kuch........
AVANTIKA ki baat sunkar ANJALI sharma gayi.....
SHANAYA- aaye haaye,sadhke jaawan tere is sharmo hayaa par........par babes,ye sab toh normal baatein hain naa,isse batane me kaisi sharm...RONIT yaar,tu hi bata.....
RONIT- haan guys,candle light dinners,long drives,gifts,sab kuch ho chuka hai ab tak...
AVANTIKA- aur hume pata tak nahi...
RONIT- arre yaar,privacy bhi koi cheez hai.....
SHANAYA- haan woh toh hai, par ab hume bhi kya pata ki kaun si cheez private rakhi jaati hai aur kaun si cheez batayi jaati hai..hum toh abhi bhi single hain....
ANJALI- toh tujhe roka kisne hai!!!bana le na koi B.F....
SHANAYA- kisi ko bhi bana lun kya???aur waise bhi,mujhe in sab me koi interest nahi hai...par mai ek baat soch soch kar bohot excited feel karti hun!!!!
SAB- kya????
SHANAYA- yahi ki jab V.J kisike saath relationship me aayega toh kya kya karega???
i mean jo banda bina kisi relationship me aaye,bina kisi ladki ko chaahe itni gehri gehri baatien karta hai,jab wo kisi ladki ko chaahega toh uske liye kya kya karega...!!!
mujhe toh lagta hai ki apni G.F ke liye V.J sab kuch claasy aur international hi karega....
LONDON me shopping,PARIS aur SWITZERLAND me holiday aur pata nahi kya kya!!!!!
SHANAYA ki baat sunkar ANJALI aur RONIT dono muskura diye........
SHANAYA- kyun,sahi kaha naa???!!!!!!
RONIT/ANJALI- galat..bilkul galat kaha tumne.......
AVANTIKA jo ki SHANAYA ke speculations sunke sad si ho gayi thi,RONIT aur ANJALI ke mooh se galat sunkar wo firse excited ho gayi thi......
SHANAYA- galat.....!!!!!!aur wo bhala kaise???
RONIT ne ek baar ANJALI ki taraf dekha fir bolna shuru kiya....
RONIT- tumhe pata hai naa ki V.J lagbhag har puzzle ko solve kar deta hai......
SHANAYA- haa toh,is baat ka meri baat se kya lena dena.....!!!
RONIT- puru baat toh sun lo...haan toh mere kehne ka ye matlab hai ki V.J khud itna bada puzzle hai ki baaki saare puzzle uske saamne easy lagte hain......
ANJALI- exactly...hum V.J ke saath bachpan se hain par wo aur uska ATTITUDE ab bhi hamare liye ek sawaal hi hai...
RONIT- par jitna humne usse samjha hai usse itna toh hume maalum hai ki use ye long drives,candle light dinners,expensive holidays,zyada pasand nahi hain.....
usse grounded aur simple cheezen hi pasand hai......usse choti choti cheezon me khushi dhundene ki aadat hai...
SHANAYA- aur agar uski G.F ko meri batayi cheezen pasand hui toh????
RONIT- aisi ladki ke saath V.J kabhi bhi relationship me padega hi nahi.......
RONIT aur ANJALI ki baat sunkar AVANTIKA andar hi andar bohot khush ho gayi kyunki wo bhi exactly V.J ki hi tarah sochti thi....
abhi RONIT aur bhi kuch kehna chaahta tha ki tabhi............
TUM DONO KE DIMAG ME MAI EK JAGAH KI TASVIR BHEJ RAHA HUN.....AVANTIKA KO LEKAR TURANT PAHUNCHO.........
ye awaaz RONIT aur ANJALI ke dimag me gunji thi jisse sunkar pehle toh dono chownk gaye par agle hi pal dono normal bhi ho gaye kyunki wo dono toh issi awaaz ka wait kar rahe the......
ANJALI-SHANAYA se koi bahana bana lo..hume kahin jaana hai...
ye baat ANJALI ne AVANTIKA ke dimag me kahi thi....
AVANTIKA bhi pehle chownki par fir usse bhi sab samajh aa gaya aur wo normal ho gayi....
ANJALI- RONIT,chal ghar chalen.tujhe dad ne bulaya tha yaad hai naa....
RONIT- oh shit..mai toh bhul hi gaya....chal chalte hain...
dono AVANTIKA aur SHANAYA ko bye bolkar parking ki taraf nikal gaye.....
SHANAYA- yaar,mujhe toh agla lecture attend karna hai.....mai already bohot piche hun....
AVANTIKA- tu kar le..mujhe bhi kuch kaam hai,mai wo nipta leti hun...
SHANAYA- ok then..ghar par milte hain.
SHANAYA class ki taraf nikal gayi aur AVANTIKA bhi tezi se chalte hue parking me pahunch gayi jahan RONIT aur ANJALI uska hi wait kar rahe the...
AVANTIKA- kya hua guyzzz. kaha jaana hai???
ANJALI- sab pata chal jaayega......tum apni car me hume follow karo...
RONIT aur ANJALI apni car me baith aage nikal gaye aur AVANTIKA apni car me unka piche piche nikal gayi....
RONIT ne ek sunsaan jagah par apni car rok di.AVANTIKA ne bhi RONIT ki side me hi apni car roki aur dono ke paas aa gayi.....
RONIT ne apna haath aage kiya aur gol gol ghumaya...
RONIT ke saamne hi ek WORLD DOOR khul gaya....
RONIT- chalo......
teeno usme se hote hue dusri taraf aa gaye...
unke dusri taraf aate hi WORLD DOOR gayab ho gaya....
AVANTIKA- ye kaun si jagah hai....aur ye mahal...kahin hum kisi dusre state me toh nahi aa gaye...
ANJALI- nahi......
AVANTIKA- toh kya ye koi dusri country hai!!!!!!
RONIT- ye dusri country nahi dusra PLANET hai...
AVANTIKA- what!!!!!?????
RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ko ek tez jhatka laga........
ANJALI- hmm.aur hume yahan V.J ne bulaya hai.....
V.J ka naam sunkar AVANTIKA ka dimag ek second me shaant ho gaya........
AVANTIKA- is PLANET ka naam kya hai???
RONIT- WORLD OF THE WARRIORS...
PLACE- LORD CRUSEDAR PALACE....
haan sainik...bolo,jo jo maine kaha tha,wo ho gaya......
SAINIK- ji SENAPATIJI.....aapne jaisa jaisa kaha tha,wo sab ho chuka hai....
pure mahal ki suraksha aur kadi kar di hai....
aur hamare sainiko ki kul chaar tukdi banakar chaaro dishaon me bhej diya gaya hai.....
HEINSBERG- bohot ache...tum jaa sakte ho...
sainik ne ek baar HEINSBERG ke aage sir jhukaya aur chala gaya......
HEINSBERG man me- itna kuch ho gaya aur LORD CRUSEDER abhi tak apne kaksh se baahar nahi aaye.......jaakar dekhta hun....
HEINSBERG LORD CRUSEDER ke room ki taraf nikal gaya..
chaliye jab tak HEINSBERG LORD CRUSEDER ke paas pahunchte hain,aapko bata deta hun ki HEINSBERG sainik se aakhir kis chiz ke baare me baat kar raha tha....
jaise hi chattan ke upar bichi GOD'S TEAR ki power hawa me uth kar aakash me fail gayi,toh usse mahal me moujud sabhi ne dekha...
aur naa sirf dekha,balki jaise hi wo power unke upar mehel me chaayi,uski POWER se nikle WHITE ENERGY ki wajah se is mahal ke aur PLANET ke saare logon ke body me tez dard uthne laga....
ye unke sharir me moujud KAAL DRAV ki wajah se hua tha....
wo WHITE ENERGY se nikli urja ko bardasht nahi kar paa rahi thi isiliye wo WARRIORS WORLD ke logon ke andar garm hone lagi jisse yahan ke sabhi waasiyon ko aseem dard jhelna pad raha tha......
aur jaise hi GOD'S TEAR ki power wapas apne aadhe swaroop SUPRAGUPTA BOOK me samayi,wo sab thik ho gaye...
par thik hote hI HEINSBERG ne apne sainikon ko saare mahal ko gherne ke liye keh diya...
aur saath hi apni sena ke chaar pramukh tukdiyon ko chaaron dishaon me faile kar abhi jo bhi hua tha,uska satya jaanane ka aadesh de diya tha...
LORD CRUSEDAR- tum yahan kya kar rahe ho??bhul gaye humne kya aadesh diya tha???
HEINSBERG LORD ke kamre ke saamne
pahunch kaksh ke darwaaze ko khatkhatane hi waala tha ki itne me darwaza swayam hi khul gaya aur LORD CRUSEDAR baahar nikle...
HEINSBERG-shama karen maharaj,mujhe yaad hai ki aapne aapke kamre me kisi ka bhi aana nished kiya hua hai,kintu baat hi itni badi hai ki mujhe aana pada........
LORD CRUSEDAR- aisi kya baat ho gayi???
fir HEINSBERG ne LORD ko jo kuch bhi abhi abhi hua tha wo sabkuch bata diya....
LORD CRUSEDER- hmm.ye toh wakayi gambhir baat hai..tum mahal ki surakhsha kadi kar do...kisi bhi agyaat vyakti ko dekhte hi maarne ke liye keh do......
HEINSBERG- ye aadesh maine pehle hi de diya hai LORD...
LORD CRUSEDAR- bohot acche.hamare sabhi sipeh salahakaron ko turant sabha me upastithit hone ko kaho..
HEINSBERG- jo aangya LORD.
HEINSBERG apne LORD ke aadesh ka palan karne nikal gaya wahin LORD CRUSEDAR jo apne aap ko kab se control me kiye hue tha,wo apne chehre par wapas dar ki rekhaon ko liye sabha ki taraf nikal pada....
aur kuch hi der me sabha shuru ho chuki thi.....
LORD CRUSEDAR- aap sab bhali bhaati jaante hain ki ye sabha kyun bulayi gayi hai....
abhi kuch der pehle jo kuch bhi hua,wo koi choti moti baat nahi hai.hamare upar jo sankat ke baadal chaaye hue hain,agar kisike paas uska koi hal hai toh wo bol sakta hai......
DOST KO DUSHMAN SAMAJHNE KI GALTI NAA KAREN LORD CRUSEDAR......
abhi koi kuch kehta usse pehle hi ye awaaz PALACE HALL me gunj uthi.....
sab hakke bakke hokar idhar udhar dekhne lage.......
HEINSBERG- kaun hai???jo bhi hai,saamne aaye........
HEINSBERG ke bolte hi us hall ke beech ek tez roshni faile gayi.sabki aankhen kuch pal ke liye band ho gayi....
thodi der baad jab dheere dheere sabne aakhen kholi toh shocked reh gaye..
unke sabha ke beech ek jawan ladka apne dono haathon ko apni kamar par tikaye muskurata hua khada tha.....
aur thik uske peeche unke PLANET ka DEFENDER haath baandhe khada tha......
HEINSBERG- DEFENDER tum!!!....aur kaun hai...aur is tarah se bhari sabha ke beech me aane ki kya wajah hai???
MAI- mere naam VIKRAM hai...mai yahan aap logon ki madad karne aaya hun.....
meri baat sunkar HEINSBERG aur wahan baithe saare log has diye....
HEINSBERG- bacche...tu hamari madad karega????shukra mana ki itna bada dussahas karne ke baad bhi meri talwar abhi tak tere gardan ke paar nahi hui hai....
ye bolkar HEINSBERG ne apni miyan me se talwar ko halka sa bahar nikala....
MAI- chaliye,fulon se naa sahi,talwar se hi hamara swagat kar dijiye aap....
hum bhi toh dekhen ki aapki talwar bhi aapke zuban ki hi tarah tez hai ya nahi....
meri baat sunkar HEINSBERG ko ghussa aa gaya.....usne apni talwar nikali aur tezi se meri taraf aane laga...
wahin mere piche khada DEFENDER HEINSBERG ki harkat par has diya....
HEINSBERG theek mere saamne ruka,aur ek baar mujhe ghoor kar dekha...
mai abhi bhi muskura raha tha..
mere muskurane ne uske ghusse par ghee ka kaam kiya...usne tezi se apni talwar mere gardan ko nishana banakar ghuma di.....
SAAAYYYYY................
HEINSBERG ke talwar hghumate hi ye awaaz hui par sirf aadhi...kyunki talwar bas aadhi door hi talwar rahi...
mere gale tak pahunchte pahunchte talwar ne phoolon ka roop le liya tha....
ye karishma dekh HEINSBERG ke saath saath LORD CRUSEDAR aur wahana moujud sabhi mantri mandal apni jagah par ek jhatke me khade ho gaye......
MAI- apka swagat ho gaya ho toh kya ab mai jis kaam se aaya hun,wo kar lun....
LORD CRUSEDAR- kaun ho tum???aur kya chahte ho..???
MAI- mai kaun hun,ye jaanana aap sab ke liye zaroori nahi hai....aap bas itna jaan lijiye ki mai aap sab ko aapke andar moujud KAIWA naam ke zeher se nijat dilane ke liye aaya hun....
meri baat sunkar sab ek baar fir chownke...
LORD CRUSEDER- hume tumhari madad ki aawashaykta nahi hai....tum jaa sakte ho....
LORD CRUSEDER ke bolne ke baad unhi ki boli hui baat baaki sab sabhagan bhi bolne lage...
MAI- ye aap sab nahi,aapke andar moujud KAAL DRAV bol raha hai........
LORD CRUSEDER- isse tumhe koi matlab nahi hona chahiye......hum aise hi thik hain.tum abhi ke abhi yahan se chale jao warna bandi bana liye jaaoge.....
MAI- bina mera kaam khatm kiye mai toh nahi jaane waala.aap apni koshish kar lijiye........
LORD CRUSEDAR- sipahiyon,is ladke ko bandi bana liya jaaye......
maine apna haath upar kiya aur apni mutthi band kar di........
aur agle hi pal..............
LORD CRUSDER ko chhod kar wahan jitne bhi log moujud the,yahan tak ki bahar pehra dete sainik,sabhi ek saath niche gir pade..
wo sabhi behosh ho chuke the......
apne sabhi mantri gan aur sipahiyon ko behosh hota dekh LORD CRUSEDAR ka dimag ghum gaya....
unhone apni aakhen band ki aur antardhyan hone ki koshish ki par ye kaamiyab nahi ho paaye.....
MAI- jab tak mai nahi chahunga,tum gayab nahi ho sakte......
LORD CRUSEDER- ye tum thik nahi kar rahe ho......iske liye ummmmmmmmm............
iske aage LORD CRUSEDAR kuch bol nahi paaye,kyunki unke honthon sil gaye the....
MAI- teri bakwas sunane nahi aaya hun mai.......
DEFENDER- aapne sabko behosh kyun kiya??aisi haalat me inka ilaaj kaise hoga????
MAI- aisi haalat me hi inka ilaaj ho sakta hai..agar ye jaagte rahe toh mana karenge,us surat me mujhe inhe haani pahunchana hoga jo mai nahi chahta......
DEFENDER- toh ab????
MAI- DOCTOR ko toh aajaane do....
DEFENDER- DOCTOR????mai samjha nahi...
MAI- sab samajh jaaoge..kuch der wait karo......
WAHIN BAHAR:-
ANJALI- yaar,inhone toh pure mahal ko chaavni me badal diya hai......
WARRIORS WORLD me aane ke baad teeno ke saamne jo sabse pehla nazara aaya tha wo tha LORD CRUSEDAR ka palace........
teeno aage badhe hi the ki unhe lagatar kayi saare sainik mahal ko chaaron taraf se gherte hue dikhe.......
AVANTIKA- par V.J kahan hai???
ANJALI- palace ke andar.......
AVANTIKA- WHAT?????kahin usse kuch....
AVANTIKA ki baat puri hone se pehle hi RONIT aur ANJALI has diye......
RONIT- babes...ye pure planet ke log bhi mil jaaye naa,toh bhi V.J ka kuch nahi bigad sakta..tum relax raho aur mujhe sochne do ki hum andar kaise jaayen....
KUCH BHI SOCHNE KI ZAROORAT NAHI HAI....SIDHE ANDAR AAJAO.........
ye awaaz RONIT aur ANJALI ke dimag me gunji thi.dono ne ek dusre ki taraf dekha aur muskura diye...
ANJALI- chalo.raasta clear hai.....
AVANTIKA- oye,kahan se rasta clear ho gaya..dekh nahi rahe ho kitne saare soldiers khade hain...
RONIT- trust us yaar....aur chalo andar....
ye bolkar RONIT aur ANJALI aage badh gaye.AVANTIKA toh andar hi andar bohot dar rahi thi par wo jaanti thi ki ANJALI aur RONIT kitne kushal yodha hain,isiliye unke bharose wo unke piche piche ho li......
par jaise hi teeno mahal ke paas pahunche,teeno ko ek jhatka laga....jahan agle hi pal ANJALI aur RONIT normal ho gaye,wahin AVANTIKA ki hairaani har pal ke saath badhti hi jaa rahi thi....
AVANTIKA- ye sab kya hai??ye sab log acahanak gir kaise gaye......
RONIT- kaha tha naa,kuch nahi hoga..ab jaldi chalo andar......
LORD CRUSEDER ka mahal bohot khubsurat tha....teeno usse dekh dekh kar aage badh rahe the.aise hi aage badhte badhte kab wo rajsabha me aa gaye,unhe pata hi nahi chala...
MAI- dekh lo,dekh lo.....sab taraf achi tarah se dekh lo.aur kahin kuch gandagi dikhi toh jhadu pocha bhi maar dena......
meri awaaz se teeno hosh me aaye.mujhpar nazar padte hi ANJALI aur RONIT bhaag kar aaye aur mere gale lag gaye......
AVANTIKA-V.JJJJJ............
mera naam AVANTIKA ne dar kar liya tha par agle hi pal jo hua usse dekhkar AVANTIKA ki aankhen hairat se badi ho gayi....
hua ye ki mujhe apne doston se gale lagta dekh LORD CRUSEDAR ne kuch nukile dhardhar auzaaron ka awahan kiya aur meri taraf chhod diya.....
aur ye sab AVANTIKA ne dekh liya......
aur isiliye uske mooh se mere naam ki cheekh nikal gayi.....
idhar wo saare auzaar mujhse 2 feet door hawa me hi rook gaye....isiliye AVANTIKA ki aankhen hairat se faile gayi....
MAI- ye bachkani harkat band kijiye LORD....
RONIT- iski toh mai,
RONIT aage badha hi tha ki maine usse rok kar kuch kaha jisse sunkar uski bhi aankhen badi ho gayi......
MAI- AVNI,aisa bohot kuch hai jo tum nahi jaanti par jaan jaaogi.aisi choti moti baaton par hairan hona band karo......
AVANTIKA ne kuch bhi nahi kaha aur mere paas aakar khadi ho gayi....
MAI- tum jaanana nahi chahogi ki maine tumhe yahan kyun bulaya hai!!!!
AVANTIKA ne is baar bhi kuch nahi kaha,bas apni mundi haan me hila di.....
MAI-RAKHT PHOOL........BLOOD FLOWER....mujhe uski zaroorat hai......
AVANTIKA meri baat sunkar shocked ho gayi wahin ANJALI aur RONIT ko toh kuch samajh bhi nahi aaya.....
RONIT- BLOOD FLOWER!!!!ab ye kya bala hai????
MAI- sab bata dunga.rook zara...
AVANTIKA- par tum uska kya karoge???
maine kuch kaha nahi,bas teeno ke aage haath ghuma diya...humse kuch door hi ek bada sa parda ban gaya jisme WARRIORS WORLD me kya kya hua hai,wo dikhne laga..
bas ASMODEUS ke chehre ko maine nahi dikhaya tha....
jaise jaise scenes aage badhte gaye,ANJALI,RONIT aur AVANTIKA ki aankhon se aansu girne lage....
sab kuch dikhane ke baad wo parda khud hi gayab ho gaya......
AVANTIKA ne apne aansun poche aur kaha...
AVANTIKA- par FLOWER toh ghar me hai....
MAI- jaanta hun aur wo yahan aa bhi jaayega...bas mai tumse ijazat lena chahta tha..
us FLOWER ko tumne dhunda tha,toh usse dene na dene ka hak bhi tumhara hi hai.....
AVANTIKA man me- itni taakat,itni shakti,fir bhi itni saadgi........SAMAJH NAHI AATA KI TERI CHEHRE ME DOOB JAAUN YA FIR TERI BAATON ME......
maine ye saari baat suni thi aur mera dil hi jaanta hai ki apne face ko normal rakhne ke liye mujhe kitni mehnat karni padi thi....
MAI- tumne jawab nahi diya AVNI.....???
AVANTIKA-arre wo flower issi kaam ke liye hi toh hai......le lo.........
maine apni ek ungli ko ek baar gol ghumaya..mere saamne ek chota sa WORLD DOOR khul gaya.....WORLD DOOR ke dusri taraf AVANTIKA ka kamra tha.....
meri ungli se ek neeli ray nikli aur WORLD DOOR se hote hue AVANTIKA ke kamre me chali gayi..aur kuch hi palon me us ray ne BLOOD FLOWER ko dhund liya........
wo usse hawa me tairati hui DOOR se hote hue mere haathon me de gayi.....
AVANTIKA toh aankhen faade ye sab hote hue dekh rahi thi....
MAI- maine kaha na AVNI ki zayada shocked mat ho..dheere dheere sab pata chal jaayega.....
ye batao ki ab kya karna hai???
LORD CRUSEDER-mmmm..mmmmm......
RONIT- ab is maamu ko kya hua????
MAI- kuch nahi,keh raha hai ki usse thik nahi hona.....
RONIT- abbe tu kya tere baap ko bhi thik hona padega..bina mmm kiye khade rah warna sach me teri zubaan kaat dunga....
AVANTIKA- ek problem hai...
MAI- kya????
AVANTIKA- ye flower pure planet ko theek nahi kar paayega.....uske liye kam se kam 10 BLOOD FLOWERS ki zaroorat hai,jo mujhe nahi lagta ki hume mil paayengi......
maine ek lambi saans chodi.....10 RAKHT PHOOL mil jaayenge...
TEENO- kaise????
MAI- AVNI,RAKHT PHOOL ka naam kaise pada,kya tum jaanti ho????
AVANTIKA- haan....kaha jaata hai ki ek DEVIL ne hazaaron ANGELS ko ek saath ek viraan PLANET me bandi banakar rakha hua tha aur fir unhe ek saath maar diya tha......
un saare ANGELS ka saara khoon ek jagah par ikatha hone laga..par us PLANET ki dharti ANGELS ke khoon ki garmi ko sehen nahi kar paayi aur fat gayi.......
us PLANET ke hazaaron tukde hue par kuch tukdo me ANGELS ka khoon laga hua tha...aur jahan jahan wo ANGELS ke khoon se sane tukde gire,wahan kuch saalon baad RAKHT PHOOL paida hue....
MAI- aur isiliye ye phool KAIWA ka aur KAAL DRAV ka jo ki DEVILS ke khoon se banta hai,uska kaat hai,kyunki is phool me ANGELS ka khoon hai.....
RONIT- haan toh isse...........ek second......kahin tu.......nahii...hargiz nahi.......mai tujhe aisa karne
mmmmm.......
isse aage RONIT kuch naa bol paaya kyunki maine uske honth bhi sil diye the aur uske baad yahi maine ANJALI ke saath bhi kiya kyunki wo bhi meri baat ka matlab samajh gayi thi....
aur saath saath maine un dono ke haath aur pair ek adrishta rassi se bhi baandh diye the...ab na toh dono bol sakte the,naahi hi kuch kar sakte the.....
ANJALI aur AVANTIKA ke paas khadi AVANTIKA ye sab dekh kar dar gayi thi...
AVANTIKA- RONIT,ANJALI,kya hua tumhe...???tumhare honth aapas me kaise chipak gaye...
aur ye tumhare haath pair sat kyun gaye hain...V.J dekho naa ye kya ho raha hai....???
MAI- ye maine hi kiya hai AVNI......
meri baat sunkar AVANTIKA shocked ho gayi...
AVANTIKA- tumne!!!!par kyun?????
mai chalte hue AVANTIKA ke paas gaya aur uske haathon ko thaam liya...
MAI- inki fikr mat karo.kuch hi der me ye dono theek ho jaayenge AVNI.
par mere ek sawaal ka jawab dogi sach sach......
ye sawal maine AVANTIKA ki aankhon me dekh kar pucha tha.....
AVANTIKA ne haan me sir hila diya...
MAI- mujhpe vishvas karti ho......
AVANTIKA- tumhe nahi pata....
AVANTIKA ne mere sawal par sawal kiya,par uska ye sawal uske jawab se kayi guna behtar tha....
MAI- bas toh fir,jo bhi ho jaaye,jaise bhi haalat hon,agle kuch minuton tak apna ye bharosa bina koi sawaal puche mujhpe rakh paaogi......aur mai jaisa kahun waisa kar paaogi?????
AVANTIKA jo mere aankhon me hi dekhe jaa rahi thi,usne fir se haan me sir hila diya...
MAI- aise nahi,mujhse waada karo....
ye kehkar maine apna haath aage badha diya jisse agle hi pal AVANTIKA ne thaam liya..
AVANTIKA- waada...
MAI- RONIT mere bhai,yakin maan,iske alawa mere paas aur koi chaara nahi hai....
sun,jab sahi waqt aayega toh tujhe ye karna hai.....
ye keh kar maine apna haath aage kar diya..mere haath me ek chit aa gayi jisme likha hua tha ki RONIT ko kya aur kaise karna hai.....
maine us chit ko fold karke wahin hawa me chhod diya.wo chit wahin hawa me hi rook gayi......
mai chalte hue teeno se thodi door aa gaya....mere dusre haath ko upar kiya jisme RAKHT PHOOL tha......
wo RAKHT PHOOL waise hi hawa me jhool gaya...
maine apna haath neeche ki taraf kiya..zamin par ek bada sa katora aa gaya....
ab wo waqt aa gaya tha jiske liye maine itna kuch kiya tha.......
mujhse thodi door khade RONIT aur ANJALI ki ansamjhi awaaz aur tez ho gayi thi wahin AVANTIKA chehre par dheron sawaal liye mere taraf dekh rahi thi.....
aur agle hi pal bina mere kuch kahe usse uske sawaalon ka jawab bhi mil gaya....
KHACHHHHH.........
AVANTIKA- nahiiiiiiiiii.........
aur is awaaz ke saath mere left haath ki nas kat gayi aur khoon ki tez dhaar bahar nikalne lagi...
maine mere haath me ye cut mere hi andar moujud SPEAR se ki thi..
kyunki mujhe kisi normal chaaku,talwaar,ya kisi aur auzaar se nuksaan nahi pahunchaya jaa sakta tha....
isiliye maine apne SPEAR ka awahan kiya aur jaise hi wo mere haath me aayi maine usse apni kalai par ghuma diya...
khoon mere kalai se bahar nikla...maine apne doosre haath se mere saare nikalte hue khoon ko us katore ki disha de di...
mere haathon se nikalte hue khoon ki speed kam ho gayi aur wo dheere dheere karke us katore me girne laga.....
wahin AVANTIKA bhaag kar mere paas aayi.uski aankhon me se is waqt utna hi paani nikal raha tha jitna mere kalayi se khoon.......
AVANTIKA- ye kya kar diya tumne.....ruko,mai kuch karti hun.....
par isse pehle ki wo koi jadibuti dhundne nikalti, maine uska haath pakad liya....
MAI- tumne waada kiya tha....
AVANTIKA- par ye.......
MAI- shhhhhhh......bharosa rakho..........aur kuch bhi ho jaaye,mere paas hi khadi rehna.....
wahin mere piche khade DEFENDER ke aankhon me is waqt vismay aur dard ke bhaav dono dikh rahe the....
ye sab toh andar ka haal tha.par baahar ka haal bohot hi khatarnaak ho chuka tha...
mere apne kalayi ko kaatathe hi pure WARRIORS WORLD me andhera chaa gaya....
sirf mahal ko chhodkar,kyunki wahan mai tha,baaki ki har jagah par reh reh kar bhukamp aa rahe the..
aisa lag raha tha maano ye grah khudkushi karne ko amada ho gayi thi.....
yahan maine AVANTIKA se sab kuch thik ho jaayega,aisa bol toh diya tha par ab mujhe chakkar aane lage the.......
kuch der tak mai khudko sambhalta raha,par fir mai jhoomte hue niche girne laga,par mere girne se pehle hi AVANTIKA ne mujhe sambhal liya aur apni godh me lita diya....
mera kaafi zyada khoon nikal chuka tha aur wo katora jisse maine apna khoon bharne ke liye kaha tha,wo bhi bhar chuka tha......
wahin mere behosh hote hi ANJALI aur RONIT ki pairon ki bediyan aur honth dono khul gaye...wo bhaagte hue mere paas aaye...
RONIT- ye kya kar diya mere bhai.......anjaan logon ke liye apni jaan khatre me daal di......
dekh,mai kuch nahi jaanta,abhi ke abhi uth jaa....nahi toh teri kasam,is duniya ke aakhri insaan tak ko maar daalunga mai.....
DEFENDER- shaant ho jaayiye aap...
RONIT- chup be....saale,AVNI ko toh is bewakuf ne kasam di thi,par tu toh isse rok sakta tha naa.
DEFENDER- unhone mujhe aadesh diye the ki mai aisa kuch na karun....
RONIT- aadesh...kamine ko bas order dena hi toh aata hai....saale ek baar thik hoja,fir batata hun tujhe...
arre koi toh kuch karo......
RONIT ye sab rote hue bol raha tha wahin ANJALI ko toh jaise kuch sudh hi nahi thi.wo mere kate hue kalayi ko ghoore jaa rahi thi......
RONIT-AVNI.....tum toh kuch karo yaar...tumhe toh medicine ka shouk hai naa....kuch bhi karke bacha lo mere bhai ko...
DEFENDER- koi faayda nahi.....ye koi sadharan vyakti nahi hain jinke upar sadharan aushadiyan kaam aayengi......
DEFENDER ki baat sunkar AVANTIKA ke aansu aur badh gaye wahin ANJALI mera wahi kate hue kalayi waala haath pakadkar rone lagi......
ki tabhi.........
RONIT ko kuch yaad aaya...
usne piche mud kar dekha.wo chit jo maine chhodi thi,wo abhi bhi wahin hawa me rooki hui thi...
RONIT jhat se gaya aur us chit ko khol padhne laga.
CHIT- JAB MERE KHOON SE KATORA BHAR JAAYE TOH RAKHT PHOOL KO USME DOOBONA AUR IS MANTRA KO UCCHARIT KARNA.....
PRATI RAKHT PHOOLAH VIBJUTI......
COPY BLOOD FLOWER POWER......
isse jo bhi bahar aayega usse firse mere khoon me dubokar is mantra ko fir dohrana..ye kaam kul das baar karna.......
aur sun,mujhe tum log thik nahi kar sakte.agar mujhe thik hona hoga toh mai ho jaaunga par agar tune mera kaha nahi maana toh mai tum logon ke paas wapas nahi aaunga.....
RONIT- saala firse order de gaya......teri toh mai........pehle jo bola hai wo kar leta hun.....
fir RONIT ne maine jaisa kaha tha,waise karne laga..usne RAKHT PHOOL ko mere khoon me dubaya aur mere dwara likha hua mantra uccharit kiya......
PRATI RAKHT PHOOLAH VIBJUTI........
mantra ke uccharit hote hi RAKHT PHOOL chamakne laga aur dekhte hi dekhte us FLOWER ke andar se ek aur BLOOD FLOWER nikla aur side me gir gaya....
ye dekhkar AVANTIKA aur ANJALI ke nam aankhon me vismay ke bhaav aa gaye...
uske baad RONIT ne lagatar aur 9 baar ye kriya dohrayi aur dekhte hi dekhte wahan 10 +1 AVANTIKA ka milakar 11 RAKHT PHOOL ho gaye...
RONIT- ab??????
DEFENDER- ab aapki baari hai AVANTIKA....
AVANTIKA- haan par ab bhi ek problem hai...RAKHT PHOOL se KAIWA aur KAAL DRAV ka kaat toh ban jaayega par pure grah ke logon ko pilaoge kaise...
RONIT- usme kya problem hai.....yahan ke main logon ko hum theek kar denge.fir wo sab is dawayi ko har jagah pahuncha denge...
AVANTIKA- wahi toh maine problem hai....is phool se jo tonic taiyar hoga usse 12 ghante ke andar pidit ko pilana hai.12 ghante ke baad isse bane tonic ka asar khatm ho jaayega.....
RONIT- yaar ye toh sabse pada panga hai...
ANJALI- toh kya V.J ki itni badi kurbaani bekaar jaayegi..ye bolte waqt ANJALI k agala rundh sa gaya tha.....
DEFENDER- nahi........unhone iska hal pehle hi nikal liya tha.....
SAB- matlab.......
SPARZANA SAGKRAMA....
CONTACT TRANSFER.....
DEFENDER- matlab VIKRAM ne is grah ke zamin ko yahan ke logon se jod diya hai....jo drav aap banayengi,usse hume bas yahan ki dharti se chuwana hai....
wo saara drav apne aap dharti se hota hua yahan ke har baashinde ke sharir me pahunch jaayega....
DEFENDER ki baat sunkar AVANTIKA fir shocked ho gayi....
AVANTIKA- aisa bhi hota hai!!!!!
RONIT- ye jahan hota hai wahan sabkuch hota hai par abhi wo sab chhodo...jaldi se is PHOOL ka ras nikalon.....
AVANTIKA ne 10 RAKHT PHOOL liye aur lag gayi uska ras nikalne....
RAKHT PHOOL hamesha gile hi rehte hain..aur har phool se kaafi zyada maatra me ras nikalta hai,isiliye AVANTIKA ke ek FLOWER ko ghiste hi turant ras nikalna shuru ho gaya...
DEFENDER ne ek aisa mantra bola jisse PHOOL ka saara ras hawa me hi theher jaa raha tha..
chaliye jab tak AVANTIKA RAKHT PHOOL se ras nikal rahi hai tab tak hum..........
USSI WAQT KISI DUSRE JAHAN ME:-
har taraf baadal hi baadal.yahan tak ki zamin bhi safed baadalon ki chaadar odhe hue thi....
ek saaya hawa me tairta sa ek taraf chala jaa raha tha ki tabhi uske kaano me ek madhur sangit ki awaaz gunji...wo ussi disha me udne laga...
jaise hi wo saaya us awaaz ke paas pahuncha toh usne dekha ki hazaron angles apne white poshakon me apne haath jode ussi ki taraf dekh rahe hain...
wo saaya jab unke paas gaya tab.......
AAJ HAMARA INTAZAR KHATM HUA LORD OF ANGELS......
ji haan doston,ye saaya aur koi nahi mai hi tha....
MAI- aap sab????
ANGEL1- hum sab wahi ANGELS hain jisse aapke bhai ASMODEUS ne sadiyon pehle maar diya tha....
humne marte waqt ye kasam li thi ki jab tak hum uske paapon ke ant karne waale ko nahi dekh lete,hum HEAVEN nahi loutenge...aur aaj hamari talash khatm hui......
par jaate jaate hum aapko kuch dena chahte hain.....
MAI- mujhe!!!!kya???
ANGEL2- aapki zindagi......
ye bolkar sabhi angels ne apne haath aage kar diye...unke haathon se white energies nikli aur mere ussi kalayi par padi jisse maine kaata tha....
aur agle hi pal mai tezi se piche ki taraf udne laga aur...............
AVANTIKA- ho gaya..........ab kya karna hai???
MAI BATAUN?????
isse pehle ki DEFENDER kuch kehta.......meri awaaz sabke kaano me gunji.....
mera sir is waqt ANJALI ke godh me tha.......
meri aankhen khuli dekh sabke sukh chuke aansun ek baar firse behne lage...
ANJALI ne mera maatha chum liya..
mai jhat se khada ho gaya aur
CHATAAKH
CHATAAKH
CHATAAKH
ye teen thappad teen haathon se mere gaalon par apne nishan banane ki naakam koshish karne lage.....
MAI- saalon..sequence me maar rahe ho...
RONIT- beta ek shabd bhi aur bola naa toh abki baar mukka khayega......
ANJALI- aur ab koi order de ke dekh......batati hun tujhe...
MAI- tumhe bhi kuch kehna hai??
maine AVANTIKA se kaha par wo kuch naa boli aur dusri taraf mooh karke subakne lagi......
MAI- yaar ek do thappad aur maar le,par plz ro mat.......
par AVANTIKA na kuch boli,na meri taraf palti....
manana toh mai usse chahta tha,par abhi yahan ka kaam adhura tha.....
maine apne haath aage kiye aur......
jaise hi mera haath niche aaya,wo pura RAKHT DRAV jo is waqt hawa me hi ruka hua tha,wo ek jhatke me zamin ki taraf gira...
par zamin me takraane ke bajaaye,wo drav zamin ke andar chala gaya......
aur agle hi pal.........
zameen se hota hua wo RAKHT DRAV is grah ke har vyakti ke pairon se hota hua uske saare sharir me faile gaya....
aur jaise hi ye hua,ek kaal dhuaan yahan ke har vyakti ke sharir se khinchaate hue baahar aane laga.....
ye kaala dhuan wo kaali shakti thi jo yahan ke baasindo ke andar thi.....
mahal ke sabhi logon ko toh maine behosh kar diya tha,par itna sab kuch ek saath hone ki wajah se is grah ke baaki ke saare baashinde khud ko sambhal nahi paaye aur wo sab bhi behosh ho gaye......
par tabhi.......
aahhhhhhhhhhhhhh...................
ye awaaz humare aamne se aa rahi thi.....baaki sab toh samajh nahi paaye bas mere chehre par saamne ka nazara dekhkar muskaan naach gayi......
RONIT-abbe isse kya hua hai.....???
MAI- isse kuch nahi hua hai,iske andar jo kaal saaya hai naa,usse RAKHT DRAV ki wajah se taklif ho rahi hai....
SAB- kaala saaya....!!!!
DEFENDER- toh kya yahi......!!!!!!!!
MAI- haan.........LORD CRUSEDER ke andar hi chupe baithe hai hamare priya VALEFOR urf BALBEER SINGH BAGGA......
meri baat sunkar AVANTIKA,ANJALI aur RONIT teeno ko jhatka laga....
RONIT- kya bol raha hai bhai????par wo toh mar gaya tha naa.....
MAI- haan bhi aur nahi bhi.......iske bete ne iske DEVIL sharir ko jala diya tha...par iski rooh azaad thi...
isse puri tarah marne ke liye iske maalik ke andar jaana padta.( ASMODEUS )....
par ASMODEUS ne iski rooh ko DIGVIJAY ko de diya.....
PAR DIGVIJAY ke marte hi iski rooh firse aazad ho gayi jisse iske maakik ne yahan bhej diya...jahan isne LORD CRUSEDER ke sharir par kabza kar liya....
RONIT- par kyun????
MAI- iske maalik ko pata tha ki is grah me aate hi mai is grah ko baandh dunga isiliye usne pehle se hi isse yahan bhej diya taaki jab ye LORD CRUSEDER ke sharir par kabza kare toh iske aankhon ke zariye wo yahan jo kuch bhi ho raha hai usse dekh sake....
DEFENDER- ADBHUDH.....toh ab???
MAI- ab!! ab picture khatm.....
aur issi ke saath mere haathon se ek tez safed roshni nikli aur VALEFOR ke saaye par padi.....
aur agle hi pal uski cheekh har taraf gunjane lagi aur kuch hi palon me ek kaale saaye ka samuh astitv khatm ho gaya.....
MAI- AVNI mai jaanta hun ki is waqt tumhare man me bohot se sawaal hain,par yakin maano,jab sahin waqt aayega,tumhe sab kuch apne aap pata chal jaayega.....
AVANTIKA mere baaton ka matlab toh nahi samajh paayi par fir bhi usne apni palken haan me jhuka di........
MAI- DEFENDER....mera yahan ka kaam khatm hua.....ab ye grah punah paap mukt hai.....aur isse pehle ki tarah sashakt banane ki zimmedari aapki.......
DEFENDER kuch bola nahi aur mere aage jhuk gaya......
maine usse uthaya aur gale laga liya....
MAI- ab hume challna chahiye......
DEFENDER- mai sabhi ko hosh me le aata hun....wo aapke ek baar darshan toh kar len..
MAI- nahi nahi....sadiyon baad paap mukt neend me hain ye sab...sone do.....mulakat fir kabhi ho jaayegi......
mai thoda peeche hata..mere sharir se ek roshni nikli aur mere doston par padi aur agle hi pal hum sab gayab ho chuke the......
KUCH HI DINO ME HAMARI MULAKAT HOGI
NISHKALIKA......
AAJ KE LIYE ITNA HI....
AAPKA APNA V.J....