drx prince
Active Member
- 1,564
- 1,547
- 143
Very nice Update bhaiAB TAK AAPNE PADHA KI ASMODEUS BEELZEBUB AUR BHUVIKA KO VIKRAM KE KHOON KA KATRA DIKHAKAR CHOWNKA DETA HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-2
( CURSE OF THE SWEET POISON )
UPDATE-89
PLANET-ISLA
PLACE-GUEST ROOM
AB BHALA YE KYA BAAT HUI???GIRL FRIEND AAP HAMARI HAIN PAR ZYADA TAR WAQT AAP ALESENDRA KE SAATH BEETA RAHI HAIN.....
meri baat sunkar AVANTIKA ke cheecks pink ho gaye....bhale hi AV ki pyar ki shuruat propose se naa hokar sidhe KISS se hui ho,bhale hi AV ki jodi purna nirdharit ho,par jab pehli baar ishq ka ehsaas hota hai,rishton ko naye naam milte hai,toh unse man me hararat paida hona normal hota hai..
aur wahi hararat is waqt AVANTIKA mehsoos kar rahi thi....
ALESENDRA- aap ko fursat hi kahan hai apni GIRF FRIEND ke liye...kal se toh aap hamare pitaji aur LORD CRUSEDAR ke saath hi lage hue hain....
MAI- arre waah,aapne abhi GIRL FRIEND kaha....hamare grah ki bhasha sikh rahi hain aap...
ALESENDRA- haan,maine toh aapse kaha tha naa ki mujhe aapke grah ki bhasha mujhe sikhni hai,toh seekh li....
meri aur ALESENDRA ki baaton ke dauran AVANTIKA bas ek tak mujhe dekhe jaa rahi thi....
subah ka waqt hai.....mai toh kal hi apne aage ke safar ke liye nikalna chahta tha,par KING SOLOMON aur LORD CRUSEDAR ne mujhe ek din ISLA me bitane ka nivedan kiya jisse mai mana nahi kar paaya...
jaisa ki maine bataya tha ki ISLA bramhaand ka sabse khubsoorat grah hai,isiliye mai AVANTIKA ke saath yahan ki waadiyon ka lutf uthana chahta tha par kal aisa sambhav nahi ho paaya...
kaaran,KING SOLOMON aur LORD CRUSEDAR ne mujhe ek pal ke liye bhi chhoda nahi tha...
alag alag vishayon me wo apna tark dete aur fir mujhe mera tark puvhte....uske baad kuch samay maine DEFENDER ke saath bitaya...
uski saari shaktiyan toh jaagrit ho chuki thi,par un shaktiyon ke daayre ko badhane ke liye usse kya kya karna chahiye,ye mai usse batane laga...
uske baad number aaya mere teeno doston ka jinme se toh bhaavi raaja the aur ek GLUTO ki raani....
teeno se kaafi der tak mai unke grahon ke baare me baat karta raha....
meri aur AVANTIKA ki mulakat sidhe raat ke dinner ke waqt hi hui thi...par dinner ke baad bhi mujhe kaafi der tak KING SOLOMON aur LORD CRUSEDAR ke saath rukna pada aur jab mai unse bat khatm kar AVANTIKA ke room me pahuncha tab tak wo so chuki thi....
waise toh mujhe har cheez yunhi saaf saaf dikhti hai par fir bhi dyhan awashta me mai har cheez ki jad ko dekhne me zyatar kamiyab hota hun...
apne room me pahunch meai dhyan awashta me baith gaya..kuch der tak apni family dono dost aur GOD'S MESSENGERS ko dekh aur kuch suggestions dekar mai dhyan se baahar aaya...
kal ka pura din aur saari raat yunhi guzar gayi thi....
par aaj ka agar pura din naa bhi sahi toh kamsekam pehla peher mai AVANTIKA ke saath bitana chahta tha isiliye mai abhi AVANTIKA ke room me aaya tha jahan already ALESENDRA baithi hui thi...
aage ke scene se pehle chaliye ek baar ye jaan lete hain ki AVANTIKA mujhe ektak kyun dekh rahi hai..kya chal raha hai uske dil me....!!!!
AVANTIKA ke saamne se chalkar aane waala ladka jisne abhi abhi usse apni G.F kaha tha,usse wo pichle 3 saal se jaanti thi....
par jis rishte se wo usse jaanti thi,uske maayne ab badal chuke the....dhadkan toh mujhko dekhkar AVANTIKA ki pehle bhi tez hoti thi par ab toh uske sharir me behte lahoo ki gati bhi tez ho chuki thi....
aur jaise hi maine AVANTIKA ko apni G.F kaha,ussi waqt AVANTIKA ke dil se ek awaaz aayi.......
V.J SIRF MERA HAI.......
aur ye khayal rakht sanchar ko tez karne ke liye kaafi tha....wo mujhe ektak dekhte hue mere chehre,mere wajud ko khudme samane ki koshish kar rahi thi....
MAI- haseen bohot hain
is jahan me,
par tujhsa koi
KHOOBSURAT nahi hai...
hum tere hi hain,dil ko
yakin dilane ki ZAROORAT
nahi hai......
meri baat sun AVANTIKA ke chehre par aisi muskurahat aayi ki aaj pehli baar aisa laga jaise mera shayri kehna safal ho gaya.....
wahin.....
ALESENDRA- aap hamari touhin kar rahe hain VIKRAM.....kya hum KHUBSOORAT nahi hain.....
ALESENDRA ne apni baat keh chehra ghuma liya...AVANTIKA ko ye acha nahi laga...wo ALESENDRA ko kuch kehne hi jaa rahi thi ki maine rok diya....mai dheere se ALESENDRA ke theek piche pahunch gaya aur.....
MAI- tum wo PANKTI ho, jo har
SHAYAR apni SHAYRI me
LIKHTA HAI....
AVNI ki khusoorti,uska AKS
AAYNE me tumhare jaisa
DIKHTA HAI....
meri baat sun ALESENDRA palti..uske chehre par muskan nahi hasi thi....
MAI- dekhiye madam ke chehre ko...ye bas hum dono ki taang kheench rahi thi.....
AVANTIKA ne kuch kaha nahi,wo bhi has di...
MAI-AV,kal ke liye sorry yaar..kal hamare naye rishte ka pehle din tha aur mai tumhe time hi nahi de paaya....
AVANTIKA- tumhe mujhe kisi bhi cheez ke liye sorry kehne ki zaroorat nahi hai..bhale hi tum apne aap ko simple rakhna aur dikhana pasand karte ho,par isse tumhari sacchayi toh nahi badal jaayegi naa...
tumhari sacchayi ki wajah se tumhe bohot si responsibilities bhi mili hain,jinpar agar tumne dhyan nahi diya toh is pure universe ko uska khamiyaza bhugatna pad sakta hai...
isiliye pehle kaam,fir mai.....
MAI MAN ME- teri ye ada bhi mujhe
BHAA gayi.....
khud ko peeche rakh bhi
tu sabse aage AA gayi....
MAI- THANKS........aur isse pehle ki tum kaho ki mujhe thanks kehne ki zaroorat nahi hai,mai tumhe bata dun ki zaroorat hai...
kyunki ek ache humsafar ke mil jaane se dil ka bhoj kam ho jaata hai,aur jab dil pe bojh kam ho,toh dimag apne aap doudne lagta hai.....
ALESENDRA- bilkul sahi....aur kal waqt nahi bita paaye toh kya hua,aaj bitalo....
MAI- isiliye hi toh aaya hun...AV,kahin baahar chalen...???
AVANTIKA- ek shart par????
AVANTIKA ki baat sunkar ALESENDRA chownk gayi....par isse pehle ki wo AVANTIKA ke shart waali baat ke baare me kuch puchti,
MAI- manzoor hai.....
meri baat sunkar jahan AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi wahin ALESENDRA ne bhi filhal ke liye bolna cancel kar diya....
AVANTIKA- tumhe toh pata hai naa ki mai kya puchne waali hun...
ALESENDRA-arre koi mujhe bhi batayega ki kis baare me baat ho rahi hai...???
MAI-hmm....kal FOUNTAIN ke andar jo kuch bhi hua,AV uske baare me puchhna chahti hai...
meri baat sunkar ALESENDRA ke dimag me bhi kal ki wo ghatna taaza ho gayi jiski wajah se usse bechaini hui thi....
ALESENDRA- kal ke baare me toh mujhe bhi kuch batana hai....
MAI- tum jo soch rahi ho,us baat ki chinta mujhe bhi hai par mujhe filhal us baare me koi jaankari nahi hai...
AVANTIKA- kis baare me baat ho rahi hai..??
ALESENDRA-mai hamesha se hi ASMODEUS ki saari urjaon ko mehsoos kar sakti hun.... kal jab nakli ASMODEUS V.J se ladh raha tha,tab bhi maine us urja ko feel kiya tha aur jab asli ASMODEUS aaya tab bhi...
par jab asli ASMODEUS aaya,toh uske andar ki urja ka bahaav kuch alag sa tha...aisa lag raha tha jaise uske andar sab kuch halka ho gaya hai....aisa pehle kabhi bhi nahi hua....
MAI-hmm.filhal is baare me soch kar koi faayda nahi hai,sahi waqt aane par sab apne aap pata chal jaayega.....
maine ALESENDRA ko bol toh diya tha,par usne jo kaha tha,uski tention mujhe bhi thi...
par filhal ke liye maine apna dimag jhatak diya....
MAI- aur jahan tak aapka sawaal hai,jo roshni se bane kanche tum dono ke andar hain,aur jo kanche mere andar hain,wo bhavishyawaaniyan hain jo sahi waqt aane par khudhi hamare saamne aa jayengi....
AVANTIKA- ek sawaal ab bhi rah gaya...FOUNTAIN se nikalne se just pehle tumne kuch der tak apni aakhen band ki thi aur us dauran tumhare chehre par kuch pal ke liye dukh ke bhaav aaye the...kyun???
AVANTIKA ki baat sunkar jahan ALESENDRA chownk gayi wahin mai muskura utha....
-AVANTIKA kis hadh tak mujhe samajhne lagi hai,ye uski baaton se pata lagne laga hai....
MAI- COURIOUS ki wajah se.....
mere muh se COURIOUS naam sunkar ALESENDRA chownk gayi...aur chownkti bhi kyun naa,yahi toh wo grah tha jiski sakaratmak urja se unka grah bana tha....
jahan ALESENDRA shocked hue khadi thi,wahin AVANTIKA ko kuch samajh nahi aaya.aur isse pehle ki AVANTIKA ya ALESENDRA kuch kehte.....
MAI- COURIOUS wo PLANET hai jiski wajah se ISLA bana hai...par ab wo PLANET is bramhand ke anbujhe paheliyon me se ek ban gaya hai...
usse ASMODEUS ne kisi banjar grah ke andar chhupa diya hai...
ALESENDRA- ye sab toh mujhe maalum hai..par aap uski wajah se FOUNTAIN me udaas kyun hue the???
ALESENDRA ki excitement dekhte hi banti thi...
MAI- tumhare GRAH ke janm ka kaaran jis sakaratmak urja ke baare me FOUNTAIN ne tumhe bataya hai,wo khud FOUNTAIN hi hai....
aur mai udaas isiliye hua tha kyunki FOUNTAIN ne mujhe COURIOUS ke logon ki haalat dikhayi thi jo ki bohot dayaniya hai....
ASMODEUS ne us grah ke logon ke beech ek shraap ko daala aur uske baad us grah ko chhupa diya taaki agar koi chaahe bhi toh wahan ke logon ko theek naa kar paaye..
par kyunki FOUNTAIN wahin ke logon ki den hai,isliye unse ye aaj bhi judi hui hai...wo FOUNTAIN hi thi jisne mere dimag me us grah ke haalat ko sapne ke roop me dikhaya tha aur mujhe wahan moujud ek ladki ke through us shraap ke naam se agwat karaya tha jisse hazaro saalon se wo bekasur log jhel rahe hain....
AVANTIKA- par dhyan ke aakhri palon me tumhare chehre par ek muskaan aayi thi,wo kyun???
mai AVANTIKA ki baat sunkar fir muskura utha....agar aisa hi chalta raha toh ek din ye meri har hasi aur har gum ka account bhi manage karne lagegi....
MAI- wo isiliye kyunki FOUNTAIN ne mujhe wo GRAH BINDU dikha diya hai jiske zariye mai COURIOUS tak pahunch sakta hun....
ALESENDRA- kya???sach!!!!mai bata nahi sakti ki meri kitni iccha hai,ek baar un logon ko naman kar sakun jinse mera aur mere grah ka astitva hai....
MAI- fikr mat karo,sab kuch thik ho jaayega...
ALESENDRA- wo toh hoga hi,aap jo saath hain...
MAI- aapki shart ya ye kahun ki aapke saare sawaalon ke jawab mai de chuka hun,toh kya ab hum kahin baahar chalen...
AVANTIKA ne kuch kaha nahi bas muskurate hue han me apni palkon ko jhapkaya par mujhe uski muskurahat ke piche ek udaasi dikhi...
par ALESENDRA ke saamne maine kuch kehna sahi nahi samjha...
MAI- agar chal kar mahal ke mukhya dwar se hote hue baahar gaye toh hamare piche bheed lag jaayegi..kis kis ko mana karta rahunga..hum sidhe hi chalte hain...
ye kehkar maine AVANTIKA ka haath thaama hi tha ki....
ALESENDRA- VIKRAM...tumne kaha ki tumhe FOUNTAIN ne kisi ladki ke mooh se wahan moujud SHRAAP ka naam
bataya tha..kya hai wahan par faile SHRAAP ka naam???
MAI- CURSE OF THE SWEET POISON...
AVNI ka haath thaame maine apni baat kahi aur hum dono gayab ho gaye....
PLACE-FLOATING MOUNTAIN.......
AVANTIKA- wow.....aisa nazara maine aaj tak nahi dekha....kamal hai naa,har sadi me ek se ek painters ne janm liya par prakriti se bada chitrakar aur koi nahi....
is waqt hum ISLA ke sabse unche FLOATING MOUNTAIN ke upar khade the....
FLOATING MOUNTAIN matlab aisa mountain jo hawa me tair raha ho....
saamne ka nazara adhbhudh tha..hamare pairon ke neeche se hi kuch chowdi jagah khuli hui thi jiske akhri chhor se jharna beh raha tha...saamne hamare pahad ki hi tarah kayi pahad hawa me tair rahe the....
hawa me halki halki thandak thi jo mousam ko behad khushnuma bana rahi thi....
AVANTIKA-agar tumhe bura na lage toh ek baat bataun??
MAI- bolo....
AVANTIKA- bhale hi tum aur tumhara BHAI GOD ke BETE ho par unki sabse badi rachna tum dono nahi ye prakriti hi hai....
jiske bina kisi bhi insaan ka koi astitva hi nahi...
ab is pagli ko kaun samjhaye ki agar mai ya mera BHAI haqiqat se naaraz hone lagte toh kahani ka naam ATTITUDE hota hi nahi....
MAI- kya mai kuch puchun???
AVANTIKA- hmm...
usne ye baat saamne nazare ka maza lete hue kahi....
MAI- mere BHAI ko jisse DEVIL LORD bhi kaha jaata hai,jab kal tumne usse itne nazdik se dekha,toh tumhe kaisa mehsoos hua....???
MAI-pata hai,jab yudh ke baad tum meri godh me aadhe behoshi ki haalat me lete hue the,aur jab tumhara BHAI achanak prakat hua aur usne tum par humla kiya toh kayi thoughts mere dimag me aa jaa rahe the par ek thought tha jo lagatar mere dil mere dimag me bana hua tha aur ab bhi bana hua hai....
aur wo ye ki WO kitna bhi taakatwar kyun naa ho jaaye,kitni hi shaktiyan aur kyun naa haasil karle,par un shaktiyon se wo bas kisi ko maar sakta hai ya saza de sakta hai,par kya wo kisiko jeeven de sakta hai....????
nahi...ye taakat sirf GOD ke paas hai..jis din tumhare BHAI ko is baat ka andaza ho gaya ki maarne waale se bachane waala bada hota hai,shayad us din wo bekasuron ko maarna chhod de....
AVANTIKA ne apni baat khatm ki par jab kuch der baad bhi usse mera koi response sunayi nahi diya,toh wo meri taraf palti aur.......
mai ek tak usse dekh raha tha...
AVANTIKA- kya hua???aise kyun dekh rahe ho???
MAI- jab DIL ki baat zubaan kehne lage toh khubsoorti aur badh jaati hai...wahi dekh raha hun....
is baar AVANTIKA ne sharma kar apni nazaren nahi jhukayi..wo bhi ek tak meri aankhon me dekhne lagi....
najaane kitne jhagde,manupalations se hokar hum dono ka raasta guzra hai, aur fir ek din saare negetives side ho gaye aur hum dono dost ban gaye....
par jab rishta DOSTI ka ho aur EHSAAS MOHOBBAT ka,tab jhatke toh lagte hi hain...
aise hi kuch jhatke humse bhi takraaye par kehte hai naa,jab manzil tay ho toh kya fark padta hai ki raasta kaisa hai???
itne saare hurdles ke baad aaj mai aur AVANTIKA HUM bankar ek saath khade hain....
MAI- ek baat batao....jab maine ALESENDRA se COURIOUS ke baare me baat kar raha tha tab tum udaas kyun ho gayi thi..
AVANTIKA- tumhe nahi pata???tumse kya chhupta hai..
MAI- maine tumhare man ko padhne se khud ko rok liya hai...
AVANTIKA- kyun???
MAI- ISHQ khud ek MAGIC hai..uske upar aur koi MAGIC ka use karna,acha nahi lagta...
AVANTIKA-mai bhi tumhare saath COURIOUS jaana chahti hun par tumne mai kaha HUM nahi...
MAI- wahan khatra hoga AV....
AVANTIKA- jahan khatra naa ho,mai wahan jaana bhi nahi chahti......
MAI- thik hai...hum saath chalenge..
AVANTIKA- abhi....
MAI-abhi!!!kya tum yahan aur kuch der nahi bitana chahti...
AVANTIKA- mai jaanti hun ki jab tak tum wahan ke logon ko unki problems se chhutkara nahi dila dete,tumhare dil ko chain nahi aayega...
aur mai aisa kaise hone de sakti hun???
MAI- thik hai.....chalte hain..par use pehle yahan par ek aakhri kaam bacha hai,wo karlen...
ye kahkar maine apna haath aage badhaya jisse AVANTIKA ne thaam liya aur agle hi pal hum dono gayab ho chuke the...
PLACE-GRAH SETU....
MAI- ab hume jaana hoga DEFENDER....
mai AVANTIKA ko lekar sidha GRAH SETU ke pravesh dwaar ke saamne prakat hua..
mere prakat hone ke agle hi pal DEFENDER bhi mere saamne prakat hua..mera aakhri kaam yahan par issi jagah par tha....
MAI-waise toh oupcharikta kehti hai ki mai KING SOLOMON,LORD CRUSEDAR aur puri praja se ek baar aur bhet karun par usme samay lag jaayega...
jahan mujhe jaana hai wahan ke logon ne bohot dard saha hai...aur ab jab mai unke dard se awgat hun,toh mujhse ruka nahi jaayega....
DEFENDER- LORD,aapka har faisla manushya jaati ke hith me hi hota hai fir uspe sawaal kaisa???
MAI-aayiye mere saath...
ye kahkar mai aur AVANTIKA GRAH SETU ke pravesh dwar ke andar chale gaye aur hamare peeche peeche DEFENDER bhi aa gaya...
ACCHEDYA DVARAM SARDHAM SWAH TEJASWITA....
UNBREAKABLE DOOR WITH MY ENERGY....
SPELL bolte hi mere body se tez white kirane nikli aur tezi se GRAH SETU ke dono pravesh dwaaro ki tarf chal padi..
agle hi pal dono pravesh dwar ke chaaron taraf ek tez chamak ubhri aur fir sab normal ho gaya....
MAI- ye GRAH SETU ab puri tarah safe hai...agar kabhi dono grahon par koi akasmik vipada aaye toh mere aane tak aap dono grah ke logon ko is GRAH SETU ke andar le aayiyega...
sabke andar aate hi GRAH SETU ke dono dwaar apne aap band ho jaayenge....
BAHUPRAYOGAM STALIKHA......
MULTIUSE PLATE.....
mere SPELL bolte hi mere haathon me ek badi si plate aa gayi...
MAI- dwaar ke band hone ke baad aap kisi bhi tarah ka SPELL ka prayog nahi kar paayenge....aisi sthithi me is plate se jo bhi chiz maangenge,ye aapko de degi...
DEFENDER ne mere haathon se us PLATE ko le liya..
ye sab maine isiliye kiya tha kyunki mere BHAI ka koi bharosa toh tha nahi..agar wo fir koi game khele toh kamse kam yahan ke logon ke paas kuch back up toh ho...
MAI- ab aap baahar jaayiye..hume jahan jaana hai,wahan jaane ke liye ye jagah uchit hai...
DEFENDER ek baar mere aage jhuka aur fir wahan se chala gaya....
maine ye jagah isiliye chuni kyunki COURIOUS ki grah bindu ke andar se hote hue COURIOUS tak pahunchne ke liye mujhe bohot zyada concentrate karne ki zaroorat thi aur ye jagah bohot shaant thi.yahan DHYAAN lagana bohot aasan tha......
maine AVANTIKA ka haath thaama aur neeche baith gaya...
MAI-AV..mai apne chith ko tumhare chith ke saath jodne jaa raha hun....apni aakhen band karo aur jahan mera chith le jaaye,wahan chal padna.....
AVANTIKA ne apna sir haan me hilaya aur apni aakhen band kar baith gayi...
agle hi pal.......
mera CHITH AVANTIKA ke CHITH se jud chuka tha..hum dono ke hi maathe se tez roshni prakashit ho rahi thi..
wahin mai apne CHITH ke sahare ek roshni numa anant raaste me doude jaa raha tha...
hume doudte hue kaafi waqt guzar chuka tha par mujhe abhi tak hamari kaam ki cheez nahi dikhi thi...
mujhe kisi ki talash thi aur wo cheez kuch aur door tak aage jaane ke baad mujhe dikh gayi...
mai aur AV uski taraf badh gaye....
wo ek kaala ubharta hua sa gola tha jo kisi pal chota ho raha tha ur kisi pal bada....
par jaise hi mai uske paas gaya,mujhe apne sir me tez dard hone laga...
aisa hi dard AVANTIKA ke sir me bhi ho raha tha par humne haar nahi maani...
ek dusre se jude rahkar hum ek dusre ke dard ko peene lage aur kuch der tak jab wo KAALA GOLA hamare concentration ko hila nahi paaya toh......
us gole se do rays nikli jisne mujhe aur AVANTIKA ko jakad liya aur agle hi pal......
mai aur AVANTIKA us GOLE ke andar chale gaye...
yahan hamare CHITH us GOLE ke andar gaye wahan GRAH SETU me moujud humari bodies bhi gayab ho gaye......
PLANET- MONSLICKEL
PLACE- ASMODEUS PALACE
Aapka koti koti dhyanyawad DEVIL LORD......
ASMODEUS- dhanyawaad kamzoron ke shabdkosh me upyog hone waala shabd hai BHUVIKA.....dhanyawad kehne ke bajaye jo kaam tumhe soumpa gaya hai,uspe apna saara dhyan kendrit karo....
Yaad rahe, mai sirf raasta dikha sakta hun,us raaste ki manzil tak tumhe khud pahunchna hoga......halki si chuk,aur tumhara astitv khatm ho jaayega...
Aur tumhe mitane waala aur koi nahi mai hi rahunga... ASMODEUS ko apni yojna me baadha ya kisi bhi kism ki rukawat pasand nahi hai....
BHUVIKA- aisa kabhi nahi hoga DEVIL LORD....aur agar hua toh aapko kuch karne ki zaroorat hi nahi padegi...
Mai khud apne aap ko khatm kar lungi....
Ye bolte waqt BHUVIKA ki aankhen krodh se laal ho chuki thi aur uski vaani me ek gazab ki dridhta thi jisse dekh kar ASMODEUS ke chehre par vijetaon waali muskaan aa gayi....
ASMODEUS- apni manzil ko shighr khojo mere BHAI...tumhari manzil hi meri jeet hai.....
Is baat ko bolte waqt ASMODEUS ke aankhon ke saamne ek LIVE drishya chal raha tha..aur ye drishya wahi tha jisme VIKRAM AVANTIKA ka haath pakad DHYAN awastha me baith GRAH BINDU ke zariye COURIOUS me pahunchne ki koshish kar raha tha...
Wahin BHUVIKA ne jab ASMODEUS ki baat suni,toh usse kuch samajh nahi aaya..wo ASMODEUS se uski baat ka matlab puchne hi waali thi ki...........
BHUVIKA ke baaju me ek kaala dhuan utha aur ussi dhuen ne kuch hi palon me BEELZEBUB ka roop le liya...
BEELZEBUB- kaam ho gaya FATHER....
ASMODEUS- mujhe pata hai..
Jaise hi ASMODEUS ne apne seene ke andar se swarna box ko nikala aur BHUVIKA aur BEELZEBUB ko bataya ki us box ke andar VIKRAM ka khoon hai tabhi se un dono ke dimag me bohot se sawal gunj rahe the....
par ASMODEUS se kuch bhi puchne ki himmat unme se kisi me bhi nahi thi...
ASMODEUS bhi un dono ki manodasha ache se jaanta tha,par kuch kehna chhod usne kuch kiya jisse dekhkar BEELZEBUB aur BHUVIKA ki aankhen badi ho gayin...
BANDHANIYA
Capture.....
ASMODEUS dwara is spell ke uccharit hote hi kuch naya hua jisse BHUVIKA aur BEELZEBUB dekh toh paa rahe the,par unhe kuch samajh nahi aa raha tha....
Uske baad ASMODEUS ne BEELZEBUB ko ek kaarya diya jisse sunane ke baad BEELZEBUB ki jigyasa apne charam par pahunch gayi aur wo ASMODEUS se puche bina nahi rah paaya....
BEELZEBUB- isse kya hoga FATHER??????
ASMODEUS- iska jawab tum khud VIKRAM ki zubani sun lena....
ASMODEUS ki baat sunanane ke baad BEELZEBUB ke paas apne FATHER dwara soumpe gaye kaam ko pura karne ke alawa aur kuch nahi bacha tha isiliye apne kaam ki cheez ko le wo ASMODEUS ke saamne sir jhukakar gayab ho gaya aur kuch hi der baad apna kaam khatm kar punah prakat ho gaya....
ASMODEUS-ab tum dono apne gantavya ki aur turant agrasit ho jaao...
BHUVIKA,jab tak mai naa kahun,aage mat badhna...
BHUVIKA ka sawaal uske man me hi reh gaya..wo aur BHUVIKA ne apna sir jhukaya aur gayab ho gaye...
PLANET- YELUPTUS
PLACE- STORMY DESERT
BEELZEBUB-Taiyar ho.....
BHUVIKA- hamesha....
apna word confidently bol BHUVIKA dyan awashta me baith gayi aur kuch hi palon me uska CHITH uske shaktiyon ke baadal ke saamne khada tha....
BHUVIKA ne wapas apni white shaktiyan jo usse sarhad par mili thi, usse khud ko dhak liya aur aage badhi...SAMAY SANCHALAKON ki ray rope ne fir BHUVIKA ko rokne ki koshish ki par BHUVIKA ke chaaro taraf faile WHITE ENERGY ke dhuen ki wajah se wo kuch kar nahi paayi...
BHUVIKA chalti hui apni shaktiyon ke saamne khadi ho gayi par wo aage nahi badh rahi thi....
aur tabhi......
ASMODEUS- ab........
ye wahi waqt tha jab VIKRAM aur AVANTIKA ko us KAALE GOLE ne apne andar kheench liya tha jiske baad VIKRAM aur AVANTIKA ke sharir bhi gayab ho gaye the....
ASMODEUS ki awaaz ke kaan aur CHITH me gunjte hi BHUVIKA apne shaktiyon ke beech utar gayi.....
DHYAN me baithi BHUVIKA ka sharir hawa me uthne laga..uske chaaron taraf WHITE aur BLACK ENERGY ki rays ghumne lagi aur dheere dheere wo saari rays BHUVIKA ke andar sama gayi...
jaisa ki maine bataya tha ki YELUPTUS ab ek banjar grah tha par BHUVIKA ke andar dono energies ke samate hi YELUPTUS ke vaayu mandal me hazaron saalon ke baad bijli kadki......
bijli kadakte hi BHUVIKA ki aankhen khul gayi....BHUVIKA ke aankhon ki putliyan lagatar apna rang badal rahi thi....
kabhi wo kaali ho jaati toh kabhi safed.....
BEELZEBUB jo is waqt BHUVIKA ke saamne hi khada tha,uske chehre par bhi BHUVIKA ke naye roop ko dekhkar muskaan aa gayi...
BEELZEBUB ki hi tarah BHUVIKA ke sharir par bhi lambe vastra aa gaye par BHUVIKA ka vastra aadha kaala tha aur aadha sweth....
abhi dono me se koi kuch kehta usse pehle hi dono gaayab ho gaye aur agle hi pal wo dono ASMODEUS ke saamne the....
ASMODEUS- shakti mubarak ho BHUVIKA.....
BHUVIKA jisne apni shakti haasil karne ke baad abhi tak ek shabd bhi nahi kaha tha,uske labh hile....
BHUVIKA- ab???
ASMODEUS- tumhara PRATISHODH aur.....
apni baat adhuri chhod ASMODEUS ne apna haath aage kiya jiske upar agle hi pal kuch aa gaya...
ASMODEUS- iska upyog karne ka waqt aa gaya....
BEELZEBUB- ye toh!!!!!!
ASMODEUS- hmm....mere naayab sangrahon me se ek....SAMAY SANCHALAKON se meri haasil ki hui.....
PARIVARTAK............
AAJ KE LIYE ITNA HI....
AAPKA APNA V...J....
Very nice update bhaiAB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM GRAH BINDU KO DHUND AVANTIKA KE SAATH USKE ANDAR SAMA JAATA HAI WAHIN ASMODEUS KE HAATH ME PARIVARTAK AA JATA HAI
AB AAGE:-
CHAPTER-2
( CURSE OF THE SWEET POISON )
MEGA DARK UPDATE-90
PLACE- HEAVEN
KYA AAP DONO BHI WAHI MEHSOOS KAR RAHE HAIN JO MAI MEHSOOS KAR RAHA HUN....
ST CECILIA/ST ALFRICK - haan....
ST SEBASTIAN ke sawaal me bhi ek kism ki ghabrahat thi aur wahi ghabrahat baaki ke dono SAINTS ke jawab me bhi thi....
ST CECILIA- sadiyon pashchaat aaj hume PARIVARTAK ki urja mehsoos hui hai....
ST ALFRICK- par kya faayda....jab se LORD OF ANGELS ko apni shakti mili hai,tabhi se ASMODEUS ne khudko aur khudke aas paas ho rahi sabhi mahatvapurn gatividhiyon ko nazarbandh kar diya hai....
hum PARIVARTAK ko mehsoos toh kar sakte hain,par usse dekh nahi sakte...
ST CECILA- par samasya wo nahi hai....hum PARIVARTAK ko isiliye mehsoos kar paa rahe hain kyunki ASMODEUS ne churane ke baad pehli baar usse saamne laaya hai...
hum sabhi ANGELS LORD OF ANGELS ki urja se jude hue hain...aur ye koi sanjog nahi ho sakta ki jaise hi humme LORD ki urja mehsoos hona band hua,thik ussi waqt PARIVARTAK ki urja ne hume khud se awgat karaya...
ST ALFRICK- kintu hum LORD ko mehsoos kyun nahi kar paa rahe hain...aisa lag raha hai jaise wo hum sabhi se kat gaye hain....
ST SEBASTIAN- asli chinta ka vishay ye nahi hai ki hum LORD ko mehsoos kyun nahi kar paa rahe hain,chinta ka vishay ye hai ki kya wo humme mehsoos kar paa rahe hain...
kyunki agar aisa nahi hai,toh iska arth ye hai ki wo PARIWARTAK ko bhi mehsoos nahi kar paa rahe honge...aur aisi sthithi me parinaam bohot bhayankar ho sakta hai....
ST CECILA- par hum kar bhi kya sakte hain....hum toh un tak pahunch bhi nahi sakte....ab jo bhi karenge,wo LORD hi karenge...
yahan GODS MESEENGER is ummid me the ki LORD OF ANGELS kuch karenge par wo ye nahi jaante the ki ASMODEUS AISA HONE NAHI DEGA....
JAB TAK VIKRAM GAME KO SAMJHEGA,ASMODEUS GAME KHATM KAR CHUKA HOGA!!!!!
PLANET-RAW PLANET.......BANJAR GRAH.....
PLACE- ROCKY LAND
ye hai COURIOUS.........par yahan ke atmosphere me toh oxygen ko rivive karne waale partcles hi nahi hain aur naahi pani ko....ek second!!!!!
AVANTIKA bolte bolte rook gayi....
AVANTIKA- jab yahan oxygen hi nahi hai toh mai saans kaise le rahi hun....
apni baat ya fir ye kahun ki baat ke baad khudse hi sawal karne ke baad AVANTIKA ne meri taraf dekha....
MAI- meri body ke OXYGEN WAVES se....
AVANTIKA- par!!!!!
par ke baad aane waala KAISE AVANTIKA ke andar hi reh gaya...
AVANTIKA- kabhi kabhi mai tumhari PEHCHAAN bhul jaati hun....
MAI- meri pehchaan tumhari mohobbat hai..bas ye baat hamesha yaad rakhna....
AVANTIKA- oho mister ROMANTIC....aapko nahi lagta ki filhal aapko us problem pe focus karna chahiye jo is waqt hamare saamne hai....
MAI- focus mujhe sirf us grah bindu par karna tha jiske andar sama kar hum yahan pahunche hain...
yahan pahunch gaye,samjho COURIOUS pahunch gaye....
AVANTIKA- COURIOUS pahunch gaye matlab!!!ye COURIOUS nahi hai?!!!!
MAI- nahi....ASMODEUS ne COURIOUS ko jis banjar grah ke andar chupaya tha,ye wahi grah hai....
AVANTIKA- toh ab!!!!
maine kuch kaha nahi bas apni INDEX finger ko niche zamin me rakh pressure diya aur agle hi pal zamin me darad padne lagi aur dekhte hi dekhte mere ungli ke niche ki jagah do hisso me bat gayi aur un do hisso ke beech ek anant patli si khayi dikhne lagi....
aisa hote hi meri ussi ungli se ek ray nikli jo us zamin ke do hisso ke beech aaye gap ke andar chali gayi aur agle hi pal.......
jis gap ya khai me meri ray gayi thi,wahan se tez roshni nikal baahar aane lagi....
AVANTIKA- wow....ye kaise hua???
MAI- ASMODEUS ne is grah ko andar aur baahar se apne BLACK MAGIC ke bandhan se baandh diya tha....
jo ray meri ungli se nikli thi wo mere sharir ki urja thi jisne is grah ke andar ke kaali bandhano ko kaat diya hai...
ye roshni asal me wo raasta hai jo hume COURIOUS pahunchayegi....
AVANTIKA- ohh.par ye grah toh ab bhi banjar hai..kya ye hamesha aisa hi rahega...
MAI- ye grah toh hamesha aisa hi tha..yahan zindagi kabhi nahi panpi....par jaise hi COURIOUS azaad hoga,wo is GRAH ke maaya se alag ho jaayega....
AVANTIKA- haash...chalo,baaki saari problems toh khatm hui..ab bas COURIOUS ki problem baaki hai...
MAI- ek aur problem hai???
AVANTIKA meri baat sun chownk gayi...
AVANTIKA- ek aur problem!!!wo kya?
MAI- mai bramhaand ki har jagah ko mehsoos kar sakta hun aur apne saare ANGELS ko har waqt dekh sakta hun..par yahan aate hi mujhe bahari duniya ka kuch bhi nazar nahi aa raha hai.....
maine koshish bhi ki bahar jhankne ki par mai nakamiyab raha....
AVANTIKA- shayad is jagah me faile MAGIC ki wajah se..tumne hi toh bataya tha na ki is jagah ko BRAMHAAND ke nakshe se tumhare BHAI ne chhupaya hua hai...
MAI- hmm.shayad...par zyada der tak aisa rehna sahi nahi hai...hume COURIOUS ki problem jaldi hi khatm kar wapas loutna hoga....
maine AVANTIKA ka haath thaama aur us roshni ke upar haath rakha jo us GAP se aa rahi thi aur agle hi pal.......
mera aur AVANTIKA ka sharir bhi ussi ROSHNI me badal gaya aur hum us GAP ke andar chale gaye....
humare andar jaate hi wo GAP apne aap bhar gaya aur tabhi............
jis jagah par MAI khada tha,theek ussi jagah par ek kaali aakruti abhri aur dekhte hi dekhte us aakruti ne ek roop le liya.....
sir se lekar kaale labadon me dhaka hua wo shaksh us viran grah ke beech khada muskura raha tha.....
uske haathon me kuch tha jisse uski ungliyon ne aise jakda hua tha...ye kuch aur kuch nahi PARIVARTAK tha jisse apne hatheli ki giraft me pakad ASMODEUS ek tak us jagah ki dekh raha tha jahan se hote hue VIKRAM aur AVANTIKA ROSHNI me badal andar chale gaye the....
MAI- jis grah ko maine pure bramhaand se hazaron varshon tak chuppa kar rakha tha wahan mere BHAI tum aise hi chale gaye...
bina mujhse puche.....ye toh galat baat hai aur har galti ki saza milti hai aur tumhari saza hai....
PURVAPARI BHAVATI......
CONNECT WITH EACH OTHER.....
ASMODEUS ne PARIVARTAK ko zameen ke upar rakha aur SPELL bola....
SPELL bolte hi PARIVARTAK se invisible anginat rays nikalne lagi aur har taraf faile gayi.....
rays nikal hi rahe the ki achanak PARIVARTAK jo ki dikhne me GOL sa tha aur uske beech me ek laal mani jaisi koi cheez rakhi hui thi,us mani me laal roshni ubhari....
laal roshni ke ubharte hi ASMODEUS ne uspar apni ek ungli rakhi aur.......
MOKSAYATI.....
DETACH......
ASMODEUS ke SPELL bolte us laal mani ne kuch kiya aur uska kaam khatm hote hi saare rays wapas PARIVARTAK ke andar sama gaye.....
ASMODEUS- maine apne hisse ka kaam kar diya hai BHAI....par mera baaki ka bacha kaam mai nahi kar sakta,usse karne ke liye mujhe tumhari zaroorat padegi.....
hahahahaha..............
issi hasi ke saath ASMODEUS gayab ho gaya......
PLANET- COURIOUS
PLACE- SNOW VALLEY
shhhhhh....kitni thand hai yahan.....
ROSHNI me badalkar hum jis jagah par pahunche the wo ek barf ki chadar odhe hue valey thi....
isiliye AVANTIKA ko thand lagna toh normal tha....
COURIOUS....mere dusre padhav ki aakhri paheli.....jahan suraj kabhi nahi ugta par fir bhi har taraf biche barf aur snow ki wajah se hamesha halka halka ujala rehta hai....
mai charon taraf ka jaayaza le hi raha tha jab AVANTIKA ne apni baat kahi jise sunkar mai chownk gaya....
mere chownkne ka reason AVANTIKA ko thand lagna nahi tha balki mujhe bhi thand mehsoos karna tha...
haalaki mujhpar thand ka asar AVANTIKA ke mukable kam tha,par fir bhi tha toh sahi...
aur ye koi choti baat nahi thi....jis bande ko surya ki garmi aur barf ke andar ki thand tak se koi fark nahi padta usse sirf ek jagah par khade khade thand lagna,zaroor koi badi baat thi...
aur agle hi pal mera shak yakin me badal gaya kyunki AVANTIKA ke sharir ko thand rahit banane ke liye maine apna haath uski taraf kiya par kuch bhi nahi hua....
matlab mai yahan magic nahi kar paa raha tha.....apni saari shaktiyon ko dekhne ke liye maine apni aakhen band ki aur jo nazara mere CHITH ke saamne aaya usse dekhkar maine jhat se apni aakhen khol di....
ye SHOCK ki wajah se hua tha...meri saari shaktiyon ko ya yun kahun mere sharir ki har koshikaon ke aage ek diwal si bani hui thi jiska matlab ye tha ki mai apni shaktiyon ka use nahi kar sakta hun....
AVANTIKA jo thand se thiturte hue mujhe dekh rahi thi,usse bhi mere har badalte expresions ko dekhkar ehsaas ho gaya tha ki kuch gadbad hai....
AVANTIKA- kuch problem hai kya???
MAI- hmm.meri saare powers yahan aate hi de active ho gaye hain....
AVANTIKA meri baat sunkar kar shocked ho gayi...
AVANTIKA- but,how's that possible....
maine kuch kaha nahi bas neeche baith gaya aur neeche zamin ko jo ki barf se dhaki hui thi usme apna right hand halka dhasa diya...
maine apni aankhe band ki aur apni saari indriyon ko jagakar us barf numa zamin ko mehsoos karne laga.....
meri indriyon ke jaagrit hote hi mere andar moujud shaktiyon me khalbali mach gayi aur wo us diwal ko jo unhe roki hui thi usse dhakka dene lagi....
isme wo puri tarah kaamiyab toh nahi hui par aisa hone se mujhe hamere sawaal ka jawab mil gaya aur saath hi ek aur santushti purv tathya bhi mere saamne aa gaya...
MAI- ye pura grah ASMODEUS ke shrap ki wajah se prabhavit ho gayi hai....
aur aisi jagah par sirf ek DEVIL hi apni shaktiyon ka istemal kar sakta hai,koi ANGEL nahi....
AVANTIKA- toh ab!!!bina tumhare shaktiyon ke hi hume aage badhna hoga!!!!
MAI- kyun,tum zyada der chal nahi paaogi???
AVANTIKA- mujhe ye toh nahi pata tha ki is safar me kaisi kaisi problems aayengi,par itna zaroor pata tha ki problems aayengi zaroor....
aur maine toh tumse pehle hi kaha tha naa.ki jisme khatra na ho,mujhe aise safar me jaana hi nahi hai....maine toh ye sawal isiliye pucha tha kyunki bina tumhare shaktiyon ke hume pata kaise chalega ki hume jaana kahan hai...
yahan toh door door tak kisi insaan ka naamonishaan tak nahi dikh raha hai....aur jaisi thand yahan par padh rahi hai,usme zyada safar karna shayad mumkin naa ho....
MAI- hmm...par hamare paas koi option bhi toh nahi hai...par haan,ye safar jitna bhi mushkil aur lamba kyun naa ho,tumhe pareshan hone ki zaroorat nahi hai....
meri aloukik i mean ANGEL'S shaktiyan kaam nahi kar rahi,par sharirik aur maansik shakitiyan abhi bhi intact hai....
aur in shaktiyon ke bal par toh mai tumhe apni godh me uthakar is pure GRAH ka chakkar laga sakta hun...
ye kehkar maine AVANTIKA ko apni godh me utha liya....
AVANTIKA- arre mai itni bhi naazuk nahi hun....filhal mujhe chalne do....jab mai thak jaaungi tab mujhe apni godh me utha lena...
chalne se meri thand bhi kuch kam ho jaayegi....
MAI- thand ki chinta mat karo....
ye kehkar maine apni aakhen band ki aur ek aur baar apni indriyon ko jaagrit kiya....
maine apne CHITH ko apne khoon ki taraf mod diya aur jaise hi mera CHITH ne mere khoon ko chua,mera khoon garam hone laga....
ye sab mere andar ho raha tha...par aisa hote hi meri sharir se HEAT WAVES nikalkar AVANTIKA ke andar samane lage aur kuch hi palon me AVANTIKA ka sharir warm ho gaya...
ab usse thand nahi lag rahi thi...apna kaam khatm kar jab maine apni aakhen kholi toh AVANTIKA ko khudko ghurta paaya...
AVANTIKA- tum toh keh rahe the ki tum yahan magic nahi kar sakte...
MAI- maine magic nahi kiya....ye sab toh meri khudke senses ko apne khoon se jodne ki vidhya ki wajah se hua hai....ye mujhe GURUJI ( BABA VISHAKHT ) ne sikhayi thi...
ye bolte hue mere chehre par ek muskaan naach gayi....
AVANTIKA- kya hua,has kyun rahe ho...
MAI- kitni ajeeb baat hai naa,mere pehle safar( first chapter ) ke antim padhav ( DHAWALI JHEEL ) ke waqt bhi mere paas koi aloukik shaktiyan nahi thi..
us waqt bhi mere chaaron guruon ki di hui shikhsa aur prashikshan hi mere kaam aayi thi....unhi ke bal par mai us safar me kaamiyab ho paaya tha....
aur is safar ( second chapter ) ke antim padhav ( sweet poison ) ke waqt bhi wahi shikhsha,wahi vidhya mere kaam aa rahi hai....
pata hai AV.....log jab badi badi milestones achieve karte hain,toh apne roots bhool jaate hain..
wo un chizon ko aur un logon ko bhool jaate hain jinki wajah se unki safar ki shuruat hui thi...unhe apni shuruati dour ki seekh aur vidhya yaad nahi rehti...
aur naa hi wo achievements jo unhe us shuruati vidhya ki wajah se mili thi...par bewakuf itna bhi nahi samajhte ki unki shuruati vidhya,prashikshan hi unke bade bade achievements ka base hai....
agar base hi nahi rehta toh wo kabhi bhi uchayiyon ke shikhar par nahi pahunch paate....
( ATTITUDE GUYS )
apni baat khatm kar jab maine AVANTIKA ki taraf dekha toh paaya ki wo mujhe hi ek tak dekh rahi hai....
MAI- kya hua???
AVANTIKA- jab tumhari asliyat mujhe nayi nayi pata chali thi toh mai hamesha ye sochti thi ki TUM HI KYUN?
par ab saaf pata chalta hai ki TUM HI KYUN????ek baat kahun,tumhari shakti ka shroth koi energy nahi tumhari soch hai....
jab tak ye tumhare saath hai,tum har imtihan me paas hoge....
MAI-galat..tum bhul rahi ho ki tum meri kya ho...SHAKTI.....jab tak tum mere saath ho,mai jitni baar girunga,wapas khada ho jaaunga....
maien AVANTIKA ka haath thaama aur hum apne is anjaan safar par nikal pade...
ye situation kaafi tensed thi....manzil kitni door hai,pata nahi,raaste me kya kya ho sakta hai,iska koi andaza nahi,meri hi shaktiyan meai ab use nahi kar sakta tha,pure BRAHMHAAND se mera sampark toot chuka tha...
itne saare negetives ke beech bhi AVANTIKA ka mere saath hona mere normal,khush aur positive rehne ke liye kaafi tha....
hasi mazak karte hue hum najaane kitni der tak chalte rahe,hume pata hi nahi chala aur shayad aage bhi pata nahi chalta agar.....
MMMMMMMM...............
is awaaz ke kaan me padte hi jahan mai satark ho gaya wahin AVANTIKA ne dar ke mera baazu pakad liya....
MAI- daro mat....kuch nahi hoga...
AVANTIKA- par ye awaaz.....
MAI- bacho.......
ye bolkar mai AVANTIKA ko liye ek taraf jhuk gaya.....
jhukne ke agle hi pal jab maine aur AVANTIKA ne saamne dekha...
jahan saamne dekhkar meri satarkta aur badh gayi wahin AVANTIKA ka dar se bura haal hone laga....
AVANTIKA- ye toh.....
MAI- BHEDIYA HAI........
ji haan doston,is waqt mere aur AVANTIKA ke saamne ek BHEDIYA khada tha....
jisse maine hamare saamne aane se pehle hi mehsoos kar liya tha aur jaise hi usne mujhpar chalang lagayi,mai AVANTIKA ko saath lekar jhuk gaya....
AVANTIKA-par iska size itna zyada kaise hai aur iski aankhen,baar baar rang kyun badal rahi hai....
MAI- pehle toh tum ye darna band karo....maine kaha naa ki kuch nahi hoga...
ouch.........
ye awaaz AVANTIKA ke mooh se nikli thi....reason.....hum baat kar hi rahe the ki wo BHEDIYA jo ki humse kuch feet door hamare saamne khada tha,usne humpar chalang laga di....
par mai satark tha....uske chalang lagate hi maine bhi AVANTIKA ke kamar ko pakda aur chalang laga di....
hum dono ka sharir hawa me tairta hua BHEDIYE ke upar se hota hua wahan land hua jahan kuch der pehle wo BHEDIYA khada tha....
kyunki ye sab bohot jaldi hua tha isiliye AVANTIKA ke kamar ko hold karte waqt maine apna grip halka tight rakha tha jis wajah se AVANTIKA ke mooh se ouch nikal gaya tha...
MAI- is grah ki hi tarah is bhediye ke upar bhi shraap ka kuch asar hua hai....iski aankhen jo kabhi kaali aur kabhi safed ho rahi hain ye ussi wajah se hai....aur iski hieght bhi black energy ka side effect hai.....
AVANTIKA- toh ab.....!!!!
MAI- ab ye.......
MMMMM...MMMMM....MMMMMM............
ye awaaz BHEDIYE ke mooh se aa rahi thi jo is waqt mere dono haathon ke giraft me tha...
hua ye ki jab mai AVANTIKA ko us BHEDIYE ke baare me bata raha tha tabhi usne dobara humare upar chalang laga di...
par is baar maine hum dono ko defend karne ki nahi balki is matter ko jaldi se niptane ka decide kiya...
jaise hi BHEDIYA apna mooh faade mere kareeb aaya,maine apne dono haathon se uske jaws ko upar aur neeche se pakad liya aur agle hi pal......
BHEDIYA ka mooh do bhaagon me bat chuka tha....maine BHEDIYE ke dono jaws ko pakadkar faad diya tha.....
ek ajibogarib aawaz ke saath BHEDIYA gir gaya aur uski mout ho gayi.....
AVANTIKA- haash....bala tali......
MAI- ye problem nahi solution thi....
AVANTIKA- matlab!!!!!
maine kuch kaha nahi bas us BHEDIYE ke mooh se jahan se fatne ki wajah se khoon nikal raha tha,us khoon ko apne unglyon me liya aur agle hi pal meri aankhen band ho chuki thi...
maine apni indriyan ek baar firse jaagrit ki aur jaise maine apne khoon ko mehsoos kiya tha,thik waise hi us BHEDIYE ke khoon ko bhi mehsoos karne laga.....
aur kuch hi palon me us BHEDIYA ki zindagi ka pura safar mere band aankhon ke aage naach gaya....
aur issi ke saath mujhe meri kaam ki cheez bhi dikh gayi....
MAI- chalo..ab mujhe pata hai ki hume kahan jaana hai.....
meri baat sunkar AVANTIKA shocked ho gayi...
AVANTIKA- kaise???
MAI- arre abhi jo maine iske khoon ko apne ungliyon me liya tha,wo hamari manzil ko dhundne ke liye hi toh kiya tha.....
AVANTIKA- matlab?
MAI- hum toh yahan abhi aaye hain par ye BHEDIYA toh yahin ka hai naa...toh isne yahan ki har jagah dekhi hui hai....
mai iske khoon se har us jagah ko dekh raha tha jahan jahan ye gaya hai....aur issi dauran mujhe wo jagah bhi dikhi jahan mai apne sapne me pahuncha tha.....
AVANTIKA- wow....chalo fir.....waise wo jagah yahan se kitni door hai.....?
MAI- zyada nahi...yahi kuch 100 kms......
AVANTIKA- what!!!!!100 kms...aur tum isse zyada nahi keh rahe ho...tum bhul rahe ho ki ab tumhare paas tumhari powers nahi hain...
fir hum....
MAI- correction....mere paas sirf meri HEAVENLY POWERS nahi hai.....par jab mai wo nahi tha jo ab hun,tab bhi maine kaafi kuch sikha tha jo aise tasks ke liye perfect hai.....
AVANTIKA- ok..toh fir......!!!arreeee,,,,,,oh..my god........itna speed..........
AVANTIKA apni baat puri karti usse pehle hi maine usse apni peeth me baith liya aur agle hi pal......
mai doud raha tha.....aapko yaad hoga ki AKSHAANT ne mujhe hawa ki tarah doudne ki kala sikhayi thi.....aaj wahi kala mere kaam aa rahi thi....
par is grah ke negetive energy ki wajah se meri speed jitni honi chahiye utni nahi thi fir bhi kaafi thi....
mere achanak AVANTIKA ko apni peeth par bithane par AVANTIKA shocked hui aur meri speed dekhkar double shocked....
par maine usse filhal kuch bhi nahi kaha kyunki ek toh itni speed me usse kuch sunayi nahi deta aur dusra,ab jab maine apne sapne waali jagah dekh li thi,toh wahan pahunchne se pehle mai kuch kahena nahi chahta tha....
MAI- finally......hum pahunch gaye.....
kuch hi minaton ki daud ke baad hum us mod ke paas the jahan se mere sapne ki shuruat hui thi...humse kuch hi door par kuch kache pakke se gharon ka colony sa bana hua tha...ye wahi jagah thi jahan mai us ladki ke peeche peeche gaya tha.....
AVANTIKA-yaar,speed itni thi ki meri aankhon se aansu nikal kar sukh bhi gaye....
par jab maine AVANTIKA ki baat ka koi jawab nahi diya toh usne meri taraf dekha toh mujhe saamne ki taraf dekhta paaya...
AVANTIKA- hume yahin jaana hai???
MAI- hmm....yahi rehte hai wo log jo najane kitni sadiyon se tadap rahe hain....
AVANTIKA ne kuch kaha nahi bas mera haath thaam liya....
MAI- hume ab aur deri nahi karni chahiye...chalo,milte hai yahan ke logon se aur jaante hai ki kya hai ye CURSE OF THE SWEET POISON......
hum dono aage badh gaye.......
PLANET- THE WORLD OF WARRIORS
PLACE- PALACE HALL
LORD CRUSEDAR-kaun ho tum!!!!!
AAHHHH........
PLANET- ISLA
PLACE- PALACE HALL
KING SOLOMON- KAUN HO TUM..
AHHHHH........
PLANET-GLUTO
PLACE-PALACE HALL
SHAILA- KAUN HO TUM?
AHHHHH........
PLANET-COURIOUS
PLACE - DESTINATION
ye jagah toh puri khaali hai....koi dikh hi nahi raha.....
par maine AVANTIKA se kuch kaha nahi bas idhar udhar dekhta raha.....
AVANTIKA- kya hua???kya dekh rahe ho???
MAI- yahan ek gali honi chahiye....mai ussi gali se hokar aage gaya tha....wo dekho,wo rahi....
maine ek taraf point kiya jahan ek sankari si gali thi....
mai aur AVANTIKA us aur badh gaye...
jab se hum dono us colony numa jagah par pahucnhe the,tabhi se mujhe kuch ajib sa feel ho raha tha...
shayad isiliye kyunki yahan pahunchkar mai us dard ko aur zyada mehsoos kar paa raha tha jo yahan ke log najane kitno varsho se bardasht karte aa rahe the....
aage kya hoga,is sach se anjaan hum dono us sankari gali se hote hue chalne lage jo thodi lambi thi par kuch der chalne ke baad us gali ka anth aa gaya...
ab hum barf ke ek bade se maidan me khade the.....humse thodi door ek chota sa ghar tha,bas aur baaki puri jagah khaali thi....
AVANTIKA- ab???sapne me tum yahan se kahan gaye the....saamne waale ghar me.....!!!
MAI- hmm.
hum dono ussi makan ki taraf chal pade aur makan ke darwaaza pe pahunch maine usse khatkataya par.........
mere haath lagte hi darwaza khulta chala gaya iska matlab usse bas yunhi atka kar rakha gaya tha...
khair,hum dono andar chale gaye par andar koi nahi tha....
AVANTIKA- yahan toh koi bhi nahi hai....
maine kuch kaha nahi bas hum jahan khade the uske peeche ek khidki thi,wahin se mai bahar ki taraf dekh raha tha.....
AVANTIKA- kya hua,wahan koi dikha kya??
MAI- nahi..par pata nahi mujhe aisa lag raha hai jaise wahan koi hai....
AVANTIKA jaanti thi ki meri sixth sense shuru se strong rahi hai isiliye....
AVANTIKA- toh chal kar dekhen...kahin na kahin toh jaana hi hoga toh wahin chalte hain...
MAI- hmm....
mai aur AVANTIKA ghar se baahar aaye aur ussi taraf chal pade....
kuch der tak aage chalne ke baad mere chehre par khushi chamakne lagi aur jab maine AVANTIKA ki taraf dekha toh uske chehre par bhi same bhaav the...
AVANTIKA- u found them...
MAI- we found them.....
meri aur AVANTIKA ki chaal aur tez ho gayi..hoti bhi kyun naa,jinke liye hum itni door aaye hain,hume aakhir wo mil jo gaye the....
wahin saamne...........
1ST- PERSON-aakhir mera bhi waqt aa hi gaya....is dard aur andhere ki duniya se wapsi ka.....
COURIOUS ke bache hue 1000 log is waqt ek ped ki neeche ikattha hue the...wo budhi aurat ussi ped ke niche apni aakhri saansen lena chahti thi...
aur iska kaaran ye tha ki kisi zamane me COURIOUS me un pedo ki bharmaar thi ya fir ye kahun ki COURIOUS me sirf wahi ped hua karte the jo ki ab vilupt ho chuke hai bas ek wahi ped hai jo bacha hua hai...
par uski haalat bhi kuch achi nahi hai..naa toh us ped me koi patta bacha tha aur na koi FAL....puri tarah sukh chuka tha wo ped....
us budhi ki baat ka kisine bhi koi jawab nahi diya..sabhi chup chaap aansu bahate khade rahe ki tabhi.....
AAHHHH..........
AHHHHH........
aisi hi dard bhari awaaz ek ek karke wahan moujud sabhi logon ke mooh se nikalne lagi..unhone turant kuch khaya jiske khaate hi uska unke saath jo ho raha tha,wo hona rook gaya...
BUDHI- ANALIA,tumhari daadi ke antim waqt me jo kuch bhi hua,aur uske baad tumhari daadi ne jab bataya ki hamari madad karne ke liye hamare uddharkarta aayenge,usse sunkar ek ummid jagi thi,par ab wo ummid bhi toot rahi hai....
UMMID KA DAAMAN KABHI NAHI CHHODNA CHAHIYE..KYUNKI UMMID WO RASSI HAI JISKA EK SIRA PARMESHWAR KE HAATHON ME HOTA HAI AUR DUSRA HAMARE...
APNE SIRE KI RASSI KO CHHODNE KA MATLAB HAI BHAGWAN KO CHHODNA...
ye awaaz un sab logon ke piche se aayi thi jisse sunkar sabhi chownk gaye aur jab un sab ne apne piche palat kar dekha toh unki hairani ka koi thikana nahi raha.....
jab se COURIOUS shaapit hua hai,aaj pehli baar wahan ke logon ne apne saamne kisi anya grah ke manushya ko dekha tha..
aisa kuch hone ki unhone kabhi kalpana bhi nahi ki thi....
ek handsome sa ladka aur ek khubsoorat si ladki,jo un sab ko muskurate hue dekh rahe the....
mai jo muskurate hue sabhi ko dekha raha tha,aur intazar kar raha tha ki wo sab shock se baahar aayen toh mai kuch kahun,par isse pehle ki wo sab shock se baahar aate,kisiko dekhkar mai shocked ho gaya....
wo buddhi aurat jo ki ek khaat par leti hui thi,usne bhi meri awaaz suni thi....wo bhi dheere dheere uthi aur wo bhi baakiyon ki tarah mujhe aur AVANTIKA ko dekhkar shocked ho gayi....
mai jisse dekhkar shocked hua tha,wo bhi apne aakhon me hairat liye meri taraf aane LAGI.....
ji haan doston,wo ek ladki thi jisse dekhkar mai shocked ho gaya tha,KYUN....ab saare raaz issi update me toh nahi khol sakta naa,kuch base 3RD chapter ka banana bhi zaroori hai....
khair,wo ladki ab tak mere kareeb aa chuki thi.....
LADKI- kaun hai aap?
us ladki ki awaaz sunkar mai fir chownka..kyunki ye awaaz maine apne sapne me suni thi par us waqt mujhe uska chehra dhundla sa dikha tha jis wajah se mai usse dekhte hi nahi pehchaan paaya tha....
MAI- aap ANALIA hain...haina....
meri baat sunkar wo aur uske piche piche wahan khade saare logon ke dimag me short circuit hone lage...
ANALIA- aaappppp kkooo meerrra naammmm kaaiiiseee paatttaa cchhaalllaa...
ANALIA ne ladkhadati awaaz me apni baat kahi par isse pehle ki mai usse koi jawab deta
AAHHHH.....
AHHHHH......
ye dard bhari awaaz wahan moujud har COURIOUS waasi ke mooh se ek ke baad ek nikalne lagi...
kisi ke haath par ek cut lag raha tha toh kisi ke paaon par toh kisi ke chehre par....
par fir un sab ne kuch khaya jisse us cut se bane ghaaw bane the,wo apne aap bhar gaye.....
jahan AVANTIKA ye sab dekhkar shocked aur dukhi ho rahi thi,wahin mai kuch soch raha tha aur isse pehle ki koi kuch kehta...
MAI- toh yahi hai CURSE OF THE SWEET POISON.....
meri baat sunkar sabhi firse shocked ho gaye..par jahan AVANTIKA ye sunkar kar shocked thi ki yahi wo CURSE hai jisse thik karne ke liye hum yahan aaye hai wahin COURIOUS waasi ye sochkar shocked the ki mujhe kaise pata ki wo kis CURSE se grasit hain....
ANALIA- aapko kaise pata hamre shraap ka naam aur aapne ab tak nahi bataya ki aap hai kaun,yahan kaise aa gaye aur aapko mera naam kaise pata???
MAI- mai wahin jiska zikr aapki daadi ne kiya tha....
yahan meri baat khatm hui wahan COURIUS WAASI apne ghutno par aa gaye.....
sabki aankhon se aansu nikal pade.rote toh wo sab shraap ke milne ke baad se hi aa rahe the par aaj najane kitne sadiyon baad unke aansu dukh ke nahi balki khushi ke the....
MAI- uth jaayiye...maana mai wahin hun jo aapki madad kar sakta hai par mai koi uddharkarta nahi hun..mujhe bas jo kaam soumpa gaya hai,mai unhe pura kar raha hun....
aur ANALIA,maine aapko apne sapne me dekha tha..par aapke chehre se anjaan tha kyunki sapne me aapka chera dhundla tha par aapki awaaz mujhe saaf sunayi di thi...
aur aap mere sapne me issi CURSE ke baare me baat kar rahi thi isiliye mujhe iske baare me pata hai....
mere bolne ke baad bhi sabhi COURIOUS WAASI apne ghutno par bhi the aur ek tak mujhe dekhte hue meri baatein sun rahe the....
MAI- kripya khade ho jaaiye.....
mere dobara bolne par sabhi khade ho jaaiye.....
par unme se koii kuch kehta usse pehle hi...
AAH.....
AHHH.....
jaisa un logon ek saath hamesha se hota aa raha hai,wo fir hua..ek lamba cut,aur cut aate hi unke haathon me jo PHAL tha usse unhone khaya jisse khaate hi wo cut gayab ho gaya...
mai us PHAL ko dhyan se dekh raha tha...wo PHAL APPLE ki tarah dikh raha tha par uska size APPLE se bada tha....
mai us PHAL ko dekh hi raha tha ki tabhi mai chownka..
aur mere chownkne ki wajah ye thi ki jis PHAL ka bite unhone liya tha,cut ke bharte hi us PHAL ki bite ki hui jagah firse bhar gayi thi....
ANALIA-mere MAALIK.... kripya hamari madad karen.....is CURSE se hame mukti dilayiye.....
MAI- pehli baat,mujhe MAALIK naa kahen...mera naam VIKRAM hai..mujhe issi nam se sambodhit karen...
aur dusri baat,mujhe ab tak nahi pata ki is CURSE ko kaise khatm kiya jaa sakta hai...
SAB- KYA???
meri baat sunkar sab pehle shocked hue fir udaas...unke dil me jo ummid ki kiran jaagi thi wo wapas mitne lagi....
ANALIA- toh ab?
MAI- ab kya????aap sab ne meri baat thik se suni nahi...maine kaha ki AB TAK mujhe nahi pata ki CURSE ko kaise khatm kiya jaa sakta hai,ye nahi ki mujhe pata hi nahi chalega...
sabhi meri taraf sawalia nazaron se dekhne lage....
AVANTIKA- pehle ye toh bataiye ki ye CURSE hai kya??mera matlab ye cut,uspe aap sab ka FRUIT khaana jisse cut mit jaana uske baad fir ye sab..aakhir ye kaisa shraap hai...
MAI-hmm..mujhe nahi lagta baat bas ye cut aur is PHAL ki hai....kuch baat aur bhi hai jo in sab se badi hai par mujhe lag raha hai ki wo baat bhi is PHAL se judi hui hai....haina ANALIA....
ANALIA- haan.....
AVANTIKA- toh batao naa ki aakhir asal baat kya hai aur ye CURSE tumhe diya hi kyun gaya???
MAI- ANALIA tum AVANTIKA ko batao,tab tak mai apna kaam shuru karta hun....
AVANTIKA- shuru karta hun!!!!kya tum yahan ki puri sacchayi nahi jaanana chahoge???
MAI- mujhe apne aap pata chal jaayega...
AVANTIKA- apne aap!!!wo kaise???
par maine kuch kaha nahi aur turant ANALIA ke haath se PHAL ko le liya...
AVANTIKA- V.JJJ..........
par isse pehle ki AVANTIKA kuch aur keh paati,maine us PHAL ka ek bite kar liya tha.....
MAI- ye toh bohot mitha hai.....
AVANTIKA- are u out of ur mind.....ye ek CURSED FRUIT hai..aur tumne isse khaa liya....
AVANTIKA ki hi tarah ANALIA aur wahan moujud sabhi COURIOUS aasi mere yun us PHAL ko khaane se chownk bhi gaye the aur dar bhi gaye the ye sochkar ki ab kya hoga???
wahi AVANTIKA lagatar mujhe daante hi jaa rahi thi par mujhe uski baat sunayi dena band ho gaya tha.....
meri aankhen bhi band ho gayi aur.......
PHAL ko khaate hi COURIOUS kis sachaayi,ASMODEUS ka yahan aane ka maksad aur fir yahan ke logon ka SHRAPIT hona,sab kuch meri band aankhon ke aage ghumne laga...
aayiye aap bhi jaan lijiye aakhir kaun hain ye COURIOS waasi aur kya hai ye CURSE OF THE SWEET POISON......?
COURIOUS.......CURSE se pehle yahan ki aabadi 10 thousand thi......COURIOUS me bacche normal tarike se paida nahi hote the...
balki yahan ki har aurat ki kokh me uske mature hote hi ek urja panapti thi...
is urja me WHITE ENERGY ka bhandar hota tha...aur issi urja se yahan bacche janm lete the...yahan ke log 10000 se zyada saal tak jeete the....
COURIOUS waasiyon ko ek aur naam se jaana tha aur wo naam tha GOD'S PREACHERS.......
yahan ke log BRAMHAAND ke har grah me jaakar wahan ke logon ko GOD ke baare me awgat karate the......
wo unhe satya ke maarg par chalne ki prerna dete the.....unme itna tej hota tha ki DEVILS unki urja ke daayre me bhi aane se darte the kyunki aisa karne par un sabke sharir jalne lagte the....
jaisa ki maine bataya ki yahan par bache WHITE ENERGY ki madad se paida hote the,par ye WHITE ENERGY sirf yahan ke logon ko hi nahi milti thi balki is GRAH me ek aur chiz thi jisse WHITE ENERGY ka gift mila hua tha....
aur wo chiz thi COURIN TREE.....is ped me lagatar WHITE ENERGY padti thi.....aur ussi energy se paida hote the COURIS PHAL......
COURIOUS WAASI ya fir kahun GOD'S PREACHERS khaane ke naam par bas is COURIS PHAL ko khaate the...
par us waqt COURIS PHAL ka swaad khatta tha.....
yahi unka aahar tha..is phal ko khaane se unke andar ki WHITE ENERGY lagatar rivive hoti rehti thi.....
COURIN TREE se hi COURIOUS grah ki neev rakhi gayi thi....isiliye COURIOUS WAASI COURIN tree ko MOTHER TREE bhi kehte the...
aur jaisa ki maine bataya ki COURIN tree me lagatar WHITE ENERGY padti rehti thi isiliye us WHITE ENERGY ki power ko handle karne ke liye COURIN tree ne khudko pure grah me divide karna shuru kiya aur issi tarah pura COURIOUS grah COURIN TREE aur uspar phalne waale COURIS PHAL se bhar gaya....
par iske baawajud WHITE ENERGY ki maatra bohot zyada thi jiski wajah se kabhi kabhi COURIOUS grah vibrate hone lagta tha....
isiliye COURIOUS grah ke logon ne extra white energy ko kahin transfer karne ka socha....
jaisa ki maine bataya ki GOD'S PREACHERS pure bramhaand me jaakar GOD ka sandesh pahunchate the isiliye wo pure bramhaand aur wahan rehne waale logon ko achi tarah pehchaante the....
unhe koi bhi grah is laayak nahi laga jisse wo WHITE ENERGY de saken....
aur isiliye un sab ne ye faisla kiya ki wo apni shakti ko WHITE ENERGY ke saath milakar ek naye grah ka nirman karenge aur unhone aisa hi kiya....
WHITE ENERGY me apni saachayi ki shakti ko milaya aur us ENERGY ko unhone ek aakash ganga ek aakhri chhor par ek chote se viran grah par chhodna shuru kiya aur dekhte hi dekhte wo viran grah is bramhaand ka sabse khubsoorat grah ban gaya jiska baad me chalkar naam rakha gaya ISLA......
aur us extra WHITE ENERGY ne bhi khudko ek naya roop de diya aur us naye roop ka naam tha FOUNTAIN OF LIGHT......
par ache karmo ki chamak sirf achi jagah aur acche logon ko hi nahi buri jagah aur bure logon ko bhi dikhayi deti hai....
aur aisi hi ek buri nazar ko COURIOUS aur COURIOUS WAASIYON me waas karte WHITE ENERGY ke baare me pata chal gaya...
ASMODEUS.........
ASMODEUS ko ye bhi pata chal gaya ki WHITE ENERGY ke ek bohot bade shroth ko COURIOUS WAASIYON ne kisi planet ko gift kiya hai.....
par wo ye nahi jaan paaya ki aakhir wo planet kaun sa hai...?
itni asimit urja ke kendra COURIOUS ke baare me jaankar aur us urja ko apna banane ke maksad se COURIOUS pahunch gaya.....
ASMODEUS ke naam se COURIOUS WAASI bhi anjaan nahi the par unhe ye dekhkar shock laga ki ek SHAITAN unke grah me kadam kaise rakh paa raha hai jabki koi bhi BLACK ENERGY unke aas paas bhi nahi bhatak paati thi.....
isse unhe ye andaza ho gaya ki bhale hi ab ASMODEUS koi ANGEL nahi raha par WHITE ENERGY ke kan ab bhi uske andar moujud hain....
ASMODEUS ne un sabke saamne apni demand rakhi ki wo usse us SHAKTI SHROTH ( ISLA ) ke baare me batayen jisse un sab ne khaarij kar diya....
tab ASMODEUS ne unhe warn kiya ki agar wo usse unki urja nahi denge toh wo un sab ki zindagi mout se bhi badtar kar dega par COURIOUS WAASI tab bhi nahi maane....
par unhe aaschrya tab hua jab ASMODEUS ne unhe kuch nahi kiya aur gayab ho gaya....
un sabhi ko laga ki ASMODEUS un sab ko bas kori dhamki de raha tha aur kuch nahi aur yahin wo dokha kha gaye.....
raat ke 3 pahar me ek kaala saaya COURIOUS ke beech utra....aur wo chalta hua ek COURIN TREE ke paas pahuncha...ye COURIN tree wahi ped tha jisse COURIOUS waasi MOTHER TREE kehte the aur jis ped se hi baaki ke COURIN trees ne janm liya tha....
ASMODEUS ko pata tha ki ye pura grah aur baaki ke sabhi COURIN TREES issi MOTHER TREE se jude hue hain.....
VIBHAJATE SWAH PURNAH SHAKTI.......
ENTER MY COMPLETE POWER......
ASMODEUS ne COURIN TREE ko chhukar is SPELL ko bola aur agle hi pal........
ASMODEUS ke sharir se uski saari urja,uski saari shakti bahar aane lagi...
aisa hote hi ASMODEUS ko bohot dard aur kamzori mehsoos hone lagi jis wajah se wo khada nahi ho paaya aur ghutno ke bal baith gaya...
aur agle hi pal.........
ASMODEUS ke sharir ki saari urja COURIN TREE me samane lagi aur aisa hote hi......
pure COURIOUS GRAH me kampan hone lagi.......kampan itni tez aur zyada thi ki sabhi COUIRIOUS waasi apne gharon se baahar aa gaye aur jaise hi wo ab COURIN TREE ke paas pahunche,sabko ek tez jhatka laga....
MOTHER TREE sukhne lagi thi...uske saare phal bhi gal gal kar niche girne lage the aur MOTHER TREE ke saath aisa hote hi COURIOUS ki baaki ki COURIN trees gayab hone lage aur kuch hi der me pura COURIOUS ped rahit ho gaya.....
bachi toh bas MOTHER TREE aur wo bhi ab puri tarah sookh chuki thi....doston,ye wahi tree hai jiske neeche mere aane tak wo budhi aurat leti hui thi....
khair,MOTHER TREE ke sookhte hi uske andar se ASMODEUS ki kaali shaktiyan nikli aur wapas ASMODEUS ke andar sama gayi....
kuch hi palon me ASMODEUS pehle ki tarah ho gaya aur theek hote hi wo khada ho gaya...
abhi tak kisi ki nazar ASMODEUS par nahi gayi thi par jaise hi wo khada hua,sabhi usse dekhkar chownk gaye....
ASMODEUS- maine kaha tha naa GOD'S PREACHERS.....agar mari baat nahi maani toh mai tum sab ki zindagi mout se bhi badtar bana dunga.....
ab bhugto.....
ye kehkar AQSMODEUS ne apne haath failaye....uski aankhon ki safed putiyan aur gehri safed ho gayi aur aisa hote hi......
pure COURIOUS GRAH me snow fall shuru ho gayi.....
ASMODEUS- ab yahan par suryauday kabhi nahi hoga.....yahan ki roshni issi barf ki wajah se hogi jo ki mera pratik hai....
ab aate hain aap sab par toh maine suna hai ki aap sab ka aahar bas ek PHAL hai.....
aur wo PHAL issi ped me hota tha par ab toh ye ped raha nahi toh ab kya karen?
fikr mat kijiye....maine ek PHAL aap sabke liye bacha kar rakha hai.....
ye kehkar ASMODEUS ne apne seene par haath rakha aur agle hi pal uske seene se COURIN PHAL baahar nikla...
ASMODEUS ne COURIN PHAL ka ek bite liya....
ASMODEUS- arre ye toh khatta hai....mujhe pasand nahi....
ye kehkar ASMODEUS ne apni kaali shaktiyon ko jaagrit kiya aur un shaktiyon ko apne ungli ke zariye COURIN PHAL me transfer karne laga....
aur jaise hi ASMODEUS ne us PHAL me apni KAALI SHAKTIYAN transfer ki,wo bite jo ASMODEUS ne us PHAL ki li thi,wo jagah bhar gayi....
ASMODEUS ne dobara us phal ki ek bite li...
ASMODEUS- haan,ab theek hai.....
ASMODEUS ke bite lene ke agle hi pal wo COURIN PHAL ka bite waala hisaa phir bhar gaya....
ASMODEUS- jaante ho maine jo kaali shakti is PHAL ke andar daali hai,wo kisi bhi DEVIL ke liye ek vardaan hai,ek BLESSING hai par tumhare liye ek SHRAAP hai ek CURSE hai....
jaanana nahi chahoge,kaisa CURSE.....lo,khud pata kar lo....
ye kehkar ASMODEUS ne us PHAL ko saamne uchal diya aur tabhii.......
wo ek PHAL hazaron PHALON me divide ho gaya aur sabhi COURIOUS VASIYON ke aage hawa me rook gaya...par kisine bhi us PHAL ko haath nahi lagaya...
ASMODEUS- tum sidhe chalne waale logon ko koi bhi sidhi baat sidhe tarike se samajh kyun nahi aati hai....
aur agle hi pal......
mmmm...mmmmmmm.....
ye awaaz COURIOUS ke kuch logon ke mooh se nikal rahi thi..kaaran,un sab ka sharir hawa me uth gaya tha aur unhe aisa lag raha tha maano koi unka gala daba raha ho...
1ST COURIOUS WAASI- inhe kuch mat karo...hum khaate hain....
uske kehte hi wo sabhi log jo hawa me chatpata rahe the,wo neeche aa gaye...
un sab ne kaampti haathon se apne saamne hawa me ruke PHAL ko pakda aur jaise hi uska BITE liya....
COURIOUS WAASI- ye toh.....
ASMODEUS- mitha ho gaya naa......
SAB- haan....
AHHHH......
AHHHH......
AHHHHH.......
lagatar aisi hi dard bhari awaazen COURIOUS waasiyon ke mooh se nikalne lagi...sabhi ke body parts par lagatar gehre cuts hote jaa rahe the..
ASMODEUS- thik hona chahte ho toh PHAL ka ek bite lo.....
ASMODEUS ki baat sun aur dard ko naa bardasht kar paane ki wajah se un sab ne PHAL ka ek bite liya aur aisa karte hi unke CUTS gayab ho gaye.....
ASMODEUS-hahahaha........jaante ho tum sab ne kya kiya hai......is PHAL ko khaakar tumne apni WHITE ENERGIES ko meri BLACK ENERGY ka gulam bana liya hai.....
tumhari saari WHITE ENERGIES ab meri BLACK ENERGIES ki bandhak hain...
aur jab jab tumahri WHITE ENERGY mere BLACK ENERGIES ko dhakka dekar baahar aane ki koshish karengi,tumhare sharir par cuts padte jaayenge...
aur us cut ko theek karne ke liye tumhe is PHAL ka ek bite lena padega....par aisa karte hi tumhari WHITE ENERGIES thak kar wapas thodi der ke liye so jaayengi.....
aur ek baad yaad rakhna,agar tumne apni WHITE ENERGY ko baahar laane ke liye apni kurbaani dene ki sochi bhi,toh jis grah ko tumne WHITE ENEGRY bhet me di hai...wo bhi tum sab ke saath nasht ho jaayega.....
COURIOUS WAASI- tum hamare saath aisa kyun kar rahe ho???akhir humne tumhara kya bigada hai???
ASMODEUS- tum mera kuch bigad bhi nahi sakte..par ASMODEUS ki har maang puri honi chahiye aur jo aisa nahi karega,usse saza milegi....
aur ye hai tumhari saza....jo PHAL tumhe WHITE ENERGY deta tha,wahi PHAL ab tumhare andar moujud meri kaali shaktiyon ki raksha karega....
jo tumhara wardan tha,ab wo tumhara shraap ban chuka hai....aur wo bhi MITHA SHRAAP......CURSE OF THE SWEET POISON....
MAI- ADBHUDH.........
saare scenes khatm hone ke baad mere mooh se apne aap hi shabd nikal gaya.....
maine nazar ghumayi toh mera dil hi ghum gaya...AVANTIKA aankhon me aansu bhare meri aur dekh rahi thi....
MAI- arre tumhe kya hua...maine jo kiya,wo karna zaroori tha.....issi tarah se mai yahanj o bhi hua,uske bare me jaan sakta tha...
aur is PHAL se mujhe kuch nukasaan nahi ho sakta...koi bhi BLACK ENERGY mere andar jaate hi WHITE ENERGY me convert ho jaati hai....
fir mai AVANTIKA ko yahan kya kya hua tha,wo sab batane laga....
AVANTIKA ne kuch kaha nahi bas meri baatein sunte hue
mere gale lagi rahi.....
wahin ANALIA mujhe aur AVANTIKA ko ek tak dekh rahi thi....tabhi.....
AAHHH....
AHHHH....
jo hota aaya hai,wahi ghatnakram firse hone laga...sabhi COURIOUS WAASIYON ke boduy ke parts par cuts lagne lage...
sabne apne haath me rakha PHAL khaa liya siway ANALIA ke...uska PHAL toh mere paas tha....
sabki dard bhari aah sunkar AVANTIKA ne pehle saame dekha fir meri taraf...
AVANTIKA- toh ab???
maine kuch nahi kaha aur apne haath me pakde PHAL ki taraf dekha..maine jo BITE li thi wo jagah bhar chuki thi...
maine turant 34,5 bites me hi pura PHAL khaa liya....mai usse dobara judne ka mouka nahi dena chahta tha aur jaise hi maine wo fal pura khaaya......
hum jis jagah par khade the,wo hilne lagi..aisa hone se sabhi shocked hue par tabhi unhe apne jeeven ka sabse bada shock laga....
MOTHER TREE.......COURIN TREE jo puri sookh chuki thi usme patte aane lage aur dekhte hi dekhte wo puri bhar gayi....
ye sab dekhakar sabhi COURIOUS WAASI khushi se jhum uthe....
par abhi unka shraap khatm nahi hua tha.....MOTHER TREE ke pure bharne ke baad bhi abhi tak COURIS PHAL us par nahi aaya tha..
mai ussi ke aane ka intazar kar raha tha ki tabhi.....
mujhe COURIN TREE ke nichli daal par dheere dheere ek PHAL panapte hue dikha jisse dekhkar mai khush ho gaya.....
MAI- wo dekho,COURIS PHAL.....
mere kehte hi sabhi ki nazar COURIS PHAL par chali gayi jisse dekhkar sabhi khush ho gaye....
ANALIA- kya ab hum shraap mukt ho gaye...aur us PHAL ko hum khaa sakte hain...
MAI- abbhi nahi....is shraap ki jadh ye MOTHER TREE aur ispe jhulta hua PHAL hai..mere is BLACK ENERGY se grasit PHAL ko khaane ki wajah se ye PHAL shudh ho gaya hai aur isiliye COURIN TREEE wapas theek ho payi hai...
par jis PHAL ko maine khaaya hai wo COURIN tree ke prabhav me aakar BLACK ENERGY se nahi ghira tha balki ASMODEUS ne uske andar apni BLACK ENERGY ko daala tha...
meri energy ki wajah se ye PHAL toh theek ho gaya hai par COURIN tree aur usme ye jhulta PHAL ab bhi ASMODEUS ki BLACK ENERGY se grast hai.....
ANALIA- toh fir???
maine kuch nahi kaha aur jaakar COURIN TREE ke neeche khada ho gaya aur agle hi pal wo COURIS PHAL jo us ped par latak raha tha,wo mere haathon me tha...
MAI- is phal ke andar wahi BLACK ENERGY hai jo COURIN TREE me hai....mere isse khaate hi COURIN TREE theek ho jaayegi....
meri baat sunkar sab khush ho gaye wahin AVANTIKA bhi mere paas aa gayi....
maine us COURIS PHAL ko khaane ke liye usse apne mooh ke paas laane laga is baat se anjaan ki aisa karte hi meri duniya ghum jaayegi..duniya chhodo mai hi ghum jaaunga.....
jaise hi maine us COURIN PHAL ki first bite li......
MAI- OH SHIT.................
mere bite lete hi do chize huin...
pehli,meri lagbhag saari shaktiyan wapas kaam karne lagi...lagbhag isiliye kyunki mai ab bhi COURIOUS grah ke baahar ka kuch bhi mehsoos nahi kar paa raha tha....
aur iska kaaran tha ki COURIOUS is bramhaand ke sabhi jeevit grahon se bohot alag tha..yahan ki har chiz GOD ki urja se bani thi jiska baaki ke GRAHON se koi lena dena nahi tha....
aur dusri,meri puri tarah se lag chuki thi..mujhe pata chal chuka tha ki mere BHAI ne MERE BHATIJE KE SAATH MILKAR mere saath kitna bada game khela tha....
aur us game ki wajah se mera pura astitv badalne waala tha....
par in sab negetives ke beech me do positive cheez bhi hui aur wo ye ki mujhe pata chal chuka tha ki yahan aate hi mujhe jo shock laga tha,us shock ki haqiqat kya hai aur haqiqat jaankar mai man hi man ASMODEUS ke dimag ki taarif karne se khudko rok nahi paaya.....
aur dusri ye ki mere PHAL khaate hi COURIN TREE bhi shraap mukt ho gayi aur aisa hote hi COURIOUS ka mousam saaf hone laga...
barf girni band ho chuki thi.suraj jisne khudko hazaron varshon tak chupa kar rakha tha,wo firse uday ho gaya...
aur sabse badi baat,jis banjar grah ke andar ASMODEUS ne COURIOUS ko chhupa kar rakha tha,wo cover bhi hat chuka tha....
ab COURIOUS pehle ki hi tarah aazad tha.....
wahin mere paas khadi AVANTIKA ne bhi mera OH SHIT kehna sun liya tha aur saath hi mere har pal badalte bhaav ko bhi achi tarah se note kar rahi thi jis wajah se usse dar lagne laga tha...
AVANTIKA- V.JJJ sab thik toh hai naa....
maine naa me apni mundi hila di.....
AVANTIKA- kya hua?
MAI- yahan nahi.......
maine ye baat halki ladkhadati zuban se kahi thi jisse AVANTIKA shocked ho gayi par filahl usne kuch nahi kaha...
MAI- ab hume ijazat den....
aur isse pehle ki COURIOUS WAASI kuch kehte,mai aur AVANTIKA wahan se gayab ho chuke the.....
hamare yun achanak jaane se sabhi COURIOUS waasi sad ho gaye par unki shraap mukt hone ki khushi unki udaasi se kahi zyada thi..kuch hi der me zyadatar log phir se khushi se jhumne lag gaye...
wahin kuch door par hum dono punah prakat hue.....
AVANTIKA ye dekhkar shocked hui ki hum abhi tak issi grah me hain...
mai uski manodasha samajh raha tha isiliye maine bina time waste kiye bina kehna shuru kiya...
MAI- mere paas zyada waqt nahi hai AVANTIKA isiliye mai tumhe yahi sab batana chahta hun
meri baat sunkar AVANTIKA ke hosh ud gaye...
AVANTIKA- zyada time nahi hai matlab???
AVANTIKA ka dil zoron se bajne laga tha jiski wajah mai samajh raha tha...
MAI- mai marne waala nahi hun AV.....par jo zindagi mai jeene waala hun usse acha toh mai mar jaata...
meri baatein sunkar AVANTIKA ke aakhon se aansu girne lage....
MAI- baad me ro lena..bohot waqt milega tumhe rone ka...
ye sab bolte waqt meri zubaan ladkhada rahi thi....
MAI- wo yudh yaad hai jo mere aur ASMODEUS ke beech hua tha...
AVANTIKA ne haan me apna sir hila diya...
MAI- wo yudh ASMODEUS ne mujhe maarne ke liye nahi balki mera khoon haasil karne ke liye kiya tha....
AVANTIKA- par....
MAI- shhhh.......maine kaha naa mere paas zyada waqt nahi hai....sirf suno......
ASMODEUS ne mere khoon ko apne KHOON se mila diya...par mere KHOON ki maatra bohot kam thi aur ASMODEUS ki bohot zyada...uske khoon ke sabhi negetive particles ne mere KHOON ke sabhi positive particles ko nigal liya....
uske baad usne BEELZEBUB ko hum dono ke khoon ke mixture ko dekar yahan COURIOUS bheja.....
BEELZEBUB ne hum dono ke khoon ke mixture ko COURIN TREE ki jadon me mila diya aur natija.....
ye kehkar mai ladkhadata hua gir gaya....
AVANTIKA- V.JJJ.......abhi rehne do..ghar chalkar baaki ki baat karenge....
MAI- nahi....ghar pahunchte tak bohot der ho jaayegi..jitni zyada mai apni urja istemal karunga,utni zyada meri haalat bigadti jaayegi.....
abhi suno sab.....mai kahan tha,,haan natija...iska natija ye hua ki COURIN TREE ke andar is bramhaand ke sabse khatarnaak shakti panapne lagi....
par kyunki kisi zamane me COURIN TREE WHITE ENERGY ki pratik thi isiliye wo kuch der tak hum dono ke khoon se mishrit shakti ko sambhal sakti thi par sirf kuch der tak..
aur jaise hi maine ASMODEUS ke black magic ko bekaar kiya,COURIN TREE ke andar chupi WHITE ENERGY hum dono ke khoon ki shakti ko baahar dhakka dene lagi aur ussi dhakke se wo PHAL bana jisse maine thodi der pehle khaaya tha....
AVANTIKA- mai ab bhi nahi samjhi ki tum kehna kya chahte ho.....
maine kuch kaha nahi bas apne sir ko chua aur agle hi pal...
mere andruni dimag ki roop rekha mere saamne aa gayi jisse dekhkar AVANTIKA shocked ho gayi....
AVANTIKA- ye,ye kya ho raha hai....
MAI- ye mera dimag hai aur jo chiz mere dimag ko dheere dheere apne kabze me le rahi hai,wo ASMODEUS ka khoon hai.....
aur jaise hi wo khoon mere DIMAG ko puri tarah apne kabze me le legi,mai khud bhi nahi jaanta ki mai kya ban jaaunga....
meri baat ka matlab samajh kar AVANTIKA toh jaise ek sadme me chali gayi...
MAI- hosh me aao AV.....pata nahi kyun par mujhe aisa lag raha hai ki ye aadhi kahani hai......jahan tak mujhe lagta hai ASMODEUS ko bhi ye baat pata hogi ki mai is duniya se baahar nahi jhaank sakta isiliye usne mere saamne yahan ka uska ek raaz bhi bina koi problem create kiye hue pata chalne diya...
mujhe kuch ajeeb sa lag raha hai....hume turant nikalna hoga...ye kehkar maine AVNATIKA ka haath thaama aur apni aakhen band kar mere ghar ke paas jo sunsaan jagah thi,us jagah par focus karne laga..
abhi jo meri haalat thi,usme focus karna kaafi mushkli tha par maine manage kar liya aur kuch hi palon baad jaise hi mera focus apne sochi gayi jagah par sthir hua,hum dono gaayab ho chuke the.....
FLASHBACK SCENE....
PLANET- THE WORLD OF WARRIORS
PLACE- PALACE HAAL
LORD CRUSEDAR- acha sujhaav hai..par ek baar baaki ke mantri mandal ki bhi raay le leni chahiye......
AB ISKI ZAROORAT NAHI PADEGI......
LORD CRUSEDAR apne dono yuvrajon MOKALSAR aur ASHAANT se kuch baat kar hi rahe the ki unke peeche se ye awaaz aayi...
LORD CRUSEDAR- KAUN HO TUM?
TUMHARI MOUT...NISHKALIKA KI BEHEN BHUVIKA.........
NISHKALIKA ka naam sukar sabhi shocked ho gaye...AKSHAANT aur MOKALSAR apni talwar nikal hi rahe the ki....
DEFENDER- rook jaao aur jahan se aayi ho wahin waapas chali jaao warna anjaam bohot bura hoga....
ye awaaz BHUVIKA ke peeche se aayi thi..ye aur koi nahi DEFENDER the jinhe achanak MAHAL ke andar bohot zyada maatra me kaali aur safed shakti ke hone ka abhaas hua tha....
aur agle hi pal wo BHUVIKA ke peeche khade the...
BHUVIKA me kuch nahi kaha par agle hi pal....
BHUVIKA ke saare sharir se urja ki moti si ray nikalkar DEFENDER par padne lagi..DEFENDER ne bhi apna haath aage kar diya tha jisse wo us urja ko rok saken par wo puri tarah kaamiyab nahi ho paaye the...
BHUVIKA ki urja itni zyada thi ki wo usse sambhal nahi paa rahe the..wo samajh gaye ki agar kuch der aisa aur hota raha toh sab kuch khatm ho jaayega aur isiliye.....
BHUVIKA- nahiiii............
BHUVIKA krodh ki agni me jalti hui gayab ho gayi....
hua ye ki DEFENDER ko jaise hi laga ki wo BHUVIKA ki energy ko sambhal nahi paayenge,unhone GRAH SETU aur WARRIORS WORLD ke sabhi logon ka awahan ek saath kiya...
kyun grah setu khud DEFENDER ne banaya tha,toh ye karna unke liye koi badi baat nahi thi aur unke aisa karte hi wo LORD CRUSEDAR,AKSHAANT,MOKALSAR aur WARRIORS WORLD ke sabhi log ek ray me badalkar gaayab ho gaye aur sidha pahuche GRAH SETU ke darwaaze ke saamne...
DEFENDER- sab jaldi se andar chaliye...mai ISLA ke logon ko bhi lekar aata hun....
sabhi ke man me sawal the par filhal kuch bhi puchne ka time nahi tha isiliye sabhi GRAH SETU ke nadra samane lage....
MOKALSAR- chal naa jaldi..yahan khada kya soch raha hai..
AKSHAANT- yaar wo ladki NISHKALIKA ki behen hai..agar wo yahan aayi hai toh GLUTO bhi zaroor jaayegi....mai SHAILA ko lekar aata hun....
MOKALSAR- chal, mai bhi chalta hun...
AKSHAANT- nahi mere bhai..ek yuvraj apne pyar ko bachane jaa raha hai,toh dusre yuvraaj ko janta ki raksha karni padegi naa..teri zaroorat yahan zyada hai...
ye kahkar AKSHAANT WORLD DOOR se hote hue GLUTO phunch gaya....
PLANET- ISLA
PLACE- PALACE HALL
NAMASTE NAANAJI......
KING SOLOMON jo ki apne mantri gan ke saath kuch vichar vimarsh kar rahe the,is awaaz ko sunkar chownk gaye....
aur jab unhone apne saamne dekha toh ek jawan ladke ko kaale kapdo me khade paaya jiske chehre par ek zehrili muskaan thi.....
KING SOLOMON- kaun ho tum?
BEELZEBUB- samay ki vidambana toh dekhiye....ek naana apne pote tak ko nahi pahachan paa raha hai...
KING SOLOMON BEELZEBUB ke mooh se khud ko unka pota kehte sun shocked ho gaye...
BEELZEBUB- chownkiye mat...mai batata hun,mai apki putri ALESENDRA aur mere FATHER ASMODEUS ka putr hun....
is baar toh KING SOLOMON ka dimag hi fuse ho gaya....unhe samajh hi nahi aa raha tha ki wo kya kahen par aakhir unhone khud ko sambhal kar aage baat ki...
KING SOLOMON- yahan kyun aaye ho....
BEELZEBUB- aapko is jeeven chakra se mukt karne...
BEELZEBUB ki baat sunkar sabha me moujud sabhi logon ko krodh aa gaya par isse pehle ki unme se koi kuch kar paata,sabhi ke haath pair adrishya rassiyon se bandh chuke the...
BEELZEBUB- aap sab bhi marenge..par pehle naanu ki baari....
BEELZEBUB ke haathon me ek talwar chamak gayi...wo use lekar aage badha hi tha ki....
BEELZEBUB- NAHI..................
BEELZEBUB ko apne aas paas ek bohot tagdi WHITE URJA ka aabhas hua par isse pehle ki wo uske baare me jaan paata us urja ya ye kahun DEFENDER ne jo ki adrishya hokar yahan aaya tha,unhone sabha aur mahal me moujud sabhi ko wahan se gayab kar diya aur unhe lekar wapas GRAH SETU ke saamne pahunch gaye...
un sab ko laane se pehle wo ISLA WAASIYON ko bhi laa chuke the...
sabhi unse sawal puchne lage par DEFENDER pehle sabko GRAH SETU ke andar le gaye aur fir GRAH SETU ka darwaza band kar diya....
PLANET- GLUTO
PLACE- PALACE HALL
aakhir mulakat ho hi gayi SHAILA.....
SHAILA jo ki akele hall me baithkar kuch soch rahi thi,achanak apna naam pukare jaane par chownk gayi..
SHAILA- kaun ho tum???
aur bina anumati ke andar kaise aa gayi...
waise toh mera naam BHUVIKA hai par tu mujhe apni MOUT keh sakti hai...aur MOUT kabhi puch kar nahi aati.....
SHAILA- tu aur meri mout...teri toh mai....ahhhhhhh.....
iske baad kya hua wo aapko third chapter me pata chalega.......
PLANET- EARTH
PLACE- GARDENS BACKYARD.....
NAHI...NAHI NAHI NAHI NAHI NAHI NAHI NAHI NAHI NAHI NAHI NAHI NAHI NAHI.....
YE NAHI HO SAKTA.........MAI PAGAL HO JAAUNGA..........
aur ye sab bolne ke baad mai neeche gir pada.....
AVANTIKA- V.JJJJ..please uth jaaona..dekho,hum ghar pahunchne hi waale hain..sab thik ho jaayega......
dopahar ka waqt hai...hum jab wapas EARTH apne shahar mumbai ke apne garden jahan mai jogging kiya karta tha wahan pahunche toh mujhe aise aise shock lage ki mere dil se bas yahi dua nikli ki meri zindagi bhi khatm ho jaaye....
AVANTIKA- utho naa V.JJJJ...hua kya hai,ye toh batao....
maine ek nazar AVANTIKA ko dekha jiski aankhen bhigi huyi thi par aaj mai is haalat me nahi tha ki usse chup kara sakun....
mai latte patte khada hua aur upar dekhne laga....
MAI man me- yahi din dikhane ke liye mujhe itni saari shaktiyan di thi tune....hey khuda,meri saari shakti le le,par meri purani zindagi mujhe wapas louta de....
AVANTIKA- V.J....please batao naa,kya hua hai....
AVANTIKA ke sawaal par maine kuch kaha nahi bas apni taakat bator hawa me ek baar haath ghumaya..agle hi pal hawa me drishya chalne laga jisme WARRIORS WORLD,ISLA aur GLUTO me jo jo hua wo dikhne laga jisse dekhkar AVANTIKA ke aansu aur tez ho gaye par wo khudko sambhal kar boli....
AVANTIKA- ye sab thik ho jaayega V.J...
maine AVANTIKA ki taraf dekha jisne abhi tak asli baat nahi jaani thi par batana toh tha hi...
MAI- ye saari ghatna kal parso ki nahi hai....
AVANTIKA- matlab??aise kaise ho sakta hai..hume gaye hi 3 din toh hue hain....
MAI- haan..hume gaye hue toh 3 hi din hue hain par hum loute 1.5 SAAL BAAD HAIN.....
meri baat sunkar AVANTIKA ko aisa jhatka laga ki pucho hi mat....
AVANTIKA- tum mazak???
par isse zyada wo kuch keh nahi paayi kyunki meri aankhen jhooth nahi bol rahi thi jisse usne pehchaan liya...
AVANTIKA-par kaise???
MAI- SAMAY PARIVARTAK....ASMODEUS ka ab tak ka sabse bada hathiyar jiska usne hamare COURIOUS pahunchte hi use kiya.....
AVANTIKA- SAMAY PARIVARTAK....ab ye kya bala hai???
SAMAY PARIVARTAK-BRAMHAAND me hazaron aakash ganga hain aur har aakash ganga ka apna samay chakra hai...
grah ki hi tarah aakash ganga bhi rotate aur revolve hote hain...is douran kabhi kabhi aisa hota hai ki aakash ganga me moujud anginat grah apne axis me ghumne ke baawajud ek dusre se takrane ki kagar me pahunch jaate hain...
jab bhi aisa kuch hone waala ho toh SAMAY PARIVARTAK ke dwara un grahon ke samay chakra ko dheere kar diya jaata hai..
aisa karne se grah ki speed kam ho jaati hai aur wo jis grah se takrane waala rehta hai,uski speed badh jaati hai...
un garh ke waasiyon ko iske baare me kuch pata nahi chalta par jis grah ke samay chakra ko PARIVARTAK ke zariye tez kar diya jaata hai,wo dusre grah se jiske samay chakra ko PARIVARTAK ne slow kar diya tha usse kaafi aage nikal jaata hai....
slow ho chuke grah ka ek din tez ho chuke grah ke mahino ya fir kabhi kabhi saalon ke barabar hota hai....
aur ASMODEUS ne PARIVARTAK ka use kar hamare AKASH GANGA ki speed COURIOUS ke mukable 150 guna tak tez kar di isiliye hamara wahan bitaya hua ek din baaki har jagah se 1.5 saal jitna lamba tha....
meri baat sunkar AVANTIKA ka dimag jhatka maarne laga tha par fir usse kuch yaad aaya..
AVANTIKA- hamare clones!!!!
MAI- humare COURIOUS me enter karte hi hamare CLONES ko maar diya gaya tha....
AVANTIKA- what????toh kya hamare ghar waale ye sochte hain ki hum mar chuke hain..
AVNATIKA ke sawal ko mai ab badi mushkil se sun paa raha tha..ASMODEUS ka khoon mere dimag ke 90 percent hisse me zeher bankar faile chuka tha....
maine badi mushkil se khud ko sameta aur....
MAI- nahi..humare CLONES ko jinhone maara tha unhone khud hamare CLONES ki jagah le li thi...aur hum dono bankar rehne lage..
par ab un dono ko pata chal chuka hai ki hum aa chuke hain,isiliye wo wapas jaa chuke hain...
AVANTIKA- kaun the wo dono....??
MAI- BHUVIKA aur BEELZEBUB......
ye bolte waqt meri aankhon me dard,ghussa,ghutan,bebasi sab kuch dikh raha tha....
meri aakhon se aansu girne lage jisse dekhkar AVANTIKA ko lagne laga ki maien abhi tak usse puri baat nahi batayi hai???
AVANTIKA- V.JJJaur bhi kuch hua hai naa???
AVANTIKA ki baat sunkar mai uski aur dekhne laga....mere aankhon me itna dard aur ghussa tha ki mere aansun bhi girne se pehle hi sukhne lage....
AVANTIKA- V..J...PLZ,bataonaa kya hua hai???
MAI- RONIT COMA ME HAI.....
meri baat sunkar AVANTIKA ko bhi halka sa chakkar aane laga par usne khud ko sambhal liya...
AVANTIKA- usse toh tum thik kar hi sakte ho naa....fir itna dard kyun?
dard ab mere dil me itna badh gaya tha ki mera sir ghusse aur tadap se hilne laga...
MAI-RONIT ISILIYE COMA ME HAI KYUNKI ANJALI GUZAR CHUKI HAI.....ANJALI IS DEAD.............
apni baat khatm kar mai neeche baith gaya par AVANTIKA toh khade khade hi behoshi ki aalam me jaa chuki thi par wo jaldi hi apne sadme se baahar aa chuki thi kyunki wo jaanti thi ki meri haalat thik nahi hai....
AVANTIKA- V.J chalo ghar.....
MAI- mai RONIT ko us haalat me dekh nahi sakunga....
AVANTIKA- par ghar toh jaana hi padega naa..
MAI- ghar par call karke kehna ki mujhe achanak chakkar aa gaya aur mai behosh ho gaya...
AVANTIKA ko meri baat ka matlab samajh nahi aaya...
par ab usse samjhaane ka mere paas time nahi tha...actually ab mere paas kisi bhi chiz ke liye time nahi tha...jaisa ki maine bataya ki mai jitni urja use kar raha tha,mera time utna hi kam hota jaa raha tha....
mai hamesha se hi is bramhaand ke har ANGEL ke saath juda hua rehta hun..par jabse mai EARTH par wapas aaya tha..ek ek karke saare angels se mera sampark toothata jaa raha tha...
jiska ye matlab tha ki meri PEHCHAAN khatm hote jaa rahi hai....
(ISILIYE ASMODEUS NE KAHA THA KI LORD OF ANGELS,WHITE ENERGY KA WAARIS,PAR KAB TAK )
aur ab toh jab ASMODEUS ke khoon ne mere dimag par lagbhag pura kabza kar hi liya tha,aisi haalat me mai sirf TEENO GOD'S MESSENGERS ko hi dekh paa raha tha wo bhi dhundla sa...
wo teeno hi udaas chehre liye mujhe dekh rahe the...
AVANTIKA se apni baat keh maine apne jabde sakhti se bheenche,taaki hone waale dard ko sehen kar sakun aur agle hi pal....
SHAKITIYEM MOKSAYATI.......
POWERS DETACH........
mere sharir se rays nikli aur chal padi apni manzil ki taraf....
RONIT ko ghar par hi rakha gaya tha...bohot se machines se uske bodies connected the..mere dwara choddi gayi rays RONIT ke upar mandraane lagi aur agle hi pal.....
wo rays RONIT ke dimag me samane lagi..jitne machines RONIT ke body se connected the,wo sabhi beep beep ki awaaz nikalne lage aur tabhi......
RONIT- ANJU..................
wahin jaise hi meri body se meri last energy nikli,ek saath do do cheekhen fiza me gunji....
ek meri aur dusri AVANTIKA ki....
energy ke nikalte hi mere mooh se dard bhari cheekh nikal gayi aur mujhe cheekhta dekh AVANTIKA ki cheekh nikal gayi aur fir sab kuch shaant....
kamse kam mujhe toh kuch bhi sunayi nahi de raha tha......
AVANTIKA mujhe hilaye jaa rahi thi par mai bojhil aakhon se usse jitna ho sake dekhte hue apne wajud ke aakhri lamho ko jee raha tha.....
wahin mere energy use karte hi GODS MESSENGERS ka connection bhi mere dimag se toot gaya.....
meri bojhil aankhen aur bhaari hone lagi aur kuch hi palon me AVANTIKA ke khubsoorat chehre ko dekhte hue meri aankhen band ho chuki thi.....
1 DIN KI ZINDAGI KO 1.50 SAAL BADA BANAANE KE BAAD,APNI EK DOST KO KHONE KE BAAD,AB MERA WAJUD,MERI PEHCHAAN TAK MAINE KHO DIYA THA....
JIS POSITIVE BANDE KO DUNIYA JAANTI THI,USKI WO POSITIVITY NEGETIVITY ME BADAL CHUKI THI KYUNKI BADAL CHUKA THA MERA
ATTITUDE.........
IS CHAPTER KE LIYE ITNA HI......
AAPKA APNA V.J......
Very nice update bhaiAB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM COURIOUS KE LOGON KO TOH BACHA LETA HAI PAR NAAHI APNE DOSTON KO BACHA PAATA HAI AUR NAAHI HI KHUDKO
AB AAGE:-
FINAL CHAPTER
(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)
UPDATE-91
PLANET- EARTH
PLACE-********
200 FEET GEHRA PAANI.....EK DAAYRE ME BANDHI HUI YE PAANI KI DUNIYA PAR USKE BAAWAJUD ISKE ANDAR KA DRISHYA ANTHIN SAMANDAR SE BILKUL ALAG NAHI...
GEHRA PAR AANKHON SE DEKHA AUR ISKI KHOOBSUTRI KA PURA AVLOKAN KIYA JAA SAKE AISA PAANI....
AUR US PAANI KI SATAH AUR GEHRAYI DONO PAR HAZARON KI TAADAD ME TAIRTI KHUBSOORAT MACHLIYAN JINKA YE SAMRAJYA HAI....
MACHLIYA JAB EK SAMOOH EK GROUP ME EK LAY ME TAIRTI HAIN,TOH WO NAZARA DEKHNE ME ADHBUDH LAGTA HAI.....
par aaj in machliyon ko tairte dekh kuch doubt ho raha hai,kyunki saari machliyan sidhe,yaa daayen baayen naa tairkar upar se sidhe niche paani ke tal ki taraf jaa rahi hain aur usse bhi ajeeb ye hai ki wo waapas nahi aa rahi hain....
toh chaliye,hum bhi ek doobki lagayen aur dekhe ki aakhir maajra kya hai..???ye machliyan aakhir jaa kahan rahi hain.....????
arre ye kya!!!!!aisa toh naa maine kabhi dekha naa suna.....ek aur ADBHUDH ghatna....
nahi samjhe doston,chaliye samjhata hun....saari machliyan paani ke last point jiski gehraayi jaisa ki maine bataya tha ki 200 feet hai,us jagah par ek circle banakar gol gol ghum rahi hain....
par unki taadad itni zyada hai ki ye dikh nahi raha ki akhir wo sab aakhir kis cheez ki chakkar laga rahin hain....
ki tabhi............
us jhund me halka gap aaya jis wajah se unke aage ki chiz ya fir ye kahun ki aage dhyan ki mudra me baithe ek INSAAN ka chehra dikh gaya aur ye INSAAN aur koi nahi VIKRAM hai......
ab aap sab ke dimag me do baatein aayengi...
pehli,ki VIKRAM paani ke 200 feet andar aakhir kar kya raha hai aur
dusri,VIKRAM jab saamne hai toh fir mai kaun hun?????
toh doston mai wo VIKRAM hun jo mere saamne baitha VIKRAM kabhi hua karta tha....
abhi bhi nahi samjhe,mai VIKRAM ka wo astitv hun jo wo kho chuka hai...LORD OF ANGELS.... ji haan doston,yahi hai mera naam aur VIKRAM ki pehchaan....
ek aisa NAAM jisne apni PEHCHAAN kho di hai.....jis tarah AATMA SHARIR ke bina aur SHARIR AATMA ke bina ADHURE rehte hain,waise hi MAI aur VIKRAM bhi ek dusre ki bina adhure hain....
par iska ye matlab nahi hai ki VIKRAM ne apni shaktiyan bhi kho di hai....ASMODEUS VIKRAM se uski POSITION uska PADH chhin sakta hai par uski khudse kamayi SHAKTI & most importantly uska ATTITUDE nahi....
VIKRAM me aaj bhi itni taaqat hai ki wo pure BRAMHAAND ko khatm kar sakta hai par jis adhikar se wo ye kar sakta hai wo ab ASMODEUS ki wajah se usse door khadi hai....
khair,ye kahani toh afterall VIKRAM ki hi hai...mai toh bas har din ki tarah ek baar apne MAALIK ko dekhne aata hun...
ab jab maine unke darshan kar liye hain,toh ab mai wapas jaata hun...ab aap VIKRAM ke hawaale......
meri urja jo ki kabhi mera naam hua karti thi,wo mujhe dekhkar gaayab ho gayi....
yahan meri aankhen ab bhi band thi..waise bhi mujhe ab koi bhi naam,kisi bhi kaam se koi matlab nahi reh gaya tha....
par fir bhi abhi meri band aankhon ke upar mere maathe par tention aur dard ki silvatein ubhar aayi thi aur iska kaaran tha ki filhal mere band aankhon ke saamne ek FLASH BACK scene chal raha tha...
chaliye ,mere saath aap sab bhi mujhe dikh rahe scene ko dekh lijiye
FLASH BACK SCENE:-
kya hua,itni sadhu jaise shakal kyun banayi hui hai tune.......!!!????
ANJALI ki baat ka RONIT ne koi jawab nahi diya bas usse ek tak dekhne laga.....
ANJALI- lo,ab mujhe ghurne laga....kuch bolega bhi!!!!
RONIT- kaise kar leti hai tu???
ANJALI- kya kar leti hun mai???
RONIT- has kar apne gum ko kaise chupa leti hai tu????
RONIT ki baat sunkar ANJALI ki jhuti hasi feeki padh gayi..ek pal ke liye uski asli udaasi uske aankhon tak aayi par usne jhat se khudko control kar liya...
par ye kuch seconds kaafi the RONIT ko ANJALI ke man ke bhaavon ko uske aankhen ke zariye padhne ke liye....
RONIT- ANJU,mere saamne toh kamsekam pretend karna chhod.......mai jaanta hun ki tu khush nahi hai.....
RONIT ki baat sunkar ANJALI ne jo apne aansu daba kar rakhe the,wo aankhon ki salakhon ko tod baahar aa gaye....
RONIT ne ANJALI ko jhat se apne gale laga liya....
ANJALI- 6 mahine...pure 6 mahine ho gaye V.J ko ISLA
gaye hue.....naa toh wo ab tak louta hai aur naahi usne koi messege diya hai...
uske dimag tak bhi mai nahi pahunch paa rahi hun....aur uske upar naahi mai SHAILA,MOKALSAR aur AKSHAANT se connect ho paa rahi hun....
itni saari negetives ka ek saath hona koi coincidence toh ho nahi sakta....V.J zaroor koi badi musibat me hai...aur hum dono uski koi madad bhi nahi kar paa rahe hain....
RONIT- V.J se connect naa ho paana normal hai..kyunki wo kisiko bhi aisa karne se rok sakta hai..
par SHAILA,MOKALSAR,AKSHAANT,in teeno se toh maine bhi kayi baar khudko connect karne ki koshish ki par nahi kar paaya....
aur sabse badi baat ki hum ISLA aur WARRIORS WORLD ke liye WORLD DOOR bhi open nahi kar paa rahe hain...ye koi choti baat nahi ho sakti...
zaroor kuch bada hua hai aur shayad isiliye hi V.J ne hume apne saath jaane se mana kiya tha....
par tabhi RONIT ko kuch yaad aaya...
RONIT- ANJU,tune ek baat notice ki hai....???V.J ke jaane ke baad first teen mahine tak toh uske CLONE ka rawaiya,behaviour normal tha...
wo V.J ki tarah hi behave kar raha tha,par fir achanak uske nature me,ATTITUDE me halka change aaya hai....
baaki ke ghar waalon ka toh pata nahi,par MINU aunty ne bhi is baat par gour kiya hai...
V.J ke CLONE ke andar V.J ka koi talent ho ya naa ho,par uska behaviour toh uske genes me hona chahiye....
par V.J ka CLONE kayi baar aunty se bhi thoda rude ho jaata hai..badhti umar ka change samajh kar aunty ne toh kuch nahi kaha par jab maine usse confront kiya toh usne meri baaton ko bhi avoid kar diya...
aisa lag hi nahi raha hai jaise wo V.J ka CLONE hai....
ANJALI- sirf V.J ka nahi AVANTIKA ka CLONE bhi AVANTIKA ka CLONE nahi lag raha hai...
OH SHITT......
ANJALI ne apne gum me bol toh diya par fir usse realize hua ki usne kya bol diya hai...
darasal V.J ne sirf ANJALI ko bataya tha ki wo AVANTIKA ko bhi saath le jaa raha hai RONIT ko nahi...
aur reason,RONIT bhai sahab ka hyper behaviour...agar RONIT ko ye baat pata hoti to wo bhi saath jaane ki zid karta...
RONIT- WHATTT!!!!jisse hum regularly milte hain wo AVANTIKA ka CLONE hai aur asli AVANTIKA V.J ke saath gayi hai....
iski aisi ki taisi...itni badi baat aur tune mujhse chhupayi....
ANJALI- mujhse V.J ne promise liya tha yaar....usse pata tha ki agar tujhe ye baat pata hoti ki AVANTIKA bhi V.J ke saath jaa rahi hai,toh tu bhi saath jaane ki zidh karta....
RONIT- haan toh,zaroor karta....wo usse lejaa sakta hai par hume nahi....waah....
ANJALI- yaar,tujhe toh pata hai naa ki V.J koi bhi kaam bina koi reason ke nahi karta..AVANTIKA ko saath lejaane me bhi zaroor koi na koi reason hoga...
RONIT- toh tune usse reason bhi nahi pucha....????!!!!!
ANHALI-pucha tha,par usne kaha ki wapas aakar sab bata dega....
RONIT- saala,wapas hi toh nahi aaya ye.....ek second,tu AVANTIKA ke CLONE ke baare me kya keh rahi thi????
ANJALI- arre haan....V.J ka CLONE jaise weird behave kar raha hai naa,thik waise hi AVANTIKA ki CLONE bhi kabhi kabhi ajeeb behave karti hai...
hamari AVANTIKA kitni cool hokar aaram se baat karti hai,jabki uski CLONE kabhi kabhi apni baaton me agresive ho jaati hai aur sabse badi baat....
maine AVANTIKA ke CLONE ki aankhon me humesha ek ghussa dekha hai,khaas kar us waqt jab wo hum dono se baat kar rahi hoti hai....
RONIT- ajeeb hai..pehle V.J aur AVANTIKA apne CLONES peeche chhod kar jaate hain,fir achanak hamara unse aur wo jis jagah gaye hai,us jagah aur wahan ke logon se contact toot jaata hai,fir wahan jaane ka WORLD DOOR bhi nahi khulta aur yahan unke CLONES bhi unse alag behave karne lagte hain....
saala ye chakkar kya hai,aur isse suljhaayen kaise????
ANJALI- kyun naa hum ek baar AVANTIKA ke CLONE se baat karke dekhen.....
RONIT- haan,ye sahi rahega..chal chalte hain.....
ANJALI aur RONIT AVANTIKA ke ghar nikal jaate hain..unke ghar pahunchte hi AVANTIKA ki mom unhe batati hai ki AVANTIKA apne kame me hai....
dono uske kamre ki taraf nikal padte hain.....
ANJALI- AVNI.......
room me pahunchte hi dono ki nazar AVANTIKA ke CLONE par padti hai jo darwaaze ki taraf hi mooh karke baithi thi...
wahin ANJALI aur RONIT ko apne saamne dekh AVANTIKA ke CLONE ki aankhon me ghussa dikhne lagta hai jisse wo chupane ki koshish kar rahi hoti hai par is baar ANJALI ki hi tarah RONIT bhi ye baat notice kar lata hai......
RONIT- kaun ho tum????aur V.J ke ghar par jo CLONE hai,wo kaun hai????
isse pehle ki ANJALI kuch kahe,RONIT apne sawaal ke teer AVANTIKA ke upar chhod deta hai....
yun achanak sawaal sunkar AVANTIKA ki CLONE hadbada jaati hai par phir turant khudko normal bhi kar leti hai....
AVANTIKA- kya matlab hai tumhara...mai AVANTIKA ki CLONE hun aur V.J ke ghar par V.J ka CLONE hai.....
AVANTIKA ki CLONE ki baat sunkar pehle toh ANJALI aur RONIT shocked ho jaate hai par is shock se unka doubt bhi clear ho jaata hai ki naa toh unke saamne khadi ladki AVANTIKA ki asli CLONE hai aur naahi V.J ka CLONE wo hai jisse V.J ne apne peeche yahan chhoda tha....
RONIT- tune khud hi ye saabit kar diya ki tu AVANTIKA ki CLONE nahi hai aur agar tu wo CLONE nahi hai jisse hamare DOST ne banaya tha toh V.J ke ghar par jo hai wo bhi hamare dost ka CLONE nahi ho sakta....
RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ki CLONE shocked ho jaati hai....
AVANTIKA- ye tum kaise keh sakte ho???
ANJALI- ek tarah se CLONES apne asli roop ke yaar fir us roop ko dene waale ke GULAAM hote hain....
isiliye CLONES kabhi bhi apne asli roop ka ya fir uska jisne usse roop diya ho,uska naam nahi lete....
khaas kar kisi aise ke saamne jo unki asliyat jaante ho...par tumne abhi VIKRAM ko V.J kaha.....
apne maalik kaa naam liya wo bhi wo naam jisse usse sirf uske dost bulate hain...
isiliye tum AVANTIKA ki wo CLONE toh ho nahi sakti jo V.J ne banaya tha aur agar tum V.J ki banayi CLONE nahi ho toh khud V.J ka CLONE bhi koi aur hai kyunki agar aisa nahi hota toh V.J ka CLONE tumhe pehchaan leta.....
1
kuch pal tak AVANTIKA ki CLONE RONIT aur ANJALI ko ghurti rahi par fir.....
hahahahahahahahahahahaha.........
wo CLONE hasne lagi par uski hasi sun RONIT aur ANJALI firse chownk gaye aur wo isiliye kyunki AVANTIKA ki CLONE ke haste waqt jo awaaz nikal rahi thi wo kisi aur ladki ki thi....
par abhi un dono ko do baar aur chownka bacha tha,kyunki AVANTIKA ke theek baaju me ek kaala saaya ubhra aur us kaale saaye ne houle houle roop lena shuru kiya aur aakhirkar jab us saaye ka roop pura hua toh wahan par V.J ka CLONE khada tha...
ANJALI ya RONIT kuch kehte usse pehle hi unhe ab tak ka sabse bada jhatka laga...
aur wo islilye kyunki AVANTIKA aur V.J ke CLONES ne ek baar firse apna roop badalna shuru kiya ya fir ye kahun ki ab wo dono apne asli roop me aa rahe the...
kuch hi palon me RONIT aur ANJALI ke saamne do naye chehre khade the....
ANJALI- kaun ho tum????aur V.J aur AVANTIKA kahan hain???
1ST PERSON- BHUVIKA
2ND PERSON- BEELZEBUB
RONIT- abbe pauranik kathaon se bahaar phuddakar kar aaye ho kya???ye kaise naam rakhe hain tum dono ke tumhare ghar waalon ne...
BEELZEBUB- pouranik kathayen humare baad janmi hain bacche....
RONIT- tu itna dokra hai.....kya lagata hai yaar jo abhi tak jawaan hai.....
BEELZEBUB- lagata nahi lagwata hun..mout ko gale...tum dono ko bhi wahi lagwaane aaya tha par ab yojna thodi badal gayi hai...
tujhe bolne ka bohot shouk hai naa,aaj ke baad tere mooh me zubaan toh hogi par tu kuch bolega nahi....bas is pal ko yaad kar kar ke tadpega....
BHUVIKA- tere saamne aaj teri premika maregi aur tu kuch kar nahi paayega....
BEELZEBUB-aur jab aisa hoga tab dekhenge ki teri zubaan kitni chalti hai...
BEELZEBUB aur BHUVIKA ki baat sunkar RONIT ko ghussa aa gaya tha par isse pehle ki wo kuch bolta ya karta...
ANJALI- V.J kahan hai???
BEELZEBUB- filhal zinda hain...par kab tak pata nahi!!!!
RONIT- tum jaise laakhon ko wo apne mooth me baha de,itna dum hai usme samjha chutiye.....
RONIT ki baat sunkar BEELZEBUB ko toh zyada nahi par BHUVIKA ko ghussa aa gaya...
aur agle hi pal.........
ANJALI- arre hum yahan kaise????
RONIT bhi idhar udhar dekhne laga.....
hua ye ki BHUVIKA ne apne man me ek sunsaan jagah ka awahan kiya aur agle hi pal chaaron us sunsaan jagah par pahunch chuke the.....
BHUVIKA- ye hai tumhari maran bhumi....
bina apni marzi ke BHUVIKA ka yun un dono ko ek nayi jagah par transport karne se RONIT aur ANJALI ye samajh gaye the ki un dono ke saamne jo do log khade hain,wo maamuli nahi hain...
dono ne hi talvar ka awahan kiya aur agle hi pal.....
AHHHHHH............
AAHHHHH.............
ye dono dard bhari aah RONIT aur ANJALI ke mooh se nikli thi par ye aah naa toh BHUVIKA ke waar se nikli thi aur naahi hi BEELZEBUB ke waar se...
darasal awahan se prakat hui RONIT aur ANJALI ke haath ki talwar agle hi pal aag jaisi garm hokar galne lagi...
yahan tak ki talwar ki jis moot ko ANJALI aur RONIT pakde hue the,wo bhi aag si garm ho gayi jis wajah se dono ke haath se unki talwar chhuth gayi aur unke mooh se aaah nikal gayi.....
BEELZEBUB- kya hua???baat nahi bani...ek aur baar koshish kar lo....
RONIT- teri toh mai........
ye bolkar RONIT tezi se BEELZEBUB ki taraf aage badha par wo zyada aage badh nahi paaya..
BEELZEBUB ne hawa RONIT ke saamne uske sharir ke size ka hi ek air force khada kar diya jiski wajah se RONIT aage nahi badh paa raha tha....
wahin ANJALI ne ek baar firse ek talwar ka awahan kiya par is baar usne usse haath me naa lekar hawa ke sahare hold kiya aur BHUVIKA ki taraf chalang laga di...
ANJALI ko aisa karte dekh BHUVIKA ke chehre par ek zehrili muskaan aa gayi...
BHUVIKA ne bhi BEELZEBUB ki hi tarah hawa me saamne ki taraf ek tarang chhoda jo saamne se tairta hua aaya ANJALI ke sharir se takraya...
ANJALI ka sharir wapas peeche ki taraf pheka gaya par ANJALI ne khudko hawa me hi adjust kar liya aur kalabaazi khaate hue apne pairon par land hui....
BEELZEBUB- tum dono ko khush hona chahiye ki tumhare jaise sadharan tucch logon ko hum jaise maha shaktishali DEVILS se ladhne ka mouka mila.....
ANJALI- mahashaktishali!!!!tum dono ke andar jo shaktiyan hain,ya toh wo VIKRAM ki jaagir hai yar fir uske BHAI ki....
RONIT- ye ek bheek hai...aur bheek me mili shaktiyon ka ghamand nahi kiya jaata....jab tak humara dost wapas nahi aa jaata,apni is galat fehmi ko jee lo...
uske baad mouka nahi milega....
ANJALI aur RONIT ki baat sunkar BEELZEBUB aur BHUVIKA ko ghussa aa gaya....
BEELZEBUB ek second ke souve hisse me RONIT ke thik saamne pahunch gaya aur....
RONITTTTT.........
ye awaaz ANJALI ke mooh se nikli thi....kaaran....!!!!
isse pehle ki RONIT kuch samajh paata,BEELZEBUB ne ek punch RONIT ke pet me maara....
RONIT ke mooh se khoon baahar feka gaya jisse dekhkar ANJALI ki cheekh nikal gayi par BEELZEBUB yahi nahi rooka....
RONIT ke jhukne ki wajah se uska maatha BEELZEBUB ke pair ke saamne tha...BEELZEBUB ne apne ghutne modte hue RONIT ke CEREBRUM ( sir ) par ek prahar kiya...
RONIT ke sir ke nas is takkar se hil se gaye...RONIT ke naak se khoon ki patli si nadi behne lagi....
RONITTT.......
ANJALI ki ye dard bhari cheekh aur tez thi....par dard ke saath saath ANJALI ko nohot tez ghussa bhi aaya aur jaise hi usne apna sir saamne kiya wo shocked ho gayi..
kaaran,uske just saamne BHUVIKA khadi thi jiske chehre par haiwaniyat se bhari muskaan thi aur agle hi pal.....
AHHHHHHH.........
NAHIIIII.........
dard bhari karaah ANJALI ke mooh se nikli thi..wajah,uske seene ke thik neeche pet jahan se shuru hota hai wahan se ek talwar aar paar ho chuki thi.....
ye ek maayavi talwar thi jisse BHUVIKA ne bina chhue istemaal kiya tha jis wajah se ANJALI usse dekh nahi paayi......
dusri awaaz RONIT ke mooh se nikli thi jo apni aadhi khuli aadhi band ho rahi aankhon se apne pyar ko marte hue dekh raha tha....
ANJALI ke andar talwar ghussa BHUVIKA RONIT ki taraf badhi par....
BEELZEBUB- apne mehboob ko apne aakhon ke saamne marte dekhne se badi saza aur kuch nahi ho sakti....
rehne de isse...maine kaha tha,baaki ki zindagi isse bina awaaz ke aaj ke din ko yaad karke ro ro kar bitani hogii...
ZINDAGI hi iski saza hai........
BEELZEBUB ki baat wo aakhri awaaz thi jo RONIT ke kaano ne suni....
iske baad RONIT ki aankhen band hoti chali gayi aur uska sharir ek taraf ludhakta chala gaya..
wahi usse kuch door par apne ghutno ke bal ek talwar ko apne aar paar liye baithi ANJALI bhi RONIT ko dekhte hue ek taraf ludhak gayi.....
RONIT se ulat ANJALI ke aankhon me ek sukoon tha...sukoon ki kamsekam uska pyar sirf behosh hua hai mara nahi......
sukoon ki apne aakhri lamho me uske aankhon ke saamne uska pyaar toh hai.....
ek khoon ki hichki lete hue ANJALI ki aakhen band ho gayi....
wahan ANJALI ki aankhen band hui,yahan hamesha ki tarah mere sir me dard utha aur meri aakhen khul gayi.....
mujhe jis machliyon ne chaaron taraf se ghera hua tha,mere aankh khulte hi wo sab bhaag gayin.....
thande paani ke andar is waqt meri aakhen aag si garm thi....pura paani mere aankhon ki garmi se garm hone laga....
kuch der tak mai shunya me ghurta raha,fir apni aakhen band ki aur jab dobara kholi toh toh sab theek tha....
maine apne sharir ko ek jhatka diya aur agle hi pal mera sharir ek tez teer ki speed se paani ko cheerta hua baahar aa gaya..2 second aur mere pair hare hare ghaas ke upar the...
MAI- ae zindagi,tu bhi zyada jeekar
KYA KAREGI?????
dekhna,ek din aayega jab tu
bhi tadap tadap KAR MAREGI.........
mai gaayab ho gaya.......
PLACE- ST,PETER'S COLLEGE,DELHI
ST PETER'S COLLEGE....ONE OF THE FINEST COLLEGE IN DELHI....MATHS,SCIENCE,COMMERCE,ARTS, YAHAN HAR SUBJECT KA ALAG ALAG DEPARTMENT HAI....
aur aaj yahan par har subject ke admission aur readmission ka final date hai...commerce students ho ya arts students,engineering sector ho ya fir medical field ke students,sabhi aaj yahan form fill karne ke liye moujud hain....
ST.PETERS ki entrace me bana ek bada sa lohe ka gate,jisse abhi hote hue B.M.W se JAGUAR tak,AUDI se lekar MUSTANG tak saari brands ki car enter kar rahi thi...
Ki tabhi.........
ABBE LODU YAHI ROK........APNE AMMA KE GHAR TAK CHHODEGA KYA????
meri awaaz sunkar auto driver jo COLLEGE GATE ko cross karta hua aage nikalne laga tha,usne turant break maar di.....
AUTO DRIVER- kya sahab,gaali toh mat do....
MAI- aww,mere baabu ko bura lag gaya...aa,ek chummi deta hun...saale BHOS******,auto ko plane banakar bhagaye jaa raha hai,toh gaali nahi toh kya taarif karu teri..
tere ko bola toh tha ki ST.PETER jaana hai,toh roka kaahe nahi tu....???
AUTO DRIVER- oh,toh aapko ST PETER COLLEGE jaana tha,mujhe laga aap ST PETERS church bol rahe ho,isiliye mai bhaga raha tha....
MAI- aisa..toh ek kaam kar.pehle church hi lele...par church se thoda pehle utar dena..udhar tera murdur kar dunga,fir church me confeesion box me jaakar GOD se maafi maang lunga...
waise bhi GOD AAJ KAL INSAANO SE ZYADA SHAITANO PAR MEHERBAAN HAIN......
chal chalen...
AUTO DRIVER- kya sahab aap bhi...ab utariye bhi,aapka college aa gaya hai..
MAI- acha hua bata diya....waise kitne hue tere....???
AUTO DRIVER- 150 rupees...
MAI- kitna 150...saalon loot macha rakhi hai sab ne....isse acha toh paidal aa jaata....le pakad mera......
AUTO DRIVER - kya sahab????
MAI- kya kya pakadta hai tu....pakad mera paisa jo ab tera ho gaya hai...
ye bolkar maine AUTO waale ko paise diye aur college gate ki taraf nikal pada....
MAI- toh ye hai ST.PETERS....ST STEPHENS jaisa hi hai.....
mai entrace gate ke beech khade ho ek angdayi le college ko dekhne laga....
MAI- lagta hai DELHI ke saare rahis lounde loundiya yahin padhte hain....saalon ke beech mai kaha fit baithta hun....
ghanta mai kahan fit baithta hun...saale ye sab mere saath kaunsa fit baiththe hain...
ajeeb chutiyapa hai...form submission ka last date hai aur ye sab CHUTI***** gap maarne me busy hain....
haan saalon ke maap baap ne phone me hi sab kaam karwa diya hoga ganduon ka...
koi kaam khudse nahi hota.saale suhaagraat manane ke liye bhi kisi aur ki madad lenge kya????
arre bhaad me jaayen ye sab aur mai in chu*** ke baare me sochkar kyun apna time waste kar raha hun....
chal bhai V.J...jaldi se FORM bhar aur kalti maar idhar se..itne saare paise waale bhikariyon ko dekhkar ulti aa rahi hai mereko...
PONNNPONNNNN...............
mai aage badhne hi waala tha ki mere piche se kisi ne car horn blow kiya....
waise toh galti meri thi kyunki mai entrace gate ke beech me khada tha par......
ghanta galti meri thi....
meri marzi,mai jahan bhi khada rahun....
MAI- abbe chup......apne baap ke gaa**** me jaakar baja horn....ho sakta hai tereko ek bhai ka sukh mil jaaye....
mai piche palat kar chillaya.....mere piche is waqt ek red colour ki ferrari khadi thi jiske andar do bande baithe hue the aur filhal un dono ke hi sir baahar the...
maine jo bola wo un dono ne sun liya aur meri baat sunkar dono ki hi satak gayi....
1ST BANDA- kya bola BAS*******........
apne apne side ka door kholte kholte gaali dete dete dono baahar aane ke liye hue hi the ki mera haath unki car ke bonet ke beech me pada aur agle hi pal
BHAADDDDD.........
is awaaz ke saath unki feraari ki mout ho gayi....
bonet ke beech se hote hue mera haath engine tak ko cheerte hue nikal gaya....
wo toh ganimat hai ki unki car ka oh sorry i mean unki late car ke safety baloons turant activate ho gaye jis wajah se unka sharir peeche seats se chipak sa gaya warna un dono ko bhi kaafi serious choten aati.....
jahan un safety baloons ke piche dabe un do ladkon ke chehron par dar ke bhaav the,wahin mere aaas paas jitne bhi students the,wo bhi kaafi shocked the...
darasal un sab ne bas us awaaz ko suna tha jo mere haathon ke us car ke bonet par lagne ke baad hui thi..kisi ne bhi us pure incident ko nahi dekha tha warna unke shock sadme me covert ho jaate...
sabhi mere saamne khadi aur should i say padi car ki taraf lapke wahin mai apni masti me college ke andar ki taraf nikal pada....
mai thoda aage hi gaya tha ki,
EXCUSE ME.....
awaaz mere piche se aayi thi..mai palta toh dekha ki ek sukhi kankal ke upar halki halki chamdi odhe ladka aankhon me mote mote lenses waala chashma lagaye mujhe dekh raha tha....
MAI- bhai,mere paas khaane ke liye kuch nahi hai...
meri baat uske palle nahi padi...
LADKA- khaana...!!!!mai toh aapse ye puchna chaah raha tha ki admission form kahan submit karna hai???
MAI- yahan.meri chaddi ke andar.... aa ghus jaa.....
LADKA- what nonsense...ye kaisi baat kar rahe hain aap???aapko kisi se baat karne ka tarika bhi nahi pata kya???
MAI- nahi pata..ab ghusega.....abbe chu*****,mai kya tereko yahan ka peon dikhta hun jo mujhse adress puch raha hai tu...
aur waise bhi,tujhe college me admission ki nahi,hospital me admit hone ki zaroorat hai...saale,halki si hawa chal gayi naa,toh ud jaayega tu...
LADKA- maine aaj tak tumhare jaise battamiz ladka nahi dekha...
MAI- aur dekhega bhi nahi..mere jaise piece baar baar paida nahi hote....aur waah beta,bohot jaldi aap se tum me aa gaya tu...
LADKA- tum aap kehne ke laayak nahi ho...
MAI- abbe tu bhi toh zinda kehlaane ke laayak nahi hai...fir bhi zinda toh hai naa...
LADKA- tumse toh baat karna hi bekar hai...
ye bolkar wo dusri taraf jaane laga...
MAI- oye furfundi,us taraf nahi is taraf..yahan ho rahe hain form submit...
maine ek taraf point karte hue us bande ko bataya...
LADKA- jab pata tha toh sidhe sidhe bataya kyun nahi...
MAI- mei teri body check out kar raha tha...yaar ek baat toh bata,kitne saalon ke upwaas ke baad aisi body banegi...ek baar mai bhi try karunga....
us LADKE ne ek baar mujhe ghur kar dekha,aur fir mere dikhaye raaste ki taraf chal pada..
mai bhi uske piche piche chalne laga.....
LADKA- oh god...yahan toh kitni lambi line hai....hamari baari aane me toh 2 ghante se zyada lag jaayenge...
MAI- hamari nahi sirf teri....mai toh 2 minute me hi form bhar dunga...
LADKA- bol toh aisa raha hai jaise crore pati baap ka beta ho!!!!
MAI- baap ke naam aur paison ki zaroorat bina ridh ki haddiyon waale bando ko hoti hai...mujhe nahi....
apne paas har chiz ka jugad rehta hai....
LADKA- kaisa jugad....
MAI- dikha toh dun par phategi toh nahi teri....
LADKA- mai kisi se nahi darta....
MAI- haan dikhta hai...
ye bolkar maine apne bag me haath daala aur agle hi pal jab mera haath baahar nikla toh.....
MAI- abbe chup.....chilla kar game mat kharab kar.....
kuch der laga fir dheere dheere wo ladka normal ho gaya par abhi bhi wo bohot dara hua tha...
toh hua ye ki jaise hi maine apne bag se apna left haath baahar nikala toh mere haathon me ek BLACK MAAMBA tha....( SNAKE )
aur BLACK MAAMBA ko dekhkar toh ache ache dar jaate hain,fir mere saamne khada ladka toh pehle se sukha chuwara tha....
SAANP ko dekhkar wo chillane hi waala tha par maine uske mooh ko apne dusre haath se band kar diya aur kuch der baad jab wo normal hua tab maine apna haath hataya...
LADKA- ye toh
MAI- BLACK MAAMBA hai....
LADKE ki ye naam sunkar aur fat gayi...
LADKA- par ye tumhe kaat kyun nahi raha...
MAI- maine isse shaadi kar li hai....ab bhala koi apne pati ko kaatata hai kya??
LADKA- tum koi bhi baat ka sidha sidha jawab nahi de sakte kya???
MAI- nahi....abbe battery kab se ye mooh khole hue hai dhyaan se dekh..iske daant hi nahi hain toh ye dasega kaise...
us ladke ne jab dhyan se dekha toh paaya ki mai sach bol raha hun...
LADKA- arre haan.iske toh daant hi nahi hain..par isse yahan kyun laaya hai...????
MAI- naagin daance karwane....
ye bolkar maine saanp ko neeche zamin par chhod diya aur agle hi pal.....
MAI- SAANP.........BHAAGO........
meri awaaz sun saamne khade bando ki nazar unke taraf aa rahe saanp pe padi aur uske baad kya hua hoga,ye toh aap sab jaante hi hain....
Saanp se zyada toh wahan moujud students tedhe medhe hokar bhaagne lage...1 minute se bhi kam time me pura ADMISSION COUNTER khaali ho gaya....
sab ke gaayab hote hi maine SAANP ko bhi gayab kar diya....
MAI- chalo bhai,mai chala admiision karane...tu 2 ghante baad aayiyo....
LADKA- bhai,mai bhi chalun kya???
MAI- abbe meri shaadi hai kya jo tu invitation dene par hi aayega....chal....
mai aur wo banda ADMISSION countar par pahunche...
MAI- sirji,ye mera form aur SCHOLARSHIP LETTER......
counter waale bande ne pehle mera SCHOLARSHIP LETTER dekha....
confirm karne ke bad usne mera admission form le liya....
SIR- toh aap hain NATIONAL TOPPER VIKRAM JAIRAJ SINGH......
MAI- nahi,mai uska humshakal hun...usko maarkar uski jagah padhne aaya hun,free me...
meri baat sunkar wo banda has diya...
SIR- nice sense of humour....
apna admission process complete kar jab mai palta toh mujhe hasi aa gayi...wo ladka mujhe mooh faade dekhe jaa raha tha....
MAI- itni gandi shakal,uspe mooh faad rakha hai tune...aise hi maar de yaar,dheere dheere torture naa kar....
LADKA- aap hain national topper VIKRAM....aapne top karne ke baad jitne bhi interviews diye hain,wo sab padhe hai maine...
shayad aapki photo bhi dekhi hai..par humari mulakat jis tarah se hui,mai aapko pehchaan hi nahi paaya....hi,myself SUJITH NAAYAR....
MAI- waah beta,aap se tum, aur fir tum se aap....aur mujhe pehchaan kar kya karega...APNI PEHCHAAN BANA....
ye bolkar mai aage badh gaya aur wo mujhe jaata dekhta reh gaya.....
PLACE- HOTEL CUISINE UNLIMITED
MANAGER- hey u,mobile me ghuse rehne ke paise milte hai kya tumhe...table no 4 abhi abhi occupy hua hai...jaao,aur order lo....
us waiter ne apna mobile jeb me daala aur table no.4 ki taraf chal pada.....
WAITER- good evening sir...good evening ma'aaaaaammmm...........tum............
wo ladki bhi waiter ko dekhkar kaafi shocked ho gayi thi....
LADKA- do u know him????
par us ladki ne apne saath aaye ladke ki baat jaise suni hi nahi..wo ek tak waiter ko dekh rahi thi......
jab ladke ne dekha ki us ladki ne uski baat nahi suni toh usne usse hilaya.....tab jaakar kahin wo ladki hosh me aayi....
LADKI- VIKRAM tum....!!!!!
ji haan doston,ye waiter aur koi nahi MAI hi tha.....
aur wo ladki....
MAI- hi SHAIFALI.......how are u????
ji haan doston,ye hamari college ki game queen SHAIFALI hi thi jo apne bhai ke saath yahan aayi hui thi.....
SHAIFALI ne mere how are u ke jawab ke badle khud hi sawal puch liya....
SHAIFALI- tum,waiter kaise????
MAI- arre yaar,ye mera dream job tha jo finally mujhe mil gaya....
meri baat sunkar SHAIFALI ka cousin brother has diya....
S/BROTHER- arre yaar,uski financial problem hogi....
apne bhai ki baat sunkar SHAIFALI ne usse ghurkar dekha....
SHAIFALI- tumhare dad kis company ke branch me senior manager hain???
S/BROTHER- JAIRAJ STEEL.....
SHAIFALI- tumhe pata hai naa ki unka beta mere saath hi padhta hai....
S/BROTHER- haan toh???
SHAIFALI- milna chahoge usse...???
S/BROTHER- i would love too.....
SHAIFALI- toh milo..tumhare saamne hi toh khada hai....
SHAIFALI ne meri taraf ishara kar apne bhai se ye baat kahi aur iske baad uske bhai ke chehre par wahi CHU*** waala reaction aa gaya jisse dekhne se mujhe chidh hai....
SHAIFALI- yaar V.J ye sab.....
MAI- fir kabhi.......
maine SHAIFALI ki baat beech me hi kaat di.....
abhi humme se koi kuch kehta usse pehle hi manager aa gaya...
MANAGAER- tu yahan khade khade kya kar raha hai????order lene me itna time lagta hai kya???
manager ki baat SHAIFALI ko achi nahi lagi..wo kuch kehne hi waali thi ki....
MAI- sir.in me aur aap me fark hai naa.ye aapki tarah langar me toh khaate nahi ki jo mil jaaye fatafat khaa len...apni pasand ka khaana choice karne me waqt toh lagta hi hai naa....
SHHHHHH.........
meri baat sunkar MANAGER ko ghussa aa gaya tha aur wo kuch kehne ke liye apna mooh kholne hi waala tha ki maine apni ek ungle uske mooh ke saamne rakh di....
MAI- agar koi bakwaas ki naa bhos****,toh aisi jagah maarunga ki moothne waali jagah se tu hugna bhi start kar dega aur hugne waali jagah se khaana....
ye job mujhe is resturant ke owner ne di hai....tune nahi isiliye apni akad apne naajayaz baap ke saamne dikhana.....
ye bolkar mai aage badhne laga hi tha ki....
SHAIFALI-V.J......
uski aawaz sunkar mai rook gaya....
SHAIFALI- i am really sorry about ANJALI...
ANJALI ka naam sunkar mujhe firse ghussa aane laga tha par maine control kar liya....
MAI- it's ok.....
SHAIFALI- but i am glad ki RONIT bach gaya and now he is perfectly fine....
MAI- hmmm.....
SHAIFALI- mujhe ye toh nahi pata ki tum ye sab kyun kar rahe ho par kya tumhari family ko pata hai??
MAI- nahi......aur ho sake toh tum batana bhi mat.....
SHAIFALI- RONIT ko bhi nahi....!!!after all hi is ur best friend.....
MAI- AB HUM DOST NAHI RAHE.....
AAJ KE LIYE ITNA HI
AAPKA APNA V...J
Very nice Update bhaiAB TAK AAPNE PADHA KI KAISE ANJALI KI JAAN JAATI HAI WAHIN VIKRAM KA RAWAIYA,USKA BOL CHAAL PURI TARIKE SE BADAL CHUKA HAI.
AB AAGE:-
FINAL CHAPTER
(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)
UPDATE- 92
PLANET- ISLA/WARRIORS WORLD
PLACE-GRAH SETU
EK VARSH SE UPAR BEETH CHUKA HAI...LORD OF ANGELS HAMARI MADAD KARNE KAB AAYENGE....???
DEFENDER- unhone hamari madad toh pehle hi kar di hai,humare is GRAH SETU ko purnatah surakshit karke....
QUEEN ASHLEY ke sawaal ka jawab dete hue DEFENDER ne apni baat kahi....
aaj DEFENDER sahit WARRIORS WORLD aur ISLA ki samast praja ko GRAH SETU ke andar chuppe 1 saal se upar ho chuka tha....
par abhi tak KING SOLOMON sahit jinhone ne bhi BEELZEBUB aur BHUVIKA ko dekha aur unki shakti ko mehsoos kiya tha,unme se koi bhi us waqt ko nahi bhool paaya tha....
wahin ISLA aur WARRIORS WORLD ki puri praja is baat se ab tak anbhigya thi ki un sab ko yun achanak GRAH SETU ke andar kyun laaya aur rakha gaya hai..
unhe bas itna pata tha ki unke grahon me koi bohot badi vipada aayi hui hai aur isiliye wo yahan hain....
ISLA aur WARRIORS WORLD ki praja ko apne apne maharaj aur DEFENDER par bharosa tha..wo jaante the ki DEFENDER aur unke maharaj jo bhi karenge,usme un sab ka hith hi hoga...
aur jab unhe ye baat pata chali ki kisi bhi badi VIPADA ke waqt un sab ko yahan rehne ke liye LORD OF ANGELS ne kaha hai,toh wo sab nishchint ho gaye..
par kyunki wo pichle ek varsh se yahan the,isiliye un sab ko apne apne planets ki bohot yaad aa rahi thi,par sahi samay aane tak wo sab kar bhi kya sakte the...
har roz ek ummid liye wo pehle GOD ko yaad karte fir LORD OF ANGELS ko.....
GRAH SETU me moujud har kisi ke chehre aur dil me kayi bhaav aa jaa rahe the par in sab ke beech ek chehre par koi tention nahi thi aur wo chehre ya fir ye kahun ki wo khubsoorat chehra tha hamari ALESENDRA ka....
ALESENDRA ko ye baat pata thi ki BEELZEBUB uska beta hai,aur kahin na kahin usse is baat ka bhi andesha tha ki bhavishya me kabhi na kabhi uski aur ISLA ki mulakat BEELZEBUB se dobara zaroor hogi aur hua bhi wahi....
par isse pehle ki BEELZEBUB kuch karta DEFENDER pure ISLA waasiyon ko bachakar GRAH SETU ke andar le aaye the aur jab ALESENDRA ko DEFENDER ne ye bataya ki aisa karne ke liye VIKRAM ne hi kaha tha,toh utna jaanana ALESENDRA ke liye kaafi tha....
VIKRAM ka naam sunte hi ALESENDRA nischint ho gayi thi....aur itna lamba samay guzar jaane ke baad bhi uska bharosa ek second ke liye bhi tuta nahi tha....
apni maa ke sawaal aur DEFENDER ke jawab ke baad usne bhi kuch kehne ke liye apne labh khole....
ALESENDRA- VIKRAM ne sirf GRAH SETU ko hi surakshit nahi kiya hai,balki yahan par hamare zaroorat ke sabhi chizon ka bhi dhyaan rakh uska intazam pehle hi kar diya hai....
MAA,FOUNTAIN OF LIGHT se humare waapsi me deri par bhi aapne sawaal kiya tha,jabki aapko pata tha ki mai kiske saath gayi hun...
mai aapke ya kisike bhi saath asurakshit ho sakti thi kintu VIKRAM ke saath nahi....
jab baat VIKRAM ki ho toh sandeh karna chhodiye maa....unki soch aur samajh hum sab se kayi guna aage ki hai...
KING SOLOMON- ALESENDRA bilkul sahi keh rahi hai....kintu mujhe ek baat samajh nahi aa rahi....????
ALESENDRA- kya???
KING SOLOMON- yahi ki BEELEBUB aur us dusri ladki ne hum sab ka picha itni aasani se chhod kaise diya!!!
ASHLEY- matlab???
KING SOLOMON- hamare kehne ka taatparya yah hai ki un dono ne hum par humare mahal me aakar toh aakraman kiya,par yahan nahi...
un dono ne GRAH SETU me ghusne ki koshish tak nahi ki...kya wo dono GRAH SETU ke PRAVESH DWAAR ko nahi dhund paaye...!!!??
jahan KING SOLOMON ki baat ko sunkar sabhi soch me pad gaye wahin DEFENDER has diye...
DEFENDER ko haste dekh sabhi chownk gaye....aur isse pehle ki koi DEFENDER se unke hasne ka kaaran puchta,DEFENDER ne khud hi bolna shuru kiya.....
DEFENDER- aapko aisa kyun lag raha hai KING SOLOMON ki un dono ne GRAH SETU ke dwar ko tod kar hum tak pahunchna ka prayas nahi kiya hoga....!!!!
DEFENDER ki baat sun sabhi firse chownk gaye....
KING SOLOMON- iska matlab un dono ko GRAH SETU ka pravesh dwar mil gaya tha aur unhone GRAH SETU ke dwaar ko todne ki koshish bhi ki thi,par kar nahi paaye....!!!
DEFENDER- haan....
KING SOLOMON- kintu,hum sab toh pravesh dwar ke kaafi sameep hain fir hume kuch aabhas kyun nahi hua????
DEFENDER- kyunki un dono ki samast shaktiyan milkar bhi LORD OF ANGELS dwara banaye gaye kawach ko todna toh door,usse halki skhati bhi nahi pahuncha sakti...
un dono ke aakraman se GRAH SETU ke baahar ke bhumi par kaafi kampan hue,par uska zara sa bhi asar GRAH SETU ke bhitar nahi hua aur naahi kuch mehsoos hua....
jahan sabhi DEFENDER ki baat sun aur samajh sabhi ne apni mundi haan me hilayi wahin.......
LORD CRUSEDAR- GRAH SETU ko toh koyi haani nahi hui par mere putra ko toh hui hai...
LORD CRUSEDAR ki baat sunkar sabhi ki nazar MOKALSAR ki taraf gayi jo ek jagah chup chaap baitha shunya ko ghur raha tha....
sabhi uski manodasha samajhte the,par wo kar bhi kya sakte the....
sabhi uske paas chale gaye....QUEEN ASHLEY ne MOKALSAR ke sir par haath fera jisse wo apni soch se baahar aa gaya....
MOKALSAR- arre QUEEN aap..kuch kaam tha????
ASHLEY- tum mujhe MAA keh sakte ho putra....
ASHLEY ki baat sunkar ek pal ke liye MOKLASAR bhavuk hua par usne khud ko sambhal liya....
MOKALSAR- mujhe is yogya samajhne ke liye shukriya QUEEN mera matlab MAA.....
QUEEN ASHLEY ne MOKALSAR ka maatha chuma aur...
ASHLEY- putra,tum WARRIORS WORLD ke yuvraj ho...tumhe yun udaas hona shobha nahi deta....mai jaanti hun ki tum AKSHAANT aur SHAILA ko bohot yaad karte ho,par filhal kuch kiya bhi toh nahi jaa sakta....
ASHLEY ke mooh se AKSHAANT aur SHAILA ka naam sunkar MOKALSAR ka dhraya jawab de gaya..uske aankhon se aansu chalak gaye...
MOKALSAR- SHAILA meri behen jaisi thi aur AKSHAANT bhai jaisa....aur aaj dono hi itne kasht me hain....aur mai unhe unke kasht se nijat dilane ke liye kuch bhi nahi kar paa raha hun....
MOKALSAR ki baat sunkar sab sirf udaas hi nahi shocked bhi ho gaye....
KING SOLOMON- tumhe kaise pata ki SHAILA aur AKSAANT kasht me hai...ho sakta hai ki wo dono bhi humari tarah kahin chhup gaye hon...
MOKALSAR- aisa nahi hai....wo dono abhi bohot kasht me hain aur iska sirf ek arth ho sakta hai,aur wo ye ki wo dono BEELZEBUB aur BHUVIKA ki kaid me hain...
ALESENDRA- tum ye kaise keh sakte ho???
MOKALSAR-GLUTO me NISHKALIKA se ladhne ke liye jab VIKRAM hum teeno ko training de raha tha,tab wo jaanta tha ki NISHKALIKA chhal bhi kar sakti hai,isiliye VIKRAM ne hum teeno ko ek dusre se jod diya tha....
yudh me haar sharir ke thakne ya usse chot lagne se nahi hoti,balki dimag ke thakne se hoti hai isiliye VIKRAM ne aisa kiya tha...
VIKRAM chahta tha ki jab ek ki yudh neeti kamzor pade,toh baaki ke do uske dimag me naye naye upaay daalte rahen....
isiliye hum teeno aaj bhi ek dusre se jude hue hain...GRAH SETU ke pravesh dwar par lage kawach ki wajah se mai un dono se sampark toh nahi kar paa raha hun,par ek dusre se jude hone ki wajah se mai un dono ko mehsoos kar sakta hun.
aur is wajah se har pal mere dil me ek bechaini aur un samjha dard rehta hai..ye tabhi ho sakta hai jab un dono ko yaatnaayen di jaa rahi ho....
jahan MOKALSAR apni baat kehkar chup ho gaya wahin baaki sab uski baat sunkar udaas ho gaye...
sabhi MOKALSAR ko saantavna dene me lag gaye par is beech ALESENDRA ki nazar peeche ki taraf gayi jahan DEFENDER akele khade the..
ALESENDRA kotuhal wash ye jaanane ke liye ki DEFENDER kya kar rahe hain,unke paas chali gayi par DEFENDER ke saamne pahunchkar ALESENDRA ka excitement shock me badal gaya...
aur wo isiliye kyunki DEFENDER ki is waqt aankhen band thi aur unke chehre par do do bhaav ek saath tair rahe the....
ek gum ki aur dusri khushi ki....kuch der baad jab DEFENDER ne aakhen kholi toh ALESENDRA ko khudko ghurte hue paaya....
ALESENDRA- kuch hua hai kya DEFENDER????
DEFENDER kuch waqt tak ALESENDRA ko dekhte rahe aur fir unke honth hile....
DEFENDER ne jo kaha usse sunkar ALESENDRA ke chehre par bhi wahi do bhaav tairne lage jo kuch der pehle DEFENDER ke chehre par the.....
GUM aur KHUSHI......
PLACE-ST.PETER'S COLLEGE
YAAR,IS DIMAG KI SERVICING KAHAN HOTI HAI....WAQT SE PEHLE HI SAALA SATHIYA GAYA HAI.....
COLLEGE KI SHAKAL AAJ DUSRI BAAR DEKH RAHA HUN,AUR ABHI SE BORE LAGNE LAGA.....
KHAIR,AB MARAANE KE CONTRACT PAR KHUD HI SIGN KIYA HAI,MARANA TOH PADEGA HI.....
is waqt mai college ke baahar khada tha....us chu**** faculty ke bande ne fir se mujhe yahan bulaya hai jisse maine apna admision form aur scholarship certificate diya tha....
scholarship ceritificate ke badle koi document par sign karna padta hai,jispar wo gajni ki aulad mere sign lena bhul gaya tha...
wahi karne aaya hun....saala ek sign karne ke liye 10 km door aana padh raha hai...reputation ki toh puri lag gayi hai....
kaisi reputation saale..tu koi desh ka P.M hai kya jo teri reputation kharab ho jaayegi...
ek toh saala jab se COURIOUS ko bachakar khud ki maine lagayi hai tabse koi bc mere andar hugne baitha hai jo meri har baat,har soch ki lagata rehta hai....
MAI- bhos****,apne baap ka baap banana band kar chup chaap rahe kar....saale,mere andar rehkar mujhe hi gyan ch*** rehta hai hamesha....
apne aap se bhunbhunate hue mai college ke andar chala gaya....admission dates toh khatm ho chuke the isiliye admission counter bandh ho chuka tha....
par wo chu***ya jisne mujhe bulaya tha wo admission counter ke baaju waale counter par baitha hua tha...
MAI man me- saala is college ke counters toh railway counters ki tarah hain...local ticket ka darwaaza band hua par uske baaju me reservations ka chaalu hai....
abbe chup chaap jaakar sign kar aur kalti maar.khaali pili dimag ka dahi kyun karte rehta hai???
huga...fir se huga.......abbe chup chaap rahe kar....jab dekho apne mooh ka gutar khol deta hai....
mai ek baar firse apne andar chhupe dusre CHU***** ko gaali deta hua counter par pahuncha,apne aap par pura control karta hua chup chaap us CH**** se jis document par sign karna tha,wo liya sign kiya aur chup chaap wahan se kalti ho gaya....
MAI- haash......kamsekam ek kaam toh nipta.....chalo ab yahan se kalti maara jaaye....
HEY YOU.......
mai abhi aage badha hi tha ki mere piche se aayi is awaaz ne mujhe palatne par majboor kar diya....
aur jaise hi mai piche palta....
MAI-arre yaar.....ab ye saale chindi phudkenge aur aise aise bakwaas dialouges bolenge ki pakka mujhe ulti aayegi....
jahan mai apne me firse budbudane laga wahin mujhe jisne awaaz di thi wo aur uske saath kuch aur ladke meri taraf aane lage...
baakiyon ka toh pata nahi par un ladkon me se do ko mai jaanta hun...
ghanta jaanta hun..bas dekha hai bol saale..
MAI- tu fir huga....par is baar sahi huga i mean bola...haan dekha hai...
ye wahi do bande the jinki ferrari ko cake samajh kar maine beech se kaat diya tha...
par mai college ke beech koi scene nahi chahta tha isiliye.....
1ST LADKA- abbe kahan bhaag raha hai????pakdo saale ko...
hua ye ki mai is waqt college ke main gate ke paas hi tha isiliye maine college ke baahar ki taraf doud laga di aur wo sab bhi chillate hue meri peeche bhaagne lage...
jaisa ki maine bataya tha ki admission close ho chuke the aur abhi college bhi start nahi hui thi isiliye bohot kam students aaye the...
par kuch students kuch kaam se aaye the aur mai unke saamne kuch karna nahi chahta tha isiliye maine college ke baahar jaana thik samjha....
par bhaag sirf mai aur mere piche wo ladke hi nahi rahe the,hum sab ke peeche koi aur bhi tha jo bhaagte bhaagte humare paas aa raha tha....
college se baahar nikal mai thodi door tak bhaga aur fir rook gaya..ye area thoda sunsaan tha...
wo ladke bhi bhaagte bhaagte mere piche pahunch chuke the....
1ST LADKA- tu wahi hai naa jisne meri car todi thi....!!!!!
MAI- abbe BHOS****,agar sirf shak hai toh itne bande kya apne baap ki shaadi me naachne ke liye leke mere piche bhaag raha hai kya???....
2ND LADKA- kya bola be c****
MMMMMM....MMMMMM........
CHATAAKHHH.......
isse pehle ki uski gaali puri hoti maine uska mooh daba diya tha..usse kuch bola nahi jaa raha tha....
aur isse pehle ki uske frnz kuch karte maine jiska mooh dabaya tha,usse ek halka sa thappad maara....wo wahin gir gaya....
abbe lou**....zyada haath pair na chala diyo....mar war naa jaye koi kahin???
ye awaaz fir se mere andar se aayi thi...
MAI khud se- pata hai be..apne baap ko mat sikha....
mai yahan khudse khudko gaali dene me busy tha wahin mere saamne khade ladke apne friend ki haalat dekhkar dar gaye the...
MAI- mara nahi hai,sirf behosh hai..ab suno be bagair chilke ke mungfalliyon,bina koi naya CH***PA kiya yahan se nikal lo,warna sabhi behosh ho gaye toh tum sab ko awara kutte samajh kar municipality waale le jaayenge....
aur tu be lo***e......agli baar mai jahan khada dikhun,wahan horn naa bajaiyo....horn ki awaaz se mujhe ghussa aata hai....samjha...
un me se do ladke mujhe maarne ke liye aage badhe hi the ki jis bande se maine apni baat kahi thi,usne un dono ko rok diya....
usse wo scene yaad aa gaya tha jab maine uski car ek baar me beech se kaat di thi....uske upar abhi abhi uske frn ka jo haal hua tha usse dekhkar wo samajh gaya tha mujhse bhidkar un sab hi nuksaan hoga...
MAI- abbe tum CH***** ko samajhdaari maar khaane ke baad hi kyun aati hai...pehle hi samajh gaya hota toh tera frn aise lawaris ki tarah pada nahi hota naa....
2ND LADKA- abhi toh hum jaa rahe hain but tu
MAI- jaanta nahi ki maine kisse panga liya hai,yahi naa???
2ND LADKA- nahi..tu jaanta nahi ki tune kisse maarkar behosh kiya hai...ye central minister ka beta hai....iske baap ko jab pata chalega toh wo tera jina haraam kar dega....
is college ke saath saath is shahar me bhi tu ab chain se jee nahi paayega....
mai uski baat sunkar has diya...aur karta bhi kya,puri duniya ka sukoon jiski wajah se kaayam hai,ussike sukoon ko khatm karne ki baat kar raha tha wo ladka...
MAI- chal nikal....
isse zyada bolne ka mera mood hi nahi hua...
wo sab mujhe ghurte hue apne frn ko uthakar nikal gaye par tabhi......
un sab ke mere saamne se hathate hi mere saamne ek naya chehra aa gaya ya fir ye kahun ki ek aisa purana chehra jisse mai jitni baar bhi dekhta hun,toh aisa lagta hai jaise mai usse pehli baar dekh raha hun....
MAI-AVANTIKA..............
ye naam na sirf mere mooh se balki meri aatma ki gehrayi se bhi nikli....
wahin AVANTIKA ek still face liye mujhe dekhe jaa rahi thi...aur isse pehle ki mai kuch kehta....
AVANTIKA- coffee house...mai wait kar rahi hun.....
ye bolkar wo mud gayi......
MAI man me- COFFEE HOUSE......!!!!???abbe ye kya koi chota sa town hai jahan ek hi coffee house hoga????
itni choti si gutthi tu samajh nahi paaya toh fir tere life me jo itne bade bade puzzles hain,unhe kaise suljaayega.....???
tere college ke just side me hi toh ek coffee house hai,wo ussi ki baat kar rahi thi...
mere andar baithe Ch****** ne apna bina mooh waala mooh firse kholkar apni baat kahi....
MAI- toh sidha sidha bhi toh bol sakti thi...
waise hi jaise sidhe sidhe tune apna faisla usse sunaya ya fir ye kahun ki thop kar yahan chala aaya...
ab mere andar se aayi is awaaz ka jawab mere paas nahi tha....saala bol toh sahi raha tha...mai chup chaap kuch sochte hue kuch der tak khada raha,fir coffee house ki taraf nikal pada....
IN COFFEE HOUSE....
WHAT WOULD U LIKE TO HAVE MA'AM???
AVANTIKA- one cappuccino....
WAITER- sure ma'am....
waiter AVANTIKA se order lekar chala gaya..is waqt AVANTIKA ka chehra ekdum still tha..koi expresion nahi..par chehra jitna chup tha,aakhen utni hi baatein kar rahi thi...
dard,ghussa,shikayat sab kuch tha is waqt AVANTIKA ke aankhon me par in sab se upar thi yaad..un saare lamho ki yaad jiski wajah se is waqt AVANTIKA yahan moujud thi....
kuch aisi yaadein bhi uske zehen me taaza ho rahi thi jinka wo khud hissa nahi thi....
aisi kaun si yaad tair rahi thi is waqt AVANTIKA ke aankhon me,chaliye hum bhi un yaadon ko jee lete hain....
A SMALL FLASHBACK:-
RONITTTTT...MERE BACCHE.......TUJHE HOSH AA GAYA........
ye bolkar RONIT ki mom RONIT ke gale lag gayi.....
ye wahi scene hai doston jab apne hero ne RONIT ko coma se baahar laaya tha aur RONIT ANJALI ka naam lete hue ya fir ye kahun ki chillate hue uth gaya tha ...
RONIT ke baaju me hi us waqt RONIT ka haath pakde aankhon ko band kiye hue uski mom baithi hui thi jo apne bete ko coma se baahar aata dekh uske gale lag gayi thi....
wahin RONIT lambi lambi saanson ke beech wapas khudko normal karne ki koshish kar raha tha....
par jaise hi RONIT normal hua,usse wo sab dobara yaad aane laga...usse dobara ehsaas hone laga ki ab uski ANJALI is duniya me nahi hai...
aur ye yaad aate hi RONIT ki aakhon se aansu ki dhaar nikal padi..
kuch der tak apne bete ke gale lage rehne ke baad jab uski mom usse alag hui toh unki nazar unke bete ki AANSUON par gayi jisse dekhkar unka dil bhi ro utha....
RONIT- MOM,MOM,ANNJJUU...........
apne rone ko control karte hue RONIT ne ANJALI ke baare me jaanana chaha....
ANJALI ka naam sunkar SAVITA aunty ki bhi rulayi phut padi....
R/MOM- hamari ANJU us ACCIDENT me nahi bach paayi beta...
RONIT- accident!!!!!!
par isse aage RONIT kuch nahi bola...usne ek baar apni aakhen band ki.uske ske dimag me aage ki baatein apne aap ghum si gayi...
wo samajh gaya ki BHUVIKA aur BEELZEBUB ne un dono ke saath jo bhi kiyauskse baad me ek accident ka roop de diya hoga....
RONIT jhat se uth kar baith gaya...
R/MOM- arre beta,abhi tu kamzor hai....tu abhi aaram kar...
RONIT- nahi mom,mai ekdum thik hun..ye dekhiye.....
ye bolkar RONIT turant uth baitha...
itne time ke baad coma se baahar aaye bande ke sharir ko normal hone me kuch din lagte hain par RONIT ko yun compeletely fit dekh uski mom pehle chownki par wo khush bhi thi ki unka beta thik hai....
RONIT- mai V.J ke ghar se aata hun mom....
R/MOM- thik hai par driver ke saath jaa..khud bike mat chalaene lag jaana,kya pata kuch kamzori andruni ho aur bike chalate waqt baahar aa jaye...
RONIT apni mom se behes nahi karna chahta tha isiliye ok bolkar baahar nikal gaya..
wahin SAVITA AUNTY ne phone karke apne husband ko aur uske baad NEHA aur VIKRAM ki mom MINU ko ye khush khabri de di......
wahin dusri taraf......
AVANTIKA- V.JJJ...V...J......ye kya ho gaya????ab kya hoga??????plz naa V.J,hosh me aa jao naa....
AVANTIKA rote rote mujhe hilaye jaa rahi thi par meri aakhen band thi...
AVANTIKA- ek taraf teri banayi duniya ko banaye rakhne waala tera ye beta,aur dusri taraf ussi duniya ko khatm karne waala tera dusra beta......
aur wo beta tere is bete se jeet gaya.....!!!!yahi hai tera nyaaya,tera insaaf,haan!!!!!
AVANTIKA upar aasman ki taraf dekhkar ye sab bolti rahi....ab tak AVANTIKA ko sirf rona aa raha tha,par ab usse ghussa bhi aane laga tha....
usse yaad tha ki V.J ne kaha tha ki uske behosh hote hi ghar par phone karde par wo aisa karna nahi chahti thi..kaaran,pehla toh isse uske ghar waale bohot panic ho jaate aur dusra,usse pata tha ki V.J ko koi doctor toh theek kar paata nahi isiliye usne wahin V.J ke uthne ka wait karna hi sahi samjha
AVANTIKA- V.J,plz uth jaao naa...tum haar nahi sakte...tumhe jeetna hi padega,mere liye......
AVANTIKA ne ye baat bohot ghusse me kahi thi aur tabhi.........
kuch hua jisse dekhkar AVANTIKA bhi chownk gayi par isse pehle ki wo react karti meri aankhen khul chuki thi.....
AVANTIKA- V...J.........
ye kehkar AVANTIKA mujhe baahon me le mere upar let si gayi.....
MAI- ghar chalen.....
maine lete lete bina AVANTIKA ko hug kiye apni baat kahi....
meri baat sun AVANTIKA jsine mere gale ke paas apna sir rakha hua tha,usne sir uthakar mujhe dekha...
waise toh koi aam din AVANTIKA ko mai is tarah lagatar dekh sakta tha par aaj nahi..aaj mere sir me uski aankhon me dikh rahi mohobbat se dard uthne laga tha...
maine AVANTIKA ke dono baazu pakde aur agle hi pal hum dono apne pairon par khade the...
AVANTIKA ab bhi meri aankhon me dekh rahi thi par mai apni nazaren idhar udhar ghuma raha tha..
AVANTIKA bhi jaanti thi ki mai aisa kyun kar raha hun???wo jaanti thi ki mere dimag par ASMODEUS ke khoon ne kabza kar liya hai...
AVANTIKA- kya ab tum mujhse pyar nahi karte????
ek sawal,is ladki ka ek sawal aur mera dimag aur dil dono hil se gaye....
MAI- mai ghar jaa raha hun,tum apne ghar chali jaao...
AVANTIKA- nahi...pehle mere sawal ka jawab do...kya ab tum mujhse pyar nahi karte...
MAI- mai jawab dena zaroori nahi samajhta...
meri baat sunkar AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi....
AVANTIKA- mujhe jawab mil gaya....
maine AVANTIKA ko ghur kar dekha...
AVANTIKA- ye look apne dushmoano ke liye bacha kar rakho...
MAI- ho gaya..chalo,mai tumhe ghar bhej deta hun....
AVANTIKA- pehle mai tumhare ghar jaaungi...
mai AVANTIKA ki bat sunkar chownk gaya...
MAI- kyun???mere ghar kyun??
AVANTIKA- ab apne sasural jaane ke liye kya mujhe tumhari permission leni padegi...jaana hai matlab jaana hai...
maine ek baar firse AVANTIKA ko ghur kar dekha fir usse lekar gaayab ho gaya....
BEELZEBUB aur BHUVIKA jo mere aur AVANTIKA ke roop me yahan reh rahe the,aur jinhe humare wapas aane ki bhi jaankari ho chuki thi,wo gayab ho chuke the....
ye wo aakhri baat thi jo mujhe behosh hone se pehle dikhi thi.....
khair,mai AVANTIKA ko lekar sidhe apne room me prakat hua...room me isiliye kyunki BEELZEBUB yahin se gaayab hua tha....
aaj mai 1.50 saal baad apne ghar apne room me wapas aaya tha par ab mujhe is baat se bhi fark nahi pad raha tha...aur humare ghar waalon ke liye toh hum kahin gaye hi nahi the...
mujhe reh reh kar har chiz par ghussa aa raha tha..mere andar chuppa mera astitv mujhe rok raha tha par jab bhi wo aisa karta,mere dimag me dard hone lagta...
mera man kar raha tha ki sab kuch jala kar khaak kar dun....par pata nahi kaise mai aisa karne se khud ko rok raha tha...
mai apne bed par sidha let gaya wahin AVANTIKA walls par lagi pictures ko dekhne lagi....
USSI WAQT NEECHE....
MARTHA- RONIT baba ki wajah se aaj bohot dino baad aapko khush dekhkar bohot accha lag raha hai madam...
MOM- haan MAARTHA...ANJALI ke jaane ke baad toh jaise humare khushiyon ko grahan hi lag gaya tha..
par aaj kayi dino baad wapas khushiyon ne humare gharon ka rookh kiya hai....mere bacche ko hosh aa gaya hai aur wo yahin aa raha hai..
RONIT ke hosh me aane ki khabar jaise hi MINU ko mili,uska dil khushi se jhum utha...usne ye baat turant VIKRAM ko ( BEELZEBUB) aur fir JAIRAJ ko phone par aur yahan tak ki ghar ke sabhi noukaron tak ko bata di aur fir rasoyi me ghus khaane ka kuch pakane lagi..
kyunki jab bhi RONIT ghar aata tha toh usse kuch khaane ke liye maangta tha aur aaj toh wo sidhe 6 mahine ke baad uth raha tha..bhook toh usse zaroor lag rahi hogi...
MINU aaj sach me bohot khush thi par wo ye nahi janti thi ki uski ye khushi kuch hi der ki mehmaan hai...thodi hi der me wo gum jo wo kuch der pehle tak feel kar rahi thi,wo aur badh jaayegi....
MINU khushi khushi koi dish taiyar kar hi rahi thi usse lawn me car ki horn sunayi di jisse sunkar wo samajh gayi ki RONIT aa gaya hai.....
wo bhaagte hue kitchen se baahar aayi toh dekha ki RONIT hall ko paar kar upar VIKRAM ke room ki taraf badh chuka tha..
pehle toh uska man kiya ki wo usse roke par fir usse laga ki is waqt RONIT ka VIKRAM ke paas rehna zyada zaroori hai..
kaaran,un sab ke liye toh ANJALI ko gaye hue 6 mahine beet chuke hain,par RONIT ke zehen me toh ye haadsa ekdum fresh hai....
us haadse ke baad RONIT ko abhi jo hosh aaya tha...yahi sochkar MINU wapas kitchen ki taraf mud gayi....
WAHIN UPAR:-
AVANTIKA- waise bachpan me tum kuch zyada hi cute the....
AVANTIKA jo meri pics check out kar rahi thi,wo palat kar mujhse boli...
wahin mujhe toh ye samajh nahi aa raha tha ki AVANTIKA mere ghar rooki hi kyun hai...???wo apne ghar kyun nahi jaa rahi...
mujhe kuch naa bolte dekh AVANTIKA mere kareeb aa gayi...mai usse ghur ghur kar dekhne laga....
mujhe is waqt akela rehna tha,par AVANTIKA jaa nahi rahi thi..mai usse ulta sidha kehna chahta tha par pata nahi kaise par mai usse kuch galat bol hi nahi paa raha tha...
AVANTIKA-hum toh pehle se hi aapke dil me base hue hain..aankhen band bhi karenge toh bhi hum hi dikhenge....yun ghur ghur kar dekhne ki zaroorat nahi hai aapko....
WAAH,KYA BAAT HAI....!!!!YAHAN TOH ISHQ KI PATENGE UDAYI JAA RAHI HAI....KYUN!!!!
ye awaaz hum dono ke piche darwaaze ki taraf se aayi thi jahan is waqt RONIT khada tha...
is waqt RONIT ki aankhon me aansu toh the hi,par un aansuon se bhare aankhon me dard ke saath saath beintehaan ghussa bhi dikh raha tha....
aur isiliye hi AVANTIKA mere saath aayi thi..usse bhi RONIT ke behaviour ke baare me pata tha...
wo jaanti thi ki RONIT bhi abhi abhi hosh me aaya hai,uske dilo dimag me ANJALI ki mout ek dum fresh hogi....
wo uththe hi sabse pehle yahin aayega asli VIKRAM se jawab maangne ya fir nakli VIKRAM se badla lene ke liye....
agar purana VIKRAM hota toh koi tention ki baat nahi thi par abhi jo VIKRAM ki mental haalat hai,usme kuch bhi ho sakta tha....
RONIT- mujhe toh laga tha ki mera yahan par ussi nakli VIKRAM se saamna hoga aur mai apna badla le lunga,par yahan toh asli VIKRAM,LORD OF ANGELS swayam virajmaan hain....
abbe kaahe ka LORD OF ANGELS hai tu,jo apni dost ko nahi bacha paaya wo pure universe ko kaise bachayega....???
AVANTIKA ki wajah se mera ghussa ab tak control me tha par ANJALI ki baat karke RONIT us ghusse ko hawa dene laga tha...
meri saanse ghusse ki atyadhikta ki wajah se thodi tez tez chalne lagi jisse AVANTIKA ne dekh liya..
usse kuch galat hone ki feeling aane lagi....aur isiliye.....
AVANTIKA- dekho RONIT,tum actual baat nahi jaante...V.J toh.....
RONIT- tujhse baat nahi kar raha hun mai...toh apni naak beech me ladaana bandh kar warna
MAI- warna kya BHOS******.......
RONIT ne AVANTIKA ki baat beech me kaati aur maine RONIT ki.....
mere mooh se apne liye gaali sunkar ek pal ko toh RONIT ekdum shocked ho gaya aur jab usne meri taraf dekha toh uske man me halka dar bhi paida ho gaya kyunki is waqt meri aakhen ghusse ki adhikta se laal ho chuki thi..
wahin AVANTIKA toh meri awaaz aur mera roop dekhkar hadh se zyada ghabra gayi thi..wo jaanti thi ki agar mai shaant nahi hua toh anjaam kitna ghaatak ho sakta hai....
par ab shayad der ho chuki thi..jis ghusse ko mai kabse dabaye hue tha,RONIT ne usse dhakka de diya tha..ab bas us ghusse ko laava ban fatne ki der thi....
AVANTIKA- RONIT,tum jaao yahan se....abhi tumhara V.J ke saamne rehna thik nahi....
RONIT ab tak sambhal chuka tha...
RONIT- mai kyun jaaun,aur mai nahi darta isse.aur tu,tujhe maine kaha naa ki......
MMMMMMMM.............
RONIT aage kuch keh nahi paaya kyunki maine uska gala pakad usse hawa me utha diya tha...
MAI- kya bola tu,tujhe dar nahi lagta mujhse......jaanta hai iski wajah kya hai,wajah ye hai ki maine aaj tak tujhe bachaya hai,maara nahi....
tune V.J ka soft side dekha hai,uski taaqat nahi....tere jaise laakhon loundo ko mai ek chutki me khatm kar sakta hun....
aur tu kehta hai ki tujhe dar nahi lagta....rook zara.tujhe batata hun ki dar kisse kehte hain....
AVANTIKA-V.J.....uska gala chhodo...usse saans lene me taklif ho rahi hai....
AVANTIKA sach keh rahi thi..RONIT ki aankhen band hone lagi thi....uska chehre khun jamne se laal ho gaya tha..par maine usse chhoda nahi...
AVANTIKA- V.J..maine kaha chhodo usse....
MAI- chhod dun......
AVANTIKA ne haan me apna sir hilaya...aur agle hi pal....
BHAAD...............
RONIT ka sharir mere room ke darwaaze ko todta hua gallery se hokar neeche hall ki taraf girne laga...
MAI- lo,chhod diya.....
AVANTIKA toh meri harkat dekhkar jad si ho gayi thi...
wahin neeche....
mom ne dad ko bhi RONIT ke theek hone ke aur ghar aane ke baare me bata diya tha..wahin SAVITA aunty bhi apne bete ke peeche peeche hamare ghar aa chuki thi...
dad aur aunty ke aane ke baad teeno mere room ki taraf badhe hi the ki unhe mere door ke tootne ki awaaz sunayi di...
isse pehle ki wo kuch sochte ya samajhte...
SAVITA AUNTY- RONIT.............
RONIT ki body gallery se hoti hui neeche girne lagi jisse dekhkar SAVITA aunty ke mooh se apne bete ke naam ki cheekh nikal gayi...
par isse pehle ki unme se koi kuch karta,RONIT floor par gir chuka tha....
door ke tootne aur uske baad SAVITA aunty ki awaaz sunkar naanu aur naani bhi apne room se baahar aa gaye the....
aur jab unhone RONIT ko zamin par pada dekha toh wo bhi shocked ho gaye..sabhi uski taraf doud pade...
RONIT ka sir gallery se halka takraya tha jis wajah se uske sir se khoon nikal raha tha par wo ab bhi hosh me tha....
R/MOM- mera baccha....ye kya ho gaya tujhe...tu niche kaise gir gaya....???
ye bol RONIT ke sir ko apni godh me lekar SAVITA AUNTY rone lagi....
RONIT- V.J.... ne ....dhakka...diya....
mere gale ko dabane ki wajah se RONIT ko abhi bhi bolne me halki taklif ho rahi thi..usne atak atak kar apni baat kahi par uski baat sunkar sabhi shocked ho gaye....
DAD-VICKYYYYY..........
MAI- boliye........
dad zor se chikhe par agle hi pal maine unhe araam se jawaab diya....mai upar gallery me khada tha.....
DAD- ye RONIT kya keh raha hai???
MAI- wahi jo aapne suna....
mere jawab ko sunkar dad ke saath saath mom aur aunty bhi shocked ho gaye....
DAD- tu hosh me toh hai....
MAI- sach bolne waala har banda kya nashe me hota hai....???
MOM- ye kaise baat kar raha hai tu???
MAI- mooh se.....
ye bolkar mai gallery se niche kood gaya..AVANTIKA bhi mere piche hi thi...wo bhi doudti hui neeche aayi...
MOM AVANTIKA ko dekhkar chownki kyunki unhone usse ghar aate waqt nahi dekha tha par filhal unhone is baat par dhyaan nahi diya...
MOM- tune RONIT ko niche giraya...
MAI- nahi...maine toh ba usse uske gardan se pakad kar uthaya aur darwaaze par fek diya..
par ye itna kamzor nikla ki apna balance nahi bana paaya aur darwaaze ko tod gallery se hota hua neeche gir gaya....
MOM- VICKY..........
ye bolkar mom ne apna haath uthaya par mujhe maar naa paayi...unke haath mere gaal par pahunchte pahunchte rook gaye...
MAI- kya mom...sirf neeche hi toh gira hai..dekh lo,zinda hai,mara nahi....
CHATAAKHHH.......
ye thappad mere gaal par mom ne nahi SAVITA aunty ne maara tha par agle hi pal.....
aaaaaaaa..............................
dhadammmm..........
RONITTT...................
toh hua ye ki SAVITA aunty ke mujhpar haath uthate hi mera dimag ghum gaya.....maine apna haath unhe maarne ke liye uthaya par unhe maar nahi paaya....
par ghussa kahin toh nikalna hi tha..agle hi pal mere side me pade sofe ko maine apne ek haath se utha liya aur RONIT ke just side me patak diya....
sofa itne zor se floorsea takraya tha ki sofe ke saath wahan ka floor bhi toot gaya...
wahin aunty ko laga ki maine sofa unke bete ke upar patak diya hai jis wajah se unki cheekh nikal gayi....par jab unhone dekha ki aisa nahi hai toh unki jaan me jaan aayi...
MAI- agli baar mujhpe haath uthane se pehle soch lijiyega ki kahin uske baad apka beta hamesha ke liye hi naa kahin uth jaaye....
MOM- nikal jaa mere ghar se..aur dobara mujhe apni shakal mat dikhana....
AVANTIKA- aunty.....
AVANTIKA aage kuch kehti usse pehle hi mom ne apna haath upar kar usse kuch bhi kehne se rok diya....
MAI- cool.....mai toh apni shakal nahi dikhaunga par aap bhi koshish karna ki mere saamne kabhi naa aao.....
ye bol mai wapas apne room ki taraf nikal pada....mere piche piche AVANTIKA bhi aa gayi...
AVANTIKA- V.J ye kya kar rahe ho.......???
MAI- tum ghar jaao AV........
mere mooh se AV sunkar AVANTIKA shocked hui par khushi se...
AVANTIKA- mai sabko bata dungi ki asli problem kya hai????
ahhhh.........
ye awaaz AVANTIKA ke mooh se nikli thi aur wo isiliye kyunki maine usse diwal se sata diya tha...
MAI- mai khud nahi jaanta ki mai kab kya kar dun.....isiliye mere sabr ka imtihaan mat lo....
tumhe jo batana hai wo batado,par agar tumhe lagta hai ki aisa karne se sab thik ho jaayega toh tum galat ho.....
jo bacha hai,wo bhi khatm ho jaayega...aur tum toh jaanti ho ki V.J jo kehta hai wo ho jaata hai......
mujhe kisiki zaroorat nahi hai...aur mai akela hi rehna chahta hun...
ye bolkar maine ek drawer se apne 10th aur 12th ke mark sheet aur saath hi apni scholarship nikali jiska abhi tak maine use nahi kiya tha par ab mujhe iski zaroorat thi.....
AVANTIKA- aur meri...kya tumhe meri bhi zaroorat nahi hai....
MAI- nahi......
ye bol mai aage badh gaya.....jab mai neeche pahuncha toh wahan mere mom dad naana naanu,aur aunty sab abhi bhi moujud the...
MAI- sirf apne documents liye hain aur kuch nahi...
ye bol mai aage badh gaya...naanu aur nani ne mujeh bohot rokne ki koshish ki par mai nahi ruka...
mere ghar se kadam baahar nikalte hi do log dhamm karke niche gir gaye...
ek MOM aur dusri AVNI......
iske baad mai kisiko nahi dikha...AVANTIKA ne aaj se pehle mujhe aakhri baar paper ke time dekha tha...
ya fir ye kahun ki sirf ussine hi mujhe dekha tha kyunki mai last me college aata tha wo bhi hoodie se sir ko dhakk kar aur papers sabse pehle dekar chala jaata tha....
LAST PAPER....
AVANTIKA- hi....
aakhri paper ke waqt AVANTIKA mujhse pehle paper dekar baahar hi mera wait kar rahi thi....
jaise hi mai baahar aaya,mujhe apnesaamne WO khadi dikhi....
AVANTIKA-ek baat puchun???
par mai ab bhi khamosh hi tha.....
AVANTIKA- tumne us din kaha ki tumhe meri bhi zaroorat nahi hai..kya isse mai ye samjhun ki tumhe ab mujhse MOHOBBAT bhi nahi hai....
MAI- mai mumbai chhodkar jaa raha hun....
AVANTIKA- ye mere sawaal ka jawaab nahi hai....bas itna batao ki kya tum ab bhi mujhe pyar karte ho????
maine har taraf nazare ghumayi,koi bhi hamare aas paas nahi tha....
maine ek baar AVANTIKA ki taraf dekha,kuch kehne ke liye mere honth hile bhi par mai kuch keh nahi paaya aur agle hi pal mai gayab ho chuka tha.....
MA'AM your cappuccino.......
WAITER ke awaaz se AVANTIKA hosh me ya ye kahun apni yaadon se baahar aayi...
uska chehra murjhaya hua tha par sirf ek pal ke liye..jaise hi uski nazar saamne gayi,uski muskaan wapas aa gayi kyunki uske saamne mai khada tha.....
Kisi Pata tha tujhse mohobbat ho jaayegI....
Hume toh Bus tera muskurana pasand tha....
kuch der tak usse muskurate hue dekhne ke baad mai uske saamne chair par aakar baith gaya ur uske bolne ka intazar karne laga par wo mujhe ek tak dekhti rahi....
MAI- tum mera picha kyun kar rahi ho????
aakhir me jab wo kuch nahi boli toh mai hi bol utha....
AVANTIKA- tumhe kaise pata ki mai tumhara picha kar raha hun....???
MAI- mai kisiko kar sakun ya naa kar sakun,par tumhe mehsoos kar sakta hun AV....aur mai tumhe piche 1 mahine se apne aas paas mehsoos kar raha hun....
dekho,mai wapas nahi jaane waala..isiliye agar tum mujhe wapas lejaane ke liye yahan aayi ho toh ye jaan lo ki isse koi faayda nahi hoga...
AVANTIKA- mai toh bas apne sawaal ka jawab lene aayi hun....
MAI- kaun sa sawaal???
AVANTIKA- itni jaldi bhul gaye..wahi sawal jo maine hamari pichli mulakat ke waqt pucha tha....tum mujhse pyar karte ho ki nahi????
MAI- tum?????
AVANTIKA mai toh karti hun tumse pyar..tum apna batao....
par maine kuch nahi kaha aur uth kar jaane laga..
AVANTIKA- jab tak mujhe jawab nahi mil jaata,mai bhi yahin rahungi.....
AVANTIKA ki baat sunkar mere kadam rook gaye......
MAI- pyar me zabardasti nahi hoti AV....
AVANTIKA- par intazar toh hota hai naa.mai wahi kar rahi hun....jitna waqt lena hai le lo,yahan se bhi kahin aur jaana chahte ho toh chale jao,par jab bhi palat kar dekhoge,apni AV ko apne piche khada paaoge...
AVANTIKA ke baat sun dard aur tadap ki ek aisi lahar doudi mere dil aur dimag me ki mai aur rook naa paaya aur cafe se baahar nikal gaya.....
AVANTIKA- manzile bhi USKI THI...
raasta bhi USKA THA...
ek mai hi AKELI THI....
kaafila bhi USKA THA....
saath saath chalne ki
soch bhi USKI THI....
phir raasta badalne ka
faisla bhi USKA THA....
aaj kyun AKELI HUN!!!
DIL sawaal KARTA HAI...
log toh uske THE HI,
kya KHUDA BHI USKA THA...
AAJ KE LIYE ITNA HI........
AAPKA APNA V.J........
Very nice update bhaiAB TAK AAPNE PADHA KI KAISE VIKRAM MUMBAI SE DELHI PAHUNCHTA HAI WAHIN AVANTIKA BHI VIKRAM KE PEECHE PEECHE DELHI PAHUNCH JAATI HAI:-
AB AAGE:-
FINAL CHAPTER
(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)
UPDATE-93
PLANET- MONSLICKEL
PLACE- PALACE HALL
HI HAIL FATHER.....
HI HAIL DEVIL LORD.....
par ASMODEUS jo ki is waqt apni rajgadhi me baitha aankhen band kiye kuch soch raha tha,usne BEELZEBUB aur BHUVIKA ke gesture me kuch nahi kaha,yahan tak ki usne apni aakhen bhi nahi kholi.....
BHUVIKA aur khaas kar BEELZEBUB ye sab dekh kar bohot shocked ho gaye....aisa pehle kabhi nahi hua tha....
jo ASMODEUS ek pakshi ke udne se pehle hi bata deta ho ki wo pakshi ki udaan ki manzil kya hai,aur us udaan ke douran wo kitne baar apni pankh fadfadaayega,uska yun aise soch me goom hona ki unke gestures ka jawaab dena toh door unki moujudgi ka ehsaas tak naa hona,ye bohot badi baat thi....
BEELZEBUB aur BHUVIKA ne ek baar ek dusre ki taraf dekha,fir BEELZEBUB darte darte ASMODEUS ke thoda aur kareeb gaya aur....
BEELZEBUB- FATHER........
is baar ASMODEUS ne BEELZEBUB ki awaaz sunkar apni aakhen kholi......
ASMODEUS- kya tumhe pata nahi hai ki tumhare ya kisi ke bhi yahan aane se pehle hi mujhe pata rehta hai ki wo aa raha hai...
fir tumhe do baar mujhe pukarne ki zaroorat kyun padi....????
BEELZEBUB- maaf kijiyega FATHER...par jab humare pukarne par bhi aapne apni aakhen nahi kholi toh mujhe dusri baar aapko pukarna pada...
ASMODEUS- meine apni aakhen nahi kholi kyunki mujhe aisa karna zaroori nahi laga....
ASMODEUS ki awaaz me is baat ko bolte waqt halki sakhti aa gayi thi jisse sunkar BEELZEBUB ki ridh ki haddi me sard leher si doud gayi....
ab usme itni himmat nahi bachi thi ki wo us baare me baat kar sake jis wajah se wo apne FATHER ke saamne prakat hua tha...
par BHUVIKA ki baat alag thi...usse toh apni baat ASMODEUS ke saamne rakhni hi thi par usse pehle....
BHUVIKA- humari galtiyon ko maaf kijiye DEVIL LORD...
ASMODEUS ne ek baar ghur kar BHUVIKA ko dekha....
ASMODEUS- apne aane ka kaaran batao BHUVIKA......
BHUVIKA- aap se kya chupa hai DEVIL LORD.....?????aapne jaisa kaha,waisa ho gaya...aapke khoon ke asar se VIKRAM ka vyaktitv badal gaya....
aur is wajah se uska ohda,uski pehchaan usse alag ho gayi....ab wo LORD OF ANGELS nahi raha....uske pariwaar waalon ne bhi usse khud se door kar diya....
ANJALI ke roop me uske dimag ke saath saath uske hriday ko bhi aaghat pahuch chuka hai...aur uska sabse ghanisht mitr bhi ab uska mitr nahi raha....
par in sab ka faayda kya hua????jahan ek taraf aapke khoon ki wajah se usko nuksaan hua,wahin ek faayda bhi hua hai...
usse kisi ki fikr hi nahi rahi...wo toh apni zindagi me mast hai....aise me mera badla adhura hi reh gaya naa...
ASMODEUS- kya karna chahti ho tum????
BHUVIKA- mai VIKRAM ko khatm karna chahti hun....
ASMODEUS- HAHAHAHAHAHAAA.......................
BHUVIKA ki baat sunkar ASMODEUS zor zor se hasne laga.....wahin BHUVIKA aur BEELZEBUB ko ASMODEUS ka hasne ka kaaran samajh nahi aaya.....
aur jaise hi ASMODEUS ki hasi rooki.....
BEELZUBUB- FATHER,kya BHUVIKA ne kuch galat keh diya....???VIKRAM ab wo nahi rahe jo kabhi hua karte the....ab toh hum unse lad sakte hain naa!!!!
ASMODEUS- bilkul lad sakte ho....
ASMODEUS ki baat sunkar BHUVIKA aur BEELZEBUB khush ho gaye.....
ASMODEUS- murkhon,khush hone se pehle meri puri baat toh sun lete....
maine kaha ki tum dono VIKRAM se ladh sakte ho,ye nahi kaha ki tum dono milkar bhi usse jeet sakte ho!!!!
BHUVIKA/BEELZEBUB- matlab!!!!
ASMODEUS- hmm....kisi VRIKSH ki taakat kispar nirbhar karti hai....????
BEELZEBUB- uski jadon par.....
ASMODEUS- aur kya uski jaden dikhti hain....???
BEELZEBUB-nahi....
ASMODEUS- par bina dekhe ek seekh zaroor de jaati hain...aur wo ye ki shatru se LADHNE ke liye thik ek VRIKSH ki tarah uski wo taakatein jo dikhti hain,unke baare me jaanana zaroori hota hai...
par shatru se JITNE ke liye thik us VRIKSH KI JADON ki tarah uski wo taakatein jo nahi dikhti hain,unke baare me jaanana zaroori hota hai....
ASMODEUS ki baatien BHUVIKA aur BEELZEBUB ko sunayi toh de rahi thi,par unhe samajh kuch nahi aa raha tha....
wo dono apne apne aakhon me sawaal liye ASMODEUS ko dekh rahe the.....
ASMODEUS- jab mere kathan ka arth tak tum dono nahi samajh sake,toh us kathan ke peeche chupe satya ko kaise samajh paaoge...
filhal ke liye itna samajh lo ki tum dono VIKRAM se door raho....issi me tum dono ki bhalayi hai....
ASMODEUS ki baat sunkar BEELZEBUB aur BHUVIKA udaas ho gaye par tabhi BHUVIKA ke man me ek naya khayal aaya...
BHUVIKA- DEVIL LORD,agar hum VIKRAM ko nahi maar sakte toh kamsekam hume uski mohobbat,uski premika AVANTIKA ko maarne ki toh anumati dijiye....
BHUVIKA ki baat sunkar ASMODEUS ke face par ek ajeeb expression aaya jisse naa toh BHUVIKA samajh paayi aur naahi BEELZEBUB.....
ASMODEUS kuch der tak BHUVIKA ko dekhta raha aur......
ASMODEUS- thik hai...par tabhi jab........
iske baad ASMODEUS ne BHUVIKA aur BEELZEBUB ko kuch bataya jisse sunkar BHUVIKA aur BEELZEBUB ko kuch samajh toh nahi aaya par unhone ASMODEUS se kuch nahi kaha...
dono ne ASMODEUS ke saamne apna sir jhukaya aur gayab hokar ek dusri jagah pahunche....
NAVEDUM....
COGNIZENT...
BEELZEBUB aur BHUVIKA ne ye SPELL ek saath bola aur dobara gaayab ho gaye....
PLANET- EARTH
PLACE- ST PETERS,PRINCIPALS OFFICE
WHAT A PLEASENT SURPRISE SIR.....WELCOME...PLZ HAVE A SEAT.....
subah ka waqt hai.....ST.PETER ke PRINCIPAL abhi just office pahunche hi the ki unke piche piche DELHI ke CENTRAL MINISTER aa pahunche jo ki ST PETER ke chief trustee bhi the jinhe dekhkar pehle toh PRINCIPAL chownke par fir normal ho unhe baithne ko kaha....
PRINCIPAL- kya lenge sir aap???
CENTRAL MIN- ye ladka...isse yahan bulayiye,abhi.....
CENTRAL MINISTER ne apne mobile ke dislplay ko PRINCIPAL ki taraf kar apni baat kahi....
ye photo VIKRAM ki hi thi jo VIKRAM se bhidne aaye ladkon me se ek ne khinch li thi aur jab CENTRAL MINISTER ne VIKRAM ke huliye ke baare me un sab se pucha toh jis bande ne VIKRAM ki pic click thi usse usne CENTRAL MINISTER ko dikhaya....
usne unhe ye bhi bataya ki ye photo jiski hai,wo abhi college me naya naya aaya hai...
wahin PRINCIPAL chownke par unke chownkne ki wajah CENTRAL MINISTER ke mobile me dikh rahi photo nahi balki CENTRAL MINISTER ka rawaiya tha...
wo is waqt ghusse me lag rahe the....
NOTE:-CENTRAL MINISTER aur PRINCIPAL ka zyada rol nahi hai isiliye unhe naam nahi diya gaya hai....
PRINCIPAL- is every thing ok sir....???aap ghusse me lag rahe hain...
CEN.MIN- isse bulayiye,sab pata chal jaayega....aur haan,isne abhi abhi admission liya hai toh isse new admissions ki list me check kijiye...
PRINCIPAL ne apne ek staaf member ko bulaya aur mera info nikalne ke liye kaha...
kuch hi der me wo staaf member VIKRAM ke details lekar louta jisse PRINCIPAL dekhkar chownk gaye par unhone MINISTER se kuch nahi kaha...
VIKRAM ke details me uska number bhi tha jisse PRINCIPAL ne dial kar diya....
PLACE- KAROL BAGH,DELHI....
HMM...TOH YE HAI KAROLBAGH.....THIK HI HAI....CHAL BETA,KAAM PAR LAG JAA.....
ye bol mai ek kapde ki shop ki taraf chal pada...
kal se mera college shuru hone waala tha isiliye aaj maine kuch shopping karne ki sochi..ab mere wallet me zyada paise toh the nahi,isilye carol bagh aa gaya..
suna hai yahan saste me ache kapde milte hain..
MAI- sun bhai,kuch skin tight t shirts dikha...
maine us shop ke sales man se kaha....
sales man ne ek baad ek kayi saari t shirts mere saamne rakhna shuru kiya....
MAI- bas bhai..kapde ka paahad banayega kya???waise kya range hai inki...???
SALES MAN- bohot sasti hai sir..plain waali 250 aur printed waali 500 ki hain....
MAI- acha ek baat bata..agar mai ye plain waali t shirts le lun aur fir inpar print karke tujhe wapas 400 me dun,toh lega???
SALES MAN- kya sir,aap bhi....
MAI- mai bhi kya???mai mazak thodi na kar raha hun..dekh,500 me toh tu unhe bhi bechega naa.toh kama liya ne tere seth ne 100 rupees per t shirt....
SALES MAN- sir,aisa nahi hota hai....
MAI- haan bhai,200 se 250 rupees per t shirt commision milta hai tumhe,toh 100 me kaise posayega..kyun???
meri baat sunkar SALES MAN hadbada gaya....
uske hadbadane par mai bhi hasta hua t shirts select karne laga....
MAI- ye 2 plain waali aur ye 3 printed waali pack kar de...par sun,sab milakar 1600 hi dunga...
SALES MAN- sir,sabhi ka milakr total 2000 ho raha hai..400 rupees kaise kam kar sakta hun....????aap ek kaam kijiye 1900 de dijiye...
MAI- arre waah..pure 100 rupees discount...itne me toh mera pura mahina chal jaayega,kyun????
tu ek kaam kar rehne de..yahan par shops ki kami thodi naa hai...kahin aur se le lunga...
ye bolkar mai palta hi tha ki....
SALES MAN- sir sir sir......ek kaam kijiye,1700 se dejiye....
MAI- 1600 se ek rupaiya zyada nahi dunga...dena hai toh de,warna mai chala...
SALES MAN- thik hai sir....1600 hi de djijiye...
MAI man me- saala hum duniya ko banate hain aur ye hume banane nikla tha....
ban gayi teri duniya....saale,malls me jaakar LEVIS aur SPIKER ke kapdon par aise mol bhaav kar ke dekh...thenga bhi naa milega tereko...
par wahan jaakar jo rate me mile ,kapde uthakar le aaoge par chhoti chhoti dukano me jaakar tumhara ganit baahar aa jaata hai kyun????
saale,mall ke show room waale bande tumhare paison se bunglows banate hain par ye bechare bas apna ghar chalate hain..
lekin tumhe kya,rahis aur rahis ho toh hon par gareeb gareeb hi rehna chahiye,haina!!!
ye saali wahi manhoos tikhi aur kadwi awaaz thi jo mere har kaam ke baad apna mooh faadti thi par ab kya bolun,sach toh kadwa hi hota hai naa....
maine chup chaap payment ki aur shopping bag pakad baahar nikal aaya ki tabhi....
BHAAG BHAAG AAYA SHER AAYA SHER AAYA...
mere sher ki ringtone i mean mere mobile ki ringtone baj uthi...display par jo number flash ho raha tha,wo unknown tha..khair,maine call pick kiya....
MAI- hello,vicky this side....
AWAAZ- MR VIKRAM JAIRAJ SINGH......this is PRINCIPAL calling OF ST.PETERS....can you come to the college and meet me right now....???
MAI- sure sir...on my way....
PRINCIPAL- good...
ye kehkar PRINCIPAL ne phone kaat diya....
MAI- ab isse mujhse kya kaam pad gaya....????par jaana toh padega hi..chal beta,chala jaaye....
wahin mere baaju me ek stall laga tha jiske piche ki jagah khaali thi..mai wahin peeche ki taraf chala gaya aur agle hi pal mai gayab ho chuka tha......
PLACE-ST.STEPHENS.COLLEGE CANTEEN
HEY SHAIFALI...HEY RONIT......
RONIT/SHAIFALI- hey SHANAYA
SHAIFALI- hey AVANTIKA ....
SHANAYA ko toh dono ne greet kiya tha par AVANTIKA ko greet karne waali awaaz sirf SHAIFALI ki thi....
SHANAYA ne toh nahi par AVANTIKA ne is baat ko note kiya tha par wo aisa hi kuch expect kar rahi thi....
subah ka waqt hai....ST SPEPHENS me bhi first year ke students ke admissions aur seniors ke readmission process shuru ho gaye hain aur RONIT aur SHAIFALI isiliye hi yahan aaye hue hain par AVANTIKA ka yahan ke aane ka reason kuch aur hai..
wo yahan apna trasfer certificate collect karne aayi hai..wo bhi ab DELHI me VIKRAM ke saath hi padhne ka man bana chuki hai...
AVANTIKA ne wahan admission ke liye apply bhi kar diya hai..par abhi tak uska TC yahan se nikla nahi tha...par aaj usse wo milne waala tha....
AVANTIKA- mai PRINCI se milkar aati hun...
AVANTIKA jaane ko hui par SHANAYA ne uska haath pakad liya...
SHANAYA- yaar thoda rook naa.fir chali jaana...kaun sa thodi der me tera T.C rook jaayega ya ST PETERS me admission cancel ho jaayega...
AVANTIKA T.C le rahi hai ye sunkar RONIT chownka,aur ST PETER....!!!!!ye naam bhi uske liye naya tha....
RONIT- ST.PETER...koi naya college khula hai kya???
SHANAYA- naya kahan???ST PETER toh bohot purana college hai
RONIT- strange!!!!pehle kabhi naam tak nahi suna...
SHANAYA- kahan se sunega...ye college MUMBAI ka thodi naa hai,DELHI ka hai....
SHANAYA ki baat sunkar RONIT solid chownka..usne AVANTIKA ki taraf dekha jo uski hi taraf dekh rahi thi....
RONIT ko andaza ho gaya tha ki AVANTIKA DELHI jaa rahi ,toh V.J bhi definately wahin hoga....wo is baare me AVANTIKA se baat karna chahta tha par filhal wo chup hi raha...
V.J ke ghar chhod dene ke baad sabse ajeeb mind set RONIT ka hi hua tha...kabhi kabhi wo V.J ke baare me sochkar ghussa ho jaata tha,toh kabhi kabhi apne dost aur apni dosti ko yaad karke emotional....
aur apne ghar waalon ki haalat dekhkar usse khudpar bhi ghussa aata tha..wo sochta tha ki agar us din usne V.J ka naam nahi liya hota toh sab kuch normal hi rehta...
par jo ho chuka tha,ho chuka...beeta waqt naa kabhi badla hai aur naa kabhi badlega...
SHANAYA- yaar,ye V.J kahan gaayab ho gaya hai...abhi tak wapas nahi aaya....aur usne exams bhi nahi diye......
SHANAYA ki awaaz sunkar RONIT apne khayalon se baahar aaya....
SHANAYA ko RONIT ne VIKRAM ke bare me ye bataya tha ki VIKRAM apne kisi relative ke paas U.S gaya hai aur kuch mahine wahin rahega....
SHANAYA ne socha ki ANJALI ki mout ki wajah se VIKRAM ne aisa faisla liya ho....
SHANAYA ki baat ka RONIT kuch jawab deta usse pehle.....
AVANTIKA- kisne kaha ki V.J ne papers nahi diye..usne sab papers diye hain aur wo bhi college aakar....
AVANTIKA ki baat sunkar RONIT solid chownka...par agar wo AVANTIKA se abhi kuch puchta toh SHANAYA ko shock lagta ki RONIT ko VIKRAM ke baare me kaise kuch nahi pata isiliye wo chup raha.....
SHANAYA- what!!!V.J paper dene aaya aur humse mila tak nahi....
AVANTIKA ne SHANAYA ke sawaal par kuch nahi kaha..wo chup rahi par tabhi uski nazar SHAIFALI par gayi jiski aankhon me is waqt bechaini saaf dikh rahi thi.....
darsal wo soch rahi thi wo un sabko bataye ki nahi ki wo VIKRAM se mil chuki hai..... aur issi soch ne usse bechain kar rakha tha...
AVANTIKA- kya hua babes...tu kuch tensed lag rahi hai.....!!!!
jaise hi AVANTIKA ne SHAIFALI se sawaal kiya,SHAIFALI ne AVANTIKA ki taraf dekha....
aur ussi waqt AVANTIKA ka haath SHAIFALI ke haath ke upar aaya aur tabhi......
AVANTIKA ke man me 440 volt ka jhatka laga....par upar se wo khudko normal hi banaye hue thi.....
SHAIFALI- kuch nahi yaar..wo thoda head ache the......
SHAIFALI ne toh apna jawab de diya,par ab AVANTIKA ko wahan ek pal bhi rookna mushkil lag raha tha isiliye.....
AVANTIKA- yaar mai PRINCI ke office se aati hun....
ye bol AVANTIKA uth kar chali gayi....wahin AVANTIKA ke nikalne ke kuch seconds baad.....
RONIT- mai zara washroom se aaya....
ye bol RONIT turant utha aur AVANTIKA ke peeche ho liya....
AVANTIKA dheere dheere chal rahi thi..actually wo kuch soche jaa rahi thi ki tabhi.......
RONIT- AVNI.......
awaaz sunkar AVANTIKA apne khayalon se baahar aayi aur jab usne palat kar dekkha toh apne saamen RONIT ko khada paaya.....
AVANTIKA- kya hua???
AVANTIKA ne sidhe sapat language me RONIT se pucha.....??
RONIT- V.J kahan hai????kya wo DELHI me hi hai....!!!!
AVANTIKA- tum kyun puch rahe ho???V.J kahin bhi rahe,jiya ya mare,tumhe usse kya???
AVANTIKA ki baat sunkar RONIT ko ghussa aa gaya.wo kuch kehne ke liye apna muh khol hi raha tha ki....
AVANTIKA-kuch bhi bolne se pehle uske natije ke baare me soch lena chahiye MR RONIT....
aur apni akad apne paas hi rakho toh behter hoga...us din tumhari baatein maine sirf isiliye suni kyunki mai nahi chahti thi ki mere bolne par aur problems create ho..
par wo toh waise bhi create ho gayi...aur reason,tumhari bewakufi ...hosh me aane ke baad jab tum V.J ke ghar ke liye nikle the,toh raaste me kya tumne ek baar bhi ye socha ki tum achanak hosh me aaye kaise???
nahi,tum kyun sochoge..tumhe toh tumhare har sawal ke jawab ki ummid V.J se rehti hai naa....1.5 saal..1.5 saal ke baad tum V.J ko dekh rahe the....
par tumhe is baat ki khushi nahi thi ki V.J tumhare paas wapas aa gaya hai,is baat ka dukh tha ki ANJALI nahi rahi aur uska dosh bhi tumne V.J ke upar daal diya...
tumne toh ye jaanane tak ki koshish nahi ki 1.5 saal tak wo kahan tha.uski jagah uska behroopiya kaise yahan rehne laga tha...??
V.J ke mooh se apne liye gaali sunkar tum chownke the naa,par kya tumne ye socha ki aisa kyun hua??kyun V.J itna badla badla sound kar raha hai....
tumhari G.F hone se pehle ANJALI V.J ki best friend thi..kya tum ye baat bhul gaye the ki V.J ne hi tum dono ko milaya tha....tum kyun yaad rakhoge,PYAR DOSTI par bhaari jo padh gaya tha....
RONIT- V.J ne bhi toh mujhpar tumhari wajah se haath uthaya tha...???
RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ke chehre par ek fiki si muskaan aa gayi...
AVANTIKA- kya kaha!!!!V.J ne tumpar haath uthaya tha....agar V.J sach me tumpar haath uthata toh kya tum zinda rehte....!!!!
us condition me jis condition se V.J guzar raha hai,usme usne tumhe zinda chhod diya yahi batata hai ki tum uske liye kya ho ya fir ye kahun ki kya the....
aur rahi baat mere liye tumpar haath uthane ki toh baat meri ya tumhari nahi sahi aur galat ki hai..
itne saalon me tum itna toh V.J ko samajhte hi hoge naa ki wo har faisla rishton ke aadhar par nahi balki sahi aur galat ke aadhar par leta hai....
agar uske mom ya dad bhi kuch galat kahen ya karen toh wo unka tak saath na de toh fir tumhari haisiyat hi kya hai....???
haan,V.J pyar karta hai mujhse....par uski haalat ki wajah se mujhse bhi door bhaagta hai wo....
par usse koi fark nahi padta...kyunki mai bhi beintaha pyar karti hun usse..junoon ki aakhri hadh tak chahti hun usse..
itna pyar ki agar KHUDA bhi aakar mujhe uske khilaf kuch kahe toh mai KHUDA ko chhod dungi par V.J ko nahi...
aur RISHTE aise hi vishwas ki neev par tikte hai RONIT..wo vishwas jo tumhare dil me kabhi theek se panap hi nahi saka...
aur jaante ho kyun,kyunki tum swaarthi ho...sirf apne baare me sochte ho..tumhe apna gum toh dikha,par V.J ka dard nahi...
itne dino se jo dard ka gubbar AVANTIKA ke andar panap raha tha,aansuon aur kade lafzon ka roop lekar wo nikal chuka tha....
ab AVANTIKA ka PRINCI ke office me jaane ka mood nahi tha...aankhon me aansuon ka samandar liye AVANTIKA college se bahar nikal gayi....
wahin RONIT ke dimag ne Tsunami ka roop le liya tha...AVANTIKA ki ek ek baat uske andar teer ki tarah ab tak chubh rahi thi.....
usse har wo chiz yaad aa rahi thi jo ab tak hui thi...aur AVANTIKA ki V.J ki haalat waali baat usse pach nahi rahi thi....
usse ye toh pata nahi chala ki V.J ko hua kya hai par wo itna zaroor samajh chuka tha ki jo bhi hua hai,wo koi choti baat toh ho nahi sakti....
aaj usse apne dost ki bohot yaad aa rahi thi...wo uske pairon me girkar maafi maangna chahta tha...uske gale lag rona chahta tha...
aaj RONIT ko waisa hi laachari feel ho raha tha jaisa ANJALI ko nahi bacha paane ke waqt usne mehsoos kiya tha.....
aisi hi kayi baatein uske dimag me aa jaa rahe the par achanak ek thought uske man me achanak ubhra jiske ubharte hi uske dard se bhare chehre par khushi ki ek jhalak dikhne lagi....aur wo thought tha....
RONIT- tu mere saath nahi hai mere dost par aaj AVANTIKA ke chehre par mujhe teri jhalak dikhi aur uski baaton me wahi cheez jhalak raha tha jo teri baaton me hamesha jhalakta hai...ATTITUDE.....
PLACE- ST PETER.PRINCI OFFICE
KYA NAAM LIYA AAPNE ABHI PHONE PAR???
PRINCIPAL- VIKRAM JAIRAJ SINGH.....
VIKRAM se baat karte waqt jab PRINCI ne uska pura naam liya,toh MINISTER shocked ho gaya....
CENT.MIN- kahin ye wahi JAIRAJ SINGH ka beta nahi jo.....
PRINCI- yes sir..ye wahi hai..ye dekhiye...
CENTRAL MINISTER ki baat aadhi me hi kaatkar PRINCI ne mere documents uske saamne kar diye..
kuch der pehle PRINCI sir jis wajah se chownke the,ussi wajah se CENTRAL MINISTER bhi chownk gaya...
aur wo wajah ye thi ki mere documents me mere photo ke baaju mer mere dad ki photo attested thi....
par PRINCI aur MINISTER ke chownkne me fark tha..jahan PRINCI meri asliyat jaankar khush tha wahin MINISTER ki fat chuki thi..
wo mere dad aur unki power ko achi tarah jaanta tha....usse pata tha ki agar dad chahen toh uski position ek din me chhin sakti hai...
jis ghusse ke saath wo aaya tha,wo ghussa hawa ho chuka tha....wo kuch kehne hi wala tha ke tabhi.....
MAY I COME IN SIR......
ye awaaz meri thi jisse sunkar MINISTER aur PRINCI ki nazar meri taraf gayi...
PRINCI-come son..bohot jaldi aa gaye aap???
MAI- mai yahin paas me hi tha....
PRINCI- inse milo..ye yahan ke CENTRAL MINSITER hain..yahi tumse milna chahte the.....
MAI MAN ME---- iski maa ka...gay toh nahi hai ye CHU**** jo mujhse milna chahta hai..saale ne koi bakwaas ki toh yahi pel dunga...
PRINCI ne toh apni baat keh di par ab MINISTER ko samajh nahi aa raha tha ki wo baat ko kaise ghumaye par tabhi usse mere documents me likhe mere marks ke baare me khayal aaya...
CENT.MIN- hum toh bus national topper se milna chahte the...hume garv hai beta aap pe....aur hume bharosa hai ki ek din aap humare desh ka naam pure vishw me roshna karoge...
MINISTER ki baat sun PRINCI man hi man hasne laga.wo samajh gaya tha ki MINISTER ne kyun apni chaal aur sur badli hai....
MAI MAN ME- abbe mai koi vote bank hun jo dialouge chipakaye jaa raha hai...
MAI- mai niklun....
naa thanks, naa koi aur gesture,meri sidhi sapat baat sunkar PRINCI aur MINISTER dono shocked ho gaye par wo kar bhi kya sakte the....
CENT MIN- thik hai beta...kabhi ghar aana....
ab mera dimag iski mithi mithi baaton se ghumne laga tha..maine kuch kaha nahi bas chupa chaap nikal gaya...
mere jaate hi MINISTER ne apna phone nikala aur ek number dial karne laga......
PLACE- MINAKSHI MANSION
EVERY THING IS FINE..ABHI TOH GHABRAANE KI KOI ZAROORAT NAHI HAI PAR IS BAAT KA DHYAN RAKHIYE KI YE KHAANA THIK TIME SE KHAAYEN AUR MOST IMPORTANTLY KHUSH RAHEN....YAHI INKA ILAAJ HAI.....
ye bol JAIRAJ ke family doctor chale gaye...
is waqt teeno pariwar MINU ke bedroom me moujud hai..sabhi ke aankhen halki halki num hai....
par in sab me do aankhen aisi bhi hain jinme sirf gum nahi bebasi bhi hai aur wo aankhen hai JAIRAJ ki.....
aur ho bhi kyun naa,unke saamne bed par unki patni leti ya fir ye kahun padi hui hai...MINU ke haathon me drip chadhi hui thi...
jab se VIKRAM ghar chhod kar gaya hai tabhi se MINU ne khaana pina chhod diya hai..khushi toh jaise uski zindagi se chali hi gayi hai....
ghar me baat cheet bhi naa ke barabar hi hoti hai...yahan tak ki JAIRAJ aur MINU bhi ek dusre se bohot kam bolte hain...
dukh sirf in dono ka hi sabse zyada nahi tha,inse bhi bada sadma laga tha NEHA ko...
apni beti ki mout ke baad se hi wo puri chup ho gayi thi.......us waqt MINU apni puri shiddat se NEHA ko us asahaniya dard se nikalne ki koshish me lagi hui thi...
aur aisa hi kuch JAIRAJ AKASH ke liye kar rahe the....
par jabse MINU ki tabiyat bigdi hai,NEHA aur AKASH neapne gum ko side me rakh MINU aur JAIRAJ ke gum ko kam karne ki koshish ki par kaamiyab nahi huin....
abhi abhi DOCTOR ne jo kaha wo sabne suna,aur sabne apni apni pratikriya bhi di siwaaye JAIRAJ ke....
unki aankhon me ek shikayat si thi.wo chup chaap bas khade rahe....
HARPREET- yaar JAIRAJ,tu bhi toh kuch bol...hamari baat toh bhabhi sirf sunegi par maanegi nahi....
JAIRAJ- sabko apne faisle khud lene ka hak hai HARPREET....jiske gum me inka ye haal hai,usse ghar se jaane ke liye bhi toh inhone hi bola tha...
JAIRAJ ki baat sunkar MINU ke aankhon se aansu nikal aaye....uske paas bolne ki shakti zyada nahi bachi thi par phir bhi uske lab hile......
MINU- usne bhi toh.....
par MINU kuch aage bol nahi paayi kyunki JAIRAJ ne apna haath saamne kar usse bolne se rok diya tha...
JAIRAJ- kya se zaroori sawaal kyun hota hai???kya tumne jaanane ki koshish ki ki usne aisa kyun kiya????nahi...
kyun usne apne us dost par haath uthaya jiske liye wo haste haste apni jaan tak de sakta tha...
ek second,ek second me tumhare mooh se nikal gaya ki chala jaa...chala toh gaya...ho toh gayi tumhari khwahish puri...
apni shikayat ki bhadas bahar karte karte JAIRAJ ki aakhen bhi jawab de gayi wahin wahan moujud sabhi ki aakhen bhi bhig chuki thi.....
JAIRAJ room se baahar jaane ke liye nikle hi the ki unka mobile ring hua.....ye call aur kisika nahi ussi CENTRAL MINISTER ka tha jo kuch der pehle VIKRAM se mila tha...
JAIRAJ- hello.ji batayiye kaise yaad kiya???
CENT MIN- JAIRAJ JI hum aapse bohot naaraz hain...aapne bataya bhi nahi ki aapka beta yahan DELHI me hai aur hamare hi college me padhne aa raha hai...
MINISTER ki baat sunkar JAIRAJ ko shock laga par ye shock us shock ki tarah tha jo doctors rooke hue heart beat ko wapas dhadkane ke liye dete hain....
VIKRAM ke ghar chhodkar jaane ke baad se hi JAIRAJ apne bete ko track karne ki koshish kar rahe the par wo naakamiyab rahe the..
unka beta kaisa hoga,kis haal me hoga,ye khayal JAIRAJ ko andar hi andar tadpaaye jaa raha tha...
par aaj MINISTER ke through apne bete ki location jaankar unke dil ko sukoon sa aa gaya tha...
wahin mobile ke dusri taraf khada MINISTER hello hello repeat kiye jaa raha tha...
kuch der tak apne andar aaye khushi ke toofan ko mehsoos karne ke baad JAIRAJ ko MINISTER ki awaaz sunayi di...
JAIRAJ- haan hello...haan,wo actually network problem hai....mai DELHI aa raha hun,wahin aa kar aapse milta hun...
JAIRAJ se ye sun ki wo khud delhi aa raha hai,MINISTER bohot khush ho gaya....
wahin MINU aur kamre me moujud baaki ke logon ne JAIRAJ ke chehre par aayi achanak khushi ko notice kiya tha.
VIKRAM ke jaane ke baad un sab ne pehle baar JAIRAJ ke chehre par ye khushi dekhi thi aur iski wajah jaanana chahte the....
thodi formal baatein kar JAIRAJ ne call cut kiya aur jab apni puri family ki taraf dekha toh un sab ko khud ko ghurta paaya....
JAIRAJ- hamara beta DELHI me hai........
sidha saada,simple sa jawab par jisse sunte hi sabhi ek chere khil uthe...yahan tak ke RONIT ki mom SAVITA ki bhi...
bhale jo bhi hua ho,unke liye VIKRAM RONIT se kam nahi tha..wo bhi uske chale jaane se bohot dukhi thi....par aaj un sab ke dukhon ke saagar ko jaise kinara mil gaya tha....
wahin MINU toh jaise kuch bolne ki haalat me hi nahi thi...aansu toh uske pehle bhi nikal rahe the par ab jo aansu uski aankhon me tair rahe the unme aisi taakat thi jisne uske sharir ki saari kamzori ko jaise khatm sa kar diya tha....
aankhon me aansu par chehre par muskaan liye wo apne pati ki taraf dekh rahi thi...aur JAIRAJ bhi aaj VIKRAM ke jaane ke baad pehli baar apni patni ko pyaar bhari nazaron se dekh rahe the...
MINU- mujhe mere bete ke paas le chaliye....
NANAJI- par beta....abhi tum bohot kamzor ho....tum rest karo,JAIRAJ le aayega humare bete ko....
par agle hi pal jo hua usse dekh kar sabhi shocked ho gaye...
MINU jo kamzori ki wajah se theek se baith bhi nahi paa rahi thi,wo apne pairon par khadi ho chuki thi...
MINU- mai theek hun...aur mera ilaaj naa hi rest hai,naahi medicine,mera ilaaj mera beta hai...usse dekhungi,toh saari kamzori khatm ho jaayegi....
MINU ki awaaz me ek taakat si aa gayi thi...ye ek maa ki taakat thi.aisi taakat jiske aage KHUDA bhi natmastak hota hai...
JAIRAJ- chalo,apne bete ko ghar le aayen....
PLACE- HEAVEN
ITNI SHAKTIYAN,FIR BHI KAISI LAACHARI HAI JO HUM KUCH KAR BHI NAHI PAA RAHE HAIN....
ST SEBASTIAN ne apni udaasi bol kar bayan ki wahin ST ALFRICK aur ST CECILIA ne khamosh rehkar....
par ST SEBASTIAN ke lab phir hile.....
ST SEBASTIAN- ASMODEUS ne har galat kaarya ko itne sahi dhang se kiya hai ki uske asafal hone ka kaaran hi nahi banta.....
DONO BHAYION ki shaktiyan barabar hai,par istemaal karne ka dhang ek dusre se kitna alag...
ASAFALTA AUR SAFALTA KA NIRNAY KHEL KE BEECH ME NAHI KIYA JAATA PUTRA....AUR ABHI YE KHEL KHATM NAHI HUA....
ek tez prakash,jo pure HEAVEN me faile chuka tha aur us prakash me ek aisi urja thi jiske saamne pure bramhaand me jitne bhi surya hain,unki sammilit urja bhi fiki lage...
aur lage bhi kyun naa,ye urja GOD ki jo thi jinki urja aur awaaz ko VIKRAM ke paida hone ke baad aaj pehli baar GOD'S MESSENGERS dekh aur sun rahe the....
us prakash ke failte aur awaaz ke gunjte hi teeno SAINTS apne ghutno par baith chuke the....
GOD- ek band ghadi bhi din me do baar sahi waqt dikhati hai...aur waqt se ek sikh milti hai aur wo ye ki waqt har kisko barabar hi mila hai par phir bhi har vyakti ka sahi waqt dusre se alag hota hai....
tumhara daayitv hai VIKRAM ki anupastithi me saare ANGELS ka maarg darshan karna..tum bas ussi par apna dhyan kendrit karo....
jo ho raha hai,aur jo hone waala hai,uski chinta tabhi honi chahiye jab usme badlaav laya jaa sake..par tum teeno isme samarth nahi ho toh fir sochkar kya laabh....
aur waise bhi,ye ladhayi dono bhaiyon ke shaktiyon ki nahi balki dono ki SOCH aur SACH ki hai....
EK ( VIKRAM ) SACH ko apni SOCH banakar chalta hai toh wahin DUSRA ( ASMODEUS ) apni SOCH ko SACH banakar chalta hai.....
JISKA SACH AUR SOCH MILKAR EK HO JAAYENGE,WO JEET JAAYEGA......
AAJ KE LIYE ITNA HI.....
AAPKA APNA V...J.........
Very nice update bhai
AB TAK AAPNE PADHA KI JAIRAJ AND FAMILY KO PATA CHAL JAATA HAI KI VIKRAM DELHI ME HAI WAHIN GOD GODS MESSENGER SE VIKRAM AUR ASMODEUS KE BAARE ME BAAT KARTE HAIN
AB AAGE:-
FINAL CHAPTER
(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)
UPDATE-94
PLANET-EARTH
PLACE-MINAKSHI MANSION
AUNTY,BHOOK LAG RAHI HAI......
..............................
HELLO,KYA HUA???BHOOT DEKH LIYA KYA!!!!
CENTRAL MINISTER se baat khatm hone aur fir apne bete se milne ke excitement se baahar aane ke baad jaise hi MINU aur JAIRAJ ke saath teeno family bahar hall me jaane ke liye hue,thik ussi waqt RONIT kamre me enter hua aur apni baat kahi....
RONIT ke hosh me aane aur fir uske aur VIKRAM ke beech jo hua uske baad se RONIT ne kisi se bhi dhang se baat nahi ki thi....
wo gumsum aur khaamosh sa ho gaya tha...sabhi usse chear up karne ki koshish me lage rehte the par uske behaviour me koi badlaav nahi aaya tha....
MINU ko pata tha ki uski banayi dishes RONIT ko hamesha se hi bohot pasand thi,isiliye wo uske liye kuch na kuch banati rehti thi par RONIT ne usse bhi khaana band kar diya tha...
par aaj itne time ke baad RONIT ne saamne se MINU ko khaane ke liye kaha ye sun aur dekhkar teeno families shocked se chup ho gaye the...
par jaldi hi sab apne apne shock se baahar aa gaye aur aisa hote hi shock ki jagah khushi ne ya fir ye kahun ki double khushi ne le li...
ek khushi toh unhe pehle hi VIKRAM ki location ke baare me jaankar ho chuki thi aur dusri RONIT ko back to normal dekhkar ho rahi thi....
sab bohot khush the par phir achanak sabke manme ek thought aaya jiske aate hi sab thode nervous ho gaye...
sab ye sochkar nervous feel karne lage ki jab RONIT ko VIKRAM ke baare me pata chalega toh wo kaise react karega....???!!!!
last time jab wo dono aamne saamne the,tab jo hua ya fir ye kahun ki jo sabne assume kiya usse yaad kar unke zehen me aisa thought aana normal tha...
ye toh the puri family members ke thought,ab jaante hain ki unke saamne khade RONIT ke dimag me kya chal raha hai...!!!
MINAKSHI MANSION aane se pehle RONIT ne raaste me hi ye tay kar liya tha ki ab wo normal rahega..
jo hua usse naa toh wo badal sakta hai aur naahi uske baare me kuch kar sakta hai toh kamsekam normal hokar wo apni family ko kuch khushi do de hi sakta hai...
RONIT ne ye bhi soch liya tha ki kaise bhi karke wo VIKRAM ke paas jaayega aur usse maafi maang kar ghar wapas le aayega..
AVANTIKA ki baaton se aur khaas kar ye jaankar ki AVANTIKA DELHI padhne jaa rahi hai RONIT ko ye confirm sa lagne laga tha ki ho naa ho V.J bhi delhi me hi hai...
wo jaanta tha ki puri family ko is waqt VIKRAM ki kitni zaroorat hai.....
par ab jab RONIT VIKRAM ke mom,dad aur apne baaki family members ko dekh raha tha,toh sabke chehre par aate kayi saare alag alag expressions ko dekhkar usse doubt hua...
ab RONIT jitna bhi impulsive kyun naa ho,usse train toh V.J ne hi kiya tha aur issi wajah se hi usne aur ANJALI ne V.J aur AVANTIKA ka roop liye hue BHUVIKA aur BEELZEBUB jaise behad shaktishali DEVILS ko bhi taad liya tha toh fir normal human beings ko read karna toh RONIT ke liye mamuli baat thi....
RONIT situation ko figure out kar hi raha tha ki.....
MINU- aaj kitne dino ke baad mere bache ne kuch khaane ki zidh ki hai....chal tu mere saath,aaj tere liye teri saari favouite dishes me banaungi aur tujhe khaana padega....
MINU ne RONIT ke gaal ko sehlate hue apni baat kahi aur usse kandhe se pakadkar aage badhne ko hui par RONIT aage nahi badha aur.....
RONIT-pehle ye bataiye ki yahan chal kya raha tha???aap itne dino ke baad apne pairon me khadi hain,fresh lag rahi hain,baaki sab bhi kaafi excited dikh rahe hain....
MINU- tu bhi kya kya sochne lag jaata hai...aaj kitne dino ke baad tu wapas pehle jaisa lag raha hai...aaj teri awaaz sunkar aisa laga jaise humara beta hume wapas mil gaya hai...
jahan MINU ki baat ko teeno families ne support kiya wahin RONIT ko pata tha ki sab jhooth bol rahe the aur jab MINU ne apni aakhri baat kahi toh achanak RONIT ke dimag ki batti jali....
RONIT man me- HUMARA BETA HUME WAPAS MIL GAYA HAI.....ye meri baat kar rahe hain ya VIKRAM........
VIKRAM naam ke dimag me gunjte hi RONIT ko apne saare question ke answer mil gaye...
itne dino ke baad yun achanak MINU AUNTY ka fresh lagna,saare gharwaalon ki aankhon me bhi khushi jhalakna,ye toh sirf tabhi ho sakta hai jab sabko VIKRAM ke baare me kuch pata chala ho....
theory ka logic clear hote hi RONIT ko apne yaar ki aur yaad aane lagi..usse wo saari baatein bhi yaad aane lagi jo VIKRAM usse training dete waqt bataya karta tha....
usse yaad tha ki VIKRAM ne ek baar usse kaha tha ki kabhi kabhi jhooth ke piche hi sach chuppa hua hota hai....bas dekhne ki nazar chahiye....
aur abhi bhi wahi hua...MINU aunty ne jhooth kaha par us jhooth me unka sach bhi kahin na kahin shaamil tha jisse RONIT ne samajh liya aur......
RONIT- V.J......aap sabko V.J ke baare me kuch pata chala hai naa....
RONIT ki baat sunkar sabhi hadbada gaye....
par isse pehle ki koi aur ya MINU kuch kehti
RONIT- AUNTY.....aapko meri kasam...yahi baat hai naa....
apni kasam dekar RONIT ne MINU ko sach batane me majboor kar diya tha...
MINU- haan beta....VICKY ke baare me hume pata chala hai aur mai aur tere uncle usse lene hi jaa rahe the...
MINU ki baat sunkar RONIT ki khushi ka thikana na raha par saath hi wo naaraz bhi tha...
RONIT- toh aap sab mujhse itni badi baat chuppa kyun rahe the???
MINU- beta wo last time jo tere aur VICKY ke beech hua toh....
MINU apni baat puri karti usse pehle hi.....
RONIT- BHAI HAI WO MERA.....
RONIT ne ye baat thodi loud boli thi par uski baat sunkar jahan sab thode shocked ke saath saath bohot khush bhi the....
RONIT- aap aisa soch bhi kaise sakti hain aunty...!!!maana ki maine aapki kokh se janam nahi liya hai,V.J ka sibling nahi hun mai par naa aap kahin se bhi meri mom se kam hain aur V.J.....
wo toh mere sage bhai se bhi badhkar hai....uske liye toh mai haste haste jaan de bhi sakta hun aur le bhi sakta hun....
hum dono ke beech jhagde hon ya fir kuch bhi ho,isse humara rishta toh nahi badal jaayega naa...
mom,kya aap V.J se naaraz hain.....???
RONIT ne apni mom se ye baat puchi....
R/MOM- mai kyun naaraz rahungi...jaise wo tera bhai hai waise hi mera bhi beta hai...aur apne bete se bhi bhala koi maa naaraz hoti hai kya???
RONIT- exactly.....aunty,u hurt me....
ye bolte waqt RONIT ke aankhon me paani aa gaya jisse dekh MINU ne jhat se RONIT ko gale se laga liya...
MINU- sorry beta...really sorry.....mai bhul gayi thi ki tum dono alag alag hokar bhi ek ho....
RONIT MINU se alag hua aur......
RONIT- its ok aunty....par ab jab mujhe asal baat ka pata chal chuka hai,toh meri bhook bhi badh chuki hai...
RONIT ki baat sunkar sabhi has diye...
MINU- tu baith,mai kuch bana kar laati hunn...
MINU aage badhne ko hui par RONIT ne unhe firse rok diya....
RONIT- mujhe khaane ki bhook nahi hai aunty,apne bhai se milne ki,usse ghar waapas laane ki bhook hai.....
RONIT ki baat sunkar MINU ne pyar se uske gaal ko sehlaya hi tha ki......
RONIT- aap DELHI jaa rahe hain naa V.J ko laane?????
RONIT ki is baat ko sunkar sabhi bohot zyada shocked ho gaye....
JAIRAJ- tujhe kaise pata ki VICKY DELHI me hai????
MINU- aur beta agar tujhe pehle se pata tha toh hume bataya kyun nahi!!!???
RONIT- aunty,mujhe aaj hi pata chala hai ki V.J DELHI me hai...
JAIRAJ- par tujhe kisne bataya???
RONIT- bas pata chal gaya.....
RONIT ne ye nahi bataya ki AVNI ke through usse V.J ki location mili hai warna sab AVNI se naaraz hote ki usne unhe pehle kyun nahi bataya....
ye sab chhodiye,ye batayiye ki DELHI ke liye kab nikalna hai....???
JAIRAJ- kab kya???abhi nikalte hain....par beta mai soch raha hun ki kahin tumhe dekhkar VICKY........
JAIRAJ ki baat khatm hone se pehle hi....
RONIT- firse naaraz naa ho jaaye,yahi naa!!!
RONIT ne JAIRAJ ki baat puri ki...
JAIRAJ ne kuch nahi kaha bas RONIT ki taraf dekhne lage....
RONIT- hone do naaraz....mai mana lunga....par mai jaunga matlab jaaunga..chaahiye toh aap dono rook jaao,mai usse lekar aata hun....
JAIRAJ ne apni biwi ki taraf dekha..MINU ne bhi apni palken haan me hila di...
JAIRAJ- thik hai fir...hum teeno chalte hain....
BAAKI SAB- aur hum!!!!!
JAIRAJ- sabka jaana thik nahi hai...hum teeno hi jaate hain aur usse lekar aate hain...
par sabhi aane ki zidh karne lage.JAIRAJ ne sabhi ko badi mushkil se manaya.....
par jab sab bade baat kar rahe the tab RONIT ke dimag me kuch aaya aur wo baahar aa gaya...usne apna mobile nikala aur ek number dial kiya...
ring hui aur jab kuch der baad call recieve hua toh.....
RONIT- hello AVNI.....
ji haan doston,RONIT ne AVANTIKA ko phone kiya tha...kyun,chaliye pata karte hain...
AVANTIKA- hmm.bolo....
AVANTIKA ne sidhe sapat tarike se pucha...
RONIT- sorry AVNI....maine jaisa tumhare aur V.J ke saath behave kiya,mujhe nahi karna chahiye tha...i'am really sorry....
apni baat bolte waqt RONIT ka gala bhar gaya tha jisse AVANTIKA ne saaf mehsoos kiya tha....
AVANTIKA- its ok....
AVANTIKA ne is baar softly kaha...
RONIT- tumhari ek help chahiye???!!!
AVANTIKA-V.J DELHI me hi hai kya,yahi puchna chahte ho naa....haan,wo wahin hai...
RONIT- ye mujhe pata hai AVNI...darasal mai,MINU AUNTY aur JAIRAJ UNCLE DELHI jaa rahe hain...hume ye toh pata hai ki V.J DELHI me hai,par itni badi DELHI me usse hum dhundenge kahan???
tumse yahi jaanana tha ki kya tum bata sakti ho ki V.J kahan mil sakta hai???
RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi...
fir AVANTIKA ne RONIT ko ek adress diya jisse sunane ke baad.....
RONIT- par wahan wo kya karta hai???
AVANTIKA- jao,jab dekhoge toh pata chal jaayega....aur haan,THANK YOU.....
AVANTIKA ke mooh se thank you sunkar RONIT ko ajeeb laga..
RONIT- help toh tumne meri ki hai..thanks toh mujhe bolna chahiye...tum kyun bol rahi ho....????
AVANTIKA-agar waapsi me V.J bhi tumhare saath aaya,toh bataungi....all the best....
RONIT ne ajeeb sa face banate hue phone hang up kiya.....
RONIT- V.J ki sangat me ye bhi ussi ki tarah ho gayi hai....EK PAHELI........
RONIT jab hall me aaya tab tak matter solve ho chuka tha....gharwaale nahi jaane ke liye taiyar ho gaye the....par sabne MINU aur JAIRAJ se promise liya ki kaise bhi karke wo VIKRAM ko ghar wapas lekar hi aayen...
sabse promise karke RONIT,MINU aur JAIRAJ airport ki taraf nikal pade....
WAHIN DUSRI TARAF......
AVANTIKA- plz GOD,jaisa mai soch rahi hun,kaash waisa hi ho....
PRESENT YET FLASH BACK:-
PLANET- GLUTO
PLACE- PALACE HALL
AAJ AAKHIR MULAKAT HO HI GAYI HUMARI....
SHAILA jo ki apne raj singhasan me baithi hui thi,wo achanak gunje is tez awaaz se chownk uthi....
SHAILA ne apne saamne dekha jahan is waqt ek kaali akriti hawa me tair si rahi thi...
SHAILA- kaun ho tum...saamne aao...
us kaali aakriti ne dheere dheere ek roop lena shuru kiya aur kuch hi palon baad SHAILA ke saamne ek behad hi khubsoorat ladki khadi thi jiske libas halke sweth aur halke kaale the...
LADKI- lo ,mai saamne aa gayi..ab!!!!
SHAILA- sawal ab bhi nahi badla....kaun ho tum???
LADKI- BHUVIKA.....
SHAILA- aur is tarah beech darbaar me aane ka kya arth hai???
BHUVIKA- mai yahan tumhe tumhari aukaad yaad dilane aayi hun....
BHUVIKA ki baat sunkar SHAILA aur wahan moujud sabhi sabha sadon ko ghussa aa gaya...
MANTRI- hamari raani ka apmaan karne ki tum........
ahhhh.......
isse aage wo kuch keh nahi paaya kyunki uski baat puri hone se pehle hi uska sharir hawa me uth gaya aur phir tezi se wapas zamin par gira jis wajah se uske mooh se karah si phuti....
ye dekh saare sabha sad thode dar se gaye wahin SHAILA ka krodh kaafi badh gaya...
SHAILA- tujhe tera anth yahan kheench laaya hai....
ye bol SHAILA ne miyan se apni talwar kheenchi aur BHUVIKA ki taraf chalaang laga di.....
SHAILA ka sharir hawa ko chirta hua aage badhne laga...talwar ke mooth par apne haath sakht kar SHAILA BHUVIKA ke sir ke upar pahunch chuki thi....
jahan SHAILA ne pure vegh se apni talwar ghumayi wahin BHUVIKA chup chaap SHAILA ko ghurti hui khadi rahi aur tabhi.......
SHAILA ka mooh ashcharyata ki adhikta se khool gaya...wo kabhi apne haath ko dekhti toh kabhi uske sharir ko...
haath isiliye kyunki uske haath se uski talwar gayab ho chuki thi aur sharir ko isiliye kyunki uska sharir hawa me rook sa gaya tha ya fir ye kahun ki uske sharir ko hawa me hi baandh sa diya gaya tha....
BHUVIKA ne apne haath aage kiye aur agle hi pal.....
mmmmmm...mmmm...............
ye awaaz SHAILA ke mooh se nikal rahi thi aur wajah!!!!!BHUVIKA ke haath aage karte hi SHAILA ka sharir ek jhatke se age ki taraf gira par girne se pehle hi SHAILA ki gardan BHUVIKA ke haathon me fas chuki thi...
BHUVIKA halka sa hi pressure lagaye hue thi par SHAILA ke liye ye bhi bohot zyada tha....
uska dum ghutne laga...
SHAILA ne bohot haath pair chalaye par BHUVIKA ki pakad se azaad nahi ho paayi...
aur jab bhi SHAILA apne ghutne ya haath se BHUVIKA pe prahar karti,uske haath aur pair BHUVIKA ko chhune se pehle hi rook jaate ya fir ye kahun ki unhe koi adrishya taakat rok deti....
wahin jo kuch bhi ho raha tha usse dekhkar kisi bhi sabhasad ki himmat nahi ho rahi thi BHUVIKA ke saamne aane ki....
kuch pal ke sangharsh ke baad SHAILA ka chehra laal padne laga.uske ang dheele padne lage..uski aankhen band honi lagi par tabhi.....
BHUVIKA ne apne haath ko jisse usne SHAILA ka gala dabaya hua tha usse jhatka diya aur agle hi pal SHAILA ka sharir udta hua peeche ki taraf gaya aur.....
BHAAD.........
ye awaaz SHAILA ke sharir ke uske singhasan se takrane ki wajah se aayi thi....
apne hi singhasan se takraane ke baad SHAILA ka sharir saamne bane sidhiyon se ludhakta hua neeche farsh par gir gaya....
SHAILA koi kamseen naazuk ladki toh thi nahi jo ek takraaw ki kshati bhi naa jhel paaye....
par BHUVIKA ne jo uska gala dabaya tha uski wajah se usse sense me aane me thoda waqt laga....
is beech BHUVIKA ne kuch nahi kiya.wo chup chaap khadi rahi....kuch der baad jab SHAILA ko kuch theek laga toh wo ek jhatke me khadi ho gayi...
BHUVIKA- teri himmat kaise hui us singhasan me baithne ki jispar sirf meri didi ka hak tha hai aur hamesha rahega...
BHUVIKA ki baat SHAILA ke dimag ke upar se gayi...darasal usne kabhi bhi BHUVIKA ko pehle dekha nahi tha..
us din jab NISHKALIKA mar rahi thi,us din SHAILA ka pura focus NISHKALIKA ke upar hi tha isiliye us din bhi usne BHUVIKA par gaur nahi kiya tha....
SHAILA- tumhari behan????
BHUVIKA- NISHKALIKA.......
NISHKALIKA ka naam sun SHAILA ko jhatka laga....usne kabhi nahi socha tha ki NISHKALIKA ki koi behen bhi hogi ur wo bhi itni taakatwar....
BHUVIKA- meri behen ko maarkar tune acha nahi kiya SHAILA.....par fikr mat kar,NISHKALIKA naa sahi par uski behen tujhe tere apraadh ka dand degi.....
SHAILA- NISHKALIKA ek buri sha......
ahhhhh.........mmmmmmm
SHAILA apni baat khatm kare usse pehle hi BHUVIKA ne apna haath aage kiya aur agle hi pal SHAILA ke sharir ko bijli ka ek tez jhatka laga..
bilji ka jhatke se SHAILA ka sharir sidha ho akad sa gaya aur tabhi BHUVIKA ne fir apna ek haath aage kiya...
BHUVIKA ke aisa karte hi SHAILA ka sharir tezi se aage badhne laga aur agle hi pal SHAILA ki gardan ek baar firse BHUVIKA ke ungliyon ki giraft me thi...
BHUVIKA- meri behen ke baare me kuch bhi galat bolne ka sochna bhi nahi ladki....teri toh itni bhi haisiyat nahi ki uska ya mera naam tak le sake.....
jahan BHUVIKA apna zeher ugal rahi thi wahin SHAILA ka dum ghutne lag gaya tha...SHAILA ko lagne laga tha ki uska aakhri samay aa gaya hai....
BHUVIKA ki apaar shakti ko bhi mehsoos kar rahi thi SHAILA ....
SHAILA ke is soch ko kahin na kahin BHUVIKA ne bhi padh liya....
BHUVIKA- mai tujhe maarungi nahii......mout toh tere liye bohot choti saza hogi...pal bhar me hi tere saare kashton se tujhe nijaat mil jaayega....
aur mai aisa hone nahi dungi..tujhe toh mai pal pal maarungi....jaanti hai kaise???
jis GLUTO ki tu RANI bankar ghumti hai naa,ab tu issi GLUTO me ek gulaam bankar rahegi...
jis mahal me tu shaan se sir uthakar ghumti hai ussi mahal ke saare farsh sir jhukaar dhoyegi...aaj aur abhi se tu meri gulaam hai...
BHUVIKA ne apni ungliyon ki pakad kaafi kam kar di thi taaki SHAILA hosh me rahe aur uski baat sun sake fir bhi uski pakad SHAILA ke nazariye se sakht hi thi...
BHUVIKA ki baat sunkar SHAILA ne kaha....
SHAILA- aisa hone se pehle mai khud apni jaan de dungi....SHAILA ko mout manzoor hai,gulaami nahi....
BHUVIKA- aur isiliye tujhe mout nahi mil sakti..tujhe wahi milega jisse tujhe bohot zyada taklif ho...aur wo hai gulami...
jis mehel ki tu raani thi aaj se tu ussi mahal ki noukar hai....
SHAILA- aisa kabhi bhi nahi hoga....
CHHOD DE USSE.....
BHUVIKA kuch kehti usse pehle hi ye awaaz pure sabha me gunj uthi....
jahan BHUVIKA ne saamne dekha toh uske chehre par ek khatarnaak muskaan naach uthi wahin SHAILA ka laal hua chera peela padh gaya....
BHUVIKA- kya baat hai???RAANI se apni baat manwaane ke liye mai toh pyaado ka istemal karne ki soch rahi thi,par yahan toh istemaal hone ke liye khud saamne se chal kar RAJA aa gaya...
aao AKSHAANT,aao........aaj tumhe dekh tumhari priyatama se zyada khushi mujhe ho rahi hai.....
AKSHAANT- maine kaha chhodo usse....
ye bol AKSHAANT ne apne dono haath ko jod aage jhatka diya..AKSHAANT ke haathon se ek current ray nikli aur BHUVIKA ki taraf lapak padi par isse pehle ki wo ray BHUVIKA ko chhu bhi paati.....
AHHHHHH........
ye awaaz AKSHAANT ke mooh se niklli thi...wajah,uska chhoda gaya ray BHUVIKA ke paas pahunchkar mood gaya aur double tezi se AKSHAANT ko jaakar laga....
AKSHAANT ne aisa kuch hone ki ummid nahi ki thi...ray ke lagte hi usse ek jhatka laga aur wo niche gir gaya par agle hi pal wo wapas khada ho gaya aur apne agle waar ke liye apne haath aage kar diye par usse pehle...
BHUVIKA- mai tumhare saath zaroor khelti par mere paas waqt nahi hai...
STABHAYATI GATI......
STOP MOVEMENT......
BHUVIKA ke ye SPELL bolte hi AKSHAANT ka sharir halka hawa me uth sidha hokar akad gaya....ab kuch karna toh door AKSHAANT naa hil paa raha tha aur naahi kuch bol paa raha tha...
apna kaam khatm kar BHUVIKA ne SHAILA ko neeche utara aur uske chehra ko AKSHAANT ki taraf kiya....AKSHAANT ki haalat dekh kar SHAILA ki aakhen bheeg gayin....
BHUVIKA- suna hai pyar karne waale apne pyaar ki jaan bachane ke liye kuch bhi kar guzarte hain...unhe kisi bhi baat ki fikr nahi hoti....
is baat ko aazmaane ka waqt aa gaya hai...ab agar tune meri baat nahi maani toh....
ye bolkar BHUVIKA ne apne haath ki ungliyon ko halka ghumaya aur....
MMMMMMM....MMMMMMMM......
ye ghuti ghuti si awaaz AKSHAANT ke gale se nikalne lagi.wo bol toh nahi paa raha tha par uske aankhon ne beintahan dard aaram se dekha jaa sakta tha...
SHAILA ne jab ye dekha toh wo bhaag kar AKSHAANT ki taraf gayi par isse pehle ki AKSHAANT ke paas pahunchti,AKSHAANt ke chaaro taraf aag ki lapte uth gayin jisne naa sirf SHAILA ka raasta roka par un lapton me se kuch lapton ne ek force ka roop liya aur SHAILA ko dhakka dekar wapas BHUVIKA ke pairon ke paas gira diya.....
BHUVIKA- tu kabhi bhi uske paas nahi pahunch paayegi.wo tere aakhon ke saamne rahega par fir bhi tu usse chhu bhi nahi paayegi...
aaj se aur abhi se is mahal me ek bhi noukar kaam nahi karega..yahan ka saara kaam tu karegi....aur agar tune aisa nahi kiya toh AKSHAANT jaan se jaayega aur uske baad teri puri praja maregi.....
SHAILA ne kuch nahi kaha bas uski aankhon se aansu nikalne lage....
BHUVIKA- DEVIL'S......haazir ho........
BHUVIKA ke awaaz dete hi uske saamne saikdon ki sankhya me DEVILS prakat hone lage jo uske saamne apna sir jhukaaye khade the....
saare sabha sad ab bhi wahan moujud the aur bohot darfe hue the....
BHUVIKA- is grah me aaj se andhere kaa raaj hoga...is grah ke saare hisso ke GRAH DWAAR band kar do...meri behen ke raaj ke waqt jaisa chalta tha,aaj se yahan punah waisa hi chalega...
jahan DEVILS ne apna sir jhukaya aur gayab ho gaye wahin saare sabhasad bhi haan me mundi hilate hue baahar ki taraf tezi se nikal gaye....
BHUVIKA- naukraani,gulaam itne mehnge vastra nahi pehente....
BHUVIKA ne apna haath ghumaya aur agle hi pal SHAILA ke sharir ke shaahi vastra gayab ho chuke the aur unki jagah ek phata sa kapda uska pehna libas ban chuka tha....
SHAILA ab bhi halke halke aansu baha rahi thi....
BHUVIKA- itni der ho gayi tere saath itna kuch ho gaya...naa toh tune apne BHAGWAAN ko yaad kiya aur naahi uske BETE ko...
BHUVIKA ki baat sun SHAILA ne jalti hui aankhon se uski taraf dekha.
BHUVIKA- waise iska koi laabh hota nahi..kyunki teri madad karne koi nahi aayega...
BHUVIKA ki baat sunkar is baar SHAILAke chehre par ghusse ke saath saath ek smile bhi aa gayi thi....
SHAILA- yaad unhe kiya jaata hai jisse hum bhool chuke hon....jo hamare rag rag me hain,unhe kya yaad karna....
aaj beshak tune mujhe hara diya hai,par is jeet ko apna sampurn vijay samajhne ki galti mat karna....
mujhe ye toh nahi pata ki VIKRAM ab tak kyun nahi aaya par itna maalum hai ki wo aayega zaroor....
aur jis din aisa hoga,us din mai dekhungi ki tu kitni taakatwar hai...uski ek jhalak tujhe tere astitv par shak karne par agar majboor naa kar de toh mera naam bhi SHAILA nahi...
MMMM........MMMMMMM......MMMMMM.....
SHAILA ki baat sunkar BHUVIKA ko krodh aaya par usse pata tha ki SHAILA ko agar taklif pahuchaani hai toh dard AKSHAANT ko dena hoga...
aur isiliye BHUVIKA ne AKSHAANT ko dekh apni ungliyan ghumayi jisse AKSHAANT ke akde sharir me daraar si padne lagi aur aise me usse bohot zyada dard feel hone laga...
AKSHAANT ki haalat dekh SHAILA ki hasi,uska ghussa sab gayab ho gaye aur wo fir ek asahaye ki tarah aansu tapkaane lagi....
BHUVIKA- ye bebasi hi teri asli pehchaan hai..isse mat bhoola kar tu....filhal ke liye mujhe jaana hoga par jab mai wapas aaun toh mujhe mera mahal saaf suthra chahiye warna tere aashiq ki mai haalat kharab kar dungi....
mahal toh pura saaf hi tha aur isse pehle ki SHAILA BHUVIKA ki baat ka matlab samajh paati,usse sab samajh aa gaya...
toh hua ye ki apni baat keh BHUVIKA ne...
KALUSAAM.....
DIRT........
BHUVIKA ke SPELL bolte hi pure mahal ka farsh ganda hokar kaala pad gaya.....
SHAILA ko dekh BHUVIKA ne ek zehrili muskaan di aur gayab ho gayi....
SHAILA ne apni nam aakhon ko band kiya aur....
SHAILA- itna kuch ho gaya aur tum nahi aaye...kahan ho tum???jahan bhi ho,jaldi aao VIKRAMMMMMMMMMM...............
aur meri aankh khul gayi......matab FLASHBACK KHATM PRESENT CHALU.....maine apne aas paas dekha...fir wahi 200 feet gehra paani jiske satah par mai baitha hua tha,chaaron taraf machliyan jo mere aankh khulte hi bhaag khadi huin.....
jo scene abhi chal raha tha,wo mai pehle bhi kayi baar dekh chuka hun par aaj mujhe SHAILA ka dard apne andar tak mehsoos ho raha tha....
khair,mai apna aasan chhod khada hua aur apne pairon ko satah par jama khudko halka push kiya aur agle hi pal mera sharir paani ko cheerta hua baahar nikal aaya...
MAI- saali is jhand zindagi ki panouti khatm hi nahi hoti...
tabhi mere andar se awaaz aayi....
saale zindagi toh meri jhand ho rakhi hai..tere jaisa panouti jo mujhe lag rakha hai....
mai apne aap me budbuda hi raha tha ki mere andar ke ch****** ne hugna shuru kar diya....ab isse bahas karna mere bas ki naa hai isiliye mai chup chaap gayab ho gaya.....
PLACE- DELHI
YE CUSTOM WAALE BHI NAA..AISE CHECK KARTE HAIN JAISE HUM AATANKWAADI HAI...
AUR ASLI AATANKWAADI AARAM SE GHUS JAATE HAIN.....CHALIJE JI,AB KAHAN CHALEN???KAHA HAI HAMARA BETA????
shaam ke kareeb 7 baj rahe the jab JAIRAJ ki chartered plane DELHI airport par land hui...par kyunki JAIRAJ and company khudki plane me aaye the isiliye dobara unhe customs se hokar guzarna pada jis wajah se un sab ko cheak out kar bahar aane me thoda extra time lag gaya.....
MINU apne bete se milne ke liye,usse gale lagane ke liye,usse wapas ghar lejaane ke liye itni excited thi ki ye sab formalities karte karte unhe ghussa aa raha tha jis wajah se wo apna frustration nikal rahi thi....
par aakhir me apna sawaal puch jab MINU ne apne husband ki taraf dekha toh JAIRAJ ko confused sa paaya.....
MINU- kya hua???kya soch rahe hain aap???
JAIRAJ- yahi soch raha hun ki ab jaayen kahan???hum yahan aa toh gaye hain par mujhe ye nahi pata ki hamara beta rehta kahan hain ya wo milega kahan???
MINU- kya????aapko pata nahi ki VICKY kahan rehta hai???par aapne toh phone par uske baare me puri baat ki thi naa....!!!!
JAIRAJ- phone par sirf ye pata chala tha ki hamara beta yahan DELHI me hai..aur kuch nahi...
apne bete se milne ke excitement me hum bina uske residence ke baare me jaane hi yahan aa gaye...
maine apne kuch logon ko VICKY ki pics send ki hain aur pata lagane ke liye kaha hai par itne short period me VICKY ki exact location milna impossible hai...
MINU- toh ab????
MINU ne ye baat bohot hi udaas lehje me kahi thi....
par isse pehle ki JAIRAJ kuch kehte.....
RONIT- toh ab ye ki hum jaate hain aur V.J se milte hain....
RONIT ki baat sunkar JAIRAJ aur MINU sawal aur confusion bhari nazaron se RONIT ki taraf dekhne lage...
RONIT- mujhe pata hai ki V.J kahan milega...
DONO-SACH!!!!!par tujhe kaise pata????
RONIT- waise hi jaise is baat ka pata tha ki V.J DELHI me hai....ab baaki ki baatein chhodiye aur jaldi chaliye,mujhe apne bhai se milna hai....
JAIRAJ ke DELHI me bhi offices aur hotels the jahan se unhe lene ke liye car aayi hui thi....
RONIT,JAIRAJ aur MINU khushi khushi car me baith gaye...
RONIT-HOTEL CUISINE UNLIMITED...yahi le chal bhai....
RONIT ke mooh se is jagah ka naam sun JAIRAJ aur MINU hairan se ho gaye...
MINU- mera beta wahan kya kar raha hai...kya wahin raehta hai wo????
RONIT- koi idea nahi hai aunty..aur hume is hotel ke reception par nahi balki hotel ke andar bane resturant me jaana hai...
RONIT ki baat sunkar MINU aur JAIRAJ ko fir jhatka laga....
par isse pehle ki wo kuch kehte....
RONIT- mujhe bhi koi idea nahi hai..mujhe bas itna pata hai ki agar hume V.J abhi kahin mil sakta hai toh wo is hotel ke issi resturant me hi mil sakta hai....
fir kisine kuch nahi kaha aur unki car apne destination ki taraf chal padi.....
PLACE- HOTEL CUISINE UNLIMITED
HERE WE GO......THATS UR EPITITE FILLER....
CHICKEN SALAD,CASSEROLE,THE YUM FISH PIE,TAGINE & AT LAST MY PERS. FAV. LASAGNE....WILL THAT BE ALL....????
raat ke 8 baj rahe hain jo ki mere job hours ka waqt hai.ek mature couple jinka order mai just lekar aaya tha,usse serve karte hue maine apni baat kahi....
AADMI- no young lad...that will be all...but i must say,u have a very charming personality...tumhe dekh kar koi nahi keh sakta ki tum ek waiter ho....
MAI man me- tujhe dekhkar bhi koi nahi bol sakta ki tere jeb me paise hain...saale sab CH****** hi kyun milte hain mujhe...abbe khaana khaa,aur thusna hai toh bata,laa deta hun,nigal aur nikal.....
andar ek aag jo ubal si maar rahi thi par wahin mera chehra jispe mai ek jhuthi smile liye apne saamne baithe mahanubhav CH***e ko dekh raha tha....
MAI- thanks 4 the compilment sir.....
AADMI- you know what??today is your lucky day...mai bhi ek resturants ka chain kholne waala hun....& i have an offer 4 you....
you join my resturant and that too not as a waiter but as the manager of one of my resturant....
us bande ne apni baat khatm ki hi thi ki uski wife usse boli....
WIFE- arre bina qualification ya interview liye itni badi post aap isse kaise de sakte hain....????ek baar milkar aise decisions nahi liye jaate.....
MAI man me-ghante ka bada post...saali bol toh aise rahi hai jaise NASA me astrounot ke liye selection ki baat ho rahi hai....
AADMI- mujhe bande ki parakh hai my sweet wife..tention mat lo,i know he will do fine...kyun young boy,what do you say???ye tumhare liye ek life changing oppurtunity hai..INTERESTED?????
NOT INTERESETED............
ye awaaz V.J ki nahi thi,ye uske peeche se aayi thi.... jahan wo husband wife ne palat kar awaaz ke disha me dekhne lage wahin mera dil dhakk kar gaya....
jasbaaton ke samandar mere andar tufan uthane lage...pair halke halke kaampne lage.....palatne ki himmat nahi ho rahi thi par palatna toh tha hi aur mai dheere dheere palta.....
aur palatne ke baad jo maine dekha usse dekh mere dil ki dhadkan ek second ke liye rook si gayi......
aaj kareeb 7 mahine baad mai apne mom aur dad ko dekh raha tha....par meri dhadkan ke skip karne ka reason bas mom dad ko dekhna nahi tha balki unki condition ko dekhne ki wajah se tha...
both were looking terribely wiery.....dad ki daadhi nikal aayi thi,aakhen jinme is waqt ghussa aur dard ka mila jula expresion tha,uski wo chamak jo har waqt rehti thi,wo kahin kho sa gayi thi....
aur mom........unke baare me kya bataun????pura sharir kamzor padh chuka tha...najaane wo kaise apne pairon par khadi thi....???chehra bhi pura sookh chuka tha...aur is waqt toh unki haalat aur kharaab dikh rahi thi....
aankhon me aansu ke samandar liye unki body shock se kaamp rahi thi..aisa hi shock dad ko bhi laga tha aur wo bhi halke halke kaamp rahe the
SHOCK.....REASON...........apne bete ko white uniform me ek waiter ke roop me dekhne ka SHOCK......
mere dad ke jinke khud ke najaane kitne hotels hain,unka beta ek hotel ke resturant me kaam kar raha hai is baat ka SHOCK.....
INDIA ke leading industrialist ka beta pichle 7 mahino se garibi ki zindagi guzar raha hai,is baat ka SHOCK......
jaise hi mai palta,mere waiter ke getup ko dekh kar dad aur mom ki aankhen shock aur dard ki adhikta se pathra si gayi thi...
mom toh waisi hi rahi par dad jaldi se hosh me aa gaye....aur hosh me aate hi unke jabde bheench gaye....
saala itni taakat ki puri duniya ko ek jhatke me khatm kar sakta hun,par dad ko ghusse me dekh meri andar tak se fat gayi..... tabhi toh kehte hain ki........
BAAP BAAP HOTA HAI.....
dad tezi se aage badhe aur........
CHATAAKH.............
mujhe koi fark toh nahi pada par mera ek gaal laal ho gaya...
mere dimag me ghusse ka ek tufaan sa utha par ek adrishya cheez se takrakar wo tufan khatm hone laga....
jahan thappad padne ke baad mai apne hi maansik haalat ko samajhne ki koshish me laga hua tha....wahin zindagi me pehli baar mujhpar haath uthane ke baad dad ke aansu jo unki aankhon me rooke hue the,wo chhalak pade.....
DAD- khudko aisi haalat me dikhane se acha toh tu pehle hume maar deta toh thik rehta...
dad isse aage kuch nahi keh paaye aur unki nazar ghumkar us aadmi pe thairi jisne mujhe job offer ki thi....
wo aadmi bhi dad ko aankhen phaade dekh raha tha...same haalat uski biwi ki bhi thi....
ab aisa kaun sa businessman hoga jo JAIRAJ SINGH ko nahi jaanta ho....aur JAIRAJ SINGH ko apni aankhon ke saamne dekhna wo bhi is tarah se kisi ke liye bhi shocking tha....
shock sirf us aadmi ko nahi laga tha...restuarant me aaye sabhi customers jinki sankhya zyada nahi thi,wo bhi kaafi shocked hokar jo ho raha tha wo dekh rahe the...
DAD- aap mere bete ko job denge????
ye jaankar ki mai JAIRAJ SINGH ka beta hun,us aadmi ki jitni bachi thi,wo hawa bhi nikal gayi....
AADMI- sir wo.......
par isse aage wo kuch keh nahi paaya.dad ne apna haath aage kar usse bolne se rok diya....
kuch der tak us bande ko ghurne ke baad dad meri taraf wapas mude hi the ki....
AUNTY..............
is awaaz se jahan dad turant palte wahin mere dimag ki nase fatne lagi..REASON,MOM faint hokar neeche girne hi waali thi ki RONIT jo ki mom se thoda peeche khada tha,usne ye hote hue dekh liya aur tezi se aage aaya..
isse pehle ki mom neeche girti,RONIT ne unhe thaam liya....RONIT ne mom ko girne se bacha toh liya tha par mom behosh ho chuki thi.
mom bohot zyada weakness ke baawjud yahan tak meri khaatir aayi thi par kamzori unpar haawi hoti jaa rahi thi aur jab unhone mujhe waiter ke kapdo me dekha toh unhe mentally ek tez jhatka laga...
kuch der tak toh wo shock ki wajah se stabhd si khadi rahi par jaise hi wo wapas reality me aayi,behosh ho gayin....
RONIT.....resturant me kadam rakhte hi sabse pehle mujhpar nazar RONIT ki hi gayi thi...
aur usse mujhe aise dekhkar jo taklif hui thi,wo agar mom dad se zyada nahi thi toh kam bhi nahi thi....
jahan mom dad mere paas aa gaye the wahan wo jad sa hokar door khada reh gaya tha par jab dad ne mujhe thappad maara tab wo wapas hosh me aaya tha...
wo mere paas aane hi waala tha par isse pehle hi mom girne lagi jisse usne naa sirf dekh liya balki mom ko farsh par girne se pehle bacha bhi liya.....
is waqt RONIT mom ke sir ko apni godh me rakhkar ro raha tha .dad ne doctor ko call karne ke liye apna mobile nikala hi tha ki....
mere haathon se ek adrishya ray nikli aur mom ke sir me sama gayi....aisa hote hi mom ke sharir ko ek jhatka laga aur unki aankhen khul gayi....
unki behoshi hi nahi,unke sharir ki saari kamzori bhi khatm ho chuki thi...jahan mom ko hosh me aate dekh dad ne call kaat diya wahin RONIT meri taraf dekhne laga....
usse pata chal chuka tha ki ye maine kiya hai....
uthete hi mom ki nazar mujhpar gayi....mom jhat se uthkar khadi ho gayin..yun speed se mom ko uthete dekh dad shocked ho gaye...
MOM-apni maa ke gale nahi lagega....
7 mahino ke baad aaj MAA ki awaaz sun raha tha..dilon ki gehrayi ko ek sukoon sa mil gaya tha...
mai dheere dheere aage badha..kuch tha jo mujhe rok raha tha aur kuch tha jo usse rok raha tha jo mujhe rok raha tha....
mai mom ke thik saamne khada ho gaya...is waqt mera chehra bhaav shunya tha....mai bas ek tak apni kom ko dekhe jaa raha tha...
mujhe samajh hi nahi aa raha tha ki mai kya karun???unke gale lag jaaun,unke pairon me gir jaaun,ya fir ek baar firse gaayab ho jaaun...
mere andar ka chhupa shaitan mujhe gayab hone ke liye keh raha tha par mujhe aisa lag raha tha jaise us shaitan par ek lagaam hai...mai uski baat maanane se mana kar sakta hun aur.......
MAI man me- NAHI....MAI KAHIN NAHI JAAUNGAA......
mere aisa bolte hi mere andar ho rahi hulchal jaise shaant si ho gayi....
MAI- MOM.......
mere itna kehne ki der thi....mom jhat se mere gale lag gayi aur tez rone lagi...waise toh mere ghar chhodne ke baad se hi mom kaafi royin thi par aaj unke rone me ek sukoon tha...
kuch der baad unki rulayi sisakne me badal gayi aur jab unke andar ka gubaar nikal gaya toh....
MOM- ye kapde nikal.....mai tujhe ek second ke liye bhi in kapdon me nahi dekh sakti....
MAI- mom mai....
MOM- kya mom???maine kaha naa...nikal matlab nikal.....
abhi mai kuch kehta usse pehle hi....
DAD- arre apne hotel ke restuarant ka dress code hi toh pehna hai..isme kya galat hai..pehenane do....
dad jo ki mere aur mom ke gale milne ke baad hi humse thoda door hokar kisi se phone me baat karne lag gaye the,mom ki baat sun hamare paas aaye aur apni baat kahi...
par unki baat ka matlab humme se kisi ko samajh nahi aaya aur isse pehle ki koi unse kuch puchta....
DAD- aaiye sir....
resturant ke entrance se ek aadmi aa raha tha jisse dekhkar dad ne ye kaha...
mom aur RONIT ke liye toh wo banda naya tha par mere liye nahi...wo aadmi aur koi nahi is hotel ka maalik tha....
OWNER- ye lijiye sir.....
us owner ne kuch kaagzaat dad ki taraf badha diye....
DAD- payment ho chuka hai....
OWNER- haan,mai check kar chuka hun..aaj se ye hotel aur ye resturant aapka....
DAD- mera nahi mere bete ka...
ye bol dad ne wo papers meri taraf badha diye jisse maine hold kar liya...
X OWNER- congrats son....
ye bol owner nikal gaya.....saare customers toh pehle hi jaa chuke the aur aaj ke liye resturant ko close bhi kar diya gaya tha...is waqt resturant me humare alaawa aur koi nahi tha....
mom aur RONIT pehle toh thoda surprised hue par fir khush ho gaye....
DAD- ab toh koi shikwa nahi hai naa..ye hotel toh issika hai..aur apne hi hotel me kaam karne me kaisi sharam....
mom dad ke gale lag gayi....aaj mere ghar chhodne ke baad first time dono ne wahi purane dhang se ek dusre ko hug kiya tha...
ek mukkammal jode ki tarah.......
in sab ke beech RONIT ke tak meri taraf dekh raha tha..dekh toh mai bhi uski taraf dekh raha tha par maine usse ye zaahir nahi hone diya...
par is baat ko dad ne notice kar liya aur unhone dheere se mom ke kaan me kuch kaha....
MOM- tum dono ke beech us din kya hua tha ye hum nahi jaante aur jaanana bhi nahi chaahte...hum dono baahar jaa rahe hain...
tum dono apne differences khatm karo aur jab bhi tum dono baahar aao toh mujhe pehle ki tarah apne dono bete ek saath chahiye....
ye bol mom aur dad baahar nikal gaye aur reh gaye sirf mai aur RONIT.....
jahan mujhe apni taraf naa dekhta dekh RONIT ko lag raha tha ki mai ab bhi usse naaraz hun wahin mujhe ek bechaini si ho rahi thi....
mai RONIT ki taklif,uski tadap mehsoos kar paa raha tha...mai usse baat karna chaah raha tha par mere andar moujud shaitan mujhe aisa karne se rok raha tha....
maine ek baar RONIT ki taraf dekha aur uski side se hota hua aage nikalne laga par tabhi......
RONIT.........
bina dekhe mai
CHAL SAKTA HUN
AGAR TU SAATH HAI....
gir bhi gaya toh
SAMBHAL SAKTA HUN
AGAR TU SAATH HAI....
ek teri zindagi se
kitni hi zindagiyan
BASI HAI
sab khush hain
jo tere chehre par
HASI HAI
mere kaleje me bhi
thandak PAD JAAYEGI
AGAR TU SAATH HAI....
ye zindagi maut se bhi
LADH JAAYEGI
AGAR TU SAATH HAI....
mere khayalon me
yaadon ke PEHRE HAIN
zakhm bhar hi nahi rahe,
chot hi itne GEHRE HAIN
mujhe haraane waalo ko
mai bhi HARA DUNGA,
AGAR TU SAATH HAI....
mere dushmano ko unki
aukaad DIKHA DUNGA,
AGAR TU SAATH HAI....
bohot taklif me hun yaar
ab aur BARDASHT NAHI HOTA
aankhen hi padh le dost,zuban
se aur DARKHWAST NAHI HOTA
aur kuch nahi toh kamsekam
apne gum hi BAANT LUNGA
AGAR TU SAATH HAI....
dard me hi sahi,jaise bhi ho
ye zindagi KAAT LUNGA
AGAR TU SAATH HAI....
MAI- MAI SAATH HUN......CHAL.........
maine apna haath aage badhaya par RONIT ne mera haath hata aage badha aur kaske mere gale lag gaya....
MAI man me-GHANTE KI KAALI SHAKTIYON.... BINA WAZAN KI DOSTI BHI BHAARI PAD GAYI.......
AAJ KE LIYE ITNA HI.........
AAPKA APNA V...J........
Very nice update bhaiAB TAK AAPNE PADHA KI KIS TARAH SHAILA AUR AKSHAANT APNE HI MAHAL ME KAID HO JAATE HAIN WAHIN VIKRAM APNE MOM DAD AUR RONIT KE SAATH WAPAS JAANE KE LIYE READY HO JAATA HAI....
FINAL CHAPTER
(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)
UPDATE-95
PLANET- EARTH
PLACE-MINAKSHI MANSION
MOM DAD........YE KYA TARIKA HAI....AAP DONO EK SAATH DO DO BAATEIN BHUL GAYE....
meri baat sunkar mom aur dad jo ki abhi bhi aadhe neend me hi the,wo apni aadhi khuli aankhon se ek dusre ki taraf dekhne lage...ab jab ek dusre se koi jawab nahi mila toh....
DAD- kya tarika???aur kaun si do baat?
MAI- pehli baat ki ab mai koi chota baccha nahi raha aur dusri ye ki ab aap dono mere bachpan ke time jaise jawan nahi rahe...
aap dono ne puri raat yun aadhe baithe aadhe lete position me guzar di...aise me toh aapki body akad jaayegi....
MOM- aisa kuch nahi.......ahhhh......
MOM ke mooh se ek karaah nikal gayi..wajah...jaise hi wo uthne ko huin toh unki kamar jo raat bhar weird position me rehne ki wajah se akad gayi thi,usme pain hua....
maine mom ko sahara dekar uthaya aur jab dad ki taraf dekha toh mujhe hasi aa gayi par mai hasa nahi....
dad bhi apne kamar ko apne haathon se press kar rahe the par mujhe khudki taraf dekhta dekh unhone apne haath hata liye....
MAI- dad,dard hai toh hai..chupaane se kya faayda...aap dono aaram se yahin so jaayiye..mai chala gym....
dada aur mom kuch kehna chahte the par maine dono ko bolne nahi diya...maine mom ko apne bed par sula diya..dad toh already bed par hi the wo bhi mom ke side me thik se let gaye...
maine dono ko warning diya ki aaj wo dono sirf rest karenge....mom ke liye no kitchen aur dad ke liye no office....ye bol mai room se nikal gaya aur chal pada gym ki taraf....
chaliye jab tak mai gym me pahunchta hun,aap sabko bata deta hun ki kal mere aur RONIT ke hotel se jo ki ab hamara hi tha, nikalne ke baad kya kya hua???
A SMALL FLASHBACK FROM YESTERDAY TILL NOW....
mujhe aur RONIT ko saath saath baahar aate dekh mom dad khush ho gaye..jahan mom ne baari baari se mera aur RONIT ka maatha chuma wahin DAD ne hum dono ko hug kiya....
ek ghante ki drive ke baad hum airport me the....is dauran mom dad ne mujhse mere pichle 7 mahino ki activity ke baare me sab kuch pucha..
unhe ye toh pata chal gaya tha ki mai kahan job karta tha,wo ye jaanana chahte the ki mai rehta kahan tha...travel kaise karta tha wagairah wagairah...
maine unhe bas itna kaha ki mujhe ek quarter saste me mil gaya tha aur mai paidal ya auto se travel karta tha...
meri baat sunkar mom dad ek baar firse sad ho gaye par mujhse dobara milne aur apne saath wapas le jaane ki khushi ke saamne unki udasi zyada der tak tik nahi paayi....
mom dad ko toh maine jhuth bolkar tarka diya tha par RONIT ko ye pata tha ki mai jhooth bol raha hun....
wo jaanta tha ki naa mujhe rehne ke liye jagah chahiye aur naahi mujhe travelling karne ke liye kisi chiz ki zaroorat hai...
usse ye bhi andaza ho gaya tha ye jo job mai kar raha tha wo mera ek cover hi tha...
cover jisse mai sabke nazar me normal dikh sakta tha....par do sawaal aise the jo RONIT ke zehen me lagatar chal rahe the....
pehla toh yahi ki AVANTIKA ne usse thanks kyun kaha aur wajah puchne par ye shart kyun rakhi ki agar wo V.J ko saath laane me kaamiyab rahe tab wo uske kahe thanks ka reason batayegi...
aur dusra sawal....!!!!wo aap kuch der baad RONIT ki zubaani hi sun lijiyega.....
khair,airport pahunch apni plane me baith hum sab wapas MUMBAI aa gaye..ghar pahunchte pahunchte hume raat ke 1 baj gaye the par.....
jaise hi hum chaaron hall me ghuse,hamari teeno family hume wahan humare intazar me baithi mili....
NAANU,NAANI,meri gudiya AASHI,MAMA ,MAAMI,sabhi wahan moujud the....
mera dil itne dino baad dabko dekh kar bohot khush tha par dimag ko kaabu paane ki koshish me emotions par bhi kaabu paana hota hai,is wajah se mai normal hi raha...
mila mai sabse but normally....mujhe aise dekh sabko thoda dukh toh hua par mom dad ki hi tarah mere wapas aane ki khushi us dukh se kahin upar thi...
jab SAVITA AUNTY mere paas aayin toh mai thoda nervous hua tha..REASON....last time jo maine unke bete ke saath kiya tha aur uske baad jo harkat ki thi wo aaj bhi mere zehen me taaza thi...
ek toh waise hi mera dimag thoda out of control tha uspar aunty ka mere saamne aana,mujhe samajh me hi nahi aa raha tha ki mai kaise react karun par......
iski zaroorat hi nahi padi....mere paas aakar SAVITA AUNTY ne mera maatha chuma aur mujhe gale laga liya...mai unka pyar,mujhe gale lagate hi unke nikalne waale aansuon ko mehsoos kar sakta tha....
maine kuch kaha toh nahi par wo un do logon me se ek thi jinhe dekhkar mai muskuraya tha....aur mujhe muskurata dekh mere saare gharwaale bohot khush hue the....
jaisa ki maine bataya ki SAVITA AUNTY un do logon me se ek thi jinhe dekh mai muskuraya tha....
unke alawa NEHA AUNTY (ANJALI'S MOM) jab mere paas aayin toh maine saamne se unhe gale laga liya tha....unke dard sa dard aur kisiko naa tha...
kahin naa kahin unki haalat ka zimmedar mai bhi tha....itna tez dimag hokar bhi mai ASMODEUS se ek baazi haar gaya tha....
haara mai aur saza meri dost ko mili..mere pure pariwar ko mili.....khair,NEHA AUNTY aur HARPREET UNCLE se milne ke baad mai apne room me chala gaya.....
jahan sabhi gharwaale mujhe normally dekh rahe the,wahin R0NIT maatra hi aisa tha jo mere saare haav bhaav ko dhyaan se note kar raha tha...
sabse milte waqt RONIT mere chehre ko gaur se dekh raha tha....usse andaza ho raha tha ki mai khudko control kar raha hun....
par kyun,ye wo samajh nahi paa raha tha par ek natije par wo confirm ho gaya tha aur wo ye ki mere saath kuch bohot bura hua hai...
kuch aisa jo usne kabhi socha nahi tha....aur usse ye bhi pata tha ki mujhse wo kuch pata nahi kar paayega par uske zehen me ek chehra ghum raha tha jo usse saari sachayi bata sakta tha...AVANTIKA........
yahan mai apne rooms me tangi meri RONIT aur ANJALI ki photos dekh hi raha tha ki mom aur dad mere paasaaye...
dono ne zidh ki ki aaj wo mere saath soyenge....maine mana kiya par wo dono nahi maane....aakhir me haar maan mai bed par let gaya....
jahan dad mere right side bed par sirahane me baith mera sir sehlaane lage wahin mom mere pair ke paas baith kar mere pair dabane lagin....
maine dono ko ye sab naa karne dene liye uthna chaha par pehle toh dad ne mere sir par haath rakh mujhe uthne nahi diya par fir bhi mai jab naa maana toh mom ne apni kasam de di...
maine ek lambi saans chhodi aur chupchaap let gaya...pichle 7 mahino se mai raat ko soya nahi tha..har raat mai ek jagah jaakar dhyan me baithta tha par aaj aisa posiible nahi tha....
dusri taraf mom dad ka yun care mere dimag ke andar khalbali sa machane laga aur khudko control me rakhne ke liye mai lete lete hi dhyan awastha me chala gaya....
har din ki tarah subah ke 4 baje mera dhyan toot gaya..par jab maine apne left right dekha toh fir ek jasbaaton ka samandar mere andar utha par maine khudko control kar liya...
ek side dad mere sir par haath rakhe rakhe baithe baithe hi so gaye the wahin dusri taraf mom toh bed par thi hi nahi...
wo bed ke neeche baith mere pairon ko dabate dabate mere pairon ke upar hi so gayi thi....
maine un dono ko uthane ka socha par fir mai rook gaya..agar abhi mai dono ko uthata toh fir mai jahan jaane waala tha wahan jaa nahi paata....
isiliye mai ussi position se lete lete gaayab ho gaya.....jis kaam se gaya tha wo kiya aur fir wapas jaise leta hua tha ussi position me aakar let gaya....
maine mom dad dono ko halka halka hilaya,wo dono jis position me soye the,usme unki neend waise hi kacchi thi,mere hilane se dono ki neend toot gayi aur uske baad ka conversation mai bata chuka hun....
FLASHBACK ENDS:-
TUJHE KABSE IN SABKI ZAROORAT PADNE LAGI.......
MAI- ledron ki basti me koi toh fit hona chahiye naa....
mujhe gym me aaye ek ghanta ho gaya tha...mai weight lifting kar hi raha tha ki itne me mere piche se ye awaaz aayi...ye aur koi nahi RONIT tha.....
RONIT- saale,ledra hoga tu?....tabhi toh apni haddiyan mazboot karne ke liye tujhe gymming ki zaroorat pad rahi hai....
MAI- beta jo gym hum karte hain wo sirf hum hi kar sakte hain....thik waise hi jaise teri bakwaas sirf tu hi kar sakta hai....
RONIT- ghante ka tum hi kar sakte ho..jo tu kar raha hai wo toh har koi karta hai....
MAI- paani me laath aur hawa me baat soch samajh kar karna chahiye baalak....ek kaam kar,isse sirf ek baar utha ke dikha....
maine apne weight lifter jisse mai bench press maar raga tha,uski taraf ishara kar RONIT se kaha....
mere aisa kehne ka reason jaanane ke liye RONIT bhi curious tha.usse ache se pata tha ki mai koi baat bewajah nahi kehta...
apne haath ko jhatakte hue RONIT weight lifter ke paas aaya aur bench par let gaya....agle hi pal........
mmmmmm....mmmmmmm.....mmmmmmm...
pehle thoda fir thoda zyada aur fir RONIT ne apni puri taakat laga di par fir bhi wo WEIGHT LIFTER ko utha nahi paaya....
ek minute tak apni puri jaan lagaane ke baad RONIT thak haar kar sidha khada ho gaya...
kamar par haath,chehre par thakaan aur aankhon me avishwaas liye wo meri taraf dekh raha tha....
MAI- apni sadi hui shakal ko aur kitna kharab karega.....nikal yahan se,mujhe gym karna hai....
par RONIT gaya nahi,wahin khada raha aur....
RONIT- pehle ye bata ki isse mai lift kyun nahi kar paaya...weight toh bas 200 kg hi dikha raha hai...itna toh mai apni ek ungli se utha sakta hun fir apni puri taakat lagakar bhi mai isse kaise nahi utha paaya....
MAI- ohho...scientist ko theory jaanana hai taaki koi naya invention kar sake....abbe,jab maine kaha ki tere bas ki naa hai toh chup chaap maan lena chahiye naa...
par nahi,hum toh apni dedh hoshiyaari dikha ke rahenge...kyunki kuch sikhe naa sikhe par apni bail buddhi dikhana toh humne paida hote saath sikh liya tha..kyun?
waise toh meri baat sunkar RONIT ko ghussa hona chahiye tha,par hua ulta..maine jis tarike se apni shakal bana bana kar baatein kahi thi usse sunkar RONIT ki hasi chhut gayi aur usse hasta dekh mai aur chidh gaya....
MAI- hihihihihi....hihihihihi.....daant niporna ho gaya ho toh nikal ab.....
RONIT- pehle ye bata ki mai isse utha kyun nahi paaya warna mai nahi jaane waala...
maine pehle kuch der RONIT ko ghur kar dekhta raha par saale par mere ghurne ka koi asar nahi pada isiliye......
MAI- universe me jitne bhi heavy metals hain,maine un sab ke wazan ko ek invisible energy me badal kar is weight lifter me daal diya hai....abhi iska wazan kisi planet ke wazan se bhi zyada hai.....
ye bolkar maine ek jhatke me us weight lifter ko utha liya....
mai toh wapas weight lift karne me lag gaya par meri baat sunkar RONIT ka mooh khulla ka khulla reh gaya.....
RONIT- agar iska weight inta zyada hai toh floor par koi asar kyun nahi ho raha hai..itne wazan ke saath toh yahan ki puri zameen yahan tak ki jahan tak iska impact hoga,wahan tak ki zameen dhas jaani chahiye....
MAI- iske andar jo weight energy maine daali hai,wo tabhi asar me aati hai jab isse uthaya jaata hai.zameen par aate hi iska weight normal ho jaata hai....
RONIT- WOWW.....AMAZING BHAI.....
MAI- kaash mai bhi tere baare me aisa kuch kabhi keh paata....hamesha bail buddhi ka bail buddhi hi rahega....
RONIT is baar bhi meri baat par has diya aur haste haste baahar nikal gaya......
jahan mai wapas gym karne me lag gaya wahin RONIT bike lekar kahin nikal gaya....
PLACE- AHUJA MANSION
GOOD MORNING MOM......
GOOD MORNING BETA.....kya baat hai,aaj kal tu bohot jaldi uth jaati hai.....!!!!!tune jogging bhi start kardi hai.....
subah ka waqt hai.....subha jaldi uth AVANTIKA kuch der tak room me rahi jaise wo har roz rehti hai,uske baad
ghar se baahar aa jogging par nikal gayi aur just louti thi......
AVANTIKA hall me pahunchi hi thi ki uski mom ki nazar uspar padh gayi......
AVANTIKA- toh ye toh achi baat hai naa mom.....
A/MOM- bohot achi baat hai beta..mai toh isiliye puch rahi hun kyunki pehle tu aisi nahi thi fir achanak yun change!!!!!
AVANTIKA- offo mom...pehle mai health consious nahi thi...ab hun,simple.....
THODA SA HEALTH CONSIOUS APNI BEHEN KO BHI BANA DE.....
ye awaaz SHANAYA ki MOM ka tha jo AVANTIKA ki taraf aa rahi thi......
AVANTIKA- SHANAYA ko kya hua???achi khaasi fit toh hai....
S/MOM- kahan se fit hai....?ek toh late uthati hai,uspar ghar ka khaana toh jaise madam ko pasand hi nahi hai..baahar ka hi khaati hai..aise me toh uski tabiyat bigad jaayegi....
AVANTIKA- kuch nahi hoga usse...wo baahar ka zaroor khaati hai par unhyginic nahi khaati....acha mom,mai thoda baahar tehel rahi hun....
A/MOM- arre ab kahan chali....?abhi toh jogging karke aayi hai....
AVANTIKA- wo actually mom target calories burn karne ke liye thoda aur chalna padega...mai aati hun...
ye bol bina kisiki koi baat sune AVANTIKA fatafat ghar se baahar nikal gayi...abhi AVANTIKA ne apne ghar ke gate se kadam baahar nikale hi the ki.......
HI AVNI........
AVANTIKA ka face is awaaz ki taraf hi tha jo ki aur kisika nahi RONIT ki tha....RONIT ko apne saamne dekh AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi....
AVANTIKA- so mission accomplished,right!!!tum V.J ko wapas le hi aaye.....
RONIT- tumhe kaise pata???
AVANTIKA- V.J jitna toh nahi,par jaanti toh mai bhi tumhe ache se hi hun....V.J agar nahi aaya hota toh tum yahan mere paas wo bhi subah subah nahi aaye hote.....
RONIT- matlab!!!!
AVANTIKA- mere thank you kehne ka reason jaanane aaye ho naa...?!!!!!
RONIT- haan...par saath me mai kuch aur bhi jsike baare me mujhe jaanana hai.....
AVANTIKA- hmm....thik hai...waise tumse zyada is pal ka maine intazar kiya hai...
RONIT - waqt!!!!kaisa waqt?
AVANTIKA- tumhe sach batane ka aur......
RONIT- aur!!!!
AVANTIKA- tumhe mera ek kaam karna hai..actually mera nahi jo kaam tumhe karna hai wo V.J ka hai aur wo kaam bohot zaroori hai.....
RONIT- mai kuch samjha nahi.....
AVANTIKA- sab samajh jaaoge.....chalo,walk par chalte hain.....
RONIT ne apni bike wahin side me stand kar di aur fir wo aur AVANTIKA paidal hi aage badhne lage.....
kuch der tak dono ke beech khamoshi rahi..jahan AVANTIKA ye soch rahi thi ki kya usse RONIT ko sab kuch batana chahiye kyunki wo jaanti thi ki V.J ke saath jo hua wo sunkar RONIT ko bohot zyada taklif hogi...
wahin RONIT ke dimag me V.J ke gaayab hone ke baad ke sabhi lamhe ek ke baad ghumne lage the...wo jaanana chahta tha ki LORD OF ANGELS hone ke baawajud V.J ke saath aisa kya hua jo wo unki madad ke liye nahi aa paaya.....
RONIT ne AVANTIKA ki taraf dekha toh usse gehri soch me dooba paaya....
RONIT- AVNI,mujhe sab kuch jaanana hai,sab kuch....
AVANTIKA kuch der tak RONIT ko dekhti rahi fir....
AVANTIKA- isse tumhe taklif ho sakti hai..bohot taklif.....
RONIT- jo taklif mai mehsoos kar chuka hun,usse zyada toh nahi hogi naa....
AVANTIKA ne ek gehri saans li aur RONIT ko sab kuch shuru se batana shuru kiya....
kaise wo VIKRAM aur ALESENDRA FOUNTAIN OF LIGHT ke saamne gaye..wahan kaise pehli baar VIKRAM ka saamna uske BHAI ASMODEUS aur bhatije BEELZEBUB se hua....
kis tarah V.J zakhmi ho maut ke kagaar tak pahunch gaya tha..kaise sitiuation ko aur mushkil banane ke liye ASMODEUS ne AVANTIKA ke sharir me zeher chhoda...
kis tarah V.J ki jaan bachi..bhavishyavani ka milna,uske baad un dono ka COURIOUS pahunchna....COURIOUS ka shraap aur kaise V.J ne COURIOUS waasiyon ko shraap mukt kiyaaa...
ASMODEUS ka plan....kaise PARIVARTAK ka ismtemaal kar ASMODEUS ne COURIOUS ke samay chakra ko pure bramhaand se tez kar diya..
AVANTIKA ne RONIT ko bataya ki kaise ASMODEUS ne COURIN PHAL ke andar apna khoon milaya aur jaise hi VIKRAM ne us phal ka sewan kiya,uski pehchaan usse alag ho gayi.......
VIKRAM ki haalat aur us haalat ke sach ko jaankar RONIT ek jagah baith gaya....jaise AVANTIKA ne kaha tha,usse bohot taklif hone lagi....
VIKRAM ne itna kuch saha wo bhi akele ye sochkar hi uska dard badhta jaa raha tha...
AVANTIKA ne bhi usse kuch der rone diya....kuch der baad jab RONIT ki taklif kuch kam hui toh.....
RONIT- V.J apne hosh me hi nahi tha aur isiliye usne mujhpar us din haath uthaya tha.....
AVANTIKA- galat....itna kuch hone ke baad bhi VIKRAM ne apne hosh ko kisi tarah sambhal kar rakha tha....
ASMODEUS ke khoon ki wajah se VIKRAM ko turant pura badal jaana chahiye tha..usse bhi paap ke raaste me nikal jaana chahiye tha par VIKRAM ne kisi tarah aisa hone nahi diya..
jis din usne tumpar haath uthaya tha,ussi din ya fir ye kahun usse kuch der pehle hi usse uski pehchaan chhini thi....PAAP uske sir par haawi tha...
itne kharab condition me hone ke baawjud usne kisi tarah apna dimag chalaya...
tumhe maarna,uthakar room se baahar fek dena,ye uska plan tha....wo chahata tha ki pure gharwaalon ko pata chale ki usne tumhare saath aisa kiya hai.....
jisse gharwaale uspe naaraz hon aur wo ghar chhodkar chala jaaye....kyunki wo jaanta tha ki agar wo ghar par raha toh zaroor gharwaalon ke saath kuch galat kar dega isiliye usne ye faisla liya.....
aur jaisa wo chahta tha,thik waisa hi hua....aunty ne usse ghar se nikal jaane ke liye kaha jisse usne ek second me maan liya aur chala gaya.....
RONIT- mere bhai ke saath itna kuch ho gaya aur mujhe khabar tak nahi.....isiliye wo DELHI........
RONIT apni aage ki baat kehte kehte rook gaya...usse apna wo sawal yaad aa gaya jo wo AVANTIKA se kal se puchna chahta tha....
RONIT- mujhe ek baat samajh nahi aayi....
AVANTIKA- kaun si baat???
RONIT- usse pehle ye batao ki kya V.J thik ho gaya hai..i mean ASMODEUS ka khoon kya ab uske andar nahi hai...
AVANTIKA- hai...ASMODEUS ka khoon ab bhi V.J ke andar hai....
RONIT- agar V.J isiliye hum sab se door gaya tha taaki uski wajah se humme se kisi ko nuksaan nahi pahunche toh fir hume uska pata chal kaise gaya???
i mean ye sach hai ki usne khud hume apne baare me nahi bataya par ye bhi ek sach hai ki agar V.J nahi chahta ki hum usse milen toh duniya me aisi koi taakat nahi hai jo hume usse mila de....
ya toh wo hamare ustak pahunchne se pehle hi gayab ho jaata or in first place,wo aisa kuch karta ki hum tak uski khabar pahunchti hi nahi.....
RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi.....
AVANTIKA- i must say,tumhara dimag kaafi chalne laga hai....
AVANTIKA ne tarrif ki par RONIT ka mooh ban gaya....
RONIT-waah,ek taraf tum ho jo mere dimag ki taarif kar rahi ho aur ek taraf wo khadus V.J hai jisne mujhe yahan aane se pehle bail budhhi ke naam se samaanit kiya hai.....
RONIT ki baat sun AVANTIKA khilkhila kar has padi.....
AVANTIKA- maine kaha naa ki abhi wo ASMODEUS ke khoon ke prabhaav se baahar nahi aaya hai....
RONIT- fir.....
AVANTIKA- isiliye maine tumse kaha tha ki agar tum V.J ko wapas laane me kaamiyab hue toh mai tumhe apne thanks kehne ki wajah bataungi.....
V.J ghar chhod kar isiliye gaya tha kyunki uske andar ka shaitan us waqt uspar haawi tha jisse sabse zyada nuksaan V.J ke gharwaalon ko matlab tum sab ko hota par...
V.J ka tumhare saath yahan aane ka matlab hai ki usne apne andar ke shaitan ko kuch hadh tak kaabu me karna sikh liya hai....
aur aisi haalat me ab baahar waalon ko V.J ke andar chhupe shaitan se khatra hai,gharwaalon ko nahi....
gharwaalon ki wajah se wo khudko control me rakh paayega aur isliye V.J tumsab ke saath wapas aa gaya....
isiliye maine tumhe thanks kaha tha kyunki V.J ke wapas aane ka matlab hai wo pehle se thik hai....
RONIT- thik hai,perfect nahi...aur mai V.J ko pehle ki tarah perfect dekhna chahta hun....
AVANTIKA-sirf tum nahi,pura UNIVERSE usse thik dekhna chahta hai kyunki UNIVERSE me shaanti banaye rakhna,ye V.J ki zimmedari hai jisse wo pichle 7 mahino se nahi kar paa raha hai.....
RONIT- par ye hoga kaise?
AVANTIKA- ussi tarike ya fir ye kahun ki ussi CHIZ ke paas jaakar jisse V.J ki haalat sudhri hai.....
RONIT- matlab!!!!
AVANTIKA- maine tumse kaha tha naa ki tumhe V.J ka ek kaam karna hai...ye wahi kaam hai jiske pure hone se shayad hume V.J ko theek karne ka koi idea mil sake....par....
RONIT- par!!!par kya?
AVANTIKA- par isme bohot khatra hai...tumhari jaan bhi jaa sakti hai....
RONIT-ANJU ke roop me meri jaan pehle hi jaa chuki hai..ab bas mere paas mera BHAI hi toh bacha hai,uske liye agar ye dhadkan band bhi ho jaaye toh koi gum nahi....
AVANTIKA kuch der tak RONIT ko dekhti rahi fir......
AVANTIKA- hume kahin jaana hoga....par wahan se aane me waqt lag sakta hai isiliye pehle apne apne ghar chalte hain..ghar waalon se kuch bahana banakar tumhare ghar ke paas jo garden hai wahan 10 baje milte hain.....
RONIT- cool.....
baat karte karte AVANTIKA aur RONIT ghumte hue wapas AVANTIKA ke ghar ke saamne pahunch chuke the......
AVANTIKA ko bye aur 10 baje milne ka bol RONIT apne bike me baith apne ghar nikal gaya aur AVANTIKA apne.....
10 AM IN GARDEN:-
RONIT- toh ab?
AVANTIKA- SECRILLA..... hume wahan jaana hoga....
SECRILLA FOREST ka naam sunkar RONIT ko shock laga....
RONIT kuch kehne hi wala tha ki....
AVANTIKA- sab bataungi par wahan pahunchkar...SECRILLA ke sarhad ke saamne ki jagah yaad hai tumhe....
RONIT- haan...
AVANTIKA- ussi jagah pahunchne ke liye DOOR kholo.....
RONIT ko AVANTIKA ki ye baat bhi samajh nahi aayi...par SECRILLA pahunchne tak ke liye usne kuch bhi puchna thik nahi samjha aur.....
agle hi pal RONIT ka ek haath hawa me tha jisse ek ray nikli..ray AVANTIKA aur RONIT ke saamne gol gol ghumne lagi aur dekhte hi dekhte us ray ne ek magical door ka roop le liya jiske dusri taraf SECRILLA ki wahi sarhad thi jahan unhe jaana tha....
AVANTIKA aur RONIT us DOOR se hote hue dusri taraf
chale gaye..unke cross karte hi DOOR band ho gaya....
RONIT- ab toh batao ki hum yahan kyun aaye hain aur jab hume SECRILLA jaana hai toh tumne mujhe yahan FOREST ke baahar kyun DOOR ki opening rakhne ke liye kaha?
AVANTIKA- V.J ke theek hone ka solution hume SECRILLA ke andar hi milega.....
RONIT- yahan kaise?
AVANTIKA- MERCIA RIVER yaad hai.....V.J pichle 7 mahino se MERCIA RIVER ke andar ghanton tak dhyaan awastha me baithata hai...
aur mujhe lagta hai ki MERCIA RIVER ke paani se hi V.J apne andar ke shaitan ko,negetive energy ko control karne me kaamiyab hua hai.....samjhe.....!!!!
RONIT- kuch kuch?
AVANTIKA-baaki ka bhi samajh jaaoge.uske liye hume MERICIA RIVER ke paas jaana hoga....
par usse pehle hume hamare saamne jo SECRILLA ki sarhad hai,uske problem ko solve karna padega.....
RONIT- yahan kaisi problem?
AVANTIKA- ussi problem ki wajah se hi toh maine tumhe SECRILLA ke andar DOOR ki opening rakhne se roka tha.....
darasal BHUVIKA aur BEELZEBUB ne is FOREST ki sarhad ke chaaro taraf apni shakti tarange failayi hui hai....
jaise hi humne SARHAD cross kiya,unhe pata chal jaayega.....
BHUVIKA aur BEELZEBUB ka naam sunkar pehle toh RONIT ko behad ghussa aaya par kuch hi pal baad uska ghussa tention me badal gaya....
bhale hi RONIT BEELZEBUB aur BHUVIKA se badla lena chahta ho,par wo ye bhi jaanta tha ki wo is laayak nahi hai....
apne josh ke chakkar me pichli baar usne apni mohobbat kho di thi.RONIT soch raha tha ki agar is baar bhi usne pichle baar jaisa react kiya toh shayad is baar AVANTIKA bhi naa bach paaye.....
aur wo apne jaisi haalat apne BHAI ka kaise hone de sakta tha aur isiliye.....
RONIT- wo dono bohot khatarnaak hain AVNI...hume wapas jaana chahiye....hum koi aur tarika dhund lenge....
RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi....
AVANTIKA- kya hua,dar gaye....
RONIT- haan,dar gaya par apne liye nahi V.J ke liye..maine toh apna pyar kho diya par agar tumhe kuch ho gaya toh mai V.J ko kya mooh dikhaunga.....
AVANTIKA- tumhari yahi problem hai...tum apni samajhdaari hamesha galat waqt par dikhate ho.....
RONIT- matlab???
AVANTIKA- matlab ye samajhdaari tumhe ANJALI ke waqt dikhani thi...aur jahan tak mera sawaal hai,BHUVIKA aur BEELZEBUB mera kuch nahi bigad sakte.....
RONIT ko AVANTIKA ki baaton ka matlab samajh nahi paaya..wo isse figure out karne ki koshish kar hi raha tha ki.......
RONIT- AVNI..............
RONIT ke mooh se AVANTIKA ke naam ki cheekh nikal gayi aur wajah....AVANTIKA ne ek dum casually chalte hue SECRILLA ke sarhad ko cross kar diya tha.....
AVANTIKA- kya hua??chilla kyun raha hai???tere saamne hi toh hun.....
abhi RONIT kuch kehta usse pehle hi......un dono ke chaaron taraf tez hawa chalne lagi....ab tak jahan achi khaasi dhoop khili hui thi,wahan ab halka andhera chaane laga...aur tabhi...........
do tez bijli AVANTIKA se kuch door saamne giri jisse do kaale dhuen ke gubaar uthe aur jab wo gubbar chaten toh RONIT aur AVANTIKA ke saamne BEELZEBUB aur BHUVIKA khade the.....
un dono ko apne saamne dekh jahan AVANTIKA normal hi rahi wahin RONIT ke man me dar ne ghar kar liya....
wo tezi se aage aaya aur AVANTIKA ke saamne khada ho gaya par AVANTIKA ne usse kandhe se pakad side me kar diya....
BHUVIKA- socha nahi tha ki itni jaldi tujhe maarne ka mouka milega....
AVANTIKA- sidhe mujhse request kar leti,mai pehle hi tere saamne aa jaati.....
aapko yaad hoga doston ke BHUVIKA ne ASMODEUS se AVANTIKA ko maarne ki baat kahi thi aur ASMODEUS ne use kuch kaha tha jiske baad BHUVIKA aur BEELZEBUB gaayab hokar kahin pahunche the aur ek SPELL bola tha....
wo dono yahin aaye the..ASMODEUS ne unse kaha tha ki ek naa ek din AVANTIKA yahan zaroor aayegi aur jab aisa ho tab wo AVANTIKA ko maar sakte hain....
isiliye BEELZEBUB aur BHUVIKA yahan aaye the taaki is jagah ko apni shakti tarango se baandh sake jisse jab bhi AVANTIKA yahan aaye toh unhe pata chal jaaye.....
BHUVIKA-naa tere paas koi shakti hai aur naa hi koi aur taakat...fir bhi itna ghamand...
BEELZEBUB- par kuch hi shano baad jab tu zamin par giri mout ke kagaar par hogi,tab teri saath saath tera ghamand bhi khatm ho jaayega....
AVANTIKA- tune thik kaha BHUVIKA ki mere paas koi shakti nahi hai,par mujhe kisi taakat,kisi shakti ki zaroorat bhi nahi hai,jaanti hai kyun,kyunki mai khud ek SHAKTI hun....
aisi SHAKTI jisse takrane ki aukaad tere bas ki nahi hai.....
aur BEELZEBUB,jab tera BAAP mujhe nahi maar sakta toh tu kis khet ki muli hai....
apne FATHER ke baare me sun BEELZEBUB ko ghussa aa gaya....uske haath me current rays dikhne lage par isse pehle ki wo un rays ko AVANTIKA par chhodta....
RONIT- tum dono ko jo karna hai mere saath karo par AVANTIKA ko chhod do....
RONIT ki awaaz me ek laachari thi jisse mehsoos kar BHUVIKA aur BEELZEBUB has diye.....
BHUVIKA- teri awaaz me ek akad hua karti thi,wo kahan gayi?
BEELZEBUB- lagta hai iski premika ke saath saath iski akad ne bhi dum tod diya....
BHUVIKA aur BEELZEBUB ki baat sunkar RONIT ko bohot tez ghussa aaya par AVANTIKA ki khaatir wo apne ghusse ko pi gaya....
AVANTIKA- isse pyar,fikr kehte hain naalayakon par tumhare jaise gawaar ye nahi samjh sakte...aur jis akad ki tum baat kar rahe ho naa,chalo,tumhe usse bhi mila dete hain.....
AVANTIKA ki baat sun RONIT kuch kehne hi waala tha ki.......
AVANTIKA ne apna ek haath RONIT ke sir par rakha aur agle hi pal AVANTIKA ki aakhen band ho gayi....
SHAKTIYEM STHAANANTARAM
POWER TRANSFER
AVANTIKA ke mooh se SPELL sun RONIT ko jhatka laga par isse pehle ki wo koi pratikriya de paata
AHHHH.......
RONIT ke mooh se ek halki karah footi aur agle hi pal uska sharir vibrate hone laga....
jaise hi RONIT ka shirir vibrate hone laga,AVANTIKA ne apna haath uske sir se hata liya aur apni aankhen khol di.....
AVANTIKA ke haath hatate hi RONIT ke vibrations khatm ho gaye par......
RONIT- ye sab abhi kya hua....?aur muje mera sharir itna bhaari bhaari sa kyun lag raha hai...?
AVANTIKA RONIT ke kaan me- abhi ke liye itna jaan lo ki tumhare andar in dono se kayi guna zyada shaktiyan hain...
par sirf kuch hi minutes ke liye....isiliye jo bhi ghussa tumhare andar in dono ke liye hai,wo in dono par nikal do....par yaad rahe ,inhe jaan se nahi maarna hai.....abhi iska waqt nahi aaya.....
jahan RONIT aakhon me hairat liye AVANTIKA ko dekhe jaa raha tha wahin BEELZEBUB aur BHUVIKA aaram se khade the....
unhe laga ki AVANTIKA kuch bhi karle par un dono ka kuch bigad nahi sakti.....
AVANTIKA-tumhe sab pata chal jaayega par abhi tumhare paas zyada waqt nahi hai..tumhare andar ki shakti ko tum zyada der tak control nahi kar paaoge isiliye waqt rehte unka istemaal kar lo.....
ab RONIT ne bhi baaki ki bataon ko baad ke liye taal diya aur BHUVIKA aur BEELZEBUB ki taraf palta.....
par is baar RONIT ke chehre par bebasi nahi baki aatmavishwas tha......
RONIT- bohot taakat hai naa tum dono ke andar...chalo,aaj tum dono ko mai tumhari aukad dikhata hun.....
BEELZEBUB- arre,iski akad toh wapas aa gayai..lagta hai.....AHHHHHHHHHH........
isse aage BEELZEBUB kuch keh nahi paaya....toh hua ye ki RONIT ne ghur kar BEELZEBUB ko dekha....RONIT ke aankhon se ek adrishya par bohot hi strong ray nikli aur BEELZEBUB ki taraf badhi...
BEELZEBUB toh RONIT ko bohot lightly le raha tha isiliye usne zyada dhyan nahi aur....
un adrishya rays ne BEELZEBUB ko lapet liya....aisa hote hi BEELZEBUB ke sharir ko ek tez jhatka laga aur wo tadapne laga....
BEELZEBUB se BHUVIKA judi hui thi....BEELZEBUB ke dard se usse bhi taklif hui par khud ko control me rakh BHUVIKA ne ek anergy beam RONIT ke upar chhoda....
us energy beam ki speed aur taakat bohot zyada thi..isse pehle ki RONIT kuch karta....
BOOM......
wo beam RONIT ke chest ke beech takraya aur aisa hote hi ek tez dhamaka hua.....
dhamaka dekh BHUVIKA ke chehre par ek smile aa gayi par agle hi pal.....
dhamake se faila dhuan turant gayab ho gaya aur jab vision clear hua toh saamne ka nazara dekh BHUVIKA ki aankhen hairat se faile gayi....
RONIT aur uske piche AVANTIKA araam se muskurate hue khade the....us energy beam se un dono ko koi nuksaan nahi hua tha....
BHUVIKA ne zamin aur hawa ka awahan kiya aur dono ki shakti se ek ray banakar RONIT ke upar chhod diya...
BHUVIKA ke last prahar se RONIT ko apne andar ki shaktiyon ka knowledge ho gaya tha....isiliye is baar jab BHUVIKA ne uspar waar kiya toh RONIT ne bas apna haath aage kiya aur BHUVIKA ki taraf chalne laga....
BHUVIKA ke chhoda gaye ray ne jaise hi RONIT ke hatheli se chua,wo gayab ho gaya...
zamin par pada BEELZUBUB aur uske baaju me khadi BHUVIKA ye sab dekh chownk gaye.....
RONIT- bas itna hi dum hai....bohot ghamand hai naa tum dono ko apni shaktiyon par,ye dekho,
AVARTA SHAKTIYEMM....
LOCK THE POWERS.....
RONIT ke SPELL bolne ke baad kuch nahi hua aur aisa hote dekh BHUVIKA hasne lagi....BEELZEBUB bhi ab khada ho chuka tha aur uske chehre par bhi khilli udane waali hasi thi.....
par agle hi pal.......
BHUVIKA aur uske saath BEELZEUBUB ke chehre ke expressions badal chuke the..hasi ki jagah shock ne le li thi.....wahin ab RONIT ke chehre par muskurahat thi.....
toh hua ye ki BEELZEBUB ne haste haste hi ek SPELL bol apna haath aage kiya par kuch bhi nahi hua....
BEELZEBUB ke SPELL ne kaam hi nahi kiya....BEELZEBUB ke baad BHUVIKA ne bhi ek ghaatak SPELL uchharit kar apna haath aage kiya par BEELZEBUB ki hi tarah BHUVIKA ka SPELL bhi kaam nahi kiya....
jahan ye dekh wo dono shock me the wahin RONIT aur AVANTIKA ke chehre par smile thi.....
AVANTIKA- tumhare paas zyada waqt nahi hai RONIT...jaldi karo....
RONIT ko bhi apna sharir wapas halka halka vibrate hote mehsoos ho chuka tha isiliye....
RONIT ne apne dono haath aage kiye aur
UDVAHANI VIBHADA
ROPE OF PAIN
RONIT ke haath se do chamakte hue rope ki shakal liye rays nikle aur agle hi pal un RAYS ne BEELZEBUB aur BHUVIKA ko lapet liya aur aisa hote hi.....
AHHHH.......
AHHHHH........
BEELZEBUB aur BHUVIKA ke mooh se behad dard bhari cheekhen gunjane lagi...ye cheekhen itni zyada tez thi ki pura SECRILLA FOREST un dono ki awaaz ko mehsoos kar raha tha.....
RONIT- jaante ho ye kaisa dard hai jo tum dono mehsoos kar rahe ho....???ye dard un logon ka hai jinhe tum dono ne aaj tak maara hai ya tadpaaya hai....
tum dono wahi dard mehsoos kar rahe ho jo tumne nirdosh logon ko diya hai.....
BEELZEBUB aur BHUVIKA dono hi RONIT ki awaaz sun toh rahe the par un dono ki samajhne ki shakti lagbhag khatm ho gayi thi...
un dono ki shakti bandh zaroor gayi thi par thi toh wo un dono ke paas hi...dard ki atyadhikta se BHUVIKA aur BEELZEBUB ke sharir jagah jagah se fat rahe the par unki shaktiyon ki wajah se unke sharir wapas theek bhi ho jaa rahe the....
sharir ke fatne aur fir wapas thik hone ki kriya ke beech BEELZEBUB aur BHUVIKA ka dard itna zyada tha ki un dono ki aakhen band hone lagi.....
wahin un dono ke saamne khade RONIT ki body bhi ab bohot zyada vibrate kar rahi thi...RONIT ke sir par behoshi chaane lagi thi par RONIT khudko sambhale hua tha..
wo jaanta tha ki uska SPELL tab tak hi kaam karega jab tak RONIT hosh me hai....
tabhi............
ek saath do chizen hui......
pehli- BEELZEBUB aur BHUVIKA ke sharir ko ek tez jhatka laga aur dono gayab ho gaye...
dusri- un dono ke gaayab hone ke agle hi pal RONIT bhi behosh hokar girne laga...
par uske neeche girne se pehle hi AVANTIKA ne RONIT ke sir ke neeche apna haath rakh diya....
uske baad AVANTIKA ne apna dusra haath RONIT ke sir ke upar rakha...RONIT ke sir se hote hue wo shaktiyan jo AVANTIKA ne usse di thi,wo wapas AVANTIKA me sama gayin....
kuch der tak RONIT behosh hi raha par fir dheere dheere uski aankhen khul gayi...
hosh me loutne ke baad bhi RONIT ko kuch der laga apni situation ko samajhne me aur jab RONIT ne AVANTIKA ko dekha toh uske dimag me kuch der pehle hui saari ghatnayen ghumi aur wo ek jhatke me khada ho gaya....
kuch der tak RONIT ek tak AVANTIKA ko dekhta raha..uski aankhon me bohot se sawaal aa jaa rahe the...
wahin AVANTIKA bhi RONIT ki haalat samajh rahi thi par wo chup thi..RONIT ke bolne ka intazar kar rahi thi.....
kuch der tak AVANTIKA ko dekhne ke baad RONIT ke honth hile......
RONIT- KAUN HO TUM?
AVANTIKA- mai AVANTIKA hi hun RONIT.....
RONIT- fir tumhare andar itni shaktiyan.........
par isse aage RONIT kuch bol nahi paaya...bolna chhodo uska toh dimag hi fuse ho chuka tha.....
RONIT ke sawaal khatm hone se pehle hi AVANTIKA ke baaju me teen tez roshniyan hui aur jab wo roshniyan kam hui toh wahan par teeno GOD'S MESSENGER khade the....
AVANTIKA-MAAYA VAAKYAM
MAGICAL WORDS
is spell ka use pehle bhi ho chuka hai...ek baar ST SEBASTIAN ke dwara aur ek baar VIKRAM dwara..is SPELL ko apne secrets kehne se pehle bola jaata hai...isse koi bhi baahar ka banda us secret baat ko chaah kar bhi sun nahi paata..
RONIT teeno MESSENGERS ko dekh hi raha tha ki........
ST SEBASTIAN- ABHI KE LIYE AVANTIKA HI HAIN HUMARI.............
..........LORD OF ANGELS...........
AAJ KE LIYE ITNA HI......
AAPKA APNA V...J........
Very nice update bhaiAB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RONIT KO VIKRAM KI HAALAT KE BAARE ME JAANKAR DUKH HOTA HAI WAHIN DUSRI TARAF ST SEBASTIAN AVANTIKA KO LORD OF ANGELS KEHKAR SAMBHODIT KARTE HAIN
AB AAGE:-
FINAL CHAPTER
(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)
UPDATE-96
PLANET-MONSLICKEL
PLACE-ASMODEUS PALACE
AAO AAO MERE BACHON.....MERA SIR FAKR SE UNCHA KARNE KI KAISI SHABASHI DUN????...
ASMODEUS ke is baat ya fir ye kahun ki uske taunt ko sunkar uske saamne khade BHUVIKA aur BEELZEBUB ka sir sharm se jhuk gaye.....
aapko sabko yaad hoga ki ROPE OF PAIN me jakde BEELZEBUB aur BHUVIKA achanak gaayab ho gaye the...
wo dono khud gayab nahi hue the balki unhe ASMODEUS ne gaayab kar apne paas bula liya tha....
ASMODEUS- kya hua???sir jhukaye kyun khade ho???apni naakami me sharm aa rahi hai yaa apne ghamand ke tootane par....!!!!???
par BHUVIKA aur BEELZEBUB ab bhi bina ek shabd kahe apna apna sir jhukaaye khade the....
ASMODEUS un dono ke man me umad rahe sawaalon ko ache se padh paa raha tha...isiliye......
ASMODEUS- apne sharm ka naatak chhod jo sawaal tum dono ke man me ufaan maar rahe hain,wo pucho ho dafa ho jaao mere saamne se.....
is baar BHUVIKA aur BEELZEBUB ne dheere dheere apna sir upar uthaya aur.....
BEELZEBUB- FATHER.....aapse toh kuch bhi chhupa nahi hai....ye jo bhi hua,wo kaise ho sakta hai????
hum dono milkar bhi RONIT ka saamna nahi kar paaye...!!!
BHUVIKA- hum dono hi RONIT ke saamarthya se parichit hain..usme itna dum nahi ki hume hara sake aur wo bhi itni sahajta se....
ho naa ho ye sab us AVANTIKA ne kiya hai,par kaise????uske paas itni shakiyan kahan se aayin????aisi shaktiyan jinka saamna karna toh door hum uske saamne kuch shan bhi khade tak nahi reh paaye....
ASMODEUS- ye toh mai bhi jaanana chahta hun ki AVANTIKA ke paas itni shaktiyan aayin toh aayi kaise????
ASMODEUS ki baat sunkar BHUVIKA aur BEELZEBUB ko jhatka laga...
aisa kuch jisse ASMODEUS anjaan ho,wo bhi tab jab usne khud BHUVIKA aur BEELZEBUB ko AVANTIKA dwara RONIT ko diye shakti se ladhte hue dekha tha,ye baat unhe hazam nahi ho paa rahi thi.....
BEELZEBUB- aapko nahi pata FATHER???par ye kaise ho sakta hai????
ASMODEUS- is bramhaand ka ek maatr sach yahi hai ki yahan kuch bhi ho sakta hai...khaas karke tab jab kisi baat kisi vishay me MAI aur VIKRAM jude hue hon....
BEELZEBUB- par yahan baat toh AVANTIKA ki hai naa....
ASMODEUS- VIKRAM aur AVANTIKA ek hi dhaage me piroye do moti hain...AVANTIKA ke paas beshak koi maayavi ya aloukik shakti nahi hai par usse iski zaroorat hi nahi hai...
jab tak VIKRAM jeevit hai tak tak AVANTIKA ek abedhya kile ki tarah hai jisse bheda nahi jaa sakta.....
ASMODEUS ke mooh se AVANTIKA ki taarif sunkar BEELZEBUB aur BHUVIKA dono ko acha nahi laga.....
BEELZEBUB- FATHER.....AVANTIKA ne aapka bhi apmaan kiya tha....usne kaha ki.....
ASMODEUS- JAB TERA BAAP MUJHE NAHI MAAR SAKTA TOH TU KIS KHET KI MULI HAI.....
BEELZEBUB ki adhuri baat ASMODEUS ne puri kar di.....
BHUVIKA- ji DEVIL LORD,usne aapka apmaan karne hetu inhi shabdon ka prayog kiya tha...
BHUVIKA aur BEELZEBUB ko laga ki ab ASMODEUS bhadkega par jo baat ASMODEUS ne kahi,usse sunkar dono ko ek aur jhatka laga.....
ASMODEUS-sach kadwa hi hota hai aur sach ko kabhi apmaan ki shreni me nahi rakha jaata....
AVANTIKA ne jo kaha wo shat pratishat satya hai aur satya se lajjit nahi hua jaata.....
BEELZEBUB- par FATHER,aapne toh ISLA me AVANTIKA ke sharir me shakrun vish ko sthanantarit (transfer) kiya tha naa....
ASMODEUS-ye yaad raha ki maine AVANTIKA ke sharir me vish milaya tha kintu ye yaad nahi raha ki kin paristithiyon me mai aisa karne me kaamiyab hua tha.....
us waqt VIKRAM ka sharir murchit tha..itna hi nahi uski aloukik shaktiyan bhi uske sharir se nikalte rakht ke saath kamzor padh gayi thi....
isiliye us waqt AVANTIKA ka kawach jo usse paida hote saath hi mil gaya tha,wo bhi kamzor ho gaya tha aur isiliye mai uske sharir me VISH daal paaya tha....
par abhi aisa kuch bhi nahi hai....is waqt AVANTIKA ke paas naa sirf uske khud ka abhedya surakhsa kawach hai,par uske saath saath VIKRAM ki apaar shaktiyan bhi usse judi hui hai....
aise me usse maarna toh door,haani pahunchana bhi asambhav hai....
BHUVIKA- agar aisa hai toh jab humne AVANTIKA ko maarne ki baat kahi,toh aapne hume mana kyun nahi kiya????
ASMODEUS- ek aam ladki se tumhe itni shaktishaali bana diya uske baad bhi tumhari murkhata bhare faislon ko mai thik karta rahun????
AVANTIKA ko agar haani pahuchaya jaa sakta toh tumhare kahne se pehle hi maine tumhe aisa karne ke liye keh diya hota....
par tum dono hi itne murkh ho ki jab tak saari baat kisi bacche ko samjhaane ke jaise hi tumhe bhi naa samjhaya jaaye,tab tak tumhara mastishk sunya hi rehta hai....
jitni haani tum VIKRAM ko pahucha sakti thi,utni pahuncha chuki ho...isse zyada tum kuch nahi kar sakti par ye baat tumhari buddhi me pravesh hi nahi karti toh mai kya kar sakta hun....
jahan ASMODEUS ki baat sunkar ek baar firse BHUVIKA ka chehra sharm se jhuk gaya tha wahin BEELZEBUB ke dimag me ek dusre sawaal ne janm le liya tha...
aur jaise hi ASMODEUS ne apni baat khatm ki tabhi........
BEELZEBUB- FATHER???kya mai kuch puch sakta hun????
ASMODEUS ko BEELZEBUB ke sawaal ke baare me pata tha fir bhi usne uske sawaal ko sunane ke liye apne sir ko ek halki si jumbish di.....
BEELZEBUB- hume satya se parichit karane ke liye aapne hume AVANTIKA ko maarne ke liye haan kaha kintu aapne SECRILLA hi kyun chuna aisa karne ke liye....!!!???
aur AVANTIKA wahan kar kya rahi thi????
ASMODEUS toh BEELZEBUB ke puche gaye sawaal ke baare me pehle se jaanta tha isiliye wo normal hi raha par par BHUVIKA is sawaal ko sun jigyasa bhari nazaron se ASMODEUS ke taraf dekhne lagi....
ASMODEUS- pichle saath mahino se VIKRAM puri raat SECRILLA me MERCIA RIVER ke paani ke upar dhyaan awastha me bitata aaya hai aur praatah hote hi wo ussi paani ke andar chala jaata hai dobara dhyaan me baithne ke liye.....
mujhe jaanana tha ki wo aisa kyun karta hai???VIKRAM ke saath jo hua hai usse kewal AVANTIKA hi jaanti hai aur uske upar wo VIKRAM ki shakti bhi hai.
mujhe andesha tha ki ek naa ek din VIKRAM ke piche piche AVANTIKA bhi zaroor SECRILLA pahunchegi.....
isiliye maine tum dono ko us jagah par apni shakti tarange chhodne ko kaha tha jisse jab bhi wahan koi aaye toh tumhe pata chal jaaye....
BEELZEBUB- VIKRAM MERCIA RIVER ke upar aur bhitar dhyaan lagata hai,iska kaaran jaanana aapke liye toh maamuli baat hai FATHER.....
aur khaas kar tab jab aapka khoon VIKRAM ke bhitar hai....unke dimag me chal rahi saari baatein toh aapko aapke khun ki wajah se pata chal hi jaati hongi....
ASMODEUS- yahi toh samasya hai...pehle kuch din tak mai uski har soch padh paa raha tha par jabse wo MERCIA RIVER ke andar dhyaan lagane baitha hai,tab se mai aisa karne me asamarth hun....
kisi tarah VIKRAM ne apne vicharon ko apne dimag me aane se rokne ki kala sikh li hai....
BHUVIKA- agar ye sab MERCIA RIVER ki wajah se hua hai,toh hume us river ko hi khatm kar dena chahiye....
naa rahega baans,naa bajegi baasuri.....
BHUVIKA ki baat sunkar ASMODEUS ko hasi aa gayi.....
ASMODEUS- jao,ye bhi karke dekh lo...par ek baat yaad rakhna,is baar mai tumhe nahi bachaunga.....
ASMODEUS ki baat sunkar BHUVIKA ko apni galti ka ehsaas hua..usse yaad aaya ki wo firse wahi galti kar rahi hai jo usne AVANTIKA ke waqt ki thi..bina sach jaane faisla lene ki galti......
jab ASMODEUS ko gyaat hua ki BHUVIKA ko apni galti ka ehsaas ho gaya hai tab usne aage kehna shuru kiya.....
ASMODEUS- VIKRAM ke MERCIA RIVER me dhyaan lagaane ke baad se hi us RIVER ke chaaron taraf ek abhedya kawach ban gaya hai....
ek aisa kawach jisse bheda nahi jaa sakta...har din jab tak VIKRAM us river tak nahi pahunchta,mai usse dekh paata hun,par jaise hi wo us RIVER ke paani ko chhuta hai,mujhe VIKRAM dikhna band ho jaata hai...
is gutthi ko sidhi tarah suljhaya nahi jaa sakta..isiliye maine AVANTIKA ka sahara lene ki sochi....
maine socha tha ki jab tum dono uske saamne jaaoge,toh tumhari aakhon se mai wahan ka saara drishya dekh paaunga par aisa ho nahi paaya.....
AVANTIKA ke paas maatra khudko aur apne aas paas waalon ko bachane ke liye ek surakhsha kawach tha,par aakarman shakti ka uske paas hona ab ek nayi paheli ban gayi hai....
tum dono ko wahan se waapas laane ke baad mujhe wahan ka drishya dikhna bhi band ho gaya hai.....
BEELZEBUB- toh ab?????
ASMODEUS- SAMAY...ek naa ek din SAMAY sabhi raazon se parda utha hi deta hai..is raaz se bhi aaj nahi toh kal parda uth hi jaayega.....
BHUVIKA- ab hamare liye kya aadesh hai???
ASMODEUS- yahi ki dobara apni murkhta ka parichay mat dena....jaa sakte ho.....
BHUVIKA aur BEELZEBUB ne apna sir ek baar firse ASMODEUS ke aage jhukaya aur gaayab ho gaye.....
ASMODEUS- AISI CHAAL KO KAISE ROKA JAAYE JO DIKH HI NAHI RAHA????
PLANET- EARTH
PLACE- SECRILLA
JAANTI HUN KI BAAT THODI SHOCKING HAI,PAR ITNE BHAYANAK REACTIONS TOH MAT DE.......
apni baat bol AVANTIKA ne RONIT ke kandhe ko hilaya,tab jaakar uska mooh band hua aur wo apni khayalon ki duniya se reality me wapas aaya.....
par ab bhi RONIT ek tak AVANTIKA ko dekh raha tha aur jo sach kuch der pehle ST SEBASTIAN ne usse bataya tha,usse hazam karne ki koshish kar raha tha....
AVANTIKA ka RONIT ko ye sach khud batane ki jagah ST SEBASTIAN ke mooh se bulwane ka reason ye tha ki wo jaanti thi ki agar usne ye baat batayi toh RONIT vishwas nahi karega...
baat jo itni badi thi...isiliye RONIT ke uski shaktiyon ke baare me sawal puchte hi AVANTIKA ne teeno MESSENGERS ko man hi man yaad kiya aur uske aisa karte hi GOD'S MESSENGERS wahan prakat hue aur apni baat keh dobara gaayab ho gaye......
kuch der laga fir jaise hi RONIT ne AVANTIKA ke sach ko digest kiya......par sawaal toh uske man me ab bhi the..isiliye......
RONIT- par kaise???i mean ye koi exam toh hai nahi ki topper ne exam nahi diya toh koi aur top kar lega....
VIKRAM LORD OF ANGELS hai kyunki wo parmeshwar putr hai par tum kaise?????
AVANTIKA- jaanti hun is baat ko digest karna mushkil hai par yahi sach hai,par adhura sach....
RONIT- ab ye kya baat hui??adhura sach matlab!!!!
AVANTIKA- mere andar LORD OF ANGELS ki saari urja hai,par mai unka LORD OF ANGELS matlab VIKRAM ki tarah istemaal nahi kar sakti....
RONIT- mujhe abhi bhi tumhari koi bhi baat samajh nahi aa rahi hai.....
AVANTIKA- do minute dimag aur man dono ko shaant rakh meri puri baat sun,sab samajh me aa jaayega....
LORD OF ANGELS ki urja ka pura istemaal karne ke liye VIKRAM ke dimag jaise dimag ki zaroorat padti hai...
ek aisa dimag jo kisi bhi insaan se carodon guna tez chalta hai...jiske andar ek second ke souve hisse me hi naa sirf bade se bade faisle lene ka hunar hota hai,balki us faisle ko haqiqat ka roop dene ki shamata bhi hoti hai....
is pure universe me VIKRAM jaisa dimag sirf uske BHAI ke paas hai aur kisi ke paas nahi....
par jaisa ki maine bataya tha ki COURIOUS me ASMODEUS ne chhal se V.J ke dimag ko apne khoon dwara control me kar liya tha...
ASMODEUS ne VIKRAM ke dimag ko hi isiliye nishana banaya kyunki iske alawa ASMODEUS ke paas koi aur option nahi tha....
kyunki koi bhi kaali shakti VIKRAM ko nuksaan nahi pahuncha sakti...balki har kaali shakti V.J ke sharir me sama kar WHITE ENERGY me tabdil ho jaati hai....
par jaise hi ASMODEUS ka khoon V.J ke dimag me pahuncha,us khoon ne V.J ke dimag ko dheere dheere apne bas me karna shuru kiya....
jaise jaise ASMODEUS ke khoon ka asar V.J ke dimag me hone laga,waise waise V.J ki urja uski pehchaan usse door hone lagi....
par jaisa ki maine bataya,V.J ka dimag ek second se bhi kam waqt me bade se bade faisle le sakta hai,toh V.J ne apne dimag par ASMODEUS ke haawi hone se pehle hi turant ek faisla liya.....
isse pehle ki V.J ki urja usse door jaati,usne us urja ko mere andar transfer kar diya....
RONIT- yahi toh mera main do questions me se ek hai....tum itni badi shakti ko kaise sambhal paa rahi ho...
mujhe us shakti ke bas ek halke se ansh ko kuch der sambhalne me itni taklif hui aur tum us shakti ko pichle 7 mahino se lagatar sambhal rahi ho???kaise????
AVANTIKA- kyunki mera janm hi isiliye hua hai..mai naa sirf VIKRAM ki shakti hun,balki WO TIJORI BHI HUN JISME VIKRAM APNI SHAKTIYAN RAKH SAKTA HAI....
mujhe bhi is baat ka pata nahi tha,jab V.J ne apni shaktiyan mujhe sounpi tab mujhe is baat ka pata chala....
RONIT- my goodness...jis waqt ASMODEUS ka khoon V.J ke dimag ko apne kabze me kar raha tha,us waqt bhi V.J ne itne aage ka soch liya tha....
AVANTIKA- itna hi nahi,V.J ne kisi tarah bina apne dimag pe zor daale ye bhi pata kar liya ki MERCIA RIVER me wo apne dimag ko niyantrit kar sakta hai....
RONIT- par ye usne kaise kiya?????
AVANTIKA- yahi toh pata lagane hum yahan aaye hain..shayad isse ye bhi pata chal jaaye ki V.J ke dimag se ASMODEUS ke khoon ko kaise nikal jaaye.....
RONIT- hmm....par ek sawal reh gaya.....
AVANTIKA- yahi naa ki jab mai V.J ki shaktiyan istemaal nahi kar sakti toh maine tumhare andar uski shaktiyon ki urja kaise chhodi....
RONIT- haan...
AVANTIKA-V.J ki urja samandar ki tarah hai...aur samandar se ek jug paani nikalne se samandar ko koi fark nahi padta...
thik waise hi maine V.J ki urja ka ek maamuli sa bhaag tumhare andar transfer kiya wo bhi kuch samay ke liye....
ab ek bank ke paison ko uska branch use toh kar hi sakta hai naa....
AVANTIKA ki baat sunkar RONIT aur khud AVANTIKA has diye....
RONIT- toh ab???
AVANTIKA-hume MERCIA RIVER ke paas jaana hoga....hamare problem ka solution wahin hai....
RONIT ne MERCIA RIVER ke saamne ke view ko yaad kar apna haath aage kiya...RONIT aur AVANTIKA ke saamne ek MAGIC DOOR khul gaya jisse hote hue dono MERCIA RIVER ke bank ke paas pahunch gaye.....
MERCIA RIVER.......jisse DIVINE RIVER bhi kaha jaata hai..agar is RIVER ke baare me yaad naa ho toh UPDATE 60 padh len....
RONIT- ab kya karen?????
par AVANTIKA ne RONIT ki baat ka koi jawab nahi diya..MERCIA RIVER ke saamne aate hi AVANTIKA apne seene me haath rakh usse press kar rahi thi.....
RONIT- kya hua AVNI??? are u alright??!!!
AVANTIKA- hmm....yahan aate hi mai apne andar ek hulchal feel kar rahi hun....
aisa lag raha hai jaise V.J ki urja baahar aana chahti hai....
RONIT- toh le aao baahar usse..shayad koi clue mil jaaye...
AVANTIKA- mai aisa nahi kar sakti...V.J ki urja 1000 surya ke tej se bhi adhik shaktishaali hai...agar usse aise hi khula chhod diya jaaye toh har taraf tabahi mach jayegi.....
RONIT- par kuch toh karna padega naa...mai ek kaam karta hun,paani me utar kar dekhta hun..shayad paani ke andar kuch ho jisse hume madad mile.....
par AVANTIKA ne RONIT ke suggestion par kuch nahi kaha ur kuch sochne lagi...kuch der sochne ke baad.....
AVANTIKA- apna ek pair aage badhao..par dheere se.....
RONIT ko AVANTIKA ki baat ka matlab samajh nahi aaya par usne filhal kuch nahi pucha....
RONIT aur AVANTIKA is waqt nadi ke chhor se kuch kadam door khade the...RONIT aage badha aur jaise hi usne apna ek pair paani me rakhne ke liye badhaya........
AHHHH.........
DHOOB............
paani se ek adrishya ray nikli aur us ray ne RONIT ke us pair ko lapet liya jo paani me jaane ke liye aage badha tha...
us ray me bohot tez electric current thi...uske pair ko lapetethe hi RONIT ko ek tez jhatka laga jis wajah se uske mooh se aah nikal gayi..
par wo ray yahin nahi rooki....us ray ne RONIT ko hawa me uthakar patak diya.....
RONIT ke neeche girte hi AVANTIKA turant uske paas pahunch gayi....
AVANTIKA-RONIT......tum thik ho....
RONIT- kya pata????saala body me abhi tak jhatke lag rahe hain...
kuch der tak ussi position me pade rehne ke baad RONIT khada ho gaya....
AVANTIKA- hmm..mujhe laga hi tha ki aisa kuch hoga....
RONIT- toh kurbaani ke liye mai hi mila tha kya????
AVANTIKA- maine toh tumhe pehle hi kaha tha ki yahan khatra hai..aur ye jo hua wo toh bas ek sample tha,asli khatra toh paani ke andar hai....
RONIT- par saala ye tha kya????
AVANTIKA- V.J ke yahan dhyan lagane ki wajah se uske sharir se nikalne waali tarangon se ye puri jagah ek adrishya suraksha ghere me badal gayi hai...
oh shit.....ye mai kaise bhul gayi.......
AVANTIKA ko achanak jaise kuch yaad aaya tha......
RONIT- kya bhul gayi......
AVANTIKA-toh isiliye V.J yahan aata tha....
RONIT- tu kya bole jaa rahi hai..mujhe bhi kuch batayegi ki tu kis baare me baat kar rahi hai???
AVANTIKA-MERCIA RIVER ke asli prabhav ke baare me......aaj bhi agar kisi pavitra cheez ko is paani me dubaya jaaye toh iski divyata us cheez me chali jaati hai.....
V.J GOD ka beta hai..usse zyada pavitra aur kaun hoga....???V.J ke is RIVER ke andar lagatar jaane se is paani ki divyata bhi V.J ke andar lagatar jaa rahi hai aur ussi divyata ke prabhav se V.J ke dimag me moujud ASMODEUS ke khoon ka asar kam ho gaya hai ya fir V.J khudko control kar paane me kaamiyab ho paa raha hai....
par saath hi V.J ki dhyan shakti ki wajah se uske alawa is paani me koi nahi ghus sakta.....
RONIT- matlab,hamara yahan aana waste ho gaya....
AVANTIKA- bilkul nahi..yahan aayen hain toh koi naa koi solution toh lekar hi jaayenge...
RONIT- par kaise????
AVANTIKA- tere saath is paani me V.J bhi jaayega????
RONIT- tu bhale hi V.J ki puri shaktiyon ko use nahi kar sakti,par tu aaj kal bilkul uske jaise hi ghuma firakar baat karne lagi hai...
RONIT ki baat sunkar AVANTIKA muskura uthi....
RONIT- ab muskurana chhod aur bata ki kya karen????
par is baar bhi AVANTIKA ne kuch kaha nahi bas apne dil par haath rakh apni aakhen band kar li.....
AVANTIKA ke aisa karte hi uske DIL waali jagah par ek tez roshni hui aur us roshni ke beech safed dhuen ki shakal lekar ek aakriti ban gayi.....
us aakriti ke bante hi AVANTIKA ki aankhen khul gayi.....
AVANTIKA ki aankh khulte hi RONIT usse kuch puchna chahta par usse pehle hi.....
AVANTIKA- ye V.J ki urja hai......shayad isse kaam ban jaaye......!!!!
RONIT ko ab bhi AVANTIKA ka plan samajh nahi aaya tha par isse pehle ki wo AVANTIKA se kuch puchta,AVANTIKA ne us aakruti ya fir ye kahun ki V.J ki urja ko RONIT ki taraf ishara kiya.....
aur agl hi pal..........
RONIT- ye kya hai??isne mujhe gher kyun liya hai????
toh hua ye ki AVANTIKA ke ishara karte hi us urja bhari aakruti ne RONIT ko chaaro taraf se gher liya....aisa lag raha tha maano RONIT ne us aakruti ko odh liya hai...
us aakruti ne RONIT ko chaaron taraf se ghera zaroor tha par usse chua nahi tha...aur wajah,V.J ki urja ka touch RONIT bardasht nahi kar paata...
AVANTIKA- ab paani ki taraf jaa...shayad ab tujhe kuch naa ho!!!!
RONIT-shayad....!!!!!
AVANTIKA ne apne kandhe uchka diye....
RONIT- saali ye dosti kya kya karwati hai....???
RONIT ne ek lambi saans chhodi aur paani ki taraf chal pada..uske saath saath hi usse cover kiye hue V.J ki urjaatmak aakruti bhi chal rahi thi...
aur jaise hi RONIT ne paani me apna pehla kadam rakha,uski khushi ka thikana nahi raha...reason,is baar usse kuch nahi hua tha...
usne palat kar AVANTIKA ki taraf dekha jiske chehre par bhi is waqt santushti ke bhaav the....
AVANTIKA- RONIT tumhe nadi ke beech jaana hai....aur wahan se exact neeche ki taraf tairna hai....V.J ussi jagah par paani ke gehraayi ke last point par dhyaan lagata hai...
RONIT- wo jagah kitni gehraayi me hai???
AVANTIKA- exact toh nahi keh sakti par near about 150 to 200 feet....kya tum ye kar paaoge...???
RONIT- haan,training ke waqt ladhte hue bhi 30 minute tak toh mai saans rok leta tha....mere khayal se utna time kaafi wahan jaakar waapas aane ke liye...
par wahan last point par jaakar mai karunga kya???
AVANTIKA- ye toh mujhe bhi nahi pata...par itna guaranty ke sath keh sakti hun ki wahan tumhe koi na koi kaam ki cheez zaroor milehgi...
agar tumhe kuch important lage,toh usse apne saath le aana....
RONIT- thik hai....
ye bol RONIT paani ke andar jaane ke liye palta hi tha ki....
AVANTIKA- RONIT....wahan andar kuch bhi ho sakta hai....ye mat bhoolna ki wahan V.J kyun jaata hai..ASMODEUS ki shaktiyon ke presuure ko control karne ke liye....
isiliye wahan neeche zarror V.J ki dhyan ki urja se nikalne waali shaktiyon ke saath saath ASMODEUS ki wo shaktiyan bhi nikal kar moujud hongi jisse V.J ne khud ko control karne se rok rakha hai.....
aur wo shaktiyan behad khatarnaak ho sakti hain.....isiliye dhyan se.....
RONIT- mere saath toh V.J ki urja hai..mujhe kuch nahi hoga???
AVANTIKA- exactly...tumhare saath V.J ki urja hai isiliye ASMODEUS ki shaktiyan tumhara sidhe taur par kuch bigaad nahi paayengi...par wo chup bhi nahi baithengi...
isliye apna dimag khula rakhna....kuch bhi ho jaaye,thande dimag se soch kar faisla karna...aur koi bhi important ya kuch alag si chiz dikhe,toh usse apne saath le aana.....
RONIT ne apna sir haan me hilaya aur wapas mud paani me dive laga di....
AVANTIKA- GOD,please help him.....
jahan AVANTIKA apne finger cross karke idhar udhar bechaini se tahalne lagi wahin...
RONIT-wow yaar,kitna saaf paani hai......
RONIT paani me tairta hua aage badha aur kuch hi der me wo MERCIA RIVER ke beech me tha...centre me pahunch RONIT ne apni saans kheenchi aur agli hi pal RONIT ka sharir paani ke andar tha....
MERCIA RIVER ko beech se chirta hua RONIT ka sharir neeche ki taraf jaa raha tha...
neeche jaate jaate paani ki shudhta aur swacchata ko nihaarta hua RONIT man hi man is paani ki duniya ki taarif karte karte aage badh raha tha....
RONIT aadhe se zyada safar tay kar chuka tha....RONIT ne apni aakhon se dekhne ke range ko bhi badha liya tha...RONIT bina koi tention apne manzil ke kareeb pahunch hi raha tha ki.....
RONIT- arre,itne saaf paani ke beech ye maila bawandar kaisa....?????
toh hua ye ki RONIT ab paani ke last point se kuch feet hi door tha ki usse apne niche ek jagah ek bawandar dikha jiska colour mitti ki tarah tha....
RONIT sidhe us bawandar ke paas naa jaate hue us bawandar waali jagah ke thoda right side jaakar rook gaya aur us bawandar ko dhyaan se dekhne laga...
kuch hi seconds me RONIT ko us bawandar ke baare me pata chal gaya jisse figure out karte hi wo shock ho gaya...
RONIT- oye teri....ye bawandar nahi machliyan hain.....
kuch yaad aaya doston..ye wahi machliyan hai jo V.J ke dhyaan lagate waqt usse ghere rehti thi aur is waqt wo saari machliyan ek bohot bada jhund banakar us jagah ke tezi se chakkar kaat rahi thi jis jagah par V.J baith kar dhyan lagaya karta tha....
un machliyon ka colour halka mitti jaisa tha jis wajah se unke ghumte waqt wo mitti se uthne waale bawandar ki tarah dikh rahe the....
jaise hi RONIT ko pata chala ki uske saamne ghum rahi cheez bawandar nahi machliyan hain toh wo un machliyon ke paas jaane laga par tabhi......
machliyan jo bohot tezi se ek hi jagah par gol gol ghum rahi thi,unhe ye abhaas ho gaya ki koi unke paas aa raha hai....aur agle hi pal un saari machliyon ne ek naya formation banaya...
dekhte hi dekhte un machliyon ne ek diwal ka roop le liya.....aisa lag raha tha maano wo machliyan RONIT ko rok rahi hon aage badhne se.....
RONIT ye sab dekhkar shocked ho gaya..par abhi uske paas zyada der tak shock me rehne ke liye time nahi tha isiliye wo aage badhne laga....
RONIT ko naa rookta dekh un machliyon me se kuch machliyon ne teer ka formation le liya aur agle hi pal......
kamaan se chhute teer ki gati se hi wo machliyan RONIT ki taraf aane lagi....
par RONIT ne kuch bhi nahi kiya..wo ek jagah par sidha hokar rook gaya aur tabhi....
paani ke andar hi bijli si chamki aur agle hi pal wo saari machliyan jo RONIT ko maarne aa rahi thi,wo mar chuki thi.....
toh hua ye ki RONIT se takraane se pehle hi un machliyon ko V.J ki us urja se takrana pada jo is waqt adrishya thi....
V.J ki urja se takraate hi wo saari machliyan mar gayin....aur agle hi pal.....
ussi urja se jo is waqt RONIT ko ghere hue thi,ek tez ray nikli aur jaakar saamne khadi machliyon ke diwal se takraayi....
is prahar se aadhi se zyada machiyon ne dum tod diya aur baaki ki machliyan bhaag gayi....
ab saamne ka nazara ek dum saaf tha par jo chiz RONIT ke saamne aayi,usse dekhkar RONIT ko ek baar firse shock laga.....
is waqt us jagah par jahan V.J dhyan ki awashta me baiththa tha,wahan ek shark ki size ki machli baithi hui thi jiske sharir se halki halki white light nikal rahi thi.....
par sabse shocking baat ye thi ki ek bade shark ke size ki wo machli jo is waqt RONIT ke aankhon ke saamne thi,wo asal me un choti choti machliyon me se ek thi jo abhi thodi der pehle bawandar ka roop lekar gol gol ghum rahi thi.....
RONIT- saala ye kya panga hai....????zaroorat se zyada toh nahi khaa liya isne jo itni faile gayi....
ab tak RONIT us machli ko ghur kar dekh raha tha
par tabhi uska dhyan apne chaaron taraf faile urja ki taraf gaya jo ab dheere dheere visible hone lage the...ab is naye parivartan ko RONIT samajhne ki koshish kar hi raha tha ki........
uaannnmmmmmmm.........
ek ajeeb si awaaz RONIT ke kaano se takrayi ya fir ye kahun ki paani ke vibarations uske sharir se takraaye jisse ye awaaz aa rahi thi....
aur jab RONIT ne saamne dekha toh turant alert ho gaya...reason........wo SHARK numa machli is waqt RONIT ko hi dekh rahi ya fir ye kahun ghur rahi thi....
ussi ke sharir se ye vibrations nikal rahi thi jisse wo ajeeb awaaz baahar aa rahi thi....un vibrations ka asar bohot zyada tha,agar RONIT ke chaaron taraf V.J ki urja nahi hoti toh wo un vibrations ki chapet me aa chuka hota....
RONIT us machli ke kareeb jaane ki soch hi raha tha ki tabhi.......
bijili ki tezi se wo machli RONIT ki taraf badhi.....uski speed itni tez aur impactful thi ki us puri jagah me me bhukamp sa aa gaya...
isse pehle ki RONIT kuch react karta
........BOOM..........
.......RONITTT........
ye awaaz AVANTIKA ki thi..jab se RONIT paani ke andar gaya tha,tabhi se AVANTIKA paani ke us jagah ko ghur rahi thi jiske exact neeche is waqt RONIT gaya tha....
guzarte waqt ke saath AVANTIKA ki bechaini badhti hi jaa rahi thi ki tabhi........
paani ke beech ek tez blast hua....is blast se RIVER ke beech ke hisse ka paani kai meter tak upar uchal gaya aur isiliye AVANTIKA ke mooh se RONIT ki cheekh nikal gayi thi....
wahin niche......
RONIT- haash..bhala ho V.J ki urja ka,bach gaya....
toh hua ye ki us machli aur RONIT ke beech V.J ki urja thi...wo machli sidhi ussi urja se takrayi aur door jhitak gayi....
RONIT ko toh kuch bhi nahi hua par impact bohot powerful tha jis wajah se dhamaka hua....
RONIT-arre arre,ye saali toh fir se aa rahi hai...
BOOM......BOOMMM....BOMMM........
us machli ne dobara RONIT par humla kiya par natija wahi nikla...V.J ki urja se takrakar wo door jhitak gayi....
isse us machli ko ghussa sa aa gaya....usne lagatar kayi baar V.J ki urja ko todne ki koshish ki par naakamiyab rahi par uske prayason se paani me kayi dhamake hue...
aur un dhamakon ka asar paani ke baahar tak gaya.....bohot zyada maatra me paani bahar uchalne laga jisse dekh AVANTIKA ki tention aur badh gayi....
AVANTIKA ko is baat ki koi tention nahi thi RONIT ko paani ke andar kisi waar se koi nuksaan hoga,usse pata tha ki V.J ki urja ko koi bhed nahi sakta...
usse is baat ki tention thi ki RONIT ke saath kisi prakar ka koi chhal naa ho jaaye.....aur hua bhi wahi........
kuch der tak lagatar attack karne ke baad wo machli ek jagah shaant khadi ho gayi aur RONIT ki taraf dekhne lagi...
wahin jabse us machli ne RONIT par humla kiya tha,tab RONIT ne uske skin se nikalti white light ko dhyan se dekhe jaa raha tha.....
us white light me bhi wahi urja thi jo is waqt RONIT ko ghere hue thi....par us white light ke beech me halki halki black lines bhi thi jisse figure our karte hi RONIT samajh gaya tha ki ye lines actual me kya hain????
ASMODEUS ke khoon se nikalne waali urja jisse V.J ne control kiya tha..RONIT ko ye bhi andaza ho chuka tha ki ho naa ho,is machli ne V.J ki urja ko nigal liya hai...
par V.J ki urja ke sparsh se hi isse mar jaana chahiye tha par ye zinda hai aur wo bhi ek naye aur vikraal roop dhaaran kar..
aur ye sab sambhav ho paaya hai ussi negetive energy ki wajah se jo V.J ki urja ko lapete hue thi..us energy ne us machli ko naa sirf jeevit rakha balki usse expand kar shaktishaali bhi bana diya......
pata nahi kyun par RONIT ko feel ho raha tha ki ho naa ho,issi machli se usse aur AVANTIKA ko koi clue milega.....
RONIT ye sab soch hi raha tha ki tabhi.....
ANJALI.........
paani ke andar hone ke baawajud RONIT us paani ko rok nahi paaya jo is waqt uski aankhon se nikal rahe the....
dil me ek tez dard ko jhelte hue RONIT apne saamne ke nazaare ko dekh raha tha......
darasal baat ye thi ki jis jagah wo machli khadi thi,is waqt us jagah ANJALI khadi thi....
ANJALI.....RONIT ki mohobbat......uski zindagi jisse mout ne gale laga liya tha....par is waqt wahi ANJALI jo ki behad khubsoorat dikh rahi thi,RONIT se kuch door uske saamne khadi thi.....
safed roshni se nahayi hui ANJALI RONIT ki taraf dekhe jaa rahi thi....ANJALI ne apna haath aage kiya maano RONIT ko apne paas bula rahi ho.....
RONIT bhi kisi anjaani taakat se vashibhoot sa hokar ANJALi ki taraf tair pada par tabhi......
ANJALI.......................
ek baar firse RONIT ke mooh se ye awaaz nikli par is baar RONIT ki awaaz me khushi nahi dard tha,ghussa tha.....
reason.....wo SHARK nooma machli jo ki gaayab ho chuki thi,wo firse prakat ho chuki thi....aur is waqt wo ANJALI ke charon taraf ghum rahi thi...
thik ussi tarah se jaise ek SHARK apne shikar ko apne jabdon me jakadne se pehle uske chaaron taraf ghumti hai...
ANJALI- mujhe bachalo RONIT......mai firse tumse juda nahi hona chahti..mai marna nahi chahti RONIT.....please mujhe bacha lo....
ANJALI ki guhaar sunkar RONIT ka ghussa badh gaya..wo tezi se aage badha par isse pehle ki wo ANJALI ya us SHARK ke paas pahunchta.......
RONIT ke sharir ko ek jhatka laga aur wo rook gaya....usne phir koshish ki par naakamiyab raha...usse aisa lag raha tha ki uske saamne koi adrishya diwar ho jo usse aage badhne se rok rahi ho....
ANJALI- ye V.J ki urja hai RONIT jo tumhe aage badhne se,apni mohobbat ko bachane se rok rahi hai...mujh tak pahunchne ke liye tumhe is V.J ki urja ko khud se alag karna hoga.....
RONIT- par mai ye karunga kaise???
ANJALI- dil se,apni puri iccha se is urja ko thukra do....ye tumhe chhod kar chali jaayegi...fir tum mujh tak pahunch mujhe bacha sakte ho aur uske baad sirf hum honge aur hamara pyar hoga....
AHHHH........
ANJU...........
ANJALI ke haathon se khoon nikal raha tha jisse usse bohot zyada dard ho raha tha..toh hua ye ki ANJALI ki baat khatm hote hi us SHARK numa machli ne ANJALI ke haathon me apne daath gada diye par bas ek second ke liye...
aisa hote hi ANJALI ek haathon se khoon nikalne laga aur uske mooh se cheekh nikal gayi....
wahin RONIT ANJALI ke baaton ke baare me soch raha tha..wo soch raha tha ki kya usse V.J ki urja ka tyag karna chahiye ki tabhi uske kaano me ANJALI ki cheekh gunji..
aur jab usne is cheekh ki wajah dekhi toh uska dimag ghum gaya..usne soch liya ki wo V.J ki urja ka tyag kar dega...
RONIT apni aakhen band kar V.J ki urja ko jaane ke liye kehne hi waala tha ki....
ANJALI-jaldi karo RONIT....V.J ke wajah se hi hum dono alag hue the...aur aaj bhi wahi hamare beech diwaar ban raha hai..is diwar ko girakar apni anju ko bacha lo RONIT.....
RONIT apni aakhen band kar V.J ki urja ka tyag karne hi waala tha ki itne me uske kaano me ANJALI ki baat gunji....
aur ANJALI ki baat sunkar RONIT ki aankhen ek jhatke me khul gayi....
RONIT ek baat ache se jaanta tha ki kuch bhi ho jaaye,ANJALI V.J ke baare me kabhi kuch galat nahi bol sakti....
aur is soch ke RONIT ke dimag me ubharte hi usse AVANTIKA ki kahi gayi baat yaad aayi....
ASMODEUS KI SHAKTIYAN TUMHARA SIDHE TAUR PAR KUCH NAHI BIGAD PAAYENGI..PAR WO CHUP BHI NAHI BAITHENGI.....ISILIYE APNA DIMAG KHULA RAKHNA......
RONIT man me- oye teri ki...matlab ye sab jhooth hai.......
RONIT ne saamne dekha jahan ANJALI chilla chilla kar RONI000t se V.J ki urja ka tyag karne ki request kar rahi thi...
RONIT- tum meri ANJALI nahi ho sakti....tum ASMODEUS ki maaya ho....mai V.J ki urja ka tyag nahi karunga.....
NAHI.............
yahan RONIT ki baat khatm hui wahan ANJALI ki cheekh gunj gayi aur aisa hote hi ANJALI roshni me tabdil ho uske aas paas ghumte SHARK ke andar sama gayi
ANJALI ke khudme samate hi us SHARK ke body se ek baar fir vibrations nikle aur wo dugni tezi se RONIT ki taraf lapki....
par ab RONIT ne is khel ko khatm karne ka soch liya tha....
jaise hi wo SHARK RONIT ke kareeb pahunchi,RONIT ne apni ankhen band kar V.J ki urja ko SHARK ko lapetne ke liye nivedan kiya aur agle hi pal......
uuaaannmmmm.........
SHARK ke mooh se ajeeb ajeeb awaazen aane lagi...is waqt SHARK ki puri body ko V.J ki urja ne khudme lapet liya tha aur dheere dheere wo urja SHARK par kasne lagi thi jis wajah se SHARK ko taklif hone lagi aur wo awaazen karne lagi.....
kuch der tak aisa chalta raha par fir achanak......
BOOM..............
is baar ka dhamaka pehle se zyada impactful tha par V.J ki urja ne us dhamake ke impact ko observe kar liya jisse RONIT ko koi nuksaan nahi hua......
par phir bhi dhamake ki wajah se RONIT ne apni aakhen band kar li thi...thodi der baad jab RONIT ne apni aakhen kholi tab.....
RONIT- ab ye kya bala hai?????paas jaakar dekhta hun......
jahan kuch der pehle wo SHARK V.J ki urja ke lapete me aakar tadap raha tha,ab us jagah par ek roshni jagmaga rahi thi....
aur jaise hi RONIT us roshni ke paas gaya,usse ek naya jhatka laga....wo roshni darasal ek paani ke bulbule se aa rahi thi..par RONIT ke shock hone ka reason wo paani ka bulbula nahi balki us bulbule ke andar ki chiz thi....
darasal us paani ke bulbule ke andar kuch likha hua tha....aur jab RONIT ne us likhawat ko gaur se dekha tob usse jhatka laga...
us bulbule ke andar likha tha AVANTIKA.....
par RONIT ne zyada nahi socha..aur us bulbule ke neeche apna haath rakha...
RONIT ko ye dekhkar ek baar fir shock laga ki wo bulbula uske haathon me chipak sa gaya tha maano wo khud aisa chahta ho....
us paani ke bulbule ko apne hatheli ke upar rakhe rakhe RONIT upar ki taraf tairne laga...
wahin RIVER ke side khadi AVANTIKA kabhi paani ki taraf dekhti toh kabhi apne haathon me bandhi ghadi ki taraf..
RONIT ne usse kaha tha ki wo
aadhe ghante tak apni saansen rok sakta hai aur aadha ghanta khatm hone me kuch hi minutes baaki the...
har guzarte pal ke saath uski bechaini badhti chali jaa rahi thi...AVANTIKA ne apni aakhen band ki aur RONIT ki salamati ki dua maangi..
pray karne ke baad jaise hi AVANTIKA ne apni aakhen kholi.......
uski khushi ka thikana nahi raha...usse paani ke upar RONIT ka chehre dikhayi de gaya..is waqt RONIT zor zor se haanf apni saanson ko dusrust karne me laga hua tha...
AVANTIKA ne man hi man GOD ko thanks kaha..apni khushi ke beech uski nazar RONIT ke right hand ki hatheli ki taraf gayi jisse RONIT halka uthaye hue tha..
uski hatheli me jo bhi chiz thi usse halki halki roshni nikal rahi thi jisse AVANTIKA ki nazaron ne bhi dekh liya tha...
us chamakti cheez ko dekh AVANTIKA ko yakin ho gaya ki ho naa ho ye wahi cheez hai jisse usse V.J ke thik hone ka clue milega..
aur is baat ke zehen me uthte hi AVANTIKA ki khushi ka thikana nahi raha.....wo besabri se RONIT ki taraf dekhne lagi jo is waqt apne right hand ko hakla hawa me utha apne left haath se tairte hue uski taraf aa raha tha....
aur kuch hi der me RONIT RIVER ke tath ke paas pahunch chuka tha jiski gehrayi bas uske ghutno tak thi....
jahan RONIT chalta hua AVANTIKA ki taraf aane laga wahin AVANTIKA jigyasa bhari aakhon se RONIT ke hatheli ke upar us jagmati chiz ko dekh rahi thi..
aur jaise hi RONIT AVANTIKA ke kareeb pahuncha.......
paani ka wo bulbula jo ab tak RONIT ke hatheli ke upar tha,wo hawa me udta hua AVANTIKA ke saamne rook gaya...
aisa hone par AVANTIKA ko bhi RONIT ki hi tarah shock laga aur reason bhi same tha...
AVANTIKA ko us chamakte paani ke bulbule ke andar apna naam likha hua dikha...
wo sawal bhari nazare liye RONIT ki taraf dekhne lagi....
RONIT- mujhe mat dekh yaar..mujhe iske baare me kuch idea nahi hai...tune jaise kaha tha maine waisa kiya aur uska result ye nikla...
ye bulbula jiske andar tera naam hai....
AVANTIKA- par ye tujhe mila kahan??aur wahan andar hua kya tha???yahan baahar paani me kuch dhamake bhi hue the....
fir RONIT ne jo bhi wahan paani ke neeche hua,wo sab AVANTIKA ko bataya jisse sunkar AVANTIKA ko zyada shock nahi laga kyunki usse andaza tha ki aisa hi kuch hoga....
khair,RONIT ki saari baat sunane ke baad AVANTIKA ki nazar wapas uske saamne hawa me rook us paani ke bulbule par theher gayi..
wo us bulbule ko dhyan se dekh samajhne ki koshish kar hi rahi thi ki.....
RONIT-AVNI...tera haath dekh....
RONIT ki baat sun jaise hi AVANTIKA ki nazar apne right hand par gayi toh usse ek jhatka laga...
reason,uske haath se bhi waise hi roshni nikal rahi thi jaise us paani ke bulbule se nikal rahi thi....
kuch der tak apne haathon ko confusion ke saath dekhne ke baad achanak AVANTIKA ke dimag ki batti jali aur uske mooh se nikla....
AVANTIKA- BHAVISHYAWAANI........
AVANTIKA ke mooh se bhavishwaani sunkar ek pal ke liye RONIT bhi chownka par fir usse ISLA ke FOUNTAIN ke andar AVANTIKA ko mile bhavishwaani ke baare me yaad aaya jiske baare me AVANTIKA usse bata chuki thi....
wahin AVANTIKA apne haath me ubharte roshni waali jagah ko sehlate sehlate sochne lagi ki aage kya kiya jaaye.....
ek baar firse uski nazar us paani ke bulbule ki taraf chali gayi jsike andar ussika naam likha hua tha....
kuch sochkar AVANTIKA ne apna left haath aage kiya..aisa karte hi wo paani ka bulbula AVANTIKA ki hatheli ke upar aa gaya...
AVANTIKA apne hatheli ko apne right hand ke kareeb lekar aayi jahan se roshni nikal rahi thi....
jaise jaise wo paani ka bulbula aur uska right hand paas aa rahe the,AVANTIKA ko aisa lag raha tha maano dono ek dusre ko kisi chumbak ki tarah kheench rahe hon...
aur jaise hi AVANTIKA ki left hatheli uske right hand ko touch hui......
AVANTIKA ke sharir ko ek tez jhatka laga..reason.....paani ka wo bulbula jo uske left hatheli par tha,wo uske right hand ko chute hi fath gaya..us bulbule ke andar paani se hi AVANTIKA ka naam likha hua tha...
bulbule ke fathte hi wo paani AVANTIKA ke right hand par gir gaya.....aur aisa hote hi AVANTIKA ko jhatka laga par uske age hi pal......
AVANTIKA ke haath ki roshni aur badh gayi aur dekhte hi dekhte wo roshni baahar aane lagi...
baahar aate hi us roshni ne dobara ussi charre ka roop le liye jaisa AVANTIKA ke haath me samane se pehle tha....
bas fark sirf itna tha ki is baar jo charra uske saamne tha,wo paani se bana hua tha...
wo roshni ka charra hawa me uth gaya aur ek jagah jaakar rook gaya par wo apni jagah par gol gol ghum raha tha........
RONIT ko toh kuch samajh nahi aaya par AVANTIKA samajh gayi thi ki BHAVISHYAWAANI ka waqt aa gaya hai.......
wahin kuch der tak apni jagah par ghumne ke baad achanak wo paani se bhara roshni ka charra ruk gaya aur agle hi pal uske andar se ek unchi bhaari bharkam awaaz gunji......
BHAVISHWAANI...............
mere sparsh se rakht ki
jakad DHEELI HOGI....
par sampoorn upchaar
us paani se hoga,
jisme mohobbat me nikli
namkeen paani MILI HOGI....
AAJ KE LIYE ITNA HI.....
AAPKA APNA V...J........
Very nice update bhaiAB TAK AAPNE PADHA KI RONIT MERCIA RIVER KE ANDAR SE CLUE LAANE ME SAFAL HO JAATA HAI AUR WO CLUE AUR KUCH NAHI BALKI EK BHAVISHWAANI HAI....
AB AAGE:-
FINAL CHAPTER
(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)
UPDATE-97
PLANET- GLUTO
PLACE- PALACE HALL
KAHAN HO VIKRAM?????ITNA SAMAY BEET GAYA,KYA TUMHE AB TAK HUMARI TAKLIF MEHSOOS NAHI HUI ....???
aaj SHAILA ko apne hi mahal me daasi bane pure ek saal ho gaye the....in ek saal me usne GOD aur VIKRAM ko din raat yaad kiya tha...
uski dua me uski salamati nahi,balki AKSHAANT aur uske grah ke logon ki bhalayi ki guhaar hoti thi......
ek varsh tak dil hi dil me prarthana karne ke baad aaj SHAILA chilla chilla ka apni vyatha bol rahi thi......
SHAILA- is zillat bhari zindagi se toh mout hi behtar hai..par mera durbhaagya ki mai mar bhi nahi sakti....
agar maine aatmahatya kar li toh wo dusht ladki iska badla meri praja se legi....wo AKSHAANT ko bhi nahi bakshegi jo abhi bhi kitne kasht me hai....
ye kaisi vidambana hai ki mere pyar ke mere aankhon ke saamne kasht me hote hue bhi mai usse bachana toh chhod chuu tak nahi sakti.....
mai ye toh nahi jaanti ki tum abhi tak hume bachane kyun nahi aaye,shayad hamari hi tarah tum bhi kisi mushkil me ho,kintu har baadha ko paar kar tumhe hume bachane aana hi hoga VIKRAM.......
aisi vikat paristhithi me tum hamse mooh nahi mod sakte.....mai har din tumhe pukarungi VIKRAM....
ek naa ek din toh meri guhaar,meri awaaz,meri tadap tumhe sunayi degi....
ITNA SAMAY NIKALNE KE PASHCHAAT BHI TUMHE UMMID HAI KI WO TUMHE BACHANE AAYEGA.....!!!!
ye awaaz SHAILA ke piche se aayi thi....wo jaanti thi ki ye awaaz kiski hai par SHAILA piche nahi palti...usne waise hi baithe hue apni baat kahi......
SHAILA- ummid par toh duniya kaayam hai BHUVIKA......fir mai toh usse ummid lagaye baithi hun jiska dusra naam hi ummid hai.....
ab tak BHUVIKA chalte hue SHAILA ke saamne aa gayi thi.....
BHUVIKA- RAANI se noukraani ban gayi,par aaj bhi tere awaaz ki akad nahi gayi....haan!!!
BHUVIKA ki baat sun SHAILA ke chehre par ek smile aa gayi.....
SHAILA- jab bhaade ki shaktiyon ke gumaan me tu apne aap ko mahashaktishali samajhne ka bhram paal ghamand kar sakti hai,toh maine toh apni saari shaktiyan kadi mehnet se haasil ki hain..
aur ussi mehnet ke fal swaroop mujhe GLUTO ki RANI banaya gaya tha....ghamand toh hoga naa.....
AHHH............AHHHH............
ye dard bhari karah SHAILA ke mooh se nahi balki AKSHAANT ke mooh se nikal rahi thi....jisse sunkar SHAILA ka muskurata hua chehra gum me badal gaya...
toh hua ye ki SHAILA ki baat sunkar BHUVIKA ko aaya ghussa,aur har baar ki tarah BHUVIKA ne SHAILA ke jism ke badle uske dil par waar karna sahi samjha..matlab AKSHAANT par.....
jo ki is waqt thik waise hi hawa me akda hua khada tha jaisa BHUVIKA usse 1 saal pehle chhod kar gayi thi....
BHUVIKA ne apna haath aage kiya...uske aisa karte hi AKSHAANT ki maans peshiyon me khichaav aane laga jisse usse dard hua....
apne premi ke dard ko dekh SHAILA ke chehre me jo parivartan aaya tha usse BHUVIKA ko bohot accha laga....
BHUVIKA- ye mat bhulna ki teri hasi ko rone me badalna mujhe aata hai....dobara mere aage adab se baat karna warna tere priyatam ka haal aur bura kar dungi......
SHAILA asahaya si sir neeche kar baithi thi....usse apni majburi par bohot krodh aa raha tha...wo khudko kos hi rahi thi ki.....
SHAILA ke sharir ko ek jhatka laga...usse is jhatke ka matlab samajh nahi aaya par najaane kyun par achanak usse apne andar ek sheetalta,ek sukoon mehsoos hone lagi thi....
ye wahi waqt tha doston jab AVANTIKA ke saamne BHAVISHWAANI ne khudko khola tha....
darasal baat ye thi ki yudh prashikshan sikhate waqt SHAILA aur baaki ke saare logon ko VIKRAM ne khudse jod liya tha....
par ASMODEUS ke rakht ke prabhav me aane ke baad VIKRAM ka sabhi se connection toot gaya tha.....
par BHAVISHYAWANI ke urja ki wajah se jo ki asal me LORD OF ANGELS ki hi urja thi,ek pal ke liye wo connection wapas SHAILA se jud gaya.....
aur issi wajah se SHAILA ka man halka sa ho gaya tha....SHAILA ko ab bhi apne andar aaye parivartan ka asli matlab samajh nahi aaya tha par najaane kyun usse lag raha tha ki hona ho,ye sab VIKRAM ki wajah se hi hua hai....
aur ye khayal aate hi SHAILA ki goom ho chuki muskurahat wapas aa gayi...
is waqt SHAILA ka chehra neeche tha,isiliye BHUVIKA ko wo muskurahat nahi dikhi...
kuch waqt tak SHAILA ko dekhne ke paschat BHUVIKA gayab ho gayi..uske gaayab hote hi SHAILA ka khushal chehra upar utha....
SHAILA- nadi kitna bhi bada ho jaaye,samandar ke saamne uski koi aukaad nahi....aakhir me usse samandar me milna hi hota hai....
BHUVIKA tera bhi teri behen ki tarah VIKRAM naam ke samandar se milne ka waqt sameep hai....
PLANET- ISLA/WARRIORS WORLD
PLACE- GRAH SETU
EK BAAT BATAO PUTRI.....JAB SE HUM SAB IS GRAH SETU ME FASE HAIN,HUM ME SE AISA KOI NAHI HAI JISKE MAN ME HAMARE BHAVISHYA KE LIYE SAWAL NA UTHA HO.....
SAMAY HI ITNA BEET CHUKA HAI...NA VIKRAM KHUD AAYE AUR NAA HI UNKI KOI KHABAR....AISE ME MAN ME NAKARATMAK VICHAR KA AANA AAM BAAT HAI...
KINTU TUMHARE MUKH KA TEJ,TUMHARA VISHWAS AB BHI PURNATAH KAAYAM HAI....
KYA TUMHE EK SHAN KE LIYE BHI AISA NAHI LAGA KI SHAYAD VIKRAM HUME AZAAD KARNE KE LIYE NAHI AANE WAALE....????
apne pitah ki baat sunkar ALESENDRA muskura di.....
waise KING SOLOMON ki baat kuch hadh tak sahi hi thi.....itna lambe samay tak ek hi jagah fase rehne se kisi ke man me bhi aashanka paida hona laazmi si baat hai...
aisa me lagatar ummid ka diya jalaye har waqt chehre par muskaan liye rehna bohot badi baat hoti hai....
aisi shraddha bohot kam logon me hoti hai jo ALESENDRA me thi.....
ALESENDRA- jab saans lete waqt is baat par shak nahi rehta ki agle pal saans le paayenge ya nahi toh is baat par kaise shak kiya jaa sakta hai ki zindagi bachane waala hume bachane aayega ya nahi....
zindagi dena ISHWAR ka kaam hai aur us zindagi ki raksha karne ka daayitv uske putra ka....VIKRAM par sandeh karna ISHWAR par sandeh karne jaisa hai pitaji....
KING SOLOMON aur unke baaju me unki biwi khadi hokar ALESENDRA ki baatein ya fir ye kahun ki ek abedhya kille ki tarah uske bharose ko sun khush ho gaye.....
KING SOLOMON- tumhare aatmavishwaas se bhari baaton ko sunkar humare man me panap raha sandeh ka baadal bhi chhat gaya putri....
QUEEN ASHLEY- haan putri..bhale hi VIKRAM ko aane me kitni hi der kyun naa ho,par ab hum pure vishwas ke saath unke aagman ki pratiskha karenge.....
apne pitha aur maa ki baat sunkar ALESENDRA ke chehre par muskurahat aa gayi...
ALESENDRA ki nazaren yunhi ghumte ghumte DEFENDER ki taraf gayi aur DEFENDER ko dekh ALESENDRA ke maathe par sawalon ke bal aa gaye....
wo chalte hue DEFENDER ki paas pahnch gayi...
is waqt DEFENDER ki aakhen band thi par unke chehre par muskaan thi....issi muskaan ko dekh ALESENDRA DEFENDER ke paas aayi thi taaki wo is muskurahat ka kaaran jaan sake....!!!!!
DEFENDER ko bhi is baat ka ehsaas ho chuka tha ki koi unke paas khada hai isiliye unhone apni aakhen khol di...apne saamne ALESENDRA ko dekh DEFENDER ki smile aur badh gayi..
reason...dhyan se bahar aakar wo ALESENDRA ko hi bulane waale the par usse pehle hi ALESENDRA unke saamne thi....
DEFENDER- mai tumhe hi bulane wala tha putri.....acha hua ki tum swayam mere paas aa gayi.....
ALESENDRA- aadesh den DEFENDER????
DEFENDER- mujhe is GRAH SETU se baahar jaana hoga.......
DEFENDER ki baat sunkar ALESENDRA chownki....
ALESENDRA- kya baahar ka khatra samapt ho gaya???
DEFENDER- nahi....par mera jaana awashayak hai.....
ALESENDRA DEFENDER se unke is faisle ka kaaran jaanana chahti thi kintu fir bhi wo chup rahi...
par DEFENDER ALESENDRA ke man me umad rahe sawaalon se bhali bhaati parichit the...
DEFENDER- pichle baar jab mere chehre par khushi aur dukh dono ke bhaav aa jaa rahe teh,aur jab tumne mujhse iska kaaran pucha tha toh maine kya uttar diya tha???
ALESENDRA- yahi ki VIKRAM ke saath kuch chhal hua hai jisse unki LORD OF ANGELS ki urja unse door ho gayi hai issi wajah se aap dukhi the aur khush isliye the kyunki wo urja ab AVANTIKA ke andar moujud hai aur surakshit hai....
DEFENDER- hmm...aur aaj bhi mere chehre par aaye khushi ke bhaav ko dekh kar hi tum mere saamne ho taaki iska kaaran jaan sako...haina???
ALESENDRA- ji DEFENDER.....
fir DEFENDER ne ALESENDRA ko apne khush hone ka raaz bataya aur ye bhi bataya ki wo kyun GRAH SETU se baahar jaa rahe hain....
ALESENDRA- DEFENDER ki baat sunkar ALESENDRA khush bhi hui aur thodi chintit bhi.....
ALESENDRA- ye toh bohot khushi ke baat hai par jo haalaat hain,kya unme aapka baahar jaana uchit hai....
DEFENDER-nishchint raho putri..mujhe kuch nahi hoga...aur waise bhi mera baahar jaana awashayak hai.....
tum bas is baat ka khayal rakhna ki meri anupastithi se yahan koi chintit naa ho..apne maata pitha aur LORD CRUSEDAR se bas itna kehna ki mai kisi aawashayak kaarya se baahar gaya hun.....
ALESENDRA- jaisa aap kahen DEFENDER.....
DEFENDER GRAH SETU ke pravesh dwaar ke saamne khade ho gaye...DEFENDER ke pravesh dwar ke saamne pahunchte hi ek second ke liye pravesh dwar khul gaya...
aisa hote hi DEFENDER turant baahar aa gaye....DEFENDER ke baahar aate hi wo pravesh dwar band ho gaya....
aaj ek varsh pashchaat DEFENDER ISLA ko dekh rahe the...is waqt ISLA andhere me dooba hua tha....
aur iska kaaran tha ki pure ISLA ko aur WARRIORS WORLD ko BEELZEBUB aur BHUVIKA ne apne kaale jaadu ke madad se baandh diya tha...
jis wajah se surya ki sakaratmak shakti ISLA aur WARRIORS WORLD me nahi pad paa rahi thi....
DEFENDER ISLA ko dekh hi rahe the ki.......
DEFENDER se kuch hi door unke saamne ek zor ki bijli kadki aur agle hi pal us bijli ke beech me se ek kaala saaya baahar aaya...
par us kaale saaye ko dekhkar DEFENDER ke chehre par koi expression nahi aaye maano wo jaante the ki aisa kuch hone waala hai...
wo kaala saaya DEFENDER se kuch kadam door aakar rook gaya...
KAALA SAAYA- maine ummid nahi ki thi ki tum apne bill se baahar aane ka saahas dikhaoge....
DEFENDER- maine bhi ummid nahi ki thi ki ASMODEUS ne tumhe yahan ka chowkidaar niyukt kiya hoga BEELZEBUB.....
DEFENDER ki baat sunkar BEELZEBUB ke chehre par krodh ki silwaten doud gayi....
BEELZEBUB- dekh raha hun ki ek varsh tak kaayaron ki tarah chhupe rehne ke baad bhi tumhare zubaan ko zung nahi laga hai....
ummid karta hun ki tumhari zuban ki hi tarah tumhari shaktiyan bhi thik thaak chalengi kyunki aise hi tumhe maarne me mujhe maza nahi aayega....
DEFENDER- mera kaam mere grah ke logon ki salamati hai BEELZEBUB.aur mujhse hi unke houslen jude hue hain....
unki salamati aur ummid ke liye mujhe bhi chupna pada....aur rahi baat meri shaktiyon ki toh aazma kar dekh lo.....
VISPURATI VIBJUTI
VIBRATE POWER
DEFENDER ne bina samay gawayen apna pehla SPELL bol diya....
DEFENDER ke SPELL bolte hi BEELZEBUB ke chaaron taraf hawa ke tez aur behad shaktishali vibrations hone lage...
ye VIBRATIONS itne strong the ki BEELZEBUB ke pair ladkhada gaye...kuch pal ke liye BEELZEBUB ko apni shaaririk shaktiyan kamzor si padti hui mehsoos huin...
BEELZEBUB ne apni aakhen band ki aur apni aantrik urja ko mehsoos karne laga..aisa karte hi BEELZEBUB ki kamzori khatm hone lagi aur jab aisa hua........
ANUVARTITA
REVERT
BEELZEBUB ke SPELL bolte hi uske sharir se dher saari kaali shaktiyan ek pressure ke saath nikli aur sidhe jaakar hawa me ho rahe vibrations se takrayin......
aur jaise hi aisa hua,hawa ki vibrations khatm ho gayin......
BEELZEBUB ne bhale hi DEFENDER ke SPELL ko kaat diya ho par DEFENDER ke bole gaye SPELL ke impact ko dekhkar wo hairan tha....
har SPELL ki taakat usse bolne waale ke upar hoti hai...SPELL ki taakat se hi usse bolne waale ki takat ka andaza ho jaata hai...
BEELZEBUB ko ummid nahi thi ki DEFENDER itna shaktishali hoga.....
DEFENDER- bohot acche BEELZEBUB.....dum toh hai tumme par tumhare pitah waali baat nahi hai...wo sochne me itna samay vyarth nahi karta.....
BEELZEBUB- mere pitah jaisi baat is bramhaand me kisi ki nahi hai..tumhare VIKRAM me hi nahi.....
DEFENDER- sahi waqt aane do,tumhari ye galat fehmi bhi door ho jaayegi bacche....
BEELZEBUB- wo waqt jab aayega tab aayega,par afsos tum us waqt ko dekhne ke liye jivit nahi bachoge....
DEFENDER- meri zindagi ki ghadiyan khatm karne ka dum tujhme nahi hai BEELZEBUB...chaahe toh koshish karke dekh le.....
MAAYA JAKDAM
MAGIC CLENCH
BEELZEBUB ke SPELL bolte hi DEFENDER ko ek adrishya taakat ne jakad liya......aur aisa hote dekh BEELZEBUB ke chehre par ek muskaan naach gayi....
BEELZEBUB- ab kya karega DEFENDER..ab mai aaram se tera sir tere dhad se alag kar dunga aur tu chatpane ke alawa aur kuch nahi kar paayega...
BEELZEBUB ki baat ka DEFENDER ne koi jawab nahi diya..DEFENDER ne bas apni aankhen band ki aur.....
PARIVARJITA
DEVOID
DEFENDER ke SPELL bolte hi wo adrishya taakat jisne unhe jakad rakha tha,wo hat gayi...
jahan free hote hi DEFENDER ne apne haath ko jhatka wahin unhe apne SPELL ko itni asaani se kaatatha dekh BEELZEBUB shocked ho gaya.....
BEELZEBUB ke hairani se bhare chehre ko dekh kar DEFENDER ke chehre par muskaan aa gayi.....
DEFENDER- tumhe kya laga ki bas tum hi SPELLS ko kaatna jaante ho...????
DEFENDER ki baat sunkar BEELZEBUB ko ghussa aa gaya....
BEELZEBUB- ab bas..bohot hua khel....ab tujhe marna padega....
BEELZEBUB ne apni aakhen band ki aur apni saari shaktiyon ko apne dono haathon me laane laga...
BEELZEBUB ke aisa karne se mousam aur kharab hone laga....abhi tak har taraf halka halka andhera tha,par ab mousam aur dark hone laga tha...
DEFENDER bhi samajh gaye ki BEELZEBUB apni puri shakti se unpar waar karne wala hai aur agar aisa ho gaya toh wo bach nahi paayenge......
isse pehle ki BEELZEBUB apna SPELL uccharit kare,DEFENDER ko apni safety ke liye kuch na kuch karna tha isiliye.....
PARMESHWAR KAWACHAM PRAKATAM
GODS BARRIER APPEAR
SAMPOORN VINASHAM
COMPLETE DISRUCTION
jaise hi DEFENDER ne SPELL bola uske agle hi pal BEELZEBUB ne bhi napna SPELL uchharit kar diya.....
BEELZEBUB ke SPELL bolte hi uske haathon se dher saari maatra me kaali rays nikli aur ek zordar garjana karte hue DEFENDER ki taraf badhi.....
aur jaise hi wo kaali rays DEFENDER ke kareeb pahunchi........
BOOMMMMM........
ek tez dhamaka hua..is dhamake ka impact itna zyada tha koi BEELZEBUB ke sharir ko bhi ek tez jhakta laga aur wo niche gir gaya....
jahan DEFENDER khade the,is waqt wahan kuch bhi nahi dikh raha tha kyunki wahan dhul hi dhul faila hua tha....
kuch der baad jab dhul chatta toh wahan ka nazara clear hua aur saamne ke nazaare ko dekh BEELZEBUB ke chehre par smile aa gayi...
reason....DEFENDER ka sharir neeche zamin par pada hua tha....antim baar DEFENDER ko dekhne ki icha liye BEELZEBUB chalte hue unke kareeb pahuncha par jaise hi wo DEFENDER ke paas aaya uski aankhen hairat se faile gayi.....
reason.....DEFENDER zinda the aur is waqt dheere dheere khade ho rahe the..
darasal DEFENDER BEELZEBUB ki SPELL ki wajah se nahi gire the balki khudke kahe gaye SPELL ki wajah se gire the...
DEFENDER ne jis SPELL ko bola tha us SPELL ko bolne aur istemal karne ki shamata sirf GODS MESEENGER ko thi..
par kyunki VIKRAM ne DEFENDER ko shaktiyan pradan ki thi isiliye DEFENDER bhi is SPELL ko bol sakte the par uske impact ko wo puri taraf jhel nahi paaye aur SPELL ki wajah se unke sharir se nikli urja se aayi kamzori ki wajah se wo gir gaye....
VIKRAM ki wajah se wo ye SPELL ka successfully use toh kar gaye the par is SPELL ka unke upar ek side effect bhi hua tha....
aur wo ye ki ab jis kawach se wo chaaron taraf se ghire hue the,ab wo chahkar bhi usse nikal nahi sakte the..ab ye kawach unke liye ek kism ka jail ho gaya tha....
is sach se DEFENDER bhi awgat the iske baawajud unhone iska uchharan kiya tha....
DEFENDER ab khade ho chuke the par ab bhi unke chehre par kamzori saaf jhalak rahi thi.BEELZEBUB jo ki unke saamne khada tha wo ab bhi aankh faade DEFENDER ko dekh raha tha....
jab DEFENDER ki nazar BEELZEBUB par gayi toh wo hans pade....
DEFENDER- aise kya dekh raha hai BEELZEBUB..mai tere SPELL ki wajah se niche nahi gira tha balki tere spell ko kaatne ke liye bole gaye apne SPELL ki urja se gira tha....
BEELZEBUB- asambhav.....
DEFENDER- asambhav!!!haan asambhav toh hai aur jaanta hai kya???tera is kawach ko bhedna......chaahe toh koshish karke dekh le....
BEELZEBUB ne DEFENDER ke kawach ko todne ke liye ek ke baad kayi saare SPELLS bole par koi faayeda nahi hua..
kawach waisa ka waisa hi intact raha.....jaisa ki maine bataya tha ki SPELLS ka asar uske bolne waale ke shaktiyon ke upar nirbhar karta hai,isiliye SPELLS usse bolne waale ki urja nichod usse thaka bhi dete hain...
back to back itne saare SPELLS bolne ki wajah se BEELZEBUB ke upar bhi thakan hone lagi thi.....
DEFENDER-maine kaha tha naa BEELZEBUB,is kawach ko todna tumhare liye asambhav hai....wapas loutne ke siwa tumhare paas aur koi chaara nahi hai.....
BEELZEBUB ne apni aankhen band ki aur apne right hand ko apne dil ke upar rakha..
BEELZEBUB ke sharir se black energy ki ek moti ray nikalkar DEFENDER ke chaaron taraf faile gayi.....
chaaron taraf failne ke baad wo kaali rays gayab ho gayi.....
BEELZEBUB- abhi toh mai jaa raha hun DEFENDER..par mai wapas aaunga...
mere sharir ki suchna shakti ne tumhare kawach ko charon taraf se ghera hua hai...jis lamhe tum apne kawach se baahar aaye,meri in rays se mujhe iski suchna mil jaayegi aur ussi shan mai tumhare saamne prakat ho jaaunga....
aur jis din hamara dobara aamna saamna hua,wo din tumhare zindagi ka aakhri din hoga...
BEELZEBUB ne apni baat bohot krodh me kahi thi par uski baat sunkar DEFENDER ke chehre par smile aa gayi.....
DEFENDER- mai tumse ek waada karta hun BEELZEBUB....aur wo ye ki jis din bhi humara dobara saamna hua,us din mai tumhare waar ka jawab tak nahi dunga par iske baawajud tum mera kuch nahi bigad paaoge...
mujhe maarna toh door agar tumne mujhe neeche tak gira diya toh mai tumhara gulaam ban jaaunga....
BEELZEBUB ne ek baar ghur kar DEFENDER ko dekha aur gaayab ho gaya.....
DEFENDER- ISLA aur WARRIORS WORLD aapki pratiksha kar rahe hain..jaldi aaiyega LORD OF ANGELS.......
PLANET- EARTH
PLACE- SECRILLA
TUJHE KUCH SAMAJH ME AAYA KYA???KYUNKI MERE TOH SIR KE UPAR SE GAYA....
AVANTIKA- no clue yaar...mere bhi sir ke upar se nikal gaya.....
bhavishwani puri hote hi wo paani se bana charra wapas AVANTIKA ke haath me chala gaya tha....
AVANTIKA aur RONIT kaafi der tak us bhavishwaani ki baat ya fir ye kahun ki uski di gayi paheli ko samajhne ki koshish karte rahe par sab bekar.....
unhe kuch bhi samajh nahi aa raha tha....
AVANTIKA- filhal ke liye sochna band karte hain...waise bhi aaj ka pura din kaafi stress full raha hai....filhal ghar chalte hain....
RONIT- cool......
RONIT ne ussi jagah ke liye MAGIC DOOR khol diya jahan se wo yahan aane ke liye nikle the...
AVANTIKA aur RONIT DOOR se hote hue us jagah par pahunch gaye...
is waqt shaam ke 7 baj rahe the......
RONIT- kaafi late ho gaya hai..hume ghar jaana chahiye.....
AVANTIKA- haan,chal....
AVANTIKA apni car lekar aayi thi jabki RONIT paidal hi yahan aaya tha.uska ghar paas me hi tha...
garden se bahar aakar jaise hi RONIT ne AVANTIKA ko bye kaha.....
AVANTIKA- chal tujhe chhod deti hun....
RONIT- mai paidal chale jaaunga..mera ghar paas me hi hai.....tu jaa tere ghar waale tention le rahe honge....
AVANTIKA-nahi wo mai ghar par bata kar aayi thi ii raat tak aaungi..aur waise bhi mai abhi apne ghar nahi V.J ke ghar jaa rahi hun.....
RONIT-V.J ke ghar..kyun????
AVANTIKA- kyun matlab???mera sasural hai...mai nahi jaaungi toh aur kaun jaayega....???
AVANTIKA ne sidhe sapat tarike se apni baat kahi par uski baat sunke RONIT ko hasi aa gayi....
RONIT- abhi se sasural.....!!!!!badi besabri hai tujhe....
AVANTIKA-bilkul hai...mera bas chale toh abhi V.J se shaadi kar lun par us khadus ka dimag abhi khiska hua hai...propose karungi toh mana kar dega....
RONIT- aisa....toh ek kaam karte hain,mai aunty aur uncle ko tere aur V.J ke baare me bata deta hun..wo usse mana lenge...
AVANTIKA- bata de..par tujhe pata hai ki abhi V.J ke dimag me short circuit hua hai..kahin teri baaton se bhadak kar tujhe dho naa de......
RONIT- haan yaar,ye baat bhi hai..idea cancel....chal mai bhi tere saath chalta hun..mai bhi V.J se mil lunga....
AVANTIKA aur RONIT AVANTIKA ki car me baith V.J ke ghar ki taraf chal pade....
AVANTIKA V.J ke ghar sirf isiliye nahi jaa rahi thi kyunki usse abhi milne ka man ho raha tha...
uske V.J ke ghar jaane ke piche ek aur kaaran bhi tha...darasal baat ye thi ki jab se AVANTIKA SECRILLA se wapas aayi thi,tabhi se usse uske andar kuch mehsoos ho raha tha...
usse aisa lag raha tha jaise V.J ki urja usse kuch batana chahti hai par wo usse samajh nahi paa rahi hai....
V.J ki urja bhale hi abhi AVANTIKA ke andar thi fir bhi jab jab V.J AVANTIKA ke saamne aata tha tab AVANTIKA ke andar ki urja zyada active ho jaati thi.....
aur AVANTIKA ko kuch na kuch pata chalta tha....exams ke waqt jab V.J aur AVANTIKA ka aamna saamna hua tha tab AVANTIKA ko GRAH SETU aur GLUTO ke baare me pata chal gaya tha.....
agli baar DELHI me mulakat ke baad jab AVANTIKA wapas MUMBAI aayi thi tab bhi V.J se milne ke baad urja ke active hone asar bacha hua tha....
AVANTIKA ko pura bharosa tha ki jo baat V.J ki urja AVANTIKA ko batana chahti hai,wo V.J ke saamne aate hi usse clear ho jaayega.....
ye sab baatein sochte sochte AVANTIKA aur ki car V.J ke ghar me entry kar gayi......
car park kar jaise hi AVANTIKA car se baahar aayi........
AVANTIKA- oh shit.......
AVANTIKA ke mooh se nikle ye shabd sunkar RONIT aakhon me sawaal liye uski taraf dekhne laga.......
AVANTIKA- gaadi me baitho...batati hun....
AVANTIKA turant wapas gaadi me baith gayi..RONIT bhi confused si shakal liye wapas apni seat par baith AVANTIKA ki taraf dekhne laga.....
AVANTIKA ne turant car ghuma li.....
darasal baat ye thi ki V.J ki shakti aseem thi...V.J jahan bhi hota tha,uske aas paas ki sab jagah uski shakti ke daayre me aati thi....
aur issi baat ka asar abhi abhi hua.....jaise hi AVANTIKA ne apne kadam gaadis e baahar rakhe,V.J ki urja jo ki AVANTIKA ke andar thi,wo V.J ki shaktiyon ke contact me aa gayi..
aisa hote hi AVANTIKA ko us baat ke baare me pata chal gaya jis baat ko V.J ki urja kuch der se AVANTIKA ko batana chahti thi....
RONIT- batayegi bhi ki kya hua aur hum kahan jaa rahe hain.....???
AVANTIKA ne RONIT ko V.J ki urja aur us urja ka usse sanket dene ke baare me bata diya..AVANTIKA ne usse bataya ki wo V.J ke ghar kyun jaa rahi thi...
aur ye bhi ki V.J ke ghar ke lawn me kadam rakhte hi usse us sanket ki wajah pata chal gayi......
RONIT- par V.J ki urja tujhe kya batana chahti thi,wo toh bata????
AVANTIKA- kuch der rook.sab pata chal jaayega....
AVANTIKA apni car ko tez bhagate hue aage badhi aur ussi garden ke paas aakar rooki jahan se wo dono SECRILLA gaye the aur wapas aaye the....
RONIT- hum toh wahin aa gaye jahan kuch der pehle the...
par AVANTIKA ne RONIT ki baat ke jawab me bas itna kaha ki....
AVANTIKA- chal andar..sab pata chal jaayega....
AVANTIKA aur RONIT MAGIC DOOR se purane garden me aaye the jo ki hamesha band hi rehta tha par is waqt wo dono naye garden me aaye the jahan abhi kaafi log the...
shaam ke waqt is garden me logon ka sair karna aam baat thi....
AVANTIKA bechaini se ek aur aage badhti chali gayi....
RONIT bhi uske piche piche chup chaap chal raha tha....
AVANTIKA khudse hi chal toh rahi thi par actual me V.J ki urja usse guide si kar rahi thi....
kuch der tak chalne ke baad ek bench ke paas aakar AVANTIKA rook gayi.....
AVANTIKA ke saamne bench par ek ladki baithi hui thi jiske aankhon me is waqt aansu the.....wo aankhon me aansu aur dar liye idhar udhar dekh rahi thi....
aur jaise hi us ladki ki nazar AVANTIKA par padi.....uski dar bhari aankhon me ek chamak aa gayi..wo bench se uth khadi huyi....
wahin RONIT ki nazar abhi tak us ladki par nahi pade the..wo AVANTIKA ke paas aaya aur...
RONIT-ab batayegi bhi ki hum yahan kyun aaye hain???
AVANTIKA ane kuch kaha nahi bas saamne bench ki taraf ishara kar diya...
AVANTIKA ki ungli ka picha kar jaise hi RONIT ki nazar saamne gayi,ek pal ke liye RONIT ko pehle toh jhatka laga par agle hi pal uski aankhon me ghussa tairne laga....
AVANTIKA aur wo ladki toh ek tak ek dusre ko dekhne me busy the isiliye un dono ka RONIT ki taraf dhyan nahi tha...
RONIT-subah toh tu bach gayi par is baar mai tujhe nahi chhodunga BHUVIKA......
RONIT ki baat AVANTIKA ke kaano se takrayi par isse pehle ki wo usse rokti,RONIT tezi se aage badha aur......
ummmm.....ummmmmm.....ummmmm.......
RONIT ne us ladki ke gale ko pakad usse hawa me utha diya....wo ladki dard se chatpatane lagi thi....
AVANATIKA turant RONIT ke paas pahunchi....
AVANTIKA- uska gala chhodo RONIT....wo mar jaayegi..
Par RONIT ne jaise AVANTIKA ki baat suni hi nahi..uske haath ki pakad ab bhi sakht hi thi...qahin us ladki ki aankhen bhi ab band hone lagi thi...
AVANTIKA- tumhe ANJALI ki kasam hai....usse chhodo RONIT.
AVANTIKA ke mooh se ANJALI ki kasam sunte hi RONIT ki haath ki pakad dheeli ho gayi...
Us ladki ke gale ko chhod wo avishwas bhari nazaron se AVANTIKA ko dekh raha tha....uske chehre par abhi bhi bohot ghussa dikh raha tha...
wahin wo ladki zor zor se saans lete hue khus ko theek karne ki koshish kar rahi thi...
AVANTIKA ne RONIT ka baazu pakda aur usse thoda door le gayi....
Fir AVANTIKA ne kuch kaha ya fir ye kahun ki ek aisa khulasa kiya jisse sunkar RONIT ke chehre par jo ghusse ke expressions the wo tyrant second me gayab ho gaye...
usse AVANTIKA ki baat par yakin hi nahi ho raha tha...AVANTIKA bhi jaanti thi ki uski kahi baat par yakin karna RONIT ke liye kya kisike liye bhi bohot mushkil hai...
AVANTIKA- ye sach hai RONIT...aur iske baare me isse bhi nahi pata.....
YE LADKI BHUVIKA NAHI BALKI USKI BEHEN
ANALIA HAI
AAJ KE LIYE ITNA HAI......
AAPKA APNA V..J.......