• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE.....( MAGIC + ROMANCE )(Completed)

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI DEFENDER KO USKI SHAKTI WAPAS MIL JAATI HAI WAHIN DUSRI TARAF VIKRAM PAANCHON KE SAAMNE 2 TESTS RAKHTA HAI JISME SE FISRT TEST ME SAB PAAS HO JAATE HAIN...
AB AAGE:-







CHAPTER-2









( CURSE OF THE SWEET POISON )







UPDATE- 77







PLANET- GLUTO......








PLACE- NISHKALIKA'S PALACE.....









kya baat hai gudiya???aaj tu badi khush dikh rahi hai......

BHUVIKA- khushi ki hi toh baat hai naa didi....mai najaane kabse aapke grah ke vaarshik yudh spradha ko dekhna chahti thi...

aur aakhir wo samay aa hi gaya jab meri ye khwahish puri hone waali hai.....

ye kehkar BHUVIKA phir se uchalne lagi....


subah ka waqt hai....aaj GLUTO ke vaarshik yudh pratiyogita ki taiyariyon ko shuru hue ek hafta ho chuka tha.....

waise toh GLUTO me zyadatar taiyariyan MAGIC se hi hoti hain par kyunki is pratiyogita me bhaag lene ke liye bohot se grahon ke raajgharon se bhi log aate hain,isiliye unke swaagat ke liye vishesh taiyariyan ki jaati hai....

GLUTOSTAV.........jis waqt NISHKALIKA ne pehli baar is pratispradha me bhaag liya tha,tab is spradha ka yahi naam hua karta tha....

par jabse NISHKALIKA ne is spraddha ko jeetkar GLUTO me shaashan karna shuru kiya hai,tabse is spraddha ka naam badal kar NISHKALIKA UTSAV rakh diya gaya hai...

is pratiyogita me jitne bhi paratispadhi acha performance dete hain,unhe NISHKALIKA achi keemat dekar apni hi sena me rakh leti hai....

NISHKALIKA ka janm WARRIORS WORLD ki tabahi ke kaafi baad hua tha....

aur ye kehna galat nahi hoga ki ek waqt par jo rutba WARRIORS WORLD ki sainya taakat ka tha,aaj ki taarikh me waisa hi rutba NISHKALIKA ki sainya bal ka hai....

jaisa ki maine bataya ki pratiyogita ke baad har acha yodha NISHKALIKA ke sainya bal ka sadasya ban jaata hai,isiliye agar kisi grah ke raaj gharaon ko unme se koi yodha pasand aa jaata hai aur wo usse apne saath le jaana chahte ho toh iski unhe NISHKALIKA ko ek bohot bhaari keemat deni hoti hai....

toh yahi hai NISHKALIKA UTSAV ki kahani aur sach.....aur jaise hi BHUVIKA ko is spraddha ke aayojit hone ki khabar mili,wo bohot excited ho gayi......


NISHKALIKA- ek baat toh bata..tujhe toh maar kaat,ladhayi,jhagda bilkul bhi pasand nahi....fir yudh spraddha ke liye tu itni utawali kyun hai???

BHUVIKA- arre toh ye kaun si asli ladhai hai....ye toh bas ek spraddha hai....aur spraddha waali yudh dekhne me kya burayi...

NISHKALIKA- hmm...toh fir tu yahan kya kar rahi hai....maidan me abhi bohot se pratiyogi apna naam likhane ke liye aaye honge....jaa,jaakar wahan ke mahoul ka lutf utha.....

BHUVIKA- arre haan,ye toh mai bhul hi gayi thi..thik hai didi..mai maidan jaati hun...

ye bolkar BHUVIKA waise hi uchhalte kudte hue bahar nikal gayi....


MAHARANI NISHKALIKA KI JAY HO.....


abhi NISHKALIKA apne kaksh me jaane ke liye uthi hi thi ki itne me wahan dwarpaal aa gaya....

NISHKALIKA- bolo dwarpaal,kya samachar laaye ho.....????

DWARPAAL- aapse bhet karne ke liye WARRIORS WORLD aur ISLA ke maharaaj apne parivaar ke saath aaye hue hain....

NISHKALIKA- sammaan purvak andar le aao....

DWARPAAL ne ek baar apna sir jhukayaa aur wapas chala gaya...

aur thodi hi der baad NISHKALIKA ke sabha bhawan ke andar LORD CRUSEDAR aur ISLA ke maharaj KING SOLOMON apni family ke saath upasthith hue.....

NISHKALIKA- aapko aur aapke pure pariwar ko punah dekhkar bohot acha laga KING SOLOMON.....asha karti hun ki har baar ki tarah is baar bhi aap yodhaon par boli avashya lagayenge....

NISHKALIKA UTSAV me hone waale yudh spraddha ko dekhne aane waale bohot se log yodhaon par paise lagate the jisme se ek naam KING SOLOMON ka bhi tha....

isse GLUTO ke aaya me bohot vriddhi hoti thi....

KING SOLOMON- wo toh hum lagayenge hi maharani NISHKALIKA aur saath hi apne saath is saal ke spraddha me acha pradarshan karne waale kuch yodhhaon ko bhi saath le jaayenge.....

NISHKALIKA- awashya.....

KING SOLOMON- par hamara abhi aapse milne aane ka mukhya kaaran hai aapko inse milana...ye hain WARRIORS WORLD ke KING LORD CRUSEDAR.....

NISHKALIKA- aapka swagat hai LORD CRUSEDAR GLUTO me.....

NISHKALIKA ke abhivaadan ka jawab LORD CRUSEDAR ne halki si apne sir ko jumbish dekar ki...

LORD CRUSEDAR ko NISHKALIKA ke andar ek bohot hi strong negetive energy feel ho rahi thi...

wo yahan rehna nahi chaahte the par majboori vash rooke hue the....

KING SOLOMON- maharani NISHKALIKA,LORD CRUSEDAR bhi hamari hi tarah yahan se kuch yodha apne grah me lejaana chahte hain....

NISHKALIKA- ye toh bohot achi baat hai...hume bhi inki maang puri karne me bohot khushi hogi kintu........

NISHKALIKA ke kintu pe atakne se KING SOLOMON aur LORD CRUSEDAR chownk gaye...

KING SOLOMON- kintu!!!

NISHKALIKA- kintu is baar yodhaon ka mulyankan karna thoda mushkil hoga...

KING SOLOMON- hum samjhe nahi.....

NISHKALIKA- is baar har yodha ke chunaaw ki shuruati boli 1 lakh sikke honge........

SAB-KYA....!!!!!!!!

ALESENDRA- par itne adhik kyun????har saal toh shuruati boli 10 hazar sikke hua karte the...ek saath 10 guna tak mulya badha dena,ye toh anuchit hai....

NISHKALIKA- toh fir aap boli me bhaag mat lijiyega....

NISHKALIKA ne ek laalchi muskaan ke saath short me apni baat bol di.....

NISHKALIKA ke jawab ko sunkar LORD CRUSEDAR aur KING SOLOMON ko ghussa toh bohot aaya par wo jaante the ki is waqt wo NISHKALIKA ke grah par hain...

aur uske upar zaroorat bhi unhi ki hai isiliye dono shaant hi rahe.....

NISHKALIKA- aap sab hamare khaas mehmaano me se hain....

aaj ka din hamare is sundar grah aur hamari mehmaan nawaazi ka lutf uthayiye aur kal se shuru hone waali spraddha ka aanand lijiye...

hume apne mahautsav ke taiyaariyon ke niriskhshan hetu jaana padega....baad me mulakat hogi.....

ye bolkar NISHKALIKA bina kisi ki taraf dekhe ya abhivaadan kiye baahar nikal gayi...



KING SOLOMON- 1 lakh sone ke sikke..wo bhi shuruati boli!!!!!hume nahi lagta ki ye souda kahin se bhi uchit hai....

LORD CRUSEDAR- par hamare paas aur koi upaay bhi toh nahi hai.....

hume ache yodhaon ki atti awashaykta hai...

ALESENDRA- upay kaise nahi hai....DEFENDER.....aur ab toh unke paas unki shaktiyan bhi lout aayin hain.....hum unse madad le lenge....

LORD CRUSEDAR- nahi putri..ye sab rajnitik masle hain..aisi pareshaniyon ke liye hum DEFENDER ki madad nahi lete...

aur waise bhi is waqt wo GRAH SETU jaise mahatvapurn kaarya me uljhe hue hain...aise me unse aur kuch maangna anuchit hoga...

ALESENDRA- toh kya hum NISHKALIKA ki maangon ko maan len.....

LORD CRUSEDAR-hum aur kar bhi kya sakte hain....????

KING SOLOMON- aap kabse itne nakaratmak ho gaye LORD CRUSEDAR....aap bhul rahe hain ki aapne apne dum par WARRIORS WORLD ko is bramhaand ka sabse taakatwar grah banaya tha....

agar aap ek baar ye kaam kar sakte hain,toh dobara bhi kar sakte hain....

LORD CRUSEDAR- par usme kaafi waqt lag jaayega....aap toh jaante hain ki aisi bohot si BLACK ENERGIES waale grah hain,jo kabhi bhi WHITE ENERGIES waale grahon par aakraman kar dete hain...

agar abhi ya nikat bhavishya me un grahon me se kisi grah ne humpe akraman kar diya,toh hum haar jaayenge....

KING SOLOMON- aisa kuch nahi hoga.....aur aisa kuch hua toh uske liye hamare paas DEFENDER toh hain hi naa....

chalo,yahan se chalte hain....ab hum yahan se koi bhi yodha nahi le jayenge...

LORD CRUSEDAR ko KING SOLOMON ki baat thik lagi aur unhone bhi wapas jaane ka nirnay liya...

abhi sabhi ne apne kadam aage badhaye hi the ki.......


KAHIN JAANE KI ZAROORAT NAHI HAI...WAHIN RAHO....JO BHI TUMHE CHAHIYE,WO MIL JAAYEGA......

ye awaaz ALESENDRA ke kaano me gunji thi jisse sunkar ek pal ke liye toh ALESENDRA chownk gayi par jaise hi usse is awaaz ke maalik ke baare me yaad aaya uska chehra khil utha.....


ALESENDRA man me- VIKRAMMMM.......

ALESNEDRA- hume kahin jaane ki zaroorat nahi hai....

ALESENDRA sabse piche chal rahi thi..ALESENDRA ki awaaz aur baat sun sab chownk gaye aur ek saath piche patlte....

KING SOLOMON- kya hua putri....???aur jaane ki zaroorat kyun nahi hai????

ALESENDRA- wo aapko kal pata chal jaayega....filhal ke liye itna bata deti hun ki kal aap sab ki 2 khwahishen puri ho jaayengi...

ALESENDRA ki baat ka matlab kisiko bhi samajh nahi aaya....

LORD CRUSEDAR- kaun si do khwahishen putri???

ALESENDRA- wo aapko kal pata chal jaayega...abhi ke liye mujhpe vishwas kijiye aur jaisa us NISHKALIKA ne kaha,yahan ki sukh suvidhaon ka aanand uthayiye...

sabne ALESENDRA se kuch aur der tak uski baaton ka matlab pucha par usne kal ka bol kar sabko taal diya...

aakhir me ALESENDRA ki baat maante hue sabne rookne ka faisla kar liya aur apne mehmaankhaano ki taraf nikal pade...







PLANET-EARTH







PLACE- MAGICAL DIMENSION







TOH TUM SAB TAIYAR HO.......?????




meri is baat par sab jawab dena chhod ek dusre ki taraf dekhne lage.....

jahan ye sab ek saath milkar bhi mujhse yudh karne me ghabra rahe the wahin AVANTIKA ye soch kar ghabra rahi thi ki mai akela itne saare logon se kaise ladunga....

ji haan doston,AAJ mere doston ke final test ko dekhne ke liye AVANTIKA madam bhi aayi hui hai....

jaisa ki aap sab ko maalum hai ki aaj mere doston ka final test hai....aur wo test hai mere saath yudh.....

AVANTIKA ko kal college me jab ANJALI aur RONOT ne kal ke training ke baare me bataya toh wo humse kaafi naaraz hui..

iski ye wajah thi ki maine usse kal rest karne ke liye kaha tha...

ANJALI aur RONIT to ab normal nahi rahe par AVANTIKA ki body toh normal hi thi...

WARRIORS WORLD ke adventure aur jhatko se ubharne ke liye AVANTIKA ko time chahiye tha isiliye maine usse kal aane se roka tha..

par usne aaj aane ki zid ki jiske liye main maan gaya..

yahan aakar usne jab SHAILA MOKALSAR aur AKSHAANT ko dekha aur ye jaana ki wo bhi dusre grah se hain toh usse fir jhatka laga..

aur jab usse ye pata chala ki aaj test me mai akela un paanchon se ladunga toh wo ghabra gayi kyunki usne ANJALI aur RONIT ko ladte hue dekha tha aur RONIT ne usse ye bhi bata diya tha ki baaki ke teen bhi unhi ke jitne hi powerful hain....

MAI- guyzz,mai jaanta hun ki tum sab kya soch rahe ho...par tum sabko tention lene ki koi zaroorat nahi hai kyunki mai waise hi ladunga jaisa apni training ke waqt ladta tha...

jahan AVANTIKA ko meri baat ka matlab samajh nahi aa raha tha aur wo puch bhi nahi sakti thi kyunki maine usse kaha tha ki jab waqt aayega toh usse sabkuch apne aap hi pata chal jaayega....

wahin meri baat ko sunkkar mere frnz khush ho gaye....

RONIT- toh aisa bol naa bhai...chal thik hai,apni zindagi me pehli baar haarne ke liye taiyar hojaa....

mai RONIT ki baat sunkar muskura diya....

MAI- tum sabko mujhe harana nahi hai...bas mujhpe safaltapurvak 1 waar karna hai....

meri baat sunkar sab fir shocked ho gaye...

ANJALI- are u sure.....

MAI- damn sure babes...chalo fir,shuru karte hain.....

paanchon ne mujhe ek round shape lekar gher liya.....

abhi tak mere haathon me koi bhi hathiyar nahi aaya tha jabki un sab ke haathon me talwar thi.....


aur agle hi pal..........



SAAYENNNN......

SAAYEENNNNN........


mujhpar do humle ek saath hue.....aur ye dono humle SHAILA aur ANJALI ne kiye the.....

pehle humle me unhone apne apne talwar meri taraf feke........

dono ki hi talwaare ek jaisi speed ke saath meri taraf badhi aur uske agle hi pal unhone apna dusra humla mujhpe kiya....

is humle me unhone khud ko hi hathiyar bana liya tha...

apni talwar ke hi shape me dono apni jagah se meri taraf kude.....

jaise hi dono talwar mere pass pahunche,maine apne sir ko halka sa peeche kar liya aur........

TANNNNNNNN............

mere just aankhon ke saamne mujhse 3 inch door dono hi talwaro ki nok aapas me takraaye.....

dono talwaaron ke nok se takraate hi maine apni ek ungli ko saamne jhatka sa diya..

meri ungli dono talwaron ke nok se takrayi aur aisa hote hi talwaar ghum gaye aur mere dono haathon me dono talwaar ki mooth aa gayi.....


aur agle hi pal.........

ek saath do cheeze huin......

mera sharir apni hi jagah par hawa me uchal gaya.... maine apne dono pairon ko full strech kar diya....

ANJALI aur SHAILA jo apne ek ek haath ko mutthi ki shakl dekar udte hue mere taraf aa rahe the,dono ki mutthi mere strech ho chuke pairon ke peeche ke hisse se takraaye....

aur theek ussi waqt maine apne dono haathon me pakdi talwar ko saamne aur peeche tezi se ghumaya jisse hawa me itni zyada energy paida hui ki saamne aur peeche se udte hue aa rahe MOKLASAR aur AKSHAANT ke sharir ussi energy ke prabhav me aakar wahin gir gaye....

par abhi humle hone khatm nahi hue the...

mera bhai RONIT abhi baaki tha jo front flips maarta hua tezi se meri taraf aa raha tha...

aur jaise hi mere talwaaron ke dwaara paida hui shakti se MOKALSAR aur AKSHAANT, aur mere pairon se takrakar ANJALI aur SHAILA gire,tab tak RONIT mere paas pahunch chuka tha.....

par jaise hi uske pair mere sir ke paas pahunche,mai halka side hat gaya aur wapas ghumne se pehle hi maine uske pair ko apne pairon ke beech jakad liya....

wahin girne ke baad baaki chaaron turant apni jagah par khade ho gaye the aur meri taraf badh rahe the..

maine apne dono haath zamin par tikaye aur maine RONIT ko uske pairon ke zariye jisse maine jakad rakha tha,tezi se gol ghumana shuru kiya...

aur kuch spins ke baad maine RONIT ko AKSHAANT aur MOKALSAR ki taraf ucchal diya aur agle hi pal mai apne dono haath ko jo ki zamin ko pakde se hue the,unhe jhatka diya jisse agle hi pal mai ANJALI aur SHAILA ke saamne khada tha....

ye sab second ke 10ve hisse me hua tha jiski wajah se ANJALI aur SHAILA ko kuch samajh nahi aaya...

aur jab tak dono sambhalte,maine dono ke baazu ko pakad peeche dhakka diya....

mere piche MOKALSAR AKSHAANT aur RONIT jo ek dusre se ulajh kar gir gaye the,wo ab tak khade bhi ho gaye the aur meri taraf badh bhi agye the....

kyunki meri peeth unki taraf thi,isiliye wo teeno thode careless the....

maine dono ladkiyon ke baazuon ko pakad kar jaise hi dhakka diya,dono ke sharir tez gati se piche ki taraf gaye...

wahin teeno ladke apni taraf yun achanak ladkiyon ko aate dekh hadbada gaye...

SHAILA AKSHAANT ke upar giri wahin ANJALI RONIT ke upar...

par insab ke saath saath MOKALSAR bhi hadbada gaya tha aur uske sambhalne ke pehle hi mai uske saamne tha...

usne mere chehre ko nishana banakar apna haath ghumaya par maine uska haath beech me hi pakad liya aur saath hi uske biscep ke neeche waale hisse par ek punch kiya....

isse uska haath pura sunn padh gaya..usne apna dusra haath ghumaya par maine usse bhi ek punch maarkar sunn kar diya...

wahin dusri taraf baaki chaar bhi ab tak uth chuke the aur sabhi ek saath mere taraf lapke...

par mera sharir unse 10 guna tezi se chaaron ki taraf ghuma aur maine un sab ke wo parts jinme se nas halki baahar nikalkar dikhti hai,usse dabata chala gaya...

isse un sab ki puri body me ek jhunjhuni si paida ho gayi aur wo sab gir gaye..

mujhe pata tha ki un sab ko recover hone me thoda waqt lagega...maine peeche palat kar dekha toh mujhe hasi aa gayi...

AVANTIKA mujhe fati aankhon se dekh rahi thi.maine usse ishare se kya hua pucha??


AVANTIKA- AAKHIR KAUN HO TUM ??????


mai uske sawaal par bas has diya....

MAI- common guys...jaldi utho..real fight me itna time nahi milta....

par meri baaton ka kisipe bhi koi asar nahi hua,wo sab apne sharir ki jhunjhuni ko kam karne me lage hue the...

MAI- theek hai fir...bhul jaao ki mai tum sab ko ab kahin lekar jaane waala hun...aur SHAILA,tum bhi apna badla bhul jaao.....

yahan meri baat khatm hui,wahan do log uth gaye...

ek tha RONIT aur dusri thi SHAILA........

aur un dono ke piche piche hi baaki sab bhi khade ho gaye....

aur is baar un logon ne jo mujhpe humla kiya,wo pehle se 10 guna zyada tez aur shakti se kiya tha...

waise toh mai un sab ke har waar ko aasani se rok raha tha,par uska kaaran ye tha ki bhale hi mai un sab se normally lad raha tha par meri shaktiyon ki wajah se meri speed,movement aur skill un sab se saikdon guna aage thi....

unsab ke waar karne ke tarike ko dekhkar mai andar hi andar bohot khush ho raha tha kyunki unki speed aur taakat ka shayad hi koi yodha saamna kar sakta tha.....

par in paanchon me bhi RONIT aur SHAILA ki speed aur sabse upar unka jazba kaabile taarif thi....

un dono ke har waar lagatar aur ghatak hote jaa rahe the...

hume ladte hue kaafi der ho gaya tha...un paanchon ke chehre par thakan ke bhaav dikhne lage the par RONIT aur SHAILA hi aise the,jinke waar ki speed aur usme istemaal hone waali shakti me zara si bhi girawat nahi aayi thi......

aur jab mujhe laga ki ab hume rukna chahiye,toh maine apni raftar ko 100 guna tak badhate hue ek hi jhatke me un chaaron ke kalayi ko pakad kar jhatak diya...

paanchon peeche ki taraf gir gaye...

MAI- bohot ache doston...tum sab wakayi bohot acche yodha ban chuke ho...

par meri baat ko sunkar bhi paanchon ke chehre utre hue hi the...aur wo isiliye kyunki unhe lag raha tha ki wo apni chunouti par khare nahi utar paaye the...


MAI- doston,tum sab apne test me paas ho gaye....

meri baat sunkar paanchon ek jhatke me khade ho gaye....

SAB- KYA!!!!!!

SHAILA- par kaise??humne toh ek bhi waar thik se nahi kiya???

MAI- kisne kaha??maine kaha tha ki tum sab ko mujhpar safaltapurvak ek humla karna hai,maine tum sab ko mujhe ghayal karne ke liye nahi kaha tha...

tum sab ki speed itni zyada hai ki shayad hi koi yodha tumhare waaron ko rok paaye....

aur muhe yahi dekhna tha..tum sabki gati.....
khaas karke RONIT aur SHAILA tum dono ki gati bohot zyada nikhri hai.....

meri baat sunkar un sab ke murjhaaye chehre firse khil gaye.....

SHAILA- toh ab??????

SHAILA ke sawaal par sab meri taraf utsuk nazaron se dekhne lage.....

MAI-ab waqt aa gaya hai apne purane doston se milne ka....!!!

RONIT- dost!!!!kaun????




MAI- MADDOX aur NISHKALIKA







AAJ KE LIYE ITNA HI.....





AAPKA APNA V...J.....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI BHAAGWATI MAA KE BALIDAN KI WAJAH SE ASMODEUS KA KAWACH TOOT JAATA HAI WAHIN SHAILA YE KHULASA KARTI HAI KI NISHKALIKA NE USKE MAA BAAP KI HATYA KI HAI....
AB AAGE:-








CHAPTER-2










( CURSE OF THE SWEET POISON )






MEGA UPDATE-79





PART-2







PLANET-GLUTO






PLACE- WARRIOR'S CAMP








ITNI BADI BAAT AUR TUMNE HUME BATAYA TAK NAHI.....KYA HUM TUMHARE DUKH BAATNE KE LAAYAK NAHI HAIN......?????


jaise hi SHAILA ne bataya ki uske maata pita ki hatya NISHKALIKA ne ki hai,toh RONIT,ANJALI aur AVANTIKA,teeno jaise kisi sadme me chale gaye the...

par kuch der baad jab teeno normal hue,toh RONIT ne SHAILA se itni badi baat ko chupaane ke liye shikayat ki....

SHAILA- tumhe khud pata hai RONIT ki maine tum teeno ko dil se apna dost maana hai..

aur tumhe ye baat nahi batane ke liye mujhe V.J ne kaha tha....

mera naam sunkar teeno ko ek baar aur jhatka laga,khaas kar ke ANJALI aur RONIT ko....

ANJALI- par kyun????

RONIT- aane do saale ko,batata hun........saari achi cheezen,ache pal hamare hisse me daalkar hamesha dard waale raaste par khud nikal padta hai......

SHAILA- isiliye hi V.J ne mujhe tum dono ko kuch bhi batane se roka tha...wo jaanta tha ki ye sacchayi sunkar tum sab apne aap se niyatran kho baithoge....

jo tumhare prashikshan ke liye thik nahi hoga..

par ab kyunki tum dono ka prashikshan khatm ho gaya hai,isiliye maine bata diya...

SHAILA ki baat dono ko sahi lagi wahin AVANTIKA ke man me V.J naam ki gutthi aur ulajhti jaa rahi thi...

jab bhi usse lagta tha ki wo V.J ko jaanane lag gayi hai,uska ek naya roop usse dekhne ya uske baare me sunane ko milta tha....

jawani ki dehliz me abhi abhi kadam rakhne waale ek noujawan ke andar itni doordarshita hona uske liye ek bohot bada surprise tha...

AVANTIKA najaane aur kya kya sochti rehti par tabhi ANJALI ki awaaz sunkar wo hosh me aayi....

ANJALI- par ab toh tum hume bata sakti ho naa ki ye sab kaise hua????

ANJALI ki baat sunkar SHAILA kuch der tak shunya me ghurti rahi jaise wapas khudko us dil chherne waale waqt me le jaa rahi ho,fir uske lab hile aur usne bolna shuru kiya...

SHAILA- GLUTO ka niyam hai ki jo bhi vaarshik yudh spraddha ko jeetata hai,usse usse pichle saal ke vijeta se ladhna hota hai aur jo us yudh ko jeet jaata hai,wahiyahan ka naya shaashankaar banta hai...

NISHKALIKA se pehle mere PITAH aur MAA is grah ke RAJA aur RANI the.....

SHAILA ki baat sunkar ek baar firse RONIT ANJALI aur AVANTIKA ko shock laga...

SHAILA- issi spraddha ke douran hi meri maa aur pitaji ki pehli mulakat hui thi...

dono hi is spraddha ke antim do pratiyogi the..

par dono ke beech hue yudh ka koi natija nahi nikla.dono me ek si taakat thi....

issi wajah se dono ko hi us varsh ka vijeta ghoshit kar diya gaya...

fir wo dono pichle saal ke vijeta se ladhkar jeet gaye aur issi tarah dono ko hi yahan ka raaja aur raani ghoshit kar diya gaya..

apne shaashan kaal ke douran hi un dono me prem hua aur dono ne vivah kar liya....

mai 10 varsh ki thi jab NISHKALIKA ne is vaarshik yudh utsav me bhaag liya tha....

wo bohot achi yodha thi par uske andar se kaali shaktiyon ki urja saaf dikhti thi....

sabko harakar usne mere maata aur pitaji ko chunoti di....

par parinaam kuch bhi nahi nikla...naahi wo mere pitaji ko hara paayi aur naahi meri maa ko...

aur mere maata pita bhi usse harane me naakamiyab rahe..

tab NISHKALIKA ne kaha ki mere maata pitah ki hi tarah usse bhi ek SHAASHANKARTA ke roop me swikar kar liya jaaye...

par iske liye mere maata pitah raazi nahi the....

aisa nahi tha ki mere maata pitah ke man me satta ka koi moh tha par wo jaante the ki NISHKALIKA ek achi SHAASHANKARTA nahi ban sakti.....

par kyunki NISHKALIKA ko dono hi nahi hara paaye the isiliye wo usse sidhe taur par mana bhi nahi kar sakte the...

isiliye mere pitah ne NISHKALIKA se kaha ki ye faisla GLUTO ki janta karegi....

agar unhone NISHKALIKA ko RANI maan liya toh unhe koi aapatti nahi hai....

agle din is baat ka faisla hona tha....par NISHKALIKA jaatni thi ki yahan ki janta usse apni rani ke roop me kabhi swikar nahi karegi isiliye usne raat ko hi mere maata pita ki unke sote waqt hatya kar di....

mai us waqt mere maata pitah ke paas hi soyi thi....usne mujhe nahi maara bas mere paas aakar mujhse itna boli ki NISHKALIKA ko jo bhi cahaiye hota hai,usse wo kisi bhi haalat me paa kar rehti hai...

mai raat bhar roti rahi.......subah ye baat har taraf faile gayi ki GLUTO ke MAHARAJ aur RAANI ki kisine hatya kar di hai....

aur niyam ke anusar is saal ki vijeta NISHKALIKA ko mere maata pitah ki jagah RANI bana diya gaya...

NISHKALIKA ne mujhe dhakke maarkar mahal se nikalwa diya....ek saal tak mai yahan ke sadkon par sote hue,rote hue jeeti rahi..

par agle saal aayojit hue pratiyogita me mere grah se AKSHAANT ke pitah yahan aaye aur unki nazar mujhpar padh gayi..

wo mere pitah ke bohot acche dost the...meri haalat dekhkar unhe bohot bura laga..maine unhe yahan jo kuch bhi hua hai,uske baare me bata diya...

wo krodh me aakar NISHKALIKA ke saamne pahunch gaye par NISHKALIKA ki taaqat unse kahin adhik thi..usne unhe bohot maara aur unhe adhmara kar ke raaste me fek diya...

kuch samay baad jab unko hosh aaya toh hum dono jaise taise karke apne grah me wapas chale gaye...

unhone mujhe apni beti bana liya...mai,AKSHAANT aur MOKALSAR teeno unse lagatar prashikshan lete rahe aur fir baad me alag alag jagah jaakar kuch na kuch naya sikhte rahe..

jab mujhe laga ki mai ab kaafi kuch sikh gayi hun tab yahan waapas aayi aur spraddha jitkar maine NISHKALIKA ko chunouti di .

par mai ye nahi jaanti thi ki usne bhi tab tak kaafi saari kaali shaktiyan haasil kar li thi..

usne mujhe kaafi aasani se hara diya aur fir mera sabke saamne makhoul bhi udaya....

bas tabhi se mai aur kathin parishram kar rahi thi aur intazar kar rahi thi sahi samaya aane ka....

aur dekho,aaj aakhir me wo sahi samay aa hi gaya...

SHAILA ki baat sunkar sabhi ki aankhon me ek baar firse aansu aa gaye the..sabhi ne usse baari baari se hug kiya...

RONIT- bilkul waqt aa gaya hai aur ab toh uski aur uske us chutiye saathi MADDOX ki aisi haalat karenge ki mout unhe zindagi se aasan lagegi....

Kabhi us MADDOX ne bhi apni kaali shaktiyon ke dum me mujhe bohot maara tha..

V.J ne mujhe promise kiya tha ki ek din mai usse aur uski un kaali shaktiyon ki aisi ki taisi karunga aur aaj wo din aa hi gaya....


abhi koi kuch kehta itne me GLUTO ka ek sainik unke kheme me aaya..

SAINIK- agli baari tum dono ki hai.taiyar ho jaao...

RONIT- beta hum toh taiyar hi hain..aur agli baari humari nahi teri wo RANI NISHKALIKA aur uska naya ch***ye saathi MADDOX ki hai..

RONIT ki baat sunkar sabhi has diye..us sainik ne sabko ghur kar dekha par wo pratiyogiyon ke saath badsalooki nahi kar sakta tha isiliye apni baat khatm kar chup chaap nikal gaya...

SHAILA- chalen fir!!!!

RONIT- chalo.........

aur issi ke saath sabhi ek ke baad ek karke BATTLE FIELD ki taraf nikal gaye.....









PLACE- INFRONT OF CAVE.....








MAI- meri hi shaktiyon ko waapas paane ke liye liye mere hi apno ko kurbaani deni padti hai....

ye bolte waqt mere chehre par ek dard bhari muskaan aa gayi...maine apne kadam andar ki taraf badha diye....

par jaise hi mai us GUFA ke andar pahuncha,jitne bhi DIAMONDS numa shaktiyan wahan hawa me ghum rahi thi,unka prakash aur tej ho gaya....

mai un saare DIAMONDS ko dhyan se dekhne laga....

shaktiyon ki urja se jo tez roshni
un DIAMONDS ke andar se nikal rahi thi,unse meri aankhon ko bohot thandak mil rahi thi...

wahin mere seene me ho rahe vibrations aur tez ho gaye the.apni baaki ki shakti ko apne saamne dekhkar mera SPEAR mere andar machal sa raha tha par kyunki maine abhi tak usse baahar aane ki permission nahi di thi,isiliye wo mere andar hi ghume jaa raha tha....

maine apne seene ke upar haath fera aur kaha....

MAI- chalo,kamsekam tujhe toh koi apna wapas milne waala hai.....CHAL,BAAHAR AAJA......

mere kehne bas ki hi deri thi,agle hi pal ek saath do cheezen hui......


1ST- MERE SEENE KE BEECH EK TEZ UJALA HUA AUR USSI PRAKASH KE BEECH ME SE MERA SPEAR BAAHAR NIKLA....


2ND-JO TEZ UJALA MERE SPEAR KI WAJAH SE HUA THA,WO PURE GUFA ME FAILE GAYA..

AUR JAISE HI US PRAKASH NE UN DIAMONDS KO CHHUA,WO SAARE DIAMONDS GOL GOL GHUMTE HUE EK DUSRE KE PAAS AANE LAGE.....


par ye kya!!!!??????


jaise hi saare DIAMONDS ne ek dusre ko chua,toh ek dusre se takrakar bikharne ki jagah saare DIAMONDS ek DIAMOND ke andar samaane lage...

aur dekhte hi dekhte saare DIAMONDS ne ek DIAMOND ki shakl le li...us DIAMOND se har second alag alag roshni nikal rahi thi....


ki tabhi.......



mere SPEAR ki nok se ek patli si ray nikli aur jaakar us DIAMOND par padi....

ray ke us DIAMOND par padhte hi wo DIAMOND kheenchta hua sa mere SPEAR ke paas aane laga.....

par tabhi kuch aisa hua jisse mujhe ek jhatka laga...

DIAMOND SPEAR ke paas aakar bhi uske andar nahi samaaya,balki uski nok se takrakar wapas piche chala gaya....

fir agle hi pal wo DIAMOND doabara SPEAR ke paas gaya par fir wahi hua..uski nok se takrakar DIAMOND dobara piche hat gaya....

aur fir yahi ghatna kram lagatar hone laga...

par ab sirf yahi nahi ho raha tha....DIAMOND aur SPEAR ke takrane ki wajah se us gufa me halki halki kampan honi shuru ho gayi thi....

maine turant apne haath ko har taraf ghuma diya aur mere aisa karte hi kampan rook gayi...

maine apne aas paas ke sab jagah ko baandh diya tha....

ek mushkil toh aasani se khatm ho gayi thi par is mushkil ke paida hone ki wajah abhi bhi kaayam thi...

SPEAR aur DIAMOND ek dusre se takrakar peeche hat jaa rahe the....

SPEAR toh mere andar thi,isiliye usme toh koi problem nahi ho sakti,isiliye mai samajh gaya ki jo bhi pareshani hai,wo DIAMOND me hi hai....

maine DIAMOND ki taraf apni ek ungli dikhayi aur usse apne paas aane ka ishara kiya...

mere ishara karte hi DIAMOND mere saamne aakar rook gayi...

maine apna ek haath us DIAMOND ke upar ghumaya aur........



PRATYABHIJANA......

DETECT.............




mere mantra ke uccharit karte hi mere haathon se ek ray ki chaadar si nikli aur us chaadar ne pure DIAMOND ko apne andar lapet liya.....

aur iske baad jo hua usse dekhkar meri aankhon ki putliyan badi ho gayin.....

mere mantra ne us DIAMOND ki asli pareshani dhund li thi....ab jo DIAMOND mere saamne tha uski chamak kam ho gayi thi...

mere mantra ke prabhav ki wajah se uski asli problem,KAALI SHAKTI jo ki uske andar samayi hui thi,wo uske chamak ko dhakkar dikhne lagi...

ye wahi kaali shakti hai doston jo us DIAMOND ko DIGVIJAY aur NISHKALIKA ki shakti ko sokhne ki wajah se mili thi...jiski wajah se wo dushit ho gayi thi.....

par jab maine us kaali shakti ke shroth ko pata lagane ki koshish ki toh mai asafal raha...

un kaali shaktiyon ki wajah se ab tak us DIAMOND ne mujhe nahi apnaya tha jiski wajah se mai uske raaz ko nahi jaan paa raha tha....

MAI man me- arre yaar...ek problem khatm hoti nahi ki dusri aa jati hai.....khair,pehle isko shudh kar deta hun,phir toh apne aap hi sab kuch pata chal hi jaayega....

jo ray maine DIAMOND ke andar uski problem ko detect karne ke liye chhodi thi,maine usse ek baar firse yaad kiya.....

mere aisa karte hi us ray ne wapas ek chadar ka roop liya aur DIAMOND ke baahar aa gayi...

par is baar wo akeli nahi thi balki uske saath DIAMOND ke andar moujud BLACK ENERGY ke power ki copy bhi thi....

maine us BLACK ENERGY ke copy ko chua aur.....



VISAGANA......

ANTIDOTE......




aur is mantra ke uccharit hote hi jo jawab mere aankhon ke saamne aaya usse dekhkar mai thoda SHOCKED bhi hua aur khush bhi....


MAI- WAAH,AAJ MERA DARD HI MERI DAWA BAN GAYI.....



aur agle hi pal mai,SPEAR aur DIAMOND us gufa se gaayab ho chuke the.....












PLANET- EARTH.....






PLACE-*********








MAI- kisse pata tha ki aaj wapas wahan aana padega jahan se is safar ki shuruat hui thi...


DHAWALI JHEEL..........kya sanyog hai...
ek baar mere SPEAR ne tujhe dushit kar diya tha aur aaj tu ussi SPEAR ke dusre bhaag ko swach karegi...


ji haan doston.....wo DHAWALI JHEEL hi hai jo mere SPEAR ki baaki ki shakti matlab DIAMOND ko punah swach kar sakti hai....

aur iska kaaran hai mere LORD OF ANGEL banane ke baad nikle hue pehle AANSU....

jo ki aur kahin nahi DHAWALI JHEEL me hi gire the aur issi wajah se DHAWALI JHEEL ke paani me dubki lagane se log rog mukt ho rahe the...

mere LORD OF ANGELS banane ke baad girne waale AANSU me bohot zyada maatra me WHITE ENERGY moujud thi jo ki DHAWALI JHEEL ke paani me girne ki wajah se ek kism ki antidot ban gayi thi......

aur aaj issi antidot se mere raaste ka ek roda khatm hone waala tha....

MAI-shayad isiliye hi HOLY SPIRITS ne apni parikrama ke liye tujhe chuna tha...teri swachhata bade se bade KAALI SHAKTI ko bhi dhokar saaf karne ke kaabil hai....

DHAWALI JHEEL ko wapas dekhkar sirf mai hi khush nahi hua tha,balki wo DIAMOND jisme KAALI SHAKTI ka waas tha,wo bhi gol gol ghumne laga tha...JISKA matlab tha ki usse bhi yahan aane ki khushi thi...

is waqt raat ka teesra pahar chal raha tha.isiliye har taraf ghanghor andhera tha...

aur aage jo hone waala tha uske liye ye time ek dum perfect tha...

maine apna haath aage kar DIAMOND ko aage jaane ki anumati di.....

DIAMOND issi ke intazar me thi...mere ishara karte hi wo DHAWALI JHEEL ke centre ki taraf ud padi aur uske peeche peeche mera SPEAR bhi udte hue jaane laga....

centre isiliye doston kyunki ussi jagah par mere aansu gire the aur issi wjah se sabse zyada urja wahin thi...

DIAMOND aur SPEAR udte hue DHAWALI JHEEL ke beech me pahunche aur rook gaye...

beech me pahunchkar SPEAR toh wahin hawa me hi rooki rahi par DIAMOND apni jagah par gol ghumte ghumte niche jaane laga aur kuch hi palon me wo DIAMOND paani ke andar tha......

wahin maine apna haath ek baar sab taraf ghuma diya..ab DHAWALI JHEEL ke chaaron taraf ek SIGHT SHIELD ban gayi thi.....ye karne ke peeche ek kaaran hai jo aapko kuch hi der me pata chal jaayega...


TABHI..................


DIAMOND ke paani ke andar jaane ke kuch hi palon ke baad pure JHEEL me hulchal shuru ho gayi...

jheel ka saara paani apne aap ko sokhte hue neeche jaane laga aur kuch palon me hi paani se bhara DHAWALI JHEEL puri tarah sookh chuka tha...

yahan tak ki satah ki mitti bhi kadak ho gayi thi...

DHAWALI JHEEL ke theek beech me mere SPEAR ka DIAMOND tez chamak raha tha...

is waqt us DIAMOND ki chamak itni tez thi ki is andheri raat me bhi mere chaaron taraf din sa ujala ho gaya tha...

aur isiliye hi maine SIGHT SHIELD lagayi thi jiski wajah se ye tez roshni mere SHIELD ke daayre me hi simat kar reh gayi thi....

wahin wo DIAMOND ab dheere dheere hawa me uthatha hua SPEAR ki taraf jaane laga par is baar jaise hi SPEAR aur DIAMOND ne ek dusre ko chua............

jo tez roshni har taraf faile hui thi,wo aur tez ho gayi....aur ussi chamakte mahoul ke beech mera SPEAR mere taraf aane laga aur theek mere saamne aakar rook gaya..

ab tak SPEAR ne DIAMOND ki jo ki ussi ki shakti thi,usse puri tarah se observe kar liya tha isiliye SPEAR ki chamak ab kam ho chuki thi....

wahin mai apne SPEAR ko dhyan se dekhne laga...SPEAR ke handle me hi wo DIAMOND halka sa ubhar kar fit ho gaya tha jisse SPEAR ki khubsoorti aur badh gayi thi....

maine apna haath badhaya aur jaise hi maine apne SPEAR ke handle ko pakda............

meri body ko ek jhatka laga par maine handle chhoda nahi...kuch der tak mujhe jhatke lagte rahe fir band ho gaye par ab bhi meri body lagatar vibrate ho rahi thi....

mujhe aisa lag raha tha jaise meri puri body bhaari ho gayi hai aur mai kuch hi der me thak jaaunga....

par in sab negetives ke beech ek positive chiz bhi hui aur wo ye ki SPEAR ko chute hi mujhe usme lage DIAMONDS ke andar jo kuch der pehle tak BLACK ENERGY thi,uske baare me sab kuch pata chal gaya tha.....

mere saath jo ho raha tha uske baare me mai kuch pata lagaun usse pehle hi mere andar se ek awaaz aayi jisse sunkar mujhe pata chal gaya ki ye sab mere saath kyun ho raha hai...


MAI- BAAHAR AA JAO.....


mere itna bolte hi mere andar GOD'S TEAR ki jo book thi wo baahar aa gayi aur mere saamne hawa me hi rook gayi...

BOOK ke rookte hi wo open bhi ho gayi aur uske open hote hi maine jis haath me SPEAR ko pakda hua tha,usse saamne kar diya...

SPEAR mere haathon se nikalkar wapas BOOK me chali gayi....

SPEAR ke apni jagah par wapas jaate hi BOOK band hokar wapas mere andar chali gayi....

ab mai bilkul thik tha...mujhe koi vibrations feel nahi ho rahe the...

maine jo SIGHT SHIELD banayi thi,maine usse hataya hi tha ki.......


mere aankhon ke saamne ek drishya naach gaya jisse dekhkar mujhe ghussa toh bohot aaya par maine kuch kiya nahi bas kaha.....



MAI-KISI SE YE UMMID KARNA KI WO TUMHARE SAATH ACHA KARE SIRF ISLIYE KYUNKI TUM ACCHE HO,YE THIK WAISA HI HAI JAISE EK SHER SE YE UMMID KARNA KI WO TUMHE NAA KHAAYE KYUNKI TUM SHUDH SHAKAHAARI HO......


ye bolkar mai gayaab ho gaya..........











PLANET- GLUTO










PLACE- BATTLE FIELD








khach,khach,khach,khach,khach.............


SHAILA- kya hua???rook kyun gaye???..aao....NISHKALIKA ki taraf se ladhkar tum sab ne waise hi apni mout khudhi chun li hai.....

ab tum lado ya naa lado,mout toh tumhe milegi hi......


jab SHAILA aur RONIT BATTLEGROUND me pahunche toh unhone apne saamne 20 pratiwandiyon ko khade paaya....

wahin wo 20 yodha apne saamne sirf 2 pratidwandiyon ko dekhkar hasne lage..

yahi haal ground ko ghere logon ka bhi tha..


sabhi RONIT aur SHAILA par has rahe the..


par ek khema aisa tha jinke chehre par hasi nahi chinta ke bhaav the....ye LORD CRUSEDAR khema tha.....

wo RONIT aur SHAILA ke liye chintit the....par jaise hi yudh shuru hua,LORD CRUSEDAR.KING SOLOMON unki patni aur putri ALESENDRA ke chehre ke bhaav badal gaye....

aur ab unke chehron par vismay aur prassanata dikh rahi thi.....

wahin jo saare log SHAILA aur RONIT ke upar has rahe the,unki naani mar gayi thi....pure BATTLEGROUND me sannata pasra hua tha...

kyunki yudh ke shuru hone ek 1 second ke andar hi SHAILA ne akele hi NISHKALIKA ke 5 yodhaon ke gardan unke sir se alag kar diye the...

SHAILA ke dahad ke baad bache hue 15 yodha ek saath aage badhe par tabhi........


RONIT ka jism SHAILA ke upar se tairta hua aage badha....RONIT ke haath me ek talwar chamak rahi thi par agle hi pal uske haathon me do talwar ho gayi jisse usne itni tezi se ghumaya ki kisi ko kuch dikha hi nahi

aur natija..............


15 me se 10 yodhaon ke sir zamin par pade the......

RONIT ke dono talwaron se khun tapak raha tha...

RONIT ne NISHKALIKA aur MADDOX ki taraf dekha aur apne talwar ko hawa me ghumaya...

talwar ke ghumte hi hawa me do bade se akshar ban gaye....ek akshar bada sa M tha jiska matlab MADDOX tha aur dusra N th jiska matlab NISHKALIKA tha....

dono aksharon ko banane ke agle hi pal RONIT ki talwar ek baar aur ghumi aur dono aksharon ko beech se cheerti hui nikal gayi...

jahan ye sab dekhkar NISHKALIKA aur MADDOX ko ghussa aa raha tha wahin unke baaju me baithi BHUVIKA ke dil me dar ne ghar kar liya tha...

usne RONIT aur SHAILA ke hi aankhon me apni behen ke liye apaar nafatrat dekhi thi...par wo chup chaap baithi rahi....

SHAILA- kya yaar.....maine toh 5 ko maara tha,tumhe bhi utne hi maarne the naa...

RONIT- toh tum hisab barabar kar do naa.par jaldi,dekho,baaki ke bache paanch bhaag rahe hain...

SHAILA ne jab saamne dekha toh usse hasi aa gayi.....kyunki baaki ke bache paanch wakayi me bhaag rahe the par isse pehle ki wo kuch karti.....

achanak un paanchon ke upar bijli giri aur wo sab raakh me badal gaye....

ye bijli NISHKALIKA ne chhodi thi....


NISHKALIKA- jo yudh se peeth dikha kar bhaage,usse jeene ka koi hak nahi....

wahin NISHKALIKA ki harkat ko dekhkar wahan moujud sabhi log chownk gaye..

NISHKALIKA-20 logon ko toh tum dono ne khatm kar diya,ab waade ke mutabik tum dono ko hamare aakhri do yodhaon se ladna hoga....

NISHKALIKA ke ye kehte hi maidan ke beech me do bijiliyan kadki aur un bijliyon ke beech me se do yodha prakat hue jinhe dekhkar NISHKALIKA ke honton par ek muskaan naach gayi.....


jaisa ki maine bataya tha ki NISHKALIKA ki sainya bal is waqt bramhaand ki sabse shaktishaali sainya bal hai aur ye dono yodha ussi sena ke do SENAPATI hain....

log BHAGWAN ki ya fir SHAITAN ki puja karte hai,tapasya karte hain par in dono ne NISHKALIKA ki tapasaya kar usse khush kiya hai aur fal swaroop NISHKALIKA ne inhe ek behtarin yodha ban jaane ka vardaan diya hai.....

dono yodhaon ne ek baar NISHKALIKA ki taraf dekha aur uske aage haath jodkar naman kiya.NISHKALIKA ne un dono ke naman ka sir hila ke abhivaadan kiya aur yudh ko shuru karne ki ghsohna ki....



aur agle hi pal..........


un dono yodhaon ke sharir hawa me the...dono ke hi ek haath me talwar aur dusre me khadag tha.....

RONIT aur SHAILA dono hi taiyar the...dono ne ek pal ke liye apni aakhen band karke bhagwan aur mujhe yaad kiya aur agle hi pal jab dono ki aanken khuli toh dono ke hi aankhon me bohot zyada confidence the...

wahin unke saamne se udte hue aate NISHKALIKA ke dono yodhaon ne apne dono haathon ko puri shakti se aage ki taraf ghumaya aur.......


TANNNNN....TANNNNN...DHOOBBBB.DHOOOOBBBBBB....

ek saath do cheezen hui.......



pehli ye ki SHAILA aur RONIT ne apni talwar aage kar di jisse un do yodhan ke chalaye gaye talwar aur khadag takraaye aur rook gaye....

aur uske agle hi pal SHAILA aur RONIT ke pair tezi se chale aur un dono yodhaon ke pet par pade.....

dono yodha udte hi piche ki taraf jaa gire...

jahan ye sab dekhkar ,mere doston aur LORD CRUSEDAR ke khemo me khushi ki leher doud gayi wahin NISHKALIKA aur MADDOX ki sulag gayi....

wahin wo dono yodha girte hi turant uth gaye aur ek baar firse unhone saamne chalang laga di.....

par is baar un dono ne ek saath do do humle kiye...

hawa me uththe hi unke khadag ke andar se hi bohot se khadag nikle aur mere dono doston ki taraf chal diye....

wo dono yodha mere doston ka dhyaan bhatkaana chahte the....

dono ki ye chaal thi ki yahan mere dost unke chhode gaye astron se ladte rehte wahan wo dono unke paas pahunchkar mere doston par humla kar dete...

par jo hua usse dekhkar NISHKALIKA aur wahan moujud sabhi shocked reh gaye....

mere dono dost un saare khadag jo ki un dono yodhaon ne chhode the,un saare khadag ke upar se chalte hue aage badhne lage...

shock sirf wahan moujud darshakon ko hi nahi laga tha,balki un dono YODHAON ko bhi laga tha jinke ye astra the....

aur isse pehle ki wo dono kuch karte,mere dono doston ne un dono ke hi shashtron ko hawa me hi ek ek waar karke gira diya..

par dono itne me hi nahi rooke....dono ne hawa me hi un dono yodhaon ki gardan pakad li aur unhe marodte hue zamin par girane lage...


DHAMMMMMM.......AAAAHHHHHHH...



issi awaaz ke saath chaaron neeche gire...

par kyunki mere dono dost un do yodhaon ke upar the,isiliye unhe kuch bhi nahi hua par un dono yodhaon ke mooh se dard bhari aah nikal gayi......

par SHAILA aur RONIT itne me hi nahi ruke....dono girte hi ek jhatke me khade ho gaye....

wahin wo do yodha dheere dheere khade ho hi rahe the ki mere dono dost ulta ghum gaye aur agle hi pal un dono ke pair kainchi ki shakl lekar un dono yodhaon ke gardan me fase hue the....

dono unki gardan par apni taangon ko kaste hue do baar gol ghum gaye aur teesre round me SHAILA aur RONIT ne apni puri taakat apne pairon me daalte hue dono yodhaon ko door fek diya...


DHAAM DHAAM aur AAHHH ki awaaz ke baar aur nikli.....dono yodha apne pet ke bal lete haaf rahe the..dono me hi ab uthne ki shakti nahi bachi thi........

wahin dusri taraf mere dono doston ke daavon ko dekhkar khush hote hue LORD CRUSEDAR ke kheme ke sabhi log khade hokar taali bajaane lage.....

mere baaki ke teen dost jo alag kheme me the wo bhi is housla afzayi me shaamil the....

aur unke peeche peeche hi BATTLE FIELD wahan moujud saare darshakon ke taaliyon ki gadgadahat se gunj gaya...

In sab ke beech ALESENDRA jo bohot der se RONIT ko pehchaanane ke koshish kar rahi thi,achanak uski aankhen chamak gayi.....



ALESENDRA- ye dono LORD OF ANGELS ke mitr hain.....


ALESENDRA ki baat sunkar KING SOLOMON,unki wife aur LORD CRUSEDAR ko ek jhatka laga...

SAB- kya??????

ALESENDRA- haan,jis jagah se mai VIKRAM ko apne saath apne grah laayi thi,wahan ye ladka ( RONIT ) bhi tha....

isse bachane ke liye hi VIKRAM ne apni SHIELD isse de di thi....

aur agar ye ladki uske saath lad rahi hai toh ye bhi zaroor unki dost hogi...

ye jaankar ki unke saamne LORD OF ANGELS ke mitr khade hain,sabhi khush ho gaye...

LORD CRUSEDAR- tabhi ye dono itne parakrami hain...LORD OF ANGELS ke naa sahi,kam se kam unke mitron ke toh darshan hume ho gaye.....

ALESENDRA ye ab sunkar muskura di kyunki sirf wahi jaanti thi ki kisi bhi waqt VIKRAM wahan aajayega....

ek taraf apne yodhaon ki naakami aur dusri taraf taaliyon ki gadgadahat.....itna kaafi tha NISHKALIKA aur MADDOX ke khun ko jalane ke liye par dono hi abhi sidhe tour par kuch nahi karna chahte the..

dono ne ek dusre ki aankhon me dekha aur ek nayi chaal chali....

dono ke hi haathon se adrishya rays nikalkar unke dono yodhaon ki taraf jaane lagin aur...............



achanak se taali ki gadgadahat band ho gayi....

kaaran,NISHKALIKA ke dono yodha ek jhatke me apne pairon par khade ho gaye the....

NISHKALIKA aur MADDOX ne dono ke hi sharir me apni power thodi thodi maatra me daalni shuru jo kar di thi....

is baar un dono yodhaaon ki aankhen surkh laal ho chuki thi....dono hi apni jagah se uchle aur unka sharir itni tezi se aage badhe ki RONIT aur SHAILA dono ko kuch dikha hi nahi aur..............



AAHHHHHH..............


un dono yodhaon ne apne sir se SHAILA aur RONIT ke sir par chot karii...

ek dard bhari aahh ke saath dono hi peeche ki taraf gir gaye par agle hi pal dono khade bhi ho gaye....


SHAILA aur RONIT dono ke haath me talwar ab bhi thi..wo doguni tezi se aage badhe par is baar wo dono yodha bhi taiyar the....

un dono ne mere dono doston ke har aakraman ka jawab bohot ache se diya aur bas itna hi nahi,beech beech me wo SHAILA aur RONIT ko chot pahunchane me kaamiyab bhi ho rahe the....

iski wajah se mere dono doston ka confidence bhi kam hota jaa raha tha...

jahan ye sab dekhkar mere baaki ke teeno friends aur LORD CRUSEDAR ke kheme ke logon ko bura lag raha tha wahin MADDOX aur NISHKALIKA khush bhi the par saath hi saath unke chehre par chinta ki lakeeren bhi thi..

chinta isiliye kyunki unke dono yodhaon me abhi unki shakti ka bhaag tha fir bhi RONIT aur SHAILA barabar ka naa sahi par kadi takkar toh de hi rahe the.....

itni siddhiyan prapt karne ke baad bhi aisa hone se dono ki tention thodi badh gayi thi...

wahin BATTLE GROUND ka maahoul kaafi garm ho gaya tha..chaaron ka yudh star apne pure shabab me dikh raha tha ki tabhi.....



AAHHHHHH......


un dono yodhaaon ne SHAILA aur RONIT par ek saath do do humle kiye..pehle unhone apni talwar un dono pe chalayi jisse mere dono doston ne kushalta purvak rok diya,par agle hi pal dono yodhaon ne TALWAR ke handle ko chhod kar apne hatheli ki mutthi bana SHAILA aur RONIT ke pet par ek ek punch maara....

mere dono dost iske liye taiyar nahi the.....

dono ek dard bhari awaaz ke saath piche palat gaye.....

dard toh dono ko bohot hua,par saath saath unhe hairani bhi hui ki jahan wo dono itna yudh karne ke baad thak gaye the wahin unke saamne khade yodha jinhe unhone pehle kaafi chot pahunchayi thi,wo abhi bhi fresh dikh rahe the...

same doubt kheme me baithe mere baaki ke teeno doston ko bhi feel hui..

SHAILA aur RONIT ko isme kuch gadbad lagi.....



APRATYAKSHAM DRISHTI.....

INVISIBLE VIEW.......



ye SPELL SHAILA ke saath saath AKSHAANT ne jo ki apne kheme me baitha tha,dono ne saath me bola tha...

aur SPELL bolte hi jo nazara mere saare doston ke saamne aaya usse unhe bohot ghussa aaya.....

kyunki unki nazar ab us ray ko dekh sakti thi jo NISHKALIKA aur MADDOX se hote hue un dono yodhaon me sama rahi thi....

RONIT- yaar ye toh galat hai...hume iske baare me yahan moujud saare logon ko batana chahiye...

SHAILA- bilkul....

aur yahi baat mere baaki ke teeno dost jo ki SHAILA aur RONIT ke dimag se jude hue the,unhone bhi kahi....

par isse pehle ki unme se koi kuch kehta,paanchon ke kaano me meri awaaz gunj gayi.....

ye wahi drishya tha jo mere aankhon ke saamne ghum gaya tha aur ye wahi baatein thi jo maine DHAWALI JHEEL ke paas khade khade boli thi aur jinhe bolkar mai gayab ho gaya tha.....


jaise hi mere doston ke kaano me meri awaaz gunji,unke iraade badal gaye....

RONIT aur SHAILA ne apni aakhen band ki aur apne saare shaktiyon ko apne dimag ke saath jodne lage...

wahin mere teeno doston ne bhi ek dusre ka haath pakda aur aankhen band kar apni saari shakti SHAILA aur RONIT ke bodies me transfer karne lage.....

ek adrishya beam un teeno se hote hue mere dono doston ki body me pahunchi aur kyunki SHAILA aur RONIT apni shaktiyon ko apne chit par laa rahe the,isiliye ye shakti bhi unke mastishk ki taraf chal di.....

wahi SHAILA aur RONIT se kuch door khade dono yodhaon ne jab dekha ki SHAILA aur RONIT ki aankhen band hain toh wo dono unke gala kaatne ke niyat se aage doude par isse pehle ki wo unke paas pahunch paate....


BOOMMMMMMMM...........


aur issi awaaz ke saath NISHKALIKA aur MADDOX ke sharir ko bhi ek zor ka jhatka laga par wo dono jaldi hi sambhal gaye...



toh hua yun ki SHAILA,RONIT aur unke saath saath mere dono doston ki shakti jo ki un dono ke mastishk ke beech ikattha ho rahi thi,achanak us jagah par tez roshni hui aur wo roshni ek gaadhi white ray me badalkar saamne se aa rahe dono yodhaon ke sharir ke beech lagi aur aisa hote hi ek tez dhamaka hua aur un dono yodhaon ke sharir fat gaye....

wahin undon ke sharir se apni shaktiyon ko jodne ki wajah se NISHKALIKA aur MADDOX ko bhi jhatke lage par DIAMOND ki shakti ki wajah se NISHKALIKA ko aur WHITE SHAKTI jo apni maa ki kurbani dekar MADDOX ko mili thi uski wajah se MADDOX ko sirf ek tez jhatka laga......

LORD CRUSEDAR ke kheme ke saath saath wahan moujud sabhi logon ki aankhen is ghatna se badi ho gayin....

dhamake ka asar khatm hone ke baad SHAILA aur RONIT dono ne apni aakhen kholi aur is waqt dono ki hi aankhen apne manzil NISHKALIKA aur MADDOX ko ghur rahe the....


RONIT- tumhari 22 ki ginti khatm ho gayi....ab teri baari hai MADDOX.....


SHAILA- teri antim ghadi aa gayi hai NISHKALIKA.......bohot si shaktiyon ko gale lagaya hai naa tune,aaj apni mout ko bhi zara gale laga kar dekh........


SHAILA aur RONIT ki baat sunkar MADDOX aur NISHKALIKA ko ghussa aa gaya....


MADDOX- tu mujhe maarega....bhale hi ab tujhme kaafi taakat aa gayi hai,par mere saamne aaj bhi teri aukaad kisi kide makoude se zyada nahi hai.....

aur theek kisi kide ki hi tarah aaj mai tujhe masal dunga.......


NISHKALIKA- mujhe tu bas apne sapne me hi maar sakti hai SHAILA......teri umr se zyada siddhiyan prapt ki hai maine......

mera tu kya koi bhi kuch nahi bigad sakta..........




AHAMPADAARTHA MULAVARGAM ATMAKSHATI..........


EGO IS THE FOUNDATION OF SELF DESTRUCTION......


GHAMAND HI KHUD KI BARBAADI KA NEEV HAI......




abhi koi kuch kehta usse pehle hi har taraf ye aawaz gunj gayi.....

jahan ek taraf ye awaaz sunkar sabhi chownk gaye the wahin mere doston aur ALESENDRA ke chehre par khushi naach gayi....



RONIT- AA GAYA MERA BHAI.........


ALESENDRA- LORD OF ANGELS BANANE KE BAAD AAJ PEHLI BAAR AAPKE DARSHAN HONGE....


jahan meri awaaz sunkar koi khush ho raha tha toh koi chakit,wahin AVANTIKA ki dil ki dhakdkan tez ho gayi thi.....usne jo sawal mujhse apni aankhon se pucha tha,usse lag raha tha jaise aaj uska usse jawab mil jaaega....


kuch der laga par NISHKALIKA bhi samajh gayi ki ye awaaz ksiki hai???


NISHKALIKA- is baar bhi sirf apni awaaz sunane ka hi irada hai ya fir saamne bhi aaoge.....



NISHKALIKA ke itna bolte hi maidan ke beech me ek tez roshni chamki jiske fal swaroop us maidan ke aas paas moujud sabhi ke aankhen band ho gayi....

dheere dheere jab wo roshni kam hui toh sabne apni aakhen kholi...

aur us roshni waali jagah par ek ladke ko dekhkar sabhi chownk gaye..


wahin NISHKALIKA ki nazaren toh jaise mujhpar jam si gayi thi..jis tarah wo ektak ASMODEUS ko ghur rahi thi,waise hi is waqt uski nigahen mera didaar kar rahi thi.....

Par uske partner ka reaction kuch alag tha.NISHKALIKA ke baaju me baithe MADDOX ki toh mujhe dekhte hi satak gayi...wo ghusse se mujhe ghur raha tha......


ALESENDRA- yahin hain LORD OF ANGELS.....



ALESENDRA ki baat sunkar uske baaju me khade uske pitah,maa,aur LORD CRUSEDAR ko jaise ek jhatka laga.....


SAB- SACH....!!!!!


ALESENDRA ne apni gardan haan me hila di....

jahan mujhe dekh koi shock me tha,koi khush ho raha tha wahin hamare MADDOX bhai sahab ki sulgi hui thi....

aur jaise hi usne madhur vachan nikaalne ke apna mooh khola tabhi............



MADDOX- arre,mai yahan kaise aa gaya....

MADDOX ki awaaz aur baat sun NISHKALIKA jaise kisi sammohon se baahar aayi.....

aur jaise hi usne aas paas dekha,wo bhi shock ho gayi.....

kyunki is waqt MADDOX aur wo apne kheme me nahi balki mujhse kuch door mere saamne khade the....

MAI- mai neeche khada hun aur tum dono upar baithe ho,ye toh galat hai naa......

meri baat sunkar NISHKALIKA aur MADDOX ko ghussa aa gaya.....

NISHKALIKA- kyun humse ulajh kar apne is sundar roop ko kharab karna chahte ho....????


MAI- roop toh tumhara bhi sundar hai NISHKALIKA......par man utna hi kuroop.....

mai tum dono ke saamne isiliye nahi aaya kyunki tum dono mere doston se ladne jaane waale the,balki isiliye aaya hun kyunki tum dono ka hi waqt aa chuka hai....

aur tum dono ne jo jo ghrinit kaarya kiye hain,uski wajah se tumhare sharir ke saath saath tum dono ki aatma ko bhi khatm hona hoga...

meri baat sunkar MADDOX aur NISHKALIKA dono hasne lage.....

MADDOX- mere bhai ko maarkar tu apne aap ko bohot bada top samajhne laga hai,kyun????aaj teri saari galatfehmi door kar dunga....


DIDI........


yahan hum baat kar rahe the wahan BHUVIKA ke dil me kuch galat hone ki AASHANKA ne janm le liya tha isiliye wo apni didi ka naam pukarkar daudte hue apni behen ke paas aa rahi thi...


mai jaanta tha ki wo maasum hai isiliye maine usse adrishya jaal me baandh diya...ab wo hil bhi nahi paa rahi thi.......

agar wo hamare paas aati toh pakka usse anjaane me hi sahi,chot zaroor lagti...

apni behen ko bandhte dekh NISHKALIKA ko ghussa aa gaya aur usne mujhpe agni astra feka aur..........



AAHHHHHH.............


wo astra aadhe raaste se wapas ghum gaya aur wapas jaakar NISHKALIKA ko hi laga jiski wajah se uski aah nikal gayi.....

tabhi MADDOX ke sharir se kayi saare baan nikal kar meri taraf aane lage par mai bas apni jagah par khada raha...

woh saare baan mujhse takraye aur niche gir gaye......

ye dekhkar MADDOX ke saath saath NISHKALIKA bhi chownk gayi.....


dono bewakuf ye nahi jaante the ki wo jispe humla kar rahe hain,wo is bramhaand ke faile saare WHITE ENERGIES ka eklouta waaris hai..toh fir un dono ke andar moujud WHITE ENERGY apne asli maalik ko chot kaise pahuncha sakti thi.....

khair,dono the toh kutte hi,aur kutte bhonkna toh chhod nahi sakte.....

dono ne ek saath apne haath jode aur.......


VAAYU BANDHAN.......

AIR LOCK


JALAM BANDHAN........

WATER LOCK



dono ne in dono mantron ka uccharan kiya par uske baad jo hua usse dekhkar dono ko bohot bada jhatka laga.....


hua ye ki kuch bhi nahi hua..........


nahi samjhe naa,mera matlab hai ki dono ke mantron ne kuch kaam hi nahi kiya...

naa toh paani bahaar aaya aur naa hi hawa chali.....

apne mantro ko kaam naa karta dekh dono ne ek ke baad ek kayi saare SPELLS bol diye par natija wahi nikla....dono ke ek bhi SPELLS kaam nahi kiye.......

aur ab dono aankh faade meri taraf dekh rahe the......

MAI- bohot guroor tha naa tum dono ko apni taakat par.......

maine tum dono ki saari shaktiyon ko baandh diya hai.......ab tum kisi bhi mantra ka istemal nahi kar paaoge....

meri baat sunkar un dono ko ek aur jhatka laga......par ab mai un dono ke saath aur zyada time paas nahi karna chahta tha....


MAI- RONIT......SHAILA............



mere awaaz dete hi mere dono dost mere paas aa gaye.....

MAI- jao aur apna badla lelo....par usse pehle.........


maine apna haath aage ghumaya aur agle hi pal hawa me hi talwar ke shape liye hue paani prakat hua......


MAI- jaante ho MADDOX,ye kya hai....?????



ye wahi HOLY WATER hai jisse peene se acha tumhe apni maa ko maarna aasan laga.....

is bramhaand ki sabse badi shakti maa ka aashirwaad hota hai jisse tumne thukrakar daivik aur asuri shaktiyon ko chuna jo ki tumhari kabhi bhi nahi ho sakti hain....

tumhare faisle se jitna dard tumhari maa ko hua tha,utna toh tumhe mai nahi de sakta par jis cheez ke dard se bachne ke liye tumne wo ghrunit kaam kiya tha,us dard ko toh mai tumhe dobara de hi sakta hun naa....


NISHKALIKA........... sirf apni hukumat sthapit karne ke liye tumne ek beti se uske maa baap ko chin liya.....is jurm ke barabar ki saza toh hai hi nahi,par agar ussi beti ke haathon tumhara anth ho,toh uske maa aur pitah ki aatma ko shaanti zaroor mil jaayegi....


jo HOLY WATER hawa me rooka hua tha,usse maine RONIT ki talwar ko odha diya.....


ab RONIT ke talwar dwara kiye gaye har waar me us HOLY WATER ke kan moujud hone waale the....

RONIT aur SHAILA talwar ko haathon me liye hue aage badhe......wahin MADDOX aur NSIHKALIKA ke aankhon me dar ki rekhayen tairne lagin jisse dekhkar mere dono doston ki aankhon me khushi ki chamak aa gayi...



aur agle hi pal...............


SAAYEN,SAAYEN,SAAYEN............



AAAAHHHHHHH....NAHI..........AAAHHHHHH..............


teen baar RONIT ki talwar chali aur issike saath MADDOX ki kaanon ko faadne waali awaaz har taraf gunj gayi....

uski aawaz me itna dard tha ki wahan moujud sabhi darshakon ke dil tak hil gaye the....

par RONIT ko MADDOX par bilkul bhi daya nahi aayi.......usne lagatar MADDOX ke sharir ke har hisse par bohot se waar kiye....

aur har waar ke baad MADDOX ki haalat aur bekar hoti chali gayi....

HOLY WATER ke prabhav se uske zakhm bhar jaa rahe the par kyunki uspe waar bhi HOLY WATER ke zariye hi kiya ja raha tha,isiliye har chot waali jagah ka dard badhta hi jaa raha tha.......



AAAHHHHHHHHH...................


is baar ye awaaz MADDOX ki nahi NISHKALIKA ke mooh se nikli thi....SHAILA ne uske left haath ki choti ungli kaat di thi.....



SHAILA- kyun,dard ho raha hai.....toh soch mere maa aur pitaji ko kitna dard hua hoga jab tune unke seene me khanjar utar diya tha.....

ye bolte waqt SHAILA ka chehra ghusse se tharthara utha aur .............

AAHHHHH....AHHHHHH......AHHHHHHH....


SHAILA ki talwar 3 baar chali aur issike saath NISHKALIKA ke haathon ki teen ungliyan gaayab ho gayi.....


Apni behen ki haalat dekhkar BHUVIKA jaise wk sadme me chali gayi thi...wo pathrayi aankhon se apni behen ka patan dekh rahi thi..

wahin RONIT ne apni talwar uthayi hi thi ki MADDOX cheekh utha.........


MADDOX- plz,rook jao........mai is dard ko aur nahi jhel sakta.......ya toh mujhe maar do yaa toh maaf kar do.......



RONIT- tujh jaise paapi ko jisne apni maa ki hatya ki usse maaf kar den.....


MAI- theek hai,par ek shart par????


meri baat sunkar RONIT shocked ho gaya wahin MADDOX ki aankhon me ek chamak aa gayi par meri aage ki baat sunkar wo chamak gaayab bhi ho gayi....

MAI- apni maa se keh ki teri jaan ko baksh diya jaaye..agar unhone haan kehdi toh mai tujhe jeevan daan de dunga......

MADDOX- par ye kaise possible hai..mom toh............


par isse aage wo kuch bol nahi paaya..itna hi nahi,uski aankhen hairat se faile gayi thi.....

aur ye sab isiliye kyunki just mere baaju me is waqt uski maa ki aatma khadi hui thi......

MAI- kya aap chahti hain ki isse jeeven daan de diya jaaye....

MADDOX ki maa ki aatma ne kuch nahi kaha bas naa me apna sir hila diya....

MAI- aap jaa sakti hain....

mere itna kehti hi wo gayab ho gayin....

wahin MADDOX aur uske saath saath NISHKALIKA ki aakhen ab bhi hairat se khuli hui thi......

dono ye samajhne ki koshish kar rahe the ki aakhir ye hain kaun jisne unki itni prabal shaktiyon ko bhi baandh diya aur yahi nahi jo mare hue logon ko bhi bula sakta hai....

aur ye sawaal sirf un dono ke man me hi nahi uth rahe the balki meri asliyat se waakif logon ko chhod wahan moujud har shaksh ke man yahi sawaal panap raha tha......

ab is khel ka khatm karne ka samay aa gaya tha......

MAI- NISHKALIKA,MADDOX.......tum dono ke jeene ka samay samaapt hua......


MARNE SE PEHLE KOI AAKHRI KHWAHISH!!!!


dono ko jaise aisa hi kisi baat ka intazar tha....

aur iske baad dono ke lab hile aur unse wahi baat nikli jo kuch din pehle AVANTIKA soch rahi thi......aur aaj inke saath saath usse bhi uske sawal ka jawab milne waala tha....


NISHKALIKA/MADDOX- AAKHIR KAUN HO TUM???????



jaise hi un dono ka sawaal khatm hua tabhi kuch aisa hua ki un dono ke saath saath wahan moujud har kisike shocked hone ki seema naa rahi.......



un sab ke saamne ka saara manzar hi badal chuka tha......mera sharir hawa me uth chuka tha aur is waqt mai apni asli PEHCHAAN ke libas me dhaka hua tha....

mere pure sharir par wahi WHITE kapde aa gaye the jo mere pehli baar apni asliyat jaanane ke waqt aaye the.....


mere peeche apne ghutno ke bal teeno GOD'S MESSENGER baithe hue the aur unke peeche hazaron ki bheed me bramhaand ke sabhi ANGELS sir jhukaye baithe hue the......


wahin mere vaastavik roop ko dekhte hi wahan moujud har koi haath jode apne ghutno par aa gaya tha.....



LORD CRUSEDAR,ALESENDRA,ASHLEY,KING SOLOMON, aur DEFENDER jo ki mere asli roop ko dekhne ke liye abhi abhi pahuncha tha,wo,wahan moujud saare darshak aur unke saath mere saare dost bhi apne ghutno par sir jhukaye baithe the....

aaj mujhe mere doston ka jhukna bura nahi lag raha tha kyunki mai jaanta tha ki wo mere aage nahi balki mere vaastavikta,mere ohde ke aage jhuk rahe hain....VIKRAM ke aage nahi GOD'S SON ke aage jhuk rahe hain.....


par in sab ke beech ek chehra tha jiske aankhon me paani aur dil me dard bhar chuka tha.....

aur jo in dono ko hi zabt karne ki koshish kar raha tha.....ye aur koi nahi AVANTIKA thi....

usse apne andar kuch tutatha sa mehsoos ho raha tha...wo soch rahi thi ki wo BRAMHAAND ke sabse khoobsurat ladke ko bhi paa sakti hai par LORD OF ANGEL ke karib bhi jaana uski haisiyat ke baahar tha....

aur issi baat ka mujhe dar tha.isiliye hi mai AVANTIKA ko yahan nahi laana chahta tha...uske andar in saari feelings ka janm lena ekdum normal si baat thi.....

meri asliyat ka sach itna bada hai ki koi ANGEL bhi uske aas paas aane se darega fir AVANTIKA toh ek maasoom si ladki thi...

khair,jo ho chuka hai,usse badla toh jaa nahi sakta aur filhal mujhe apna adhura kaam bhi pura karna tha isiliye maine apni nazaren aur dhyan AVANTIKA ke upar se filhal ke liye hata liya....

maine MADDOX aur NISHKALIKA ki taraf dekha jo pathrayi aankhon se mere sach ko hazam karne ki koshish kar rahe the..

un dono ko kuch kuch toh samajh aa hi gaya tha aur baaki ka adha abhi jo mai bolne waala tha,usse pata lag jaana tha....

par kuch bolne se pehle maine man hi man SHAILA aur RONIT ko khade hone ko kaha....dono khade ho gaye........




AUR FIR MERE LAB HILE.....





MAI- MAI ISHWAR PUTRA VIKRAM,LORD OF ANGELS KI HAISIYAT AUR ADHIKAR SE, NISHKALIKA,TUMHARE ANDAR MOUJUD MERE SPEAR KI SHAKTI AUR MADDOX,TUMHARE ANDAR MOUJUD HOLY WATER KI SHAKTI TUMSE WAAPAS LETA HUN......




mere ye bolte hi NISHKALIKA aur MADDOX ki ek baar aur cheekh nikal gayi.....

un dono ke sharir ke andar moudud saari WHITE ENERGY unke sharir se baahar aakar mujhme samane lagi aur jaise hi saari energy mere andar samayi........

NISHKALIKA aur MADDOX me khade hone tak ki shakti nahi bachi thi par isse pehle ki dono neeche girte............





SAAYENNNNN..........



SAAYENNNNN..........





RONIT aur SHAILA ki talwar ek ek baar chali aur agle hi pal NISHKALIKA aur MADDOX ka sir unke dhad se laga hokar gir gaya......







BHUVIKA- NAHIIIIIIIIIIIIIIIIII..............











AAJ KE LIYE ITNA HI.....









AAPKA APNA V..J......
Very nice Update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM APNI SPEAR KI TAAKAT KO PAA LETA HAI PAR WO POWER THODI UNSTABLE HO JAATI HAI WAHIN NISHKALIKA AUR MADDOX KE JEEVEN KA BHI ANT HO JAATA HAI
AB AAGE:-







CHAPTER-2




( CURSE OF THE HOLY SPIRIT )





UPDATE-80





PLANET- EARTH





PLACE- COLLEGE CANTEEN





BHAI,MERA TOH KAL KA HANGOVER ABHI TAK NAHI UTRA.....

ANJALI- hang over????kal tune drink liya tha????

RONIT- drink leta toh tere saamne thodi na kuch kehta....

ANJALI- KYA?????



wo toh ganimat hai ki RONIT ne apni baat dheere se kahi thi jis wajah se ANJALI ko kuch bhi theek se sunayi nahi diya warna aaj ladke ki lag jaani thi.....

RONIT- arre yaar,mai sharab ke hangover ke baare me nahi balki kal jo humne GLUTO me jhande gaade uske hangover ke baare me baat kar raha hun..

mere dimag me ab bhi wahi sab chal raha hai....



subah ka waqt hai.GLUTO ka samay chakra hamare planet ke mukable tez chalta hai.....

GLUTO ke adventure ko khatm karke hum kal raat hi wapas aaye the...par jab hum wapas EARTH pahunche toh 1 week nikal chuka tha...

aur wapas aate hi jab maine ye baat apne doston ko batayi toh sabhi shocked ho gaye par ye baat sabhi ko pehle se hi pata thi ki humare GLUTO jaate hi hamari jagah hamare CLONES ne le li thi.....


Maine sabko gaayab karke unke kamro tak pahuncha diya tha......

aur aaj hum teeno ready hokar college me mile par kyunki ab final exams nazdik the isiliye classes lagne band ho gaye the isiliye hum teeno ne canteen me dera daala......

ANJALI- maza toh tujhe aur SHAILA ko aaya......hum toh baakiyon ki hi tarah bas audience bankar baithe hue the.....

RONIT- arre yaar mai ladun ya tu lade,baat toh ek hi hai naa.....

ANJALI- haan wo bhi hai....waise aaj AVNI aur SHANAYA dono nahi aaye.....

MAI- SHANAYA final paper ke preps karne se pehle ek baar apne ghar DHAWALGARH gayi hui hai....

ANJALI- aur AVNI????

MAI- pata nahi......

ye bolkar mai dusri taraf dekhne laga aur wahin RONIT aur ANJALI ek dusre ki taraf....

ANJALI ne mere haath ke upar apna haath rakh diya.....

ANJALI- tu hame keh sakta tha na ki AVNI ko naa le jaaya jaaye......

MAI- usse bura lagta......

RONIT- wo toh ab bhi lag raha hai....

MAI- fark hai.....

ANJALI- mai baat karun usse....




MAI- jasbaat koi sabak nahi...
jo SAMJHANA pade...


manzil hai,jisse paane ke
liye chalna padega...

chaahe jitna door JAANA pade...




ye bolte waqt mai kuch udaas sa tha jisse mere dono frnz bhaamp gaye....

RONIT- bhai waise ek baat bata,AVNI us princess se,kya naam tha uska?????



ANJALI- ALESENDRA.



RONIT- haan,ALESENDRA se kya baatein kar rahi thi...i mean un dono ki first mulakat thi par aisa lag nahi raha tha...

ANJALI- arre mujhe toh dono ek si lag rahi thi....i mean,dono hi alag hain,par jab dono saath khadi thi thi mujhe aisa lag raha tha maano dono jud si gayi hain....

dono ko dekhkar ek si feeling aa rahi thi.....

RONIT aur ANJALI ki baat sunkar mai muskura diya....ab unhe kya batata ki hum do bhaiyon ke dimag,usse paida hone waali soch toh kaafi alag alag hain par DIL ke maamle me hamari choice ek si hai.....

jis tarah ke chehre ki khubsurti se usse pyar hua tha,ussi chehre sa ek chehra, jiski saadgi se mera bhi dil machal gaya tha...

aur in sab se upar,ALESENDRA aur AVANTIKA dono me do aur cheez thi jo ek si thi...

ek toh un dono ke naam ka pehla akshar aur dusra unke dil ki sacchayi......

RONIT- abbe kahan kho gaya....bolega kuch...!!!

RONIT ki awaaz se mai apni soch se baahar aaya...



MAI- kya bolun...tera sawal hi bakwaas hai...
ab girls talk ke beech bhi apne kaan ghusaun kya.....????

ANJALI- bilkul sahi kaha..aur tujhe kyun jaanana hai ki wo dono kya baat kar rahi thi???

RONIT- arre mai toh bas aise hi....

MAI- abbe ye sab baaton ko chhod kar apne incomplete syllabus ke upar dhyan de.....exams paas hi hain......

chalo mere ghar...kuch padahyi bhi kar lete hain....

RONIT- abbe tujhe padhne ki kya zaroorat hai???aisa kya hai jo tujhe nahi pata...

MAI- beta tujhe toh hai..aur mujhe pata hai ki agar tu apne ghar gaya toh sidhe so jaayega isiliye mere ghar chalo tum dono...

hum teeno uthe aur parking ki taraf nikla pade....



YE TEENO TOH GHAR JAA RAHE HAIN AUR ABHI FILHAL EXAMS TAK INKI LIFES NORMAL YA YE KAHUN BORING HI REHNE WAALI HAI ISILIYE FILHAL KE LIYE CHALIYE KAL ME WAPAS CHALTE HAIN AUR DEKHTE HAIN KI NISHKALIKA aur MADDOX KE MARNE KE BAAD KYA HUA......





A SMALL FLASHBACK FROM YESTERDAY





LORD OF ANGELS ko humara naman....



ye kehkar LORD CRUSEDAR ne mere aage jhuk kar haath jod diye..

aur theek unke baad yahi cheez unke saath khade KING SOLOMONaur unki patni ASHLEY ne bhi kiya..

par jaise hi ALESENDRA mere aage jhukne ko hui,maine usse rok diya....

MAI-aapko mere aage jhukne ki zaroorat nahi hai ALESENDRA...aapne meri jaan bachayi thi...

aur uske upar,naa chahte hue bhi hum dono ek bohot hi mazboot rishte me bhi bandhe hue hain jisme aapka kirdar haath jodne ka nahi balki mere sir par apne haath rakh aashirwaad dene ka hai.....

ALESENDRA- aap ka kathan satya hai VIKRAM..... par us rishte se bhi upar aapki pehchaan hai jiske aage pure bramhaand ka natmastak hona anivarya hai....

MAI- us pehchaan ke aage aap pehle hi jhuk chukin hai...is waqt mai aapke saamne LORD OF ANGELS ki haisiyat se nahi balki ek mitr ke haisiyat se khada hun.....

meri baat sunkar ALESENDRA ke chehre par ek muskaan naach gayi....aur aisi hi muskaan wahan khade har ek vyakti ke chehre par thi siwaaye AVANTIKA ke..

usse toh samajh hi nahi aa raha tha ki mai ALESENDRA se kis rishte ki baat kar raha hun par is waqt wo apne hi gum me itni zyada doobi hui thi ki usne is baat pe zyada dhyan nahi diya...



MAI- DEFENDER...........


mujhe aage kuch kehna hi nahi pada,DEFENDER jaanta tha ki mai kya puchna chahta hun isiliye usne bas apna naam sunte hi bolne shuru kar diya.....

DEFENDER- GRAH SETU ka kaam kuch hi dino me pura ho jaayega.....

KING SOLOMON- LORD OF ANGELS......

MAI- VIKRAM....aur agar ye naam bhi bada lag raha hai toh aap mujhe putra keh sakte hain...

meri baat sunkar KING SOLOMON khush ho gaye....

KING SOLOMON- putra,hamara aapse ek nivedan hai...hum chahte hain ki is GRAH SETU ka sabse pehla upyog aap karen...

DEFENDER- haan LORD,aapke aashirwaad aur kripa ke bina ye SETU banane ka karya kabhi sambhav hi nahi ho paata.....kripya is nivedan ko maan kar hamare grahon me apne charan rakh hume paavan karen.....

MAI- maine pehle hi kaha hai aapse ki maine naahi aap pe koi kripa ki hai naahi ye mera koi aashirwaad hai...

ye aapki khud hi ki mehnat aur balidan ka natija hai ki aapko aapki purani shaktiyan wapas mili hain....

aur KING SOLOMON.....aapko mujhse koi bhi nivedan karne ki awashyakta nahi hai...aapne mujhe putra kaha hai toh ye mera farz banta hai ki mai aapki har iccha puri karun....



Aur Aapki jo iccha hai wo mere liye soubhagya ki baat hogi kintu abhi mai ye nahi kar paaunga.....aapko kuch waqt tak intazar karna hoga???

DEFENDER- aapke charan hamare grahon me punah padenge,yahi humare liye soubhagya ki baat hai...hum intazar karenge.....

iske baad maine KING SOLOMON LORD CRUSEDAR aur baaki ke logon ko mere paanchon doston se milwaaya.....

LORD CRUSEDAR KING SOLOMON aur unki family sabhi se milkar bohot khush hue,khaas karke RONIT aur SHAILA se..

abhi abhi unka parakram jo dekha tha un sab ne.....

abhi LORD CRUSEDAR mujhse kuch kehne hi waale the ki itne me MOKALSAR mere paas aaya...

MOKALSAR- VIKRAM,bahar yahan ki saari praja khadi hui hai aur wo sab tumhe ek aur baar dekhna chahte hain....

MAI- mujhe bhi ek ghoshna karni hai...chalo......

fir mai wahan ke sabhi logon ko lekar kheme ke baahar aaya jahan is waqt GLUTO ki puri praja khadi thi...jahan tak nazar jaayen wahan tak log hi log khade the....

mere baahar aate hi wo sabhi apne ghutno par baith gaye...

MAI- khade ho jaayiye........

maine ye sab dheere se bola tha par meri awaaz un praja ki bheed me khade aakhri vyakti ke kaano me bhi barabar hi sunayi de rahi thi...

MAI- abse yahan par koi bhi yudh spradha kabhi aayojit nahi hogi...aur naahi yahan ka shaashak kabhi kisi chunouti ke bal par badlega.....



SHAILA ,saamne aao.....



SHAILA mere paas aakar khadi ho gayi....

MAI- aaj se is grah ki nayi SHAASHAK nayi RANI SHAILA hogi....

jahan meri baat sunkar puri praja khush ho gayi,wahin SHAILA mooh faade meri taraf dekhne lagi....

MAI- kya hua??itni hairan kyun ho..???

SHAILA- mai kaise???

MAI- tumne apni zindagi me bohot taklife jhelin hai isiliye tum apni praja ki saari pareshani ko naa sirf samjhogi balki unhe kushalta purvak door bhi karogi....

SHAILA- par mujhe koi bhi rajnitik faisle ya masle sambhalna nahi aata....

maine SHAILA ki baat sunkar KING SOLOMON aur LORD CRUSEDAR ki taraf dekha...

LORD CRUSEDAR- uski chinta mat karo putri..wo hum tumhe sikhayenge.....

KING SOLOMON- bilkul......aur mujhe bhi is baat ka yakin hai ki tum ek bohot achi SHAASHAK banogi....

iske baad SHAILA ne kuch nahi kaha...kuch hi der me uski tajposhi bhi ho gayi.....


MAI-kisi bhi manushya ki saralta hi uska sabse mehenga abhushan hota hai SHAILA....

bhale hi tumhe apne mastishk ko ek RAANI ki tarah doudana pade,kathor karna pade par apne hriday ko hamesha komal hi banaye rakhna....

SHAILA ne kuch nahi kaha bas mujhse gale lag gayi....abhi bhi uske aanhkon se baarish hi ho rahi thi par ye baarish khushi ki thi...

mai usse alag hua aur maine MOKLASAR aur AKSHAANT ko awaaz di...dono hi mere paas aa gaye...

LORD CRUSEDAR ab bhi mere paas hi khade the...



MAI- LORD CRUSEDAR,aap kuch kehna chahte hain???

LORD CRUSEDAR- aap se kya chupa hua hai...???



MAI- hmm...AKSHAANT,MOKALSAR....aaj se tum dono ko WARRIORS WORLD ke logon ko yudh kala me parangat banana hai....kya tum dono iske liye taiyar ho???

AKSHAANT- tumne keh diya,samjho ho gaya......

MAI- LORD CRUSEDAR,MOKALSAR aur AKSHAANT bhi SHAILA ke hi barabar ke YODHHA hain..isiliye aap nishchint rahiye...


ye sab sambhal lenge...


LORD CRUSEDAR kuch keh nahi paaye...wo bohot zyada khush dikh rahe the...

tabhi meri nazar ALESENDRA par gayi jo AVNATIKA se baat kar rahi thi aur baat karne ke baad wo mere paas aane lagi..


mai bhi uski taraf chal diya....

ALESENDRA- ek baat puchun VIKRAM???

MAI- V.J....mere dost mujhe V.J bulate hain...

par ALESENDRA ne kuch kaha nahi bas meri aankhon me dekhne lagi....

MAI- kya hua??aise kya dekh rahi ho...???

ALESENDRA- dekh rahi hun ki tumhari aur AVANTIKA ke chehre ke bhaav kitne milte julte hain..

MAI- matlab???

ALESENDRA- matlab tum dono ke hi chehre par muskurahat dikh rahi hai par aankhen dard se dhakin hui hai.....

aisa toh tabhi ho sakta hai jab do logon ki khushi aur gum,ek dusre se jude hue ho...

ALESENDRA ki baat sunkar is baar mai uski aankhon me dekhne laga...



MAI-uski aankhon me wahi dard hai ALESENDRA jo ASMODEUS ki asliyat jaanane ke baad tumne mehsoos kiya tha..

bas fark sirf itna hai ki ASMODEUS ki asliyat jaante waqt tumhe uske paapon ka bhi gyan ho gaya tha isiliye tumhare man me ek saath aneko vicharon ne janm liye jiski wajah se tum saamanya hi rahi par AVANTIKA ke maamle me aisa kuch nahi hai...



meri baat sunkar ALESENDRA shocked ho gayi...



uski ye haalat kuch der tak rahi par fir dheere dheere uski soch ne meri soch ko samarthan diya....

usne ek baar palat kar AVANTIKA ko dekha jo filhal SHAILA ke saath khadi hokar baat kar rahi thi.....

ALESENDRA ko uski haalat par taras aa gaya...

ALESENDRA- tumhe toh sab kuch pata rehta hai..fir tum uski ye bechaini khatm kyun nahi kar dete.....

MAI- tumhare sawal me hi tumhara jawab chupa hua hai....

ALESENDRA ko meri baat ka matlab samajh me nahi aaya...

MAI- zyada mat socho..jab sahin waqt aayega,toh sabse pehle tumhe hi pata chalega...

iske baad ALESENDRA aur mere beech kuch aur der tak baatein hui.is dauran ek baar jaise hi meri nazar AVANTIKA par gayi,toh AVANTIKA hadbada gayi kyunki wo meri hi taraf dekh rahi thi..



usne turant apni nazaren ghuma li.....






aankhon me aansu nahi hain
aankhen fir bhi NUM hi hain..



hamari koi galti nahi
fir bhi kusurwaar HUM hi hain..




khair,maine bhi nazaren AVNI se hatali aur ALESENDRA ko lekar LORD CRUSEDAR aur KING SOLOMON ke pass pahuncha....

MAI- humare jaane ka waqt ho chuka hai..ab aap sab hume ijazat den....

LORD CRUSEDAR aur unke saath aaye sabhi ne firse mere aage haath jod diye....

KING SOLOMON- GRAH SETU se pehli yaatra aap hi ko karna hai....hume aapka intezar rahega.......

MAI- intazar toh mujhe bhi rahega....aapki sampatti jo aapko punah loutani hai KING SOLOMON.....

meri baat sunkar sab chownke...kisiko bhi meri baat ka matlab samajh nahi aaya...



MAI- FOUNTAIN OF LIGHT........



meri baat sunkar ek baar fir sab chownke par agle hi pal sabke chehre khil gaye....

ALESENDRA- arre haan..ye mai kaise bhul gayi...usse toh bas tum hi dhund sakte ho....

MAI- jaanta hun....

iske baad mai ek baar fir sabse mila...SHAILA ko ek aur baar RAANI banane ki badhayi di...mai abhi bhi yahan hun ye jaanane ki wajah se praja ab bhi bahar hi khadi thi.....

mai ek baar bahar gaya.mujhe dekhte hi wo sab firse mere ohde ka naam lekar chillane lage...

maine apna haath upar kar sabko shaant kiya..

waise toh mai muskura raha tha par meri aankhon me bechaini thi....

aur wo isiliye kyunki us bheed me ek chehra nadarad tha....


BHUVIKA...... jo is waqt ek banzar si jagah par baithi ro rahi thi.....


NISHKALIKA aur MADDOX kyunki kaali shaktiyon ke prateek the isiliye unke marte hi unka sharir dhuen me badal kar gaayab ho chuka tha aur unki saari kaali shaktiyan apni manzil par pahunch chuki thi...

wahin is waqt BHUVIKA ke chere par kayi bhaav aa jaa rahe the par jo hua usse dekhte hue ye saari cheezen toh swabhavik thi..

mujhe bechaini BHUVIKA ke DIL ki wajah se ho rahi thi....

jitne bhi bhaav is waqt uske chehre par aa jaa rahe the,wo toh uske dimag ke upaj the par is waqt uska DIL ek dum kora tha....

matlab bhaav shunya...naa koi dard,naa koi aur bhaav...aisa lag raha hai jaise uske DIL ki saari bhaavna khatm ho gayi hai....

aur ye koi choti moti baat nahi thi...aisa kuch hote hue mai pehli baar dekh raha tha....

par mai is baare me kuch kar nahi sakta tha.....aur naahi BHUVIKA ko samjha sakta tha kyunki BHUVIKA ke liye NISHKALIKA ki sacchayi se zyada uska prem priya tha...

agar NISHKALIKA aur is BRAMHAND ke beech me se BHUVIKA ko kuch chunana hota,toh bhi BHUVIKA apni behen ko hi chunti...aise vicharon ke swami ko samjhaya nahi jaa sakta...

maine ek lambi saans chodi aur BHUVIKA naam ke vichar ko apne dimag se jaane diya.....

AVANTIKA RONIT aur ANJALI mere paas aa gaye the...maine ek baar fir sabse anumati li aur hum teeno gayab ho gaye.....





PLANET- MONSLICKEL




PLACE- ASMODEUS PALACE...





BEELZEBUB- aisa kab tak chalega FATHER.????VIKRAM ek ke baad ek nayi shaktiyan paate chala jaa raha hai aur hum kuch bhi nahi kar rahe hain.....

naa aap usse rok rahe hain naa mujhe rokne de rahe hain....



ASMODEUS- HAHAHAHAHAHAHA............



BEELZEBUB ki baat sunkar ASMODEUS hasne laga....wahin BEELZEBUB apne pitah ko yun achanak haste dekh soch me pad gaya...



ASMODEUS- do baatein..pehli ki VIKRAM ko HUM nahi sirf MAI rok sakta hun....usse rokna tumhare bas ki baat nahi hai..

aur iska ek chota sa udaharan tum us dhaabe me dekh hi chuke ho....

BEELZEBEUB ASMODEUS ki baat sunkar sharmsaar ho gaya......



ASMODEUS- aur dusri baat...USSE nahi UNHE......mat bhulo ki VIKRAM mera BHAI hai.....rishte aur ohde me wo tumse kayi gun aage hai....

jab bhi uska naam lo,izzat se lo.....

aur jahan tak uske shaktiyon ko paane aur usse rokne ki baat hai toh tum ye nahi dekh paa rahe ho ki usse wo shaktiyan kis keemat par mili hain..

jabki wo saari shaktiyan toh ussi ki thi..mai chahkar bhi unhe haasil nahi kar sakta tha toh usse rokne ka kya faayda....



par ab wo waqt door nahi jab ASMODEUS aur VIKRAM aamne saamne honge......



BEELZEBUB- kya???sach..!!!!!kya mai...



ASMODEUS- thik hai....par usse pehle kuch aur hona baaki hai!!!!!

BEELZEBUB- kya???



ASMODEUS ne kuch kaha nahi bas BEELZEBUB ko saamne dekhne ka ishara kiya...


aur jaise hi BEELZUBUB ne saamne dekha wo shocked ho gaya kyunki uske saamne koi baitha hua tha....

SHOCKED sirf BEELZEBUB nahi hua tha,us shaksh ki bhi aankhen hairat se badi ho gayi thi....

ab achanak jagah badlegi toh shock toh lagega hi naa.....

fir jab us shaksh ki nazar saamne gayi toh usse fir se shock laga...

uske saamne do log the jo gardan se pair tak kaale libas me baithe usse hi ghur rahe the..



ASMODEUS- tumhara swagat hai BHUVIKA....






AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V..J....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM SHAILA KO GLUTO KI NAYI MAHARANI BANA DETA HAI WAHIN BHUVIKA APNE AAP KO ACHANAK ASMODEUS KE SAAMNE DEKHKAR SHOCKED HO JAATI HAI....
AB AAGE





CHAPTER-2





( CURSE OF THE SWEET POISON )



UPDATE- 81





PLANET-EARTH




PLACE- COLLEGE CAMPUS





HAASH........finally bukhar khatm hua.......



ANJALI- ....WHATTT...tujhe bukhar tha aur tune mujhe bataya tak nahi.....dekhun toh,kahin ab bhi fever toh nahi hai.....



ye bolkar ANJALI RONIT ke maathe par haath rakh kar check karne lagi wahin mai zor zor se hasne laga...



mujhe hasta dekh ANJALI sawal bhari aankhon se meri taraf dekhne lagi ki tabhi RONIT bhi meri tarah hasne laga....



ANJALI- tum dono ka dimag kharab ho gaya hai kya???yun bina wajah hase jaa rahe ho...

MAI-hamara dimag kharab nahi hua hai,tera dimag chalna aaj kal kuch kam ho gaya hai...

ANJALI- matlab??

MAI- matlab ye tera B.F body ke bukhar ki nahi exams ke bukhar ki baat kar raha hai..

ANJALI- oh,toh sidhe sidhe nahi bol sakta kya tu.....

MAI- lai,isne aaj tak koi baat sidhi sidhi boli hai jo aaj bolega....

aur tu saale,bol toh aise raha hai jaise saal bhar din raat mehnet ki thi tune exams ke liye,kyun???

RONIT- abbe tune jo pichle ek mahine se meri din raat laga rakhi hai naa,usme mera saal bhar ka kya,do saal ki padhayi ka kota bhi pura ho gaya hai...

RONIT ki baat sunkar ANJALI aur mai hasne lage.....



aise hi hasi mazak karte hue hum canteen pahunch gaye....



aaj humara first year ka final exam khatm hua hai...GLUTO se wapas aaye aaj hume ek mahine se upar ho chuka hai....

is ek mahine me maine RONIT se din raat padhayi karwayi hai...is douran baaki sab toh normal raha hai,bas ek chiz badli hai aur wo kya ho sakta hai, iske baare me toh aap sab jaante hi hain..

wo hai AVANTIKA ka mere prati rawaiya...waise toh wo sabke saamne haste muskurate rehti hai,mujhse bhi baatein karti hai,par jab bhi wo mere saamne aati hai aur mujhse baat karti hai toh uske rawaiye aur bolchaal me halki jhijhak rehti hai....

ye baat SHANAYA ne toh note nahi ki par mere doston ne is baat par hamesha gour kiya hai..

wo dono is baare me AVANTIKA se baat bhi karna chahte the par maine unhe rok diya...


dil ki baatein samjhayi nahi jaati balki khud samjhi jaati hain....



mai jaanta tha ki uska wajud meri haqiqat ko apnane se dar raha hai,par is jung ko usse khud hi jitna tha..apne dar ko usse khud hi harana tha....

khair,is baare me mai jab kuch kar nahi sakta tha soch kar kya faayda..

maine bhi AVANTIKA ki jhijhak ke upar usse kuch kaha nahi aur wo zyada uncomforable naa ho,isiliye mai uske saamne kam hi aata tha....



RONIT- chal bhai shuru ho jaa aur bata kya plan hai???



abhi hum baithe hi the ki RONIT bhai ne apna muh faad diya....



ANJALI- plan kaisa plan???

RONIT- ISLA ka aur kahan ka.humara agla adventure wahi hai naa.....

MAI- mere paas ek bad news hai aur ek good news..batao,pehle kya sunna chahoge....???

RONIT- ab ye kya baat hui??chal thik hai,pehle bad news sunaade phir good suna diyo....

kamsekam bad news sunke jo mood off hoga,usse thik karne ke liye kuch toh bacha hoga....

MAI- toh bad news ye hai ki ISLA mai jaa raha hun,tum dono nahi.......

DONO- what????

RONIT- kyun,hum kyun nahi jaayenge....???

MAI- tum dono abhi taiyar nahi ho...

ANJALI- matlab???itna kuch toh sikh gaye hain aur tune hi toh kaha tha ki humse behtar yodha shayad hi koi hoga!!!

MAI- wo bhi ek sach tha aur jo mai abhi keh raha hun wo bhi ek sach hai.....

kuch cheezen mai tumhe abhi nahi bata sakta par yakin maano,sahi waqt aane par tum dono ko sab pata chal jaayega.....



meri baat sunkar RONIT aur ANJALI dono udaas ho gaye....



MAI- arre yaar tum dono udaas mat ho...abhi good news baaki hai....

RONIT- saale,pura mood off karke bolta hai ki good news baaki hai....

MAI- acha matlab tum dono ko good news nahi sunani hai,right!!!!

ANJALI- ab zyada bhaav mat khaa,aur bata kya good news hai...

MAI- usse pehle ye batao ki agle hafte kya hai???

RONIT- yaar waise hi tune dimag kharab kar diya hai..ab ye kaun banega crorepati khelkar mood aur kharab mat kar.....

MAI-abbe mai kaunsa tujhe 4 options de raha hun...sidha sa sawal hai,uska jawab de....

ANJALI- hang on,hang on....mujhe pata hai tu kis din ke baare me baat kar raha hai...



ANJALI jo meri baat sunkar sochne lag gayi thi,uske dimag ki batti jali....

ANJALI- next tuesday UNCLE AUNTY ki marriage anniversary hai....

RONIT- oye teri ki...ye mai kaise bhul gaya...

MAI- kyunki tere dimag me bhussa bhara hua hai....

ANJALI- tu is good news ki baat kar raha tha....!!!!

MAI- nopes.....good news ye hai ki is baar hum sab MOM DAD ki anniversary celebrate karne SWITZERLAND jaa rahe hain......

DONO- WHAT?????

MAI- u heard me....



RONIT aur ANJALI ne mujhe dono side se hug kar liya....

RONIT- kya news sunayi hai tune bhai maza aa gaya....

ANJALI- haan yaar...ye mera switzerland ka first trip hoga....maza aa jayega....

RONIT- wo toh mera bhi first time hi hai....chal,ghar chalkar sabko ye plan batate hain....

ANJALI- haan fir hotel wagairah bhi toh book karni hogi naa....

MAI- ghar me sabko pata hai....aur maine hotel bhi book kar liya hai.....

ANJALI- kya???matlab ye sab preplanned tha jiske baare me sabko pata tha sivaaye hum dono ke....

MAI- haan..warna ye maharaj study me thik se concentrate nahi kar paate....

ANJALI- haan,ye toh hai....par ab toh hume bhi pata chal hi gaya hai naa.ab yahan se jaate hi mai shopping karne jaaungi....



SHOPPING...!!!!!!WOW..........yun achanak....anything special!!!!!!!



ANJALI ki baat saamne se aati hui SHANAYA ne sun li thi.uske saath AVANTIKA bhi thi jisne ek baar meri taraf dekha par fir apni nazar baakiyon ki taraf ghuma li....

ab ye mere liye normal ho gaya tha isiliye maine bhi zyada gour nahi kiya....



ANJALI- haan,special toh hai...next tuesday MINU aunty aur JAIRAJ uncle ki marriage anniversary hai.

RONIT/ANJALI-aur hum sab usse celebrate karne ke liye SWITZERLAND jaa rahe hain...



ye bolkar dono baccho ki tarah shor machane lage...



MAI- arre koi chocolate laakar do mere dono baccho ko.....



meri baat sunkar SHANAYA hasne lagi wahin AVANTIKA ke chehre par bhi halki si muskaan naach gayi.....


ANJALI- chupkar....ek toh humare bina hi sab planning kar leta hai aur ab jab hume pata chala hai toh kya hum khush bhi naa hon...

SHANAYA- oh toh ye sab V.J ka plan hai....

RONIT- aur nahi toh kya????aur pata hai,iske baare me humare ghar waalon ko bhi pehle se pata hai,bas hum dono ko hi abhi pata chala...

MAI- abbe bataya toh ki teri concentration kharab naa ho isiliye nahi chhupaa kar rakha tha...

SHANAYA- arre wo sab chhodo....the point is ki tum sab switzerland jaa rahe ho....yaar,tum sab kitne lucky ho.....

ANJALI- arre toh tum dono bhi lucky ban jaao naa.humare saath chalo....



ANJALI ki baat sunkar SHANAYA aur AVANTIKA shocked ho gaye...


SHANAYA- kuch bhi naa...tum sab lonavla nahi switzerland jaa rahe ho...aise hi chale jaayen kya hum bhi....

RONIT- aise hi matlab!!!toh kya tum dono ko le jaane ke liye hume pehle invitation card dena hoga....

SHANAYA- arre yaar itne short notice me tickets kahan se available honge..i mean,tum sab hi itne saare log ho toh FLIGHT toh full ho hi chuki hogi..



SHANAYA ki baat sunkar ANJALI aur RONIT hasne lage wahin AVANTIKA aur SHANAYA unhe sawaal bhari nazaron se dekhne lage....



SHANAYA- humne koi joke maara kya???

RONIT- joke hi toh maara hai..tujhe kisne kaha ki humme Switzerland jaane ke liye tickets ki zaroorat padegi???

SHANAYA- matlab???!!!!

ANJALI- matlab ye ki JAIRAJ uncle ke paas apna khudka plane hai aur hume jab bhi kabhi kisi foreign country me holiday ke liye jaana hota hai toh hum ussi me jaate hain...


ANJALI ki baat sunkar SHANAYA aur AVANTIKA ki aankhen badi ho gayi aur isse pehle ki wo apne bhaav vyakt karte



MAI- ab please haan,oh my GOD se shuru hone waali koi statement mat dena...

ab plane hai toh hai...not a big deal....tu bas itna bata ki saath chalegi ki nahi.....agar tere paas passport nahi bhi hai toh tention naa le,banwa denge...

SHANAYA- nahi passport toh hai....par ek baar ghar waalon se puch lete hain...

MAI- cool.aur agar koi problem ho toh RONIT aur ANJALI ko bata dena..ye tumhare ghar aakar tumhare mom dad ko mana lenge...



waise toh ab humare aur AVANTIKA ke ghar waalon ke beech sab kuch normal tha..bohot si social gatherings me humari mulakat bhi ho jaaya karti thi...

par fir bhi maine unke ghar me ghuske jo dabangayi dikhayi thi,uski wajah se mai kabhi unke ghar nahi jaata tha....

aur ye baat SHANAYA aur AVANTIKA bhi jaante the..dono ne mujhe kayi baar kaha bhi ki mere baare me jab bhi unke ghar me baat hoti hai toh unke ghar waale humesha mere liye positive reactions hi dete hain par fir bhi maine avoid hi kiya...



SHANAYA- thik hai...hum shaam tak batate hain.....

MAI- thik hai fir..aaj kaafi late ho gaya hai...ab ghar nikalna chahiye....



ye bolkar mai uth gaya.ANJALI aur RONIT ne AVANTIKA aur SHANAYA ko baari baari side hug kiya aur maine sirf SHANAYA ko...AVANTIKA ko maine bus bye kaha....

fir hum nikal gaye....

is pure douran bus bye bolte waqt hi maine AVANTIKA ki taraf dekha tha,baaki waqt maine uski taraf nazar bhi nahi ghumayi thi..

AVANTIKA ne kayi baar meri taraf dekha tha par is dauran usne ye realize kiya ki mai uski taraf nahi dekh raha hun...

uske upar maine switzerland jaane waali baat par sirf SHANAYA ko hi pucha,usse nahi jisse usse bura laga,par ab kar bhi kya sakte hain..

mujhe avoid karne ka faisla bhi toh ussika tha...ab har action ka koi na koi reaction toh hota hi hai....

khair,hamesha ki tarah RONIT aur ANJALi ek bike par aaye the aur mai apne....hum teno saath hi nikle.....fir ghar ke raaste par pahunch kar maine dono ko shaam ko aane ko kaha aur bike apne ghar ki taraf ghuma di....

ghar pahunchne par jaise hi maine bike ko stand kar palta toh mere dil me ek tees si uthi..

ye tees us dard ki thi jiska ghaav shayad zindagi bhar na bhare...

mujhse thodi hi door AASHI pool ke paas baithi upar aasman ki taraf dekh rahi thi..

darasal wo apni maa BHAAGWATI MAA ko yaad kar rahi thi...

BHAAGWATI MAA ke balidan ke baad maine unka ek clone bana diya tha....

BHAAGWATI MAA ke clone ne mere ghar par apne pati ki aatma ki shaanti ki puja karne ke liye KEDARNATH ki yaatra par jaane ki baat kaho aur mere naanaji se ijazat maangi.....

naanaji se ijazat lekar wo clone chali gayi aur fir kabhi naa louti....

bas ye khabar aayi ki BHAAGWATI MAA ka accident ho gaya hai aur us haadse me unki body tak puri tarike se damage ho gayi hai...

agar mai chahta toh ussi CLONE ko BHAAGWATI maa ki jagah zindagi bhar ke liye rakh sakta tha par ye ek paap hota...



jhoothi zindagi se acha jhoothi mout sahi...



mere mom dad ne AASHI ko godh le liya...AASHI choti zaroor thi par itni nahi ki apni maa ki mout ka matlab bhi naa jaan sake...

wo hamesha gumsum hi rehti thi....aur har waqt apni mom ko yaad karti rehti thi...hum sab hamesha koshish karte rehte usse khush rakhne ki par kehte hain naa,jispe beeteti hai wahi jaanta hai...

yahi saari baatein sochte hue mai uski taraf badh gaya.....



MAI- meri AASHI kya kar rahi hai yahn akele akele....



ye kehkar mai uski side me baith gaya..



AASHI- kuch nahi bhaiya....bas aise hi baithi hun....



mai uski aankhon me dekhne laga..itni si umar me apne dard ko chhupane ke liye jhoot bolne ka hunar sikh gayi ye bachi...

shayad apni maa ko khone ki wajah se AASHI waqt se pehle hi mature hone lagi thi...



MAI-mummy ki yaad aa rahi hai??????



mere mooh se mummy shabd sunte hi uski aankhon se aansu behne lage...

maine usse apni baahon me samet liya...

maine usse kuch der rone diya...aur jab kuch der rone ke baad uska dil kuch halka hua toh maine usse khud se alag kiya aur apne dono haathon se uske dono haathon ko thaam liya..

MAI- baccha,pata hai jab BHAAGWATI MAA yahan se gayi thi naa toh unhone mujhse kaha tha ki meri AASHI ka khayal rakhna...

agar tu aise royegi toh unhe lagega ki mai tera khayal nahi rakh raha hun...wo mujhse naaraz ho jaayengi....



meri baat sunkar ek baar firse AASHI ke aankhon se moti nikalne lage...



MAI- baccha,meri mom ab teri bhi mom hain..agar tu yunhi udaas rahegi toh unhe kitna bura lagega....

unhe lagega ki tu unhe apni mom nahi maanti....teri tarah wo bhi ron e lagengi...

lagengi kya,dekh,wo ro hi rahe hai...kya tu unhe rulana chahti hai???



meri baat sunkar AASHI ne jhat se mere peeche dekha jahan is waqt meri mom khadi humari baat sun rahi thi aur unke aankhon me aansu the....

AASHI jhat se mere godh se uthi aur jaakar mom ke pairon me chipak gayi.....

mom ne usse apni godh me utha liya....



AASHI- sorry mummy....ab mai nahi roungi....please aap bhi mat rona naa..



ye kehkar AASHI mom ke aansu pochne lagi...



MOM- promise karo ki fir kabhi nahi roge aap....

AASHI- promise....



MOM ne AASHI kaa maatha chum liya....



MOM- tujhe kaise pata chala ki mai tere peeche hun....????



MAI- lai,apni mom ko mehsoos nahi kar paaunga toh fir kisse karunga...

AASHI- aapki nahi meri mom...



AASHI ki baat sunkar hum dono has diye..

MOM- haan bacha,mai bas aapki mom hun...

MAI- thik hai fir.tu apni mom rakh,mai apna bag rakhkar aata hun...


ye kehkar maine k baar AASHI ke gaal kheenche aur ghar andar chala gaya...

fir kuch khaas nahi hua..shaam ko mere dono dost aaye,kuch der tak unhe pehle se plan ke baare me naa batane ki wajah se mom se naaraz hone ki acting ki fir kamine khud hi maan gaye...

fir hum teeno nikal gaye shopping karne....

Chaliye, jab tak ye teeno shopping kar rahe hain,hum zara ussi waqt me wapas chalte hain jab ASMODEUS aur BEELZEBUB ke saamne BHUVIKA prakat hui thi....





PLANET- MONSLICKEL







PLACE- ASMODEUS PALACE





BHUVIKA- kaun ho tum dono?????aur mai yahan kaise aa gayi.....


BHUVIKA apne aankhon me pehle se moujud beshumar dard ke bhaav ke saath hairat ke bhaav ko jodte hue idhar udhar dekhne lagi.....

Wahin uske saamne khade BEELZEBUB aur ASMODEUS ke man me do alag alag bhaav utpann ho rahe the....

BEELZEBUB ko apne andar ek ajeeb si kamzori mehsoos ho rahi thi wahin ASMODEUS ki man me ek vyakulta thi..

Wahin apne sawal ka jawab naa milne par BHUVIKA ne firse sawal kiya....


BHUVIKA-kya tum dono bhi un logon ke saathi ho jisne meri didi ki jaan li...agar aisa hai toh mujhe bhi maar do....waise bhi meri behen ke bina mera koi astitva nahi hai.....



Ye bolte bolte BHUVIKA ki aakhen ek aur baar aansuon se bhar gaye the.....


ASMODEUS- hum tumhare shubhchintak hain BHUVIKA.......dushman nahi....



ASMODEUS ki baat sunkar ek baar firse BHUVIKA ke aankhon ki putliyon me hairat naach gayi....

BHUVIKA- mai kaise maan lun...???



BHUVIKA ji baat sunkar ASMODEUS ke honthon par muskaan aa gayi.usme kuch kaha nahi bas apna haath aage kar diya.ASMODEUS ke haathon se ek neeli ray nikli aur agle hi pal ASMODEUS se thoda aage ek aakriti banane lagi aur jaise hi wo aakriti ne insaani roop liya,BHUVIKA aur BEELZEBUB ko ek jhatka laga.

Wo aakriti jisne abhi abhi insaani roop liya tha,wo aur koi nahi VIKRAM tha......

Par BEELZEBUB aur BHUVIKA ke shocked hone ki wajah alag alag thi......

Aur isse pehle ki dono me se koi react karta,



TANNNN.........


is awaaz se jaise BHUVIKA hosh me aayi aur jab usme apne saamne dekha toh paaya ki uske aage ek talwar giri hui hai....

Wahin BEELZEBUB ASMODEUS se kuch kehne hi jaa raha tha ki ASMODEUS ne usse man me hi chup rehne ka hukm diya....



ASMODEUS- lo,ye khada hai tumhara gunehgaar aur tumhare saamne padi hai talwar....iske saath jo karna chaho,kar lo....



BHUVIKA kuch der tak ek tak VIKRAM ko dekhti rahi,fir dheere dheere uski aankhon me VIKRAM ke liye nafrat aur aseem krodh ke bhaav utpann hona shuru ho gaye...

Usne apne saame padi talwar uthayi aur VIKRAM ke saamne pahunch gayi....



Aur SAAYENNN...



SAAYENNN.......



BHUVIKA lagatar talwar chalati rahi aur dekhte hi dekhte VIKRAM ka pura sharir katathe chala gaya....

Jis ladki ne aaj tak chiti bhi nahi maari thi,aaj usne bina ek pal gawayen kisi insaan ki jaan le li thi......

wahin jaise hi BHUVIKA ne VIKRAM par waar kiya, BEELZEBUB ke sharir me ho rahi kamzori gayab hone lagi...



VIKRAM ke sharir par waar karte waqt BHUVIKA ke ankhon se ansuon ki baad si nikal rahi thi par aakhri waar karte karte wo.aansu rook aye aur unki jagah shock ne le li....

Aur wo isiliye kyunki VIKRAM ki puri body kat chuki thi,par abhi tak uske sharir se ek bund bhi khoon kaa nahi nikla tha.....

Aur jaise hi BHUVIKA ne VIKRAM ki body ko chune ke liye haath aage badhaya,body dhuan banke hawa me gayab ho gayi.....

BHUVIKA kabhi us jagah ko dekhti jahan kuch der pehle VIKRAM ki kati hui body thi toh kabhi ASMODEUS ki taraf jo ussi ko muskurate hue dekh raha tha....

wahin in dono se alag BEELZEBUB apne FATHER ki yojna ko samajhne ki koshish kar raha tha..

kyunki ASMODEUS ke VIKRAM ko saamne prakat karte hi wo samajh gaya tha ki saamne kahda shaksh VIKRAM ka CLONE hai...



BHUVIKA- ye sab kya hai???aur wo jisse maine abhi maara tha wo kahan gaya??aur uske sharir se khoon kyun nahi nikla raha tha...

ASMODEUS- kyunki wo koi insaan nahi bas ek behrupiya tha....



ASMODEUS ki baat sunkar BHUVIKA ko ghussa aa gaya aur usne jo talwar haath me pakdi hui thi,usse ASMODEUS ke sir ko nishana banakar chala diya



par........



BHUVIKA ne ghumaya toh talwar hi tha par ASMODUS ke gale tak pahunchte pahunchte wo talwar gaayb ho chuki thi....

wahin BHUVIKA ki harkat ko dekhkar ASMODEUS aur BEELZEBUB hasne lage....



BHUVIKA- has lo....jab pata ho ki khud ke paas zyada taakat hai toh dikhane me bohot maza aata hai....

khaas kar mujh jaise ke aage jo shaktihin hai??



ASMODEUS- aur agar tumhe shaktishaali bana diya jaaye toh!!!!



agar tumhare andar aseem shakti bhar di jaaye toh!!!!



ASMODEUS ki baat sunkar BHUVIKA ke saath saath BEELZEBUB bhi chownk gaya...

BHUVIKA- fir mai us vyakti jiska behroopiya abhi yahan khada tha,uska haal bhi uske behroopiye jaisa kar dungi...



BHUVIKA ki baat sunkar ASMODEUS fir se hasne laga wahin BHUVIKA firse aankhon me sawaal liye ASMODEUS ki taraf dekhne lagi..



ASMODEUS- bewakuf ladki.....


kya tumhari aankhon me patti bandhi hui thi jab VIKRAM ne apna asli roop pure GLUTO ko dikhaya tha....

taakat se tum USSE ko kabhi nahi hara sakti....



BHUVIKA ASMODEUS ki baat sunkar bohot nirash ho gayi....



ASMODEUS- tum usse maar toh nahi sakti,par usse ek aisa ghaav zaroor de sakti ho,jo uske liye mout se bhi badtar hoga....



ASMODEUS ki baat sunkar BHUVIKA ki aankhon me ek khooni chamak aa gaya...



BHUVIKA- agar aisa ho sakta hai toh aisa karne ke liye aap mujhe jo karne ke liye kahenge,mai karne ko taiyar hun....



wahin BEELZEBUB jo shuru se apne FATHER aur BHUVIKA ke beech ki baat sun raha tha,wo bol utha..



BEELZEBUB- FATHER,kya mai aapse kuch puch sakta hun???

ASMODEUS- usse pehle ye jaanana nahi chahoge ki iske aate hi tumhare andar kamzori kaise aane lagi thi aur BHUVIKA ke VIKRAM ke behrupiye ko maarte hi wo kamzori gayab kaise ho gayi???....



ASMODEUS ki baat sunkar BHUVIKA fir shocked ho gayi....

aur yahi wo baat thi jiski wajah se ASMODEUS bhi vyakul ho gaya tha..



BELZEBUB- haan jaanana chahta hun...

ASMODEUS- kyunki is bramhaand ke 99 pratishat logon ke andar kahin na kahin halka sa hi sahi par
paap awashya hi chupa hua hota hai par BHUVIKA ke man me kuch waqt pehle tak lesh maatra paap ki bhaavna bhi nahi thi....

aur isiliye uske sharir se nikalti adrishya WHITE ENERGY ki tarange tumhare kaali shaktiyon ko nichod rahi thin jis wajah se tumhe kamzori mehsoos ho rahi thi...

par VIKRAM ke behroopiye ko maarte hi iska man badal gaya jis wajah se wo WHITE ENERGIES ki tarango ka asar kam ho gaya aur tumhari kamzori bhi jaati rahi....

aur ab tumhare sawaal par aayen toh tum yahi puchna chahte ho naa ki ye naazuk si BHUVIKA jiska man bhi komal sa hai,wo VIKRAM ko kaise chot pahuncha sakti hai???



BEELZEBUB- haan...



ASMODEUS- BHUVIKA,maine jo kaha hai,wo ho sakta hai par har chiz ki keemat hoti hai aur kyunki badla tumhara hai isiliye keemat bhi tumhe hi chukani hogi......

kya tum keemat ada karne ke liye taiyar ho......



BHUIVIKA ne kuch kaha nahi bas uski aankhon me confidence ka ek aisa sailab utha jisse dekhkar ASMODEUS ke chehre par ek vijayi muskaan naach gayi...



ASMODEUS- tumhe do kaam karne honge...



1ST- tumhare andar bohot zyada maatra me WHITE ENERGY hai,jisse ek jhatke me khatm karne ke liye tumhe BEELZEBUB ka KHOON pina padega....



ASMODEUS ki baat sunkar BEELZEBUB aur BHUVIKA ko ab tak ka sabse bada jhatka laga...

par BHUVIKA turanat sambhal bhi gayi....



BEELZEBUB- mera hi khun kyun???iska kaam liye toh kisi bhi DEVIL ka khoon istemaal kar sakte hain naa..

ASMODEUS- nahi kar sakte....BHUVIKA ke andar ki energy ko bas tumhara khoon hi sambhal sakta hai.....



jaanti ho ye kya hai BHUVIKA....??



is waqt ASMODEUS ke haathon ek upar do BLACK ENERGIES ke dhuen tair rahe the...

BHUVIKA ne naa me gardan hila diya...



ASMODEUS- ye tumhari behen NISHKALIKA aur uske saathi MADDOX ki KAALI SHAKTIYAN hain...

agar tumne apna pehla kaam kiya toh inaam swaroop tumhe ye dono shaktiyan milengi....



BHUVIKA- mai taiyar hun....mera dusra kaam kya hai.....???




ASMODEUS- TUMHE BEELZEBUB SE SHAADI KARNI HOGI.......






AAJ KE LIYE ITNA HI....





AAPKA APNA V..J.....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM APNE MOM DAD KI MARRIAGE ANNIVERSARY KO SWITZERLAND ME CELEBRATE KARNE KE PLAN KE BAARE ME RONIT AUR ANJALI KO BATATA HAI.WAHIN DUSRI TARAF ASMODEUS BHUVIKA KO APNE BETE SE SHAADI KARNE KE LIYE KEHTA HAI:-
AB AAGE:-





CHAPTER-2




( CURSE OF THE SWEET POISON )



UPDATE-82





PLANET-MONSLICKEL





PLACE- ASMODEUS PALACE





aap jaante hain ki aap kya maang rahe hain????aap ek nafrat ke putle ko mohobbat ke sabse badi chaadar se odhana chahte hain.....

ye baat BHUVIKA ke mooh se nikli thi aur wajah toh aap sab jaante hi hain.....

ASMODEUS ka dusra kaam ya ye kahun uski dusri shart....

BHUVIKA ki BEELZEBUB ki shaadi....

ASMODEUS ki shart ko sunkar BHUVIKA toh shocked hui hi thi par usse zyada BEELZEBUB shocked hua tha..

par saath hi wo apne FATHER ke faisle se khafa bhi tha....aur iska kaaran ye tha ki wo shaadi shabd se hi nafrat karta tha...

aur iski wajah.....uske FATHER aur MAA ki shaadi aur uska fal matlab WO.....

jiski pehchaan uske paida hote saath hi tay kar di gayi thi ki wo ek SHAITAN hai....

par uski itni himmat aur haisiyat nahi thi ki wo apne FATHER ki baat ko kaat sake...isiliye wo chup chaap khada raha...

par BHUVIKA ne apni baat ya ye kahun apna tark ASMODEUS ke saamne rakh diya..

bewakuf itna bhi nahi jaanti thi ki tark pesh karne ke maamle me in dono BHAIYON se koi nahi jeet sakta....



ASMODEUS- jis tarah AAG ko AAG nahi bujha sakti..uske liye paani ki zaroorat padti hai ussi tarah NAFRAT ko bhi sirf MOHOBBAT hi khatm kar sakti hai....



apen FATHER ke mooh se MOHOBBAT sunkar BEELZEBUB firse shocked ho gaya....

hazaron saalon me pehli baat aaj BEELZEBUB ne ASMODEUS ke mooh se is shabd ko suna tha...

wahin ASMODEUS bhi apne bete ki soch se mehroom nahi tha..



ASMODEUS- aise shabdon ka samooh aksar mera BHAI istemal karta hai..socha,aaj mai bhi karke dekhu..pata toh chale,ye sab bolne se kya milta hai....

par afsos,kuch bhi mehsoos nahi hua...

BHUVIKA,maine tumhe BEELZEBUB se shaadi karne ke liye kaha hai...rishta nibhane ke liye nahi....



ASMODEUS ki baat sunkar BEELZEBUB aur BHUVIKA dono confused ho gaye....dono ko hi samajh nahi aaya ki ASMODEUS aakhir chhahta kya hai...

ab inhe kaun samjhaye,ASMODEUS ko samajhna,inke bas ki naa hai.....



ASMODEUS- bas itna samajh lo ki ye tum dono ke liye zaroori hai....

BHUVIKA- thik hai..mai taiyar hun....



ASMODEUS ne BEELZEBUB ki taraf dekha..

BEELZEBUB ne apna ek haath aage kiya..agle hi pal uske haath me ek bada sa katora tha...

fir BEELZEBUB ne apna dusra haath aage kiya aur jaise hi usne ye kiya...

ASMODEUS ne apni ek ungle ko hawa me talwar ko ghumane jaisa chalaya aur agle hi pal........



BEELZEBUB ki kalayi kat gayi.....wahan se tez dhaar kaala khoon nikalne laga....

par wo khoon niche nahi gira balki BEELZEBUB ke dusre haath me rakhe katore me girne laga.....

wahin BHUVIKA ye sab hairat bhari nazaron se dekh rahi thi....

kuch hi der me wo katora pura BEELZEBUB ke khoon se bhar gaya....

jaise hi katora bhara,BEELZEBUB ki kalayi bhi theek ho gayi.....

BEELZEBUB ne katora saamne kar diya..wo katora hawa me tairta hua aage badha aur BHUVIKA ke saamne jaakar rook gaya...

khoon se bhare katore ko dekh kar BHUVIKA ko ubkayi aa gayi....



ASMODEUS- apni behen ki mout ko yaad karo BHUVIKA.....



BEHENNNN..is shabd ne BHUVIKA ke andar ek sailab paida kar diya..

aur agle hi pal wo khoon se bhara katora BHUVIKA ke honton ke beech fasa hua tha..

honth ke dono taraf se halka halka khoon ris raha tha.

wahin BHUVIKA ko lagatar bina mooh hataye ya ye kahun bina cheekhe chillaye khoon pita dekh BEELZEBUB ki aankhen hairat se faile gayi...

wahin ASMODEUS ko bhi ye samajh aa gaya ki BHUVIKA ko chunkar usne galat nahi kiya...

aur iska kaaran ye tha ki BEELZEBUB ka khoon boiled water se bhi zyada garam tha...

uske upar us khoon me nukile kaaton ki chubhan bhi thi...

is waqt BHUVIKA ko wahi dard mehsoos ho raha tha jo kuch samay pehle MADDOX ne HOLY WATER ko peete waqt mehsoos kiya tha...

par is aseem dard ke baawajud BHUVIKA gatagat wo khoon peete chali jaa rahi thi...

BHUVIKA ke aankhon se aansu beh rahe the..par wo aansu us aag ko bujhane me asamarth the jo aag is waqt BHUVIKA ke dil me lagi hui thi.....

kuch hi palon me wo khun se bhara katora bhi khaali ho gaya.....

BHUVIKA ne us katore ko fek diya...uske gale me bohot zyada dard ho raha tha..usse aisa lag raha tha jaise koi uske gale ko andar se kaat raha hai..

par iske baawajud uske mooh se uff tak nahi nikli...

ab tak BEELZEBUB bhi samajh gaya tha ki jis ladki ko wo ek naazuk si kali samajh raha hai,wo andar se utni hi kathor bhi hai...

aur ab BEELZEBUB ko BHUVIKA se shaadi karne me koi aapatti bhi nahi feel ho rahi thi...

par ab bhi wo ye jaanana chaah raha tha ki uske FATHER aisa kyun chaahte hain...

wahin ASMODEUS ko BHUVIKA ka yun asahaniya dard ko bhi bina kuch bole sehte rehna dekh bohot acha laga...

ASMODEUS ne apna haath aage kar diya...uske haath se ek kaali roshni nikli aur BHUVIKA ke gale me sama gayi..

aur issike saath BHUVIKA ka dard bhi khatm ho gaya....

abhi BHUVIKA dard se nijaat paakar chain ki saans le hi rahi thi ki..........



uska sharir badalne laga.....uske sharir ka aakar badhne laga..uske haath pair bhi foolne lage.....

par kuch der tak aakar badhne aur sharir foolne ke baad BHUVIKA ka sharir wapas normal ho gaya aur ye dekhkar ASMODEUS khush ho gaya.....

wahin BHUVIKA ko apne saath ho rahe badlaav ko dekhkar shock laga tha....



BHUVIKA- ye sab kya tha????

ASMODEUS- mubarak ho.....BLACK ENERGY ne tumhare sharir ko apna liya hai...

abhi jo badlaav tumhare andar aa rahe the,wo isiliye hi the...BLACK ENERGY tumhare andar khud ko thik se samayojit kar rahi thi...



yahan ASMODEUS apni baat keh raha tha,wahin BHUVIKA ko apne andar aseem shakti feel ho rahi thi jo lagatar badh hi rahi thi.....


BHUVIKA- mujhe ajeeb sa lag raha hai..aisa lag raha hai jaise mere andar kisi cheez ka sanchar ho raha hai...

ASMODEUS- tum shaktishaali ho rahi ho....

BHUVIKA- toh kya ab mai apna badla le sakti hun....

ASMODEUS- nahi...usme waqt hai...filhal.....



ye kehkar ASMODEUS ne apna haath aage kar diya...uske haathon me MADDOX aur NISHKALIKA ki jo kaali shaktiyan thi,wo uske haathon se nikal kar BHUVIKA ke andar samane lagi.....

aur jaise hi MADDOX aur uski behen ki saari shakti uske andar samayi,BHUVIKA ki aankhen laal ho gayin.....uske pure sharir me BEELZEBUB ki hi tarah kaala libas aa gaya..

rang barf ki tarah safed ho gaya.....BHUVIKA ko aisa lagne laga jaise wo agar chaahe toh pure grah ko bhi chutki me mita sakti hai....



ASMODEUS- ab dusre kaam ko anjam dene ka waqt aa gaya hai....

BEELZEBUB- mai taiyar hun...

BHUVIKA- mai bhi.....




ASMODEUS- SAMVIBHAGA SARVATOMUKHAM



SHARE SPIRIT....




ek dusre ka haath pakad tum dono ko is SPELL ko bolna hai...isse tum dono ki aatma ke aadhe hisse ek dusre se jud jaayenge...



BEELZEBUB aur BHUVIKA ne jaisa ASMODEUS ne kaha tha,waise hi kiya...haath pakad kar jaise hi dono ne mantra uccharit kiya....

dono ke sharir se unki rooh baahar nikli...

jahan BEELZEBUB ki rooh puri kaali thi,wahin BHUVIKA ki rooh aadhi kaali aur aadhi safed thi.....

aur jaise hi dono ki rooh ne ek dusre ko chua,BHUVIKA aur BEELZEBUB ki aakhen bandh ho gayin...

jahan BHUVIKA ko apna koi hissa BEELZEBUB se judta hua sa laga,wahin BEELZEBUB ko apne andar kuch darwaze khulte hue se dikhe.....

kuch der tak aisa hi chalta raha,fir dono ki rooh apne maalik aur maalkin ke body me wapas chale gaye...aisa hote hi dono wapas normal ho gaye....


ASMODEUS- ab tum dono ek dusre se jud gaye ho...BHUVIKA,BEELZEBUB ne jo bhi kuch sikha hai,ab wo tumhare mastishk ke kisi kone me bhi moujud hai...

dhyaan ke maadhyam se tumhe un saari chizon ko baahar laana hai..jis din tum ye karne me safal hui,tum apna badla le sakti ho......

par tum wahi karogi jo karne ke liye mai tumse kahunga....



BHUVIKA ne kuch kaha nahi bas apni gardan haan me hila di......



ASMODEUS- MUBARAK ho BEELZEBUB....BHUVIKA ki wajah se ab tumhara sharir WHITE ENERGY ko jhelne ke kaabil ho gaya hai....

ASMODEUS ki baat sunkar BEELZEBUB ki khushi kaa thikana nahi raha kyunki wo ASMODEUS ki ankahi baat bhi samajh gaya tha....



BEELZEBUB- thank you FATHER.......



ASMODEUS- BHUVIKA ko lekar kisi aisi jagah jaao jahan ye shaanti se dyaan laga sake....



BHUVIKA aur BEELZEBUB ne ek baar ASMODEUS ke aage apna sir jhukaya aur gayab ho gaye....



ASMODEUS- wo kya kehte hain BHAI tumhare grah par????haan.........



THE GAME IS ON........






PLANET- EARTH




PLACE-AHUJA'S MANSION





I hope yaar ghar waale maan jaayen aur hume Switzerland jaane ki permission de den...mera bohot man hai jaane ka....

Tujhe kya lagta hai,ghar waale hum dono ko allow karenge!!!!!



Shaam ka waqt hai...waise toh AVANTIKA aur SHANAYA dopahar ko hi college se ghar wapas aa gaye the par us waqt ghar par sirf auraten hi thi...

Isiliye SHANAYA ne decide kiya ki wo shaam ko jab saare gharwaale moujud honge,us waqt jaakar sabse Switzerland jaane ki permission legi....



AVANTIKA-hum dono nahi sirf tujhe.....

SHANAYA- matlab!!!???

AVANTIKA- matlab mujhe koi permission nahi leni...mai kahin nahi jaa rahi hun....

SHANAYA- what!!!par kyun..????Switzerland jaana toh tera dream tha naa...

AVANTIKA- haan toh....wo toh aaj nahi toh kal mai jaungi hi.par filhal mujhe kahin nahi jaana...



SHANAYA ne pehle AVANTIKA ko manane ki sochi,par fir usne socha ki jab AVANTIKA ka man hi nahi hai,toh jabran usse force karne ka koi matlab bhi nahi hai...



SHANAYA- thik hai...teri marzi.....par mujhe toh jaana hai isiliye mai chali sabko patane.....



Ye bolkar SHANAYA niche hall ki taraf chali gayi jahan is waqt lagbhag sabhi gharwaale moujud the.....


Wahin SHANAYA ke kamre se bahar jaane ke baad AVANTIKA apne bed par let gayi aur budbudane lagi....



AVANTIKA khud se- mai kyun jaaun...?? Usne toh mujhe ek baar pucha tak nahi.....


Tabhi AVANTIKA ke dil se awaaz aayi......



A/DIL- aur wo bhala tujhse kuch kyun puchega....????pichle ek mahine se tu usse lagatar avoid kiye jaa rahi hai..

Isiliye usne bhi tujhse puchna zaroori nahi samjha....

AVANTIKA- arre bhala ye kya baat hui???wo matter dusra hai aur ye dusra..dono ko mix kyun karna???

A/DIL- ACHA!!!!aur wo bhala kaise....jisse tu ignore kar rahi hai,ussi ka hi toh ye holiday ka plan hai naa....jab banda wahi hai,toh matter alag kaise hua....

AVANTIKA- haan toh usne bhi toh mujhse apni itni badi asliyat chupai hai.....

A/DIL- kya sach me!!!!!kya tujhe usne ye nahi bola tha ki sahin waqt aane par tujhe sab kuch apne aap pata chal jaayega....

Aur kya usne apna wo waada nahi nibahaya..tujhe uski asliyat ussike through nahi pata chali...kya tujhe kisi aur se pata chala....


Tujhe pata hai ki asli problem kya hai????asli problem ye hai ki TU USSE CHAHNE LAGI HAI.....



Aur ab jab tujhe uski asliyat,uske wajood ke baare me pata chal gaya hai toh tu khudko bohot chota maanane lagi hai...

But u know what????jaise tum dono ke pehli mulakat ke waqt tune usse galat interpret kar liya tha,thik waisa hi kuch tu ab bhi kar rahi hai.....

Itne waqt me tu kamsekam itna toh jaan hi chuki hogi ki bhale hi usse samjajhna mushkil ho,par ek baat hai jo crystal clear hai aur wo ye hai ki wo kabhi bhi kisiko chota nahi samajhta...

Aur uske bade ho jaane se tu choti nahi ho jaati...ye saare negetives bas tere dimag ki upaj hain aur kuch nahi..

Aur tere dimag ke maths ke hisab se bhi agar situation ko dekha jaaye toh chalo maana ki tum dono ke beech aage kuch nahi ho sakta par ek chiz toh abhi bhi hai hi naa.DOSTI......

Fir tu apni feelings ki wajah se is rishte ko kharab karne pe kyun tuli hui hai....

Tujhe ye baat abhi abhi pata chali hai ki wo kaun hai,par usse toh apne baare me pehle se hi pata hoga naa..

Uske baawajud kya usne tujhe kabhi bhi ye ehsaas hone diya ki tu uski friend banane ke layak nahi hai....

Tum dono ke beech jo bhi duriyan aayi hai,ye sab tera kiya dhara hai....

Aur ab is holiday me naa jaakar tu is doori ko aur badha rahi hai..

Kya pata,ek din sach me hi wo tera dost bhi na rahe....

AVANTIKA- nahi......mai aisa nahi hone dungi...mai bhi is holiday pe zaroor jaungi....



Ye bolkar AVANTIKA ek jhatke me uth kar khadi ho gayi aur kamra kholkar neeche ki taraf tezi se nikal gayi.....



WAHIN NICHE....



SHANAYA- dad,bade papa,mujhe aapse kuch kehna hai...



SHANAYA aur AVANTIKA ke dad hall me baith kuch business ki baatein discuss kar rahe the,itne me unke kaano me SHANAYA ki ye awaaz padi....


A/DAD- haan beta bolo kya baat hai????

S/DAD- CREDIT CARD ki limit firse cross kar di kya tune???



Ye bollar NIKHLESH aur NAVEEN hasne lage....wahin unke saamne khadi SHANAYA ne mooh bana liya...



SHANAYA- offo dad..hamesha aisa thodi naa hota hai,wo toh bas kabhi kabhi zyada shopping ho jaane par limit khatm ho jaati hai....

S/DAD- HAAN,aur ye tera kabhi kabhi pichle 6 months se lagatar ho raha hai.....



Ye bolkar fir dono hasne lage.....



SHANAYA- kya bade papa,aap bhi......dekhna,jis din meri job lagi naa,aapki paayi paayi louta dungi....

DONO- SACH....!!!!

SHANAYA- JHOOTH........



SHANAYA ka jawab sunkar firse dono has pade par is baar SHANAYA bhi is hasi me shaamil thi...


SHANAYA- acha,wo sab chhodiye,mujhe aap dono se kuch kehna hai actually permission leni hai.....

S/DAD- kahin koi ladka toh pasand nahi kar liya tune...!!!!



KYA!!!!! tune ladka bhi pasand kar liya aur hume abhi tak bataya bhi nahi.....chal jaldi se puri details de....ladke ka naam kya hai??? Kis ghar se hai????mummy paapa kya karte hain????

Koi buri aadat toh nahi hai naa usme....ab bata naa,ye sir par haath kyun rakha hua hai tune.....?????



Isse pehle ki SHANAYA apne dad ke mazak me puche gaye sawal ka koi jawab deti,kitchen se baahar aati hui hui uski mom ne uske pati ki boli hui baat sunli aur sach maan li..

Aur uske baad jo raashan paani lekar wo SHANAYA ke upar chaddhi,wo toh aap sab ne padh hi liya hai...

Jahan AMRITA ki baat sunkar NAVEEN aur NIKHLESH hasne lage wahin SHANAYA ne apne sir par haath rakh liya.....



SHANAYA- arre mom,maine koi ladka pasand nahi kiya hai..dad mazak kar rahe hain...



Apni beti ki baat sunkar jab AMRITA ne apne husband aur jeth ki taraf dekha toh paaya ki wo dono apni mooh ko dabaye hue has rahe the....



S/MOM- kya jee aap bhi naa.najaane maine kya kya soch liya tha....



Is baar dono apni hasi daba nahi paayen aur zor zor se hasne lage...



SHANAYA- ho gaya aap dono ka..ab mai kuch bolun???actually mai apne friends ki family ke saath ek holiday par jaana chahti hun.....


MAI NAHI HUM........



SHANAYA ne piche palat kar dekha jahan se AVANTIKA uski taraf aa rahi thi.....

AVANTIKA ko aata dekh aur ye jaankar ki usne apna mind change kar liya hai aur wo bhi ab uske saath chalegi, ye jaankar SHANAYA khush ho gayi....



AVANTIKA- hum dono apne frnz aur unki family ke saath holiday par jaana chahte hain....



A/DAD- haan toh whats the big deal???chale jao....

AVANTIKA aur SHANAYA AVANTIKA ke dad ki baat sunkar khush ho gaye....



S/MOM- aise hi haan keh diya....pehle puch toh lo ki jaa kahan rahe hain...

SHANAYA-switzerland.....



SHANAYA ki baat sunkar sabhi bade shocked ho gaye....



S/MOM- koi zaroorat nahi hai itni door jaane ki...

SHANAYA- mom please naa.....waise hi hamare holidays shuru ho gaye hain...ek trip toh banta hai naa.aur aapko toh pata hai ki mujhe aur AVANTIKA dono ko Switzerland dekhne ka kitna man hai....

A/DAD- wo sab toh thik hai beta par Switzerland koi INDIA me toh hai nahi jo aise hi chale gaye.....

SHANAYA- bade papa, wo hamare friend ke dad ke paas khudki plane hai aur wo hum dono ko bhi apni beti hi maante hain toh koi problem nahi hogi...

A/DAD- khud ki plane hai..kiski baat kar rahi ho???

SHANAYA- VIKRAM ke dad ki.....



Mera naam sunte hi SHANAYA auur AVANTIKA ke dads ka mind change hone laga...

Jitne baar bhi hum mile the,utni baar me unke man me mere liye positivity aa gayi thi..

Uske upar wo mere dad ke baare me bhi jaante the..wo jaante the ki mere dad ke rehte unki bacchiyan safe rahengi...

Par ussi waqt unke andar ka pita unhe apni bacchiyon ko akele bhejne se rok raha tha...



SHANAYA- plz maan jaayiye naa...



Ye bolkar SHANAYA ne AVANTIKA ko kohni maari....
Wo jaanti thi ki AVANTIKA ki baat koi nahi taalta...



AVANTIKA- dad,plz.........



A/DAD- thik hai...chale jaana....



AVANTIKA ke dad ke permission dete hi AVANTIKA aur SHANAYA khush ho gaye par agle hi pal unke chehron par ek baar firse tention dikhne lagi..aur ye tention SHANAYA ki mom ki wajah se aaya tha....



S/MOM- arre,jawan bacchiyon ko yun akela kaise chhod sakte hain?????

A/DAD- kisne kaha ki ye dono akeli jaa raa rahin hain... RIYANSH aur DEVANSH bhi inke saath jaayenge....


Apne dad aur bade papa ki baat sunkar AVANTIKA aur SHANAYA ke chehre par ek ssaath do do bhaav aaye..

Pehla bhaav tha khushi ka aur dusra tention kaa..

Khushi is baat ki ki unhe jaane ki permission mil gayi thi aur tention is baat ki kyunki RIYANSH aur DEVANSH ke saath VIKRAM ki history achi nahi rahi thi..

Haalaki un dono ne bhi VIKRAM & family se maafi maang li hai,fir bhi maafi maangna aur jinse maafi maangi ho unke saath hang out karne me fark hota hai.....



AVANTIKA- dad, RIYANSH bhaiya aur DEVANSH bhaiya nahi maanenge.....

A/DAD- inki fikr mat karo..un dono ko mai samjha dunga..tum dono ek baar VIKRAM se puch lo...



AVANTIKA-theek hai dad.....



Ye bolkar AVANTIKA aur SHANAYA apne room ki taraf chal diye....




IN ROOM




AVANTIKA- ab kya karen yaar????bhale hi dad ke order ko hamare dono bhaiya taal naa payen,par wo dono khushi khushi jaane ke liye ready nahi honge.....

SHANAYA- haan,wo toh hai....par kar bhi kya sakte hain??? Par pehle VIKRAM se toh puch len....

AVANTIKA- wo mana nahi karega..problem bhaiya logon ki hai..ek baar unhe mana len,uske baad VIKRAM ko milkar puch lenge...

SHANAYA- haan ye bhi thik hai.....chal dekhte hain,kya hota hai....



Aur hua bhi wahi jo AVANTIKA soch rahi thi.....shaam ko jab RIYANSH aur DEVANSH ghar aaye toh AVANTIKA ke dad ne unhe sab bataya aur kaha ki unhe bhi apni beheno ke saath jaana hoga..

Apne dad ke saamne toh dono kuch nahi bol paaye par fir dono AVANTIKA ke room ki taraf unse baat karne chal diye....

Jahan pehle se hi AVANTIKA aur SHANAYA un dono ka intazar kar rahe the...



RIYANSH- yaar,ye tum dono ne hum dono ko kahan fasa diya...

RIYANSH ne AVANTIKA ke room me ghuste hi sawal kiya...



SHANAYA kuch kehne hi waali thi par AVANTIKA ne usse rok diya..



AVANTIKA- pehle aap dono ek baat bataiye....kya aap dono ke man me abhi bhi VIKRAM, ANJALI aur RONIT ke liye bair hai??? Negativity hai????

DONO- bilkul bhi nahi.jab galti humari thi toh unhe galat kyun samajhna....par fir bhi.....

AVANTIKA- odd lagta hai....right.....



Dono ne haan me sir hila diya...



AVANTIKA- aur isiliye hi V.J bhi kabhi hamare ghar nahi aata..taaki aap dono ko kabhi odd naa lage.par kab tak aisa chalega..

Ab hum sab ek hi group me hain...toh hanare families ko bhi milkar rehna chahiye na.aur ye karne ke liye isse better mouka nahi milega....is holiday me aap dono ke man ki awkwardness khatm ho jaayegi....



Dono ladkon ko AVANTIKA ki baat sahin lagi...



DEVANSH- par agar un teeno me se kisiko hamara aana acha nahi laga toh!!!

SHANAYA- aapka ye doubt bhi clear kar dete hain...ek baar un teeno se mil lete hain...



Ye bolkar SHANAYA ne phone nikala aur mujhe call laga diya..

Is waqt hum teeno shopping khatm kar restaurant ke liye nikalne hi waale the....

Mere phone uthate hi SHANAYA ne hum teeno se kab mil sakte hain,ye pucha...toh maine unhe abhi hi apne saath dinner ke liye invite kar diya....SHANAYA maan gayi...

Wahan wo chaaron bhai behen humse milne nikle,yahan maine RONIT aur ANJALI ko bata diya ki AVANTIKA ke ghar par kya kya baatein hui hain aur wo chaaron humse milne abhi kyun aa rahen hain....

Maine dono ko RIYANSH aur DEVANSH se aise baat karne ke liye kaha jaise unhe ye lage ki hamare beech kabhi kuch hua hi nahi tha.....

karib 1 ghante baad hum sab hamare tay kiye resturant me pahunche....



jaise ki maine apne doston ko bataya tha,RIYANSH aur DEVANSH hamare saamne aate hi kuch uncomfortable se dikhe..

par maine RONIT aur ANJALI ne milkar un dono ko chilled out kar diya...

kuch hi der me wo dono normal ho gaye aur humare saath openly baat karne lage....par abhi tak humare beech holiday ki baat nahi hui thi...



issi dauran....



MAI- bye the way,hum sab mere mom dad ki marriarge anniversary celebrate karne SWITZERLAND jaa rahe hain....so why dont u guyz join us....bohot maza aayega....



meri baat sunkar RIYANSH aur DEVANSH khush ho gaye kyunki dono hi is topic par baat karna chah rahe the par
unhe samajh nahi aa raha tha ki start kaise karen???



RIYANSH- we would love too. infact hum yahan isiliye hi aaye hain..darasal mom dad ne AVANTIKA aur SHANAYA ko jaane ki permission de di hai par saath me ye condition bhi rakhi hai ki hum dono bhi inke saath jaayen....

RONIT- haan toh isme problem kya hai...u both are more than invited yaar....

ANJALI- exactly....next tuesday ko nikalna hai,toh jo bhi shopping vagairah karni hai,usse pehle kar lo...humne toh karli...

MAI- aur haan,apne paasports mujhe de dena...visa ke liye zaroorat padegi....

SHANAYA- tum logon ne shopping bhi karli aur hume bataya tak nahi..not fair yaar...

ANJALI- arre tune hume clear kahan kiya tha ki tum bhi chaloge isiliye humne kar li..

par tention naa le,jab bhi shooping par jaayegi,mujhe bata dena..



MAI- ye mohotarma sir par kafan baandh kar pahunch jaayengi...wo kya hai naa,inhe shopping naam ki jung ko ladne me bohot maza aata hai...



ANJALI ki baat kaatkar baaki ki baat maine keh di jisse sunkar sab hasne lage wahin ANJALI ne mooh bana liya...



SHANAYA- iski baat mat sun ANJU..ye ladke kya jaane,shopping karna kisi jung ladhne se kam nahi hota.kahin kuch galat select kar liya toh paise bhi gaye,saath me look bhi kharab ho jaata hai...



MAI- arz kiya hai,,,



TEENO LADKE-IRSHAD IRSHAD.......



MAI- achi surat ko sawarne ki zaroorat kya hai....???!!!!!

SAADGI me bhi KAYAMAT ki ADAA hoti hai....



RIYANSH- kya baat hai yaar.....awesome....



jahan meri baat sunkar ladke waah waah kar rahe the,wahin SHANAYA aur ANJALI ke mooh ban gaye the.....

is dauran maine AVANTIKA ki taraf ek baar bhi nahi dekha tha par AVANTIKA lagatar meri hi taraf dekh rahi thi....

issi tarah hasi mazak karte karte kab dinner khatm hua,pata hi nahi chala...dinner ke baad hum sab baahar ki taraf chal diye...

hum teeno un chaaron ko car tak chhodne gaye......

is dauran RONIT RIYANSH aur DEVANSH se baat karta hua jaa raha tha,ANJALI aur SHANAYA ek dusre ke saath lage hue the.waise toh AVANTIKA bhi unke saath hi thi par wo chup thi.wahin mai sabse piche chal raha tha....

mouka dekhkar AVANTIKA ne bhi apne kadam dheere kar liye taaki baaki sab aage nikal jaayen aur kuch hi pal baad mai aur AVANTIKA saath chal rahe the..

par maine tab bhi uski taraf nahi dekha aur saamne dekhkar chalta raha jabki wo meri taraf hi dekh rahi thi...



tabhi........


AAHHH.....



aur is awaaz ke aane ke baad waale pal me AVANTIKA meri baahon me thi..



hua ye ki AVANTIKA ke pair ke neeche ek patthar aa gaya jisse uske pair mud gaye..usse zyada dard toh nahi hua par disbalance hone ki wajah se uske mooh se aah nikal gayi par isse pehle ki wo girti,maine usse sambhal liya tha......

wo ek tak meri aankhon me dekh rahi thi..dekh toh mai bhi raha tha par maine apni nazaren uspar se hata usse sidha khada kar diya...

par jaise hi mai aage badhne ko hua,AVANTIKA ne mera haath pakad liya...



mai palta aur uski aankhon me dekhne laga.....



kehna toh wo bohot kuch chaah rahi thi,lab kayi baar khulne ke liye thartharaye bhi par lafzon ne zubaan par aate aate hi dum tod diya...



par jo DIL ki baat na samjhe,wo V.J nahi...



uske dil ki ghabrahat,khwahish,tapish,tadap,sukoon sab kuch mujhtak pahunch chuka tha....

dono ke dilon ne apna kaam kar diya tha aur dono ke beech faili hui khamoshi ne apna...

kuch hi palon me bina ek lafz mooh se nikale hum dono ke beech ke saare gile shikwe khatm ho gaye the....

par kabhi kabhi EHSAAS ko kamsekam ek choti si hi sahi par sahi ALFAAZ ki zaroorat padti hai taaki wo khudko ek naye RISHTE ka roop de sake....

aksar logon ko kehte suna hai ki DOSTI ya fir kisi bhi special RELATIONSHIP me SORRY aur THANKS ki jagah nahi hoti par mai is baat ko nahi maanta....

jahan galti ho aur us galti ka ehsaas ho,wahan maafi ka friend request bhejna zaroori hota hai..

aur mera dil aur mai issi intazar me the ki kab ye request AVANTIKA ke mooh se nikle....



ki tabhi wo shabd nikla.....




AVANTIKA- SORRY........





MAI- MAAF KIYA.......












AAJ KE LIYE ITNA HI....





AAJ KE LIYE ITNA HI.....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI BHUVIKA AUR BEELZEBUB KE SPIRITS AAPAS ME JUD JAATE HAIN WAHIN VIKRAM AUR AVANTIKA KE BEECH KI DOORI BHI KHATM HO JAATI HAI...
AB AAGE:-




CHAPTER-2


( CURSE OF THE SWEET POISON )




UPDATE- 83




PLANET-EARTH





PLACE- MINAKSHI MANSION





GOOD EVENING AUNTY...GOOD EVENING UNCLE....

V/MOM-aao aao bacho baitho......



VIKRAM ki MOM aur DAD ne AVANTIKA SHANAYA aur unke saath aaye unke dono bhaiyon ke gesture ka jawab dene ke baad kaha....

shaam ka waqt hai.....VIKRAM ne apne mom dad ko bata diya tha ki AVANTIKA SHANAYA bhi hamare saath aane waale hain aur unke saath unke do bhai bhi honge....

aur mere dono dost toh the hi....

VIKRAM & PARTY switzerland ke liye kal nikalne waale hain....

meri mom ne jaane se pehle mujhse ek baar AVANTIKA ke dono bhayion ko ghar laane ko kaha taaki wo dono bhi sab se mil len aur holiday me jaane se pehle hi sabse comforatble ho jaayen....

aur isiliye maine RIYANSH aur DEVANSH ko ghar bula liya....



RIYANSH aur DEVANSH dono hi jaante the ki mere dad INDIA ke leading industrialist me se ek hain isiliye dono thoda nervous the..

aur ye baat maine dad ko dheere se bata di...



DAD- so,we have two faces in our house today haan......

RIYANSH- hello sir..i'am RIYANSH & he is my brother DEVANSH.....

DEVANSH- hello sir....

RIYANSH- sir,i must say,it's a huge honour to sit infront of u....



ye baat RIYANSH ne sirf kisi aupcharikta ki wajah se nahi kahi thi...he meant what he said.....

aur ye uski aankhon me dekha jaa sakta tha...waise toh meri khud ki haqiqat bohot badi hai....

GLUTO me meri pehchaan ki ek choto si jhalak dekh kar sabne kaise react kiya tha,ye toh aap sabko pata hi hai par jab koi mere dad ki taarif karta hai ya unke aage respect se jhukta hai,toh jo feeling mere dil me aati hai usse mai shabdon me bayan nahi kar sakta....

aur wo isiiye kyunki meri pehchaan mere janm se pehle hi sunishchit ho chuki thi par mere dad ne apni pehchaan khud banayi hai..

ek aisi pehchaan jiske aage har koi jhukta hai, mai bhi....



DAD- do u work for me????



dad ne ye baat thodi kadak awaaz me boli thi jisse sunkar RIYANSH aur DEVANSH jo pehle se hi dad ko apne saamne dekh kar thode nervous the,wo aur nervous ho gaye....



DAD- maine pucha ki kya tum dono mere liye kaam karte ho????

RIYANSH/DEVANSH- no sir.....

DAD- toh ye sir sir kya laga rakha hai yaar...mere bachon ke frnz ho,toh mere liye bhi mere bache ki hi tarah hue naa...

uncle bulao and just relax....isse apna hi ghar samjho...



dad ki baat sunkar RIYANSH aur DEVANSH thoda relax ho gaye....



arre waah,aaj saare bacche ghar par..kis baat ki meeting chal rahi hai bhai.....???



abhi humme se koi kuch kehta usse pehle hi ye awaaz hamare piche se aayi jo ki mere naanu ki thi....

naanu ko aata dekh hum sab khade ho gaye.....afterall head of the family jo the....

RIYANSH,DEVANSH,SHANAYA,AVANTIKA ne naanu ke pair chue..naanu ne chaaron ke sir par haath rakh unhe blessings di...


NAANAJI- in dono bachiyon ko toh mai jaanta hun par ye do noujawano ko pehli baar dekh raha hun...

AVANTIKA- naanu,ye hamare bhai hain....

NANAJI- acha acha....



AVANTIKA ke mooh se naanu sun kar mujhe bohot acha laga.aur feeling sirf mere man me hi nahi jaagi thi,AVANTIKA ko bhi aisa bolte waqt ek alag hi ehsaas ne chua tha....



NANAJI- waise abhi shaam ke waqt sabhi bache ghar par....kahin ghumne nahi gaye tum log!!!!

MAI- naanu wo kal hum sab holiday par jaa rahe hain naa,RIYANSH aur DEVANSH bhi humare saath jaa rahe hai....toh mom ne kaha tha ki ek baar inko ghar le aaun....

NANAJI- acha kiya beta.....beta hume bhi apne gharwaale hi samjhnaa...koi bhi baat bolne me bilkul bhi nahi hichakna....

RIYANSH- jee naanaji.....

DAD- papa,aapki packing ho gayi...

NANAJI- haan wo tumhari mummy kar rahi hain..

RONIT- naanu,aap excited toh hain naa is holiday ke liye.....

NAANAJI- aare mai toh tum sab se zyada excited hun....ek toh pehli baar videsh jaa raha hun aur uske upar mere dono bachon ki shaadi ki saalgira hai....

dekhna,sabse zyada toh mai hi naachunga...



NAANAJI ki baat sunkar hum sab has diye wahin mom aur dad ne naanu ko side se hug kar liya....


BHAIYA..........



hum sab has hi rahe th ki itne me hamare kaano me ye awaaz aayi..

ye aur koi nahi AASHI thi jo KOMAL ke saath baahar khel rahi thi aur abhi abhi andar aayi thi...

jis din se maine AASHI ko samjhaya tha,us din ek baad se wo kabhi nahi royi aur ab wo hamesha khush hi rehti hai...

aur jaise bache zid karte hain,thik waisi hi zid ab meri AASHI bhi karti thi....

infact uske aur KOMAL ke beech zid ke naam pe hamesha competition lagi rehti thi....par unki har zid unhe aur bhi pyara bana deti thi....

khair,mera naam lete hue AASHI doud kar aayi aur meri godh me kud gayi..maine bhi usse pakad liya....

wahin uske saath aa rahi komal ne jab ye dekha toh wo bhi daudte hu aayi aur usne bhi AASHI ki hi tarah mere upar chalang laga di...

maine usse bhi godh me utha liya.....

Mai dono ke saath masti karne me lag gaya wahin mere ghar waalon ki mere doston ke saath kuch der tak baat hoti rahi......



RONIT- chalo yaaron,kahin ghum kar aate hain....

MAI- yaar ye dono mujhe nahi chhodengi.....

ANJALI- aare paas ke hi coffe house me chalte hain naa...bacchon ko bhi saath le chalte hain,ye wahan icecream khaa lengi...



ANJALi ki icecream ki baat sunke KOMAL aur AASHI ne icecream ki rat lagani shuru kar di....


mom ne bhi hume ussi coffe shop me jaane ko kaha....

mere saare frnz naanu,mom aur dad se baari baari mile...dad ne sabko subah 10 baje tak yahin ghar par aane ke liye keh diya....

hum sab coffe house ke liye nikle jahan dono bacchiyan ice cream khaane me busy ho gayin..hum ladke milkar ipad me hamare switzerland me rukne waale hotel aur arrangements ki baat me lag gaye wahin teeno girls apne gossip me mashgool ho gaye...

kuch der baad hum sab ek dusre ko kal milne ka keh apne apne ghar nikal gaye....

fir kuch khaas nahi hua...next day plan ke mutabik AVANTIKA & PARTY subah 10 baje se pehle hi mere ghar pahunch gaye...

hum sab toh readythe hi....AVANTIKA & PARTY RONIT AUR ANAJALI ke parents se mile aur unke saath bhi kaafi jaldi comfortable ho gaye...

hum sab alag alag cars se airport ke liye nikal gaye...SHANAYA hamare plane ko dekhne aur usme safar karne k liye kuch zyada hi excited thi...

unme se kisi ne bhi aaj tak kisi chartered plane me sair nahi ki thi...

aur jab airfield me khadi hui hamari plane par un sab ki nazar gayi toh wo sab aur zyada excited aur khush ho gaye.....

hum sab hasi khushi masti karte hue plane me baith gaye aur hamare baithte hi hamari plane ne take off kar liya.......

ab bas 10 ghante ka safar baaki reh gaya tha hume switzerland ke sheher ZURIC me land karne ke liye....

chaliye jab tak hamare HERO & PARTY ZURIC pahunche,hum kahin aur se ghum aate hain...




PLANET- YELUPTUS







PLACE- STORMY DESERT





YELUPTUS........ek.banzar PLANET.....naa hawa,aur naahi paani....har taraf reth hi reth aur ussi reth ka ek agyat gas ke zariye uthata hua bawandar..

Suraj ki dheemi si roshni jo ki kisi aur grah ke ujale ke liye thi,us garh se hota hua us surya ka ek baarik sa prakash YELUPTUS grah par padh raha tha....

Jisse yahan ke bhayavaha mahoul ko dekha jaa sakta tha...par aise viran grah me jahan kisi kide tak ka vaas nahi hai,wahan hum kar kya rahe hain...?????



Arre ye kya???????is bawandar bhare registaan me ye do saaye kaun hain.....chaliye, paas se dekhte hain.....



ARRE YE DONO TOH........



BHUVIKA aur BEELZEBUB hain....



Par ye yahan kar kya rahe hain????



Achaaaaa yaad aaya.....ASMODEUS ne BEELZEBUB se BHUVIKA ko kisi shaant jagah le jaane ko kaha tha,aur BEELZEBUB ne ye jagah chuni hai....par ye jagah hi kyun????aayiye BEELZEBUB ki zubani hi sun lete hain....


BEELZEBUB- YELUPTUS me tumhara swagat hai BHUVIKA.......



BHUVIKA ne kuch kaha nahi bas idhar udhar dekhti rahi...uske man bhi yahi khayal aa raha tha BEELZEBUB usse yahin kyun laaya hai....



BEELZEBUB- yahi soch rahi ho naa ki mai tumhe yahan kyun laaya hun????



BEELZEBUB ki baat sunkar BHUVIKA chownk gayi....


BHUVIKA- tumhe kaise pata ki mai kya soch rahi hun???

BEELZEBUB- tum bhool rahi ho ki hum dono ke spirits ab jud gaye hain... isiliye mai tumhari soch padh sakta hun..

BHUVIKA- par mai toh tumhari soch nahi padh paa rahi hun???

BEELZEBUB- kyunki abhi tumhari shaktiyon par tumhara niyantran nahi aaya hai....

Aur isiliye hi hum yahan aaye hain...isse achi jagah tumhe apni shaktion ko niyantrit karne ke liye nahi milegi...

Aur naa hi pariksha dene ke liye isse behtar koi sthaan hai...

BHUVIKA- pariksha!!!!Kaisi pariksha????

BEELZEBUB- apni shakityon ki hadon ko pehehaanane aur usse aur nikharne ki pariksha....haan,ye satya hai ki is waqt tumhare andar do shaktishaali DEVILS ki urja hai aur uske saath meri shaktiyan aur zindagi bhar mere sikhe gaye vidyayen bhi tumhare mastishk ke kisi kone me dafan hai...

Kintu ek satya ye bhi hai ki tumhara janm manushya yoni me hua hai...aur isilye meri shaktiyon ko apni shakti banana tumhare liye ya ye kahun tumhare shahir ke liye aasan nahi hai....

Par ye naamumkin bhi nahi bai..aur ye jagah is mushkil kaam ko tumahre liye asaan karne ke liye raasta bhi banayegi aur saath saath kuch rode bhi atkayegi jisse tumhe paar karna hai....

BHUVIKA- jab ye jagah meri madad karne waali hai toh fir rode kyun atkayegi??? Aur waise ye jagah hai kya????tumne mujhe ab tak ye bhi nahi bataya ki ye jagah hi tumne kyun chuni!!!!?????

BEELZEBUB- tumne aksar suna hoga ki burai kitni bhi badi kyun na ho,ant me achayi ki hi jeet hoti hai....par ye jagah us burayi ka prateek hai jiske saamne achayi ne apne ghutne tek diye the......

BHUVIKA- matlab!!!!!!

BEELZEBUB- jis banzar grah me hum khade hain,kisi zamane me ye ek hara bhara jeeven se bhara hua grah tha...

Par yahan ki aabadi zyada nahi thi...kul 200 log is grah me rehte the...

BHUVIKA- bas 200....!!!!

BEELZEBUB-yahan ke grah waasi koi sadharan manushya nahi the...wo bohot alag the...aur sabse mazedar baat ye thi ki un 200 logon ke naam nahi the,bas pehchaan thi aur ussi pehchaan se pura bramhaand naa sirf unhe jaanta tha,balki unke samman me jhukta bhi tha...

BHUVIKA- ajeeb baat hai...bina naam ke manushya...waise unme aisi kya visheshta thi jiske aage pura bramhaand jhukta tha...

BEELZEBUB-unki pehchan hi unki visheshta thi...un 200 logon ke samuh ko SAMAY SANCHALAK ke naam se jaana jaata tha....aur yahi naam unki pehchaan bhi thi...

BHUVIKA- SAMAY SANCHALAK!!!!! Kya wo samay ki gati ko aage piche kar sakte the?????

BEELZEBUB- shayad!!!!

BHUVIKA- shayad matlab!!! Tumhe nahi pata!!???

BEELZEBUB- nahi...mujhe kya,kisi ko bhi nahi pata...ye sab mere janm se hazaron saal pehle ki baat hai....

Mujhe bas itna pata hai ki wo SAMAY SANCHALAK acchayi ke pratik the.....aur behad shaktishaali bhi...

BHUVIKA- fir unhe kisne maara.....?????

BEELZEBUB ne kuch kaha nahi bas BHUVIKA ki taraf dekh kar muskuraya...aur BEELZEBUB ke muskaan se BHUVIKA ko uske sawaal ka jawab bhi mil gaya...

BHUVIKA- tumhare FATHER ne!!!!!!

BEELZEBUB- haan....par FATHER ne unhe maara nahi,balki unki aatmaon ko kaid kar liya...

BHUVIKA-aatmaon ko kaid kar liya matlab????fir un SAMAY SANCHALAKON ke sharir kahan gaye.....

BEELZEBUB- tum unke upar khadi ho?????

BEELZEBUB ki baat sun BHUVIKA ko ek tez jhatka laga....

BHUVIKA- mai toh reth par khadi hun???kya un sab ke sharir reth me badal gaye???

BEELZEBUB- nahi...is zamin ke neeche is grah ki neev me un sabhi ke sharir dafan hain....aur issi wajah se hi aaj bhi ye grah bacha hua hai warna kabka fat chuka hota....

Aur un shariron me ab bhi WHITE aur BLACK urja kaafi maatra me bhari hui hai.aur jab tum yahan dhyan lagane ke liye baithogi,tab ek taraf wahi BLACK urja tumhe meri shaktiyon aur siddhiyon ko tumhare mastishk ke bhitar dhundne me madad karengi wahin WHITE urja tumhe apni manzil tak pahunchne se rokengi.....

BHUVIKA- adbhudh.....par mujhe ek baat batao,tumari baaton se pata chalta hai ki yahan jo log rehte the,unke andar jo bhi shakti thi,wo unhe WHITE ENERGY se mili thi par tum keh rahe ho ki unke andar BLACK ENERGY bhi hai...toh wo unke andar kahan se aayi.....

BEELZEBUB- mujhe pura sach toh nahi pata par jitna pata hai utna bata deta hun....


FATHER ko un SAMAY SANCHALAKO se kuch chahiye tha jo un logon ne FATHER ko dene se mana kar diya...

FATHER ne bal purvak us chiz ko un SAMAY SANCHALAKO se chhinane ki bhi koshish ki par naakamiyab rahe...



ye jaankar ki ASMODEUS ko kuch chahiye tha par wo usse haasil karne me naakamiyab raha,ye jaankar BHUVIKA ko shock laga...


apni behen aur MADDOX ki shaktiyon ko paane ke baad BHUVIKA ko ASMODEUS ki shaktiyon ke baare me,jitna NISHKALIKA aur MADDOX jaante the,utna pata chal gaya tha..

aur ussi aadhar par BEELZEBUB ki baat usse hazam nahi ho paa rahi thi....



BHUVIKA- SAMAY SANCHALAK tumhare FATHER se bhi zyada shaktishaali the..

BEELZEBUB- mere FATHER se shaktishaali koi bhi nahi hai...agar aisa kuch hota toh mere FATHER un SAMAY SANCHALAKO ko kaid nahi kar paate....

BHUVIKA- SAMAY SANCHALAKON ko tumhare FATHER ne kaid kyun kiya,unhe toh un sab ko maar dena chahiye tha...

BEELZEBUB- yahi baat maine bhi apne pitah se puchi thi,tab unhone mujhe bas yahi bataya tha ki jo chiz unhe SAMAY SANCHALAKON se haasil ki hai,agar wo un sab ko maar denge toh wo chiz bhi nasht ho jayegi....

BHUVIKA- oh.....par tumhare FATHER ne un sab ki aatmaon ko kaid kaise kiya???

BEELZEBUB- FATHER ye jaante the ki bal purvak wo SAMAY SANCHALAKON ko maar nahi paayenge...

isiliye unhone chhal ka istemaal kiya..SAMAY SANCHALAK hamesha dhyan ki mudra ne baithe rehte the..

ek din SAMAY SANCHALAKON ko apne grah ke vaayu mandal ke baahar kuch dhamake sunayi diye....

aur ye dhamake kuch kuch der ke baad lagatar ho rahe the...

in dhamakon se is grah ko kuch nuksaan toh nahi ho raha tha,par dhamakon ke awaaz se unka dhyan bhang hone laga.....

un dhamakon ka kaaran jaanane ke liye un me se kuch SANCHALAKON ne vaayu mandal se bahar jaane ki baat kahi...

par kyunki unme se kisiko bhi GOD se aisa karne ki ijazat nahi thi,isiliye baakiyon ne mana kar diya...

aur wo sab punah apna man ekagrit kar dhyan me baith gaye...

par un dhamakon ki awaazon ki wajah se wo thik se dhyan kendrit nahi kar paa rahe the.....

aur grah ke andar se wo naa hi is pareshani ki wajah jaan paa rahe the,naa hi usse thik kar paa rahe the....

antaha unme se kuch SANCHALOKON ko apne grah ke vaayu mandal se baahar jaana hi pada.....

GOD ko chhodkar bas mere FATHER hi aise the jo ye jaante the ki YELUPTUS ke baahar SAMAY SANCHALAKON ko maara jaa sakta hai.....

par wo ye bhi jaante the ki SAMAY SANCHALAKON ke marte hi jis chiz ko wo haasil karna chahte hain,wo nasht ho jaayega....

isiliye unhone ek dusri yukti soch kar rakhi thi...



SAMAY SANCHALAK apne grah ke seema ko paar kar baahar aaye aur unhone dekha ki antariksh k beech hi lagatar rook rook kar lagatar karn bhedi dhamake hote jaa rahe hain...

dhamakon ki awaaz se tang aakar unhone usse rokne ke liye SPELL bola aur yahin wo dhoka khaa gaye.....

unhe pehle DHAMAKON ke hone kaa kaaran jaan lena chahiye tha,par awaaz ki tivrata ki wajah se unhone bina kaaran jaane SPELL bol diya tha...

aur jaise hi SAMAY SANCHALOK ke bole gaye SPELL ki wajah se ray nikal kar un dhamakon par padi,un dhamakon se bhi ek ray nikli aur us ray ne SAMAY SANCHALAKON ke ray ko jakad liya....

aur aisa hote hi us ray ka shroth jo ki SAMAY SANCHALAK the,wo bhi dhamakon se ujwalit hue ray me bandh gaye...

unhone bohot koshish ki par wo chhut nahi paaye...

par iske saath ek cheez aur bhi hui thi...darasal saare SAMAY SANCHALAK ek dusre se jude hue the....

aur jaise hi antarikh me aaye hue SAMAY SANCHALAK un dhamakon se niklie rays me fasen,neeche grah ke baaki ke saare SANCHALAKON ke sharir bhi hawa me uthkar upar ki taraf jaane lage..

un sab ne bohot koshish ki ki wo aur upar naa jayen par wo sab kuch kar naa paaye..

aur wo sab ye bhi jaan gaye the ki antariksh me gaye unke saathiyon ke saath kuch galat hua hai aur ussi wajah se unke saath bhi ye ab ho raha hai..

kuch hi der me saare SAMAY SANCHALAK antariksh me the...antariksh me aate hi sabhi SANCHALAKON ke sharir bhi rays se bandh gaye...

wo sab apne bandhan se nijat paane ki bohot koshish kar rahe the par wo kaamiyab nahi hue....



tabhi......



unke saamne ek tez roshni hui aur us roshni ke beech mere FATHER prakat hue....

mere FATHER ko dekhte hi saare SANCHALAK samajh gaye ki ye sab unka hi kiya dhara hai.....

SAMAY SANCHALAK mere FATHER ko uksaane ke liye unhe bhala bura kehne lage..wo chaahte the ki mere FATHER krodh me aakar unhe maar den kyunki aisa karte hi jis chiz ki chaah mere FATHER ko thi,wo bhi nasht ho jaati....

par mere FATHER un sab ke manzubo se awgat the..par iske baawajud unke saamne ek aur pareshani thi....

aur wo ye ki YELUPTUS ki neev hi un SAMAY SANCHALAKON ke shaktiyon se rakhi gayi hai....

isiliye wo un sab ko apne saath bandi banakar bhi nahi le jaa sakte the...

par wo SAMAY SANCHALAKON ko waapas YELUPTUS me bhi nahi chhod sakte the...

kyunki YELUPTUS me jaate hi SAMAY SANCHALAKON ki shakti fir se badh jaati aur mere FATHER ne jis chiz ke liye itna kuch khel racha tha,wo usse wapas apne paas bula lete...

aur wo CHIZ toh thi hi SAMAY SANCHALAKON ki amanat..unke bulate hi wo wapas aa jaati....



BHUVIKA- aur isiliye unhone ek yukti sochi....aur wo ye ki SAMAY SANCHALAKON ke sharir ko unki shakti sahit YELUPTUS ke neev me dafna diya jaaye..

aur un sab ki SPIRITS ko apne saath le jaaya jaaye...kyunki aatma bina sharir ke reh sakti hai par sharir bina aatma ke nahi reh sakta....HAINA !!!!



BHUVIKA ne BEELZEBUB ki aage ki baat puri ki....



BEELZEBUB- haan...par usse pehle FATHER YELUPTUS gaye aur us CHEEZ ko jisse haasil karne ke liye unhone itna kuch kiya tha,usse liya aur wapas SAMAY SANCHALAKON ke saamne aa gaye...

uske baad FATHER ne SAMAY SANCHALAKON ke sharir se unki aatma ko alag kar diya...aatma ke alag hote hi sharir ka koi mol nahi raha...sabhi SANCHALAKON ke sharir antariksh me tairne lage...

fir FATHER ne un aatmao se unki saari shakti unke shariron me sthanantaran kar di....

par saath saath un sab ke sharir me kuch kaali shaktiyan bhi bhej di jisse SANCHALAKON ke spirits agar chaahen toh bhi apne sharir ka pata nahi laga paate....

fir FATHER ne sabhi SANCHALAKON ke sharir is grah ke neev me dafna diye...

par jaise sharir ko sharir uski aatma banati hai,thik ussi tarah ek grah ko bhi grah hawa aur paani banate hain...

is tark par jaise hi bina aatma ke saare SANCHALAKON ke sharir dafan hue,thik ussi waqt is grah ki aatma ne bhi isse chhod diya...


aur ye grah aisa ban gaya...BANZAR.......



BHUVIKA- itna khatarnaak dimag,itni durdarshita ke baare me socha bhi nahi jaa sakta....

wakayi tumhare FATHER jaisa koi nahi.....

waise tumne ek baat abhi bhi nahi batayi...un SAMAY SANCHALAKON ke spirits ka kya hua???tumhare FATHER unhe kaha le gaye...

BEELZEBUB- FATHER ne un sab ko rakhne ke liye ek alag grah ka nirman kiya....

BHUVIKA- ek alag grah kaa!!!!abhudh.....koi naam hai us grah kaa????




BEELZEBUB- SHADOW WORLD.....






AAJ KE LIYE ITNA HI.....





AAPKA APNA V...J.....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM & PARTY SWITZERLAND KE LIYE NIKAL JAATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF BEELZEBUB BHUVIKA KO LEKAR YELUPTUS PAHUNCHTA HAI AUR USSE WAHAN KA RAAZ BATATA HAI...
AB AAGE:-





CHAPTER-2





( CURSE OF THE SWEET POISON )





UPDATE- 84




PLANET- YELUPTUS



PLACE- STORMY DESERT





ye baar baar ho kya raha hai????jab bhi mai dhyan kendrit karne ki koshish kar rahi hun,mere dimag ko jhatka sa lag raha hai.....

BEELZEBUB- Ye toh bas shuruat hai...abhi toh tumhe kathinayion ke pahad ko paar karna baaki hai....



BEELZEBUB ne BHUVIKA ko jitna usse pata tha,utna batane ke baad wo usse jis maksad se yahan laaya tha,usse shuru karne ke liye kaha...

BHUVIKA wahin reth ke beech paalthi maarkar baith gayi aur apni aankhen band kar apne andar jhakne ki koshish karne lag gayi....

Par is kaam ki shuruat hi bohot mushkil thi aur iski wajah thi reth me lagatar uthata bawandar jo BHUVIKA aur BEELZEBUB ke sharir ko lagatar chu raha tha...

Kyunki BEELZEBUB aur ab BHUVIKA bhi DEVILS the,isiliye is bawandar se unhe koi nuksaan toh nahi pahunch raha tha par concentration bigadne ke liye kaafi tha....

Par BHUVIKA ne haar nahi maani aur apne sharir ke bhaar ko reth me dabate hue concentrate karne ki koshish karne lagi... aur kuch hi der me wo concentrate karne me kaamiyab ho hi gayi thi....

Usse apne andar kaali aur safed roshni ki urja dikhne hi lagi thi ki achanak.......

BHUVIKA ke mastishk ko ek jhatka sa laga aur wo dhyan se baahar aa gayi....

Par BHUVIKA ne haar nahi maani aur dobara apni aankhen band kar concentrate karne ki koshish karne lagi....

Par fir wahi hua..white aur black urja ke dikhte hi BHUVIKA ke dimag ko ek baar firse jhatka laga aur wo wapas dhyan se baahar aa gayi....

Fir yahi ghatna kram BHUVIKA ke saath lagatar hua jisse chidkar usne apni baat BEELZEBUB ke saamne rakhi jiska jawab BEELZEBUB ne diya....



BHUVIKA- kathinayion ka pahad matlab!!!!

BEELZEBUB- jis jagah pahunchakar tumhare mastishk ko jhatka lag raha hai,wo tumhari shaktiyon ke saamraajya ki sarhad hai...

Aur wahan par tumhare andar moujud white aur black urja ke kan moujud hain jo tumhe aage badhne se rok rahe hain..

BHUVIKA- par wo shaktiyan toh meri hi hain naa,fir mujhe kyun rok rahe hain...

BEELZEBUB- abhi tak tumhari shaktiyan tumhare aadhin nahi huin hain...

Unhe apna gulam banane ke liye tumhe unhe azaad karna hoga..

Aur wo tabhi hoga jab tum unhe dekhogi....unka sparsh karogi..

aapni saari shaktiyon ko sparsh karte hi tumhari saari shaktiyan tumhe apna lengi....

Aur jis jhatke se tum itni viclit ho rahi ho,wo toh tumahre pareshaniyan ki bas shuruat hai...

Us sarhad ko paar karte hi tumhari asli pareshani shuru hogi....



BHUVIKA BEELZEBUB ki baat sunkar shocked ho gayi....



BHUVIKA- asli pareshani matlab????

BEELZEBUB- itni jaldi bhul gayi...is grah ke neev me pade SAMAY SANCHALAKON ke sharir me moujud WHITE ENERGY.....

Jo tumhare raaste ki sabse badi chunouti hain....aur jaise hi tumne us chunouti ko paar kiya,tumhe tumhari shaktiyan mil jaayengi....

BHUVIKA- par mujhe meri hi shaktiyan paane ke liye itna sangharsh karne ki aawashayakta hi kyun hai????

BEELZEBUB- aasani se mili cheez ki kadar nahi hoti BHUVIKA...jitna kathin sangharsh,utna hi mitha fal milta hai...

Par mai samajh sakta hun ki tum sangharsh ke bina hi sab kuch kyun paana chahti ho...

Aaj tak tumhe tumhari behen ki wajah se sab kuch aasani se jo mila hai..tumhe kabhi mehnat karne ki zaroorat hi nahi padi....

Par ye mat bhoolo ki ab tumhari didi mar chuki hai..ab tumhe sab kuch apne dum par hi haasil karna hoga....



BEELZEBUB ke mooh se apni behen ke marne ki baat sunkar BHUVIKA ko krodh aa gaya aur wo BEELZEBUB ko maarne ke liye apne dhyaan aasan se uth gayi aur agle hi pal....



DHAAMMMMMM.....



wo punah wapas apni jagah par baith gayi ya ye kahun baitha di gayi...

Hua ye ki jaise hi BHUVIKA uthi,BEELZEBUB ne apna haath aage kiya..uske haathon se ek pressure air ray nikli aur BHUVIKA ko lagi jisse BHUVIKA wapas apni jagah par baith gayi......



BEELZEBUB- apna ghussa,apni urja apne pratishodh ke liye bacha kar rakho BHUVIKA.......aur waise bhi ye mat bhoolo ki ab hamari aatmaye jud chuki hain..

Agar mujhe koi nuksaan hua toh taklif tumhe bhi hogi....



BHUVIKA kuch der tak BEELZEBUB ko ghurti rahi par fir usne apni aakhen band karli....


BEELZEBUB- apne man se saare bhaav bahar nikal do BHUVIKA... naa prem,naa moh,naa krodh,naa jigyasa..bas Us kiran par apne chit ko akagrait karo jo tumhare mastishk ke beech ujwalit hogi...

Aur us kiran ki dor ko pakad aage badhti jaao.....tumhe tumhari manzil mil jaayegi....



BEELZEBUB ne ye sab bol toh diya tha par wo janta tha ki ye sab bolna jitna aasan hai,karna utna hi mushkil....

Waise toh usne BHUVIKA ki dhridta ka namuna dekh liya tha par wo ye bhi jaanta tha ki apni behen ko khone ki wajah se BHUVIKA ka man bohot vichlit hai aur vichlit man se wo kabhi bhi apni shaktiyon tak pahunch nahi paayegi....

Par ummid aur intazar karne ke siwa wo kuch kar bhi toh nahi sakta tha....



Wahin BHUVIKA dhyan awashta me wapas wahin pahunch chuki thi jahan usse jhatka lagta tha....

Aur jaise hi BHUVIKA white aur black urja se bane sarhad par pahunchi,white aur black urja ne usse chu liya jisse usse wapas ek jhatka laga aur wo dhyan se baahar aa gayi....

Aur jab usme saamne dekha toh paaya ki BEELZEBUB usse dekhkar muskura raha hai...



BHUVIKA- yahan mai baar baar asafal ho rahi hun aur tum has rahe ho...

BEELZEBUB- tumhari asafalta pe nahi, mai tumhare dar pe has raha hun...

Is baar jab tum apni shakti ki sarhad par pahunchi,toh tum jhatka lagne se dar rahi thi.....

Isiliye hasi aa gayi.....

BHUVIKA- toh isme hasne waali kaun si baat hai???

BEELZEBUB- jis shakti ko paane ke liye tum dhyan me baithi ho,ussi ke sparsh se dar rahi ho,aise me hasi toh aayegi....

Ek baat batao,kabhi tumne khaana banaya hai?????ya fir kisi ko khaana banate waqt dekha hai...!!!!!

BHUVIKA- banaya toh nahi hai par haan,dekha hai...

BEELZEBUB- khaana jab banta hai,toh kya tum turant khaa leti ho???

BHUVIKA- nahi.....

BEELZEBUB- kyun????

BHUVIKA- kyunki wo bohot garm hota hai..jab uski garmahat thodi kam hoti hai,tabhi usse khaaya jaa sakta hai...

BEELZEBUB-HMM.ab ek baat batao,jab tum apni shakti ki sarhad par pahunchti ho,tab hota kya hai....????

BHUVIKA- mai jaise hi aage badhne ki koshish karti hun,shaktiyon ke sparsh se mujhe jhatka lagta hai aur mai dhyan se baahar aa jaati hun...

BEELZEBUB- tum mere sawaal ko samjhi nahi...mai yeh puch raha hun ki jab tum wahan pahunchti ho toh tumhe kya dikhta hai???

BHUVIKA- mere wahan pahunchte hi WHITE aur BLACK urja do alag alag taraf se ek dusre ki taraf badhne lagte hain aur........


BEELZEBUB- aur jaise hi wo milte hain thik ussi waqt tum unhe paar karne ki koshish karti ho....



BEELZEBUB ne BHUVIKA ki baaki ki baat puri kar di....



BHUVIKA- haan toh..........



Par aage BHUVIKA kuch keh nahi paayi kyunki usse BEELZEBUB ke tark ka matlab samajh me aa gaya tha???

Aur wo ye ki jis tarah khaane ko pakte saath nahi khaaya jaata kyunki wo bohot garam hota hain thik waise hi jis waqt WHITE aur BLACK urja jab aapas me takraate hain us waqt unki energy multiply ho jaati hai jisse normal hone ke liye kuch waqt chahiye par aisa hone se pehle hi BHUVIKA unhe cross karne ki koshish karti hai jis wajah se usse jhatke lagte hain.....




BEELZEBUB- chalo,tumhe samajh toh aaya.....

BHUVIKA ne kuch nahi kaha bas firse apni aakhen band kar lin.....

Aur dheere dheere uska dhyaan bindu us jagah pahunchne laga jahan usse jhatka.lagta tha...

Par is baar jaise hi BHUVIKA apni shaktiyon ki sarhad par pahunvhi,wo rook gayi..

Uske saamne dono taraf se uski dono shaktiyan ek dusre ki taraf badhne lagin aur kuch hi palon me dono ek dusre me sama chuki thi....

Dono urja ke ek dusre se milte hi urja ka colour halka sweth halka kaala ho gaya....

Aur wo urja se bhari ray apni jagah me uchalne lagi maano ubal rahi ho....

Ye sab BHUVIKA ka chit dekh raha tha.....aur apni dono urja ko uchalte dekh wo ye bhi samajh gayi ki wo isiliye hi aage nahi jaa paa rahi thi kyunki uski urja us waqt kaafi asantulit thi jo khud ko theek karne ki koshish kar rahi thi...

Aur kuch hi der me wo asantulit urja ka uchalna dheere dheere kam hone laga aur fir wo urja sthir ho gayi...

Apni urja ko sthir hota dekh BHUVIKA ka chit aage badha aur agle hi pal dhyan awashta me hone ke baawajud BHUVIKA ke chehre par halki si ek muskaan naach gayi...

Jisse saamne khade BEELZEBUB ne dekh liya.....



BEELZEBUB man me- chalo,ek baadha toh khatm hui...



BEELZEBUB ne raahat ki saans chodi hi thi ki achanak uske dimag me ek dusra khayal doud gaya aur us khayal ke doudte hi BEELZEBUB ke chehre par chinta ke bhaav utpann ho gaye.....

Abhi wo kuch aur sochta ki itne me................




AISA KUCH NAHI HOGA................



BEELZEBUB ke kaano me ye awaaz gunj gayi jisse BEELZEBUB turant pehchaan gaya......



BEELZEBUB- kintu father, is bramhaand me WHITE ENERGY ka har shroth VIKRAM ke aadhin hain...

BHUVIKA ke WHITE ENERGY ko paate hi UNHE sab pata chal jaayega aur iska anjam acha nahi hoga....



Apni baaton me jaise hi BEELZEBUB ke mooh se VIKRAM ke liye USSE nahi UNHE nikla,apne mahal me baithe ASMODEUS ke chehre par ek halki si smile aa gayi...

BEELZEBUB ko yaad tha jo uske father ne usse uske BHAI ko kis tarah se sambhodit karne ko kaha tha....


ASMODEUS- maine kaha naa AISA KUCH NAHI HOGA......



BEELZEBUB ko apne FATHER ki baat ka matlab toh samajh nahi aaya par wo jaanta tha ki agar ASMODEUS ne kuch kaha hai toh wo hoga zaroor......

isliye wo nischint ho gaya aur wapas BHUVIKA ke chit se jud gaya......




ASMODEUS- VIKRAM.......WHITE ENERGY KA EK LOUTA WAARIS.........



PAR KAB TAK...........





PLANET- EARTH




PLACE- SWITZERLAND





SWITZERLAND..... EARTH ka sabse khubsoorat country....aur couples ke liye toh shayad isse perfect jagah koi hai hi nahi...

SILSILA se lekar DDLJ tak har movie ne is jagah ki khoobsurti ko kaid karne ki koshish ki par koi bhi aisa karne me puri tarah se kaamiyab nahi ho paaya..

Safed chadar ki barf se khud ko odhe hue pahad...unhi pahadon ke kinaron ko chumte hue jheel.....

Prakrutik soundaryata ke saath saath vaigyank uplabdhiyon se susajjit anek khel krida jisne yahan aaye paryatakon ke dilon ko khudme baandh sa liya hai......



Khair,agar Switzerland ki khubsoorati ke baare me likhne baithun toh shayad kamsekam 20 updates toh nikal hi jayenge toh isiliye yahan ki manmohakta se khudko kuch der tak alag karte hue chaliye, kahani me wapas chalte hain...





Mmmmmmmmahhhh..........



What fresh air man.......



SWITZERLAND ke financial capital ZURIC ke airport se baahar nikalte hue yahan ke halke thande vatawaran ko mehsoos karte hue yahan ke fresh air ko apni saanson se khinchte hue sabhi ne is baat ko apne man me kaha.....

hum sab SWITZERLAND ke time ke hisab se subah 8 baje yahan land hue the..security measures ko cross karte karte 1 ghanta aur lag gaya....

plane me safar ke dauran AASHI aur KOMAL ne khub masti ki thi isiliye filhal dono soye hue the....

AASHI ko maine godh me uthaya hua tha aur KOMAL ko AVANTIKA ne....

AASHI ko hasta khelta dekh mujhe bohot khushi hui thi...

par masti sirf un dono ne hi nahi hum sab ne ki thi......

thodi bohot jhijhak jo RIYANSH aur DEVANSH ke man me bachi thi,wo bhi ab khatm ho chuki thi....

aur ye sab hua meri mom ki wajah se..mom ne unhe apne sage bacche ki tarah treat kiya...

ab wo dono bhi khudko hamari family ka hi hissa samjhne lage the....

khair,hum sab saari security measures cross karke bahar aa gaye aur baahar aate hi yahan ke mousam ki thandi hawaon ne hamara swagat kiya...



NANAJI- kitna sundar nazara hai yahan ka???kya yahan hamesha hi thand rehti hai....???

DAD- ji papa.par filhal kam hai....baakji ke seasons me zyada thand rehti hai...

RIYANSH- yaar V.J apne hotel ka naam kya tha????



RIYANSH ne apne right side me dekhne ke baad mujhse pucha....


MAI- FLOR VOLTE.....



RIYANSH- wo dekho,wahan ek banda banner pakde khada hai jispe FLOR VOLTE likha hua hai......



hum sab ne RIYANSH ki batayi jagah par dekha jahan 1 banda hamare hotel ka banner upar uthaye khada the....



RONIT- lagta hai ye hamare hotel ka guide hai....



hum sab uski taraf chal pade..wo bhi hume apni taraf aata dekhkar samajh gaya ki hum hi uske guests hain....



GUIDE-bonjour, je suis votre......



GUIDE ne halka sa jhuk kar apne native laguage french me hame gesture diya aur jaise hi usne apni baat ko english me translate karne ke liyte mooh khola.....



MAI-salut c'est sympa de te rencontrer...

hello,nice to meet u......


maine uske translate karne se pehle hi usse uski hi language me gesture diya jisse sunkar pehle toh shocked hua par fir khush ho gaya...

wahin mere dost aur mom dad ko chhod kar baaki sab mere yun french bolne par shocked ho gaye.....



GUIDE- oh,tu sais le francias.....

oh,aap french jaante hain...



MAI- un peu

quite a bit....



alors combien de temps pour arriver al hotel.....

waise,hotel pahunchne me kitna waqt lagega....




GUIDE- cest soixante-quinze minutes en voiture....

it's a seventy five minutes drive...





MAI-que nous attendons,allons

fir hume kiska intazar hai,chalen!!!.....



guide ne ek taraf ishara kiya aur chalne laga...

hum sab bhi uske piche piche chal diye....

thodi door par hi hotel ki luxury bus khadi thi..hum sab ek ek kar bus me chadh gaye..

kyunki maine aur AVANTIKA ne bacchon ko pakda hua tha isiliye hum dono last seat par jo ki zyada choudi thi,wahan jaakar baith gaye..

bachon ko humne sidhe leta diya aur unke sir humne apni godh par rakh liye the....

hamare baiththe hi bus chal padi.....

kuch der tak hamara guide hum sab ko batata raha ki aage ka programme kya kya hai...saari cheezen sunne ke baad hum sab bahar ka nazare dekhne me kho gaye..



tabhi........



SHANAYA- hello everybody.....



awaaz sunkar hum sab ne saamne dekha jahan SHANAYA madam haath me guide ki mic pakad kar khadi thi....



RIYANSH- ab tujhe kya ho gaya...speech deni hai kya???

SHANAYA- haha,very funny...jaisa ki aap sab jaante hain ki hume hotel pahunchne me 1 ghante se zyada waqt lagega..toh kyun naa,kuch game khela jaaye....

RONIT- tujhme SHAIFALI ki aatma ghus gayi hai kya???

SHANAYA- tune aur RIYANSH bhaiya ne ek hi goli khaa li hai kya,bakwas P.JS maarne ki....

arre yaar ek ghanta kya sirf nazare dekhkar bitana hai...nazaren toh hum dekhenge hi,par filhal kuch game ho jaaye toh kaisa rahega..

DAD- bhai,mai toh khelunga...aur waise bhi ANJU bata rahi thi ki tum sabne SECRILLA tour par khub games khele the...

toh waisa hi aaj ek game hum bhi khel lenge....

NANAJI- bilkul..maza aayega...

NAANIJI- aap bhi naa.bachon ke saath, bacche ban jaate hain...

NAANAJI- lo bhai.khelne ki bhi bhala koi umr hoti hai kya!!hum toh zaroor khelenge..

MAMAJI-- ab papa ne keh diya hai toh fir khelna hi padega...

MOM- par pehle batao toh ki aakhir game hai kya???

SHANAYA- usse bhi pehle ek baat clear kar deti hun....games me ya kisi bhi cheez me is V.J ko harana bohot mushkil hai...toh isiliye game ko aur tough karne ke liye ye ek taraf rahega aur baaki sab ek taraf....

MAI- arre kam se kam koi ek partner toh mujhe de do....

MOM- mai ban jaati hun teri partner..

DAD- oye,kahan ki partner..aap har game me hamari hi partner rahengi..



DAD ki baat sunkar sab has diye....



DAD- ek kaam kar..AVNI aur tu ek team ho jao.waise bhi dono saath hi baithe ho....

SHANAYA- arre uncle,ye kya kar rahe hain???wo bhi kam hoshiyar nahi hain????

DAD- toh kya hua??hum bhi toh itne log hain....

NANAJI- toh fir tay raha...VICKY aur AVNI ek team me aur hum sab dusri team me...

SHANAYA- theek hai..par fir bhi mujhe maalum hai ki ye dono bhi sab par bhaari pedenge..isiliye inke hisse me dusri team se zyada hard task rahega...

DEVANSH- arre pehle ye toh bata ki game kya hai??

SHANAYA- game asal me ek quiz hai..jisme mai aap sab ki team se ek sawal puchungi aur V.J aur AVNI ki team se ek..ye silsila hotel pahunchne tak chalega.hotel pahunchne tak jis team ne zyada sawaalon ke sahi jawab diye wo jeet gaya...


SAB-theek hai...



SHANAYA- toh mera pehla sawal aapki team se naanu....



kuch mahino me 31 days hote hain aur kuch mahino me 30 days..toh ye bataiye ki aise kitne mahine hote hain jimnme 28 days hote hain...



sabhi sochne lage...



DAD- hang on..ye ek trick question hai.28 days har mahine me hote hain.....matlab saal bhar....



SHANAYA- absolutely right uncle......


ab V.J,AVNI,tumhara question??



Agar aap kisi zille ke district magistrate hain aur aapko ye info milti hai ki do trains aapas me takra gaye hain toh aap sabse pehle kya karenge aur aapka reaction kya hoga???



maine ek baar AVNI ki taraf dekha,usne kuch kaha nahi bas has diya...



haaye re is ladki ki muskurahat......game ka toh pata nahi par saali ye zindagi kahin mai haar naa jaayun .



MAI- sab se pehle ye pata lagaunga ki wo carrier train thi ( maal gaadi ) ya fir passenger train..uske baad hi action lunga...



SHANAYA- wow yaar,absolutely right.....



ok now second question naau ki team ke liye....



agar mai har aadhe ghante me apple khai hun toh 1-30 ghante bme kitne apple khaungi...



sab phir sochne lage...



MOM- 2..agar har aadhe ghante me khaana hai toh aadhe ghante ka gap bhi toh hua naa....



SHANAYA- kya baat hai aunty......bilkul sahin..



ab V.J aur AVNI tumhara sawal aur ye bhi apple par hi based hai.....



aadhe apple ki tarah kya dikhta hai...???



is baar AVNI ne meri taraf dekha,aur ussi ki tarah mai bhi has diya.....



meri hasi dekh uske honton par bhi muskaan naach gayi aur usne kaha..



baaki ka aadha apple....



SHANAYA- bang on AVNI.......



dekha uncle,maine kaha tha naa ki ye bhi bohot intelligent hai.....


iske baad SHANAYA ne humse lagatar kayi sawal kiye par luckily naa humse koi jawab miss hua aur naa naanu ki team se....



GUIDE- 5 MINUTES to hotel......



SHANAYA- ok now....ab hamare paas zyada waqt nahi bacha isiliye 1 final question..dono team me se jisne bhi pehle jawab diya,wo team jeet jayegi...



so the question that actually is a riddle goes like this.....



hai lekin DIKHTA nahi,
khareeden kaise jab
ye BIKTA nahi...



waise toh ye har KAHIN hai....
par iski koi fixed jagah NAHI hai...


jo haasil karna chahega
wo KHO dega....

jo sirf mehoos karna chaahega,
usse ye BHIGO dega....



dimag lagaoge,nahi pata
laga PAAOGE....

khud ke andar jhaanko,jawab
samajh JAAOGE....



TOH BATAIYE KYA HAI YE...?????



naanu & team soch me padh gayi aur ek dusre se ishare me jawab puchne lagi par har koi clueless tha....

wahin jab maine AVANTIKA ki taraf dekha toh usse aankh band kiye sochte paaya ya ye kahun kuch mehsoos karte paaya....

jo wo mehsoos kar rahi thi,wo toh maine najaane kabse mehsoos kar liya tha....

aur jaisa ki SHANAYA ne kaha tha,mehsoos karoge toh bhig jaaoge,AVANTIKA ke saath waisa hi hua...

uske andar SHANAYA ke jawab ki baarish hone lagi...



SHANAYA- lagta hai naanu & team are clueless..V.J,AVNI tumhe answer pata hai....???!!!!



AVANTIKA ki aankhen khul gayi...



usne ek baar meri taraf dekha toh mujhe apni taraf hi dekhta paaya...

hum dono ki aankhen mili,dil machle,aur dono ke lab ek saath hile jinse SHANAYA ke sawal ka jawab nikla....



HUM DONO- MOHOBBAT...........






HUM JEET GAYE.......






AAJ KE LIYE ITNA HI......





AAPKA APNA V..J.....
Very nice update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI BHUVIKA APNE SHAKTIYON KE SARHAD KO PAAR KARNE ME KAAMIYAB HO JAATI HAI WAHIN HAMARE HERO AUR HEROIN KI TEAM NAANU KI TEAM SE JEET JAATI HAI....
AB AAGE:-





CHAPTER-2



( CURSE OF THE SWEET POISON )




UPDATE- 85





PLANET- YELUPTUS




PLACE- STORMY DESERT





MAZA AAYA.......

HAHAHAHA........



BHUVIKA BEELZEBUB ki baat sunkar usse ghur ghur kar dekh rahi thi......



BEELZEBUB- mujhe ghurne se kuch nahi hoga BHUVIKA.....is badha ke baare me toh mai tumhe pehle hi bata chuka tha par tum apni hi dhun me nishchint hokar aage badh rahi thi....



BHUVIKA kuch der tak BEELZEBUB ko ghurti rahi fir uske lab hile...



BHUVIKA- ek baat batao.....tum toh keh rahe the ki hum dono ke spirits jude hone ki wajah se agar mai tumpe waar karungi toh taklif mujhe bhi hogi....

Toh fir abhi jab mujhe itni taklif hui,fir tum kaise bhale chunge khade ho.....

BEELZEBUB- sirf isiliye ki mai thik thaak khada hun,iska ye arth toh nahi ki mujhe taklif nahi hui hai....

BHUVIKA- par tumhare chehre par toh zara sa bhi dard ka bhaav nahi dikh raha hai....

BEELZEBUB- tumhe kya lagta hai ki bas tum hi dard seh sakti ho....BEELZEBUB ko dard se nahi balki dard ko BEELZEBUB se dar lagta hai....

Aur mai tumhari tarah laaparwaah nahi hun...tum toh besudh si meri saari baaton ko bhulkar aage badh rahi thi par mujhe gyat tha ki aage kya hone waala hai...

Isiliye maine apne aap ko aane waale dard ke liye taiyar kar liya tha....

BHUVIKA- kya har baar mujhe itna hi dard hoga????

BEELZEBUB- tum apne aap ko khushkismat samjho ki SAMAY SANCHALAKO ki urja jhelne ke baad bhi tum zinda ho...

Aur dhanyawad do FATHER ka jinki wajah se aisa sambhav ho paaya hai..SAMAY SANCHALAKON ke sharir me basi WHITE ENERGY ko unki BLACK ENERGY apne me lapete hue hai aur ussi ke prabhav se hi tum dhyan se baahar aa paayi ho....

Par tumhara dyan se sakushal waapas aana is baat ko bhi darshata hai ki ab tumhara sharir WHITE aur BLACK urja ke samavesh ke liye puri tarah taiyar hai....

Ab bas zaroorat hai dhyan kendrit kar bina dare apne lakshya ki taraf aage badhne ki....

Apne man se dar ko nikal apne chith ko shaant kar aage badho BHUVIKA..tum apne gantavya apne lakshya tak awashya pahunchogi......



BHUVIKA ne ek lambi saans khich kar chhodi aur fir usne apni aakhen band kar li.....

Chaliye jab tak BHUVIKA apne next stop par pahunchti hai,mai aapko batata hun ki ye dono kis baare me baat kar rahe the......



Jaise ki aapko pata hai ki BHUVIKA apni pehli baadha apni shaktiyon ki sarhad ko cross karne me kaamiyab ho gayi....

Aur jaise hi ye hua, WHITE aur BLACK urja ka dhuan jo sarhad me ghum raha tha, wo BHUVIKA me sama gaya...

BHUVIKA ke chith ke raaste wo saari urja uske pure sharir me faile gayi....

BHUVIKA ko apne andar kaafi shakti mehsoos hui aur issi khushi me uska concentration toot gaya....

Thi toh ab bhi wo apni shaktiyon ke maarg se judi hui hi,par uska chith aage aane waali pareshaniyan ko bhool gaya tha....

BHUVIKA ka chith aage badhta gaya aur kuch der tak aage chalne ke baad BHUVIKA ko apne se kuch door saamne kuch dikha jisse dekhkar wo chownk gayi...

Darasal BHUVIKA se kuch door aage baadal hi baadal the.....par chownke ki baat sirf yahi nahi thi...chownke ki baat ye thi ki kuch baadal WHITE colour ke the aur kuch baadal BLACK colour ke....

Aur dekhte hi dekhte wo saare WHITE aur BLACK baadal ke dusre me samane lage aur unka colour bhi waisa ho gaya jaisa sarhad par bichi dono ENERGIES ke milne par ho gaya tha....

Aur aisa hote dekh BHUVIKA khush ho gayi...kyunki wo jaan gayi thi ki ye baadal asal me uski shaktiyan thi jiska ye matlab tha ki wi apni manzil ke paas pahunch gayi hai....

Aur ye baat jaante hi wo aur laparwaah hokar khushi khushi age badhne lagi ki tabhi......




Aahhhhh......aaaahhhhh...aahhhhhhhhhhh........




Baadalon ki sarhad se pahle zamin thi...aur jaise hi BHUVIKA us zamin ke paas pahunchi,us zamin ke andar se ek WHITE ENERGY ki ray rassi ke roop me baahar nikli aur us rassi ne BHUVIKA ko lapet liya....

Aur agle hi pal us rassi ne BHUVIKA ko idhar se udhar patakna shuru kar diya...teen chaar baar aisa karne ke baad achanak......


Aahhhhhhhhh........



Ek baar firse BHUVIKA ke mooh se chikh nikal gayi...aur ye cheekh isiliye nikli thi kyunki us rassi ne khudme bijli utpann kar di thi jisse uske giraft me fasi BHUVIKA ko bhi jhatke lage....

Kyunki BHUVIKA ka dimag is jagah se juda hua tha isiliye uske dimag se hote hue ye saare jhatke aur dard BHUVIKA ke asal sharir ko bhi lag rahe the...

Aur jaise hi bijli ka jhatka dusri baar BHUVIKA ke chith ko laga,BHUVIKA ke mooh se firse cheekh nikli aur is baar uski aakhen bhi khul gayi aur aisa hote hi uske chith me phasi BHUVIKA bhi us rassi ke beech se gayab ho gayi.....

BHUVIKA se jude hone ki wajah se ye saari cheeze BEELZEBUB ne bhi dekhi aur mehsoos ki thi aur isilye usne BHUVIKA se wo saari baatein kahin aur usse aage kya karna hai,uski suggestions diye.......



Toh chaliye wapas chalkar dekhte hain ki is baar BHUVIKA ka kya haal hota hai...?????

Arre waah..madam apna kaala saamrajya shtapit karne ke kareeb hi hain....

BHUVIKA wapas baadal roopi apne shaktiyon me saamne khadi thi....wo dhyan se saamne zamin ki taraf dekh rahi thi jahan se WHITE ENERGY ki rope baahar aayi thi....

Par wo jagah samtal thi aur wahan par kisi bhi tarah ki koi bhi hulchal nahi ho rahi thi.....

Kuch der tak BHUVIKA yunhi us jagah par khadi rehkar kuch guna bhaag karti rahi par fir.........



AAHHHHHHH....AHHHHHHH......UMMMMMMM.AAHH.UMMMMMM......

HAAAAAAAAAAA....................HAAAAAAAAAAAAAAAA



hua ye ki BHUVIKA ek niskarsh par pahunchi ki jagah se WHITE ENERGY ne usse lapeta tha,wo us jagah par paaon hi nahi rakhegi aur usse pehli hi chalang laga degi aur issi irade ke saath BHUVIKA ne daud laga di aur zamin ki sarhad par pahunchne se pehle hi usne chalang laga di

Par isse pehle ki BHUVIKA apni shaktiyon ka sparsh kar paati,zamin se ENERGY rope tivr gati se baahar aayi aur usne BHUVIKA ko uski shakti roopi baadal ko chune se pehle hi pakad apne me lapet liya aur fir pichle baar jaisa hi ghatnakram repeat hua par is baar BHUVIKA ke chith ko kahin na kahin is baat ka andesha tha....

BHUVIKA ke chith se hote hue us ENERGY rope se milta dard BHUVIKA ke mastishk me samane laga jisse BHUVIKA ka dimag sehen karne ki koshish karta raha par aakhir me usne haar maan li aur BHUVIKA ki aankhen khul gayi....

BHUVIKA mooh khole lambi saansen lene lagi wahin BEELZEBUB uske normal hone ka wait karne laga aur jaise hi BHUVIKA ki saansen normal hui,usne kuch kehne ke liye apna mooh khola hi tha ki itne me wo chownk gaya par agle hi pal muskurane laga...



Darasal hua ye ki apni saanson ko durust hone ke agle hi pal BHUVIKA ki aankhen punah band ho chuki thi..jiska matlab tha ki wo firse dhyan me jaa chuki thi...

BHUVIKA ki itni prabal iccha aur dridhta ko dekhkar hi BEELZEBUB ke chehre par muskaan aa gayi...



BEELZEBUB man me- mai ye toh nahi jaanta ki FATHER tumse kya karwana chahte hain par itna zaroor pata hai jo bhi kaam tumhe soumpa jaayega,tum usme zaroor kamiyab hogi....



Ye bolkar BEELZEBUB ne bhi apni aakhen band kar li aur BHUVIKA ke chith ke saath jud gaya......

Wahin BHUVIKA wapas apni manzil ke kareeb pahunch chuki thi.....zamin ko dhyan se dekhte hue wo kuch soch hi rahi thi ki itne me usse ek awaaz sunayi di....

Ye awaaz BEELZEBUB ki thi....



BEELZEBUB- jhatke lagenge par MAROGE nahi....

sachayi dikhegi agar apne saaye

se DAROGE nahi......



BEELZEBUB ki awaaz ko ya yun kahun BEELZEBUB ki paheli ko sunkar BHUVIKA shocked ho gayi..wo BEELZEBUB ki paheli ka matlab samajhne ki koshish karne lagi...

Kuch der tak dhyan me baithi BHUVIKA ke sir par soch ki silwaten tairti rahi,par fir achanak jaise BHUVIKA ke dimag me bijli si koundhi aur agle hi pal BHUVIKA ke mastishk se BEELZEBUB ki paheli ka jawab nikla jisse BHUVIKA ke chith ne sun liya...

BHUVIKA ke chith ne kisi chiz ka awahan kiya aur agle hi pal BHUVIKA ke chith ko kisi ne gher liya...

Ye aur koi nahi wahi WHITE ENERGY thi jo sarhad par BHUVIKA ke andar samayi thi....

BHUVIKA ne inhi WHITE ENERGY ka awahan kiya tha....
Aur yahi WHITE ENERGY hi BEELZEBUB ki paheli ka jawab bhi tha....



BHUVIKA ko SAMAYSANCHALAKON ke white ENERGY se bani rope nuksaan pahuncha rahi thi....

Aur wo isiliye aisa kar rahi thi kyunki BHUVIKA ke andar BLACK ENERGY thi....

Par BHUVIKA rope numa WHITE ENERGY se dar rahi thi,par wo ye bhool gayi thi ki uske andar bhi WHITE ENERGY hai..

Iska matlab wo apni hi parchayi se dar rahi thi jaisa ki BEELZEBUB ne kaha tha....isiliye BHUVIKA ne WHITE ENERGY ka awahan kiya jisne BHUVIKA ko apne daayre me lapetethe hi uske andar moujud BLACK ENERGY ke lakshan ko chupa diya....

BHUVIKA ne ek lambi saans li aur aage badh gayi.....aur jaise hi wo zamin ke sarhad par pahunchi,ek baar firse WHITE ENERGY ki rope nikli...

Par is baar wo BHUVIKA ko lapet nahi paayi kyunki pehle se hi BHUVIKA WHITE ENERGY ke daayre ke beech thi.....

SAMAY SANCHALAKON ke WHITE ENERGY ki rope ne ek baar BHUVIKA ko ghere hue WHITE ENERGY ko chua..

Aisa hote hi BHUVIKA ko ek jhatka laga par fir wo normal ho gayi....wahin wo WHITE ENERGY ki rope ne ek do baar aur uske saamne moujud WHITE ENERGY ke dhuen ko chua aur fir gayab ho gayi....

Rope ko gayab hota dekh jahan BHUVIKA ke andar khushi ki leher doud gayi wahin apne mastishk ko BHUVIKA ke chith se jode hue BEELZEBUB ke chehre par bhi ek muskaan naach gayi.....

BHUVIKA ka chith houle houle apne shaktiyon ko sparsh karne hetu aage badh gaya par isse pehle ki BHUVIKA apni shaktiyon ko chuu paati.............



BHUVIKA ko ek aur baar zor ka jhatka laga aur usse jude hone ki wajah se BEELZEBUB me bhi is jhatke ko mehsoos kiya aur natija......

Dono ki aankhen khul gayi...par aankh khulte hi jo nazara unke saamne tha usse dekhkar dono shocked ho gaye....



BHUVIKA aur BEELZEBUB is waqt YELUPTUS me nahi MONSLICKEL me the..ASMODEUS ke mahal me ASMODEUS ke saamne....


BHUVIKA toh sab kuch samajhne ki koshish kar rahi thi par BEELZEBUB turant apne ghutno par baith gaya aur usne BHUVIKA ko bhi man hi man baithne ko kaha...

BEELZEBUB ki baat jaise hi BHUVIKA ke dimag me gunji,usse hosh aaya ki wo ASMODEUS ke saamne khadi hai..agle hi pal wo bhi apne ghutno par thi.....

par wo jaanana chahti thi ki ASMODEUS ne usse apni shaktiyon ko kyun haasil nahi karne diya jabki wo apne shakti paane ke kagaar par hi khadi thi....

Aur ye sawaal toh BEELZEBUB ke man me bhi chal raha tha isiliye usne hi sawaal puchne ke liye apna mooh khola par isse pehle ki wo kuch kehta........



ASMODEUS- ABHI SAHI WAQT NAHI AAYA......






PLANET- EARTH




PLACE-HOTEL FLOR VOLTE





Hey bro.....yaar ANJU ko dekha hai kya?????uske miss calls the aur abhi mai laga raha hun toh utha nahi rahi....

MAI- waah re majnu ke bhatije....tujhe sirf ANJU ke miss calls dikhe, aur kisi ke nahi.....

RONIT- nahi toh...aur kisine bhi call kiya tha kya???



RONIT ne ye baat typical idiot chehre ke saath kahi thi...



MAI- kahan tha yaar tu????mai tujhe najane kabse miss kar raha tha..



Ye bolkar maine RONIT ke gaal kheech liye.....



RONIT- zyada chalane ki wajah se tera dimag fuse ho gaya hai kya???? Kya bol raha hai???

MAI- saale,jab dimag bilkul nahi lagane se tu coma me nahi gaya toh zyada lagane se mera kaise fuse ho jaayega....

aaj kitne time baad tu wahi purane idiot RONIT ki tarah baat kar raha hai jisse kisi chiz ka idea nahi hota tha????

RONIT- matlab???

MAI- matlab sirf ANJU ne nahi,RIYANSH,DEVANSH aur SHANAYA ne bhi tujhe call kiya tha par majnu ko bas apni laila ka number hi yaad raha....

RONIT- arre wo bhai jet lag ki wajah se neend hi nahi khuli.....waise tere rehte sab mujhe kyun call kar rahe the.....saari problems ka solution toh tere paas hota hai...

MAI- abbe wo ANJU ko tujhse kuch kam tha par tune uthaya nahi toh wo naaraz ho gayi aur yahi batane ke liye baaki sab tujhe baar baar call kar rahe the....



Ronit abhi just utha tha,aur abhi bhi kuch neend me tha par meri baat sunkar uski neend ud gayi.....



RONIT- WHAT!!!!! ANJU mujhse naaraz ho gayi.....saale,waise toh har time dimag me ghus kar kuch na kuch bakwas karte rehta hai par jab sach me zaroorat padti hai toh koi sign nahi deta....

Tu mujhe utha nahi sakta tha...


MAI- bhai mai dimag me ghusta hun par tera maamla toh dil ka hai....aur jab baat dil ke maamlo ki ho toh mai dimag me nahi ghusa jaata.....

RONIT- tu aur teri baatein...kam se kam itna toh bata ki abhi ANJU kahan hai aur bhai answer sidhe sidhe dena..koi puzzle na daal diyo....

MAI- neeche,hall me.....

RONIT- chal mai chala.....



Ye bolkar jaise hi RONIT bhaagne ko hua,maine usse pakad liya...



MAI- abbe mai bhi wahin jaa raha hun..chal saath chate hain.....

RONIT- haan bhai chal aur sun..zyada ghussa hui toh tu sambhal liyo..wo teri baat zaroor sunegi....

MAI- uski tention naa le.tu bas itna kariyo ki jaate saath sorry ki rat laga dena....

RONIT- abbe,wo toh mai karunga hi.....chal ab jaldi chal..



Hum dono neeche ground floor par hall ki taraf chal diye....

Chaliye,jab tak ye hall pahunchte hain,mai aapko bata deta hun ki ab tak humne kya kya kiya hai....



Kal subah hotel me check in karne ke ek ghante baad hum sab breakfast karke baahar reception me ikattha hue jahan pehle se hi hamara guide khada hua tha....

Uske baad hum sab sabse pehle SWISS NATIONAL MUSEUM gaye jahan world ke best architecture rakhe gaye hain..purane bhi aur naye bhi.....

Wahan par kareeb 2 ghante rookne ke baad hum sab yahan ke famous lake ZURICH gaye jahan humne kuch 1 ghante tak boating ki.....

Kyunki ye pair boating thi matlab jisme ek saath do log hi baith sakte hain isiliye hum sab pair me gaye....


Waise toh kaayde se RIYANSH aur DEVANSH ko apni dono sisters ke saath baithna tha par kyunki AVANTIKA komal ko aur mai AASHI ko pakde hue the isiliye hum dono yahan bhi saath hi baithe.....



Is dauran........




AVANTIKA- kitna khubsoorat nazara hai naa....

MAI- haan,par filhal thoda fika lag raha hai....

AVANTIKA- fika?????kaise....????



Maine kuch jawab nahi diya bas AVANTIKA ki aankhon me dekhne laga....



Agle hi pal AVANTIKA ke hontho par muskaan tair gayi aur wo isiliye kyunki usse uske sawal ka jawab mil gaya tha....

Par ye muskaan sirf khushi ki hi nahi sharm ki bhi thi isiliye AVNI ne apna chehra dusri taraf kar liya aur houle houle sharmate hue muskurane lagi.......



MAI- dekh kar humko tu
Yun naa chhup JAAYA kar....

Hum toh apne hain,
Gairon se SHARMAYA kar....



Meri baat sunkar AVNI ki sharm aur badh gayi par usne jaldi se khud ko normal kiya aur saamne dekhne lagi...ab wo mujhse kuch keh nahi rahi thi,bas beech beech me tirchi nigahon se meri taraf dekh rahi thi.....

Ye baat mai jaanta tha par maine usse is baat ka ehsaas nahi hone diya.....boating karte karte hum dono lake ke beech me aa gaye the..saamne se 2,2 bando ka 4 group hamari taraf aa raha tha...

Ladke ache ghar se lag rahe the par jaise hi unki nazar AVNI par padi,wahin theher gayi....

Ab isme unka bhi kya dosh..upar waale ne AVNI ko banaya bhi fursat se hai aur aakhir kyun naa banate..apne bete ke liye itna toh karenge hi.....



Khair,wo sab AVNI ko ek tak dekhne lage jisse AVNI ne bhi notice kar liya aur thodi uncomfortable ho gayi...

Aur jaise hi usne meri taraf dekha toh paaya ki mai bhi un bando ki taraf hi dekh raha hun par fir maine apni nazaren ghuma li....

ye dekhkar ki mujhe un bando ke usse ghurne se koi problem nahi hui, AVNI ka chehra murjha gaya....



MAI- what's up????chehra kyun utar gaya tumhara.....

AVANTIKA- nahi toh,i'm fine....

MAI- u sure.....!!!

AVANTIKA- hmm.....



iske baad kuch der tak hum dono ke beech koi baat cheet nahi hui.....

mai nazare dekhne me busy tha aur AVANTIKA kuch soch rahi thi....



AVANTIKA- V.J ek baat puchun???



mera chehra dusri taraf tha jab AVANTIKA ne mujhe pukara...uske pukarte hi mere chehre par smile aa gayi par fir maine khudko normak kiya aur uski taraf palta...



MAI- haan,pucho???


AVANTIKA- maan lo ki tum kisi ko chahne lage ho aur jisse tum chaahte ho usse koi aur propose kar de toh tumhe kaisa lagega???



AVANTIKA ke sawaal par mai kuch der uski aankhon me dekhta raha wahin wo toh mere aankhon me hi jawab talashne ki koshish kar rahi thi.....



MAI- kuch nahi lagega...???



mera jawab sunkar AVANTIKA shocked ho gayi...



AVANTIKA- aisa kyun???

MAI- arre yaar,mere kisiko pasand karte hi kya wo meri personal property ban jaayegi...???

uski life toh ussiki rahegi naa...aur waise bhi,mujhe kisika propose karna kyun bura lagega....

ladkiyon ko toh ladke propose karte hi hain naa???

AVANTIKA- aur agar usne haan keh di toh...???

MAI- toh kya,asta labista...bye bye....alvida..

wo apne raaste aur mai apne....

AVANTIKA- itni aasani se..tum usse rokoge nahi..confront nahi karoge ki usne tumhare saath aisa kyun kiya????



maine ek lambi saans chhodi aur fir ek tak AVANTIKA ki aankhon me dekhne laga..

wahin AVANTIKA ki aankhon me mere jawab ko sunane ki ek tadap aa gayi thi....



MAI- JO MERA HAI,WO MUJHE KABHI CHHOD KAR NAHI JAAYEGA AUR JO CHALA GAYA,WO MERA KABHI THA HI NAHI....

AUR JO APNA NAA HO USKE JAAANE KA KAISA AFSOS.....????

(ISSE KEHTE HAIN ATTITUDE GUYZ)



jawab dekar mai muskuraya aur fir saamne dekhne laga wahin AVANTIKA mere jawab ke baare me kuch der sochti rahi aur tabhi....



SAHI TOH HAI.......



ye awaaz AVANTIKA ke dil se aayi thi...aur is awaaz ke aate hi AVANTIKA ke chehre ki chamak wapas lout aayi aur wo muskura uthi....



iske baad kuch khaas nahi hua...hum sab ne boating khatm ki.sabhi ke upar jet lag sawar ho gaya tha jis wajah se sabhi thak gaye the isiliye hum sab ne pehle lunch kiya uske baad wapas hotel aa gaye..

is beech meri aur AVANTIKA ki nazaren kayi baar mili..jab bhi hamari nazaren milti,uske chehre par kayi expresions aa aa kar nikal jaate.....

waise toh mai jaanta tha ki wo mujhse kya kehna chahti hai par mai ye bhi jaanta tha ki ABHI SAHI WAQT NAHI AAYA HAI.....

khair,hotel pahunchne ke baad sabhi apne apne room me jaakar ludak gaye....

ANJALI aur RONIT baakiyon ke mukalble bilkul nahi thake the isiliye hum teeno shaam ko ghumne baahar nikal gaye jahan humne bohot se adventure sports khele..

waise toh iske baad bhi wo dono nahi thakte par kyunki dono ne mere saath khela tha isiliye dono ke upar thakawat bhari ho gayi aur jab tak hum wapas pahunche tab tak dono bhi baakiyon ki hi tarah susth padh gaye the...



aur issi tarah kal kaa din nikal gaya...



aur aaj ka hamara schedule kuch alag hai..hum sab young log hi hotel me hain..senior citizens ZURIC darshan pe gaye hue hain..

darasal aaj wahi din hai jiski wajah se hum sab yahan par aaye hue hai...mere mom dad ki mariage anniversary....

subah uthte hi maine dono ko wish kiya aur aaj ke programme ke baare me un dono ko bata diya..

aaj hum sab youth brigade ko hotel me rehkar hall ko sajana tha isiliye senior party were not allowed to stay...

breakfast ke baad sabhi seniors bahar chale gaye the

wahin jet lag ki wajah se RONIT bhai sahab ki neend aaj thodi let se khuli aur uske baad kya hua wo toh aap jaante hi hain....



khair,hum dono jaldi se hall ki taraf pahunche ya ye kahun RONIT mujhe khinchta hua le aaya....

aur jaise hi hum hall me enter hue toh humne dekha ki saari bandiyan hotel staaf ko instructions de rahe the aur RIYANSH aur DEVANSH bhi hotel staaf ke saath milkar sab kuch set kar rahe the...



RONIT- ANJU....i'm so sorry yaar..wo darasal jetlag ki wajah se aankh hi nahi khuli...please yaar maan jaa na....tu toh jaanti hai naa ki mai tera phone kabhi avoid nahi karta par neend me tha toh kar bhi kya sakta tha....



RONIT ANJALI ke paas pahuncha aur uske dil me jo aaya wo bakta gaya bina ye dekhe ki ANJALI usko shocking looks dekar dekh rahi hai..



aur isse pehle ki ANJALI apna mooh kholti....



THODI SI ACTING KARLE........



ye awaaz ANJALI ke kaano me gunj gayi jo ki meri thi....

ANJALI ne meri taraf dekha toh maine usse aankh maar di...pehle toh ANJALI ne man me naa kaha par jab maine usse aankh dikhayi toh wo maan gayi....



RONIT- yaar kuch toh bol....

ANJALI- nahi....tum meri bilkul care nahi karte...neend nahi khuli..pata hai naa ki aaj uncle aunty ki marriage anniversary hai..kya tumne unhe wsh kiya.....

nahi....tumhe kisiki parwah nahi hai....

RONIT-aisa mat bol yaar....kasam se yaar.meri neend hi nahi khuli warna aisa kuch nahi hota.....

ANJALI- just dont talk to me.....



ye bolkar ANJALI ne apna chehra ghuma liya...

wahin baaki sab hairan pareshan kabhi RONIT ko dekhte toh kabhi ANJALI ki taraf....

aur tabhi AVANTIKA ki nazar mujhpe gayi aur wo sab samajh gayi.....

maine bhi uski taraf dekha.usne mujhe aankhon se hi ghussa dikhaya aur saala mai fir baazi haar gaya....


MAI MAN ME- bohot hua..dekh RONIT ki shakal rone jaisi ho gayi hai....


meri awaaz sunkar ANJALI turant palti aur jab usne RONIT ka murjhaya chehra dekha toh usse uspar bohot pyar aaya...

ANJALI jhat se RONIT ke gale lag gayi....



ANJALI - sorry baby..mai tumse koi naaraz nahi hun...ye toh mujhe V.J ne aisa karne ke liye kaha tha...



ANJALI ki baat sunkar RONIT shocked ho gaya par filhal wo ANJALI ke gale hi laga raha..

ab bhala koi apne mehboob ke baahon se bhi juda hona chahega bhala....

par kehte hain naa,all good things also have to end....

aur jaise hi dono pyar ke panchiyon ka gale milne ka time off hua.....



RONIT- kamine...mai tujhe nahi chhodunga........



ye bolkar RONIT mere piche bhaga....



par kuch hi der me wahan khade sabhi shocked ho gaye.....

aur wo isiliye kyunki mai bas 10 ya 20 metre ke range me hi idhar udhar doud raha tha iske baawajud RONIT mujhe pakad nahi paa raha tha.....

par fir mai ek jagah rook gaya aur mere rookte hi RONIT ne mere upar chalang laga di par jaise hi ye hua,mai halka ja hat gaya aur agle hi pal mai RONIT ko peeche se jakda hua tha...

RONIT chhutne ki bohot koshish kar raha tha par aisa hua nahi......aur aakhir thak haar kar...



RONIT- theek hai theek hai..kuch nahi karunga..chhod mujhe....



saala bhul gaya tha ki kisse jhuth bol raha hai..mujhe pata tha ki mere usse chhodte hi turant mujhpar jhaptega..

isiliye maine usse saamne halka sa jhatka diya par saali gadbad ho gayi par us gadbad ka anth bohot khoobsurat tarike se hua.....



hua ye ki jaise hi maine RONIT ko jhatka diya,jhatke ka pressure zyada hone ki wajah se RONIT disbalance ho gaya aur dagmagate hue saamne ki taraf badha..

aur thik ussi waqt AVANTIKA bhi mere paas aane ke liye aage badhi thi....

RONIT ko yun apni taraf unbalanced tarike se aate dekh wo bhi dar gayi aur usne apni aankhen band kar lin...

wahin ANJALI right side se aage badh rahi thi....

jaise hi maine dekha ki RONIT AVANTIKA se takrane waala hai,mai tezi se aage badha aur agle hi pal mere left haath ne RONIT ke left shoulder ko halka side se jhatak diya jisse RONIT ki disha change ho gayi aur wo apne right ki taraf palat gaya jahan se ANJALIaa rahi thi...

par ANJALI jaise taiyar si thi..RONIT ke uske paas aate hi usne usse thaam liya..

wahin RONIT ko jhatka dene ke baad mera sharir thoda aage badh gaya aur agle hi pal.......



AVANTIKA mere baahon me thi....aur pata nahi kaise mere usse chhute hi AVANTIKA ne mere sparsh ko pehchaan liya aur uske man se awaaz aayi...



V.J.......


awaaz ke aate hi usne aakhen khol di aur mere aankhon me dekhne lagi...

wahin maine jaise hi AVANTIKA ko baahon me liya hum dono ke body neeche girne lage....

mai chahta toh hum dono ko girne se rok sakta tha aur mai rokne bhi waala tha ki tabhi meri nazaren AVANTIKA ki nazaron se takrayi jo is waqt meri aakhin me hi khud ke aks ko talaash rahi thi.....

aur mai bhi AVANTIKA ki aankhon ki gehrayi me doob sa gaya....aur jab hum hi doob gaye toh girne se bach ke kya faayda...

hum dono ke sharir ek dusre se jude hue the aur issi tarah hum dono tezi se neeche gir rahe the par mere aur AVANTIKA ke liye toh jaise waqt tham sa gaya tha...

hume aisa lag raha tha maano waqt ne apni raftar dheemi kar di hai aur hum dono dheere dheere niche floor ki taraf jaa rahe the..

maine hawa me hi khudko palta liya taaki AVANTIKA ki body floor se naa takraaye aur agle hi pal hum dono floor par the....

kyunki AVANTIKA ki body mere upar thi isiliye usse kuch mehsoos hi nahi hua....

wo ab bhi ek tak mere aankhon me dekh rahi thi aur tabhi uske lab hile....



AVNI- meri tanhayi me bhi hai,
meri MEHFIL me bhi hai.

jo baat teri aakhon me hai,
kya wo tere DIL me bhi hai...




MAI- jo tera hai,tujhe mil hi jaayega
bas AITBAAR rakhna

ikraare wafa ka waqt nazdeek
hai,labon ko TAIYAR rakhna...






THIK USSI WAQT MONSLICKEL ME:-




ASMODEUS- jitna hasna hai has le,
Ye waqt lout kar nahi AAYEGA.....



INSANIYAT se HAIWANIYAT
jab takrayegi.....

Tera kamaya sab kuch khatm
ho JAAYEGA.......






AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V..J....
Very nice Update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
AB TAK AAPNE PADHA KI BHUVIKA APNI SHAKTIYON KO PAANE HI WAALI HOTI HAI KI ITNE ME ASMODEUS USSE AUR BEELZEBUB KO APNE PAAS BULA LETA HAI WAHIN VIKRAM AUR AVANTIKA DHEERE DHEERE AUR KARIB AANE LAGE HAIN....
AB AAGE:-






CHAPTER-2








( CURSE OF THE SWEET POISON )




UPDATE-86





PLANET- EARTH





PLACE-HOTEL FLOR VOLTE





LADIES & GENTLE MAN......PLZ PUT UR HANDS TOGETHER 4 THE BEST COUPLE EVER....

JAIRAJ UNCLE & MINU AUNTY.......



ANJALI ke mom dad ke naam announce karte hi party hall ki puri lighting pehle 10 second ke liye off ho gayi..

10 seconds baad party hall ki entrance par ek flash light padi jiske beech is waqt mere mom khade the...

Dad was wearing a BRIONI THREE PIECE SIUT jisme wo ekdum dapper lag rahe the wahin mom RITU KUMAR (designer) ki design ki hui red saari me kisi riyasat ki maharani se kam nahi lag rahi thi....


Is section ke intro part se hi aap sab samajh gaye honge ki jis reason jis wajah se hum sab switzerland aaye the,wo din aur agar exact words use karun,toh wo shaam aa gayi hai....



Subah ki hamari shuruat kis tarah se hui,wo toh aap sab jaante hi hain...khair,uske baad masti vagairah toh din bhar chali par normal way me....

Is dauran AVANTIKA aur meri nazaren kaafi baar mili..honton se toh sabhi muskurate hain,par aakhon se muskurana kitna hasin dikhta hai,ye maine AVANTIKA ke ankhon me jhank kar jaana...

Khair issi tarah ek dusre se masti karte kab saara kaam khatm hua pata hi nahi chala....

Seniors kareeb shaam ke 5 baje wapas loute par unme se kisiko bhi hall me ghusne ki permission nahi thi isiliye sabhi apne apne kamre ki taraf chal diye....

Aur sharp 7 pm ko sabhi ready hokar hall me aa chuke the..guests ke taur par dad ne yahan ke kuch indian businessman ko bulaya tha..

Aur wo sab bhi on time aa chuke the...mom dad ki entry humne sabse aakhir me rakhi thi..after all ye un dono ki shaam thi....

Saari taiyariyan ko recheck kar maine ANJALI se mom dad ko bulane ko kaha jisse sunkar wo khush ho gayi....

Aur uske aage kya hua,ye mai already likh chuka hun....


Flash light ke yun suddenly apne upar padne par mom kuch nervous si ho gayi par agle hi pal unki nervousness khatm bhi ho gayi...

Aur wo isiliye kyunki mom ke nervous hote hi dad ne mom ka haath thaam liya tha...

Dad ke haath thaamte hi mom ne dad ki taraf dekha toh unhe apni taraf dekh muskurata hua paaya....

Dekhne waalon ke liye ye bas ek muskurahat thi par mom dad ke muskan ke piche khamoshi se kahi gayi saari baatein pehchaan gayi thi.....

Dad ne muskurate hue bina kahe hi mom ko bharosa dila diya tha ki unke rehte mom ko nervous hone ki zaroorat nahi hai....

Aur dad ka mom ke haatho ko mazbooti se thaamna unka bin kahe kiya gaya mom se waada tha ki ye haath ab zindagi ke saath hi chhutega,usse pehle nahi....

Aur ye bharosa aaj ka nahi tha...ye bharosa tabse tha jabse dad ne mom ka haath pehli baar thaama tha...



Dad ke haath thaamne aur apni taraf dekhkar muskurane se mom ke chehre par dikh rahi nervousness gayab ho gayi aur uski jagah confidence ne le li....

Aur ussi confidence ko carry karte hue mom aur dad aage badhe par agle hi pal dono chownk gaye.......

Aur wo isiliye kyunki unke aage badhte hi unke upar gulaab ki pankhiudiyan girne lagi thi...



MAI- common dad common on mom..come up....


Mom dad apne upar baraste phool ko mehsoos kar hi rahe the ki maine dono ko awaaz di..awaaz sun dono hi aage badhne lage aur kuch hi der me dono stage par the jahan hamari puri family with friends pehle se hi khade the...



ANJALI- so love birds....sabse pehle toh hum sab ki taraf se once again A VERY HAPPY MARRIAGE ANNIVERSARY......


ANJALI ne chillate hue ye baat kahi...



ANJALI- aur isse pehle ki aapko yahan aaye saare guests badhayi den,aap dono ke liye ek task hai...

MOM/ DAD- task?????

ANJALI- ghabraiye mat....bohot easy hai...toh task ye hai ki aap dono ne akele me toh kayi dafa ek dusre ko propose kiya hoga par aaj aap dono ko yahan stage par sabke saamne ek dusre ko i love u kehna hai...



Jahan ANJALI ki baat sunkar hum sab yes yes ki chant karne lage wahin mom ki haalat kharab ho gayi...



MOM- mai ye sab nahi kar sakti....

ANJALI- oh,common aunty,be a sport...aur waise bhi aapko kisi aur se nahi apne husband ko hi toh kehna hai...



MOM ne kuch nahi kaha bas naanu aur naani ki taraf hume ishara karne lagi...jisse hamare saath saath naanu ne bhi dekh liya...



NAANAJI- arre gudiya humse sharmane ki koi zaroorat nahi hai...

RONIT- aur nahi toh kya???common aunty just go 4 it....



RONIT ke baad sabhi mom ko chear up karne lage par mom ab bhi nervous thi....



MAI- dad,aap toh pehle bolo...



Maine dheere se dad ke kaan me bola...



DAD- arre yaar mai toh bol dunga par agar teri mom nahi boli toh bekaar me sabke saamne mera kachra ho jaayega....



Dad ki baat sunkar mujhe hasi aa gayi...



MAI- dad,mom ka mom ko decide karne do..aa pehel toh karo, dekhna mom ki nervousness bhi khatm ho jaayegi....

DAD ne ek lambi saans chhodi aur apni baat rakhi...



DAD- MINU,jin 7 feron ki kasam ko aaj tak hum dono nibhate aa rahe hain,ussi kasam ki kasam khakaar sabke saamne mai kehta hun ki....I LOVE U.....



Dad ne apni baahein faila kar apni baat kahi....unhe laga mom unki baahon me sama jaayegi par mom ne toh sharm se apna sir neeche kar liya...



MAI- MOM....PLZZZ.......



mere plz kehte hi mom ne jhat se ek baar meri taraf dekha aur mujhe dekhne ke baad unbone dad se....



MOM- i love u too...


Mom ne ye dheere se kaha par hum sab ne sun liya tha...mom izhare ishq karte hi dad ki baahon me chhup gayi wahin hum sab ek baar firse hooting karne lage....



DAD- aaj bete ne bacha liya,warna sach me sabke saamne mera kachra ho jaana tha...



Dad ne dheere se apni baat kahi jisse mom aur maine sun liya..jahan mai ye sab sunke has diya wahin mom ne dad ke chest par ek halka mukka maara...

Khair iske baad sabhi guests ek ke baad ek stage par aaye aur mom dad ko wish kiya....

Buffet system tha isiliye saare guests khud hi khud ko serve karne lage...

Saare guests khaana khaa rahe the par hamari family abhi bhi stage par hi thi...



DAD- papa,chaliye khaana khaa lete hain...

NAANAJI- haan thik hai..chalo.....

DAD- bacchon,aap sab bhi dinner kar lijiye....

MAI- ok dad.....



Abhi hum sab stage se utar hi rahe the ki itne me AAKASH uncle jo ki kisi se phone par baat kar rahe the,call khatm karke hamare paas aaye aur dad ko side me lejaakar unse kuch kaha...

dad aur uncle ko wahin chhod hum sab stage se niche aa gaye aur tables par baith gaye...

seniors alag tables par baithe aur hum sab friends alag table par...waise toh buffet system ke hisaab se hum sab ko food counter par jaakar khaana lena chahiye tha par hamari family ke liye alag se arrangements ki gayi thi....

waiters aakar hamara khaana serve karne lage....hum sab baat kar hi rahe the ki itne me dad ne mujhe aawaz di...



MAI- ya dad..whats up???



DAD- beta,next week singapore se ek party aane waali thi meeting ke liye par ab wo parso hi aa rahi hai...

toh mujhe aur tere dono uncles ko jaana padega...toh kaise karna hai??tum log bhi saath chaloge ya fir kuch din aur yahan rukoge..

MAI- dad,hum yahan aapke aur mom ke marriage anniversary ke liye aaye the jo humne celebrate kar li...ab rook karkya faayda...

exams ke baad hum sab fir kahin holiday par chale jaayenge...

DAD- theek hai fir..apne saare frnz ko batade kyunki hume kal early morning nikalna hai...

MAI- ok dad...

ye bolkar mai wapas apne table ki taraf chal pada aur wahan pahunch maine sabko bata diya ki hum kal hi nikal rahe hain...

wapas jaane ke naam se sab thoda sad toh the hi par zyada nahi..haan,par mere dono frnz kuch zyada hi sad the aur wajah bhi valid thi..

yahan se jaane ke baad mai ISLA jo jaane waala tha aur wo bhi unke bina...

par ye baat toh maine pehle hi clear kar di thi isiliye maine dobara unse is baare me baat karna sahi nahi samjha...



AVANTIKA- kahan chali tu???



ANJALI ko apne chair se uthte dekh AVANTIKA ne kaha...



ANJALI- hand wash karke aati hun...

AVANTIKA- chal mai bhi chalti hun....

ANJALI- chal...



dono girls wash room ki taraf chal diye....



AVANTIKA- kya hua babe,tu sad lag rahi hai...



kyunki AVANTIKA ko ab meri sacchayi pata thi isiliye ANJALI ne usse sach keh diya...



ANJALI- kuch nahi yaar..wo V.J ISLA jaane waala hai naa isiliye thoda mood off hai...



AVANTIKA- ISLA!!!!



ANJALI- arre tu GLUTO me ALESENDRA naam ki ladki se baat nahi kar rahi thi,ussi ke planet me...

AVANTIKA- ohh,haan yaad aaya..toh isme sad hone ka kya hai???tum dono bhi toh uske saath jaaoge naa???

ANJALI- wahi toh...akela jaa raha hai is baar.aur jab reason pucha toh kehta hai ki baad me bataunga....



iske baad AVANTIKA ne kuch nahi kaha par najaane kyun usse ek ghabrahat si hone lagi.....



aur jab dono wapas aayi toh AVANTIKA ki nazar lagatar mujhpar hi thi..

waise toh mujhe uski nazar,aur nazar ke peeche ka sawal,ghabrahat sab kuch pata tha par maine usse kuch nahi pucha..jab bhi wo meri taraf dekhti,mai bhi usse dekh halka sa muskura sdeta..

issi tarah hum sabka dinner khatm hua...dad ne ek baar firse wahan aaye sabhi guests ko thanks kaha fir sabko hall ke entrance par see off karne ke baad hum ab apne apne rooms me chale gaye....

aur issi tarah humara SWITZERLAND TRIP ka unexpected last day khatm hua...

khair,next day hum sab early morning hi uth gaye aur ready hokar airport pahunch apni plane me baith home sweet home ki taraf ud chale....

home sweet home.....jahan pahunchne ke baad mujhe fir kahin nikalna tha.

PAR MUJHE NAHI MAALUM THA KI YE SAFAR MERI ZINDAGI KE SAATH SAATH AUR BHI BOHOT KUCH BADALNE WAALA HAI....






PLANET- THE WORLD OF WARRIORS





PLACE- TRAINING GROUND.....





JAB TAK RAKHT AUR PASINA EK DHAAR AUR EK GATI SE NAA BAHANE LAGE,SAMAJH JAANA KI TUM TAIYAR NAHI HUE HO.....

SHARIR THAKE TOH THAKE,PAR APNE LAKSHYA KO PRAPT KARNE SE PEHLE TUMHARI AATMA NAHI THAKNI CHAHIYE...

KYUNKI AATMIK BAL SE HI SHARIRIK THAKAWAT KO HAAWI HONE SE ROKA JAA SAKTA HAI....



subah ka waqt hai....jab se AKSHAANT aur MOKALSAR ko WARRIORS WORLD ke sainikon ke yudh koushal ko nikharne ka daayitva diya gaya hai,tabhi se ye dono milkar WARRIORS WORLD aur unke saath hi kuch ISLA ke pramukh sainikon ko kathin prashikshan de rahe hain.....

ISLA ke jo pramukh sainik yahan MOKALSAR aur AKSHAANT se prashikshan le rahe hain, wo sainik har din prashikshan ke baad WORLD DOOR se wapas ISLA jaakar apne sainkon ko wahi prashikshan dete hain....



MOKALSAR- kya aap sab LORD OF ANGELS se milna chaahte hain....



MOKALSAR ki baat sunkar sabhi sainik bohot khush ho gaye....

aur sabhi ne ek saath HAAN ki hunkaar laga di....



MOKALSAR- bohot jald wo yahan aane waale hain..aur hum dono chahte hain ki unke aane se pehle aap sab taiyar ho jaayen aur apne grah ko wapas uski purani garima loutayen....



HUM DONO NAHI HUM TEENO.......



ye awaaz MOKALSAR aur AKSHAANT ke piche se aayi thi jisse sunkar dono piche palte aur apne peeche khade shaksh ko dekhkar dono ke chehre khil uthe....



DONO- SHAILA.........


dono ye kehkar aage badhe aur dono ne baari baari SHAILA ko hug kiya...sabse pehle MOKALSAR ne kiya aur jab AKSHAANT ki baari aayi toh usne SHAILA ko apni baahon me chupa sa liya...

AKSHAANT aur SHAILA dono ki hi aakhen band ho gayi..dono ek dusre ko andar tak mehsoos karne me mashroof ho gaye...

dono me se kisiko is baat ka bhi khayal nahi raha ki SHAILA ke saath LORD CRUSEDAR bhi khade hain....



MOKALSAR- bas karo yaar.ab ek dusre me sama kar hi dum loge kya??kamse kam MAHARAJ ka toh khayal karo....

MOKALSAR ki pehli line ko toh AKSHAANT ne ek kaan se sunkar dusre kaan se nikal diya tha par dusri line me jaise hi MOKALSAR ne LORD CRUSEDAR ka zikr kiya toh AKSHAANT jhat se SHAILA se alag ho gaya jab usne apni right taraf dekha toh paaya ki LORD CRUSEDAR un dono ko hi dekhkar muskura rahe the....



AKSHAANT- shama karen LORD CRUSEDAR..mai aapko dekh nahi paaya...

LORD CRUSEDAR- koi baat nahi putra...mujhe toh tum dono ke aalingan ke beech chupe prem ko dekhkar bohot khushi hui....

mujhe kal hi SHAILA ne is baat se awgat karaya ki tum dono ek dusre se prem karte ho......

aur ye jaankar mujhe bohot prasannata hui.....

waise aaj ka prashikshan samapt hua ya nahi...


AKSHAANT- abhi kuch der aur baaki hai...

LORD CRUSEDAR- aaj ke liye rehne do..mujhe ek mahatvapurna ghoshna karni hai aur tum teeno ka bhi us waqt mere saath rehna anivaarya hai....

AKSHAANT- jaisa aap kahen LORD.......



aur fir AKSHAANT ne sabhi sainkon ko aaj ke liye chuthi de di jisse sunkar sainikon ki bhi jaan me jaan aayi kyunki AKSHAANT aur MOKALSAR ne un sabhi ke saare anjar panjar dheele kar diye the...

sab ko aaj ke liye awkaash dekar AKSHAANT SHAILA aur MOKALSAR LORD CRUSEDAR ke saath mahal ki taraf chal diye...



IN PALACE



LORD CRUSEDAR- aaj hum aap sab ke samaksh ek zaroori ghoshna karne waale hain.....



sabha me aane se pehle hi unhone apne mantri se sabhi sabha sadon ko sabha bhavan me ekatrit hone ke liye keh diya tha...

sabha me pahunchkar LORD CRUSEDAR ne apni raaj gaddi ke saamne khade khade ye baat kahi...

MOKALSAR,AKSHAANT aur SHAILA unke baaju me hi khade the ya fir ye kahun LORD CRUSEDAR ne teeno ko apne paas khade hone ke liye kaha tha...

teeno ki bhi utsukta ab badhne lagi ye jaanane ke liye ki aisi kaun si baat hai jo LORD CRUSEDAR unki moujudgi me hi kehna chahte hain....



LORD CRUSEDAR- par ghoshna karne se pehle mai aap sab ko SHAILA se milana chahunga joki GLUTO ki nayi RAANI hain aur jinhe maine apni putri maana hai.....



ye kehkar LORD CRUSEDAR ne apna haath SHAILA ki taraf badha diya jo AKSHAANT ke baaju me khadi thi....

LORD CRUSEDAR ki baat sunkar SHAILA ki aankhen bhi bhar aayi....

akele me kisiko apna putra ya putri kehna koi badi baat nahi hai par sabhi ke beech jab LORD CRUSEDAR ne SHAILA ko apni putri kehkar sambhodit kiya toh SHAILA ka man khushi se jhum utha....

jis ladki ne saari zindagi ek anaath bankar guzari ho,uske liye yun achanak ek pitah mil jaana bohot badi baat thi...

SHAILA apne nayano ko bheegoye hue LORD CRUSEDAR ka haath thaam unke paas khadi ho gayi....

AKSHAANT aur MOKALSAR bhi LORD CRUSEDAR ki baat sunkar bohot khush ho gaye the.....

wahin LORD CRUSEDAR ke SHAILA ko apni beti kehkar sambhodit karte hi sabha me moujud sabhi SHAILA ke naam ki jayjaykaar karne lage....

LORD CRUSEDAR ne apna haath upar kar sabko shaant hone ko kaha jispe sabhi shaant ho gaye...



LORD CRUSEDAR- maine ye sabha aap sabhi ko apne uttaridhikari se milane ke liye rakhi hai...

LORD CRUSEDAR ki baat sun pehle toh sabhi chownke par fhir khush bhi ho gaye....

LORD CRUSEDAR-aur ek baat,uttaradhikari ek nahi balki do hain aur wo dono aur koi nahi AKSHAANT aur MOKALSAR hain.....



jahan apna naam sunkar AKSHAANT aur MOKALSAR shocked ho gaye wahin saare sabha sad bohot khush the aur sabhi apne dono naye yuvrajon ki jay jaykaar karne lage...




AKSHAANT- LORD CRUSEDAR.....ye sab???


LORD CRUSEDAR- LORD nahi PITAJI kaho putra....maine tum dono ko apna putra maan kar ye faisla liya hai.ab tum dono bhi mere do putron ke roop me hamare grah ke yuvraj ka pad swikar karo....

M0KALSAR- aapne hume is laayak samjha,yahi hamare liye kisi unch pad se kam nahi hai PITAJI....



MOKALSAR ke mooh se PITAJI sunkar LORD CRUSEDAR bohot bhaavuk ho gaye....



MOKALSAR ke baad AKSHAANT ne bhi unhe PITAH kehkar sambhodit kiya jisse unka seena aur phool gaya...



LORD CRUSEDAR- hamare pariwar ki hatya ke baad humne toh socha tha ki hamara jeeven ab niras ho gaya hai par dekho,aaj hume hamara ek naya pariwar mil gaya hai...

aur ye sab LORD OF ANGELS ki wajah se hi sambhav ho paaya hai....unhe ek baar saamne se bhet kar unhe dhanyawad karne ko man vichlit sa ho utha hai.....



abhi MOKALSAR,SHAILA,aur AKSHAANT me se koi kuch kehta ki tabhi.....



2 DIWAS AUR....MAI AA RAHA HUN.......



ye awaaz mere teeno doston ke kaano me gunj uthi jisse sunkar unke chehre khil gaye aur jab ye baat unhone LORD CRUSEDAR ko batayi toh unke bhi khushi ka koi thikana nahi raha....



LORD CRUSEDAR- 2 diwas..humare paas zyada waqt nahi hai...hume aaj aur abhi se unke swagat ki taiyari karni hogi.....



faur fir sabhi mere swagat ki taiyariyon me lag gaye....









PLANET-ISLA




PLACE-GRAH SETU.....




ye dekhiye maharaj......yahi hai hamare grah setu ka pravesh dwaar...



par jis raaste ko DEFENDER GRAH SETU ka raasta bata rahe the,usse dekhkar KING SOLOMON shocked ho gaye..



subah ka waqt hai...GRAH SETU ke nirmaan ka kaam khatm ho chuka hai....aur jaise hi ye baat KING SOLOMON ko pata chali,unhone DEFENDER se ek baar GRAH SETU ko dekhne ka nivedan kiya...

aur is waqt DEFENDER aur KING SOLOMON jaisa ki DEFENDER ne bataya,GRAH SETU ke pravesh dwar ke saamne khade the..

par KING SOLOMON ke chownke ki wajah ye thi ki unke saamne dwar jaisa kuch bhi nahi tha...

is waqt DEFENDER aur KING SOLOMON jungle ke beech me the aur KING SOLOMON ke saamne ek bada sa ped tha....



KING SOLOMON- kintu DEFENDER,yahan toh kuch bhi nahi hai....

DEFENDER- aapke saamne aapko jo ped dikh raha hai uske seedh me khade ho jayiye...



aur jaise hi KING SOLOMON ped ki seedh me khade hue,us ped ke beecho beech roshni ubhri aur dekhte hi dekhte us ped ke beech me se ek raasta nazar aane laga....

GRAH SETU ka pravesh dwar itna bada tha ki ek saath 100 log bhi uske andar ghus sakte the....



KING SOLOMON- adbhudh....

DEFENDER- ye ped hi hamare GRAH SETU ka pravesh dwaar hai..theek aisa hi dwar ISLA me bhi hai....

is grah setu ki ek khaas baat yeh bhi hai par wo kya hai ye mai nahi aapko LORD OF ANGELS batayenge....



KING SOLOMON- ab toh kaafi waqt guzar chuka hai..grah setu bhi ban kar taiyar hai....LORD OF ANGELS kab aayenge.....???



tabhi......



DO DIWAS AUR......MAI AA RAHA HUN......

ye awaaz DEFENDER ke kaano me gunj uthi......jisse sunkar DEFENDER ke chehre par ek chamak aa gayi...

aur jaise hi mere aane ki baat DEFENDER ne KING SOLOMON ko batayi,unke chehre par bhi chamak aa gayi...



KING SOLOMON- do diwas..bohot kam waqt hai hamare paas LORD OF ANGELS ke swagat ki taiyari karne ka.....

DEFENDER agar aapki ijazat ho toh kya hum jaa sakte hain..????



DEFENDER ne haan me sir hilaya.KING SOLOMON ne apna sir punah ek baar DEFENDER ke aage jhukaya par jaise hi unka sir upar hua,DEFENDER jaa chuke the...



KING SOLOMON bhi apne mahal ki taraf nikal gaye....





THIK USSI WAQT......





PLANET- MONSLICKEL....






PLACE- PALACE




ASMODEUS- mangal ke din
Shani SAWAAR hogi......



Aisa pehli baar hoga jab....
Manzil par pahunchne ke baad,
HAAR hogi.....






AAJ KE LIYE ITNA HI....





AAPKA APNA V...J......
Very nice Update bhai
 

drx prince

Active Member
1,564
1,547
143
Ver
AB TAK AAPNE PADHA KI MOKALSAR AUR AKSHAANT KO LORD CRUSEDAR APNA YUVRAJ GHOSHIT KARTE HAIN WAHIN VIKRAM & PARTY APNE GHAR KE LIYE NIKAL JAATE HAIN....
AB AAGE:-





CHAPTER-2





( CURSE OF THE SWEET POISON )




MEGA UPDATE-87









PLANET- EARTH





PLACE- COFFEE HOUSE






WOW YAAR..TUM TEENO TOH ACTUALLY,WHATS THAT WORD,HAAN,LANGOUTIYA FRNZ HO......



ye words RIYANSH ke mooh se nikle the jisse sunkar sabhi muskura diye par ye muskurahat do alag alag groups me alag alag feelings ke saath divided thi...

ek group me the AVANTIKA,DEVANSH aur SHANAYA jinki muskurahat sacchi thi aur dusre group me the mere dono frnz ANJALI aur RONIT jinke chehre par fake muskaan thi....

aur ye fake smile AVANTIKA se nahi chhup paayi...



shaam ka waqt hai.....fog ki wajah se hamara plane thoda late se take off hua tha jis wajah se hum sab kal late night wapas mumbai land hue the....

ek baar fir se JET LAG ne sabko apna shikar bana liya tha isiliye din bhar sab sote rahe aur shaam ko SHANAYA ne coffee house me milne ka plan banaya jisse sabne ok kaha aur kuch hi der pehle mere saare frns yahan coffe house me ikattha hue...

par hamarre group me ek banda missing tha aur wo mai tha aur iski wajah thi ISLA....mai aaj raat hi ISLA ke liye nikalne waala tha isiliye usse pehle mai apna baaki ka time family ke saath spend karna chahta tha..

waise toh ANJALI aur RONIT ko bhi is waqt mere saath rehna chahiye tha par kyunki mere akele jaane se dono kuch zyada hi upset the iisiliye nahi aaye....

par yahan aate hi RIYANSH ne un dono se hum teeno ki friendship ke baare me hi sawal puch liya jiska jawab dene ke baad se hi dono bas upari taur par has rahe the par andar se sad the....

aur issi sadness ko AVANTIKA bhaamp gayi par wo ANJALI aur RONIT ki tarah mind to mind baat toh kar nahi sakti thi isiliye usne apna phone nikala ANJALI ko sms kiya...

ANJALI ne apna cell haath me hi pakda hua tha isiliye mobile vibrate karte hi usne msg open karke dekha jo AVANTIKA ka hi tha...



AVANTIKA in sms- what happened???udaas kyun hai....????



ANJALI ne AVANTIKA ka sms toh padha par sms se jawab dene ke bajaaye usne AVANTIKA ke mind me apni baat kahi...



ANJALI- V.J aaj jaa raha hai????



DHAKKKK..........


aisi hi kuch awaaz AVANTIKA ko apne dil me sunayi di..uska dil zoro se dhadka par wajah usse samajh nahi aayi....

AVANTIKA ab V.J ki sacchayi se waakif thi usse ye bhi pata tha ki V.J ka aise safar me jaana bohot normal si baat hai par in sab ke baawjud AVANTIKA ka man bechain ho utha...

aur ye bechaini khatm hone ki jagah badhti hi chali jaa rahi thi...AVANTIKA ko samajh me nahi aa raha tha ki uske saath aisa kyun ho raha hai aur jab usne khud se hi jawab maanga toh.....



AVANTIKA ke andar meri taswir ubhar aayi jisse dekhte hi uski bechaini kuch kam ho gayi...

par uski bechaini puri khatm nahi hui thi...



AVANTIKA man me- mujhe V.J ke jaane se pehle ek baar usse milna hai......



KYUN???? ye sawal bhi AVANTIKA ke dimag me koundha par is bina jasbaaton waale dimag ko kaun samjhaye ke dil ke maslo me sawal nahi kiye jaate bas faislon par vishwas kar unme amal kiya jaata hai...

par AVANTIKA turant uth kar toh jaa nahi sakti thi isliye usne kuch der intazar karna hi behtar samjha...

mere saare frnz kuch 1 ghante tak wahin baithe rahe aur jab sab kal milne ka bol coffe house se baahar aaye toh....



AVANTIKA- bhaiya,mujhe kuch kaam hai...aap sab jaaiye,mai aati hun...

SHANAYA- abhi raat ko kya kaam hai???chal mai bhi chalti hun???

AVANTIKA- arre nahi yaar....mai aa jati hun..tu bhi bhaiya ke saath ghar nikal....

SHANAYA- cool babes.jaldi aana....



AVANTIKA ko akele ghumna bohot acha lagta tha isiliye SHANAYA ne bhi zyada gour nahi kiya aur apne dono bhayiyon ke saath nikal gayi....

RONIT aur ANAJALI ke nikalte hi AVANTIKA bhi V.J ke ghar ki taraf nikal gayi....





PLACE-MINAKSHI MANSION








NAMASTEY AUNTY.......

V/MOM- arre AVNI beta...aao aao.....aaj raat ko yun achanak....every thing allright naa....

AVANTIKA-ya ya aunty.every thing is fine..wo actually mai shaam ko hi aane waali thi par kuch kaam ki wajah se thodi late ho gayi...waise V.J kahan hai aunty??



mujhe saamne naa dekhkar AVANTIKA ki bechaini fir se badhne lagi thi..usse lag raha tha ki mai chala gaya....



V/MOM- apne room me hai..abhi just dinner karke gaya hai....dinner se yaad aaya,aao tum bhi dinner kar lo...

AVANTIKA- no no aunty..actually ghar me sab dinner par mera wait kar rahe hain toh.....next time pakka......

V/MOM- chalo thik hai...jao,tum V.J se mil lo......



mom ko thanks bol AVANTIKA mere room ki taraf nikli...uski bechaini abhi bhi khatm nahi hui thi kyunki wo jaanti thi ki agar mai chala bhi jaaun toh bhi mera dummy yahan ghar par moujud hoga....


KNOCK KNOCK KNOCK......



MAI- come in.......



mere bulane par AVNATIKA andar aayi.....




MAI- hey AVANTIKA,whats up???

par AVANTIKA ne mujse kuch kaha nahi bas mujhe ghur ghur bkar dekhti rahi....

MAI- arre mai VIKRAM hi hun,mera dummy nahi....



mere confirmation ke baad AVANTIKA thodi si relaxed hui....



MAI- ab kuch bologi bhi,tum yahan is waqt kaise???

AVANTIKA- wo ANJU ne mujhe bataya ki tum abhi hi ISLA ke liye jaa rahe ho...

MAI- haan...yahi bolna tha????

AVANTIKA- nahi wo actually......

MAN ME- ab isse kaise kahun ki mai bhi saath aana chahti hun.....



MAI- thik hai fir..mai chalta hun.....


AVANTIKA- kya mai bhi saath chal sakti hun.....



maine jaise hi apni line boli AVANTIKA ne jhat se apne dil ki baat keh di....


MAI- chalo.....



mera jawab sun kar AVANTIKA ko ek jhatka laga...aur aisa toh hona hi tha kyunki maine RONIT aur ANJALI tak ko mana kar diya tha apne saath aane ke liye par AVANTIKA ko ek baar me hi haan keh diya tha...

par mere jawab ko sunkar AVANTIKA itni khush ho gayi thi ki usne apne saare thoughts ko side kar diya....



AVANTIKA- sach ???

MAI- apna ek baal do......



AVANTIKA pehle toh meri baat ka matlab nahi samjhi par fir achanak usse sab samajh aa gaya....

AVANTIKA ne jhat se apne sir ka ek baal todkar mujhe de diya tab tak maine bhi apne sir ka ek baal tod liya tha...

dono baalon ko maine ek saath apni mutthi me masla aur zamin par fek diya...

kuch hi palon me hum dono ke saamne hamare CLONES the..

fir mera CLONE AVANTIKA ke CLONE ko chhodne baahar chala gaya....



MAI- jaane se pehle mai tumhe kuch batana chahta hun AVNI...par usse pehle mera ek sawal hai.....???

AVANTIKA-V.J ka sawaal...tab toh pakka bohot tough hoga...but i''ll try to answer. pucho????



par jab maine AVANTIKA ke saamne apna sawaal rakha,toh usne naa me apna sir hila diya....AVANTIKA ko mere sawal ka jawab nahi pata tha..

usse hi kya,is bramhaand me GOD aur mujhe chhodkar shayad kisi ko bhi mere puche gaye sawaal ka jawaab nahi maalum tha....

par jaise hi maine AVANTIKA ko apne puche gaye sawal ka jawab diya,uski aankhen hairat se faile gayi...



AVANTIKA- ek baat bataoge???



MAI- sab kuch apne aap tumhe pata chal jaayega....bas jab sahi waqt aaye,toh tumhar DIMAG nahi DIL jo bhi kahe,tumhe jo bhi dikhaye,usse samajhne ki koshish karna...



AVANTIKA ko meri baat ka matlab toh samajh nahi aaya,par wo ye jaanti thi ki jab waqt aayega,toh saari cheezen clear ho jaayengi....

maine apna haath aage kiya jisse AVANTIKA ne thaam liya...agle hi pal hum dono gaayab ho gaye.........






PLANET- WARRIORS WORLD





PLACE- PALACE ENTRANCE





AAJ LORD OF ANGELS KE PAAVAN KADAM HAMARE GRAH PAR PUNAH PADENGE,HUM BATA NAHI SAKTE KI HUME KITNI KHUSHI HO RAHI HAI.....

SHAILA- ye khushi sirf aapka man hi nahi pitaji

,balki hum sabka man mehsoos kar raha hai.....

2 din pehle jabse maine suchna di hai ki mai aane waala hun,ISLA aur WARRIORS WORLD me zoron shoron se mere swagat ki taiyariyan chal rahi hain....

saare raaston ke upar ful bicha diye gaye hain....mahal se lekar GRAH SETU ke pravesh dwaar tak ke raaste ko alag alag tarike se saja diya gaya hai....

aisa lag raha hai jaise ISLA aur WARRIORS WORLD ki shaadi ho rahi hai....

is waqt LORD CRUSEDAR ,SHAILA,MOKALSAR aur AKSHAANT apne mahal ke saamne hi khade the.....

mahal ke chaaro taraf bamboo ke bade bade barricades lagaye gaye the jinke dusri taraf WARRIORS WORLD ke sabhi log khade hokar mera naam chilla rahe the....



LORD CRUSEDAR- bacchon,tum sab toh UNKE mitra ho..tumhe toh pata hi hoga ki UNHE kya kya pasand hai...

agar kuch kami reh gayi hai toh shigrh batao,taaki avilamb us kami ko pura kiya jaaye....



LORD CRUSEDAR ki baat sunkar teeno bas muskura diye...



SHAILA- dil me prem aur aankhon me sacchayi,VIKRAM ko in do gehno ke aage aur kuch bhi nahi chahiye....

aur ye dono gehne aapke paas hain pitashri isiliye nishchint hokar apni baahen failaye unka swaagat kijiyega....

unhe bohot accha lagega....



abhi LORD CRUSEDAR kuch kehte usse pehle hi unse thodi door unke saamne ek tez prakash faile gaya jiski wajah se wahan moujud sabhi ki aankhen band ho gayin....

jab wo prakash kam hua aur sabne apni aakhen kholkar apne saamne dekha toh sabhi ke khushi ka thikana na raha...

mai aur AVANTIKA saamne khade hokar apne charon taraf khade logon ko dekh rahe the wahin mujhe apne saamne dekh wahan moujud bheed ki awaaz aur buland ho gayi....

maine halka upar hawa me uth gaya taaki bheed ke aakhir ke log bhi mujhe dekh saken...hawa me uth maine apna haath upar kiya aur sabko mera naam pukarne se roka...

sabhi chup ho gaye.....

mai thodi der tak yunhi hawa me khada raha uske baad dheere dheere niche aa gaya....

par ab neeche sirf AVANTIKA nahi thi,balki uske paas mere teeno dost aur LORD CRUSEDAR bhi khade the....

aur teeno ne LORD CRUSEDAR ko AVANTIKA se parichaya bhi kara diya tha...

mere neeche aate hi LORD CRUSEDAR ne mujhe phoolon ki maala pehenana chaha par maine unhe rok diya aur jhukkar unke pairon ko chu liya....

jaise hi maine unke pairon ko chhua,LORD CRUSEDAR ke aankhon ke saamne unki patni aur unke bacchon ke chehre aa gaye jo swarg me baith apne pitah ko dekh muskura rahe the...

itni sadiyon ke baad apne bacchon aur patni ko wapas dekh LORD CRUSEDAR bohot khush bhi ho gaye aur saath hi bhavuk bhi....



MAI- aap ek mahan yodha hai LORD CRUSEDAR...aur aap jaise yodha ke aankhon me aansu acche nahi lagte...

aapke man me ek baar apne bacchon aur patni ko dekhne ki tivr iccha jaagrit hui thi isiliye hi aap unhe dekh sake..

par jo jeeven chakra se aazad ho chuka hai usse yaad kar aansu bahane se acha hai aapke naye parivar,aapki putri aur aapke dono putr ke saath aap hasi khushi jiyen...

LORD CRUSEDAR- aisa hi hoga VIKRAM.....



abhi koi aur kuch kehta usse pehle hi ek baar aur hamare saamne tez prakash hua aur ussi prakash ke beech se DEFENDER prakat hue...

DEFENDER ko apne saamne dekh wahan moujud sabhi jhuk gaye wahin DEFENDER ne mere aage apna sir jhukaya...



MAI- chalen....

DEFENDER- ji...



maine AVANTIKA kaa haath pakda aur aage ki taraf badh gaya....

aur hamare peeche peeche hi LORD CRUSEDAR, MERE TEENO DOST,SAARE SABHA SAD aur WARRIORS WORLD ke sabhi log chalne lage....

AVANTIKA ek tak meri taraf dekh rahi thi...

mere aankhon me kuch tha jisse wo samajhne ki koshish kar rahi thi...aur jab wo nahi samajh paayi toh....



AVANTIKA- koi baat hai kya V.J...???tum kuch disturbed se lag rahe ho...

MAI- maine kaha tha naa,sab pata chal jaayega....aur meri kahi hui baat bhulna mat....

JAB BHI SAHI WAQT AAYE,TUMHARE DIL ME JO BHI DIKHE,USSE SAMAJHNE KI KOSHISH KARNA.....



abhi wo kuch kehti ki......



DEFENDER- hum pahunch gaye....



thik ISLA ki hi tarah WARRIORS WORLD me bhi ek bade aur mote se ped ke beech se GRAH SETU ke pravesh dwaar ko banaya gaya tha..

aur abhi hum ussi ped ke saamne the...

maine AVANTIKA ka haath abhi bhi thaama hua tha..mai usse lekar us ped ke seedh me khada ho gaya....

mere aisa karte hi us ped ke beech ka hissa khul gaya aur wahan se ek tez prakash nikalne laga...

mere piche piche hi baaki sabhi ek line me khade ho gaye.....

jaisa ki maine bataya tha ki us raaste se ek saath 100 log aaram se jaa sakte hain isiliye sabhi ne 100 100 ke groups bana liye the...

mai,AVANTIKA,LORD CRUSEDAR,DEFENDER aur mere teeno frnz sabse pehle aage badhe aur jaise hi hum sab us ped ke beech bane raaste se nikalti roshni ke daayre me pahunche,us roshni ne hamare sharir ko khud ki taraf kheench liya....

yahi hamare peeche aa rahe sabhi groups ke saath hua....aur kuch hi palon me hum sab GRAH SETU ke dusre chhor ke baahar khade the...



DUSRA CHHOR......mere safar ka agla aur sabse mahatva purn padhaav.......... ISLA..............





PLANET- ISLA




PLACE- GRAH SETU POINT.....




MAI- khubsoorat hai naa???



maine ye baat AVANTIKA se kahi thi jo ki aankhen faade ISLA ki waadiyon ko dekhe jaa rahi thi....



AVANTIKA- khubsoorat....aise prakritik soundaryata ki kalpana bhi maine kabhi nahi ki thi...



sach hi toh keh rahi thi AVANTIKA.....ISLA bramhaand ka sabse khubsoorat GRAH hai...

hawa me tairte chote aur bade pahad...

bina kisi shroth ke girte hue waterfall.har taraf hariyali ne apni ek aisi chaadar faila rakhi thi maano pure grah me apne adhikar ki pushti kar rahi ho.....

hamare saamne KING SOLOMON,unki PATNI aur ALESENDRA khade the......

mujhe apne saamne dekh unki khushi ka thikana na raha....teeno hi mujhse milne ke liye aage badhe hi the ki itne me.......



ISLA ki zameen me kampan hone lagi jiski wajah se wahan moujud sabhi ke paanv ladkhadane lage par isse pehle ki koi girta,maine apna haath sabhi taraf ghuma diya..

sabhi ke paav ek jagah jam gaye..par abhi bhi kampan barabar ho rahi thi jiski wajah se sabhi ek sharir buri tarah hil rahe the...



ALESENDRA- ye achanak kya ho raha hai VIKRAM......????

DEFENDER- mai pata lagata hun....



ye bolkar DEFENDER ne apni aakhen band kar kuch SPELL budbudaya par isse koi faayda nahi hua...



wahin mai bas muskura raha tha jisse jaise hi AVANTIKA aur ALESENDRA ne dekha,dono pehle toh shocked ho gaye fir ye sochkar ki mere rehte kuch bhi galat nahi ho sakta,dono shaant bhi ho gaye....



MAI- aap is kampan ke raaz ka pata nahi laga paayenge DEFENDER......



meri baat sunkar DEFENDER aur wahan moujud sabhi chownk gaye....



MAI- SHAANT HO JAAIYE,MAI AA RAHA HUN....



mere aisa kehte hi kampan rook gayi par aisa hone par sabhi aur zyada aashcharyachakit ho gaye.....



DEFENDER- ye kaisi maya hai LORD.....???

MAI- FOUNTAIN OF LIGHT......sadiyon se wo mera intazar kar rahi hai,apne aap ko chhupakar apne astitv ko bacha rahi hai..

aur aaj mujhe khud ke itna samip mehsoos kar FOUNTAIN OF LIGHT uttejit ho gayi hai...

agar aap bura naa maane KING SOLOMON toh kya mai pehle FOUNTAIN OF LIGHT ki jagah se ho aaun..

uske pashchat aapki praja se mil lunga....

KING SOLOMON- aap bas hume aadesh den LORD OF ANGELS...nivedan kar hume paap ka bhagidaar na banaye....

MAI- mai aapki putri ALESENDRA ko bhi apne saath lejaana chahta hun....

KING SOLOMON- ye uska soubhagya hoga LORD..par kya hum sabhi nahi jaa sakte...FOUNTAIN OF LIGHT ko dobara dekhne ke liye...humari bhi aakhen taras gayi hain...

MAI- wo toh aapki hi dharohar hai....aur usse wapas aap sab ke beech laane liye hi toh mai jaa raha hun...

par abhi aap sab mere sath nahi jaa sakte kyunki FOUNTAIN OF LIGHT ke punah prakat hote hi uski energy bohot zyada hogi jo aapme se koi bhi bardaasht nahi kar paayega.....



uske baad maine DEFENDER se akele me kuch baatein ki aur fir wapas AVANTIKA ke paas aa gaya...



MAI- ALESENDRA,mere paas aaiye...



mere kehte hi ALESENDRA mere paas aa gayi...

maine ALESENDRA aur AVANTIKA ka haath pakda aur agle hi pal hum teeno gayab ho chuke the.....





CLIMAX SCENE







FOUNTAIN OF LIGHT





UDBHEDA JWALAKA PRAKATAM


FOUNTAIN OF LIGHT MANIFEST




FOUNTAIN OF LIGHT ke saamne khade hokar maine SPELL bola.....mere aaju baaju me ALESENDRA aur AVANTIKA fullon excited hokar khadi thi....

dono hi FOUNTAIN OF LIGHT ko dekhne ke liye lalayit thi...

par agle hi pal jahan un dono ke chehre utar gaye wahin mai shocked ho gaya....

aur iska kaaran ye tha ki mere SPELL bolne ke baad bhi kuch nahi hua tha...FOUNTAIN ab bhi nadarad thi...

yahan pahunchte hi mujhe laga tha ki mujhe dekhte hi FOUNTAIN apne aap prakat ho jaayegi par yahan toh mere SPELL bolne ke baad bhi kuch nahi hua....



ALESENDRA- aisa kaise ho sakta hai???FOUNTAIN ko toh aapko apne samaksh dekhte hi prakat ho jaana chahiye tha....

MAI- samajh toh mujhe bhi nahi aa raha hai???


abhi humme se koi kuch aur kehta ki tabhi....



KYUNKI USSE PATA HAI KI MAI YAHAN MOUJUD HUN....AUR DO BHAIYON KE PEHLE MILAN KE BEECH WO BAADHAK KAISE BAN SAKTI HAI?????



ye awaaz........pure kahani ka saaransh....do alag alag AATITUDE ke swamiyon ka sabse bada hathiyar....

jahan is awaaz ko punah sun ALESENDRA ke man me ek dar ne ghar bana liya wahin mujhe bhi apni ridh ki haddiyon me ek thandak si doudti mehsoos hui.....

hum teeno dheere dheere ghum gaye....aur agle hi pal.......



wo ghadi jo is kahani ki rachna ki sabse ahem kadi thi,wo aa chuki thi...do alag alag disha se do do aankhen ek dusre ki aankhon ke har bhaaw ko tol rahi thi....

jahan ek BHAI ke honthon par muskurahat thi wahin dusre ka chehra bhaav shunya....

is waqt bramhaand ke do sabse shaktishaali vyaktitv ke swami ek dusre ke saamne khade the....

GOD ke do putr jinme me se ek LORD OF ANGELS tha toh dusra LORD OF DEVILS....



VIKRAM aur ASMODEUS.......



par hum dono se alag ALESENDRA ke chehre par shock ke bhaav the aur ye bhaav ASMODEUS ko dekhkar nahi balki uske side me khade ISLA ke RAAJ GURU ko dekhkar aaye the....

ye wahi RAAJ GURU hai doston jinhone BEELZEBUB ko ISLA ke liye khatra bataya tha aur usse yahan se door bhejne ki salah di thi....



ALESENDRA- RAAJ GURU AAP???WO BHI asmodeus KE SAATH????


abhi RAAJ GURU kuch kehte usse pehle hi...

MAI- ye tumhare RAAJ GURU nahi hain ALESENDRA...ye BEELZEBUB hai.tumhari santan jisne kayi varsh purv tumhare RAAJ GURU ki hatya kar di thi aur fir unhi ka roop lekar yahan rehne laga...

Aur FOUNTAIN OF LIGHT se judii saari jaankari yahi apne PITAH ko deta raha hai....



jahan mere mooh se BEELZEBUB ka sach jaankar ALESENDRA ka dil firse tadap utha wahin AVANTIKA bhi meri baatein sunkar kaafi shocked ho gayi thi....



BEELZEBUB- kaisi ho MAA.....????



ye baat BEELZEBUB ne apne asli roop me aakar kahi thi par uske MAA shabd me pyaar nahi ALESENDRA ke liye nafrat thi...



ALESENDRA- mai kisi pappi ki maa nahi hun...apni gandi zuban se mujhe maa mat bula....



ALESENDRA ki baat sunkar BEELZEBUB ke haathon me ek anergy ball chamak utha jisse dekhkar mere chehre par muskurahat naach gayi....



MAI- maa kitna bhi bura bole,par kisi bete ki itni himmat nahi honi chahiye ki wo apni mata ko jawab de....par tere haathon me is urja gendh ko laakar tune ALESENDRA ki baat ko sach saabit kar diya....



meri baat sunkar BEELZEBUB ne us energy ball ko meri taraf fekh diya par mai apni jagah bina haath pair hilaye khada raha..

wo ball mere paas aakar nasht ho gaya...

aisa hote dekh AVANTIKA aur ALESENDRA ke chehre par ek muskaan naach gayi ki tabhi............



AHHHHHH.............



ye awaaz mere mooh se nikli thi aur cheekhte saath hi mai kuch door jaa gira...

mujhe aisa lag raha tha jaise kisine mere seene ke upar ek vajni pathar rakh diya hai..

mujhe kuch waqt laga par mai khada ho gaya...

mere door girne par jahan AVANTIKA aur ALESENDRA ke chehre ki muskurahat gaayab ho gayi thi aur uski jagah dard aur darr ne le li thi wahin mere saamne khade ASMODEUS ke chehre par muskurahat kaayam thi...

ye waar usne hi mujhpar kiya tha....

ASMODEUS- tumhe dikha nahi,haina BHAI....

maine kuch kaha nahi bas agle hi pal mere sharir ke har hisse se lagatar kai saari ENERGY RAYS nikli aur tezi se ASMODEUS ki taraf chal padi....

par ASMODEUS ki tezi kaabile taarif thi...uska sharir second ke 1000ve hisse se bhi kam samay me idhar se udhar hilne laga aur mere saare rays usse touch bhi nahin kar paaye par BEELZEBUB aisa nahi kar paaya...

usse mera chhoda ek energy ray takraya aur wo chitak kar door jaa gira...

kyunki ye saare rays meri urja se ban kar baahar nikle the isiliye BEELZEBUB is urja ko bardaasht nahi kar paaya aur behosh ho gaya...

wahin ASMODEUS ne mere saare rays ko dodge kar hi diya tha ki......



ADHIKTAMAM KAROTI......

MAXIMIZE.....



AAHHHHH...........



mere spell bolte hi mere seene ke beech se ek energy ball nikli jiski raftar pehle se 1000 guna zyada tez thi aur is baar ASMODEUS mere prahar se bach nahi paaya..

energy ball theek uske seene ke beech lagi aur thik meri hi tarah uske mooh se bhi ek halki si cheekh nikal gayi aur uska sharir bhi piche jaa gira....

par ASMODEUS turant khada ho gaya...



MAI- tumhe bhi dikha nahi,haina BHAI.....



ASMODEUS ne kuch kaha nahi bas khada ho gaya....

uthethe hi ASMOEUS ke lab hile aur usne jo kaha aur kiya,wo maine nhi expect nahi kiya tha..



ASMODEUS- ALESENDRA,AVANTIKA...tum dono ko suraksha kawach me rehna chahiye...

warna tum dono ko chot lag sakti hai.....

ye kehkar ASMODEUS ne apna haath aage kiya,jisse ek adrishya ray nikli aur us ray ne AVANTIKA aur ALESENDRA ke chaaron taraf ek SHIELD bana diya....

ek aisa hi SHIELD ASMODEUS ne hum jis jagah khade the,uske chaaron taraf bhi faila diya...



ALESANDRA- tumne vachan diya tha ASMODEUS ki tum wapas nahi aaoge...

ASMODEUS- vachan yaad ha shart nahi.maine kaha tha ki jab tak FOUNTAIN OF LIGHT is grah se nadarad hai,tab tak mai yahan nahi aaunga par iske yaham aane ka matlab hai FOUNTAIN ka yahan upasthith hona.....

Agar mai tumhe maar dun,toh bura mat maanana BHAI.....



MAI- nahi maanunga....bas ek shart hai.....



MAAR HI DENA.....KYUNKI AGAR MAI BACH GAYA TOH TUM NIPAT JAAOGE.....



meri baat sunkar ASMODEUS ke chehre par ek muskaan naach gayi....

aur agle hi pal......



DHOOMMMM..DHOOMMMMM.......DHOOOMMM.....SAAYEN,SAAYENNNN SAYEENNNN........



aisi hi lagatar kai aawaazen aayin.....mai jis jagah khada tha,theek uske upar aasman me ek jagah khul gayi aur us jagah se baarish hone lagi....

par ye baarish paani ki nahi aag ki thi...

mai apni jagah se hath gaya aur jis jagah par wo agni varsha giri,wahan dhamake hone lage thik ussi waqt ASMODEUS ke aaju baaju se kayi shashtra meri taraf badhe par maine haath aage kar unhe rok diya aur unhe wapas ASMODEUS ki taraf hi mod diya...

par ASMODEUS tak pahunchne se pehle hi wo saare
shashtra bekar ho gaye....



TABHI........


AAHHHHH........



ye meri cheekh thi aur issi cheekh ke saath me aage ki taraf udta hua gira....

hua ye ki ASMODEUS ke do lagatar waaron se jaise hi mai bacha,thik ussi waqt piche se ek maayavi haath mere peeth se takraya jiski wajah se mai aage udta hua gira...



ASMODEUS- BHAI,BHAI,BHAI......yudh ke waqt chaaron taraf nazar honi chahiye warna aisa haal hona anivarya hai....



AHHHHH....DHOOBBHHHHHH...........


ye awaaz ASMODEUS ke mooh aur sharir se nikli thi.....

hua ye ki jab ASMODEUS mujhse baat kar raha tha tab mera chehra neeche zamin ki taraf tha aur tabhi.......

ASMODEUS jahan khada tha,ussi zamin ke andar se ek maayavi haath nikla aur ASMODEUS ke pairon ke neeche se usse upar hawa me utha diya aur agle hi pal ASMODEUS ke hawa me tairte sharir ko pakad kar neeche patak diya......

ASMODEDUS kuch pal tak upar aasman ko ghurta raha fir muskurate hue khada ho gaya...

saala besharam.....maar khakar bhi hasta hai...par tha toh mera hi BHAI,kuch toh side effect hoga hi.....

yahan hum lad rahe the,wahan pure bramhaand me halka halka andhera chaane laga tha...hawayen tez behne lagi thi....

ANGELS aur DEVILS taktaki lagaye hum dono ke beeche chhide maha sangram ko dekh rahe the....

ALESENDRA aur AVANTIKA ke chehre par bhi fikr aur dar ke mile jule bhaav tair rahe the...

khair,ASMODEUS ke saath saath mai bhi khada ho chuka tha...hum dono hi ek dusre ki shakti ko aankhon hi aakhon me toul rahe the ki tabhi.......



mmmmmm..............mmmmmm............



ye awaaz meri thi aur ye isiliye mere gale se nikal rahi thi kyunki mai apne dono haathon ko failne se rok raha tha....

hua ye ki ASMODEUS ne apne haathon ko saath kar mala aur meri taraf ektak dekhte hue apne dono haathon ko failane laga...

ye ek ghatak MAGIC tha....isme ASMODEUS jitna apne haathon ko failata utne hi mere haath bhi failte jaate...

aur is condition me ASMODEUS meri body ko nishana banakar koi bhi SPELL bol sakta tha aur kyunki mujhe usne jakda hua tha isiliye mai kuch bhi nahi kar paata....

mai bhi apni puri shakti apne dono bhujaon me lagakar apne haathon ko failne se rokne laga....

par ye rokna bohot muskil tha kyunki is MAGIC ki shuruat ASMODEUS ne kar di thi...

aur is MAGIC ko bekar karne ke liye sabse pehle mujhe ASMODEUS ka concentration break karna zaroori tha...

maine apne haathon ko failne se rokne ki koshish karte hue ASMODEUS ke pairon ke paas ek tak dekhna shuru kiya aur aisa karte hi uske pairon ke paas se ek mitti ka bhawar utha aur uski aakhon ki taraf badhne laga...


par tabhi......


AAHHHH................

AAHHHHH...............



ye awaaz mere aur mere baad ASMODEUS ke mooh se nikli thi....



hua ye ki ASMODEUS ke concentration ko todne ke chakkar me meri bal shakti ko mujhe halka kam karna pada jiski wajah se ASMODEUS mere dono haathon ko failane me kaamiyab raha aur jaise hi aisa hua,ASMODEUS ki aankhon se ek ke baad ek 3 RED rays nikle.....

ye red rays bohot ghaatak the...mere siwa koi bhi in rays ko ek baar bhi jhel nahi sakta tha.....

par iska matlab ye nahi tha ki mujhe in rays se koi khatra nahi tha...rays ke mujhpar padte hi mera sharir kayi jagah se kat gaya jiski wajah se mujhe aseem dard mehsoos hua....

wahin mere dwara banaye gaye bhawar ne ASMODEUS ko naa sirf har taraf se gher liya tha,balki uski aankhon me bhi kuch maatra me mitti ke kan ghus gayi...

par ye koi bada prahar nahi tha.....girne se pehle ASMODEUS ki hi tarah meri aankhon se bhi ek ke baad ek teen GREEN RAYS nikle..ye rays LORD OF ANGELS ke shakti ke pratik the..

wo rays ASMODEUS ke sharir se naa takrakar uske sharir ke andar chale gaye aur ASMODEUS ke andar moujud ASEEM BLACK ENERGY ke saath takrane lage jiski wajah se ASMODEUS ko bhi kaafi zyada dard hua aur wo gir gaya....

mere sharir par kisi bhi tarah ki BLACK ENERGY ka prabhav zyada der tak nahi hota..thik ussi tarah ASMODEUS ke sharir par bhi kisi WHITE ENERGY ka prabhav bohot jald khatm ho jaata hai....

isiliye kuch hi der me ASMODEUS thik ho gaya...

hum is baar bhi saath hi khade hue....



ASMODEUS- bas bohot hua.......



ASMODEUS ne apni aakhen band ki aur agle hi pal......



VIJWATE SHAKTIYEM VINASHAYA BHAVATI

MULTIPLY ALL POWERS TO DESTROY......



mantra ke uccharit hote hi ASMODEUS ke sharir ke saare ang ek dusre se alag ho gaye....aur har ang se tez ENERGY BEAM nikli aur meri taraf badhi.....



MAI- adbhudhhhh.........


ye shabd mere mooh se apne aap nikal gaya......

mai apni jagah par haath jode sidha khada ho gaya ur agle hi pal.....

mere body se thik waise hi rays nikle jaise ASMODEUS ki body se nikal rahe the..mere rays ne ASMODEUS ke rays ko aage badhne se rok rakha tha....



ki tabhi......



AAHHHHH............SHIT.....AHHHHHH......MMMMMMMM.....



hua ye ki BEELZEBUB jo mere waar se behosh ho gaya tha,usse hosh aa gaya tha...aur mujhe apne FATHER ke itne ghatak waar ko bhi rokte dekhkar wo gayab hokar mere right taraf aa gaya...

mera saara dhyaan ASMODEUS ki taraf tha...
tabhi BEELZEBUB ne apni BLACK ENERGY se mujhpar waar kar diya.....

BEELZEBUB ki chhodi gayi BLACK RAY mere right kandhe par lagi jisse mujhe halka dard hua...

par ye dard mere liye koi badi baat nahi thi par is waar ki wajah se mera dhyan 1 second ke liye BEELZEBUB ki taraf chala gaya jiski wajah se ASMODEUS ke RAYS mujhpar pade jisse mujhe asahaniya dard hua.....

mera sharir kayi jagah se kat gaya tha par maine apne dard ko zabt karte hue...



VIBHAJATI.....

DIVIDE......



mere SPELL bolte hi mere dwara chhodi gayi rays ne khudko vibhajit kar liya.....

aur aisa hone se meri rays har taraf faile gayin.....

ek beam ASMODEUS ki taraf sidhi jaane lagi,dusri beam BEELZEBUB ki taraf jaane lagi jisse BEELZEBUB ne rokne ki koshish toh ki par puri tarah kaamiyab nahi ho paaya...

kuch rays ko usne apne power se rok liya par kuch rays uske powers ko kaatethe hue uske sharir me jaane lagi jisse usse bohot zyada dard hone laga....

par BEELZEBUB ne apne dard ki parwah naa karte hue apne dusre haath se mere upar ek aur BLACK BEAM chhodi jo mere sharir se takrane lagi....



thik ussi waqt.....



ASMODEUS ye samajh gaya tha ki BEELZEBUB ke chhode gaye rays se mujhe zyada fark nahi padega isiliye usne apne rays ki shakti aur speed double kar di....

ab ASMODEUS ke chhode gaye rays ke kuch hisse mere sharir se takrane lage jisse mujhe bohot dard hone laga....

mai jaan gaya tha ki mai jeet toh paaunga nahi par haar mai sakta nahi tha isiliye.....



ANNUGACCHATI BLAST.....

OBSERVE VISPHOTAM......



ISHWAR ka naam lekar maine SPELL uchharit kiya aur agle hi pal.....


BOOM.........



ek tez dhamake ke saath sab kuch shaant ho gaya....

mere dwara chhode gaye rays se ASMODEUS aur BEELZEBUB mushkil se khudko bacha paa rahe the,par mere bole gaye dusre SPELL se wo khudko bacha nahi paaye...

mera bole gaye SPELL se mere pure sharir ki urja bahar nikli aur ASMODEUS aur BEELZEBUB ki taraf lapki...

is spell ki khaas baat ye thi ki meri urja ne pehle mere dono dushmano ki weakpoints ko OBSERVE kiya...

mere haathon se white energy nikalkar ASMODEUS ki taraf jaane se waise toh uski alag ho chuki zyadatar bodyparts ko kuch khaas fark nahi pad raha tha par uske pet se lekar seene tak ka bhaag uske anya bhaagon ke mukable kamzor tha jisse meri urja ne detect kar liya...

wahin BEELZEBUB ka maamla kaafi aasan tha...wo toh waise bhi meri rays ke effects se kaafi kamzor ho chuka tha isiliye meri urja tivr gati se aage badhi aur fir ek karn bhedi dhamaka.uske baad sab shaant...



par is dhamake se mera kamzor ho chuka sharir bhi nahi bach paaya....ek dard bhari aah ke saath mera,ASMODEUS aur BEELZEBUB ki bodies neeche girne lagi....

mera pura sharir lahuluhan ho chuka tha.yahi haal ASMODEUS aur BEELZEBUB ka bhi tha...



V...J....VIKRAM..........

mujhe girte dekh AVANTIKA aur ALESENDRA ke mooh se chikh nikal gayi...

kyunki unke chaaro taraf SHEILD ASMODEUS ne daali thi,aur ASMODEUS ab behosh ho chuka tha,isiliye uski banayi SHIELD bhi gayab ho gayi thi....

dono bhaagte hue mere paas aaye..AVANTIKA ne mere sir ko godh me utha liya....mera saara sharir lagbhag khatm ho hi chuka tha par mere chehre ki muskaan ab tak kaayam thi.....

AVANTIKA kuch keh nahi rahi thji,bas chup chaap roye jaa rahi thi....

aansu toh ALESENDRA ke aansu me bhi par wo thode door me khadi mujhe dekh rahi thi......



tabhi.............



hamare saamne ek tez roshni hui aur ussi roshni ke beech ek aakriti ubhri aur dheere dheere us aakriti ne roop lena shuru kiya aur jaise hi uska roop poora hua,hum sab ki hairat ki koi seema nahi thi.....

meri aankhen bojhil ho chuki thi uske baawjud mai aankh faade saamne us shaksh ki taraf dekh raha tha....



ALESENDRA- ASMODEUS tum.....!!!!!ye nahi ho sakta,agar tum ASMODEUS ho toh ye kaun hai.....



ji haan doston,mere,ALESENDRA aur AVANTIKA ke saamne is waqt ASMODEUS khada tha...



par wahin ek ASMODEUS hamare saamne zamin par behosh bhi pada tha.....ajeeb guthi.....



ASMODEUS- zyada mat socho ALESENDRA,ASMODEUS ki chaalon ko samajhna tumhare bas ki baat nahi thi....

kaise ho mere BHAI......pehli baar mil rahe ho,aur wo bhi apni aakhri saansen ginte hue......

mai toh total blank mode me jaakar ASMODEUS ki baatein sun raha tha....



chaliye jab tak hamara hero apne shock se baahar aata hai,mai aapko batata hun ki aakhir maazra kya hai???



KETAK SHAKTI......ye toh yaad hi hoga aapko.....ep-54 me iske baare me bataya gaya hai....



KETAK SHAKTI ke antargat teen SPELLS aate hain....



1ST-SAMVEGA MAAYA....jisme chote se chote SPELLS ki shakti ko laakh guna tak badhaya ja sakta hai...



2ND- GRAHAM MAAYA..jisme ek banzar grah ke andar ek jeeven daayi grah ko chupaya jaata hai....

par in dono ke baare me bataya jaa chuka hai...par aakhri ke nahi jiski wajah se ye sab hua hai...



3RD- BHRAM MAAYA.....ek adbhudh maaya....ek aisa SPELL jisse khudke ek aise CLONE ko banaya jaata hai jisse khud bhi nahi pata hota ki wo ek CLONE hai...

us CLONE ke andar apne asli roop ke saare talent,saari yaadein,in short sab kuch hota hai.....

bas wo waqt usse yaad nahi rehta jab usse banaya gaya tha.....aur ye SPELL ko ab tak bramhaand me ASMODEUS ko chhodkar aur koi nahi bol sakta....



aapko yaad hoga ki BEELZEBUB MIRROR WORLD me AGRASENA ko kaid karne ke baad jaise hi wapas jaane ko hua toh usse kahin kheench liya gaya tha...

usse asli ASMODEUS ne CROSS WORLD me apne paas bulaya tha aur apni sacchayi aur maaya ke baare me bataya tha.....



ASMODEUS- ab toh chownkna chhodo BHAI...tumse mujhe zyada ummiden thi....waise mai toh tumse dher saari baatein karna chahta tha par tumne apne bhatije ki itni buri haalat kar di hai ki agar maine isse jaldi se thik nahi kiya toh ye mar jaayega...

Ye bolkar ASMODEUS ne apna haath BEELZEBUB ke upar ghumaya,BEELZEBUB gayab ho gaya...



ASMODEUS- jaane se pehle ek adhure kaam nipta lun.....



aur tabhi..........

AAHHHH...AHHHHH....AHHHHHH.......

EK SAATH DO CHEEZEN HUI....



ASMODEUS ne ek haath se AVANTIKA ko mujhse door kiya aur fir agle hi pal usne mere upar lagatar 5 BLACK RAYS chhode.....

un rays ka impact itna zyada tha ki dard ki adyadikta ke chalte mai chilla bhi nahi paaya aur agle hi pal meri aankhen band ho gayin....



V.J.................



mera naam chillate hue AVANTIKA mujhse chipak gayi.....


ALESENDRA- tum...



ASMODEUS- shhhhh............jitna bolna tha,tum bol chuki ho..ab aur nahi.....




ASMODEUS-ISHWAR ME VISHWAS RAKHTI HO AVANTIKA???????
(precap lines )

AVANTIKA jisse abhi tak ek kharoch tak nahi aayi thi,par uske baad bhi uski aisi haalat aisi ho gayi thi jaise abhi uske praan nikal jaayenge,wo ASMODEUS ki awaaz sunkar jaise koi sapne se jaagi......

Uski aankhon me abhi bhi ASMODEUS ke roop aur taakat ka dar dekha jaa sakta tha....logon ke sharir kaampte hain,par ASMODEUS ki taraf dekhte hue ALESANDRA ki aankhen tak kaamp rahi thi.......

ASMODEUS- maine pucha kya tum ISHWAR me vishwas rakhi ho??????

ALESANDRA- H...A.......A.......A........N........



ek shabd,bas ek shabd ko mooh se bahar nikalne ke liye AVANTIKA ko apne pure sharir,yahan tak ki apni aatma tak ki shakti ka istamal karna pad gaya........

Wahin AVANTIKA ke jawab ko sunkar ASMODEUS ke chehre par ek muskaan aa gayi..........



ASMODEUS- hmm.......toh fir thik hai........mai tumhe tab tak nahi maar sakta jab tak YE zinda hai.........

Waise toh iski bas chand saasein hi bachi hai par mujhe achi tarah pata hai ki tum iski jaan bachane ki koshish zaroor karogi........

Par LORD OF ANGELS ki jaan bachane ke kaam me koi roda na ho,toh maza nahi aayega.........



Isiliye...................................

AAAHHHHHHHHHH.........................

AAAHHHHHHHHHH.........................


ye cheekhen AVANTIKA ke mooh se nikal rahi thi........
AVANTIKA ko apne pure sharir me aisa dard mehsoos ho raha tha jaise usse ek saath kai bicchuon ne dank maar diya ho......

Aur arre................ ye kya????????!!!!!!!!!!

Jaise jaise AVANTIKA ke mooh se cheekh nikal rahi thi,uske sharir ka rang bhi badalkar peela padte jaa raha tha.......



ASMODEUS- tumhare sharir me maine SAKRUN VISH chhoda hai AVANTIKA.........ek aisa vish jo bohot dheere dheere asar karta hai......

par ye VISH sharir me pravesh karte hi sharir me ek aisa dard paida karti hai,jisse manushya sehne se acha marna pasand karta hai.......

Ab tumhe VIKRAM ko bachane ke liye issi dard ko sehte hue koi yukti sochni padegi........

Aur haan,is VISH ko tumhare sharir ko paralyze karne me 1 pahar (12 hours ) ka samay lagega....itna hi waqt hai tumhare paas isse bachane ke liye........

apne ISHWAR ko yaad karo AVANTIKA, suna hai isse dard sehen karne ki shakti milti hai........hahahahahha....



Ye bolkar ASMODEUS gayab ho gaya aur peeche reh gaye 3 log.....

ek pathrayi aakhon se ye anarth hote hue dekh rahi thi.dusra aise pada hua tha jaise abhi mar jaayega aur teesri aise tadap rahi thi jaise is tadap se bachne ke liye abhi ke abhi marna chahti ho.....

ALESENDRA doud kar AVANTIKA ke paas pahunchi......

ALESENDRA- himmat rakho AVANTIKA....naahi tumhe kuch hoga aur naahi VIKRAM ko..upar waale par bharosa rakho..

wo apne BETE ko aur uski SHAKTI ko is haal me kabhi nahi chhodega....

nahi nahi nahi....AVANTIKA...ankhen kholo...behosh mat hona...agar tum behosh hui toh fir kabhi nahi uth paogi.....



hua ye ki AVANTIKA kje upaarzeher ka nasha haawi hone laga tha jiski wajah se wo behosh hone lagi thi....

ALESENDRA ne bohot koshish ki par AVANTIKA behosh ho hi gayi.....


ALESENDRA- hey parmeshwar...kya aaj acchayi par burayi ki jeet ho jaayegi...agar tera khud ka baccha bhi haar jaayega toh fir kaun us dusht papi ko harayega.....

hey prabhu..meri guhar sun aur apne bacche aur uski shakti ki hifazat kar....

abhi ALESENDRA aur bhi bohot kuch kehti par tabhi.........



ALESENDRA ke peeche ek tez roshni chamki aur jab ALESENDRA ne piche palat kar dekha toh is dukh bhare pal me bhi uske andar khushi ki lahar doud gayi.....

kyunki uske peeche jo roshni hui thi wo aur kisi ki nahi balki FOUNTAIN OF LIGHT ki thi.....


aur agle hi pal...........

FOUNTAIN se teen ray lines nikli aur un lines ne mujhe ALESENDRA aur AVANTIKA ko apne andar khich liya.....



jaise hi hum teeno FOUNTAIN ke andar pahunche,fountain ke andar ki roshni ne khud ko kuch kam kar liya taaki wo roshni aakhon me chubhe naa....

aur bahari taur par FOUNTAIN ek baar firse gayab ho gayi....



abhi ALESENDRA kuch sochti ki tabhi....



hhhhhhhh................

issi awaaz ke saath AVANTIKA ko hosh aa gaya....

khudko ek nayi jagah me dekhkar usse bhi shock laga par tabhi....

AAHHHH....AHHHHHH....



AVANTIKA ko hosh zaroor aa gaya tha par VISH ka prabhav toh uske andar abhi bhi pehle jaisa hi tha..wo dard se tadap uthi..

usse itna dard ho raha tha ki wo kuch soch hi nahi paa rahi thi....

ALESENDRA bhi is baat ko bakhubi jaanti thi isiliye wo bhi bebas nigahon se AVANTIKA aur mere taraf dekhe jaa rahi thi ki tabhi.....



HUKKKKK....HUK...............MMMMMMMMM.........HUKKKKK.........




V.JJJJ...........




pehli awaaz mere mooh se nikli thi...sirf awaaz hi nahi nikli thi balki mere mooh se is awaaz ke saath khoon bhi baahar nikla tha....

aur yahi dekhkar AVANTIKA ki bhi cheekh nikal gayi thi....wo apni puri taakat laga kar khade hone ki koshish kar hi rahi thi ki.....

kuch aisa hua jo un dono me se kisi ne bhi nahi socha tha.......

mere seene ke beech me ek tez prakash utpann hua aur ussi prakash ke beech meri kitab baahar nikli....

aur uske baad jo hua,usse ek taraf ALESENDRA dekhkar kho si gayi wahin AVANTIKA ki aankhen bhar aayin par is baar unme udasi ke saath saath khushi aur uttejana bhi chupi hui thi....



hua ye ki mere book ke baahar aate hi wo khul gayi aur uske beech se upar hawa me hi kuch chalchitr,kuch drishya dikhne lage....

in drishyon me meri zindagi ki har khaas cheezen dikh rahi thi.....AVANTIKA ke pitah se pehli baar milna,mere sapne jinme uska aana,bhavishyawani ki wahi meri shakti banegi aur iske saath aur bhi bohot kuch....

aur ye sab dekhkar AVANTIKA ki rulayi phoot gayi.....uski aankhen ek baar firse band ho gayi par tabhi.....

mere book se dobara ek ray nikli aur AVANTIKA ke band aankhon ke upar padi aur agle hi pal.....

AVANTIKA ke aankhon ke saamne uska sapna aa gaya jisme uske sapno ke rajkumar ki peeth uski taraf thi....

par agle hi pal wo palta aur uska chehra dekhkar AVANTIKA ki khushi ka thikana nahi raha kyunki wo ladka mai hi tha.....

AVANTIKA ne dobara apni aankhen kholi...dard toh uske pure sharir me pehle sa hi tha par ISHQ ke zakhm ke aage koi aur ZEHER kya cheez hai....

mere book ke upar abhi bhi kuch naye drishya dikh rahe the jinme se ek tha ki kaise maine DIGVIJAY ko maara tha....

ye dekhkar AVANTIKA itne dard me bhi muskura uthi par tabhi.........



uski nazar ek drishya par padi jo baaki drishyon se zyada bada roop lekar dikh raha tha aur us drishya par nazar jaate hi AVANTIKA ka chehra khil utha....



AVANTIKA- ALESENDRA,mera bag kahan hai...jab mai yahan aayi thi toh wo mere saath tha....

abhi ALESENDRA kuch kehti ki usse pehle AVANTIKA ka bag joki baahar hi pada hua tha,wo hawa me tairta hua AVANTIKA ke paas pahunch gaya....


AVANTIKA ne kaampte haathon se apna bag khola aur uske andar se ek cheez baahar nikali....



ALESENDRA- ye kya hai AVANTIKA????

AVANTIKA- hum dono ka ilaaj.....SWETH PHOOL......



ji haan doston,us drishya me SWETH PHOOL hi dikh raha tha aur SWETH PHOOL hi ilaaj kyun,thodi der me aapko pata chal jaayega...



AVANTIKA ne kaampti haathon se hi jitna ho saka utna SWTH PHOOL ko masla aur uske aisa karte hi PHOOL me se ras risne laga...

AVANTIKA ne jhat se pehle ras ki kuch bunde mere honthon par tapka di aur fir kuch bunde usne khud pi li....

mere honton ke upar jo ras ki bunde giri thi,wo dheere dheere mere mooh ke andar jaane lagi aur jab wo puri andar chali gayi toh.........



ek saath do cheezen huin....



1ST- AVANTIKA ke andar ka zehar SWETH PHOOL ke ras ke andar jaate hi khatm ho gaya...



2ND- meri body ek baar firse chamakne lagi aur jab mai normal hua toh mere saare ghaav,khoon sab kuch theek ho chuka tha...

ab bas aisa lag raha tha jaise mai bas soya hua hun....



wahin AVANTIKA ke theek hote hi ALESENDRA turant uske paas gayi aur dono gale lag gayi...



ALESENDRA- tum dono thik ho gaye AVANTIKA..dekho VIKRAM ke bhi saare chot,uska nikla saara khoon ab gayab hai....

par ye hua kaise....aur wo PHOOL aakhir hai kya????



AVANTIKA ne ek baar meri taraf dekha fir ALESENDRA ko wahi baatein batayi jo maine usse yahan aane se pehle batayi thi....wo apne tarike se bata rahi hai mai aapko apne tarike se batata hun.




SETH PHOOL..WHITE FLOWER.....isse bade se bada chot,zakhm theek ho sakta hai..marta hua aadmi bhi mout ke mooh se wapas aa sakta hai par mai toh koi aam banda hun nahi aur naahi AVANTIKA kyunki wo meri shakti hai...

fir ye PHOOL hum dono ko kaise bacha sakta hai....??ye jaanane ke liye aapko ye jaanana hoga ki RAKHT PHOOL ki hi tarah SWETH PHOOL kisse bana hai....

jab GOD ne ASMODEUS yaani mere BHAI ko khud se door kiya tab AASMODEUS ne khudko DEVILS LORD banane ka socha....

usne paap ki ek nayi missal banane ki kasam khaayi....par jaise hi uski soch ne haqiqat ka roop liya,toh uski saare HEAVENLY POWER uske body se nikal gaye.....



par GOD ke paas jaane ke bajaye wo power EARTH ki taraf chal pade aur unhi POWERS ne EARTH pahunchkar ek naya roop liya....SWETH PHOOL ka roop....

aur kyunki mai GOD'S SON hun,toh ek GOD'S SON ki hi power mujhe aur meri shakti ko theek kar sakti thi aur wo GOD'S SON naa chahte hue bhi mera BHAI ASMODEUS hai....



AVANTIKA ki baat sunkar ALESENDRA ka mooh khula ka khula reh gaya....



AVANTIKA- kitna ajeeb hai naa.jis BHAI ne VIKRAM ko mout ke mooh tak pahunchaya tha,ussi ki shakti ne usse mout ke mooh se wapas bhi kheench liya.....



ALESENDRA- adbhudh........


AVANTIKA lagatar meri hi taraf dekhe jaa rahi thi par maine abhi tak koi movement nahi ki thi jiski wajah se uske man me ek baar firse dar baithne laga tha...



AVANTIKA- V.J.........please uth jaao naa..tumhe meri aakhon me aansu bardasht nahi hote naa,toh please uth jaao warna mai ro dungi....



ye bolte bolte AVANTIKA ke aankhon se ek baar firse aansu nikal gaye....



ALESENDRA ko bhi ab meri fikr dobara hone lagi thi kyunki ab tak toh mujhe uth jaana chahiye tha...

dono me se koi kuch firse kehta ki tabhi.....


FOUNTAIN OF LIGHT ki roshni ek baar firse tez ho gayi aur us roshni ke beech kuch aur roshniyan chamakne lagi....

kuch der baad FOUNTAIN ki roshni kam ho gayi...roshni ki wajah se AVANTIKA aur ALESENDRA ne apni aakhen band kar li thi par jaise hi unhone aankhen kholi,dono firse chownk gayiii.......



aur wo isiliye kyunki mere BOOK ke upar roshni se bane 6 gol kanche hawa me tair rahe the....


AVANTIKA aur ALESENDRA un kancho ko dhyan se dekhne lagin....

mere BOOK ke jo first 2 pages the,jinme kul 3 gol khaanche bane the,unme un 6 light KANCHO me se 3 aakar fit ho gaye....

aur aisa hote hi meri book band hokar mere andar sama gayi.....

wahin bache hue 3 light kancho me se 2 AVANTIKA ke saamne aakar rook gaye aur 1 ALESANDRA ke saamne aakar theher gaya....




1ST KANCHA-kangan nahi hun,
fir bhi KHANKUNGI

sahi samay aane par
teri hatheli par CHAMKUNGI



ye bolkar wo light kancha AVANTIKA ke andar sama gaya....

aur aisi hi line bolkar 2ND KANCHA ALESENDRA ke andar sama gaya...



ALESENDRA aur AVANTIKA ne ek dusre ki taraf dekha aur agle hi pal ek saath dono ke mooh se nikla



DONO- BHAVISHYAWANI......


ji haan doston,ye bhavishwani thi..2 ho chuki thi,meri BHAVISHYAWANIYAN meri kitab me surakshit thi aur ek ka abhi hona baaki tha joki AVANTIKA ke saamne hawa me rooki hui thi....



AVANTIKA kuch der tak us KANCHE ko dekhti rahi aur fir jaise hi usne us KANCHE ko chua

us KANCHE se tez roshni nikalne lagi aur agle hi pal......



BHAVISHYAWANI-



khele tum dono ne
bohot se KHEL

ab tum dono ke saath
bhi ek KHEL HOGA.....



zindagi toh bach gayi
SWETH PHOOL se,par

aankh tabhi khulegi,jab
AATMIK SHAKTI ka MEL HOGA..




jaise hi BHAVISHYAWANI khatm hui,KANCHA gayab ho gaya....



AVANTIKA kuch der BHAVISHWANI me kahe gaye shabdon ke baare me sochti rahi ki par usse kuch sujh hi nahi raha tha ki tabhi achanak.....



usse mere apne ghar me kahe gaye aakhri shabd yaad aaye ki dimag se nahi DIL se sochna...



aur agle hi pal AVANTIKA ki aankhen band ho chuki thi...usse uske dil ki gehraiyon me bas mera hi chehra nazar aa raha tha...

meri tasviron ko AVANTIKA mehsoos kar hi rahi thi ki achanak usse SWITZERLAND me hum dono ke beech hui shayri me baat waali scene dikhne lagi aur jaise hi usse meri kahi gayi SHAYRI/PAHELI sunayi di....



AVANTIKA ki aankhen khul gayi....ek second bas ek second ke liye uske man me sharm jaagi par ussi pal me uske andar se ek awaaz uthi ki....



ABHI NAHI TOH KABHI NAHI......



is awaaz ke AVANTIKA ke andar gunjte hi uski sharm khatm ho gayi..aur agle hi pal AVANTIKA ka chehra mere chehre ki taraf jhukta chala gaya......



ab is lamhe ke upar kya likhun.....




aakhen band,andhera kamra
najaane roshan KAB ho gaya...



tere labon ne jo chua mere labo ko,
ek hi pal me tu mera RAB ho gaya...




AVANTIKA ke honthon ne mere honton ko apni giraft me le liya tha....




naa koi hawas,naa koi PYAAS
aisa tha mere PYAAR ka EHSAAS....



jaise hi AVANTIKA ke honth mere honthon se jude,meri body ko ek jhatka laga....aisa lag raha tha jaise AVANTIKA apne honton ke zariye mere andar jaan phoonk rahi ho...

kuch palon ke is milan ke baad AVANTIKA ne dheere se apna sir peeche kiya aur jaise hi uski nazar mere chehre par gayi,uski khushi ka thikana naa raha...



meri aankhen khul gayi thi aur mai ek tak uski taraf dekh raha tha....



AVANTIKA ne apne dono haathon se mere dono gaalon ko thaama aur.......




AVANTIKA- I LOVE U.......



MAI- I LOVE U TOO.......







AAJ KE LIYE ITNA HI....










AAPKA APNA V..J......
Very nice Update bhai
 
Top