AB TAK AAPNE PADHA KI BHUVIKA AUR BEELZEBUB KE SPIRITS AAPAS ME JUD JAATE HAIN WAHIN VIKRAM AUR AVANTIKA KE BEECH KI DOORI BHI KHATM HO JAATI HAI...
AB AAGE:-
CHAPTER-2
( CURSE OF THE SWEET POISON )
UPDATE- 83
PLANET-EARTH
PLACE- MINAKSHI MANSION
GOOD EVENING AUNTY...GOOD EVENING UNCLE....
V/MOM-aao aao bacho baitho......
VIKRAM ki MOM aur DAD ne AVANTIKA SHANAYA aur unke saath aaye unke dono bhaiyon ke gesture ka jawab dene ke baad kaha....
shaam ka waqt hai.....VIKRAM ne apne mom dad ko bata diya tha ki AVANTIKA SHANAYA bhi hamare saath aane waale hain aur unke saath unke do bhai bhi honge....
aur mere dono dost toh the hi....
VIKRAM & PARTY switzerland ke liye kal nikalne waale hain....
meri mom ne jaane se pehle mujhse ek baar AVANTIKA ke dono bhayion ko ghar laane ko kaha taaki wo dono bhi sab se mil len aur holiday me jaane se pehle hi sabse comforatble ho jaayen....
aur isiliye maine RIYANSH aur DEVANSH ko ghar bula liya....
RIYANSH aur DEVANSH dono hi jaante the ki mere dad INDIA ke leading industrialist me se ek hain isiliye dono thoda nervous the..
aur ye baat maine dad ko dheere se bata di...
DAD- so,we have two faces in our house today haan......
RIYANSH- hello sir..i'am RIYANSH & he is my brother DEVANSH.....
DEVANSH- hello sir....
RIYANSH- sir,i must say,it's a huge honour to sit infront of u....
ye baat RIYANSH ne sirf kisi aupcharikta ki wajah se nahi kahi thi...he meant what he said.....
aur ye uski aankhon me dekha jaa sakta tha...waise toh meri khud ki haqiqat bohot badi hai....
GLUTO me meri pehchaan ki ek choto si jhalak dekh kar sabne kaise react kiya tha,ye toh aap sabko pata hi hai par jab koi mere dad ki taarif karta hai ya unke aage respect se jhukta hai,toh jo feeling mere dil me aati hai usse mai shabdon me bayan nahi kar sakta....
aur wo isiiye kyunki meri pehchaan mere janm se pehle hi sunishchit ho chuki thi par mere dad ne apni pehchaan khud banayi hai..
ek aisi pehchaan jiske aage har koi jhukta hai, mai bhi....
DAD- do u work for me????
dad ne ye baat thodi kadak awaaz me boli thi jisse sunkar RIYANSH aur DEVANSH jo pehle se hi dad ko apne saamne dekh kar thode nervous the,wo aur nervous ho gaye....
DAD- maine pucha ki kya tum dono mere liye kaam karte ho????
RIYANSH/DEVANSH- no sir.....
DAD- toh ye sir sir kya laga rakha hai yaar...mere bachon ke frnz ho,toh mere liye bhi mere bache ki hi tarah hue naa...
uncle bulao and just relax....isse apna hi ghar samjho...
dad ki baat sunkar RIYANSH aur DEVANSH thoda relax ho gaye....
arre waah,aaj saare bacche ghar par..kis baat ki meeting chal rahi hai bhai.....???
abhi humme se koi kuch kehta usse pehle hi ye awaaz hamare piche se aayi jo ki mere naanu ki thi....
naanu ko aata dekh hum sab khade ho gaye.....afterall head of the family jo the....
RIYANSH,DEVANSH,SHANAYA,AVANTIKA ne naanu ke pair chue..naanu ne chaaron ke sir par haath rakh unhe blessings di...
NAANAJI- in dono bachiyon ko toh mai jaanta hun par ye do noujawano ko pehli baar dekh raha hun...
AVANTIKA- naanu,ye hamare bhai hain....
NANAJI- acha acha....
AVANTIKA ke mooh se naanu sun kar mujhe bohot acha laga.aur feeling sirf mere man me hi nahi jaagi thi,AVANTIKA ko bhi aisa bolte waqt ek alag hi ehsaas ne chua tha....
NANAJI- waise abhi shaam ke waqt sabhi bache ghar par....kahin ghumne nahi gaye tum log!!!!
MAI- naanu wo kal hum sab holiday par jaa rahe hain naa,RIYANSH aur DEVANSH bhi humare saath jaa rahe hai....toh mom ne kaha tha ki ek baar inko ghar le aaun....
NANAJI- acha kiya beta.....beta hume bhi apne gharwaale hi samjhnaa...koi bhi baat bolne me bilkul bhi nahi hichakna....
RIYANSH- jee naanaji.....
DAD- papa,aapki packing ho gayi...
NANAJI- haan wo tumhari mummy kar rahi hain..
RONIT- naanu,aap excited toh hain naa is holiday ke liye.....
NAANAJI- aare mai toh tum sab se zyada excited hun....ek toh pehli baar videsh jaa raha hun aur uske upar mere dono bachon ki shaadi ki saalgira hai....
dekhna,sabse zyada toh mai hi naachunga...
NAANAJI ki baat sunkar hum sab has diye wahin mom aur dad ne naanu ko side se hug kar liya....
BHAIYA..........
hum sab has hi rahe th ki itne me hamare kaano me ye awaaz aayi..
ye aur koi nahi AASHI thi jo KOMAL ke saath baahar khel rahi thi aur abhi abhi andar aayi thi...
jis din se maine AASHI ko samjhaya tha,us din ek baad se wo kabhi nahi royi aur ab wo hamesha khush hi rehti hai...
aur jaise bache zid karte hain,thik waisi hi zid ab meri AASHI bhi karti thi....
infact uske aur KOMAL ke beech zid ke naam pe hamesha competition lagi rehti thi....par unki har zid unhe aur bhi pyara bana deti thi....
khair,mera naam lete hue AASHI doud kar aayi aur meri godh me kud gayi..maine bhi usse pakad liya....
wahin uske saath aa rahi komal ne jab ye dekha toh wo bhi daudte hu aayi aur usne bhi AASHI ki hi tarah mere upar chalang laga di...
maine usse bhi godh me utha liya.....
Mai dono ke saath masti karne me lag gaya wahin mere ghar waalon ki mere doston ke saath kuch der tak baat hoti rahi......
RONIT- chalo yaaron,kahin ghum kar aate hain....
MAI- yaar ye dono mujhe nahi chhodengi.....
ANJALI- aare paas ke hi coffe house me chalte hain naa...bacchon ko bhi saath le chalte hain,ye wahan icecream khaa lengi...
ANJALi ki icecream ki baat sunke KOMAL aur AASHI ne icecream ki rat lagani shuru kar di....
mom ne bhi hume ussi coffe shop me jaane ko kaha....
mere saare frnz naanu,mom aur dad se baari baari mile...dad ne sabko subah 10 baje tak yahin ghar par aane ke liye keh diya....
hum sab coffe house ke liye nikle jahan dono bacchiyan ice cream khaane me busy ho gayin..hum ladke milkar ipad me hamare switzerland me rukne waale hotel aur arrangements ki baat me lag gaye wahin teeno girls apne gossip me mashgool ho gaye...
kuch der baad hum sab ek dusre ko kal milne ka keh apne apne ghar nikal gaye....
fir kuch khaas nahi hua...next day plan ke mutabik AVANTIKA & PARTY subah 10 baje se pehle hi mere ghar pahunch gaye...
hum sab toh readythe hi....AVANTIKA & PARTY RONIT AUR ANAJALI ke parents se mile aur unke saath bhi kaafi jaldi comfortable ho gaye...
hum sab alag alag cars se airport ke liye nikal gaye...SHANAYA hamare plane ko dekhne aur usme safar karne k liye kuch zyada hi excited thi...
unme se kisi ne bhi aaj tak kisi chartered plane me sair nahi ki thi...
aur jab airfield me khadi hui hamari plane par un sab ki nazar gayi toh wo sab aur zyada excited aur khush ho gaye.....
hum sab hasi khushi masti karte hue plane me baith gaye aur hamare baithte hi hamari plane ne take off kar liya.......
ab bas 10 ghante ka safar baaki reh gaya tha hume switzerland ke sheher ZURIC me land karne ke liye....
chaliye jab tak hamare HERO & PARTY ZURIC pahunche,hum kahin aur se ghum aate hain...
PLANET- YELUPTUS
PLACE- STORMY DESERT
YELUPTUS........ek.banzar PLANET.....naa hawa,aur naahi paani....har taraf reth hi reth aur ussi reth ka ek agyat gas ke zariye uthata hua bawandar..
Suraj ki dheemi si roshni jo ki kisi aur grah ke ujale ke liye thi,us garh se hota hua us surya ka ek baarik sa prakash YELUPTUS grah par padh raha tha....
Jisse yahan ke bhayavaha mahoul ko dekha jaa sakta tha...par aise viran grah me jahan kisi kide tak ka vaas nahi hai,wahan hum kar kya rahe hain...?????
Arre ye kya???????is bawandar bhare registaan me ye do saaye kaun hain.....chaliye, paas se dekhte hain.....
ARRE YE DONO TOH........
BHUVIKA aur BEELZEBUB hain....
Par ye yahan kar kya rahe hain????
Achaaaaa yaad aaya.....ASMODEUS ne BEELZEBUB se BHUVIKA ko kisi shaant jagah le jaane ko kaha tha,aur BEELZEBUB ne ye jagah chuni hai....par ye jagah hi kyun????aayiye BEELZEBUB ki zubani hi sun lete hain....
BEELZEBUB- YELUPTUS me tumhara swagat hai BHUVIKA.......
BHUVIKA ne kuch kaha nahi bas idhar udhar dekhti rahi...uske man bhi yahi khayal aa raha tha BEELZEBUB usse yahin kyun laaya hai....
BEELZEBUB- yahi soch rahi ho naa ki mai tumhe yahan kyun laaya hun????
BEELZEBUB ki baat sunkar BHUVIKA chownk gayi....
BHUVIKA- tumhe kaise pata ki mai kya soch rahi hun???
BEELZEBUB- tum bhool rahi ho ki hum dono ke spirits ab jud gaye hain... isiliye mai tumhari soch padh sakta hun..
BHUVIKA- par mai toh tumhari soch nahi padh paa rahi hun???
BEELZEBUB- kyunki abhi tumhari shaktiyon par tumhara niyantran nahi aaya hai....
Aur isiliye hi hum yahan aaye hain...isse achi jagah tumhe apni shaktion ko niyantrit karne ke liye nahi milegi...
Aur naa hi pariksha dene ke liye isse behtar koi sthaan hai...
BHUVIKA- pariksha!!!!Kaisi pariksha????
BEELZEBUB- apni shakityon ki hadon ko pehehaanane aur usse aur nikharne ki pariksha....haan,ye satya hai ki is waqt tumhare andar do shaktishaali DEVILS ki urja hai aur uske saath meri shaktiyan aur zindagi bhar mere sikhe gaye vidyayen bhi tumhare mastishk ke kisi kone me dafan hai...
Kintu ek satya ye bhi hai ki tumhara janm manushya yoni me hua hai...aur isilye meri shaktiyon ko apni shakti banana tumhare liye ya ye kahun tumhare shahir ke liye aasan nahi hai....
Par ye naamumkin bhi nahi bai..aur ye jagah is mushkil kaam ko tumahre liye asaan karne ke liye raasta bhi banayegi aur saath saath kuch rode bhi atkayegi jisse tumhe paar karna hai....
BHUVIKA- jab ye jagah meri madad karne waali hai toh fir rode kyun atkayegi??? Aur waise ye jagah hai kya????tumne mujhe ab tak ye bhi nahi bataya ki ye jagah hi tumne kyun chuni!!!!?????
BEELZEBUB- tumne aksar suna hoga ki burai kitni bhi badi kyun na ho,ant me achayi ki hi jeet hoti hai....par ye jagah us burayi ka prateek hai jiske saamne achayi ne apne ghutne tek diye the......
BHUVIKA- matlab!!!!!!
BEELZEBUB- jis banzar grah me hum khade hain,kisi zamane me ye ek hara bhara jeeven se bhara hua grah tha...
Par yahan ki aabadi zyada nahi thi...kul 200 log is grah me rehte the...
BHUVIKA- bas 200....!!!!
BEELZEBUB-yahan ke grah waasi koi sadharan manushya nahi the...wo bohot alag the...aur sabse mazedar baat ye thi ki un 200 logon ke naam nahi the,bas pehchaan thi aur ussi pehchaan se pura bramhaand naa sirf unhe jaanta tha,balki unke samman me jhukta bhi tha...
BHUVIKA- ajeeb baat hai...bina naam ke manushya...waise unme aisi kya visheshta thi jiske aage pura bramhaand jhukta tha...
BEELZEBUB-unki pehchan hi unki visheshta thi...un 200 logon ke samuh ko SAMAY SANCHALAK ke naam se jaana jaata tha....aur yahi naam unki pehchaan bhi thi...
BHUVIKA- SAMAY SANCHALAK!!!!! Kya wo samay ki gati ko aage piche kar sakte the?????
BEELZEBUB- shayad!!!!
BHUVIKA- shayad matlab!!! Tumhe nahi pata!!???
BEELZEBUB- nahi...mujhe kya,kisi ko bhi nahi pata...ye sab mere janm se hazaron saal pehle ki baat hai....
Mujhe bas itna pata hai ki wo SAMAY SANCHALAK acchayi ke pratik the.....aur behad shaktishaali bhi...
BHUVIKA- fir unhe kisne maara.....?????
BEELZEBUB ne kuch kaha nahi bas BHUVIKA ki taraf dekh kar muskuraya...aur BEELZEBUB ke muskaan se BHUVIKA ko uske sawaal ka jawab bhi mil gaya...
BHUVIKA- tumhare FATHER ne!!!!!!
BEELZEBUB- haan....par FATHER ne unhe maara nahi,balki unki aatmaon ko kaid kar liya...
BHUVIKA-aatmaon ko kaid kar liya matlab????fir un SAMAY SANCHALAKON ke sharir kahan gaye.....
BEELZEBUB- tum unke upar khadi ho?????
BEELZEBUB ki baat sun BHUVIKA ko ek tez jhatka laga....
BHUVIKA- mai toh reth par khadi hun???kya un sab ke sharir reth me badal gaye???
BEELZEBUB- nahi...is zamin ke neeche is grah ki neev me un sabhi ke sharir dafan hain....aur issi wajah se hi aaj bhi ye grah bacha hua hai warna kabka fat chuka hota....
Aur un shariron me ab bhi WHITE aur BLACK urja kaafi maatra me bhari hui hai.aur jab tum yahan dhyan lagane ke liye baithogi,tab ek taraf wahi BLACK urja tumhe meri shaktiyon aur siddhiyon ko tumhare mastishk ke bhitar dhundne me madad karengi wahin WHITE urja tumhe apni manzil tak pahunchne se rokengi.....
BHUVIKA- adbhudh.....par mujhe ek baat batao,tumari baaton se pata chalta hai ki yahan jo log rehte the,unke andar jo bhi shakti thi,wo unhe WHITE ENERGY se mili thi par tum keh rahe ho ki unke andar BLACK ENERGY bhi hai...toh wo unke andar kahan se aayi.....
BEELZEBUB- mujhe pura sach toh nahi pata par jitna pata hai utna bata deta hun....
FATHER ko un SAMAY SANCHALAKO se kuch chahiye tha jo un logon ne FATHER ko dene se mana kar diya...
FATHER ne bal purvak us chiz ko un SAMAY SANCHALAKO se chhinane ki bhi koshish ki par naakamiyab rahe...
ye jaankar ki ASMODEUS ko kuch chahiye tha par wo usse haasil karne me naakamiyab raha,ye jaankar BHUVIKA ko shock laga...
apni behen aur MADDOX ki shaktiyon ko paane ke baad BHUVIKA ko ASMODEUS ki shaktiyon ke baare me,jitna NISHKALIKA aur MADDOX jaante the,utna pata chal gaya tha..
aur ussi aadhar par BEELZEBUB ki baat usse hazam nahi ho paa rahi thi....
BHUVIKA- SAMAY SANCHALAK tumhare FATHER se bhi zyada shaktishaali the..
BEELZEBUB- mere FATHER se shaktishaali koi bhi nahi hai...agar aisa kuch hota toh mere FATHER un SAMAY SANCHALAKO ko kaid nahi kar paate....
BHUVIKA- SAMAY SANCHALAKON ko tumhare FATHER ne kaid kyun kiya,unhe toh un sab ko maar dena chahiye tha...
BEELZEBUB- yahi baat maine bhi apne pitah se puchi thi,tab unhone mujhe bas yahi bataya tha ki jo chiz unhe SAMAY SANCHALAKON se haasil ki hai,agar wo un sab ko maar denge toh wo chiz bhi nasht ho jayegi....
BHUVIKA- oh.....par tumhare FATHER ne un sab ki aatmaon ko kaid kaise kiya???
BEELZEBUB- FATHER ye jaante the ki bal purvak wo SAMAY SANCHALAKON ko maar nahi paayenge...
isiliye unhone chhal ka istemaal kiya..SAMAY SANCHALAK hamesha dhyan ki mudra ne baithe rehte the..
ek din SAMAY SANCHALAKON ko apne grah ke vaayu mandal ke baahar kuch dhamake sunayi diye....
aur ye dhamake kuch kuch der ke baad lagatar ho rahe the...
in dhamakon se is grah ko kuch nuksaan toh nahi ho raha tha,par dhamakon ke awaaz se unka dhyan bhang hone laga.....
un dhamakon ka kaaran jaanane ke liye un me se kuch SANCHALAKON ne vaayu mandal se bahar jaane ki baat kahi...
par kyunki unme se kisiko bhi GOD se aisa karne ki ijazat nahi thi,isiliye baakiyon ne mana kar diya...
aur wo sab punah apna man ekagrit kar dhyan me baith gaye...
par un dhamakon ki awaazon ki wajah se wo thik se dhyan kendrit nahi kar paa rahe the.....
aur grah ke andar se wo naa hi is pareshani ki wajah jaan paa rahe the,naa hi usse thik kar paa rahe the....
antaha unme se kuch SANCHALOKON ko apne grah ke vaayu mandal se baahar jaana hi pada.....
GOD ko chhodkar bas mere FATHER hi aise the jo ye jaante the ki YELUPTUS ke baahar SAMAY SANCHALAKON ko maara jaa sakta hai.....
par wo ye bhi jaante the ki SAMAY SANCHALAKON ke marte hi jis chiz ko wo haasil karna chahte hain,wo nasht ho jaayega....
isiliye unhone ek dusri yukti soch kar rakhi thi...
SAMAY SANCHALAK apne grah ke seema ko paar kar baahar aaye aur unhone dekha ki antariksh k beech hi lagatar rook rook kar lagatar karn bhedi dhamake hote jaa rahe hain...
dhamakon ki awaaz se tang aakar unhone usse rokne ke liye SPELL bola aur yahin wo dhoka khaa gaye.....
unhe pehle DHAMAKON ke hone kaa kaaran jaan lena chahiye tha,par awaaz ki tivrata ki wajah se unhone bina kaaran jaane SPELL bol diya tha...
aur jaise hi SAMAY SANCHALOK ke bole gaye SPELL ki wajah se ray nikal kar un dhamakon par padi,un dhamakon se bhi ek ray nikli aur us ray ne SAMAY SANCHALAKON ke ray ko jakad liya....
aur aisa hote hi us ray ka shroth jo ki SAMAY SANCHALAK the,wo bhi dhamakon se ujwalit hue ray me bandh gaye...
unhone bohot koshish ki par wo chhut nahi paaye...
par iske saath ek cheez aur bhi hui thi...darasal saare SAMAY SANCHALAK ek dusre se jude hue the....
aur jaise hi antarikh me aaye hue SAMAY SANCHALAK un dhamakon se niklie rays me fasen,neeche grah ke baaki ke saare SANCHALAKON ke sharir bhi hawa me uthkar upar ki taraf jaane lage..
un sab ne bohot koshish ki ki wo aur upar naa jayen par wo sab kuch kar naa paaye..
aur wo sab ye bhi jaan gaye the ki antariksh me gaye unke saathiyon ke saath kuch galat hua hai aur ussi wajah se unke saath bhi ye ab ho raha hai..
kuch hi der me saare SAMAY SANCHALAK antariksh me the...antariksh me aate hi sabhi SANCHALAKON ke sharir bhi rays se bandh gaye...
wo sab apne bandhan se nijat paane ki bohot koshish kar rahe the par wo kaamiyab nahi hue....
tabhi......
unke saamne ek tez roshni hui aur us roshni ke beech mere FATHER prakat hue....
mere FATHER ko dekhte hi saare SANCHALAK samajh gaye ki ye sab unka hi kiya dhara hai.....
SAMAY SANCHALAK mere FATHER ko uksaane ke liye unhe bhala bura kehne lage..wo chaahte the ki mere FATHER krodh me aakar unhe maar den kyunki aisa karte hi jis chiz ki chaah mere FATHER ko thi,wo bhi nasht ho jaati....
par mere FATHER un sab ke manzubo se awgat the..par iske baawajud unke saamne ek aur pareshani thi....
aur wo ye ki YELUPTUS ki neev hi un SAMAY SANCHALAKON ke shaktiyon se rakhi gayi hai....
isiliye wo un sab ko apne saath bandi banakar bhi nahi le jaa sakte the...
par wo SAMAY SANCHALAKON ko waapas YELUPTUS me bhi nahi chhod sakte the...
kyunki YELUPTUS me jaate hi SAMAY SANCHALAKON ki shakti fir se badh jaati aur mere FATHER ne jis chiz ke liye itna kuch khel racha tha,wo usse wapas apne paas bula lete...
aur wo CHIZ toh thi hi SAMAY SANCHALAKON ki amanat..unke bulate hi wo wapas aa jaati....
BHUVIKA- aur isiliye unhone ek yukti sochi....aur wo ye ki SAMAY SANCHALAKON ke sharir ko unki shakti sahit YELUPTUS ke neev me dafna diya jaaye..
aur un sab ki SPIRITS ko apne saath le jaaya jaaye...kyunki aatma bina sharir ke reh sakti hai par sharir bina aatma ke nahi reh sakta....HAINA !!!!
BHUVIKA ne BEELZEBUB ki aage ki baat puri ki....
BEELZEBUB- haan...par usse pehle FATHER YELUPTUS gaye aur us CHEEZ ko jisse haasil karne ke liye unhone itna kuch kiya tha,usse liya aur wapas SAMAY SANCHALAKON ke saamne aa gaye...
uske baad FATHER ne SAMAY SANCHALAKON ke sharir se unki aatma ko alag kar diya...aatma ke alag hote hi sharir ka koi mol nahi raha...sabhi SANCHALAKON ke sharir antariksh me tairne lage...
fir FATHER ne un aatmao se unki saari shakti unke shariron me sthanantaran kar di....
par saath saath un sab ke sharir me kuch kaali shaktiyan bhi bhej di jisse SANCHALAKON ke spirits agar chaahen toh bhi apne sharir ka pata nahi laga paate....
fir FATHER ne sabhi SANCHALAKON ke sharir is grah ke neev me dafna diye...
par jaise sharir ko sharir uski aatma banati hai,thik ussi tarah ek grah ko bhi grah hawa aur paani banate hain...
is tark par jaise hi bina aatma ke saare SANCHALAKON ke sharir dafan hue,thik ussi waqt is grah ki aatma ne bhi isse chhod diya...
aur ye grah aisa ban gaya...BANZAR.......
BHUVIKA- itna khatarnaak dimag,itni durdarshita ke baare me socha bhi nahi jaa sakta....
wakayi tumhare FATHER jaisa koi nahi.....
waise tumne ek baat abhi bhi nahi batayi...un SAMAY SANCHALAKON ke spirits ka kya hua???tumhare FATHER unhe kaha le gaye...
BEELZEBUB- FATHER ne un sab ko rakhne ke liye ek alag grah ka nirman kiya....
BHUVIKA- ek alag grah kaa!!!!abhudh.....koi naam hai us grah kaa????
BEELZEBUB- SHADOW WORLD.....
AAJ KE LIYE ITNA HI.....
AAPKA APNA V...J.....