If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Apne number show ke baad charon makeup room mein mile aur ek dusre ke gale lag kar bahot khush ho rahe the, chaaron ek dusre ko bahon mein jakre huwe the aur Abhay ke enkhon se ensoo behne lage aur usski awaaz nahin nikal rahi thi, sab ne usske ensoo ponche aur kaha ke hum kaamyaab huwe. Woh khushi ke ensoo the, usski mehnat, lagan aur pssine ke anjaam the… ussko yakeen tha ke agar pehla nahin to dusra inaam to milni hi chahiye.
Vinay aur Iqbal ne Abhay aur Any ko akela chorr diya tab Ananya ne Abhi ko zor se bahon mein lekar honth se honth takraye aur donon ek lambe kiss mein mubtela ho gaye….. Magar kuch der ke baad donon ko bhi make up room chorrna para. Phir se 100 meteres ki doorie par kissi aur kamre mein jana para taakey dusre participants make room ko istemal kar sakein.
Ab weh log next participants ke shows ko dekh sakte the araam se. bahot dance numbers ko sab ne dekha magar unnmein se ek bhi Abhay ki takkar ka nahin laga…. Aur koyi 8 shows reh gaye the dekhne ko…. Iqbal aur Vinay to bahot khush ho rahe the donon ko pura yakeen tha unn logon ko hi first prize milega…… tabhi kuch der ke baad unn logon se milne uss tharki judge ka pimp aya. Ussne apne aap ko introduce kiya kyunke usske paas VIP ka badge tha aur judges ki ek pass bhi. Ussne ne samjhaya ke main judge to usska boss hai aue compromise to hote rehte hein prize jeetne walon mein aur judge compromise(samjhawta) karne ko tayyaar tha unn logon se. Ussne pehle Vinay aur Iqbal se baat kiya. Weh donon to bahot khush huwe kyun ke weh nahin samajh rahe the ke judge ka irada kia tha. Iqbal aur Vinay ne uss dalle ko Ananya ke saath chorr kar Abahay ko bulane ko gaye. Tab tak dalla Ananya ko samjha raha tha ke judge aur mayor ko usski dance sab se ziada passand aayi aur weh donon uss se milna chahte hein. Ananya khush huwi aur milne ko tayyaar bhi thi. Uss pimp ne yeh bhi samjhaya Anny ko ke kiss tarah se pichle sabhi tarah ki competitions mein wohi judge aur mayor apne passanjida candidates ko top tak ponhchaate the, aur unn mein se kayi mashoor naam ko bhi bataya Anny ko. Anny unn models aur dancers ke naam se wakif the kyun ke weh log bahot hi prachalit ho gaye the to pimp ne Anny ko bataya ke uss judge aur mayor ke badawlat hi weh sab prachalit huwe hein aur ussne Anny se kaha ke agar woh bhi weise hi top par pohonchna chahti hai to ussko bhi judge aur mayor se zaroor milna chahiye jab bhi weh milne ko kahein. Dalla apne kaam mein maahir tha aur ladkiyon ko patana usska pesha tha to ussne apna kaam baakhubi kiya.
Jab Abhay aya Iqbal aur Vinay ke saath tab tak pimp jaa chukka tha. Aur Anny bahot khushi se jhoom rahi thi aur uchalte huwe ussne Abhay se kaha, “I am so happy today, judge aur mayor mere dance se behad khush hein aur mujhse milna chahte hein prize giving se pehle….mujhko bulaya gaya hein unn ke compartiment mein its great nah Abhay?!” Abhay ne muskurakar Anny ko gale lagate huwe kaha ke yeh ek bahot bari baat hai….magar Abhay dil hi dil mein soch raha tha ke dance to group mein kiya gaya to kyun sirf Ananya ko bulaya unhon ne? Kyun chaaron ko nahin? Phir bhi Abhay ne socha shaayad woh akeli ladki thi iss liye ho sakta hai ke unn logon ki nazar ziada Anny par pari hogi to ussne kuch khaas dhyaan nahin doya uss baat par.
Abhay wapas hall mein chala gaya baaki ke dance performaces ko dekhne ke liiye magar Anny uss room mein hi thehri apni dress change karne ko aur makeup utaarne ke liye. Iqbal aur Vinay bhi hall mein chale gaye. Kuch der ke baad uss pimp ne mayor ko lekar Anny ke room mein gaya. Mayor koyi 58 saal ka adher aadmi tha aur kaafi mashoor tha aur Anny ne ussko TV aur press mein aksar dekha hai to ussko pehchaan gayi, magar jiss waqt donon andar daakhil huwe Anny apni ek andar ki dress mein thi, upar ki dress nahin pehni thi ussne, who dress usski jaangh tak aati thi aur ek nightie ki look thi uss dress ki to Anny ne hadbadakar jaldi se apne haathon ko apne chaati par kar diya aur sharam se laal ho gayi, magar baithi rahi jiss seat par thi aur welcome kiya mayor saab ko. Baithne ke kaaran usski jaangh bahot ziada dikh rahi thi aur usski kaandhon ki khubsurti, uss dress ke strap mein aur bhi nikhar rahi thi usski gore rang ke saath, apne chaati par to ussne apne haathon se to dhank diya tha magar jaanghon ko nahin chupa saki, upar se ek jaangh par do jagah par Abhay ke kiss aur suck ke vajah se do gehra laal nishaan the jo mayor khub dekh raha tha aur mayor ne apne pimp ko enkhon se baahar jane ka ishara kiya, woh samajh gaya aur baahar darwaaze par chowkidaary karne laga.
Mayor ahiste ahiste Anny ke karib ponhcha aur bade araam aur pyar se phuslakar baatein kiya Anny se. Who bada kamina to tha hi upar se bahot honshiyaar eise maamlon ko sambhaalne mein kyun ke hazaaron baar woh eise situations se guzar chuke the, masoom ladkiyon ko phanssane mein. Ussne apne chikni chugli baton se Annaya ko behlaya aur samjhaya ke agar kuch banna chahti hai to usski baton ko maanein tab tarraaki karegi aur sabhi unn ladkiyon ka naam liya jinnko ussne upar tak ponhchaya hai. Anny unn ke baton se impress ho gayi thi aur soch rahi thi ke sach mein woh kaamyaabi ki oonchi mukaam tak jaa sakegi agar weise bade logon ka saath mile to. Tab tak mayor Anny ke bilkool kareeb agaya tha aur ussne apne haathon ko Anny ke kandhe par rakh kar halke se sehlaate huwe kaha, “tum itni khubsurat aur masoom lagte ho ke pakka ek film ki heroine banne layak ho aur main aur judge ek jhatke mein tumko heroine bana sakte hein A1 producers aur directors ke filmon mein, hamara pohonch bilkool film industry ke oonche sthaan tak hein.” Anny jeise ke ek sapnon ki dunya mein kho gayi unnke baton ko sunkar, tab tak mayor ne apne ungli ko usski kaandhe par usski dress ki strap ke niche dala aur dhire se strap ko kaandhe ke niche baazu par kar diya…. Aur Anny ki puri nangi, gori, mulaayam kandhon par apne panje ko zor se masalne laga…tab Anny ko jeise hosh aya aur jaldi se apne haath ko usske haath par rakha ek napassand andaaz mein aur apne strap ko upar kiya kaandhon par wapas.
Phir Mayor ek kursi khinch kar Anny ke saamne baith gaya thik Anny ke jaanghon ke saamne aur kaha, “Dekho main jaanta hoon ke tumhara boyfriend hai, pata nahin shaayad mangitar bhi ho woh…. Magar tumko uss se iss waqt kuch nahin batana hai kyun ke aksar ladkiyon ko kaamyaab hone ke liye yeh boyfriends log hi rokte hein….. Agar meri salah maanon to kum se kum abhi kuch bhi mat kehna apne saathiyon se nahin to khud pachtawogi agar weh log rukawat ban gaye to, samjhi tum?” Anny ne zara sa muskurate huwe sar ko han mein hilaya magar poocha, “Aap ko keise pata ke mera boyfriend hai?” Tab mayor ne apne haath ko Anny ke jaangh par uss jagah rakha jahan Abhi ne laal nishaan kiye the, aur Anny sharam se laal ho gayi….. Mayor ko to mawka milgaya uss naazuk khubsurat jaangh par apne haath rakhne ko aur ab to woh wahan se haath ko hatha bhi nahin raha tha, aur Anny ke samajh mein nahin araha tha ke kia karein woh, agar woh usska haath hatane ki koshish karti to upar usski chaati dikh jaati …. Aur tab tak Mayor ne halke se apne haath se Anny ki jaangh ko sehlaya bhi aur Anny ka dil zoron se dhadakne lagi aur woh darwaze ke taraf dekhne lagi to mayor ne kaha, “fikar mat karo koyi nahin ayega, mera woh aadmi baahar hai agar koyi aya to woh darwaza knock karega” yeh kehkar mayor ka mann pagla sa gaya aur ussne apne haath ko Anny ke dono jaaghon ke beech mein dala aur Anny ki jaangh ke uss hisse ko sehlaya jo donon jaanghon ke beech o beech hote hein aur Anny tharthara gayi aur jhat se khadi ho gayi ek lambi sanss lete huwe aur usski dil ki dhadkan ziada badne lage aur usske maathe par pasine ke boondh jama ho gaye……
Mayor ne kaha, “kyun itna ghabra rahi ho ladki? Tum to experienced lag rahi ho! Hmm jaangh ke iss hisse par yeh nishaan hone ka matlab hai sab samajhti ho nah? Hmm shaadi ke bina hi mazaa leti hein aaj kal ki ladkiyan humko pata hai, magar yeh to aur bhi achchi baat hein hamare liye….. Sunon zara tumko apne bahon mein lene ko man kar raha hai, ek baar to seene se lagane do zara….” Yeh kehkar mayor ne apne bahon ko Anny ke taraf badhaya aur Anny kampne lagi wahin khade….. ussne bilkool yeh sab nahin socha tha aur Mayor ne Anny ko apne baahon mein jakar liya aur Anny usske baahon mein tharthar kampne lagi…… Mayor ne usski chaati par se usska haath hataya aur apne munh ko usski chaati par kiya aur apne jeebh ko Anny ke chuchiyon par phera aur usski nipple ko munh mein bhar liya aur Anny ne achanak hosh sambhaalte huwe ussko push kiya aur kaha, “kia kar rahe ho aap? Kia hai yeh sab? Jaiye aap yahan se!!” Mayor ne ek shaitani muskaan mein kaha, “Sochlo young sexy lady, tum iss dance ko jeetna chahti ho, kia aguey bahrna chahti bhi ho ya kissi aur ko winner bana dein hum? Apne doston ke bare mein socho, woh jiss ne tumhare aashik ka role kiya tha, ussne bahot ziada mehnat kiya hai hum sab ko dikhayi diya, to kia tum chahti ho ke woh jeete ya hare? Hum agar chahe to tumhari hi team jitegi aur agar hum chahe to kissi bhi dusri team ko jita sakte hein aur tum logon ko ek mamooli si consolation prize de sakte hein……” Anny pareshaan hogayi , ab who Abhay ke bare mein sochne lagi aur woh chahti thi ke kissi bhi kimat par Abhay ko winner banaya jaye aur woh ro padi Mayor ke saath yeh kehkar, “Dekhiye aap mere pita samaan hai, aap bade buzurg hai, aap ko eisi baatein shobha nahin deta kia chahte ho aap?” Mayor ne kaha, “Main kuch nahin chahta, tum samajhdaar ho, shows khatam hone ke baad 30 minutes ka break hoga prize announce hone se pehle, mera aadmi ayega tumko lene tum hamare compartiment mein ana wahan judge aur main tumhara intezaar kareinguey, main chalta hoon, dhyaan rahe agar kissi se kuch bhi kaha to prize to gayi aur tumhara career bante bante bigar jayegi, unn ladkiyon ko socho jo top par hein aaj woh bhi iss raah se guzar chuke hein aur tum to maahir ho pehle se hi, boyfriend wali ho, jaangh par nishaan leti ho to aur jagon par kitna leti hogi are wah! Ajana 30 minutes ke liye, chalta hoon”
Mayor make up room se nikal gaya to Anny baith kar rone lagi…… khub royi woh aur sochne lagi ke ab who kia karein!! Woh chahti thi ke keise bhi karke Abhay ki jeet ho, A&A group number 1 ki winner ho yeh chahti thi woh…kia koyi aur group unn logon se behtar karega? Kia kissi aur ko winner ghoshit kiya jaega? Kia Anny ko judge aur Mayor se milne ke liye majbooran jana padega? Kia woh Abhay ko dhoka degi? Kia woh Abhay ko sab kuch bata degi? Aur agar bata diya to kia hoga? Kia phir bhi unnki jeet hogi?
Kuch der baad Anny bhi chali gayi hall mein baaki ke dance ko dekhne ke liye aur Abhi ke paas baithkar usske chaati par apna sar rakh diya usske baahon mein jaakre huwe. Magar usska mann nahi lag raha tha aur sirf mayor ki batein usski dimaagh mein shor macha rahe the aur Anny bahot tensed thi. Usski samajh mein nahin araha tha ke kia karein woh.
Jiss dance number ko woh sab uss waqt dekh rahe the woh bhi ballet tha aur Romeo and Juliette ka ek ansh tha. Abhi ne khushi se Anny aur apne donon doston se kaha, “hey ballet ballet dance hai wah!” sab dilchaspi ke saath dekhne lage uss performance ko…… magar ab Anny ko aur bhi tension hone lagi ke dance competition tough hota ja raha hai aur iss dance number ko bhi winner kiya jaa sakta hai agar yeh ladki mayor ki baat ko maan le to…tab to Abhi ki performance ko winner nahin kiya jaega, ye sab sochkar Anny ka mann bahot udaas ho raha tha….
Aur achanak jiss dhund par performers naach rahe the woh ruk gayi aur cd mein kharaabi sunaayi diya….. Abhi ko bahot afsos huwa aur ussne judges ke taraf dekha, phir tezi ke saath Abhi utha aur Vinay Iqbal aur Anny ko usske piche dawdte huwe ane ko kaha…. Abhi bahot zor se dawte huwe stage ke piche gaya audio room mein aur pata chala usski stage manager se ke cd lock ho gayi hai, chal nahin rahi hai…udhar stage par performers ruk gaye….. Abhi ne jaldi se main swith off kardiya aur pura hall aur stage par andhera chaa gaya aur Abhi ne iqbal aur Vinay se kaha “jaldi jawo aur stage ke parde ko khinco kissi ko nazar nahin ayega!” to stage ka parda khincha gaya aur actor aur actress rote huwe baahar gaye stage ke piche….. Abhi ne unn se kaha ke fikar karne ki koyi baat nahin woh sab thik kardega….. donon participants youngsters the 18 saaal ke. Abhi unn donon ke madad kar raha tha. Anny ko yeh dekh kar rona agaya. Khud vinay aur Iqbal heyraan ho gaye. Koyi aur hota to khush hota ke yeh log haar rahe hein magar Abhi to inn ko jeetana chahta tha, wah kia baat hai. Tab Abhi ne main switch on kiya aur theatre ki official stage manager se kaha ke woh jaa kar announcement kare ke ek bijli ki katne ki vajah se technical problem huwi aur show ko wahin se continue kiya jaega jahan se ruka tha. Magar stage manager jaane se inkaar kar raha tha. Woh to yeh keh raha tha ke ab next participant ko apne show ko pesh karein. Magar Abhi ne cd ko phir se chek kiya aur ab cd thik se chal raha tha, unn donon performers ko bula kar poocha ke weh log kiss mod par ponhche the to donon dancers ne pick up kar liya jahan par ruke the tab Abhi ne unn donon se poocha ke agar wahin par cd ko start kiya jaye to kia woh wahin se dance ko continue kar sakte hein ya nahin unhon ne kaha ke han woh continue kar sakeinguey, to Abhi khud mike lekar stage par gaya announce karne ko….. stage ki light ko on kiya gaya, parda uthaya gaya aur Abhay mike lekar upaschit huwa stage par aur kaha;
“Dosto, bijli ki kat jane ki vajah se cd ruk gayi thi, kyun ke current ki main taar ki katni se pehle audio room ki bijli chali gayi thi iss kaaran, cd ruk gayi thi aur yahan performers ko continue karne mein kathinaayi huwi. Meri judges se guzaarish hein ke performers ke dance ko ussi jagah se continue karne ka mawka diya jaye ya ek baar phir se shuru se dance ko perform karne ka mawka diya jaye kyunke iss mein inn donon ki koyi ghalati nahin. Problem technical tha to inn donon ko mawka deni chahiye!”
Aur members or jury mein se ek aadmi ne khada hokar kaha, “no problem dance ko continue kiya jaye wahin se jahan se ruki thi, aur koyi points nahin kati jaegi dancers ke!” sab logon ne taaliyan bajaye aur judges ne aapas mein baat kiye ke yeh ladka jissne announcement kiya ussne khud ek dance mein perform kiya tha pehle nah?! Aur judges bahot heyraan huwe ke Abhi khud ek contestant hote huwe keise ek dusre contestant ka help kar raha hai! Judges ne apne aadmiyon ko back stage bhejkar pata lagaya ke Abhi ka koyi rishta nahin tha inn performers ke saath phir bhi ussne dusron ki help kiye iss vajah se Abhi ke dance performance par judges ne points add kiye plus points!!
Aur unn do performers ne dance ko wahin se pick up kiya jahan se ruke the aur aakhir tak bahot achi performance diye. Abhi hall mein standing ovation diya inn donon ke performance ko aur judges ne yeh bhi dekha ke Abhi bahot khush tha unn do nawjawan performers ke saath.
Baad mein Iqbal aur Vinay ne Abhi se kaha ke ussne to cheat kiya unn donon ko jitane ke liye. To Abhi ne kaha, “Yeh hamare saath bhi ho sakta tha. Hum ne to 3 cds banaye the to humare paas option tha, yeh log starters hein, young hein inn ko mawka dena chahiye. Inn ke paas experience nahin hai, main ne inn ke madad karke koyi bhi ghalatti nahin kiya, I feel happy having helped them.”
Ek aakhri performance reh gaya tha karne ko, aur sab hall mein baithe dekh rahe the ke Anny ne Iqbal aur Vinay ko stage make up room mein bulaya. Anny ne rote huwe uss mayor ki baton ka aur proposal ki bare mein bataya donon saathiyon ko. Donon ne kaha ke Abhi ko kuch bhi nahin bataya jaye nahin to kayamat ajayegi ussi waqt. Woh uss mayor ko maar dalega aur khoon kharaba ho jaega, aur koyi award kuch nahin milega, sab gadbad ho jaega…. Donon ne Anny se kaha ke ussne thik kiya unn ko uss baat ko bata kar bajae Abhi ke. Magar woh log kia kare yeh nahin samajh paa rahe the…keise uss mayor aur main judge ko rokein?! Keise bhi karke weh teenon wapas gaye hall mein aakhri show ko dekhne ke liye. Anny udaas baithi thi apne Abhi ke paas magar usska mann ghabra raha tha kyun ke iss aakhri performance ke baad ussko jana tha uss mayor aur main judge se milne, shaayad apni jism ko unn ke hawale karne ke liye…. Aur Anny man hi mann soch rahi thi ke agar koyi upaay na huwe to woh khushi khushi chali jaegi apne Abhi jeetane ke liye woh uss mayor aur judge ke saath so bhi sakti thi apne mann ko maar kar…..- yeh ek problem hoti hein kuch ladkiyon ke saath jo apne haq ko nahin pehchaante aur khud ko majboor samajhte hein eise haalaat mein….
Khair aakhri performance ke baad 30 minutes ka break tha aur usske baad judges winner ke naam batane wale the. 3 prizes the. Magar jeise hi lights on huwa pure hall mein aur jab sab jury ke members uthkar apne VIP kamre ke taraf jane lage to unn mein se peeth ke taraf se ek lambe kad ka aadmi khada huwa jisska seena bahot chawda tha aur usske sar par pagdi bandha huwa tha aur woh ek sherwaani mein dress tha…ussko peeth se dekhte huwe bhi Abhi ne pehchaan liya aur chillaaya, “Saleem bhai!!!” “Saleem bhaaaaaai!!!!” Jab Abhi ussko phukaar raha tha to Iqbal, Vinay aur Anny heyraani ke saath Abhi ko dekh rahe the to kabhi uss aadmi ko jiss ne peeth kiya huwa tha unn logon ke saath. Weh log hall ke peeche wale hisse par the aur judges log bilkool aguey ke taraf hall ke stage ke paas the aur udhar hi ek exit thi unn logon ke liye baahar jane ke liye….. Phir Abhi ne ek teesri baar phukaara, “Oye Saleem miyaaaaaaan!!!” Aur turant Saleem bhai mudh kar upar hall ke taraf dekha aur ek kadad muskurahat ke saath Abhay ko wave kiya baahar nikalte waqt. Abhay khushi se hanss pada aur apne doston ke taraf dekhte huwe kaha, “are yaar Saleem bhai yahnan keise? Hey ussne hamare dance ko dekha!! Woohoo! Saleem bhai ne sab dance dekhe aur yaar hum ne ussko invite nahin kiya tha! Aur woh khud yahan mawjood hai!! Wah wah!!”
Vinay ne kaha, “Lagta hai woh mayor ya judges logon ke saath hai…aaj kal eise log inn ke hifaazat bhi karte hein…….” Magar Abhi ne kaha, “kia kaha tha main ne tum logon ko Saleem bhai ke bare mein? Tum log sab bhool gaye kia?” tab Iqbal bola, “Are han yaar sach mein main to sab bhool gaya tha, chalo thik hi hai uss ne hum logon ke performanve dekhe!! Hum khush huwe! Mogambo khush huwa heu heu heu!!”
Aur phir Iqbal aur Vinay ek taraf hokar aapas mein baat kiye: “Yaar hum Saleem bhai se Anny ke problem ke bare mein to keh sakte hein!! Woh kuch na kuch to kar sakega iss mein? Agar hum logon ne ussko bataya ke Anny Abhay ki mangitar hai to kia woh usski hifaazat nahin karega?” Iqbal ne kaha, “arey han yaar! Bilkool!! Yeh to Khuda ne farishte ko bhej diya Ananya ke hifazat ke liye woohoo, bach gayi Anny chalo hum Saleem bhai ko sab baat batate hein……
Vinay aur Iqbal ne keise bhi karke Saleem bhai se milkar sabhi baatein unn ko bataayi aur kehdiya unn se ke Anny Abhay ki mangitar hai. Saleem bhai ne donon se kaha, “Tum log uss ladki ko tab tak yahan mat ane dena jab tak main tum logon ko ishara na karun; mere ishare ka intezaar karna tum magar iss baat ko Abhay ko bilkool pata nahin chalne dena varna khoon kharaba ho jaega yahan thik hai?”
Kuch der ke baad Abhay Anny ke saath ek bench par baithe huwe the aur Abhay ne poocha uss se; “Are tum to mayor se milne wali thi nah? To nahi gaye ab tak?” Anny ne ghabrakar Vinay ke taraf dekha sawaali nazron se to Vinay ne uss ki jagah jawaab diya, “Han mayor ke room se abhi khabar aya nah ke 10/15 minutes ke baad ayein kyun ke weh log abhi refreshments le rahe hein” Aur Iqbal jo darwaze par khada Saleem bhai ke ishare ka wait kar raha tha andar aya aur kaha, “Come on Anny wahan jane ka time ho gaya awo ab hum tumko uss major ke room ki darwaze tak chorr dete hein…..” To phussphusakar Vinay ne Iqbal se poocha “Saleem bhai ne ishara kiya kia?” Aur Iqbal bhi dhire se Vinay ke kaan mein kaha, “Han, tu bhi chal saath mein.” Aur donon doston ne Anny ko escort kiya Saleem bhai tak jiss ne Anny ko Mayor ke room ke andar daakhil karwaya aur woh donon baahar wait karne lage.
Sirf 5 minutes ke baad hi Ananya baahar nikli khilkhilakar hanste huwe. Aur Iqbal aur Vinay uss ke paas jaakar poocha, “kia huwa? huwa kia? Kyun eise hanss rahi ho kia kaha Mayor aur judge ne?” Anny khushi se unn donon ke gale mile aur unn ka shukriya ada karte huwe huwe kaha, “kuch bhi nahin huwa, bilkool kuch nahin huwa, donon Mayor aur judge darre huwe the aur unhon ne bus meri dance aur hamare A&A group ko congratulate kiya aur mujhko wapas jane ko kaha! Bus yehi bilkool jeise weh log mujhse pehli baar mil rahe hon! Pata nahin yeh keise ho gaya! It’s a miracle!” Tab Vinay ne kaha, “Han yeh chamatkaar hai, aur chamatkaar karne wala Saleem bhai hai, ussne kuch na kuch to kiya hoga, pata nahin uss ne daraya dhamkaya Mayor aur judge ko ya kia gul khilaya yeh bus wohi jane…kamaal ka aadmi hai yeh Saleem bhai superb being!” Aur Anny khushi khushi dawdte huwe jaakar Abhay ke gale mili…….
Aur phir sab ab result ki announcement ka wait karne lage….. dhire dhire hall phir bharne lage jitney log baahar the sab waapas andar aagaye aur stage manager ne sabhi participants ko stage ke kareeb wale seats par sab ko bagal mein bithaye numbers dekar. Aur kaha ke jeise jeise, jiss jiss ke naam phukare jaeinguey woh kidhar se hokar stage par jayein apne prize lene ko.
30 minutes pure ho gaye the aur sab bechaini se intezaar kar rahe the announcement ke liye magar weh log delay kar rahe the. Stage ke audio room se achchi music ki dhund baj rahe the aur pura hall mein badbad batein karne ki awaaz sunaayi de rahe the. Sabhi participants nervous the aur koyi koyi to jeet ka sapne bhi dekh rahe the…. Ab kyun ke Paris jane ka inaam bhi tha to kuch participant sapnon mein Paris bhi pohonch gaye inaam jeet kar wahan par baithe baithe….. 30 minutes se ek ghante hone ko the aur koyi bhi nahin dikh rahe the…. Sab baithe baithe thak gaye aur phir se kuch logon ne baahar ana jana shuru kar diye, koyi cigarettes pine ko jate to koyi kuch snacks ya soft drinks vaghaira kharidne ko……. Aur thik ek ghante ke baad kuch log ussi row mein baitne ko aaye jahan sab participants baithe the, aur tabhi Saleem bhai bhi aaye aur Abhay ne khade hokar ussko gale lagaya aur Saleem bhai ne kaha, “Bahot khub Abhi bête tum ne to ek dum behtareen performance diya, aur tum ne kia kia kaarnaame kiye woh sab bhi main ne achchi tarah se dekha, jeete raho beta salaamat raho!” Aur Saleem bhai ka seat kuch distance par tha aur woh jaakar baith gaya.
Phir Stage par fog lights aur spot lights on huwe aur parde ke hatne ke baad dikhaayi diya ke sab arrangements ho chuke the, lectern mike ke saath rakha gaya tha jahan se bhaashan dene wale khade hokar bhaashan deiguey, aur ek lamba sa table sajaya gaya the piche ke taraf jiss par bahot sare bouquets aur prizes rakhe huwe the aur hostesses khade the table ke chaaron taraf. Abhi ne socha yehi sab sajaya ja raha tha issi liye ek ghanta laga!”
Stage manager ne pehle opening kiya mike par aakar sab ka shukriya ada karte huwe aur Sheher ki Mayor ko amantrit kiya kuch shabd kehne ko. Mayor aya to garv se apne sheher mein teen saal baad iss competition ko phir se karne ka khud credit liya aur sab participants ka shukriya ada kiya aur dance ko promote karte rehne ka wada kiya apne sheher mein. Koyi 10 minutes ke bhaashan ke ant mein uss ne kaha ke France ka Ambassador aye huwe hein jo jury ka ek member bhi hai aur kyun ke unn ke taraf se bada sehyog raha hai iss competition ke prize distribution mein to uss se kuch shabd kehne ki guzaarish ki gayi.
France ka Ambassador apne tooti phooti hindi mein kuch na kuch kehkar sare audience ko hanssa rahe the. Thoda English aur French mix karke baat kar rahe the aur hindi to bilkool hi ghalat tarike se bol rahe the jissko sunkar sab log bahot hanss rahe the aur woh khud bhi hanss raha tha kyun ke ussko pata tha ke woh ghalat bol raha hai…… Magar uss ne English mein yeh baat bhi kaha ke uss ne ek dancer ko bahot appreciate kiya jiss ne ek dusre participant ke liye sab se darkhwast kiya aur uss participant ka madad kiya ussko bilkool nahin jaante huwe bhi….. woh beshaq Abhay ke bare mein keh raha tha aur sab logon ne bahot zor se taaliyan bajaaye uss baat par aur Abhay ke naam se naraa lagaya…Abhay hall mein khade hokar sab se apne haath ko wave kiya…. Hero ban gaya tha Abhay uss waqt. Ambassador sahib ne kaha ke usske enkhen bhar aayi thi jab ussne Abhay ko uss dusre participant ke liye binati kiya aur ussko phir se perform karne ke liye anumati mangi thi…. French sahib ke kaha ke eise bhaichara kum dekhne ko milta hai aaj ki dunya mein aur uss ne kaha ke eise rehne se taraki hoti hai aur insaan ziada kaamyaab hota hai….. khair ussne uss baat ko lekar bhaashan diya ke insaan ko hamesha ek dusre ka help karna chahiye apne khud ki profit ko nahin sochte huwe…..
Aur aakhir mein jiss host ko award announce karni thi woh aayi lectern ke piche aur mike ko sidha karte huwe kaha; “Ab main participating groups mein se jeetne walon ke naam announce karne se pehle sabhi participants ka shukriya ada karti hoon aur sabhi groups ko badhaayi aur shubkaamnayein pesh karti hoon. Sab se pehle entry ke hissab se sabhi participants ko participation prize miilega to ek ek karke sabhi participating group ke naam phukarungi aur sab stage par aakar apne prize le jayein….. To sabhi ke naam ek ek kar ke phukara gaya aur sab ko ek bouquet aur 1000 rupay ka ek envelope mila. Abhay bhi gaya aur ussko bhi mila. Sabhi participants ko yeh mila.
Tab announce kiya gaya ke: “Ab teen best group ke naam announce kiye jayeiguey, to number 3 par aya hai…….” Uss waqt bada hi tension tha hall mein khaas kar participants ke beech… Abhay ka dil zoron se dhadak raha tha aur Anny, Iqbal aur Vinay ka bhi same haal tha….. Abhi soch raha tha kahin 3rd prize na mil jaye ussko….. aur udhar baaki dusre participants bhi ussi kashmakashi halaat mein the ke kaash mera naam phukara jaye… kaash hamare group ko 3rd prize hi miljaye….. Abhay , Anny, Vinay aur Iqbal, chaaron ne ek dusre ke hathon mein haath daal kar ek dusre ke ungliyon ko bahot zor se jakre huwe the aur sar zameen par gade announcer ki awaaz ka intezaar kar rahe the ke kiss group ka naam announce hone wala hai……
Aur announce huwa, “The third prize of 25 thousand rupees goes to the “Sohni mahiwaal group”…… Aur taaliyon ke goonjh se hall goonjh utha aur chaaron saathiyon ne khade ho kar taaliyan bajaye unn jeetne walon ke liye…… Phir dusre number ke winner ko announce kiya gaya aur woh tha usski group jisski madad Abhi ke kiya tha , jinn ke cd atak gayi thi jo romeo and Julliette par perform kar rahe the unn ko 50 thousand rupay ka inaam mila. Sab logon ne standing ovation diya unn ko. Aur uss jawaan ladke ne inaam lene ke baad kuch kehne ki darkhwaast kiya to announcer ne ussko lectern ke piche ane ko kaha aur uss ladke ne Abhay ka shukriya ada kiya aur ussko dhanyavaad kiya aur ussko number 1 winner banne ki duwaein diya aur kaha ke Abhay jeise insaan ko sabhi zindagi ke field mein number 1 hona chahiye kyun ke jo uss ne jo kiya koyi bhi nahin karta aaj ki iss dunya mein. Sab logon ne phir se Abhay ke liye taaliyan bajaaye aur Abhay ke enkhon se ensoo nikal pade to Anny ne Abhay ko zor se sine se laga liya……..
Aur ab waqt tha number 1 dance performing group ki announcement hone ki….. Abhay ke haath peyr kaampne lage….. Aur usske teenon saathiyon ka wohi haal tha….. Saleem bhai ne jhuk kar Abhay ke taraf ek baar dekha, Abhay apne peshaani ko haath mein dhare sar jhukaye baitha tha aur ussne donon paon zoron se tharthara rahe the…… Aur announcer ne kaha ….. “And the first prize goes to the A&A group for giving us a wonderful, superb, fantastic, extraordinary show”…………. Iqbal aur Vinay khushi ke mare uchal pade aur kudne lage….. spot light direct hall mein gaya aur Abhay par ruka, woh baitha ro raha tha khushi ke mare….. pura audience khade huwe taaliyan bajate huwe… LIVE broadcast karne wale TV channel ke cameraman jaldi se Abhay ke paas agaya ussko zoom karne aur Iqbal aur Vinay Abhay ko haath se khinch kar khada kar rahe the aur Anny khada rote huwe apne chehre ko apne haathon mein chupa rahi thi Abhay ke taraf dekhte huwe, Abhay utha to dawte huwe hall mein upar ke taraf gaya, stage ke taraf nahin, spot light usske upar ussko follow kar raha tha aur TV ka cameraman bhi, Abhay Hall mein jaakar apne maa ke paas ruka, usske peyr chuwe aur usski maa ne ussko gale se lagaakar usske gaalon ko chuma aur usske maathe ko……
Announcer ne mike mein awaaz di, “Mister Abhay Agarwaal please come on stage”…Tab Abhay niche ke taraf jane laga aur pot light usspar saath saath follow karte jaa rahe the aur jeise hi woh niche ponhcha Saleem bhai se takraye usske gale lage aur Saleem bhai ne Abhay ko apne kaandhon par utha liya, aur spot light ab Saleem bhai aur Abhay par the…aur Saleem bhai ne Abhay ko apne kaandhon par stage ke upar legaya, Saleem bhai ke haath mein ek laathi tha, woh uss laathi ke sahare chal raha tha phir bhi Abhay ko uthakar upar legaya….audience ke sabhi log mote mote enkhon se Saleem bhai ki kad aur pehelwaan jeise jism ko dekh rahe the, uss ke kaandhon par Abhay ek chota sa bachcha dikh raha tha… kuch logon ke funny comments kiya, “yeh kaun hai yaar kumb karan ka bhai hai kia? Ya hanuman ka koyi family member hai!”
Stage par se Abhay ne Iqbal Anny aur Vinay ko bhi upar bulaya…… aur unn sab ko announcer ne pehli inaam ki 1 laakh rupay, Paris ki ek ek ticket chaaron ke liye aur 25 hazaar rupay as pocket money ki announcement kiye. Jab khubsurat hostess ne Abhi ko prizes de diye aur woh stage se niche utarrne wala tha to announcer ne kaha, “Ruk jaiye Mr. Abhay abhi aap ke naam aur bhi inaam hein…..” Abhay heyraan mudh kar dekh hi raha tha ke announcer ke kaha, “Best stage management ki prize, best set decoration ki prize, best soundtrack ki prize, aur best choreography ki prize bhi A&A group ko hi jata hai, come to take more prizes Mr. Abhay.” Abhy ne Vinay Anny aur Iqbal ko baaki ke prizes lene ko bheja.
Jab Abhay niche hall mein chala gaya to Mayor mike par aye aur kaha; “Dosto ek prize jo mukarar nahin kiya gaya tha iss competiton ke liye aur jissko sab jury ke members ne aur khaas kar France ke Ambassador sahib ne abhi kuch der pehle decide kiye woh baad mein diya jaega magar naam abhi issi waqt announce karna hai woh prize hai iss sheher ki best citizen ki award, behtareen shehri ki award bhi jata hai Abhay Agarwaal ko!” Mayor bol hi raha tha ke hall mein sab log khade ho gaye taaliyan bajate huwe aur shor o gul machaate huwe aur Mayor ne apne baat ko jaari kiya yeh kehte huwe, “Yeh award hum Abhay ko iss liye de rahe hein kyun ke uss ne ek naye participant ko na jaante huwe bhi usski madad kiya aur dawd kar back stage jaakar uss participant ko apne show ko jaari rakhne ke liye madad ki aur keise bhi karke ussne uss participant ko show ko continue karwaya. Competition mein sab apna apna dekhte hein aur sab ko maar gira kar jeetna chahte hein, magar Abhay ne ek eisa kaam kiya ke usski khud ki show ko woh nahin dekhte huwe ussne dusre participant ki madad ki aur uss participant ko jiss ne uss ke takkar ki performance diya tha jissko dusra prize mila. Agar koyi aur hota to uss participant ko dabane ki koshish karta, usski haar ka praathhna karta magar Abhay ne usski madad ki ussko jeetne ke liye….humko eise shehri ki zaroorat hein, so the award of best citizen of this towm goes to Mister Abhay Agarwaal. And he will be invited for another ceremony to take that award very soon. Congratulation Abhay we are proud of you!!”
Ab kia kahein uss manzar ka aalam kia tha uss waqt. Sab logon ne Abhay ko gher liya tha, ek dum hero ban gaya tha woh, bahot saare log usski autographs lene ke liye line mein khade ho gaye, Anny uss se chipak ke khadi huwi thi, TV channel ke log uss se sawaal kar rahe the, log taaliyan baja rahe the, Saleem bhai paas khade the usski maa khushi ke ensoo ponch rahi thi, bada khushgawaar maahaul tha uss waqt hall ke andar…… sab bahot bahot khush the aur Vinay aur Iqbal to chote bachon ki tarah jhoom rahe the……
Ahiste ahiste hall se log nikalne lage aur aakhir mein Abhay aur friends bhi nikle…. Aur jab baahar aaye to dekha ke 4 police ke jeep khade hein baahar aur andar se Mayor aur main judge ke haath mein hatkadi ke saath kuch police wale jeep mein daal kar leja rahe hein….. Abhay bahot heyraani ke saath mudhkar baaki ke logon ko dekhte huwe kaha, “Ab kia ho gaya? Kia kiya mayor aur main judge ne? kyun police unn ko hatkadi pehnakar le ja rahe hein?” Anny zor se Abhay ke bahon ko jakar kar usske saath chipak gayi aur woh bhi heyraan sab dekh rahi thi aur Saleem bhai nazar aya aur Iqbal aur Vinay se ek enkh maarte huwe kaha, “jeisi karni weisi bharni dosto….ab tum log jawo aur eysh karo khushian manawo bacho inn sab baton par bilkool dhyaan nahin do yeh sab political peintre hein…jawo tum sab maze udawo…..
”Ab Mayor aur main judge ko kia huwa aur keise huwa yeh sab; inn baton ka khulaasaa waqt ane par kissi aur update mein kiya jaega. Abhi usska waqt nahin hai.
Uss show ke baad Abhay ki dance school ab dance academy ban gaya, bahot mashoor hogaya pure sheher mein aur usski academy ki students ka sankhiya 150 se 500 ho gaye! Aur badhte gaye, additional classes lagana pada additional teachers lene pade. Uss competition mein jo do group second aur third aye the unn donon ne bhi Abhay ki academy ko join kiya as teachers aur bhi naye dance master ne academy ko join kiya aur school bada mast chalne laga; school ki population din ba din badhta gaya aur Abhay successful hota gaya aur bhi ziada.
Han ek hafte ke liye sab Paris gaye ghumne aur ek chota sa seminar attend karne dance ki wahan par. Aur pura Paris khub ghumein aur enjoy kiye sabhi doston ne aur Abhi aur Anny ke pyar ke liye yaadgaar moments banaye gaye Paris mein jo ek romantic sheher bhi hai. Jinn memorable jagawon ke sher kiye Anny aur Abhi ne jo unnko zindagi bhar yaad raheinguey aur jahan phir kabhi jane ke liye soche donon ne weh yaadgaar jagawon mein se the, Eifel Tower; 12TH century ka woh cathedral tha jiss ka naam hai ‘Notre Dame de Paris Cathedral,’ phir mashoor Napoleon ki zamane ka banaya ‘Arc De Triomphe’ yaaadgar aur historic jagah the woh bhi aur donon Abhi aur Anny ko bahot hi achah laga unn jagawon par ghumkar, aur unnhon ne bahot sare tasveerin liye chaaron taraf. Phir ‘Invalides’ musueum bhi gaye jahan sabhi bade bade Francici soldiers ke yaadgaar mawjood hein aur unn mein se ek Napoleon ka bhi hai. Aur sab se ziada waqt unhon ne guzare ‘Champs-Élysées’ par jahan se bahot mashoor dunya ki stars paida huwe hein aur Champ Elysees dunya ki unn bade galiyon mein se hein jahan 1,100 square feet ki rental koyi 1.5 million $usd hote hein ek saal ke liye. Dunya ki dusri sab se keemti real estate business ki hein woh aur pehla hai London ki ‘Bond Street.’ Likha gaya hai, kaha gaya hai aur itihaas gawah hai ke “The Avenue des Champs-Élysées is known as "The most beautiful avenue of the world" Aur to aur sab se pasanjida jagawon mein se Abhay ko to opera ballet dekhna tha aur Paris ki; “Paris Opera Ballet” jo dunya ki sab se purani national ballet company hai, aur jahan se Europe ki sabhi bade companies apne jadh dhund sakte hein wahan se, uss jagah ki visit aur opera dekhna bilkool nahin miss kiya Abhay ne. Ek hafte mein 4 din weh chaaron opera ballet dance dekhne ko gaye uss jaga par.
Abhay aur Anny ke pyar ke liye bahot hi behtareen yadein sametne ka mawka mila donon ke weise historical jagawon par apne pyar ke kuch lamhon ko beetane ki. Aur Iqbal aur Vinay to do chote bache ke tarah uchal kud kar rahe the saath saath har jaggah jaakar aur inn donon ke tasveerein utaar rahe the aur inn se apne photo khinchwa rahe the…..
Aakhir bahot sare kharidaari ke saath chaaron ek hafte ke baad apne desh wapas aaye aur kaam mein lag gaye sab barabar. Ek hafte ke liye academy band padi thi ek chota sa holiday diya gaya tha sab students aur teachers ko. Han ek zaroori baat batana bhool gaya, Anny ne apne papa ko Paris se phone kiya tha woh bahot khush tha ke usski beti Paris gayi huwi hai ghumne ko aur Abhi se bhi baat kiya tha Anny ke papa ne. Do mahinon ke baad woh desh wapas ane wala tha aur Abhi aur Anny ki mangni karwana tha ussko.
Abhay ne uss din apne show ko dekh kar aur usski success ko dekh kar socha ke general show dena chahiye ussko theatres mein koyi do dhai ghante ki dance program pure team ke saath… Uss ne socha ke variety dance kiya jaye aur music vaghaira ki selection banane mein lag gaya.
Do mahinon ke baad 30 dancers ke saath Abhay ne ek bada concert diya sheher ki ek bade theatre mein. Behtareen musical soundtrack banaye ussne ussi dj se milkar. Achah set banwaya scene ke liye, behtareen dance sequences tayaar kiye gaye, bahot rehearsals huwe aur 30 dancers ko select karke ussne show diye aur bahot kaamyaab huwa show. Kul milakar academy ki 70 logon ne kaam kiya uss show ke liye. Ab sab to dance nahin kar sakte, baaki logon ko back stage kaam karna tha, costumes, state managements, audio vaghaira ko bhi sambhaalna tha to sab ke liye alag alag kaam the. 15 show kiye gaye ek baad baad ek aur har show mein house full rahe. Achah publicity bhi kiya gaya tha, TV, PRESS, RADIO sab jagah publicity ki gayi thi….15 shows ke baad kuch araam kiye magar demands bahrti gayi aur phir ussi show ko sheher ke dusre theatres mein kiya gaya, aur 12 shows diye gaye…. Iqbal aur Vinay ko apna manager banaya Abhay ne. weh donon bahot achi tarah se sab manage kar rahe the, phir sheher ke sabhi theatres mein demand ki gayi sabhi theatres ke maalik Abhay ko contact karne lage show dene ke liye to ahiste ahiste woh aur usska show bahot famous hota gaya aur dusre sheher ke theatre ke maalikon ne Abhay ko contact karna shuru kiya aur Abhay ek dance troop ban gaya aur show dene laga iss sheher se uss sheher aur takriban do mahinon tak yunhi show deta gaya yahan tak ke TV ke zarye usski shows ke ansh dikhaye jane lage to baahar ke mulkon se bhi demand ane lagi show karne ke liye…..
Pehli invitation aayi England se. Wahan par basse desh vasiyon ne intezaam kiya aur show ki tayaariyan ki gayi aur Abhay apne troop ko lekar England ke liye rawana ho gaya show ke liye. 15 shows England mein bhi deni thi. Sab intezaam kar diya gaya tha wahan ke correspondents dwara. Aur wahan par bhi show bahot hi passand kiya gaya. Dance mein wohi mixture kiya tha Abhay ne, Ballet mix with salsa and hip hop mixed with contemporary dance aur kuch classical mix kiya tha western ke saath aur badhya fusion huwa tha…music ke fusion ke saath saath dance ka fusion upar se Abhay ko kuch Mexicaine aur Spanish steps bhi atey the to sab milaya tha dancings steps mein aur kyun log passand na karein sab ko apni apni zindagi ke bag dawr ko chor kar ek ache entertainment ki zaroorat thi to log bilkool entertain ho jate the Abhay ki music aur dance ko dekh kar. Sabko araam o sukoon milta tha. Anny usske saath nacchti thi aur apne students mein se behtareen female dancers ko bhi chuna tha Abhay ne aur Ikbal aur Vinay bhi the upar se uss dance competition ki second aur third winners bhi the. Sab kuch bahot achcha chal raha tha aur England ka show bahot successful huwe. Show ke khatam hone ke baad sab log ek hafte England mein thehre kuch ghumne aur shopping karne ke liye. Unnka dusra desh tha Canada. Wahan se bhi invitation aya tha, to Abhay ne contact walon se kaha ke woh apne desh wapas jaakar unn logon se sab finalise karega tab Cadana jayeinguey, aur yeh khush khabri sunaya apne troop ko. Sab bahot khush the, ek to desh videsh ghumne ka mawka mil raha tha upar se paise bhi…. Sab khush the.
Jinn dinon Abhay aur Anny England mein the, udhar Anny ka papa wapas aya apne ghar Australia se. Ussko phone karke Anny ne bata diya the ke woh tour par jaa rahe hein troop ke saath to usske papa ko koyi heyraani nahin huwi, buss wapas aakar Anny ko ussne phone karke bataya ke woh wapas agaya hai aur usska wait kar raha hai.
Ab jiss din Abhay aur group wapas aaye uss din Anny ka papa kaam mein busy tha to airport Anny ko lene nahin gaya, Anny ghar wapas aayi aur apne papa ka wait karne lagi badi besabri se. Anny ne Abhay ko kaha ghar chalne ko usske papa se milkar wapas ane ko magar Abhay bahot thaka huwa tha to kaha ke baad mein mil lega woh usske papa se……..
Jab Anny ke papa ghar aya to Anny usske gale se lipat gayi aur ek choti bachchi ki tarah apne papa ke gaalon ko chum chum kar rone lagi kehte huwe ke ussne ussko bahot hi miss kiya. Papa ne ussko, usski gifts diye aur kaha, “Ab tumko apne uss se mujhko milwana hai….hmmm to mere ghair haziri mein tumne mere hone wale damaad ko bhi chunn liya, jitna main tumko jaanta hoon main ne kabhi bhi nahin socha tha ke tum kissi ko passand karlogi, ya kissi mein itni himmat hogi ke woh tumhare paas aa sake aur tum accept kar sako…tum to bilkool different type ho phir keise ussne tumko propose kiya aur tum ne maan bhi liya hmmm??”
Ananya kuch sharmaa si gayi aur kaha, “Papa woh hazaaron mein ek hai, he deserves my love, aur mujhko uss se behtar koyi milta bhi nahin. Woh alag hai special hai aap zaroor ussko passand karoge papa!” Aur Anny ke papa bole, “Achah thik hai kal do peher ko ussko ghar bulawo, kaho ke mujhe uss se milna hai okay my sweetheart?” Anny ne khushi se apne papa po gale lagate huwe kaha, “Yes papa.”
Dusre din subha ko uthte hi Abhay ne dekha ke Anny ka message aya hai mobile par aur Anny ne kaha hai ke usske papa ne Abhay ko ghar bulaya hai milne ke liye. Kuch ghanton ke baad Abhay ne drive kiya Anny ke ghar ke taraf.
Udhar Anny ke papa ne apni beti ke sath kuch batein ki aur Anny se pooch baitha, “Achah yeh batawo ke agar tumko Abhay aur mujh mein choose karna pade to tum kissko choose karogi?” Anny apne papa ko behad pyar karti thi aur bina soche samjhe ussne jhat se kehdiya, “Aap ko choose karungi papa, you are the best papa in the whole world. You are exceptional.” Aur papa ne kaha, “Sochlo agar kahin eisa mawka agaya ke sach mein tumko mere aur uss ke beech chunna par jaye to?” tab Any ne apne papa ko jawab diya, “Papa aap Abhay ko nahin jaante, woh bhi special hai. Bahot achchah hai woh, aap ussko zaroor passand kareinguey.”
Jab Abhay Ananya ke yahan ponhcha to usski papa apne kamre mein andar tha kuch kaam karte huwe to Anny ne bade khushi se Abhay ko lounge mein baithaya. Abhay ne joke kiya, “let’s go in your room and we will enjoy!” Anny ne Abhay ko maarte huwe kaha, “Paagal ho kia? Papa yahin hai aur usske mawjoodgi mein hum room mein keise jaa sakte hein?!” Abhay ne muskurate huwe kaha ke woh usski taang khinch raha tha bus. Kuch der tak Anny aur Abhay batein karte rahe aur Anny ki mummy ne andar se Anny ke papa se kaha ke Abhay agaya hai, to woh ab lounge ke taraf ane laga Abhay se milne ko…..
Jeise hi woh apne kamre se lounge mein daakhil huwe ek muskaan ke saath Abhay ke taraf badhte huwe, aur jeise jeise woh Abhay ke kareeb ata gaya usska muskaan chehre se udhta gaya aur usske shakal par ek nafrat aur ghussa ka jhalak dikhne laga….. Anny apne papa ke chehre ko hi dekh rahi thi aur ussne thik note kiya ke usske papa ke chehre ka rang achanak badal gaya Abhay ko dekh kar, tab ussne Abhay ke chehre ko dekha to Abhay ka chehra bhi bilkool ajeeb sa hogaya Anny ke papa ko dekh kar aur Abhay khada hogaya Anny ke papa ke chehre mein dekhte huwe….. Anny bhi jaldi se khadi huwi aur Abhay ke bahon ko pakar kar poocha, “Kia huwa jaan? Kia tum papa ko pehle se jaante ho?”
Tab tak Anny ka papa uss ke karib aa ponhcha tha aur uss ne bahot ghusse mein Abhay se kaha, “Tum? Tumhari himmat keise huwi iss ghar mein daakhil hone ki? Nikal jawo mere ghar se issi waqt!” Anny ekdum heyraan apne papa ko dekhti to kabhi Abhay ke chehre ko aur poocha, “Kia hai yeh sab papa? Yeh mera Abhay hai!”
Papa: (ghusse mein awaaz buland karke) Han achchi tarah se jaanta hoon isse, yehi mila tha tumko apne jiwan saathi banana ke liye?
Anny: (darrti huwi awaaz mein) Papa kia hogaya? Aap keise jaante ho Abhi ko papa?
Papa: (bahot naraaz Anny ke chehre mein dekhte huwe) Kia kaha tha tumne yeh special hai? Jaanti hi isse? Ghunda hai, mawali hai, dusron ke ghar mein awara logon ke saath bequsoor logon ko darata dhamkata hai, maarta bhi hai gundon ke saath milkar. Hathyaar lekar dusron ke ghar mein ghussta hai bhai logon ke saath, phir itna maarta hai ke aadmi ko nah bhi karna hota hai to han kehdeta hai aur tum chahti ho ke main tumko eise gunde ke saath shaadi karne doon hargiz nahin kabhi bhi nahin chahe mujhe kissi ka khoon hi kyun na karna pade!”
Phir Anny ka baap apne shirt ki sleeves ko modte huwe Abhay ke taraf badhte huwe ussko ek dhaka deta hai aur zor se chilla kar kehta hai, Nikal jawo mere ghar se aur khabardaar phir kabhi idhar nazar aya ya meri beti se milne ki koshish kiya to, jaan lelunga tumhari….wahan par tum bhai logon ke saath gaye the jawo apne bhai logon ke saath mere ghar mein ghussne ki koshish karna, jail ka hawa khilwa dunga…. 20 saal ke liye jail bhej dunga, budhe hokar jail se nikloge!”
Abhay khamosh tha, kuch bhi nahin keh raha tha… Anny Abhy ki khamoshi dekh kar heyraan thi…..usski papa Abhay ko lagaataar dhaka de de kar kadam ba kadam Abhay ko lounge se darwaze ke taraf push karta jaa raha tha…Anny ki mummy bhi agayai aur rote huwe pooch rahi ke kia huwa, magar Anny ka baap itne ghusse mein tha ke uss waqt agar usske haath mein ek hatyaar hota to Abhay ko maar hi daalta woh…. Anny bhi rone lagi aur gidgirakar apne papa se explanation maang rahi thi, magar Anny ka baap chilla kar Anny ko kaha, “you shut up nahin to tumko ek eisa thapad marunga jo kabhi nahin laga ho tumko. Tum apne kamre mein jawo, abhi issi waqt its an order! Jawo….” Itne zor se ussne chillaya ke Anny rote huwe bhaag kar apne kamre mein chali gayi aur apni bed par leth kar zor se rone lagi…..
Abhay ko darwaze tak push kar diya tha Anny ke papa ne aur jab darwaze tak ponhcha to Abhay ne kaha, “Aap ko ghalat faimi hai, woh Saleem bhai koyi bhai whai nahin hai, aur uss raat ko zaroori tha uss tarah se karna nahin to……” Anny ka baap to laal babula ho raha tha aur kaha, “gaand bandh kar apna aur nikal jaa yahan se nahin to abhi main tere gaand mein itna laat marunga ke hagna bhool jaega, mujhe kia ullo samah rakah hai, main kia andha hoon? Jo kuch uss raat ko dekha aur witness kiya woh kaafi hai sab samajhne ke liye….. Zabardasti karte ho bhai ka sahara lekar aur majboor karte ho kissi ko kissi se shaadi ke liye…uss bhai ke haath mein lamba talwaar!! Weise hathyaar lekar kissi ke ghar mein ghuss kar maarna kissi ko jo bebus ho, yeh sab dekha main ne aur tum kehte ho ke mujhko ghalat faimi huwi hai?!!
Anny ke mummy ne beech mein ane ki koshish ki aur tab Anny Ka baap ne kaha, “Tum beech mein kuch mat bolo, issne tum logon ko khub behlaya thuga hai….. khabardaar agar isske saath koyi contact rakha to…… Anny ka mobile wapas lelo….ghar ki phone disconnect kar do….. Abe tu jata hai ke nahin, get out of my sight you bastard!” Ussne ek chaaku liya aur apne ghar ke upar chadh kar telephone line ko kaat diya, aur tab tak Abhay laachaar apne gadi ke paas jaa chukka tha Anny ke kamre ke room ke khirki ke taraf dekh raha tha….
Anny ka baap ne telephone line kaatne ke baad Anny ke kamre mein gaya aur usska mobile chinn liya aur uss mein se sim card nikal kar jala diya, aur Anny se kaha, “Aaj ke baad iss ghar se to kia iss kamre se tera nikalna bandh…. Badi shaadi ki padi hai tumko abhi teen chaar dinon mein teri shaadi karwata hoon apne ek dost ke bête ke saath uss kutte ko dikhata hoon main…….
Abahay wahan se laachaar, majboor, wapas chala gaya….. drive karte waqt woh Anny ke khayaalon mein khoya huwa tha, usske saath guzaare waqt, usski meethi awaaz, usski jism ki khushbhoo, inn sab ki achanak kami mehsoos hone lagi Abhi ko…. Woh kehte hai na ke jab koyi ass paas rehta hai to ussko hum for granted le lete hein, par jab achanak woh hum se door ho jata hai tab usski bahot yaad aati hai aur uss ke kareeb hone ki chah aur bhi bahr jaati hai…itne dinon se Anny Abhay ke saath saath tha to Abhay ko lagta tha ke ab unn donon ko koyi kabhi bhi juda nahin kar payega, aur kyun ke Anny usske saath saath thi har waqt to Abhay inn dinon shows aur rehearsals mein itna dooba huwa tha ke kayi dinon se Anny se pyar bhi nahin kiya tha thik se… Ab ussko bahot afsos ho raha tha ke ussne kitne dinon se Anny ko thik se apne bahon mein bhi nahin liya hai, ussko kiss tak nahin kiya hai… woh to London mein the tab aakhri baar pyar kiya tha donon ne usske baad aapas mein thik se baat bhi nahin kiya hai…… Abhi phir sochne laga kia kia plan kiya tha donon ne, apne bachon ke naam tak soch liya tha ussne….Anny usski maa ki parlour sambhalegi….yeh sab sochte sochte Abhi drive kar raha tha ke woh kiss gali mein kab entry kar gaya ussko pata bhi nahin chala aur jab hosh sambhala to dekha kissi aur sheher mein aa ponhcha hai…jana to ussko apne dance school tha magar woh khayaalon mein khoya drive kar raha tha ke kahin aur chala gaya aur khud ko pata nahin kab aur keise wahan aa ponhcha… accident bhi ho sakta tha…. Bawla sa gaya tha khud ko samajh nahin paa raha tha…na ro raha than a hanss raha tha bilkool ek putle ki tarah baitha tha driving wheel ke peeche, aur brake lagaya to apne aap ko ek anjaan sheher mein paya aur ussko kissi se poochna pada ke woh uss waqt kaun si sheher mein hein…… woh koyi 25 kilometeres ke duri par pohonch gaya tha drive karte aur bahot fast drive karta jaa raha tha…. Dimaagh ki haalat normal nahin thi…… usska sar dard karne lagga aur gadi se utarr kar ek coffee pine ko gaya kahin par…..
Udhar Ananya ke baap ne Ananya aur usski maa ko saamne bithakar bataya, “Yeh ladka meri Anny ke liye bilkool thik nahin hai, chahe woh Anny ke nazar mein sahi ho phir bhi main ussko bahot pehle se jaanta hoon. Pakka mawali hai woh aur bhai logon ke saath gunda gardi karta rehta hai, usske sathi bhi weise hi hein ussi ki tarah. Ek raat ko main apne ek client ke yahan gaya huwa tha kissi file ke silsile mein, aur yehi Abhay aya tha wahan kissi Saleem bhai ke saath jo ek bade talwaar se leyss tha aur meri to sach mein phatt gayi thi mujhe laga tha ke main bhi unn ke lapete mein ajawunga, khoon kharaba bhi karte hein yeh log, uss aadmi ka pata main ne baad mein lagaya aur pata chala ke woh kayi baar jail bhi jaa chukka hai yahan tak ke police bhi darrta hai uss se… kitna khatarnaak log hein woh aur yeh Abhay unn ke saath kaam karta hai… unn logon ke gang hote hein , kal ko iss ghar mein bhi weh ajayeinguey aur Anny ko utha le ja sakte hein…. Sala woh Saleem kasayi hai usska ek kasaayi ka dukaan hai, usske aadmi chaaron taraf hein sheher mein woh kuch bhi kar sakta hai….. iss se pehle ke woh log koyi eisi weisi kadam uthaye main Anny ki shaadi jaldi se karwa deta hoon. Mera ek dost hein bada business man hai, usska beta abhi abhi USA se aya hai aur woh shaadi ke liye ladki ke talaash mein hai, main unn logon se milkar baat tey karta hoon aur yeh shaadi 3;4 dinon mein ho jani chahiye….. koyi kuch nahin kahega koyi objection nahin chahiye mujhe….Anny tum bus ussko abhi ke abhi bhool jawo, samajh lo ke ek bura sapna tha…tum ne kaha na ke tumko agar choose karna pade mere aur usske beech to tum mujhko choose karogi to woh waqt agaya, ab main hoon ya who…..weise agar tumne ussko choose bhi kiya to main nahin hone dunga…. Agar meri beti ho aur mere posan paalan aur pyar ka khayaal hai to tum wohi karogi jo main chahta hoon my decision is final and that’s all!!”
Anny chup chaap baith kar ro rahi thi magar apne papa ke khilaaf nahin jaa sakti thi…Anny apne kamre mein jakar khub royi aur aakhir mein soch liya ke apne papa ke liye apne pyar ko kurbaan kar degi jo aksar ladkiyan kiya karte hein pariwaar ke khushi ke liye. Aur ussne atal faisla kar liya ke ab Abhay ko dil se nikaal degi… magar kia woh karna asaan tha Anny ke liye? Aur Abhay ka kia hoga? Kia woh iss sadme ko sehen kar paega? Woh to ek eise haadse se guzar chukka hai pehle hi…. Usski maa aur donon doston ko issi baat ka darr tha jab Anny usski zindagi mein aayi thi to…. Weh log issi baat se darr rahe the ke kahihn Anny bhi Abhay ko dhoka na dede pehli wali ki tarah….. ab kia hoga Abhay ka?! Keise saamna karega woh iss haalaat ka? Kia woh apni dimaaghi santulan par kaabu rakh paega? Kia Saleem bhai iss mein interfere kareinguey? Kia ussko iss baat ke bare mein pata chalega bhi?
Abhay 4/5 ghanton ke baad apne school ponhcha…. Iqbal, Vinay aur dusre sabhi dance masters classes le rahe the…school bhari huwi thi, sabhi class house full the…. Ek class Abhay ka bhi tha jiss mein students usska wait kar rahe the aur woh bahot der se school reach huwa…… andar jaate hi ussne sab ko release kar diya yeh kehte huwe ke usska tabiyat thik nahin aaj course nahin hoga. Aur class mein woh akela baith gaya ek chair par apne sar ko mez par rest karte huwe.
Jab Vinay ne dekha ke usske sabhi students wapas chale gaye to woh Abhay se milne gaya usske class mein….. Abhay apne aap ko sambhaalne ki puri koshish kar raha tha… apne jazbaat ko kaabu mein rakhne ki bharpurr koshish kar raha tha…. Bilkool roya nahin tha woh Anny ke ghar se nikalne ke baad….. ek dum khamosh tha….. sirf khayaalon mein gum tha….. ab, jab Vinay andar gaya uss se milne aur dekha ke woh apne sar ko mez par rakhe apne haathon ko sar par dhare baitha hai to Vinay samajh gaya ke koyi problem zaroor hai, magar kia problem hai yeh ussko pata nahin tha….. ussne dhire se poocha, “thik ho Abhay? Koyi problem?” Abhay ka dil bahot zoron se dharak raha tha, ussko lagta tha ke dhadkanein ab bandh ho jaeinguey…. Ussne apne sar uthakar Vinay ke taraf dekha aur kaha, “okay, thik hoon……” magar Vinay ko dikh gaya ke woh thik nahin hai….Vinay ka dil eise dharka jeise kissi khauff se dharakta hai kyun ke ussne Abhay ke enkhon mein woh gham dekhe jo Amita ko khone par huwe the…. Vinay ko bahot darr laga aur woh dawte huwe Iqbal ke kamre mein gaya aur kaha, “Yaar mujhe bahot darr lag raha hai….Abhay ko kuch huwa hai…. Usske chehre par woh dard dikh rahe hein jo Amita ko khone par the…..pata nahin kia huwa aur Anny usske saath nahin aayi aaj aur woh bahot late aya hai…. Oh my God please kuch weisa news mat dena humko….hamein bahot kuch karna hai abhi…humko Canada jana hai show ke liye aur Anny ka hona bahot zaroori hai shows mein…weh donon hi to main characters hein hamare shows ke…… Please hey Bhagwaan kuch bura mat hone dena,” Abhay ne yeh sab Iqbal se kaha aasmaan ke taraf pray karte huwe…..
Aur Iqbal ne kaha, “chal dekhta hoon to kia maajra hai….” Aur jab Iqbal Abhay ke paas gaya to ussne bhi wohi gham ke aalam mein Abhay ko ghera dekha aur ussko yakeen hogaya ke kuch zaroor huwa hai….. aur donon Iqbal aur Vinay baahar nikle aur aapas mein baat kiye….. Iqbal ne kaha, “Aaj Abhay Anny ke papa se milne wala tha, kahin wahan kuch huwa to nahin? Chal Anny ko phone laga abhi pata chal jaega…” Magar jab Anny ko phone kiya gaya to koyi response nahin araha tha…keise ata, sim card phone ke baahar tha aur phone Anny ke baap ke paas tha…doston ne Anny ka land line bhi try kiya magar kuch nahin huwa…. To donon wapas gaye Abhay ke paas aur uss se poocha, “Abhi, Anny kyun nahin aayi?” Aur Abhay ne ek dabe huwe awaz mein kaha, “Woh ab kabhi bhi nahin ayegi. Sab cancel kardo, koyi shows nahin hoga…… Canada walon ko email kardo ke sab cancel hogaya…….”
Donon doston ke samajh mein agaya ke kia huwa hoga aur Abhay ki uss haalat ko dekh kar donon ko bahot fikr huwa. Donon ek dusre ko dekh rahe the aur bahot ghamgeen hogaye the woh bhi; phir bhi baat ko puri tarah se janna chahte the to Vinay ne Abhay ke kandhon par haath rakhte huwe kaha, “Dekho yaar humko sab details mein samjhwo na please, hum ko pata hai kuch bura huwa hai magar humko samjawo ke eisa kia ho gaya jo yeh sab keh rahe ho, bolo to tum Anny ke papa se miley? Kia kaha unhon ne yaar?”
Abhay ne ek lambi sanss liya aur Iqbal aur Vinay ko baithne ko kaha. Donon dost baith gaye to Abhay ne kaha, “Yaar yaad hai jab hum Saleem bhai ko lekar uss Rakesh ke yahan gaye the teri behen ki shaadi ke silsile mein uss haram zade ko samjhane ke liye aur wahan par koyi aadmi tha Mr. Varma ke naam ka? Sala woh Anny ka baap nikla yaar!” Yeh sunkar donon dost khule munh heyraani se ek dusre ko dekhne lage aur Abhay ne bayaan jaari rakha, “Aur uss ne to hum teenon ko gunda mawaali samajh liya ussi raat ko aur Saleem bhai ko bhaiyon ka bhai samamjhta hai woh….. mafia ka baap samajhta hai Saleem bhai ko…ab ussska bhi dosh nahin uss raat ko hum log gaye hi the gundon ki tarah uss ghar mein upar se Saleem bhai ke haath mein talwar thi to Anny ka baap ussi ghalat faimi mein hai…”
Vinay ko bura lag raha tha ke usski behen ki wajah se aaj Abhay par tohmat lagaya jaa raha hai gunda hone ki. Magar Iqbal ne kaha, “Yaar to iss mein problem kia hai, hum Anny ke baap ko sab sach sach bata sakte hein nah! Hum jaakar ussko bata deinguey ke sahi baat kia hai aur Saleem bhai kia hai.” Abhay ne kaha, “Yaar pehle to woh tum donon ke shakal nahin dekhna chahega kyun ke tum donon uss raat ko mere saaath the, phir woh tum ko bhi gunde ke gang se samamhjta hai, woh sochega ke main ne tum donon ko wahan bheja hai kuch ulta seedha karne ke liye, baat aur bhi ziada bigar sakti hai….. Aur Iqbal kia kaha tumne? Saleem bhai ke bare mein batayega ussko? Kia wada liya tha uss raat ko main ne tum donon se, jiss raat ko main ne tum donon ko Saleem bhai ke bare mein bataya tha? Kia kaha tha main ne? Yeh ek bahot badi raaz ki baat hai aur kabhi bhi kissi keemat par bhi kissi par zaahir nahin hone deinguey, aur tum donon ne mujhse sachcha wada kiya tha kassam khaayi thi ke kabhi kissi ko nahhin batayeingeuy, to kia kaha tumne ke Saleem bhai ke bare mein ussko batwoge? Hein??”
Iqbal ne chehra badalte huwe kaha, “Sorry yaar magar iss haalaat mein main ne socha ke bata dena sahi hoga, magar sorry main apni kassam nahin todunga.” Aur Abhay ne ek baar phir donon se kassam liya ke kuch bhi ho jaye woh donon Saleem bhai ka raaz nahin batayeinguey Ananya ke pita ko. Aur donon ne phir se dusri baar kassam khaayi ke weh donon kuch nahin kaheinguey Saleem bhai ke bare mein Anny ke papa ko nah hi Anny ko na kissi aur ko.
Vinay ne poocha, “To Anny ne kia kaha jab usske pita ne tumko kuch ghalat kaha to?” Abhay ne jawaab diya, “Woh kia kar sakti thi yaar? Woh apne papa ko bahot chahti hai, har baar woh apne papa ki ghair mawjoodgi mein mujhse kehti rehti thi ke usske papa usske liye kitna aziz hai, woh behad pyar karti hai apne papa ko aur main nahin chahta ke ab meri vajah se woh apni papa ke khilaaf jaaaye….., main nahin chahta ke main Anny aur usske papa ke beech deewaar banun. Agar Anny apne papa ki baton ko maanti hai to wohi sahi yaar….” Aur yeh kehte huwe Abhay ke enkhon se itne der se sambhaale huwe ensoo chalak pade aur woh phoot phoot kar rone laga…. Aur jaldi se donon doston ne apne har dil aziz dost Abhay ko apne baahon mein lekar seene se lagaate huwe khud rone lage….. teenon ro rahe the… teenon ke samamjh mein ab bilkool nahin araha tha ke kia kiya jaye….. Iqbal ghussa bhi ho raha tha aur gham bhi tha Abhay ka; woh kuch karne ko soch raha tha magar darrta tha ke kahin kuch ghalat na kar baithe jiss se Abhay ko baad mein takliff howe…. Abhay sab sahi tarike se karna passand karta tha hamesha, apne bare mein woh kabhi bhi ghalat tarike se kuch passand nahin karta tha….. dusron ke madad ke liye ghalat tarika istemaal kar leta tha magar apne khud ke liye hamesha sirf sahi tarika apnata tha woh, aur yeh baat donon doston ko achchi tarah se pata tha…..
Vinay rone se chup huwa to Abhay ke chehre ko apne donon haathon mein lekar usski enkhon mein dekhte huwe, sanjidgi se kaha, “Dekh Abhay mere dost, tu buss apne aap ko sambhaalna, hum tumko khona nahin chahte yaar….tum apne jazbaat ko sambhaalna yaar….tum humare liye bahot ehem ho….. Hum nahin chahte ke jo Amita ke waqt huwa tha phir se huwe…tum sun rahe ho na main kia keh raha hoon Abhay? Bol yaar tum apne aap par kaabu rakh sakte ho nah yaar….” Aur Vinay zor se rone laga yeh baatein kehte huwe usske piche Iqbal bhi ro pada….
Phir Abhay ne kaha, “Don’t worry yaaro, main sambhaal lunga apne aap ko…tum log fikar mat karo… buss Anny ko bhoolna bahot mushkil hai dosto….usski yaad bahot satati rahegi…pata nahin kia kar rahi hogi…usske baap ne usski mobile chhinn liya, ghar ki telephone line bhi kaat dala aur Anny ko ghar se nikalne ko mana kar diya hoga…aur Anny weise bhi kabhi kahin aati jaati to nahin thi aur ab to bilkool milna nahin hoga yaar…..
Iqbal ne apne ensoo ponchte huwe kaha, “Yaar bhool ja Anny ko agar eisi baat hai to…. Bus thoda time lagega, bus tu bhool ja ussko ab…. Yun samajhle ke woh kabhi ayi hi nahin thi teri zindagi mein…. Kia tu yeh kar paega? Bol…..nahin to main kuch na kuch to kar hi dalunga yaar…tu bol Abhay….”
Abhay ne bhi apne enkhon par haath ko pherte huwe kaha, “Nahin tum donon mein se koyi kuch nahin karega ab…jo hona hai sab weise hi hone do ab…. Jo hona hai so to hoga hi….. bus kismat ke haath par sab chorr diya jaye…..” Magar Vinay ko yeh manzoor nahin tha, ussne kaha, “Kia kehte ho Abhay, kismat par keise chorr diya jaye? Kuch na kuch to karna hi hoga…. Kissi na kissi ko to Anny se ya usske pita se baat karna hoga, ya phir usski maa se…. ya tumhari mummy to baat kar sakti hai Anny ke pariwaar se…koyi na koyi to raasta hoga yaar….. kuch na kuch to kiya jaa sakta hai….”
Iqbal ne kaha, “Agar hum log Anny ko utha lein aur court marriage karwade tum donon ki to? Mujhe yakeen hai ke Anny zaroor ayegi hamare saath…” Abhay ne kaha, “main ne kaha na koyi ghalat kaam nahin kiya jaega? Aur Anny apne papa ke khilaaf nahin jaegi…. Agar tum log ussko lene bhi gaye to woh hargiz nahin ayegi…agar main bhi gaya ussko lene to woh nahin ayegi, main jaanta hoon usse…Jab tak usske papa han nahin kahegi Anny kabhi nahin raazi hogi mere saath aneko….”
Udhar Anny ka bhi bura haal tha magar ussko apne Abhay par pura yakeen tha phir bhi woh apne papa ke khilaaf kabhi nahin jaa sakti thi kyunke ussne apne papa ko hamesha se kaha hai ke agar woh kissi din ussko kissi bhi ladke ko naapassand karega to Anny uss ladke ko bhool jaegi. Aur ab Anny ka imtehaan ka ghadi tha woh kia karein apne papa ki baat ko maein ya sab bhool jayein aur apne Abhay ke paas chali jayein sab chor chaar kar? Badi duvida mein thi woh, ussko bhi chain-o-sukoon nahin tha, raat raat bhar jag rahi thi, enkhon mein neend na dil ko chain…..
Aur uss taraf Abhay raat ko mobile ko takte takte ro raha tha Anny ki meethi awaaz ko sunne ka mann kar raha tha ussko aur bahot betaab aur niraash tha. Dil ki dhadkan jeise band ho jaye eisa lag raha tha ussko. Apni maa se ussne kuch bhi nahin kaha aur khaamosh apne kamre mein band kiya huwa tha apne aap ko. Khane ke waqt jab maa ne awaaz di to ussne kaha ke ussko bhook nahin aur maa ko khana khaane ko kaha. Usski maa ne socha ke Anny se baatein kar raha hoga har raat ki tarah aur shaayad kuch khaa pee liya hoga Anny ke saath issi liye nahin khaega to maa ne ziada ghaur nahin kiya usski situation par uss raat ko.
Raat ko 2 ya 3 baje Abhay soya bilkool nahin tha aur usska sar dard kar raha tha. Uss taraf Anny bhi nahin soyi thi. Aur Abhay ko achanak Anny ke ghar jane ko sujha jeise ek baar beech raat mein gaya tha. Ussne socha Anny ke papa to uss waqt neendh mein hoga aur woh Anny ke khirki khatkhatega aur usske kamre mein daakhil ho sakta hai to Anny se baat ho sakti hai at least aakhri baar ke liye….. To ussne gadi nikaali aur chal pada subha ke 3 baje Anny ke ghar ko. Kia who sahi kar raha tha? Kia hoga agar Anny ke papa ne kissi tarah se dekh liya to? Kia Anny ussko andar ane degi? Kia woh Anny se baat kar paega? Yeh sab sochte huwe Abhay drive kiye jaa raha tha Anny ke ghar ke taraf…..
Udhar Anny sochte sochte khud se gambhirta se kaha, “Main apne pyar ko apne papa ke khushi ke liye qurbaan kar dungi. Pyar kia hota hai? Papa ne mujhko paal poskar itna bada kiya, mere bachpan se lekar aaj tak dekh bhaal ki papa ne, Abhay to aaaj meri zindagi mein aaya, papa se tulna kiya jaye to Abhay to kuch bhi nahin papa ke saamne. Main ne papa se hamesha kaha hai ke main kabhi bhi usske khilaaf nahin jawungi, to aaj kyun Abhi ke waja se apne papa ki baat ko thukrawun? Nahin nahin! Eisa nahin ho sakta- papa aakhir papa hai usska ziada haq hai mujhpar, main wohi karungi jo papa kahega. Main ussi ki baat manungi. Jawo Abhi main ne abhi se issi waqt se tumko bhoola diya, nikaaal diya tumko apne dil se, mat yaad awo mujhe ab, main koyi nahin lagti tumhari, ek bura sapna samajh kar bhool jawungi tumko main…. Han jaanti hoon dukh hoga tumko bahot magar main apne papa ke khilaaf nahin jaa sakti Abhi mujhko maaf kardena. Koyi baat nahin dil hi dil mein zindagi bhar tumko pyar karti rahungi magar kissi ko nahin pata chalega, tumko bhi nahin. Main ne pyar sirf tumse kiya magar apne papa ke khaatir main wohi karungi usske khushi ke liye.” Anny khud se badbada rahi thi aur than liya tha ke wohi karegi ab.
Yeh abhi ki budnaseebi dekho yaaro. Agar koyi ek ghante pehle Abhay ghar se nikalta to shaayad Anny ne yeh sab nahin kaha hota apne aap se. Shaayad tab woh khushi khushi Abhi se mil leti. Magar yeh dil mein thaan lene ke baad kia woh Abhi se milegi? Chalo dekhte hein kia hota hai…..
Pichli baar ki tarah, Abhi ne uss bus stop ke paas apne gaadi ko park karke choron ki tarah ahiste ahiste chalkar Anny ke room ke khirki ke paas gaya. Usska dil bahot zoron se dhadak raha tha. Charon taraf andhera to tha hi magar Anny ke kamre mein light on dekh kar Abhi ko tassali huwi ke chalo woh bhi jaag rahi hai. ‘Keise neend ayegi ussko jab main nahin so raha hoon’ Abhi ne socha. Ussko pichli baar itna darr nahin laga tha jitna iss waqt lag raha tha Anny ke khirki khatkhatane ko. Shaayad iss liye ke uss baar Anny ka baap nahin tha yahan; aur ab achaanak Abhi ne socha, ‘kia hoga agar aaj Anny ke papa ne jaan bujh kar Anny ko kissi dusre kamre mein shift kar diya ho aur khud iss kamre mein so raha ho to?!!’ iss khayaal se to Abhi ghabra hi gaya aur socha ke maamla to bahot ziada bigar jaega agar weisa huwa to? Agar Anny ka baap ne raat ko 3 baje ussko usski beti ke kamre ke paas dekh liya tab to kayamat ajayegi!! Yeh sochkar Abhi ka pasina chhuth gaya halaan ke thandi hawa beh rahi thi baahar. Ab Abhi pareshaan ke kia kare! Ghurnon ke bal khirki ke niche pada tha phir chor ki tarah sar ko upar karke kamre ke andar dkhne aur sunne ki koshish kar raha tha. Parda khincha huwa tha kuch bhi dikh to nahin raha tha magar Abhi ne ek lambi saanss liya aur enkhon ko band karke meditate kiya. Apne aap se kaha, “agar mera pyar sacha hai to mujhko apni mehbooba ki iss kamre mein mawjoodgi ka pata chalna hai, agar Anny iss waqt iss kamre mein hai to usski khushbhoo mujh tak zaroor ana chahiye ya usski kadmon ki aahat sunaayi dena chahiye, keise bhi karke mujhko apne pyar ka pata chalna hi chahiye……..”
Yaaro manon ya na manon sacha pyar, sacha iskh mein ek ajeeb si taaqat hoti hai jo tab anumaan lagaya jaa sakta hai agar uss tarah ka pyar kiya jaye. Ishk uss junoon tak pohonch jaati hai jahan khudaayi bhi nahin pohonchti agar ishk sacha aur gehra ho to. Khudaayi bhi karwat badal leta hai jahan sacha aashik apna rukh karta hai eisa suna hai kayi baar. To kia Abhay ki muhabat mein woh taaqat hai ke kuch eisa hota iss waqt? Chalo dekhein kia kudrat Abhay ke dil ka haal sun raha tha aur kia kudrat usska saath deta hai iss waqt?
Yaaro Abhay jeise ibaadat karne laga apne enkhon ko mundhe huwe kissi aur dunya mein pohonch gaya, junoon ki had paar kardi ussne iss tarah ka meditation kiya ussne uss khirki ke niche baithkar… itni gehraayi se Ananya ke soch mein dooba aur iss tarah se usska naam labon par laya ussko sochte huwe aur mehsoos karte huwe unn lamhon ko yaad kar kar ke jo ussne Ananya ke saath guzare hein ke ussko khud laga ke uss waqt woh Ananya ko apne bahon mein bhare huwe hein aur kissi aur dunya mein hai. Usske enkhon se ensoo beh rahe the magar khud ussko pata nahin tha. Uss ke jism tharthara raha tha magar woh anjaan tha, kudrat usske saath tha uss waqt magar woh naawaakif tha, usska message khudaayi Ananya tak kissi bhi zarye se ponhcha raha tha magar kissi ko pata nahin tha…… woh to diwane ki tarah, majnu jeisa apne pyar ko yaad aur mehsoos kar raha tha bus, ussko kia pata ke uss waqt kaenaat usska saath de raha tha…….
Huwa yeh ke kamre ke andar Ananya ko sab sochte sochte, apne papa aur Abhi ke beech tulna karte karte ussko garmi si chaa gayi aur thandi hawa khaane ke liye Ananya ne achanak khirki kholi parde ko hata kar ek lambi saanss lene ke liye apni gardan baahar kiya to Abhay ko saamne paaya kyunke uss waqt, thik ussi waqt Abhay ko usski khusbhoo naak ke naaliyon ke zarye dimaagh mein utar aya aur woh khada hogaya apni muhabat ke saamne…….. Anny ke kamre ka ujala Abhay ke chehre par tha aur Anny ki nazrein usspar yakayak Anny ki sansein thami reh gayi aur woh jeise baraf bankar jam gayi thi wahan…….
Anny ghabra si gayi aur mudkar piche apne kamre ke darwaze ki taraf dekha phir Abhay ko dekhte huwe dhire se kaha, “Tum chale jawo abhi ab hum nahin mil sakte chale jawo please!” Abhay diwane ki tarah ussko dekh rahi thi aur ensoo bhare enkhon se thartharaati awaaz mein kaha, “Chala jawun? Chala jawun jaan meri? Achi tarah se sochkar keh rahi ho nah? Kahin eisa na ho ke mere lawtne ke baad pachtao aur khud se kaho ke kyun mujhko lawta diya khaali haath?!”
Anny ne Abhi ke dard bhare awaaz ko beech mein rokte huwe kaha, “Nahin pachtawungi, bilkool nahin pachtawungi, ab hamara koyi rishta nahin raha woh sirf iss liye ke mere papa nahin razi hai, bus sirf issi liye, mujhe tumse koyi shikwa gila nahin, tum ne to mujhe woh khushi di hai ke zindagi bhar talaashne se kissi kissi ko milti hai dunya mein, main khush kismat hoon ke mein tumhare saath itne dinon tak rahi, ab budkismat hoon ke tumse bicharna par raha hai….mujh mein apne papa ke khilaaf jane ki himmat nahin aur naa hi jana chahti hoon. Abhi please issko hamare taqdeer ka likha maankar sab bhool jawo aur mujhe maaf kardo please aur han apna khayaal rakhna, main nahin chahti hoon ke mere wajah se tum ko kuch huwe.. wada karo ke tum apna khayaal rakhoge…. Wada karo Abhi….” Yeh itna kehte kehte Anny ko khud pata nahin chala ke kab ussne Abhi ke donon haathon ko zor se thaam liya tha…. Hosh sambhala to jhat se apne haathon ko alag kiya……
Abhay usski enkhon ki gehraayi mein doob gaya tha aur sab kuch samajh gaya aur ussko kuch bhi kehne ki zaroorat nahin pari, bus sirf itna kaha, “Thik hai meri jaan, thik hai, aur kuch mat kaho main sab samajh gaya…..bus itna zindagi bhar zaroor yaad rakhna kabhi bhoolna mat ke tum meri ruh mein bassi huwi ho aur bassi rahogi jab tak main iss dharti par para rahunga, koyi aur iss ruh mein nahin ayegi mere aakhri dum tak kabhi bhi mat bhoolna iss baat ko, alvida meri pyari Ananya.” Itna kehkar Abhi wahan se nikla aur mudhkar dobara wapas nahin dekkha, seedha apni gaadi tak pohcha aur ghar chala gaya.
Ananya khirki par khadi ussko mudne ka intezaar karti rahi, street lights ke roshni mein ussko Abhi jate huwe nazar to araha tha aur woh intezaar karti rahi ke Abhi ussko ek aakhri baar mudhkar dekhega magar Abhi nahin muda aur Anny khirki bandh karke apne bistar par lethkar khub royi apne kismat ko koste huwe. Woh apne aap ko bhi koss rahi thi ke ussne kyun Abhi ko itna kuch keh diya kyun ussko wapas jane ko kaha, kyun Abhi ko kuch kehne ka mawka nahin diya ussne…. Woh sochne lagi, ‘pata nahin Abhi kia kehne ko aya tha, shaayad usske paas koyi upaaye tha hum donon ke liye, shaayad woh kuch kar sakta tha, woh mujhe apne seene se lagana chah raha hoga, kyun main ne ussko andar ane ko nahin kaha, kia pata woh akhri baar hi sahi mujhe gale lagana chata tha……’ yeh soch sochkar Anny bahot royi…magar ab rone se kia faeda jab chidya chug gayi khet….
Subha ka pehla kiran jab Anny ke kamre ke andar daakhil huwa to Anny ke takiye bheege huwe the ensoowon se aur uss suraj ki kiran ko Anny ne pranaam karne se inkaar kiya. ‘Jaa, chali jaa, mujhko andhere mein rehne de ab teri zaroorat nahin mujhe, zindagi to meri andheri ho gayi mere abhi ke bina to tera kia kaam ab chali jaa yahan se’ yeh badbadaya Anny ne suraj ke kirnon ke saath…..
Udhar Abhi apne bistar par lete chhath ko taak raha tha dil ki dhadkanon ke tez raftaar ko mehsoos karte huwe, aur enkhon ke nammi ko palkon se jhapakte huwe. Ek lambi saans lene ke baad woh apni maa se milne gaya rasoyi ghar mein. Maa ko taajub huwa ke who itni jaldi keise uth gaya aur kitchen mein kia karne aya, to heyraani se ussko dekhte huwe kaha, “Are aaj suraj uss taraf se uga hai kia?” Abhi apni maa ki enkhon mein dekhte huwe uss ke taraf badh raha tha ahiste ahiste, tab usski maa ne dekha ke usske palko se paani chalane hi wala tha aur usske honth tharthara rahe the, to maa ne jaldi se apne kadam usske taraf badhate huwe heyraani se poocha, “Are Abhi kia huwa? Kia huwa beta?” Tab tak Abhi apni maa ki baahon mein ek chote bachche ki tarah rone laga…..
Maa ne ek haath se ussko sambhala aur ek haath usske sar ke baalon mein pherte huwe dard bhari awaaz mein poochti gayi, “Are bol to huwa kia? Kyun itna ro raha hai, tere aur Anny ke beech kuch huwa kia re?”
Abhay ne bahot zor se rona shuru kiya chilaakar, khulkar bahot zor se rote huwe kaha, “Meri aany kho gayi maa, ab woh mujhe kabhi nahin milne waali, main ne kho diya usse maa, kho gayi meri Anny maa, main kuch nahin kar saka maa aur woh kho gayi, main bebus, laachaar dekhta raha aur meri Anny kho gayi maa…..”
Ek awrat roti hai to roti hai sab ko pata hota hai, magar jab ek mard chilla kar zor se rota hai to kaleja phat jata hai, khaaskar jab woh mard apni maa ke saamne weise rota ho to…… maa se dekha nahin gaya, suna nahin gaya aur woh khud rone lagi puchte huwe ke kia huwa aur keise huwa…..
Kaafi der rone aur bilakne ke baad, naak ko ponchte huwe Abhi ne apni maa ko sab bataya….. maa ne sujhav di, wahan jaakar Anny ke papa se baat karne ki baat ki magar Abhay ne mana kar diya ke jab Anny khud nahin chahti to kyun baap se mila jaaye….. Abhay ne maa se kaha ke ab usski kismat par sab chorr diya jaye….
Maa ko bahot fikar hone lagi kyun ke woh nahin chahti thi woh haadsaa dohraya jaye jo usski pehli muhabat ke lootne ke waqt huwa tha… ussko darr tha ke kahin Abhay sehen naa kar paaye aur apne dimaaghi santulan kho baithe…. To Abhay ki mummy ne Vinay aur Iqbal se phone par kaafi der tak baatein ki magar woh donon bhi laachaar the kyun ke khud Abhi nahin chahta tha ke koyi bhi usske liye koyi bhi kadam aguey badhayein…..
Abhay din bhar ghar par hi raha aur Vinay aur Iqbal ne school sambhaale. Aur Ananya ke yahan usske papa kahin gaye huwe the aur wapas aaye to do aadmi usske saath aaye. Unn mein se ek usska dost tha aur dusra uss dost ka jawaan beta. Ananya ko dikhane ke liye laye gaye the unnko. Anny ke papa ne Anny ko tayaar karwake unn logon ke saamne pesh kiya aur ladke ne ussko passand karli dekhte hi aur kia baatein ki gayi thi ke agle teen din mein shaadi ka din bhi fix kar di gayi.
Woh aadmi ek mashoor business man tha aur woh ladka usska ek lawta suntan tha. Anny ne to usska chehra bhi nahin dekha thik se sirf apne papa ke khatir han kiya aur shaadi ke liye raazi hogayi yeh kehte, “Papa aap jo bhi sahi samjhe kijiye aap mere papa ho aap to mera bhala hi karoge nah?!”
Do din baad Abhay ko keise bhi khabar milhi gayi ke Ananya ki shaadi hone jaa rahi hai kissi raizade ke saath. Kia karta woh. Chup raha. Vinay aur Iqbal donon Abhay se ghar par milne ko aye, aur teenon dost ek saath milkar roye magar phir bhi Abhay ke donon dost ab bhi zid kar rahe the ke weh Anny ko utha laaye aur donon ko bhaga de yahan se. Yahan tak ke josh mein aakar Abhi ke maa ne bhi donon doston ka saath diya aur unn donon ko Anny ko uthane ke liye kaha. Faisla yeh bhi huwa ke saleem bhai ka sahara liya jaye Anny ko uthane ke liye.
Magar Abhi ko yeh bilkool manzoor nahin tha. Gham ke haalat mein ussne sab ko samjhaya ke jo usske kismat mein hone ko likha hai wohi hoga kissi ko kuch karne ki zaroorat nahin. Aur ussne dhamki di ke agar unn logon ne usske khilaaf kuch bhi kiya to woh kuch kar baithega. Ussko pata tha ke agar Anny ko uthaya gaya to Anny khud apne papa ko uss sharmindagi ka saamna karna nahin degi, sab aur bhi ulajh jaega. Abhi haalaat se samjhawta karne ki koshish mein laga huwa tha bhale hi who naamumkin tha. Donon dost laachaar apne ghar wapas lawte.
Magar bina Abhi ko kuch bataye donon Anny ke ghar gaye, Anny ko uthane nahin magar uss se ek aakhri baar milne aur baat karne ke liye. Raaste mein se Anny ke ghar pohonchne se pehle donon ne Abhay ki maa ko phone kiya aur ussko bhi saath ane ko kaha. Abhay ki maa ne uss se kaha ke ussko ek dost ke yahan jana hai to woh chali gayi Vinay aur Iqbal ke saath.
Wahan jeise hi pohnche gate par Anny ke papa ne Iqbal aur Vinay ko pehchaan liya aur donon ko gali galoch ke saath dhitkaar kar baahar nikalne ko kaha. Magar Abhay ki maa ko to who kuch nahin keh saka aur woh andar chali gayi Anny ke maa se baatein karne….. ghar ke aangan mein donon doston aur Anny ke papa ke beech oonchi awaaz mein behez ho rahe the. Anny ne andar se suna to jaldi se apne papa ke bagal mein aakar khadi huwi aur Vinay aur Iqbal se wapas laut jaane ke liye binati ki. Anny ke baap ne kaha,
“Gunde mawaali ho tum sab, yeh to shukar hai ke uss raat ko main wahan mawjood tha to tum sab ke kaarnaamein dekhe nahin to main to apni beti ke khushi ke liye iss rishte ko manzoor hi kar leta- Bhagwaan ka shukar hai ke main tum logon ka asliyat pehchaanta hoon kuton kaminon!”
Iqbal ne ghusse mein jawaab diya, “Varma saahab aap ko jiss din asliyat ka pata chalega to khoon ke ensoo rowoge aap, aur naaz karoge hum sab par. Agar uss raat hum wahan nahin hote to ek beti ka baap ho nah, to socho agar aap ki beti ke liye hum wahan gaye hote uss waqt tab kia ap yehi kehte? Kamaal hai bina jane samjhe hum ko gunda mawali keh rahe ho aap, pehle baat ki jarr tak ponhcho phir bakna jo bakna hai, aap ki jagah koyi aur hota to ab tak main ne usska thopda lahu mein rang diya hota abhi!”
Varma saahab bhi ghusse mein laal hokar chillate huwe kaha, “bandh karo apni gandi zubaan. Main police ko phone karun kia? Jate ho yahan se ya dhakka dekar nikalun?”
Tab Vinay ne zara narmi dikhane ki koshish ki aur kaha, “Dekhiye sahab, ghusse mein baat karne se koyi hal nahin nikalta, aap khud apni beti se poochiye kia woh khush hai iss shaadi se jo kal hone wali hai? Itni jaldi hadbadahat mein koyi shaadi hoti hai bhala? Aap please unn donon ko mila dijiye aap ka bahot bhala hoga aur dekhna aap ko khud apni decision par garv hoga…. Magar eise jaldbaazi mein faisla lene se sab bigar bhi sakta hai Sir, please aap Ananya aur Abhay ko juda mat kijiye weh donon ek dusre ke baghair nahin reh sakte, hamara dost bahot kumzor hai ussko kuch ho sakta hai, hum log usske liye bahot fikarmand hein pata nahin kia ho jaye ussko Anny se bicharne par aap zara sochiye kia aap thik kar rahe hein do masoom dilon ko alag karke?”
Anny ke papa ne phir bhi oonchi awaaz mein kaha, “Bhaad mein jaye tumhara dost. Mujhe kia lena dena ussko kuch huwe ya nahin woh tum janon.” Vinay ko yeh sunkar bahot ghussa aya aur ussne bhi chilla kar kaha, “Mister Varma agar aap Ananya ka baap nahin hote to mera haath uth jata abhi aap par, mere dost ke khilaaf ek bhi lavz agar kaha nah to aap ke dant aap ke peth ke andar honge issi waqt!” Tab tak Anny dawd kar Vinay ke paas aayi aur ussko ek thapad maarte huwe kaha, “tum kaun hote ho mere papa ko dhamkane wale? Chale jawo yahan se mera Abhay se koyi naata nahin suna tum logon ne? Get the hell out of here now!”
Tab tak Abhay ki maa Anny ke papa ke piche khadi thi Anny ke maa ke saath aur woh aayi Anny ke paas aur kaha, “Shaabaash beti, shaabaash bahot khub sila diya tumne mere bête ke pyar ka jawo khush raho, chalo tum donon yeh log kuch nahin samajhte pata nahin kyun mere bête ne iss ladki ko apnaya tha!”
Aur niraash hokar weh log Anny ke yahan se nikle. Raatse mein lawtte waqt Iqbal ne kaha, “Yeh Anny ko kia ho gaya kyun ussne eisa kaha Abhay ke liye? Woh to diwani thi usska?!” Abhay ki mummy boli, “Woh apne pyar ko qurbaan kar rahi hai bête, woh apne papa ke liye apne pyar ka balidaan de rahi hai, usski maa ne andar mujhko sab kuch bataya. Ab woh bhi kia karein bechaari, woh bhi to musibat ki maari hai chalo jane do kehte hai na ke jo hota hai ache ke liye hota hai shaayad iss mein bhi kuch achcha hi ho! Rehne do bhool jawo sab kuch ab bus apne Abhi ka ziada khayaak rakhna hai…..” to donon ne ek hi awaaz mein kaha, “Han maa ji zaroor hum sab Abhi ka ziada khayaal rakheinguey.”
Ghar lawtne par Abhay ki mummy bilkool heyraan rehgayi jab Abhay ne poocha, “Kyun maa apni beizati karwa aayi Anny ke ghar se nah?” Mummy ji ki dil ki dhadkan tez ho gayi aur Abhay ke kareeb jaakar usske paas baith kar poocha, “Tumko keise pata chala ke main wahan se aarahi hoon bête?”
Abhi bola, “Maa main khud nahin jaanta, jo kuch bhi Ananya se juda hota hai mujhko ek ajeeb se kashish si mehsoos hoti hai, usski tarap mujhko yahan feel hoti hai, aap logon ko ussne thukraayi hogi par iss waqt who apne kamre mein badh ro rahi hogi, uss par kia beet rahi hai mujhe achchi tarah se pata hai maa…. Woh khud hi jaanti hai ke kiss tarah ussne apne papa ko han kaha kissi ko naa chahte huwe bhi apne pati maanne ke liye…zara usski jagah hokar sochiye na maa kitni takliff mein hai woh iss waqt!”
Apne bête ke inn baton ko sunkar usski maa ki enkhen bharr aayi aur Abhay ko zor se seene se lagaakar rote huwe kaha, “Tu kiss mitti ka bana hai re Abhay? Tujhpar khud itna kuch beet raha hai aur tu phir bhi usski taklifon ke bare mein soch raha hai? Keisa pyar hai re tera? Bhagwaan eise pyar ko kyun juda kar raha hai bhala?” Aur sar upar uthaakar aasmaan ki taraf dekhte huwe mummy ji ne kaha “Kia baat hai ey upar wale mere bête ko chain aur sukoon de!”
Abhay ek diwane ki tarah zameen par baitha huwa tha deewaar se peeth kiye huwe aur chehra bilkool uthra huwa tha usska, shakal se bilkool paagal dikh raha tha, balke lag raha tha ke ek bewda baitha hai zameen par khayaalon mein dooba huwa.
Raat ke 10 baje Abhay achanak apne kamre se nikla aur maa ke paas aakar kaha, “Maa mujhko har cheez mein sirf Anny dikhaayi de rahi hai, usski bahot yaad aarahi hai maa, pata nahin woh kiss haal mein hogi iss waqt, woh tarap rahi hogi maa…. Mujhse raha nahin jaa raha maa, har taraf usski tasveer dikhaayi de rahi hai, apne kamre ke har cheez mein Anny bassi huwi hai, maa, TV set par, bistar par, farsh par, zameen par, takiye par, chaadar par har jaga sirf Anny dikh rahi hai maa main ussko nahin bhoola pawunga maa main kia karun maa main kia karun…..” yeh kehte kehte woh ek chote bache ki tarah rone laga aur maa ne ussko seene se lagate huwe kaha, “bus bus chup hoja, yeh tera pyar hai usske liye issi liye tujhko eisa lag raha hai, usski fikar chorr aur apne bare mein soch, kia woh khush hogi agar ussko pata chala ke tu itna udaas hai aur ro raha hai? Hmm tumko khushi khushi ussko jane dena chahiye, apne dil se bhi aur dimaagh se bhi….ahiste ahiste sab thik ho jaega bête…bus soja ab, aaj yahin mama ke paas soja mere laal…….”
Maa gehri neendh mein thi jab raat ke 2 baje Abhay ghar se nikla….. din mein Anny ki shaadi hone wali thi…. Abhay ko yeh yaad tha…… ek paisa bhi jeb mein nahin, uss ka switch off mobile jeb mein, ek tshirt, jean aur jacket pehne huwe Abhay chal pada, kidhar ke liye kissi ko pata nahin……..