If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Yaaro iss update ka ek title rakh diya main ne yahan kyun ke “The dream” assal mein zindagi ki ek eisi hakikat hai jo hum sabhon ki zindagi mein kabhi na kabhi to ata hi hai. Magar kia hum sab uss hakikat ko ghaur se kabhi baith kar kabhi sochte aur gehraayi se uss par vichaar karte hein? Chalo dekhte hein “The dream” ‘Ek khwab’ ya “who sapna” kuch bhi kehlo……. to dekhte hein iss sapne ka iss kahani se kia taalukaat hai.
Ananya ek raat ko bilkool chillaakar zoron se rote huwe uthi Abhay ke bistar par pasine mein tarr; Abhay ki maa sunkar dawdte huwe aayi ussko dekhne ke kia maamla hai.
Jeise ke main ne pehle keh diya hjai ke Ananya ab ziada samaye Abhay ke ghar par rehtii hai apne hone wali ya saas hi keh lijiye. To raat ko dinner ke baad sone gayi har raat ki tarah Abhay ki yaadon mein khoye. Aur jab Abhay ki mummy ponhchi uss ko dekhne to Anny apne aap ko sambhaal nahin paa rahi thi itni ro rahi thi ke lagta tha usske dil ki dhadkan band ho jaegi. Mummy ji poochti rahi ke kia huwa magar Anny ke gale se awaaz tak nahin nikal rahi thi, aur jab Mummy ji ne ussko gale se lagaya to mehsoos kiya kitne zoron se Anny ke seene mein usska dil dhadak rahaa hai, jeise ussko ek dil ka dawda padne wala ho…..
Kayi baar poochne ke baad Anny ne sisakte huwe kaha, “Maa ji….main….main…. main ne dekha aur mehsoos bhi kiya…..ke……. ke…..mummy ji main nahin bol sakti…” itna kehkar Anny phir bahot zoron se rone lagi apne chaati ko peethte huwe….. ussko uss tarah se rote huwe dekh kar Abhay ki maa bhi ro pari andaza lagate huwe ke Anny kia kehna chahti hai aur uss se kaha, “Mat ro meri bachchi, eisa kuch nahin hoga, Bhagwaan itna kathor, nirday, nahin ho sakta….”
Tab Anny ne kaha, “Maa woh mere saath the, bahot saare log ghar mein jamah the, ussko wahan letaya gaya tha main usske gaal par apne haath ko pherte huwe ussko mehsoos kar rahi thi….aur bahot ro rahi thi, maa Abhay ko kuch huwa hoga maa…main keise pata lagawun maa…….” Phir Anny mummy ji ko zor se gale lagakar ek chothi bachchi ki tarah rone lagi…… Dekhha nahin jaa raha tha Anny ka rona, lagta tha ek chothi si masoom bachchi kissi khilone ke khone ya tootne par ro raha ho aur mummy ji ke samamjh mein nahin araha tha keise ussko sambhaalein…… To Anny ki zubaani na sahi meri zubaani uss sapne ko dekhte hein aur sunte hein……
Abhay ki laash padi huwi hai lounge mein aur bahot saare log jama huwe hein ghar mein Abhay ki maa bilag bilag kar ro rahi hai aur Anny uss laash ke saamne, sar ke taraf baithi hai ek safed libaas mein Abhay ke chehre ko dekhte huwe aur jhar jhar ensoowon ke dhaar mein kehti hai,
“Kyun chale gaye tum Abhi, mujhko akeli chorr gaye yaar!! Main ne kitna dhunda tumko meri jaan, ab main kisska intezaar karungi? Kisske lautne ki raah dekhungi? Mere Abhi tum ne kyun eisi sazaa di hai mujhko? Dekho main tumhare yahan rehti hoon, papa maan gaye Abhi, hum donon ab ek ho sakte the to tum kyun chale gaye mujhko akeli chorr kar Abhi, lawt awo Abhi please lawt aawo….. dekho main ek baar vidwa ban chuki hoon dobara mat vidwa banawo mujhko Abhi lawt awo please Abhi lawt awo!!” Yeh kehkar Anny chaaron taraf logon ke bhhirr mein dekhne lagi aur sab log usski tarap aur baton ko sunkar ro rahe the, to Anny baawli jeisi idhar udhar dekhte huwe apne sar ko upar uthaakar Bhagwaan se kehti hai,
“Mere Abhay ko wapas lawta do upar wale, tum to sabka paalanhaar ho, tum to kuch bhi kar sakte ho, ek chamatkaar hi kardo Bhagwan, kuch bhi karo mere Abhay ko wapas lawta do, tumhare liye to yeh maamooli si baat hogi, mujhe bheek mein Abhi wapas dedo…. Dekho ek se shaadi ki to woh chale gaye aur mujhko kaha gaya ke main ne ussko kha liya ab Abhay chala gaya to log to yehi kahaeinguiey na ke main sach mein dayan hoon… sab ke munh band karwado ey Bhagwan mere Abhi ko phir se jiwit kardo please…. Main aur kisske aaguey haath jodun tumhare ilawa koyi bhi to yeh nahin kar sakta….mujhpar taras khao please mere Abhay ko lawta do……”
Anny ne yehi sapna dekha aur eisa mehsoos huwa ke sab hakikat hai aur beet rahi hai uss par. Uss sapne ka har ek lamha, har ensoo, har ek tarap Anny mein zinda the aur jaagne ke baad bhi ussko wohi feelings ho rahe the aur usska dil jeise uss waqt dhadak raha tha, jaagne ke baad bhi weise hi dhadak raha tha aur usske ensoo sapne mein se jaagne par jaari the….. Anny bilkool bekaabu thi aur apne aap ko nahin sambhaal paa rahi thi……
Ab sochna yeh hai dosto, kia hum kabhi uss lamhe ko sochte hein ke ek din hum laash banne ek chataayi par lete honge aur hamare ghar wale, pyar karne wale, hamare ird gird maatam mana rahe honge?? Ya kia kabhi hum yeh gehraayi se sochte hein ke jissko hum sab se ziada chahte hein woh ek din laash bankar hamare enkhon ke saamne pade honguey aur hum kuch nahin kar payeingeuy? Woh waqt kitna dardnaak hota hoga jab koyi eise haalat ka saamna karta hoga?
Ab hum khud ke bare mein sochein aur jo humse be inteha muhabat karte hein uss ke bare mein sochein jeise Anny par beeta weise usski jagah jaaakar sochein…. Ab dyaan iss baat par dein ke woh jo hamare sab se nazdeek hote hein, hamare har ek jism ke ang ko jaanta/jaanti hai, hamare muskurahat ko pehchaanta/pehchaanti hai, hamare awaaz se waakif hai, hamare chehre ko passand karti/karta hai….. hamare balon ko chahta/chahti hai, hamare ungliyon se ko Jakarta/jakarti rehti/rehta ho…… ek eise shakhs ke saamne hamara laash pada ho to usspar kia beetta hai kia hum kabhi eisa sochte hein?
Kia humne kabhi eisa socha ke ek din hamara laash pada hogaa aur hamare chahne wale ekatha honge hamare chaaron taraf aur hum pade honge zameen par bina sannss liye, bina hilte dolte huwe….tab koyi jo humse bahot pyar karti/karta ho woh hamare gaal ko chuwe, hamare baalon ko chuwe, hum se baat kare rote huwe par hum kuch nahin kar paayein usske liye….. kia manzar hoga woh yaaro!!....... baad mein humko uthakar ya to dafnaya jaega kissi zameen ke andar ya jalaya jaega uss shareer ko jiss par kissi ko kabhi naaz tha, jiss jism se koyi behad pyar karta tha, jinn ungliyon ko koyi hamesha apne naazuk ungliyon mein jakra karta tha, jinn baalon ko koyi hamesha passand karta/karti thi…sab bhasm ho jaega ek din…kia hum uss waqt ko gehraayi se kabhi sochte bhi hein?? Hum kabhi ek ek sanss ke liye mohtaaj ho jayeinguey kia koyi kabhi sochta hai? Zara sochein, ek lambi saanss lein aur ussko rok kar sochein ke dusri sanss lene se pehle hum marr jayein uss dusre sanss ko lene ke liye tarpe magar nahin le paayein??! Kia haal hoga uss waqt dosto??!! Aur kia haal hoga uss waqt unn par jo hamare behad karib ho, jo humse beinteha pyar karta/karti ho, keise guzregi unn par hamare laash ko apne enkhon ke saamne dekhte huwe?
Eise haalat hum sab ko sochne par majboor karte hein….. hum musaafir hai iss dharti par, kissi ko mukamal jagah nahin milti yahan, hum sab ko jana hai, to yaaro sab se pyar se milo, sab pyar karo, khushi se jiyo jab tak jina hai aur kissi ek ke dil mein kuch eisa kar jawo ke yaadgaar ban jawo uss ek dil ke liye aur eise jiyo ke jaaane ke waqt sab hum par naaz karein ke han humne jaane se pehle kuch to achchah kiya, kissi ko to pyar diya, kissi ka dil to khush hai, koyi to nek kaam kiya….
Yaaro hamara pyari si Anny uss sapne se bahot darr gayi magar Abhay ki maa ne ussko sambhaala aur ghante bhar rone ke baad pyari Anny ki enkh lag gayi Abhay ki maa ke baahon mein aur mummy ji apne enkhon ko ponchte huwe, Anny ke chehre par bahot pyar se apne haath ko pherte huwe dhire se usske maathe ko chumte huwe kaha, “Meri bachchi, meri beti hai tu, Bhagwaan ne ek beta diya tha ab ek beti bhi dediya mujhko main to dhanya ho gayi, tu fikar matt kar meri bachchi Abhay ko kuch nahin hoga, woh zaroor wapas ayega aur sahi salaamat ayega yeh ek maa ka dil keh raha hai maa ka dil kabhi dhoka nahin kha sakta, agar Abhay ko kuch huwa hota to maa ke dil ko pata zaroor chal jata…… mera baccha jahan bhi hai sahi salaamat hai aur bahot jald wapas ghar ayega aur tujhko tera pyar wapas karega dekh lena!!”
Seema ki laakh koshishon ke bawajood Jab Abhay ne kuch nahin bola to Seema niraash ho gayi aur apne ghar walon se poocha ke keise pata lagaya jaye usske bare mein. Seema chahti thi ke Abhay kuch bole, apna naam bataye, apne bare mein batayein aur uss se batein kare. Seema mann hi mann to bahot pyar karne lagi thi Abhay se magar budhe baba ke kahe huwe baton ko sochkar apne dil ko samjha rahi thi Abhay usska nahin hai phir bhi Seema ne socha ke mann ke andar apne pyar ko chupa to sakti hai.
Jiss raat ko gufe mein se Abhay mila tha aur raat bhar Abhay Seema ke yahan raha tha, uss subha ko Seema kaam par nahin gayi Abhay ke saath din bitane ko soch rakhi thi. To subha chae waghaira peene ke baad Seema Abhay ko apne saath legayi ghumne ke liye. Ek bus se donon uss taraf ke sheher ko gaye. Sheher pohonch kar Seema ne Abhay ke haath pakre huwe chalna shuru kiya. Log mudh mudh kar un donon ko dekh rahe the. Dekhne mein Abhay ek pagal khane se bhaga huwa mariz dikhta tha, lambe baal, lambe kale dadhi, dekhta eise tha jeise bowkla gaya ho….. Ab sheher mein charon taraf Abhay eise dekh raha tha jeise kissi cheez ki talaash kar raha ho….. kia ussko kuch yaad araha tha? Kia ussko kuch jana pehchana sa lag raha tha?? ….Seema usska haath pakre ussko khinchti chal rahi thi magar woh baar baar piche mudhkar kuch na kuch dekhta rehta tha upar se log ghurr kar donon ko dekhte jaa rahe the to Seema ko bilkool achcha nahin lag raha tha…. Phir ek jagah ruk kar Seema ne uss se kaha, “Chalo tumhare baal katwate hein aur tumhare dhaadi nikalwaate hein tab dekhun to keise lagte ho, thik hai?” Magar Abhay bachche ki tarah inkaar kar raha tha; phir bhi Seema ne zid ki aur ussko wahan ek barber ke yahan legayi.
Ghante bhar baith kar intezaar karne ke baad Abhay bina dhadi ke aur baal ki achi si cut ke baad Seema ke saamne aaya! Seema ussko dekh kar dekhti reh gayi aur kaha, “Kitne handsome ho tum! Bahot saare ladkiyan marte honge tum par nah? Tumko kissi ek ladki ka naam yaad bhi hai Anny ke siwa?” Abhay ne nah mein sar hilaya! Tab Seema ne kaha, “are tumko samajh mein aya ke main ne kia poocha?” Abhay ne han mein sar hilaya. Tab Seema ne kaha, “To har baat jab main tumse karti hoon to tumko samajh mein ata hai” tab Abhay ne apne kaandhon ko upar uthate huwe jawaab diya jisska matlab tha ke pata nahin…. Phir Seema ne Abhay ko ek ache dukaan mein kapde usske size ke try karwaaye aur teen sets liya jeans aur tshirs aur shirts Abhay ke liye. Ab kyun ke usska pehna huwa kapda ganda tha to shop mein hi ek naye jean aur Tshirt mein dress kar diya Seema ne Abhay ko, do naye joote bhi kharide Seema ne Abhy ke liye, aur baahar nikle to Abhay asli Abhay dikh raha tha uss waqt.
Seema jee bhar ke Abhay ko dekhti rahi aur mann hi mann kaha, “kyun kar tumse pyar na hoga mujhe? Itne handsome ho, achche ho, mera saathi ho, humsafar ban sakte ho, kyun pyar na karun main tumko?” Apne mann ko sambhaalna mushkil hota jaa raha tha Seema se phir bhi koshish mein lagi huwi thi hriday se Abhay ko nikaalne ko magar keise kuch samajh mein nahin araha tha Seema ko.
Khair, usske baad Seema ne Abhay ko khub ghumaya uss chote se sheher mein jo uss gaon ke bus thodi si doorie par tha. Aur aakhir mein ek chota sa hotel mein gaye khana khane ke liye. Abhay uss naye joote se thik se chal nahin paa raha tha, joota ussko kaat raha tha kyun ke kayi mahinon ke baad aaj joota pehna tha ussne… hotel mein khana khane ke baad jab Seema ne pine ke liye coke mangwaye to Abhay bola, “Pepsi peeta hoon main” Seema chonhki aur khushi ke mare uth khadi huwi yeh kahte huwe Abhay ke donon haathon ko apne haathon mein lekar, “Tum bole, Anny ke ilawa tum ne aur bhi baat kiya hein!! Pepsi peete ho? Tumko yaad hai ke tum pepsi peete ho, bolo bolo kahan last baar pepsi piya tha tumne bolo yaar bolo!!” jhoomte huwe Seema ke enkhon se ensoo nikal pade aur poochti rahi magar Abhay phir ek baar khaamosh hogaya!! Bahot koshish ki Seema ne, poochte poochte ro padi Abhay se usske bare mein magar Abhay ek buth bana tha usske saamne……
Wahan se ek chota sa garden mein jaakar baithe donon ek bench par aur Seema ne rote huwe Abhay se kaha, “Mujhpar kia beet rahi hai samajhte ho tum, mujhko kitni khushi hogi ke tum apne bare mein mujhko batawo, mujhe kitni khushi hogi ke tum aur ziada bolo, apne bare mein batawo, kia karun main keise tumse baat karwaun main?” Ussko rote huwe dekh kar Abhay bola bus itna “Anny par bhi bahot kuch beeta hai bechaari Anny” Seema rote rote hanss padi Abhay ko bolte huwe sunkar, aur Abhay ke gaalon ko chumte huwe kaha, “Tum phir bole yaar, kaun hai yeh Anny? Kia beeti hai usspar? Tumhara kia lagta hai Anny mujhse khul kar batawo nah, bolo please bolo Anny ke bare mein hi sahi kuch to batawo mujhe…bolo yaar bolo!”
Kamaal ki baat hai, Abhay apna hosh o hawaas kho baitha tha phir bhi ussko itna yaad aya ke usske Anny par bahot kuch beeta hai magar ussko kia pata ke jitna ussko pata hai uss se kayi ziada jheli hai usske Anny ne! ussko kia pata ke usski Anny ko kia kia kaha gaya aur keise usski Anny vidwa bhi ban gayi hai… yeh sab pata hota tab kia hota Abhay ko kia pata!! Jab laakh poochne par Abhay kuch nahin bola uss se ziada to roti huwi Seema ne Abhay ko wapas ghar lawtne ko kaha. Donon chal rahe the to Seema ne poocha, “Achchah apne ghar ka pata batawo mujhe? Address bolo?” Abhay ne socha phir kaha, “Dance school” Seema phir khush huwi aur sochne lagi ke dhire dhire shaayad Abhay ki yaaddaash wapas arahe hein, magar kyun ussne dance school kaha? Yeh to koyi pata ya address nahin huwi….
Ab kissko pata ke Abhay ke dimaagh ke kamre ke andar kitna adhera tha aur kahan thodi bahot roshni aarahe the jo ussko kuch kuch yaad araha tha ya memory ke kissi kone se zubaan par purani save ki gayi lavz bus zubaan par aajaate the kissko kia pata? Yeh to khud Abhay ko bhi nahin pata!!
Ghar wapas lawtte waqt Seema loo gayi aur Abhay ko ek bus stop ke paas wait karne ko kaha- toilet bus stop ke piche tha; jab Abhay wait kar raha tha to ek bus ruka thik jahan woh khada tha to uss bus mein se ek ladki ne apna haath wave karte huwe Abhay ko kaha, “Hi Abhay main aap ki fan hoon, kab agla show karoge?” Abhay uss ladki ko wave karne laga aur soch mein doobe huwe ussko ghurr raha tha…. Tab tak Seema loo se wapas arahi thi aur bus jaane lagi aur uss ladki ne jaate huwe bus mein se Abhay ko wave karte huwe zor se kaha, “Abhay we love you Abhi apna show continue karna Abhi….” Seema ne uss ‘Abhi” naam ko achchi tarah se suna aur dekha ke bus ke andar se who ladki Abhay ko uss naam se bula rahi thi to Seema thoda heyraan aur kuch khush hote huwe Abhay ke kareeb aayi aur dekha ke Abhay soch mein doobe magar wave karta jaa raha tha uss jaate huwe bus ke taraf…. To Seema ne usske kaan mein zor se kaha, “Abhiiiiiiiiiiiiiiiiiii” Tab Abhay chohonk gaya aur poocha, “Tumko keise pata ke main Abhi hoon?” Seema khushi se jhoom uthi aur kaha, “To kia tumhara naam sach mein Abhi hai? Tum Abhi ho?” Tab Abhay phir se khaaamosh ho gaya aur apne kaandon ko upar karte huwe ishara kiya ke pata nahin!!!!!
Seema bus mein lautte waqt sochti rahi ke woh ladki kaun thi jiss ne Abhi ko phukaara, woh keise Abhi ko jaanti thi, kahan rehti hai, keise iss taraf se guzar rahi thi, Seema soch mein padi bus mein safar kar rahi thi aur Abhay diwane ki tarah apne sar ko bus ke window side se lagaaye gum khoya tha kahin khayaaalon mein.
Ab Abhay ka mental problem yeh tha ke sadme se eisa hota hai ke dimaagh ke kissi hisse par dabaav padne ki vajaah se kissi ek fuse ka udh jana hota hai. Isse ek epileptic failure bhi kehte hein. Eise haalaat mein woh dimaagh ka fuse apne aap repair ho jata hai magar waqt ke saath, kuch waqt lagta hai ussko repair hone mein. Yaadaash kho jate hein aur kuch bhi yaad nahin rehta, aadmi chote bachon jeisa vyohaar karne lagte hein aur ek lamhe pehle guzre wakia ko bhool jate hein. Woh kissi ko pehchaante to nahin magar pehchaanne ki dhong karte hein aur kabhi chehre se to pehchaante hein magar naam nahin yaad kar paate ke woh pehchaani chehre wala kaun hai…. Ab agar gharwale ya doston ke beech rehte to yaadaash ka wapas ana asaan hota. Phir bhi waqt lagta hi hai, dhire dhire sab hota hai. Jiss ladki ne Abhay ko wave kiya Abhay ko bilkool pata nahin ke woh kaun thi aur kyun ussko weisa kaha, Abhay ko uss waqt laga ke ussko bhi wave karna chahiye so uss ne bhi wave kiya, magar ussko bilkool kuch bhi yaad nahin tha aur Abhay bhool bhi gaya ke ladki ne kaha woh usski fan hai aur ussko show continue karna chahiye yeh sab baat Abhay bhool gaya magar jiss waqt uss ladki ne show aur fan lavz istemaal kiye to Abhay ko thik uss waqt weh lavz ussko jana pehchana laga phir ussne ussko ladki ko respond kiya. Sab hone ke baad woh phir apne dunya mein kho gaya. Ab iss haalat mein weise sadme mein ghire log kia sochte hein aur kiss dunya mein rehte hein kiss ko pata?!
Taqdeer ka khel dekhiye bus kuch din pehle agar Seema ne ussko uss sheher mein legaya hota to papers aur TV mein charcha huwe the Abhay ka to koyi na koyi to pehchaanta, shayad dhadhi banane wala naayi hi ya kissi paper mein usski tasveer dikh jata Seema ko uss waqt…. Magar unn dinon jab akhbaar mein usska photo aya tha tab to Abhay ka chehra jana pehchana bhi nahin tha…..
Ab Seema ne yeh to nahin suna ke uss ladki ne usss se yeh kaha ke woh usski fan hai, varna Seema andaza to laga sakti thi ke Abhay koyi star, kalakar, actor vaghaira hai, magar Seema jab loo se nikli to bus jaa rahi thi aur ladki ko ‘Abhi’ phukaarte huwe suna bus to Seema ko bhi ziada pata nahin chala uss waqt.
Dargah par lawtne ke baad Budhe baba Abhay ke naye roop dekhkar khush huwe aur Seema ko duwaein di. Seema ne bataya ke Abhay ka naam Abhi hai. Seema ne sabhi sheher mein guzre wakeaat sunaaye baba ko. Aur baba bhi chintit ho gaya yeh sochte huwe ke kaun hoga yeh Abhay. Par baba ne Seema se kaha,
“Magar beti mere khayaal se shaayad isska koyi accident hone se isske dimaagh par chot ponhcha hai, kyun ke yeh jab yahan aya tha to isske kamiz par khoon lage huwe the aur choth lagi thi isske chehre par jo sukh bhi chuke the, dekho isske honth ke upar wale hisse par ek choth ka nishaan hai, sar par bhi hai, pata nahin car accident huwa ya kissi gadi se takraya ya kuch bhi huwa hoga… ab rab jane kia maajra hai …..”
Seema ne Abhay ke naye kharide huwe kapde baba ko diye rakhne ke liye aur phir se Abhay ko apne saath le gayi. Abhay se hazaar batein karne ke baad woh ek baat ka jawaab deta tha ya achanak beech beech mein kuch bol deta tha. Yunhi ek baar Seema baat cheet ke dawraan kehrahi thi, “Abhi tumko uss ladki ne Abhi kyun bulaya agar tum Abhi nahin ho to? Matlab saaf hai ke tumhara naam Abhi hai” Uss waqt achanak Abhay ne kaha, “Abhay naam hai mera Abhi to eise hi bulate hein sab mujhko!” Phir Seema ke dil ke dhadkan tez huwi aur pyar bhare nazron se bilkool heyraan Abhay ke enkhon mein dekhne lagi iss intezaar mein ko woh kuch ziada kahe magar bahot udaas ho jaati jab turant baad Abhay phir apne aap mein khud ko band kar leta.
Seema ke laakh poocne par bhi Abhay kuch nahin bola usske baad. Seema ne poocha, “Abhay kaun log tumko Abhi bulate hein Abhay ke bajaye? Kaun hein woh log? Yaad karo Abhay bolo mujhe, abhi abhi tumne baat kiya weise hi kuch aur kaho nah please Abhay bolo tum bolte ho to bahot achah lagta hai sunne ko, kuch to bolo nah!”
Magar Abhay keise bolta ussko khud nahin pata tha ke kyun aur keise woh jumla usske munh se nikla, aur khud hi bhool gaya ke ussne kia kaha tha, keise aur ziada bolta woh?
Phir sham ko dargah lawtne ke baad jab Seema ne baba ko baat batayi to baba ne kaha, “Lagta hai issko kissi hospital mein daakhil karna chahiye isske ilaaj ke liye tab isska dimaagh wapas kaam karega! Magar Seema raazi nahin thi ke hospital ki zaroorat hai Abhi ko. Ussne kaha, ke Abhay ko pyar ki zaroorat hai, ussko hamdardi aur ek saathi ki zaroorat hai jo ussko pyar kare, tab woh thik hoga, hospital lejaya gaya to shaayad dimaaghi hospital mein shift karein ussko aur Seema nahin chahti thi Abhay ko pagal khane mein lejaya jaye! Ussko yakeen thi ke uss ke saath rehkar Abhay thik ho sakta hai.
Magar jab raat ko Seema ko apne ghar lawtne ka waqt aya to udaas ho gayi aur baba se phir Abhay ko apne saath lejane ki farmaayish ki. To baba ne poocha, “Tere ghar walon ko eitraaz to nahin ke tum issko apne ghar lejawo?” Seema ne kaha ke nahin kissi ko koyi bhi eitraaz nahin to baba ne ijazat dedi ussko apne saath lejane ko phir ek baar aur Seema khushi khushi Abhay ko apne ghar legayi aur Abhay bhi khush tha usske saath jane ke liye.
Seema ke ghar mein sirf usske mata pita aur ek chota bhai tha. Weh log TV dekh rahe the aur Seema ne Abhay ko wahin baithne ko kaha. Abhay dusre logon ke beech rehna passand nahin karta tha, sirf Seema ke paas hi rehna passand karta tha. Seema ke chote bhai ne Abhay ko cherrte huwe kaha, “WAH WAH EKDUM HERO DIKHTE HO AAJ TO, KIA STYLE HAI YAAR! Kiss film ka actor ho yaar” To Abhay ne achanak uss ko jawaab diya, “Main actor nahin dancer hoon, par acting dance ke saath karta hoon”…… yeh sunkar Seema ke enkh bhar aaye aur jaldi se Abhay ke paas baithi aur poochne lagi, “Han han bolo tum dancer ho Abhay, kahan? Kahan dance karte ho kaun sa dance karte ho humko dance karke batawo, utho utho dance karo hum dekheinguey Abhay……..”
Kiss film ka actor ho yaar” To Abhay ne achanak uss ko jawaab diya, “Main actor nahin dancer hoon, par acting dance ke saath karta hoon”…… yeh sunkar Seema ke enkh bhar aaye aur jaldi se Abhay ke paas baithi aur poochne lagi, “Han han bolo tum dancer ho Abhay, kahan? Kahan dance karte ho kaun sa dance karte ho humko dance karke batawo, utho utho dance karo hum dekheinguey Abhay……..”
Magar Abhay phir khamosh hogaya hamesha ki tarah kyunke ussko khud nahin pata ke kyun aur keise ussne weh lavz kahe! Jab ussko khud kuch pata nahin to baaki ke sawaalon ka jawaab kahan se deta woh bechara! Seema taras rahi thi ke Abhay ko ziada kuch yaad aaye aur woh apne baare mein bataye magar majboor aur laachaar Seema ke samajh mein nahin arahi thi ke woh kia karein! Soch rahi the ke phir ek din ki chuthi lekar dusre din phir Abhay ko uss sheher ghumaane ko lejaye to shaayad koyi aur mil jaye jo Abhay ko jaanta ho to kuch pata chal sakta tha, maagar kaam se ziada chuthi lena namumkin tha usske liye, magar bimaari ka bahana kar sakti thi phir bhi apne manager se darti thi kyunke woh khaduss tha…
To Seema ka bhai dance karne ke liye khada huwa Abhay ki help karne ke liye, aur kuch thumke lagaaye ussne ek dhund par. Abhay dekh raha tha ussko khayaalon mein doobe huwe aur woh ladka naachte naachte sofe par baith gaya. Jab woh baith gaya to Abhay ne kaha, “tumhare steps clean nahin hein, sudhaarna chahiye, bahot ghalat the sab steps dhund ke hisaab se!” To Seema ke bhai ne bus itna kehte huwe baat ko khatam kardi, “Achah ustaad main tuition le lunga tumse baad mein!” Aur woh chala gaya apne kamre mein magar Seema bahot heyran Abhay ke paas baithi rahi uss se sawaal par sawaal karte huwe magar Abhay ko phir ussi khaamoshi ne gher liya tha.
To Seema ne socha aur samjha ke sab kuch apne aap hone dena chahiye, bus mokhtaliff situation ko Abhay ke saamne rakhna chahiye aur woh apne aap hi bol padega jab jab bolna hoga ussko…usske dimaagh mein quaid baatein kissi kone mein mehfooz lagte hein magar usska upyog nahin ho paa raha hai Abhay se sahi tarike se, dhire dhire shaayad sab baatein apne jagah wapas ayeinguey….. Eisa sochte huwe Seema ko tassalli huwi aur Abhay ko ek bistar par sone ke liye le gayi…..
Magar jo Seema ne bilkool socha nahin tha weisa kuch huwa usske baad…. Jiss waqt Seema Abhay ko bistar par letate huwe usske sar ke niche ek takiye ko daal rahi thi, usski chaati Abhay ke chehre se laga aur Abhay ne achaanak Seema ko apne bahon mein jakar liya! Seema bilkool nahin darri magar soch mein par gayi ke Abhay ne weisa kyun kiya? Aur pyar to Seema bahot karne lagi thi Abhay ko to ussne bhi dhire se apne bahon ko Abhay ke sar ke neeche daalte huwe halke se ussko apne seene se dabaate huwe gale se lagaya aur bahot pyar se Abhay se poocha, “Kyun? Keisa lag raha hai eise mujhe bahon ke kaske pakar ke? Achcha lagta hai tumko? Hmm?” Abhay bina jawaab diye apne chehre ko Seema ke chaati par zor se dabaate huwe apne honton se usski narm chaati ke uss hisse par chumban de raha tha jahan Seema ke dress ki button lagi huwi thi aur Abhay ke uss movements se do buttons khul gaye aur Abhay ke honth Seema ke seene ke narm mulaayam hisson par pherne laga…..
Seema jawaan ladki thi jissne kabhi kissi mard ko chuwa tak nahin tha aur jisske mann mein pyar ka ladoo abhi abhi phuta tha to eise haalaat mein usski jism mein ek leher si dawdi aur usko achchah lagne laga jab Abhay ne weise kiya to aur woh siskaariyon ke saath apne gardan ko upar uthaaye huwe Abhay ke uss harkat ko aur badhaawaa dene lagi ussko ziada zor se apne jism se dabaate huwe……
Usski chaati ko chumte huwe Abhay ne ahiste se, dheemi awaaz mein ek tarap ke saath kaha, “Anny, I love you, I love you Anny……” Aur Abhay ki saanss tezi se chal rahe the uss waqt kuch haamp raha tha aur usske dil ki tez dhadkan Seema ko sunaayi de raha tha, aur Seema ne jab suna ke woh Anny ka naam lekar ussko pyar kar raha hai to Seema ne socha ke woh bilkool thik nahin agar Abhay ussko Anny samajh kar pyar kare to. Anny ne ussko gale lagaaye huwe sochne par majboor huwa aur mann hi mann khud se kaha, “Agar main iss mawke ka faida uthaakar iss se pyar karun aur chaahun to issko apna bhi banalun, magar tab yeh mera swaarth hoga. Issko mawke ka faeda uthana kehte hein…. Abhi ko pata nahin ke iss waqt woh meri baahon mein hai, woh samajhta hai ke main usska pyar Anny hoon…. Yeh dhoka hoga agar main ne issko aur kareeb ane diya to…. Weise mera mann to kar raha hai ke issko sab woh kuch karne doon jo yeh chahta hai, magar usske baad issko zabardasti mujhse pyar nibhaana hoga, chahun to eise mawke ka faeda utha sakti hoon, isske bachche ki maa bhi ban sakti hoon…tab to yeh kabhi mujhe chorr kar nahin jaa sakega…… magar main kia itni giri huwi hoon ke kissi ka pyar eise haalaat aur majboori mein chiin loon? Nahin nahin main eisa nahin kar sakti…… mujhe issko rokna hoga…….”
Seema ne apne seene par pathar rakh kar Abhay ke chehre ko apne seene se alag karte huwe dheemi awaaz mein bade pyar se kaha, “Abhi main Anny nahin hoon, main tumhara dost Seema hoon, dekho mujhe, kia main Anny jeisi dikhti hoon? Kia main Anny hoon? Hmm? tum apne Anny ke chehre ko yaad karo aur batawo mujhko ke woh keisi dikhti hai? Bahot khub surat hai kia woh? Aur woh tumse bahot pyar karti hai kia? Hmm bolo bolo?!”
Abhay ne udaas nazron se Seema ke chehre ko ghurrte huwe soch mein doobe apne nazron ko Seema ke chehre se hataa diya. Magar Seema usske chaati par apne jism ki wazan se jhuke huwe pyar se uss se kaha, “Mujhe yeh batao Abhi, tum ne to keh diya abhi abhi ke tum Anny ko bahot love karte ho, to kia woh bhi tumse utna hi love karti hai ya phir ussne tumko dhoka diya jisski vajah se tumhara yeh haalat huwa? Hmm bolo Abhi yeh ek mawka hai tumko sabhi baton ko yaad karne ka, batawo mujhe kia Anny ne tumko dhoka diya hmm?”
Phir Seema ke mann mein negatives khayaal swaarth ke saath yeh aaaye ke kaash Anny ne issko dhoka hi diya ho tab yeh usski ho sakti hai hamesha ke liye…. Tab Seema ne Abhay ke jism se apne jism ko lagaaye huwe kaha, “Dekho Abhi agar Anny ne tummko dhoka diya aur kissi aur ke saath chali gayi hai to bhool jawo usse, main tumko uss se bhi ziada pyar karungi, zindagi bhar pyar karungi tumko, tum ko mujhse Anny se bhi ziada pyar milega, hmm kia kehte ho mera pyar swikar hai tumko Abhi…….”
Aur Abhi thode se ghusse mein Seema ko halke se dhakka dete huwe ek chote bache ki tarah naraaz hote huwe kaha, “Meri Anny kabhi bhi mujhko dhoka nahin de sakti, tum buri ho tum Anny nahin ho sakti chale jawo yahan jawo jawo jawo…. Chali jawo …..”
Uss halke se dhake se Seema zameen par girr padi aur Abhay ke laal chehre ko dekhte huwe enkhon mein ensoo liye, aur dil mein choth liye, dhire se uss kamre se nikal gayi…..
Seema ko Abhi ke uss vyohaar se dukh to huwa phir bhi Seema khud se yeh kehte huwe apne app ko tassalli di ke “Abhi ko to khud pata nahin ke woh kab kissko choth ponhcha raha hai ya kab kissi ko bura keh raha hai, uss ko inn sab baton ka koyi samajh hi nahin, to uss se shikwa gila kyun karein, masoom hai who, main ne hi ghalat kiya Anny ko dhjokebaaz kehkar, woh Anny ko behad chahta hai…usske dil se Anny ko nikaalna naa mumkin hai lagta hai….. khair koyi baat nahin mere kismat mein agar usska pyar milna hai to milkar rahega, agar nahin to mujhr unn donon ko milana hoga keise bhi karke…. Koyi na koyi roshni ki kiran kahin se to nazar ayegi…..” Yeh apne aap se kehte aur apne ensoowon ko ponchte huwe Seema Abhi ko sochte sochte so gayi.
Uss taraf Ananya dukhi ho gayi thi ek to Amaan ke harkaton se duja uss bure sapne se. uss sapne ko lekar who kaafi pareshan rehne lagi. Kabhi Abhy ke maa ke saath rehti to 4’ 5 din apni mummy papa ke ghar. Anny ko bahot chinta rehti ke agar sach mein Abhi kom kuch ho gaya, usska dehant ho gaya to who ek baar manhoos keh diya gaya hai ab yeh mukarar hojaega ke who manhoos hio hai kyun ke shaadi hote hi ek pati marr gaya aur dusre ka yeh haal huwa to who kia karegi…. Inn sab baton ko lekar Ananya bahot hi, had se ziada pareshaan aur udaas rehne lagi. Ab ussko Abhi ke ghar mein usske maa ke saath rehne mein darr lagne lagi kyun ke kahin agar sach mein Abhi kokuch ho gaya to ab Abhi ki maa bhi ussko manhoos na kehde…. Iss liye Ananya ne decide kiya ke ziada waqt ab who apne hi ghar mein rahegi. Ussne dance school bhi jana band kar diya, sab Vinay aur Iqbal ke zimedaari par cho9rrte huwe. Bilkkol udaas aur gumsum si rehne lagi…… lambi lambi senson ke beech dil ke dharkanon ko sambhaalte huwe Anny Abhay ko dil mein basaye apni viraan zindagi ko tanhayi aur andhere lamhon mein guzaarne lagi…………
Iqbal, Vinay aur sabhi dusre Anny kea as paas walon ko pata chal gaya ke Anny dikhi hai magar kaun kia kar sakta tha? Saleem bhai Police Force ke unit mein responsible walon par zor lagaya ke Abhi ke bare mein kaam ko sakht kiya jaye kyun ke ye mumkin nahin ek agar Abhay ki laash nahin mila to who ghayab ho sakta hai, who kahin na kahin to hoga, ussko dhudne ka zimma alag alag police ke vibhaag mein banta gaaya aur sab jee jaan se koshish mein lage huwe the.
Uss taraf dusre subha ko jab Seema uthi to Abhi tab tak so raha tha aur Seema ko kaam par jana tha to donon ki mulaakat nahin huwi. Seema ghar se nikalne se pehle Abhay ke kamre mein ussko dekhne gayi to dekho ke who gehre neend mein hai to ussko disturb nahin kiya. Magar Seema kuch der tak Abhay ko dekkhti rahi jeise usssko nihaar rahi ho, who Abhy ke chehre ko iss tarah se dekh rahi thi jeise ek maa apne sote huwe bachche ko dekhti hai bahot pyar aur muhabat se. Seema ka bahot dil kiya ke uss waqt who Abhay ko zor se apne bahon mein lekar ussko seene se lagaaye. Magar apne dil par pathar rakh kar who kamre se nikal gayi. Kaam mein din bhar Abhay ka who soya huwa chehra Seema ke nazron ke saamne ghumti rahi aur ussko bahot pyar araha tha usspar. Ussko Abhay ke uss masoom dekhne wale chehre ko chumne ka man kar raha tha aur khud ko kosne lagi ke kyun nahin chuma ussko jabke who so raha tha!
Udhar Abhay utha to ghar mein idhar udhar iss kamre se uss kamre mein ghum raha tha subha subha. Seema ki maa ne uss se poocha ke kia dhund raha hai to ussne achanak poocha, “Mummy kahan gayi?” Seema ki maa ko bahot heyraani huwi ke kia who Seema ko ‘mummy’ keh raha hai? To ussne poocha, “Kiss ki mummy beta?” To Abhay phir khamosh ho gaya aur idhar udhar kamron mein dhundta raha kaafi der tak.
Kuch der baad Seema ki maa ne Seema ko phone karke Abhy ke bare mein bataya, to Seema ne apni maa se kaha ke ussko Abhay se usski maa ke bare mein baat karna chahiye tha shaayad ussko usski maa ke bare mein kuch yaad aya ho!! Anny ko phir fikar hone lagi aur ussne kaam se leave liya aur jaldi ghar wapas aayi adhe din ke baad. Abhay uss waqt usske ghar ke saamne khada kuch logon ke saath idhar udhar dekh raha tha to Seema ne usska haath pakar kar ussko ghar ke andar legayi aur ek kursi par bithakar poocha, “Mujhe batawo tum aj apni mummy ko dhund rahe the kyun?” To Abhay ne apne sar khujaate huwe poocha, “Meri mummy hai kia? Kahan hai? Keisi hai?” Sema ne apne maathe par apne haath maarte huwe kaha, “Oye Abhi aaj subha tum sabhi kamron mein apni maa ki talaash kar rahe the ke nahin?” Tab Abhi dimaagh par zor lagaate huwe Seema ke chehre ko ghurrte huwe bola, “Mujhe koyi kaam dhundna chahiye main kab tak tum par depend karta rahunga? Mere liye koyi naukri dhundo nah!” Seema aur bhi shocked ho gayi aur bahot heyraani se Abhay ko dekhte huwe poocha, “Tum kaam karna chahte ho? Kia kaam kar sakte ho tum? Kabhi kaam kiya bhi hai? Kahan kaaam karte the pehle?” To Abhay phir apna sar ko khujaate huwe sochne laga. Aur kuch der tak donon bilkool khamosh rahe, aur ek dusre ke chehre ko ghurte rahe phir Seema boli, “Achah batawo kaun si naukri dhundun tumhare liye?” Tab Abhay ne apne haath uthate huwe uss taraf ishara kiya jahan kuch mazdoor kaam kar rahe the ek construction site par jahan ek bada dam banaya jaa raha tha sarkar ke taraf se aur bahot sare mazdoor wahan kaam kar rahe the. Seema pareshaan hokar uss se poocha, “Tum mazdoori karoge?” To Abhi ne han mein sar hilaya. Seema ke samajh mein nahin araha tha ke kia kare. Who Dargah wale baba se milne gayi aur ussko sab baat batayi to baba ne kaha agar Abhay kaam karna chahta hai to achchi baat hai ussko kaam karne dena chahiye shaayad issi bahane usske yaadaash lawt aaye. Tab Seema ne apne pita ko bheja unn workers ke leaders se baat karne Abhi ko wahan bharti karne ke liye aur dusre din se Abhay wahan gaya kaam karne.
Ek aadmi jiss ne kabhi zindagi mein koyi hard work nahin kiya ho ussko achanak pathar uthane ko aur cement mix karne ko bhej diya jaye to kia haal hota hai usska?! Dusre din kyun ke Abhay wahan kaam karne gaya Seema ne phir leave le liya apne kaam se. Aur din bhar kuch doorie par SE Abhay ko dekhti rahi, ussko nihaarti rahi. Dekh rahi thi keise, kitne mushkilon ke saath who pathar utha raha tha, keise spade se cement mix kar raha tha keise apna pasina ponch raha tha aur keise usska chehra laal ho gaya tha…. Mann hi mann Seema usske liye duwaaein mang rahi thi aur uss ko pyar bhari nazron se usski himat ko salaam kar rahi thi… uss sham ko jab Abhay kaam karke wapas arahaa tha to Seema ne usska haath thaama aur dekha ke chaale pade hein usske haathon mein aur khoon bhi beh raha hai to who zor se rone lagi, aur dargah wale baba ke paas Abhay ko lejaakar usska haath dikhaya rote huwe aur kaha, “Baba main din bhar issko dekh rahi thi ek pal ke liye bhi issne uff tak nahin kiya, din bhar mujhe bilkool pata nahin chala ke isske haath mein itne chaale pad gaye hein phir bhi yeh kaam karta gaya inhi ghaayal haathon se, yeh kaun hai baba keise itni himmat hai isske paas? Kyun itna dukh she raha hai yeh aur zubaan se uff tak nahin karta baba?!!
Abhay chup chap baitha apne haathon ko dekhe jaa raha tha……………….. Aur Seema roti jaa rahi thi budhe baba enkh phade donon ko dekh raha tha dil mein dard liye………………………………………….
Vinay ke bare mein baat kar rahe the Sakeena aur Iqbal ek roz. To Iqbal ne Sakeena se poocha, “Kia jaanna chahti ho mere dost ke bare mein?” Sakeena ne kaha, “Usski koyi ishk vishk ka chakar nahin hai kia usska koyi mehbooba nahin? To Iqbal ne kaha, “Are usski to mehbooba mujhse bahot pehle se hein. Aur aaj hum donon agar Abhi ke dance school mein kaam kar rahe hein aur mashoor dance teacher ban gaye hein to woh sab Vinay ki mehbooba, Sandhya ki vajah se hi huwa sab.”
Ab Iqbal ne eisa kyun kaha? Kia aap readers logon mein se kissi ko kuch anumaan huwa hai? Nahin? To thik hai main aap sab ko sunata hoon Vinay aur Sandhya ki kahani iss update mein.
Aap sab ko yad hoga ke Abhay ki dosti kin haalaat mein huwi thi Vinay aur Iqbal se. Ladaayi se shuru huwa tha woh bhi Sandhya ki vajah se. Magar kia aap logon ko yeh pata tha ke Sandhya aur Vinay ne milkar ek plan kiya tha yeh sab hone ke liye? Nahin pata? Koyi baat nahin main sab vistaal mein samjhata hoon. Vinay aur Sandhya ek dusre ko bahot pehle se jaante the. Donon ek dusre se bahot pyar karte the. Aur jab Sandhya Abhi ke school mein dance tuition ke liye jaya karti thi to Vinay usska wait kiya karta tha bus stop ke paas har sham ko unn dinon.
Magar Vinay bekaar tha, kaam vaam nahin tha bus mawali ki tarah idhar udhar ghumta phirta rehta tha aur saath mein Iqbal rehta tha hamesha usske. Iqbal ko Vinay ke bare mein sab pata tha. Iqbal usske saath usski girlfriend Sandhya ka wait karne ke liye hamesha ata tha kyun ke Vinay kabhi akele Sandhya ko wait nahin karne jata tha. Sandhya tab student thi, school ke baad dance ko jaati thi.
Ab aap logon ko yeh bhi yaad hoga ke Sandhya ek bahot achchi dancer thi aur Abhi usski bahot taarif kiya karta tha. To school mein students ke sankhiya badh gaye the aur Abhi samaye nahin de paa raha tha thik se bachon ko to kayi baar Sandhya ko chote bachon ko seekhane ke liye kaha tha unn dinon. Aur baat baat mein Abhi ne yeh baat cherra tha ke shaayad ussko aur dance teachers ko employ karna padega.
Ab Sandhya ko pata tha ke Vinay achah dance karta hai. To yeh baat Sandhya ne Vinay se kaha tha ke Abhi ko dance seekhane ke liye aur teachers ke zaroorat hai aur ussko uss se milne ko kaha tha uss waqt. Magar Iqbal aur Vinay ne kaha tha ke Abhay unn mawaliyon ko kahan accept karega jab unn donon ke paas koyi certificate of dance vaghaira nahin hai to. Tab teenon ne milkar plan banaya ke kissi tarah se Abhi se dosti karni chahiye, phir dosti hone ke baad ussko pata chal jaega ke hum dance achah karte hein to humko khud ba khud bolega usske school mein dance seekhane ko aur jo hum logon ko pata nahin woh khud seekhadega humko. Sandhya ne keh diya tha ke Abhi dil ka bahot achchah hai aur bahot achah dost hota hai sabhi ke.
Yeh wohi waqt tha jab Vinay ne plan banaya ke dusre din jab Sandhya tuition se baahar niklegi to Vinay ussko cherrega aur Abhi usski madad ke liye ayega tab Vinay aur Abhay mein mutbher hogi. Kyunke jo kuch Abhi ne Sandhya se karne ko kaha tha wo sab Sandhya ne Vinay ko pehle se bata diya tha- Update # 2 par aap sab uss wakeya ko pir se dekh sakte hein. Han Vinay football khelne ke bahane aya karta tha par assal mein woh sirf Sandhya ke liye ata tha.
To uss din ko maamla itna badh gaya tha ke donon ghayal hogaye the Abhay ke mukke aur laaton se…… magar yeh sab bhi Vinay aur Iqbal ke plan mein tha ke chahe maar bhi khani pade to khaleinguey kyun ke uss school ke andar daakhil hone ke liye maar khana manzoor hai.
To Sandhya bhi shaamil thi Vinay ko school mein lane ke liye magar ek kissam ke dhoke se, magar masti mein. Phir inn teenon ne aapas mein baat kiye ke kabhi bhi kissi bhi haal mein Abhay ko pata na chale ke woh sab plan kiya gaya tha etc. To teenon ne iss baat ko hamesha Abhi se chupa ke rakha. Bata hi nahin paaye kyun ke Abhay zaroorat se ziada achah insaan tha aur ussko keise bataya jaa sakta tha ke teenon ne ussko dhoka diya tha school mein bharti hone ke liye? To iss baat ko hamesha chhupa hi rehne diya gaya.
Ab rahi baat Vinay aur Sandhya ke pyar ki, to yeh donon mukhtaliff kisam ke lovers the. Har kissam ke log hote hein aur har kissam ke pyar karne wale bhi. Vinay apne pyar ko hamesha private rakhna chahta tha. Kabhi bi kissi ko school mein bhanak nahin padi ke Vinay aur Sandhya ek dusre ko chahte hein. Inn donon ke pyar ke bare mein Iqbal ke ilawa aur koyi bhi nahin jaanta tha. Aur yeh do aashik milte bhi the to bilkool akele mein jahan parinde bhi innko naa dekh sake. Raaste mein chalte the to ek iss taraf to dusra uss taraf, sirf nazron se baatein kiya karte the ya kabhi kabhaar jab koyi bhi nahin dekh rahe ho tab ek ishara huwa karta tha. Varna inn donon ko kabhi kissi ne ek saath nahin dekha. Phir bhi donon milte bhi the aur pyar bhi karte the.
Milte tab the jab Abhay donon ko ghar chorr kar wapas chala jata tha tab kyun ke Sandhya Vinay ki padosi bhi thi. Donon raaton mein mila karte the chatt ke upar, chup chupakar jab saari dunya neend ke aaghosh mein kho jaate the tab yeh donon apna ishk ka rang bikherte raat the fizaon mein.
Ab jab Abhay laapata hai to Vinay aur Sandya milkar classes bhi lete hein aur jab inn donon ko Iqbal aur Sakeena ke bare mein pata chala to sab khush huwe, aur Vinay ne Sandhya se kaha ke hum donon 4 saal iqbal se pehle pyar karte hein aur usske pyar ko bus ek mahina huwa hai aur nikaah bhi karne wala hai to humara kia hoga? Kab shadi kareinguey hum donon?”
Vinay ne kaha, “Hamara Abhay ko wapas ane do hum teenon ek hi din shaadi kareinguey aur bade dhoom dhaam se kareibguey yeh mera wada hai!”
Ananya bahot bechain raha karti thi aur Abhay ki yaadein ussko bahot tadpaati thi. Woh sirf Abhay ke khayaalon mein gum aur ussi ke sapnon mein raha karti. Har unn lamhon ko yaad kiya karti jo ussne Abhi ke saath guzaare the. Usski pehli mulaakat, kiss tarah se Abhay ne ussko thaama tha class mein, kiss tarah usske jism se usska jism takraaye the, kiss tarah woh dancing costume pehenneko jhijhagti thi, sab yaad kar kar ke kabhi muskaati thi to kabhi enkhon ko nam kiya karti thi. Kabhi yaad karti ke phone par raaton ko, balke subha tak kiss tarah ke baatein kiya karta tha Abhay usske saath ke usski jism mein aag dawd jaati thi, Anny ne yaad kiya kiss tarah Abhay ne ussko takriban nanga kar diya tha phone par baat karte huwe kayi raaton ko, aur keise ek raat ko woh Anny ke kamre mein aa ponhcha tha…..
Anny sab unn sunehre yaadon ko samet kar ek khwab ki dunya bana chuki thi, magar ussi khwab ki dunya mein Anny ne yeh bhi dekha jab Abhay tarapta huwa usske paas raat ko khirki par milne ko aya tha aur Anny ne ussko wapas lawta diya, Anny ne yeh bhi dekha ke kiss tarah se Abhay ko ruswa kiya ussne usske pyar ko thukra kar apne papa ke liye…Anny ko yeh bhi mehsoos hota tha aksar ke Abhay ko kitna gehra choth ponhcha hoga jab Anny ne ussko chorr kar apne papa ke baton ko maana tha…. Abhi kitna yakeen karta tha Anny ke pyar par, “shaayad Abhi ne socha hoga ke main, apni papa ko thukrakar uss ke paas chali awungi aur mujhko wohi karna chaiye tha…..” khud se Anny kehne lagi….
Anny se raha nahin gaya aur turant Iqbal ko phone kiya, jiss waqt wahan Iqbal aur Sakeena Vinay ke bare mein baatein kar rahe the. Anny ne Iqbal se kaha ke woh Saleem bhai se milna chahti hai turant ussi waqt. To bahot jald hi Iqbal ne Vinay ko phone kiya aur Vinay Anny ko lene chala gaya aur ussko Saleem bhai ke yahan le aaya.
Anny Saleem bhai se girgirate huwe phoot phoot ke ro padi ke usske Abhay ko kab talaash kareinguey woh log…. Iqbal, Vinay aur Sakeena bhi ro pade Anny ka haal dekh kar.
Saleem bhai laachaar the aur Anny se gambhir ada se kaha,
“Beta, jab kissi marz ka dawa nahin milta ya kissi marz par dawa ka koyi assar nahin hota hai tab duwa se kaam lena chaahiye. Duwaein karo, pooja karo, upar wale ko yaad karo aur apne Abhi ki salaamati ki duwaaein mango. Mujhe yakeen hai ke upar wale ne tum donon ko ek duje ke liye banaya hai yehi kaaran hai ke tumhari shaadi safal nahin huwi kyunke tum to Abhay ki amaanat ho. To zaroor koyi baat hogi jiss ke liye uss maalik ne tum donon ko juda kiya, aur mera buland yakeen hai ke wohi maalik tum donon ko zaroor wapas milayega aur bilkool milayega, mayoos na ho beti, himmat se kaam le, sabr kar, sabr ka phal meetha hota hai, usske darbaar mein tere liye zaroor koyi na koyi shamma jala hoga bus usski roshni tere tak nahin ponchi hai ab tak, jeise hi woh roshni tujh tak ponhchegi tab bus raasta tere saamne hoga aur Abhi tere kareeb; mera yakeen hai upar wale par tu bhi bharosa rakh aur dekhna usske jalwe bhi nirale hote hein.”
Anny ke dil ko ajeeb sa sukoon mila Saleem bhai ke baton se. Phir Saleem bhai ne yeh bhi kaha,
“Kuch mannatein maangi thi main ne meri Sakeena ki shaadi ke liye, ab hum do teen din mein sheher se door ek dargah par jane wale hein chaadar chadaane ko, to tere liye bhi mannatein maang lunga aur baad mein chaadar chadaane chala jawunga. Tu hawsla rakh beti tera Abhay tujhko wapas mil jaega aur mujhe dikh raha hai ke woh din door nahin.” Aur Saleem bhai ne Ananya ke sar par apna haath phera bade pyar se duwaon ke saath.
Ek mahina beet gaya aur Abhay mazdoori karta raha uss dam ki construction ke liye. Har hafte ko tankha milta tha aur Abhay sab budhe baba ko de diya karta tha aur gharibon mein bantne ko bolta tha. Magar baba ne usske paise lene se inkaar kiya aur kaha ke Seema ke liye kuch kharidein aur baaki sambhaal kar rakhein. To Abhay ne Seema ko apne paise rakhne ke liye diya aur kaha jab zaroorat hogi to maang lega uss se. Aur ek roz, Sunday ke din uss sheher mein gaya Seema ke saath aur usske liye Abhay ne ek suit kharida aur complete set gale ke liye haar, churiyan, kaan ki baali vaghaira vaghaira. Sab neele rang ka kharida. Seema ko bahot passand tha aur woh bahot khush huwi Abhay ki uss khayaal ke liye. Aur Abhay weise hi gumsum rehta tha magar pehle se ziada baatein karta tha aur baton ka jawaab diya karta tha magar har waqt nahin jab jab usska mann kare tab.
Uss dam ki construction ke liye ek engineer huwa karta tha jo shuru se aya karta tha apni khubsurat car mein. Jawaan tha, handsome bhi. Lamba kad, chawda seena, hero jeisa dikhta tha woh bhi. Safed kameez aksar pehna karta tha aur ek dark red colour ka tie gale mein hamesha hota tha. Jiss din Abhay bharti huwa wahan kaam karne ke liye to woh engineer udhar hi tha aur woh Abhay ko ajeeb nazron se dekha karta tha kyun ke Seema Abhay ko dekhne ko ati thi har waqt. Uss Engineer ka naam tha Akaash aur 25 saal ka tha. Woh Seema ko dekha karta tha phir Abhay ko aur ussko bahot heirani hoti thi ke dekhne mein to Seema office ke kaam karne wali lagti thi aur Abhay ek mazdoor to Seema kyun Abhy ko itna dekhne ko ati thi har waqt, yeh ussko heyraan kiya karta tha aur ek din, jab Seema kaam par gayi huwi thi to Akaash ne Abhay se baat kiya….
Akaash: “Hi, tum Abhi ho nah?”
Abhay: “Yes Sir, koyi aur kaam hai kia?”
Akaash: “Nahin nahin tum apna kaam karte jawo bus ek do baat poochna tha tumse”
Abhay Apna pasina ponchte huwe aur enkhon ko thoda sa bandh karte huwe Engineer ke chehre mein dekhte huwe, aur hampte huwe poocha, “Yes Sir bolo!”
To Akaash ne kaha, “Woh ladki jo har roz tumse milne ati hai, woh kia lagti hai tumhara?”
Uss waqt Abhay ke haath mein ek bada sa pathar tha jo woh apne kandhe par uthaakar dusre taraf leja raha tha to chalte chalte ussne kaha, “pata nahin”
Akaash ko to pata nahin tha Abhay ke dimaaghi haalat ke bare mein to ussne socha ke Abhi ussko batana nahin chahta. Aur wahan se chala gaya.
Magar uss sham ko Abhay ne budhe baba se achanak khana khate waqt kaha, “Sir Seema ko love karta hai” budhe baba ka niwala atak gaya Abhay ke baat sunkar aur khanssne laga phir paani peekar ussne poocha, “Kia bola tu? Kaun sa Sir re? kiss ne bola tumko yeh baat?”
Abhay sar jhuka kar khana kaaye jaa raha tha aur hanss raha tha sharmaate huwe. Budhe baba ne pehli baar Abhay ko hansste huwe dekha to ussko chamatkaar dikha usske hanssi mein. Aur baba khisak kar Abhay ke kareeb aya aur poocha, “Bol nah beta kyun hanss raha hai kia huwa vistaal mein samjha nah!” Abhay bilkool weise behave kar raha tha jeise ek 10/12 saal ka bachcha karta hai jab kissi do premi ko kissi kone mein pyar karte huwe dekh lete hein to keise hanste aur sharmaate hein, uss tarah ka behavior tha uss waqt Abhay ka! Magar woh baba ko kia vistaal mein samjhata usske samajh ke baahar tha aur woh sirf khee khee khee khee hanste jaa raha tha apne Sir ko sochkar!! Par budhe baba ko to pata nahin tha ke woh kyun hanss raha hai magar usska hanssi baba ko bahot achcha lag raha tha.
Aur budhe baba ne achanak kaha, “bus kar apna khee khee khee sirf hansse jaa raha hai bachche ki tarah, chup kar ab!” Tab achanak Abhay ne yeh kaha, “Iqbal bhi eise hi hansta hai Vinay ke saath milkar aur main unn donon ko danta karta hoon hamesha hehehehehehehehehehe!!” To zaahir hai ke baba heyrani mein poochta hai, “Kaun Iqbal, kaun Vinay?” Tab Abhay phir maathey ko masalte huwe sochne lagta hai aur khayaalon mein gum ho jata hai….. khana chorr kar Abhay baahar chala jata hai, sochta rehta hai aur ghussa karte huwe baba ke paas ata hai aur maathe ko peette huwe kehta hai “baba kyun mujhe kuch yaad nahin araha hai? Main keise Iqbal aur Vinay ke naam ko jaanta hoon kyun mujhe pata nahin ke woh kaun hai? Kyun unn ke naam mere lab par aye? Kaun hoon main baba? Keise yahan aya main? Kahan rehta tha main pehle mera aur naam kia hai baaba?” yeh kehte huwe woh rone laga ek bache ki tarah!!
Baba ne kissi tarah bhi ussko hawsla dilaya ke dhire dhire ussko sab yaad ajaega, dimaagh par ziada zor dene ki zaroorat nahin. Aur baba ne Abhay se yeh kaha, “main har roz tumhare liye khas duwaein kiya karta hoon, taawiz banaya hai tere liye, duwa ke phool pherta hoon tere upar, duwa ka pani pilata hoon tujhe, tu dhire dhire thik ho raha hai. Waqt se pehle kuch nahin hota. Jitna waqt lagna hai tujhe thik hone mein woh to lagega hi, hum bus koshish kar sakte hein… tum fikar mat karo, uss ke ghar der hein andher nahin, kaun sa waqt chuna hai ussne tere liye kiss ko pata? Tu bus sabr kar mere bachche!”
Kuch der baad Seema ati hai khushi khushi Abhi se milne. Jab woh donon se milte hein to Abhay Seema ko dekh kar hanssne lagta hai. Seema ko bahot ascharya hota hai kyunke woh bhi pehli baar Abhi ko hansste huwe dekh rahi thi. To baba ke taraf dekh kar Seema ne dhire se poocha, “kia baat huwi baba? Kyun Abhi aaj hanss raha hai mujhe dekh kar? Hmm?” To baba ne kaha, “jawo khud pooch lo uss se!” Phir Seema ne kadam badhaya Abhi ke taraf jo uss waqt zameen par baitha huwa tha aur sar jhuka kar hanss raha tha Seema se nazrein churate huwe. Seema muskurate huwe usske paas baithi aur bahot pyar se poocha, “Are wah to janaab ko hanssna bhi ata hai hmm? Kia baat hai? Kyun itni hanssi arahi hai aaj janaab ko? Bolo to zara?!” Abhay aur ziada zor se hanssne laga apna chehra dusre taraf karte huwe! Bilkool Sharma raha tha aur usska chehra laal ho gaya tha aur nazrein chura raha tha Seema se. Seema ne bahot mushkilon se usska saamna kiya aur batane ko kaha ke baat kia hai.
Abhay hamp raha tha hansste hansste aur Seema ke bahot poochne ke baad jab batane jaa raha tha to Seema ne kaha, “kitne achche lag rahe ho eise hansste huwe Abhi, Bhagwaan kare ke tum hamesha eise hi hansste raho.” Aur Abhi ne khada hokar uss se yeh kehkar zor se dawdte huwe wahan se bhaag nikla tezi ke saath, “Sir tumko love karta hai mujhe maloom hai woh tumhare bare mein mujhse pooch raha tha woh har roz tumko dekhta rehta hai..hehehehehehe!!”
Abhi to bhaag gaya yeh kehkar magar Seema dang reh gayi aur sochne lagi ab yeh ‘Sir’ kaun hai?
Seema soch mein par gayi ke kiss ‘Sir’ ke bare ein Abhi bol raha hai aur kyun weisa kaha ussne. To Seema ne baba se poocha magar ussko bhi to nahin pata tha ke Abhi kia badbada raha tha. Kuch der baad Seema Abhi ko dhundte huwe pahaadiyon ke taraf gayi aur jab ussko ek titli se khelte huwe dekha to poochne lagi ke kiss Sir ke bare mein woh bol raha tha aur kyun kaha ke woh ussko love karta hai….
To Abhi ko sharam sa araha tha khul ke uss bare mein baat karne ko aur usska chehra laal ho gaya tha. Magar Seema ne itna zor diya ke ussko bolna pada aur ussne kaha, “Wohi Sir jahan main kaam karta hoon, woh tumhare bare mein mujhse pooch raha tha magar main samajh gaya ke woh kyun pooch raha tha woh tumko love karta hai.” Seema ko Abhi ka bholepan par taras aya aur dil hi dil mein Abhay ke enkhon mein dekhte huwe lubhaati nazaron se khud se kaha, “kitni asaani se tumne yeh dekh diya ke woh jo koyi bhi ho ke mujhse pyar karta hai magar yeh kyun nahin dekha aaj tak ke main tumse kitna pyar karti hoon Abhi? Mera pyar kyun nazar nahin ata tumko? Aur phir tum apne pyar ko kissi aur ke saath naam le rahe ho yeh kia hai Abhi?!” Seema afsos ke nazar se Abhi ko dekhte huwe soch rahi thi.
Uss raat ko sote waqt Seema sochti rahi ke kiss ke bare mein Abhi baat kar raha tha kaun ho sakta hai woh ‘Sir’. Assal mein Akash hamesha se Seema ko dekha karta tha magar Seema ne kabhi bhi ghaur nahin kiya aur naa hi ussko kabhi dekha ya aamna saamna huwa uss ke saath to woh bilkool hi nahin samajh paa rahi thi ke kaun shaks hai woh.
Dusre din subha kaam par jane se pehle Seema kafi der tak intezaar karti rahi jahan Abhi kaam karta hai ke koyi mile jissko woh Sir keh raha tha magar Akash to din ke 10 ya 11 baje ata hai aur Seema ko 9 baje office jana tha to ussko jana para. Jane se pehle ussne Abhi se poocha “Tera woh Sir kahan hai?” To Abhi ke sirf apne kaandhon ko upar uthate huwe ishare se kaha ke pata nahin. Abhi jab kaam karta tha to kissi se batein nahin karta tha, ek dum khamosh raha karta aur sirf apne kaam mein dhyaan deta, bahot mehnati tha aur bahot sara kaam kiya karta tha. Hath ke chaale sakht ho gaye the, chehre ka rang badal gaya tha jeise dhoop mein jhulass gaya ho, phir bhi baakhubi kaam kiye jaa raha tha.
Uss sham ko jab Seema kaam se wapas arahi thi to upar sar uthaakar Abhi ko talaash rahi thi, kyun ke Abhi ek oonchaayi par patharon ke beech kaam karta tha. Ek hill ke jeisa ooncha sthaan par woh dam banaya jaa raha tha, aur koyi 50 mazdoor nazar ate the uss jagah par. Bade bade drill machinon ke shor ke beech Abhi patharon ko uthakar ek jagah se kahin aur lejakar sajaya karta tha usske saath kayi aur bhi mazdoor wohi kiya karte the. Mithi ke dhool udte huwe nazar ate the aur ussske beech neeche gaon ke raaste par se pehchaanna mushkil tha ke kaun Abhi hai aur kaun kia hai.
Uss oonchaayi se niche gaon ke taraf jane wala rasta ek patli si gali jeise nazar ata tha, pedh pawdhon ke beech, pahaadi ke ek taraf aur dusre taraf khub surat phoolon se saje huwe bahot sare peyr ke beech se woh raasta ek mod dayein ke taraf karte huwe phir ek mod bayein ke taraf upar se lagta tha ek saamp peyr pawdhon ke bech mein pada hai. Jab trucks vaghaira ate jate the to upar se nazar ata tha aur jab bus mein Seema kaam ke liye jaati thi to Abhi ko upar ke taraf dekhte huwe jaati thi, aur pehle aur dusre din Abhi bhi niche bus mein Seema ko jate huwe dekh kar wave kar raha tha phir usske baad Abhi apne kaam mein masroof rehne laga aur Seema ko nahin dekhta tha.
To uss sham ko Seema upar dekhte huwe chali jaa rahi thi apne ghar ke taraf ke achanak ek car usske aguey ruka aur ek aadmi car se nikla aur kaha, “Hi I am Akash, tum Seema ho nah aur kiss ko dhund rahi ho upar Abhi ko huh?” Seema bilkool chohonk gayi aur Akash ke chehre par dekhte huwe phir upar dekhi aur sochte huwe kuch kehne jaa rahi thi ke beech mein Akash hi bol pada, “Main iss project ka engineer hoon aur main jaanta hoon ke tum roz yahan Abhi se milne ati ho.!”Seema tab ussko ajeeb nigahon se dekhte huwe, usske chehre par ek chamak sa dikhayai diya jeise ek paheli ka jawaab pata chal gaya ho aur khil kar Akaash se kaha, “Aur Abhi aap ko ‘Sir’ bulata hai?” Aur Akash ne ek muskurahat ke saath “ji han “ kaha Seema ko. Tab Seema ke jaan mein jaan aayi aur muskurate huwe kaha, “Oh to aap hai woh jisske bare mein Abhi keh raha tha hmmm!” Aur Seema apne raaste mein aguey chalne lagi, to Akash ne kaha, “Suniye to, theheriye main car park karke aap ke saath chalte huwe baat karta hoon….” Magar Seema chalti gayi aur jaldi se Akaash ne apne car ko park kiya aur ussko join karne ke liye Akash ko dawdna pada……
Jab Akash Seema ke level chalne laga to Seema sar jhukaye huwe chal rahi thi aur Akash uske chehre mein dekhte huwe poocha, “Abhi kaun hai tumhara jaaan sakta hoon?” Seema ne ek gehri saans lete huwe usske taraf dekh kar kaha, “Pehle aap yeh batawo ke aap ne kia kaha, ya poocha tha mere bare mein Abhi se?” To muskurate huwe Akash ne kaha,
“Kyun? Abhi ne kia kaha tumse?”
Seema: App bolo ke aap ne kia kaha uss se?
Akash: nahin tum batawo ke uss ne kia kaha tumse?
Seema: Hargiz nahin, agar aap nahin bologuey to mera ghar agaya main chali!
Akash: Are are sunon, main ne bus yehi poocha tha ke tumhara usska kia rishta hai aur tum kyun aksar uss se milne ko ati rehti ho bus…
Seema: kyun aap ke uss site par mera ana mana hai kia?
Akash: are yaar main ne eisa kab kaha, jab bhi ji chahe aya karo balke har roz har waqt ati raho, kaho to kaam bhi diladun tumko aur wahin kaam bhi karo meri secretary banogi?
Yeh sunkar Seema hanss padi aur hanste hansste apni ghar ke angan mein daakhil hote huwe Akash ko wave kiya. Aur Akash muskurate ussko ghar ke andar jate huwe dekhta raha aur ghar ke darwaze ko band karte waqt Seema ne ussko hansste huwe dekha jabke Akash ne tab ussko wave kiya.
Saleem bhai Sakeena aur Iqbal ke saath ek dargah ko chal pade. Nahin woh budhe baba wale dargah par nahin gaye the magar kahin aur. Magar uss darge ke rakhwale ne Saleem bhai ko budhe baba wale dargah par jaane ke liye kaha jab Saleem bhai ne bataya ke usski biwi ki tabiyat kuch dinon se kharab rehti hai to. Uss budhe baba wale dargah bahot mashoor tha unn dargah par jane walon ke darmiyan, matlab munh se kaan tak khabar phelte rehte the uss jagah ki. Bahot sare logon ki mannatein pure huwe uss baba wale dargah par jaakar to jahan Saleem bhai gaye the to uss se bhi baba wale dargah ka zikr kiya gaya. Tab Saleem bhai lautte waqt Sakeena se kaha, “Teri ammi ki tabiyat zara behtar ho jaye to ussko wahan lechaleinguey, tum donon bhi saath chalna.”
Ab Saleem bhai jahan bhi jate the to Abhay ki tasveer dikha kar pooch taaj kiya karta tha. Kabhi kabhi eisa bhi hota ke tasveer ko kissi dukaan ya mohalle ki community centre mein lagwa deta…. Abhay ki tasveer ki bahot sare photocopies karwaya tha Saleem bhai ne. Aur usske sabhi team ke aadmiyon mein share kiya tha unn tasveeron ko aur khud ke paas ek aakhri tasveer reh gaya tha.
Jiss darge se Saleem bhai lawt rahe the, uss ke 100 kilometres ke doorie par uss Budhe baba wale darga paya jata tha. To Saleem bhai ne utna door Abhay ke khoj ke bare mein kabhi socha hi nahin tha. To kia jab Sakeena ki ammi ko lekar jaega to Abhay milega unn se wahan? Iqbal bhi saath mein jaega, to agar Abhay se aamna saamna huwa to zaroor yeh sab ussko pehchaan leinguey nah?
Magar wahan Abhay ko mazdoori karte huwe 3 mahine aur beet gaye aur ussne phir se lamba dhadi uga liye the aur nahin katwana chahta tha. Seema ne kayi baar ussko uss chote sheher mein chalne ko kaha magar Abhay ne inkaar kiya aur kaha ke ussko weise hi rehna hai. Usske baal bhi kaafi lambe ho gaye the.
Ab rahi baat Akaash aur Seema ki. To huwa yeh uss din ke baad, ke engineer sahib to har roz Seema ka wait karne laga aur jab bhi Seema Abhay se milne jaati to Akaash sahib ajate aur khud Abhay donon ko akela chorr deta. To donon mein dosti hone lagi aur dhire dhire Seema ko Akaash achchah lagne laga. Akaash ne bahot try mara, zid kiya, apne pyar ka sabot diya Seema ko….. Seema pighal gayi aur ek din pata nahin kyun Abhay ne achanak Seema se kaha, “Akaash ko mat thukrana, jab koyi dil se pyar karta hai to thukrane par bahot dukh hota hai, woh tumko love karta hai to tum bhi ussko zaroor love karo, woh bahot achchah aadmi hai tum khush rahogi usske saath.” Aur Seema ke dilmein agar Akaash ke liye pyar paida huwa to woh Abhay ke baaton ki vajah se. kyun ke Seema ko ppura yakeen tha ke Abhay pyar ka maara hai aur uss se ziada pyar muhabat ke bare mein koyi nahin jaan sakta…aur phir hawle hawle Akaash se sach mein pyar ho hi gaya Seema ko aur woh khud dhundti phirti rahi Akaash ko….. Jab kabhi woh Abhay ko dekhne jaati to uss se poochti, “Akaash kidhar hai?” Aur Abhay kehta, “Apne love ko dhund rahi ho, apne dil ke dhadkanon mein dhundo mil jaega!”
Abhay ke baton se Seema bahot impress hoti thi ke keise woh akayak badi badi batein kar deta hai. Uss se saaf zaahir hota tha ke Abhay ne bhi kissi se gehra aur sachcha love kiya huwa hai. Ussko pyar muhabat ke bare mein bahot gehri jaankaari thi!
Seema ne Akaash se sab kuch keh diya tha Abhay ke bare mein aur ussko samjhaya ke woh takdeer ka mara hai aur Seema usska gehra dost hai. Akaash ko koyi objection nahin tha ke Sema Abhay se milne aye aur baat karein. Magar Seema ki dil ki gehraayi mein Abhay ke liye pyar tha ya taras usssko khud samajh mein nahin arahi thi. Akaash ko jaanne ke baad usske dil se Abhay ke liye jo pyar tha woh tabdil kar gaya tha dosti mein…..To Seema ne socha ke shayad woh Abhay par taras kha rahi thi pity kar rahi thi aur uss taras ko woh pyar samajh baithi thi…… kia naam dein uss jazbaat ko samajh mein nahin ata tha Seema ko magar Abhay ko zindagi bhar bhool nahin payegi yeh pakka yakeen tha ussko. Ab ek gehra rishta sa ban gaya tha Seema aur Abhay ke beech aur uss rishte ko kia naaam diya jaye woh bhi batana mushkil tha.
Eise hi zindagi mein aksar hota hai ke kayi logon ke zindagi mein do log hote hein, ya to ladki ke zindagi mein do ladke hote hein ya ladke ki zindagi mein do ladkiyan. Woh eise hi rishte hote hein jahan woh khud tey nahin kar paate ke pyar hai ya kuch aur hai… jazbaat ke rishte mein itna bandh jate hein ke ek dusre ko apna sab kuch dene ya lutane ke liye tayyaar ho jate hein…… rishta hi eisa ban jata hai weise sthiti mein……. Khair khushi ki baat yeh thi ke Seema ab akeli nahin thi, aur agar Abhay se bicharna hoga to ussko sambhaalne ke liye Akaash tha wahan ab!
Dosto woh din aya jab Saleem bhai ne apne biwi ke saath Iqbal aur Sakeena ko liya aur uss darge ke liye rawana huwe jahan Abhay rehta tha. Itna lamba safar tha ke kia kahein. Kul milkar koyi 150 kilometres se ziada tha Saleem bhai ke ghar se! bahot tez raftaar se car chalaate huwe bhi bahot sare ghanton ke baad uss choti sheher mein ponche jahan Seema ne ABhay ke liye kapde kharide the…. Car kabhi Saleem bhai drive karta to kabhi Iqbal. Itna door tak ek hi aadmi ke liye drive karna asaan baat nahin tha. Kayi baar ruke the sab chae paani ke liye.
Saleem bhai ke dimaagh mein itne door Abhay ka nikal ana bilkool nahin tha. Ussne sochna hi band kar diya utne door jakar ke wahan bhi Abhay ke bare mein poocha jaye…. Jab uss sheher mein ponche to Iqbal ne uss se kaha, “zara rukte hein pooch taaj karein Abhay ke bare mein?” Saleem bhai ne kaha, “Are itne door nikal ayega woh? Naamumkin lagta hai. Woh to hamare aas paas ke sheher mein phirta hoga kahin….. phir bhi tumhare tasssalli ke liye chalo pooch lete hein.”
Takdeer ka yeh khel bhi dekhiye dosto- jiss barber ke yahan Seema ne Abhay ke baal katwaye the aur daadhi banwaye the ussi ke bagal wale dukaan mein gaye Saleem bhai aur Iqbal poch taaj ke liye magar uss barber ke yahan nahin gaye! Uss barber ne Abhay ki dadhi nikala tha to woh to chehra pehchaan sakta tha, magar kismat ka khel hai ke wahin bagal mein gaye donon magar wahan nahin…. Phir donon thoda idhar udhar ghum kar Abhay ki tasveer dikhate huwe kayi logon se pooche magar kissi ko pata nahin tha to Saleem bhai ne wahan ek hotel mein uss photo ko laga diya aur hotel ke maalik se kaha ke tasveer wala aadmi missing hai agar ussko koyi dekhe to police information room ko phone karein – number photo ke niche likha huwa tha.
Aur wahan se ab baba wale darga tak jane ka raasta poocha gaya aur weh log chal pade budhe wale baba ke darga ke taraf….. din ke 3 baje the aur Abhay uss oochaayi par patharon aur machinon ke beech kaam kar raha tha……
Car jiss waqt budhe baba wale dargah ke taraf jaa rahe the tab, Abhay jiss onnchaayi par kaam kar raha tha woh car ke left side par paaya jata tha. Aur aguey ke left wale seat par Saleem bhai baithe the aur Iqbal drive kar raha tha. Sakeena piche wale seat par baithi thi apni ammi ji ke saath. Kachcha rasta tha dhool se bhare aur car ke guzarne se bahot sare mitti ke dhool udh rahe the. Aur upar jahan Abhay kaam kar raha tha wahan drilling machine aur pathar todne wale machine ke shor aur wahan bhi bahot sare dhool udhte dikh rahe the….
Uss jagah se car guzar gaya jahan se Abhay aur dusre mazdooron ko niche se ate jaate car, bus, ya trucks dikhaayi dete the. Wahan se guzar kar hi darga tak pohonchne ka raasta paye jaate the. Upar se kuch mazdooron ne car ko guzarte dekha magar uss waqt Abhi apne kaandhe par ek bada sa pathar liye dam ke border par rakhne jaa raha tha to uss ko kuch nahin dikha. To zaahir hai ke Saleem bhai ko bhi kuch nazar nahin aya halaan ke woh upar ke taraf dekhte huwe Iqbal se kaha, “Lagta hai koyi dam ban raha hai idhar, iss kade dhoop mein dekho yeh mazdoor keise jhulass rahe hein aur kitna milta hoga inn logon ko, kewal kuch rupaya.” Iqbal drive kar raha tha iss liye sirf ek jhalak dekha nazar utha kar upar ke taraf aur weh log chale gaye dargah ke taraf…..
Budhe baba se sab mile aur baba ne duwaein ki, taaviz bana kar diya aur chand gulaab ke patiyon par kuch padhkar phoonka aur ussko pani mein milakar peenee ko kaha. Phir baba ne Quraan ki chand ayatein padhi aur Fateha padha. Koyi 45 minutes ke baad weh log wahan se nikle baba se ijaazat lete huwe. Magar kisi ne Abhay ke bare mein baba se nahin poocha. Iss liye nahin poocha ke wahan ke sheher mein hi jab Saleem bhai keh rahe the itne door to Abhi nahin aya hoga aur phir kissi ne bhi nahin dekha kabhi ussko uss taraf. Iqbal ka mann tha poochne ko baba se magar kyunke Saleem bhai ne weisa kaha tha uss sheher mein jahan unn logon ne aakhri photo chipkaya, to woh sochkar Iqbal ne bhi socha Abhi ka wahan tak ajana mumkin nahin hoga.
Wahan se ek ghante ke baad weh log nikle aur Saleem bhai ne drive karna chaha, to usski biwi aguey baithne gayi apne shawhar ke bagal mein aur Iqbal aur Sakeena piche wale seat par ashikon ke gun gaane ko baithe! To Saleem bhai drive karne lage aur car uss jagah ponhcha jahan Abhi upar kaam kar raha tha. To ab car ke lautne samaye woh oonchaayi wali jagah car ke right mein tha aur right mein Sakeena baithi thi aur left mein Iqbal. Magar Saleem bhai kyun ke drive kar rahe the to woh right mein paye gaye drive karte huwe, usski lambhi dhadi, sar par pagri, aur woh tha hi eisa insaan ke koyi bhi ussko door se pehchaan le….. thik jab car wahan ponhcha jahan Seema bus mein se utarti thi aur Abhi upar se ussko dekhta tha, uss jagah par do, teen gaye road cross kar rahe the aur saleem bhai ko brake lagana pada aur uss ne horn bhi bajaya…. Iss liye ke horn baja to upar se Abhi ne niche dekha raaste ke or…. Aur usski nazar seedha Saleem bhai par gaya… uss waqt Abhi ke haath mein ek chota sa hal jeisa kuch tha jiss se woh mitti ko ek baste mein bhar raha tha, uss hal ko upar uthaaye huwe Abhi Salim bhai ko dekhta raha, usske pasine se mitti mile huwe the maathey pe aur jab ussne apna maatha poncha to usska maatha aur bhi ganda ho gaya….. Saleem bhai ruka huwa tha aur unn jaanwaron ko raasta paar karne ke liye wait kar raha tha…. Do gaye sadak paar kar chuke the ek reh gaya beech raaste par jo nahin hil bhi raha tha….
Abhay ne hal ko niche rakha aur usske enkhon ke saamne se udhte huwe mitti ke dhool ko apne haathon se hatate huwe ek do kadam niche gaya ghaur se car ke driver ko dekhte huwe….usske dil ke dhadkanon ka raftaar badh rahe the aur woh ek ek kar ke upar se seedhiyan utarta gaya, seediyan jo mitti aur pathar ko kaat kar kaaligari se banaya gaya tha uss onnchaayi se neeche raaste tak…. Sirf do chaar kadam niche ponhcha tha Abhi ke gaye paar chala gaya aur Saleem bhai ne first gear lagaya phir second aur gaadi aguey jaane lage….. Abhi hadbadate huwe tez kadmon ke raaftaar badhate huwe upar se niche utar hi raha tha aur car jaane laga, tab tak car mein se kyun ke sakeena right mein thi to ussne upar ke taraf dekha, to ussko ek daadhi wala aadmi niche ate huwe dikhaayi diya magar woh to Abhi ko nahin pehchaanti thi…… udhar Abhi hampte huwe khada hokar car ko jate huwe dekhta raha phir achanak zor se chillaya, “SALEEM BHAI…SALEEM BHAI RUKO RUKO NAH!!” Yeh kehne ke baad Abhi dawte huwe niche ke taraf jane laga aur haath car ke taraf ishara karte huwe phukaar raha tha Saleem bhai ko. Sakeena ne dekha aur Iqbal se kaha, “Woh dekho woh aadmi hamare car ke taraf ishara karte huwe phukaar raha hai lagta hai….”
Ab car kaafi aguey nikal chuki thi aur raaste par bahot mitti udh rahe the to Iqbal ko piche mudh kar car ke rear window se dekhna pada to kia nazar aya ussko? Ussko bhi ek daadhi wala aadmi udhte huwe dhool ke peeche upar se niche ke taraf ate huwe dikhaayi diya magar kissko pata tha ke woh Abhi hai? Iqbal ne Sakeena se kaha, “tum ne filmon mein dekha hoga ke jab ek car ek gaon mein jata hai to keise gaon ke sabhi bachche uss car ke piche dawte huwe jaate hein weise hi woh aadmi hamare car ke piche dawdne ki koshish kar raha hai!!” Aur tab tak car bahot aguey nikal gayi yahan tak ke ek mod aya aur turn bhi kar gayi aur jab tak Abhi niche raaste par gaya usske aaguey woh gaye the jo sadak paar karke ruke huwe the….. Abhay bahot hamp raha tha aur khanssne bhi laga aur dhire se “Saleem bhai, Saleem bhai” kehte huwe rone laga…….
Jiss waqt Abhay chilla raha tha to kayi dusre mazdooron ne suna aur unn mein se kayi log usske piche niche utre, aur uss ke paas aakar uss se poochne lage ke woh Saleem bhai kaun hai….. Abhay rote rote shant huwa aur niche zameen par baith gaya ek bimaar aadmi ki tarah…. Ussne kissi ko jawaab nahin diya….. bus kuch der baad bus aayi aur uss mein se Seema utri aur dekha ke kayi log jama hai…phir Abhay ko zameen par paya….. sab logon se poochne ke baad pata chala ke kissi car mein koyi Saleem bhai jaa raha tha aur Abhi uss car ke piche usska naam phukarte dawd raha tha to Seema ne jab Abhi se poocha ke kaun hai Saleem bhai tab tak khud Abhay ko yaad nahin tha ke Saleem bhai kaun hai aur kyun woh usska naam phukaar raha tha!!
Laakh poochne par Abhi ko kuch yaad nahin aya! Aur woh khud kuch der baad Seema se poochne laga, “Kyun mein ne eisa kiya? Kyun main uss gadi ke piche jana chahta tha? Kyun main ne Saleem bhai phukara? Kaun hai Saleem bhai? Yeh naam kuch jana pehchana lag raha hai magar mujhe kyun kuch yaad nahin araha kyun kyun kyun?!!” yeh kehte huwe Abhi apna maatha peethne laga!!”